• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

431
1,868
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA DIMPLE KO MAAF KAR DETI HAI WAHIN DUSRI TARAF ATLANTIS ME JAIDEN CHOWDHARY KE BEECH EK CHOTA SA BRAWL HOTA HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


DATE-12TH JANUARY 2021

UPDATE-88


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS






BETA NITENDRA...WAISE TOH HUME PATA HAI KI AAPKE LAMBE JEEVAN KAAL KI HI TARAH AAPKI BUDDHI BHI DIRGHAAYU HAI KINTU PHIR BHI,KEWAL HAMARE SIKSHAK AHANKAR KO SHAANT RAKHNE HETU AGAR AAP SIKSHA GRAHAN KARNE KA MITHYA AAVARAN BHI KUCH DER MAATRA KE LIYE ODH KAR BAITHE RAHEN TOH HUME BEHADH PRASSANATA HOGI...


WOH KYA HAI NAA KI HUM YE NAHI CHAHATE KI HAMARE MAANSIK UGRATA KE KOP SE AAPKO SHARIRIK KASHT PAHUNCHE...


bich bich me sabke saath bakchodi kar rahe NITS ka tedha mooh aur usse bhi zyada tedha body language sir ke is mithe dhamki ko sunkar sidha ho chuka tha...

wahin SIR ki baat par sabki hasi ke beech sir wapas smart board ki taraf ghoom gaye...

RAJAT-tere lagne waale hain laude...

NITS ke just piche waale bench par baithe RAJAT ki baat sun sir ki peeth dekh uski taraf sawaliya expressions ke saath muda tha NITS...

EKPREET-sahi bol raha hai...jab jab sir ne kisi par tanj kasa hai,uske baad apne bhayanak sawalon ke teer bhi uspar chhode hain...

RAJAT-aur jawab naa milne par tarike we jhaada bhi hai sir ne phir...

RAJAT aur EKPREET ki baat joki bilkul sach thi,usse sun is prayer ke saath ki uske saath aisa naa ho,NITS ki mundi wapas sidhi ho chuki thi par tabhi...

DUBEY SIR-beta NITENDRA...khade jo jaaiye...

NITS-shit...lag gaye loude...

jahan ek taraf smart board par apne kuch chuninda sawalon ko mark kar kahi thi ye baat DUBEY SIR ne wahin apne prayer ke asar ko shuru hone se pehle hi khatm hota dekh maayus ho apni jagah par khada ho gaya NITS...

DUBEY SIR-ye pratham prashn theek se dikh raha hai ya apne gyan chakshayuon ki hi tarah isse bhi bada karen hum...

NITS-dikh rahe hai sir...

DUBEY-arre waah...ab issi gati ke saath is sawal ka uttar bhi de dijiye...

"CHHAYA MAT CHUNA"...issi chapter ka sawal likha tha smart board par aur chapter ke shirshak ki hi tarah likhe sawal ke jawab ka ek bhi part NITS ke dimag ko chhu bhi nahi paa raha tha...

TRRRRR....

NITS ka prayer kamsekam aaj toh reject nahi hua tha...aaj ka last period the ye jiske end hone ki final bell baj uthi thi...

us ring ko sun jahan ek taraf DUBEY sir ne ek baar ghoor kar dekha NITS ko aur apne books lekar class se nikal gaye wahin dusri taraf NITS ka face aise chamka maano 1,2 crores lootne se bach gaye hon...

RAJAT-kya kismat hai lounde...bach gaya tu aaj...

NITS-sach me bhai...aaj toh sir pakka gaand ka godaam kar hi dete...

SONU-tu kkaam hi godaam bbanane waale kkarta hai be...

cclass kke bbeech me kabhi iddhar,kkabhi uddhar apni gaand gghumayega ttoh sir kko gggodaam bbanane ki jagah ttoh milegi hi nnaa...

NITS-abbe toh karta kya...!!!???ye saala class time table banane waala hi chutiya hai...

last period me kabhi hindi toh kabhi history...behenchod neend nahi aayegi kya...!!!

phate tak neend aa rahi thi...ab so jaata toh meri alag se class le lete DUBEY SIR isiliye idhar udhar sir ghuma mind divert kar raha tha apna...

HEY GUYZZZ...

NITS ki baat par koi kuch kehta ki tabhi DIMPLE aayi un sabke paas jisse dekh chaaron hi chup chaap usse dekhne lage...

naa face par koi expression naa saamne se kuch bolne ki chaah...

haan agar DIMPLE ki jagah SAM hota toh NITS aur SONU usse kuch na kuch suna chuke hote...

sports meet ke baad kayi baar aisa kar chuke the woh dono...

baat toh usse RAJAT aur EKPREET bhi nahi kar rahe the but SAM ke liye koi negative comment bhi nahi nikla tha un dono ke mooh se joki obvious bhi tha...

NITS aur SONU ki SANVY se friendship se bhi purani jo thi unki SAM se dosti...

aise me uski disrespect kaise kar sakte the dono...

wahin dusri taraf thi DIMPLE jiske liye kabhi negative toh kabhi neutral mind set rehta tha pure group ka...

dosti ke lihaaz se bhale hi unhe woh GALATH lagti thi par as a daughter and a sister,uski feeling aur most importantly, uski situation samajhte the woh sab...

upar se SANVY ke saath inki badi planning ka hissedar rehne ke baawjud DIMPLE ke liye VERONICA ka positive rehna,un sabke ghusse ko uske prati kaafi kam kar chuka tha...

but woh ab tak kuch bhi bhule nahi the aur ye feeling har waqt unki aankhon me dekhi thi DIMPLE ne...

abhi bhi dekh rahi thi...woh jaanti thi ki khudse kuch bhi nahi bolenge woh chaaron isiliye...


DIMPLE-sports meet pure hue 7 days ho gaye...

ITNA TIME KAAFI HONA CHAHIYE NAA, KITNE HI BADE BETRAYAL KO MAAF KAR DENE KE LIYE...!!!

ANJALI,NAISHA aur KHANAK ke saath piche se aa rahi RASHI ki baat sun ek lambi saans chhodi DIMPLE ne...


DIMPLE-SANVY ek din school aata hai,ek din nahi...kuch problem hai kya...???

ANJALI-MAA ko kuch kaam rehta hai...yahi reason bataya tha usne...


ANJALI ki baat sun chupchaap palath aage badh gayi thi DIMPLE...


ANJALI-wait...


abhi woh classroom ke door ke paas paas pahunchi hi thi ki tabhi uske paas pahunchi ANJALI ki awaaz sun rook gayi woh...


ANJALI-i think he lied... SANVY ki MAA ko kaam waali baat, jhuti lagi mujhe...

ANJALI ki baat sun aankhon me sawal tairne laga tha DIMPLE ke...


ANJALI-kal 7 baje ke kareeb ghar gayi thi mai uske...mazak mazak me uske kandhon par ek punch kiya tha maine aur ek second ke liye,there was pain in his eyes...

pucha toh baat ghuma di SANVY ne par i am sure ki he was hurt...

apni baat bol bechaini se bhar uthi DIMPLE ko uske haal par chhod palath gayi thi ANJALI par kuch kadam chalne ke baad rook wapas palti woh aur...

ANJALI-baat SANVY ke dard ki thi isiliye bata diya tumhe...aakhir uske har dard ka base toh tum hi ho...


ANJALI ke is taunt par sach ko sun taklif ki ek tez leher si doud gayi thi DIMPLE ke dil par jisse uske face me dekh liya tha ANJALI ne...


ANJALI-dekha...kitna asaan hota hai dard dena...

par utna hi mushkil hota hai kiska dard khud le lena...

sacchi mohobbat ka daava karti ho na tum...!!!karke dikhao ye mushkil kaam toh maane ki....wakayi....

mohobbat toh hai...




AT EVENING:-

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE





KUCH DINO PEHLE TAK KHUDKE GHAR SE ZYADA APNA LAGTA THA YE ASHIYANA PAR AAJ...!!!

IS GHAR KI DEHLIZ BHI PARAYI SI MEHSOOS HO RAHI HAI MUJHE...


SANEEL'S RESIDENCE ke main gate ko pichle 5 minute se chhu bas rahi thi DIMPLE...

par saankal khol andar jaane ki himmat usme ho hi nahi rahi thi...

in paanch minutes me 10 baar wapas mudna chaha tha uske dimag ne par dil me uske ubhre SANVY ki tasvir ne rok kar rakha hua tha DIMPLE ko...


kya karen,kya naa karen,is confusion me sir ko idhar udhar ghuma hi rahi thi DIMPLE ki tabhi...

MAINE KAHA THA NAA KI YE GHAR TUMHARA BHI HAI AUR APNE GHAR AANE KI LIYE KABHI HESITATE NAHI KARTE...

entrance door khula jisme se nikal gate ke paas aa saankal khol apni baat kahi thi VERONICA ne jisse sun sir halka neeche ho gaya tha DIMPLE ka...

VERONICA-come...

khudse sata DIMPLE ko saath liye hue andar ki taraf badh gayi thi DIMPLE aur is dauran uski nazar pehle gardan, phir gallery and finally hall me sofe par baithne ke beech aise ghum rahi thi maano pehli baar yahan aa rahi ho...

VERONICA-here you go...black coffee...

half spoon sugar,extra powder...strong...just the way you like it...

taste karke batao...jaisi SANVY banata hai tumhare liye, waisi hi bani hai or it's lacking something...

uske baaju me baith coffee mug DIMPLE ki taraf badha diya tha VERONICA ne jispar smile karte hue mug hold kar coffee ka pehla sip liya usne...


DIMPLE-its better aunty...

VERONICA-ya right..."5 star se bhi achi bani hai ye toh... seriously..."

jab pehli baar khud se banayi coffee pilayi thi SANVY ne tumhe toh suni thi maine tumhare mooh se ye line...

DIMPLE-true...par ek sach ye bhi hai ki SANVY ki coffee agar 5 star thi toh aapki 7 star hai...

and trust me,i am not buttering even slightly...

itne waqt me anginat baar apne hunar,apne brain power ke alag alag namuno se surprise karta aaya hai mujhe SANVY...

I don't think ki uski umar me uske jitni capabilities, talent india me hi kya,world me bhi shayad hi koi hoga...!!!

VERONICA-duniya abhi dekhi hi kahan hai tumne beta...!!!

DIMPLE-true that par aapko toh dekha hai naa aunty...

zyada mouke aaye nahi hain naahi bohot waqt bitaya hai maine aapke saath par phir bhi,aapko dekh bhar ke aisa feel hota hai mujhe jaise SANVY jaisa rare diamond bhi aapka 10th part hi hoga shayad...

DIMPLE ki baat sun kuch kaha nahi VERONICA ne,bas usse coffee ki chuskiyan lete dekh smile karti rahi...

wahin is beech SANVY kahin dikha nahi tha DIMPLE ko par piche bane open yard jahan kuch din pehle tak combat practice karti aayi thi woh,halke thak thak ki continuous awaaz aa rahi thi jis wajah se baad baad mood kar piche dekh rahi thi DIMPLE aur ye dekh...

VERONICA-yup... that's SANVY...

DIMPLE-kya kar raha hai woh and i heard ki pain hai usse...

VERONICA-tumhari 10 percent waali baat ko GALATH saabit karne me laga hua hai woh...

rahi pain ki baat toh kuch extraordinary achive karne ke liye pain zaroori hota hai...

DIMPLE-mai samjhi nahi...

VERONICA-bina dekhe samjhogi bhi nahi...come,i will show you bas tez awaaz mat karna...


SSSS...


DIMPLE-what the...!!!kar kya raha hai ye...!!!


backyard me pahunchte hi saamne chal rahe scene ko dekh aankhein badi ho chuki thi DIMPLE ki joki laazmi bhi tha...

backyard joko 1000 square feet bada tha, uske theek beech me khada tha SANVY...

is waqt uske haathon me ek stump tha par hairani waali baat thi uske aankhon me padi kaali patti...

haathon me pakde stump aur aankhon me pehni patti...

inke reasons the backyard par circle banaye chaar edges me bane hue the temporary BALL FEEDER(artificial bowling machine)...

artificial isiliye kyunki wood aur bronze ke mishran se khud banaye the woh feeders SANVY ne...

un feeders ko aur usse banane ke tarike ko dekh aaj ek baar phir DIMPLE khudko SANVY ke unimaginable talent se prabhavit hone se rok nahi paayi thi...

walls par nails ke through locked the woh chaaron ball feeders...

automatic ball loading ke liye rotter se just upar spring use kiya gaya tha jisle aage rakhe balls delivery ke baad paida hone waale kampan ki wajah se motion me aate the aur socket me rakhe ball roter area me bane khaali space me khisak jaate the...

rotter ek trap door se guzar raha tha jisse ball apne wazan aur forward movement se open karti thi...

aur us door ke open hote hi ball feeder ke next hole jisse thrower kaha jaa sakta hai,girti thi...

ball ke girte hi uske pressure se thrower ke wall par lage pump me hawa generate hoti thi jo ball ko hold kiye spring me harkat paida karti thi...

spring aur pump ball me extreme pressure create karte the jiski wajah se ball kaafi speed se bahar ki taraf saamne fekata hai...

is waqt SANVY jis position me khada tha,uski left taraf ke feeder se ball nikal badi tezi se uski taraf badhi thi...

aankhon par patti hone ke baawjud apni taraf badh rahi ball ko sense kar liya tha SANVY ne isiliye us ball ko block karne ke liye haathon me pakde stump ko swing kiya usne par thoda late ho gaya...

ball sidhe chest par padi thi SANVY ke...

ball ki speed kaafi fast thi... impact se paida hone waali awaaz se saaf pata chal raha tha ki pain kitna zyada hua hoga SANVY ko par bas halka sa grunt kiya usne aur turant wapas attentive hokar khada ho gaya...

THAKKK...

kuch seconds hi beete the ki tabhi SANVY ke back se right ki taraf ke feeder se ball nikli...

is baar bhi pehle us thak ki awaaz ki halki awaaz ko sunane ke baad apni taraf badh rahi ball ko feel kar liya tha SANVY ne...

turant ghumte hue stump ghuma di usne aur is baar ball stump ki tip par hi hit hui...

MAA-that was ok...

DIMPLE-ye kar kya raha hai aunty...???


jaisa ki VERONICA ne bola tha, SANVY distract naa ho isiliye bohot dheemi awaaz me baat kar rahi thi DIMPLE...


MAA-reflexes...kisi bhi combat me the most important thing is our reflex...

brilliant combat manifestation ke liye hamari body movement ki speed hamare brain analysation ke piche nahi balki saath me chalni chahiye par best aur next to impossible combat manifestation ke liye body movement ka brain se bhi tez hona zaroori hota hai...

aur aisa karne ke liye...

DIMPLE-spinal cord activation zaroori hota hai...

reflex action use hone ke piche ka organ...spinal cord...jaanti thi DIMPLE is scientific theory ko isiliye turant iske baare me nikla tha uske mooh se...


MAA-yup but ye activation kuch der ke liye open rakhna is not a big deal par 24/7 isse attentive rakhna, it's a next to impossible thing aur ussi impossible chiz ko possible karne ki koshish kar raha hai SANVY...


UGHHRRRR...


abhi baat kar hi rahe the VERONICA aur DIMPLE ki tabhi back to back do balls hit kar chuke the SANVY ko...

pain kaafi hua tha usse jo uske face par saaf dikh raha tha aur us pain ko dekh DIMPLE ki taklif badhne lagi thi...


DIMPLE-par ye wakayi ek impossible chiz hai aunty...maine bohot se top martial artists aur international standard ke fighters ko blind offense aur defense practice karte hue dekha hai...

even mere dad bhi ek renowned martial artist hain...i have also seen him practicing the blind combat par itna hard nahi...

manually man power use karte hain woh sab...

and that too with a good time between pause...

upar se miscalculation ki wajah se unki body par lagne waali chizen bhi spongy hoti hain par ye toh...

shit..season ball...


SANVY ko lagne ke baad ek season ball DIMPLE ke pair ke paas roll hote hue aayi thi jisse pakad aankhein ek baar phirse badi ho gayi uski...


DIMPLE-what the hell is he upto...!!!this is toh beyond the limit... aap is paagalpan ko allow bhi kaise kar sakti hain aunty...???

MAA-yunhi "sky is the limit"phrase toh bana nahi hoga naa beta...

to achieve something extraordinary,you have to do something that is unimaginable...

aur mai rok isiliye nahi rahi kyunki mai aisa kar hi nahi sakti aur tum bhi mat karna...

SANVY par body pain se zyada effect brain pain ka hota hai...

agar usne kuch decide kiya hai toh kisi bhi keemet par us goal ko achieve karna hi uske liye sabkuch hota hai...

uske aur uske goal ke beech aana is like throwing petrol over fire...

DIMPLE-but aunty, SANVY ka ye goal, it is impossible to perfect...

MAA-nothing is impossible beta...haan, kayi saal lag sakte hain jo i am sure ki lagenge hi but dekhna tum,ek din, is naamumkin ko mumkin karega SANVY aur tum us moment ko witness karne ke liye wahan moujud hogi...

UGHHHRHHH...


VERONICA ki baat puri hui hi thi ki tabhi ek ball phir hit hui SANVY ko jiske asar se phir pain hua tha usse...



"dekha...kitna asaan hota hai dard dena...

par utna hi mushkil hota hai kiska dard khud le lena...

sacchi mohobbat ka daava karti ho na tum...!!!karke dikhao ye mushkil kaam toh maane ki....wakayi....

mohobbat toh hai..."



SANVY ke face par facial expressions dekh school me ANJALI ki kahi ye saari lines gunj si uthi thi DIMPLE ke face par..

aur un shabdon ke gunjte hi uske kadam apne aap SANVY ki taraf chal pade...

itne der me feeders ke ball throw ka saara calculation kar chuki thi DIMPLE...

un chaar feeders se baari baar 25,25 seconds ke pause ke baad ek ek kar ball shoot ho rahe the...

abhi last ball shoot hue 10 second hi hue the ki DIMPLE SANVY ke paas pahunch chuki thi...

waise DIMPLE ko SANVY ki taraf badhte dekh ek pal ke liye usse rokna chaaha VERONICA ne par phir ye khayal chhod diya...

DIMPLE ko apne bete ke paas jaata dekh smile kar sir shake karte hue wapas palath hall ki taraf badh gayi woh...

wahin dusri taraf ball mere right shoulder me hit hui thi jispar usse jhatak raha tha mai...

par is beech next ball shoot ka timing mere dimag ne ek pal ke liye bhi bhoola nahi tha...

ab tak 10 seconds guzar chuke the isiliye ek aakhri baar kandhe ko zor se jhatak mere dono haath stump par kas chuke the par tabhi...

SSS...SSSNNN...SNNN...

ek jaani pehchaani gandh ne mere nathuno se hote hue mere dil aur dimag ko bhar sa diya...

MILLE FUEX... LOUIS VUITTON ki top brand female perfume ki smell thi ye jisse meri pehchaan me sirf ek hi ladki use karti thi...

MAI-DIMPLE...yahan kya kar rahi ho tum...???

halke rude tone me kahi thi maine ye baat...par tone ki rudeness ne itna effect nahi kiya tha uspar jitna "DIMPLE"...apne hi naam ko mere mooh se sun kar hua tha...

NEW GIRL se DIMPLE...woh jaanti thi ki ye change sirf naam ka hi nahi balki hamare darmiyan toote hue rishte ka saboot bhi hai...

par is fact ko toh accept bhi kiya hua tha usne isiliye zyada naa soch mere aur kareeb aa gayi woh aur...

DIMPLE-pehle se hi you are too good SANVY...is mad training ki zaroorat nahi hai tumhe...

MAI-tumhare baare me bhi toh shuru se hi jaanta tha mai...tum aur tumhare bhai ki noutanki ko aakhri tak kheenchne ki bhi toh zaroorat na thi mujhe par kheencha na maine...

aisi ul julool zarooratein achi lagti hain mujhe...now move,fast...

DIMPLE-fine...tumhe rok nahi sakti par tumhe hone waala dard baant toh sakti hi hun naa...

MAI-stop this dard baatungi crap DIMPLE...

tumhe mere pain se matlab hona nahi chahiye kyunki tumhare dard se mujhe koi lena dena nahi hai...

DIMPLE-we will see...

THAKKK...

AAHHHH...

ball is baar jis position me DIMPLE khadi thi,theek uske piche waale feeder se shoot hui thi...

ball tezi se shoot ho sidhe DIMPLE ke kamar ke upar back par lagi thi...

season ball ka impact tha toh pain hona hi tha jo hua bhi...

pehle ek tez sensation us impact point par hua lekin phir us jagah se shuru ho DIMPLE ki puri peeth me faile gaya tha woh pain...

MAI-mil gayi shaanti...baant liya dard...stupid girl...man bhar gaya toh just get out of this place...

what the fuck...fine,mat jaao...haddi tutegi toh apne aap down ho jaaogi...

meri baat sunane ke baad jaane ke bajaye mere dusri taraf jahan ke feeder se ab ball shoot hone waala tha,sarak gayi thi DIMPLE...

halki door se mujhse woh aur beshak aankhein band thi meri par uski perfume ko itne paas se smell kar uski shifting position feel kar li thi maine...

is waqt jitni irritation mere face par dikh raha tha,utna hi calm DIMPLE ka chehra tha...

peeth par ho rahe dard ke baawjud aage hone waale pain ko sehne ke liye khudko mentally prepare karne me lag chuki thi woh...

THAKKK...

UGGHHRRRRH...

25 seconds pure hue aur aisa hote hi DIMPLE ke piche jo feeder tha,usse hui ball shoot...

ball shoot ki awaaz ke agle hi pal ek pain bearing grunt mooh se nikli par ye grunt DIMPLE ke mooh se nahi balki mere mooh se nikli thi...

exact ball hitting moment par haath aage badhaDIMPLE ko hold karte hue ghum jo chuka tha mai...

wahin ball ke impact ko jhelne ke liye DIMPLE jisne apne jabde bheench aankhein band ki hui thi,apne haathon me mere haathon ke sakht grip ko feel kiya tha usne aur aisa hote hote hi meri x position me aa chuki thi woh...

ball ne js baar meri peeth me dhoul jamaya tha jispar nikli mere mooh ke grunting sound ko sun turant aankhein khul chuki thi DIMPLE ki...


DIMPLE-tumhe toh mere dard se koi matlab nahi tha naa... phir ye sab kyun...!!!???

MAI-point prove ho gaya ho toh just get the hell out of here...

DIMPLE-abhi kahan...!!!is baar ghuma nahi paaoge mujhe...

ye bolte bolte thoda right ki taraf sarak chuki thi DIMPLE...

theek us jagah khadi thi ab woh jahan next feeder se ball shoot hokar aane waala tha...

MAI-ye kya bachpana laga rakha hai tumne...

THAKKK...THAKKK...

meri baat puri hote hote hi feeder me se ball release ho chuka tha par mere surprisingly,bolne ke beech bhi is waqt mere reflexes pehle ke mukable 5 times zyada active the...

yahi wajah thi ki ball shoot ki awaaz chhan ke se aayi thi mere kaano me aur saath hi saath meri movement bhi pehle se kaafi swift aur tez thi...

isse pehle ki ball DIMPLE ke peeth par apna nishaan chhodti,mai apne haathon me pakde stumps ke saath uske side me pahunch chuka tha aur agle hi pal mere stump ke middle me pad woh ball door chhitak chuki thi...

reflex se paida hone waala adrenaline mere saanson ko tez kiye hue tha aur mere saath sate hone ke kaaran DIMPLE ki saasein bhi zyada tezi se nikal rahi thi...

kuch seconds bade pyar se mujhe dekhti rahi woh aur phir kuch bolne ko hui ki tabhi...

THAKKK...THAKKK...

dusri taraf waale feeder se ball shoot ho chuki thi par last time ki tarah is baar bhi mere reflexes ne bakhubi kaam kiya tha...

turant ghumi meri stumps jiski is baar middle par toh nahi,neeche ke nukile bhaag par lagi ball aur door chhitak gayi...


MAI-bohot hua...out...


ball hit karte hi aankhon par pehni patti turant utari maine aur DIMPLE ko saath liye feeders ke range se bahar nikal gaya...

tone rude toh nahi tha par sakht zaroor tha mera par phir bhi ek smile naach uthi thi DIMPLE ke face par...


DIMPLE-its all about what's in the line...pehle line par tumhari body thi, isiliye dhyan, focus utna nahi laga paa rahe the tum par phir balls ke radar par mai aayi jo tum abhi maanoge toh nahi par sach hai ye ki tumhare liye tumse zyada zaroori thi...

isiliye focus bhi badh gaya tumhara...

MAI-i said out...niklo yahan se...

DIMPLE-yahan se toh nikaal doge...dimaag se bhi nikaal diya,shayad dil se bhi par mai toh tumhari aatma se judi hui hun...

wahan se jaan nikal jaayegi,par mai nahi......!!!

MAI-just go away DIMPLE...

DIMPLE-NEW GIRL...aaj nahi par ek din,waada hai mera,phirse pukaaroge mujhe tum is naam se...


bye aunty...kuch important kaam hai...i will come later... promise...

DIMPLE ki ye line kitchen se water sip kar bahar nikal rahi VERONICA ne bhi sun liya tha...

aur andar aa rahi DIMPLE ne jab unhe dekha toh bohot zyada hadbada gayi woh...

upar se VERONICA ki smile ne itna zyada nervous kar diya tha DIMPLE ko...

isse pehle ki VERONICA uske saamne aati,apna excuse dete hue badi tezi se hall aur phir gallery se hote hue bahar jaa chuki thi DIMPLE...

VERONICA-hahahaha....pagal hai ye bhi...


TNNNTNNNTNNN...TNNNTNNNN....

DIMPLE ki haalath par haste hue hall ke sofe me baith tv joki mute mode me tha,usse unmute kiya hi tha VERONICA ne ki tabhi baja table par pada uska mobile...

NNNNNUUUNNNNUNNNN...

abhi woh mobile uthane ke liye uth hi rahi thi ki tabhi is naye ringtone ko sun halki shock hui thi VERONICA...

ye VERONICA ka second number tha par classified contact tha ye...

bohot kam aur extremely important logon ke paas tha ye number isiliye iski tone bhi changed thi...

maamuli conditions me is number par call aate hi nahi the isiliye VERONICA ka halka shock hona laazmi tha...

BREAKING NEWS....

phone ke taraf badhne hi lagi thi VERONICA ki tabhi tv par chal rahe news channel par hui announcement ne dhyan uska apni taraf kheench liya tha...


MAI RITU ROY AAP SABKE LIYE BAS KUCH DER PEHLE HI UTTARAKHAND KE ALAG ALAG JAGAHON PAR EK SAATH GHATI TEEN GHATNAON KI SANSANI AUR HAIRATANGEZ KHABAR LAAYI HUN...

pata nahi kyun par us news reporter ki baat sun nazar uspar atak si gayi thi VERONICA ki...


RITU-hairat angez isiliye kyunki teeno hi ghatnayen bhale hi alag alag jagahon par ghati hain par unke ghatne ka waqt same hai...

theek 6 baje...


ab reporter ki is baat ko sun bhaven choti ho chali thi VERONICA ki aur apne private number ke lagatar ring hone ki wajah se ek alag hi negative sensation shuru ho chuka tha uski body me...

wahin dusri taraf RITU ROY ki reporting chaalu thi...


RITU-jee haan...kuch hi der pehle shaam ke theek 6 baje UTTARAKHAND ke teen alag alag jagahon par bam dhamake hue hain...

hairani hi baat ye bhi hai ki ye teeno hi dhamake alag alag religious places ke bilkul paas hue hain...

par ek achi baat ye bhi hai ki in dhamakon me kisi bhi vyakti ki jaan nahi gayi hai...

haan,kuch log dhamake ke impact se ghayal zaroor ho gaye hain...

teeno hi jagahon par hamare news channel ki teen alag alag team pahunch chuki hai...

toh chaliye,live monitoring ke through hum aap sabko ek saath un teeno hi jagahon par le chalte hain...


reporter ki baat puri hote hi tv ke screen par teen live visual feeds dikhne lage the aur teeno hi feeds me dhamake se paida hua dhuan ab bhi faila hua tha...


RITU-jaisa ki aap sab apne saamne teeno hi screens par teen alag alag dharmik sthal dekh sakte hain...

pehle screen par dikh raha scene hai ALMORA district ke city GODI ka...

wahan central block me bane RAM MANDIR ke piche waale maidan me hua hai bam dhamaka...

dusre screen me dikh rahi jagah BAGESHWAR DISTRICT ke OKHALSON city ki hai...

HISAMUDDIN CHISHTI dargah ke theek opposite bani ek office complex ki jo filhal open nahi hui hai,wahan hua hai dusra dhamaka...

aur teesre screen par dikh rahi jagah hai PITHORAGARH DISTRICT ke city DHARCHULA ki...

EMMANUELLE CHURCH ke just aage bani nayi nayi garden me hua hai teesra dhamaka...

jaisa ki maine bataya ki teeno hi dhamakon me kisi bhi vyakti ki jaan nahi gayi hai...

par is baat ki bhi puri pushti abhi ho nahi paayi hai...in teeno hi dhamakon ke ek dusre se connection ki tehkikaat abhi jaari hai...

jaise hi koi bhi nayi update aati hai,sabse pehle uska khulasa hamare hi channel par hoga...

isiliye bane rahiyega aap sab hamare saath...

mai RITU ROY, camera man ANKIT SHARMA ke saath,TV 100...


VERONICA-hello...


news reporting puri hote hote VERONICA ne call utha liya tha jiske dusri taraf thi RANJANA MATTHEWS...

RANJANA-message samajh gayi hogi tum...

VERONICA-

GODI...OKHALSON... DHARCHULA...

first three initials...

G....O....D....

RANJANA-yup...GOD...they know...he knows...iska matlab...

VERONICA-they are coming after SANVY...

RANJANA-security badha rahi hun mai...***ke best ****24/7 tumhare aur SANVY ke aas paas rahenge abse...

VERONICA-no...SANVY observe kar lega aur phir shuru honge uske sawal...

uske nightmare ki sacchayi saamne aa jaayegi uske jiske baad control me nahi rahega woh...

but he is not ready...jinke khilaaf usse ladhna hai, abhi taiyar nahi hai woh...

RANJANA-and what about HIM... tumhe bhabhi ke saath MAA ka bhi darja diya hain unhone aur SANVY unke liye apni aulaad se badhkar hai...

ab tak unhe bhi pata chal gayi hogi ye baat...woh rukenge nahi...

VERONICA-bilkul rukega woh...aur kyun rukega,iska jawab tumhare hi kahi baat me chhupa hua hai...

bhabhi ke saath MAA bhi maana hai usne mujhe... SANVY ko bas tasviron me dekhta aaya hai woh...

mujhse aur apne bete se milne ke liye saalon saal tadpa hai woh par meri baat kabhi nahi kaati usne...

vaada liya tha maine usse ki jab tak mai naa kahun tab tak naa toh SANVY se mile woh aur naahi mujhse...

mere vaade ka maan nahi todega woh...

RANJANA-tadpi toh tu bhi hai naa...jaise uske liye SANVY hai,tere liye bhi toh AARNA hai...

(NAAM SE KUCH YAAD AAYA GUYZZ...ISSI NAAM KI BACCHI KO SMOOTHIE BAR ME JAL KAR MARNE SE BACHAYA THA SANVY NE...UPDATE-61)

AARNA...ye naam dimag me ghumte hi ek nanhi si doll jo kabhi VERONICA ki godh se utarti nahi thi,uska maasum aur super adorable face ghum sa gaya tha VERONICA ke aankon ke saamne...

jaanti thi is baat ko RANJANA isiliye kuch seconds chup rahi woh par phir...


RANJANA-toh ab kya...!!!haath par haath dhare toh nahi baith sakte naa...

VERONICA-haath khole toh itni laashe girengi jinka hisaab nahi hoga hamare paas...

pichli baar bhi sirf SANEEL ko apne ghutno par laane ke liye hazaaron jaane li gayi thi...

un zindagiyon ka bojh ab bhi bhaar daale hue hai mere dil me...

aaj jo dhamake hue, unme jaan ek bhi nahi gayi par aage aisa nahi hoga...

aur dobara maasoom laashon se bhare raaste par nahi chalungi mai...

agar G.O.D chahte hain to get me toh koi baat nahi par agar mere bete ke piche aaye woh toh...




kuch aur nazar aayega nahi kisiko,har taraf bas mai DIKHUNGI...


ek naseeb un sabki unke G.O.D ne likhi hai,ek takdir mai LIKHUNGI...

waar toh door ki baat hai,nazdik bhi aaya agar koi mere bete ke paas toh...

chalega aisa taandav mera ki sir dhadh se alag honge jab DUS, mai EK GINUNGI...










AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
Nice mast update bro
 

Boxerji

I Am Beyond Of Your Imagination
208
696
94
Kya yaar tum bhi
Religion yaha allowed nahi hai
 
Last edited by a moderator:
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Black soul

سآخذها ليلا ونهارا بمجرد العثور على الملكة 🥀🏴
646
1,734
124
Waiting for next update bhaya :sip:
 

Rohn.mak123

Member
145
830
108
Kabhi honthon pe muskurahat kabhi aakhon mai namee lanewala hoga.
Is kahani ka har manzar har pal bhaot hi khaas bahot hi dischasp hoga.

Abhi toh rahasy aur bhi goodh honge, romanch bhi bharpoor hoga,
Har kisiko is Kahani ki har update ka besabri se intezaar hoga.

Kya hi karoon taarif is kahani ki, jitna bhi likhunga wo kam hi hoga.
Agar koi puchhe kon si kahani sabse jyada pasand hai mujhe, to naam uska "ghalat" hoga.

Har baar sochta hun ki ab kahani mai kya hoga,yeh hoga, ya wo hoga,
Ab samajh raha hun, chahe kuchh bhi sochlun,jo sochunnga wo to kabhi nahi hoga.
😝


Eagarly waiting for next
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,377
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DUSHYANT SANVY AUR USKE DOSTON KO DHAMKI DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF SMRITI VERONICA KI INSULT KARNE KI KOSHISH ME KHUDKI HI INSULT KARWA BAITHTI HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-80

DATE-18TH DECEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS






TUM AAJ KAL KE BACCHE...PIZZA BURGER KHA KHAA KAR APNE STAMINA KI AISI KI TAISI KARA LI HAI TUM SAB NE...


CHARLIE sir ke comment ko sunane ke baad bhi zameen par faile hi pade rahe the sab students...

aaj saturday tha...waise toh aaj kal SIRIUS me har din hi jam ke sports ke har anticipated activities ki jam kar practice ho rahi thi par saturday ki baat thodi aur alag rehti thi...

kyunki saturday ko study class lagti hi nahi thi...pure school hours me bas sports practice hi hoti thi aur woh bhi intense...

jaise ki abhi... school hour start hue 12 ghanta bhi theek se nahi beete tha par itne me hi senior three classes ke har boy student ki jaan aadhi ho chuki thi...

pehle 800 metres ke 2 aur phir 1500 metres ka ek doud jo pura kiya tha sabne...

aur aisa karte hi jahan ek taraf sabhi students field par pasar gaye the, wahin dusri taraf charlie sir"one more round"ki howling karte rahe jisse ek kaan se sunkar nikaalne lage the sab...


DAS-beta itne me hi thak gaye beta aap sab...beta jab hum aapki umar me the toh 20 20 km doudne ke baad bhi kabhi thak kar baithe tak nahi...

NITS-arre kam feko sir...abhi lapetne ki bhi himmat nahi bachi hai...

DAS-kya bole beta NITENDRA...???


lambi lambi saans lene ke beech dheere se budbudaya tha NITS jisse DAS sir theek se sun nahi paaye the...


NITS-kuch nahi sir...mai bas ye bol raha tha ki aapse bhala hamara kya jod sir...aapka aadha bhi achieve kar liya humne toh bhi badi baat hogi...

DAS SIR-beta kisi aur ne ye baat boli hoti toh maan bhi leta mai par tumhara software aisa bana hi nahi ki kisi bhi teacher ki taarif kar lo tum...

HAHAHAHA...


sir ki baat sun thakne ke baawjud hasi nikal gayi thi sabki...


CHARLIE SIR-great...has rahe ho sab matlab thakaan chali gayi...good...chalo phir...1500 ka ek round aur ho jaaye...

EKPREET-sir...please but we are too tired...1500 ka lap nahi ho paayega... it's too much...

SAB-yes sir...please...


EKPREET ki baat sun CHARLIE sir usse daantne ko hue the par tabhi baaki sab students ne bhi same request ki thi unse jis kaaran bas sabko ghurne lage the woh...


MAI-sir,1500 metres ka round bhale hi zyada ho jaayega in sabke liye par 2 minutes ke off time ke saath 400 ke chaar toh araam se laga lenge ye sab...

woh karwa lijiye...

CHARLIE SIR-great idea SANVEER...so students, aisa hi karenge ab aap sab...400 ke chaar rounds clear karenge with a two-minute off time interval...

RAJAT-but sir...

CHARLIE SIR-no but,keep your mouth shut and now quickly,all of you,move your butt...


jahan ek taraf ryming words ke saath apna order dekar sir aage badh chuke the wahin sabhi students ki nazar mujhe ghoorne lagi thi...

jog area ke paas hare hare ghaanso ke beech akela araam se baitha hua tha mai...

DAS SIR ke presence ki wajah se bol toh koi kuch nahi raha tha par aankhon me unke dekh un sabke man me chal rahi mere liye vibhin vibhin tarah ki galiyon ke samuh ko saaf feel kar paa raha tha mai...

aur unhi ghoorti nazaron se jahan tak ho sake, mujhe stair karte hue 400 metres ke apne first lap ke liye aage doud laga di thi sabne...


NITS-is saale langde ki dusri taang bhi todkar permanent disable club ka member bana dunga mai saale ko...

harami khud toh araam se gaand tika kar baitha hai par humari gaand sujaane ke sujhaav deta phir raha hai...

SONU-bbeta ek ttaang mme bhi woh kamina hum ssab par bbhari hai...

EKPREET-ye toh hai bhai...saala us din PRINCE ke bahar jo SANVY lounde ke peeth par haath ka pressure daal 360 ghum gaya tha, dekhkar laga jaise live film shooting dekh raha hun mai...

RAJAT-haan bhai...ladhta toh ye pehle se hi aaya hai...

par pehle bas aayen baayen haath pair chalte the iske...

aur us time saale ka junoon itna zyada sir par sawar hota tha ki khudko lagne waali chot feel bhi nahi hoti thi usse...

par chot lagti toh thi hi...par ab...pata nahi kameene ne kaun se martial arts institution me secret training li hui hai jo alag hi level ka fight display karne lag gaya hai...

DAS SIR-beta,baatein karoge toh saans fulegi aur saans fulegi toh doudna mushkil ho jaayega par doudna toh hai hi...

isiliye beta for the sake of your own stamina,mooh band rakho...

200 ka ek round pura karne ke beech jab sabhi sir ke baaju se guzre toh unke comment aur indirect dhamki ko sun mooh apne aap sil gaya tha sabka...

wahin dusri taraf CHARLIE SIR pahunche the thodi door alag se warm up practice karte hue hamare school ke dono champs ke paas...

SAM and ROHAN jo filhal alag alag tarah ke stretching exercises kar rahe the...

baat ek dusre se dono karte the nahi isiliye unki exercises sink me naa hokar different thi...

sir ko dekhte hi dono sidhe khade ho chuke the...

CHARLIE SIR-so,warmed up...!!!

DONO-yes sir...

CHARLIE SIR-good...baaki sabhi races me tog tum dono baaki school champs se aage hi rehte ho par long run tracks me PRINCE are really good aur sunane me aaya hai ki unke champ ka jo 1500 metres finish time hai,it is slightly better your last year record...

isiliye aaj long track run practice karni hai tum dono ko...

SAM-sir,but is baar mai 1500 metre race me participate kar hi nahi raha hun...

CHARLIE SIR-what...???kyun...???

SAM-aise hi sir...body exaggerate hoti hai us race me jo mere baaki selected activities par asar daal sakti hai...

aur koi time hota toh ye risk le leta mai but is baar stakes bohot high hain isiliye i don't wanna take any kind of risk...

CHARLIE SIR-par risk kaisa...???800 metres aur 400 metres relay race ki tarah 1500 metres race bhi compulsory 4 sports list me aata hi nahi hai...

par championship ke liye it helps...

SAM-i know sir but ek toh apne selected sport events me mere jeetne ke chances zyada hi hain aur agar aisa mai kar leta hun toh phir kisi additional sports ki zaroorat honi hi nahi hai...

but more importantly, 1500 metres race last day me nahi balki sports ke first day me hi conduct hota hai woh bhi main selected events ke beech jisme participation ka matlab hai apne selected sport events me exhausted hona and that i don't want...

baat to the point thi SAM ki isiliye usse zyada convince karne ka socha nahi sir ne...

CHARLIE SIR-tum toh 1500 me participate karoge na ROHAN...!!!

ROHAN-ofcourse sir...

CHARLIE SIR-toh SAM,ROHAN ke saath abhi ek friendly race toh kar hi sakte ho naa tum...!!!

practice bhi ho jaayegi iski aur jo agar koi kami hui isme toh race ke through unhe jaan bhi paayega ye...

waise bhi,is baar competition tum dono ka sirf ek dusre se hi nahi balki dusre school ke students ke saath bhi hai...

SAM-sure sir...

CHARLIE SIR-thats the spirit...ok then...5 minutes...phir race track par pahuncho...

HEY...


NEW GIRL thi ye jo apne water sipper se paani peete hue mere baaju me aakar baith gayi...

boys ki tarah school ke dusre ground me girls ka bhi practice session chaalu tha aur isiliye hi is waqt regular school uniform me nahi thi NEW GIRL...

dark green half sleeves vest aur neeche white tights pehne hue the usne with a white running shoe to go with it...

lagatar kayi long rounds doud chuki thi NEW GIRL...haan,chand minutes ka gap ho chuka tha isliye sharir uska relaxed ho chuka tha par phir bhi saansein uski halki si hi sahi par tez,chhad aur utar rahi thi...

mousam yahan ka most of the times ki hi tarah abhi bhi thanda hi tha...

yahi wajah thi ki nikla paseena kaafi hadh tak sookh chuka tha uska par chand bunde abhi bhi NEW GIRL ke maathe ki chamak air badha rahi thi...

aksar tough practice ke baad face ka glow kam ho jaaya karta hai par NEW GIRL ke saath iska ulat hua tha...

chehre par uske kuch yun noor chhaya hua tha maano abhi naha kar taazgi se bhar nikli ho...

yahi wajah thi ki NEW GIRL ke baithne ke baad kuch kaha nahi maine...

uske kudrat-e-karishmegaar rukhsaar ka bas deedar hi kar raha tha mai...

wahin dusri taraf NEW GIRL ki nazar bhale hi saamne thi par jaanti thi woh ki dekh mai usse raha tha...

halki sharm odhe muskaan uske chehre ki gawah thi is baat ki...


DIMPLE-hazaron baar dekha hai tumne mujhe... phir aisa kya talash rahe ho mere chehre me jo ab tak nahi mila...!!!???

meri taraf apni kajrari aakhon se dekh mujhse kam mere dil se zyada pucha tha ye sawal NEW GIRL ne...


MAI-us raaz ki chuppi parath ko beparda karna chahta hun jo mujhe tumhe baar baar dekhte rehne ke liye majboor karti hai...

DIMPLE-woh jawab mere chehre par nahi apne dil me dhundo, shayad jawab mil jaaye...

MAI-dil ke har inch par toh pehle hi aap kabza kiye baithe hain...

kuch naya rakhne ke liye aapne jagah ki kahan di NEW GIRL...!!!

DIMPLE-kaafi baar puchna chaha par har baar bhul jaati thi...

ye tum mujhe NEW GIRL kyun bulaate ho...???ab toh naa mai is school ke liye nayi hun aur naahi tumhare liye...

MAI-mere jazbaat ke liye toh ho...tum woh pehli GIRL ko jisne SANVEER AHARYA ke dil me ek NEW feeling ko paida kiya...

woh ehsaas jo socha nahi tha maine ki kabhi feel kar paaunga mai...

isiliye NEW GIRL...

DIMPLE-jhalla...


meri baat sun sharmane ke beech nazar apni wapas sidhi kar li thi NEW GIRL ne aur is baar mai bhi muskurate hue saamne dekhne laga jahan ab track ke paas bheed hone lagi thi...


MAI-kya ho raha hai...???


paas se track ki taraf jaate hue ek junior ko pucha tha maine ye sawal...


JUNIOR-bhaiya woh ROHAN aur SAM bhaiya 1500 hundred doudne waale hain... wahi dekhne jaa raha hun...

MAI-abbe band kamre me doudenge kya jo track ke pichwade me ghuskar hi dikhega tujhe...

pura ground cover karenge woh dono...

jahan bhi khada ho, view clear hi dikhega...

JUNIOR-jee bhaiya par mere friends udhar hain...mai jaaun...!!!

haan me sir hilaya maine jiske baad turant nikal liya woh...

MAI-you should go...


NEW GIRL ki excited nazar track par warm up kar rahe SAM aur ROHAN par thi...


DIMPLE-abhi abhi us ladke ko race yahin se dekhne ke liye keh rahe the aur ab mujhe wahan bhej rahe ho...

MAI-woh isiliye madam kyunki race dekh kahin se bhi sakte hain par us race me participate karne ke liye track par jaana must hota hai...

you wanna be a part of that race right... zyada socho mat,just go for it...

meri baat sun kuch pal dekha NEW GIRL ne mujhe...

DIMPLE-wahan chali bhi jaaun tab bhi faayda kuch hoga nahi...

boys ke saath woh bhi school champs,mujhe participate karne nahi denge dono sir...

MAI-dono nahi ek... DAS sir shayad mana kar denge tumhe lar CHARLIE SIR nahi...

ulta jab puchogi unse tum toh unhe khushi hogi...

DIMPLE-really...!!!and howz that...???

MAI-DAS sir boxing aur dusre physical contact oriented sports me parkhi nazar rakhte hain par CHARLIE sir is a field man...

aur race unki speciality hai...unhone dekha hai tumhe doudte and i damn sure ki SAM aur ROHAN ke saamne tumhari speed khud checkout karna chahte honge woh...

male female waale angle ki wajah se khudse aage aakar bola nahi hai unhone par tumhare puchne par angle ka logic khatm ho jaayega...

bottomline...bas CHARLIE sir se tumhare puchne ki der hai and you will be participating in it...

aur jaldi jao,race shuru hone hi waali hai...

DIMPLE-but phir bhi...

MAI-i also wanna see you race with them...

mai bhi toh dekhun,mujhse jeetne ki khwahish rakhne waali kamsekam baakiyon se toh aage hai bhi ya nahi...

ek indirect challenge sa kar diya tha maine NEW GIRL ko jisse sun ek pal k liye dekha usne mujhe aur phir turant track ki taraf badh gayi...

DIMPLE-sir,i also wanna race with them...


CHARLIE SIR se ki thi ye request DIMPLE ne...


DAS SIR-beta aap...

CHARLIE SIR-are you sir...

DIMPLE-yes sir...


DAS sir ke kandhe par haath rakh unhe aage bolne se rok diya tha CHARLIE sir ne aur DIMPLE ke confidence se bhare yes ko sun unka sir bhi sehmati se hil chuka tha...

DIMPLE SAM aur ROHAN ke baad third track par jaakar khadi ho chuki thi aur ye dekh ground moujud students ki excitement level bhi kaafi badh chuki thi...

koi aur ladki hoti toh ab tak sabhi students uspar hasna start kar chuke hote par DIMPLE ki baat alag thi...

kuch dino pehle hi CHARVI jaisi champ ko casually hara apna metal sabko show jo kar chuki thi woh...


NITS-saale,hamare gaand ka godaam ban gaya doudte doudte aur tu bhosdike hamari lanka me aag laga yahan pair pasaar kar baitha hua hai...

mere gardan ko piche se daboch liya tha NITS ne par accessive running ki wajah se uski grip dheeli hi thi...

aur NITS hi kya,SONU, EKPREET aur RAJAT bhi mujhe gaali bakte hue mere aaju baaju ghaans me gir chuke the...


MAI-abbe gala baaf be daba liyo...tum sabki puri energy revive ho jaayegi,scene dekho saamne ka...

meri baat sun sabki nazar track ki taraf gayi jahan SAM, ROHAN ke baaju me khadi NEW GIRL ko dekh chaaron ki aankhein badi ho chuki thi...


NITS-oye teri...ye bhabhi bhi un dono ke saath race karne waali hai kya be...???

MAI-yup...

SONU-ttune hi khochka nna usse...

MAI-yup...

EKPREET-wakayi thakaan mit gayi bhai...maza aayega race dekh...

MAI-yup...

RAJAT-SAM ko toh bohot tough hai but i am sure ki DIMPLE ki jo speed hai,stamina bhi waisa hi hua toh ROHAN haar jaayega...

SONU-sstamina hai bbhai...bbohot hai...mmaine dekha hai DIMPLE kko 5,6 rounds ek speed mme clear kkarte hue...

NITS-matlab ROHAN ki aaj phir se fazihat udne waali hai...

MAI-yup...

RAJAT-abbe ye kya yup,yup lagaye hue hai tu...chutiya ho gaya hai kya...???

MAI-yup...tum jaise chutiyon ki sangati me rahunga toh tumhare chutiyape ka thoda bohot asar mere par bhi hoga hi naa...

SAB-teri toh saale...

MAI-race shuru ho gaya...common baaaaa.....NEW GIRL...


babes bolne waala tha mai par meri loud cheer ko sun CHARLIE aur DAS SIR dono hi palte the meri taraf aur isiliye bacha hua BES NEW GIRL me badalna pada mujhe...

jahan ek taraf mere changed word ko sun mere dost hasne lage the wahin dusri taraf chal raha live scene itna breathtaking tha ki dono SIRS ke saath saath sabhi students ki nazarein track par jaise jam si gayi thi...

saal bhar achi training ki thi ROHAN ne jo is 1500 ke bajaye 1600 metres ke lambe doud me saaf dikh rahi thi...

200 metre ka ek pura chakkar tha jiska third lap shuru ho chuka tha...

first track SAM ka tha aur second ROHAN ka par ab bhi woh SAM ke barabar doud raha tha...

par nazar sabki DIMPLE par thi jo is waqt SAM aur ROHAN,dono se hi chand metres piche doud rahi thi par ek girl hone ke baawjud itne kam area se school champs jinme se ek state champ banane ka dawedaar tha,piche thi woh aur yahi uske talent ko appreciate karne ke liye kaafi tha...

saath hi saath ROHAN ka SAM barabar takkar dena,yeh bhi sabke liye hot gossip ban chuka tha par tabhi scene kuch yun badalne laga jisse dekh ek taraf baaki sabki aankhein badi ho chuki thi toh wahin mere face par smile naach uthi thi...

kyunki final round start hote hi SAM ne achanak hi apna gear badla tha...

ROHAN ko kaat aage badh chuka tha woh and within seconds,SAM ROHAN se 5 metres aage doud raha tha joki abhi fill karne ke liye ek huge gap tha...

par sabko real shock aur mere face par smile diya tha NEW GIRL ne...

jo aakhri 100 metres shuru hote hi badi swiftly ROHAN ko kaat aage badh chuki thi...

jahan DIMPLE ko yun aage badhte dekh sabke saath saath ROHAN ki bhi aankhen badi ho gayi thi wahin dusri taraf SAM ne bhi apne piche kisiko feel kar liya tha..

yahi wajah thi ki apni bachi puri zor laga thoda aur tez ho gaya tha woh par isse zyada kuch fark pada nahi...

bas 30 metres ki doud hi bachi hui thi ab par in 30 metres ne dekhne waalon ki excitement level top par pahuncha di thi...

kyunki ab DIMPLE SAM ke piche nahi balki uske barabar doud rahi thi aur agle 3 seconds me woh SAM se halki aage bhi nikalne lagi thi...

par tabhi,apne pairon ke aakhri bache zor ko laga diya SAM ne aur wapas DIMPLE ke barabar aa gaya...

FFFFFFFWWWWW....

finishing line par khade CHARLIE SIR ki whistle baj chuki thi jiska matlab tha ki race khatm ho chuko thi...

ROHAN toh third as in last aaya tha par second position kisi ke hisse nahi aayi thi...

SAM aur DIMPLE dono ne hi saath me finishing line cross kiya tha jiske baad track area se side hat ghaans me kneel down ho apni apni chaddhi saansein control karne me lag gaye dono...


EKPREET-yaar ye DIMPLE hai kya chiz...???saala kabhi socha nahi tha ki SAM ko bhi koi takkar de dega aur woh bhi ladki...

gazab...

EKPREET ki tarah RAJAT, SONU aur NITS ka bhi topic of discussion NEW GIRL hi thi...

wahin mai dono sir aur students ke beech ghiri NEW GIRL ko hi dekh raha tha jo usse milne waali lagatar badhaiyon ke liye thanks bol SAM ke saath hamari taraf badh rahi thi...

hamari baaki ki female friends jinhone ground ke dusri taraf se race dekhi thi,woh sab bhi hamari taraf aa rahe the...

EKPREET-kya baat hai DIMPLE...yaar tu toh chha gayi...

RAJAT-haan yaar... sirf takkar nahi diya tune SAM ko,last moments me toh aisa lag raha tha jaise you are gonna beat him...

NITS-beta SAM...100 metres aur rehte toh pakka haar jaana tha tune...

SONU-ssatya vachan...

ANJALI-hey babes... congrats yaar... you were too good...

RASHI-good...you were the best...SAM,i must say,bhale hi race draw raha par meri nazar me this girl is the sure shot winner...

RASHI ki baat par bas halka sa smile kar diya tha SAM ne...

ROHAN-hey SAM...DIMPLE... congrats guyz...

NITS-oh betaji...wahi soch raha tha mai ki izzat ka fassida udne ke baad abhi tak sportsman spirit ka drama kar sabke man me kisi tarah respect ki bhaavna paida karne ke liye aaya kaise nahi tu...


NITS ki baat par bas ghura ROHAN ne usse aur palath kar wapas chala gaya...


RASHI-kya baat hai SANVY...???pure school ne DIMPLE ko congrats keh diya,even hamare rival ROHAN ne bhi badhayi de di isse par tune abhi tak kuch nahi kaha...

school champ ko takkar de race draw kara champ position share kar li aaj isne...

you should be toh proud of her...

MAI-champion sirf ek hota hai...jab koi position share karni padh jaaye toh samajh lena chahiye ki woh top position hai hi nahi...

ek place niche sarak chuke hain hum jisse climb karna baaki hai...jis din us single position par kadam rakhegi ye,i will be proud of her...

waise sun toh meri baat baaki sab bhi dhyan se rahe the par gour sabse zyada NEW GIRL aur SAM mere kahe har shabd par kar rahe the...

SANVY...BHAI...

abhi koi kuch kehta ki tabhi B section ka SATISH urf khabrilal doudte hue hamare paas pahuncha tha...

NITS-tu alag race laga raha tha kya be...???saans toh aisi fooli hui hai teri jaise milon doud ke aa raha hai...!!!

SATISH-golu bhaiya ke stall se nikalne ke baad doudte hue aa raha hun bhai...

golu bhaiya SIRIUS ke no entry sarhad ke just aage chaat golgappe ki stall lagate the...

dono hi dishes kaafi sahi banate the woh isiliye breaks me puran bhaiya ko maska laga bohot se SIRIUS ke student unke thele par jaaya karte the...

us spot se SIRIUS ka entrance gate hi 100 metres ki doori par tha...

aur utni door se bhaagte hue SATISH ka yahan aana,baat zaroori hi honi thi aur wakayi thi bhi...

SATISH-bhai woh thele ke dusri taraf jo paan thela hai naa,udhar DUSHYANT aur uske dost sutta fook rahe hain...

MAI-DUSHYANT sirf cricket khelta hai jiska sports meet se koi lena dena nahi hai...

phir bhi, jab tak zaroorat na pade,haath nahi uthega mera..i promise...

DIMPLE-toh phir jaana hi kyun hai...??? waise bhi woh sab kuch ulta sidha toh kar nahi rahe... sirf khade hi toh hain wahan...

wahan...!!!unke pair SIRIUS ki property par hain...

aur kisne kaha kuch nahi kar rahe hain woh...SIRIUS ke parameters me khada hona,hume dare karne ka ek tarika hai ye...

ye school hamari property hai aur iske aas kaun aayega,kaun nahi,ye sirf hum tay karenge...

NITS-right...!!!aur yahan kutte ek baar ke liye allowed kar bhi den par SAMRAT ke pille, they are never allowed...

NITS ki baat puri hote hi hum sab aage badh chuke the...baaki girls ke saath NEW GIRL bhi saath hi thi hamare...

limp karkar chal raha tha mai isiliye baaki sab bhi slow the...

anyways,main entrance cross karte hi ek lamba sa walk yard shuru hota tha jiske aakhri hadh me SONU bhaiya ki stall dikhne lagi thi hume...

SIRIUS ka sports time chalu tha isiliye bheed unke thele me normal se zyada hi dikh rahi thi...

OYE, SENIOR GIRLS KIS TIME AATI HAI IDHAR...???

DUSHYANT ka dost tha ye jisne hamare school ke ek junior se joki golgappe khaa raha tha,ki thi ye bakwas...

NITS-tum jaiso ki badboo jaayegi,tab hi naa ladkiyan aayengi idhar...

apni baat ke beech NITS us lounde ke dusri taraf jaakar khada ho gaya tha...

same chiz RAJAT, EKPREET,SONU aur SAM ne bhi ki thi...

zyada nahi,sirf 4 loundo ka group tha SAMRAT waalon ka jisse halka distance rakhte hue gher sa liya tha mere friends ne...

wahin hume aur khaaskar mujhe yun achanak apne saamne dekh thode panic ho gaye the woh sab par phir turant khudko control me bhi le aaye the...

reason bhi obvious tha... pehle toh SIRIUS ki property invade nahi ki thi unhone...

border line par khade the woh sab aur dusra hum school uniform me yahan in borders par bhi unpar khulla haath nahi chhod sakte the...

jaante the SAMRAT waale is baat ko...

MAI-kya GOLU bhai...!!!aise chidimaar lapadhjhaunduon ko bhi gupchup khilaoge toh dhandha manda na padne lag jaaye aapka...

meri baat sun bas halka sa has diye the GOLU bhaiya...

DUSHYANT-kaun chidimaar hai,ye toh waqt hi batayega beta...tere hi school ke saamne khada hun mai...

hai dum toh kuch ukhaad ke dikha mera...

GOLU-oye behen....saalon,bohot dekh se bakarchodi dekh raha hun tum sabki...

naye naye ando se nikle bal.. ubaal zyada hi hoga isiliye kuch bola nahi thehra...

par matlab iska ye toh nahi ki kaan me hi chadhkar mutogo baawli chuttadon ke ho...

hamare hi school ke saamne aakar hamare hi ladkon ko dhamkane lage tum...

in sabko kuch karne ki zaroorat hi naa padegi...

golgappe waala thehra par sariya bhi rakhta hun mai bal..

abhi upar se ghused niche se nikaal zinda seekh kabab bana dunga baasi chuttad ke jano...

dekhna hai bal...!!!


behen ke aage lagne waala chod ladkiyon ko dekh andar hi reh gayi GOLU bhaiya ke lekin ghusse se laal hi chuke chehre se ghoor apni pahadi hindi ko bolte hue thele ke nichle hisse me rakhe lambe se sariya ko kheench nikaal liya tha GOLU bhaiya ne..

aur aisa hote dekh DUSHYANT aur uske dost dar ke maare me piche hatne lage the par waisa bhi woh kar nahi paaye...

un sabki gardan piche se mere doston ne pakad jo li thi...


DUSHYANT-chhodo hume...mai bata raha hun,you all will have to pay for anything and everything that happens to us...

MAI-ajeeb chaman hai be tu...tu in sabhi chaman chutiyon ke saath yahan aaya hi isiliye tha naa taaki hum sabko provoke kar sake...

hum peete tum sabko aur suspend ho jaayen...

aur ab jab ho raha hai aisa toh naa ho, isiliye dhamki de raha hai...

meri aadhi baat hi suni thi DUSHYANT ne kyunki dhyan uska pura GOLU BHAIYA aur unke haathon me chamak rahe sariya par hi tha jisse bade ghusse se hold kiye hue woh ab uske paas pahunch chuke the...


KYA HO RAHA HAI YE SAB...!!!AUR TU,YE SARIYA KYUN PAKDA HAI BE...


RAJESH MISHRA...naam aur character yaad toh hoga hi...wahi prologue update waala aur saath hi saath SAM ke resort me hume fasane ke liye aaya inspector...

dehradun ka sabse bade sporting event ka practice chaalu tha isiliye local governing body ne saare 2 aur 3 star waalon ko sabhi bade schools ke outer areas me jahan zyadatar students ke beech hatha paayi hoti thi, patrolling ki duty di hui thi...

aaj SIRIUS ki taraf ka patrolling duty tha uska aur yahan se guzarte hi jo scene chal raha tha,usse dekh rukna RAJESH ka laazmi hi tha...

khair,apne saamne police karmiyon ko dekh jahan ek taraf GOLU bhaiya halke nervous ho gaye the wahin dusri taraf SAMRAT waalon ki jaan me jaan aayi thi...


MAI-chalo guys...


bina RAJESH ki taraf gour kiye GOLU bhaiya ke haath se sariya le palath gaya mai aur khudko yun ignore hota dekh jhaanten sulag gayi thi RAJESH ki...


RAJESH-saale akad teri ab bhi waisi hi hai, kyun...??? bina mere sawalon ke jawab diye kahin nahi jaa raha hai koi bhi...

DIMPLE-abbe oye...apne baap se bhi aise hi baat karta hai kya...!!!tameez se baat karna sikh jaa warna jis vardi ke dum par dhouns dikha raha hai naa tu, ek ghanta nahi lagega mujhe isse utarwaane me...

meri taraf RAJESH ki tone sun bhadak uthi thi NEW GIRL aur jis tarike aur roub se apni baat kahi thi usne,man hi man sakpaka gaya tha RAJESH...

NEW GIRL ke background ke baare me bhale hi maalum nahi tha RAJESH ko par itna toh andaza lag hi gaya tha usse ki SIRIUS ki student woh bhi aise tever ke saath...

bohot badi party hogi woh...par apne jhute ghamand ko neeche jhukana bhi toh naa sikha tha RAJESH ne isiliye...


RAJESH-loundiyon ke kapde nahi hain ye jo garmi dekhte hi utar jaayenge...

THANNNN...

NEW GIRL ke khubsoorat sharir par nazar daalte hue mooh se ulti ki thi RAJESH ne jiske agle hi pal sariya theek uske pair ke right me patakte hue uske saamne khada ho chuka tha mai...

hadh ss zyada habdada gaya tha RAJESH...

MAI-niyat gandi hai toh baat saaf toh niklegi nahi tere mooh se par bhonkte waqt nazar chehre par rakh...sirf chehre par...

sharir par ghumayi toh agli baar se ghumane ke liye aankhen rahengi nahi...

bhool mat, SIRIUS ke boundry me khada hai tu where no outsiders are allowed...

theek inki tarah... SAMRAT ke students hain ye aur school hours me yahan khade hain...

sawal puchna hai toh inse puch...

chalo guys...

RAJESH-inse toh jo puchna hai, puchunga hi mai par pehle tu be...

ye toh yahan ke students hain par tu kaun hai be...

upar se sariya lekar kyun badh raha tha tu...???saale,maarna chahta tha na tu students ko...beta lambe se jaayega andar tu...

MAI-kis gunah ke base par...naa toh sariya kisi hathiyar ke catagory me aata hai aur naahi usse publically hold karna GALATH hai...

RAJESH-toh kar kya raha tha ye...???apne pichwade me daalne ke liye nikala tha kya isne SARIYA...!!!

MAI-mujhe dene ke liye rakha tha isne...sports chaalu hai...javelin throw ki practice karta hun mai isse...dikhaun...!!!

RAJESH-javelin throw...school se bahar aur woh bhi sariya se.... dikha...

SOOBH...

jaanta tha mai ki haan hi bolega RAJESH isiliye us 5 feet bade aur aage se halka nukile nikle hue sariya par grip meri tight ho chuki thi...

aur jaise hi haan nikla RAJESH ke mooh se toh apne left sahi leg par ghum gaya mai aur agle hi pal sariya chhut chuka tha mere haathon me...

DHAPPP...SSSSSSSS.....

yunhi nahi feka tha maine woh sariya...humse kareeb 40 metres door apni police jeep rakhi thi RAJESH ne...

nishana mera wahi thi jo ekdum perfect baithi...

sariya tezi se badhte hue jeep ke pichli tyre me hole kar chuka tha...

jahan is scene ko dekh ek taraf mere dost has pade the,dusri taraf police waalon se mujhe bina dare bhidta aur unhe nuksaan pahunchata dekh aakhein badi ho gayi thi SAMRAT ke loundo ki wahin teesri taraf RAJESH aur baaki constables ki jhaanten sulag chuki thi...

par saale bolte bhi toh kya...mujhe sariya fekne ke liye bola bhi toh RAJESH ne hi tha...

MAI-oops...bhaiya ke toh nahi,par tere gaadi ke pichwade me zaroor suraag ho gaya...

waise toh kaayde se puncture banane ke paise dene chahiye mereko par maalum hai mujhe ki kaam toh fokat me hi karana hai tujhe...

tere sutte par apne paise kyun barbaad karun mai...???

ab chalen hum ya ab bhi puchna baaki hai...!!!


meri baat sun apne ghusse ke har ghoont ko badi mushkil se peete hue mujhe kuch pal ghoorta raha RAJESH aur phir...


RAJESH-puchunga nahi par bohot jald bataunga zaroor...

vaada hai mera...woh din bhi tera tha,aaj bhi tera hi raha par dekhna,bohot jald woh din bhi aayega jab tera sharir aur akad,dono saath todunga mai...

RAJESH ki baat sun ek halki smile liye wapas uske saamne khada hua mai aur...


MAI-meri akad todega tu...!!!




jo ab hua, pichli baar bhi hua tha,sabak tha woh jo tujhe YAAD NAHI...


jo garmi bardasht naa kar sake,pighal jaaye, SANVEER woh FAULAAD NAHI...

meri akad mere sharir ka nahi, meri aatma ka hissa hai...

aur meri rooh ki hadh ko chhu bhi de,teri itni AUKAAD NAHI...










AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
awesome update
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,377
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF FRIENDLY 1600 METRES RACE ME DIMPLE SAM KE BARABAR AATI HAI WAHIN DUSRI TARAF SCHOOL KE BAHAR SANVY AUR INSPECTOR RAJESH MISHRA KE BEECH BEHES HO JAATI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-81

DATE-22TH DECEMBER


CITY-OUTSIDE DEHRADUN

PLACE-N.H.45.





NICE...


NEW GIRL ke saath circled aur zigzag national highway par SONU ke dad ki pulsar 220 ko lehrakar chalate hue jab ek broad cross way se nikal raha tha mai tabhi local dhaba ke paas khaayi ke edge par lage ek thele ko dekh aankhen chamak gayi thi meri...


DIMPLE-haash...SANVY,ek toh pair abhi theek nahi hua nahi, uspar itni rash riding...!!!


N.H road pakde hue 15 minutes guzar chuke the hume aur in 15 minutes me hamesha 110 ke upar hi raha tha speedometer ka kaanta...

waise toh NEW GIRL ko bhi speed driving ka bohot shouk tha par subah ke is waqt par ye N.H kaafi busy rehta hai...

aise me jitni baar aur jin jin tarikon se baarik cut maarte hue heavy loaded vehicles ko continously cross karte hue nikla tha mai,kisi ki bhi saansein upar niche hone ke liye kaafi thi...

ye toh NEW GIRL thi jo bade softly complaint kar rahi thi mujhse...koi aur hota toh bike ke stand karte hi pehle toh ulti karta aur uske baad mere saath dobara bike par kabhi baiththa nahi...

gawah-e-saboot the NITS,SONU aur mere baaki group ke bande jinhone mere saath bike ride karne ki tauba khaayi hui thi...


MAI-rash!!!babes,swift ride bolte hain...aur mujhe nahi laga tha ki tez riding se tum bhi dar sakti ho...!!!

DIMPLE-agar darti toh saath aati hi nahi... hamare aaj ke bike ride plan ke baare me group me sabko pata hai...

aur isiliye warn karne ke liye mujhe tumhare biking me kiye gaye saare kaarnamon ka pura kaccha chitha SONU aur NITS pehle hi bata chuke hain...

bottom line,baat dar ki nahi hai...

agar slow chalte toh baatein zyada kar sakte the...

pehli bike ride jo hai hamari saath me...!!!


mai saala bail buddhi...naa dikhne waali jagah par bhi dhyan rehta hai mera aur itni simple si chiz bhul baitha mai...

wakayi, pehli bike ride thi meri aur NEW GIRL ki...aisa moukon par chehre par padne waali hawa ke saath har pal ko kaid karna chahiye aur ek mai tha jo valentina rossi bana gaadi douda raha tha...

gazab chutiyapa...

mere face par nazar aa rahe sade bhaav dekh halki has di NEW GIRL aur...


DIMPLE-par ek tarah se faayda hi hua hai mera...

kyunki baat bhale hi nahi ho paa rahi thi par tez hawa ke thapedo ne tumhari mehek ko mere andar tak feel karwa diya tha...

ab tumhe khojne ke liye tumhe dekhne ki zaroorat nahi hai mujhe...

kisi bheed ka hissa bhi raho tum toh bin dekhe bhi dhund lungi tumhe mai...

mere haath ke ird gird khud ko sameththe hue aage badhi thi NEW GIRL aur uski baat sun bas halka sa has diya tha mai...


DIMPLE-ab bataoge bhi mujhe ki yahan kyun ruke hain hum aur thodi der pehle NICE kyun bola tha tumne...???

MAI-german oriented burger toh bohot baar khayi hogi tumne par indian,woh bhi dehradun
oriented desi burger shayad hi taste kiya hoga...

DIMPLE-desi burger...!!!

MAI-yup...woh dekho...


saamne dikh rahe thele ki taraf point kiya tha maine jiske upar paate par nazar padi NEW GIRL ki...


DIMPLE-bun tikki... what's that..???

MAI-ek local dish jo abhi hum khaane waale hain and i am sure ki bohot pasand aayegi tumhe...

try karogi naa...!!!

(wakayi lazzatdaar dish hai guyz...kabhi dehradun jaayen toh zaroor khaayen)

DIMPLE-sure...

MAI-bhaiya..lagaiye do...

DIMPLE-aalu...!!!!potato burger hai kya...???


thele waale bhaiya ko lambe potato slices ko cut karte dekh rahi thi NEW GIRL...


MAI-just a part of it...

DIMPLE-dikh toh pura burger ki tarah hi raha hai...

MAI-burger me paav ko paani me sokha nahi jaata...

naahi usme chana daal daalte hain, naa poha ya rice flakes, chaat masale ka toh naam bhi nahi suna hoga burger invent karne waalo ne aur naahi khajoor aur imli chatni ke mixture ko use karne ka ganith bhi aata hoga unhe...


bun tikki ki puri recipe bata di thi maine jisse sun aur mere khaane ke baare me knowledge ko jaan NEW GIRL toh normal hi rahi par thele waale bhaiya ke face par prashansha ke bhaav the...


DIMPLE-ummh....maine abhi tak try kaise nahi kiya tha isse...???t's really amazing...

jaise hi bhaiya ne bun tikki ka wrap pakdaya NEW GIRL ko,uske first bite ko lete hi halke awaaz ke saath bum tikki ki taarif uske pure face par dikhne lagi thi...

aur kitni pasand aayi thi usse ye dish,ye aas paas khade sabhi ko agle 15 minutes me hi pata chal chuka tha...

3 tikkiyan jo pel di thi NEW GIRL ne is beech...

apne trip bag se jisse maine aage chest par laada hua tha,uske front chain ko kheench wahan rakhe paison se bill pay kiya maine and then,back on bike the hum dono...


DIMPLE-mujhe laga tha bag me ride ke liye soft drinks, mocktails carry kar rahe hoge,but i got a glimpse of gift wrap inside...

MAI-cristmas eve chaalu hai...kya pata,kab kiska santa banana pade...

DIMPLE-baaki waqt ka toh nahi pata,par abhi ye cute sa santa kisse gift dene jaa raha hai,i think i know...

ASHA AUNTY right...unhi se milne SHANSHASHI ASHRAM jaa rahe hain naa hum...!!!

MAI-thats my girl...

bike aage badha di thi maine... route dekh SHANSHASHI ASHRAM jaa rahe hain hum,iska andaza lagana mushkil nahi tha par NEW GIRL sirf ek baar gayi thi us ashram me aur woh bhi kaafi mahine pehle...

us din acharya PRATHAMESH ke saath jab MAA ke room ke bahar khadi thi woh,ye jaanta tha mai...

par naa toh andar aayi thi aur naahi formally MAA ke saath waat bitaya tha usne...

bas ek baar ACHARAYA PRATHAMESH ne naam bataya tha usse MAA ka woh bhi casually but she remembered...

jo mere liye important hain,unhe nahi bhuli thi NEW GIRL aur ye acha laga tha mujhe...


DIMPLE-waise ab tak mujhe nahi mila hai mera CHRISTMAS present...!!!

MAI-woh MAA ka department hai...wahi degi...

DIMPLE-MAA se yaad aaya...kal kyun nahi nikle hum ASHA aunty se milne ke liye...

ANJALI udhar MAA ke saath ghar decor karne me lag chuki hai...

i also wanted to be a part of it...

MAI-aaj decorations ke samaan set kar rahe hain MAA aur ANI...

and then,aaj raat jo gadariya group ghar aayegi,unke liye extra sweets ready karenge dono...

main decoration kal hoga jisme you will be a part of...tum kya, pura group morning se hi dhamak padega ghar par...

isiliye hi toh aaj chal rahe hain hum MAA ke paas...MAA har saal unke liye gift bhejti hain aur is baar toh do hain...

DIMPLE-jhalla...


palath NEW GIRL ko dekh kahi thi maine ye baat jisse sun halka blush karne lagi thi woh...

DIMPLE-ye gadariya group kya hota hai...???

MAI-cristmas eve me pure week ke kisi bhi raat,church ke sunday school students ghar aate hain and they sing bible hymns...

they enjoy,shor machate hain woh..ghar ke har room me ghus usse bless karte hain woh sab..
they pray...aur phir finally kitchen looththe hain saare...

dishes se bhari saari burniyan joki unke liye hi rakhi hoti hai,unhe khol dishes gaate hain woh aur phir,ek aakhri baar pure ghar ko bless kar chale jaate hain...

DIMPLE-wow...aisa bhi kuch hota hai,i didn't know...mai bhi ye dekhna chahti hun...

MAI-your wish is my command madam...

waise bhi har saal is gadariya celebration ko enjoy karne ke liye apna pura group 23rd ko hamare ghar par hi sota hai...

DIMPLE-par mujhe toh kisine bataya hi nahi...

MAI-kyunki ye kaam mera hai mohotarma...

waise bhi,woh sab thehre guest par aap toh us ghar ki future owner hain...

ab bhala koi guest house owner ko ussike ghar me invite karta hai kya...!!!???


DIMPLE-kuch bhi...jhalla...!!!


baat bhale hi sharma kar taal di thi NEW GIRL ne par haathon ne uske mere chest ke ird gird tight ho ye bata diya tha ki lines meri kaafi pasand aayi thi usse...

khair,is baar speed bike ki bohot normal hi rakhi thi maine...yunhi hasi mazaak kar alag alag roads se ghumte hue hum dono kab SHANSHASHI ASHRAM ke saamne pahunche,pata hi nahi chala...





PLACE-SHANSHASHI ASHRAM





DIMPLE-its really beautiful...ek alag hi sukoon hai yahan...

entrance se guzarte hue bade se hare bhare lawn me chaaron taraf biche alag alag tarah ke phoolon ko dekhte hue behadh khush dikh rahi thi NEW GIRL...

MAI-jaise saans lena naak ka aur dekhna aankh ka farz nahi fitrat hota hai waise hi prakriti,nature ki fitrat hi isse mehsoos karne waale ko sukoon pahunchana hota hai...

ab toh kadh aur umr badhne lagi hai...

dil se zyada dimag se sochna padta hai isiliye yahan aana kam ho gaya hai mera par ek waqt aisa bhi tha jab mai yahan hafte me do se teen baar bhi aa jaaya karta tha...

sirf MAA se milne ke liye nahi...acha lagta hai mujhe yahan ka vatavaran...

pata hai,yahan ke phoolon ko agar time se aur zyada hone ki wajah se sufficient paani naa bhi mile toh bhi aam bagichon ke mukaable der se murjhaate hain ye...

DIMPLE-really...!!! aisa kyun...???

MAI-prem...baaki bagichon me paani daalna,maali ka kaam hota hai jisse woh kaam ki tarah hi karta hai...

yahan koi maali nahi...ashram ke shishya apni marzi se aur in phoolon par inke liye apne prem ki wajah se inpar paani daalte hain...

aur us bhaav ko pehchaante hain ye phool...yahan ke rehwaasiyon se inhe bhi prem hai...

aur jisse prem ho,uske saath ka saath toh lamba hi rahega naa...


apni baat khatm kar jab ghumi meri gardan aur nazar NEW GIRL ki taraf toh maine usse khudko hi dekhte paaya...

aur nazar me uske wahi bhaav tha jiski baat me abhi kar raha tha...

PREM...

SANVY.....


kuch kehne waala hi tha mai ki tabhi apne right ki taraf se ye awaaz aayi jisse sun ek muskaan se saath us taraf palath gaya mai...


MAI-MAA...


halke se pukara maine jiski shayad zaroorat bhi naa thi...mera naam pukaarte waqt ASHA MAA behadh kareeb hi thi mere aur jaise hi mai palta,unka naam lene ke beech bhi mujhe apni mamta ke aagosh me le chuki thi woh...

aaj 3 hafte ke baad aaya tha mai yahan...waise toh itne dino tak nadarad rehne ki wajah se naraaz thi woh mujhse par mujhe dekhne aur mujhe gale lagane ke beech hi unki saari narazgi jaati rahi thi...

wahin humse halke door khadi NEW GIRL bhi bade pyaar aur halke surprise ke saath hume dekh rahi thi...

surprise us unconditional beintehan pyaar ke liye jo is waqt woh mere liye ASHA MAA ki band aankhon waale chehre me dekh rahi thi...

aisa hi pyaar usne har waqt meri MAA ki aankhon me mere liye dekha hai par woh toh unki nazar me laazmi hi hai...

meri MAA jo hai woh...

waise NEW GIRL ka surprise hona justified bhi tha kyunki uski apni MAA hamesha se hi apni business ki race me itni zyada focused rahi thi ki NEW GIRL ko ye yaad bhi nahi tha ki last baar kab uski MAA ki aankhon me usne apne liye aisa pyaar dekha tha...

yahi wajah thi ki ASHA MAA aur mujhe aise dekh uski aankhon ke kinaare halke bheeg se gaye the...


ASHA MAA-toh tum ho iski NEW GIRL...

DIMPLE-jee...


MAA ki awaaz se jaise apni hi duniya se wapas aayi thi NEW GIRL...

mujhe ghurne ke beech MAA ke pair chhu liye the usne jiske turant baad MAA ne usse bhi gale se laga liya tha...


ASHA MAA-phone par tasveer dikhayi thi isne mujhe tumhari...par tasveer se bohot zyada khubsoorat ho tum...


NEW GIRL ka pyar se maatha chum liya tha MAA ne...

kehte hain ki aalingan aur chumban... prem jataane ke ye do aise bhaav hain jo agar dil se diye gaye hon toh milne waale ko uski aatma me woh prem mehsoos hota hai...

aisa hi kuch abhi mehsoos kar rahi thi DIMPLE...

CHATAKKKKHHHH...

MAI-ahhh...ab maine kya kar diya...???

NEW GIRL se alag hote hi mere kandhe par ek chamat maar di thi MAA ne...

ASHA MAA-bahu ko dikhane laa raha hun...aane se pehle ek baar phone par bata deta toh aise khaali haath milti kya mai isse...

DIMPLE-khaali haath...!!! aashirwad aur pyar se bhare haath mere sir par lagaya hai aapne...

ab iske aage chiz kitni bhi keemti ho,rakh do tab bhi mol kuch naa rehna uska...

ASHA MAA-kya baat hai beta...tune toh bilkul apne jaisi hi dhund li...

baaton me haazir jawabi woh bhi itni saadgi aur sacchayi se ki saamne waala chah kar bhi kuch bol naa paaye...

beta, aashirwad ki tarah riwaazon ka bhi apna ek mol hota hai...

hamare yahan bahu ko pehli baar khaali haath kabhi mila nahi karte...

isiliye kuch nahi sun rahi mai...dono chupchap chalo mere saath...


ek haath me NEW GIRL ki hatheli aur dusre me meri thaam aage badh chali thi MAA par tabhi mujhe limp karta dekh turant rook bhi gayi...

ASHA-ye,ye tu langda kyun raha hai...???

MAI-kuch nahi MAA... woh bas ek chota sa accident ho gaya tha...


meri baat ko sun kuch kaha nahi MAA ne par shayad iski zaroorat bhi naa thi...

kyunki aankhen unki turant dabdaba kar chhalak chuki thi...

MAI-arre MAA...socho mat zyada... maamuli chot hai...

ASHA MAA-mamuli choten mere bete ke kadam ladkhada nahi sakte...dikha zara...

turant neeche baiththe hue mujhe bhi baitha diya tha unhone aur agle hi pal mera right pair apne godh me le liya tha MAA ne...

behes ya na nukur maine bhi zyada ki nahi kyunki fayda kuch hona tha nahi...

khair, jaise jaise meri slim tight trouser upar dheere dheere upar uththi gayi aur ghutne ke neeche se bandhi patti visible hone lagi toh MAA ki aankhon par tiki hui dhaara chhalak uthi...


ASHA MAA-itni badi patti bandhi hai aur maamuli chot bata raha tha...

isiliye hi itne dino tak nahi aa paaya tha naa...

MAI-chot maamuli hi hai MAA...bas lagi ghutno par hai isiliye pure takhne par bhi patti cover ki gayi hai...

aur ab toh kaafi waqt bhi ho gaya hai...jald hi utar jaayegi ye... utarte hi turant aaunga mai,phir khud hi dekh liyo...

MAA-par abhi toh patti bandhi hai naa matlab chot moujud hai...

aise me itni door aaya hai tu...kya zaroorat thi...!!! puri tarah theek ho jaata, phir aana tha naa...

MAI-aise kaise...!!!bhul gayi kya aap, christmas eve chaalu hai...MAA ne aapke liye christmas gift gift bheja hai...

apna pair unki godh se nikaal araam se baithne ke beech apne bag pack se ek gift wrap nikaal MAA ko thama diya tha maine...

ASHA MAA-KANCHIPURAM PATTU...yaad tha VERONICA ko...


saree bheji thi MAA ne jispar haath firaate hue ASHA MAA muskura uthi thi...

kuch mahino pehle jab MAA ke saath aaya tha mai, baaton baaton me ASHA MAA ne is brand ki saree ko apni pasand bataya tha...

ab MAA toh bhulne se rahi...


MAI-khush baad me hona... pehle mera cristmas gift nikaalo...

ASHA MAA-arre,mai toh is baar bhul hi gayi...

MAI-chalte hain NEW GIRL...apna koi nahi hai idhar...

ASHA MAA-naa woh kahin jaa rahi hai naa tu...rook,laati hun tera gift...room me hai...

DIMPLE-hum bhi chalte hain aunty...

ASHA MAA-aunty...!!!ye kaun naya aa gaya idhar...iski MAA hun matlab teri bhi MAA hi hun...

DIMPLE-jee MAA...

ASHA MAA-ruko yahi tum dono... itni chot me chalna nahi hai tujhe...

MAI-aur aap chalengi... mera toh temporary hi hai par aake ghutno me toh dard har waqt ho rehta hai naa...!!!

ASHA MAA-abhi kam hai beta...

MAI-acha...zara khadi ho jaaiye toh...


meri baat sun apne mude ghutno ko sidha kar unme uthne waale dard ko kisi tarah chhupane ki koshish karte hue khadi hone lagi MAA par woh puri khadi hoti,isse pehle hi apne left leg par hi ek jhatke me khada hua mai aur turant unhe sahara de diya...

MAI-jhuth unse boliye jo yakeen kar le...

ASHA MAA-arre,kya kar raha hai...???neeche utaar...chot lagi hai beta,dard hoga...

MAI-"jisse MAA ka wazan takleef dene lage,woh kahan ka beta"...!!!


MAA ko badi asaani se godh me uthane ke beech halka halka limp karne ke baawjud bade araam se aage badh gaya tha mai...

wahin meri baat sunane ke baad aage kuch keh nahi paayi thi MAA..bas muskurate hue mere baalon ko halka sa sehla diya tha unhone...

aur NEW GIRL...waise toh mere MAA ko uthane par mere pair ko lekar chinta usse bhi hui thi par meri baat sun woh chinta thodi hatke ishq me badal gayi thi...


MAA-pagal hi hai ye ladka pura...ye le,tera gift...


MAA ko unke bed par baithate hue apna gift dhundne laga tha mai jispar apne takiya ke neeche se ek kapde ki thaili mere aage kar di thi MAA ne...


MAI-wow...awesome MAA...i love it...


white colour me deep v neck half sleeve slim fit t-shirt aur grey colour ki casual trouser thi us thaili me...

top brand ki nahi thi woh pair par mere liye toh Versace ka bhi koi mol nahi tha in kapdon ke aage...

white printed colour ki full length hoodie pehni thi maine jiska chain turant utaarta chala gaya tha mai...

REASON...

MAA ki ankhon me mujhe unke diye kapdon ko pehenane ki khwahish jo padh li thi maine...

wahin mujhe yun hoodie ko chain out karte dekh NEW GIRL kuch bolne ko hui thi par jaise hi meri hoodie mere body se alag hui,zubaan uski apne aap khamosh ho gayi...

ab harkat uski aankhon me ho rahi thi jo kaafi badi ho chuki thi...

darasal shirt ho ya t-shirt,mai hamesha kapde ek size upar hi pehenta hun aur agar kabhi fitting bhi pehni toh body shape meri lean hai...

perfect V shaped...

lean aur V shaped as in waist line patli par jaise jaise sharir uththa hai,size badhta chala jaata hai joki kandon tak pahunchte pahunchte bulky lagne lagta hai...

aisa shape banana asaan nahi hota aur jo ban jaaye toh phir kisi bhi size ka kapda fit hi lagta hai...

aur sabse khaas baat...kapdon me body bilkul normal lagti hai par jab kapde khulte hain toh jo perfect chiseled body shape saamne aati hai,woh dekhne laayak hoti hai...

haan,umr kam hone ki wajah se mere muscles completely grow nahi hue the par phir bhi sharir ka har cut puri tarah se visible tha...

a complete statue oriented body with a gifted 8 packs to go with it...

yahi wajah thi ki naa sirf NEW GIRL shocked thi balki mai aur mere saath mere is sharir par bhi uska,sirf uska hakh hai,ye khayal pehli baar jaaga tha uske dil me jisne uske andar ek gudgudi paida kar di thi...

khair,agle kuch seconds me woh white half sleeve t-shirt mere upper body se chipak chuki thi...

slim fit t-shirt hone ki wajah se meri body figure saaf numaya ho rahi thi us kapde me...

upar se rang kaafi saaf tha mera isiliye kaafi janch rahi thi woh t-shirt mujhpar...

NEW GIRL aur MAA, dono ko aankhon me dikh rahi taarif saboot thi is baat ka...


ASHA MAA-rook beta...teri mooh dikhayi laayi mai...

turant uth paas rakhi almari ki taraf badh gayi thi MAA...


MAI-arre...ye...


MAA ke mudte hi NEW GIRL ne mujhe apni taraf kheench liya tha...

DIMPLE-ye t-shirt sirf mere saath rehne par hi pehenoge tum...akele ya doston ke saath outing me nahi...


MAI-hahaha...ab kaun jhali hai,batao zara...!!!

ASHA MAA-aankhen band kar beta...


meri baat sun mujhe aankh dikhane hi lagi thi NEW GIRL ki tabhi MAA ki awaaz aur baat sun hadbadate hue tezi se aankhein band kar li thi usne...


ASHA MAA-haan,ab khol...


apne gale me kuch thanda sa mehsoos kiya tha NEW GIRL ne jisse aankhen khulte hi dekh thodi hairan hui thi woh...

ek chamakti hui sone ki chain latak rahi thi uske gale me...


ASHA MAA-arre waah...ye toh wakayi tere gale me bohot sundar lag rahi hai...

DIMPLE-par MAA... it's too costly...itni mehengi gift kaise accept kar sakti hun mai...!!!

ASHA MAA-mehengi...!!! beta ab woh haalath nahi rahe warna tujhe toh mai tohfon se nehla deti...

aur waise bhi maa ke tohfe uska aashirwad hote hain...aur aashirwad kisi bhi roop me mile,khushi khushi le lena chahiye...

MAI-ye ANI bhi naa...kuch samajh nahi aata toh mera hi magaj khaayegi ye...

mera mobile vibration me rakha tha maine jiske display par is waqt ANI ka number chamak raha tha...

ye third call tha uska...

ASHA MAA-ANI ko kya hua aur aaj usse bhi saath kyun nahi laaya tu...???

MAI-ghar par MAA ke saath hai woh...decorations ke equipments nikaal rahi thi...

ussime atki hogi kahin...aap dono baat kijiye...aata hu mai...

ANI ka call utha usse baat karte hue room se nikal chuka tha mai...


KYA HAAL HAI CHOTE...!!! HANDSOME TOH BADA HO GAYA LOUNDE TU...


ANI se baat karte hue wapas ashram ke front side aa gaya tha mai...

convo complete kar phone apne jeb me rakh hi raha tha mai ki tabhi mere kaano me ek purani jaani pehchaani awaaz padi...

RAHUL BHAIYA...RAHUL THAKUR...hamare super senior the ye jo saamne se meri taraf aa rahe the...

SAM se pehle yahi champ the hamare school ke...filhal U.T se apni higher study kar rahe the...

kaafi down to earth banda tha ye...isiliye kaafi respect karta tha mai inki...

inke school daur me kaafi chota tha mai par khopdi meri tab bhi bohot garam hi rehti thi...

ek do aise mouke aaye the jab inke liye inke rivals se bhid gaya tha mai..kaafi pasand karte the bhaiya mujhe...

yahi wajah thi ki mujhe dekhte hi turant aaye woh mere gale laga liya mujhe...


MAI-arre RAHUL bhaiya...long time haan...kaise hain aur idhar kaise...!!!

RAHUL-mai toh badhiya hun chote...yahan paas hi mere dadi ka ghar hai,milne aaya tha...

wapas city jaa raha tha toh socha, pehle ek baar yahan aa jaaun... bachpan ki chuttiyon me kaafi waqt guzara hai maine ashram ke play ground me...

ab tu bata,kaisa hai tu... SIRIUS me hi hai naa...!!!

MAI-ji bhaiya...

RAHUL-suna hai,is baar national level par direct selection ke level ka sports competition hone waala hai and the special guest is our very own legend...MR JAIDEN CHOWDHARY...!!!

MAI-sahi suna hai bhaiya...saare super seniors ko 26th me f.b ya dusre net communications ke through invites jaane shuru ho jaayenge...

aapke paas toh pahunchna hi hai...

RAHUL-par aa nahi sakunga yaar...next weak se mere college me exchange program chaalu hone waala hai...

boston university me one month tak padhne aur new subjects par research ka mouka milega...

mera bhi selection hua hai...

MAI-aapka toh hona hi tha bhaiya...

ARRE RAHUL...KAB AAYE...???

ek acharya the ye jinhe dekh bohot khush ho gaye the RAHUL BHAIYA...

RAHUL-pranaam acharya...

MAI-mai nikalta hun bhaiya...

RAHUL-kahan...???city hi jaa raha hai naa...!!!

MAI-jee bhaiya...

RAHUL-toh rook na thodi der...saath chalte hain... school me hamari bikes par hamesha haath firaya karta tha tu...

tab toh chota tha isiliye kabhi allow nahi kiya tujhe...par ab toh koi ristriction nahi...

cbr 1000 khadi hai bahar meri...tu chala liyo...

MAI-phir kabhi bhaiya...aaj saath aaya hun kisike...

RAHUL-koi naa...milte hain phir...tere f.b page par number share karta hun apna... contact me rahiyo...

MAI-sure bhaiya...bye...

DIMPLE-chalen SANVY...


rahul bhaiya se baat kar mai wapas ASHA MAA ke room waale gallery me pahuncha hi tha ki tabhi saamne se NEW GIRL ke saath MAA aa rahi thi...

MAI-haan chalte hain...waise bhi ANI ko koi samaan mil nahi raha... mujhe hi nikaal kar dena hoga...

MAA,24th ko early morning aapko lene aaunga aapko...aur ab,aap wapas apne room jaayengi...

ASHA MAA-arre...bahar gate tak toh chhodungi hi...

MAI-bilkul nahi...aaj ka walk ho chuka hai aapka...ghutno par zyada stress dena sahi nahi...

DIMPLE-kabhi same theory khud par bhi apply kar diya karo...!!!

ASHA MAA-bilkul karega...nahi toh khaayega mere se..

MAI-advance abhi hi de do...


gaal aage kar diya tha maine jispar halka aur prem bhara apna haath fer diya tha MAA ne...

jaane ka waqt ho chala tha isiliye maine aur NEW GIRL dono ne pair chhu liya unka...

hum dono ko ek ek baar phirse gale lagaya unhone apne jiske baad wapas jaane ke liye palath gaye hum...

CRRRR....

abhi hum ashram ke main gate se nikle hi the ki tabhi saamne bichi chowdi sadak ke dusri taraf se badi tez half drift karte hue ek laal FERRARI ruki thi...

waise hi gaadi apne aap me anokhi thi uspar jis andaaz me ruki thi woh,road ke aas paas khade sabhi logon ki nazar automatically uspar tik chuki thi...

THAKKK...

us ferrari ka driver door open hua aur jaise hi agle pal uske andar baithe shaks ke pair car se bahar nikle...

DIMPLE-MOM...


ek surprise tone ke saath us shaksh se apne rishte ki pushti karne ke baad NEW GIRL unki taraf badh chuki thi...

wahin dusri taraf...

ARCHANA BATRA...one of the top most industrialist of our country...

white black check parallel VERSACE ki professional/casual shirt,neeche blue VAN Heusen ki pointed trouser,OAKLEY ke super costly eye glasses,pairon me SAINT G. ke ankle boots pehne pehli baar mere saamne thi apne aap me the one and only ARCHANA BATRA...

mid forties me thi apne NEW GIRL ki MOM par dudhiya rang me lipti ARCHANA BATRA kisi bhi young professional aur international model se kam nahi lag rahi thi...

hight meri MAA jitni hi thi matlab lambi thi woh aur face par confidence, attitude,ego but most importantly, winner ka bhaav saaf jhalak raha tha...

khair,apni beti ko dekh ek bright smile naach uthi thi unke face par aur jaise hi NEW GIRL paas pahunchi unke aur pair chhune lagi apne MOM ki,ek surprise look ke saath half way me hi rok liye unhone usse aur apne saath laga side hug diya NEW GIRL ko...


DIMPLE-MOM aap yahan...!!!

ARCHANA-apni beti se milne ka dil kiya,so aa gayi...

DIMPLE-mujhse milne ka...now that's a surprise...

ARCHANA-surprised toh mai hun...aap kabse gesture me pair chhune lag gayi...!!!??? that's new...

but i guess,phone par jiski taarif karte aapki zubaan nahi thakti,ye asar bhi ussika hai...

right SANVY...

MAI-hello aunty...


us ferrari car ko dekhne ke beech ab tak paas pahunch chuka tha mai aunty aur NEW GIRL ke aur aunty ki baat sun bas muskurate hue maine pair chhu liya unka...


ARCHANA-hello beta...toh aap hain the hidden volcano of talent and the raw diamond...

hamari beti baatein karte nahi thakti aapke baare me...

waise i must say,pic bheji thi aapki DINGLI ne par saamne se zyada handsome hain aap...

MAI-dingli...!!!

DIMPLE-mom...!!!

ARCHANA-what...!!!ab tak apna pet name nahi bataya tha aapne SANVY ko...

shuru se hi ucchal kood ka bohot shouk raha hai is ladki ko, isiliye hum isse DINGLI bulate hain...

MAI-hahahaha...nice...ab se mai bhi bulaunga...

DIMPLE-stop it SANVY...waise mom,maine toh ghar me staff ko kuch bataya nahi tha... phir aapko kaise pata ki mai yahan hun...

ARCHANA-common...ab ye kaisa sawal hua...aap kab kahan aur kiske saath rehti hai,ye toh mujhe pata hi hoga naa...

kyun SANVY...!!!

MAI-ofcourse...

waise bhi,12 textile units in 6 countries,20 world renown hotels in 10 countries,gold mine in africa,exact location,Tanzania,20 proccesed food manufacturing factories in INDIA and MALAYSIA,BATRA CRUISE SHIPS to MALAYSIA,MALDIVES, MAURITIUS AND SINGAPORE...

itne heavy competition ke beech aaj tumhari mom in saare business ke top par hain..

how...???by keeping one eye on self business and the other one on the competetors...

jo gairon par itna dhyan de sakti hain,unki apni beti par toh nazar hogi hi naa...


NEW GIRL ki MOM ke aankhon me maine khudko tatolne waale bhaav dekhe the...

isiliye aisa jawaab diya tha maine jisse sun jahan ek taraf NEW GIRL toh bas smile dene lag gayi thi wahin dusri taraf ek pal ke liye ARCHANA BATRA apne business par mere itne exact details ko sun pehle toh thodi hairan hui par turant apne woh surprised bhaav chuppa liye the unhone...

ab bhai,choti moti personality toh thi nahi woh jo itni jaldi impressed ho jaaye mujhse...


ARCHANA-nice...but beta, mere baare me pata karna,ye toh bohot maamuli si baat hai...

i am a public figure after all...maine gour kiya tha ki hamare paas aate waqt aapki nazar is car par thi...

so,do you know anything about this road bird or baaki logon ki tarah bas iske naam se waakif aur outer looks ke murid hain aap...!!!

DIMPLE-mom ye...

MAI-its ok...aapke jitna toh nahi aunty,par jitna pata hai,bata deta hun...

Ferrari 812...price,5 crore 20 lakhs... right now,india ki best ferrari model hai yeh 2 sitter monster...

single variant me aati hai ye model.6496 cc with single transmission that goes with 7 gears and paddle shift,sports mode...

kerb weight of 1630 kgs...

engine type v12-65...

max power of 789 bhp which produces 8500 rpm...

torque 718 nm which produces 7000 rmp...

one hell of a beast...


car ke chaaron taraf ghumne ke beech usse halke haathon se touch karte hue saare speculations batane ke baad sir saamne ki taraf utha mera...

NEW GIRL ke face par toh ek bright smile thi aur uski mom ke chehre par ek baar phirse shocking bhaav the jinhe chhupane me abki baari thoda waqt laga unhe...

waise bhi,jitna dikhaya tha maine,shayad kisi aur ko impress karne ke liye beshak kaafi ya zyada bhi ho sakta tha par saamne ARCHANA BATRA khadi thi...

apni competitive world me najaane kaise kaise champions se mili hongi woh...

aise me itni jaldi kisi ka loha maanana,asaan toh hone se raha ye...

kuch pal mujhe dekhne ke baad wapas apni beti ki taraf ghumi aunty aur...


ARCHANA-us bike par aaye ho aap dono...???

ashram ke just bahar hamari pulsar 220 khadi thi jahan ARCHANA BATRA ke entry ke time khade the hum dono...

ussiko point kiya tha unhone...

MAI-jee...

ARCHANA-acha ek batao beta...hamare mansion se is ashram ki duri 50 kms hai...

exactly 7.15 ko nikle the aap dono hamare ghar se...7.26, highway me the aap dono...

7.40 me aap dono exactly 20 minutes ke liye highway me hi ruke the...

uske baad yahan tak toh aap dono bade araam se pahunche ho par that ride between 7.26 to 7.40...

kareeb 28 km ki doori aap dono ne 14 minutes me cover kar li thi...how...???

DIMPLE-SANVY...!!!he loves speed...bohot tez aaye hain hum par riding bilkul bhi rough nahi hai iski...

its like a natural gift for him...

ARCHANA-really...!!!ye baat toh common ho gayi phir hamare beech...

i too love speed...chalo phir,ek race ho jaaye...tum apni bike par aur hum meri car me...

DIMPLE-mom...ye kaisa mazak hai...???

ARCHANA-arre just for fun... waise bhi,mai bhi toh dekhun ki daughter of ARCHANA BATRA,DIMPLE BATRA jiska murid har woh shaksh hua hai jisse mili hai woh...

woh khud jiski fan ho rakhi hai,kaisa hai woh shaksh...???


NEW GIRL jaanti thi ki uski mom ke challenge se back out karunga nahi mai par ek sach ye bhi tha ki ye race logical kahin se bhi nahi thi...

kahan ferrari 812 aur kahan pulsar 220...

DIMPLE-common mom...race ke liye vehicle bhi takkar ki honi chahiye naa...

MAI-that won't be a problem...aur tum relax karo...the race is on aunty...bas ek minute...

ashram ki taraf dekhte hue kahi thi apni baat maine aur phir ussi taraf badh gaya...

wahin mujhe limp karte hue jaate dekh...


ARCHANA-ye limp kyun kar raha hai...???

DIMPLE-chot lagi hai uske pair par...

ARCHANA-oh...then we should drop the idea...

DIMPLE-ye challenge karne se pehle sochna chahiye tha aapko...

SANVY never backs out of any challenge and mind you,he always comes out winner...

jis confidence se apni baat boli thi DIMPLE ne,uski mom hairan hokar dekhne lagi thi usse...


ARCHANA-maana ki mai aapki mom hun par kya meri identity bhi bhool gayi aap...

ARCHANA BATRA koi challenge seriously kare ya mazak me, jeet hamesha meri hi hoti hai aur phir yahan toh koi competition hi nahi hai...

DIMPLE-we will see mom...


abhi bhi bina naam liye hi SANVY ke liye wahi confidence tha DIMPLE ki tone me jisse sun ab man hi man thaan liya tha ARCHANA ne ki ab ye race badi humiliating way me harane waali thi woh SANVY ko...

WROOOMMMMM.......

bike ki is tez engine noise se nazar NEW GIRL aur uski mom ki us awaaz ki taraf gayi jahan is waqt mai moujud tha...

par ab meri sawari pulsar nahi balki RAHUL bhaiya ki red CBR 1000 thi...

DIMPLE-ye bike...!!!

MAI-pehchaan waale ki hai...woh meri bike lekar aa rahe hain...so aunty, let's begin...

ARCHANA-nice bike beta...par race jeetna bikes ya car par nahi,unhe chalane waale par depend karta hai...

MAI-par race hoti toh bikes aur car me hi hai na aunty...waise bhi,ye bike race jeetne ke liye nahi, aapke car ki respect me chala raha hun mai...

ab pulsar ferrari se race karti achi toh nahi lagegi naa...


bohot calm tha mera face jisse bade dhyan se dekh rahi thi aunty...race ke liye haan keh diya tha maine par isse jeet unhe impress karne waali determination nahi dikh rahi thi mere face par...

DIMPLE-mai...

MAI-haan,tum aunty ke saath hi jaao...city colony ke bahar wait karunga mai...

mere saath aana chahti thi NEW GIRL jisse offend ho sakti thi uski mom...

isiliye hi uski baat shuru hote hi kaat di thi maine aur NEW GIRL is baat ko samajh bhi gayi thi...

halke smile ke saath mujhe all the best ka thumbs-up kar car ki passenger seat par baith gayi woh...

wahin dusri taraf bike ke saamne right mirror par red black helmet jiske andar hand gear bhi rakhe hue the,nikaal pehene maine aur helmet sir par daalte hue ek baar aunty ki taraf dekha jo mujhe hi dekh rahi thi...


AUNTY-you can take a head start...

MAI-thanks for the gesture aunty par race ek hi line se ek hi waqt me agar shuru na ho toh phir race kaisi...!!!???

AUNTY-i like your confidence beta... let's see,tumhara hunar tumhare confidence ko match kar sakta hai bhi ya nahi...

car me baith chuki thi aunty jiske 10 second ke andar hi unki ferrari aur meri cbr aage badh chuki thi....

VROOMMMM....

ab rpm ke hisaab se cbr ki kya hi haisiyat thi ferrari ke aage...yahi wajah thi ki 10 seconds ke andar hi 30 metres se zyada ka fark already ho chuka tha hamare beech...

Ferrari aunty ke daksh haathon me badi tezi se mujhse aage nikal chuki thi par tabhi aaya ek diversion jisme badi tezi se mood gayi meri bike...

wahin aunty joki back view mirror me ek bright smile ke saath mujhe piche hota hua dekh rahi thi,jab unhone mujhe yun ek new way me mudte hue dekha toh halki surprise ho gayi...

same chiz NEW GIRL bhi center mirror me dekh rahi thi...


ARCHANA-ye SANVY kahan gaye...!!!hume aage nikalta dekh race ka idea drop kar kahin chill karne toh nahi nikal gaye...

DIMPLE-jo challenge se back out kar jaaye, that's not SANVY...jitne ache se aap apni beti tak ko nahi jaanti,usse behter woh in raaston ko jaanta hai...

har inch naapi hui hai uski...50 km ko 40 me badalna aata hai usse...


ek hi statement me apni MAA ko taana aur SANVY ki taarif,dono kar di thi DIMPLE ne jispar taane ko toh sire se ignore kar diya tha ARCHANA ne par shortcut waali baat dimag me chhap si gayi uski...

ARCHANA-40 kya,doori ko 30 me bhi badal de toh bhi race mai hi jeetungi...

ek kaam karo,yahan SANVY ka mobile number daalo...

apne car ka g.p.s tracking page khol jisse ARCHANA ne apni beti ka location track kiya tha, point kiya usne jispar kuch kehne ko hui DIMPLE...


ARCHANA-no argument...just do it...


halke tough tone me order sa diya tha ARCHANA ne jispar chuchaap display me dikh rahe gps tracker par SANVY ka number input kar diya DIMPLE ne...

uske aisa karne ke kuch palon baad hi N.H 48 diversion route ke upar red dot dikhne laga tha jisse dekh ek smile naach uthi thi ARCHANA ke face par...


ARCHANA-got you kid...


apne acceleration paddle par thoda extra pressure daal diya tha ARCHANA ne jiske baad aisi koi gaadi nahi thi jisse overtake kar aage nahi badh rahi thi uski ferrari...

ARCHANA-and we are here or should i say,only we are here...

apne posh colony par pahunchne se pehle jo turn aata tha,wahan ghoom chuki thi ARCHANA ki car...

is route par 3 kms tak bas ek hi straight road tha jispar ARCHANA aur DIMPLE dono ko kahin bhi SANVY aur uski bike nazar nahi aayi thi...

jahan ek confident aur winner smile ke saath apne colony ke entrance road par douda thi apni car ARCHANA ne wahin DIMPLE ke face par SANVY ke haar jaane ke kaaran ek nirasha saaf dikhne lagi thi jo uski mom se chhup nahi paayi thi...

ARCHANA-hota hai beta...kabhi kabhi hume ordinary bhi extraordinary sa lagta hai but as they say,"har chamkti chiz sona nahi hoti"...

DIMPLE-par kuch toh hoti hi hai...

ARCHANA DIMPLE ko hi dekh rahi thi jahan achanak hi facial expressions badal chuke the...

murjhaaye hue phool se DIMPLE ka face achanak hi 1000 watt ke bulb ko tarah chamak utha tha...

aur reason...

SANVY...joki unki colony ke just bahar lage bade se gate ke right side araam se bike par tik kar khada hua tha...

SANVY ko saamne dekh jahan ek taraf DIMPLE ki khushi ka thikana nahi tha wahin dusri taraf thi uski mom ARCHANA BATRA jinka mooh is baar shock control karne ke liye khudko kaabu me naa rakh paaya aur khul sa gaya...


ARCHANA-how...???g.p.s ke according aap abhi 3 km door hain...

MAI-correction aunty...aapke g.p.s ke according mera phone abhi 3 km door hai...actually 2.5...

DIMPLE-kisi aur ko de diya tha tumne apna phone... matlab you knew ki mom tumhare phone me through tumhe track karengi...!!!

MAI-ashram ke bahar kaha tha maine...ek aankh khudki taraf toh dusri taraf apne competetor ko taraf rehti hai aunty ki...

toh ab ye strategy bhala kyun change karti...right aunty...!!!

rahul bhaiya jinki ye bike hai,unhe yahan ka address diya hua hai...wahi meri bike aur mera phone lekar aa rahe hain is taraf...

ARCHANA-brilliant...i accept my defeat...bas do sawal hain mere...

first,jis raaste se left turn liya tha tumne... wahan se yahan tak ka approx distance kitna tha...

MAI-3 turns aur liye tha aunty aur distance 38 kms pada aunty...aapke pahunchne se bas 2 minute pehle hi pahuncha hun mai...

ARCHANA-20 minute me 38 km... matlab continously 120 se 150 ke beech chali hai bike...woh bhi normal se thode zyada traffic me...superb...

man hi man SANVY ki driving skill ka proper speculation karne ke baad uske liye ek baar phirse taarif nikli thi ARCHANA BATRA ke man me...

ARCHANA-maine yahan se tumhari bike ka distance 3 km bataya par tumne 2.5...why...???

MAI-the g.p.s system in your car...

it's PRIME TRACKING right...!!!

ARCHANA-how do you know...???

MAI-aapne bataya tha ki 7.15 ko hum aapke ghar se nikle the...aapki bas wahi baat sahi thi...

highway par hum 7.26 ko nahi balki 7.25 ko pahunche the aur highway par jo halt liya tha humne,woh 7.39 ko liya tha naaki 7.40 ko...

ek minute ka time difference aaya tha aapke calculations me aur ye difference PRIME TRACKING g.p.s locator ka one and only drawback hai...

par kyunki locations kaafi prefect show hote hain is tracker me isiliye zyadatar international brands high octane cars issi tracker ko apne g.p.s me install karte hain jo aapki car me bhi hai...

PEEPEPPP....

meri baat ka jawaab aunty deti ki tabhi humse thodi door pahunch khade RAHUL BHAIYA ne bike ki horn blow ki...


MAI-i will take your leave now aunty...bye...

DIMPLE-bye...

ek formal smile aunty ko dene ke baad ek love mixed farewell apne NEW GIRL ko diya maine jisse apni beintehan khubsoorat smile se aur acha bana diya tha usne...

bhaiya ki bike me baith unki taraf badh gaya mai...

kuch seconds unse baat karne me baad bhaiya ko thanks bol unki bike wapas unhe sounp ek baar phir palath NEW GIRL ko bye wave karte hue mai apni bike par baith bhaiya ke saath aage nikal gaya...


DIMPLE-chalen mom...

ARCHANA-haan, baitho...


DIMPLE toh wapas car me baith gayi par SANVY ko piche se jaate dekh ARCHANA BATRA ki nazar uspar hi tik chuki thi...

par challenge haarne ke baad face par jo ghussa dikhna chahiye, woh emotion nadarad tha...

infact ek alag hi smile naach rahi thi is waqt ARCHANA BATRA ke face par...


ARCHANA BATRA-SANVEER AHARYA...the PRODIGAL SON...




bewakufon se bhari saari duniya ki ABAADI HAI...


sirf akalmandon ko hi apne hisaab se rehne ki AZAADI HAI...

aise me tera dimag tere liye vardan hona chahiye tha magar...

khabar nahi tujhe ki tera ye hunar hi teri SABAB-E-BARBAADI HAI...









AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
fabulous update
 
Top