• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

431
1,868
123
N
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SAM AUR DIMPLE 400 METRES ME INTERSCHOOL RACE JEET JAATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF JAIDEN CHOWDHARY AUR SANVY KI MULAKAT HO JAATI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


DATE-5TH JANUARY 2021

UPDATE-87


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS





SO THAT'S IT GUYZZZ... NOW WE REACH THE CLIMAX OF THIS MEMORABLE SPORTS MEET...

IT'S TIME FOR THE FINAL ROUND OF INTERSCHOOL 200 INTO 4 RELAY RACE...


CHARLIE SIR ke announcement ko sun stadium me moujud sabhi log joki ab tak casually baithe ya khade chill kar rahe the,un sabki nazar CHARLIE SIR ki taraf ghum chuki thi...

excitement ek baar phir sabki aankhon me dikhne laga tha...

ye chaar din ka sports meet sirf SIRIUS ke liye hi nahi balki DEHRADUN ke har school ke liye kisi mele se kam nahi tha...

haar aur jeet se pare sabhi schools ne is maha event ko khub enjoy kiya tha...

aur ab jab ye event apne aakhri charam par pahunchne waala tha toh sabka interest bhi kayi guna badh chuka tha...

waade ke mutabik MR JAIDEN CHOWDHARY aaj bhi yahan moujud the joki is final relay race ke shuru hone se kuch der pehle hi yahan pahunche the...

unke haathon SIRIUS ko best school aur SAMEER CHANDER,DIMPLE BATRA ko jinhone apne participate kiye hue sabhi sports competition me jeet haasil ki thi,unhe best boy and girl champion ke khitaab ki trophy dete dekhne ke liye SIRIUS ke sabhi well wishers kaafi excited the...


CHARLIE SIR -in boys,the four finalists schools are...

SIRIUS...

PRINCE...

SAMRAT...

NAVJYOTI...

in girls,the four finalists schools are...

SIRIUS...

PRINCE...

SAMRAT...

SAINT PAUL...


participants of all the school, gather near the track halt zone...

CHARLIE sir ki baat sun boys aur girls, dono hi genders ke participants track ke paas pahunch chuke the...

pehla race boys ka tha isiliye chaaron hi participants stretching karne me lag gaye the...

DHAMMM...

kuch hi der me starter pistol ki gunj ke saath boys ka relay race shuru ho chuka tha...

SIRIUS ke liye jo student first round doudne waala tha,he was good but not better than the student of PRINCE...

kaafi tez tha prince ka runner jiska faayda hua PRINCE ke second round waale runner ko jisse SIRIUS ke second round runner se 3 metres ka head start mila tha aur is start ko theek thaak utilize bhi kiya usne...

halaki koi extra badhath nahi li usne par badhath ko kam bhi nahi hone diya usne...

3rd round shuru hone ke baad bhi PRINCE hi first position me laayak tha aur same chiz final as in fourth round me bhi hui...

last round shuru hote hotw bhi PRINCE first position me hi tha par is baar aage woh 3 nahi balki 2 metres se tha aur ye badhath bhi zyada der tak kaayam nahi reh paayi...

third curve se pehle hi SAM ne SIRIUS ko first position me laa diya tha aur race pura hote hote SAM second position waale runner se 6 metres se aage ho chuka tha...

it was a really impressive win jisse dekh stands par baithe sabhi parents ne bhi appreciate karte hue clapping ki...

par is taaliyon ki gadgadahat waale mahoul ke beech bheed ke ek hisse me zyada shor nahi tha...

ye hamara group tha jinhone SAM ko jeetathe dekhne ka baad bas mooh banaya tha par ye expression agle hi pal hairangi me tab badal gaya jab unhone mujhe but most importantly,MAA ko jo aaj NITS aur SONU ki moms ke saath yahan moujud thi, clapping ki...

maine sabko bata diya tha ki MAA ko SAM & DIMPLE ke baare me sach pata tha aur isiliye hi sab hairan hue the...


CHARLIE SIR-first round participants... stand on the tracks...


MAA se koi kuch puchte ki tabhi CHARLIE sir ki awaaz mike me gunj uthi jis kaaran sabke thoughts unke andar hi reh gaye...

boys ke baad ab baari thi thi GIRLS ki...SAM ki hi tarah SIRIUS ke liye DIMPLE bhi last round doudne waali thi...

DHAANNN...

SIRIUS ke 100th sports meet ka aakhri starter pistol sound tha ye jiske gunjte hi girls ki 200 into 4 relay race shuru ho chuki thi aur thik boys ki hi tarah girls race me bhi pehle round me PRINCE first aur SIRIUS second aaye the...

same chiz second round me bhi hui par asal problem shuru hui third round ke shuruat me...

baton paas on karte waqt SIRIUS ke third runner ke haathon se baton thodi slip si ho gayi jisse ache se hold karne ke chakkar me second bhar ka zyada waqt le liya third runner ne...

natija, second se third position me aa chuki thi SIRIUS...infact fourth position jisme abhi SAINT PAUL ki runner thi,usss bhi bohot halke margine se aage thi SIRIUS ki third runner aur ye distance final round shuru hone tak bhi utna hi raha...

aur ye dekh SIRIUS ke supporters ko kaafi tention hone lagi thi joki laazmi bhi thi...

baton aakhri baar pass on hona tha aur PRINCE ki taraf se last round doud rahi thi CHARVI...

haan,she was no match to DIMPLE par ek toh dono ke race starting time me kaafi fark hone waala tha and second,track PRINCE ka pehle waala tha joki ek out and out favourite spot hota hai kisi bhi runner ke liye...

aise me tention toh sabko honi hi thi par tabhi kuch aisa hua ki hairangi aur khushi se aankhein badi ho gayi thi dekhne waalon ki...

toh hua ye ki jahan ek taraf baaki teeno fourth runners ne starting point se hi baton hold kar doudna shuru kiya tha wahin DIMPLE ka technique bohot alag tha...

jaisa first say ki practice session me uske dad MR JAIDEN CHOWDHARY ne SAM ko advice diya tha, us advice ko amal aaj aur abhi DIMPLE ne laaya tha...

backward run karne ke beech sidha turn lene hue usne baton hold kiya tha aur aisa karte waqt uski speed baaki runners ke start se kaafi zyada thi...

technique ye successfully implify karna bohot mushkil tha jisse badi asaani se kar dikhaya tha DIMPLE ne...

wahin apne hi sujhaye technique apni beti ko use karta dekh waise toh MR JAIDEN CHOWDHARY ko khush hona chahiye tha but unke expressions serious hi the...

aur reason bhi laazmi tha...kyunki technique bhale hi unka tha par jis tarike se move hui thi DIMPLE ki body,woh theek waisi hi thi jaisi us din SANVY ki thi...

SANVY ke movement ko frame dar frame copy kar doudi thi DIMPLE...

infact turn ke baad running karte waqt DIMPLE ki jo body movement thi,chest par padh rahe fast air par uski jo stability thi, woh bhi SANVY ki carbon copy hi thi...

un saari chizon ko saaf mehsoos kiya tha JAIDEN CHOWDHARY ne ..

waise sirf JAIDEN CHOWDHARY hi nahi,stands par baithi VERONICA se bhi ye saari chizen chhup nahi paayi thi aur isiliye jaise hi DIMPLE ki movement start hui,unki gardan sidhi apne bete par...


MAI-what...!!!maine nahi sikhaya...

MAA-phir bhi sikh liya usne...waah,shiddat ho toh aisi...

MAI-jeetne ki hi shiddat toh hai bas usme...

MAA-i doubt it... jeet tropy ke liye hoti hai...apni sabse badi trophy ko haar mujhe nahi lagta,jeetna chaahegi woh...

ANJALI-true that...

MAI-chup ho jaa tu...

MAA-bina sikhaye bas tujhe dekh kar sikh rahi hai... eklavya jaisi hai...

ab dekhna ye hai ki is eklavya ka dronacharya tu banta hai ya koi aisa jo apni aadhi adhuri najayaz seekh ki bhi puri guru dakshina lete hue uska anghuta naa maang le...

WOOOOOO....


abhi hum baat kar hi rahe the ki DIMPLE ne final 3 metres me CHARVI ko peeche chhodte hue race jeet liya...

aisa hota hi pura stadium taaliyon aur hooting ki awaaz se gunj utha tha aur jaise performance DIMPLE ne diya tha,is baar jashn me mera group bhi shaamil tha...

jo DIMPLE ne kiya tha, bhale hi un sabko bohot bura laga tha but jo abhi usne kar ke dikhaya tha,taarif ke kaabil tha jo usse clapping aur applause ke through mil rahi thi...

anyways,boys, girls,dono ke hi relay race complete ho chuke the jiska matlab tha ki is sports meet ka climax as in sports distribution ceremony shuru hone waala tha...

par jahan is ceremony ko dekhne ke liye yahan moujud baaki sab excited the wahin hamare group ko prize distribution and more importantly,SAM ko champ banta dekhne me koi interest nahi tha...

interest un sabka kisi aur chiz me tha aur yahi wajah thi ki prize distribution ceremony shuru hote hi hamare group me sabke chairs MAA ki taraf ghum gaye the...


RASHI-aunty, SANVY ke khilaaf SAM aur DIMPLE ne jo planning ki thi,you toh know about it...

kya aap ghussa nahi hai un dono se...!!!

MAA-nahi... planning surprise ka synonym hai par is case me toh SANVY ke saamne shuru se hi sab open tha...

KHANAK-phir bhi aunty...SAM was backstabbing SANVY and DIMPLE...

apne bhai ka saath dekar she cheated on SANVY...

MAA-beta hunar kitna hi zyada kyun naa ho, maturity ki apni ek umr hoti hi hai...

vibhishan ki buddhi bhi ek umr ke baad hi samajhdaari ke bhaav ko jaan aur samajh paayi thi...

agar apne baalya kaal, teenage me ramayan ka hissa hota woh toh sach ka saath dete hue ghar ka bhedhi kabhi na banta...

apne bhai RAVAN ka hi saath deta woh jaisa DIMPLE ne kiya...

kyunki baat jab family ki ho naa toh aksar log SAHI aur GALATH nahi dekhte aur unka waisa karne ko puri tarah se GALATH bhi nahi kaha jaa sakta...

NITS-par aunty, agar uski jagah SANVY hota toh kabhi aisa nahi karta...

MAA-parvarish beta...

SANVY mera beta hai...rishton ke saath saath SAHI GALATH ki pehchaan karane me bhi mehnet hui hai ispar lekin DIMPLE shuru se hi jaise mahoul me paida hui hai,rahi hai,there,all it mattered was power, authority...

phir bhi, jitna waqt usne SANVY aur tum sabke saath bitaya,uska bachpan se corrupt kiya gaya heart kaafi hadh tak revive hua...

ANJALI-how can be you so sure MAA...???

MAA-kyunki aatmglaani jo is waqt mai uski aankhon me dekh rahi hun,woh jhuthi nahi ho sakti...

apne saamne ki taraf dekhte hue kahi thi ye baat MAA ne jispar sabki gardan ussi disha me ghum gayi...

kyunki baaki school ke authorities bhi SIRIUS me moujud the isiliye prize ceremony ka pehla prize hi interschool sports champ ka tha...

both male and female joki SAM aur DIMPLE ko mil chuka tha...

trophy hand over karte waqt SAM ko dheemi awaaz me kuch kaha tha uske dad JAIDEN CHOWDHARY ne aur isiliye hi woh yahan hamare saamne aakar thodi door par khada tha...

wahin DIMPLE ne toh pehle hi MAA ke paas aane ka man banaya hua tha isiliye woh bhi SAM ke saath ho li thi...

par saamne aane ke baad bhi un dono ki hamare paas aane ki himmat nahi ho rahi thi...

ye dekh MAA halke smile ke beech uth gayi aur chal padi un dono ke taraf...

baaki sab bhi MAA ke piche hone lage the par maine rok diya tha unhe...


SAM-aunty i am...!!!

MAA-dont say it...SANVY se baat karni hai naa tumhe...!!!don't be nervous...jaao...


VERONICA ki baat sun surprised expressions aa gaye the SAM ke face par...


VERONICA-yahan aane ke baad se hi you were looking constantly at my son...

jaao,kar lo baat...

SANVY ki MAA ke saamne khada tha SAM...aur ab tak uske saare gyan chakshayuon ne usse bata diya tha ki AHARYA ke saamne dimag lagana murkhta hi hai..

jo saamne nahi hai,,woh bhi predict kar lete hain AHARYA toh phir saamne dikhne waali chiz ka guna bhaag maamuli se bhi zyada maamuli hai unke liye...

isiliye sir jhuka SANVY ki taraf badh gaya tha SAM...

wahin SAM ke jaate hi VERONICA ki nazar DIMPLE ki taraf ghumi jispar...

DIMPLE-i know ki isse koi fark nahi padega but we are really sorry aunty...

VERONICA-kisne kaha ki fark nahi padega... maafi aur genuine maafi hamesha impactful hoti hai...

VERONICA ki baat par sawal dikhne laga tha DIMPLE ke face par aur us ankahe sawal ko samajh gayi thi VERONICA isiliye...

VERONICA-tumne mai nahi hum kaha...unlike SAM,apne saath saath apne bhai ke liye bhi maafi maangi which is a good sign of genuineness...

and for that, maaf kiya maine tumhe...

DIMPLE-really aunty...!!!

VERONICA-ofcourse...par SANVY ke liye mai yeh nahi bol sakti...

uska aur tumhara equation alag tha,hai...aur mai apne bete ke liye faisle nahi leti...

ye out and out uska faisla hai aur uska hi rahega...i am no one to impose myself on my son...

DIMPLE-i know aunty...


apni baat bolte hue bhi DIMPLE ke zehen me VERONICA ki kahi last line chal rahi thi...

"i am no one to impose myself on my son"...uske liye jo SAHI hai woh SAHI aur jo GALATH hai woh GALATH...

ek aisa statement jo uske dad ke attitude se bilkul contrast tha...saath hi saath DIMPLE ko ye bhi laga ki VERONICA ne woh baat uske dad ko dhyan me rakh kar hi kahi thi aur isiliye...

DIMPLE-aunty,can i ask you something...???

VERONICA-sure...

DIMPLE-kya aap jaanti hain mere dad ko...???

VERONICA-mai toh nahi par shayad woh jaante hain mujhe...


aaj pehli baar ek tagda attitude line feel kiya tha DIMPLE ne VERONICA ke mooh se jisme unhone uske dad ko indirectly chota bataya tha par phir bhi,bura bilkul nahi laga tha VERONICA ko...

VERONICA-late ho raha hai beta,ghar bhi jaana hai...chalti hun,par haan remember, SANVY tumhe maaf kare ya naa kare,maine kar diya hai isiliye mere ghar ke darwaze hamesha khule hain tumhare liye...

kabhi bhi aa sakti ho...

muskurakar DIMPLE ke sir par haath ferte hue wapas palathne lagi thi VERONICA ki tabhi...


DIMPLE-one day,i will make you proud aunty...

aansu chhalak gaye the DIMPLE ke jinhe apni ungliyon se pocha VERONICA ne aur...


VERONICA-i am already proud of you beta...

mera ek champion toh participate kar nahi raha,phir kya lagta hai,kyun aayi thi mai yahan...!!!

apne is dusre champion ko trophy uthate dekhne ke liye...


trophy jisse hold kiya tha DIMPLE ne,usse bade khushi se ek baar chhune ke baad muskurate hue mood gayi VERONICA...

wahin dusri taraf SAM pahuncha tha mere saamne jispar usse dekh kuch bakne ko hua NITS par usse pehle hi...


MAI-congrats SAM...


chashni me bhigo tikhi mirch khila di ho kisine,mere badhayi par aisa hi kuch feel kiya tha SAM ne...

maalum tha usse ki jo usne kiya tha,uske liye jitna bhi maafi maang le woh,kam hi tha isiliye aisa kuch naa kar sidhe point par aaya woh aur...


SAM-dad ne tujhe shaam ko ATLANTIS par bulaya hai...i mean invite kiya hai...

ATLANTIS DEHRADUN ka sabse bada private club tha...indoor sports se lekar bohot se high profile interesting event hote the wahaan...

bohot kam logon ko access milta tha us club me...

MAI-kitne baje...

SAM-5 pm...

MAI-i'll be there...

SAM-thanks buddy...i mean SANVY...

jahan ek taraf sir jhuka wapas chala gaya SAM wahin mujhe uski baat ko maante dekh mere sabhi friends mujhe ghurne lage the...

MAI-what...???

ANJALI-you know what...kya zaroorat thi haan bolne ki...!!!

NITS-aur nahi toh kya...???pata nahi phir kaun si bhasad shuru karne ke liye bulaya hai iske baap ne tujhe...

MAI-abbe JAIDEN CHOWDHARY hai woh,koi local aadmi nahi jo aise chhilti harkatein karta phire...

RASHI-toh phir bulaya hi kyun hai unhone tujhe...jo woh chahte the,woh toh ho hi gaya...

his son has become the INTERSCHOOL CHAMP...ab unhe tujhse kya kaam...!!!???

MAI-that is the question jiska answer toh ek hi jagah milega...

ATLANTIS...





AT EVENING:-

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE






VERONICA-arre,ye chill out hokar movie kya dekh raha hai...!!!4.30 ho gaye...5 baje ATLANTIS nahi pahunchna kya...???

MAI-sirf baitha nahi hun MAA...ready hokar baitha hun...aapki scooty lekar jaaunga,15 minutes ka hi toh rasta hai bas...i will reach there on time...

VERONICA-ATLANTIS ye lower-tshirt me jaayega tu...

MAI-haan toh...!!!5 baje naa toh lunch time hota hai naa hi dinner ka waqt jo properly taiyar hokar jaaun...

it's a club place...wahan ke liye it's the perfect wear...

VERONICA-tu aur tere logics...

mere baaju me baith mujhse t.v remote chhin channel badal diya tha MAA ne jiska matlab tha ki o should go...

par aise kaise...ek sawal jo pichle 4 dino se dimag me mere ghum raha tha,puchna jo tha MAA se ab...

MAI-MAA...i have a question...???


jaanti thi MAA ki normal aur casual sawal mai unse yun bhumika baandhkar kabhi puchta nahi tha, isiliye turant t.v mute kar meri taraf ghum gayi woh...

MAA-shoot...

MAI-what's the angle between RANJANA aunt and MR JAIDEN CHOWDHARY...???

MAA-tujhe aisa kyun laga...???

MAI-sports meet me jab mike ke saamne aaye the MR JAIDEN CHOWDHARY,tab aunt unke piche hi thi...

there for a second a felt negativity in her eyes for him...

tab laga ki shayad SAM aur DIMPLE ne jo kiya,uska main reason unke dad hi the...

issi baat par she would be unhappy with him but later that day,jab unki office me mai aur JAIDEN CHOWDHARY aamne saamne the and she came,us waqt unki aankhon me ek dark emotion feel kiya maine...

aisa emotion choti moti planning plotting ki wajah se nahi aa sakta...

meri baat joki sach thi,sun ek lambi saans chhodi MAA ne aur...

MAA-J.C airlines as in JAIDEN CHOWDHARY airways...

MAI-i have heard about it...MR JAIDEN CHOWDHARY ke airlines ka naam tha ye... domestic aur international, dono criteria ke planes the unke airlines me...

but kisi international safar me unki ek plane crash ho gayi thi...

200 people had died ...

MAA-haan...LET L-410 model ka aircraft tha woh jo N.Y.C se NEW DELHI aa raha tha...

investigation me pata chala ki hydraulic fluid leak hua tha flight ka aur ye ek badi galti thi...

kyunki fluid me leak yunhi aur sudden nahi hota.. it's a long time consuming malfunction jiska matlab tha ki woh fault flight board karne se pehle hi plane ko hit kar chuka tha...

baawjud iske bina proper check kiye hi plane udana was a serious fault...

isiliye hi J.C airways ka license radh kar diya gaya tha aur kyunki maamla sirf INDIA ka hi nahi, AMERICAN citizens ki death ka bhi tha isiliye us airways ko wapas on board nahi laaya jaa saka...

MAI-is there a connection between that flight and RANJANA AUNT...!!!

MAA-tumhe pata hai naa ki SUJITH ki mout ek plane crash me hui thi...

(SUJITH MATTHEWS,RANJANA MATTHEWS LATE HUSBAND)

MAA ki baat sun aankhein badi ho gayi thi meri...iska matlab SUJITH uncle ussi flight me safar kar rahe the...

holy shit...toh ye wajah thi RANJANA AUNT ke face par dikh rahi negativity ki...

MR JAIDEN CHOWDHARY...har chiz me perfection dhundne waale shaksh ne bhi itne risky business ko kitni casually handle kiya tha...

upar se aaj unke face par RANJANA AUNT ke liye ek baar bhi sorry aur sympathy nahi dekhi thi maine...

aur SUJITH uncle...mere dad ke guzarne ke 6 month baad hi guzre the woh...kaafi chota tha mai but i clearly remember,unka mere prati lagaav,pyaar...

jaan chhidakte the woh mujhpar... kabhi kabhi jab dad meri badmashiyon par strict ho jaaya karte the toh mujhw godh me utha unhe daant diya karte the uncle...

unke us forever smiling ko yaad karte waqt jabde sakht ho gaye the mere...

aankhon ke kinaare halke bheegne lage the jinhe chhalakne se rokte hue khada hua mai aur...

MAI-i am leaving MAA...

turant hall se hote hue bahar nikal gaya tha mai aur merr nikalte hi sir shake karte hue MAA ne apne mobile se ek jaane pehchaane number par call kar diya tha...

RANJANA MATTHEWS...

RANJANA-hmm...kaise...???school aaye aur mile hi chale gaye tum...

VERONICA-i told SANVY about SUJITH'S death...

RANJANA-what...???kyun...???

VERONICA-relax...

VERONICA ke relax me aisa kuch tha jisse sun bhar ka RANJANA ka vyakul man shaant ho chuka tha...

RANJANA-kya zaroorat padi...

VERONICA-5 baje ATLANTIS me JAIDEN ne invite kiya hai SANVY ko...

abhi abhi nikla hai woh..

RANJANA-aur SUJITH ke baare me bhi abhi hi bataya hoga tumne usse...!!!what are you up to...!!!???

VERONICA-IN MATTERS OF HEART, DON'T LEAVE YOUR BRAIN BEHIND...

SANEEL ki 4 important teachings me se sabse tough yahi seekh thi...

RANJANA-jisse apne friend aur love ke maamle me successfully implify SANVY ne...

VERONICAsuccessfully,yes...but woh situation actually is seekh ke liye perfect candidate nahi thi...

kyunki SANVY was aware of what was going to happen...infact,SAM ne jo bhi kiya,usse apne thought aur wish ke according jaisa chaha,ghumaya SANVY ne...

aise me dil me panap rahe ghusse aur junoon ka asar utna nahi hota jitna hona chahiye...

but this time,aisa nahi hoga...SANVY idolizes you and more importantly loves you...par tumne zyada effect uspar SUJITH ka tha...he was like a third father to him...

aise me uski death ka ye sudden revelation jaanana aur thik ussi time us shaksh ke saamne jaana jo uski death ka ek tarah se main cause tha, it's a totally different playground in which now SANVY has to play now...

RANJANA-aur SANEEL ki woh seekh SANVY ke kitne andar tak ghusi hai,ye bhi pata chal jaayega...

VERONICA-hmm...

RANJANA-aur JAIDEN ne khud SANVY ko bulaya hai matlab...

VERONICA-dil ki jagah dimag use karne ka mouka zaroor milega SANVY ko ..

RANJANA-but VERONICA...

VERONICA-i know tum kya soch rahi ho RANJANA and it's true but at the same time, zaroori bhi hai...

ab tak sirf jeet dekhi hai SANVY ne...bheede toh bohot log hain usse but no one has been a match to him...

hotw bhi kaise bhala...!!!twisted minds zaroor the but they are normal civilians only...

aur unse toh aage jaakar kou lena dena bhi nahi hoga SANVY ko aur isiliye he neends to understand ki jis samandar me woh tairne waala hai,wahan aise aise sharks hain jinke saamne abhi woh bas ek maamuli macchli bhar hai...

jeet housla badhati hai par haar woh aaina dikha deti hai jiske baad reality saaf saaf dikhni shuru ho jaati hai...

aisi hi ek reality aaj SANVY dekhega and i hope in the process,future ki reality,JAIDEN ko bhi dikha dega...






PLACE-ATLANTIS






HEY,LOOK WHO'S HERE...!!!THE UNDISERABLE CHAMP...


apne bare hands ko rub on karte hue mujhe dekh smile kiya tha JAIDEN CHOWDHARY ne...

ATLANTIS ke bade se gym zone me bane boxing arena ke beech khade the woh par akele nahi the JAIDEN CHOWDHARY is waqt...

and boy was he looking good...!!!

sleeveless sando aur stretchable lower me JAIDEN CHOWDHARY ki paseene se lathpath gymnast body dekhne laayak thi...

color bone ne unke pehne sando ke strips ko upar uthaya hua tha...

chest size itni zyada thi ki lag raha tha jaise saamne se fath hi jaayegi unki sando aur biceps ki toh kua hi kehne...

they were huge...

unke hi bodyguards me se ek jiski height JAIDEN CHOWDHARY se bhi 2 inch zyada thi,woh ring ke aakhri chhor par halka jhuk kar khada apni ukhdi saanson ko sambhaalne me laga tha...

baaki bohot se bodyguards ring se thodi door usse pura circle kiya khade the...

SAAAAHHH....

AHHHH...

JAIDEN CHOWDHARY ko merr taraf ghumte dekh unse thoda door khada bodyguard achanak hi bijli ki gati se aage badha aur agle hi pal uska high round punch JAIDEN CHOWDHARY ke gaalon ko hit karne ke bas inches door pahunch chuka tha par tabhi...

unimaginable speed se bas halka piche hue JAIDEN CHOWDHARY jiski wajah se us bodyguard ka swing hawa me hi aage nikalne laga par aisa bhi pura ho na saka...

turant apne haath ko aage kar us bodyguard ke baazu ko lock kar usse khud se jakad liya tha JAIDEN CHOWDHARY ne...

ye sab nangi aankhon ke liye kuch zyada hi fast tha... fraction of a second ke andar hi JAIDEN CHOWDHARY par waar hua tha jisse naa sirf bacha tha unhone balki apne defense ko offense ke badal bhi diya tha...


JAIDEN-wooo...BJJ...Jiu-jitsu upper arm punch...nice but angle side ho toh swing ki timing halki slow ho jaati hai...

DHAPPP...

JAIDEN CHOWDHARY 85 se 90 kg ke honge but unke giraft me fasa bodyguard. 110 se upar tha par phir bhi kisi halke putle ki tarah usse apne upar se roll over kar door fekh diya tha JAIDEN CHOWDHARY ne...

JAIDEN-come on..get in the ring...agar dar nahi lag raha hai toh...

apne right hand gloves ko nikal usse jhadaane ke baad water sip karne lage the JAIDEN CHOWDHARY aur is beech mai ring me chhadh chuka tha...

paani peete hue mujhe hi dekh rahe the woh aur mai...

meri nazar toh JAIDEN CHOWDHARY se kabhi hati hi nahi thi...par haan, dekh bhale hi mai unhe raha tha par chehra mere face ke aage reh rehkar SUJITH UNCLE ka hi aa raha tha...

JAIDEN-akele aaye ho tum yahan...!!!

MAI-aapke bete ne jo guest list di thi, meri taraf se naam usme sirf mera hi tha...

JAIDEN-kisi aur chiz me tumse mai ittafaq rakhun ya naa rakhun,ye toh maanana hi padega ki argument me kisi bhi AHARYA se jeetna asaan nahi...

MAI-waise where is your son...!!!???

JAIDEN-son,really...!!!mujhe laga interest tumhara meri daughter me hai...

MAI-isiliye toh nahi bulaya aapne mujhe yahan...!!!apni aur meri position ka hawala dekar mujhe apni beti se door rehne ki dhamki dene ke liye...

JAIDEN-hahahaha....no,no,no,no,no...hell no...jo pehle hi door ho chuka hai,usse door rehne ke liye kyun bolun mai bhala...

and kid, JAIDEN CHOWDHARY dhamki nahi deta...meri har khwahish puri hoti hai...aur jo nahi hoti, phir woh kisi ki bhi khwahish rehne ke kaabil nahi bachti...

anyways,SAM ne mujhe tumhare fighting skills ke baare me bataya tha...

he said that you are veru good at it...unheard techniques bhi use karte ho tum and your danger alert senses are also excellent...

isiliye bulaya hai maine tumhe yahan...you know,i am very crazy about fights...

i crave good skills of it...race me toh mujhe proof kar diya tumne but ab dekhna chahunga mai ki jitni taarif SAM tumhari fighting skills ki karta hai,are you really that good...!!!


MAI-mujhe aapko kuch bhi proof karne ki zaroorat nahi hai...bye...

JAIDEN-AHARYA...issi surname ke hawale se badi badi baat ki thi naa tumne...

kya hua ab...!!! garam khoon sirf taango me hi daudta hai kya is AHARYA ke...!!!???

ya phir sirf upar me garmi ki parath bhar chadhayi hui hai...baaki andar khoon pura thanda hi hota hai tum jaise ka...

palath kar jaane ki laga tha mai ki tabhi jo bola JAIDEN CHOWDHARY ne,rook gaya mai...

ye dusri baar tha jab mujhe provoke karne ke liye mere surname ka use kiya tha unhone...

us baat se toh is baar zyada fark pada nahi mujhe par JAIDEN CHOWDHARY ke aakhri words " tum jaison ka" sunkar ek baar phir SUJITH UNCLE ka face ghumne laga tha mere face ke aage...

turant palta mai aur...

MAI-i am on...

meri baat sub halki si smile naach uthi thi JAIDEN CHOWDHARY ke face par jiske baad...

JAIDEN-you can wear the gears...

MAI-i don't need them...

JAIDEN-ye bhi thik hai...

woh bodyguard jisse utha kar piche feka tha JAIDEN CHOWDHARY ne,usse ishara kiya unhone aur aisa hote hi apne kandhe free karta hua mere saamne aakar khada ho gaya woh...

ek second ke liye dekha usne meri taraf jiske baad turant harkat me aaya uska right hand aur agle hi pal...

ek straight punch joki muay thai hit tha,mere nose ki taraf chala diya tha usne..

bohot tez aayi thi uski badi si mutthi mere face ki taraf par ready tha mai...

turant left ki taraf hata mera sir jiski wajah se us bodyguard ka hand mere side neck ke edge par ragad sa gaya aur tabhi..

apni gardan right ki taraf ek jhatke me jhuka uske haath ko halka fasa sa liya maine aur...

chest thomp hit ke tahat apna panja us bodyguard ke chaati par hit kar diya maine...

hit zyada pain full nahi tha par uske lagte hi halka piche ki taraf ladkhada sa gaya woh bodyguard aur itna hi kaafi tha...

iss pehle ki woh thik se settle hota, tezi se aage badha mai aur agle hi pal mera right leg pura straight 90 degree upar uth chuka tha...

pair pura upar utha uske shouldera par leg stretch move ke saath tika diya tha maine...

mere aisa karte hi mere us leg ko hold kar usse jhatka dene laga tha woh bodyguard par woh aisa kar paata usse pehle hi uske hand power ko use kar apni body ko ek jhatka diya maine and in the very next moment,mera dusra pair 360 ghum chuka tha...

us bodyguard ke kandhe par baith chuka tha mai... mujhe yun khud par sawar dekh ek baar phir se hadbada gaya woh...

is hadbadahat me uske leg balance ek second ke liye dheela ho gaya aur yahi toh chahta tha mai...

uske pairon ke dheele hote hi bodyguard ke chest par apne pairon ki kainchi bana piche ki taraf khudko ek jhatka diya tha maine...

ek ye double hit hone waala tha...

mai neeche floor par apne haathon ke sahare girta
aur woh bodyguard piche sir ke bal tezi se girta...

aur jahan uska sudden fall hota,ye wahi jagah thi jahan JAIDEN CHOWDHARY khada tha...

itna crisp aur fast movement hone waala tha ye ki JAIDEN CHOWDHARY ke samajhne se pehle hi uske bodyguard ki bhaari bharkam body usse hit kar daba deti lekin jo asal me hua,uska thoda bhi andaza nahi tha mujhe...

apni mai apne haathon ke bal gira hi tha ki tabhi mere theek saamne do pair dikhe mujhe...

JAIDEN CHOWDHARY the ye jinhone mere move ko naa sirf predict kar liya tha balki mere drop ka bhi sahi analyze kiya tha unhone...

mere theek saamne khade ho neeche jhuke woh aur mere face ke saamne aa...


JAIDEN-impressive... how's this...

THAKKHHH...

DHAPPP...

bolte hue hi mere upar se roll over hue JAIDEN CHOWDHARY par aisa karte hue mere haathon ko apne haathon me fasate hue mujhe kisi rubber ke gudde ki tarah apne kandhon par utha chuke the woh...

aisa kar mujhe sambhalne ka mouka diye bina neeche patakne lage the woh par tabhi unke left shoulder joint par apne knee ka pressure dete hue khud hi apne aap ko flip karwa liya maine...

natija, peeth nahi,apne pairon par land hua tha zamin par mai...


JAIDEN-you are good...

MAI-oh you have no idea...


hamesha mai khelta tha apne opponent ke moves ke saath par aaj ye mere saath ho raha tha...

isiliye ab JAIDEN CHOWDHARY ko predict karne ka mouka dena nahi dena chahta tha mai...

turant aage badha mai aur agle hi pal...

SOOBBHH..SOOOBHHH...SOOBHHHH...

back to back teen THRUST PUNCH maare maine jinme se do ko toh dodge kar diya tha JAIDEN CHOWDHARY ne par teesre THRUST PUNCH ki speed itni zyada thi ki usse dodge nahi kar sakte the woh...

par is chiz ko sense kar liya tha unhone isiliye is baar apne panje ko aage karte hue dodge ki jagah block kiya unhone...

JAIDEN-THRUST PUNCH...ONE OF THE EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA MOVE...

very effective but only when executed perfectly... this was not up to the mark...

THAKKK...SOOBHHH..DHAPPP..DHAPPP..DHAPPP...

JAIDEN CHOWDHARY ki baaton ke beech hi mere haath phir chale...

SHOOTING ARROW aur TURNING HEAD moves ki bouchar si kar di thi maine but JAIDEN CHOWDHARY ka defense rock solid tha...kuch moves ko dodge aur kuch ko block karte chale gaye the woh par tabhi...

ek baar phir THRUST PUNCH move ke tahat punch kiya tha maine jisse block karne ke liye wapas apna panja aage kar diya tha JAIDEN CHOWDHARY ne par yahin galti ho gayi unse...

ye ek fake move tha jisse half way me hi badla maine aur agle hi pal JAIDEN CHOWDHARY ke panje me mera PRESENTING CLAWS move hit kar gaya tha...

half way se shuru kiya tha maine ye move isiliye impact zyada hona tha nahi par phir bhi mere claws ke hit karte hi ek tez jhunjhuni paida hi gayi thi JAIDEN CHOWDHARY ke hatheli par...

apne hatheli ko jhatakte hue turant mujhse safe distance bana piche hate the woh...

ek second ke liye ghussa dikha tha unke face par phir smile karte hue apne haath rub karne lage woh...


JAIDEN-my turn...just 2 minutes...i will tap you down...agar 2 minutes tak tap out nahi kiya tumne toh mai maan lunga ki wakayi apne baap ke bete ho tum or else tum samajh jaana ki har beta baap nahi ban sakta...

bade confidently kahi thi apni baat JAIDEN CHOWDHARY ne aur agle hi pal iska reason bhi samajh aana shuru ho chuka tha mujhe...

meri taraf ek side front flip maari thi unhone par is flip ki speed itni zyada thi ki uski movement aur exact distance analyze karna bhi bohor mushkil tha...

fraction of a second me mere theek saamne the JAIDEN CHOWDHARY jiske baad apne wrist roll over karte hue mere neck par hit karna chaha unhone par tabhi mai bhi ulta roll over ho gaya...

roll hote hue side hath gaya tha mai par mere saath saath cross punch maarte hue JAIDEN CHOWDHARY bhi move hone lage the...

un saare moves ko apne panjon se block karte hue move ho raha tha mai...

i was waiting for an opening jiske milte hi defensive se offensive ho jaana tha mujhe par JAIDEN CHOWDHARY ke har punch ki speed itni zyada thi ke waqt mujhe mil hi nahi raha tha...

wahin hume chaaron taraf se ghere JAIDEN CHOWDHARY ke top notch bodyguards ki team bhi meri fighting technique dekh kaafi hairan thi...

khair, JAIDEN CHOWDHARY ke timing ke hisaab se 50 second guzar chuke the aur tabhi mili mujhe ek opening...

at least for the moment, mujhe toh aisa hi laga tha...

hit karte hue JAIDEN CHOWDHARY ka right hand halka side tilt hue aur aisa hote hi us thodi si hui khaali jagah par apna right hand daal diya maine...

wahin se unke hand ko lock kar ghum jaane waala tha mai par mai aisa kar paata,usse pehle hi JAIDEN CHOWDHARY ne mere us haath ko apne left hand me fasaya aur mujhe apni taraf ek tez pull kiya unhone...

ye movement kaafi tez thi jiski wajah se thoda aage ki taraf nikli meri body aur aisa hote hi ek ajeeb si jhunjhuni apne back head par feel kiya maine...

RABBIT PUNCH...

aage nikalte hi mere back head par ek punch maara tha JAIDEN CHOWDHARY ne...ye hit exactly mere back skull par laga tha jiske baad sirf ek second ke liye hi sahi,blank ho chuka tha mai par ye ek second JAIDEN CHOWDHARY ke liye more than enough the...

DHABBB...

mere back knee portion par ek hit kiya tha JAIDEN CHOWDHARY ne jiski wajah se pair mere moodne lage the...

aisa hone ke beech hi kisi saanp ki tarah mere front body se back body par lipaththe hue finally apne bhaari bharkam wazaz ko mere back par apply kiya JAIDEN CHOWDHARY ne...

aur aisa karte waqt unka ek haath mere neck ke ird gird lapeth chuke the woh...

dusra haath unka mere chest par mere ek haath ke upar rakha hua tha unhone aur pair se mere stomach ko lapeth liya tha unhone...

issi position me mujhe liye apne back par neeche gire the JAIDEN CHOWDHARY...

THE BODY TRIANGLE jisse is judo lock move me GRAPPLING bhi kaha jaata hai,fasa liya tha mujhe MR JAIDEN CHOWDHARY ne...

ye ek bohot hi hard submission move tha jisme fasne waale ki saans dheere dheere band hone lagti hai aur gripping position itni awkward hoti hai jisse bachkar bahar nikalna next to impossible sa hota hai...

ab fas toh gaya tha mai is body triangle move me jiske baad siway chhatpatane ke aur kuch mai kar sakta tha nahi...

par jeetna zyada mai chhatpata raha tha, meri swaans ki nali utni zyada pressurize hoti jaa rahi thi...

natija...less air consumption ki wajah se mera face pura laal padne laga tha...

aur har guzarte pal ke saath meri aankhein bhi palatne se lagi thi par aise waqt me bhi mere zehen se SUJITH UNCLE ka face jaa nahi raha tha...

yahi wajah thi ki ghusse ke maare meri movement kam nahi ho rahi thi...

JAIDEN-give up kid...tap out...30 seconds abhi bhi bache hain...you cant survive this...

DAD....YE KYA KAR RAHE HAIN AAP...

DIMPLE ki awaaz thi ye... JAIDEN CHOWDHARY ne SAM ko yahan aane se mana kiya tha par DIMPLE us waqt ghar par thi nahi isiliye usse bhi yahan aane se rokne ka kaam unhone SAM ko hi diya tha...

par naa toh DIMPLE ghar gayi aur naahi usne SAM ka call pich kiya...

usse pata tha ki mai 5 baje yahan aane waala hun isiliye sidhe yahi aa gayi thi woh par yahan aate hi chal rahe scene ko dekh aankhein badi ho gayi thi uski...

turant aage badhi thi woh par tabhi JAIDEN CHOWDHARY ke front bodyguards uske saamne aakar khade ho gaye the...

DIMPLE-how dare you..move...

chilla kar boli thi DIMPLE par uski baat ka koi asar nahi pada tha un bodyguards par...

ye dekh ghusse se unhe push kar aage aane lagi thi DIMPLE par tabhi kadam apne aap hi rook gaye the uske...

REASON...

mera left haath joki azaad tha,uskw index finger ko naa me hilaya tha maine...

ye dekh jahan ek taraf DIMPLE rook gayi thi wahin JAIDEN CHOWDHARY ko ab ghussa aane laga tha...

yahi wajah thi ki unke hand ka grip merr gale me ab aur zyada hone laga tha...

waise toh is chiz ka asar physically bohot zyada hone laga tha mujhpar par mentally, abhi mai kahin aur hi tha...

'IN THE MATTERS OF HEART, DON'T LEAVE YOUR BRAIN BEHIND"...

DAD ki woh seekh gunj uthi thi mere dimag par...woh seekh jispar aaj abhi tak amal nahi kiya tha maine...

SUJITH UNCLE ki wajah se mere dil me jo ghussa bhara tha,usne mere dimag ko theek se chalne se rok diya tha...

sabse bada reason mere is condition me hone ka bhi toh yahi tha...

dad ki us seekh ko lagatar man me bolte hue khud ko shaant kar lambi lambi sansein lene ki koshish karne laga tha mai aur tabhi...


"CHOKES AUR SUBMISSION MOVES TOH BOHOT SE HOTE HAIN PAR SABSE KAARGAR AUT BASE MOVE HOTA HAI TRIANGULAR MOVE..."

MUSHKIL HAI PAR ISKE GRIP SE NIKLA JAA SAKTA HAI...

SABSE PEHLE APNE TRAPPED HAND KO APNE FREE HAND SE PAKDO AUR PHIR DONO HAATHON KI TAAKAT SE US KNEE KO JISNE EK HAND KI MOVEMENT BLOCK KI HUI HAI,JHATKA DETE HUE FREE KARO...

DONO HAATHON KE FREE HOTE HI AGAR TRAPPED POSITION CHANGE NAHI HUI HAI TOH BODY KO EK BAAR PHIR JHATKA DETE HUE STRECH KARO...

ISSE NECK GRIP DHEELI PADH JAAYEGI JISKE BAAD APNE BACK HEAD SE BACK PUNCH KARNE KE BEECH JUST ROLL OVER...

YOU WILL BE FREE...PAR AGAR TUMHARE HANDS KO FREE HOTA DEKH OPPONENT NE APNI POSITION CHANGE KI TOH MOST LIKELY,HE AUR SHE WILL GO FOR THE ARM LOCK POSITION...

APNI PURI TAAKAT TUMHARE NECK KE SAATH SAATH TUMHARE SHOULDERS PAR DAALTE HUE WOH ROLL OVER HONE LAGEGA...

AISI SITUATION ME OPPONENT KI KNEE ME APNE DONO HAATHON KO FASA USSIKI TAAKAT KO USE KAR ULAT JAANA...

PRESSURE SAHI LAGA PAAYE TOH USSIKE CHEST SE PALATHTHE HUE GRIP FREE HO JAAOGE..."


MAA ke is seekh ko yaad karne ke beech usse practically use bhi kar raha tha mai...

jaise ki MAA ne kaha tha,mere dono hands ke free hote hi ARMS LOCK POSITION try karne lage the JAIDEN CHOWDHARY par tabhi unke knee ke neeche apne dono haath fasa wahin ki taakat use kar ulta roll over ho gaya mai...

roll over hote hi JAIDEN CHOWDHARY ka mere gale se grip chhut gaya aur natija,agle hi pal,unke chest par head down position me aa chuka tha mai..

aisa hote hi unke hi shoulder power se khudki bachi khuchi taakat ko samet ek jhatka diya maine apni body ko jiske agle hi pal mere pair neeche zamin par aa chuke the...

saans hadh se zyada fas kar nikal rahi thi meri jiski wajah se mooh se mere gaadha laar nikal neeche gir raha tha...

lambi lambi saasein lene ke beech kisi sharabi ki tarah lehra raha tha mai...

wahin dusri taraf JAIDEN CHOWDHARY ko yakin nahi ho raha tha ki unki us death grip se bach nikla tha mai...

uth gaye the woh aur hairani se dekh rahe the mujhe...

aur DIMPLE... mujhe yun lock free dekh khush ho turant meri taraf badhi woh aur mujhe hold kar mujhe sahara dene lagi woh...

uske dad ne ghura tha usse par fark DIMPLE ko kuch pada nahi...

sir neeche tha mera par DIMPLE ke touch ko pehchaan gaya tha mai...

kuch seconds aur lage,halka relaxed feel karne laga mai aur aisa hote hi sir utha ghuma mai MR JAIDEN CHOWDHARY ki taraf jispar...


JAIDEN-ho gaye pure do minute...sirf time limit cross nahi kiya tumne balki you successfully unlocked my block...

you won kid..ek baar phir prove kar diya tumne ki you are your father's worth son...

MAI-prove..kisse...???aapko...!!!i dont need to prove anything to you...

rahi baat meri jeet ki toh draw kabhi jeet nahi hoti...

but thank you...

JAIDEN-thanks...!!!kisliye...???

MAI-



kisse ko kahani samajh raha tha mai,abhi toh bohot LIKHNA BAAKI HAI...


mujh me roshni hai toh andhera bhi hai,un andheron me abhi chamak DIKHNA BAAKI HAI...

hunar ki nadi toh sikh li maine par aaj pata chala...


pura samandar bacha hai aur us samandar ko abhi SEEKHNA.....BAAKI HAI...









AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Nice behtarin mast awesome update bro
 
Top