• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Alok

Well-Known Member
11,288
27,894
258
कमाल लाजवाब और इस अपडेट को पढ़ कर ऐसा लगता है कि प्रशंसा के लिए शब्दों का अभाव सा हो गया है वि जे भाई।।।।
 
Naik

Well-Known Member
21,338
77,128
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA YE PREDICTION DETI HAI KI SANVY AUR DIMPLE PRE-PROM NIGHT KE KING AUR QUEEN BANENGE WAHIN DUSRI TARAF PRE-PROM VENUE ME SANVY AUR DIMPLE KE ZABARDAST APPEARANCE KO DEKH SABKE HOSH UD JAATE HAIN...

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-65

DATE-29TH SEPTEMBER

CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE

YESTERDAY'S FLASHBACK (PART-1)

TOH, PRE-PROM KI TIMING KITNE BAJE KI RAKHI GAYI HAI...

bank se just ghar pahunchi thi MAA aur mujhe dekhte hi ye sawal pucha tha unhone...

MAI-7.PM...

MAA-arre,itna dull answer...no excitement in your voice...jaa raha hai naa pre-prom me...!!!

MAI-not sure...waise bhi compulsion event toh hai nahi...

MAA-woh isiliye kyunki entertaining night me compulsion ki zaroorat hoti hi nahi hai...

MAI-entertainment ke liye specific nights ki bhi zaroorat nahi hoti MAA...

it's all up to the mind....

MAA-is bahumulya gyan se mere gyan chakshayu ko kholne ke liye dhanyawad BABA SANVESHWAR....

par ye jo school aur college ke events hote hain naa,ye maturity claiming investments ki tarah hote hain...

present time me toh inki value nahi hoti par umr ke aakhri padhav me in beete events se judi yaadein hi hain jo dil aur dimaag ko sukoon deti hain...

MAI-wow...aapke examples bhi aapke profession ko tarah bank related hi hote hain...

waise aapko bhi pata hai ki mere budhaape ka sukoon sirf woh chizen hongi jinme mujhe challenge ki mehek mile..

jo mere thrill points ko excite karen...

MAA ki baat par mazak kar apna point of view dekar mai apne room ke liye palta hi tha ki tabhi...

MAA-aur tujhe kaise pata ki kal pre-prom me tere thrill points excited nahi honge...

ye bhi toh ho sakta hai ke challanges itne interesting hon ki tujhe participate karne ka man kar jaaye...

but finally marzi teri hi hai...dil kare toh chale jaana..waise agar tu jaata toh mujhe acha lagta...

bas,ye aakhri words woh bramhastra the jinse mai as in SANVY bach nahi sakte the...

ab MAA ko kuch acha lage aur mai naa karun,ye toh hone se raha...

saath hi saath unki woh speculation ki challenge mujhe bhi interesting lag sakta hai,mere dimag me ghum chuka tha..

apni baat bol MAA bhi apne room ki taraf badh chuki thi ki tabhi...

MAI-fine...i will go....

jahan apni baat bol mai turant apne room ki taraf badh chuka tha wahin MAA ke badhte kadam rook chuke the..

ek pyaari si smile naach uthi thi unke face par lekin ye smile kuch seconds hi tiki..

VERONICA-hang on.. agar ab se pehle tak ye sure nahi tha pre-prom ke liye toh is baat ko isne DIMPLE se bhi discuss kiya hoga...

matlab usne bhi pre-prom me nahi jaane ka man bana liya hoga...

apne phone ki taraf badhte hue khudse hi ye saari baat kahi thi VERONICA ne jiske baad mobile haath me aate hi woh DIMPLE ka number dial kar chuki thi...

DIMPLE-hello aunty....kaise hain aap...???

VERONICA-mai thik hun beta..kuch baat karni thi aapse..you have time...!!!

DIMPLE-now you are making me feel bad aunty...i have always time for you....bataiye, what's up...???

VERONICA-do you have any idea ki ye tuxedo collections abhi kis mall me best aaye hue honge...???

tuxedo collections woh bhi pre-prom se ek shaam pehle...man hi man hadbada si gayi thi DIMPLE...

DIMPLE-aunty, dresses ka woh bhi male,koi idea nahi hai mujhe...

waise SANVY ke liye hi puch rahi hain naa aap...!!!is hi going to pre-prom...

VERONICA-aur kiske liye...!!!!and ofcourse he is going...

aur kyunki kal mere bete ka first pre-prom hai...i want him to look dashing...

DIMPLE-he will aunty....ok aunty,i have to rush somewhere...so can i...

VERONICA-sure beta..carry on..hum baad me baat karte hain..

yahan muskurate hue VERONICA ne call kaata aur wahan phone honth ke neeche daba apne maathe par bal le aayi thi DIMPLE...

kuch seconds yunhi sochte rehne me baad ek naya number dial kiya DIMPLE ne aur..

DIMPLE-haan mujhe ek gown chahiye...but with a slightly different design...kal dopahar tak kuch designs mere ghar le aayiyega...

measurements....good....

phone ke dusri taraf DIMPLE ki caretaker thi jisse uski har external need ko pura karne ke liye hire kiya gaya tha...

DIMPLE ke measurements pehle bhi liye hue the usne...

khair,baat puri kar phone cut kiya DIMPLE ne aur is baar uske face par bhi ek pyari si smile thi...

aur ussi smile ko carry karte hue...

DIMPLE-see you tomorrow night SANVEER AHARYA...

FLASHBACK ENDS:-

DATE-30TH SEPTEMBER

BACK TO CURRENT SCENE

jahan ek taraf group ke sabhi students DIMPLE ke look aur uske get up ki taarif karne me lage hue the wahin DIMPLE sirf physically hi un sabke saath thi aur unke gestures par smile de rahi thi par uski nazrein joki lagataar thode door khade SANVY ki taraf hi ghoom rahi thi,saaf zaahir tha ki dil aur usse juda har emotion is waqt SANVY ke ird gird hi ghum raha tha...

HELLOOOOO EVERYBODY....WOW, I MUST SAY,YOU GUYZ ARE REWRITING THE DEFINATION OF HOTNESS....

ye ANSHUMALA MISS thi..ab pre-prom night ko anchor aur host karne ke liye inse behtar aur kaun ho sakta tha bhala...

taarif saare students aur unke get up ki kar rahi thi ANSHUMALA MISS par red silk modern sleeveless saree jiske upar aur ird gird kuch real aur kuch american diamonds lage hue the,khud ek chalti firti kayamat lag rahi thi woh...

khair jahan ek taraf MISS ke gesture par kuch students ne smile bhar kiya,kuch ne thanks kaha aur kuch ne hooting ki wahin apni baat ko aage badhate hue...

ANSHUMALA MISS-i guarantee you students... it's gonna be hell of a night....

bas aap sabko karna ye hai ki aapke aur pre-prom king/queen ke beech jo interesting and tough challenges ka wall hai,apna best dekar usse break karna hai...

jaante hain tough kyun bola maine...!!!

kyunki pre-prom king aur queen banane ke liye aapko kul teen challenges succesfully pure karne hain...

aur ye teen challenges kisi aur ne nahi balki khud hamari PRINCIPAL RANJANA MATTHEW'S ne set kiya hai...

WHAT...!!!HOLY SHIT....

ANSHUMALA MISS ki baat sun sabhi students ko laga tha jhatka..

aur ye laazmi bhi tha... RANJANA MATTHEW'S ne aaj se pehle kabhi bhi pre-prom jaise event me involvement tak nahi dikhayi thi aur is baar dikhayi bhi toh sidhe centre point par..

challenges unhone set kiye hain toh kitne tough ho sakte the,ye soch kar hi sab nervous ho gaye...

sab, siway do logon ke...SANVY aur DIMPLE....

ab ye bhi laazmi hi tha...these to dig challenges toh aise me nervousness ka toh sawal hi nahi uththa tha...

wahin dusri taraf RANJANA MATTHEW'S ke naam ko sun students ke jo kandhe down hone lage the, dekh liya tha ANSHUMALA MISS ne aur isiliye...

ANSHUMALA MISS-hey,hey,hey guyzz relax...tough ka matlab hamesha mentally hard challenge hi nahi hota...

hamari PRINCI ne jo challenges set kiye hain woh tough zaroor hain par usse zyada interesting aur thrilling hai...

you all are going to love it...so are you all ready to start this happening night with your first challenge...!!!!???

YES MA'AM....

students ke ek loud shout se gunj utha tha pura indoor stadium....

ANSHUMALA MISS-alright then...so the name of your first challenge is THE WORLD RECORD....

naam sunte hi soch me padh gaye the students aur ye dekh has padi MISS aur...

ANSHUMALA MISS-relax students..har world record guinness books ke liye nahi hota...

this world record challenge is different and as i said before,very interesting...

so,kul teen task me bata hai ye challenge..pehla task hai to BLOW THE BALLOON...

MISS ke is line par 1 substitute teacher hum sabke saamne aakar khade ho gaye..

unke haathon me ek red colour ka 10 inches lamba airless balloon tha....

ek baar us balloon ko hum sabki taraf wave sa kar usse apne honth se laga liya unhone..

the next moment,sir ne balloon ko blow karna shuru kar diya tha..

the balloon was latex which meant ki uska air fill size kaafi bada hone waala tha..

sach thi ye baat joki thodi der me sabke saamne the...

us balloon ko kaafi bada round shape dene ke baad usse uske hole point se strech karte hue baandh diya sir ne...

aisa karne ke baad apni pant ki jeb me haath daal ek measuring tape nikala unhone aur us balloon ki all around length aur breadth naapne lag gaye woh...

MISS bhi dekh rahi thi sir ko aisa karte hue jiske baad...

ANSHUMALA MISS-28 inches... impressive shuklaji...so students, apne pehle challenge ke first task me karna aapko bhi yahi hai...

sabse pehle first challenge me one after the other ke pattern me alag alag boys aur girls participate karenge...

10,10 ki line banakar stadium ke right end se task shuru karenge aap sab..

30 seconds milenge aap sabko..is 30 seconds me jitna zyada bada fula saken,utna air fill karna hai aapko balloon me...

balloons ka full strech diameter 48 inches ka hai isiliye inke fatne ka koi chance nahi hai...

30 seconds pura hote hi stop alarm baj uthega aur agar waisa hone ke baad bhi kisine balloon me air fill karna jaari rakha toh he or she will be disqualified...

and don't think of dodging anything kyunki c.c.t.v se continous monitoring hogi har challenge ki...

anyways,alarm bajte hi apne balloons piche khade next 10 participants ko de dijiyega jo usse baandh kar unhe measure karne ke liye volunteers ko de denge..

is beech active participants turant apne next task ko shuru karenge aur woh isiliye kyunki first task ke 30 seconds pure hote hi next task ke liye aap sabko milne waale agle 30 seconds shuru ho jayenge...

first challenge ka next as in second task hai...."ANKLE WALK"...

apne dono pairon ke takhne,ankles ko jhuk kar apne hatheliyon se pakde hue aapko jitna ho sake,tezi se aage badhna hai...

jahan se aap walk shuru karenge,wahan se stadium ke left end tak ki doori exactly 40 metres ki hai...

yaad rahe,agar ankle walk ke beech kisi bhi participant ka haath uske ankle se chhuta, woh disbalanced hokar gira ya giri toh they will be disqualified and will be out from the race of pre-prom king and queen...

saath hi saath 30 seconds complete hone tak agar koi participant left end tak nahi pahuncha toh bhi he and she will be disqualified...

anyways, left end tak pahunchne ke baad jaise hi second task stop alarm baja,third task of your first challenge will start aur is task ke liye bhi aapke paas 30 seconds hi honge..

"RIDDLE SOLVER"...

yahi hoga aapke first challenge ka third aur aakhri task...

par is task ke liye aapko kahin jaane ki zaroorat nahi hogi...left end me hi line se 10 green boards rakhe hue honge...

unhi boards me aapke liye ek ek riddle likha hoga...

participants ko bas board ke kinaare rakhe chalk box se chalk nikaalna hai aur us riddle ka one word answer riddle ke neeche likhna hai...

bas yahi hai aapka first challenge... first 10 participants ke last task ko complete karne ke baad next 10 participants ki baar shuru ho jaayegi...

hain naa exciting aur simple....

HOOOOOOOOOOO.....

BRILLIANT.....

jahan ek taraf sirf first challenge aur usme milne waale teeno tasks ke baare me jaan excitement se bhar baaki students hooting karne me lag gaye the wahin dusri taraf the mao aur DIMPLE jo ki is first challenge ke sequence order ke roots aur participants par hone waale asar ko samajh PRINCI ki jinhone ye challenge set kiya tha,taarif karne se khud ko rok nahi paaye the...

pehla task..BLOW THE BALOON... continously 30 seconds tak apne pure mouth pressure ke saath pressure exert karna...

kyunki hawa lagataar blow karni thi isiliye core strength ka bhi use hona tha isiliye khade khade hi body is task me thak jaani thi..

aisi thakaan jiska participant ko us very moment me pata bhi nahi chalega..

aur jab pata lagne ka time aayega,tab tak woh next task ke liye aage badh chuka hoga...

"THE ANKLE WALK"...

apni uppar body ko joki sirf isiliye relaxed rehti hai kyunki uska pura bhaar hamara nichla sharir, hamare pair uthaate hain,usse jhukana hoga...

aur sirf jhukana hi nahi balki jjhukkar apne ankles ko hold karte hue aage badhna hoga...

beshak walk karna hai par kyunki body ke dono bhaag completely bate hue honge isiliye woh walk kisi marathon race se kam nahi feel hoga..

upar se kyunki aankhein head ke neeche hone ki wajah se ground ki taraf dekh rahi hongi isiliye target blind spot jaisa hoga resulting extra pressure....

sharir ka khoon gale se hokar brain tak pahunchega..

final line tak pahunchte pahunchte head spin hone lagega jiski wajah se 2+2 ka answer batane me bhi kuch seconds lagenge aur waisi haalath me challenge ka final task "RIDDLE SOLVER"rakha gaya hai...

GAZAB.....

khair,yahan SANVY aur DIMPLE PRINCI ke twisting challenge ko appreciate karne me lage hue the aur udhar first challenge ke pehle 10 students ke female participants right corner me khade bhi ho chuke the..

senior most batch ke students the woh sab....

haathon me unke balloons diye jaa chuke the aur unke theek piche agle 10 girl participants khade bhi ho chuke the...

ANSHUMALA MISS-lastly, is first challenge ke result me jo best 10 male aur 10 female participants honge,wahi qualify karenge next challenge ke liye...

so,ready girls...and your first 30 seconds starts..........now..........

FOOOOOOOOOOHHHHH......

MISS ke NOW bolte hi apne apne balloons me pura mouth pressure release karte hue air fill karna shuru kar diya tha sabhi participants ne....

PAMMMMMMMM.......

sirf 30 seconds mile the un sabko jo dekhte hi dekhte is time out alarm ke bajte hi pure ho chuke the....

par unfortunately un 10 participants me se 2 ke balloons mid task me hi neeche gir gaye the jiska matlab tha ki woh challenge ke saath saath king aur queen ki ladhayi se bhi out ho chuke the...

baaki bache 8...un sabne apne apne balloons me air fill time me kar piche khade participants ko unhe tie karne ke liye pakda diya tha aur aisa karte hi woh 8 apne pehle challenge ke second task"ANKLE WALK" ke liye neeche jhuk chuke the..

ghutne halke modte hue un sabne jhuk kar apne apne ankles ko hold kar liya tha aur ussi position me sabne aage hi taraf apna apna step liya par tabhi...

DHAMMMM....DHAMMM....DHAMMMM....

kuch hi steps badhe honge woh sab ki tabhi un bache 8 me se 3 participants apna balance control me nahi rakh paaye aur neeche gir gaye...

matlab they all were also out of the competition...

bache 5 kisi tarah kisi tarah dheere dheere jhuke hue hi kadam badhate aage badhne lage the...

PAMMMMMMMMM.....

ab 30 seconds koi bohot zyada time toh hota hai nahi... alarm baj utha tha par aisa hone par un paanch me se 3 participants hi finishing line tak pahunch paaye the..

baaki 2 ka safar ab bhi chand metres ka bacha hua tha jo ab kabhi pura hone ka tha nahi...

2 task pure ho chuke the aur ab baari thi first challenge ke third aur final task "THE RIDDLE SOLVER" ki...

par second task ke baad participants ki jaisi haalath honi thi, wahi hua tha...

saans fulne ke saath saath head me chadhe blood flow ki wajah se sir bhi halka halka spin kar raha un teeno ko..

yahi wajah thi ki saamne rakhe green board par likha riddle woh sab padh toh rahe the par unka dimag abhi unhe solution dene ki haalath ne nahi tha..

aur jab tak brain un teeno ka stable hue,20 seconds se zyada nikal chuke the..

riddles bohot hard nahi the par phir bhi,itne complexed toh the hi ki ek normal brain me unke answer ko click hone me kuch seconds lage hi..

aur aisa hi hua...more then 5 seconds lag gaye the un teeno ke brains ko riddle ka ganith samajhne ke liye jiske baad turant chalk utha green board par pahuncha un teeno ka haath par tabhi....

PAMMMMMMMM......

OH NO...........

stop alarm baj utha tha jiska matlab tha ki participants ke is first 10 lot me se ek bhi bandi second challenge ke liye qualify tak nahi kar paayi thi....

kandhe aur sir jhuka frustration sabse chuppate hue woh teeno girls ek taraf badh chuke the..

wahin unke efforts ko baaki students clap kar appreciate karne me lag chuke the...

GO.......

ab baari thi first male 10 participants ki jinka first task shuru ho chuka tha...

pehle 10 participants ke performance aur usse tasks ki toughness ka andaza unhe aur baaki sabko ho chuka tha..

isiliye task behter dhang se handle karne ke liye strategies ready ki hui thi un 10 participants ne par koi khaas faayda hua nahi...

kyunki agle 90 seconds aur teen tasks ke pure hote hote 9 participants disqualify ho chuke the...

aur sirf ek participant aisa tha jisne 90th matlab aakhri second me apna final task "THE RIDDLE SOLVER" pura kiya..

WOOOOOOOHHH..........CLAP,CLAP......

finally first 20 participants me koi ek student tha jisne pehla challenge pura kiya tha isiliye usse gesture dete hue pura indoor stadium hi hooting aur clapping se gunj utha tha...

GO....GO....GO...GO....GO...GO...GO....GO...GO...GO...GO...

second 10 participants me se ek student ke teeno task pura karne ke baad jaise baaki students ka josh double ho chuka tha...

ANSHUMALA MISS ke GO bolne ke baad 10,10 ke hisaab se saare moujud students participate karte chale gaye...

SIRIUS ke senior 3 classes me kareeb 800 students the par aaj ki is romanchak raat me attendence aadhe se bhi kam students ne diya tha..

300 hi students moujud the is waqt yahan par jisme se exact 50 percent girls the..

ANSHUMALA MISS 10,10 participants ke hisaab se girls aur boys ka first challenge karwa rahi thi jinme se ab tak 280 students ne participate kar liya tha...

ab sirf final 20 students bache the...ye 20 students hum aur hamari hi dono sections ke students the...

pehla attempt girls ka tha isiliye NEW GIRL, ANJALI,NAISHA,KHANAK, RASHI ke saath paanch aur ladkiyon ke saath first task ke starting point par khade ho chuke the...

wahin hum male 10 students joki last participants the, girls ke theek piche unke air filled baloons ko tie karne ke liye chal pade...

is beech NEW GIRL ki aankhein mujhse mili thi..

kaha kuch nahi usne par jo chahti thi, samajh gaya tha mai...

MAI-chale be,ANJALI ke piche khade hona tu...

NITS se kahi thi maine ye baat jispar...

NITS-abbe nahi yaar..agar uska fugga nahi phoola toh bewajah meri hawa nikaal degi woh chudail...

MAI-pehle har disha me kheench balloon ko...dheela kar usse...

phir balloon ki gardan matlab uske opening area ko apne index aur thumb se thoda tightly hold kar...

us hold se opening seal khulega jahan kiss karne ka shape banate hue mooh laga baloon me...

lastly,hawa blow karna hai par ek tez blow me mat karna...

lungs me hawa fill kar, uske baad pehle blow me 25 percent pressure,phir 50 aur third flow me jitni energy lage,use karte hue blow karna...

baloon ache daimeter tak inflate ho jaayega...

ye gyan pelna ANI ke saamne aur issi tarah aur confidence se bolna jaise maine bola abhi...

maan jaayegi woh...

NITS ke kandhe me haath daale hue hi girls ke piche ya phir ye kahun ki new girl ke just piche pahunch chuka tha mai..

nazar uski saamne thi par apne piche meri moujudgi ko sense kar liya tha new girl ne..

face par aayi uski woh houli si muskurahat gawah thi is baat ki.

wahin new girl ke side me khadi thi ANI jo mere pahunchte hi ghumi meri taraf aur...

ANI-oye,bata jaldi..kaise nail karun mai is pehle task ko...

NITS-mai bataun...!!!

ANI-tu...!!!!

awaaz me halki shock ke saath tu kaha tha ANI ne par uske baad jaise jaise NITS BALOON INFLATION ka technique bataya gaya,woh shock awaaz se ANI ke pure face par chhadhta chala gaya...

kuch kaha nahi usne, bas kuch pal NITS ko dekh saamne ghum gayi woh...

DIMPLE-nice idea...mai bhi try karungi...

NITS se nahi,balki halka piche ho mujhe dheere se kahi thi ye baat new ne jispar mai bhi halka sa muskura diya...

GO.....

kuch pal beete honge ki tabhi girls ke is final lot ko GO bolkar task shuru karne ki hari jhandi fe di thi MISS ne jiske baad un sabka balloon inflation shuru ho chuka tha...

OHHH... LOOK AT THEM.......BRAVO......

abhi 15 seconds hi guzre honge ki jo scene saamne aaya,usse dekh sabhi students including ANSHUMALA MISS aur saare substitute teachers ki aankhon me taarif ke bhaav dikhne lage the..

aur us taarif ke kendra bindu ek nahi balki do students the..

pehli new girl jisne 12 seconds me hi apne balloon ko 30 inch tak inflate kar liya tha and not lacking much behind her was ANI jisne same diameter me apne balloon ko 15 seconds me hi fill kar liya tha...

aisa kar dono girls ne hi apne apne ballons ko piche matlab NITS aur mujhe paas on kar liya diya...

jahan hum dono hi balloons ko tie karne me lag gaye the wahin ek dusre se high five kar dono girls bache hue chand seconds me apne use kiye hue saanson ko normal karne me lag gaye the...

PAMMMMM....

first task ka stop aur next task ka start alarm baj chuka tha jiske baad ANI aur NEW GIRL ke saath baaki 8 girls bhi apne apne ankles ko touch karne ke liye jhuk chuke the par ANI,NEW GIRL aur baaki sabme ek fark tha...

"SECOND TASK ME FOOTS KO SIDHE NAHI 45 DEGREE TEDHE KARKAR CHALNA...BALANCE ZYADA ACHA BANEGA"....

"AUR TASK PURA HONE KE BAAD KAMSEKAM 5 SECONDS AANKHEN BAND KAR LENA AND TAKE DEEP BREATH FROM NOSE...HEAD BLOOD FLOW SMOOTH HO JAAYEGA"...

first task ke beech jab saare girl participants balloon blow karne me lage hue the,aage ke task ko karne ka technique NITS ke kaano me whisper kiya tha usne jisse NITS ne balloon tie karne ke beech ANI se share kiya tha...

aur new girl,usse ye technique pehle se hi pata tha...

that's why un dono ke foot angles aur speed baaki girls se zyada the...

jahan dusre end tak pahunchte pahunchte 7 girls disqualify ho chuke the wahin new girl ne sirf 18 seconds aur ANI ne 24 seconds me apna second task bhi pura kar liya tha...

jahan ye dekh un dono ke gesture me ek baar phir pura stadium taaliyon aur hooting se gunj utha tha wahin ANI aur NEW GIRL ne un saare appreciation ko ignore kar turant apni aankhein band kar li thi...

they both were breathing from there nose jiska asar wakayi tezi se hua...

PAMMMMMM....

pehle challenge ke final task ka alarm baj chuka tha aur aisa hote hi jab aankhein kholi ANI aur NEW GIRL ne toh they mind and vision had become smooth...

ANI-"aisa kya hai jo hum kisiko dene ke baad bhi rakh sakte hain"???

DIMPLE-"mai bina chhue tumhe theek bhi kar sakti hun aur maar bhi sakti hun"???

jahan baaki sabhi girls second task se hue thakaan aur head spin se abhi ladh rahe the wahin new girl aur ANI ko thakaan bhi kuch khaas nahi lag rahi thi aur sir unka normal hi tha..

yahi wajah thi ki ki mile riddles ke jawab bohot jald un dono ke dimag me click ho gaye the...

ANI-VAADA...VACHAN...

DIMPLE-WAQT...

jawab apne man me bolne ke beech chalk utha apne apne answer ko riddle ke neeche likh chuki the dono...

PAMMM.....

first challenge ke last task ka stop alarm bell baj chuka tha..

aur aisa hote hi pehle challenge ke result next challenge me qualify karne waale first do girls ka naam clear ho chuka tha...

DIMPLE aur ANJALI...in dono ke alawa hamare group se NAISHA hi bas thi jo second challenge ke liye girls me se qualify kar paayi thi...

khair,jahan apne performance se behadh khush ho excitement me ucchal hi padi thi ANI wahin face lar hamesha rehne waali smile ke saath boys ke final lot ki taraf ya phir ye kahun ki meri taraf badh chuki thi NEW GIRL...

DIMPLE-thanks...your tip really helped...

MAI-tip ANI ke liye thi... tumhe us strategy ke baare me pehle se pata tha...

DIMPLE-why do you say that...!!!???

MAI-answer toh abhi abhi board par likha hai tumne...TIME...WAQT...

DIMPLE-woooo...tumhe itni door se board par likha riddle dikh gaya...!!!!

MAI-nopes...par jab tum answer likh rahi thi,i watched your hand movements...ussi se pata chala mujhe ki kya likha tumne...

DIMPLE-brilliant...ab ye bhi bata do ki why do you think ki...

MAI-tumhe meri batayi strategy pehle se pata thi..

simple...dono task ko shuru karne se pehle ek second ke liye hi sahi,ANI took time...time to set her body for the strategic movement...

par tumne har task right away shuru kiya..aisa tab hi ho sakta hai jab tum pehle hi saare ganith laga kar baithi ho...

DIMPLE-jawab dene se pehle simple kaha tha tumne par aise observation kahin se bhi simple nahi hote...

new girl ki baat par muskurakar bas kandhe uchka diye the maine...

DIMPLE-ANJALI ke first challenge puri karne ki wish NITS ke through puri karwa di tumne..

kya ek wish meri bhi puri karoge...!!!???

MAI-mai bhi is first challenge ko cross karun,yahi chahti ho naa tum...!!!

DIMPLE-final challenge hum dono as partners pura karen,ye khwahish hai meri...

new girl ki baat sun kuch pal dekha maine usse aur...

MAI-jeetne ki aadat hai tumhe... agar meri wajah se haar gayi toh...!!!

DIMPLE-jab meri wajah se tumhe jeetne ka laalach nahi toh tumhari wajah se mai haarne ka malaal kyun karun...!!!

new girl ki baat ne dil par asar kiya tha mere...par filhal kuch kehna chahta tha nahi mai...

MAI-challenge shuru hone waala hai...

DIMPLE-final task end me khadi hun mai...

usne kaha KHADI HUN tha par feel INTAZAR KAR RAHI HUN laga mujhe...

khair, jahan apni baat bol new girl final task end ki taraf badh chuki thi wahin haath me balloon pakad apne challenge ke start hone ka wait karne laga tha mai..

kyunki hum final 10 participants the isiliye balloons tie karne ke liye 10 x participants hamare piche khade ho chuke the...

MAI,NITS,SONU,RAJAT, EKPREET aur SAM ke saath B section se ROHAN,ALOK aur NEERAJ bhi the is last line me...

anjaane me hi A aur B section ki is CHALLENGE ke andar ek nayi challenge si ho gayi thi jaise...

ek taraf se B waalon aur dusri taraf se A waalon ki zordar hooting is takkar ka saboot thi...

wahin ek dusre ke sections ko ghurte sabhi participants ki nazar is challenge ko ek alag intensity dene me lag gayi thi...

PAMMMM.....

hum 10 as in last participants ke lot ka is first challenge ke first task start karne ki bell baj uthi aur aisa hote hi humne apne haathon me hold kiye balloon me air bharna shuru kar diya...

jo advice NITS ne ANI ko di thi, uspar khud bhi amal kar raha tha woh...

teen baari me air fill kiya tha usne jispar uska balloon bhi 30 inches ke daayre se thoda zyada full chuka tha...

waise SAM bhi zyada piche nahi tha aur naahi ROHAN....

NITS ke saath saath un dono ki apne balloon me air filling time speed hi thi...

rahi baat meri....

32 inches tak ka air fill maine 15 seconds me hi kar liya tha par honth mere abhi bhi balloon me lage hue hi the...

DONE....

baaki sabko surprise karte hue NITS pehla banda tha jisne 20 seconds me hi air fill kar apne balloon ko piche khade volunteer ke haathon me pakda diya tha...

aur ye dekh jahan B section ke participants ki sulag gayi thi wahin humare section ke participants aur humare liye hooting karti hamari class ke students khush ho gaye the...

DONE...DONE...DONE...DONE...

NITS ko follow karte hue baaki sabne bhi apne apne ballons fill kar piche de diye the...

maine bhi...par last tha mai... aur ye dekh jahan mujhse hamesha hi sabse zyada khaar khaaye rehne waale B section ke students hasne lage the wahin door khadi new girl bas sir shake karti hui muskura rahi thi...

ARRE YE TOH BANDHA HAI...

PAMMM....

unlike other participants,maine apna balloon khud baandhne ke baad piche khade bande ko pakdaya tha...

ye dekh woh hairan ho raha tha par uski hairangi par react karne se pehle hi mai baaki sabke saath apne next task ANKLE WALK ke liye aage badh chuka tha...

HEY LOOK AT SANVY....HOW IS HE GOING THIS QUICK....!!!

mere first task me slow perform karne par B section ke students ki hasi dekh new girl ke smiling face ke piche chuppa disappointment feel kar liya tha maine isiliye us underperformance ko is baar overperformance se cover karne ka soch liya tha maine...

aur jo hum soche woh naa ho,aisa toh hone se raha...

3 second guzarne se pehle hi baaki sabko piche chhodte hue aage badh chuka tha mai..

aur jis speed se aage badh raha tha mai,usse dekh sabka hairan hona laazmi tha...

khair,18 seconds ke pura hone se pehle hi maine apna second task pura kar liya tha aur ye dekh ek baar phirse mere section ke students zordaar hooting karne lage the..

wahin dusri taraf the B section ke students jo kuch der pehle mujhpar has rahe the...aur ab unke chehre kutton ke pichwade jaise sukhne lage the...

aur new girl...jo khushi uske face par dikh rahi thi,woh khushi kam us vaade ki tarah zyada lag rahi thi jisne mujhse bina maange hi mujhe mere agle task me jeetne ka vachan le liya tha...

PAMMM.....

ek hi rang hai,par alag alag AAKAR HAI...

neeche daba hua sa hai,par phir bhi BAHAR HAI...

surya me chhipta nahi par baarish me dikhta nahi...

na dard deta hai,na nuksaan pahunchata hai,ekdum KAMAAL HAI...

RIDDLE padhne ke baad na hi chalk uthane me ek second bhi waqt lagaya maine aur naahi answer likhna shuru karne me...

ANSWER-CHHAYA...SHADOW...

RIGHT......

volunteer joki mere board ke paas khade the,mere answer likhte hi unhone us answer ke aage right tick kar diya tha aur ye dekh ek baar phir zordaar clapping hui par is baar us gesture ki shuruat new girl ne ki thi...

mujhe sabse pehle task pura karte aur most importantly, pehle challenge ke male participants me first aata dekh jo khushi uske face par dikh rahi thi woh wakayi kamal thi...

wahin second task ki tarah is third task ko bhi mere baad SAM ne baakiyon se pehle pura kiya tha jisse follow kiya tha ROHAN ne...

par ROHAN ke baad NITS aur mere class ke participants ne hi ye final task complete kiya tha aur ye dekh is baar meri class ke kuch namunon ne sirf hooting aur clapping hi nahi ki balki woh sab saale B section ki sulgaane ke liye unke paas jaakar naachne hi lage the...

NITS-kya baat hai lounde..chhaa gaya aaj toh tu...

mere gale me apne haath ko fasaate hue kamina jhul hi gaya tha pura...

waise result abhi open nahi kiya gaya tha par mere performance ko dekh koi bhi ye bata sakta tha ki boys me first position meri hi thi...

ANJALI-ohho..kya baat hai..!!!aaj pehli baar kisi event me openly hissa liya tune aur jeet bhi gaya...

MAI-abbe teri performance se motivate ho gaya tha mai...

ANJALI-chal re, aaya bada...by the way, thanks NITS...pata nahi kyun par aaj tere diye tips par amal karne ka man kiya mujhe and it actually worked...

kahan se sikha tune woh sab...????

ANI ki baat par NITS ki nazar meri taraf ghumi jispar naa ne sir hilaya maine...

NITS-arre bade gubbare fulaaye hain apan ne...aur balloon inflation ke baad kaisa feel hota hai,pata hai mujhe...

baaki pair waala koi bhi task toh easy hi hai apne liye...

ANJALI-really...!!!and how's that...!!!???

NITS-dimag jo pairon me hai..

ANJALI-HAHAHA.. that's true...

apne humour se ANI ke mind ko divert kar diya tha NITS ne aur ye dekh mai bhi muskurakar palaththe hue aage badh gaya par tabhi...

DIMPLE-congrats...

mere theek saamne khade ho apni chamkili aankhon se dekh rahi thi mujhe NEW GIRL...

MAI-khudse keh lo...khwahish tumhari puri hone waali hai...

DIMPLE-so toh hai..waise apne kaam ka shray lena kab shuru karne waale ho tum...???

mere piche khade NITS aur ANI ko dekh kahi thi ye baat NEW GIRL ne...

MAI-jis din pedh har raahgir ko chaanv dene ka shray lene lage,tab...

mere jawab par kuch kehte bana nahi new girl ko.. bas kuch pal mujhe dekhti rahi woh aur...

DIMPLE-ek baat batao...har lime light se khudko door rakhne waala SANVEER AHARYA aaj itne bade informal school event me sharik hone ke liye maan gaya...

wajah iski sirf meri request thi ya kuch aur...!!!!

MAI-kuch ya koi aur hota toh mai is waqt us wajah ke saamne khada hota,yahan tumhare saamne nahi..

waise milta julta sawal toh mera bhi hai.. pre-prom queen banane ki khwahish tumhe kabse ho gayi...!!!

DIMPLE-queen kabhi kisi event ki nahi hoti,king ki hoti hai aur mai...

flow flow me dil ka haal batane lagi thi new girl par tabhi jaise usse ehsaas se hue apne shabd...

DIMPLE-aati hun...

aisi sharm jo sharm ko bhi sharmaane par majboor kar de,us sharm ki chaadar se apne chehre ko chuppa ghum gayi thi new girl par andaza nahi tha usse ki uski us sharmili muskaan ne saansein bhaari kar di thi meri...

palath chuki thi woh par ab bhi meri aankhon ke aage uska woh rukhsaar,usme aayi laali waali sharm tair si rahi thi...

khudko trance se nikaalne ke liye apne sir par tapli maari maine aur ek lambi saans bharte hue us mehek ko mehsoos karne laga tha mai jo kisi sougat ki tarah apne piche chhod gayi thi new girl...

MAI-sambhal kar beta SANVY....life me pehli baar sab clear hone ke baad bhi confusion ho raha hai...saala.....

samajh nahi aa raha ki andar hi rahun ya phir BAHAAR JAAUN MAI...

tujhe khudme zinda rakhne ke liye apne aap ko hi naa MAAR JAAUN MAI...

pehla mukabala jeeta hai,aage bhi jeet jaayenge,bas dar itna hai ki....

tere saath jeetne ke chakkar me tere haathon khud ko hi NAA HAAR JAAUN MAI...

(THE NIGHT CONTINOUS)

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Waqayi m alfaz nahi mil rahe h kuch kehne k liye
Wow superb fantastic update brother
 
Last edited:

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,273
143

Teri khwahisho par apna sab kuch vaar jaanu main
Teri chahat par sab kuch Jeet yaa sab kuch haar jau main
Tu ek baar maang ke to dekh ye zindgi bhi tujh par nisaar jau main

Sanvy naa apni maa ki baat taalta hai aur naa ab new girl ki baat taal paa raha hai.

Kahin ise pyar hua to nahin hai.
 
ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,878
188

very nice update bhai
 
Babasarkar

Active Member
619
1,750
138

Finaly apna hero limelight mai to aya ab dakhte he king banta he nhi coz apna hero nd writer sahab ka writing hi kuch or he kab kya ho jaye koi nhi kahesakta waiting for next
 
Rudrathakur

Active Member
586
3,384
123
Wahhhhhhh kya scene h😍😍😍😍 as expected sanvy and dimple ne apne apne group me 1st place hasil kiya h pr us sabke pichhe ki wajha bhi dono ki ek hi h...aur wo h ek dusre ke prati unka lgaav isko hm srf challenge ke liye nhi samjh skte ki srf challenge interesting h isliye in dono ne is event me participant kiya balki iske pichhe un dono ka ek duje ke liye lgaav, pyaar, ishq, aur indirectly ikraar...bss ye directly kb hoga iske liye hm sabko h bda intzaar..😂😂😂
Khair kya yaha NITS and ANI ka kuchh scene bnne wala h in future jiski neeb aaj se banne lgi h....khair iska bhi pta chal hi jaana h aane wale waqt me...pr abhi to ye raat aur bhi jyada dilchasp hone wali h abhi to dimple ke muh se uske dil-ae-haal ka ikraar hote hote bach gya dekhte h bhavnao me beh kr dimple kuchh bol hi de aaj😁😁😍
Khair is sab ko yhi chhodte h ye btao brother ki hath pair to tod diye ne bdhiya se un lafango ke khair hospital pahuchna pda inko to lgta h bdhiya se sutai hogyi h...
...sahi hua..katai hero style me sutai kr aaye brother tum to bilkul filmi style me jaise heroine ko chhedne pr hero thok deta h lafango ko...ab sab khariyat h jaan kr achha lga...waise sach sach btana kya sanvy ka bhoot ghusa tha kya andar fighting ke scene me 😂😂😂

Take care buddy..and waiting for the next update..✌✌✌👏
 
Top