• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Rohit1988

Well-Known Member
2,246
7,194
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SECOND CHALLENGE ME NITS NEERAJ KO HARA DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY AUR SAM BHI EK DUSRE PAR HARD PREDICTIONS KARTE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-67

DATE-3TH SEPTEMBER

CITY-DEHRADUN

PLACE-INDOOR STADIUM

PRE-PROM

THE NIGHT CONTINOUS

SO,READY YOU TWO...!!!

second challenge ke final two contestent DIMPLE aur ANJALI khade ho chuke the aamne saamne...

MISS ki baat par smile ke saath haan me sir hilaya dono ne jispar...

ANSHUMALA MISS-who will go first then...???

MISS ki baat par bhavein utha sawal kiya ANJALI ne DIMPLE ko jispar halke se kandhe upar kiye usne...ye dekh...

ANJALI-i will go first...

ANSHUMALA MISS-ok then...shoot...

ANJALI-tumne bhi last moment as in kal hi decide kiya tha yahan pre-prom me aane ka...

DIMPLE-true...

ANJALI-tumhari pehni dress yahan se nahi hai...

pehli baar pehni hai isse tumne, matlab kal pre-prom me aane ka decide karne ke baad isse tumne kal hi isse DELHI se mangwayi hai...

DIMPLE-true...

ANJALI-is indoor stadium me enter karne ke baad se hi you have been the eye magnet of every guy around here par unme se kisi me bhi you have no interest...

DIMPLE-true...

ANJALI-waise hona bhi nahi chahiye...your interest should be one in a million guy...

ANJALI ke gesture par smile karne lag gayi thi DIMPLE...

ANJALI-tumhari abhi pehni har accessories costly hai par tumhe personally inhe pehenena acha nahi lag raha...

DIMPLE-true...

ANJALI-yahan aane tak tumhe pre-prom queen banane ka koi shouk nahi tha par ab hai...

but reason fame nahi,kuch aur hai...

muskurate hue kahi thi ye baat ANJALI ne jispar ek pal usse dekhne ke baad...

DIMPLE-TRUE...

ANSHUMALA MISS-wow..that was really good ANJALI... your turn DIMPLE...

DIMPLE-you are looking very pretty in this dress...par ye tumhari choice nahi hai...SANVY ki MOM ki pasand pehni hai tumne...

infact,tumhara complete get up unhone khud ready kiya hai...

ANJALI-true...and, SANVY se pehle woh meri MAA hain...

DIMPLE-indeed she is... we are in the second round and you are going to play the final round...

par agar us round me tum haar bhi gayi toh fark nahi padega tumhe...

ANJALI-right...

DIMPLE-adding to that,you want SANVY to win...

ANJALI-i always want him to win...

DIMPLE-NITS... his performances have really impressed you today...

ANJALI-true...it has...

DIMPLE-aur jo non point baatein NEERAJ ne ki,for that you want to kick his ass...

ANJALI-right...aur baatein nahi bullshit tha woh sab...

paise ki garmi ka show off karna hai toh mere saamne khada hona tha usse...

jitna uska baap kamata hai,meri MAA tax bharti hai utne ka saal me...

mere dost par superiority dikhata hai...saath me khade ho jaayen dono toh dekhne waalon ko lagega ki NITS ne apne liye personal chaprasi rakha hua hai...

HAHAHAHAHA...

NEERAJ waali baat par prediction dekar DIMPLE ne bhadka diya tha ANJALI ko..

jis tamtamate chehre ke saath dil ki bhadas nikaali ANJALI ne usse sun jahan ek taraf sabhi students including ANSHUMALA MISS has pade the, dusri taraf NEERAJ ab aur rook nahi paaya...

woh nikal liya tha stadium se wahin teesri taraf sabse nazar bachakar wink kiya new girl ne mujhe...

reason...uske aakhri do reactions mere hi thoughts jo the...

NEERAJ ke insulting comments ka mooh tod jawab bhale hi de diya tha NITS ne par un teer bujhe baaton ka halka asar tha uske dil par...

uske saare male friends ke saath female friends ke saamne aaj NITS ke middle-class position ka yun wild exposure jo hua tha...

ussi asar aur effect ko puri tarah khatm karna tha mujhe isiliye i had DIMPLE for help jisse usne khushi khushi oblige kar diya tha...

ANSHUMALA MISS-ok then...with this,hamara ye second challenge "SHERLOCK" yahin khatm hota hai...

and i must say,we really do have some sharp minds in our college...

anyways,15 minutes ka break lenge hum ab..

after 15 minutes,i will give you all our final 6 contestant who will then participate in the third and final challenge of tonight...

hey D.J,the break is not for you...hit it hard...

ANSHUMALA ke enthusiastic awaaz ke baad D.J ke zabardast hiphop music se gunj tha pura stadium...

par jahan ek taraf baaki har group is tez shor me khudko bhul naachne thirakne laga tha wahin dusri taraf tha hamara group jahan mahoul thoda sirious bana hua tha...

SAM- come on guyz...it was just a casual challenge..

frnz ki ghurti nazaron ko dekh justification diya tha SAM ne...

NITS-kabhi sabke saamne casually maadarchod bol dun toh bura mat maaniyo tu bhi...

SAM-hey, watch your tounge NITS...

NITS-arre waah...tere repo me chuppe ego ko bura laga... bhosdike jaise teri izzat hai naa,waise hi ANJALI ki bhi hai..

actually tere se zyada hi hai jisse tune casual challenge ki aad me udaane ki koshish ki...

mai toh ye soch ke hairan hun ki SANVY ne tujhe saste me kaise chhod diya...

haan,dost hai naa tu..aur doston ki izzat kisi bhi kaaran se sare aam ucchali nahi jaati,pata hai usse...

RAJAT-true...it was not cool SAM...!!!

EKPREET-yaar.....mai bol raha hun it was just a simple prediction...

bura maanane waali baat thi hi nahi...

aur ek baat batao, SANVY ne bhi toh kya kuch nahi kaha mujhe...

he even called me a random guy par kya tum sabki tarah mooh sujakar baitha hun mai...

ANJALI-SANVY ne tujhe tere hi ghatiya prediction ke according simple replies diye the...

simple... SANVY agar real aur exact jawab deta toh tujhe bhi maalum hai ki kaan se khoon nikal jaane the tere...

aur haan,random nahi meri nazaron me tu random tha,ye kaha tha SANVY ne and he was correct there too...

SAM-tu bhi suna le ab.....

ANJALI-suna deti beta...

but the thing is ki SANVY ke controlled jawab me ek message tha,chhod do tujhe...

sirf isiliye,cchod diya tujhe...

RASHI-par ye SANVY hain kahan yaar...???apni baari ke baad se hi gayab hai...

DIMPLE-woh khada hai, smoothie corner me...

jahan ye sab khade the,uske theek opposite direction me end point par bane smoothie joint me khada cold drink sip kar raha tha mai...

EKPREET-ye kab bhaag gaya udhar..aur cold drink kab se peene laga be ye...

ANJALI-cold drink nahi apna ghussa pee raha hai woh...agar abhi idhar rehta aur ye SAM ka GALATH hone par bhi yun casual attitude dekhta toh pakka pela jaana tha isse...

NITS-par yaar ab mera mood nahi raha agle challenge me participate karne ka..

infact idhar stadium me hi nahi rehna apne ko..mai jaa raha...

ANJALI-mai bhi...

NITS-chal bhai,tere toh maze ho gaye...do do participant gayab...

SANVY ka bhi clear nahi hai mujhe ki woh participate karna chahega...

RASHI, DIMPLE bache bas...inme hi competition hoga aakhri,loundo me toh akela hi bacha ab tu...

daant niporte hue baith jaaiyo MR PRE-PROM ki daan me di gayi kursi pe...

SAM-abbe kuch bol nahi raha tujhe toh sir pe hi chaddhe jaa raha hai tu..

aur tu daan dega be mujhe.. SAMEER CHANDER ko...khud SANVY ke dum par pehle do rounds cross kiye hain tune...

aur agar khudpar aur apni ability par bharosa hai toh rook...

rook aur jeetkar dikha last challenge mujhse...

MAI-done...koi kahin nahi jaa raha...

mujhe apne piche dekh kaafi hadbada gaya tha SAM par baaki sabke face ki smile waapas aa gayi thi...

MAI-ek coach har match se pehle bohot gyan deta hai apne student ko par ultimately,game me hissa woh student hi leta hai...

ye uski performance hai jo usse mili advice ko live banati hai...

aur ye uski pure mehnet hai jo usse woh game,woh challenge jeetati hai..

theek waise hi jaise aaj NITS jeeta hai...

toh ye jo baar baar SANVY ki madad se jeeta waali bakwas rate hue hai na tu,isse band kar...

SIRIUS ke champ ko itni licchad aur looser waali soch rakhna suit nahi karta...

I don't think ki MR JAIDEN CHOWDHARY kabhi apne time me aisa karte honge...

ANSHUMALA MISS-alright then..break times up...

kul 6 students have qualified for the final challenge...3 boys and 3 girls...

SANVEER,NEETENDRA, SAMEER...

these are the three guyz who are gonna play the final challenge...

DIMPLE,ANJALI,RASHI...

these are the three girls who will play along with the boys in the final challenge...

so come up... huge round of applause for our 6 finalists guyzz...

WOOOOOOOOOOO........

ho rahi behisaab hooting aur taaliyon ke shor ke beech hum 6 finalists stadium ke beech jahan MISS ne point kiya tha aur ab khud khadi thi,wahan pahunch gaye the...

yahan maamla thoda alag aur suspicious sa tha..

aur woh isiliye kyunki floor se 3 feet upar 8 feets ke 360 degrees as in complete radius me gol sa kuch bana hua tha..

kuch isiliye kyunki us round unknown thing ke upar ek bada sa reddish kapda rakha gaya tha jiski length itni thi ki us thing ko puri tarah cover karne ke baad woh kapda neeche zameen tak ko touch kar raha tha...

ANSHUMALA MISS-ok now...aap sab soch rahe honge ki kya hoga final challenge and more importantly,is kapde ke neeche kya bana hua hai..

well, dusre sawal la jawab hai ki ye chiz hi aapke third aur final challenge ka zariya hai...

haathon se ishara kiya MISS ne jiske baad ek volunteer aage aaye aur agle hi pal he started pulling the clothe....

WOWWW....THE REVOLVING FLOOR.....

kapda haththe hi ek naya bana floor sabke saamne tha jisko sachhayi sabko hi pata thi..

kisi bhavre ki tarah adjustable speed me ghumti thi woh floor...

ANSHUMALA MISS-ya,THE REVOLVING FLOOR...par sirf revolve hi nahi balki rotate in teen alag alag parts me rotate bhi hoti hai ye floor...

issime aap 6 apna final challenge pura karenge jiska naam hai DANCE IN A DANCE...

toh hoga ye ki aap 6 as couples is floor ke un teen hisson me joki rotate bhi hoti hai,khade honge..

khade hone ke baad you will hold your partner's hand and slow music start hote hi just swing and slowly dance with your partner's..

woh bhi bas apni jagah par khade khade...hain na simple...

haan bas addition ye hoga ki music ke start hote hi jis floor par aap khade honge,woh bhi ghumne lagegi aur guzarte waqt ke saath jaise jaise music speed hota chala jaayega,floor ke revolve hone ki speed bhi badhti chali jaayegi..

and not to mention,jis jagah par aap sab khade honge,woh bhi beech beeche me exactly 30 seconds ke liye alag se ghumegi...

matlab aap sab revolve hone ke saath saath apni apni jagah par apne apne partner ke saath rotate bhi honge...

jo bhi jodi is floor se girti chali jaayegi, they will be out of the challenge...

and the remaining final couple will be the winner and the PRE-PROM KING & QUEEN OF SIRIUS SESSION 2020..

iska matlab samajh rahe hain aap...jisse bhi aap apna partner chunenge, unki destiny aap khudse jod lenge..

he wins,she wins...she looses,he looses...

so are you ready...????

OH YEH......

hum sabse pehle hi pura stadium excitement se chilla utha tha par is beech hum sabko the most important kaam karna tha..

couple selection jiski shuruwat NITS ne kar di thi...

NITS-ae ANJALI...final challenge hai...partner banti kya..!!!

ANJALI-waah re tapori..aise puchte hain...!!!

NITS-apan toh aiseich puchta hai..tereko parwarta hai toh bata...

ANJALI-chal tu bhi kya yaad rakhega...!!! bante hain partners..waise bhi minute bhar ki baat hai... phir toh girna hi hai...

because i cant revolve or rotate.......

MAI-shall we...!!!

new girl se puchi thi maine ye baat jispar apne million dollars smile ke saath haan me aankhen jhukaane ke baad mere saath us REVOLVING FLOOR par chadh chuki thi woh...

NITS aur ANJALI toh pehle hi floor par chadh chuke the jiska matlab tha ki sirf do log an bache hue the...

RASHI-i guess we don't have options...

SAM-zaroorat bhi nahi hai...i got you... let's go...

haath badha diya SAM ne apna jisse thaamte hue RASHI aur woh floor par chadh chuke the..

ANSHUMALA MISS-alright then...hamare 6 finalists ya phir ye kahun ki teeno couple floor par chadh chuke hain aur apne apne standing points par bhi khade ho chuke hain..

now guyz,time to surrender to your partner...thaamiye ek dusre ka haath...

aur shuru hone waali is ghumavadaar safar ke beech apne saathi par bharosa rakh,chakkar aane ke beech apne apne bhaar ko usse thama bas houle houle nachiye...

ek advice deti hun..agar is challenge ko challenge ki tarah hi lenge toh zyada der tak tik nahi paayenge par tez chakkaron ke beech bhi apne saathi ke saath guzaar rahe sangeetmay samay ko mehsoos kar uska lutf uthaane ki koshish karenge toh aapka dil kaam par laga rahega..

aur jab dil kaam par laga hoga toh dimag par asar kam padega aur jitna kam padega,utna woh kam ghumega...

ok then...we are ready now...and GO....

MAI-just focus on the song...it's beat and.....me.....

floor revolve hona shuru ho chuka tha...

aisa hote hi new girl ke haathon ki grip mere haathon par tight hone lagi thi...

filhal ek dheema instrumental baj raha tha par maalum tha mujhe ki jaise jaise music ke speed me izafa hoga,floor bhi tezi se ghumega..

upar se abhi toh jahan hum khade the,us particular jagah par rotation bhi shuru hona tha which was going to make aur self control loose...

khair,meri baat ko sun jahan new girl ki nazarein jaise meri nazaron me jam si gayi wahin baaki dono couples ki haalath damadoul hone lagi thi...

ANJALI-kya kar raha hai NITS...kamar par haath tight rakh, mera balance bigad raha hai...

NITS-arre zor se pakda toh dukhega tereko..phir mujhe hi bakegi tu...

ANJALI-bakwas band kar apni and hold me tight..yaad nahi hai SAN ne kya kaha tha...???hume aas paas ke mahoul ko bhul bas ek dusre par concentrate karna hai...

mai bas tujhe dekhungi and you, just see me without blinking...chakkar kam aayenge...

NITS-woh sab toh theek hai par mai tereko lagatar nahi dekh sakta...

hasi chhut jaayegi meri...

ANJALI-bakwas band nahi ki toh tere gaal par haath chhut jaayega mera...

ab chup chaap hold me tight and focus...

jaisa ANJALI ne kaha,kiya NITS ne...

uski kamar ko tightly hold kar bina palke jhapkaye usse dekhne laga woh and the trick really started working...

lagatar ghoom rahe floor ki wajah se ghoom raha in dono ka sir thoda hi sahi par relax hone laga tha...

wahin disbalancing problem SAM aur RASHI ke saath bhi tha.. mainly RASHI ke saath par kisi tarah khudko aur RASHI ko sambhale hue the SAM...

MAI-what...!!!

mujhe dekh halka halka smile kar rahi thi new girl...

DIMPLE-c.c cream apply kiya hai tumne...

MAI-that's MAA.. makeup zyada der tak hold hoga,laga bolkar khud hi laga diya unhone...

DIMPLE-aur SANVY the mama's boy mana nahi kar paaya...

MAI-mai kisme kaisa dikhunga,ye jaanane aur dekhne ke liye meri MAA ki aankhon se behter koi aayna nahi...

meri baat sun apni gehri aankhon se dekhne lagi thi mujhe new girl...

DIMPLE-agar neeche gir gaye hum toh...!!!

MAI-mai nahi gir raha neeche...

DIMPLE-mai gir gayi toh...we will loose the challenge aur tum apna promise tod jaaoge...

MAI-tumhare haath aur mere tuxedo ke beech is waqt hawa bhi nahi ghus sakti..

naahi mere haath aur tumhari kamar ke beech koi teesra aa sakta hai...

mai apna naach raha hun aur tum apna par is waqt sharir na judke bhi kuch yun jude hain hamare ki movement hum dono ke hi bodies ki ek si hai...

abhi,is waqt naa tum tum hokar bhi tum ho aur naa mai mai hokar bhi mai...

abhi HUM hain...aur jab do sharir ek hokar HUM ne badal jaaye toh koi ek kaise neeche gir sakta hai...

girenge toh dono hi par jaisa ki maine kaha...mai nahi gir raha, matlab tum bhi nahi gir rahi...

new girl ke kaano me in saari baaton ki sargoshi si ki thi maine jisse sun uski aankhein apne aap hi band hone lagi thi...

HOLY SHIT....

floor ki speed badhne ke beech hum sab jahan jahan khade the,woh couple spot bhi tezi se rotate hone laga tha joki abhi pure 30 seconds tak hona tha...

DHAKKK.....DHAKKKK.....

15 seconds tak ho rahi tez rotation ko control karne ke baad finally RASHI ka brain hadh se zyada ghumne laga..

result...

tez chakkar aa gaya usse aur khudko naa control me rakh paate hue RASHI jhul si gayi thi SAM ke upar...

bhara badan tha RASHI ka...upar se SAM khud is tez rotation ke kaaran kaafi dizziness feel karne laga tha isiliye RASHI ke is sudden bhaar ko apne upar control nahi kar paaya woh...

he slipped with RASHI in his hands...

sidhe revolving floor fisalte hue neeche gir ground floor me aa gaye the dono...

BOOOOOOO.....

SAM and RASHI were disqualified jispar ek tez BOO ke saath mooh chidhaya tha sabne...

ANSHUMALA MISS-so RASHI,SAM...you are out...

dono abhi bhi neeche hi pade the par reason alag the...

RASHI feel ho rahe dizziness ki wajah se lambi lambi saansein le rahi thi par SAM..

aankhein band kar woh abhi bhi yakin nahi kar paa raha tha ki he was actually out of the challenge...

anyways,yahan revolving floor joki ab tezi se rotate bhi ho raha tha, uspar ek alag hi andaz me khade the is waqt hum chaaron...

we were hugging our partners, very tightly....

rotation se faint hone ka dar bohot zyada jo tha...

NITS-yaar ANJALI...agar teri dress saamne se thodi geeli ho jaaye toh adjust kar liyo...

ANJALI-what...!!!kameene, bathroom karkar dekh mujhpar...

tere pure sharir ko tatti se abhishek kar dungi mai...

saala,ye sir ho kya ho raha hai...!!!aisa lag raha hai ki sir abhi fat jaayega...

wahan ek dusre ko gaali bakte hue ab gire ki tab gire waali haalath dikha rahe the woh dono aur idhar...

new girl ki body halki bhari hone lagi thi.. matlab saaf tha...floor ke saath saath kaafi tez head spin hone laga tha uska jis wajah se new girl ka brain temporary freeze mode me jaane laga tha..

it was not good... her brain needed a triggered fast start woh bhi turant...

MAI-hey sleepy head...sorry...

DIMPLE-what for...

gale toh lage hi the hum dono..

kaano me boli thi maine ye baat jiska jawab new girl ne jaise kisi madhoshi me diya tha...

UMMMHHH....

gale ke paas gardan par chum liya tha maine new girl ke...

mere honth ke us chhuvan ka ehsaas itna zyada asardaar tha ki ek tez jhatka sa laga tha new girl ke pure sharir ko...

jaise achanak hi turant apne senses me aayi thi woh...

mera left haath joki uske right hand ke saath juda hua hi tha,uspar apne naakhuno ko halka dhasa sa diya tha usne par ye sirf ek second ke liye hi tha..

bina mujhse alag ho bas apne naakhuno ko mere hand skin se alag kiya usne..

wahin new girl ko triggered dekh ek baar phirse sorry kehne ko hua maine par tabhi...

new girl ki ungliyan mere ungliyon ke beech chhupti hui si mehsoos ki maine aur uska jism...

ab tak bas gale hi lage the hum par ab kuch yun sameta khudko new girl ne mujhme maano mere sharir me sama jaana chahti ho...

uske is harkat par dil ki dhadkan tez ho gayi thi meri par abhi jaise unka tham sa jaana baaki tha...

mere kandhe par new girl ne apni thuddi thodi aur adjust ki aur khudke gaalon ko mere gardan par sehlate hue...

SSSHHHH.....

behadh soft,halki si chhuvan apne honthon ki mere gale par ragad si di usne...

"MUJHE ACHA LAGA"...

jaise bina bole yahi teen shabd keh diye the uski is harkat ne...

DHABBBB...DHABBB....

WOOOOOOOO....

ek dusre ki baahon me khoye hue aa rahe chakkaron ke beech bhi chal rahe sangeet me halka halka thirak hi rahe the hum ki tabhi hamare paas se ye girne ki awaaz aayi...

aur aisa hote hi pure stadium me gunja ek aisa tez shor jisne d.j ki awaaz ko bhi badi asaani se daba diya tha...

mere aur new girl ke face par aayi smile us cheer ka matlab samajh gayi thi aur revolving floor ki gati dheemi hone ke beech ANSHUMALA MISS ka mike hold karna hamari samajh ko official banane waala tha...

ANSHUMALA MISS-so finally,ANJALI aur NITENDRA aur down and out, which means,we have our winners or should i say,this years PRE-PROM KING & QUEEN...

who are non other then....

SANVY & DIMPLE...

MISS ke bolne se pehle hi pure stadium ne hum dono ka naam apne tez shor me shaamil karte hue announce kar diya tha...

ANSHUMALA MISS-you are right guyzz...DIMPLE and SANVEER...

our tonight's PRE-PROM QUEEN & KING......

new girl ka haath pakad revolving floor se ground ke floor par aa gaya tha mai...

ANJALI aur NITS ab tak khade ho gaye the aur taali bajane ke beech hume dekh jo khushi un dono ki aankhon me dikh rahi thi,uski sachhayi hi hum dono ke liye kisi inaam se kam nahi thi...

NITS-jeet gaya mera bhai...

uchhalkar mere upar kood hi gaya tha kameena jisse follow karte hue SONU, EKPREET aur RAJAT bhi jump laga gaye mere upar..

wahin new girl ko bhi ANJALI,RASHI,KHANAK aur NAISHA ne jaise apne aap me chuppa sa liya tha...

PRE-PROM QUEEN ke naam se chhed rahe the woh sab usse...

ANSHUMALA MISS-ok,ok,ok... arre yaar,kaise log ho tum sab...

abhi abhi pre-prom king aur queen bane hain ye dono aur tum log ho ki dono ke beech ghus diwar bana di...

hawa do guyz dono ko and let them be together...

RAJAT-aur kitna together MISS...abhi upar revolving floor par aise chipke the dono ek dusre se maano do nahi ek hon...

HAHAHAHAHA....

RAJAT ke chhedpan par has pade the sab...

ANSHUMALA MISS-nazdiki sabse zyada thi tabhi toh jeete bhi dono hain...

woh sab chhodo, SANVEER,DIMPLE,come here...

hum dono hi MISS ke saamne jaakar khade ho gaye...

hamare paas aate hi ek position par ek saath khada kiya MISS ne hum dono ko aur khud thoda piche hath gayi..

abhi hum kuch samajhte ki tabhi...

pure stadium ki lights off ho gayi jiske agle hi pal ek tez flash light hum dono ko hit hui...

par this was not the end...

hume hit karne ke baad us flash light se ek aur light nikli jo hamare sidh me ek raasta light out karti chali gayi aur agle hi pal...

DHAKKKKK...

back to back party poppers ke chamkile papers se kuch seconds chuppe rehne ke baad hamare saamne aaj ki shaam ke winners joki hum dono the,hamara PRE-PROM KING & QUEEN thrones dikhne lage the...

bohot behtarin tarike se sajaya gaya tha dono thrones ko...

thrones aur pura stage light up hote hi stadium ke lights on ho gaye aur MISS hamare saamne aakar khadi ho gayi...

ANSHUMALA MISS-so,my KING & QUEEN...your pedestals are ready...its time you embrace it by sitting on it...

kisi british province ke high minister ki tarah bade elegant tarah se halka bend hote hue kahi thi ye baat MISS ne jisse dekh haste hue mai aur new girl aage throne ki taraf badhne ko hue par tabhi...

ANSHUMALA MISS-no,no,no,no,no...ek task baaki hai...

NAISHA-aur kya task MISS...ab kisse compete karna bacha in dono ka...ban toh gaye king, queen...

ANSHUMALA MISS-true...par ye task sirf SANVEER ke liye hai and it's called "IMPRESS YOUR QUEEN"...

ANJALI-kaise...???

kuch kaha nahi MISS ne bas halka sa ishara kiya jiske baad ek volunteer aage aaya par jo chiz thi, uske haathon me usse dekh sab MISS ki baaton ka matlab samajh gaye the...

black colour me ek bada hi khubsoorat acoustic guitar tha woh...

ANSHUMALA MISS-so SANVEER,you have to play this,sing a song and walk through the ramp aur aisa karne ke saath saath you even have to escort your queen to the throne...

EKPREET-but MISS, SANVY ko naahi guitar play karna aata hai aur naahi he is good in singing...

phir ye kaise...????

ANSHUMALA MISS-well,karna toh padega bhale hi betaan aur besur ke saath...

maine pehle hi bataya tha ki aaj ki raat ka pura concept PRINCI ne taiyar kiya hai...ye part bhi...so it can't be changed...

SAM-koi baat nahi MISS...apne yaar ke liye guitar baja bhi mai deta hun aur gaa bhi...

ye bas apni queen ke saath apne throne par baithe...

ek bright smile aur apologizing request ke saath meri taraf haath badhaya tha SAM ne jispar smile karte hue punch hit kiya maine uska...

no hard feelings...

yahi bro code tha is punch beat ka...

ANSHUMALA MISS-no,no,no,no,no...karna toh SANVEER ko hi padega sab...

MAI-cool...give me that...

MISS se woh guitar le liya tha maine...

ANSHUMALA MISS-now that's the spirit... common everybody, give it here for our pre-prom king...

WOOOOOOOOOO....

sabhi ke tez shout ke beech new girl ko dekh joki apne bright aankhon se mujhe hi dekh rahi thi,guitar playing position me hold karte hue thoda aage badh gaya mai...

is waqt meri peeth thi new girl aur mere doston ki taraf...

NITS-gayi bhains paani me...saala har task jeetkar acha khasa naam banaya saale ne par ab sab kamaya chuk jaayega...

DRRNNNGGGGGGG

D ur E minor ko halke haathon se chheda maine jiske baad gaana shuru karne se pehle hi meri ungliyan guitar ke har string par khudko ferne lagi...

mere aisa karte hi ek behadh sukoon deh dhun nikli baahar jisse sun jahan ek taraf baaki sabhi whistle aur hooting karne lage wahin dusri taraf NITS aur mere baaki sabhi doston ki aankhein badi ho gayi...

par in shocking faces me new girl nahi thi...dekha aur suna nahi tha ab se pehle usne bhi meri guitar playing par bharosa tha usse ki i can play good...

par agle kuch palon me shock toh usse bhi lagna hi tha...

reason...

"thode bhare hain hum
thode se khaali hain
tum bhi ho uljhe se
hum bhi sawaali hain"

"kuch tum bhi kore ho
kuch hum bhi saare hain
ek aasmaan par hum
do chand aadhe hain"

"kam hai zameen bhi thodi
kam asmaan hai
lagta adhoora
tum bin har jahaan hai"

"apni har kami.. mein hum
ab tujhe hi paate hain
khud ko tere pass hi
chhod aate hain"...

mukhde se naa kar antre se shuru kiya tha maine aur un lines se kiya tha jo mujhe personally bohot pasand the...

aur meri awaaz sun is baar new girl ki aankhein bhi baakiyon ke saath badi ho gayi thi...

usne expect nahi kiya tha ki mai itna sahi bhi gaa sakta hun...

wahin guitar play kar antra pura karne ke beech uske paas pahunch chuka tha mai jiske baad apna ek haath badhaya maine uski taraf jisse thaam woh mere saath throne stage ki taraf chal padi...

DIMPLE-aur gaao naa...

bade halke awaaz me request ki thi usne mujhse jisse kaise mana kar sakta tha mai...

guitar par ek baar phirse ungliyan pherne ke beech...

"do raaz milte hain
humraaz bante hain
sannate aise hi..
awaaz bante hain"

"khamoshi mein teri
meri sadaayen hain
meri hatheli mein
teri duayein hain"

ab tum...

head attached mike pehna hua tha maine jisse utaar new girl ki taraf badha diya maine jisse smile ke saath le pehen liya usne aur...

"ek saath tera ho toh
sau manzile ho..
tanhai teri
meri mehfile hon"

"hum teri nigahon se
khud mein jhilmilate hain
khud ko tere paas hi
chhod aate hain"

"tujhse apni raaton ko
subah hum banate hain
khud ko tere paas hi
chhod aate hain"

bakamal awaaz..aisi awaaz jisne baaki sabke kaano ko sukoon diya tha par mere dil ko woh thandak pahuncha baitha tha jiske baad kisi aur chiz ki khwahish-e-talab hi nahi bachi thi mujhe...

stage me pahunch chuke the hum dono jiske baad ek baar phir mere badhe haath ko thaam mere saath stage par hamare throne ki taraf badh chale the hum dono...

ANSHUMALA MISS toh pehle hi ek badi si tray ke baaju me jisme king aur queen ka crown tha,uske paas khadi thi...

ANSHUMALA MISS-boys and girls, teacher and staff members,i give you your pre-prom KING & QUEEN....

pehle new girl ke sir par aur phir mere sir par crown pehnaya unhone jiske baad ye announcement ki unhone...

wahin ye sun saare students aur khaaskar mere friends jitni loudly aur fastly clapping kar rahe the,saaf tha ki woh sab hum dono ko aaj ke pre-prom king aur queen ke roop me dil se accept kar rahe the...

anyways, crowning ho chuki thi hamari jiske baad...

ANSHUMALA MISS-sit on your thrones...

MISS ko bolte hi hum dono hi apne apne thrones me baith chuke the jiske baad...

ANSHUMALA MISS-aap sabne dekha ki yahan is throne tak pahunchne ka safar aasan nahi tha...

teeno hi challenges kaafi tough the jisse over power kar ye dono yahan tak pahunche hain...

par jaise performances in dono ne diye,uspar sirf pre-prom king aur queen ka title hi kaafi nahi hai...

they deserve more...and that more is...

paas hi ek table tha jisme do gift boxes rakhe hue the...

unhe le hamare paas aayi MISS aur ek ek box hum dono ko pakadwa diya...

DIMPLE-what's in this MISS...!!!???

ANSHUMALA MISS-a well deserve prize to you two by our PRINCIPAL MA'AM...

PRINCI..ye sun bhave upar hui meri...

MAI-can i open it...!!!

ANSHUMALA MISS-sure,its yours...

MISS ki baat sun turant gift ka cover unwrap karne me lag chuka tha mai...

IPHONE X.....

yahi tha hum dono ka gift jisse dekh...

MAI-MISS,how can i accept it..???

ANSHUMALA MISS-kyunki ye koi gift nahi hai,its your hard earned prize...

is competition ko win kar you have earned this prize...ab earned chiz toh arguable nahi hoti, right...!!!

sahi khel gayi thi MAA...

haan MAA..ye pura challenge,iska course aur finally ye iphone naam ka prize, unhi ka plan tha ye jisse lena hi tha ab mujhe...

adjective jo sahi fit kar diya tha unhone...PRIZE joki earn ki thi maine...

ANSHUMALA MISS-ok then..abhi kuch der yahin apne thrones me baithenge aap dono...

dinner time hai isiliye baaki sab par toh buffet system applicable hoga but you king and queen,you are royalty tonight isiliye,all foods and beverages will be served to you here only...

ok,so enjoy your royalties my highness...

mazak me ek baar hum dono ke aage bend hone ke baad haste hue MISS stage se neeche utar gayi...

DIMPLE-agar iphone pasand nahi hai toh wapas kar do PRINCI ko..but i think you should keep it..

MISS ne sahi hi kaha hai,afterall ye gift nahi prize hai which you have earned...

MAI-we have earned my queen... aur haan,rakh raha hun mai isse...

DIMPLE-really...!!!wow..toh apna number sabse pehle tum mujhe hi doge...

MAI-lets do one better...agar free ho kal toh chalen number register karne...

meri baat sun jo khushi new girl ke face par aayi,bin jawab diye sab keh diya tha us smile ne mujhe...

DIMPLE-thanks,apna promise rakhne ke liye...

MAI-mujhse kuch bhi chahiye agar tumhe toh promise mat maanga karo...bas keh diya karo, promise se kam asar nahi hoga us sidhi baat ka...

DIMPLE-matlab mai jo bhi maangungi,tum doge...!!!

MAI-meri hadh ki jadh me raha toh zaroor...

meri baat sun kuch kehne ko hui new girl par labh uske bas tharthara kar reh gaye...

keh nahi paayi woh aur acha hi hua... kyunki pehle hi aaj ki raat itna kuch ho chuka tha jiske baad shayad mera dil aur zyada seh nahi paata...

labh bhale hi sharma gaye the uske par new girl ki aankhein badi besharmi se meri aankhon me jhaank rahi thi aur us besharmi me uska saath meri aankhein bhi dene lagi thi...

kuch keh nahi rahe the hum dono par bina kahe hi baatein lagatar kar raha tha mera dil uske dil se..

keh raha tha ki...

gehre samandar paar kar ishq ke do katre paani me hum khudko DUBO GAYE HAIN...

zamaana goom ho gaya hai ya phir hum zamaane me kahin KHO GAYE HAIN...

naa mohhobate-iqrar hua hai naa izhar,phir bhi...

khudko khudke wajood se alvida dila hum puri tarah tere,sirf tere HO GAYE HAIN...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...

Fantastic update
 
Rajesh

Well-Known Member
3,491
7,938
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA APNI INDIRECT BAATON SE PEHLE SANVY AUR PHIR DIMPLE KO PRE-PROM ME JAANE KE LIYE MANA LETI HAI WAHIN DUSRI TARAF PRE-PROM KA FIRST CHALLENGE PURA HO CHUKA HAI JISME SANVY AUR DIMPLE SABHI PARTICIPANTS SE BEHTER PERFORM KARTE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-66

DATE-30TH SEPTEMBER

CITY-DEHRADUN

PLACE-INDOOR STADIUM

PRE-PROM

THE NIGHT CONTINOUS

ALRIGHT.. ALRIGHT...CALM DOWN STUDENTS....

lagataar hooting se gunj raha pura stadium MISS ki awaaz se kuch shaant ho gaya tha...

first round ke pure hone ke baad baari aayi thi un 10 boys aur 10 girls ke naam announce karne ki jinhone khudko second challenge ke liye qualify kar liya tha..

ab tak 8 boys aur itne hi qualified girls ke naam bata chuki thi MISS aur har naam ke baad us selected student ka group shout kar raha tha...

last do naam second position waale participants ke the which were none other than ANJALI aur and SAMEER...

kuch waqt pehle tak school ke sabse happening couple reh chuke the dono...

aur aaj ek saath second position me aane ki wajah se dono ke liye hooting bhi kaafi zor se hui thi...

anyways,mike par MISS ki awaaz ne us shor ko shaant kar diya tha jiske baad...

MISS-and now,name of the two students jinka first challenge me performance sabse acha raha hai....

girls me it's DIMPLE BATRA & for the boys...well,well,well...look who we have in the first place...

SANVEER AHARYA....

HOOOOOOOO.......

naa kisi academic event me kabhi pehle hissa liya tha maine aur naahi kisi aur curricular activity me sharik hua tha mai..

par phir bhi jab MISS ne NEW GIRL ke baad mera naam liya toh aise gunj utha pura stadium maano unke favourite celeb ka naam pukara gaya ho...

shayad is saal ittafaq se hi sahi par mera CRICKET khelna,usme meri performance aur phir DEHRADUN ke dusre top schools ke naami bachon ke saath hui meri ladhayi aur un sabme baitha mera dar joki kisi aag jaisi news ki tarah hamare school me bhi faila tha,meri credibility ko badha diya tha usne...

anyways, us zordaar hooting ke beech ek dusre ko pal bhar ke liye dekhne ke baad mai aur new girl bhi baaki selected students ke line ki taraf badh chale the...

EKPREET,NITS,RAJAT aur ab mai...

first challenge ke 10 qualified boys students me se 4 toh hamare hi group se the...

wahin B section se bhi ROHAN ke saath saath NEERAJ aur ALOK bhi second challenge ke liye qualify kar gaye the...

sirf ek hi class ke dono sections se total 7 students select hue the joki choti baat kahin se bhi nahi thi..

aaj se pehle kisi pre-prom night me aisa nahi hua tha...

waise is record me girls bhi piche nahi the...NEW GIRL ke saath saath ANJALI aur RASHI bhi the jinhone second challenge ke liye qualify kiya hua tha...

wahin B section se bhi do girls ne ye kaarnama kar dikhaya tha...

anyways, hum selected 10 boys aur girls chhatkar alag khade ho chuke the aur aisa hote hi...

ANSHUMALA MISS-so now,we all move to our second challenge jiska naam hai....

SHERLOCK...

second challenge ka naam sunkar chownke toh sabhi the..

kya tha ye SHERLOCK,kisi ko pata toh nahi tha par jo bhi hoga,mind related hi hoga,iska andaza tha sabhi ko...

wahin students ke faces par aayi confusion waale bhaav chuppe nahi thi MISS se...

ANSHUMALA MISS-abhi se confuse ho gaye.. save it guyz kyunki jab challenge elaborate karungi toh is expression ka daayra aur badhega...

so SHERLOCK...naam sunkar is naam se jude kirdaar ke baare me and most importantly, uski main qualities toh dimag me ghum hi gayi hogi aapki...

unhi qualities me se ek hi challenge hai aap sabka...

any prediction.... what it's gonna be...!!!

DIMPLE-PREDICTION...

ANSHUMALA MISS-wow... aap toh beta pehle hi challenge mode me aa gaye ho...

that is correct...

prediction.....SHERLOCK HOLMES ka sabse bada hathiyar...

kehte hain ki kisi ko bhi dekh bhar ke uski life ke sabse important aspects,uske secrets jo usne kisi se bhi share nahi kiye honge kabhi, woh 1 minute ke andar hi bata dete the...

and his prediction used to be 99 percent bang on...

aisa hi kuch aap sabko aaj ek dusre ke saath karna hai...

ek bowl me hum aap sabke names ki chits daalenge aur phir mai ek baar me 2 chits nikaalungi...

jo bhi do naam un chits me honge,woh dono participants ek dusre ke saamne aayenge and one by one,they will predict stuffs about the other one...

kul paanch statements dene hain har participants ko saamne waale par..ye statements ya phir ye kahun ki predictions kuch bhi ho sakte hain bas obvious baaten nahi joki saamne waale ne pehle se share ki ho...

ye prediction statements aap sabko current aur just recent past ki hi karni hai,not about something very old...

un 5 statements me se jin 8 participants ke,as in 4 boys aur itne hi girls k sabse zyada correct prediction honge,they will march into the next and final challenge of tonight...

so ready....

OHHHHHH.....

the challenge was tough...dekha jaaye toh opponent par tukka sa lagana saamne waale ko joki sahi hi ho,ye asaan nahi tha...

isiliye 20 participants toh shaant hi rahe the par audience jinka daayra ab first challenge ke baad kaafu badh chuka tha,they all became very excited...

unhi sabke excitement bhari awaaz se gunj utha tha pura stadium...

anyways,yahan students shor machane me busy the aur wahan MISS ke saath khade volunteering kar rahe teachers ne sabhi participants ke naam chit me likhkar bowl me daal bhi diya tha..

aisa hote hi us bowl ko lekar MISS centre par rakhe gaye ek 4 feet unche stool ke paas pahunchi aur us bowl ko uspar rakh diya...

bowl rakh ek ek kar do chits nikaale unhone aur...

ANSHUMALA MISS-and the first two participants are NITENDRA and NEERAJ...

ROHAN-go for it NEERAJ... prediction bhale hi GALATH ho par saale ka insult karne ka isse better mouka nahi milega tujhe...

jo chaahe bol gaandu ko,aaj toh SANVY bhi kuch kar nahi paayega...

NEERAJ-mutual feelings bro...maine bhi yahi socha hua hai...

ALOK-par brake ka dhyan bhi rakhiyo be..kuch bhi bol sakta hai,ye soch kar line cross na kar diyo warna saamne ANSHUMALA MISS hain,yaad rakhiyo...

jitni cute personality hai unki,dimag utna hi garam bhi hai...

kuch zyada GALATH bol diya toh sabke saamne pel dengi tereko...

NEERAJ-jaise pichle saal tujhe pela tha...pata hai hai be mujhe kya aur kitna bolna hai...

NITS-bhai,agle pre-prom me entry maarega ke...

NITS jiska naam anounce hote hi bharpoor taaliyan baji thi,woh pehle hi stool aur bowl ke ek taraf khada ho chuka th...

wahin uski baat par NEERAJ usse ghurta hua uski taraf chal pada...

agle kuch seconds me NEERAJ aur NITS bowl aur stool de divide hote hue ek dusre ke saamne khade the...

wahin ANSHUMALA MISS pehle hi dono ke centre me khadi thi...

ANSHUMALA MISS-all the best guyz...so,who will predict first...???

NITS-tu bol le bhai...

NITS ki baat sun ek evil smile naach uthi thi NEERAJ ke face par...

NEERAJ man me-saale, aisi insult karunga aaj mai teri ki predict chhod,apni baari me mooh kholne ke liye zubaan bhi ladhkhadayegi teri...

ANSHUMALA MISS-ok then NEERAJ...you can go first...

ANSHUMALA MISS ki baat puri hote hi apne smile ko carry karte hue NITS ke ird gird dheemi chaal ke saath gol ghuma NEERAJ..

is beech NITS ke over jacket ko peep sa kiya tha usne..

anyways,peep karne ke baad phir apni position me wapas aakar khada ho gaya NEERAJ...

NEERAJ-ARROW SELF DESIGN SINGLE BREASTED TUXEDO...

nice choice buddy... bilkul apni personality ko suit karne waala tuxedo kharida hai tune...

cheap...

par isme teri bhi kya galti...!!!! jitni aukaad hogi, utni ki hi toh dress dilwa sakenge na parents...

khair,chehre par tere make-up bhi kiya hua hai tune...!!!gazab...par salon ya parlour touch toh nahi lag raha tere thobde par...

fair and lovely, handsome ya aisi hi koi local cream se khud ko touch up diya hai tune..

again,teri kya galti... jitna bas me hoga,utne budget ka hi toh makeup karega na tu...

honda city me aaya hai tu....aur bhi kayi jagah ussi car me spot kiya hai maine tujhe...

par i can bet ki woh car teri personal nahi hai...papa ki hogi jo unhone down payment dekar kharidi hogi...

really,i mean seriously...13,14 lakh ki car bhala kaun kishton me kharidata hai...

anyways maine dekha ki yahan indoor stadium me aate hi girls ko check out karna shuru kar diya tha tune...

prediction toh mai jaanta hi ki ye sahin hi hai but saath me ek advice bhi leta jaa...

try mat kar... tere wallet ki hadh se bahar hai yahan par moujud har ladki...

lastly,ye dekh, mere wallet ko aur uski condition...ye hai arista vault wallet...price 10 thousand rupees...

aur iske andar,ye dekh...amex gold charge card hai ye...limit 2 lakh ki hai iski...

isse chhod kuch chilhar bhi hai kere paas..wait,i will count..oh,10 thousand,only...aaj thoda cash kam ho gaya hai..

yaar,thoda bohot cash udhaar de naa..zyada nahi, 10 thousand extra will do...

par mujhe nahi lagta ki 10 kya,5 bhi honge tere paas...

NEERAJ ki baat sun kuch kaha nahi NITS ne aur ye dekh...

NEERAJ-kya hua...???sach bola kya maine...!!!i thought so....

dekhen toh,kitna hai..

turant NITS ke paas pahunch uske tuxedo ke right taraf haath daal wahan rakha purse ek jhatke me nikaal liya NEERAJ ne...

uski ye harkat bilkul pasand nahi aayi thi MISS ko par challenge continuity me tha isiliye shaant hi rahi woh..

NEERAJ-woooo..ye kya brand hai bhai...al fascino....kya baat hai.. Spanish,haan...

wow,but ek second..ye kaisa spanish brand hai jisne apna mark GALATH taraf likha hai...

oh teri, duplicate maal hai be ye toh...chagan laal accessories shop se toh nahi liya isse tune..

lag toh wahin ka raha hai... anyways,apne ko kya.. apne ko toh cash se matlab hai...

ye bol purse open kiya usne aur aisa karte hi...

NEERAJ-ye kya...!!! sirf do hazar.. seriously...abbe itna toh din ka kharcha hai mera... woh bhi tab jab adjust karke chalta hun mai...

anyways,baaki predictions ki tarah ye panchwi aur last prediction bhi sach hi hui meri...

right ma'am...!!!!

WOOOOO.... THAT' WAS ALL BELOW THE BELT DUDE....

NEERAJ ke remark ko sun jahan ek taraf NITS shaant hi raha,dusri taraf the students ya phir ye kahun ki ROHAN and friends jinhone NEERAJ ki har baat ya phir ye kahun ki insult par hooting ki thi...

wahin teesri taraf thi ANSHUMALA MISS jo ab tak kisi tarah shaant khadi thi par NEERAJ ke aakhri remark ko sun khudse control chhut gaya unka...

ANSHUMALA MISS-you are so wrong NEERAJ..sirf prediction karne ke maamle me hi nahi balki as a person,bohot GALATH ho tum..

you are disqualified...

NEERAJ-but why MISS...???prediction dene ka challenge tha aur wahi toh kar raha tha mai...

ANSHUMALA MISS-nopes..tum NITENDRA ko neecha dikhane ki koshish kar rahe the..par trust me,jo bhi log yahan proper mind aur heart carry karte hain,unhe tumhare remarks se fark nahi padega aur jinhe bhi tumhari baatein sunkar maza aaya hai,unpar aur unhe mili parwarish par taras aata hai mujhe...

ab isse pehle ki i throw you out of this stadium,apni jagah par jaakar khade ho jaao...

MISS ki baat se jaise koi fark pada hi nahi NEERAJ ko..jo mission tha uska,to humiliate NITS, woh jo pura ho chuka tha..

sir jhuka ek halki smile carry karte hue woh apni jagah par jaane ke liye palta hi tha ki tabhi...

NITS-ek minute bhai..kahan chale...???MISS ye bhale hi disqualify ho gaya hai par meri baari toh abhi baaki hai...

i also wanna predict....

ANSHUMALA MISS-sure..ho ahead...

GO FOR IT, BROTHER...AND DONT HESITATE... THODA BHI NAHI....

MISS bhi jaanti thi ki NITS yunhi toh chhodega nahi NEERAJ ko isiliye turant NITS ki baat maan gayi woh..

wahin MISS ke approval ko sun maine ek dahad si maari thi..aur us awaaz ka impact aur meri aankhon me dikh rahi intensity kuch aisi thi jisse dekh NEERAJ aur usse thode door khade uske group members halke dar se gaye the...

ANSHUMALA MISS-yes NITENDRA...i agree with SANVEER...don't hesitate...

ek hari jhandi si de di thi MISS ne NITS ko jisse sun bright smile se khil utha tha uska face..

haathon ko aapas me rub kiya usne aur theek NEERAJ ki tarah uske ird gird ek chakkar lagaya usne jiske baad...

NITS-hmm...

designer GAURAV GUPTA'S black metalic orbit tuxedo...kya baat hai bhai.. national level jiske clothe lines bollywood me bhi pehni jaati hai,usse pehna hua hai tune...!!! right...!!!

NEERAJ-ofcourse..a suit you can never afford...

bade garv se apne tuxedo ko pull off kiya tha NEERAJ ne jiske baad...

NITS-ye toh hai..waise tere dress ke baare me bohot se students baat kar rahe hain..

mai bhi karta agar ye.....original hoti...

NITS ke pause lene ke baad boli baat ko sun hadbada sa gaya tha NEERAJ...

NEERAJ-what do you mean,agar ye original hoti...!!!ye original hi hai...and by the way, tujhe designer suits ke baare me kya pata...???

NITS-zyada nahi,par itna zaroor maalum hai ki har designer ka sirf initial hi uske designed dress par nahi hota balki us initial mark ki position bhi accurate aur fixed hoti hai..

jaise ki GAURAV GUPTA ka originally designed dress...G.G naam ka uska initial dress ke color crack me exact centre point par hota hai...

par tere dress me ye initials color me toh hai par halka sa neeche...

that's why,it cannot be the original...

G.G ka woh signature behadh chota hota tha aur kyunki woh likha chota sa signature color me jispar nazar aam taur par padni hi nahi hai kisiki, isiliye hi NEERAJ ne woh dress kharida tha...

par uski soch GALATH saabit hui thi...

NITS-aur haan, wakayi sasti tuxedo pehni hai maine par hai ye original...middle class hun mai par teri tarah wanna be aur fake show off nahi karta...

jahan ek taraf NITS ki baat ko sun pure stadium me gossip shuru ho chuki thi wahin dusri taraf NITS ne SANVY ko ek wink kiya...

aakhir SANVY ka hi toh observation tha ye...ye aur aage jo bhi batane waala tha NITS,woh sab...

waise NITS ke wink ko DIMPLE ne dekh liya tha jispar sir shake karte hue smile karne lag gayi thi woh...

NITS-waise bhai, agar pet zyada kharab hai toh esaf ghol manga deta hun...

yahan D.J ke awaaz ke beech kahin teri gas leak ho gayi toh sound malfunction na jo jaaye...

HAHAHAHA....

jahan NITS ke is second prediction ko sun students aur unke saath ANSHUMALA MISS bhi hasne lag gayi thi wahin NEERAJ ka eye sharm se jhukne laga tha...

NEERAJ-how did you know...???

MAI-abbe jab se aaya hai, khaane ke har counter ko dekh bhikari waali shakal bana raha hai tu...

ab tere jaise mota genda jisse haram ka khaane me maza aata ho,fokat ka khaane me mooh bana raha ho toh kaaran pet ki gadbadi hi hogi naa...

HAHAHAHA....

NITS ke remark ko sun ek baar phirse pura stadium hasi se gunj utha tha...

NITS-waise ek baat hai... tuxedo bhale hi first copy pehni hai tune par kamsekam hai toh ye teri hi..

unlike your shoes jinhe maang kar pehna hai tune...

NEERAJ-what nonsense...!!!

NITS-nonsense..really...!!!!tere pair ka size 9 hai par jo joote pehne hue hain tune,unka size 10 hai...

dono taraf front me chota sa kapda daal size adjust kiya hai tune...

aur itni magaj maari sirf isiliye kyunki they are JIMMY CHOO...

fake show off karne ke liye extra accessory...

waise mai ye bhi bata sakta hun ki ye joote tere baap ke nahi hain...

reason... height...tere dad ki height hai 5,7...ab itne height waale ka foot size 10 toh hone se raha...

ye tere bade bhai ke shoes hain..aur jitna licchad insaan tera bada bhai hai,us hisaab se toh is shoe ke liye tune literally bheek maangi hogi uske aage..

ab batao..itna rahees hone ka kaa faayda hua jab paise hokar bhi bheek maangni padh rahi ho...

but it even makes sense...import export me hain naa dad tere...

do numbri aur government se thag kar chori kiye hue paise kamaoge phir hazam toh hone se raha...

NEERAJ-hey watch out.....!!!!

NITS-and why so...!!!tu mere baap ke middle class hone ka mazak udaayega aur mai nahi...

that's not fare buddy...

waise,ek baat aur bataun...haan,mera baap middle class hai...din raat chakki chala chala kar mera ghar bhi chalata hai aur mujhe SIRIUS jaise respectable institution me padhata bhi hai..

in sabke baad savings itni bachti hi nahi ki HONDA CITY cash me kharide woh...

but you know,what...!!!i am proud of my dad...!!!for the person he is..

aur khaas kar isiliye kyunki mere ghar me jo bhi kama kar laate hain woh, it's white...mere baap ki imandari aur khhudari waale pasine ki mehek aati hai mere pure ghar se...

WOOHHH...PHEWWWEWW....NAILED IT BRO....

whistle, clapping aur hooting se gunj utha tha pura stadium jisse sun NEERAJ aur door khade uske supporters ka face ab pura hi jhuk chuka tha...

ANSHUMALA MISS-NITENDRA BHATNAGAR...

NITS-yes MISS...

ANSHUMALA MISS-proud of you...

NITS-thanks miss...

ANSHUMALA MISS-alright then...toh ye second challenge wakayi ek unexpected way me shuru hua hai..

jahan ek taraf pehla participant as in NEERAJ disqualify ho chuka hai wahin NITENDRA has passed with full marks...

5 me 5 bang on prediction kiya hai isne that means you my boy have qualified for the final challenge...

NITS-thanks MISS...

khush hote hue tezi se hamari taraf badha NITS aur mujhe zor se gale laga liya usne...

NITS-thanks bhai...naa sirf challenge jeetwane ke liye balki baaki ki raat kisi humiliation ka centre point banane se bachane ke liye bhi...

dheere se mere kaan me fusfusaya tha NITS jispar haste hue uski peeth thapthapayi maine ...

ANSHUMALA-alright then...the next two participants are...

iske baad do random naam saamne aaye the jinka ek dusre ko lekar prediction bhi utna hi random tha...

waise ye silsila un dono par hi nahi thama ..unke baad aaye 6 aur jodiyon ka bhi haal kuch same hi tha including most of the selected members of our group..

ab hamare group se girls me bas ANJALI aur NEW GIRL bache the aur boys me bas mai aur SAM...

ANSHUMALA MISS-alright then...now we are down to aur last 4 contestent...

chaar me se pehli do parchi nikaalne ke beech apni baat kahi thi MISS ne...

ANSHUMALA MISS-wow...now this is gonna be interesting...

two buddies who will compete against each other...

so,the next two participants are SAMEER CHANDER and SANVEER AHARYA...

OHHHHHHHH...

MISS ke naam lete hi ab tak ke sabse bade hoot se gunj utha tha STADIUM..

par dekhne waali baat ye thi ki kisi bhi tarah ke competition me hamesha SAMEER ko back karti thi girls...

par aaj aisa nahi hua...GO SANVY ke loud shout out ke saath mera housla badhane me lag chuki thi stadium me moujud zyada tar girls...

anyways,kuch hi palon me hum dono hi MISS ke dono taraf khade ho chuke the...

ANSHUMALA MISS-so, who's gonna start...

SANVY, SAM....

maine SAM ka aur SAM ne mera naam le liya tha aur ye sun...

ANSHUMALA MISS-arre..koi ek hi toh round start karega naa...

SAM-i am going second...SANVY start karega...

MAI-start karega..!!!sounds like compulsion joki suit na hota bhai apne ko...mai nahi jaa raha first...

ANSHUMALA MISS-well in that case... let's start with a different prediction round...select,empty aur full...

apne dono mutthi ko band rakh haath cross kar hum dono ke saamne kar diye the MISS ne..

ek haath me unke sikka tha and the other one was empty..kisme sikka tha aur kaun sa khaali,hume sahi prediction dena tha...

MAI-right palm is full...

ANSHUMALA MISS-correct... SAMEER, you have to go first...

abhi SAM MISS ke haaw bhaav read karne ki koshish kar hi raha tha ki tabhi maine jawab de diya joki sahi tha...

kandhe jhuka ek lambi saans chhodne ke beech SAM pehle predict karne ke liye ready ho gaya...

SAM-bohot classy tuxedo pehna hai bhai tune par ye trendy nahi hai, semi vintage hai...i think it's your dad's...!!!

MAI-true...

SAM-kal tak pre-prom me aane ke liye tak ready nahi tha tu aur aaj naa sirf tu yahan hai balki for the very first time,you are competing in it...

aunty is one the main reason behind it,right...!!!

MAI-right...

SAM-issi statement ko next prediction me carry forward karte hue i would like to add ki tu yahan aayega,iska faisla bhi tune aaj hi ya phir zyada se zyada kal liya hoga...

MAI-true...

ANSHUMALA MISS-great going SAM...just two more to go...

SAM-mmmm...NITS...NITS abhi tak is round ke sabse aage hai..par iska reason woh khud nahi,tu hai...NEERAJ ke liye kya kya bolna hai,ye tune usse bataya tha...in a way,you didn't just save him but literally placed him in the top... right..!!!

MAI-half...mujhe maalum tha ki NEERAJ apne true character waala face yahan dikhayega..

aur agar woh waisa kare tab hi NITS uski negetive details share kare,aisa kaha tha maine...

waise zaroorat padhne par apne har friend ki madad karta hi hun mai..

aur ye baat tujhse behter kaun jaan sakta hai...tere thobde ke saath is champ waale tag ki haalat bigaadne se kitni baar bachayi hai maine...

warna ab tak train me viglang logon ke kote me tere naam ka registration bhi ho chuka hota...

HAHAHAHA....

jahan meri baat sun sabhi zor se has pade the wahin SAM ke face me ek pal ke liye sharmindagi dikhne lagi thi..

aisa kuch karne aur kehne ka irada nahi tha mera.. par jo SAM ne kaha,usne ek pal me hi NITS se uske performance ka credit chhin liya tha usse..

isiliye reality check diya tha maine SAM ko...

par is reality check ne aane waale kuch palon ke liye uski mati ka main door band kar diya tha...

SAM-bhai lag aaj tu bohot handsome raha hai..i mean yahan moujud lagbhag saari girls tujhe dekh rahi hain including one of the hottest girls of our school which also happens to be MY EX...ANJALI....

ya we have broke up par phir bhi,usne ek baar mujhe tak theek se dekha nahi but tere par glance uski baaki girls ki tarah hi rahi hai...

but you my friend, hamesha ki tarah aaj bhi lagbhag sabhi ko avoid sa kiya hai tune...

ab iske piche toh sirf do reasons hi ho sakte hain..

pehla toh ye ki koi hogi idhar jisse impress karne ke chakkar me baaki sabko avoid karta aaya hai tu or....

woh kya line tha us gaane ka...haan...

bas yahi apradh mai har baar karta hun... aadmi hun aadmi se pyar karta hun...

eye wink karte hue kahi thi ye baat SAM be jispar baaki sabka reaction toh general hi raha par NEERAJ and group jo NITS ke prediction se aur ye jaankar ki maine usse woh sab bolne ke liye bola tha,chide hue the mujhse,zor se has pade the woh sab...

SAM-it was just a prediction...no hard feelings bro...

MAI-none talen...waise jo sach hai, bhale hi woh negetive kyun na ho, accept kar le,asli mard woh hota hai...

ANSHUMALA MISS-ALRIGHT then...SANVY, your turn...

MAI-tabiyat sahi hai teri..dimag ki baat nahi kar raha,woh toh tere maamle me externally lailaaj hai,but internally you have a mild cold...

bhari aankhein jinhe tu sabse chhupa chuppa kar baar baar poch raha hai, nail colour jo apna natural whiteness 5 percent tak kho chuke hain, awaaz jo normal naa hokar halki kharkhari hai, first challenge ke second task par ghutno me ubhra pain, the proper term for your illness is rhinovirus...

waise you are on medication which includes either is
oxymetazoline or phenylephrine...

SAM-true...

ANSHUMALA MISS-not bad SANVEER...mujhe nahi pata tha ki you are so much into biology...

MAI-aisa nahi hai MISS...bas iske body symptoms par gour kiya tha maine...

curiosity ke liye i googled isiliye pata hai mujhe...

ANSHUMALA MISS-smart...

MAI-waise toh tu apne daily exercise schedule ke saath comprise kabhi nahi karta,par aaj skip kiya hai tune...

aur reason tera cold nahi balki ye night hai jisme apna best lagna chahta tha tu..

SAM-how do you know that..???

MAI-aaj se pehle bhi kayi random events me physical challenge ke liye participate kiya hai tune par unlike others, kyunki tu exercises me regular bhi hai aur khudpar hard bhi isiliye legs kabhi strech nahi kiye tune, unlike today...

SAM-true...

MAI-agle teen predictions ek dusre se jude hue hain...

firstly,you are very desperate to win today aur aisa tu apne sake ke liye nahi balki SIRIUS ke history me rahe sabse honhar student ke takkar ka banane ke liye karna chahta hai..MR JAIDEN CHOWDHARY...

secondly,unlike a true champion,tu dara hua hai.. bohot zyada dara hua hai...

kyunki shuru se hi you have been visualizing your defeat..

and finally,apne dar aur usse paida hue frustration ko kam karne ke liye baaki girls, ANJALI aur mere manhood par non succesful neech comment kiya tune...

and for your comment, baaki girls ka toh pata nahi par teri X ANI ne dekha tha tujhe..

par casually jaise kisi bhi random bande ko dekha jaata hai...

aur ye GALATH bhi nahi hai...random se zyada hai hi kya tu...!!!

simplicity ka choga pehne ek wanna be champion jo asal life ke kisi soul looser se zyada kuch bhi nahi....

apne prediction ka kota byaaj ke saath pura kar liya tha maine...

isiliye apni last line bol wapas apne place me jaane ke liye mooda hi tha mai ki phir rook SAM ke taraf ghoom...

MAI-these were all just predictions...no hard feelings bro....

jawabon par sawal ho toh man me dobara RAT LENA...

agla challenge samajh naa aaye toh ache bacche ki tarah chup chaap KAT LENA...

shuru tune kiya aur khatm maine....

jaise maine nahi liya, dil par apne tu bhi kuch MAT LENA...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Great update bro maza aa gaya
 
Bahut hi shandaar update hai bhai maza aa gaya
 
Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,757
17,807
189

Awesome updates
 
The king

Well-Known Member
4,239
15,467

Awesome update bhai waiting for next update
 
Top