• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Azagar Dada

Active Member
911
4,070
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DIMPLE ASHA MAA SE MILTI HAI WAHIN DUSRI TARAF ARCHANA BATRA KO SANVY RACE ME HARA DETA HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE -82

DATE-25TH DECEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE






WE WISH YOU A MERRY CHRISTMAS
WE WISH YOU A MERRY CHRISTMAS
WE WISH YOU A MERRY CHRISTMAS
AND A HAPPY NEW YEAR
GOOD TIDINGS WE BRING
TO YOU AND YOUR KIN
GOOD TIDINGS FOR CHRISTMAS
AND A HAPPY NEW YEAR
WE WISH YOU A MERRY CHRISTMAS
WE WISH YOU A MERRY CHRISTMAS
WE WISH YOU A MERRY CHRISTMAS

AND A HAPPY NEW YEAR
NOW BRING US A FIGGY PUDDING
NOW BRING US A FIGGY PUDDING
NOW BRING US A FIGGY PUDDING
AND BRING SOME OUT HERE....

WWOOOWOOOOOOO.....



red colour ki shoulder button long embellished dress jiske upar ek half cut snowy colour ki muffler type design bani hui thi,carry karte hue SANVY ke main door se joki aaj puri tarah khula hua tha,jab enter kar rahi thi DIMPLE tabhi andar se aa rahi loud Christmas hymn ki sound padi thi uske kaano me...

awaaz sunkar hi samajh gayi thi DIMPLE ki group ke baaki sab members usse pehle hi pahunch chuke hain...

par dhyan uska aadha hi in sabki taraf tha...baaki ka dhyan uska gallery me tange decorations par tika hua tha...

alag alag tarah ke beautiful flowers ke beech wreath bade salike se sajaye gaye the walls par...

(WREATH-flowers, leaves aur stems ko ek ring ki shakal dekar banaya jaata hai wreath...internal life jisse Christianity me bohot zyada mahatv diya jaata hai,uske symbol maane jaate hain ye wreath...)


DIMPLE-hey...


un decors ko dekh aage badh hi rahi thi DIMPLE ki tabhi uske aaju baaju se bohot se bacche jo ki har saal ki tarah aaj bhi christmas celebration ka part banane ke Liye Yahan moujud the,woh bhaagte hue Bahar nikle the...

sabhi ke mooh me candies bhari hui thi aur bohot si unki jebon me bhi chuppi thi...

shararat aur maasumiyat...ek saath ye dono hi bhaav dikh rahe the un bacchon ke face par jisse dekh smile apne aap naach uthi thi DIMPLE ke face par...

Khair, gallery cross karte hue hall me enter kar chuki thi NEW GIRL...


DIMPLE-hey guyzzzz......wowwwww....


SANVY aur VERONICA ko chhod baaki sabhi hall me hi moujud the jinhe dekh gesture diya hi tha DIMPLE ne ki tabhi usku nazar hall ke complete decorations par padi jisse dekh delightfully surprise ho chuki thi woh...

khud itni zyada rich hone ke kaaran bohot se high class christmas celebrations ka hissa reh chuki thi woh par aisa unique decorations style usne pehle kabhi nahi dekha tha...

kal raat hi toh thi woh yahan... decorations ke ma'am par bas lighting aur usual cristmas tree bas lage the pure Ghar par lekin ab mahoul naa sirf 100 times modified tha balki utna hi beautiful bhi tha...


"KAL JAB AAYEGI YAHAN,YOU WILL BE SURPRISED"...


kal raat jaate waqt DIMPLE ko ANJALI ke kahe ye shabd wakayi sach ho chuke the...

kaise,khud jaan lijiye...

sabse pehle toh floor jispar is waqt biche tiles puri tarah chhup chuki thi...

tiles ke upar tapes put kar non sticky carpet lage the aur aisa karne ka reason tha upar wall par laga ek pointed holes waala bada sa vent...

pichle 2 dino se issi vent ko babane me lagaye the SANVY ne aur aaj early morning hi isse upar wall par lagaya tha usne...

fake snow jisse thermacol ke mash se banaya gaya tha,usse vent ke upar rakha gaya tha jiske baarikh chhedon se woh mash dheere dheere neeche gir rahe the...

waise toh snow head machine ke istemal se bhi aisa mahoul create kiya jaa sakta tha par already itni zyada thand me snow fall karwana thik nahi tha...

khair,woh thermacol mash neeche girte hue bilkul snow rain ki feeling paida kar rahe the...

moving on, normally cristmas decorations me artificial aur kahin kahin natural show trees ka use kiya jaata hai...

saath hi saath twinkles, sparkles, balloons and most importantly,stars se sajaya jaata hai hall par yahan aisa nahi tha...

saare walls wreath ke saath saath bade bade green garlands se saje hue the...

haans,stars saje the kaafi jagah par uske baad koi bhi common cristmas decor nahi dikh raha tha DIMPLE ko...

un decors ki jagah chote chote green plants lagaye gaye the aur garlands se bhare pure hall ke beech unhi garlands se ek naya pedh banaya gaya tha...

white pine aur syprus ke saath dusre attractive trees ke branches ko samet us pedh ko banaya gaya tha joki us fake snow fall ke girne ki wajah se aur khubsoorat dikh raha tha...

waise us tree aur baaki plants ke beech ek aur chiz thi jo naa sirf common thi par saath hi saath DIMPLE ke liye surprising bhi thi...


MISTLETOE...(white berries se ghira ek chota sa plant joki khaaskar apple,lime aur conifer trees ke branches me ugta hai...dikhne me bohot hi beautiful aur isse cristmas me love ang laughter ka symbol bhi maana jaata hai)


un saare chote chote MISTLETOES ko dekhte hue apne group ki taraf badh rahi thi DIMPLE joki is waqt usse hi dekh rahe the...

reason...

DIMPLE ki khubsoorati jisse uske pehne hue red embellished dress ne is kadar badha diya tha ki nazaron ko toh uspar tikna hi tha...

chehre par halka sa bhi makeup nahi par sardi ki wajah se skin me banane waale kheenchav ne DIMPLE ke fakk gore chehre par ek behadh khubsoorat kudrati laali odha di thi jo usse kisi pari se kam haseen nahi bana rahi thi...

thandi nami joki hill station ki kadakdaar thand me common hoti hai,usne DIMPLE ki aankhon me ek aisi kashish jaga di thi ki jo bhi dekhe unme,bas doob hi jaaye...

aisa lag raha tha jaise cristmas ne khudko milne waali saari wishes DIMPLE ke roop aur rangat ko tohfe me de di thi...


DIMPLE-merry cristmas MAA...


ASHA MAA jinhe kal dopahar hi le aaya tha SANVY,sabhi ke beech ek arm chair par baithi hui thi...

sabse pehle unhi ke pair chhue the DIMPLE ne jispar uska maatha chumne ke baad usse apne gale se laga liya tha unhone...

hamesha khush raho beta...

gale lagne ke beech dua ke in chand shabdon ko apne dil me utarte hue feel kiya tha DIMPLE ne...

anyways,ASHA MAA se gale lagne ke baad baaki sabke saath bhi wish ka aadan pradan kiya DIMPLE ne par is beech nazar uski SANVY ko hi dhund rahi thi...


RASHI-room me hai apne woh...taiyar ho raha hai...waise ab toh tujhe SANVY ki dono hi mom's ne accept kar liya hai...

chaahe toh chali jaa uske room me...khudhi ready kar dena SANVY ko...


DIMPLE-chup...!!!kuch bhi bolti hai.....


chehre par pehle hi laali odhi hui thi DIMPLE ne...RASHI ki baat sun us laali par ek parath aur chhadh chuka tha...

RASHI ki baat sun uske side me khadi KHANAK bhi ghumi DIMPLE ki taraf aur...


KHANAK-sahi toh bol rahi hai...waise bhi,jitni hot lag rahi hai tu, SANVY ready hone se pehle ek baar dekh le toh uske according thoda extra ready ho jaayega...

DIMPLE-woh ready naa bhi ho naa tab bhi baakiyon se zyada hot lagta hai mujhe...

KHANAK-aaye haaye...taaruf hi taarif hai....sach kaha hai kisine... khubsoorati toh dekhne waale ki aankhon ki mohtaj hai...


DIMPLE-strange...


paas hi teen bacche santa ki dress me khade baj rahe cristmas hymns me halke halke jhoom rahe the par strange baat ye thi ki unhone usual red santa dress nahi pehni thi...

infact teeno hi bachon ne alag alag colour me santa dress pehni hui thi...

ek ne green, dusre ne purple aur teesre bache ne blue colour me santa dress pehni hui thi...

unhe hi dekhte hue strange kaha tha DIMPLE ne jisse baaki sabne bhi sun liya tha...


SAM-welcome to the real christmas celebration...decor se lekar jitni bhi christmas regarding chizen dekh rahi ho tum yahan,woh sab pure authentic hai...

waqt ke saath modified nahi...

DIMPLE-mai samjhi nahi...

ANJALI-i will tell you...so ye jo wreaths,garlands aur baaki sab decor jo dekh rahi ho tum, medivial times se christmas me originally yahi sab use kiya jaata tha...

Egyptians and romans aise hi christmas manaya karte the par reason me ek additional point tha...

spring solstice ke return ko bhi enjoy karte the woh log...unhi ke celebrations theme ko baaki duniya ne thoda modify karte hue apne christmas celebration me use karna shuru kiya...

par aunty shuru se hi christmas ke celebrations ke liye unhi original themes ko use karti aa rahi hai...

RAJAT-and now for the dresses of santas jinhe dekh strange kaha tha tumne...

actual me jabse santa claus ke gift dene waali pratha shuru hui thi,tabse hi unke initial clothing green,purple aur blue hi thi...

par baad me coca-cola company ne decide kiya ki woh santa ke clothes ki colouring apne brand ke match ke hisaab se karenge aur tabse red santa clothes ka chalan shuru hua...

par hain toh woh modified hi... real santa clothes are the one which these kids are wearing...

DIMPLE-wow...


apne roots par VERONICA ki knowledge aur uspar amal karne ki soch ko dekh aaj ek baar phirse shocked hui thi DIMPLE...

SAM-aunty is here...


three block red print,floral three fourth suit pehne apne room se bahar nikli thi VERONICA jinhe dekh ek baar phirse sabki nazar unpar theher si gayi...

safed damakta chehra jis par koi extra makeup nahi aur naahi koi alag se shringar...

bas kaano me patli par lambi baaliyan pehni thi unhone aur pairon me thode unche sandles jo inke unche kadh ko aur badha chuke the...

ek jeeti jaagti aisi gazal dikh rahi thi VERONICA is waqt jisse naa toh padhne ki kisi ke paas nazar thi aur naahi samajhne ki kala...

ek tak unhe dekh rahi sabhi nazaron ke beech ASHA MAA ke paas pahunch chuki thi VERONICA joki is waqt prashansaniya nazaron se apni is chotu behen aur uske bejod roop ko dekh rahi thi...

umr me kaafi badi thi ASHA MAA VERONICA se aur darja unhe apni badi behen ka hi diya tha VERONICA ne...

isiliye paas pahunchte hi ASHA MAA ke pair chhu liye the unhone jispar turant VERONICA ko utha unhe mooh aur dil,ek waqt me dono se hi dua dete hue apne gale se laga liya tha ASHA MAA ne...

par is beech aankhein halki bheeg gayi thi ASHA MAA ki jisse alag hone ke baad dekh...


VERONICA-arre...ye aansu kyun...???

ASHA MAA-tu jaisi hai naa VERONICA, bohot kam hain is duniya me...

haan jaanti hun kismat kisi ki sagi nahi par agar koi hai jisse kismat ko har sukh,har khushi hamesha ke liye dete rehna tha toh woh tu hai...

par tere khushi ka sabse bada shroth,SANEEL,usse hi chhin liya us kismat ne tujhse...

VERONICA-hamari kismat hum khud likhte hain didi...aur SANEEL bhale hi nahi hai par jaane se pehle meri khushi ka sabse bada shroth metri godh me dekar gaya tha woh...

mera beta jo ab aapka bhi utna hi hai...SANVY...


SANVY ka naam sun ASHA MAA ke face par ek badi si smile naach uthi thi...

wahin dusri taraf ASHA MAA ki baat ne mahoul thoda serious kar diya tha jisse light karne ke liye...


SAM-this is not fair aunty... hotness ka level itna badha diya hai aapne ki ab mai kisi ko date karun bhi toh kaise...???

aapke jitni beautiful toh koi milegi nahi aur aap se kam chalegi nahi...

yaa toh apni jaisi koi dhund kar do mujhe ya phir khud wapas chhoti ho jaao taaki date kar sakun mai aapko...


MAA TOH EK BAAR CHOTI HO BHI JAAYEGI BETA PAR TU ITNA BADA KABHI NAA HO PAAYEGA KI VERONICA PAUL AHARYA KO DATE KAR PAAYE...


SAM ki shararat bhare sawal ka jawab aaya mere room ke darwaze par jahan se mai ready hokar bahar aa raha tha...

face par ek bright smile liye jispar baaki sabke saath NEW GIRL ki bhi aankhein atak gayi thi,ASHA MAA ne jo t-shirt di thi mujhe,uske upar maroon rang ki jacket daali hui thi maine,khaaki trousers ke saath pointed black shoes daale hue the maine...


MAI-merry christmas MAA & MAA...


apni dono MAA ke beech pahunch pehle ASHA MAA ka aur phir apni MAA ke pair chhue the maine aur ye dekh dono hi bade khush ho gaye the...

ASHA MAA badi jo thi...


MAI-merry christmas...


haathon me meri ek gift thi jisse NEW GIRL ki taraf badha diya tha maine...

chota sa gift wrap tha ye jisse apni beintaha khubsoorat smile ke saath accept kar aur mehenga bana diya tha usne...


VERONICA-oh common...sharma kyun rahi ho beta...go on...give your guy a hug...

ishq bhaade ki chiz nahi hai,you own it...

SANVY sabke saamne bhi utna hi tumhara hai jitna akele me...

MAA ki baat sun pehle halka aur sharma gayi thi NEW GIRL par asar unki baat ka hua tha uspar...

ek second meri aankhon me dekhne ke baad aage badhi woh aur merr gale lag gayi...


DIMPLE-merry christmas...


apne saath jo gift wrap me laayi thi woh, alag hone ke baad mujhe pakda diya tha usne...


MAI-cake cut jaaye...uske baad kholna...

RASHI-true...hum sabko bhi hamare gifts mil chuke hain par kholne ki permission cake cutting ke baad ki mili hai...

mera diya gift wrap kholne lagi thi NEW GIRL par rok diya tha maine...


DIMPLE-cake cutting...why...???aaj toh na aunty ka birthday hai aur naa tumhara....MAA,aapka...???


ASHA MAA ko pucha tha ye sawal NEW GIRL ne jispar naa me sir hila diya unhone...


DIMPLE-phir cake cutting...kya ye bhi koi ancient christmas ritual hai...???

MAI-ancient ritual toh nahi par haan,do ancient logon se connected zaroor hai...

VERONICA-kya bola badmash...???

mera kaan modne aane lagi thi MAA jispar ASHA MAA ki taraf bhaag unke piche chhup gaya mai...

par is beech NEW GIRL ke face par confusion ke bhaav thoda aur badh gaye the jisse dekh...


ANJALI-arre actually aaj hi ke din SANEEL uncle ne MAA ko shadi ke liye propose kiya tha...

aur ek maze ki baat bataun...MAA ne jo dress abhi pehni hai naa,us din bhi issi pattern ki dress pehni hui thi inhone...

isiliye SANVY har saal MAA ke cristmas me pehenene ke liye same pattern ki dress dilata hai and he celebrates it with cutting a christmas cake...


NAISHA-ek aur interesting baat bataun...uncle ne aunty ko ek apple garden me propose kiya tha aur jis apple tree ke niche aunty ne unke proposal ko accept kiya tha, luckily it had a MISTLE TOE on it...

DIMPLE-the true symbol of love...

ANJALI-yup.... isiliye toh uncle aur MAA ki love story epic hai...

SAB-true that...

RASHI-and here comes the cake...


heart shaped 5 pound ka home made cake tha ye jisse tray me dhakelte hue RASHI aur KHANAK hall me laaye the...

WOOOOOHOOOO.....MERRY CHRISTMAS....DHAMMMMMM....


cake aate hi side me rakhi cake knife maine MAA ko pakda di jisse kaat pehla tukda ASHA MAA ko khilane ke baad dusra tukde ka aadha bhaag pehle mujhe aur ussike second part ko NEW GIRL ki taraf badha diya tha unhone jisse badi khushi se khaa liye usne...

is beech ladke aur yahan moujud bacche howling karte hue balloons fodne lage the...


ANJALI-MAA,christmas ke baare me aur unknown facts batao naa...!!!

apne hisse ka cake bite chabate hue MAA se ye sawal kiya tha ANI ne jisme shayad baaki sabki bhi dilchaspi thi...

nazar sabki MAA par jo theher gayi thi aakar...


DIMPLE-haan aunty...bataiye naa...

VERONICA-ok...cake khaa rahe hain toh issi ke baare me jaan lo pehle...

par pehle ye batao ki christmas ke ks cake ko kis naam se bulaya jaata hai...???

DIMPLE-plum cakes...

VERONICA-right,but kabhi socha hai kyun...???i mean isme plum jaisi koi chiz toh rehti hi nahi hai...

this cake is made if raisins...

MAA me sawal par NEW GIRL ke saath baaki sabne bhi apne apne kandhe uchka diye the...

VERONICA-medieval times me raisins ko hi plum kehte the...hence,plum cake...

but the most important thing...is christmas ke cake ko properly banane ka tarika paste ko east to west direction me steer karna karna hota hai...

aur woh isiliye kyunki the three wise men jo Jesus Christ ke janm ke waqt unse milne aaye the,unka safar east yo west direction ke tha...

unhike safar ke respect me cake ke paste ko east se west steer kiya jaata hai...

and same thing goes for the christmas eve...three wise men ke 12 days travel ki wajah se hi christmas eve bhi 12 din ka hota hai...

RASHI-thats really awesome...aisa bhi kuch hoga,pata hi nahi tha mujhe toh...

NITS-hume bol...

KHANAK-aur kuch bataiye na aunty...

VERONICA-ye jo christmas tree lagayi jaati hai,ye ritual bhi bohot baad me aaya tha... it's not the original theme...

NAISHA-really...!!!

VERONICA-yup...germany ke prince ALBERT...unhone apni wife ke liye joki us waqt queen thi england ki, queen Victoria,ek decorated tree gift ki thi...

1848 london me illustrated news naam ke paper me un dono ki ek picture jisme woh gifted tree bhi thi,chappi thi and that took off quite rapidly...

us din ke baad se hi christmas me tree ko sajane ka chalan shuru ho gaya tha jo ab bhi jaari hai...


NOW THAT'S SOME NEWS...!!!


VERONICA ke diye unique news ke baare me koi kuch bolta ki tabhi ubhri ye nayi awaaz jisse sun ANJALI ko chhod sabhi thode chownke the...

reason...


SAM/ANJALI-MOM...


ANJALI aur SAM...dono ki moms jo khadi thi gallery ke edge par...


ANJALI isiliye nahi kyunki usne hi apni mom ko yahan aakar SANVY aur uski mom ko cristmas wish karne ke liye force kiya tha...

waise toh manana nahi chahiye tha SHRAVYA ko par kuch waqt pehle SAATVIK CHOPRA ke account waale maamle me jo help ki thi VERONICA ne uski,ek debt me thi woh uske isiliye zyada aana kaani naa kar yahan kuch der ke liye aane ko maan gayi thi SHRAVYA...


SAM-mom,aap yahan...what a pleasent surprise...!!!

apni mom ko side kar unke saath lag kar hi khada ho chuka tha SAM...

wahin is beech kuch pal ke liye SHRAVYA aur SMRITI dono ki nazar VERONICA ki bejod personality par theher si gayi thi...

aurat waali jalan saaf jhalak uthi thi unke faces par jisse chhupa SAM ki taraf smile karte hue ghumi uski mom...


SMRITI-hume ek urgent meeting ke liye nikalna tha... SHRAVYA told ki usse yahan VERONICA ko wish karne aana hai...

ab mujhe pata tha ki tum bhi yahan the isiliye mai bhi chali aayi...


VERONICA-bohot acha kiya...merry christmas...

cakes se bhare do plates un dono ke aage kar diye the VERONICA ne jispar jhuti smile dete hue ek ek bite tod khaa liye SHRAVYA aur SMRITI ne...


VERONICA-arre...ye puri plate tum dono ko hi finish karni hai...

SMRITI-arre nahi...sweet kam hi khaati hun mai...

SHRAVYA-same here...

DIMPLE-wow...it's beautiful...


cake khaaya jaa chuka tha aur isiliye sabhi apne apne gift ko kholna start kar chuke the...

jab DIMPLE ne apna gift wrap khola toh uske andar tha ek box...

box open karte hi uski aankhon ke saamne ek bohot hi sundar bracelet aaya tha jispar capitals me uske initials likhe hue the...

DIMPLE...par jo chiz NEW GIRL ko sabse zyada pasand aayi thi,woh thi apne naam ke saath niche ki taraf nikal likha hua chote aksharon me dusra naam....

JHALLA...

wahin naam jisse NEW GIRL mujhe bulati thi..DIMPLE ki tarah JHALLA bhi exact 6 letter word tha aur isiliye perfect baitha tha...


MAI-arre waah...ye toh match ho gaya...


NEW GIRL ne bhi mujhe ek behadh khubsoorat bracelet hi diya tha jispar S.A as in SANVEER AHARYA naam se heart shaped banakar intial likha hua tha...

par usse bhi pyari chiz thi woh D(DIMPLE) jo us heart shaped S A ke beech likhi hui thi...


SHRAVYA-wow... that's a beautiful bracelet...

mere diye gaye bracelet ko apne haathon me pakad bade pyaar se dekh hi rahi thi NEW GIRL ki tabhi SHRAVYA aunty ki nazar padi hum par...

NEW GIRL ke haathon me jo shining bracelet tha,usse dekh hamari taraf badhi woh aur unki baat jisse unke baaju me khadi meri aur SAM ki mom ne bhi sun liya tha,woh bhi SHRAVYA aunty ke saath hamare paas aa chuke the...


SHRAVYA-it's gold...


halke surprise tone me kahi thi ye baat SHRAVYA ne joki laazmi bhi thi...

kareeb dhai tole ka gold bracelet tha woh bhi pure 24 caret ka...

SHRAVYA ki paarkhi nazaron ne us bracelet ka pura calculation kar liya tha...


SHRAVYA-kya baat hai beta...gift diya bhi toh DIMPLE ke standard ka...not bad...par beta, DIMPLE ka standard toh life time uncha hi rehne waala hai...

kya hamesha aise gifts de paaoge...!!!

taarif ke baad apne natural taunt karne waale roop ne aa chuki thi aunty...


JO KHUD DIAMOND HO,USSE GOLD DENE KI KYA ZAROORAT...!!!

SHRAVYA aunty ki baat par kuch kehta mai ki tabhi aayi unke piche se ye awaaz jisse sun jab piche palte sab toh aankhein sabhi ki badi ho chuki thi...


ARCHANA BATRA....NEW GIRL ki mom khadi thi wahan...

unhe dekh jahan ek taraf SHRAVYA aunty hadbadane ke baad nervous si jo gayi thi wahin dusri taraf SAM ki mom ghurne lagi thi unhe...

waise ek pal ke liye apne saamne ARCHANA BATRA ko dekh meri MAA bhi shocked hui thi par phir us shock ki jagah smile ne le liya tha...


ARCHANA-hey VERONICA...

VERONICA -hey ARCHANA...

ARCHANA-kya baat hai yaar...waqt ko thaam hi liya hai tune...bilkul bhi nahi badli tu toh...

VERONICA-lavender lemonade aaj bhi favourite hai tera...!!!


VERONICA ke sawal par smile kar diya tha ARCHANA ne jispar...


VERONICA-phir badli toh tu bhi nahi...

SANVY,ANI...lavender ke fresh petals fridge ke upar rakhe hain...

grind it.... phir ek glass paani me uske saath 2 chammach shakkar,half spoon honey,3 spoon lemon juice daal kar mix it for a minute...

garnishing ke liye kuch petals raw aur lemon slices water top par laga dena and colouring sirf blue hi karna...


ARCHANA-just the way i like it...tu kuch bhi nahi bhuli...!!!

VERONICA-tu bhuli hai...!!!

ARCHANA-not a thing...

DIMPLE-aap...aap dono jaanti ho ek dusre ko...

apni mom ke favourite drink woh bhi unke preferred exact proportion ko ARCHANA ke mooh se soon kaafi shock ho gayi thi DIMPLE...


ARCHANA-mai VERONICA,ye SMRITI..

saath hi padhe hain hum...


DIMPLE-par aapne graduation toh london se ki thi naa...!!!

VERONICA-aakhri ke do saal...first year hum saath hi padhe the...

ARCHANA-ab kya karti...mere champ tag ko is kadar hinder kiya tha tune ki phir rukte nahi bana...

socha,jis din tujhe harane ke laayak ho jaaungi,tab hi wapas aaungi par unfortunately,us mukaam tak pahunchte pahunchte kaafi waqt lag gaya...


VERONICA- agar tu ek bol deti ki jeetna itna important hai tere liye,mai yunhi haar jaati...


VERONICA ki baat sun ek pal ke liye ghussa chhaya tha ARCHANA ki aankhon par lekin phir turant apne emotions ko turant control kar liya usne...


ARCHANA-phir woh jeet thodi naa kehlati...par acha hi hua jo mai chali gayi...

mere jaane ke agle do saal third ranker promote hokar second position par aa gayi thi...

right SMRITI...


SMRITI-tu rehti tab bhi second position meri hi hoti...

ARCHANA-matlab finally you admit ki VERONICA was way better than you...

SMRITI-mai woh...

ARCHANA-hahahaha....


apni hi baat me fas gayi thi SMRITI jispar zoron se has padi thi ARCHANA...


ARCHANA-ummid hai jo tu apne time me nahi kar paayi,your son wiil achieve that feat... right SAMEER...!!!

apna naam sun thoda hadbada gaya tha SAM...


SAM-aap jaanti hain mujhe...!!!

ARCHANA-apne beti ke har class mate aur friends ke baare me jaanti hun mai aur aap toh dono hi ho...

saath hi saath SIRIUS jaise school ke aise champ bhi...i hope ki is baar bhi aap champ bankar hi shine karoge...


SAM-i will try my best aunty...

MAI-here's your drink aunty...


unki favourite lavender lemonade waali tray aage kar di maine jisse thanks bolne ke baad smile karte utha kiya aunty ne...

aur drink peete hi pleasent surprise waale expressions saaf dikhne lage the unke face par...


ARCHANA-you have a cooks hand...

aunty ke compliment par bas smile kiya tha maine...


ARCHANA-ummmh...nice painting... pura hall kaafi beautifully decorated hai tera VERONICA par this the best stuff...alag se dikh raha hai sab..


ANI-SANVY ko uski painting knowledge ke liye RASHI ki mom ne gift kiya hai...

ARCHANA-phir toh ek gift meri taraf se bhi banta hai... world ki best lemonade jo pliayi hai inhone...

MAI-gift ki koi zaroorat nahi hai aunty...

ARCHANA-trust me...you will love it...

CHTTCHTT...


chutki bajayi aunty ne jiske baad gallery me khade unke 4 bodyguards me se ek jiske haath me ek gift bag tha,lekar turant andar aaya...

us bag ko ARCHANA aunty ke haath me pakda wapas chala gaya woh...


ARCHANA-aapke paas aapke mom ki koi winning trophy ya medal hai...


MAI-nahi...MAA ne kabhi unhe sambhal kar rakha hi nahi...

ARCHANA -pata hai mujhe...

you know jab college me first time haari thi mai aapki mom se toh bohot upset thi...

100 aur 200 metre race me haar chuki thi mai isse...

bas 400 metres bache the jispar bhi mera haarna tay hi tha...

par mujhe yun upset dekh final moments me aapki mom ne us race se back down kar liya tha aur mai woh race jeet gayi...

race jeeti,trophy mili par khush mai tab bhi naa ho paayi..kaise hoti,dekha jaaye toh woh trophy bhi thi toh aapke mom ki...

isiliye aaj tak sambhal kar rakha maine zaroor us trophy ko par apne liye nahi balki aaj jaise kisi din ke liye jab mai iski amanat wapas isse sounp du...

ab isse toh value hai nahi par i am sure ki apni mom ki har deserving aur cherishing chiz ko aap sambhal kar zaroor rakhoge...

so,here you go...

us bag se ek trophy nikaal mere haathon me pakda di thi aunty ne aur ye dekh MAA dheere dheere smile ke beech sir shake karne lag gayi thi...


ARCHANA-2 baje mujhe delhi pahunchna hai so i have to leave now...

DIMPLE-mai saath chalti hun mom...

ARCHANA-no...precious time hai ye...friends aur SANVY ke saath enjoy kijiye aap...


but not you sweetheart...bahar tak chhodne nahi chalegi kya...???


VERONICA-nahi bolti tab bhi chalti...

SHRAVYA-hamari bhi meeting ka time ho raha hai...we should also go...

SMRITI-right...again merry christmas VERONICA...

SHRAVYA-merry cristmas...


ek baar phir zabardasti muskurane ke beech gallery se hote hue bahar ki taraf badh chale the SHRAVYA aur SMRITI...

is beech bahar khade 10 cars ke kaafile jiske bahar is waqt ARCHANA ke sharp 24security members mustaidi se khade the,unhe dekh aankhein badi ho chali thi SHRAVYA ki...

un 24 me bas 6 hi unarmed the, baaki sab fully armed lambe chowde bande the...

un sabko dekhne ke beech apni apni car me baith aage badh chuke the SHRAVYA aur SMRITI...

wahin unke nikalne ke agle hi minute ghar ke gallery se hokar bahar nikalne lage the VERONICA aur SMRITI...


ARCHANA-what if i kill you right now...???


sidhe apne dil se nikla sawal pucha tha ARCHANA ne...


VERONICA-haarne ki talab ab bhi hai toh try kar le...

ARCHANA-galathfehmi hai tujhe...woh daur beet gaya jab aage thi tu mujhse...

VERONICA-daur kisson ka hota hai...woh bhi un kisson ko jinhe likh koi aur raha hota hai...

hamari toh kahani hain aur likhne waale bhi hum hi hain...ye naa beetegi aur naa guzregi...

nice security...SWEDEN AB...!!!

ARCHANA-how....!!!how do you know...???


formal black security suits me the saare bande par bas dekh bhar ke unki nasl perfectly bata di thi VERONICA ne jispar aankhein badi ho chuki thi ARCHANA ki...


VERONICA-obvio...FN P90 submachine pakdi hai sabne...

but the way they are holding it...ek ek haath unke barrel aur optical sight group ke beech hain...

a typical SWEDEN AB posture while holding a submachine gun...
apni car ke saamne pahunch chuki thi ARCHANA...

ek guard ne back seat door open bhi kar diya tha...

VERONICA ke explanation ko sun door hold kar uski taraf ghumi woh...


ARCHANA-ek sawal puchun...???

VERONICA-sure...

ARCHANA-all this brain... confidence...best in everything...kya haasil hua...???

VERONICA-sukoon...kuch bhi nahi chahiye...jo hai,kaafi hai...yeh sukoon...

tune toh itna kuch haasil kiya hai...!!!kya tujhe mila,sukoon...!!!

ARCHANA-jab tak tujhe nahi hara deti... kahan se haasil ho woh sukoon...

par vaada hai mera,hamari agli mulakat me yeh sukoon bhi haasil kar lungi mai...


VERONICA-beshak kar legi par bilkul college time ki hi tarah ...apne dum par nahi,mere rehem par...

ARCHANA-bola naa maine...woh daur toh kab ka guzar gaya...

vaada hai mera, agli baar jab bhi hum milenge, tu apne ghutno par hogi...


ek challenging smile ke saath apni baat bol car ke andar baith chuki thi ARCHANA jiske baad woh guard door band karne waala hi tha ki tabhi door VERONICA ke pakad liya...

door side kar apna sir andar daal ARCHANA ke face ke saamne apna face kar uske aankhon ke through uski soul tak ko jaise dekha VERONICA ne...


VERONICA-



naa koi AGAR hoga,naa koi MAGAR HOGA...


jaisa mai chahungi,theek waisa hi ye SAFAR HOGA...

ho sakta hai ki teri baat reh jaaye par mera bhi ek vaada hai...

ghutne mere tabhi jhukenge jab unke neeche zameen nahi,tera SIR HOGA...










AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Wow maja aa gaya.ek saath teen teen rivals.teeno Veronica ko harana chahti hai par sabkuchh hone ke baad bhi himmat nahi kar sakte.
 
10,204
42,897
258
Aaj deta hun..
Update size bada nahi hoga aaj...bas chal raha scene pura complete karunga...

Uske baad sports meet...
Lekin Aashis ko boliye ki abki baar thoda review me kuchh likhega bhi. Wo dabba pane ke chakkar me pata nahi update padhta bhi hai ya nahi ! :D
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,757
40,370
189
Yeh kyaaa hai. I mean kyaa thaaa. Mera matlab hai kyo thaaa. Kis liye thaaa. Saala itna dimaag aata kaha se hai. Itni sochne samajne ki shakti kaunsi special medicine se milti hai jara naam toh share karnaa.

Matlab Story ko uss hadd tak ghumaya hai jiske baare mein kisi ne bhi I repeat kisi ne bhi socha nhi hoga. Aree socha kyaa kabhi khayal bhi nhi aaya hoga.

Yeh Sam kitna bada ghatiya insan hai yeh toh Anjali ke waqt hi pata chal gaya tha. Par yeh Dimple isne bhi dhoka diya. Matlab woh pyaar ka izhaar, pyaar ka jatana sab kuch ek pre-plan tha aur yeh sab sirf aur sirf Sanvy ko aim karke. Aur yaha toh ek aur sabse bada jhatka mila Jaiden inndono haramiyon ka baap hai.

Ab sawaal yeh aata hai ke innlogo ne exactly yehsab kyo kiyaa. Kisliye kiya sirf sports meet ke liye toh nhi hoskta jarur koi reason hai bahot bada reason. Aur sabse main baat Sanvy ko kab aur kaise pata chala innsab ka kyaa usse sab pehle se pata thaa agar haa toh phir kyo Sanvy ne itna kuch saha. Kyo Dimple ko itni training di apne secrets bataye usse pyaar kiya. Aakhir kyooo.
Hahaha...aage aur dhamake hain brother...saath bane rahiye...
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,757
40,370
189
abhi tak ka sbse khtaranak aur sahi mayno me mega update the ye ,....ab tak ka sabse bda raaz khula h aaj kahani me...aisa raaz jisne lagbhag sabhi ki duniya hi hila kr rakh di..dont know ki sanvy ko is sab ka kbse pta h pr mujhe lgta h sayd use bahut phle se ye sab pta h infact dimple ke use propose krne se phle hi...ek baar veronica maa ne kaha tha sanvy se ki " tu kar payega kya ye " sayd us waqt unka ishara isi taraf tha aur jo itni details sanvy ko malum h wo bhi veronica ne hi sanvy ko di ho skti h ya fir sanvy itna capable to h hi ki ye details khud bhi nikal le aakhir beta kiska h veronica and saneel aharya aur sath me bachpan se hi veronica use trained krti aayi h..and veronica kya h iski ek jhalak ek bar firse hme starting me hi dekhne ko mil gyi thi is update ke ...jb usne sanvy ke sath bilkul aise khilwad kiya jaise sanvy ek dudh peeta baccha ho...aur dil me dard ki baat bhi ab samjh aa rhi h ki aakhir kya takleef thi hme lga ki sanvy ke hote hue sam ko kidnap kr liya gya aur wo kuchh nhi kr paya iska dukh h use pr ab pta chla ki yaha to khichadi hi alag paki hui thi ...aur wo drd us dhokhe ka tha jo use uski premika aur dost se mila...competition ko khatam krne ke chakkr me log baag kitne gir skte h is kahani me hme bahut baar ye sab dekhne ko mila pr dimple nhi waisa kuchh kregi ye socha nhi tha hmme se kisine...khair ye sab to unke khoon me hi h ...archana and smriti...aur sath me jaiden chowdhary bhi..ye bnda bhi koi dudh ka dhula nhi hoga ..koi aisa galath kaam nhi hoga jo isne na kiya hoga....pr ab itna to sure h apan ki ye competition me sanvy kisi bhi event me sam ya kisi ko 1st position to lene nhi dega..akhir isi ki wajha se ye sab ho rha h to ab wo bhi khulkar samne aane wala h,,..sam ka to hm sbko pta hi tha kabhi to ye bnda dasega hi sanvy ko aur usne aisa kiya bhi..khair dekhte h ab iske baad kya hone wala h kyuki next day competition h ab aur ye din to sbka shocked me hi gujar jayega..ab jo kuchh hoga wo next day sports event me hoga aur jo hoga wo sabko chowkane wala hone wala h...so waiting for that day now...unexpected update tha aajka...bda hi thrilling ...mindblowing wala...:eyes2::respekt:
Thanks for the appreciation brother...yunhi saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,757
40,370
189
Bro dimag ghumana koi aapse sikhe
Aur ek baat aur hai jis tarah se archana batra ne Veronica ko dhamki di thi use to yahi lagta hai G.O.D. aur koi nahi Balki yahi indono ka baap hi hai
itni jaldi predictions mat kijiye Brother...itni simple nahi hai ye kahani...aage aise aise jhatke hain jo imagine nahi kiya jaa sakta...

Abhi SANVY ko har mod par winner dekha hai aapne..uske dimag ka loha padha hai...par usse bade bade turram khaan moujud hain is kahani me jinse aage nikalne hai SANVY ko...bas padhte jaaiye aur yunhi saath bane rahiye...
 
Top