• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Harf e Dua (Complete)

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
334
1,183
139
Hello dosto sawagat hai ap sabhi ka
first of all 1 bat clear ker du k main koi writer nahi or jo story main post karne ja rha hu wo b meri khud ki nahi hai maine bs story ko urdu roman me type kia hai actually mujhe hindi nahi ati bs thori bohat samjh aa jati hai agar english font me ho to is wajah se story urdu language me hi rhe gi english font k sath umeed hai k ap ko meri ye choti c koshish passand ae or jaisa k main pehle keh chuka hu k main koi writer nahi hu or na hi mujhe typing ka kuch khas sense hai bs jitna smjh aya us hisab se typing ker di or 1 request k meri mistakes ko ignore karen pehla pehla experience hai hope so ap log understand karen ge
Story ka credit iske original author ko jata
hai thanku
 
Last edited:

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
334
1,183
139
UPDATE:1


“Uthte ho ya pani ka jug undhelna pare ga”?Zu ne kambal mere oper se kheench ker pare phenka.

“Sone do na yar…!

Maine karwat badal ker dobara ankhain band ker lin.

“Mera kheyal hai,ye alfaaz tumhe khali khuli dhamki lag rhe hain?

Usne dobara tanbiya ki.

Main jawab diye bagair dum-saadhe para rha.

Wo itmenan se boli_”theek hai!

“Pehle marhale me adha glass pani”

Aur uske pani phenkne se pehle main herbara k uth betha.

“Kia musebat hai yar!...ab chuti k din b sone nahi do gi?

“Aram ka time hota hai mohtaram!...11 hone ko hain or tumahri neend hi poori hone ko nahi aa rahi”

“Pata hai?...main rat ko kis time soya ta?”

“Meri balah se”usne kandhe uchkaye.”main to 11 bajhe apne room me chali gayi thi.

“acha takleef kia hai tumhe?”maine takiye se tek lagate howe pocha.

“itni jaldi bhool ge?”usne ankhain nikali.

“ye gussa kisi or ko dikhana,darta nahi hu tum se?”ab main waise hi uth gaya ta or is halat me us se dab ker bat kerna mujhe kisi tor gawara nahi ta.

“teri to…..?”wo phurti se mez per pare jug ki taraf jhapti or main chalang laga ker bathroom ki taraf bhag gaya_bathroom ka darwaza kundi karte howe maine dekha wo kamre se bahir ja rhi hai.Or mujhe pta ta k mere liye nasta lene ja rahi hai.

Hum dono cousin hain or waldain ki ikloti olad b.Azhra jise main hamesha Zu keh ker bulata hun mujh se 6 saal choti hai.Apni pedaish k sath hi wo mujhe tohfe me mil gayi thi.Maa ki goud se ziada wo meri goud me pali barhi.Bachpan se hi hum dono me achi jumne lagi thi.Hum dono ka bartao bilkul dosto wala ta.Jawan hone k bad b ye raviya nahi badla ta.Larki hone k bawajod wo mujh se hathapai karne se b baz nahi ati thi.Eent ka jawab pathar se dena uski fitrat e sania thi.Lakin isme koi shak nahi ta wo meri choti se choti bat ka kheyal maa behan ki tarah rakhti.Mere kapre istari karna,almari me tarteeb se lagana,bistar ki chadar badli kerna,mere liye nashta khana wagaira le ker ana usi ki zimedari thi.

Waldain ki taraf se b hum per koi rok tok nahi thi.Ajeeb bat ye thi k jawan hone k bad b maine usey kabhi un nazru se nahi dekha ta,k wo 1 khobsurat or purkashish larki hai.Mere nazdeek wo 1 dost ki tarah thi.1 acha mukhlis or keemti dost.Jis se main her bat manva sakta ta.Gusse me aker uski pitayi ker deta or galti per hone ki sorat me uske thapar or ghonse hansi khushi bardasht ker leta.Meri choti c choti bat b us se poshida nahi thi or na usne kabhi apne kheyalat ya ehsasaat mujh se chupane ki koshish ki thi.Waldain ka raviya aisa ta k hum dono do do maa baap rakhte te.Main kabhi Abu jan or Chacha jan ki mohabat me tameez na ker saka or na Ami jan or chachi jan ki shafqat me kisi 1 ko ziada number de saka.Yehi haal Zu ka ta.

Main naha ker nikla to wo nashte ki tray liye muntazir nazar ai.

“Tumhe pata hai na…?Mujhe ande se allergy hai.”Maine palate me rakhe uble howe ando ko dekh ker naak-buh charhie,jinka chilka nafasat se utara gaya ta.

“Janti hu mohtaram!....”Usne beparwahi se kandhe uchkaye.”Lakin mosam badal rha hai or sardiyu ki amad k sath,tumhe pasand ho ya na ho ande khane parte hain or her saal ki tarah is martaba b thonsne pare ge?”

“Per ye teen ande?.....tum to rozana 1 anda leti hona phir?”

“Han…..aj b 1 hi lugi….2 tumahre liye hain.”

“Maine nahi khane 2 ande,khud kha lena.”Maine lehje me sakhti paida karne ki koshish ki,go main janta ta usne irada ker liya hai to her sorat mujhe mana ker chore gi,wo apni bat manvana janti thi.

“Shayad izat se nashta kerna tumhe acha nahi lagta?”apne hise ka anda utha ker usne plate meri janib serka di.

“Yar Zu……!

“Kia bawas hai”?maine purzor ehtejaj kia.

“Mera nam Azhra Makhtiyar hai….?”jab usne meri bat ka jawab nahi dena hota to yehi andaz ikhteyar kerti k kisi aitraz na karne wali bat per aitraz ker deti.

“Agar main na khau to tum kia bigar logi?”maine milk-shake ka glass 1 hi sans me khali ker k pocha.

“Koshish ker k dekh lo?uske itmenan me farak nahi aya.

“Nahi phir b…..?matlab agr main sirf 1 khau?”

“1 khao ya bilkul na khao saza 1 hi mile gi.”

“Zara main b sunu?

“Kal Australia or Pakistan ka cricket match hai.”Wo seb(Apple) cut karte howe sar-sari andaz me boli.

“Oh shit yar!....main to bhool gaya ta.”main jaldi jaldi ande thonsne laga,kyuke uski dhamki nehayat waziha thi,k usne mujhe cricket match nahi dekhne dena ta.Go wo khud b meri wajah se cricket match dekhti rha kerti thi lakin jab zid per aa jati thi to mujhe 1 jhalak b dekhne nahi deti thi or iska tajurba mujhe ho chuka ta,Pakistan or News Zealand ka match shiro hone me adha ghanta rehta ta jab usne ice cream khane ki khawish ka izhar kia ta.Iska mokaf ta k markeet se ice cream le ker hum ghar beth ker kha len ge or is kheeridari me 20 se 25 minutes se ziada na lagte magar mujhe tv k samne se uthna gawara na howa natijatan main wo match na dekh saka.Or ab main Aus&Pak k match ki qurbani dene k liye teyar nahi ta.

Wo mujhe sirf cricket match ki dhamki nahi deti thi,is zaman me uske tarkish me kayin teer te,meri kisi keemti cheez ka bera gharak kerna,mujhe sone na dena,khud bhook hertal ker lena wagaira.Albata meri bat wo ziada-ter,be chu-chara amal kerti,kabhi nahi karne ka itefaq ho b jata to mujh se gadhe ki tarah pit b jati.

Nashta ker k wo bartan sametne lagi….ghar me nokrani hone k bawajod mere kam wo khud kerna passand kerti thi.

“Wo bertan rakh k loti to main abhi tak itmenan se betha ta.”Ab chalo b Raju!....pehle hi itne late ho chuke hain.”

“Yar Zu……!kuch khuda ka khof karo….mujhe shopping se itni chir hoti hai k jee chahta hai kahin bhag jau.”

“Bakwas karne ki zarorat nahi,hafte bad shahdi hai kum se kum 3 suit khareedne hain maine,joote or make up ka saman b lena hai.Phir tumahre liye majburan mujhe hi khareedari karne pare gi k janab ka intekhab,ghatiya pan ki ala misal hota hai or yaqenan ye kaam 2&3 ghantu me niptaya nahi ja sakta?”

Main ser pakarte howe bola.’kuch khuda ka khof kero Zu!.....”

“Khuda ka khof hi to ker rahi hu…..warna tujhe 8 bajhe hi market na le jati?

“Acha meri maa!....ab chalo.”maine uske samne hath jorte howe kaha.

Wo shararat se boli.”waise aj mood nahi hai to ye kaam kal per b tala ja sakta hai?

“Pito gi mujh se Zu…..”maine dant peese or wo khil-khila ker hans di.wo achi tarah janti thi k cricket match meri kitni bari kamzori hai.

Hum din dhale hi wapis lot sake te.Apne liye shopping k sath usne mere liye b shopping ki thi,yun b mere liye kapru,jootu,perfume,kamre ki sajawat ka saman,yahan tak k wo mobile or laptop tak wo apni passand se kahreedti.Maine zindagi me sirf 1 dafa sport shirt khareedi thi,magar sirf 1 din hi pehan saka ta.Uske bad wo kahan gayab hoi mujhe ajtak nahi pta chal saka.Albata uska rang kitna bonga ta,lambai chaurayi kitni be-dhangi thi,is per hone wala tabasra her khareedari k moqa per taza kia jata.

ABHI K LIYE ITNA HI….!

TILL then T.C😊
 
Last edited:

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
334
1,183
139
UPDATE:2

AB AGEY:

Main master ker rha ta jab k Zu second year me thi.College wo mere sath hi jati albata wapsi per usey driver lene jata kyuk mujhe university se thora late ana hota ta.Wapsi per wo college ki uniform badal ker mere room ki safayi apni nigrani me kerwati or phir wahi beth ker mera intezar kerti.Meri wapsi per hum dono thori der ghup shup karte,ikhate dopehar ka khana khate or is k bad wo aram karne k liye apne kamre me chali jati.Is din b wo kamre ki safayi k baad mere bistar pe leti 1 magazine ki warq gardani ker rhi thi jab main tez kadmu se chalta ander dakhil howa,mere chahre per chaye khushi k asraat usey nihaal ker ge.Mujhe khush dekh ker jane kyu wo b khil uthti thi.

“Zu…..Zu,pata hai aj main bohat khush hun?”main khushi se chehka.

“Wo tumahre thobre se b dikh rha hai,wajah phuto?”

“Uska nam rakshanda hai,mujh se 1 saal junior hai or bohat pyari hai.”

Zu k chehre per 1 lamhe k liye ajeeb se tasuraat namudar howe magar agle lamhe khud pe qabu pate howe usne ne keh-kaha lagaya…..”Mohataram!.....ye galiban athvi hai ya phir novi?.....lakin is martaba 1 dum achanak,maltab pehle ziker nahi kia……?

“Achanak kahan Zu……!Maheene bhar se uske dayen bayen phir rha hun.”

“Matlab…..pehle mujh se ye bat chupaye rakhi…..?KYU….?

“Wo kia hai k…..agr wo na manti to tumne mera mazakh urana ta,maine socha pehle usey mana lu,iske bad tumhe batau ga.”

“Mana na lu……pata lu kaho?”usne zuban nikal ker mujhe chiraya.”waise agr wo na manti phir?”

“To kia…..?tumhe phir b bta deta.”

“Bs……bs main janti hun……sharam ani chahiye tumhe,agr mujhe dost smjhte to Pehle din hi ye bat bta dete.”

“Zu……Sorry na yar!.....acha ainda pehle se bata diya keru ga.”

Usne keh-kaha lagaya.”mtlb ye akhri nahi hai…?iske bad b kahin muh marne ka irada hai?”

“Nahi yar!....mera mtlb hai abhi rakshi se hone wali sari batu se tumhe agah rakhu ga.”

“Wo to khair rakho ge,jaise samina,rani,pinki,kiran,sumbal,akdas,razia k bare me mujhe agah rakhte the.”

“Han or such me Zu…..!is martaba main sanjeda hun.”

“Acha mazakh hai.”wo hansi.”Waise khandani background kaisa hai?”

“SP ki beti hai.”

“Wah!....iska mtlb hai?tune zara b garbar ki to hawalat ki ser kerni pare gi.”

“Rakshi k liye sb kuch kabol hai.”maine uska tasuwar karte howe ankhain band ker lin.

“Kia bohat khobsurat hai?”uske lehje me hasad ye rashk jaisa koi jazba posheda ta magar maine ziada tawajoh is liye b nahi di k dosri orat k husan ki tareef koi orat b bardasht nahi ker sakti.

“Han Zu!.....surkh seb se rukhsar,moti moti galafi ankhain,gulabi hont,surahi-dar gerdan……sarv kad,yaqeen karo apsara hai apsara…..ajtak maine us jaisi haseen larki nahi dekhi.”

“Mtlb pehle wali tamam se khobsurat hai?”

“Beshak.”

“To phir,kab mila rhe ho?”

“Jab kaho.”

“Aisa hai k…..kal main chuti k bad uder university me hi aa jau gi.”

“Theak hai.”maine asbaat me ser hila diya.”

“Acha tum change karo main khana lati hun.”wo kitchen ki taraf barh gayi or main ser hilata howa washroom me ghus gaya.

*…*…*…*

“Acha pata hai?aj Zu tumhe dekhne ae gi.’

“Ye kon zaat-shareef hai?”Rakshanda mustafar hoi.hum dono is waqt university ki canteen me bethe chaye pee rhe te.

“Meri dost hai.”or phir uski ankhu me chalakne wali hairat ki maine wazahat ki.”Mera mtlb cousin hai meri.”

“Apki cousin ka mere sath kia kaam?”

“Wo bachpan se mere her kam pe dakheel rahi hai ab shadi jaisa kam to main uske mashware k bina to nahi ker sakta na?”

“Kia mtlb agr main usey passand na ai to mujhe chor den ge?”Rakshi k lehje me hairat k sath gusse ka ansar b shamil ta.

“Oho!....ye maine kab kaha…… wo meri razdar zaror hai magar iska mtlb ye b nahi k us ki wajah se humari mohabbat me darar par sakti hai?”

“Deakh lo Jadheer!.....kahin wo ziada hi efficient dikhana shiro ker de.”

Nahi jee!...wo aisi nahi hai.”main jaldi se bola.

“Acha deak len ge…..ab chalo period shiro hone wala hai.”

Wo uth gayi or main ser hilata howa counter ki taraf barh gaya.Akhri period shiro hone se pehle mujhe Zu ka sms mosool howa k wo university gate per pohanch chuki hai.

“Ok driver ko wapis bejh do or khud university canteen me aa jao.”jawabi sms likh ker main rakshi ko cal karne laga.

“Yes?”usne cal attend karne me der nahi lagayi thi.

“Zu canteen me humari muntazir hai.”

“Kia akhri period attend na keru?”

“Han,rakshi!....wo itni dur se sirf tumhe milne ai hai.”

“ok,main pohanch gayi.”keh ker usne cal munkita ker di.mere kadam b canteen ki taraf uth ge.us waqt canteen me rush na hone k barabar ta.Zu ne nisbatan khali goshe me nishist sambhali hoi thi.wo is waqt college uniform me thi.main uske samne kursi sambhaal ker beth gaya.”

“Kahan hai jee humari babhi?”

“Bs ane wali hai”main darwaze ki taraf dekhne laga.

“Usey mere bare me bata diya ta na?”wo ajeeb se lehje me mustafir hoi.

“Han Zu!....abhi wo tumhe hi to milne aa rhi hai.”alfaaz mere hontu per te k rakshanda canteen me dakhil hoi.

“Yehi hai?”uske ander dakhil hote hi Zu ne ahista se pocha.

“Sahi pehchana…..”kehte howe main uske isteqbal me khara ho gaya Zu ne b meri takleed ki thi.

“Assalamualikum!.....”rakshi ne salam karte howe musafa k liye apna hath Zu ki taraf barha diya.

“Wa’alikum assalam!....ayen babhi bethen.”Zu shohi se boli.

“Zu kia logi garam ya thanda?”

“Raju jee canteen ki be-maza chaye per ter-khane ki zarorat nahi hai.or tumhe pta hai ghar se bahir main kis hotel me khana passand kerti hu?”

“Tumhe maine nahi bolaya ta samjhin?”maine usey ankhain nikali.

“Bolane ko choro meri amad ka maqsad dekho akhir me maine hi jaker ami jan or abu jan ko razi karna hai.”

“Mjhe tumahri madad ki zarorat nahi hai khamukha,mera bara banne ki zarorat nahi?”

“Banu gi…..kia tum mujhe rok sakte ho?”usne mujhe ankhain nikali,is time usey ye bhool gaya ta k humare sath koi teesra b mojoud hai.

“Shut up Zu!...”maine usey dant ker khamosh karana chaha.

“You shut up….bhar me jao…tum b or….”usne rakshi ki taraf dekha or mazeed kuch kahe bagair canteen se uth ker bahir nikalti chali gayi.

“Ae Zu suno to?”maine usey awaz di magr wo suni un suni kerti hoi bahir nikalti chali gayi.

“Sorry rakshi magar mujhe uske peeche jana hoga.”main rakshi ka jawab sune bagair tez kadmu se canteen se bahir nikalta chala aya…..Zu ka rukh university k dakhili darwaze ki taraf ta,main janta ta usey wahin manane ki koshish kamyab hone wali nahi hai.wo kisi b sorat wapis ane per razi na hoti.or agr main bilkul usey nazar andaz ker deta or uske peeche na jata tab to wo kayin din hafgi me guzar deti.

Main parking ki taraf barha,jab tak main car parking se bahir nikalta wo university se bahir nikal gayi thi.jald hi maine usey ja liya.car us se chund guz agey rok ker neeche utra.

“Ye kia behodgi hai Zu…?”main is waqt such me taish me ta.

“Mujhe tum se bat nahi kerni.”beparwahi se kehte howe usne mere kareeb se guzarna chaha.

Maine hath pakar ker usey roka.”akhir aisa kia keh diya maine tum seekh-paa ho gayin?”

“1 gair larki k samne mujhe shut up tumahre nazdeek koi bat hi nahi hai,jane wo kia soch rhi hogi mere bare me?”

“Acha car me beth ker bat karte hain.”maine usey bazo se pakar ker car ki taraf khencha,khilaf tawaqoh bagair kisi aitraz k wo car me beth gayi.

“Zu bat samjhne ki koshish kro,wo koi gair nahi meri hone wali biwi hai.or tumne b to jawaban mujhe shut up keh diya ta,phir khafa ho ker wahan se bhagne ki kia zarorat thi?”

“Ab main jawab b na deti?”usne ankhain nikali.

“Bat samjhne ki koshish kro yr mere kehne ka mtlb hai,jab tumne badla le liya ta,phir kyu uth ain.jane rakshi kia soch rhi hogi….main uska akhri period b miss kera diya.”

“Bari takleef ho rhi hai uski zara c zehmat per….or main jo itne dur se chal ker ain hun wo tumahre nazdeek koi miani nahi rakhta?”wo bhanate howe boli.”yun b pehli nahi hai k uski hafgi se tumhe koi faraq pare?”

“Acha ye dekho….”maine dono hath uske samne jor diye,koi peer fakeer hai to uska wasta….mujhe muaf kro.”

“Hahaha”wo khil-khila ker hanste howe boli.”acha ab chalo b,ya yahin rat guzarne ka irada hai?”

“wapis chalen?”

“Jee nahi.”usne nafi me ser hilaya.”yahan se seedha MacDonald’s or phir wahan se ma-badolat ko market le jana…koi cheez leni hai.”

“Kia mtlb koi cheez leni hai?”main bokhla gaya tha.

“Kapru ka 1 suit lena hai na yar!.....us din 3 suit liye te,1 Tai jan ne apne liye rakh liya ab 1 or khareedna pare ga.”

“To konsa tumahri shadi ho rhi hai,k 2 suitu se guzara nahi ho sakta?”

“Tumne chalna hai k nahi…?wo dobara sanjedha ho gayi thi

Or maine ser jhatakte howe car agey barha di,k is se behas kerna pathar se ser takrane k mutradif ta.


ABHI KE LIYE ITNA HI…..!

TILL then T.C😊



 

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
334
1,183
139
UPDATE:3

AB AGEY:

Khana hum bahar hi kha ker ae te,is liye wo mere kamre me rukne ki bajaye apne kamre ki taraf barh gayi or main mobile nikal ker rakshanda ko cal karne laga.magar usne number busy ker diya,goya wo sakht khafa thi.maine 2&3 bar uska number dial kia magar wo bar bar busy kerti rahi,tang aa ker maine koshish kerna hi tarak ker diya.

Raat ko maine ye bat Zu ko bata di.

“Isme naraz hone ki kia bat hai?”usne herani zahir ki.

“Wah kia khob irshad farmaya hai.jab tum canteen se nikal ker bhagi thi to wo kia ta bibi?”

Wo itmenan se boli.”wo to tumne meri toheen ki thi bhagne k ilawa mere pas or koi chara hi nahi ta.”

“Zu sharam kro yar main rakshi ko chor ker tere peeche bhagta rha.”

Wo tarki ba-tarki boli.”to kia kabhi main tere peeche nahi bhagi,kabhi tere nakhre bardasht nahi kiye?”

“Han ye to hai magar phir b yar tumhe ye mananna pare ga k maine rakshi k sath ziyadti ki hai.”

“Acha kal ja ker mana lena Raju ab is bat ko choro jo hona ta ho chuka.or yun b jab tum kisi larki k bare me sanjedha ho jao ge to tum se dur nahi ja sake gi,be-aqal,be-kar,na-laik tum sirf mere liye ho,larkian tumhen aisa nahi samjhtin,yun b dur k dhool suhane hote hain.albata kreeb aney k bad unke pas bhagne k ilawa koi chara nahi hota.”

“Ae….!be-aqal or na-laik hogi tum khud.or konsi larki mujhe chor ker gayi hai?Zara nam to batao….?

“mujh se bar bar in k nam mat ginwao,tilawat nahi hai k her minute bad main wo fehrist dohrana shiro ker du.”

“Tamam se khud hi maine kata tahluq kia hai….or ye bat tum achi tarah janti ho?”

“AchaAaa…..!wo istezahia lehje me boli.Zara main b to sunu tune kis kis ko dutkara hai…to shiro karte hain samina se?”

“To karo na uski or tumahri birthday 1 hi din aa rhi thi.or uske dawat dene k bawajoud main wahan na ja saka.”

Wo hansi.”or agle din usne kaha k ainda mujhe apni manhoos shaqal na dikahana😂 .”

“Nahi ji aisi koi bat nahi hoi thi,bs wo mujhe deakh ker wo katra ker nikal gayi or main b apne raste per chal para.”

“Apne nahi Kiran k raste per kaho.or jise tum katra ker nikal jana keh rhe ho na?uski tasheer me yehi kaha ja sakta hai k main teri manhoos shakal nahi dekhna chahti.”

Main josh se bola.”Kiran ko to maine khud bola ta k tere mere raste alag hain.”

“Wah….”wo hansi.”ye b batao na k kaha kab ta?”

Maine zor-shor se kaha.”jab b kaha ho kaha to maine hi ta na?”

“Acha main bata deti hun…Sunday k din tune us se wada kia ta usey lunch karwao ge…wo hotel me tera intezar kerti rhi or tum……?”

“Han main apni manhos cousin ko hospital phirata rha,usey food poison ho gaya ta,jo her khana akhri khana smjh ker khati hai.”main bhanate howe bola.

“Bat to poori hone do?”uske labu per mukurahat raqsa rahi.”agle din wo kisi or larke k hath me hath dale chahel kadmi ker rhi thi….aisi sorat me mohtaram kia ker sakte te k wo Pinky ki jholi me ja gire…or yad hai tune pinky k samne kitni kasme khayain thin k mere sath tera koi affair nahi hai main bs teri achi dost or cousin hun magar wo na mani or usne sakhti se tujhe mana kia k mujh se dur rho ge.magar ma-badolat ko itni asani se roka nahi ja sakta.to kia howa?pinky ne b tujhe apni zindagi se nikal phenka or…..”

“bs kro meri maa!..” Maine hath kanu ko laga ker uske agey jor liye.”meri sari mehbobaon ko mujh se dur karne wali tum ho kameni,lakin ab rakshi ko main naraz nahi hone du ga.”

“Acha I’m really sorry….laikn yaqeen kro maine janbojh ker kabhi aisa nahi kia.”uske lehje me shamil nidamat goya is bat ki daleel thi k usey rakshi k sath hone wali ziayadti ka eshsas ho gaya ta or mere liye itna kafi ta k wo hut-dharam kisi tor apni galati man gayi hai.

*…*…*…*

“Rakshi…bat suno.”jab wo lahtaluqi se mere pas se guzarti chali gayi to majburan mujhe pukarna para.

“Jee?”peeche mur ker usne phar-khane wale lehje me pocha.

“I’m really sorry…”

“Jadheer Sahab main itni ghatiya or faltu nahi hun.na tumahri mohabbat me mari ja rhi hun.tumne socha b kaise k yun meri toheen karo ge or main tumhe muaf ker du gi?”

“Rakshi…!”

“Mera nam Rakshanda hai understand?”

“OK OK miss Rakshanda Azher Sahiba!mujhe safayi pesh karne ka moka to do na?”

“Farmao…?”

“Wahan canteen me beth ker aram se bat karte hain.”

“Sorry lakin ye hakekat hai k canteen per Nauman mera muntazir hai,or uski mojoudgi me,main teri koi bat nahi sun sakti.”

“kia…?”main gusse se chekh para tha.”hosh me to ho.”

“Or han ab tum b hosh me aa jao.Nauman mujhe tum se pehle purpose ker chuka hai or mere tumahri taraf mael hone k ba-wajoud uske dill me meri chahat kum nahi hoi.jabke tumahre dil me kabhi meri chahat thi hi nahi?”

“Nahi ye jhot hai.”maine purzoor andaz me tardeed ki.

“jhoot kaise…?kia 1 third class larki ko mananae k liye tune mujhe canteen me bola ker mera tamasha nahi banaya.”

“Shut up third class hogi tum khud,balke teri poori family,khabardar agr ainda meri cousin k bare me aise gande alfaz istemal kiye to zuban gudi se kheench lu ga.bhar me jai teri mohabbat or khud tum.”Zu k bare uske remarks sun ker mera dimgh 1 dum ghoom gaya ta or phir uska jawab sunne k liye main wahan ruka nahi .

“Aye rah-geer…”mera kareebi dost Mazhar hamesha mujhe Jhadeer ki bajaye rhageer kehta ta.is waqt wo university k lon me garhi singhi bench per betha mujhe hath k ishare se apni janib bola rha ta,jabke mera rukh is waqt parking area ki taraf ta,kyu k main janta ta is din mera parhai me jee nahi lagna tha.

Mazhar ko dekhte hi mere qadam uski janib uth ge,k us waqt kisi aise mukhlis dost ki zarorat mujhe shidat se mehsos ho rhi thi.

“Kidher bhage ja rhe ho yr!tumhe to rakshanda bhabi ko manane jana ta?”

“honha!....rakshanda babhi?”main tanziya andaz me kehte howe uske sath beth gaya.

“Mujhe lagta hai kuch galat ho gaya hai?”usne sawaliya nazru se meri janib dekha or mujhe khamosh pa ker dobara bola .”kia mera andaza theak hai.”

Maine asbaat me ser hilaya.”han kuch aisa hi hai,main us se tahluq tor aya hu.”

“gusse me lagte ho?”usne samjhne wale andaz me ser hilaya.”acha chalo pehle kuch thanda ho jai,phir mujhe tafseel batlana k kia howa hai?”

“pata nahi khud ko kia samjhti hai….?”

“kaha na abhi nahi.”usne mera bazu pakar canteen ki janib khencha or main uske sath chal para.
“Jante ho pyar mohabbat khel me kayin aise marahil aa jate hain k mehbob se kata-tahluq karne ko jee chahta hai….magar ye 1 aarzi kefiyat hoti hai,jis se mohabbat hoti hai gile shikwe b usi se hote hain.”main khamoshi se sunta rha,canteen me ja ker usne 2 cold drinks mangvayin.

Maine 1 hi sans me poori botal khatam ker di….thande sharbat ne mere ander ubalti tapish ko kum kia or main kuch sochne k kabil howa.

“Ab batao kia bat hoi?”Mazhar apna cold drink khatam ker k mustafir howa.

“Bs kia batau yr?....bari mushkil se rakshi ko apna banaya ta or bari asani se ganwah diya.”

Usne muh banate howe kaha.”thori wazahat karne se yaqenan tumahre dant gis nahi jayen ge?”

Or maine poori tafseel uske samne dohra di.

Wo itmenan se bola.”Isme galati sarasar tumahri hai.”

“Meri galati kaise ho gayi?”maine ehtejaji lehje me kahah.

“Tumahri cousin zarori thi ya tumahri mehboba?.Cousin se tum ghar me nimat sakte te.us waqt zarorat thi k tum rakshi ko tasali dete.yun b tumahri sari mehbobain usi larki ki wajah se bargishta hoi hain.”

“Yar rakshi k sath to meri larai hi nahi hoi thi main or Zu hi apas me jagar rhe te or phir wo khafa ho ker chal di.majburan mujhe uske peeche jana para yaqeen kro agr main us waqt aisa na kerta to usne hafta bhar mujh se bat nahi kerni thi,narazi ki halat me wo khana peena b chor deti hai or….”

“To chor de pehle tumahri biwi hai or uske bad koi or.”

“magar mere sath wo bohat mukhlis hai,tumhe kia pta k wo kis tarah meri choti choti zaroratu ka kheyal rakhti hai,uski narzgi mujh se bardasht nahi ho sakti.”

“waise main tumahre nukta e nazar se mutafiq nahi hu,lakin chalo man lete hain k tumhe usey manane k liye uske peeche bhage,usey mana liya,ab rakshi ko jo gussa aya howa ta uska tadaruk kon kerta?”

“To minte to kerta rha hu wo khud tahluq nahi rakhna chah rhi to main kia ker sakta hu?”

“Galat bilkul galat.jab usne gusse ki halat me tumahri cousin ko third class keh hi diya ta…to tumhe us pe itna seekh-paa hone ki kia zarorat thi.tum jante nahi 1 orat dosri orat se kitna ziada hasad mehsos kerti hai,agar Azhra tumahri cousin hone k bajaye tumahri sagi behan hoti to rakshi ko itna gussa na ata.or muaf kerna tumahri cousin ne her waqt tumahre kam me rore hi atkayen hain.”

“Nahi.”mujhe gussa is bat per nahi aya k usne Zu ko bura bhala kaha,is se pehle wo Nauman or apne bare aisi guftugu ker chuki thi k gussa kerna meri majbori ban gaya ta.jab usey mujh se ziada Nauman ki mohabbat chahiye to,bhar me jaye.”

“Ho sakta hai Nauman ka nam sirf usne tumhe jalane k liye lia ho?”ye alfaz Mazhar k hontu per te k Rakshanda,Nauman k sath canteen me dakhil hoi.mera rukh dakhili darwaze ki taraf ta.

“Khud hi deakh lo.”maine usey darwaze ki taraf matwajoh kia.

“Kia deakh lu?”Mazhar ne muh banaya.”ghanta bhar pehle usne tumhe kaha k Nauman canteen per uska muntazir hai or wo ab is k sath canteen me dakhil ho rhi hai.is se kia zahir hota hai….?yehi na k us waqt usne jhot kaha ta.agr Nauman uska muntezir hota to wo dono hum se pehle yahan mojud hote.”

Maine 1 gehra sana lete howe kaha”chalo abhi to apne kahe ko such ker diya.”

Mazhar ne inkeshaf kia.”Abhi b mujhe drama lagta hai.”

“Behar-haal ab mere liye yehi haqeqat hai.”main beparwahi se kehte howe uth khara howa.”mera kheyal hai mujhe chalna chahiye?”

Mazhar muskuraya.”kyu bardasht nahi ho rha?”

“Nahi yar…!”main saf-goi se bola.”mera kheyal hai hum itna agey nahi the k ab lotna namumkin lage?”

“Namumkin na sahi mushkil to hai na?”

Main muskuraya.”mushkilen to zinadgi ka hissa hain na yr!....or yun b main pehli bar is marhale se nahi guzar rha?”ye kehte hi main agey barh gaya.Mazhar ne uthne ki zarorat mehsos nahi ki thi.Main janta ta k wo Rakshanda ki toh me laga rhe ga.wo mera mukhlis dost tha or kabhi b mujhe ranjedha nahi deakh sakta ta.


ABHI K LIYE ITNA HI…..!

TILL then T.C😊
 

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
334
1,183
139
UPDATE:4

AB AGEY:

“Arey wah aj to jaldi aa ge?”

“Yehi sawal main tum se b poch sakta hun?”Zu ko apne kamre me deakh ker main heran reh gaya ta,kyuke abhi uski chuti ka waqt nahi howa ta.

“Mere sar me dard ta is liye pehle period k bad wapis aa gayi thi.”

“Ab kesi tabiyat hai?”sarsari lehje me pochte howe main bed per beth ker jootu k tasme kholne laga.

“Medicine le ker ghanta bhar aram kia ab thk hun.”

“Chalo shuker hai or mere liye b fatafat achi c chai bana ker le ao.”sleeper pehan ker maine bathroom ka rukh karte howe kaha.

“Abhi to khane ka waqt hai bad me pee lena.”

“Nahi mujhe bhook nahi hai.”main darwaza khol ker ander dakhil hone laga.

Wo sirhat se boli.”Bat suno…?”

Maine ruk ker uski taraf sawaliya nazru se dekha.

“Maine aj machli banayi hai.”machli hum dono ki passanded khoraak hai.

“Tum kha lo main bs 1 cup chai lu ga.”keh ker main bathroom me ghus gaya.

Jab main bahir aya to wo chai ka cup la chuki thi.main janta ta k mere bagair usne b khana nahi khana ta,magar main jan-bojh ker khane ka ziker kiye bina chai peene laga.wo khamosh bethi mujhe ghorti rhi.chai pee ker maine khali cup tapayi per rakha or bistar per let gaya.

“Zu main kuch der aram karu ga.”

“Ae Raju kia howa?”wo mere sath bed per beth ker mere balu me ungliyan pherne lagi.

“kuch nahi.”mukhtasir jawab de ker maine ankhain mond li.

“Kia wo khafa ho gayi hai?”

“Nahi usne kata-tahluq ker liya.”

“Meri wajah se hai na?”Zu ki awaz me kayin andeshe larz rhe the.

“Nahi.”maine usey sharminda kerna munasib nahi samjha tha.halanke k hum dono achi tarah jante te k meri tamam nakam mohabbatun ki bari wajah Zu hi thi.”Balke wo kisi or se mohabbat kerti hai.”

“To pehle usey nahi pta tha?”

“shayad na ho magar mere raviye ne usey uski taraf mael ker diya.”

“kia wo bohat khobsurat hai?”

“Ye to rakshi ko pta hoga k wo usey kitna acha lagta hai?”

“Agar main rakshi se bat ker lu?Balke usey sorry ker lu?

“Choro Zu tum jao aram kro.”

“Chali jati hu.”wo itmenan se boli,magar uski unglian usi tarah mere balu me sarsarati rahin or phir mujhe pta hi nahi chala kab meri ankh lag gayi.

*…*…*…*…*

Agle dine main break time me canteen me dakhil howa to Zu ko Rakshi k sath bethe deakh ker meri ankhain hairat se phail gayin thin.main sirhat se unki mez ki taraf barha.jane wo rakshi ko kia pati pharhane aa gayi thi.go usne mujhe kaha ta k wo rakshi ko sorry kehne ae gi,magar us se kuch baed nahi tha k wo usey razi karte karte phir larai shiro ker deti.kabhi kabhi main sochta,k usey apni zindagi me itna ziada dakheel nahi hone dena chahiye ta,magar uski mohabbat,khalos or khidmat ki soch mujhe malamat karne lagti.

“Zu tum yahan?”kareeb jane per b jab wo meri janib matwajoh na hoi to mujhe khud kehna para.

“Raju tum bethona main rakshanda ko sorry kehne ai thi.darasal us din tum se jagarte howe main inke nazuk jazbaabt ka kheyal na rakh saki.

“Koi bat nahi Azhra main khafa nahi hun bs waqti tor per gusse me aa gayi thi.”wo meri taraf dekhne se gurez ker rhi thi.

Maine kaha.”galiban chai mangwana tumhe bhool gaya?”

“To mangwa do.”Zu ne ankhain nikali.

“ye dekh rhi ho?”maine dono hath uske samne jorte howe kaha.”Chai pee lo or MacDonald ja ker b zaher mar ker lena.”

“Hahaha.”usne zordar keh-kaha lagaya.mohtaram 1 din ki dori b bardasht nahi ker sake or ghutne tek diye.kaha ta na panga nahi lena babhi meri koi bat nahi talti.kyu rakshi babhi?”usne achanak rakshanda se pocha or wo ser jhuka ker sharmane lagi.

“bs itni c bat thi,ab zara jaldi se rakshi babhi ko sorry kaho ghazab khuda ka agr main tum se jhagra ker k chal di thi,to tum kyu mere peeche bhag pare,ab tumhe ikhlakiyaat b main sekhau gi.”

Main is waqt uski batu ka jawab dene ki position me nahi ta.itni asani se rakshi se sulah ho rhi thi,main jaldi se bola…..

“sorry rakshi really mujh se galati ho gayi,lakin yaqeen mano aisa unjane me howa.yun b Zu k sath larai jhagra roz ka mamol hai.”

“Its ok Jadheer.”wo sharmate howe boli.”mujhe b bs khawamukha gussa aa gaya ta,halanke ye koi itni bari bat nahi thi.”

“Chalen jee ye masla to howa hal?ab MacDonald chalte hain.”Zu ne khsh dilli se muskurate howe tajweez pesh ki,magar na Jane kyu mujhe uski hansi me masnoi-pan jhalakta howa nazar aya.

“ok mohtarma kia rakshi apne baki periods ki qurbani de pai gi?”

Rakshi muskurayi.”agar Azhra ki yehi khuwaish hai to yaqenan mera jawab nafi me nahi hoga.”

“Babhi zindabad.”Zu ne ahista se nara lagaya or rakhsi k chahre per kos e kaza k rang jhilmilane lage.

*…*….*….*…*

Jald hi main or rakshi ek dosre k bohat ziada kareeb aa ge te.uske bina mujhe apni zindagi veran lagne lagi thi.yehi haal uska b tha.kayin dafa wo mere liye apne passandeda periods b miss ker deti thi.hum jab tak ikhate rehte humari nazrein or zuban mehav e guftugu rehtin or nigahu se ohjal hote hi mobile per peghamaat ka silsila shiro ho jata.main Zu ko b pehle ki tarah waqt nahi de pata ta.lakin Zu aisi larki thi k apne liye zabardasti waqt nikalwa leti.

Or phir isi isna me ek din mere ser per kiamat toot pari,meri salgirah kareeb thi.go main kabhi b birthday celebration ko passand nahi kerta hun magar Zu Ami jan Chachi jan k samne meri ek nahi chalti thi.is martaba b Zu 10&15 din pehle hi se salgirah ki teyariyu me mashgoul ho gayi thi.

Us din main university se ghar pohancha to Zu kamre me nahi thi.

“Zu Zu kahan mar gayi ho?”room khali dekhte hi main chilaga,mujhe sakhta bhok lagi thi.

“Azhra beti to kahin gayi hoi hai beta.”Ami jan purshafqat lehje me bolte howe mere kamre me dakhil hoin.”khana le au?”

“kahan gayi hai?”

“kuch khareedari karni thi,college se atey hi driver ko le ker market bhag gayi hai,tumhe pta hai na tumahri salgirah aney wali hai or in dinu wo isi ki teyariyu me masrof hai.”

“Theak hai Ami jan lakin mujhe sakht bhok lagi hai.”

“To wahi to pocha ta k khana le au?”wo shafqat se muskurayin.

Main mustafir howa.”Zu ne kha liya hai?”

“bataya to hai k college se atey hi khareedari karne bhag gayi hai.”

“Acha theak hai Ami jan usey wapis aa lene den jab tak main fresh ho leta hu,hum ikhate hi kha len ge.”

“Chalo jaise tumahri marzi beta lakin 2 minute mere liye b nikalo 1 zarori bat karni hai?”

“Jee hukum Ami jan?”

“Beta ab Azhra beti or tum jawan hoge ho.tumahre abu or chacha ka irada hai k is dafa tuamhri salgirah or tum dono ki mangni ki taqreeb ikhati munaqid ki jai.”

“Mm…mangni….Maa jee hum dono ki magar kis se?”

Ami jan ne halka sa keh-kaha lagaya.

“Pagal na ho to apas me beta or kis se?”

“hum dono magar ami jan?”mere chahre per 12 bajhne lage te.

“Acha ziada drama karne ki zarorat nahi hai,ander se to lado phoot rahen hain jnb k.”Ami jan ne mujhe bat mukamal karne nahi di thi.or phir ahista se mera kan maror ker kamre se bahir chali gayin.magar mujhe sochu k jis gerdab k hawale ker gayin thin wo is se be-khabar thin.maine kabhi Zu k matalik is andaz me socha nahi ta.meri ankhu k samne rakshi ka ansu bhara chehra lehrane laga.Zu ki wapsi tak main isi tarah sochu me doba rha or fresh hone k liye main bathroom tak nahi ja saka.

“Raju dekho to maine tumahre liye kitna pyara suit khareda hai.”Zu khushi se chahekte howe kamre me dakhil hoi magar mere chehre per nazar parte hi wo sanjheda ho gayi.

“Ae Raju khair to hai na bhota kyu phula rakha hai?”wo aisi hi thi mere mood ka andaza lagana uske liye asan ta.

Maine mari mari awaz me kaha.

“Zu hum bohat bari problem me phans ge hain?”

“Oh Khuda khair?”usne hathu me uthaye howe shopping bag carpet per phankhe or mera hath thamte howe samne beth gayi.main hont chabata howa uske shopping kiye howe saman ko dekhta rha.

“Ab kuch phuto ge b ya yun hi tension me mubtila rakho ge?”

Chund seconds se ziada sabar kerna uske bas se bahir ta.

“Maa ji bata rahin thin k is dafa meri salgirah or humari mangni ki taqreeb ikhati celebrate ki jai gi?”

“Humari mangni mtlb?”

Main kata kalami karte howe bola.

“mtlb waziha hai Zu tumahri or meri mangni.”

Uske chehre per haweda pareshani k asaar madoum howe or usne gehra sans le ker pocha…”to?”

Main jhala ker bola.”to kia ye choti bat hai?”

“pata nahi?”wo beparwahi se boli.”magar ye itni bari bat b nahi hai k tum yun pareshan ho jao.”

“Shayad tuamhre liye na ho k tum kisi se mohabbat nahi karti…?”

Uske chehre per aziyat bhare asraat zahir howe or wo.”Sahi kaha.” Kehte howe shopping wala saman utha ker almari me rakhne lagi.sara saman rakh ker wo bahir chal di.

“Zu kahan chal di?”mere lehje me hairani thi.”Yar hud hoti hai beparawahi ki b?”

Wo wapis muri.”kesi beparwahi?”

“ye beparwahi nahi to or kia hai? Malom hai mujh per kia guzer rhi hai?muhtarma meri jan per bani hoi hai.main rakshi ko kia muh dikhaun ga?kaise uska samna karu ga?or pta hai?mujhe lagta hai k agr wo mujhe na mili to shayad hi main zinda reh pau?”

“to main kia ker sakti hu?”wo rohani c ho ker dobara beth gayi.

“Tasali dilasa to de sakti hona?”

“faida?”

“acha faida or nuksan ko choro or mera ek kam karo.”mere lehje me ilteja ka ansar numaya ta.

“jee?”uski sawaliya nazre meri janib uthin.

“Aisa kero k tum Ami jan ko bata do,k tum mujh se mangni nahi kerna chahtin.”

“kia…kia….kia…?”usne ankhain nikalin.”khud phuto,na ja ker?ye kaam larkiyu k karne k nahi hote?”

“dekho Zu Ami jan tumhe bohat chahtin hain or namumkin hai k wo tumahri bat taal jayen?”

Wo tanziya lehje me pochne lagi.”or tum se nafrat kerti hain wo hain na?”

“Agar ye keh diya to such much nafrat katne lage gi.”

“to tum meri Ami jan k pas ja ker inkar ker do.”usne mashwara diya.

Maine muh banaya.”bat to 1 hi hai na?”

“Dekho Raju is muamle me main tumahri koi madad nahi ker sakti really sorry.”

“Zu meri taraf dekho.”maine uska hath pakar ker kaha.

Usne apni moti moti sahed angeen ankhain meri janib ghumayin.mujhe mehsos howa k wahan kahin dur gehrayi me pani ka tathen marta samunder moj e zan hai.shayad uske liye b humari mangni ki khabar dhacke ka bhais bani thi.magar orat zaat hone ki wajah se wo apna shadeed rad e amal zahir nahi ker pa rhi thi.

“Zu pls meri khatir.”

“akhir tum khud kyu nahi bat karte?”wo chir c gayi thi.

“Tum choti hone ki wajah se ladli ho or phir larki hone ki wajah se b tamam ki humdardian tumahre sath hun gi is liye….”

Usne kata kalami ki.”or tum chahte ho k wo humdardian mere sath baki na rahen?”

Mujhe achanak gussa aya or maine 2 tok lehje me pocha.”tumne kehna hai k nahi?”

“Nahi…..nahi…..nahi….” wo 1 martaba phir khari ho ker darwaze ki janib chal di.is martaba maine usey rokne ki koshish nahi ki thi.

Darwaze k kareeb ja ker wo ruki.peeche mure bagair wo kuch der ruki rhi,phir achanak hi uski galu-geer awaz mere kanu me pari.

“Theak hai Raju main Chachi jan ko keh du gi.”

Itna keh ker usne rukne ki koshish nahi ki thi.main janta ta k wo meri maa k samne apni sakh kharab nahi kerna chahti thi,magar meri zid ne usey majbor ker diya ta.kyu k wo mujhe khafa karne ki b muthamil nahi ho sakti thi.

“Shukria Zu.”main khushi se chehka.magar wo mera jawab sunne k liye ruki nahi thi.

Sari pareshani Zu k hawale ker k main befiker ho gaya ta.


ABHI K LIYE ITNA HI…..!

TILL then T.C😊

 

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
334
1,183
139
UPDATE:5

AB AGEY:

Sham k waqt jab main cricket khel k stadium se lota to Chacha jan k bedroom k samne se guzarte howe Chachi jan ki buland awaz mere kanu me pari.

“Dimagh kharab ho gaya hai is larki ka.mana kia ta na?k bs matric tak parha liya bohat hai,lakin meri sunta kon hai is ghar me?wo shahyad Chacha jan se mukhatib thin.yaqenan Zu ne bat cher di thi.

Jawaban Chacha jan ne jane kia kaha k ek bar phir Chachi jan ki buland bang awaz meri samatu me gonji.

“Raju aisa bacha nahi hai.teri ladli k nakhre khatam hone me hi nahi atey.”bilashuba shadi se inkar ker k Zu takhta e mashq banne wali thi

Main itna khudgaraz b nahi ta k usey akela chor deta,uska sath dena is liye b zarori ta k tamam k tanu or kosnu se tang aa ker wo apni amadgi b zahir ker sakti ti.or is shadi se pehlu tehi meri zarorat thi,na k uski?mere kadam Chachi jan k kamre ki taraf barh ge.

“main andher aa sakta hu?”maine halke se darwaze per dastak di.

“Ao beta?”Chachi jan ki purshafqat awaz sun ker main kamre me dakhil ho gaya.

Zu double bed k sath munakish kursi per ser jukhaye bethi thi,Chacha jan bed per,sarhane se tek lagaye bethe te,jabke Chachi jan kamre k wosat me khari thin.

“Chachi jan main muafi chahta hu k maine apki sari baten sun li hain.balke hakekat to ye hai is waqt ghar me jo b mojoud hai usne suni hu gi.”

“beta is ne bakwas hi aisi ki hai k tum suno ge to shayad sari zindagi is se bat b na kero.”

“kaha na maine sun lin hain Chachi jan or main iske huq me hu.shadi aisa bandhan hai k kisi 1 fareeq k na chahne se kayam nahi kia ja sakta.zabardasti ki shadi khandan k khandan tabah ker diya kerti hai or main Zu se bilkul b khafa nahi hu or ap se b yehi ilteja kerta hun,humara rishta itna kacha nahi k zara zara c bat per dararein per jayen.or yaqenan ap dekhain gi k main Zu ka kheyal pehle se b ziada rakhu ga.ap bilkul tension na len.

“magar beta?”chachi jan k chehre per nazar aney wali pareshani masnoi nahi thi,main janta k wo Zu se ziada mujhe chahtin hain,isi tarah meri Ami jan mujh se ziada Zu per jan deti thin.

“koi agar magar nahi maine chachi jan k gale me bahen dal ker unka matha choom liya.wo mujhe ami jan ki tarah pyari thin.inhe yun dokha dene per mera apna dill b khafa ta,magar kia kerta k rakshi meri kamzori thi.

Zu ne kun akhiyu se meri janib dekha or maine 1 ankh meench ker dant nikal diye.wo dobara neeche dekhne lagi.

“Bache theak keh rhe hain jee!”chacha jan ne meri taeed karte howe kaha.”Bhai jan se main khud bat ker lu ga or Azhra beta ne inkar to nahi kia? Wo to bs filhal mangni ko mohar kerna chahti hai,ho sakta hai bad me razi ho jai?”

“Sare ghar walu ne is ladli ki taeed hi kerni hai.”kehte howe chachi jan bahir nikal gayin.

“Zu agar farigh ho to chalo tum se zarori bat kerni hai.”chachi jan k kamre se nikalte hi chacha jan tapayi per rakhi kitab utha ker matale me masrof ho ge te.moka ghanemat jante howe maine foran Zu ko chaker hone ka ishara kia.

“Jee meharbani maine homework kerna hai.”wo kehar aloud nigah mujh per dalte howe kamre se nikal gayi.akhir ko sara kiya dhara mera ta uska itna huq to banta ta.

*…*…*…*

Rat k khane k bad b wo mere pas nahi ai thi.majburan mujhe hi us k kamre me jana para.

Uske bedroom ki dewaren meri tasviru se muzeyan thin.kahin main cricket tarafi pakre howa khara ta to kahin inam wasol ker rha ta.isi tarah bachpan ki wo tasaveer jin me,main ami jan or chachi jan ki goud me ta.kayin tasveru me hum ikhate nazar aa rhe te.inme mere or uske waldain ki b tasveren shamil thin,magar ziada tadad meri tasaver ki thi.bachpan se le ker aj tak sal ha sal meri her salgirah ki 22 tasveer b 1 line me lagi hoi thin.iske baraks mere kamre me uski sirf 2 tasveren lagi hoi thin.ek tasver uske bachpan ki thi jisme maine usey goud me uthaya howa ta or dosri tasver taqreri mukable me first position ki tarafi wasol karte howe khenchi gayi thi.

“dekho jee aj mabadolat khud kanez k liye coffee bana ker layen hain.”coffee k cup tapayi per rakhte howe main mazahiya andaz me bola.

“Raju khushamad karne ki zarorat nahi hai or abhi maine sona hai is liye ap baraye meharbani ye coffee wapis le jayen.”

“Zu kia hai yr chachi jan ne konsa tumhe goli mar di hai tumhe jo mood itna kharab kia howa hai.”

“Wo mere sath bat nahi ker rahin hain or kia goli lagne ki takleef is se ziada hoti hai?”

“to maine tumahri tarafdari ki to thi iske ilawa main ker b kia sakta ta yun b chund din me ye bat ai gayi ho jai gi.”

“tumne meri nahi apni tarafdari ki thi or tumahri bhool hai k ye bat ai gayi ho jai gi ye tana mujhe sari umer sunna pare ga tumhe to sb masoom samjhen ge.”

“mtlb k ab mujhe is bat k tane sunne ko mile ge k tum ne mere liye qurbani di hai?” usey jazbati tor per blackmail karne k liye mujhe sanjheda hona para.

Wo sambhalte howe boli.”aisa maine kab kaha tum her bat ka ulta mtlb lete ho.”

“To is bat ka kia mtlb banta hai wazahat kerna passand karo gi tum?”

“Ok ok sorry main zara jazbati ho gayi thi.”mera mood dekhte howe usne ek dum sorry kehna shiro ker diya,chunke galati meri apni thi is liye filfor maine sulah ker li.

“ye lo coffee peyo.” Maine coffee ka mug uski taraf barhaya.

Wo mug thamte howe boli.”Raju ami jan such much bohat khafa hain.”

“mayen kabhi naraz nahi howa kerti pagli.”

“ye falsafa apne pas rakho.”usne muh banaya.

“acha 2 mahene sabar ker lo,uske bad ye jhagra hi nahi rhe ga.”

“Bhala wo kaise?”

“batana zarori hai?”

“nahi.”wo itmenan se boli.”balke bohat zarori hai.”

“Dekho imtehan k bad main ami se bat karu ga k wo rishta le ker rakshi ki taraf chali jayen or meri shadi k bad?”maine chutki bajate ho kaha.

“taye taye fish.”

Wo ahista se boli.”sahi kaha acha mujhe neend ai hai.”

“Shayad tumhe khushi nahi hoi?”


“Nahi bohat khush hun.”keh ker usne kambal apne oper le liya.

“khair itni jaldi tujhe sone to nahi du ga.”maine kambal uske oper se kheench ker neeche kaleen per phenk diya.

“Raju kia hai yr?”wo rohani c hone lagi,wo mujhe such much sakht upset lag rhi thi.

“kia ho gaya hai tumhe?”maine uski nak pakar ker marori.

“bataya to hai mujhe neend aa rhi hai.”

“Acha so jao.”maine kambal utha ker dobara us per phenka or bahir jane laga mujhe yaqeen ta k wo mujhe awaz de ker rok le gi,magar wo khamosh rhi.maine darwaze k kareeb rukte howe peche muk ker dekha.wo kambal me roposh ho chuki thi ek dum mujhe gussa aa gaya usne sakht behodgi ka muzahira kia ta.uske andaz se zahir ta k wo jan bojh ker aisa ker rhi hai yaqenan wo meri mojoudgi se b waqif thi,main chund lamhe wahi khara usey ghorta rha or phir ser jhatak ker kamre se bahir nikal gaya.


*…*…*…*


Subah ki namaz k bad wo khud mere liye nashta laya kerti thi hud to ye hai k hum dono me agar koi narazgi hoti,tab b uske is mamol me koi faraq nahi ana ta.

Us din b hasab mamol wo makhsos waqt per nashte ki tray uthaye mere pas pohanch gayi.uske salam ka jawab de ker main khamoshi se nasta karne laga rat wali bat na chahte howe b meri sochu me ser e gardah thi khilaf tawaqo wo b khamosh khamosh thi.

Dono ne khamoshi se nashta kia.barten samette howe usne ahista se pocha.

“Koi or cheez chahiye?”

Majne nafi me ser hilaya wo b mazeed kuch bole bahir nikal gayi.


College se wapsj per din ka khana usne mere sath hi khaya.lakin bat cheet se gurez kia,apne mamol k mutabik rat ko khane k bad wo mere kamre me ai or khamoshi se bed k sath rakhi kursi per beth gayi.

Usne ahista se pocha.”shayad tum sone lage ho.”

“Jee.”main mukhtsiran bola.

“ok aram karo.”wo uth ker jane lagi uska raviya is bat ka sabot ta k usne apni maa ki khafgi ko bohat shidat se mehsos kia hai.

“Zu bat sumo.”wo bamushkil darwaze tak pohanch pai thi k maine usey awaz di.

“jee.”wo ruk ker peeche muri.

“Ider ao.”majn takiye se tek laga ker beth gaya.

Wo dobara kursi per aan bethi.

“Khafa ho”.

“nahi.”wo nafi me ser hila ker dewar per lagi tasver ko ghorne lagi.

Main usey samjhane laga.”yar mayen b kabhi olad se kafa rahin hain?aj nahi to 2&3 din bad dekh lena unka mood thk ho jai ga.”

Usne apni moti moti sahed angeen ankhain meri janib ghomayin,jin me hazaru lakhu shikwe jhalak rhe te.

Jane mujhe is bat ka kabhi ehsas kyu na howa k ab tak meri zindagi me jitni b larkian ain khobsurti k muamle me wo Zu k ashar asheer b nahi thin.

“Raju choro is mozoh ko koi or bat kero.”

“Jab tak tera mood thk nahi hota main koi or bat kaise ker sakta hu?”

“thk hi to hai kia howa hai mere mood ko?”

“Zu main manta hun ye mera kam hai,magar tum janti ho rakshi ki meri zindagi me kia ehmiyat hai?tune hamesha mere liye qurbani di hai 1 ehsan or sahi,agar uske bad me b tumahre zehan me koi andesha hai to chalo subah sara ilzam main apne ser le lu ga,ab khus?”

“Raju Faisal Nadeem likhta hai….

Ab samajh aen hain asbab judayi k mujhe….
Bat kuch or thi main or samajh betha ta….

“Isi shayari me thori rad o badal ker lu k….

Kab samajh pao ge asbab meri wehsaht k….
Bat kuch or hai tum or samajh bethe ho….

“kia mtlb?main samjha nahi?”mere lehje me herani thi.

“Her bat samjhai nahi ja sakti.behar haal main khafa nahi hu or tumhe b zarorat nahi hai aitraf e juram ki.

“acha meri salgirah ki teyarian kahan tak pohanchi?”uska zehan batane ki khatir maine mozoh badalna munasib samjha.

“Mukamal hai bs mehmanu ki list baki rehti hai ikhate beth ker teyar karen ge.”

“pichle saal ki list me bs rakshi k nam ka izafa ker do or bs.”maine itmenan se kaha.

Wo hansi.” Or razia ka nam nikal du hain na.”

“nahi rehne do usne konsa aa jana hai.”

“Pehle to purani wali ka nam madu afraad ki list se nikal diya karte te?”

“us waqt koi or bat thi,balke tum aisa ker do pehle wali tamam ka nam is list me shamil ker do, ta-ke unhe b pta chal jai k meri hone wali dulhan kesi hai.”

Pata kia chalna hai unhune ana hi nahi hai.”

“Acha mere liye koi dhang ka libas khareda hai ya jhak hi marti rhi ho?”

“Raju sahab agar tumhe libas ki pehchan hoti to mujhe bazar me khawar hone ki zarorat na parti?yad hai na 1 martaba tune shirt kharedi thi?”

“ye dekh rhi ho?”maine hath jor ker uske samne bandh diye”ab khudara us shirt ko baksh do wo qarigar b shayad is jahan e fani se kouch ker gaya hoga magar uski silayi ki hoi shirt ki nahosat ab tak mere gale ka haar bani hoi hai.wo shirt jise pehanne ki tofeeq mere naseeb hi me nahi thi?”

Wo khil-khila ker hans di.

“he he….ki zarorat nahi.”

“acha tehro main tumhe dikhati hun k kia kia khareda hai.”wo almari ki taraf barh gayi.

Cream color suit,usi rang ki shocks,kale shoe’s wo ek ek chez mujhe dikhane lagi.

“yar ortu ki jo matching ki bemari hoti hai na?”maine kanu ko hath lagaye.”bs khuda hi muaf kre.”

Usne ankhain nikali.”ziada nakhru ki zarorat nahi samjhe?”

“Bari ai gussa dikhane wali?”maine usey chiraya.

“To dikhau gi na gussa.”wo such much tap gayi.

“Dikha lo dikha lo bs chund mahenu ki bat hai jab meri rakshi aa jai gi tab dekhu ga kaise roab jamati ho?”

“dekh lu gi usey b.”

“agar usne tumahri pitayi shiro ker di to maine churana koi ni’samjhin?”

“uski majaal k wo mujhe hath b lagaye?”

“Acha yr ye sara saman rakho almari me.”

“Saman rakho almari me?”wo gusse se barbarati hoi almari ki taraf barh gayi.


ABHI K LIYE ITNA HI….!

TILL then T.C😊




 

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
334
1,183
139
UPDATE:6

AB AGEY:

“Kal meri birthday party hai tumne zaror ana hai.”hum is waqt cafeteria me bethe te jab maine ye ziker chera.

“Kitne bajhe?”chai ka khali cup apne samne se hatate howe wo mustafir hoi.

“Rat 8 bajhe.”

“Papa se ijazat leni pare gi?”

“Mujhe nahi pta.” Main muh banate howe bola.”tumhe ana pare ga.”

“Main pori koshish…”

Main kata kalami karte howe bola.”ana pare ga,ana pare ga.”

“Jadheer samjhne ki koshish to karo na agar papa ne mana ker diya to?’

“Tum aj university se wapsi per uncle se poch lena agar unhune mana ker diya to party rat ki bajaye din ko ho jai gi magar tumahri shamoliyat zarori hai nahi to tane de de ker Zu mera jeena ajeran ker de gi.”

Rakshi ajeeb se lehje me boli.”itna darte ho us se?’

“bat darne ki nahi hai main bs us k samne necha nhi hona chahta.”

“Chalo thk hai sham k waqt tumhe cal ker k bata du gi.”

Or maine asbaat me ser hila diya.

“mera kheyal hai ab humen chalna chahiye?”wo apna purs sambhalte howe uth khari hoi.

Or main ser hilate howe counter ki taraf barh gaya.


*…*…*…*


Rat k waqt jab rakshi ki cal ai to is waqt Zu mere kamre me hi thi.

“papa man ge hain jee…”rakshi khushi se bharpoor lehje me itela di.

“Sukher hai.”mere muh se besakhta nikla.

Usne sharmate howe pocha.”ap to yun shuker ada ker rhe hain jaise meri mojoudgi k bagair salgirah ka function hi na ho pata?’

“isme shuba hi kia hai?”

“acha….?”uske lehje me halka sa tafahur der aya.

“han na jan tere bagair ab poori zinadagi hi pheeki or bemaza lage lagi hai.”

Wo ahista se boli.”mujhe b aisa hi lagta hai.”

“Janta hun.”

“Ok dinner ker k bat kerti hun,khuda hafiz.”

“Main muntazir hun.”sun ker usne rabta munkita ker diya.

“Kis bat per shuker ada ho rha ta mohataram…?”cal khatam hote hi Zu pochne lagi.

“Subah rakshi keh rhi thi k papa ki ijazat k bagair ana mumkin nahi hai or abhi wo mujhe bta rhi thi k papa ne usey ijazat de di hai.”

“Raju.....such much wo tumhe bohat pyari lagti hai?”

“Han Zu bohat ziada.”

Wo ahista se boli.”khuda tum dono ki jori salamat rakhe.”

Maine jaldi se kaha.”ameen”.Zu waqi mere sath bohat mukhlis thi.hum thori der tak kal k function ki tafsilat te karte rhe or rakshi ki cal ai to wo sone chali gayi.



*…*…*…*


Chuti k waqt maine rakshi ko sath chalne ki dawat dete howe kaha.

“abhi chalo na mere sath party khatam hone k bad chali jana.”

“Maine abhi teyari kerni hai jnb naye kapre pehanne hain,jewelry wagaira b yunhi kaise chali jau,tere sath?”

Main shararat se bola.

“Naye kapre to pehanne hi hain,sath me agar dhool bhaje b ho jayen?.

Wo sharmili hansi k sath apni car ki taraf barh gayi.

Ghar pohancha to Zu zor shor se party ki teyariyu me masrof nazar ai her kam wo apni negrani me karati rhi.6 bhaje rakshi apne driver or police k 1 sepahi body guard k sath pohanch gayi.akhir ko sp ki beti thi usey khushamdeed keh ker main drawing room me le aya Zu washroom me thi.main rakshi k sath betha rha gulabi rang k garare me wo kisi or hi duniya ki makhloq nazar aa rhi thi.Zu ne kale rang suit pehna ta jis per safed dhage se karhai ki gayi thi.dopata saleke se ser per sajaye wo humare pas pohanchi is waqt main dabe lafzu me rakshi ki khobsurti k gun ga rha ta.

“chalen mohataram teyar ho jayen.”usne atey hi chutki baja ker mujhe uthne ka ishara kia or rakshi se musafa karne lagi.

“Abhi to kafi waqt para hai thori der….”

Wo kata kalami karte howe boli.”6:30 ho chuke hain or 8 bajhe party shiro honi hai.yun b tune teyar hone me 1 ghanta se ziada ka waqt laga dena hai.”

“1 to tum se jan nahi chotatti.”usey kehte howe main rakshi ko mukhtib howa.

“Bs main yun gaya or yun aya.”

Rakshi k chehre per b nagawari k asraat zahir howe jise wo hansi me chupa gayi.

Zu wahin rakshi k sath beth ker gaphen hankne lagi main bathroom me ghus gaya jaldi jaldi shower lia or toliya lapet ker bahir nikal aya.bed per neya suit press kiye howe rakha ta jo lazmi bat hai Zu ne hi rakha ho ga.suit pehan ker maine tie ki talash me nazren dorayin magar bed per tie nazar na ai.

Maine zor se pukara.”Zu ki bachi tie kahan hai?”

“Almari me dayen taraf k hanger se tangi hai na.”usne b wahin se bethe bethe awaz di.

“konsi bhandni hai?”maine almari kholi or hanger me darjan bhar tieyu ko dekh ker phir se usey awaz di.

“Nayi wali.”

“Nayi wali konsi hai?...mujhe to sari nayin lag rahin hain?”

“Mehron color ki nayi hai na?”wo b wahi se jawab diye ja rhi thi.

“Juraben to boto me rakh di hotin?”khali boot dekh ker main jhunjla gaya ta.

“bootu me hi hajn naye walu me rakhin hain.”main mathe per hath mar k shoe’s rack ki tarah barh gaya.

"Wrest watch purani wali hi pehne rakhu?”

“Dressing table per rakhi hai nayi wali.”

Ghari pehan ker maine baal sunware or tie knot ko darust kerta howa drawing room ki taraf barh gaya.

Zu abhi tak rakshi k sath bethi hoi thi,rakshi k chehre per ajeeb se tasurat te jinhe main koi b nam dene se kasir ta.

“tumahri tabiyat to thk hai.”main uske samne bethta howa bola.

“Aa…..han….han main thk hu.”wo mujhe sakht uljhan me lagi thi.

“Raju ap dono gap kro main zara mehmanu ko khushamdeed keh lu.”Zu uth ker bahir chal di.

“rakshi such batao kia bat hai?”maine dayen bayen dekh ker ahista se pocha mehmanu ki amad shiro ho gayi thi Zu Ami jan Chachi jan drawing room k darwaze per khari mehmanu ka welcome ker rahin thin.

Wo mujh se nazre churate howe boli.

“Kuch Nahi.”

“Magar mujhe yun lag rha hai jaise….?magar main bat poori nahi ker paya ta k meri mamu zad Shela ne kareeb aa ker pocha.

“Assalamualikum Jadheer bhai….ye kon hain?”

“Ao Shela ye rakshanda hai.”maine khare ho ker uske jhuke howe ser per hath rakha wo Zu ki hum umar thi usi waqt mamu jan mere kareeb ae.

“Kaise ho barkhurdar?”unhone bazu khol ker mujhe gale se lagaya.

“Bilkul thk mamu jan.”main musarat se bola.

Uske bad mujhe rakshi k sath bat kerna naseeb nahi howa ta mehmanu ki amad o rafat jari rhi or phir maine taliyu ki ghonj me cake kata jab se Zu paida hoi thi main sb se pehle usey hi cake khilata ta or isi tarah apni salgirah per wo mujhe khilati.jab khane peene ka silsila shiro howa to maine rakshi ki talash me nazrein dorayin magar mujhe wo kahin nazar na ai usi waqt ghr me kam karne wali maryam bua hath me gift pack liye meri taraf ain.

“Chote sahib ji ye packet wo khobsurat c kuri jo gulabi garara pehne howe thi wo de gayi hai keh rhi thi mujhe jaldi me jana per rha hai meri taraf se tum chote sahab ko de dena.”

Maine jaldi se mobile nikala or uska number dial karne laga.

“jee.”usne pehli bell per cal attend ker li thi.


Maine shikwa kiya.”rakshi kia bat hai tum party shiro hote hi bhag gai?’

Wo sapaat lehje me boli.”kyu k party me ana meri galati thi jahan admi ki zarorat na ho wahan jana apni bezati karwane k mutradif hota hai.”

“Esi kia bat ho gayi hai?”

“Jhadeer sahab pls dobara rabta karne ki zehmat na kerna main tum se dur bhali meri bewaqofi k pehli thoker se sabak nahi sekha or phir khair khuda Hafiz.”usne poori bat kahe bagair rabta munkita ker diya.

Mujhe poora function pheeka or bemaza mehsos hone laga usi asna me Zu mere pas aa gayi.

“Rakshi nazar nahi aa rhi?”usne sarsari lehje me pocha.

“wo chali gayi hai wapis.”

“Kyu.”uski herani me mujhe khushi jhalakti hoi mehsos hoi.

“Uski merzi.”koshish k bawajoud me apne lehje me shamil talkhi nahi chupa saka ta.

“Tabiya kharab ho gayi thi ya koi zarori kam aa gaya ta?”Zu ka istefsar jari rha.

“mohtarma main uska sectary nahi hun.”usey keh ker main apne phopi zad jamshed ki taraf matwajoh ho gaya jo isi waqt wahan pohancha ta.

“Sorry Jadheer mujhe der ho gayi.”usne gift pack meri janib bharhate howe mazrat chahi.

Main pheeki muskurahat se bola.”Koi bat nahi jamshed bhai der sawer to zindagi ka hissa hai.”

“Kesi ho Azhra…..?”wo Zu ki taraf matwajoh howa.

“Fit and fine jamshed bhai!”

“Parhai kesi ja rahi hai?”wo Zu se pochne laga or main wahan se khisak liya.


ABHI K LIYE ITNA HI…..!


TILL then T.C😊
 
Last edited:

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
334
1,183
139
UPDATE:7

AB AGEY:

Mehamanu k jate hi main apne kamre me aa gaya ta chund minute bad Zu b servants k sath gifts ka dher uthwaye wahan pohanch gayi tamam gifts carpet per tarteeb se rakhwa ker usne servants ko bahir jane ka ishara kia or meri taraf matwajoh ho gayi.

“Ab batao rakshi kyu wapis chali gayi?”

“Mujhe nahi pta.”main sakht up set ta.

“To cal kar k malom ker lo?”

“Zarorat hi kia hai.”maine usey such batana munasib na samjha.

“Acha pta hai maine tere liye kia khareda hai?”

Maine muh banaya.”khareedi ho gi koi behuda chez.”

“Raju ajkal tum kuch badalte ja rhe ho?”

“nahi Blake teri soch badal gayi hai or ab pls mujhe sone do.”main behas kiye bagair kambal me ho gaya or wo khamoshi se rukshat ho gayi yaqenan hum dono k darmian wo pehle wala khalus mafqod ho gaya ta warna wo kabhi b yun rukshat na hoti?”


*…*…*…*

“Main beth sakta hun?”rakshi cafeteria me akeli bethi thi.

Usne nazar utha ker meri taraf dekha or phir bina kuch kahe hath me thame cup se chai ki chuski lene lagi.

Main betha gaya.”kia bat hai?”

Wo sapaat lehje me boli.”kuch nahi.”

“Rakshi koi bat to hai jo tum meri birthday party ko bech me chor ker chali gayi?”maine apne ander ubalte gusse ko bari mushkil se control kia ta.

“Main apni marzi ki malik hu?”uske itmenan me faraq nahi aya.

“her koi hota hai magar dosru k ehsasaat ka kheyal kiye bagair apni marzi chalana munasib fel nahi hai”

“Wah kia kehne dosru k ehsasaat….?Chalni kehti hai koze ko tum me 2 sorakh hain.”rakshi ne tanziya lehje me kaha.

“kia kya hai maine?”main phat para.

Wo tanz se boli.”Mr Jadheer jab tum apna lebas b apni pyari cousin ki madad k bagair tabdeel nahi ker sakte?tie tak bhandne k liye uski marzi pochte ho?tumahri her 1&1 chez ka kheyal wo yun rakhti hai jaise mohabbat karne wali biwi?phir mujh se mohabbat ka drama rachane ki kia zarorat thi?”

“ye bhala kia bat hoi?”main heran hi to reh gaya ta.

“maine pehle din se bata diya ta k wo meri zaroriyat ka kheyal rakhti hai or ye b hum bachpan se ikhate pale bhare hain phir itni betakalufi to ho jati hai.”

“Mohtaram wo tumahri sagi behan nahi k her kam me dakheel ho?baki tumahri ami jan zinda hain,tumahri dekh baal unki zimedari honi chahiye na.”

“Tum khawa-mukha shak ker rhi ho?”

“Nahi main yun hi shak nahi ker rhi badkismati se kal jab main apke ghar se nikal rhi thi to usi waqt auto se utarti razia mujhe mil gayi.gareeb tajdeed tahlukaat k liye ai thi k usey b jnb ka dawat nama mila ta.mujhe wapis jata dekh ker wo meri amad ka maqsad pochne lagi,or jab maine bataya k kis liye ai thi to mere sath hi wapis chal di.main usey apne ghar le gayi jahan usne tafseel se tumahre ma-ashku per roshni dali,samina,rani,sumbhal,pinky,kiran,wagaira jo jnb ki dolat or shakal o sorat ki dasi hoi hain tamam k bare me mukamal agahi di ,balke 2&3 se to bat b kerwa di.ab ap kia farmayen ge?”

Mujhe chup lag gayi,usne meri ankhu me jhanka.

‘Jadheer sahab apki chup sabit ker rhi hai k apko meri bat ki smjh aa gayi hai?”

“rakshi main tumhe chahta hun go kafi larkiyu se mera affair chala magar yaqeen jano wo waqti flirt k ilawa kuch nahi ta,jab tak tum mujhe na mili main kati patang bana rha lakin jab se tumhe dekha meri chahtu ko markez mil gaya,pls meri bat samjhne ki koshish kro.”

“honha…main sb kuch bhula sakti hun magar main wo manzer nahi bhool sakti jo kal meri ankhu ne or suna malom hai?

“Tumne jo baten bed room se ki,Azhra sahiba 2 minute pehle is peshan e goi ker chuki thi.usne kaha k mohtaram naha ker nikle ge to suit to pehan len ge lakin jnb ko tie nahi mile gi.or wahi howa tumne tie k bare me pocha tumhe tie k bare me bata ker wo boli k ab wo tie k rang k bare me b poche ga.or tune ye b pocha.phir jarabu,ghari her bat k bare me uska andaza darust sabit howa.or akhir me usne bataya k cake kaat ker tum sb se pehle,kis andaz me or kitna bara tukra kis hath se uske muh ki taraf barhao ge.or jab maine uski bat ki tasdeq ker li to mujhe apna wahan rehna befaida laga…nahi Jadheer nahi,na khud dokhe me rho or na mujhe hi galat fehmi me mubtela rakho.”

“Rakshi yaqeen mano aisa kuch nahi hai?”apne alfaz mujhe khud bohat khokle or beaitbar se lage te.

Wo talkhi se hansi,”kasar e nafsi hai jnb ki?”

“Iska madawa ho sakta hai kisi tarah?”maine bebasi se pocha.

“Yehi 1 tareka hai k meri ankhain us manhos ka chehra tere kareb na dekhain.”rakshi k lehje me Zu k liye khob zehar bhara howa ta.

“Dekho rakshi koi aisi bat kro jo mumkin b ho?”

“honha waqi ye namumkin hai.”usne tanzia hankara bhara or uth ker counter ki taraf chal di.

Main wahin betha usey takta rha,mere andher andhiyan chal rhi thin.main chahe jitni koshish ker leta Zu se peecha chura mere liye mumkin nahi ta.kyu k main us se taluq to khatam ker sakta ta,magar ghar to mera nahi ta k usey bedhakal ker deta.


*…*…*…*


Main usi waqt char wapis aa ker let gaya rakshi ne mujhe ajeeb imtehan me dal diaya ta or ye sari karistani Zu ki thi.jitna is bat pe ghor kerta gaya utni ziada hi mujhe Zu kasor waar nazar ai.usey kia zarorat thi rakshi k samne sekhian bekharne ki wo meri adat her maslihat se waqif sahi magar kia ye zarori ta k wo ye malomat meri hone wali biwi se share karti rehti.usi ki wajah se meri pehle wali mehbobayen khafa hoi thin,in tamam se bicharna main hansi khushi bardasht ker gaya ta magar rakshi k matalik main sanjedha ta.main kafi der inhi kheyalat me khoya rha yahan tak k wo college se ghar wapis aa gayi.

“hi Raju aj college se chuti ker li thi?”kamre me dakhil hote hi wo chehki.uska khushi se bharpor lehja sun ker mera khon kholne laga ta.

“Khair to hai pareshan dikh rhe ho?”wo mere sath hi bed per beth ker mere balu me ungliya pherne lagi.

“Han thk hun.”sard-muhari se kehte howe maine uske hath ko narmi se pakar ker apne ser se hata diya.

Wo haka-baka reh gayi thi,chund lamhe wo heran bethi rhi or phir ahista se boli.

“Mera kasoor?”

“Kasoor tumahra nahi mera hai?”maine apne andher jama hone wale zaher ko alfaz ki shakal me dhala.

“Maine tumhe itna ser charha liya hai k aj koi larki meri shareek e hayat banne k liye teyar nahi?”

“Galatfehmi hai tumahri kisi ko propose ker k dekho?”

“Honha propose aj rakshi ne b mujhe dhukar diya hai.wo b yehi samjhti hai k main usey ulo bana rha hun,akhir kia zarorat thi uske samne meri nafsiyaat ka mahir banne ki?”

“Raju maine aisa kia keh diya hai?tumahre liye us din main khud us se muafi mangne k liye gayi thi usey sab such such bata diya uske bad b wo khafa hai to bhar me jai,wo na sahi tujhe kayin or mil jayen gi.”

Main tarki batarki bola.” Tum kyu na bhar me jao?”

“shut up yar mood mat kharab karo.”

“Miss Azhra pls ap tashreef len jayen or mujhe mere haal per chor den.”

“Azhra….?”uske hontu se sarsarati hoi awaz nikli hosh sambhalne k bad maine usey pehli bar Azhra kaha ta.warna kehna kia?main usey sochta b Zu ta.”

Maine uske istefsar ka jawab diye bagair ankhain band ker lin mujhe khud usey Azhra kehna acha nahi laga ta magar gusse k izhar ka mujhe or koi tareqa nahi sojha.

Chund lamhe wo yunhi bethi rhi phir uth ker mare mare kadam leti meri khawab gah se nikal gayi mujhe ajeeb c bechaini mehsos hoi jise main koi nam na de saka.magar maine usey rokne ya manane ki koshish na ki or yunhi khamosh para rha.

Din ka khana maine nahi khaya or yaqenan wo b nahi kha saki thi,rat dining table per humara samna howa,hum dono khamosh khamosh se te,waldain be lazman humari khamoshi KO note kia hoga lakin unhu ne humen jatlaya nahi.yun b ye khamoshi unke liye koi nayi chez nahi thi albata mera wajdaan keh rha ta k ye khamoshi bilkul nayi or anokhi hai.din ka khana na khane k bawajod main sahi se khana na kha saka yehi haal Zu ka b ta chund lukme zehar mar karne k bad wo sweet ka bowl le ker beth gayi jabke main seb katne laga.

“Chacha jan or Abu jan kisi karobari male per masrof guftagu te,gahe gahe Ami jan or Chachi jan b unhe lukma deti.wo jaise hi khana kha ker uthe hum dono apne apne room ki taraf barh ge.

Agli subah namaz k bad main track suit pehan ker park me chala gaya or jan bojh ker der se lota k wo college nikal jao wapsi per kitchen k samne se guzarte howe maine mulazma ko nashta lane ko kaha.

Wo herani se.”ji chote sahab!”keh ker reh gayi thi kyu k zindagi me pehli bar maine usey nashte k liye kaha ta.

Room me dakhil hote howe wo mujhe uniform me apni muntazir nazar ai.nasaab ki koi ketab khele wo wo mutale me masrof thi.

“Tum college kyu nahi gayi?”.maine sarsari lehje me pocha.

Wo apne gol chehre se meri janib mutwajah hoi uski sehad angeen ankhu me udasi ka taathe marta samunder moj e zan ta.

“I’m sorry Jadheer waqi meri wajah se apki zindagi mutasir hoi,magar bakhuda maine jo kuch kia jan bojh1 ker nahi kia ab apko meri wajah se koi shikayat nahi ho gi.”main 1 dum se tum se ap k darje per taraqi pa gaya ta.uska jadheer kehna mujhe bohat bura laga,magar humare talukat 1 dum se is nehaj per aa ge te k aitraz ki gunzaish khatam ho gayi thi.

“Its ok.”main sapaat lehje me bola.

“Acha khafa na ho main rakshi KO mana lu gi.”

Main hont chabata howa bola.”uski 1 hi sharat hai k ap is ghar se b dur chali jayen jo yaqenan namumkin hai”

Wo chund lamhe khamosh bethi rhi,or phir pochne lagi.

“Nashta lau?”

Main uski ankhu me jhankta howa bola.

“Mulazma ko bata aya hu.”

Usne shaaki nazru se mujhe ghora palku ne bari mushkil se ansuon ki barsaat ko roke rakha.or phir shaya palku ki himat jawab de gayi k usne 1 dum rukh mora or darwaze ki janib chal di mujhe mehsos howa koi mere dill ko muthi me le met daba rha hai,wo meri mukhlis dost or razdaar thi magar uski bewaqofi ki wajah se main usey khud se dur karne per majbor ho gaya ta.

Mulazma nashta le k ai to main us per baras para.

“Jab tujhe pata hai k main ubla anda nahi khata phir lane ki kia zarorat thi?or doodh nahi main milkshake leta hu nahi pta ta to mujh se poch leti.”

“Muafi chahti hun chote malik aj pehli martaba apke liye nasta la rhi hun na ainda kheyal rhe ga.”

“acha ye wapis le jao.”majn bamushkil normal hota howa bola.

“or filhaal mera mood nahi hai,is liye milkshake b lane ki zarorat nahi hai.”

Wo khamoshi se ser hilati nashta wapis le gayi.

Main us din kafi late university pohancha.Mazhar university k sabza-zaar me betha peanut thons rha ta.

“Aaji rah geer sahib aj shayad chuti manane k mood me ho dopehar ho rhi hai or tum abbi ankhen malte university pohanch rhe ho?”

“Bs yr kia batau apne to sitare hi gardish me hain.”main uske sath beth ker uske samne rakhe rapper se peanut uthata howa bola.

“ye kambakhat sitare to gardish me hi rehte hain mia?”

“sahi kaha mere sitaru ki gardish kuch ziada hi tez ho gayi hai”

“Shayad rakshi bhabi se jhagra ho gaya hai?”

“ap aleadghi keh skate hain.”maine lehje me itmenan paida karne ki nakam koshish ki.

“Wajah.”uska mukhtasir sawal,tafseel ka matkazi ta.

“Zu.”maine tafseel me jane ki bajaye mukhtasir or jamia jawab dena passand kia.

“uff.”wo ser pakarta howa bola.

“Azhra behan b,kia chez hai?”

“Aj to main us se b khatam ker aya hu.”maine uski malomat me izafa kia.

Wo herani se bola.”yaqenan main tumahri bat sunne me galatfehmi ka shikar howa hu?

“Nahi.”maine nafi me ser hilaya.

“Tumahri samatu ne tumhe dokha nahi diya.”

Wo yaqeen se bola.

“phir tum galat bol ge ho?”

“aisa b nahi hai.”maine peanut ka chilka tor ker dana muh me dala.

Usne muh banaya.”Darjanu nazninu ko khafa karne k bad….?halanke ye kam tumhe pehle ker lena chahiye ta.”

“Umeed hai main rakshi ko mana lu ga.”mere lehje me umeed ka ansar numaya ta.

“Kuch aisa hi mujhe b lagta hai agar apki Azhra wali bat darust hai to?”

“Bilkul darust hai,or ab main chala.”maine dur se rakshi ko tar liya ta,wo susat kadmu se cafeteria ki janib barh rhi thi.

“OK jnb.”usne asbaat me ser hilaya or apna shugal jari rakha.

Cafeteria me dakhil ho ker hall me nazar dorayi,wo mujhe akeli bethi nazar ai or main jaldi se uski janib barha.

“Main beth sakta hu?”

“Jee bethen pls.”keh ker wo uthi or bahir ki janib chal di main honaku uski pisht takta reh gaya.wo razi hone k mood me nahi thi.

“Chalo bi chund din mazeed dekh lete hain.”main khud kalami karte howe beth gaya,mera ser bhari ho rha ta is liye maine chai peena munsib samjha ta.


ABHI K LIYE ITNA HI…..!


TILL then T.C😊





 

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
334
1,183
139
UPDATE:8

AB AGEY:

Wapsi per main kamre me ghusa or rat ka khana b wahin mangvaya subah ka nashta b mere liye mulazma le ker ai agle din rat dining table per meri Zu se mulakat hoi wo khamosh khamosh c thi mujh se nazre milae bagair wo khamoshi se khana khati rhi mujhe laga humare darmian bohat bari khaleej hail ho gayi hai khane k doran hi achanak chacha jan us se mukhatib howe.

“To ye tera akhri faisla hai?”

“Jee Abu jan.”wo itmenan se boli.”Kal jamshed k ghar wale aa rhe hain.”

“Ye kis faisle ki bat ho rhi hai bi?”Abu jan ne herani se pocha.

“Apki ladli bhateeji ki shadi ki.”Chachi jan ne talkhi se jawab diya.

“Hayen….Azhra ki shadi or jamshed se?”Ami jan ko gehra sadma laga Abu jan b hath me tora howa niwala wapis plate me rakh ker apni bhawaj yani Chachi jan ki taraf matwajoh howe.

“Itna bara faisla hum se poche bagair.”

“Apne bhai or bhateeji se pochen bhaiya.”Chachi jan sakht gusse me thin.

“Chacha jan.”Zu Abu jan se mukhatib hoi.”jamshed or maine bohat soch samjh ker ye faisla kia hai.phopi jan b humare is faisle se bohat khus hain.”

“Magar 1 dum jamshed se kaise bat chal pari,mtlb maine to….?Abu jan ki herani beja nahi thi.

“1 dum nahi Chacha jan pehle wo taleem k silsile me masrof te or abhi farigh howe hain waise phone per kafi arse se humara rabta rha hai.”

Usne sarehan jhot bola kyu k agar esi koi bat hoti to wo mujhe zaror batati.

“Theak hai beta jaise tumahri marzi.”Abu jan khare ho ge unhone bs 2 niwale hi liye te abu jan ki tarah ami jan b sakht up set nazar aney lagi thin balke main jo kab se is din ka intezar ker rha ta,k Zu nam ki talwar mere ser se hate achanak mujhe mehsos howa kuch galat hone ja rha hai mera dil na-khush gawar andaz me dharakne laga abu jan or ami jan k sath chachi jan or chacha jan b dining table se walk out ker ge te.

Main or Zu akele howe to wo ahista se boli.

“Jadheer pichle 1 saal se jamshed mujhe calen or msg ker rha hai sorry main apko bata na saki asal me main khud pehle sanjedha nahi thi magar kal sara din sochne k bad main is nateje pe pohanchi k is se behtar rishta shayad mujhe na mil paye is liye kal rat hi maine us se mobile per bat ker li thi meri wajah se jane usne kitne rishte thukra diye te aj sara din humne ikhate guzara phopo jan se b bat hoi wo b bohat khush hain ap bs kuch din intezar ker len jamshed ne wada kia hai k wo 1 hafte me mujhe beyah ker le jai ga baki taleem main wahin mukamal ker lu gi.”wo iske ilawa b bohat kuch kehti rhi magar mere dimagh me sayen sayen ho rhi thi Zu jamshed k sath ghomti rhi thi dono ne ikhate khana khaya hoga parku me ghomte rahen hu ge kehkahe bikherte rahen hu ge usne Zu k hathu ko thama ho ga mohabbat bhari sargoshian ki hu gi Zu sharmai hogi…..meri nigahu me kayin undekhe manazir ghom ge te.

Or phir Zu ki bat jaari thi k main 1 jhatke me utha or apne kamre ki taraf barh gaya mujhe kamra bilkul khali khali sa laga tv per chalne wali khabru ka shor b mere kamre ki khamoshi ko dur karne me nakam nazar aa rha ta Zu kisi or k sath kaise ghom sakti hai wo kisi dosre ki bat per kaise hans sakti hai usey koi or kaise chu sakta ta?

Wo to sirf meri thi,meri zati jageer.

Magar ye kia ho gaya ta 1 hafte k bad wo jamshed ki mulazma ho gi?

“Maine ande nahi khane?”jamshed nakhre se kahe ga or Zu bari chahat se usey nashta karaye gi?

“Uth b jayen na jee?”Zu ne jamshed k oper se kambal khencha maine beikhteyar ankhain khol di.

Samne dewar per Zu ka hansta howa chehra nazar aney laga wo tarafi wasol karte howe bohat khush nazar aa rhi thi yaqenan jamshed b isi tarah khus ho ga Zu 1 tarafi hi to thi main bechaini se tehalne laga ye kia ho gaya ta kia main shiro hi se Zu se mohabbat kerta ta magar ye mohabbat kahan chupi thi?

Main khud kalami k andaz me barbaraya.”jab dosri larkiyu se gapen hankte te ishq larate te us waqt Zu ki mohabbat kahan gayab thi?”

Main khud ko lanat malamat karne laga shayad maine socha ta k Zu hamesha isi tarh is ghar me rhe gi usne kis se shadi kerni hai?

Wo bhala kahan kisi ko passand kerti hai?

Han“Bat kuch or thi main or samjh betha tha.”

Main easy chair per beth gaya tha mere andher musalsal zalzale uth rhe te jane rakshi ki duri ka dukh kahan ja soya ta?

“Nahi aisa nahi hoga main aisa hone nahi du ga?”main khud kalami kerta howa utha or Zu k kamre ki taraf barha or phir main uske darwaze hi per pohancha ta k mere kanu me uski madhur awaz gonjhi.

“bs sone lagi hu na sara din to ikhate sath guzara hai?”

Main 1 dum ruk gaya wo kisi se gapen hank rhi thi mujhe laga meri sans ruk rhi hai rakshi mere samne beth ker Nauman se gapen hankti rhi thi magar mujhe mehsos tak nahi howa ta aj Zu phone per bat ker rhi thi to meri ankhu me andhera chahne laga ta.

Wo hansi.”Nahi jee nahi 12 bajhe tak to main kabhi nahi jagi?”wo khamosh ho gayi thi yaqenan jamshed ki bat sun rhi thi.”tab ki tab deakhi jai gi.”

Ye bat karte howe b wo sharmaye howe andaz me hansi thi waqfe k bad….

“Bataya na….?Mujhe 11 bajhe k bad jagne ki adat nahi hai,yaqen mano Raju k sath b ziada se ziada 11 bajhe tak gap hoti thi wo b Sunday night ko.”

Thore waqfe k bad wo phir boli.

“Isme khafa hone ki kia bat hai or Raju k sath main khel ker jawan hoi hun Ami Abu ne us se milne ki ijazat di hoi thi Han ab ap mana karen ge to alehda bat hai.”

Halka sa waqfa…

“Hahaha kisi se b milne nahi doge?....wah jee wah ye khob rhi,chalo jaise tumahri marzi nahi milu gi kisi ko b or koi hukam sarkar ka?”

Mazeed sunna mere liye mumkin nahi ta mujhe apne paun per khara rehna dushwar ho gaya ta 1 din me wo itna agey barh ge te mujhe Zu pe betahasha gussa aya magar phir gusse ki roh meri apni zaat ki taraf behne lagi ye sara kia dhara mera apna ta maine hamesha Zu ko apna zerkhareed gulam samjha ta kabhi uske nazuk ehsasaat ka kheyal rakhne ki koshish nahi ki thi ab usey 1 chahne wala mil gaya ta to mujhe aitraz nahi hona chahiye ta usne b to kabhi meri chahat per aitraz nahi kia ta.

“Usey to mujh se mohabbat nahi thi tabhi usne kabhi aitraz nahi kia ta?”mere dill ne 1 bogas daleel di main larzta kanpta apne kamre ki taraf barh gaya ta main badikat tamam apne bed tak pohanch paya ta meri tange larz rahin thin main ondhe muh bed per gira or mahi be-aab ki tarah tarapne laga.

Mera asasa mujh se cheen gaya ta meri Zu kisi or ki ho gayi thi wo Zu jis se main her bat manvane ki taqat rakhta ta mujh se pit ker b jo meri zaroriyat se gafil nahi hoti thi sardi garmi me mere liye kia zarori hai is bat ka kheyal wo ami jan se b ziada rakhti.”Honha ab wo Dr jamshed ka kheyal rakhe gi.”mere seene me dard uthne laga.

“Tab ki tab deakhi jai gi.”mere dimagh me Zu k alfaz gonjhe yaqenan jamshed ne usey mere kareeb jane se roka ta or ab to ye huq usey hasil hone wala ta.

“Agar ainda tune Jadheer se bat ki to khaal utar du ga.”jamshed mujhe Zu ko dantta howa nazar aya.

Main sedha ho ker let gaya achanak mujhe sardi mehsos hone lagi ajeeb kism ki nakahat mehsos ho rhi thi jise main koi nam dene se qasir ta jab sardi ka ehsas hud se ziada barh gaya to main rengta howa kambal me ghus gaya meri nazar dewar per tangi hoi tasver per pari wo hans rhi thi hanste howe wo bohat pyari lagti.Gool chehra,shehad angeen ankhain,smart badan,doodh si khilti hoi goori rangat,nut khat shararti.main Zu ko sochta gaya samina,rani,pinky,kiran,aqdas,sumbal,razia or rakshi ka kheyal Jane kahan ja chupa ta.

Zu or sirf Zu mere sahour se la-sahour tak pel gayi thi.

Achanak mujhe mehsos howa k meri ankhu se pani beh rha hai.main kabhi kisi k liye nahi roya ta aj uske liye ro rha ta jise hamesha rulata aya hu jab main usey apne kisi naye mashke ki khabar deta to us per yehi beeti hogi.

“To kia tumhe larkiyu ki kami hai?”mere her ishq k khatme per wo is fikre se mera khair maqdum kerti apni zaat pesh kerti.umeed bhari nazru se meri janib ghorti magar mere andher bhare ehsas bartari ne kabhi uski ankhu ki ilteja ko mehsos na kia kabhi uske honthu ki larzish ko mehsos na kia?uski muntazir nigahu ko ehmiyat na di,wo kushada peshani k jisko deakh ker ufaq ki lamehdodiyat ka ehsas ho usey kabool na kia,wo shahed angeen ankhain jo behar-alkahil si gehrayi liye howe thin mere nazdek behesiyat rahin.

“Kash main kabhi ankhain band ker k apne andher jhank liya hota?”maine sard aah bhari.

Manzil mere kadmu me thi or main isey sang rah samjh ker agey nikalta chala gaya.main aisa musafir ta k jo daire me safar ker rha ta k her bar manzil ko chu leta or phir agey barh jata.ab achanak apne daire se nikalna para to samjh lagi k manzil ko to bohat peche chor aya hun,itna peeche k wapsi b namumkin ho gayi hai.

“Zu….mujhe muaf ker dena?”meri siskiyan nikalne lagin.

“Agar abhi uske pas chala jau,usey sb kuch such bata dun?”

Magar wo to jamshed k sath wade waeed ker chuki thi ab wo usey kahan chorne per teyar hogi jamshed 1 wajeeha larka ta or phir doctor hone k ilawa rishtedar b ta umeed e wasiq thi k wo inkar ker deti mere garor or meri anna ki dhajiyan bikher jatin sari zindagi k liye Zu ko hansne ka bahan mil jata.

“Acha jnb bohat jaldi kheyal aa gaya k ap mujhe chahte hain?Lakin sorry ab mujhe 1 ideal shareek e heyat mil gaya hai bewaquf thi jo tum se umeeden bhande howe thi tumhe khud apni chahtu se fursat nahi thi,mujhe khaak samjhte?barae meharbani ab mera peecha chor do sb kuch khatam ho gaya hai wagaira wagaira.

Main seekh me paroye kabab ki tarah karwaten badalta rha ankhun se ansu behne ka silsila talooh e sehar tak jari rha wo meri halki si takleef per tarap uthti thi aj meri halat se bekhabar thi or usne bekhabar hi rehna ta apni kashtiyan to main khud jala chuka ta pehle to wo nashta dene aa jati thi magar parsu uske nashta lane k istefsar per.

“maine mulazma ko nashta lane ka bata diya hai.”keh ker uske jazbe ki toheen ki thi.

“Sab kuch darust magar usne 1 dum mujhe chorne ka faisla kyu kia hai?”1 nayi soch mere dimagh me jagi iske sath hi mujhe yad aya k maine khud parsu subah usey bataya ta k rakshi meri zindagi me usi sorat aa sakti hai k Zu is ghar se kahin gayab ho jai,yaqenan usne is wajah se jamshed per jaldi jaldi shadi ker lene ka zor diya hoga.

Main sochta,tarapta,sisakta rha yahan tak k mozan ko mere haal per reham aa gaya or wo khuda ki kibrayi beyan karne laga.

Main bamushkil wazo karne k liye washroom tak ja saka ta namaz maine kamre hi me pari or dua k liye jab hath uthaye to alfaaz khatam ho chuke te sirf sisakti sochen or larazte kheyal baki te.


ABHI K LIYE ITNA HI……!


TILL then T.C😊
 
Last edited:

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
334
1,183
139
UPDATE:9

AB AGEY:

Jae-namaz se uth ker main dobara bed per let gaya achanak darwaze per hone wali dastak ne mujhe chonka diya ye Zu k aney ka waqt ta wo isi waqt mere liye nashta laya kerti thi magar usne kabhi dastak dene ki zehmat gawara nahi ki thi ab mulazma thi or lazman usne Zu se mere nasthte ka waqt wagaira malom ker liya ta.

“Aa jao.”dastak k jawab me main sirf itna hi keh saka ta darwaza khula or main heran reh gaya Zu nashte ki tray uthaye andher dakhil hoi.

“Sorry Jadheer akhri hafta mujhe bardasht ker lo.”wo tray tapayi per rakhte howe boli abhi tak uski nigah mere chehre per nahi pari thi or namumkin ta k us se mera haal chupa rehta wo to meri rag rag se waqif thi tray rakh ker wo jaise hi seedhi hoi uski nigah mere chehre per pari or wo agle lamhe teer ki tarah meri taraf barhi.

“Raju kia howa tabiyat to thk hai?”wo sirhat se mere kareeb hoi or meri peshani per hath rakh diya uske mulayam hath ki taseer meri ruh tak utar gayi thi meri ankhain band hone lagi mera maseha mere kareeb aa gaya ta.

“Uff tumhe to sakht bukhar hai bula nahi sakte te mujhe?”wo sakht pareshan ho gayi thi mere sath beth ker mera ser dabate howe usne mulazma ko awaz di.

“Jee choti bibi?”mulazma ne wahan aney me der nahi lagayi thi.

“Driver ko bolo gari nikale Raju ko hospital le ker jana hai.”

Wo ser hilati hoi bahir nikal gayi.

“Kis waqt howa hai bukhar?”mujhe wo purani Zu lagi.

Dill chaha keh du jis waqt tune jamshed wali bat batayi hai magar phir main kuch na keh saka bs usey mehsos kerta rha wo sara sara din or rat ka beshtar hissa mere kurb me guzar deti magar pehle mujhe itni lazat kabhi mehsos nahi hoi thi kyu k tab main uski mohabbat se na-ashna ta jaise hi pta chala k wo kisi or ki hone wali hai wo mohabbat poori shidat se ubhar ker samne aa gayi thi.

“Kash ye 2 din meri zindagi se mehav ho jate kash jamshed se wade waeed karne se pehle us ne mujhe bata diya hota kash is se pehle koi aisa moka aya hota k mere andher dabi Zu ki mohabbat isi tarah ubhar ker mere samne aa gayi hoti kash kash kash.”

Ye kash b ajeeb mayusi bhara lafaz hai jise sunte hi dimagh me yaseyat bhar jati hai mere dill me b yaseyat bhar gayi thi bari mushki se maine ansuon ko roka howa ta.

“Gari teyar hai choti Bibi.”mulazma ne wapsi pe bataya.

“Tum Chachi jan or Ami jan ko bata do.”usey keh ker wo meri taraf matwajoh hoi.

“Chalo utho.”usne mere kandhu k neche hath daal ker sahara diya.

“Main chal sakta hu.”main jaldi bola per usne meri bat per deyhan nahi diya or mera bazu apne mulayam kandhe pe daal ker mujhe apne sath chalane lagi meri tangu me bilkul sans nahi rha ta.

Mujhe liye wo car ki back seat per beth gayi thori der bad hum hospital pohanch ge te private hospital k mustid amle ne mujhe sirhat se 1 vip kamre me muntakil ker diya mere letne tak doctor wahan pohanch gaya ta or atey hi mera check up karne laga.

“Kafi tez bukhar hai acha kia tum isey yahan le ain.”usne tharma meter deakh ker kaha or tharma meter nurse ko pakra diya uske bad wo tezi se writing pad per mere liye medicine likne laga medicine likh dene k bad wo treatment k bare me zarori baten batane laga Zu 1 bar phir mere sarhane beth ker mera ser dabane lagi usi waqt ami jan or chachi jan kamre me dakhil hoin chunke ye humara family hospital ta jab koi b bemar hota to yehin atey te isi liye wo b sedha wahin pohanchi thin.

“Haye main sadke kia howa mere bete ko?”ami jan se pehle chachi jan mujh se aa liptin.

“Mian theak hun chachi jan.”maine muskurane ki koshish ki magar nakam rha ta Zu ki judayi ka sadma aisa nahi ta k main hans pata.

Ami jan b mere bed k 1 taraf beth ker shafqat se mujhe deakhne lagin unke aney k bawajod Zu ne apna wazifa jari rakha wo usi tarah mohabbat se mera ser dabati rhi.

Nurse ne medicine lai Zu us se tablets le ker mujhe khilane lagi tablets lene k bad meri ankhain band honi lagi thin yaqenan un tablets me neend ki tablet b shamil thi tabhi main so gaya ta dobara meri ankh khuli to dopehar hone wali thi Zu wahin 1 sofe per bethi kitab per rhi thi magar iske sath wo gahe gahe mere chehre per nazar dal leti isi liye jaise hi maine ankhain kholi wo teer ki tarah mere bed k kareeb ai.

“Ab kaisa mehsos ker rhe ho?”usne peshani per hath rekh ker mera temperature mehsos kia.

“Behtar hu.”main nakahat se bola.

Usne bell baja ker nurse ko bolaya or kuch khane k liye lane ki hidayat ki.

“Choro Zu mera dill nahi chah rha.”

“Raju bacha banne ki zarorat nahi.”usne mujhe sakhti se jhirka or maine ankhain band ker lin.

Thori der bad nurse dhood ka glass,jem laga toos or ubla howa anda le ker loti teenu chezen aisi thin jo sirf Zu hi mujhe khila sakti thi or Zu is waqt mere pas thi.

Usne sahara de ler mujhe bethaya or apne hathu se khilane lgi main hamesha se in hathu se khata aya ta lakin kabhi maine in hathu ki kader nahi ki ab jabke wo hath kisi or ki dastras me jane wale te to mujhe bohat bhale lagne lage te shayad bhale wo pehle b lagte te per mujhe malom nahi ta khane ka 1 zara b plate me nahi bacha ta usne medicine khila ker mujhe leta diya or apne mulayam hathu se maseehayi karne lagi main ziada der is chara-gari se mehzoz nahi ho saka ta ghanodgi 1 bar phir mujh per humla awar hoi or main khawabu k safar per rawana ho gaya jahan abhi tak Zu mujh se juda na hoi thi.

ABHI K LIYE ITNA HI……!

TILL then T.C😊
 
Top