• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Surya1

New Member
57
119
33
Outstanding to be honest mene jab story ko pahle read karna start Kiya tha toh mene story ko bookmark kiya tha but us time story kafi slow thi toh mene left kr diya but I think jahan se mene story ko left kiya tha wahan se dubara read karna padega interesting 🤔🤔

By the way fantastic narration also aapki creativity kaafi acchi hai and one more thing main jadatar one word me hi tarif karta hu but aapki story really kaafi impressive hai
 
Last edited:

Golu

Active Member
1,031
2,950
159
Gazab ka update hai bhai time nhi tha jldi jldi padh liya ab phir se ek baar read karna hai aur jo aapne likha India is my country all indians are my brother and sister
Ye ham sb bhi school time hame bhi ye sapath dilwai jati thi aur aaj bhi hamare school me ye hota hai Kya relate karte ho aap real life se bs isi se aap ki story best lagti hai
 

Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,743
17,793
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SAM SABKO APNE DIYE DHOKE KA REASON BATATA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY SAM KO ASHWASAN DETA HAI KI WAHI IS BAAR BHI SCHOOL CHAMP BANEGA.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


DATE-1ST JANUARY 2021

MEGA UPDATE-86


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE






HAPPY NEW YEAR MERA BACCHA... SUBAH SE GAYA, ABHI LOUT RAHA HAI TU...

MMM...YOU ARE SMELLING SANVY...BUT BODY SWEAT KE SAATH KUCH AUR SCENT BHI HAI...

ARRE YE TOH DUMP YARD SMELL HAI THAT TOO FROM A VERY OLD ONE...

SAHASTRADHARA ROAD WAALE DUMPING GARAGE ME TOH NAHI GAYA THA TU...

CHAL JALDI SE NAHA LE...LUNCH KARTE HAIN...

TERE CHAKKAR ME MAINE BHI NASHTA NAHI KIYA...

WAISE TERI FAVOURITE CHETTINAD BANAYI HAI...CARAMEL CUSTARD BHI...DEKHNA,AAJ TERE SE ZYADA KHAA JAAUNGI MAI...

BET LAGAYEGA...


mere ghar aate hi hall me dikhi mujhe meri MAA jinhone chand seconds me apna pyar aur vilakshan buddhi ka namuna saath me hi dikha diya tha...

kahan tha mai,bas smell kar hi andaza laga liya tha unhone par most importantly,jaanti thi woh ki is waqt mera mood sahi nahi hoga isiliye mere ghar se nikalne ke baad se hi mere pasand ka khaana banana shuru kar diya tha unhone...

par har baar sahi hone waali meri super awesome MAA aaj thodi hi sahi, GALATH ho gayi thi...

haan,mood zyada smooth nahi tha mera par kyunki bohot pehle hi aaj ke din ke liye ready kar liya tha maine khudko, isiliye dimag par stress kam tha mera aur jo thoda bohot tha,woh bhi MAA ko dekhte hi door ho chuka tha...

meri hi tarah woh bhi soyi nahi thi raat bhar se...

magar jahan ek taraf raat ke baad in chand ghanton me mai murjhaya sa lag raha tha wahin hare rang ke chamakdaar salwar suit me MAA vasant rutu ki jeeti jaagti pratik lag rahi thi...

thakaan ka naamonishan nahi tha unke chehre par aur iske upar unki sanjeevani smile jisne mere andar ek naya jeevan sa fookh diya tha...

MAA ki baaton ke beech mai unke piche pahunch chuka tha jiske baad piche se kisi chote bache ki tarah unhe pakad jhul sa gaya mai...


MAA-arre kya kar raha hai...nahaya nahi aur chipak gaya...

kadh mere se zyada ho chuka hai phir bhi gayi nahi tere bachpan ki aadat...

MAI-i am fine MAA...

yahi toh sunana tha MAA ko...


isiliye halke smile ke beech unka bhi stress jaata raha tha...


MAA-pakka...!!!

MAI-100 percent...

MAA-jaa phir... take a shower...wakayi bhook lagi hai mujhe...

MAI-10 minutes,max...

MAA-15 lagenge...


turant room ki taraf badh chuka tha mai ki tabhi piche se MAA ki baat jo bohot dheeme boli thi unhone,suni maine par rooka nahi mai...

room me enter karne ke agle hi minute bathroom me ghus chuka tha mai...

HAAAAA....SSSHHHHH...

shower se nikle thande paani ki bundo ne jaise hi chhua mere sharir ko,bahar me saath saath andar se bhi thanda hote chala gaya mai...

aur koi din hota toh aadhe ghante se pehle bathroom se nikalna nahi tha mujhe par aaj nahi...

10 minute me ready hokar MAA ke prediction ko GALATH jo saabit karna tha mujhe...

5 minute me hi bathroom se bahar aa chuka tha mai aur 9 minutes me hi i was all ready to go out...

hand watch par apni jeet dekh door knob touch kiya hi tha maine ki tabhi kuch flash sa hua mere dimag me jiske baad kadam mere wapas ho gaye...

Almirah kholi maine aur inside locker open kar uske andar rakhi ek CHEEZ nikaal li...

ek DIARY...

normal din ki aap beeti likhne waali diary nahi thi ye...

naahi kisi aur obvious chiz waali notebook thi...

maine aaj tak jo kuch bhi sikha hai,mera har hunar...

mere har hunar ka kaath aur us kaath par chalne waala daav...matlab mere astitv ke neev ka har inch do jeeven deyi pattharon par tika hua tha...

pehli thi meri MAA aur dusri thi ye diary jo mere pitah ne mujhe di thi...

iske andar band tha unka har manovagyanik hunar...

ek aisa hunar jo har sharirik aur mansik shamata ko kayi guna badha deta hai...

ye DIARY mere pitah ke experiences me use hone waali soch se nikle natijon ka asar tha...har SAHI,har GALATH jo woh mujhe sikhana chahte the,isme likha tha unhone...

agar ek vaakya me kahun toh agar MAA ne mere sharir ko kaabil banaya tha toh mere pitah ke is diary ne meri aatma tak ko woh mazbooti di thi jisse mai bade se bade negative aandhiyon ke beech bhi kisi chattan ki tarah adig reh sakun...

aise psychological advises ki kya zaroorat thi,ye toh kabhi pata nahi chala mujhe par mere high temperature aur hot mental piece ke liye hamesha ram baan ki tarah kaam kiya tha is diary ne isiliye details par kabhi gaya nahi mai...

anyways,us badi aur moti diary ko pakad uske first page par flip kiya maine jispar us puri dairy ka SARANSH likha hua tha...


"BE THE WRONG THAT MAKES EVERYTHING RIGHT"...


diary kholne ke baad har baar us line ko zaroor padhta tha mai...

flip karte hue finally us page par pahuncha mai jiske beech me pen fasayi hui thi maine aur jispar ek ke baad ek chaar short headings diye gaye the...


1ST-UNTIL NEEDED, DON'T SHOW OFF YOUR TALENTS...

first heading par likhe nirdesh ka paalan toh mai bachpan se karta aa raha tha...

kabhi apna koi bhi hunar sabke saamne khul kar dikhaya jo nahi...

2ND-KNOW YOUR ENEMIES BETTER THEN YOUR FRIENDS...

DUSHYANT,NAMITH,ROHAN,ROUNAK,ARIF REZA,USKA BHAI...

is heading me likhe nirdesh ko padhte waqt un aur jaise sabke faces aur unke saath meri bhindat ghum gayi thi mere dimag me...

3RD-REALITY IS A FLEETING THING...

(aksar jo dikhta hai woh hota nahi aur jo hota hai woh hum dekhna nahi chahte)

is heading ko padhte waqt mere aankhon ke saamne KHANAK waala incident ghum gaya tha...

4TH-EVEN IN THE MATTERS OF HEART, DON'T LEAVE YOUR BRAIN BEHIND...

(dil ke maamlon me bhi dimag piche mat chhodna)

is final heading ko padhte waqt ek smile naach uthi thi mere face par...

abhi abhi issi situation se jo guzra tha mai...

khair,un chaar headings ke baad ek ek box tha...un chaar boxes me se teen par right tick kiya hua tha maine jiska matlab tha ki job done correctly...

pen utha us final box par bhi tik kar diya maine...


MAI-pata nahi kis chiz ke liye ready kar rahe hain aap mujhe but jo bhi hai,i hope i am doing good dad...!!!

diary band kar usse wapas almirah me rakh palath gaya mai...

ek baar phir door knob open karne ko hua mai par tabhi meri nazar padi apne kalayi par bandhi watch par jiske hisaab se 15 minutes guzar chuke the...


MAI-wow...MAA,ek baar phir...sahi ho gayi aap aur mai GALATH...





2ND OF JANUARY,SIRIUS

SIRIUS-THE SPORTS MEET





"FOR ALL GOOD THOUGHTS AND FINE DESIRES WHICH HAVE COME TO OUR MINDS. O GOD, GRANT THAT THESE MAY NOT BE UNFRUITFUL IN US. MAY GOD BLESS MY MOTHER, GOD BLESS MY FATHER, GOD BLESS MY SISTERS, GOD BLESS MY BROTHERS, GOD BLESS MY TEACHERS, GOD BLESS ME AND MAKE ME A GOOD CHILD.

AMEN...

gigantic digital screens ke beech aaj hamare school ke indoor nahi balki outdoor track stadium me ho rahe essembly me gunj uthi thi 2,680 students ke mooh se nikal rahe LORD'S PRAYER ki awaaz...

dekhte hi banta tha aaj SIRIUS ka nazara...

100 not out likhi hui ek vishaal rangoli campus ground me banayi gayi thi jiska aakar 200 feet se bhi zyada tha...

colour full balloons ko pure school me 200 feet hawa me upar lagaya gaya tha...

abhi essembly shuru thi isiliye mahoul shaant tha warna aaj shuru se hi school ke chaaron bhaag D.J ki awaaz se lagatar gunj rahe the...

GREEN, RED, ORANGE,WHITE... matlab GROW...hamare school ke chaar houses jinme use hone waale colours sabhi students ne aaj pehne hue the...

un colourful kapdon me students bhi chalte firte rangoli jaise hi lag rahe the...

har movement ko capture karne ke liye drone camaras upar hawa me ud rahe the...

stage mid ground lagaya gaya tha jispar is waqt PRINCI ke saath pura teaching aur non teaching staff moujud tha...

ye toh tha SIRIUS ka scene par aise bi milte hi milte julte scenes is waqt DEHRADUN ke har naami school ke the aur woh sabhi school students aur unke faculties abhi digital screens ke through hume hi dekh rahe the...

ek ke baad ek sabhi schools ka essembly hua tha aaj aur kyunki SIRIUS is event ka mezbaan tha isiliye hamari essembly last me ho rahi thi...

jis bhi school ki essembly hoti thi,baaki sabhi schools me lage digitals screens par bas ussi school ki live futtege dikhayi jaati thi...

aise me jab baari hamare school ki aayi toh live screen par SIRIUS ka mahoul,yahan ki saaj sajja dekh sabhi school's ki aankhein badi ho gayi thi...

waise saje toh aaj sabhi schools the par SIRIUS toh SIRIUS hi tha...the best in everything...

khair, LORD'S PRAYER ho chuka tha jiska matlab tha ki ab baari thi PLEDGE ki...

DHAMMM...

DRUM ki ek tez awaaz hui jiske agle hi pal saabhi students ka right hand oth lene waali mudra me half uth chuka tha...

"India is my country and all Indians are my brothers and sisters.
I love my country and I am proud of its rich and varied heritage.
I shall always strive to be worthy of it.
I shall give my parents, teachers, and all elders respect and treat everyone with courtesy.
To my country and my people, I pledge my devotion. In their well-being and prosperity alone, lies my happiness.”

JAIHIND...

DHAMM...

JAIHIND ke naare se gunj utha tha pura school jiske agle hi pal el baar phir baji drum aur sabhi ke uthe haath neeche ho gaye...

ab bas baaki tha national anthem jispar savdhaan hone ke liye students"TIME FOR THE NATIONAL ANTHEM",PRINCI ki ye statement aur ek baar phir drum ki awaaz ka wait karne lage par for there surprise,aaj kuch alag hone waala tha...

SIRIUS....VIIIIIIIISHRAM...

THATTTTT..

SIRIUS....SAAAAAAVDHAAN...

THATTTT...

two hand distances me aaj sabhi lines bani thi par ye saari lines left aur right me bati hui thi...

beech me ek 10 feet chowda gap banaya gaya tha aur ussi gap ke me students line ke end se ubhri thi ye tez mike awaaz joki thi school champ SAMEER CHANDER ki...

is sudden change aur most importantly,awaaz me bataye command ko sun hadbadaye toh sabhi students the par is hadbadahat ne kisike bhi response time me fark nahi laaya tha...

SAMEER ki awaaz gunjte hi sabhi students turant pure garmjoshi ke saath apne apne pair knee hieght tak uthate hue vishram position me aa gaye the aur agle ho pal savdhaan command ke gunjte hi un sabke pair ek baar phir uthe aur seena chowda karne ke beech pura SIRIUS bilkul ek awaaz aur time par savdhaan position me aa chuka tha...


SAMEER-SIRIUS KADAMTAAL KAREGAAAAA KADAMMMMMTAAL....

DHADATATADHADATATADHAM...


SAMEER ke next command ke beech jahan ek taraf sabhi students bilkul perfectly KADAMTAAL karna shuru kar chuke the wahin kisi commander in chief ki tarah jacket pehna SAMEER left haath se marchpast swing kar aur right hand se jisme usne ek swift as in patli blade waali sword pakdi thi,usse badi lay me ghumata hua aage stage ki taraf marchpast karta hua jaane laga...

sabhi students ka KADAMTAAL joki bilkul ek sink me tha aur un sabke beech se kisi daksh high rank soldier ki tarah marchpast kar aage badh rahe SAM ko digital screens par dekh sabhi schools ke students aur faculties ki aankhein ek baar phir badi ho chuki thi...

waise toh marchpast ki pratha DEHRADUN ke har school me thi...15th august aur 26th January ko sabhi schools apne apne schools me marchpast karte hi the par SIRIUS ke level ke aas paas bhi nahi the woh sab...

suna tha sabhi school's ne ki SIRIUS ka marchpast army level ka hota hai aur aaj ye sach woh sab sakhshaat dekh rahe the...

waise hairani ki wajah ek aur bhi thi jo un sabhi schools ke saath jaise jaise SAMEER aage badh raha tha, SIRIUS me bhi hone lagi thi...

aur woh wajah...

MR JAIDEN CHOWDHARY...

12 fully armed guards joki unhe piche se ghere hue the, SAMEER ke piche dheere dheere badh rahe the uske dad MR JAIDEN CHOWDHARY...


GREY COLOURED STUART HUGUS DIAMOND EDITION'S THREE PIECE SUIT(WORTH 7 AND A HALF MILLION DOLLAR)

CHOPARDS JANUS WATCH (WORTH 3 AND A HALF LAKH POUNDS)

BLACK TESTONI ITALIAN HANDCRAFTED SHOES (WORTH 50 THOUSAND DOLLARS)...


overall aise accessories jinki keemet itni thi jitna ek upper middle class banda bhi apni puri zindagi me kama nahi sakta tha,apne sharir par odhe SAMEER ke piche piche chalte hue aa rahe the MR JAIDEN CHOWDHARY...

kadh 6.2,bulky but athletic body, complexion bright,sharp black eyes jinme bhaampne waale ko zamaane bhar ka kaminapan saaf dikh jaaye,43 ki umar me bhi 33 se zyada nahi...

sidhe aur saaf shabdon me ek atti prabhavshaali vyaktitv ke maalik the MR JAIDEN CHOWDHARY...

kadam taal kar rahe students ki gardan waise toh sidhi hi thi par apni apni nazar ko JAIDEN CHOWDHARY ki taraf ghumane ke baad unse hata nahi paa rahe the woh sab...

43 ki umar me bhi school ke senior girls ke first sight crush banane lage the JAIDEN CHOWDHARY...

ground ke chaaron taraf stands lage hue the jinme ex students ke saath saath parents aur kuch SIRIUS ke college division students bhi moujud the jo yahan school me specifically apne idol JAIDEN CHOWDHARY ko dekhne aaye the...

aur ab jab woh sabke beech the toh stands par baithe zyada tar logon ke mobiles JAIDEN CHOWDHARY ko capture karne ke liye bahar nikal chuke the...

wahin in sab ke beech MR JAIDEN CHOWDHARY apne bete ke piche jo is waqt ek tarah se ang rakhshak tha unka,bade proudly aage badh rahe the...

baap aur bete,dono ke liye hi ye moment kaafi proud tha jisse is waqt directly aur camaras ke through pura DEHRADUN ya phir ye kahun ki saara Uttarakhand dekh raha tha...

marchpast karte hue SAMEER apne class ke baaju se guzarne laga tha...

aisa hote waqt uski nazar ek second ke liye apne group ki taraf gayi thi...

KHANAK,RASHI,ANJALI,NAISHA,EKPREET,RAJAT,NITS aur SONU ki nazar bhi is waqt SAM par hi thi...

par jahan kabhi SAM ko yun centre of attraction bane dekh un sabko proud feel hota tha wahin aaj unki nazaron me uske liye sirf negativity dikh rahi thi...

is baat ka bura toh laga tha SAM ko par zyada taklif usse SANVY aur apni behen DIMPLE ko dekh kar hui thi jo sidhe dekh bas KADAMTAAL kiye jaa rahe the...

jahan ek taraf DIMPLE ka face straight tha par usme chhayi udaasi saaf dikh rahi thi wahin SANVY bilkul stone face liye khada tha...

ek nazar un dono ko dekh apni nazarein saamne kar li thi SAM ne...

DHAMDHAM...DHAMDHAM...

THAKKKKK...

jaise hi SAMEER stage ke saamne pahuncha aur MR JAIDEN CHOWDHARY usse cross karte hue stage par chadh PRINCI ke paas pahunch students ko face karte hue khade ho gaye,toh baja KADAMTAAL break karne waala double beat jiske baad theek 8 KADAMTAAL steps par sabhi students ke kadam wapas savdhaan position me aa chuke the...

JAIDEN CHOWDHARY-nice...

ye sudden marchpast ka idea JAIDEN CHOWDHARY ka hi tha aur is idea par students ke performance se wakayi khush hue the woh...

wahin JAIDEN CHOWDHARY ka one word praise PRINCI ne bhi sun liya tha aur isiliye ek proud smile naach uthi thi unke face par...

DHAMM...

DHAMM...

national anthem alert beat tha first drum roll aur second beat anthem start karne ka tha jiske bajte hi sabhi students, faculties attention mudra me anthem gaana start kar chuke the...

stands par baithe sabhi guests bhi attention position me khade the and even JAIDEN CHOWDHARY ke bodyguards bhi joki is waqt neeche se stage ko chaaron taraf se ghere hue the, apne haathon me holded guns neeche kar liya tha un sabne...

exactly 52 seconds hote hote hamara national anthem pura gaa liya tha sabhi ne...

anthem pura hote hi normally at ease position me aa jaate the sabhi students par kyunki aaj sabke saamne stage par MR JAIDEN CHOWDHARY the isiliye kisi ne bhi apna attention position toda nahi tha...


PRINCI-parents, teachers,my dear students and everyone who is digitally connected with us today...

jaisa ki aap sabko pata hai ki SIRIUS ka sports meet exactly 4 dino tak chalta hai aur kyunki is baar ye sports meet interschool level ka hone waala hai isiliye participate karne waale har school ka sports meet schedule bhi itne hi duration ka hoga...

sabhi school se har sport event ke first aane waale participant final as in 4th day me yahan, SIRIUS me ek dusre ke saath participate karenge...

but the most important race,the 400 metres track ka interschool level final race aaj hi conduct kiya jaayega...

infact,aaj har school ka first event 400 metres hi rakha gaya hai jiske pura hote hi sabhi schools ke winners turant SIRIUS apne final interschool level race ke liye niklenge...

hamare guest of honour aaj is aitihaasik race ko witness karne hi aaye hain...

aur aap sabko ye jaankar behadh khushi hogi ki sports meet ke aakhri din bhi yeh yahan aane moujud rehne hain...

for the second most important event,200 into four relay race but more importantly, to crown the champion...

and now,to declare this historical sports meet open but more importantly,to talk and motivate you all,i would like to request aur special guest of honour MR JAIDEN CHOWDHARY to take the center stage and shower his wisdom words upon us all...

please sir...

PRINCI halka piche hath gayi thi jiske baad apna PERSOL 714 limited edition goggles pehen sir halka shake kar smile dete hue PRINCI ki jagah mike ke saamne khade ho gaye MR JAIDEN CHOWDHARY...


JAIDEN-seriously RANJANA MA'AM...!!!wisdom words...for you too...

hahaha...aisa lag raha hai jaise samandar paani maang raha ho...

aap sabko apne PRINCIPAL MRS,RANJANA MA'AM ka basic info toh i think pata hi hoga...

oxford return hain ye... literature and most importantly,social psychology me masters kiya hain inhone but aap me se bohoton ko inki kuch bohot hi important real achievements ke baare me pata nahi hoga...

psychology me international contribution ke liye kuch khaas awards bhi hote hain...

Outstanding Graduate in Psychology award

Psychology Research Apprenticeship award

Psychology Student Travel award

Wawokiya Service award

ye awards kisi bhi physiologist ke liye highest honor hote hain joki unhe perfect human behavior analysation ki wajah se milte hain...

aise analysation ko samjhaane ka sabse acha shroth hote hain physiological books...

some of them are...

"THE ART OF STUDYING MINDS"...

"EMOTIONAL BRILLIANCE"...

"POWER OF A QUITE MIND"...

and my personal favourite...

BLACK PSYCHOLOGY...SECRETS & MANIPULATION...

ye saare books physiology ke kshetra me best selling books hain aur inhe ek hi author ne likha hai...

R.M...

yahi signature likha hai in sabhi books ke neeche...jaante hain ye R.M kaun hain...???

aapki apni PRINCIPAL,MRS, RANJANA MATTHEWS...

sabhi excited the JAIDEN CHOWDHARY ko sunane ke liye...ek aisa naam jisne puri duniya me apna naam chhoda hua tha...

par apni PRINCI ke in asal world class achievements jinke baare me wakayi kisi bhi student aur teacher ko maalum nahi tha,jaankar sabhi ki aankhein badi ho gayi thi...

digital screens par bhi JAIDEN CHOWDHARY ki baat sun rahe sabhi log hadh se zyada hairan ho chuke the...

aise bohot se schools ke PRINCI the jo jalte the RANJANA MATTHEWS se aur kisi bhi tarah uski barabari karna chahte the par aaj hue revelation ko sun woh level up karne ki un sabki chaahat unke pichwade me ghus chuki thi...

wahin international level par renowned hone ke baawjud jis simplicity ka chaadar PRINCI odhe rakhti thi,woh aaj bin sikhaye hi sikha di thi sabko unhone...


JAIDEN-anyways, kabhi mai bhi aap sabki tarah jahan aap sab khade hain,khada hua karta tha is ummid me ki boring speeches jaldi se khatm ho aur sports event start ho jaaye...

isiliye aap sab ka zyada waqt nahi lunga mai...

bohot saal pehle jab mai yahan student tha toh theek aaj jaisa hi ek sport meet hua tha...

jisme DEHRADUN ke best sport person ko direct NATIONAL QUALIFIER ka inaam milne waala tha aur ye award mujhe hi mila tha...

bohot log hain jo us achievement ko kaafi maankar rook jaate, satisfied feel karte but not me...

mere liye woh achievement mahaz pehla step tha...the first step to climb all the stairs of success...

and i climbed all those stairs and got many more rewards on the way...

unme se zyadatar awards ko toh aap sab google me mere wikipedia par bhi padh sakte ho but ek aisi achievement bhi hai jo wahan nahi likhi par aap sab us achievement ko lagbhagh har din hi padhte aaye ho...

JAIDEN CHOWDHARY ki baat sun sabhi students ke faces par confusing expressions dikhne lage the joki laazmi bhi tha...

JAIDEN CHOWDHARY ki achievement woh sab lagbhagh har roz padhte the aur unhe hi pata nahi tha...

aise bhala kaise ho sakta tha...!!!

wahin JAIDEN CHOWDHARY bhi students reaction ko dekh smile karne lage the...


JAIDEN-"THE PLACE WHERE CHAMPIONS ARE ELEVATED TO BECOME LEGENDS"....

aapke school ka slogan pehle ye nahi tha...

WE SOAR WITH PRIDE...hamare time me slogan ye hua karta tha...

abhi jo slogan hai,ye mere us sports meet ko jeetne ke baad usme mile reward ko capitalize kar jab maine nationals me bhi apne school ka flag lehraya tha toh us first national level victory ko celebrate karte hue school ke slogan ko change kiya gaya tha...

aaj ek baar phir aisa kuch karne ka mouka aao sabko mil raha hai..

i am not saying ki aap me se koi yahan jeetne ke baad agar nationals bhi jeet jaaye toh slogan ek baar phir badak jaayega...

I don't think so but us jeet ka impact utna hi strong hoga jitna strong message us slogan me bataya gaya hai...

aur ye mai sirf hamare hi nahi balki pure DEHRADUN ke sabhi school ke har ek student liye keh raha hun...

lastly,jo bhi yahan jeete,bas itna yaad rakhna...

ACHIEVERS NEVER COMPROMISE...

ye aakhri messenge JAIDEN CHOWDHARY ne apne bete ko dekhte hue kahi thi jiske baad...


JAIDEN-and now without any further ado...

I DECLARE THIS MEMORABLE SPORTS MEET OPEN...

LET'S START THE SHOW...

BOOMMMM...BOOOMMM....BOOOMMM...


JAIDEN CHOWDHARY ke announce karte hi ground ke chaaton taraf tez aatishbaazi hone lagi thi aur JAIDEN CHOWDHARY ki speech sun josh se bhare sabhi students unhi aatishbaaziyon ko takkar dete hue loud sound clapping karne lage the...


NITS-badi badi baatein,bheeng maang ke khaate...

hath louda...achievement ke baare me sabko bataya par character aur sahi GALATH ke baare me apne bacchon ko batana bhul gaya...

ghante ka acheiver hai ye...

MAI-apni khunnas me sach ko jhuth me toh nahi badal sakte...

12 multinational companies jinse 75 thousand crores ka net bank balance banaya...

ExxonMobil,united health group,mercadolibre,tcs aur amazon me 10 thousand crore worth shares...

6 mahine pehle petroleos de venezuela oil mines me 15 percent ki partnership haasil ki, resulting 75 crores sheer extra profit per day...

achiever toh hai bhai...

haan, character nahi hai par apne ko uske aur usse related logon se hi matlab naa hai toh achar daalenge vyavahar ka...

yahan bore lag raha hai ab... canteen me hun,race ke baad aa jaaiyo wahin...


NITS ke taunt ke baad mere jawab se just pehle DIMPLE hamari taraf ya phir ye kahun ki meri taraf aa rahi thi ki tabhi apne dad ka financial detailed calculation mere mooh se sun halki si shock hui woh par phir meri information capability ko yaad kar dimag jhatak wapas aage badhne lagi hi thi woh par lekin character ko lekar jo aakhir me kaha maine,woh sun kadam rook gaye the uske...

wahin apni baat bol canteen taraf badh gaya tha mai...


MUJHE BAS EK BAAT ABHI TAK SAMAJH NAHI AAYI...???

mujhe piche se jaata hue dekhne ke beech RASHI ne kahi thi ye baat...


SONU -yahi nnaa kki itni pplaning kkarne ki aakhir SSAM kko zaroorat hi kkya thi...???

RASHI-actually...i mean,ye sab usne aaj jeetne ke liye kiya tha par jeet toh waise bhi raha hi tha...he is the fastest...

hahahahaha....right!!!


RASHI ki baat sun NITS,SONU aur ANJALI teeno hi has diye the aur unhe yun khilli udaane waali hasi haste dekh RASHI, KHANAK,NAISHA ke saath saath EKPREET aur RAJAT bhi hairan ho gaye the...

KHANAK-what's so funny...!!!

ANJALI-funny hi toh hai... simple logic bhi laga nahi paa rahe tum sab...

SAM agar best hota toh itna parpanch karta hi kyun...!!!

NITS-yup...SAM is no match Infront of SANVY...

RASHI-what...!!!???

SONU-haan...SAM kki speed DIMPLE jjitni hi hai aur hhumne SANVY kko usse easily hharate dekha hai...

ab ttum hi bbatao kki jab DIMPLE kko SANVY easily hara ddeta hai ttoh SAM kkahan tikega uske aage...!!!

RASHI-aisa hai toh phir aaj SANVY kyun race me participate nahi kar raha...itni golden opportunity hai uske saamne...

he can show himself as the best athlete of DEHRADUN aur SAM ke saare manipulations aur cheat ka bhi jawab de sakta hai woh...

ANJALI-tum SANVY ko samajh hi nahi paayi...

show himself as the best...!!!jo show off kare woh SANVY nahi...

aaj tak usne kisi race me hissa nahi liya toh ab kyun lega bhala...!!!

rahi baat SAM se badla lene ki toh agar aisa intention SANVY ka hota toh aaj SAM yahan pahunch bhi nahi pata...

NITS-SANVY ne dosti bhale hi tod di hai SAM se par usse harakar sabke saamne humiliate nahi karega woh...

KHANAK-but why...!!!SAM champ tag ke layak toh hai hi nahi, phir kyun SANVY...???

ANJALI-i think he has promised SAM...kyunki ek promise hi hai jo SANVY kabhi nahi todta...

andaza sahi laga liye tha ANJALI ne...

NITS-haan,yahi baat hi sakti hai...kyunki SAM ke saare planning plotting se ek baat toh clear hi hai that woh that he knew ki SANVY ia better than him...

aur is baat ki assurance toh sirf tabhi ho sakti hai jab kabhi race kiya ho un dono ne jisme SANVY ne usse beat kar diya hoga...

SONU-rright...ppar race haarne ppar SAM ko promise kkiya hoga SANVY nne ki ssabke saamne wahi SIRIUS kka champ rrahega...

SANVY ki sangat ka hi asar tha ye jo uske sabhi kareebi doston ne situation ke according saari baat sach predict ki thi...

wahin un teeno ki baat me baaki sabko bhi wazan lagne laga tha aur isiliye...


KHANAK-kya hai ye SANVY yaar...!!!samandar hai pura...jeetni gehrayi me bhi chale jaao,utna aur gehra hota chala jaata hai...

SAB-true that...

DHAAAA...


ek dusre se baat kar woh sab bhi canteen ki taraf badh hi rahe the ki tabhi pure ground me starter pistol ki firing gunj uthi...

jaisa ki PRINCI ne bataya tha...400 metres track ka school level aur interschool level dono hi aaj hone waale the...

school level par first race ki fire thi ye jiske shoot hote hi SAM aur baaki sabhi participants ne apni puri jaan lagakar doudna start kar diya tha...

aur kuch der baad natija wahi hua jo sabne pehle hi anticipate kar liya tha...

lagbhagh 20 metres se SAM ne 400 metres ka ye first round jeet liya tha...

first round isiliye kyunki is race ke liye participants bohot zyada the jinhe kul 3 baari me doudaya jaane waala tha...

phir finally un teen baariyon ke first aur second position me aane waale students ek baar phir best racer ke liye final round me doudne waale the...

same chiz girls ke saath bhi thi...SAM ke baad girls ka hi 400 metres ka run tha jisme hamare hi class par B section se ek ladki ne baazi maar li thi...

same chiz second round me bhi hui jab B section se hi ek ladki first aayi thi aur isiliye stands par baithe B section ke students A waalon ka mazak udaa rahe the...

unhi ke beech akele sunya ko ghurte baithi thi DIMPLE jisse naa toh race se koi matlab tha aur naahi kisi aur chiz se...

dusri taraf winners ke liye alag se dug outs bane the jinme baitha SAM apni behen ko hi dekh raha tha...

usse bohot bura feel ho raha tha par itna sab hone ke baad usme himmat naa thi ki woh jaakar DIMPLE se baat kare...

wahin hamare school ke race ke saath sabki nigahen digital screens par bhi tiki thi jahan same 400 metres ka race hi ho raha tha...

baaki school ke racers aur winners par toh kisi ka dhyan nahi tha par PRINCE waale digital screen par sabki nazarein gadi hui thi...

PARAG aur CHARVI jo doud rahe the wahan...

PARAG was very fast par phir bhi uski kisi ko koi khaas tention nahi thi par CHARVI jis speed se doudi thi,hamare school se ab tak ki koi bhi first position holder ki speed utni nahi thi...

ye chiz baaki sabki tarah NITS and group ne bhi gour ki thi isiliye ek dusre ko dekhne lage the sab...

ab baat SIRIUS ke pride ki thi jisse apne personal man mutaav ke liye compromise nahi kar sakte the woh sab...

aur isiliye...

ANJALI-isse atonement ya prayaschit kehti ho tum...


DIMPLE jiska sir filhal neeche tha,ANJALI ki awaaz sun turant uski taraf uth tha...

ek feeki smile naach uthi thi DIMPLE ke face par...

DIMPLE-atonement nahi, punishment that i deserve...

ANJALI-what about our school...???

itna sab kuch hone ke baad bhi kal SANVY ki aankhon me dekh kar kaha tha tumne ki you love him...

SANVY yahan race sirf isiliye hi kar nahi raha kyunki he wants your brother to win...

iski ek aur wajah ye bhi hai ki SAM ko aur koi hara nahi sakta which means that the champ title will remain within our school...

agar aisa nahi hota toh SANVY abhi yahan track par hota kyunki kuch bhi ho jaaye, apne school ko haarte hue nahi dekh sakta woh...

in manipulative time me jitna bhi waqt guzara hai tumne SANVY ke saath,apne school se loyalty toh kamsekam sikhi ho hogi usse...

time to implify that knowledge babes...

apni baat bol palath kar aage badh gayi thi ANJALI par phir thoda aage badhne ke baad rooki woh aur bina palte hi...


ANJALI-ye galathfehmi mat paalna ki agar race jeet li tumne,school ko uska champ tag retain karwa diya toh SANVY maag kar dega tumhe...

apni baat bol group ke paas pahunchi hi thi ANJALI ki tabhi face par uske ek smile naach uthi...

REASON...

DIMPLE...DIMPLE..
DIMPLE...DIMPLE....

race track par pahunch chuki thi DIMPLE aur aisa hote hi students ke beech CHARVI ke speed ko dekh jo nervousness aayi thi,woh gayab ho gayi...

they all started cheering for DIMPLE aur guzarte palon ke saath kam hone ke bajaye badh gayi thi cheering kyunki race jo record speed se jeet liya tha DIMPLE ne...

uske race jeethathe hi jahan ek taraf tez hooting hone lagi thi wahin dusri taraf DIMPLE ki nazarein sirf SANVY ko hi dhund rahi thi par jab woh nahi dikha toh...

DIMPLE-jaanti hun race kitne hi jeet jaaun, par tumhe ab dobara jeetna mushkil hai...

par ek tum hi toh ho jisse DIMPLE ko haarne se taklif nahi balki khushi milti hai...


i love you SANVY...

NOW, TOMORROW,FOR EVER...


WOWOWOWOWOOOOOOOOO....


agle 1 ghante me 400 metres ke boys aur girls,dono ke hi interschool level race pure ho chuke the and as expected, girls me DIMPLE aur boys me SAMEER ye race jeet chuke the...

aur koi waqt hota toh PARAG aur CHARVI dono hi ye haar pacha nahi paate aur kuch ulta pulta karne ka zaroor sochte par kuch dino pehle ki gayi SANVY ki harkat se itne zyada khoufzada the dono ki race pura hote hi school se nikal chuke the...


IN CANTEEN:-

SANVY, PRINCIPAL MA'AM BULA RAHI HAIN TUMHE...


canteen me ek chair par baitha mai diet coke ka last sip gatak hi raha tha ki tabhi peon aaya jiski info ko sun mai wapas track ground ki taraf badh gaya aur ye dekh...


PEON-arre stadium me nahi,apne office me hain woh...

PEON ki baat sun smile kar sir shake karte hue PRINCI ki office ke taraf badh gaya mai...

KNOCK,KNOCK...

MAI-may i come in...

YES,YOU MAY...


PRINCI ki office ka door khula hua tha aur unka seat turned around tha jisse dekh knock kiya tha maine par reply saamne se nahi balki side me jahan araam daayak couch laga hua tha,wahan se aaya...

ye aur koi nahi,MR JAIDEN CHOWDHARY the jo goggles ke piche apni sharp nazaron se mujhe dekh kam observe zyada kar rahe the...

wahin unhe dekh mai sidhe unke saamne jaakar khada ho gaya...


JAIDEN-interesting...!!! mujhe achanak dekh kar bhi koi shocking expression nahi aaya tumhare face par... were you expecting me...!!!???

MAI-i was expecting someone who is not our PRINCIPAL...

JAIDEN-and why do you say that...???

MAI-interschool 400 metres ka girls race abhi abhi pura hua hai...is time sabhi schools ke participants ko congratulate kar rahi hongi ma'am...

par mujhe yahan bulaya gaya woh bhi PRINCI ke naam par...so...


JAIDEN-so obviously kisi aur ne aisa kiya hoga...good...

shock na lagna toh samajh aata hai par nervousness...!!! first time JAIDEN CHOWDHARY ke saamne khade ho tum...aren't you nervous...


MAI-same question mai bhi puch sakta hun sir...mere dad ke saamne khade hote waqt kya aap nervous feel karte the...???


ek international figure the JAIDEN CHOWDHARY..saamne aane se mana kiya hua tha unhone par PRINCI ki office ke outer circle ko gher kar khadi thi is waqt unki ALLIED UNIVERSAL security (3rd best security agency in the world)
aur aise me sidhe sidhe taunt kiya tha maine JAIDEN CHOWDHARY ko...

aur koi hota toh uttejit hokar apni aukaad aur personality ki dhaak dena shuru kar chuka tha but not JAIDEN CHOWDHARY...

he just smiled at me aur...


JAIDEN-wow...you are a zerox of your father...haazir jawabi tumhari bilkul tumhare dad ki tarah hi hai...

waise sab kuch zyada hi tha tumhare dad ka...intelligence, smartness, physical abilities and mental endurance...sabkuch par unfortunately jiski sabse zyada zaroorat thi,woh hi uske hisse me kam padh gayi...

LIFE...i hope ki tumhare hisse me iski koi kami nahi hogi...

HOPE KI JAGAH WISH LAGATE TOH ZYADA ACHA LAGTA...


PRINCI thi ye jo sidhe mere paas aakar khadi ho gayi...

wahin PRINCI ki baat sun halka sa has diye JAIDEN CHOWDHARY...

PRINCI-toh SANVEER se mil liye aap...

JAIDEN CHOWDHARY-milna toh tha hi...SAM se kaafi suna jo tha iske baare me...

but i have to say,i am a bit disappointed...

PRINCI-really...???how...!!!

JAIDEN-suraj ko suraj isiliye nahi bola jaata kyunki woh chamakta hai...

isiliye bola jaata hai kyunki uski chamak puri duniya dekhti hai...

meri tarah...aur aaj SAM ki tarah...

like father like son...

haan,tumhare dad ne haraya tha mujhe but kya faayda... bohot limited logon ko ye baat pata hai aur agar us jeet ko claim karna bhi chaaho toh duniya mazak udaa degi kyunki meri jeet duniya ne dekhi hai...

suraj ki tarah sabke saamne mai chamka hun,tumhare dad nahi...

JAIDEN CHOWDHARY ke statements ko sun ek baar PRINCI ko dekha mai jispar haan me sir hilaya unhone...

MAI-suraj apne dum par chamakta hai...he doesn't need to do any manipulation...

naahi uski chamak udhaar ki hoti hai...

par SAM needed that manipulation...aur uski chamak bhi meri di hui udhaar hai usse...

ye kaisa suraj hua bhala...!!!???

haan,sabke saamne naa mai chamka hun naa mere dad chamke the par ye andhera kaale suraj se toh acha hi hai...

JAIDEN CHOWDHARY-suraj kabhi kaala nahi hota...

badalon me chuppa bhi ho woh tab bhi itni roshni toh paida kar
hi deta hai ki log uski baisakhi bana apna raasta dhund paate hain...

par tum nahi samjhoge...and i can totally understand...

it's all about genes...


CHOWDHARY surname me shuru se hi kisi bhi keemet par jeetna likha hai aur AHARYA surname me promises,dignity,moral aur love jaise stupid dakiyanusi sabdon ki wajah se haarna...

now if you will excuse me...MRS MATTHEWS...i will take your leave now...saturday ko milte hain...

apni baat bol PRINCI ke office se nikal gaye JAIDEN CHOWDHARY...


MAI-AHARYA...!!!bas mere surname ko beech me nahi laana tha aapko...





AT EVENING:-

PLACE-H.M.C.A STADIUM




SPEED ACHI THI AAJ TUMHARI...


apne dad JAIDEN CHOWDHARY ke ache remark ke baad bhi face par khaas khushi nahi dikhayi di thi SAM ke...

filhal dopahar ke 2 baj rahe the...aaj ka sports session 1 ghante pehle hi pura hua tha par jahan baaki students apne apne ghar par rest kar rahe the wahin SAM aur DIMPLE apne dad ke saath yahan H.M.C.A private stadium ke beech khade the...

aaj shaam ko apne private jet me nikal jaane waale the JAIDEN CHOWDHARY aur wapsi unki sports meet ke aakhri din ki thi isiliye jaane se pehle sports ke dusre sabse bade event,200 into 4 relay ki tips aur practice ke liye apne bachhon ke saath woh yahan moujud the...


SAM-mere age me aapki jo speed thi,usse toh mai piche hi hun naa dad...

JAIDEN-craving attitude... it's good... abhi nahi hai toh kya,i am sure ki aage chalkar zaroor hogi...

bottom line is i am happy with you...but ye baat tumhare liye nahi boli jaa sakti kiddo...

DIMPLE se mukhatib the JAIDEN CHOWDHARY jispar kuch kehne ko hui woh par tabhi...

JAIDEN-save your excuses kiddo...mere saamne kaam nahi aayenge...

well i know the reason...you have fell in love with SANVEER aur ab jab usse reality maalum hai,he has dumped you...

dil dimag ka dushman hota hai kiddo jiska ek side effect woh negative feeling bhi jai jisse filhal guzar rahi ho tum...

jitna jaldi ho sake,get over it..
waise bhi you and that boy,koi future tha bhi nahi kabhi tum dono ka...

move on and i think we should move on too...4 baje tak delhi ke liye nikalna hai mujhe...

so relay practice shuru karte hain...

SAM,ek 100 metres ka curved sprint karo...common, move it fast...

agle hi pal track ki taraf badh chuka tha SAM...

JAIDEN-kiddo... practice ka man toh hoga nahi tumhe, right...!!!

DIMPLE-dad,woh...

JAIDEN-its ok...maine move on bola tha,move on now nahi...take your time...

jaao, timing check karo apne bhai ki...

haan me sir hila DIMPLE bhi track ke side jaakar khadi ho chuki thi jiske ek minute baad hi SAM ne apna first sprint shuru kar diya tha...

JAIDEN-timing achi hai beta par remember, relay is not a normal race...

isme tum sirf apne dum par nahi jeethathe balki chaaron ka speed matter karta hai is race me...

ab tumhare baaki teen partners ki speed ke liye toh tum kuch kar nahi sakte but agar woh teeno agar thode slow reh bhi gaye toh us loss time ko tum apne run kw first 3 seconds me bho cover kar sakte ho...

kyunki baton(relay stick) pass karte waqt next runner ko speed gain karne ke liye normal races se zyada waqt lagta hai par jo ia waqt me apni speed jaldi capitalize kar le, jeetna utna asaan ho jaata hai...

so,apne start-up par dhyan do...make it more quick than usual...

apne dad ki advice sun ek baar phir track ke starting edge par chala gaya SAM par is baar bhi uski starting pickup par zyada fark pada nahi...

aur is baar hi kya,agle 5 attempts me bhi same chiz hui...

lambi lambi sansein bharta SAM apne ghutno ko pakde khada tha...

JAIDEN-take a moment... sip some water...

kuch der laga,SAM wapas fresh feel karne laga tha jiske baad woh wapas track ki taraf badhne laga...

JAIDEN-ek kaam karo... straight sprint se pehle 10 metres ka backward running karo...

then turn quickly and run...

fast pick up ke liye ye ek naya aur wakayi asardaar trick tha jo agle kuch seconds me saabit bhi ho gaya...

ia baari kuch nano seconds hi sahi par tez douda tha SAM jisse usne bhi feel kiya tha...


JAIDEN-thats what i am talking about...chalo,ek aur try...is baar result aur acha aayega... just backward running ke baad ki turning swift rakhna...


SAM-yes dad...


ek baar phir SAM track par tha aur ulta khada ho chuka tha...


DIMPLE-HOLY SHIT...


kyunki SAM ko curved round maarne the isiliye normal track point se naa doud woh stand ke paas se doudna start kar raha tha...

is baar bhi usne wahi kiya tha par tabhi achanak hi standa ke pichw se uske baaju me prakat sa hua MAI...

uske saath saath hi ulta doudna start kiya tha maine...

aur mujhe dekh DIMPLE ke saath saath SAM ki bhi aankhein badi ho chuki thi...


MAI-ek race aur ho jaaye... don't you bloody stop...baap ka naam roshan karne ka bada shouk hai naa,sagi aulad hai
hai toh rukna mat...

hara mujhe aur kar naam roushan...

uske saath saath ulta bhaagte hue boli thi maine ye saari baatein aur jo boli thi,uske baad kaise rook jaata SAM...

mai aur woh ek saath palte the par naked aankhon se dekhne par bhi saaf pata chal raha tha ki meri turning SAM se 100 times zyada swift thi aur uske baad jo hua,woh SAM,DIMPLE ke saath unke baap ki bhi gandiya faadne ke liye kaafi tha...

kyunki teer ki tarah aise chhuti thi meri body ki SAM kab piche chhuththa chala gaya,usse pata bhi nahi chala...

meri speed dekh aankhein kaafi badi ho chuki thi JAIDEN CHOWDHARY ki...


JAIDEN-damn...ye toh apne baap se bhi tez hai...

mere age me dad ko jo speed thi,usse tez tha mai jo saaf mehsoos kiya tha JAIDEN CHOWDHARY ne...

chand seconds me race puri ho chuki thi jiske baad mai sidhe pahuncha JAIDEN CHOWDHARY ke saamne...

unke ird gird abhi bhi bodyguards the jo mere unke yun kareeb aane par saamne aane lage the par JAIDEN CHOWDHARY ne jaath utha unhe rok diya tha...


MAI-kya kaha tha aapne...jeet ko duniya ka dekhna zaroori hota hai...

family bhi apne aap ke ek duniya hoti hai...aur aaj aapki duniya ke saamne aapka saaya haar gaya...

JAIDEN-i have to say,you are good...

MAI-oh i know...aur kyun naa hun,AHARYA jo hun...being good is in my GENES...

mere dad ke time nahi samajh paaye the aap,ho sake toh abhi samajh jaaiyega...

JAIDEN-kya...!!!???

MAI-yahi ki...



geele hokar bijli ke taaron ko nahi chhute,uske liye pehle SUKHNA PADTA HAI...

kuch pahad kaate nahi jaa sakte,unke saamne aakar RUKNA PADTA HAI...

beshak har kisi ke saamne sir uthakar chalte aaye hain aap magar...

jab saamna kisi bhi AHARYA se ho toh har sir ko JHUKNA PADTA HAI...












AAJ KE LIYE ITNA HI...







AAPKA APNA V...J...
Awesome updates
 
Top