Rohit1988
Well-Known Member
- 2,339
- 7,223
- 158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY KA PAIR THEEK HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF DUSHYANT AND FRIENDS SAM KA KIDNAP KARWA DETE HAIN.
AB AAGE:-
CHAPTER 1
(ETIOLOGY OF BEING GALATH)
MEGA UPDATE-84
DATE-1ST JANUARY
CITY-DEHRADUN
PLACE-SAHASTRADHARA ROAD,DUMPIMG GARAGE (TIME-3 AM)
DUDE...ABHI BHI SOCH LE...THIS PLAN CAN BACKFIRE... SAMEER KA BACKGROUND BOHOT HI STRONG HAI...
DEHRADUN jaise chilling area par,woh bhi sardi ki raat me bhi sir par aaye pasine ko ponchte hue NAMITH ne apni baat rakhi thi DUSHYANT se...
DUSHYANT-toh hum bhuke nange ghar se hain kya be...!!!???
itna toh influence apne gharwaalon ka bhi hai hi ki kuch nahi hoga hume...
waisa hona toh ab bhi kuch hai nahi...24 ghanton ki baat hai...kal event pura hone ke baad SAM ko uske ghar ke bahar baa izzat drop kar denge apan...
NAMITH-toh bhai,abhi uske saamne kyun jaa rahe hain hum...!!!???
hume dekh liya toh directly blame kar sakta hai woh humpar...
DUSHYANT-on what grounds...!!!???club ke baad apne apne ghar pehle isiliye hi gaye the hum taaki apne bachav ke liye proof ready rakh saken...
ab gharwaalon se better proof kaun hoga...!!!
unke sone ke baad hi ghar se nikle hain hum aur woh bhi back gate jump karke aur unke uthne se pehle we will be back home...
SAM ne agar official complaint ki bhi toh bhi kuch proof kar hi nahi paayega...
isiliye chill kar...yaar, SANVY ka sukha thobda toh dekh liya ab SAM se bhi ek baar milna toh banta hai naa...
NAMITH-ye bhi hai...aur apne bandon ko bhi off dete hain ab...
waise bhi yahan se aage un sabki zaroorat toh padni hai nahi...
DUSHYANT-true...and hope ki free time me SAM par apni khunnas naa nikali ho unhone...
expelled students hi sahi,hai toh sabhi apne school ke hi...SIRIUS ke champ par zyada time tak rehem kar nahi paayenge woh...
kahin ab tak haath na chhod diya ho sabne...
NAMITH-haan,bhai,jaldi chal...
ek bohot hi bada band garage type building tha jiski taraf badh chale the NAMITH aur DUSHYANT...
PLACE-SANEEL'S RESIDENCE
TIME-6 AM...
THAKKK...THAKKK...THAKKK...THAKKK...THAKKK...THAKKK...
pichle aadhe ghante se apna saara ghussa frustration saamne rakhe WOODEN DUMMY par nonstop nikaal raha tha mai...
shirt less tha mai aur continuous martial art strikes ki wajah se paseene me lathpath ho chuka tha...
sansein bhi bhaari ho chuki thi meri par hitting speed me thodi bhi kami nahi aayi thi...
IN BEJAAN LAKDIYON PAR WAAR SE SUKOON NAHI MILEGA TUJHE...
MAA thi ye jinki baat sun haath mere agle pal hi rook chuke the...
unki taraf ghuma mai...joggers me khadi thi is waqt MAA aur chehre lar unke abhi bhi wahi shaanti jo hamesha rehti thi...
jisse dekh mera bechain man bhi shaant ho jaaya karta tha par aaj ki bechaini alag thi...
bohot alag...iska shaant hona mushkil tha...hadh se zyada mushkil par jab tak mai andar se shaant nahi ho jaata,aage badh nahi sakta tha...
MAA jaanti thi in saari baaton ko aur isiliye hi is waqt woh mere saamne khadi thi...
MAA-chalo...dekhen zara,MASTER VAJRA BODHI se sikhi kala(THE EIGHTEENT HANDS OF BUDDHA) kitna master kar paaya hai tu...!!!
MAI-not now MAA...not in the mood...
MAA-dawayi mood ke hisaab se nahi,tabiyat ke hisaab se li jaati hai...
so now is the perfect time... common,show me what you got...!!!
MAA manane waali thi nahi isiliye lambi saanson ke beech unke theek saamne pahunch gaya mai aur agle hi pal...
THATTTT...
THRUST PUNCH...EIGHTEEN HANDS ka paanchwa technique use karte hue apni mutthi vibrating speed se aage chala di thi maine jisse MAA ne haath jhatakte hue aise block kiya jaise makkhi uda rahi hon woh...
MAA-ye kya tha...???aise baby punches maarkar apne guru ka apmaan nahi karna chahiye tumhe SANVY...
common,hit like the MAN you are...
THATTT...THATTTT...THATTTT...THATTT....THATTTT...THATTTT....THATTTT....
MAA ki baat puri hui hi thi ki ek baar phirse mera THRUST PUNCH unki taraf badh chuka tha...
is baar,double impact ke saath par natija is baar bhi last time jaisa hi hua...
MAA ne badi asaani se mera haath jhatak diya tha lekin is baar ruka nahi mai...
ek baad ek kayi thrust punches maarta chala gaya mai...har punch last waale se tez aur zyada impactful tha par unme se ek bhi MAA ke defense ko bhedh nahi paaya...
bohot ho sade hue andaz se apni body ko halka swing sa karte hue woh mere har punch ko block karti chali gayi thi aur aakhir me...
CHATTTT...
MAA-my turn...
THATTTHHHH...
mere punch ko block karne ke saath apne dono haath jinhe kainchi ki shakal de mere wrist ko fasa sa liya tha unhone...
fasane ke agle bi pal unhe jhatka de mere us wrist ko right ki taraf fekh sa diya MAA ne aur theek ussi pal unka ek near perfect THRUST PUNCH mere chest ki taraf badi tezi se aaya par mai bhi ready tha is sudden hit ke liye...
apne left hand ko neeche se upar jhatka tha maine jo sidhe takraya MAA ke wrist se jisse unka hand bhi numb sa padh gaya...
MAA-good...par block speed aur zyada hona chahiye tha...
ab hona hoga...
THATTT... THATTTT...THATTTT...THATTTT....THATTTT...
dhakkk...
ek ke baad ek lagatar 20 THRUST PUNCH ghumaya tha MAA ne jinki speed mere punches se 5 times zyada tez the...
infact 19th aur 20th punch toh itna zyada tez tha ki bohot mushkil ee dikh paaya tha mujhe...
19th punch kokisi tarah block kar liya tha maine...infact 20th ko bhi last nano seconds pehle apne chest se 2 cm pehle rok liya tha maine par tabhi...
THRUST PUNCH se jo vibrations wrist me hote hain,unka impact rukne ke baad bhi 1 second tak rehta hai aur ussi ek second ka faayda MAA ne utha liya...
apne block fist ko ek jhatke se khola unhone jiske baad unke chaar fingers kisi sharp knife ki tarah mere chest par lage...
naa khoon nikla naahi koi kharoch aayi par chest ke jis point par MAA ke fingers ne hit kiya tha,wahan pain ki wk aisi tez sensation feel hui mujhe ki puri body hi jhanjhana uthi meri...
MAA ke haath ko jhatak tezi se piche hote hue apne chest par haath rakh wahan masalne laga tha mai aur ye dekh smile naach uthi thi MAA ke face par...
MAA-shayad GALATH thi mai...you are a baby after all...
seene ke bahar ka dard tak bardasht nahi ho raha tujhse toh uske andar ka dard khaakh jhel paayege tu...
SWOOOHHH....THAKKK....THAKKK....THAKKK....THAKKK....THAKKK...
MAA ke vyang ka jawab mooh se nahi diya maine...unki baat puri hote hi body me aage unke taraf spin si hoti chali gayi...
EIGHTEEN HANDS ki MERRY GO ROUND TECHNIQUE thi ye jisme ghumte hue apne saare sharir ki taakat ko apne dono kandon me transfer kiya jaata hai...
is technique me sade hue andaz me rotation lene ke baawjud ghumne ki speed itni zyada hoti hai ki bhale dikhe naa,par aas paas paida ho rahi intensity feel ki jaa sakti hai...
MAAne bhi feel kiya tha aur isiliye woh jaan chuki thi ki mai kaun si technique use kar raha hun...
unhe mere agle daaw me use hone waali technique ka bhi andaza tha aur isiliye MAA ke dono legs ne zameen par dabaw sa daale hue extra pressure banana shuru kar diya tha...
is beech mai unke paas pahunch chuka tha aur isiliye...
PLUCKING STARS...apne fist ko pout ki shakal dete hue kisi saanp ki tarah unhe aage ki taraf jhatka sa dena shuru kiya maine...
is attack ko block nahi dodge kiya jaata hai aur woh isiliye kyunki is move me ungliyon jis hisaab se jhatki jaati hai,woh unhe rokne waali chiz ko bhi pierce karne ka dum rakhti hain...
yahi wajah thi ki MAA bhi kisi snake ki movement le khud ko badi speed se left aur right ki taraf ghuma mere fingers ke piche waale part par halki halki hit karti chali jaa rahi thi...
par jab dekha unhone ki meri speed kam hone ki jagah badhti jaa rahi hai toh agle hi pal...
DANCING CRANE... EIGHTEEN HANDS ka woh technique jisme attacker ke niche apne dono haathon ko kisi shield ka aakar dekar jaaya jaata hai...
issi technique ke use ke saath MAA mere haathon ke neeche pahunch gayi thi... within fraction of a second ke andar kiya tha unhone ye kaam jisse counter karne ke liye...
DRAWING KNIFE technique ko use me laate hue apne ek haath ko completely niche bend kiya maine aur dusre haath knife shaped hand ke elbow ko hold kar niche ek tez jhatka diya...
ek aisa move jisse solid chizon me bhi crack paida kiya jaa sakta hai...
koi aur hota toh uske hands ko dodge dete hue mere fingers neeche waale bande ke skull ko damage kar chuke hote par neeche koi aur nahi MAA thi...
VERONICA PAUL AHARYA...
PUSHING MOUNTAINS...
eighteen hands ke 14th technique ko turant use me laate hue khud ki body ko uplift kiya MAA ne...
par ye uplift straight up nahi balki side up tha...
yahi reason tha ki mera DRAWING KNIFE technique half way hi stuck ho gaya...
maa ne apne shoulders se mere elbow edge ko hit kiya tha jiski wajah se meri hand grip dheeli padh gayi...
aisa hote hi MAA ne mere dono haathon ko badi mazbooti se pakad liya aur...
MAA-ready for a SPIN SWEETHEART...
BIG WINDMILL...is technique ko innovate sa kiya tha MAA ne...
mere dono haathon ko pakde pakde khudko piche ki taraf flip sa kiya unhone aur hawa me hi roll on ho gayi woh...
aur unki tight grip ki wajah se mai bhi aage ki taraf hawa me 360 ke teen rounds ghoom gaya...
DHAKKK....
agle hi pal mai aur MAA dono zamin par the lekin ek fark tha...
MAA apne pairon par land hui thi aur mai neeche gira pada tha...
par girne ke agle pal hi mai ghuma,maari ek tez back flip and then,i was back in my feet...
woh bhi combat position me aur ye dekh MAA ke face par ek badi si smile aa gayi thi...
MAA-now that's my boy... koi kitna bhi gira de,wapas uthne aur ladhne ke liye hamesha taiyar...
kabhi khudko bhulne mat dena apni ye aadat...
MAI-i won't...
MAA-now go and do what's need to be done...
sir haan me hilate hue palath gaya mai...
sidhe apna room me gaya mai aur apne P.C ko on kar kar uske saamne baith gaya...
kuch der tak mera dimag aur ungliyan badi tezi se chalne lagi thi aur phir ek final click karte hue mere face par smile naach uthi thi...
MAI- gotcha...
paas me rakhe apne mobile ko uthaya maine aur msg app par apne group me tezi se chalne lagi meri ungliyan...
GOT AN IDEA... AADHE GHANTE ME JOGGERS PARK...
PLACE-JOGGERS PARK
6.30 AM:-
KYA IDEA HAI BHAI...!!!???
sharp 6.30 ko pahunch chuka tha mai park jahan NITS aur SONU ko chhod baaki sabhi bande bandiyan pehle hi moujud the...
EKPREET ke sawal ke beech NEW GIRL aur woh sabhi mere paas pahunch chuke the...
MAI-PAWANDEEP aur AZMAD yaad hai???
RAJAT-ye kaun hain...???
EKPREET-woh SAMRAT ke students..
MAI-aur DUSHYANT ke jigri...
DIMPLE-hang on... mujhe bhi fill in karoge...
RASHI-hume bhi...
EKPREET-PAWANDEEP aur AZMAD...NAMITH ki tarah DUSHYANT ke besties the dono...i think ab bhi honge par not sure kyunki uske saath me bohot kam dikhte hain woh...
MAI-woh isiliye kyunki school se expel ho chuke hain woh dono...
EKPREET-all thanks to you...saale bohot zyada garam khopdi ke the dono...
football match tha hamare aur SAMRAT ke beech woh bhi unhike school ground me...
us match ke first half me hi 3.0 ki lead le li thi hamare school ne...
teeno goals SAM ne maare the...
upar se hamare school ke saare students...chhol chhol ke SAMRAT ke saare students ki sulga thi unhone...
ANJALI-aur sabse zyada un dono ki...PAWANDEEP aur AZMAD...
complete idiot the dono...plan kiya un dono ne ki jaise humne unke school premises me ground ke andar aur bahar, dono jagah hi humiliate kiya tha un sabko,theek waise hi hamare premises ke aas paas humse bhid hume humiliate karenge dono...
RAJAT-precisely SAM se...chutti ke baad SAM mil bhi gaya tha unhe par saath me unke ye mahashay bhi the...
khub pela tha un dono ko isne...upar se c.c.t.v me footage bhi store ho chuki thi isiliye un dono ke khilaaf PRINCI ne SAMRAT ke princi ko official complaint bhi kar di thi...
result...PAWANDEEP aur AZMAD dono hi resticate ho gaye the..
ye thi past aur un dono ki detail...par yaar,abhi unka zikr kyun kar raha hai tu...???
DIMPLE-obvio...SAM ki kidnapping me un dono ka bhi haath hoga...
MAI-right...aur hoga nahi,hai... definitely hai...kyunki bas woh do hi aise hain jo SAM par yun haath daalne ke liye ready ho sakte hain...
jinhe consequences ka zyada dar nahi hai...
EKPREET-yaan yaar...ye ho sakta hai...par sawal toh ye hai naa ki SAM hoga kahan...???
MAI-ye koi high-profile serious kidnapping toh hai nahi...SAM ko apne paas bas aaj bhar ke liye rakha hai unhone woh bhi bina usse harm kiye...
DIMPLE-how can you say,bina harm kiye... abhi tumne bola naa ki woh dono SAM ko maarne ke chakkar me hi expel hue the..
agar wakayi unhone hi SAM ko kidnap kiya hoga toh usse hurt karne ka isse better mouka unhe phir milna hai waala hai nahi...
MAI-SAM ke face ya body par hitting marks unke liye taklif paida kar sakte hain...secondly, NAMITH aur DUSHYANT bhale hi openly SAM ke saamne jaa sakte hain,as they have there backup,par same liberty PAWANDEEP, AZMAD ya jisne bhi rakha hai SAM ko,unke paas nahi hai...
agar SAM unke saamne hai then yaa toh apne faces hide kiye honge unhone yaa phir uske face ko dhakk kar rakha hoga...
now for the main question,kahan rakha hoga unhone SAM ko...
this is the 75th percent mark...
apne mobile ko aage kar diya tha maine jispar p.c par mere kiye gaye kaam ki copy thi...
RASHI-ye kiske visuals dikha raha hai...???
mobile me ek road thi jo do bhaago me divided screens me chal rahi thi...
ek screen toh khaali thi par dusre se ek M.P.V badi tezi se paas hui thi aur aisa hote hi screen par ek click sa hua aur agle hi pal wahan dusra road dikhne laga tha jispar bhi wahi car paas through ho rahi thi...
baaki kisiko bhi kuch samajh nahi aa raha tha par NEW GIRL ki aankhein sochne waale andaz me choti hoti chali gayi thi aur is beech jaise hi uski nazar screen ke upper left me dikh rahe time par gayi toh suddenly aankhein uski ek jhatke me badi ho gayi...
NEW GIRL-no fucking way...tumne traffic cams ke c.c.t.v ko hike kiya...
aur ye,ye car wahi hai kya jisme SAMRAT waalon ne SAM ko uthaya tha...
NEW GIRL ki baat sun baaki sab bhi shocked hote hue meri taraf dekhne lage the...
wahin NEW GIRL ka assumption joki bikul sach tha,sun sir shake kar haan me sir hilaya maine...
RASHI-who are you man...kya aisa kuch hai jo nahi kar sakta tu...!!!
KHANAK-seriously SANVY...tune government traffic cams ko hack kiya... it's like an i.t professional stuff...
MAI-maine nahi kiya...mere pehchaan ka banda hai ek...ghar ke paas hi rehta hai...he is very good with computers...ussi ki help li hai...
ab woh sab chhodo aur dekho dekho dhyan se...
this... this is the last c.c.t.v orientated place jahan se car moodi thi...
EKPREET-yeh toh M.G chowk hai...fas gaye behen ke jane..yahan se sidhe N.H hi nikalta hai...baaki side ways lene ka matlab hoga nahi kyunki us taraf chote mote party venues ki bharmaar hai...
patrolling bohot zyada thi kal raat wahan...
RAJAT-haan par M.G chowk se N.H ka distance bhi lagbhagh 10 kms ka hai...is beech kahin bhi chuppa sakte hain woh log SAM ko...
MAI-isiliye hi toh 75 percent kaha tha maine...
DIMPLE-joki bohot hai...us pure 10 kms ka door to door knock bhi agar karen hum toh bhi raat tak positive result mil hi jaayega...
MAI-uski zaroorat nahi padegi...ghar khaali bhi ho tab bhi kisike ghar me SAM ko rakhne ka risk nahi lenge woh log...
kyunki unhone itna toh ganith lagaya hi hoga ki SAMRAT ke sabhi chutiyon ke thikaano ka kaccha chittha hum nikaalenge...
isiliye kisi band ya kam chahal pehel waali jagah par le jaayenge woh SAM ko...
us pure 10 kms ki area me 3 hi aisi deserted buildings hain...
ek ki taraf SONU aur NITS nikal bhi chuke hain...
RAJAT-really...isiliye nahi aaye woh dono...mai toh saalon dikhte hi bakne ka soch raha tha...
DIMPLE-waise gaye kis spot me hain dono...???aur agar ussi spot me SAM hua toh unpar khatra nahi hoga...!!!
SAMRAT guys will recognize them...
MAI-kuch nahi hoga...sirf checkout karne ke liye hi bola hai woh bhi safe distance aur marking se...
VITOBHA CINEMA HALL...band talkies hai with no security...wahin gaye hain dono...
uske alawa do aur jagah hain...and i think ek saath baari baari dono jagah ko checkout karne ke bajaye we should divide ourselves into two groups...
ANI,RASHI,KHANAK... tum ghar jaayogi yaa...!!!
ANJALI-hell no... tere saath chal rahi hun mai...
RASHI-mai bhi...
KHANAK-me too...waise bhi tumhare rehte khatra hume nahi, SAMRAT waalon ko hone waala hai...
RASHI-true that...
DIMPLE-thik hai phir...ek kaam karte hain,tum ANJALI,RASHI aur KHANAK ke saath ek spot ko checkout karo,dusre ko mai, EKPREET aur RAJAT dekhte hain...
MAI-cool with me...pinpoint map location send kar raha hun,bas follow karo usse...20 se 30 minutes ka raasta hai,max...
BEEP....
meri bheji location ka msg notification click hua un teeno ke hi phones me jisse open kar liya tha unhone...
MAI-be safe...
DIMPLE-we will be...
mujhe smile paas karte hue palath gayi thi NEW GIRL aur uske saath hi park se bahar chal pade EKPREET aur RAJAT...
waise nikal toh mai,ANI, RASHI wur KHANAK bhi gaye the par maayne NEW GIRL, EKPREET aur RAJAT ka hi destination tha...
REASON...
correct jagah jo jaa rahe the woh teeno...
PLACE-SAHASTRADHARA ROAD,DUMPIMG GARAGE
EKPREET -ye...ye toh DUSHYANT ki hi bike hai naa...!!!
dumping garage pahunchte hi side me khadi KAWASAKI NINJA ZX-6R par sabse pehle nazar padi thi EKPREET ki...
RAJAT-arre haan ..ye toh wahi bike hai jisme kal raat race kiya tha DUSHYANT ne...
DIMPLE-matlab yahi hai woh and hopefully SAM bhi... let's get him...
apne wrist par chadhe shirt ko roll over karte hue turant tez kadmo se aage badhi thi DIMPLE jispar...
RAJAT-DIMPLE,wait...hume pehle SANVY ko inform karna chahiye...
DIMPLE-kyun,har baar SAM aur baaki sabki ass bachane ka zimma kya sirf SANVY ne hi liya hai...!!!
yahi toh main wajah rahi hai ki kabhi SAMRAT waale toh kabhi koi aur group har baar mooh ki khaane ke baad bhi hamare group par indirect attacks karte hi rehte hain...
because they think ki SANVY ke bina we are no body...kabhi na kabhi toh usse bachkar hum par successful hit kar hi denge woh theek jaise kal kiya...
jo dar unhe SANVY se hai,wahi dar jab tak unhe hum sabse nahi hoga,ye silsila chalta hi rahega...
but today,once and for all,i am gonna end this shit...
tujhe agar dar lag raha hai toh kar le SANVY ko call aur yahin wait kar...
mai jaa rahi hun andar and i am gonna fuck all those son's of bitches who will come in my way...
EKPREET-naa..akeli nahi jaa rahi tu...aur sahi kaha tune...in saalon ko humse darna zaroori hai...
waise bhi SANVY ne kaha tha ki bheed zyada nahi rakhenge woh sab... DUSHYANT aur NAMITH ko chhod den toh 5 ya 6 bande hi honge...
itne toh SANVY akele sambhalta aaya hai phir hum toh 3 hain...
RAJAT-true...upar se element of surprise bhi toh hai...hume expect toh katayi nahi kar rahe honge woh sab...
hume apne saamne dekhte hi shock honge aur utne hi time me 3,4 ke ghutne mod denge hum...
paas hi rakhe ek mote air bade se lakdi ke tukde ko utha liya tha RAJAT ne...
same chiz EKPREET ne bhi ki thi jiske baad woh teeno hi apne apne jabde bhinche tezi se garage ke door ki taraf joki baarikh sa hi khula hua tha,badh gaye...
RAJAT-badhiya...khula hai...
door ke paas pahunch bohot dheere se usse touch kiya RAJAT ne jispar halka sa hila woh...
matlab bas odhaya hua tha woh door jisse dekh aankhein chamak uthi thi teeno ki...
DIMPLE-on the count of three....
one,two,three...
DHADHHHH....
BEHENCHODON....
DIMPLE ke teen bolte hi RAJAT ne door par ek zor ki laath maari thi...
old wood ka kamzor tha door tha woh jispar laath padhte hi badi tezi se khulta chala gaya woh...
door khulte hi apne apne wood rod ko uthaye DIMPLE ke saath tezi se andar ghuse the EKPREET aur RAJAT par aisa karne ke baad jo scene saamne aaya,usse dekh shock laga teeno ko...
scene hi kuch aisa tha...
SAM moujud tha us bade se room ke end me...centre par ek chair me baitha hua tha woh par naa toh uske haath pair bandhe the aur naahi chehra covered tha...
par SAM ke alawa usse kidnap kar yahan laane waale bando me se koi bhi wahan moujud nahi tha...
sirf do bande the...
DUSHYANT aur NAMITH...
joki is waqt punishment karne ke baad school ke principal ke saamne khade hone waale position me sir jhukaye khade the...
par unki position par dhyan EKPREET aur RAJAT ka gaya hi nahi...
unhe dekh paara thoda aur chadh gaya tha dono ka aur isiliye...
EKPREET-tumhari MAA ki...
doud se pade the dono DUSHYANT aur NAMITH ki taraf...
kuch hi seconds me unke saamne the dono jiske baad unhe maarne ke liye apna apna danda utha liya tha dono ne par tabhi...
NAMITH aur DUSHYANT ke sooje hue thobde jispar jagah jagah khoon ke sukhe hue nishaan bhi the, nazar padi unki aur isiliye haath rook se gaye dono ke...
surprise se ho woh puri situation ko samajhne ki koshish karne lage...
same situation DIMPLE ki bhi thi...sabse zyada surprise toh usse SAM ko dekh kar ho raha tha jisne apne doston ko saamne dekhne ke baad bhi ek baar apna sir tak nahi uthaya tha...
jadh si haalath me baitha toh woh...wahin dusri taraf EKPREET aur RAJAT ne maarne ke liye danda tak utha liya tha par NAMITH aur DUSHYANT ne apne bachav me kuch bhi nahi kiya tha...
ab bhi woh kisi mujrim ki tarah sir jhukakar khade hue the...
DIMPLE-SAM....SAM....are you all right...???
EKPREET-SAM....bhai, dekh,we are here...
RAJAT-ye react kyun nahi kar raha...!!!koi drugs toh consume nahi karwaya inhone...
DUSHYANT aur NAMITH ko ghusse se ghurne laga tha RAJAT...
is beech DIMPLE ne SAM ke sir par haath rakha toh ek baar phirse hairan hui woh...
DIMPLE-itne thande paseene...he is freezing...hue kya hai tumhe...SAM...
jhinjhod sa diya tha DIMPLE ne SAM ko jiske baad zyada toh nahi par halka sa asar zaroor hua usse...
SAM-hhhhkknnevvr...ngg...
halke se honth hilne lage the SAM ke par samajh aaye,aisa kuch murmur nahi kiya tha usne...
MENTAL SHOCK LAGA HAI USSE...
SAM ki woh anbujhi halki awaaz DIMPLE ne suna tha jispar uski taraf jhukne ko thi woh ki tabhi ubhri entrance door se ye awaaz...
RAJAT-NITS,SONU...tum dono yahan...!!!SANVY bhi hai kya...!!!
SANVY ka naam aate hi halki si kaamp gayi thi SAM ki body jisse DIMPLE ne saaf mehsoos kiya tha...
SONU-rraaste mme hai...aa rraha hai wwoh...
DIMPLE-SONU, NITS,what do you mean ki mental shock laga hai isse...
hua kya hai aakhir yahan par...???
NITS-dekho dhyan se SAM ki aankhon me...flash back chal raha hai unme,shayad dikh jaaye tumhe...
NITS ki baat sun DIMPLE aur uske saath RAJAT aur NAMITH,dono ki gardan bhi ek baar phirse ghumi thi SAM ki taraf...
statue ki tarah abhi bhi baitha tha woh par do chizen harkat par thi...
uske honth jinse woh abhi bhi kuch badbada raha tha aur uski aankhein...jo sehmi toh thi par thehri nahi thi...
uski putliyan lagatar kuch yun hil rahi thi maano unme koi purana chalchlitr chal raha ho...
KYA...!!!khud dekh dijiye...
BACK TO LAST NIGHT...
TIME:-3.05 AM
DUSHYANT-oh behenchod...saalon ko bola tha maine ki door band rakhen...
abbe ruko...
garage ka gate halka open tha jisse push kar jaise hi andar ghuse NAMITH aur DUSHYANT toh saamne chak rahe scene ko dekh chownk gaye...
garage ke end me SAM bandha ek chair par baitha hua tha...face uska dhakka hua tha...
aas paas uske 6 bande khade the aur unme se do ne joki PAWANDEEP aur AZMAD the,unhone gala aur kandha pakda hua tha SAM ki...
punch maarne hi waala tha woh usse ko jisse dekh chilla utha tha DUSHYANT...
DUSHYANT-abbe ye kya kar raha hai...???no harm...bataya tha maine...jaise uthaya hai,waise hi wapas chhodna bhi hai isse...
SAM-DUSHYANT...you mother fucking dog...saale teri himmat kaise hui mujhe kidnap karne ki...!!!
DUSHYANT-arre,par yahi toh chahta tha naa tu...tera hi toh plan tha naa ye sab...
SAM-dont act smart rascal...tujhe ache se pata hai ki hamari deal kya thi...
fake kidnap kar mujhe mere ghar chhodna tha tujhe...par tune real me uthwa utha mujhe...
DUSHYANT-ab bhai businessman ka lounda toh mai bhi hun...
tere plan me mujhe doodh mil raha tha par mere plan me paneer milega...
ab bhai paneer ke upar doodh kyun chunu mai...!!!???
SAM-kya bakwas kar raha hai...???
DUSHYANT-arre,simple logic hai yaar...dekh,tera offer tha ki agar mai tere plan ke hisaab se chalun toh indoor games me se 2 events me tu participate nahi karega...
same goes for 2 outdoor events...
taaki hamara school unme first aa sake...inshort,, teri fake kidnapping ke badle 4 events me hume first position offer ki thi tune par ab jab ye fake kidnapping real me badal chuki hai toh 4 kya,overall kamsekam 10 aise events honge jinme SAMRAT SIRIUS aur baaki sabse aage rehne waala hai...
BEST SCHOOL OF THE YEAR khitaab ke liye itna kaafi hoga,right...!!!
THAKKK...
SAM-galti meri hai...saanp ko doodh pilane chala tha mai...bhool gaya tha ki mouka milte hi saanp toh dasega hi...
NAMITH-look who's talking...jo khud apne doston ke liye or to be specific, SANVY ke liye jisne har kadam saath diya hai tera,aasthin ka saanp saabit hua hai uske liye and you are blaming us...
arre humne toh tujhse hi inspiration li hui hai...
DUSHYANT-saanp se yaad aaya,jab se tu humse,apne arch rivals se haath milane ko taiyar hua,tabse hi ek sawal chaddha hua hai hamare dimag me...
NAMITH-sahi bola...pucha toh pehle bhi hai tujhse par har baar taal gaya hai tu...
ab toh bata de, aakhir aisi kya wajah hai jo humse deal karne ki zaroorat padi tujhe...
i mean, jeet toh hamare school ka koi student waise bhi sakta tha nahi tujhse...
phir khud ko kidnap karwana hi kyun chahta tha tu...!!!
DUSHYANT-abbe kidnapping waala ganith toh baad me set kiya isne...usse pehle apne hi school ke bahar khudse hi bhidwaya HANSH aur hume...
wahan bhi plan iska khudko victimize dikha humse SANVY ko hurt karwana tha...
itna sab...kyun...???saale jisne teri taang najaane kitne baar tutne se bachayi, uski hi taang tudwa di thi tune...
SANVY se kya bhasad ho gayi hai be teri...!!!
ab kya hi bolta SAM...ye toh bata nahi sakta tha ki ye sab bas isiliye kiya usne taaki kisi tarah SANVY ko race se door rakha jaaye...
kaise batata ki jaise SAMRAT ya koi aur school ka koi bhi student uske saamne race me nahi tik sakta, theek waise hi uski aukaad bhi SANVY se sidhe sidhe race jeetne ki nahi hai...
agar sab uske plan ke according hota toh SANVY race ke din as in kal bhi usse dhundne ke liye school chhod pure DEHRADUN ki khaakh chhan raha hota...
wahin race se pehle last moment me school pahunch race me hissa le usse jeet jaata SAM...
phir baad me apne jhute escape ki gaatha bata deta woh SANVY aur baaki sabko...
race jeetne ke liye ya phir ye kahun ki specifically 400 metres race joki main event tha boys aur girls dono me,usse jeetne ke liye apne har rival se haath milaya tha usne aur apne so called best friend SANVY ko physically hurt karne tak se piche nahi hata woh...
haan,zyada gehri chot nahi dena chahta tha woh SANVY ko par aise pre-planned fights me gadbadi toh ho hi jaati hai jo us din school ke bahar ho gayi thi...
DUSHYANT-abbe bolega kuch...
yahi sab soch raha tha SAM ki tabhi DUSHYANT ki awaaz ne usse uski soch se bahar le aaya...
SAM-maine kya kiya,kyun kiya,ye sab janana tere liye important nahi hai...important ye hai ki chupchaap jaane de mujhe... warna...
NAMITH-warna...warna kya be...!!!???
SAM-khud bola na tum dono ne...race ke liye apne best friend tak ke saath bura kar diya maine...
toh zara socho ki agar tumhari wajah se race chhuti meri toh tum logon ka kya haal karunga mai...
AZMAD-dekha...jab se aaya hau,aise hi dhamkiyan diye jaa raha hai... isiliye mooh fod rahe the iska...
DUSHYANT-relax...dhamkiyan hi de sakta hai ye...aur kuch hai naa iske bas ki...
kyunki legally, naa toh kidnapping ke waqt hum iske saamne the aur naa ab hum yahan hain...
proof hai hamare paas...rahi baat bahar humse khunnas nikaalne ki toh akele ti kabhi kuch nahi tha SAM...
jiske dum par humpar bhaari tha tu,uske toh tu khud khilaaf jaa chuka hai...
NAMITH-yahan se nikalne ke baad agar tune SANVY ko behla fusla kar humpar attack karne ke liye uksaya aur woh aaya toh hum usse teri uske khilaaf saari planning bata denge...
DUSHYANT-aur yahan toh woh aane se raha...koi loophole chhoda hi nahi humne jiske dum par yahan pahunch hume dhund sake SANVY...
PAR MAINE TOH DHUND LIYA...
DUSHYANT ki baat puri hui hi thi ki tabhi us garage me gunji ye awaaz jisse sun bina khule hi gaand fath gayi thi DUSHYANT aur NAMITH ki...
NITS aur SONU ke saath mai jo khada tha door par...
mai toh haath saamne tie kar khada tha par NITS aur SONU ke haathon me camara the jisme yahan ka pura scene aur boli hui har baat record ho chuki thi...
khair, DUSHYANT, NAMITH hi kya,SAM jisse kisi aur situation me meri awaaz sun sabse zyada raahat milni chahiye thi,uska pichwade par sabse bada crack aaya tha...
chehra dhaka hua tha SAM ka par phir bhi mujhe saaf saaf mehsoos kar gala sookh sa chuka tha uska...
MAI-kapda hata SAM ke face se...
is waqt NAMITH aur khudko mila SAMRAT ke 8 log moujud the us garage me...
phir bhi meri awaaz me jo authority thi,usse sun DUSHYANT ka haath apne aap SAM ki taraf badha aur agle hi pal uske face se woh kaala kapda haththa chala gaya...
aisa hote hi SAM ka peela padh chuka chehra hum sabke saamne tha...
PAWANDEEP-abbe kya kar raha hai...???usne bola aur tune kapda hata diya...
NITS-beta kitna hi ghatiya kyun naa ho par jab bhi baap saamne se order de toh usse maanana hi padta hai...
SAM-SANVY,i can explain...
MAI-you dont have to...about your plan but most importantly,ABOUT YOU,I KNOW EVERYTHING...
AZMAD-ye kya bakarchodi chal rahi hai...aur SANVY tu, acha hua aaj ek baar phirse mulakaat ho hi gayi...
saale jab pata tha tujhe ki yahan kya chal raha hai toh kamsekam bande toh zyada le aata apne saath...bas 2...
SONU-oye hhume bbhi mmat gin...
NITS-right...ye samajh ki ye akela hi hai idhar...par composed naa ho jaana kyunki ye akela bhi tum sabke saath kya kya kar sakta hai,bohot jaldi mehsoos kar loge tum sab...
AZMAD -ghanta kar lega kuch ye...purana hisaab hai tere se SANVY...aaj sab chuka denge...
MAI-kuch karz waqt ke saath kam nahi hote,badh jaate hain...aaj bhi badhega...
KDKKKK....AHHH....KHATTTT....AHHHHH.....
meri baat ke beech AZMAD mujhe maarne douda tha meri taraf...
ye dekh NAMITH aur DUSHYANT toh apni jagah par hi khade rahe par PAWANDEEP aur uske saath baaki ke chaaron bande bhi ho liye the uske saath par unke kadam turant rook bhi chuke the...
REASON...
mere paas pahunch mujhe punch maarne ke liye apne right fist tezi se ghumaya tha AZMAD ne par tabhi khudko halka aage kar uske swinging hand par karate chop straight hand laga diya maine aur agle hi pal...
AZMAD ke kalayi ki haddi tootne ki dheemi si ek awaaz ubhar padi...
awaaz kam thi par dard hadh se zyada jispar chillana shuru kiya hi tha AZMAD ne ki tabhi ulta ho uske us toote hue wrist ko apni taraf kheencha maine aur jaise hi AZMAD sata mujhse toh uske haath ko apne shoulder joints par hit kar diya maine, natija...
elbow joints tootne ki zordaar awaaz ubhri thi jispar gaand faad chillate hue zamin par lot poth hone laga tha AZMAD...
uski is dardnaakh haalath ko dekh ek taraf PAWANDEEP aur baaki chaaron bande toh rook hi gaye the par saath hi saath dusri taraf mere piche khade SONU aur NITS ke sharir me bhi dar ki ek thandi leher doud uthi thi...
aur aisa hona laazmi bhi tha...kyunki unki taraf hi ghoom AZMAD ke elbow joint ko toda tha maine...
us waqt mera face dekha tha dono ne jispar emotion naam ki chiz bilkul bhi nahi thi...
har baar ladhayi me ghussa saaf dikhta tha mere face par lekin aaj mai ek roothless aur merciless devil sa lag raha tha...
khair,zamin par lotpoth ho rahe AZMAD ko dekh door khade
DUSHYANT aur NAMITH ki bhi taange kaamp uthi thi par bhaagne ki himmat nahi ho rahi thi unki...
DHAKKK...KDKKDHAKKK...KDKKK...DHAKKK...KDAKKK...
AZMAD ko tadapte dekh rahe the unke dost aur in sabke beech mai unke paas pahunch chuka tha...
mujhpar achanak hi nazar padi un sabki par tab tak der ho chuki thi...
bijli si badhi meri body aur chand seconds me hi un teeno me se 2 ke haath aur ek ke pair tod diye the maine...
ye dekh jahan ek taraf PAWANDEEP hadbadate hue kuch kadam piche ho gaya tha wahin woh chowtha banda dar se kaampne laga tha...
REASON...
ye wahi banda tha jisne TULIP me injure kiya tha...issike hockey stick hit se mere pair par chot aayi thi...
mere look se woh ye jaan gaya tha ki mai bhula nahi hun usse...
BBHAI MMAI...
KDKKKK....KDKKK...
AHHHHHHHHHHH...
aage bolne nahi diya maine usse...tezi se uske right hand ko pakadte hue apni taraf kheencha maine...
is beech uske wrist ko kuch ghumaya maine ki mere paas aate aate hi uske haath ki ULNA BONE dislocate ho chuki thi...
par mai rooka nahi...kisi bori ki tarah usse apne peeth par laadne ke baad dusri taraf ulta palath diya maine...
mooh ke bal gira tha woh aur ab uska right leg mere haathon ke beech tha jiske baad knee ke back portion par pressure daalte foot ko ek tez jhatka diya maine...
natija... foot hairline fracture...
apne haath aur pair me uth rahe beshumaar pain se tadapne laga tha woh ladka jispar usse uske haal par chhod mai ghuma PAWANDEEP ki taraf aur aisa hote hi fati uski gaand...
PAWANDEEP-SANVY STOP...koi raah chalta banda nahi hun mai...meri family influence ka andaza nahi hai tujhe...
agar mujhe chot pahunchayi toh acha nahi hoga tere liye... officially aur unofficially,i will harm you a lot...
MAI-unofficially...abbe tujhe kya,tere family ke har member ko beech road me nanga karke maarun naa agar mai tab bhi ghanta nahi ukhad sakta koi mera...
rahi baat officially ki toh tujhe kya lagta hai...sirf ye DUSHYANT aur NAMITH hi backup banakar chalte hain...
meri MAA ke statement ke hisaab se is time me mai bhi ghar par hi milne waala hun...
SONU/NITS-same here...
MAI-aur mat bhool ki tum sabki recording hai mere paas...yahan kya kar rahe the tum,uski video public kar dun agar mai toh teri family ki influence chhod, izzat bhi naa bachegi...
meri baat sun chehra aur pila padh gaya tha PAWANDEEP ka...
is beech mai uske saamne pahunch chuka tha...
MAI-aur kuch...
PAWANDEEP-SANVY mai...
KDKKK....AAAHHHHH...CHATAKKKHHH...
apne index finger ko point kiya tha PAWANDEEP ne meri taraf jiske agle hi pal tod di thi maine woh ungli...
gaand faad chillaya woh jispar pada uske kaan me paas mera ek tez tamacha...
thappad ka impact itna tagda tha ki kaan se bleeding shuru ho gayi thi...
sunn ho chuke kaano se zamin par gir apni tooti ungli ko daba tadap raha tha PAWAN aur mai...
NITS aur SONU ke saath mai pahunch chuka tha DUSHYANT aur NAMITH ke paas jispar future moments me hone waale assault ko imagine kar kaamp rahe the dono...
is beech PAWANDEEP aur AZMAD ke saath piche chhut chuke saare SAMRAT ke bande apne dard ke beech kisi tarah rengte padte garage se nikalne lage the...
DHAKKK...DHAKKK...DHAKKKK...DHAKKK...DHAKKKK...DHAKKKK....
NAMITH/DUSHYANT-bhai, please...
DUSHYANT- please bhai,i beg of you...haath mat todna bhai..ahhhhh....
lagatar kayi punches maare maine dono ke faces par jiske baad unke ek ek haath ko jakad liya maine jispar gidgidane lage woh aur ye gidgidana mere unke hands par pressure dene ke saath badhta chala jaa raha tha...
haddi toot jaane waale feel se bhar ab un dono ka kaampna bhi aur badh chuka tha..
MAI-chill...haath nahi todunga tum dono ka...after all meri baat turant jo maan li thi tumne...
dono ke haath chhod diye the maine...
wahin apni baat se piche haththa nahi tha mai kabhi...jaante the ye baat DUSHYANT aur NAMITH isiliye khoon ris rahe aur suje thobde se uth rahe pain ke baawjud man hi man thode relaxed ho gaye the dono...
MAI-par tum dono ko ek kaam karna hoga mere liye...
DUSHYANT-jo bhi bolo bhai...
MAI-well nothing hard...wahi marna hai jo karne ka plan tha tum dono ka par now,just for a few hours...
subah loutunga mai...tab tak guard him...aane se thodi der pehle i will call any one of you,tab untie kar dena isse...
DUSHYANT-par bhai...untie karne par agar ye bhaag gaya toh...
MAI-bhaag toh mere jaane ke baad tum dono bhi sakte ho...
but i know ki aisa hoga nahi kyunki agar tum dono bhaage toh tumhare kidnapping ke proof ka jo video banaya hai naa,kuch editing jiske baad pura blame tum dono par hi aayega,us video ke ek copy ko tumhare school ke PRINCI aur ek copy ko hamari PRINCI ke saamne rakh dunga mai...
tumhari PRINCI toh bas resticate karegi tumhe par hamari PRINCI...she will make sure ki tum dono ka koi legal carrier kabhi bane hi naa...
meri dhamki aur hamare PRINCI waali baat ka impact itna zyada tha ki chehra peela padta chala gaya tha DUSHYANT aur NAMITH ka....
wakayi mere jaane me baad bhaagne ka socha tha dono ne jisse ab man hi man sire se khaarij kar chuke the woh...
unke dar aur us faisle ko feel kar sakta tha mai isiliye...
MAI-par mai jaanta hun ki tum aisa kuch nahi karoge... ache guards saabit karoge khudko...right...!!!
NAMITH-bilkul bhai...
MAI-good...
apni baat bol palta hi tha mai ki tabhi...
SAM-bhai SANVY...i am sorry yaar...ek baar mujhe samjhane ka mouka toh de...
SHHHHHH...
wapas palath SAM ke theek saamne pahunch uske face ke paas jhuka mai aur...
MAI-teri sabse badi problem yahi rahi hai...tu meri baatein dhyan se nahi sunta...
mere yahan aate hi kuch kaha tha maine...bhul gaya...
i said,i know everything about you... stretch kiya tha bakayada is sentence,phir bhi matlab nahi samajh paaya tu...
mere bolne ka matlab tha...
thoda aur aage badh SAM ke kaan me thodi ser kuch kehta raha tha mai...
kul do baatein thi jinme se ek sun aankhein apni hadh tak faile gayi thi SAM ki par us aascharya ne apni seema meri dusri baat sun kar laandh di...
fati aankhon se mujhe dekhne laga tha SAM aur sharir uska halke halke kaampne lag gaya tha...
MAI-ab bindaas khulla chhod do isse...nahi bhaagega ye...
FLASHBACK ENDS:-
NITS-puch puch kar thak gaya mai us kamine SANVY se ki aisa kya bola usne isse jiske baad baithe baithe hi mar gaya ye...
saale ne bataya nahi kuch par baat sahi thi uski...
jis haalath me chhod kar gaye the isse,ab haath pair khule hai iske par posture tak nahi badla isne...
EKPREET-aisa kya bol diya bhai...aur SAM,itna gir jaayega tu,kabhi socha nahi tha maine...
RAJAT-sach me SAM...saale khudko kidnap karwaya tune...aur SANVY ka jo pair fracture hua tha,woh bhi tera hi plan tha...chhi...disgusting SAM...
in SAMRAT ke loosers se jinhone hamesha tumhe hurt karna chaha mil gaya tu aur uske khilaaf plan kiya jisne har baar har problem se bachaya tujhe...kya bolun tujhe,samajh me nahi aa raha mujhe...
EKPREET aur RAJAT SAM ko bake jaa rahe the par DIMPLE ke dimag me dusri baat chal rahi thi aur isiliye...
DIMPLE-SANVY ko SAM ke plan ke baare me maalum tha...infact,iske har plan ke baare me maalum tha...
phir bhi hum teeno me se kisiko kuch nahi bataya usne...
NITS-make it 6...RASHI,KHANAK aur NAISHA ko bhi kuch nahi maalum hai... at least maalum nahi tha...
DIMPLE-par kyun...!!!
SAM-because he knows everything damn it...every.....damn....thing.....about usssss...
itni der se chupchaap badbadata SAM finally un muttering words ko chilla utha jisse sun EKPREET aur RAJAT toh bas hairan hue par DIMPLE...
ab baari uske chehre ke peeli padhne ki thi jisse dekh...
SAM-haan DINGLI...he knows everything...and i mean everything...hamare baare me bhi aur humse related baatein bhi...
ro hi pada tha SAM jisse dekh ek taraf ab DIMPLE halki halki kaampne lagi thi aur RAJAT, EKPREET...
sawal toh bohot aa jaa rahe the dono ke dimag me par SAM ko yun fafak fafak kar rota aur DIMPLE ke death expressions dekh kuch puchte nahi bana unhe...
par SAM ki baat sun NITS aur SONU smile karne lag gaye the jiske baad...
NITS-kya baat hai SAM...DINGLI...DIMPLE ka woh pet name jo sirf iski mom use karti hai,tujhe kaise pata...???
jahan tak mujhe pata hai, isne toh kabhi bataya nahi...
MAI BATAUN...!!!
mai tha ye joki chaaron girls ke saath door par khada tha...
mera face toh shaant hi tha par ANI aur baaki teeno girls bhi is waqt NEW GIRL aur SAM ko hirakat bhari nazaron se dekh rahe the...
raaste me un teeno ko dono ke baare me bata jo diya tha ANI ne...
MAI-isse toh pata hi hoga...
aakhir,BHAI BEHEN jo hain dono...
BOOM....
pin drop silence sa ho chuka tha pure garage me...RAJAT aur EKPREET ke saath saath NAMITH aur DUSHYANT bhi mooh faade kabhi mujhe toh kabhi sir jhukaye khade aur baithe SAM ko dekh rahe the...
wahin mera revelation sunane ke baad NEW GIRL ki jhuki aankhein band ho chuki thi jinke kinaaron se aansuon ki boond girne lagi thi...
EKPREET-kya bakwas kar raha hai SANVY...ye dono kaise bhai behen ho gaye...!!!???mai SAM ke har cousin ko jaanta hun,DIMPLE isn't one of them...
RAJAT-haan yaar,hoti toh hume toh kamsekam pata hi hota naa...
MAI-diye ke neeche hi sabse zyada andhera hota hai aur us andhere me kya panap raha hai,pata karna asaan nahi hota...
waise bhi ye dono cousin nahi hain,siblings hai...half siblings...
ANJALI-ye...this is one statement jo ab tak samajh nahi aayi mujhe...
ek ye baat...aur ek ye ki SAM...cheat karna ek baat hoti hai aur betrayal alag...
betrayal is a big word aur wahi karne ki koshish ki tune SANVY ke saath...
i mean seriously, soch kya raha tha tu...aur aisi kya baat hai jo SANVY ko trap karne ke liye itni lambi chowdi planning ki tune...
even hurt kiya tune isse...hurt...teri MAA ki...
mere hurt hone ki baat achanak hi jaise ghumi thi ANI ke dimag me jiske baad chehra ghusse se tamtama utha uska...
SAM ko maarne aage badhi thi woh par maine turant kandhe par haath rakh rok liya usse...
apne ghusse ko peete hue kuch pal ghura ANI ne SAM ko par phir ghumi uski nazar NEW GIRL ki taraf...
ANJALI-aur DIMPLE tu...tujhpar ghussa karun ya taras khaaun,ye samajh nahi aa raha mujhe...
maana ki behen hai tu SAM ki par ye toh pata hi tha na tujhe ki GALATH kar raha tha ye...
phir kya zaroorat padh gayi jo is looser ke har plan par chupchaap reh apni sehmati deti chali gayi tu...
SANVY loved you damnit... pehli ladki hai tu jiske liye genuinely dil dhadka tha iska...
aur kitna zyada dhadka tha,is baat ka saboot toh yahi hai ki sach jaanane ke baad mooh todna chahti thi mai tera par isne apni kasam dekar rok diya tha mujhe...
aur pata hai kya bola tha isne...
"JAANE DE NAA...USKA DIL BHALE HI MAILA HAI PAR MERA ISHQ TOH SAAF HAI"...
ANI ke mooh se meri kahi baat ko sun ashkon se saje apne aankhon ko utha meri dhundli zinda tasvir dekhi NEW GIRL ne par mujhme ab dhundti bhi toh kya...
chehra aur aatma...dono patthar se ho chuke the mere...
phir bhi kuch kehne ko hui woh par tabhi...
MAI-niklo be...
sard si awaaz me DUSHYANT aur NAMITH se kahi thi maine ye baat jispar dono ne amal fauran kiya...
turant nou do gyarah ho chuke the dono...
wahin meri awaaz me jo thandak thi,usse sun chup hi reh gayi thi NEW GIRL...
NEW GIRL jaanti thi ki aage kya hone waala hai..mai aise raaz kholne waala tha jo usne,SAM sur unki families ne sirf apne doston se hi nahi balki puri duniya se chhupa kar rakha hua hai...
ek aisa raaz jo agar duniya ke saamne aa gaya toh unki izzat mitti me mil jaani thi....
par sir jhukaye kisi mujrim ki tarah khadi reh apni,SAM ki and most importantly apne FAMILY ki haqiqat mere mooh se disclose hone ka wait karne lagi thi woh jiski shuruat RASHI ne kar bhi di...
RASHI-dude...SAM ki planning aur isse DIMPLE ka rishta tak sab bata diya hai tune...
par do main chizen ab bhi unclear hain...first ki how the hell is she SAM'S half sibling aur itna kuch jo SAM ne kiya, what's the actual reason...???
kyunki aise betrayal ka sirf ek race hi reason toh ho nahi sakta...
MAI-jo reason hai,woh in dono hi sawalon ka jawab hai...
ANI-kya...!!!
MAI-ek baat batao RAJAT, EKPREET...SAM ke dad se mile ho kabhi...!!!
mere sawal par ek baar phir ek baar phir halke se kaampe the SAM aur DIMPLE ke bodies...
EKPREET-PRANAV AHLUWALIA...haan,bohot pehle mila tha...
RAJAT-me too...
MAI-hahaha... that's a cover name brother...ek fake aadmi jisse SMRITI CHANDER ne duniya ke saamne apne pati ki identity di...
SAB-WHAT...!!!
MAI-yup...same thing goes for ARCHANA BATRA...
MANWANT BHASIN...dad waale coloum me yahi naam likhti ho naa tum...
bas halka sa nod kiya tha NEW GIRL ne jispar...
NITS-dont tell me...woh bhi fake hai...!!!
MAI-yup...
RASHI-holy cow...!!!par kyun...!!!in dono ki moms ne aisa kyun kiya...!!!asli husband ka naam batane me bhala kaisi sharm...
MAI-maamuli logon me nahi hoti par jab aap top business icon hon aur samaaj me GALATH maane jaane waale kaam kiye gaye hon toh you have to cover it...
SAB-matlab...
ANI-yaar aur suspense nahi jhel paayenge...ek baar me clearly bata de...
MAI-DIMPLE ki aur SAM ki moms cousins hain...from there mothers side...isiliye dono ke surnames alag alag hain...
unhi surnames ko ye dono bhi use karte hain...
ye ek aur jhatka tha jispar sabki aankhein badi ho chuki thi...
ANI-and what about there father's...!!!
MAI-fathers nahi babe...FATHER...dono behno ne ek hi shaksh se shaadi ki hai aur yahi wajah hai ki they have kept there marriage under cover...
(isiliye CHRISTMAS me SANVY ke ghar ek dusre ko ghoor rahi thi SMRITI aur ARCHANA)
aur koi hota toh disclose kar bhi dete par jisse in dono ki mom's ne shaadi ki hai,he is a way bigger name then ARCHANA BATRA and SMRITI CHANDER combined...
and he is...
MR JAIDEN CHOWDHARY...
AAJ KE LIYE ITNA HI...
AAPKA APNA V...J...
Bhai kya kamal ka kand kiya hai
Sala khopri hi hil gaya
Puri story hi chenge kar di jo socha sab khatam
VJ bhai me aage kya kahu aap purush nahi Maha purysh ho
Ese hi shock diya karo