AB TAK AAPNE PADHA KI SANVY AUR DIMPLE PRE-PROM KING AUR QUEEN BAN JAATE HAIN.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)
UPDATE-68
DATE-3RD OCTOBER
CITY-DEHRADUN
PLACE-SIRIUS
HEY ANJALI....YAHAN AKELE KYUN BAITHI HO...???ANY PROBLEM...!!!
final bell bajne ke baad jahan baaki sabhi students class se nikal chuke the,wahin ANJALI kisi gehri soch me apni seat par baithi hui thi...
wapas class me aa usse yun soch me gum dekh pucha tha ye sawal DIMPLE ne...
ANJALI-nothing yaar...woh driver uncle abhi pahunche nahi hain isiliye socha, yahi wait kar lun...
DIMPLE-and i thought we were friends...!!!
ANJALI-and we are..aise kyun bol rahi ho...???
DIMPLE-kyunki tum jhooth bol rahi ho..agar sirf driver ka wait karne waali baat hoti toh pura group tumhare wait me shaamil hota, khaaskar SANVY...
but tum yahan akeli baithi ho..so...
ANJALI-SANVY ki sangati ka asar kuch zyada hi nahi ho raha tumpar...
DIMPLE-ab bataogi bhi,yun akele baithkar kya soch rahi thi tum...!!!???
DIMPLE ki baat sun ek lambi saans chhodi ANJALI ne aur...
ANJALI-i was thinking about that pre-prom night...
DIMPLE-what about it...!!!
ANJALI-NITS...
DIMPLE-uska kya...???
halke smile ke saath pucha tha ye sawal DIMPLE ne jisse apni hi soch me gum ANJALI dekh nahi paayi...
ANJALI-us raat bhi hamesha ki tarah annoying hi tha woh par pata nahi kyun aisa laga mujhe ki there was something different about him...
DIMPLE-hoga bhi so how does that concern you...???
ANJALI-tum samajh nahi rahi..the difference i felt was that i felt for me...
kya,pata nahi par kayi jagah mujhe woh waisa NITS nahi laga jaise hamesha lagta hai...
WAKAYI NAHI PATA TUJHE KI JO PATA HAI,JISKA ANDAZA HAI, USSE KHUDSE KUBOOL NAHI KARNA CHAHTI...
ye mai tha...apni baat keh ANI aur new girl ke paas aakar khada ho gaya tha mai...
wahin meri baat ka jawab nahi diya ANI ne bas mujhe dekhne lagi thi woh...
MAI-what...???
ANJALI-mujhe task kaise karne hain,ye khud na bata NITS ke through message ki tarah pahunchaya tune...
final task me mujhe partner banaye,i am sure NITS ko ye idea bhi tune hi diya tha...kyun...???
MAI-as i said,jawab tujhe pata hai...waise bhi saare 2+2 jod liye hain tune phir conclusion part likhne me jhijhak kyun rahi hai...???
ANJALI-kaisa conclusion...???mai...
MAI-tu nahi NITS...he is into you...he likes you or should i say loves you...
meri baat sun kuch palon ke liye jaise blank ho gayi thi ANI par phir us blank face par ghussa dikhne laga tha..
par kuch kaha nahi usne...bas ghoor kar dekha mujhe kuch palon ke liye aur phir palath kar jaane lagi par kalayi uski turant pakad li maine...
ANJALI-leave me SAN...
MAI-nopes...
ANJALI-damn it SAN leave me...samajhta kya hai tu khudko...infact mujhe...
pehle SAM aur ab NITS...am i an object to you that should pass from one person to another...!!!
MAI-SAM ke time mai GALATH tha ANI aur ye baat mai pehle bhi admit kar chuka hun...
i thought ki school ka sabse popular ladka hi deserve karta hai tujhe, that's why i brought you two close...
par tab bhi,i didn't hand you over to him...maine bas mouke create kiye the tum dono ke paas aane ke liye jisse tum dono ne hi openly accept kiya tha..
phir bhi,mai jaanta hun ki mere us trigger ko meri khwahish samajh tune us relationship ko accept kiya tha aur isiliye kaha maine ki mai GALATH tha...
ANJALI-aur ab...!!! aren't you repeating the same thing..kya ab GALATH nahi hai tu...???
MAI-nahi...is baar naa mai koi match making karne waala hun aur naahi tujhe aur NITS ko close laane ke liye koi planning karne waala hun...
nopes... pre-prom ki night ke agle din se hi tu NITS ke us raat dikhaye naye roop ke baare me soch rahi hai..
maine bas us soch ka sach tujhe bataya hai...
ANJALI-sach...!!!ki NITS is into me... that's the most bulshit statement i have ever heard...
har hot ladki ko taadna jis ladke ke liye job jaise ho, tu keh raha hai ki woh mujhe pasand,oh sorry, as per your exact words goes,pyar karta hai mujhe...!!!ye bakwas nahi hai toh woh kya hai phir...!!!!
MAI-tune usse ladkiyon ko taadte hue dekha hai,par uske waisa karne ke baad maine usse tera reaction tatolte dekha hai...
aur tere normal i dont give a damn reaction ko dekh har baar uske face ko murjhaate dekha hai...
bachpan se lekar aaj tak jitni baar bhi kisi bhi reason se chot lagi hai tujhe,ghuma phirakar usse maine mujhse tere baare me puchte dekha hai...
jitni baar bhi bukhaar ki wajah se absent rahi hai tu,tujhe pata hai NITS bhi nahi aaya hai school un saare dino me...
ghar kabhi nahi ghusa woh tere par school se loutne ke baad maine usse tere ghar ke piche waale neem ke pedh ke piche khade hue dekha hai...
lagataar dekha hai...jis din SAM se breakup hua tha tera, khush hona chahiye tha usse...
par tere aansuon ko dekh akele me chupchap baith maine usse bhi rote hue dekha hai...
aur ye saari baatein mai tujhe isiliye nahi bata raha taaki NITS ke pyar ki intehaan dekh mai ye chahta hun ki tu bhi uske liye feel karna shuru kar de..
nopes...aisa karke bhi koi faayda nahi...kyunki itna pyar karne ke baad bhi agar aaj tak us ladke ne tujhe us pyar ka ehsaas tak nahi hone diya hai toh iska sirf ek hi matlab hai...
tu uske liye us chand ki tarah hai jisse usse bas dekhne ki khwahish hai...haasil karne ki talab nahi...
woh naa tere kareeb aayega naahi kabhi kuch aisa karega jisse tu uske kareeb jaane ki koshish kare...
maine bas tere us sawal ka jawab diya hai jo pucha tere ehsaas ne tere dil se tha par jawab dhundh tera dimag raha tha...
aur dil ke sawal ka jawab dimag ke paas kabhi nahi hota... isiliye bas wahi jawab diya hai maine tujhe...
tu chill kar...ek atka sawal tha jiska jawab mil gaya hai,bas yahi maan ke chal...
kyunki isse zyada naa kuch hai aur naahi filhal ho sakta hai...
apni baat bol class de nikalne ke liye badh gaya mai par phir door ke paas pahunch rook wapas palta mai aur...
MAI-mai teri match making kar sakta hun,NITS ki matchmaking kar sakta hun par tum dono ki aapas me matchmaking kabhi nahi kar sakta...
kyunki ek taraf paak saaf dosti hai aur dusri taraf paak saaf mohobbat...
dono hi dil ke banaye rishte hain par beech me do alag alag ehsaason ke diwaar moujud hai jisse koi match maker kabhi tod nahi sakta...
ghar jinke,diwaar unke jisse banaye bhi unhone hai aur agar kabhi todna ho toh todenge bhi sirf wahi...
abki baar class se nikal chuka tha mai jiske baad shunya ko ghurti hui ANJALI bhi class se nikal gayi...
reh gayi DIMPLE jo apne sir ko shake karte hue hum dono ke peeche peeche class se nikalne lagi par kadam uske class se nikalne ke baad rook gaye...
ek pal palath kar dekha usne par phir halki muskaan ke saath school exit way ke taraf badh gayi woh...
PLACE-SANEEL'S RESIDENCE
(FLASHBACK)
HELLO....SANEEL AHARYA THIS SIDE...
land line ki teesri ghanti bajte hi phone utha liya tha SANEEL ne jispar saamne se kuch bhi nahi kaha gaya...
SANEEL- hello...!!!hello...awaaz aa rahi hai...
VERONICA-kaun hai...???
abhi abhi naha kar nikli apne baal pochti apni beintehan khubsoorat biwi ko dekh SANEEL jaise apne haath me pakde phone ko jaise bhool hi gaya tha...
sirf shaadi shuda hi nahi the SANEEL aur VERONICA...
ek 5 saal ka ek beta bhi tha un dono ka par ab bhi har baar SANEEL apni biwi ko aise dekhta tha jaise koi premi apni nayi nayi premika ko dekhta tha...
waise baat sirf VERONICA ki khubsoorati ki nahi thi...
ye ishq ki hadh hi thi SANEEL ki jisse mehsoos kar shadi ke itne saalon baad bhi VERONICA sharm se dohri ho jaaya karti thi..
abhi bhi kuch aisa hi hua...!!!apne pati ki nazar me khudke liye taarif aur beshumar pyar ko mehsoos kar gaal sharm se laal ho gaye the VERONICA ke...
SANEEL-
"samajh nahi aata ki teri taarif mai tujhe kisse jod kar karun...???
khuda ne tere jaisa banaya bhi toh sirf tujhe hi hai..."
VERONICA-pagal...phone haath me hai...attend karo ya phir rakh do...
halke shararat aur jhuti narazgi ke beech muskurate hue apne room me chali gayi VERONICA...
wahin VERONICA ki baat sun ehsaas hua SANEEL ko ki ek unknown blank call ko ab bhi hold par rakha hua hai usne...
SANEEL-hello...
BRILLIANT MIND WITH A LOVABLE HEART...TOXIC COMBINATION SANEEL...
ek kharkharati yet saaf aur confident awaaz padi thi SANEEL ke kaano me jisse waise toh pehli baar suna tha usne par ek aisi authority thi us awaaz me jisse sun ek second ke liye restless ho gaya tha SANEEL ka dimag...
SANEEL-who's this...???
ABHI ABHI BRILLIANT MIND BOLA HAI MAINE TUMHE...MAI KAUN HO SAKTA HUN,I THINK YOU CAN FIGURE OUT YOURSELF...
SANEEL-G.O.D....!!!!!
dimag ke lagatar compress hone ke beech life me pehli baar unsurity jhalki thi SANEEL ki awaaz me joki laazmi bhi thi...
3 saal...3 saal se SANEEL AHARYA G.O.D naam ke mafia organization ke piche tha...
an organisation which was like a hell in the midst of heaven...
duniya ka sabse bada criminal syndicate jiska naam uske head ke naam par rakha gaya tha...
G.O.D.
ek aisa organization jiske kisi bhi operation ko rokna toh door,uski right time me info nikalna tak duniya ke kisi secret ya government organisation ke bas ki baat nahi rahi thi..
but SANEEL AHARYA...he was the first MAN jisne naa sirf is organization ke unique ways to commit unimaginable crime ko beforehand theorize kiya tha balki G.O.D ke kul 10 operations ko fail bhi kiya tha usne..
ek aisa feat jisse puri duniya me SANEEL AHARYA ke siwa koi aur nahi kar paaya tha...
par us achievement ke baad bhi the spear head of that syndicate G.O.D,SANEEL ke pahunch ke koson door tha...
indirect encounters hue the SANEEL ke G.O.D se but baaki sabki tarah uska ek glimpse bhi nahi dekha tha usne...
uske upar jitna reasearch kiya tha SANEEL ne G.O.D par,uske dimag ka kaayal tha woh...
one in a billion tha G.O.D jiske kisse, planning was out of this world...
he wanted to talk yo him, confront him par aisa kabhi ho nahi paaya tha...
par aaj,the guy jisse pakadna hi sole mission tha SANEEL AHARYA ke life ka,usne saamne se call kiya tha...
G.O.D-are you there my son...!!!
SANEEL-i am not your son...
G.O.D-everybody is the son of GOD...
SANEEL-self proclaimed GOD...
G.O.D-hahahahaha....true...but still i am G.O.D...aur jaisa ki hota hai,koi bhagwaan par vishwas rakhta hai,koi nahi..par phir bhi GOD GOD hi hota hai,mai bhi hun...
SANEEL-apna adress batane ke liye toh phone nahi kiya hoga tune...!!!
G.O.D-tune...!!!
stithpragyasya ka bhasha samadhistasya...
stithdiha kim prabhasheth kimasit vajreth kim!!!
ek prabudh vyakti ka swabhav...woh kaise chalta hai,kaise baiththa hai par sabse zaroori,woh kaise baat karta hai...
Bhagavad Geeta adhyay 2 shloka 54...
you have a lot of catching to do on general behaviour son...
SANEEL-samadhistasya ke baad keshav nahi lagaya tumne...
G.O.D-good...waise asar phir bhi ho gaya meri baaton ka...tune se tumne me pahunch gaye tum...
SANEEL-cut the crap and come to the point...why have you called???
G.O.D- hahahaha....i guess jis hotline ke through apne organization se mera number track karne ki koshish me be-sir pair waali baaton se call lambi kar rahe the tum,woh kaam nahi aaya...
the place keeps on bouncing...
SANEEL-as i said...!!!just cut the crap and come to the point...
G.O.D-tell me, what's the synonym of surprise...!!!!
SANEEL-matlab point me aana hi nahi hai tumhe...!!!
WHAT SURPRISE PAPA...!!!!
ye 5 saal ka chota sa SANVY tha jo baaju ke computer room me baitha dekstop me kuch kar raha tha..
par choti umar me hi grow kar liye apne bade se hearing ability ki wajah se line ke dusri taraf bole SURPRISE shabd ko sun excited hokar apne papa ke saamne dhamak pada tha SANVY...
G.O.D-well,well well...have i just heard the voice of the prodigal son...!!!
SANEEL-it's a work thing beta...aap jaao, play...
SANVY-i am not playing papa...mai ek photoshop software ki coding kar raha tha...
G.O.D-impressive...indeed he the prodigal son...i will love to meet him...
SANEEL-dont you dare...jao beta,do you coding..and give it..
SANVY-my best..i know papa...
wapas mood room se nikal gaya tha SANVY...
G.O.D-jawab nahi diya tumne... surprise ka synonym kya hai...???
and to be clear, every thing i say, ask or do, it's always to the point...
SANEEL-astound,amaze, stunned,startle....
G.O.D-nopes...in my dictionary,its nightmare,shock,ordeal, torment,curse...
par hain ye sirf synonyms... surprise sirf surprise hi reh sakta hai,par aisa hi ho,ye tumpar depend karta hai...
SANEEL-mujhpar...
G.O.D-ofcourse...aakhir maine ek surprise tumhare liye ready jo kiya hai...
SANEEL-not interested...
G.O.D-oh you have to be...and you will be...kyunki ye surprise mai tumhe saamne se dunga...
ab ye ek aisi baat kar di thi G.O.D ne jisse sun ek thrill sa paida hua tha SANEEL ki ragon me..jisse pichle 3 saal se dhund raha tha woh,jiski ek side angle jhalak bhi nahi dekhi thi usne,woh G.O.D aaj usse saamne se milne ka offee de raha tha...
but baat itni sidhi si toh ho nahi sakti.. samajhta tha SANEEL is baat ko isiliye...
SANEEL-and what's the catch...???
G.O.D-oh no catch...mai sidhe tumhara future batane waala hun tumhe...
i will meet you jahan mai tumhe ek surprise dikhaunga and than you will die...
SANEEL-oh toh tum mujhe maar doge...
G.O.D-hell no...usme na maza hai aur naahi koi challenge...aur ab tak itna toh andaza laga hi chuke hoge tum mere baare me,i dig challenges...
now coming to the point,mere kayi efficient logon ko dhul chatayi hai tumne... mentally hi nahi physically bhi which means tum dimag daar ke saath saath ek bahadur insaan ho...
aur ek bahadur insaan se suicide commit karwana, now that's what i call a challenge,and the real fun...
SANEEL-tum mujhe suicide karne par majboor karoge..!!!how,mere bache ya meri biwi ko kidnap karke...
aisa kabhi hoga nahi...
G.O.D-aisa nahi hai jo G.O.D nahi kar sakta par relax, VERONICA aur SANVEER ko kuch nahi karunga mai..
atleast tab tak toh nahi jab tak mere saath khelne ke liye VERONICA haan nahi kehti ya phir tumhara honhar beta us laayak nahi ho jaata...
tab tak ke liye,i promise,i will not harm them...
par tum mere bacche, mujhse milne ke baad suicide commit karoge...
bina tumhe chhue i will make you do it...
SANEEL-aur agar aisa nahi hua toh...???
G.O.D-then i will surrender...
ek jhanaka sa hua tha SANEEL ke dimag me..in 3 saalon me G.O.D ko lekar itna toh samajh chuka tha woh ki he never backs from his commitment and his word...
saath hi saath jaanta tha SANEEL ki G.O.D ne jo bhi patte apne aasthin me chhupaye honge,unhe beat karna asaan nahi hoga par G.O.D ko pakadne ka isse behtar mouka usse mil nahi sakta tha..
isiliye jabde halke sakht hote chale gaye SANEEL ke aur...
SANEEL-i accept...
FLASHBACK ENDS:-
NOOOOOOOOOOOOOO....
apne bed par chikhte hue utha tha SANVY....us paanch saal ke bacche ko jisse SANEEL ne wapas bhej diya tha, surprise word ko anjaane me hi sunane ke baad baaki ki conversation uske kaano ne deliberately sune the...
har ek word jo uske dad aur phone ke dusri taraf waale shaksh ke beech hui thi,uski photographic memory me us conversation ka har shabd baith sa chuka tha jo halka sa bhi erase nahi ho paaya tha...
haan,waqt aur apne will power ke dum par un baaton ko apne subconscious mind ki memory me chuppa sa diya tha usne par kabhi kabhi woh memory,woh yaad saare diwaron ko tod sapne ke through SANVY ki band aankhon ke aage aa hi jaate the jaisa ki aaj hua tha..
aur jab bhi kabhi aisa hota tha, SANVY used to get a panic attack jo abhi bhi ho raha tha...
mera pura sharir paseene se bheeg chuka tha aur lagatar lag rahe jhatko ke beech mai apne bistar se neeche gir gaya tha...
SANVY....
MAA thi ye jo mere room ka room joki bas half jolted hi tha,usse zor se push kar andar aayi aur agle hi pal mai unki baahon ke giraft me tha...
MAA-shhhhh....kuch nahi hua beta..kuch nahi hua...bas sapna tha... forget about it and just relax...
khud apne aasuon se bhige aankhon ko jhapkaati hui mere aansuon ko pochne ke beech dusre haath se mere sir ko sehlane lagi thi MAA...
aur unke waisa karne ka asar bohot jald hua...wapas neend ke aagosh me haa chuka tha mai aur ye dekh ek lambi thandi saans li unhone...
mujhe wapas apne bed me sula mere sir ke kareeb hi baith mere baalon ko sehlaane lagi thi woh par aisa karne ke beech unki aankhon ke aansu aur tez ho chuke the...
MAA-
socha nahi tha ki guzarte waqt ke saath badi ye AAFAT HOGI...
pata nahi aisa kab hoga jab tere dil-o-dimag me puri RAAHAT HOGI...
aaj tere saath hun mai par agar kal naa rahi toh...!!!
teri toh taklif badhegi par tere dushmano ke liye har pal QAYAMAT HOGI...
AAJ KE LIYE ITNA HI...
AAPKA APNA V...J...
[/QUOTE
Bhai apne kha tha Veronica ki maut us time hogi jb saneel ki maut ka secne
Ayega kya iska hi kuj connect hai Veronica b jane wali hai i mean Veronica me bad kya sanvy akela itna lmbha suffer kr payega i mean koi to ho jo uske sath ho jaise ki humne pda in future me dimple b use dhoka de rhi hai mtlb sanvy still akela kya pta or kon kon dhoka de rha h usko