• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DIMPLE SANVY KE LIYE UTH RAHE APNE MAN KI AJEEB FEELINGS KO SAMAJH NAHI PAA RAHI HAI WAHIN DUSRI TARAF RANJANA MATTHEWS ARIF REZA KO MAARKAR BHAGA DETI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-49

5TH JULY


CITY-MASOORIE

PLACE-THE ROFT BASEMENT





SAAY,SAAY,SAAY,SAAY,SAAY.....

THAKKK...THAKKKK....THAKKKK.......


pichle aadhe ghante se teen wooden trunks ke beech khade ho unpar alag alag angles se apna favourite hand combat weapon NAN CHAKU chala raha tha shirt less ARIF REZA...

aur ye silsila bas aaj ka nahi tha...1 taarikh ko jo hua,uska asar behadh gehra pada tha ARIF REZA par.

koi uspar bhari nahi padh sakta,ye soch nahi thi uski par itni asaani se koi paar paa lega usse,ye sapne me bhi nahi aaya tha ARIF ke dimag me.

kayi saari fighting techniques me maahir ARIF REZA ke ego ko zamin ke andar dhasa diya tha us gumnam RIDER ne...

par us zakhm se zyada asar VERONICA dwara diye gaye us ghaaw numa thappad aur mooh par thook numa namak ka pada tha ARIF par...

woh scene kisi live moment ki tarah abhi bhi jeevant tha ARIF REZA ke aankhon ke saamne.

kehte hain ki jab frustration aur insult ek saath haunt karne lage toh paseena bahao...

physically exhaust karo khudko.. wahi kar raha tha ARIF pichle 4 dino se..


"IF YOU PRACTICE WHAT YOU HAVE ALREADY MASTERED,YOU ARE IN THE ROAD OF PERFECTION"...

issi quote ko filhal jee raha tha ARIF REZA...

NAAN CHAKU chalane me maharath haasil thi usse...ache ache martial artist ko apne is yudh kala se dhul chata chuka tha ARIF..

yahan tak ki high speed SWORD ko bhi bade araam se block kar deta tha ARIF apne NAAN CHAKU chalane ke skills se...

pichle 4 dino se lagatar non stop apne kayi aadmiyon ko naan chaku se ghayal karne ke baad ab 3 heavy trunks par practice kar raha tha woh is skill ko..

itni zyada speed thi ARIF ke naan chaku ki ke sirf uska haath hi nazar aa raha tha paas khade uske aadmiyon ko..

BBHAI....

pichle 2 minute se paas hi khade MANGAL ne finally apne dar ko zabt karte hue pukara tha ARIF ko jispar tufaan bane apne naan chaku ko right palm se hold karte hue turant palta ARIF MANGAL ki taraf..

uski athletic body jo paseene se ab tak puri naha chuki thi,har nas uske upper body ka jaise bahar aane ko tha..

itne intense training ki wajah se saansein thodi tez thi ARIF ki jisse niyantrit kar woh bas MANGAL ko dekh raha tha.

wahin ARIF ke ghurne se sehem uthe MANGAL ne kisi tarah khudko niyantrit kiya aur...


MANGAL-bhai us bike rider ke baare me toh kuch bhi pata nahi chal paa raha hai..


MANGAL ki baat sun ghura usse ARIF ne jispar sehem gaya woh aur..


MANGAL-bohot koshish ki bhai... department me jo bande hain apne,unse tunnel ke aage piche lage C.C.T.V camaras ko check karwaya maine par kuch nahi mila...

koi pura gear pehne rider dikha hi nahi kisi futtage me...


MANGAL ki baat sun ghussa saaf dikhne laga tha ARIF ke face par jisse dekh...


MANGAL-par ek achi khabar hai bhai...kal SIRIUS school senior students ko 2 din ke kisi educational camp ke liye yahin MASOORIE ke old road me bane kisi ashram me laa rahi hai...

woh loundiya aur woh lounda, dono pakka aayenge us trip par...


is nayi baat ko sun in beete chaar dino me ye pehli baar tha jab ARIF ke face par ek halki si muskan jaagi thi par ye muskaan itni zyada negetive thi ki usse dekh MANGAL man hi man aur dar gaya tha..

gang ka ek aadmi jo touliya lekar khada tha,usse le apne badan ko pochte hue ek chair par baith gaya ARIF aur..


ARIF-us lounde ke saamne beech se faadunga mai us loundiya ko aur uske baad...

mujhe thappad maara tha us lounde ki MAA ne aur mere chehre par...

woh haalath kar dunga mai us lounde ki ke kutto ko bhi uska gosht khaane se ulti ho jaayegi...




NEXT DAY:-

PLACE-SHANSHASHI ASHRAM




1ST-"THE BODY IS YOUR TEMPLE. KEEP IT PURE AND CLEAN FOR THE SOUL TO RESIDE IN. –B.K.S IYENGAR"...

2ND-"YOU HAVE TO GROW FROM THE INSIDE OUT. NONE CAN TEACH YOU, NONE CAN MAKE YOU SPIRITUAL. THERE IS NO OTHER TEACHER BUT YOUR OWN SOUL. – SWAMI VIVEKANANDA

3RD-"LIVE QUIETLY IN THE MOMENT AND SEE THE BEAUTY OF ALL BEFORE YOU. THE FUTURE WILL TAKE CARE OF ITSELF…… ― PARAMAHANSA YOGANANDA....


in teen world renowned quotes ko joki saamne bade se wall par likhe hue the,padha SAM ne...

aaj ek overnight camping stay ke educational trip me par yahan as in old masoori road par bane SHANSHAHI ASHRAM aaye the SIRIUS ke senior batches..

ek alag hi tarah ka educational campaign tha ye jisme hamare desh ke do sabse prachin pehlu par practically participate karne ke liye laaya gaya tha students ko is gigantic ashram me...

khair,apni baat ko aage badhate hue...


SAM-yunhi toh in sabko legends nahi bolte.

ye wise words inki life ko lekar deep, positive aur valuable thinking bataate hain...


saath hi khadi puri group jisse bas SANVY hi nadarad tha,kahi thi ye baat SAM ne..


DIMPLE-true.par usse important question ye hai ki ye teeno qoutes hi kyun is wall par lage hain..

i mean,is pure ashram ke har wall par joki i think 100 se bhi zyada hain,sab par qoute hai par one per wall.

par yahan yog kaksh me face view wall par ek saath teen qoutes lage hain..kuch toh logic hoga..

NITS-arre bhai pehle ye AYURYOG camp ka logic samjhao.

matlab ayurveda samajh me aata hai,yog bhi pata hai par in dono shabdon ka cocktail kaahe banaya gaya hai...


YOG, DHYAAN AUR AAYURVEDIK GYAAN KE SANYOJAN KO AYURYOG KEHTE HAIN...

YOG KE AASANO KE ANDAR AYURVEDH KE CHIKITSA SIDHANTO KO LAAGU KARAYA JAATA HAI.YEH ADVITYA VYAKTI AUR PRAKRITI KE PAANCH TATWON PAR KENDRIT HOTA HAI...


KIRTI DESAI...1 saal senior thi ye.. hindi aur English,dono hi language me inki pakad next level ki thi..

SAM and group ke piche hi khadi thi KIRTI jinhone diya tha ye jawab jisse sun DIMPLE,RASHI aur KHANAK toh impress hui par baaki sab joki purane students the, mooh tedha ho chuka tha un sabka..

reason..

kabhi nahi bana tha KIRTI ka SAM ke group se aur khaaskar SANVY se..

apne batch ki topper hone ke saath saath kuch zyada hi niyamo ko maanana aur apne saath sabko un rules ko follow karwana ek non detachable aadat thi KIRTI ki.

par SAM & group aur khaaskar SANVY KIRTI ki soch se bilkul ulat the...

kayi baar free days me monitoring karne aayi thi KIRTI inki class me jahan apni masti aur free will attitude se dimag kharab kiya tha uska SAM & group ne...

upar se SANVY jisse gyan dena bhains ke aage bin bajaane ke jaisa hai,woh karne ki naakamiyab koshish ki thi KIRTI ne jiske baad uske hi gyan chakshayu khol diye the SANVY ne..

upar se jitni maar peet usne aur uske doston ne kiye hain,baaki sabki tarah KIRTI ko bhi khabar thi is baat ki isiliye zyada chidh thi usse is pure mandali se..

koi mouka nahi chhodti thi woh in sabko down dikhane ki.

in sabke maamle me khud apne discipline waala rule bhul jaaya karti hai woh..

jaante the baaki sab ki abhi bhi KIRTI aisa hi kuch karegi isiliye pasand nahi aaya tha kisiko uska bolna..


BOHOT ACHE...

ACHARYA PRATHAMESH....


SHANSHAHI ASHRAM ke sabse bade YOG guru the ye joki is waqt kuch aur yog gurus aur unke shishyon ke saath KIRTI ke just piche khade the..

aur unhe dekh SIRIUS ke sabhi students aur unke saath aaye teachers attention position me aa chuke the..

wahin apni baat bol thoda aur aage aaye PRATHAMESH aur..


PRATHAMESH-ek top convent school student ke liye ayuryog ke matlab ki itni vistarit jaankari rakhna wakayi badi baat hai..


EK TOP CONVENT STUDENT KE ITNE BADE AYURYOG GURU BANANE SE BADI BAAT TOH NAHI HO SAKTI...!!!


ACHARYA PRATHAMESH ki taarif par SAM and group ki taraf ghamand se dekh smile kar hi rahi thi KIRTI ki tabhi padi uske aur baaki sabke kaano me ye awaaz joki meri thi jisse sun jahan ek taraf teachers aur baaki sab ka mera yun acharya ki baat ko kaat beech me bolna kaafi shouk kar gaya tha wahin dusri taraf naa sirf KIRTI ki smile gayab hui balki mera yun interfere karna usse ghussa bhi dila gaya..


PRATHAMESH-SANVEER...kaise hain aap...???


aage badh pair chhua tha maine ACHARYA PRATHAMESH ka jispar bade sneh se mere sir par haath fera tha unhone..

par unke mere liye gesture ko dekh KIRTI ke saath saath baaki sab including mere friends bhi shocked hue the...

par dhyan na maine kisi par diya aur naahi ACHARYA PRATHAMESH ne..

mujhse bade sneh se milne ke baad mude woh mere doston ki taraf ya phir ye kahun ki new girl ki taraf aur...


PRATHAMESH-aapki soch aur sawal sahi the...kaaran hain in teen quotes ka is diwaar par hone ka...

par mai chahunga ki jisne is sawal ka jawab bin sawal puche hi pehli baar me de diya tha,woh aaj bhi de...


meri taraf dekhte hue kahi thi ye baat acharya ne jispar halka muskuraya mai aur...


ANJANEYASANA

ANJALI MUDRA

GARUDASANA


teeno quotes yog ke in teen asanas ko highlight karte hain..

pehla quote..


THE BODY IS YOUR TEMPLE. KEEP IT PURE AND CLEAN FOR THE SOUL TO RESIDE IN..

kisi mandir me bhagwan ke aage haath jodne ki tarah ANJANEYASANA asana me human creation ke sabse bade source as in SUN ki taraf pure sharir ko strech karkar haath upar ki aur kar joda jaata hai...

jaise quote me sharir ko swatch rakhne ki baat kahi gayi hai,theek waise hi is pose ke through hum apne heart ko unbind kar open karte hain taaki khudko us divine power ke saath AATMA tak connect kar saken..

second quote...

YOU HAVE TO GROW FROM INSIDE OUT. NONE CAN TEACH YOU, NONE CAN MAKE YOU SPIRITUAL. THERE IS NO OTHER TEACHER BUT YOUR OWN SO.

quote ki tarah isse juda aasan bhi kaafi simple hai...ANJALI MUDRA..

jaise quote ke anusar AATMA se bada koi teacher nahi,ussi tark par is mudra me haath jod antardhyan ho apni AATMA se juda jaata hai taaki us AATMA ke through hume banane waale ko is zindagi ke liye thanks kaha jaa sake,apni respect diya jaa sake aur ussi aatma ke through dil se hote hue us parmatma se aashish liya jaa sake...

teesra quote...

3RD-"LIVE QUIETLY IN THE MOMENT AND SEE THE BEAUTY OF ALL BEFORE YOU. THE FUTURE WILL TAKE CARE OF ITSELF……

thik is quote ki tarah GARUDASANA as in kisi eagle ki tarah tez nazar ka pratik maana jaata hai..

jaise ek garud ki nazar se kuch nahi chhupta waise hi is pose ke through hum apne antarman aur bahar har taraf saaf saaf dekhte hain..

saath hi saath is asana me garud ki hi tarah khudko earth aur spiritual plane ke beech udte hue mehsoos kar sakte hain...

jaise ek garudh aasmaan ki unchayi par jahan aur koi nahi hota,phir bhi shaant rehkar bas nazar rakhta hai,pure sayyam se theek waise hi GARUDASANA bhi hume patience aur focus sikhata hai jo hamari AATMA aur sharir ko ek karta hai...

ye teeno hi quotes jin teen aasan se jude hain,un sabme ek chiz common hai..

DIMPLE-AATMA..

MAI-right..aatma..aur wahi in teen asanas aur quotes ka base point hai..

to refine your soul..kyunki yahi woh tarika hota hai jo sabhi insaan ko in qoutes ko bolne waale mahan logon ki tarah sahi maayno me insaan banaye rakhta hai...


kuch dino pehle ATTITUDE class me mile topic par jo shayri boli thi new girl ne,usse hi ghumakar aakhir me bola tha maine jisse sun ek bright smile naach uthi thi uske face par jisne is jagmagate din ko bhi aur roshan kar diya tha..

waise ye brightness toh bas uski moujudgi se hi khil uthi thi...

is trip ka koi dress code nahi tha..sabne apni marzi ka pehna tha joki casual wear tha siway mere aur new girl ke..

jahan maine half sleeve shirt based white kurta pehna tha wahin new girl ne safed suit pehna hua tha..

khuda kasam,khud khubsoorati bhi itni khubsoorat nahi ho sakti jitni khubsoorat is hindustani paridhan me new girl lag rahi thi.

nazar uspar naa theher jaaye, isiliye ab tak hazar jatan kar chuka tha mai par ab jo muskurayi woh toh kuch palon tak lagatar usse dekhne ki gustakhi kar hi baitha mai..

wahin mere saare jawabon se super impressed new girl ki nazarein bhi waise toh mere liye taarif me chamak rahi thi par meri nazaron ki gustakhi shayad padh liya tha uski aankhon ne isiliye hi toh khabar tak na hui usse ki kab uski uthi hui taarif-e-nazar haya se neeche baith gayi...

ACHARYA-bilkul sahi..aur aap sabka aaj ka pehla karya yahi hai..

in quotes se jude teeno hi asanas ANJANEYASANA,ANJALI MUDRA aur GARUDASANA,in teen aasano ko yahan yog kaksh me practice karni hai aap sabko...

iske baad aashram ke pashchim me bane baag me jaana hoga aapko jahan aap sab aayurved ki jadi butiyon ka gyan lenge..

future me emergency situations ke waqt un jadibutiyon ka gyan bohot kaam aayega aapko..

par pehla kaam pehle...

10,10 ki line ke hisaab se khade ho jaayiye sab..


mats pehle hi lag chuke the jinpar acharya ji ke kahe mutabik agle 2 minutes me hum sab alag alag lines me khade ho chuke the..

last 3rd row me start se third position par mai khada ho chuka tha par aisa karne ke kuch pal baad thoda sa surprise mila tha mujhe.

aur woh isiliye kyunki new girl jisse hamesha first row me baithne ki aadat thi,woh aaj mere exact right side ke mat par khadi thi..

halke shock se dekha tha maine uski taraf.

mere shock ka kaaran pata tha new girl ko par shayad apni is harkat ka reason khud uske paas bhi nahi tha.

chehre par uske confusion is baat ki gawahi thi..

par apne is confusion bhare state me ek chiz par gour nahi kar paayi thi new girl...

KIRTI theek uske piche waale mat par khadi thi aur uske face par jo expression the,woh new girl ke liye positive nahi the..

darasal new girl ne jab se SIRIUS join kiya hai,uske past achievements ki wajah se kaafi popular hai woh.

upar se ATTITUDE class me uska debate performance bhi kaafi saraha jaa raha hai..

but most importantly,uski khubsoorati jiska diwana sirf hamare batch ka nahi balki har senior batch ka banda hai..

beauty with brains ka combo deadly bhi hota hai aur dusri ladkiyon ke man me paida hone waale jealousy ka kaaran bhi..

aur KEERTI bhi is feeling se acchuti nahi thi..

upar se aaj, kuch der pehle mere quotes defination ke baad AATMA waala jawab KIRTI deni waali thi par usse pehle hi new girl answer bol uthi thi jispar ACHARYAJI ki aankhon me uske attentiveness ko dekh prashansha thi..

ye KIRTI ke jealousy waali aag ko hawa dene ke liye kaafi thi..

kuch negetive karna chahti thi woh new girl ke saath aur isiliye hi uske piche khadi thi KIRTI...

khair,ACHARYA PRATHAMESH ke saath jo shishya the unke,unme se ek aage aaye aur sabse pehle ANJANEYASANA aur phir GARUDASANA karne ka tarika bataya hum sabko unhone..

kyunki ye dono hi aasan physically stretch hona demand karte the, isiliye khade aur kneel hokar hum sabne kiya tha in dono aasano ko..

par is beech bhi new girl joki ek gymnest thi,uski stretching baaki sabhi se behtar thi jisse dekh saamne hi khade ACHARYA PRATHAMESH ki aankhon me ek baar phir prashansha ke bhaav ujaagar ho gaye the..

KIRTI ne bhi dekha tha us bhaav ko jiske baad uska face thoda aur sakht ho chala tha...


ACHARYA-ANJALI MUDRA ke liye paalthi maar kar baithiye..

naabhi se lekar kanth tak ek seedh me sharir ko sthir kijiye..

netra band kar jo bhi aradhya hain aapke,sirf unhe yaad kijiye..

naa koi moh,na koi khawahish.koshish kijiye ki kisi bhi tarah ki bhaavna ka janm aapke mastishk me naa ho..


jaise hi us acharya ne apni baat khatm ki,sabhi students apne apne mat par baithne lage aur ye dekh KIRTI ke face par ek evil smile naach uthi..

usse ANJALI MUDRA aasan ko karne ke tarike ka pehle se hi andaza tha..

yahi wajah thi ki uska haath uske hand bag me jaa chuka tha aur jab woh haath bahar aaya toh uske beech ink ki ek choti si bottle thi...

unlike others, KIRTI ball pen se nahi balki ink pen se likhti thi isiliye ink ki choti bottle woh hamesha carry karti thi par aaj ye ink kuch aur kaam aane waala tha.

isse pehle ki new girl neeche baiththi, KIRTI ne haath me pakdi ink thoda aage jhukte hue uske mat par daal di par tabhi.....

new girl neeche baiththi, usse pehle hi kisike haath ne uske kamar ko gher liya tha.

ye mera haath tha...

isse pehle ki woh kuch samajh paati, usse lete hua naa mai sirf ghum gaya balki halka neeche hote hua mat palta diya tha maine....

ghumne ke beech mat par lagi ink dekh li thi new girl ne aur jab tak woh kuch kehti mai KIRTI ke saamne pahunch chuka tha....


MAI-khud ka daaman maila hai toh iska ye matlab nahi ki dusron ke kapdo ko ganda karo....

yaad rahe ki SANVEER ke frnz se bhidna matlab SANVEER se bhidna.....

aur SANVEER se bhidkar hota kya hai,iski khabar toh hogi hi tujhe....

and babes, don't even think to get extra credit of being the opposite gender....


KIRTI ke aankhon me jhaank kar kahi thi maine ye saari baat jiska matlab samajh and most importantly meri sacchayi bohot ache se jaanti thi woh..

isiliye bina palak jhapkaye chupchap sunti rahi meri baatein KIRTI..

agle hi pal mai apne mat par khada tha..is beech new girl ne suni thi meri aur KIRTI ki baat jispar sir shake karte hue smile karne lagi thi woh...

khair,ANJALI MUDRA start ho chuka tha jiske shuru hote hi sabki aankhein band ho chuki thi...

kuch students ka ek minute me, kuch ka 2, kuch ka teen minute me hi concentration jawab de gaya tha.

kuch hi students the jinhone ANJALI MUDRA ke dhyan awastha ke 5 minute cross kiye the..

in kuch students me SAM aur DIMPLE bhi the...

par ek time ke baad bache students ki aankhen bhi khuli jjske baad sabhi students apni apni jagah par khade ho gaye..


KIRTI-sir, SANVEER gayab hai..he left while everybody else was meditating..


ACHARYA kuch kehne hi waale the ki tabhi KIRTI ki baat sun DIMPLE aur baaki sab ka dhyan SANVEER jahan khada tha,us mat par gaya.

gayab tha woh wahan se...

ye dekh KIRTI ki baat par teachers kuch kehte par tabhi..


PRATHAMESH-SANVEER ko maine hi bheja hai kisi kaam se...


jahan ACHARYA PRATHAMESH ki baat sun teachers ke paas kuch kehne ko bacha nahi tha,KIRTI man masos kar reh gayi thi wahin DIMPLE ko ACHARYA ki baat sach nahi lagi thi..


ANJALI MUDRA ke beech SANVEER ko kaam se bhejna,logic jo nahi tha is baat me..


ACHARYA-aayiye,ab hum aushadhi baagh ki taraf jaayenge..

ashram ke uttar disha me bane ayurvedic medical plants ke garden ki taraf badh chale the sabhi students...

BRAMHI,CHIRAYATA,ADUSA,LAJOULI,KANTHKARI jaise aur bhi durlabh ayurvedic aushadhiyon ke poudhon se bhara pada tha ashram ka bada sa baagh..

un saare poudhon ke naam,unke goon khud ACHARYA PRATHAMESH ne bataya tha sabhi students ko...

waise toh english medium woh bhi SIRIUS jaise international school ke bacchon ke liye ayurvedic aushadhiyon ki shiskha lena boring hota hai par jis interesting tarike se ACHARYA PRATHAMESH ne saare students ko un aushadhiyon ki importance aur value bataya tha,kaafi focused hokar aur interest lekar suna tha sabhi ne us topic ko...

par is beech sabse zyada focused rehne waali DIMPLE ka dhyan kaafi bata hua tha..

baar baar uski nazar baagh ke entrance ki taraf ghoom rahi thi..

aisa nahi tha ki woh ACHARYA PRATHAMESH ki baat sun nahi rahi thi par dhyan uska bata hua sa tha..


PRATHAMESH-aaj ke liye itna hi..ummid hai ki hamare hi desh ki do prachin dharohar, ayurved aur yog ke baare me jaankar acha bhi laga hoga aur inki mahatvata ka bodh bhi hua hoga aap sabko...

aap sabke lunch ki vyavastha ashram ke udyan me ki gayi hai..

jaaiye aur bhojan kijiye.

apni hi tarah se class disperse kar diya tha ACHARYA PRATHAMESH ne jiske baad sabhi students standard lines ke accord baagh se nikalne lage..

SAM and group toh is pure douran saath hi tha jo ek dusre se baat karte hue aage badh chuke the.

DIMPLE bhi thi unke saath par kuch baat karni thi usse ACHARYA PRATHAMESH se isiliye baakiyon se dheere dheere alag ho gayi thi woh..

wahin ACHARYA PRATHAMESH apne shishyon ko kuch samjha rahe the jiske baad unke shishya ek disha ki taraf badh gaye..

akele the ACHARYA PRATHAMESH aur ye dekh DIMPLE turant badhi thi unke taraf..

is waqt peeth thi unki DIMPLE ki taraf..unke paas aakar rook gayi thi DIMPLE par kahe kya, yahi soch rahi thi woh...


PRATHAMESH-hriday ki vyagrata aksar dhyan bhatka deti hai..yog kaksh me aap jitni ekaagra thi,is baagh me utna hi vichlit tha aapka man...

kaaran SANVEER ki anupastithi toh nahi hai..!!! isiliye aayi ho aap yahan taaki jaan sako, aakhir hain kahan woh..

jo puchna chahti thi DIMPLE,woh pehle se hi jaante the ACHARYA PRATHAMESH...

unki baat sun man hi man hadbadayi woh par phir khudko shaant kiya usne.


DIMPLE-jee..aur yog class me aapne kaha tha ki aapne bheja hai usse kisi kaam se..!!!mujhe nahi lagta aisa kuch hai...!!!


DIMPLE ki baat sun uski taraf muskurate hue palte ACHARYA PRATHAMESH..


PRATHAMESH-kaaran..!!!jis kaaran se SANVEER yahan nahi hai,woh kaaran kisi bhi kaksha me rehne se zyada zaroori hai...

DIMPLE-mai samjhi nahi...

PRATHAMESH-saath aao...


ye bol ek dusri disha ki taraf badh gaye PRATHAMESH jinke piche piche DIMPLE bhi ho li thi...


DIMPLE-aap kaise jaante hain SANVY ko...???

baagh se nikal ek disha ki taraf badhne ke beech apne jigyasa se bhare man ka pehla sawal pucha tha DIMPLE ne ACHARYA PRATHAMESH se..


PRATHAMESH-ussi kaaran ki wajah se jahan hum abhi jaa rahe hain...

DIMPLE-yog ke beech woh chala gaya aur phir aushadhi baagh bhi nahi aaya woh,kya ye GALATH nahi laga aapko...

PRATHAMESH-jab kaaran sahi ho toh koi kadam GALATH nahi hota..

waise bhi, SANVEER ko is ashram ke har yog asana aur aushadhi ke baare me pehle se pata hai..

jo aap sabne aaj jaana,sikha,uska gyan SANVEER ko pehle se hai..

DIMPLE-aap kabse jaante hain usse...???

PRATHAMESH-7 mahine se...

DIMPLE-ghumne aaya tha woh yahan..???

PRATHAMESH-kisiki jaan bachane...

DIMPLE-matlab...!!!

PRATHAMESH-jawab saamne mil jaayega...


chalte hue ashram ke VRIDHA VAAS ki building ke paas pahunch chuke the ACHARYA PRATHAMESH aur DIMPLE..

apni baat keh us building ke saamne bane bade se gate ke andar chale gaye the PRATHAMESH jinka anusaran karte hue DIMPLE bhi aage badh chuki thi...

agle minute woh dono buildings ke andar the..kaafi saaf suthra aur sabhi zarooraton se bhara hua tha woh building..

is teen manzila building me rooms system the aur har room me kul 2 log rehte the...

300 se zyada buzurg rehte the is VRIDHA VAAS me... building ke entrance me hi ek chota sa mandir bana tha jiske baad gallery se hote hue rooms bane hue the..

dusri taraf ek bada sa garden tha jahan sabse zyada waqt beetate the saare buzurg..

par kyunki abhi dopahar ka waqt tha isiliye building me rehne waale saare log apne apne rooms me the...

khair, ACHARYA PRATHAMESH gallery me chalte hue left se last room ke khidki ke saamne rook gaye..

woh khidki khuli hui thi,uske bahar hi rook andar ka nazara dekh smile naach uthi thi unke face par..

same expressions DIMPLE ke face par bhi ubhre jab ACHARYA PRATHAMESH ke piche se saamne aate hue room ke andar ka scene dekha usne..

is waqt SANVEER ek bed par baitha hua tha..godh me uski ek budhi aurat thi joki so chuki thi ya phir te kehna sahi hoga ki unke safedh baalon ko sehlate hue SANVEER unhe sula chuka tha..

is scene ko dekh smile kar hi rahi thi new girl ki tabhi uske face se smile gayab ho gayi..

reason..

us budhi aurat ke baal ko sehlate waqt aankhen SANVY ki band thi par un band aankhon ke kinaaron se aansu ki ek ek lakeer neeche gir rahi thi..

SANVY ko aisa bhi dekhegi, kabhi nahi socha tha DIMPLE ne..

turant ghumi uski nazar PRATHAMESH ki taraf jo shayad pehle hi DIMPLE ki nazar aur sawal samajh chuke the..


PRATHAMESH-ASHA..ASHA KASHYAP naam hai us aurat ka...

2 saal pehle uske jawan bete aur bahu ki ek accident me death ho gayi thi..

mortgage loan tha sir par woh bhi bina insurance ke isiliye bik gaya inka ghar..

aur koi kareebi tha nahi inka par ek pehchaan waala tha jisne inhe yahan chhod diya...

ghar jaane ka gum bilkul nahi tha inhe par jawan bete aur bahu ki mout ne unhe maansik aaghat pahunchaya tha..

lagatar doure padte the inhe... aashram me upchaar kendra bhi hain jahan yurvedic upchaar ho raha tha inka par faayda kuch nahi ho raha tha..

jab koi aas paas nahi hota tha toh aashram se bhaag jaati thi ye..kayi baar accident ho chuka tha inka...

ek aur hone waala tha 7 mahine pehle...

SANVEER tha us car me..uski MAA chala rahi thi car jab ASHA achanak se hi unki car ke aage aa gayi..

par naa woh accident hua aur uske baad kabhi accident ki noubat aayi hi nahi..

car se nikal jab SANVEER bahar aaya toh ASHA ke dono haath thaame isne..

ADARSH....yahi naam tha ASHA ke bete ka..jaise hi SANVEER ne chhua inhe, SANVEER ko dekh ADARSH naam nikla tha inke mooh se..

SANVEER ke chehre ko pakad apne bete ka naam lete hue rone lagi thi ASHA.

aur ye baccha,bina kuch jaane hi jaise sab samajh gaya..

"MAA"...bas itna hi kaha tha isne ASHA se aur shayad itna hi kaafi tha.

agle hi pal ek aisi sukoon ki hawa chali ASHA ke dimag me ki woh SANVEER ke baahon me hi behosh ho gayi..

ASHA ke piche ASHRAM ke kuch log pahunche the wahan jinke saath yahan ashram me lekar aaya SANVEER ASHA ko...

jab hosh aaya ASHA ko toh uththe hi apne bete ka naam lekar chillane lagi thi ye par saamne SANVEER ko dekh naa sirf shaant ho gayi balki dedh saalon me pehli baar khul ke muskurayi thi ye...

SANVEER ke saath us muskaan ko pehli baar maine tab hi dekha tha..

us din se SANVEER har hafte aata hai yahan...aur jab bhi aata hai toh ASHA isse khudse door nahi hone deti..

isiliye hi yog kaksh se turant wapas yahan aaya tha ye...

pata hai,jab mujhe pata chala ki hua kya tha aur phir SANVEER ne mujhe bataya ki woh SIRIUS ka student hai toh chinta hui thi mujhe.

mujhe laga tha ki SANVEER yahan phir nahi aayega aur agar aisa hota toh ASHA ki haalath aur kharab ho jaati par aisa hua nahi..

pehle mahine SANVEER kisi bhi waqt roz aata tha yahan aur jab ASHA ki maansik haalath sahi hone lagi,uske baad se har hafte aata hai ye yahan..

aur sabse achi baat ye hai ki iske yahan aane ka kaaran zimmedari nahi balki prem hai...

woh prem jo samajh aa jaaye toh usse saral koi bhavna nahi aur jo na samajh aaye toh usse jatil bhi aur kuch nahi..


ye line DIMPLE ke liye kahi thi ACHARYA ne par dhyan is waqt DIMPLE ka SANVEER par hi tha jo filhal bed se uth chuka tha aur apni us dharm MAA ASHA ko blanket odha raha tha..


ACHARYA PRATHAMESH-chalna chahiye hume...tumhe yahan dekhna shayad SANVEER ko acha na lage..


ACHARYA ki baat sun unke saath ho li thi DIMPLE..

kuch hi der me us VRIDHA VAAS ki building se nikal jahan SIRIUS students ke lunch ready kiya gaya tha,us disha ki taraf badh chale the woh dono.

par is dauran bohot shaant ho kuch soch rahi thi DIMPLE jisse dekh..


PRATHAMESH-kya soch rahi ho..???kya koi sawal reh gaya..!!!

DIMPLE-sawal hai par abhi abhi bana hai.!!!

PRATHAMESH-kya..??

DIMPLE-yahi ki humanity ko agar lekar chalen toh SANVY ne jo kiya woh bohot sahi hain par jaise woh abhi tha un lady ke liye,it was like ki woh wakayi MAA hon uski..

joki hai nahi..apni MOM ke liye dikhaane waale devotion woh kisi aur ki MOM ke liye show kar raha hai..!!!kaise..???

HAHAHAHA..


has pade the ACHARYA PRATHAMESH DIMPLE ke sawal par jisse dekh..


DIMPLE-kya kuch GALATH kaha maine..??

PRATHAMESH-bilkul nahi..tumne wahi sawal pucha jo SANVEER ko ASHA ke liye lagatar karta dekh kabhi mere ek shishya ne usse pucha tha..

DIMPLE-toh kya jawab diya tha phir SANVEER ne...???


DIMPLE ki baat sun ACHARYA PRATHAMESH jaise us pal me chale gaye the jab SANVEER ne apna jawab diya tha.

aur us jawab ko yaad kar unke face par apne aap hi SANVEER ke liye sneh aur samman ke bhaav ek saath jaagrit ho gaye the..

us pure jawab ko kuch yun yaad kiya PRATHAMESH ne maano agar us answer ko waise naa diya unhone jaisa SANVEER ne diya tha, toh un shabdon aur un shabdon ke piche chhupe bhaavnaon ka kahin apmaan ho jaayega...

jawab yaad kar ek lambi saans chhodi unhone aur...


PRATHAMESH-




MAA TOH BAS MAA HOTI HAI....

zindagi ke kadwe ghoont nigal hume chashni ki sharbat PILAATI HAI...

ek haath se thappad maar dusre haath se roti KHILAATI HAI...

dil chhalni bhi kyun naa ho raha ho,bas hamari khaatir MUSKURAATI HAI...

haasil kuch nahi hota par hum par apni duniya LUTAATI HAI...


apne hisse ki khushi dekar humare hisse ke aansu ROTI HAI...

kaise karun fark dharti ke KHUDA me,

kisi ki bhi ho,MAA TOH BAS MAA HOTI HAI....


pyar jo ek sa hai,usme bhedh DIKHAUN toh DIKHAUN KAISE.??

jab mamta ka roop hi ek hai phir fark SAMJHAUN toh SAMJHAUN KAISE.??

jis naam ka paryaya bana nahi,usse alag BULAAUN toh BULAAUN KAISE.??

jiske kadmo me hi jannat hai,uske sir-e-mukaam ka andaza LAGAAUN toh LAGAAUN KAISE.??


jo hamare jaagne se pehle jaagti hai aur hamare sone ke baad SOTI HAI...

hum hamesha haste rahe,iske liye jo khud ki saari khushiyan KHOTI HAI...

yahi bas ek rishta hai jiske liye rishte ki zaroorat nahi..

kyunki kisi ki bhi ho,MAA TOH BAS MAA HOTI HAI...










AAJ KE LIYE ITNA HI...







AAPKA APNA V...J...
Heart touching update bhai
 

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DIMPLE SANVY KE LIYE UTH RAHE APNE MAN KI AJEEB FEELINGS KO SAMAJH NAHI PAA RAHI HAI WAHIN DUSRI TARAF RANJANA MATTHEWS ARIF REZA KO MAARKAR BHAGA DETI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-49

5TH JULY


CITY-MASOORIE

PLACE-THE ROFT BASEMENT





SAAY,SAAY,SAAY,SAAY,SAAY.....

THAKKK...THAKKKK....THAKKKK.......


pichle aadhe ghante se teen wooden trunks ke beech khade ho unpar alag alag angles se apna favourite hand combat weapon NAN CHAKU chala raha tha shirt less ARIF REZA...

aur ye silsila bas aaj ka nahi tha...1 taarikh ko jo hua,uska asar behadh gehra pada tha ARIF REZA par.

koi uspar bhari nahi padh sakta,ye soch nahi thi uski par itni asaani se koi paar paa lega usse,ye sapne me bhi nahi aaya tha ARIF ke dimag me.

kayi saari fighting techniques me maahir ARIF REZA ke ego ko zamin ke andar dhasa diya tha us gumnam RIDER ne...

par us zakhm se zyada asar VERONICA dwara diye gaye us ghaaw numa thappad aur mooh par thook numa namak ka pada tha ARIF par...

woh scene kisi live moment ki tarah abhi bhi jeevant tha ARIF REZA ke aankhon ke saamne.

kehte hain ki jab frustration aur insult ek saath haunt karne lage toh paseena bahao...

physically exhaust karo khudko.. wahi kar raha tha ARIF pichle 4 dino se..


"IF YOU PRACTICE WHAT YOU HAVE ALREADY MASTERED,YOU ARE IN THE ROAD OF PERFECTION"...

issi quote ko filhal jee raha tha ARIF REZA...

NAAN CHAKU chalane me maharath haasil thi usse...ache ache martial artist ko apne is yudh kala se dhul chata chuka tha ARIF..

yahan tak ki high speed SWORD ko bhi bade araam se block kar deta tha ARIF apne NAAN CHAKU chalane ke skills se...

pichle 4 dino se lagatar non stop apne kayi aadmiyon ko naan chaku se ghayal karne ke baad ab 3 heavy trunks par practice kar raha tha woh is skill ko..

itni zyada speed thi ARIF ke naan chaku ki ke sirf uska haath hi nazar aa raha tha paas khade uske aadmiyon ko..

BBHAI....

pichle 2 minute se paas hi khade MANGAL ne finally apne dar ko zabt karte hue pukara tha ARIF ko jispar tufaan bane apne naan chaku ko right palm se hold karte hue turant palta ARIF MANGAL ki taraf..

uski athletic body jo paseene se ab tak puri naha chuki thi,har nas uske upper body ka jaise bahar aane ko tha..

itne intense training ki wajah se saansein thodi tez thi ARIF ki jisse niyantrit kar woh bas MANGAL ko dekh raha tha.

wahin ARIF ke ghurne se sehem uthe MANGAL ne kisi tarah khudko niyantrit kiya aur...


MANGAL-bhai us bike rider ke baare me toh kuch bhi pata nahi chal paa raha hai..


MANGAL ki baat sun ghura usse ARIF ne jispar sehem gaya woh aur..


MANGAL-bohot koshish ki bhai... department me jo bande hain apne,unse tunnel ke aage piche lage C.C.T.V camaras ko check karwaya maine par kuch nahi mila...

koi pura gear pehne rider dikha hi nahi kisi futtage me...


MANGAL ki baat sun ghussa saaf dikhne laga tha ARIF ke face par jisse dekh...


MANGAL-par ek achi khabar hai bhai...kal SIRIUS school senior students ko 2 din ke kisi educational camp ke liye yahin MASOORIE ke old road me bane kisi ashram me laa rahi hai...

woh loundiya aur woh lounda, dono pakka aayenge us trip par...


is nayi baat ko sun in beete chaar dino me ye pehli baar tha jab ARIF ke face par ek halki si muskan jaagi thi par ye muskaan itni zyada negetive thi ki usse dekh MANGAL man hi man aur dar gaya tha..

gang ka ek aadmi jo touliya lekar khada tha,usse le apne badan ko pochte hue ek chair par baith gaya ARIF aur..


ARIF-us lounde ke saamne beech se faadunga mai us loundiya ko aur uske baad...

mujhe thappad maara tha us lounde ki MAA ne aur mere chehre par...

woh haalath kar dunga mai us lounde ki ke kutto ko bhi uska gosht khaane se ulti ho jaayegi...




NEXT DAY:-

PLACE-SHANSHASHI ASHRAM




1ST-"THE BODY IS YOUR TEMPLE. KEEP IT PURE AND CLEAN FOR THE SOUL TO RESIDE IN. –B.K.S IYENGAR"...

2ND-"YOU HAVE TO GROW FROM THE INSIDE OUT. NONE CAN TEACH YOU, NONE CAN MAKE YOU SPIRITUAL. THERE IS NO OTHER TEACHER BUT YOUR OWN SOUL. – SWAMI VIVEKANANDA

3RD-"LIVE QUIETLY IN THE MOMENT AND SEE THE BEAUTY OF ALL BEFORE YOU. THE FUTURE WILL TAKE CARE OF ITSELF…… ― PARAMAHANSA YOGANANDA....


in teen world renowned quotes ko joki saamne bade se wall par likhe hue the,padha SAM ne...

aaj ek overnight camping stay ke educational trip me par yahan as in old masoori road par bane SHANSHAHI ASHRAM aaye the SIRIUS ke senior batches..

ek alag hi tarah ka educational campaign tha ye jisme hamare desh ke do sabse prachin pehlu par practically participate karne ke liye laaya gaya tha students ko is gigantic ashram me...

khair,apni baat ko aage badhate hue...


SAM-yunhi toh in sabko legends nahi bolte.

ye wise words inki life ko lekar deep, positive aur valuable thinking bataate hain...


saath hi khadi puri group jisse bas SANVY hi nadarad tha,kahi thi ye baat SAM ne..


DIMPLE-true.par usse important question ye hai ki ye teeno qoutes hi kyun is wall par lage hain..

i mean,is pure ashram ke har wall par joki i think 100 se bhi zyada hain,sab par qoute hai par one per wall.

par yahan yog kaksh me face view wall par ek saath teen qoutes lage hain..kuch toh logic hoga..

NITS-arre bhai pehle ye AYURYOG camp ka logic samjhao.

matlab ayurveda samajh me aata hai,yog bhi pata hai par in dono shabdon ka cocktail kaahe banaya gaya hai...


YOG, DHYAAN AUR AAYURVEDIK GYAAN KE SANYOJAN KO AYURYOG KEHTE HAIN...

YOG KE AASANO KE ANDAR AYURVEDH KE CHIKITSA SIDHANTO KO LAAGU KARAYA JAATA HAI.YEH ADVITYA VYAKTI AUR PRAKRITI KE PAANCH TATWON PAR KENDRIT HOTA HAI...


KIRTI DESAI...1 saal senior thi ye.. hindi aur English,dono hi language me inki pakad next level ki thi..

SAM and group ke piche hi khadi thi KIRTI jinhone diya tha ye jawab jisse sun DIMPLE,RASHI aur KHANAK toh impress hui par baaki sab joki purane students the, mooh tedha ho chuka tha un sabka..

reason..

kabhi nahi bana tha KIRTI ka SAM ke group se aur khaaskar SANVY se..

apne batch ki topper hone ke saath saath kuch zyada hi niyamo ko maanana aur apne saath sabko un rules ko follow karwana ek non detachable aadat thi KIRTI ki.

par SAM & group aur khaaskar SANVY KIRTI ki soch se bilkul ulat the...

kayi baar free days me monitoring karne aayi thi KIRTI inki class me jahan apni masti aur free will attitude se dimag kharab kiya tha uska SAM & group ne...

upar se SANVY jisse gyan dena bhains ke aage bin bajaane ke jaisa hai,woh karne ki naakamiyab koshish ki thi KIRTI ne jiske baad uske hi gyan chakshayu khol diye the SANVY ne..

upar se jitni maar peet usne aur uske doston ne kiye hain,baaki sabki tarah KIRTI ko bhi khabar thi is baat ki isiliye zyada chidh thi usse is pure mandali se..

koi mouka nahi chhodti thi woh in sabko down dikhane ki.

in sabke maamle me khud apne discipline waala rule bhul jaaya karti hai woh..

jaante the baaki sab ki abhi bhi KIRTI aisa hi kuch karegi isiliye pasand nahi aaya tha kisiko uska bolna..


BOHOT ACHE...

ACHARYA PRATHAMESH....


SHANSHAHI ASHRAM ke sabse bade YOG guru the ye joki is waqt kuch aur yog gurus aur unke shishyon ke saath KIRTI ke just piche khade the..

aur unhe dekh SIRIUS ke sabhi students aur unke saath aaye teachers attention position me aa chuke the..

wahin apni baat bol thoda aur aage aaye PRATHAMESH aur..


PRATHAMESH-ek top convent school student ke liye ayuryog ke matlab ki itni vistarit jaankari rakhna wakayi badi baat hai..


EK TOP CONVENT STUDENT KE ITNE BADE AYURYOG GURU BANANE SE BADI BAAT TOH NAHI HO SAKTI...!!!


ACHARYA PRATHAMESH ki taarif par SAM and group ki taraf ghamand se dekh smile kar hi rahi thi KIRTI ki tabhi padi uske aur baaki sabke kaano me ye awaaz joki meri thi jisse sun jahan ek taraf teachers aur baaki sab ka mera yun acharya ki baat ko kaat beech me bolna kaafi shouk kar gaya tha wahin dusri taraf naa sirf KIRTI ki smile gayab hui balki mera yun interfere karna usse ghussa bhi dila gaya..


PRATHAMESH-SANVEER...kaise hain aap...???


aage badh pair chhua tha maine ACHARYA PRATHAMESH ka jispar bade sneh se mere sir par haath fera tha unhone..

par unke mere liye gesture ko dekh KIRTI ke saath saath baaki sab including mere friends bhi shocked hue the...

par dhyan na maine kisi par diya aur naahi ACHARYA PRATHAMESH ne..

mujhse bade sneh se milne ke baad mude woh mere doston ki taraf ya phir ye kahun ki new girl ki taraf aur...


PRATHAMESH-aapki soch aur sawal sahi the...kaaran hain in teen quotes ka is diwaar par hone ka...

par mai chahunga ki jisne is sawal ka jawab bin sawal puche hi pehli baar me de diya tha,woh aaj bhi de...


meri taraf dekhte hue kahi thi ye baat acharya ne jispar halka muskuraya mai aur...


ANJANEYASANA

ANJALI MUDRA

GARUDASANA


teeno quotes yog ke in teen asanas ko highlight karte hain..

pehla quote..


THE BODY IS YOUR TEMPLE. KEEP IT PURE AND CLEAN FOR THE SOUL TO RESIDE IN..

kisi mandir me bhagwan ke aage haath jodne ki tarah ANJANEYASANA asana me human creation ke sabse bade source as in SUN ki taraf pure sharir ko strech karkar haath upar ki aur kar joda jaata hai...

jaise quote me sharir ko swatch rakhne ki baat kahi gayi hai,theek waise hi is pose ke through hum apne heart ko unbind kar open karte hain taaki khudko us divine power ke saath AATMA tak connect kar saken..

second quote...

YOU HAVE TO GROW FROM INSIDE OUT. NONE CAN TEACH YOU, NONE CAN MAKE YOU SPIRITUAL. THERE IS NO OTHER TEACHER BUT YOUR OWN SO.

quote ki tarah isse juda aasan bhi kaafi simple hai...ANJALI MUDRA..

jaise quote ke anusar AATMA se bada koi teacher nahi,ussi tark par is mudra me haath jod antardhyan ho apni AATMA se juda jaata hai taaki us AATMA ke through hume banane waale ko is zindagi ke liye thanks kaha jaa sake,apni respect diya jaa sake aur ussi aatma ke through dil se hote hue us parmatma se aashish liya jaa sake...

teesra quote...

3RD-"LIVE QUIETLY IN THE MOMENT AND SEE THE BEAUTY OF ALL BEFORE YOU. THE FUTURE WILL TAKE CARE OF ITSELF……

thik is quote ki tarah GARUDASANA as in kisi eagle ki tarah tez nazar ka pratik maana jaata hai..

jaise ek garud ki nazar se kuch nahi chhupta waise hi is pose ke through hum apne antarman aur bahar har taraf saaf saaf dekhte hain..

saath hi saath is asana me garud ki hi tarah khudko earth aur spiritual plane ke beech udte hue mehsoos kar sakte hain...

jaise ek garudh aasmaan ki unchayi par jahan aur koi nahi hota,phir bhi shaant rehkar bas nazar rakhta hai,pure sayyam se theek waise hi GARUDASANA bhi hume patience aur focus sikhata hai jo hamari AATMA aur sharir ko ek karta hai...

ye teeno hi quotes jin teen aasan se jude hain,un sabme ek chiz common hai..

DIMPLE-AATMA..

MAI-right..aatma..aur wahi in teen asanas aur quotes ka base point hai..

to refine your soul..kyunki yahi woh tarika hota hai jo sabhi insaan ko in qoutes ko bolne waale mahan logon ki tarah sahi maayno me insaan banaye rakhta hai...


kuch dino pehle ATTITUDE class me mile topic par jo shayri boli thi new girl ne,usse hi ghumakar aakhir me bola tha maine jisse sun ek bright smile naach uthi thi uske face par jisne is jagmagate din ko bhi aur roshan kar diya tha..

waise ye brightness toh bas uski moujudgi se hi khil uthi thi...

is trip ka koi dress code nahi tha..sabne apni marzi ka pehna tha joki casual wear tha siway mere aur new girl ke..

jahan maine half sleeve shirt based white kurta pehna tha wahin new girl ne safed suit pehna hua tha..

khuda kasam,khud khubsoorati bhi itni khubsoorat nahi ho sakti jitni khubsoorat is hindustani paridhan me new girl lag rahi thi.

nazar uspar naa theher jaaye, isiliye ab tak hazar jatan kar chuka tha mai par ab jo muskurayi woh toh kuch palon tak lagatar usse dekhne ki gustakhi kar hi baitha mai..

wahin mere saare jawabon se super impressed new girl ki nazarein bhi waise toh mere liye taarif me chamak rahi thi par meri nazaron ki gustakhi shayad padh liya tha uski aankhon ne isiliye hi toh khabar tak na hui usse ki kab uski uthi hui taarif-e-nazar haya se neeche baith gayi...

ACHARYA-bilkul sahi..aur aap sabka aaj ka pehla karya yahi hai..

in quotes se jude teeno hi asanas ANJANEYASANA,ANJALI MUDRA aur GARUDASANA,in teen aasano ko yahan yog kaksh me practice karni hai aap sabko...

iske baad aashram ke pashchim me bane baag me jaana hoga aapko jahan aap sab aayurved ki jadi butiyon ka gyan lenge..

future me emergency situations ke waqt un jadibutiyon ka gyan bohot kaam aayega aapko..

par pehla kaam pehle...

10,10 ki line ke hisaab se khade ho jaayiye sab..


mats pehle hi lag chuke the jinpar acharya ji ke kahe mutabik agle 2 minutes me hum sab alag alag lines me khade ho chuke the..

last 3rd row me start se third position par mai khada ho chuka tha par aisa karne ke kuch pal baad thoda sa surprise mila tha mujhe.

aur woh isiliye kyunki new girl jisse hamesha first row me baithne ki aadat thi,woh aaj mere exact right side ke mat par khadi thi..

halke shock se dekha tha maine uski taraf.

mere shock ka kaaran pata tha new girl ko par shayad apni is harkat ka reason khud uske paas bhi nahi tha.

chehre par uske confusion is baat ki gawahi thi..

par apne is confusion bhare state me ek chiz par gour nahi kar paayi thi new girl...

KIRTI theek uske piche waale mat par khadi thi aur uske face par jo expression the,woh new girl ke liye positive nahi the..

darasal new girl ne jab se SIRIUS join kiya hai,uske past achievements ki wajah se kaafi popular hai woh.

upar se ATTITUDE class me uska debate performance bhi kaafi saraha jaa raha hai..

but most importantly,uski khubsoorati jiska diwana sirf hamare batch ka nahi balki har senior batch ka banda hai..

beauty with brains ka combo deadly bhi hota hai aur dusri ladkiyon ke man me paida hone waale jealousy ka kaaran bhi..

aur KEERTI bhi is feeling se acchuti nahi thi..

upar se aaj, kuch der pehle mere quotes defination ke baad AATMA waala jawab KIRTI deni waali thi par usse pehle hi new girl answer bol uthi thi jispar ACHARYAJI ki aankhon me uske attentiveness ko dekh prashansha thi..

ye KIRTI ke jealousy waali aag ko hawa dene ke liye kaafi thi..

kuch negetive karna chahti thi woh new girl ke saath aur isiliye hi uske piche khadi thi KIRTI...

khair,ACHARYA PRATHAMESH ke saath jo shishya the unke,unme se ek aage aaye aur sabse pehle ANJANEYASANA aur phir GARUDASANA karne ka tarika bataya hum sabko unhone..

kyunki ye dono hi aasan physically stretch hona demand karte the, isiliye khade aur kneel hokar hum sabne kiya tha in dono aasano ko..

par is beech bhi new girl joki ek gymnest thi,uski stretching baaki sabhi se behtar thi jisse dekh saamne hi khade ACHARYA PRATHAMESH ki aankhon me ek baar phir prashansha ke bhaav ujaagar ho gaye the..

KIRTI ne bhi dekha tha us bhaav ko jiske baad uska face thoda aur sakht ho chala tha...


ACHARYA-ANJALI MUDRA ke liye paalthi maar kar baithiye..

naabhi se lekar kanth tak ek seedh me sharir ko sthir kijiye..

netra band kar jo bhi aradhya hain aapke,sirf unhe yaad kijiye..

naa koi moh,na koi khawahish.koshish kijiye ki kisi bhi tarah ki bhaavna ka janm aapke mastishk me naa ho..


jaise hi us acharya ne apni baat khatm ki,sabhi students apne apne mat par baithne lage aur ye dekh KIRTI ke face par ek evil smile naach uthi..

usse ANJALI MUDRA aasan ko karne ke tarike ka pehle se hi andaza tha..

yahi wajah thi ki uska haath uske hand bag me jaa chuka tha aur jab woh haath bahar aaya toh uske beech ink ki ek choti si bottle thi...

unlike others, KIRTI ball pen se nahi balki ink pen se likhti thi isiliye ink ki choti bottle woh hamesha carry karti thi par aaj ye ink kuch aur kaam aane waala tha.

isse pehle ki new girl neeche baiththi, KIRTI ne haath me pakdi ink thoda aage jhukte hue uske mat par daal di par tabhi.....

new girl neeche baiththi, usse pehle hi kisike haath ne uske kamar ko gher liya tha.

ye mera haath tha...

isse pehle ki woh kuch samajh paati, usse lete hua naa mai sirf ghum gaya balki halka neeche hote hua mat palta diya tha maine....

ghumne ke beech mat par lagi ink dekh li thi new girl ne aur jab tak woh kuch kehti mai KIRTI ke saamne pahunch chuka tha....


MAI-khud ka daaman maila hai toh iska ye matlab nahi ki dusron ke kapdo ko ganda karo....

yaad rahe ki SANVEER ke frnz se bhidna matlab SANVEER se bhidna.....

aur SANVEER se bhidkar hota kya hai,iski khabar toh hogi hi tujhe....

and babes, don't even think to get extra credit of being the opposite gender....


KIRTI ke aankhon me jhaank kar kahi thi maine ye saari baat jiska matlab samajh and most importantly meri sacchayi bohot ache se jaanti thi woh..

isiliye bina palak jhapkaye chupchap sunti rahi meri baatein KIRTI..

agle hi pal mai apne mat par khada tha..is beech new girl ne suni thi meri aur KIRTI ki baat jispar sir shake karte hue smile karne lagi thi woh...

khair,ANJALI MUDRA start ho chuka tha jiske shuru hote hi sabki aankhein band ho chuki thi...

kuch students ka ek minute me, kuch ka 2, kuch ka teen minute me hi concentration jawab de gaya tha.

kuch hi students the jinhone ANJALI MUDRA ke dhyan awastha ke 5 minute cross kiye the..

in kuch students me SAM aur DIMPLE bhi the...

par ek time ke baad bache students ki aankhen bhi khuli jjske baad sabhi students apni apni jagah par khade ho gaye..


KIRTI-sir, SANVEER gayab hai..he left while everybody else was meditating..


ACHARYA kuch kehne hi waale the ki tabhi KIRTI ki baat sun DIMPLE aur baaki sab ka dhyan SANVEER jahan khada tha,us mat par gaya.

gayab tha woh wahan se...

ye dekh KIRTI ki baat par teachers kuch kehte par tabhi..


PRATHAMESH-SANVEER ko maine hi bheja hai kisi kaam se...


jahan ACHARYA PRATHAMESH ki baat sun teachers ke paas kuch kehne ko bacha nahi tha,KIRTI man masos kar reh gayi thi wahin DIMPLE ko ACHARYA ki baat sach nahi lagi thi..


ANJALI MUDRA ke beech SANVEER ko kaam se bhejna,logic jo nahi tha is baat me..


ACHARYA-aayiye,ab hum aushadhi baagh ki taraf jaayenge..

ashram ke uttar disha me bane ayurvedic medical plants ke garden ki taraf badh chale the sabhi students...

BRAMHI,CHIRAYATA,ADUSA,LAJOULI,KANTHKARI jaise aur bhi durlabh ayurvedic aushadhiyon ke poudhon se bhara pada tha ashram ka bada sa baagh..

un saare poudhon ke naam,unke goon khud ACHARYA PRATHAMESH ne bataya tha sabhi students ko...

waise toh english medium woh bhi SIRIUS jaise international school ke bacchon ke liye ayurvedic aushadhiyon ki shiskha lena boring hota hai par jis interesting tarike se ACHARYA PRATHAMESH ne saare students ko un aushadhiyon ki importance aur value bataya tha,kaafi focused hokar aur interest lekar suna tha sabhi ne us topic ko...

par is beech sabse zyada focused rehne waali DIMPLE ka dhyan kaafi bata hua tha..

baar baar uski nazar baagh ke entrance ki taraf ghoom rahi thi..

aisa nahi tha ki woh ACHARYA PRATHAMESH ki baat sun nahi rahi thi par dhyan uska bata hua sa tha..


PRATHAMESH-aaj ke liye itna hi..ummid hai ki hamare hi desh ki do prachin dharohar, ayurved aur yog ke baare me jaankar acha bhi laga hoga aur inki mahatvata ka bodh bhi hua hoga aap sabko...

aap sabke lunch ki vyavastha ashram ke udyan me ki gayi hai..

jaaiye aur bhojan kijiye.

apni hi tarah se class disperse kar diya tha ACHARYA PRATHAMESH ne jiske baad sabhi students standard lines ke accord baagh se nikalne lage..

SAM and group toh is pure douran saath hi tha jo ek dusre se baat karte hue aage badh chuke the.

DIMPLE bhi thi unke saath par kuch baat karni thi usse ACHARYA PRATHAMESH se isiliye baakiyon se dheere dheere alag ho gayi thi woh..

wahin ACHARYA PRATHAMESH apne shishyon ko kuch samjha rahe the jiske baad unke shishya ek disha ki taraf badh gaye..

akele the ACHARYA PRATHAMESH aur ye dekh DIMPLE turant badhi thi unke taraf..

is waqt peeth thi unki DIMPLE ki taraf..unke paas aakar rook gayi thi DIMPLE par kahe kya, yahi soch rahi thi woh...


PRATHAMESH-hriday ki vyagrata aksar dhyan bhatka deti hai..yog kaksh me aap jitni ekaagra thi,is baagh me utna hi vichlit tha aapka man...

kaaran SANVEER ki anupastithi toh nahi hai..!!! isiliye aayi ho aap yahan taaki jaan sako, aakhir hain kahan woh..

jo puchna chahti thi DIMPLE,woh pehle se hi jaante the ACHARYA PRATHAMESH...

unki baat sun man hi man hadbadayi woh par phir khudko shaant kiya usne.


DIMPLE-jee..aur yog class me aapne kaha tha ki aapne bheja hai usse kisi kaam se..!!!mujhe nahi lagta aisa kuch hai...!!!


DIMPLE ki baat sun uski taraf muskurate hue palte ACHARYA PRATHAMESH..


PRATHAMESH-kaaran..!!!jis kaaran se SANVEER yahan nahi hai,woh kaaran kisi bhi kaksha me rehne se zyada zaroori hai...

DIMPLE-mai samjhi nahi...

PRATHAMESH-saath aao...


ye bol ek dusri disha ki taraf badh gaye PRATHAMESH jinke piche piche DIMPLE bhi ho li thi...


DIMPLE-aap kaise jaante hain SANVY ko...???

baagh se nikal ek disha ki taraf badhne ke beech apne jigyasa se bhare man ka pehla sawal pucha tha DIMPLE ne ACHARYA PRATHAMESH se..


PRATHAMESH-ussi kaaran ki wajah se jahan hum abhi jaa rahe hain...

DIMPLE-yog ke beech woh chala gaya aur phir aushadhi baagh bhi nahi aaya woh,kya ye GALATH nahi laga aapko...

PRATHAMESH-jab kaaran sahi ho toh koi kadam GALATH nahi hota..

waise bhi, SANVEER ko is ashram ke har yog asana aur aushadhi ke baare me pehle se pata hai..

jo aap sabne aaj jaana,sikha,uska gyan SANVEER ko pehle se hai..

DIMPLE-aap kabse jaante hain usse...???

PRATHAMESH-7 mahine se...

DIMPLE-ghumne aaya tha woh yahan..???

PRATHAMESH-kisiki jaan bachane...

DIMPLE-matlab...!!!

PRATHAMESH-jawab saamne mil jaayega...


chalte hue ashram ke VRIDHA VAAS ki building ke paas pahunch chuke the ACHARYA PRATHAMESH aur DIMPLE..

apni baat keh us building ke saamne bane bade se gate ke andar chale gaye the PRATHAMESH jinka anusaran karte hue DIMPLE bhi aage badh chuki thi...

agle minute woh dono buildings ke andar the..kaafi saaf suthra aur sabhi zarooraton se bhara hua tha woh building..

is teen manzila building me rooms system the aur har room me kul 2 log rehte the...

300 se zyada buzurg rehte the is VRIDHA VAAS me... building ke entrance me hi ek chota sa mandir bana tha jiske baad gallery se hote hue rooms bane hue the..

dusri taraf ek bada sa garden tha jahan sabse zyada waqt beetate the saare buzurg..

par kyunki abhi dopahar ka waqt tha isiliye building me rehne waale saare log apne apne rooms me the...

khair, ACHARYA PRATHAMESH gallery me chalte hue left se last room ke khidki ke saamne rook gaye..

woh khidki khuli hui thi,uske bahar hi rook andar ka nazara dekh smile naach uthi thi unke face par..

same expressions DIMPLE ke face par bhi ubhre jab ACHARYA PRATHAMESH ke piche se saamne aate hue room ke andar ka scene dekha usne..

is waqt SANVEER ek bed par baitha hua tha..godh me uski ek budhi aurat thi joki so chuki thi ya phir te kehna sahi hoga ki unke safedh baalon ko sehlate hue SANVEER unhe sula chuka tha..

is scene ko dekh smile kar hi rahi thi new girl ki tabhi uske face se smile gayab ho gayi..

reason..

us budhi aurat ke baal ko sehlate waqt aankhen SANVY ki band thi par un band aankhon ke kinaaron se aansu ki ek ek lakeer neeche gir rahi thi..

SANVY ko aisa bhi dekhegi, kabhi nahi socha tha DIMPLE ne..

turant ghumi uski nazar PRATHAMESH ki taraf jo shayad pehle hi DIMPLE ki nazar aur sawal samajh chuke the..


PRATHAMESH-ASHA..ASHA KASHYAP naam hai us aurat ka...

2 saal pehle uske jawan bete aur bahu ki ek accident me death ho gayi thi..

mortgage loan tha sir par woh bhi bina insurance ke isiliye bik gaya inka ghar..

aur koi kareebi tha nahi inka par ek pehchaan waala tha jisne inhe yahan chhod diya...

ghar jaane ka gum bilkul nahi tha inhe par jawan bete aur bahu ki mout ne unhe maansik aaghat pahunchaya tha..

lagatar doure padte the inhe... aashram me upchaar kendra bhi hain jahan yurvedic upchaar ho raha tha inka par faayda kuch nahi ho raha tha..

jab koi aas paas nahi hota tha toh aashram se bhaag jaati thi ye..kayi baar accident ho chuka tha inka...

ek aur hone waala tha 7 mahine pehle...

SANVEER tha us car me..uski MAA chala rahi thi car jab ASHA achanak se hi unki car ke aage aa gayi..

par naa woh accident hua aur uske baad kabhi accident ki noubat aayi hi nahi..

car se nikal jab SANVEER bahar aaya toh ASHA ke dono haath thaame isne..

ADARSH....yahi naam tha ASHA ke bete ka..jaise hi SANVEER ne chhua inhe, SANVEER ko dekh ADARSH naam nikla tha inke mooh se..

SANVEER ke chehre ko pakad apne bete ka naam lete hue rone lagi thi ASHA.

aur ye baccha,bina kuch jaane hi jaise sab samajh gaya..

"MAA"...bas itna hi kaha tha isne ASHA se aur shayad itna hi kaafi tha.

agle hi pal ek aisi sukoon ki hawa chali ASHA ke dimag me ki woh SANVEER ke baahon me hi behosh ho gayi..

ASHA ke piche ASHRAM ke kuch log pahunche the wahan jinke saath yahan ashram me lekar aaya SANVEER ASHA ko...

jab hosh aaya ASHA ko toh uththe hi apne bete ka naam lekar chillane lagi thi ye par saamne SANVEER ko dekh naa sirf shaant ho gayi balki dedh saalon me pehli baar khul ke muskurayi thi ye...

SANVEER ke saath us muskaan ko pehli baar maine tab hi dekha tha..

us din se SANVEER har hafte aata hai yahan...aur jab bhi aata hai toh ASHA isse khudse door nahi hone deti..

isiliye hi yog kaksh se turant wapas yahan aaya tha ye...

pata hai,jab mujhe pata chala ki hua kya tha aur phir SANVEER ne mujhe bataya ki woh SIRIUS ka student hai toh chinta hui thi mujhe.

mujhe laga tha ki SANVEER yahan phir nahi aayega aur agar aisa hota toh ASHA ki haalath aur kharab ho jaati par aisa hua nahi..

pehle mahine SANVEER kisi bhi waqt roz aata tha yahan aur jab ASHA ki maansik haalath sahi hone lagi,uske baad se har hafte aata hai ye yahan..

aur sabse achi baat ye hai ki iske yahan aane ka kaaran zimmedari nahi balki prem hai...

woh prem jo samajh aa jaaye toh usse saral koi bhavna nahi aur jo na samajh aaye toh usse jatil bhi aur kuch nahi..


ye line DIMPLE ke liye kahi thi ACHARYA ne par dhyan is waqt DIMPLE ka SANVEER par hi tha jo filhal bed se uth chuka tha aur apni us dharm MAA ASHA ko blanket odha raha tha..


ACHARYA PRATHAMESH-chalna chahiye hume...tumhe yahan dekhna shayad SANVEER ko acha na lage..


ACHARYA ki baat sun unke saath ho li thi DIMPLE..

kuch hi der me us VRIDHA VAAS ki building se nikal jahan SIRIUS students ke lunch ready kiya gaya tha,us disha ki taraf badh chale the woh dono.

par is dauran bohot shaant ho kuch soch rahi thi DIMPLE jisse dekh..


PRATHAMESH-kya soch rahi ho..???kya koi sawal reh gaya..!!!

DIMPLE-sawal hai par abhi abhi bana hai.!!!

PRATHAMESH-kya..??

DIMPLE-yahi ki humanity ko agar lekar chalen toh SANVY ne jo kiya woh bohot sahi hain par jaise woh abhi tha un lady ke liye,it was like ki woh wakayi MAA hon uski..

joki hai nahi..apni MOM ke liye dikhaane waale devotion woh kisi aur ki MOM ke liye show kar raha hai..!!!kaise..???

HAHAHAHA..


has pade the ACHARYA PRATHAMESH DIMPLE ke sawal par jisse dekh..


DIMPLE-kya kuch GALATH kaha maine..??

PRATHAMESH-bilkul nahi..tumne wahi sawal pucha jo SANVEER ko ASHA ke liye lagatar karta dekh kabhi mere ek shishya ne usse pucha tha..

DIMPLE-toh kya jawab diya tha phir SANVEER ne...???


DIMPLE ki baat sun ACHARYA PRATHAMESH jaise us pal me chale gaye the jab SANVEER ne apna jawab diya tha.

aur us jawab ko yaad kar unke face par apne aap hi SANVEER ke liye sneh aur samman ke bhaav ek saath jaagrit ho gaye the..

us pure jawab ko kuch yun yaad kiya PRATHAMESH ne maano agar us answer ko waise naa diya unhone jaisa SANVEER ne diya tha, toh un shabdon aur un shabdon ke piche chhupe bhaavnaon ka kahin apmaan ho jaayega...

jawab yaad kar ek lambi saans chhodi unhone aur...


PRATHAMESH-




MAA TOH BAS MAA HOTI HAI....

zindagi ke kadwe ghoont nigal hume chashni ki sharbat PILAATI HAI...

ek haath se thappad maar dusre haath se roti KHILAATI HAI...

dil chhalni bhi kyun naa ho raha ho,bas hamari khaatir MUSKURAATI HAI...

haasil kuch nahi hota par hum par apni duniya LUTAATI HAI...


apne hisse ki khushi dekar humare hisse ke aansu ROTI HAI...

kaise karun fark dharti ke KHUDA me,

kisi ki bhi ho,MAA TOH BAS MAA HOTI HAI....


pyar jo ek sa hai,usme bhedh DIKHAUN toh DIKHAUN KAISE.??

jab mamta ka roop hi ek hai phir fark SAMJHAUN toh SAMJHAUN KAISE.??

jis naam ka paryaya bana nahi,usse alag BULAAUN toh BULAAUN KAISE.??

jiske kadmo me hi jannat hai,uske sir-e-mukaam ka andaza LAGAAUN toh LAGAAUN KAISE.??


jo hamare jaagne se pehle jaagti hai aur hamare sone ke baad SOTI HAI...

hum hamesha haste rahe,iske liye jo khud ki saari khushiyan KHOTI HAI...

yahi bas ek rishta hai jiske liye rishte ki zaroorat nahi..

kyunki kisi ki bhi ho,MAA TOH BAS MAA HOTI HAI...










AAJ KE LIYE ITNA HI...







AAPKA APNA V...J...
Awesome update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MANGAL ARIF REZA KO SANVY AUR DIMPLE KE MASOORIE ME HONE KI KHABAR DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF DIMPLE KO ASHRAM ME SANVY KE EK AUR ROOP KE BAARE ME PATA CHALTA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-50

(part 1)


6TH JULY


CITY-MASOORIE

PLACE-THE ROFT BASEMENT






BHAI....


apne revolving chair par baitha ARIF REZA aankhen band kar kuch soch hi raha tha ki tabhi uske kaano me MANGAL ki awaaz padi...


ARIF-kahan halt hain SIRIUS waalon ka???


SIRIUS ke overnight camping trip ka exact schedule pata karne bheja tha ARIF ne MANGAL ko..

jaanta tha woh ki ussi ki khabar lekar aaya hoga woh joki sach hi tha...


MANGAL-bhai jharipani gaanv ke piche waale jungle me jo MOSSY FALLS hai naa,wahin lagaya hai SIRIUS waalon ne camp...


MANGAL ki baat sun ek jhatke me khuli thi ARIF ki aankhein.

itna hi nahi, camping ki jagah ke baare me sun aankhen chamakne lagi thi uski...

joki laazmi bhi tha..jharipani gaanv ke uttari disha ki taraf dense forest ke andar bane ek khuli jagah par tha MOSSY FALLS..

waise toh ye fall bhi kaafi popular tourist attraction spot tha par jungle ke beech hone ke kaaran log yahan big numbers me hi aaya karte the..

waise toh naturally koi danger nahi tha us jagah par lekin agar wahan koi attack kare toh bachne ke chances naa ke barabar hone waale the...

upar se camping kar rahe the students jiska matlab hai late night apne apne groups ke saath jharne ke ird gird jungle ke alag alag spots me born fire karenge woh sab jo ARIF ke liye ek plus point tha..

ARIF ke face par dikhne waali smile in saare positives se hi aaya tha jisse MANGAL bhi samajh gaya tha..


MANGAL-sach me bhai...isse sahi time aur kuch ho hi nahi sakta...

apne saare bando ke saath raat ko ghuste hain jungle me aur sabke beech se uthathe hai us lounde aur loundiya ko...

ARIF-galti karna GALATH nahi par galti dohrane se zyada aur kuch GALATH nahi..

hafta theek se guzra nahi aur tu bhul gaya tunnel me kya hua tha...

achanak tunnel me pahunchne ko us rider ne ittefaq bataya tha jo ho nahi sakta...

theek tabhi pahuncha tha woh jab mai us VERONICA par haath daalne waala tha...

kaboola usne ki mera bhai uske hi haathon maara gaya tha par us waqt bhi woh VERONICA involved thi..

directly nahi par apne bete ke through toh thi hi..

is baat ke chances bohot zyada hain ki us rider ki nazar ab bhi us lounde par hogi...

aur agar sidhe sidhe humne haath daala us lounde par toh fas sakte hain hum..

MANGAL-toh bhai,kya karen phir...???

ARIF-niptayenge toh aaj raat hi us lounde ko par sidhe nahi gherkar...

in saari baaton ke beech kuch soch raha tha ARIF jiske baad...

ARIF-detail puri nikaali hai naa tune us lounde ki...!!!

MANGAL-jee bhai...

ARIF-uska sabse khaas dost kaun hai..???

MANGAL-2 ladke hain bhai..NITENDRA aur SONU... ussiki class ke hain..

par bhai ek ladki bhi hai jo bohot kareeb hai uske...kya naam tha,haan ANJALI naam hai uska..woh bhi kadak maal hai bhai..

ussiki class me hai..


is nayi baat ko jaan ek baar phirse aankhein chamak uthi thi ARIF ki jiske baad...


ARIF-ANJALI!!!ab ye hui naa baat...

ek taraf DIMPLE,dusri taraf ANJALI,ek waqt me dono ko koi kaise BACHAYEGA...???

agar unhe bachane waale hue bhi toh bhatak jaayenge aur lounda,woh fas JAAYEGA...



CITY-DEHRADUN

PLACE-UNKNOWN




HMM..THE PICTURE QUALITY IS GOOD...UMMID HAI NIGHT VISION BHI CLEAR HI AAYEGA...

ek unknown bunker ke andar sofe par baithi thi VERONICA..

aur saamne bane 100 moniter screen me dikh rahe ek nazare ko dekh apni pratikiriya di thi usne..

wahin RANJANA MATTHEWS jo us moniter ke saamne bane key board se scene set up kar rahi thi,set up complete kar woh bhi VERONICA ke paas aakar baith gayi...

RANJANA-blink XT ka modified version hai ye camara with infrared night vision..dark se dark movement ko bhi enhance kar kaafi clearly show karega..

upar se 100 strong routers ke merged connectivity ke saath yahan tak ka range cover kar raha hai isiliye ek second ka bhi view miss nahi hoga..

VERONICA-nice..waise total kitne camaras lagaye hain and what about the location and placement..

RANJANA-40 camaras install kiye hain and dont worry about the location..

colour black hai har camara ka aur trees ke dense part me installed hai sab..

kisiki nazar unpar jaa hi nahi sakti..

ab aapke sawal pure ho gaye hon toh mai kuch puchun...!!!

VERONICA-yahi puchna hai naa ki how am i sure ki ARIF aaj hi ka din chunega SANVY ko target karne ke liye..!!!

aur ussi jagah par karega jahan maine tumse camaras install karwaye hain...

RANJANA-yup...

VERONICA-shikaar karne ka maza tab hi hai jab shikaar khule me ho..

jahan shikaar bhaag toh paaye par usse pakda jaa sake..

jahan waqt aur involvement ki gunjaiyish kam se kam ho..

aur in conditions ke hisaab se aaj se better time aur jagah,dono hi nahi milega ARIF ko...

RANJANA-hmm...jo us din tunnel me hua, uske baad extra cautious hoga ARIF...

he will be armed and this time,he will bring the a lot of people with him..

saath hi saath pichli baar se lesson le aaj kuch plan banakar aayega woh SANVY ke piche...

don't you think SANVY ko bhi tumhe koi na koi hint de dena chahiye tha..

it can get very dangerous for him tonight and the people around him..

i dont think ki kamsekam physically toh utne saare logon ko handle karne ke liye capable hua hai SANVY...

VERONICA-capable..you know,SANVY ke maamle me bas ye ek hi shabd hai jisse mai bhi darti hun..

kitna capable hai woh,even i cannot predict...

haan ARIF armed hoga par "jisse goli ki raftar ka andaza ho, woh bandhook se ghabraya nahi karte"...

aur haan uske paas kaafi man power hogi par"jung TAADAAD se nahi balki bas us ek AGHAAATH se jeeta jaata hai jo lage ek ko par taash ki tarah bikhar sab jaayen"...

ab dekhna ye hai ki mera beta aaj sirf haath pair chalata hai ya woh dimag jiske baad zyada haath pair chalane ki zaroorat hi naa pade...




PLACE-MOSSY FALLS....




KUCH HUA HAI KYA TUMHARE AUR SANVY KE BEECH..???


apne tent me final nail maarne ke baad DIMPLE joki ek chair par baith saamne dekh black tea pee rahi thi,uske paas jaa pucha tha ye sawal SAM ne jispar halki hadbada gayi woh...

par us hadbadahat ko chehre par aane nahi diya usne..


DIMPLE-aisa kyun laga tumhe...???

SAM-mujhe..!!!sabhi ko lag raha hai aisa... educational trip par hain hum par tum jisse kisi bhi educational topic par extra attentive hone ki aadat hai, morning se shaam ho gayi infact dhal gayi par sabse zyada distracted tum hi lag rahi ho..

hamare group se bhi alag alag rahi ho tum saara waqt...

pure din tumhari nazar baar baar sirf SANVY par hi theher rahi hai...

par uske paas jaane ke bajaye bas door se hi dekh rahi ho usse tum...

abhi bhi tum usse hi dekh rahi thi..

so,is everything alright...!!!

DIMPLE-group se alag toh pure din SANVY bhi raha hai..

infact ashram aate hi alag ho gaya tha woh sabse... aur aashram se nikalne ke baad bhi kuch ghante gayab raha tha woh..

abhi bhi baaki sab yahan tents laga rahe hain, waterfall dekh rahe hain par woh udhar fall ke edge par khada pattharon ke beech pata nahi kya dhund raha hai..

in sab par kisine sawal kiya usse..!!!

SAM-hahaha...tum new ho is group me DIMPLE warna ye saare sawal nahi puchti...

pehle bhi kaha hai maine ki SANVY has many shades and every shade is unpredictable..

ACHARYA PRATHAMESH jaise renowned shaksh pehle se jaante hain usse, woh bhi itne friendly way me...ye toh hum mese koi bhi nahi jaanta tha..

par us angle ke hisaab se ashram me bhi kaafi baar aaya hoga woh..

kuch connection bane honge wahan.. shayad aise hi kisi connection ke paas chala gaya hoga woh..

aur rahi baat yahan uske alag ghumne ki toh woh shuru se aisa hi hai..

pehla camp nahi hai ye hamara..par jab bhi nature ki godh me camping ki hai humne,us jagah me milne waali rare chizen dhundne ki aadat rahi hai usse...

i am sure ki abhi bhi wahi kar raha hai woh..


SAM ke jawabon ko sun SANVY ko dekhte hue jo waterfall ke left edge par bane ek chattan par baitha hua tha, dekhne lagi thi usse DIMPLE...


SAM-now your turn...

DIMPLE-koi issue nahi hai...me and SANVY are good..woh toh bas jaise tumne kaha ki he is unpredictable,ussike baare me soch rahi thi mai..

SAM-morning se woh bhi aise ki tumhara khud par focus kam ho gaya...

DIMPLE-classes se zyada tough aur interesting study toh ye ladka hi hai...

kab kya kar de, kaise kar de,koi nahi jaanta.. kabhi lagta hai ordinary se bhi zyada aam hai, kabhi annoyingly irritating lagta hai par kabhi kabhi itna zyada intellectual jiske aage genius bhi average lage...

ANJALI-well that's SANVY for you...bas saath raho aur khush raho.. jahan usse samajhne ki koshish ki toh khud ke baare me bhi bhul jaaoge...


DIMPLE ke baaton ke dauran uske aur SAM ke paas pahunch gayi thi ANJALI jisne DIMPLE ki saari baat sun apni raay di jispar has pade SAM aur DIMPLE..


ANJALI-yaar SAM,chal naa zara..born fire jalana hai aur ye sab nitthale pichle 10 minute se bas time paas hi kiye jaa rahe hain..

ek lakdi bhi naa jal rahi un sabse..


ladko ka ek group jinhone ek badi aur heavy born fire wood taiyar ki thi,usse jala nahi paa rahe the woh sab..


SAM-chal...you coming...!!!

DIMPLE-you guyz carry on..aati hun mai...


jahan ek taraf SAM aur ANJALI born fire ki taraf nikal pade wahin ek baar SANVY ko dekh ussiki taraf apne kadam badha diye DIMPLE ne...


DIMPLE-can i also sit here...

MAI-sure...


chattan ke left edge par hi baitha tha mai ko tabhi mere baaju me aakar khadu hui new girl ko dekh right ki taraf khisakta chala gaya mai jiske baad mere baaju me baith gayi woh...


DIMPLE-SAM bata raha tha ki kisi bhi nature oriented place me wahan moujud rare chizon ko dhundne ka shouk hai tumhe..

aur ye bhi suna hai maine ki herbs ke baare me achi khaasi knowledge hai tumhe...

toh yahan kuch mila tumhe..!!!

MAI-pehli baat ke aage SAM lagaya tumne par dusri baat ka adhaar nahi bataya...


meri baat par ek pal dekha new girl ne mujhe par nazar meri saamne hi thi...


DIMPLE-ACHARYA PRATHAMESH ne bataya tha mujhe,class ke baad...

MAI-kyun...???

DIMPLE-kyun matlab..!!!

MAI-bohot se sawal hote hai is KYUN ke piche..!!!

DIMPLE-jaise ki..!!!

MAI-jaise ki KYUN batana padha unhe...koi toh sawal kiya hoga na tumne unse...

DIMPLE-haan,tum ashram ke kisi bhi department me nahi dikhe the jiska reason pucha tha maine unse..

tab baaton baaton me bataya tha unhone ki you have a good knowledge about herbs...

MAI-hmm..KYUN dhund rahi thi tum mujhe i mean specifically mujhe...

DIMPLE-aisa nahi hai...tumhari jagah group ka koi aur bhi yun missing hota toh puchti mai..

MAI-aur jawab milne ke baad,you would have moved on with your work... right...!!

DIMPLE-ofcourse...

MAI-phir bhi ACHARYA PRATHAMESH ke saath VRIDHA VAAS,room number 20 ki khidki ke bahar khadi thi tum...

again KYUN...!!


meri aakhri baat sun jo hadbadahat uthi thi new girl ke man me usse chehre par aane se rok nahi paayi thi woh...

nazar halki neechi ho gayi thi uski jispar..


MAI-jo dikhayi tumne woh jigyasa thi aur jigyasa rakhna kabhi GALATH nahi hota..

haan,us jigyasa ka kaaran khudko pata hona zaroori hai...

i hope jo bhi tum jaanana chahti thi,usse jaanane ke piche ka sabse zaroori prashnavaachi shabd aur us shabd se judi bhaavna ke baare me pata hai tumhe..KYUN....


KYUN....wakayi ye ek shabd ka sawal aur sawal se judi bhaavna naa samajh paayi thi DIMPLE ab tak..

KYUN subah se dhund rahi thi uski aankhein SANVY ko...choti ho ya badi, apni har ladhaayi khud ladhne ki aadat hai usse.

madad ke liye bhi kisika interference pasand nahi DIMPLE ko par aaj morning me KYUN yog class ke waqt jab KIRTI ne ink spill ki uske mat par toh SANVY ke us point me kiye dakhal ka bura nahi laga tha usse...

KYUN ACHARYA PRATHAMESH se SANVY ke baare me jaanane ke liye bechain thi woh aur jab mil gaya usse uske puche sawalon ka jawab toh khatm hone ke bajaaye KYUN aur badh gayi thi uske man ki bechaini...

aur VRIDHA VAAS me jo kuch dekha usne,jo kuch jaana uske baad se hi KYUN uski aankhein bina uski ijazat sirf SANVY ko dekhna chahti thi..

itne der tak sabar karne ke baad aakhirkaar KYUN woh SANVY ke paas aane se rok nahi paayi..

KYUN...???KYUN ka kaaran clear nahi tha DIMPLE ko aur isiliye man ki bechaini face par dikhne lagi thi uske..

mai kaise dekh sakta tha uske face ki tention isiliye...


MAI-SPRAY CLIFF PLANTS... aise hi waterfalls ke paas ugne waali herbal plant hote hain ye..

waise hi kisi plant ko dhund raha tha yahan mai...


meri baat se apni soch aur man ki unrecognised bechaini se bahar aayi new girl.


DIMPLE-SPRAY CLIFF PLANTS..ye unhi medical plants ko bolte hain naa jo waterfall ke paas ya river banks me paaye jaate hain jinpar water ki continous spraying hoti hai..

MAI-right.. continous water spraying se pehle se hi herbally rich plants me endophytes as in micro organisms jinhe yahan PAADPI bolte hain, paida hote hain jo un plants ko pure herb me convert kar dete hsin..

DIMPLE-nice..toh mila kuch..!!

MAI-new girl ka sawal khatm hua hi tha ki ek chote se poudhe jiska stem toda tha maine,usse new girl ki taraf kar diya jisse hold kar liya usne aur bade gour se us chote se poudhe ke bhaag ko dekhne lagi woh..

mongre ki hi tarah par halke pink tarah ke chote chote phool uge hue the us stem par jinke ird gird patle patle patte nikle hue the...


DIMPLE-kya bolte hain is poudhe ko...

MAI-BOYKINIA ACONITIFOLIA... globally yahi bulaate hain inhe...

aur ye lage hain inme endophytes..


un light pinkish flowers ko ulat unke neeche ke bhaag ko dikhaya maine jahan bhoore rang ke un endophytes naamak micro organisms lage hue the..


DIMPLE-what does this plant cure...???

MAI-it helps with a lot of viruses..

maleria, bacterial and fungal diseases and even skin cancer...

DIMPLE-wow....


ek pal aur us plant ko dekhne ke baad mujhe dhyan se dekhne lagi thi new girl...


MAI-what..!!!

DIMPLE-who are you...???

MAI-woh soch jo kisi bhi soch ko sochne par majboor kar de..


masti me halka new girl ki taraf jhukte hue kahi thi maine ye baat par uske facial expressions ko change nahi kar paaya mai..

ektak mujhe dekh hi rahi thi woh par kyunki ye pehli baar tha jab new girl aur mai yun akele aas paas baithe the aur hamare chehre thode aur kareeb the,uske beintahan khubsoorat chehre ko bade dhyan se dekh nahi balki mehsoos kar paa raha tha mai..

aur kyunki jharne ke kareeb the hum jahan girte paani se banane waala dabaav hawa ko thoda tez bahata tha,us thande hawa ke saath new girl ke garm saanson ki mehek bhi mere chehre par padh rahi thi...

chehra mera bhi saamanya bana hua tha par us thandi hawa me lipte garm saanson ka asar kuch zyada hi gehra hu utar raha tha mere seene me...

aur us asar ka pratibimb meri aankhon me shayad dikhne laga tha..

yahi wajah thi ki mujhe ek tak dekh rahi new girl ke face par haya ki woh laali panapne lagi jiska andaza ek baar phir usse nahi hua...

sawal,jigyasa aur taarif ke mishrit bhaav se bhara uska rukhsaar ek pal me sharm ke us shringar se bhar utha tha jiske chadhne ke baad hi shayad kisine ladki ki tulna chaand se ki hogi..

pasand toh bohot aaya tha mujhe uske chehre ka ye bhaav par maalum tha mujhe ki ye bhaav new girl ke liye naya hai..

par taklif ye thi ki dimag mujhe zaroor uthana chahta tha par dil mera yahan se uthne ko taiyar nahi tha..


BEEP..BEEP....BEEP....BEEP...

mere haath me bandhe smart watch ka hour reminder baj utha tha jisne ek taraf new girl ke bhaav turant badal diye aur dusri taraf mai bhi apne watch me jispar is waqt 7 baj rahe the, dekhte hue khada ho chuka tha...


MAI-chalen...dinner ki responsibility students ne li hai..

baaki sab uske prep ke liye kuch na kuch kaam kar rahe hain,bas hum dono hi velle baithe chill kar rahe hain...

mouka mil jaayega phirse miss KIRTI ko taunt maarne ka...

DIMPLE-mujhe toh laga tha ki woh darti hai tumse..

MAI-jo GALATH hon,woh har SAHI se darte hain..

but the thing is ki uske dare thobde se mujhe constipation hoti hai jo raat ke waqt theek nahi...

hahahaha....


shaam dhal chuki thi.. andhere ne har taraf apni baahein faila li thi par new girl ki is khilkhilati smile ne jaise kuch palon ke liye har dark ko bright kar diya tha...

wahin apni baat bol mai piche ki taraf jump laga born fire ke taraf badh chuka tha aur mujhe piche se haste hue jaata dekh sir shake kiya new girl ne aur chattan se utar woh bhi meri disha me holi thi..

aur is pure dauran bas ek hi shabd nikla tha uske zubaan se...


DIMPLE-"JHALLA"...




JHARIPANI JUNGLE:-




BHAI,LADKO NE PURA JUNGLE CHECK KAR LIYA HAI, KAHIN BHI KOI AUR NAHI HAI..

BAS SIRIUS KE STUDENTS AUR TEACHERS HI HAIN IDHAR...


phone ke dusri taraf moujud ARIF REZA ko current situation bataya tha MANGAL ne..

aaj subah se hi SIRIUS ke students ke aas paas ghum rahe the ARIF ke bande..

yahan camp area me un sabke aane ke saath hi woh sab bhi ek distance maintain kar pahunche the aur aisa karne ke turant baad jaisa ARIF ne karne ko kaha tha,kiya tha MANGAL ne..

apne bando se pure jungle ko check karwaya tha usne...

Tunnel waale unknown rider aur uske logon ka dar jo tha ARIF ko par ab jo MANGAL ne kaha,usse sun khush toh hua hi woh par saath hi hairan bhi..

ARIF ko pura yakin tha ki VERONICA ki tarah uske ladke ko bhi protection zaroor mili hogi...

isiliye hi 50 se zyada armed bande bheje the usne MANGAL ke saath...


ARIF-theek se check kiya hai naa..!!!jo banda ek 25 feet chowdi jagah aur 24/7 active c.c.t.v camara se khudko chhupa sakta hai usse pure jungle me khudko aur apne logon ko chhupaye rakhna koi badi baat nahi hai..


MANGAL-baat bilkul sahi hai bhai aapki par mai guarantee deta hun ki aur koi bhi yahan jungle ke aas paas toh chhodiye door door tak nahi hai...

ye jungle ghana nahi hai bhai,upar se zyada bada bhi nahi hai...

din me aaye the hum sab idhar..

yahan khudko chhuppaye rakhna woh bhi 50 logon se naamumkin hai...

3 round laga chuke hain saare bande par koi nahi dikha kisiko..

abhi bhi 20 bando ko jungle ke saare borders par hi lagaya hain maine taaki agar koi aaye toh pata chal jaaye mujhe...


ARIF-aa raha hun mai...


MANGAL ki saari baaton ko sun chain aur content bhari saans chhodi thi ARIF ne jiske baad uske zehen me bas DIMPLE ka husn aur VERONICA ne jo kiya,uska badla hi chalne laga tha..

zyada door nahi tha woh is waqt jungle se aur ab MANGAL ke through situation jaan sabr nahi ho raha tha usse...

wahin ARIF ki baat ke beech thodi door se ek banda apni taraf aata dikha MANGAL ko..

ek pal ke liye satark hua woh par phir at ease ho gaya.

ussika ek banda tha ye jisse khaaskar bas ANJALI ke upar nazar rakhne ka kaam soumpa gaya tha...

MANGAL ke kareeb pahunch uske free kaan me kuch kaha usne jisse sun..


MANGAL-aaiye bhai...aate hi chaara ready milega aapko..


jahan MANGAL ki baat ka matlab samajh ek kamini hasi ke saath phone rakh diya ARIF ne wahin woh banda abhi abhi koi khabar di thi MANGAL ko,apne kuch saathiyon ke saath uske piche ek disha ki taraf ho liya woh...




PLACE-NEAR UP HILL WATERS




YAAR ANJALI,YAHIN HALKI HO JAA NAA...


camp area se lagbhag 100 metres door aa chuke the ANJALI aur 2 girls...

un 2 girls me se ek ne kahi thi ye baat joki laazmi bhi thi..

raat ka waqt tha isiliye yun jungle me chalna halka dara tha usse aur uske saath aayi ladki ko..


ANJALI-arre darne ki kya baat hai.. chandni raat hai,the view us clear..

and babes hamare school ke ladke bhi kuch kam kameene nahi hai...

koi piche aaya ho aur hum idhar hi pee karne baith gaye toh yahan trees ki aad se hamari pics badi asaani se lega koi bhi..

isiliye UP HILL hi chalte hain..

(NOTE:-UP HILL WATERS..ek slang interpretation combined word hai ye... water falls ke us upari area ko jahan se neeche tez bahav ke saath girte paani ke gehre hone ki wajah se tourist attraction nahi rehta,us hill point ko kehte hain UP HILL WATERS...)


ANJALI-waise bhi we are not far..woh bushes ke piche hi hai yahan ke UP HILL WATERS..


ek taraf ungli dikha kahi thi ye baat ANJALI ne.

ab haan chandni raat thi isiliye view zaroor clear tha par saath hi saath ye night view kuch normal chizon ko dangerous bhi bana raha tha jaise ki woh bushes jinki taraf point out kiya tha ANJALI ne...

bade gigantic aur darawane lag rahe the woh bushes jinhe dekh un dono ladkiyon ka confidence aur neeche ho gaya..


2ND-yaar ANJALI yahin pee kar lete hain naa...koi follow nahi kar raha hume..

1ST-haan yaar..camp area se itni door aana,i don't think it's safe...

ANJALI-arre bewajah dar.......


piche palaththe hue apni baat ko beech me hi rokna pada tha ANJALI ko..

REASON...


JAB DOST SAHI SALAH DE TOH MAAN LENI CHAHIYE..


apni baat ke beech ek aadmi jiske side me ek aur aadmi tha,un dono ne uski dono friends ke mooh par rumaal lagaya hua tha jiske baad khade khade hi behosh ho neeche ludakh chuke the woh dono..

un do bando ke piche 3 bande aur the jinme se ek ne jhuk kar dono ladkiyon ki saansein check ki..


1ST-tention naa lo MANGAL bhai...roz ka hai apna..

halka sa hi chloroform ragda tha rumaal par..kuch nahi hoga inhe..ghante do ghante tak hi behosh rahengi dono loundiya...


us aadmi ke baaton ke beech ANJALI jiske face par shocking expressions the, woh dheere dheere side ho rahi thi par MANGAL ki chaaron saathi attentive the isiliye un sabne bhi turant failte hue block kiya ANJALI ka rasta...

ANJALI samajh chuki thi ki woh camp waali jagah ki taraf bhaag nahi sakti thi.

HILL POINT ke behadh paas thi woh jahan paani ka tez shor tha..

camp zone bhi ab 120 se zyada door tha isiliye uske chillane ka bhi koi faayda hona tha nahi..

isiliye apna ek maatra option jo abhi ke liye sahi laga usko,hill point water ki taraf palath bushes ki taraf bhaag padi woh aur ye dekh MANGAL aur uske chaar saathi bhi uske piche doud pade..

kuch hi palon me ANJALI aur uske piche piche MANGAL aur uske saath bushes paar kar uske piche bane chattan jispar water flow hote hue neeche gir raha tha,wahan pahunch chuke the..

un pattharon ke ek edge par jo thoda upar tha aur isiliye water flow us point par behadh kam tha ,khadi thi ANJALI jisse dekh has pade woh paanchon ke paanchon..


ANJALI-who the hell are you...!!! aur mere frnz ko behosh kar mujhe yun surround karne ka kya matlab..!!

waqt hai abhi bhi,nikal lo chupchap warna..

1ST-ohohohoho... wakayi bhai..jitni kadak maal hai,zubaan bhi utni hi tikhi hai...

maza aayega is laal mirch ko chakhne me..

MANGAL-rook be... chakh lena jitna man kare par pehle plan aage badh jaane de...

ANJALI-plan...???kya plan...!!!

2ND-wahi plan jiske kaaran tujhe yahan ghera hai humne... aur tu plan ki nahi plan pura hone ke baad jo hoga,uski fikr kar kyunki...





ab se tere saath hum sabki kayi raatein RANGEEN HONGE...

tere honth ki chashni se meethe toh kabhi tere pasine se humare jeebh NAMKEEN HONGE...

tu jisme fasi hai abhi woh kaanta nahi teer hai..

jo chala bhale hi tujhpar hai par shikaar ek ya do nahi balki TEEN HONGE...



(THE NIGHT CONTINOUS)








AAJ KE LIYE ITNA HI...








AAPKA APNA V...J...
Awesome update bhai
 

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RANJANA MATTHEWS JHARIPANI JUNGLE KE BOHOT SE TREES ME CAMERA LAGA DETI HAI,DUSRI TARAF MOSSY FALLS ME DIMPLE SANVEER KO THODA AUR CLOSELY JAANTI HAI WAHIN TEESRI TARAF UP HILL WATERS PAR ANJALI KO MANGAL AUR USKE CHAAR SAATHI GHER LETE HAIN.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-51(part 2)

THE NIGHT CONTINOUS


VILLAGE-JHARIPANI

PLACE-HILL TOP WATERS...




BHAI,LOUNDIYA FAS GAYI HAI...


HILL TOP point ke edge par ANJALI ko fasaane ke baad turant call lagaya tha MANGAL ne ARIF ko..


ARIF-uske saath jo ladkiyan thi, unka kya kiya...!!!!

MANGAL-unhe behosh kar diya hai bhai...camp area se thodi door hi giri padi hain woh.

hatana hai kya unko wahan se..!!!

ARIF-bilkul nahi..camp zone se teen teen loundiyan gayab hain...jald hi school waale niklenge unhe dhundne aur jab woh do ladkiyan behosh milengi toh bhagdad machegi un sabke beech...

aur woh bhaagdoud zaroori hai...

MANGAL-samajh gaya bhai..

ARIF-pakde raho us loundiya ko par kuch ulta sidha mat kar dena be..

kamsekam mere us ladke aur ladki ko niptaate tak..

MANGAL-jee bhai..

AADMI 2-aatma hatya karna hai toh kood jaa phir...


phone kaata hi tha MANGAL ne toh paaya ki ANJALI piche waterfall ke neeche us chhoti si 20 se 30 feet ke straight dhalaan ko jhaank rahi hai..

MANGAL ke logon ko yakin tha ki SIRIUS jaise school jaane waali super rich aur soft ladki suicide jump jaisa kuch attempt kar sakti hai..

wahin neeche jhaankne ke baad jis patthar par khadi thi ANJALI,usse 6 feet door ek aur patthar tha jispar water flow ke beech apna balance banate hue chadh gayi woh..

patthar par pahunch ek lambi saans chhodi usne aur ye dekh uske iraade samajh gaya MANGAL..

aankhein badi ho gayi uski...

MANGAL-ee pagal ladki..


turant bhaga MANGAL ANJALI ki taraf par faayda kuch hua nahi kyunki agle hi pal ANJALI us 30 feet gehrayi waale dhalaan me kood chuki thi...




CITY-DEHRADUN

PLACE-UNKNOWN BUNKER




ANJU...............


ANJALI ke cliff se jump lete hi uska naam lekar chilla uthi thi VERONICA...

jin bushes ko cross kar hill top point par pahunche the ANJALI,MANGAL aur uske saathi,un mote bushes ke dono edges point ko saath mod kisi moti rassi ki shakl unhe de unpar do camaras install kiye the RANJANA ne jinki wajah se side angles se hi sahi par chal rahr scene ko dekh rahi thi VERONICA...

RANJANA is waqt moujud nahi thi bunker mE..akeli baithi VERONICA ko waise toh pura bharosa tha apne bete par lekin kyunki scene me ANJALI thi jo unke liye unki beti se kam nahi thi isiliye nervous hina bhi laazmi hi tha VERONICA ka...

turant uthi woh aur monitor ke paas ja keyboard par live scene ko pause kar turant scene rewind kiya usne...
3 ANJALI ka cilff se neeche jhaankna,jis patthar par khadi thi woh,usse shift ho dusre patthar par jaana aur phir ek pal ke liye neeche dekhna,VERONICA ki aankhein is pure drishya ko dekh nahi balki scan kar rahi thi aur aisa karne ke baad apne aap hi smile naach uthi thi uske face par...

sir shake karte hue scene wapas live mode me daal apne sofe par baith chuki thi VERONICA...


VERONICA-HOW!!!!


kuch soch hi rahi thi VERONICA ki tabhi uske mobile ka light ek baar phirse flash hua...

message ya call light nahi tha ye,reminder flash tha,us text ka jo thode time pehle hi aa chuka tha uske phone par..

waise toh message baad ke liye chhod deti VERONICA par flash off hone se pehle number dekh liya tha usne isiliye hi turant haath badha liya tha usne apne phone ki taraf..

VERONICA kul do phones use karti thi.ek uske personal use ke liye aur ek official...par jab bhi SANVY aaj ki tarah kis trip ya tour par bahar hota tha toh VERONICA ka persoanal phone le jaaya karta tha aur is waqt message ussi number se aaya hua tha...


"KEY ROOM KE BAHAR MAT KE NEECHE HAI..IF YOU HAVE A QUESTION,ANSWER ROOM KE ANDAR HAI"....


SANVY ka hi message tha ye jisse sun turant uthi VERONICA aur us unknown bunker se nikal aage badh gayi...

ghar me enter kar tezi se SANVY ke room ke paas pahunch chuki thi woh jiske agle hi pal saamne rakhe mat ke neeche se SANVY ke room ki key nikaal li thi usne...

darasal SANVY apne room ki safayi khud hi karta hai aur jab bhi woh bahar jaata hai toh he always locks his room..

bohot common baat thi ye isiliye VERONICA ko andaza nahi tha ki uske HOW ka jawab SANVY ke room me bhi ho sakta hai..

khair,agle hi second key utha room ka darwaza khol chuki thi VERONICA aur aisa kar jaise hi kadam room ke andar badhe toh saamne ka scene dekh ek pal ke liye jadh si hokar reh gayi VERONICA..

par agle hi pal uski aankhon ne uske dimag me kuch click karwaya jiske baad face sthir ho gaya VERONICA ka par dimag ek hi pal me positive aur negetive,dono khayalon se bhar utha..


VERONICA-you scare me son...

sach me,is ladke ke liye koi bhi HADH HADH NAHI...

SAHI manzil tak pahunchne ke liye woh raasta bhi chun sakta hai ye jisse zyada kuch bhi GALATH NAHI...





BACK TO CAMP AREA:-




TOH..KAUNSA SA GAME SOCHA HAI PHIR...!!!


SHAIFALI MISS thi ye jinhone apne after dinner snack ka abhi abhi aakhri bite liya tha..

dinner hum sabka ho chuka tha jiske baad born fire ke ird gird jama hue the hum sab..

SAM aur ussiki tarah kuch aur bande jo guitar play me ache the,unki dhuno ko kaafi der tak sunane ke baad SHAIFALI miss ne koi interesting game start karne ki baat ki thi jispar sabhi ne apne apne sujhaav diye the par approve ab tak ek bhi naa hua tha...

isiliye kuch der sochne ko kaha tha unhone aur woh given time ab pura ho chuka tha..


SAM-D OR D....

SHAIFALI MISS-D or D..ye kaun sa game hai...???

SAM-DARE aur DRINK...!!!

SHAIFALI MISS-SAM..!!!

SAM-wo wo..miss drink matlab ye.


sabke beech ek badi si bottle rakh di thi SAM ne jisse dekh jitne bhi log us drink ke baare me jaante the,mooh ban gaya un sabka..


SHAIFALI MISS-VITRO JUICE..trip me ye carry kar rahe jo tum..!!!!

(NOTE:-organic karela ka juice hota hai jisme kuch aur kadwe hygiene se bhare patton ka mishran hota hai jo isse kuch zyada hi bitter banati hai..good for fast metabolism...)

SAM-ashram ke paas se hi ek shop se liya hai miss.dehradun me toh filhal mil hi nahi rahi ye..

exercise ke baad kaafi achi hoti hai iski ek sip isiliye le liya.

but acha hi hua naa,game me kaam aa jaayega...

SHAIFALI MISS-par aise toh khatm ho jaayegi ye bottle..

SAM-i don't think so..kyunki is bottle ke liquid ka ek sip lene se better toh dare lena hi hai...

aur agar khatm ho bhi gaya toh nothing to worry about..

do bottles liye hain maine..

SHAIFALI-perfect then.. yahi khelte hain...it's gonna be fun...

RASHI-but miss,mujhe toh pata bhi nahi hai ki ye DARE or DRINK game hai kya..??


RASHI ki baat ko KHANAK aur kuch ladkiyon ne bhi back kiya jispar..


SHAIFALI-oh its very simple...ek bowl me hum sab game khelne waale ladke aur ladkiyon ke naam chit me fold karkar daalenge..

than someone will take out 2 chits at a time..jin do logon ke naam unfold honge,unhe ek task diya jaayega..

task dono ko bhi mil sakta hai aur kisi ek ko bhi...par value us task ki dono ko milegi..

agar task accept hua toh us part ko DARE kehte hain aur agar nahi accept kiya then both people have to drink this bitter syrup..

aur haan,jin jin ke naamon ki parchi unfold hote jaayenge,unke task ke baad they will be out of the game..


SAM-waise MA'AM task kaun dega..??

SHAIFALI MISS-mai..

SAM-aap khelengi nahi...!!!

SHAIFALI-naa.this game,i love to volunteer..

RASHI-game toh badhiya hai..i am in..

KHANAK-me too...


KHANAK aur RASHI ki tarah aur bhi kuch ladkiyon ne game ke liye haan kaha tha par in ladkiyon me DIMPLE nahi thi.

uske face se saaf pata chal raha tha ki she was not at all interested in playing the game..


SAM-aur tum sab
,kheloge naa..SANVY..!!!


hum sab aur hamare saath baithe ladkon se kahi thi ye baat SAM ne..


SHAIFALI-jahan DARE word aa jaaye wahan SANVY na ho,aisa ho sakta hai kya..???SANVY toh khelega..kyun sir..!!!mana toh nahi karenge naa...!!!


anshumala ma'am ki tarah aadat thi SHAIFALI MISS ki bhi mujhe chhedne ki..


abhi bhi face par shararat liye leg pull kiya tha unhone mera jispar hasa mai aur...


MAI-game ke DARE ke liye toh mana kar bhi deta miss par world ki sabse beautiful teacher ki baat kaatne ka DARE nahi hai mujhme..

i am in...


bohot se reaction aaye the mere jawab se..jahan ek taraf meri healthy flirt ko sun SHAIFALI MISS ke face par ek bright smile naach uthi thi,dusri taraf mere haan bolne ke kaaran NITS,SONU, EKPREET aur RAJAT joki game ke liye naa bolne waale the,woh bhi in ho gaye wahin new girl joki game se back out karne waali thi, achanak hi mood swing ho gaya uska which meant ki woh khelne waali thi game...


SHAIFALI MISS-worlds most beautiful teacher..bacchu,yahi baat ANSHUMALA miss ke saamne bolna toh zara...

MAI-sure and let me tell you, bura nahi maanengi woh..

SHAIFALI MISS-acha..!!!and how can you be sure about it...???

MAI-ek gulaab ki taarif se dusre gulab ko bhala kyun bura lagne laga...!!!


ek aur reason de diya maine miss ke face par bright smile laane ka..

new girl bhi sir halka neeche kar muskurane lagi thi...


NITS-beta jitna smooth tu flirt kar raha hai naa,ye VITRO naamak juice utni hi zyada kadwi hai..

naa jhelayegi bhai..


mere kaan ke paas aakar bhinbhinaya tha NITS ne...


MAI-toh dare le liyo na chutiye...

NITS-ghante ka dare...louda nanga naachne ka bol denge toh woh bhi karunga kya...!!!

MAI-ho jaaiyo naa toh.. kapde ke saath naa dekhta koi tujhe toh nanga kaun taadega tereko..

SAM-done...


hum yahan apni behes ke beech the ki tabhi SAM jo RASHI aur KHANAK ke saath chits me sabke naam likh raha tha,usne un naamo ko likh chits ko ek bade se bowl me daal diya tha...

do bonfires jinki zyadatar lakdiyan jal chuki thi,unme kuch aur wooden stocks daal hum sab unke beech waale portion me baith chuke the..

VITRO juice ke drink ki wajah se zyada boys aur girls ready nahi hue the game ke liye par jitne the,woh kaafi the...


SAM-alright then..shuru aap hi kijiye miss...


SAM ke bolte hi bowl me haath daala miss ne aur nikaale first two chits...


SHAIFALI MISS-waah... RASHI and SONU...you both will start...

SONU-ffas ggaya ssaala...

RASHI-what say SONU..!!!

SONU-nnahi ppee raha mmai ye kkadwa kkadha...DDARE...

SHAIFALI MISS-dare it is then..ek badhiya song sunao...

NITS-gayi bhains paani me..MISS,ye kya task de rahe hain aap isse..

ye woh gaadi hai jiske accelerator ke beech brake laga hua hai.

raat khatm ho jaayegi par iska ek song pura nahi hoga..


HAHAHAHA..


jahan NITS ki baat par baaki sab has diye the wahin SONU ke kaano me kuch kaha maine jisse sun ek pal dekha usne mujhe aur phir aankhein band hoti chali gayi uski...


SONU-mmai kkabhi batlata nahi,ppar andhere se darta hun mmai MAA....

yun ttoh mai,dikhlata nnahi,teri parwah kkarta hun MAA...

tujhe sab hai ppata hain naa MAA...

tujhe sab hai pata... meri MAA...


aankhein band kar dhaki palkon ke tale apni MAA ko jisne SONU ko uski stammering ki problem se hone waali taklif me sabse zyada confidence diya tha,saath diya tha,unhe yaad kar wahi gaana dohrata chala gaya SONU jo aksar akele me gungunata tha woh..

aur aisa karte waqt jaise jaise lyrics aage badhta gaya,uski stammering kam hote hote naa ke barabar hoti chali gayi.

SONU ko itne ache flow me song ko gaate sun jahan ek taraf NITS aur baaki sab hairan the wahin jis feel ke saath woh gaana gaa raha tha,asar us awaaz ka,us geet ke shabdon ka sidhe dil me hua tha sabhi ka...

SHAIFALI MISS,KHANAK aur aise hi kuch extra soft hearted logon ki aankhein tak bhar chuki thi jo SONU ke gaana khatm karte karte chhalak gayi thi...

CLAP CLAP CLAP....

gaana pura hone ke baad bhi apne dil me umad rahe bhaavna ki lehron se jinke sahare hi bina atke gaya tha SONU, aankhein nahi khuli thi uski par tabhi padi uske kaano me taaliyon ke gunj jisse sun turant ankhein khuli uski...

dono BORN FIRES ke beech lagbhag sabhi taali baja rahe the uske liye jisse dekh halka sa muskura bhar diya tha SONU..


SHAIFALI MISS-that was beautiful SONU aur mujhe pata nahi tha ki itna acha gaate ho tum...

SONU-kkahan mmiss..!!!

SHAIFALI-ohho, modesty..no truly,bohot acha gaya tumne..


SHAIFALI MISS ki baat ke baad is baar RASHI ne uthaya the chits jisme fase NITS aur KHANAK...

ek couple dance karne ka task diya tha SHAIFALI MISS ne dono ko jisse sun bina kuch soche VITRO JUICE se bhara ek bada dhakkan gathakh gaya woh..


NITS-aakh thuuuu..ye bhagwan,ye kya pee gaya mai..ee koi 1 kilo shakkar mooh me thooso re mere..


bohot bhayanak mooh ko banaye kuch meetha khaane ko dhundne laga tha NITS jisse dekh..


SHAIFALI MISS-bilkul nahi.. chupchap baitho..kuch nahi milega tumhe.

that's also the part of your punishment...

so,who's next...


KHANAK ne uthaye the dono chits jispar 2 random bando ke naam aaye...

paas me hi straight tree tha jiske branches thodi unchayi par the...

dare me un dono bando me se kisi ek ko ussi tree par kamsekam 2 branches top par chadhna tha jisse nahi kar paaye woh..

result..

VITRO JUICE ka sip un dono ko bhi lena pada..


RASHI-yaar ye ANJALI kahan hai..???kaafi der se gayab hai..???

KHANAK-arre woh do girls ke saath hill top ki taraf gayi hai..

kaaran samajh gayi thi RASHI..

RASHI-par kaafi der nahi ho gaya...!!!

KHANAK-bohot awesome spot hai woh jagah..gayi thi mai shaam ko..

chandni raat hai isiliye view abhi aur aur kamal ka hoga..

apne iphone ke night mode ka pura faayda le rahi hogi.

RASHI-aur kamini ne hume bataya tak nahi..chale kya hum bhi...!!!

KHANAK-apne group ke sabhi ki baari ho jaane de,phir chalte hain..

wahan KHANAK aur RASHI baat kar rahe the aur yahan game me NAISHA aur EKPREET jinka chit ek saath open hua tha,unka dare shuru ho chuka tha...

NAISHA ko classical dance pasand nahi tha aur EKPREET ko is dance form ka idea bhi nahi tha.

par ussi classical beat par dance karne ka dare mila tha dono ko jiske agle hi pal dono ne ek saath aur ek hi saans me VITRO JUICE gatakh liya tha...

agli dono chit NAISHA ne uthayi thi jinme se ek par naam tha uske beloved RAJAT ka aur dusre par naam tha SAM ka...


NAISHA-so my dare is a question jo mai tumse puchungi and i hope ki tum honestly jawab doge...!!!


RAJAT se kahi thi ye baat NAISHA ne jispar smile ke saath bas haan me sir hilaya usne..


EKPREET-aisa hai toh mera dare bhi question hai jiska honest jawab tu dega..

SAM-done...

NAISHA-i am going first...so mera sawal ye hai ki agar tum kabhi relationship me rahe toh tumhari soch ke hisaab se us rishte ki manzil kya hogi...!!!

RAJAT-shaadi..the person i love,i will marry and only marry her..


SHAIFALI MISS ke presence ki wajah se ghumakar apne rishte ka anjaam pucha tha NAISHA ne jiske jawab ko sun khushi ke saath saath haya ki laali bhi chha chuki thi uske face par...


SHAIFALI-aww...that's so cute...bohot lucky hogi woh girl jisse pasand karoge tum..

RAJAT-miss,is baat ko record kar dijiye naa..jab bhi panga hua,suna diya karunga..

SHAIFALI-hahaha.. pehle g.f toh bana le stupid..


jahan SHAIFALI MISS ki naasamajhi par muskura rahe the baaki sab wahin RAJAT ki baat par miss se nazar bacha usse aankhein dikhane lagi thi NAISHA..


EKPREET-chal bhai,ab mera sawal... bohot baar pucha hai tujhse maine ki tera ambition kya hai par har baar is sawal ko gol has kar gol kar jaata hai tu...

par aaj toh batana padega...tell me, what's your biggest urge..???


EKPREET ki baat par ek lambi saans chhoda SAM ne aur..


SAM-i want to be the best that SIRIUS has ever produced..aur mai chahta hun ki jo ab tak hamare school ke all time best rahe hain,MR JAIDEN CHOWDHARY,unke saamne hi mai unka banaya koi bhi ek record todun...


SHAIFALI MISS-woo...now that's really ambitious and super tough...

SAM-i know but i will make it happen...

SHAIFALI MISS-i too hope so..

Sam-thanks miss... anyways,now my turn..chit mai uthaunga...


bolne se pehle hi bowl me haath daal chuka tha SAM aur jab nikala usne apna haath toh do chits the usme..


SAM-ohho...SANVY & DIMPLE...


hum dono ka naam sun sabhi students aur khaas kar hamare friend's smile karne lage the par SHAIFALI MISS ke face par ek baar phirse shararati smile naach uthi thi...


SHAIFALI MISS-ab aaya na uth pahad ke neeche...beta SANVY,bade charming dialogues nikalte hain naa tumhare mooh se,ab bol ke dikhao...

now,jhagde ke liye toh mashoor hain but what about love...

dhamkaya toh bohot baar hoga par aaj tumhare mooh se kuch romantic ho jaaye..!!!

RASHI-matlab miss.!!!


SHAIFALI MISS ki gaadi jis taraf badh rahi thi, pehle hi kaafi excited ho chuke the sabhi..


SHAIFALI MISS-matlab ye ki SANVY,hold DIMPLE'S hand aur imagine karke ki you love her, confess your feelings..

par style poetic aur words hatke hone chahiye...

DHAKKKK..


SHAIFALI MISS ki baat sun kuch zyada hi tezi se baj utha tha DIMPLE ka dil.

sirf ek dare ka task hi toh tha par aise me bhi dil ka yun tez dhadakna usse bhi samajh nahi aaya tha...

waise haalath meri bhi alag nahi thi par expressions bohot normal rakhe hue the maine..


SHAIFALI MISS-SAM,tum DIMPLE ko dare de dena..

SAM-zaroorat nahi hai miss..task ye dono ke liye tough hone waala hai..

SANVY ko romantic bolne ki aadat nahi hai aur DIMPLE ko sunane ki nahi..

it's gonna be fun...

SHAIFALI MISS-very well then...so MR SANVY,DARE aur DRINK...


MAI-are you ready..


thoda sa aage new girl ke saamne sarakte hue apne dono haath aage kar diye the maine jispar hadh se zyada nervous ho gayi thi woh.

par is bekhayali bhare aalam me bhi mere haathon ke response me uske dono haath apne aap hi uth gaye jinhe thaam liya tha maine...

aur jaise hi hum dono ke haathon ne ek dusre ko sahara diya,dil ek baar bhi dhak sa hokar reh gaya humara..

wahin haathon ke milte hi hum dono ki nazarein bhi kuch yun takrayi ek dusre se ki phir alag hi na ho paayi..

kuch pal yunhi new girl ko dekhta raha mai aur phir...


MAI-



mai lafzon me kuch bhi IZHAAR NAHI KARTA...

magar iska ye matlab nahi ki mai PYAR NAHI KARTA...

chaaha tujhe hamesha hi hai maine magar....

teri soch me apna waqt BARBAAD NAHI KARTA...

tamasha na ban jaaun kahin zamaane ke saamne,

isiliye apne dard ka IZHAAR NAHI KARTA...

jo kuch bhi mila hai,usse khush hun mai,

aur paane ke liye KHUDA se TAKRAAR NAHI KARTA...

par kuch toh baat hai teri fitrat me ae zaalim,

warna tujhe chaahne ki khata ye dil BAAR BAAR NAHI KARTA...

mai lafzon me kuch bhi IZHAAR NAHI KARTA...

magar iska ye matlab nahi ki mai PYAR NAHI KARTA...



(THE NIGHT CONTINOUS)








AAJ KE LIYE ITNA HI...







AAPKA APNA V...J...
Wonderful update bhai
 

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ANJALI CLIFF SE KOOD JAATI HAI,DUSRI TARAF VERONICA SANVY KE ROOM ME KUCH DEKH SHOCKED HO JAATI HAI WAHIN TEESRI TARAF DARE OR DRINK GAME KE DARE ME SANVY DIMPLE KE LIYE EK ROMANTIC KAVITA BOLTA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-52

(PART-3)


VILLAGE-JHARIPANI

PLACE-A FEW METRES FROM THE UP HILLS WATER




FLASH BACK
(A FEW HOURS BACK)





KAMINE,GHUM KAHAN RAHA HAI TU SUBAH SE..!!!!NAA YOG CLASS ME TIKE TERE PICHWADE AUR USKE BAAD TOH 4 GHANTON KE LIYE HI GAYAB HO GAYA THA TU..

AUR YAHAN BHI TU SCHOOL CARRIER ME NAHI AAYA HAMARE SAATH...

DUSRI TARAF SE PAHUNCHA HAI...

SACH SACH BATA KAUN SI KHICHDI PAKA RAHA HAI AUR PAKA RAHA HAI TU..

KOI CASUAL JAWAB NAHI PURE AUTHENTIC SACH SUNANA HAI MUJHE ISILIYE GHUMANE KI SOCHIYO BHI MAT...!!!


MOSSY FALLS yahan ke sirf front view jharne ke liye hi nahi balki jis jharipani mountain ke western edge me bana tha ye, uski overall beauty ke liye bhi jaana jaata tha jisse yahan pahunchte hi check out kar rahe the SIRIUS ke sabhi students.

par ashram ki hi tarah bas mai missing tha SIRIUS ki toli se jisse waise toh sabhi ne gour kiya tha par ANI ko mera absence zyada khal raha tha aur ab jab door se mujhe akela apni taraf aate dekha usne toh turant lapki woh meri taraf aur mere kuch bolne se pehle hi apni bhadaas sawal roopi baarish ke roop me mujhpar barsaane ke baad apne dono haath kamar par rakh ghoorne lagi woh mujhe jispar haste hue naak kheencha maine uska aur usse apne se lagaate hue uske kandhe par haath daal ek disha ki taraf badh gaya..


ANJALI-chhod mujhe aur jo pucha,pehle jawab de uska..

MAI-batata hun... dekh le pehle kuch thoda..


khudko chhudane ki koshish ki ANI ne par aisa hua nahi isiliye saamne na dekh bas side se mujhe ghoorte hue mere saath aage badh chali woh...

par jab aage badh kuch mote bushes ko hatane laga mai toh hairan hui ANI par is baar kuch kaha nahi usne...


MAI-magic dekhegi...


ab bhi saamne na dekh mujhe hi ghoor rahi thi ANI aur meri baat sun woh ghoorna aur badh gaya..

kuch bolne ko hui woh par tabhi...


MAI-saamne dekh...facial expressions aur man ki feelings, dono ek second me change ho jaayenge..

mujhe ghoorne ke chakkar me kahan khade the hum,aas paas ke nazaare kya the,koi ilm nahi tha ANI ko..

meri baat sun ek thandi saans chhod nazar aur face dono ghumne laga ANI ka saamne aur aisa karte hue wakayi facial expressions badalte chale gaye uske..

joki laazmi bhi tha..aakhir gazab ki jagah jo thi UP HILL WATERS ka ye point jahan hum khade the..

MOSSY FALLS ke outer skirt me dense jungle ke beech bana ye 30 feet water fall ka top hill jahan hum khade the,wahan se aise dikhta tha maano badalon ke upar khade hai hum.

aisa isiliye hi tha kyunki fall se neeche jo 30 feet ka distance tha,uske beech cloud covers bane hue the jiske kaaran neeche ikattha ho rahe gehre paani ko dekha bhi nahi jaa sakta tha.

same blind spot neeche se dekhne waale ka bhi scene tha.

upar sirf badal hi badal the.. upar se gehre paani ke edges par ghane ghaans the jo asal me ek half swamp jaisi jagah par bane hue the jispar chala bhi nahi jaa sakta tha..

yahi kaaran tha ki itna fresh water flow hone ke baawjud koi wahan jaata nahi tha..

haan,ek steep pagdandi bani hui thi par dikhne me woh patli si jagah bhi waisi hi thi jaisi swamp grass isiliye bohot kam logon ko us solid walking platform ke baare me pata tha..

khair,mantra mugdh si us pure swargiya roopi drishya ko dekh rahi thi ANI..


MAI--yahan se aur khubsoorat hai..


meri awaaz se tandra tooti ANI ki par aisa hote hi thodi hairan hui woh..

uske paas nahi balki aage fall ke cliff point par bane ek 3 feet lambe aur utne hi chowde patthar par khada tha mai..

jeans niche tak thi ANI ki jisse ghutno tak fold kar meri taraf badh gayi woh aur kuch hi palon me mere baaju me patthar par hi khadi thi ANI..

sach kaha tha maine.yahan se aur khubsoorat tha nazara jisse aankhon ke through apne dil me utaarne lagi thi ANI...


MAI-kuch karne ko request karun tujhse toh bina koi sawal kiye karegi..!!!


dikh rahe scene me khoyi ANI ke senses meri baat sun ek pal me lout aaye the aur woh mujhe aur mere gambhir chehre ko dekhne lagi..

kuch der pehle jo sawal puche the usne mujhse,woh sab bhul chuki thi woh.

tha kuch zehen me toh mera abhi abhi pucha gaya sawal...


ANI-tujhe puchne ki, request karne ki zaroorat nahi thi..!!!neeche kuch nahi dikh raha par phir bhi agar yahan se kudne ko bhi bolega toh kood jaaungi mai...

MAI-yahi karna hai tujhe...


meri baat ko pehle toh mazak samajh muskurane lagi thi ANI par mere face par ab bhi jo seriousness ki parath chadhi hui thi,usse dekh samajh gayi woh ki mazak nahi thi meri baat.

ek lambi saans chhod apne kadam aage cliff se kudne ke liye badhane ko hui woh par tabhi haath pakad liya maine uska.


MAI-abhi nahi...raat ko aur is point se nahi,woh right me jo patthar hai,uspar chhadhkar neeche jump maarni hai tujhe..


meri baat sun apne right ki taraf dekha ANI ne jahan shuru me toh sirf paani hi dikha usse par dhyan se dekhne par us behte paani ke bas 1 inch andar jis patthar par hum khade the,waisa hi ek patthar dikha usse..

jahan ye patthar paani ke upar tha isiliye saaf dikh raha tha,wahin woh bhaag kuch inches water ke andar tha isiliye thoda gehra tha..

yahi wajah thi ki wahan rakha patthar paani ke halka andar chala gaya tha..

naked eyes se us pathhar ko dekhna mushkil tha par is waqt uske upar ek water proof silver paint laga hua tha jo suraj ki roshni ke water par padne se us point par paani ki chamak ko aur badha raha tha aur isiliye visible bhi tha...

maine hi lagaya tha us paint ko...


MAI-baby steps ke saath bhi aage badhi toh 8 kadam count par pahunch jaayegi us patthar ke saamne...

yaad rakhna ye baat kyunki raat aajki bhale hi chandni hone waali hai par yahan ki visibility phir bhi kaafi kam hogi...

ab sun dhyan se...raat ko jab camp par born fire jalna shuru hoga toh kuch random girls ke saath yahan is jagah par hi pee ke bahane aana..

random.. apne group se mat laaiyo kyunki phir sabko explain karna padega..

akela dekh kuch log aayenge tum sabke peeche ya phir to be precise,tere piche...

un ladkiyon ko bas behosh karenge woh aur phir tere piche aayenge..

unhe bhagate hue yahin is point par aana hai tujhe..

chandni raat hogi isiliye woh left waala patthar araam se dikh jaayega tujhe.. pehle ussi par chadhna aur phir 8 ke count ke beech baby steps lete hue is patthar par aa ispar chadh jaana...

and then jump...neeche free flowing water hai aur jis point par tu giregi,wahan par gehrayi kareeb 15 feets ki hai isiliye koi problem nahi hogi..

paani ke andar jaane ke baad sidhe upar aana hai tujhe..

ye beech ke cloud covers ki wajah se view aur dim hoga neeche ka...

par ghabrana mat...paani se bahar aa har taraf dekhna..jahan roshni dikhe,us taraf tair jaana.. that's your way out...

sirf ussi light waali area se hi bahar nikalna kyunki sirf wahin se nikla ja sakta hai..baaki ka 90 percent of the edge is swamp..


jo chahta tha mai,bata diya tha maine ANI ko aur jaisa ki hona chahiye,meri saari explaination ke beech bas sawal tha ANI ke face par lekin kamal ki baat ye thi ki jo maang raha tha ANI se,usse jo karne ke liye keh raha tha mai that was dangerous par phir bhi dar aur bechaini ki lesh maatra lakir tak nahi ubhri thi uske peshani par..

aisa lag raha tha jaise mere bina bole hi, bina convince kiye hi jaanti ho ANI ki usse kuch nahi hoga...


MAI-all your questions,i will answer you but later..aur trust me,kuch..

ANI-kuch nahi hoga mujhe..i know..jis scene me tu nahi hota, usme bhi kuch nahi hone deta tu mujha phir ye scene toh khud likh raha hai tu aise me safety precautions ki baat karna bhi GALATH hoga...

aur aage kabhi bolna mat to trust you.. because trusting you mere liye utna hi natural hai jitna ki breathing...

ANI ki baat par kuch palon ke liye dekha maine usse par keh kuch nahi paaya..

ab kya hi kehta..jung meri par maidan me utarne ko taiyar ye pagal thi woh bhi kuch is tarah jaise jung uski ho..

MAI-chalen..

ANI-ab toh idhar hi hai naa tu..

MAI-hmm.....



FLASHBACK ENDS:-



PLACE-UP HILL WATERS....

(ANJALI-THE REMAINING SCENE)



1,2,3,4,5,6,7,8....



MANGAL joki phone par ARIF se baat kar raha tha,us waqt baby steps le unhe count karte hue apne right ki taraf kadam badha diye the ANJALI ne...

aur jaisa ki SANVY ne kaha tha,exact 8we step par us second patthar par joki water ke halka andar tha,chadh chuki thi ANJALI....

aisa kar ek baar piche us 20 feet ke naa dikhne waale slope me jhaanka usne par dikha kuch bhi nahi usse..

us andheri khaayi numa dhalaan ko dekh dar ki tez leher doud uthi ANJALI ke kaano par jisse kisi tarah control kar hi rahi thi woh ki tabhi...


AATMA HATYA KARNA HAI TOH KOOD JAA PHIR...


padi saamne khade logon me se ek ki baat ANJALI ke kaano me jisse sun saamne dekh ek lambi saans chhodi ANJALI ne aur..


ANJALI-i know tu kabhi GALATH nahi hota SANVY par kamine,i wish ki mujhse is mahastunt ko karwane ke piche tere paas koi tagda reason ho because agar nahi hua,jaan se maar dungi tujhe..

GOD HELP me please... SHIT....

MANGAL-EE PAAGAL LADKI...


MANGAL ki cheekh ke beech piche us dhalaan me kood chuki thi ANJALI..

CHAPPAKKKKKH...

tezi se us slope me girte hue finally water ko hit kiya ANJALI ki body ne.

ek achi swimmer thi ANJALI..

neeche girte waqt position kisi proffessional swimmer ki tarah rakha tha usne aur isiliye badi smoothly paani ka seena cheerte hue uske andar samaate hue chali gayi woh..

aur us tez bahaav paani ke andar samate hue usse paida hone waale pressure se water depth ka andaza bhi ho gaya tha usko..

sach kaha tha SANVY ne..water depth wakayi lagbhag 15 feet hi gehra tha...

jump ne ANJALI ki body ko near about depth edge tak pahuncha hi diya tha jiske baad turant sir utha kar sidh lete hue upar ki disha ki taraf tairti chali gayi ANJALI..

kuch hi palon me sir uska paani se bahar tha... turant aankhon par chadhe paani ko saaf kar aankhein kholi usne par jaisa ki hona tha,cloud covers ki wajah se andhera hi andhera tha har taraf siway ek point ke..

ye wahi point tha jiski baat SANVY ne ki thi..wahan se dheemi roshni jagmaga rahi thi jisse dekh ussi taraf tair padi ANJALI..

DHABBBBBB....

us madham roshan hue edge point par pahunch wahan moujud sakht zamin ke sahare upar chadh chuki thi ANJALI jiske baad us roshni ke chote par kaargaar madhyam ko utha liya usne..

LED FLASHLIGHT TORCH thi ye maadhyam jo filhal low light mode par thi.

pichle 6 ghanton se yunhi jal rahi thi ye par light me fark kuch pada tha nahi kyunki low mode par 50 hours tak jal sakti thi ye torch..

par torch hold karte hi uska high mode switch click kar diya ANJALI ne.

kaafi achi range thi torch ke high mode ki..switch hote hi aas paas ka kaafi area roshni se jagmaga utha tha aur aisa hote hi face par smile naach uthi thi ANJALI ki..

REASON.

just aage ek bada sa open polithin tha jisme se turkish towel jhank rahi thi...

turkish towel nikaalne ke baad ANJALI ki nazar padi ek pair night wears par jo us polithin me rakhe hue the..


ANJALI-what the fuck..!!!ye toh mere hi hain..matlab puchna bas bahana tha..kamine ko pehle hi pata tha ki mai usse naa nahi bolungi..


khudse hi SANVY ke prati jhutha ghussa dikhane ke beech muskurane se rok nahi paayi apne aap ko ANJALI...

muskurane ka main reason KITKAT ka woh bada sa pack tha jo night dress ke side me rakha hua tha.

ANJALI ka fav tha KITKAT aur usse pamper karne ke liye SANVY ka best tarika bhi...

khair,pehne hue geele kapde utaar sharir poch turant night wear pehen liya ANJALI ne par is beech uski nazar ek parchi par padh chuki thi jisse finally utha liya usne aur kholte hi ek baar phir smile naach uthi thi ANJALI ke face par..

with exact foot steps and proper directions,wapas camp fire area me pahunchne ka pura map hi bana hua tha us paper par jisse follow karte hue aage badh chuki thi ANJALI...

is beech...


ANJALI-besty hai mera par kabhi kabhi lagta hai ki kya ek percent bhi jaanti hun mai us duffer ko..???

saala kab kahan kaun sa bomb fod de ye ladka,only GOD knows...

jo bhi reason hai jiske liye mujhe paani me kudwa diya,kya pata uske liye aur kaun kaun se kaand kar baitha hai woh pagal..!!!



SAME TIME:-


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANVY'S BEDROOM




GGOOD EVVENING ***


ek super condfident ladka joki kisi super soldier se kam bhi nahi tha,usne nervousness aur kaampti awaaz aur sawdhan position me aakar gesture diya VERONICA ko..


VERONICA-VIJENDRA SINGH...aap yahan!!!!aur ye sab..???

(NOTE:-VIJENDRA SINGH...THANO FOREST ME RANJANA MATTHEWS KE SAATH AAYE TEENO COEF'S ME SE EK...UPDATE-43)


VIJENDRA-woh SANVEER...

VERONICA-ya SANVEER..my son..kaise jaante hain aap usse...!!aur woh mulakat yahan jo ho raha hai,wahan tak kaise pahunchi..??one go me bataiye..

VIJENDRA-yes ***...us din THANO FOREST me aapse milne ke baad MENDER RANJANA ne bataya tha ki aapka son,he is someone who will surpass you and even our founder... LATE,SANEEL AHARYA...

ye sun usse dekhne ki bohot iccha hui thi mujhe aur..


VERONICA-you followed him...

VIJENDRA-yes ***

VERONICA-and COEF like you who has been trained to hide yourself even in an open and empty island,usse pakad liya usne..

VIJENDRA-jee....

VERONICA-hmm..did you fight him...!!

VIJENDRA-yes ****..and i lasted 1 minute...


jahan aakhri baat bolte hue sir jhuk gaya tha VIJENDRA ka wahin VERONICA ek baar phir apne bete ke saamartya ko jaan hairan ho gayi thi...

sir shake kiya VERONICA ne kyunki aage ki saari kahani jaan chuki thi woh..

***me friendly, serious dono modes me combat aur challenges hote rehte hain..

friendly fight me jo us fight ko haarta hai,woh jeetne waale ka in-depth ho jaata hai jisse jeetne waala kisi bhi tarah se vasool sakta hai...

ab bhale hi SANVEER abhi *** ka direct part nahi bana tha par kyunki woh VERONICA ka beta tha isiliye kuch leverages woh le sakta tha jo usne le liya tha...

aur jo is room ka haal tha,bohot asaan tha VERONICA ke liye samajhna ki unke bete ne VIJENDRA se uske depth kaise vasoola tha....




BACK TO MOSSY FALLS:-




"MAI LAFZON ME KUCH BHI IZHAAR NAHI KARTA...

MAGAR ISKA YE MATLAB NAHI KI MAI PYAR NAHI KARTA"...



kavita shuru hone se pehle jo anjaani ghabrahat paida hui thi NEW GIRL ke face par, poetry ke end hote tak woh ghabrahat toh puri hi jaa chuki thi par ANJAANI...

is bhavna ke saath ek nayi feeling ne ghar kar liya tha uske dil me.

mere kahe har shabd ko khulte band hote new girl ke dil ne jaise khud me chhupa liya tha..

kisi SAMMOHAN me fase shaksh ki tarah bas ek tak dekh rahi thi mujhe.

aur mai...water fall ke kareeb aur jungle ke beech baithe hone ke kaaran ek madham thandi hawa beh rahi thi chaaron taraf jiski wajah se new girl ki kuch laton ne uske haseen rukhsaar ko khudme halka halka chhupa liya tha par aisa kar unhone us aadhe dikh rahe chaand ki khubsoorati me izafa hi kiya tha..

kisi film me suna tha"nasha aisa karo ki jiska asar zindagi bhar bana rahe aur jab utre toh us waqt utre jab aankhein hamesha ke liye band ho chuki ho.

kuch waisa hi nasha is waqt new girl ki aankhein numa jaam se behte hue meri aankhon se hokar mere dil aur dimag dono par haawi ho rahi thi...

itna kamzor kisi ne ladhkar bhi nahi kiya tha mujhe jitna mere saamne baithi jeeti jaagti tajmahal ki murat ne bas dekh bhar ke kar diya tha...


WOWWWWWWW....I MEAN...WOWWWWW....


tandra si tooti thi meri aur new girl ki is awaaz se...

SHAIFALI MISS thi ye jinke dono haath is waqt unke dil ke kareeb ek dusre se jude hue the aur chehre par meri kahi kavita ke liye naa khatm hone waali taarif saaf jhalak rahi thi...

waise awe me toh yahan moujud aur bhi kayi ladkiyan thi jinme hamare group ki teeno girls bhi shaamil the..

wahin ladke as in SAM,RAJAT, EKPREET,NITS aur SONU is waqt mere aur new girl ke faces par jo kuch seconds pehle tak bhaav the,unhe read kar smile kar rahe the...


SHAIFALI MISS-aisi shayri toh proffessional bande bhi itni jaldi aur feel ke saath nahi bolte jaisa tune bola...

sach bata SANVY...G.F hai na teri ye phir G.F'S...itna instant flow amateur me toh naa aata kabhi...

MAI-miss bol mai saamne dekh kar raha tha par aankhon ke aage face bas aapka imagine kiya tha maine..

ab aapka face toh gaane tak nikalwa de phir shayri kya chiz hai..!!!

HAHAHAHAHA.

SHAIFALI MISS-chup re...


jahan meri baat par mere saare friends aur aas paas baithe sabhi students has pade wahin blush karte hue mere kandhe par ek halka sa jama diya tha miss ne..

waise ek aur chiz hui..ek pal mujhe dekh new girl dheere se uth tents ke piche ki taraf chal padi...

par thoda aage badhne ke baad palath kar meri taraf dekha tha usne.

is beech chehre ko chum rahe uski laton ko hatana nahi bhuli thi woh aur aisa kar kamini ne mera dil bhi apni taraf thoda aur palath diya tha..

khud ko halka strech kar mai bhi uth chuka tha aur new girl jo kuch door khadi khule aasman me chamak rahe apne hi dusre roop "chaand" ko nihaar rahi thi,uski taraf badh chala mai...


DIMPLE-shayri kaafi achi thi...laga kaafi practice ki hai tumne...

MAI-chaand ko badalon ke beech chamakne ke liye practice nahi karni padti...


theek new girl ke piche khada hua tha mai.. meri moujudgi mehsoos kar li thi usne isiliye bina palte hi sawal kiya tha usne par mere jawab par smile naach uthi uske face par aur ghum gayi meri taraf new girl...


NEW GIRL-jawab mile na mile,baat aisi zaroor bolni hoti hai tumhe jiske baad agle sawal ka rukh badal jaata hai..

MAI-maine toh bas dil ki kahi...!!!par haan,aksar dil se nikli baatein dimag me uthne waale sawaalon ko shaant kar deti hai..


meri baat par bas sir naa me shake kar mand mand muskurane lagi new girl aur...


NEW GIRL-tum aur tumhari baatein..pata nahi mujhe samajh me aaoge bhi tum kabhi..!!!

MAI-ek sawal mai puchun..!!!

NEW GIRL-pucho..

MAI-kyun samajhna chahti jo tum mujhe..!!!


ek dusre ke opposite side ko hold kar aaju baaju khade the is waqt mai aur NEW GIRL.

sir aadha ghuma uski taraf kar pucha tha apna sawal maine jispar uski aankhein bhi ghumi meri taraf..

kisi chumbak ki tarah ek dusre se jaise jud si gayi thi meri aur new girl ki aankhein..

par jahan meri aankhon me thairav tha,wahin new girl ki aankhon me bechaini joki laazmi bhi thi...

aur woh isiliye kyunki sawal mera woh tha jo najaane kabse new girl khud hi apne aap se puch rahi thi..


MAI-tumhe khud bhi nahi pata, right..!!!


sach kaha tha maine jisse sun new girl ke aankhon ke bhaav tezi se badle..

ab bechaini ki jagah hairangi ne le li thi uski...


AAAAAAHHHHHHHHHHH....AHHHHHHHHH......


kuch kehti new girl ki tabhi do tez cheekh joki KHANAK aur RASHI ki thi, padi thi humare kaano par jisse sun turant palti woh gunji cheekh waali disha me...

ye cheekh sirf humne nahi balki born fire ke paas baithe sabhi SIRIUS waasiyon ne suni thi aur isiliye sabke sab us cheekh waali disha ki taraf tezi se chal pade the..

same chiz new girl ne bhi ki..tez kadmo ke saath woh bhi aage badh chuki thi par tabhi..

KDHKKKKK......

jahan hum khade the,uske ird gird har 3 se 4 metre ke gaps me halke mote tane waale pedh the..

unhi me se ek se jiske sidh me khadi thi new girl,aayi kuch tootne ke awaaz jisse saaf saaf suna tha usne par nazar andaz kar aage badhne ko hui par tabhi kadam rook gaye uske..

usse kareeb 10 metre door jis ped ke piche se aayi thi woh awaaz,nikla ek lamba chowda unknown shaksh..

sutte ke lambe kash lete hue jisme bhare charas ki wajah se uski aankhein surkh laal hui padi thi,dekh raha tha woh DIMPLE ko...

ARIF REZA tha ye...

sutte ka aakhri lamba kash le usse apne pairon ke tale roundhthe hue kadam ARIF ke badh chale new girl ki taraf...

wahin apne saamne achanak hi prakat se hue us unknown shaksh ko dekh DIMPLE ke dimag me khatre ka syren baj chuka tha..

aur ye syren tab aur badha jab theek us shaksh ki hi tarah aaju baaju ke pedon ke piche se kuch aur anjaane log us unknown shaksh ke piche uski taraf ho liye..

ab kul 7 unknown faces the uske saamne...

par nazar uski us first bande ke upar hi tiki thi par kyunki chandni raat thi aur chalte hue ab woh shaksh bas chand metres hi door tha, DIMPLE uske face ko kaafi hadh tak dekh paa rahi thi.

kuch jaani pehchaani lag rahi thi usse us shaksh ki shakal..kisi ki resemblence thi us shaksh ke face par lekin kiski,ye yaad nahi aa raha tha DIMPLE ko..

wahin dusri taraf DIMPLE ke paas jaate hue jab ARIF ki nazar ladki ke piche padi toh face par uske ghussa dikhne laga tha.

REASON..

SANVY jo gayab tha wahan se...

ishare se kuch kaha ARIF ne apne piche khade logon ko jiske baad un paanch logon me jo beech me tha, MANGAL,usne apne paas ke 3 bando ko ishara kiya..

agle pal woh teeno alag alag directions me chal pade the par maksad sirf ek tha un sabka..

SANVY...

DIMPLE un 3 logon ko alag alag directions me jaate hue dekh rahi thi aur ARIF jo ab DIMPLE ke itne kareeb toh tha hi ki chand ki roshni me uski surat saaf saaf dekh sakta tha,usne bhari ek thandi saans aur...


ARIF-MASHALLAH...





shak hai mujhe ki hamari tarah dusra koi JAHAN HOGA...

teri tarah noor-e-nazar bhala aur KAHAN HOGA...

lamha-e-jannat aaj dekh li humne, khabar naa thi ki..

ek chaand upar WAHAN hoga aur dusra hamare saamne YAHAN HOGA...










AAJ KE LIYE ITNA HI...







AAPKA APNA V...J...
Fantastic update bhai
 

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ANJALI CLIF SE KUDNE KE BAAD SURAKSHIT BACH JAATI HAI, DUSRI TARAF VERONICA VIJENDRA KI BAAT SUN HAIRAN REH JAATI HAI WAHIN TEESRI TARAF ARIF REZA DIMPLE KE SAAMNE PAHUNCH CHUKA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-53

(FINAL PART)


VILLAGE-JHARIPANI

PLACE-MOSSY FALLS





EK CHAAND UPAR WAHAN HOGA AUR DUSRA HAMARE SAAMNE YAHAN HOGA...


shayri bhale hi saaf suthri aur romantic thi par jis andaz me DIMPLE dekhte hue kahe the woh alfaz ARIF ne,woh kahin se bhi shaalin nahi the.

ARIF ki charas ke prabhav se laal padi aakhon me hawas saaf jhalak rahi thi...

wahin apne se lagbhag double chowde lambe aadmi ko dekh aur uski baaton ke andar jhalak rahe apne liye gande khayal ko taadne ke baad bhi bilkul dari nahi thi DIMPLE...

kuch pal ghura usne saamne khade shaksh ko aur..


DIMPLE-jo bhi ho tum..apne out dated slangy lines aur shitty attitude ka tokra uthao ek just get the fuck out of here...


ARIF-ufff....jungli billi...tevar acha laga tumhara...suit karta hai tumpar...

par ummid hai ki ye akad tum apne dum par dikha rahi ho..

kyunki jo saath tha tumhare,woh toh bhaag chuka hai...


us unknown shaksh ke sudden entry ki wajah se SANVY ko toh bhool hi gayi thi DIMPLE.

par ab turant palti woh toh paaya ki sach me gayab tha SANVY...

aur ye dekh aaj ghusse se zyada taklif hui thi DIMPLE ko aur ye taklif uske face par dikhne lagi thi jisse saamne khade ARIF ne bhi taad liya tha...

ARIF-fikr mat karo...mere aadmi gaye hain uske piche..yahin tumhare saamne dum niklega uska..

waise mujhe ARIF REZA kehte hain...!!!


ARIF REZA....ARIF naam se toh kuch click nahi hua tha DIMPLE ko par REZA sun uske zehen me sab kuch clear hota chala gaya...

ab samjhi thi DIMPLE ki kyun ARIF ka face jaana pehchaana lag raha tha usse..

ARIF ki shakl se milte julte face waale shakl se pehle bhi mil chuki thi woh..

RASHID REZA...yahi toh naam tha us shakhs ka jo kuch waqt pehle usse uthane aaya tha but thanks to her unknown savior,bach gayi thi DIMPLE..


DIMPLE-RASHID REZA...kuch lagte ho tum us looser ke...???


apne bhai ke liye looser sun jabde sakht ho chale the ARIF ke..


ARIF-bhai tha woh mera ladki...aur looser ka toh pata nahi par loose kya hota hai, kuch der baad apne neeche haath daal kar dekh lena,pat chal jaayega...


apni baat bol DIMPLE ki taraf badhne ko hua ARIF par DIMPLE joki pehle hi alert mode par thi,tezi se aage badhi woh aur agle hi pal zamin se lag ball ki tarah dribble si hote hue uski body ARIF ko cross karte hue uske piche chal rahe saathiyon ke theek saamne kisi rubber waali ball ki tarah ucchal chuki thi..

DHAKKKK..

cross legs swing hit..apne dono legs ki nok joki reebok shoes ke andar kaid the,do logon ke thuddiyon par hit kiya tha DIMPLE ne jiske asar se ulta hote hue gire the woh log...

bas ek banda joki MANGAL tha,woh hi bacha tha jo pehle toh DIMPLE ke speed movement aur professional attack style ko dekh hadbada gaya par phir lapka woh uski taraf..

par uski hadbadahat DIMPLE ko woh time de gayi jiski usse apne first hit ke baad zaroorat thi...

agle hi pal apne right ki taraf cart wheel kiya DIMPLE ne aur phir ussi position se apne panje ke bal pressure release karte hue halka rotate hote hi back side par ghoom gayi woh...

sudden back energy break hit..

yahi move tha ye jisme pehle toh DIMPLE ki back body takrayi MANGAL se jiski wajah se woh halka piche ki taraf ladkhada gaya..

wahin MANGAL ke sharir se hi energy kheench apni body ko halka forward push kiya DIMPLE ne jiske baad ek reverse leg swing maar diya usne MANGAL ke face par..

tedha hote hue neeche gira tha MANGAL aur DIMPLE,bilkul perfectly apne dono pairon par khadi hui thi woh..

bohot jaldi ARIF ke teeno bando ko zamin par gira diya tha DIMPLE ne jisse acha khasa impress hua tha usse ARIF..

yahi wajah thi ki girne ke baad MANGAL aur baaki dono bande jab khade hue aur ek baar phir DIMPLE ki taraf badhne ko hue toh haath upar kar unhe rok diya ARIF ne...


ARIF-not bad...tu toh wakayi jungli billi...

DHAPPPP...


aage kuch bolta ARIF ki tabhi zig zag pattern as in kisi saanp ki tarah move karte hue ek full feet hit ARIF ke chest par kar diya tha DIMPLE ne..

hit fierce tha par asar zyada hua nahi ARIF ke sharir par..

bas halka ladhkhadate hue piche ki taraf chala gaya woh par us unexpected hit se dimag zaroor garam ho chuka tha ARIF ka...


DIMPLE-choose the animal properly looser.. sherni ko billi samajhne ki bhool mat kar..

warna samajhne ke liye kuch bachega nahi tere paas...

ARIF-bohot maza aayega tere akad ke saath tera saara ras nichodne me...

DHAPPP..

ARIF-tukke baar baar nahi lagte ladki..


ARIF ke baaton ke beech DIMPLE ka hand uske face ki taraf chal chuka tha par is baar usse pakad chuka tha ARIF...

haath pakad tezi se usse ghumane laga tha woh jisme kaamiyaab bhi ho chuka tha ARIF par tabhi..

apne haath ke saath khud bhi pura 360 degree ghoom gayi thi DIMPLE aur aisa karne ke agle hi pal ucchalte hue side head hit maara usne ARIF ke naak par..

ab banda kitna hi strong kyun na ho,naak toh soft hi hoti hai, ARIF ki bhi thi..

hit lagte hi tez pain aur sensation feel kiya usne.left nostril se halka blood bhi nikal gaya tha ARIF ka jisne uske patience ka door unlock kar diya...

apne blood saaf karte hue DIMPLE ki taraf badha woh..

agle hi pal aamne saamne the ARIF aur DIMPLE..first hit karne ki aadat thi DIMPLE ki aur isiliye ek double attack kiya usne...

right punch ke saath apna left knee bhi ARIF ke groin part par chala diya tha usne..

par ARIF dono hi attack ke liye ready tha.

naa sirf usne DIMPLE ke right punch ko apne left haath se block kiya balki uska right hand bhi mudta chala gaya aur agle hi pal ARIF ka elbow DIMPLE ke thigh par hit ho gaya.

painful hit tha ye jiske asar se naa sirf pair turant neeche aaye DIMPLE ke balki saath hi saath aage ki taraf jhukne ko hui woh..

naak ke badle naak ke tark par right fist ka upper punch ghuma diya tha ARIF ne DIMPLE ke face par.

agar ye hit lag jaata DIMPLE ko toh pakka senseless ho jaati woh par hua hi nahi aisa.

us painful situation me bhi dimag tez chal raha tha DIMPLE ka..

naa sirf apne left hand ko modte hue block kiya usne ARIF ka woh punch balki uske haath kk hold karte hue ARIF ke side se nikal uske piche ki taraf fisal si gayi woh aur jaise hi palta ARIF piche..

DHAKKK..

ucchalte hue ek back leg swing maara DIMPLE ne jo ARIF ke chin par pada...

ek baar phir hadbada gaya tha ARIF jiska faayda uthathe hue turant ek double swing leg slap ghuma diya tha DIMPLE ne..

par us hadbadahat me bhi thoda active tha ARIF... turant halka side hath haath se block kiya usne DIMPLE ke leg swing ko.

aisa hote hi DIMPLE thodi hadbada gayi aur tabhi..

CHATAKKKHH....

ARIF ka haath badi tezi se ghuma jisse dodge dene ke liye piche hatne ko hui DIMPLE par aisa hote hote bhi ARIF ka tez thappad padh gaya uske face par..

haath bohot tagda tha ARIF ka..

yahi wajah thi ki ghumte hue neeche giri thi woh..gaal halke fath gaye the DIMPLE ke aur sir bhi bhanna gaya tha uska...

honthon ke kinaaron se khoon halka hi sahi par tapakne laga tha..

wahin ARIF jiska dimag ek jalti bhatti ki tarah garam ho chuka tha,tezi se badha DIMPLE ki taraf..

uski movement feel kar chuki thi DIMPLE isiliye naa sirf back flip maar turant uthi woh balki elbow hit maarne ki position bhi le li thi usne par ab ARIF easy khelne ke mood me nahi tha..

DIMPLE ke paas pahunch badi tezi se ghumne lage uske dono haath..attack hita the sab jinhe lagatar dodge karte hue piche hatne lagi thi DIMPLE par har guzarte pal ke saath ARIF ke hand ki hand movement tez hone lagi thi...

uske haath aur unke movements dikhne bhi band hone lage the usse aur tabhi..

THAPPP..

DIMPLE ke dono haathon ko ARIF ne apne dono strong hands ke beech jakad liya..


ARIF-ARIF REZA hun mai..bade bade teesmarkhan nahi tike mere saamne aur loundiya tujhe lagta hai tu bhid sakti hai mujhse...

khuda kasam,woh haal karunga aaj tera mai ki..

DHABBBBBBBB...


apna line bolta ARIF,usse pehle hi ek body sidhe uske pairon ke paas giri...

ye body unhi 3 logon me se ek ki thi jinhe SANVY ko dhundne bheja tha MANGAL ne...

behosh ho chuka tha woh banda..chehra bhi ek taraf se fata hua tha uska..

us bande ke behosh body ko dekh hadbadaya ARIF par agle hi pal uski hadbadahat hairangi me badal chuki thi..

REASON...

usse kuch kadam door mai jo khada tha..

woh samajh gaya ki maine hi haalath bigaadi hai uski aur yahi ARIF ki hairangi ka kaaran bhi tha...


ARIF-ye tune kiya...!!!


ARIF ka sawal jaise suna hi nahi tha maine..nazar meri new girl par tiki thi jiske honth ke ek side se halka khoon nikal raha tha..

ab tak sab kuch waise hi hua tha jaisa andaza lagaya tha maine...koi bahari group jisne uske bhai ko maara tha,woh yahan bhi zaroor aayenge,is soch ke kaaran is waqt ARIF ne apne 90 percent log jungle ke edged par rakg chhode the..

kuch log jinki sankhya 10 se zyada thi,woh is waqt jahan SIRIUS ki girls behosh hui thi,us area me the.

sirf emergency situations me hi jab MANGAL unhe call karta,woh sab is taraf aane waale the...

unhi ko check karne toh gaya tha mai...

baaki bache logon me se 1 mere saamne pada tha aur baaki 2 ki haalath bhi same ki thi maine..

aur jo mere saamne the,unhe toh ginana bhi nahi chahta tha mai..

jaise socha tha maine,sab kuch waise hi hua tha siway ek chiz ke..

woh khoon jo is waqt new girl ke honth ke kinaare se nikal raha tha..

new girl ki combat training par continous nazar thi meri..

uski capability joki constantly ache rate me badh rahi thi,uske according laga tha mujhe ki chand minutes sambhal legi woh in sabko,par thoda hi sahi GALATH ho chuka tha mai..

ARIF ke us chote se sawal ko nazarandaz kar new girl ki taraf badha mai aur uske kareeb pahunch nikal rahe halke halke khoon ko dekhne laga mai...

wahin new girl joki mujhe dekh khush bhi thi aur saamne pade behosh bande ko dekh hairan bhi,woh bhi meri nazar ki haqikat pehchaan gayi thi..


AE LADKE...

AHHHHH.....


mai theek hun..yahi kehne waali thi new girl par tabhi ARIF ke teeno bande jinhe kuch der pehle new girl ne peeta tha,unme se ek aage badha aur apna haath tezi se mere kandhe ki taraf ghuma diya usne par tabhi...


18 HANDS OF BUDDHA TECHNIQUES...


VAJRABODHI-PLUCKING STARS...agar ladhayi pal bhar me khatm karni ho par taklif bohot lambi deni ho toh ye best technique hai..

kyunki iske har perfect move se sirf ek baar me hi bone crack ho jaate hain...

par aisa karne ke liye your wrist joint should be very very rigid...

for that,use your thumb... kyunki baski ungliyon ke mukaable thumb wrist ke sabse kareeb rehta hai aur saath hi saath power bhi generate karta hai isiliye kisi bhi bhaari chiz ko apne thumb ke ird gird lapeth rotate your thumb,continously...

now for the battle,apne opponent ke haath ya kisi bhi moving body part ko pehle block karo..

make sure ki block karne ke baad agle nano second woh part completely still hai,sthir hai..

and then just like plucking star,apne chaaron ungliyon ko saath laate hue jodo and then un four fingers ko apne thumb ka power do and hit...

yaad rahe, hit ungliyon se hoga but pressure wrist joint par feel hona chahiye tumhe...aisa hone ka matlab hai ki the more power you give your thumb,the more sharp and solid all your fingers will become...

and once all your fingers have completely soaked their wrists energy,every hit of yours will break or dislocate your opponents bone...

KDAKKKKK....

wahi hua tha is waqt us bande ke saath...mere kandhe par pade uska haath,usse pehle hi uske haath ko pakad ghuma diya maine aur phir uske wrist ko pakad usss sthir kiya maine aur..

THE PLUCKING STAR hit ka ek perfect namuna uske shoulder joint par try kar diya maine..

kandhe ki haddi dislocate hone ke saath tadapte hue zamin par gir chuka tha woh...

wahin apne saathi ko girta dekh baaki dono tezi se badhe meri taraf par tabhi...

neeche kuch sukhi lakdiyan padi hui thi..zyadatar patli thi par kuch thodi moti bhi thi jinme se do ko turant utha liya tha maine aur..

SOOBHHHH..

apne dono haathon se throw kiya maine un lakdiyon ko jo equal force ke saath bilkul teer ki tarah sidhi aage badhi aur..

AKHHHHHHHHHH.

lakdiyan dhaardhar toh thi nahi par volume itna toh tha hi ki sahi jagah par lagne se taklif honi thi unhe..

bohot taklif jo hui bhi.. sidhe un dono ke tounsils par padi thi lakdiyan jiske baad apna apna gala pakad neeche baiththe chale gaye the woh dono..

mere is waar aur lakdiyon ko chaaku ki tarah use ko dekh waise hairan toh ARIF bhi tha par new girl ke shock ka level hi kuch aur tha..

aur woh isiliye kyunki lakdiyan maine ussi angle aur tarike se pheki thi jaisa RASHID ke waqt uski saviour ne throw ki thi aur jisme perfection usse abhi tak nahi mili thi..


MAI-tere haathon ne gustaakhi kar di..inhe lagna nahi chahiye tha usse....


apne dono saathiyon ko yun girta dekh unki taraf palatne ke baad sidha hua hi tha ARIF ki tabhi hadbada gaya woh.

uske theek saamne jo khada tha mai..

par turant khudko santulit kar liya usne..ab tak jo bhi dekha tha ARIF ne,usse itna toh samajh chuka tha woh ki uske saamne khada school going student kahin se bhi ordinary nahi hai..

isiliye ek second bhi time waste nahi kiya usne aur apne haath ko elbow punch ki shakal dete hue tezi se aage kar diya usne..

mere mid chest par aim kar hit kiya tha usne..




EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA TECHNIQUES:-


VAJRABODHI-BIG WIND MILL..

upper hand ko fist bana jhatke aur sahi pressure ke saath corculate karo..

kisi bhi strong hand attack ko naa sirf ye move block karega but saamne waale ke attacking hand me aisa wind flow paida karega jisse uska haath sun padh jaayega.

he will feel his hand paralysed....

CHAKKHHHHH...

exact round rotation aur jhatke ke saath perfect BIG WIND MILL technique ko execute kiya tha maine.

saboot woh sensation tha jo feel kiya tha ARIF ke pure hand ne jiske baad aisa lagne laga usse jaise uska right hand bekar ho chala ho...

DUBDUBDUBDUBDUBDUBDUB..

peth aur rib cage me super speed ke saath jo thik se dikh bhi nahi raha tha,lagatar kayi punches maarte chala gaya mai ARIF ko.

is beech uska left hand jo abhi tak sahi salamat tha,usse mere hands ko rokne ki koshish ki thi usne par speed mere haathon ki itni zyada thi ki uska woh hand mere wrists ko grip me laa hi nahi laa raha tha...

DHAKKKK.....

last me uske jaw point me ek tez punch kiya maine jiske asar me dard se bilbilaate hue piche ki taraf gir pada woh..

par girte girte apna left hand apne shirt ke andar daalne laga tha woh...

aur is beech DIMPLE jo meri fighting technique aankh faade dekh rahi thi,usne bhi ARIF ka woh haath dekh liya tha.

apni gun nikaalne waala hai ARIF,ye reason bhi samajh chuki thi woh isiliye..


DIMPLE-SANVY,watch out...!!!

MAI-isse dhund raha hai...


BERETTA 92 hand gun thi mere haathon me


ARIF ki gun thi ye jisse pehle hi nikaal chuka tha mai.

apni gun mere haath me dekh hairangi ke saath dar ki chaadar bhi lipatne lagi thi ARIF ke face par.


MAI-fikr mat kar..i am not gonna use it..waise bhi, underage hun mai..


BERETTA ki slide mounted safety lock ko click kar magazine nikaal chuka tha mai jiske agle hi pal saare bullets zamin par girne lage the...

par tabhi..

badi tezi se hamari taraf 15 log aate dikhe mujhe..

KHATT...

AHHHH....

un do logon jinke tounsils ko hit kiya tha maine,unhi me se ek ne call kiya tha apne ek saathi ko.

mobile ab bhi jhaank raha tha uska jisse dekh gun tez fek kar maara maine usse...

gun sidhe forehead par hit hua tha uske,natija,sir fat gaya tha uska...

par is beech ARIF ke sabhi bande uske aas paas pahunchne lage the aur ye dekh DIMPLE nervous ho gayi thi joki laazmi bhi tha..

un logon me se kuch ke haathon me gun dekh liya tha usne..agar bhaagte hum toh shoot kar diye jaate aur agar miss shot ki wajah se bach bhi jaate toh apne chakkar me SIRIUS waalon ko joki she was sure ki zyada door nahj honge,armed bandon ke beech unhe bhi khatre me daal dete..


DIMPLE-we are trapped SANVY...!!!

MAI-there's nothing as trap.. there's always a way out...


bohot confidence se kahi thi maine apni baat jisse sun pehle hi ab tak jo action ka live show dikhaya tha maine,usse hairan new girl thoda aur hairan ho chuki thi...

wahin ARIF jo ab tak back foot me hi raha tha,apne logon ko dekh uska confidence aur ghussa wapas aa chuka tha...

apne paas khade ek bande se uski gun le mujhpar taan diya usne aur..


ARIF-saale ho kaun be tum log..!!!ek taraf teri MAA ko bachane ke liye koi achanak mere raaste me roda daal deta hai aur tu..

school ka ek lounda hai tu par itna tagda aur professional fighter jo ARIF par, mujhpar bhaari padh gaya.

aur ye teri aakhri hit,kaun sa technique tha woh jiske asar se abhi bhi mera ye haath dheela hua pada hai..

MAI-haath me gun hai phir bhi awaaz mooh se hi nikal rahi hai..chutiya..gun chhod aur apne saathiyon ko bhi waisa karne ke liye bol...


meri baat sun mujhe aise dekhne laga ARIF jaise kisi paagal ko dekh raha ho.


ARIF-hosh me toh hai lounde.. khudko bhi sunayi de raha hai ki kya bol raha hai tu..!!!

MAI-shabd mere hain par bhaavnayen kisi aur ki hain...


meri baat sun confused thobde ke saath mujhe dekha ARIF ne jispar...


MAI-piche dekh...


mere sanshipt line par halka sa ghuma ARIF aur aisa karte hi aankhein badi ho gayi uski..

REASON..

MANGAL ne apni gun taani jo hui thi ARIF par aur ye scene dekh ARIF ke saath saath uske sabhi saathi bhi hairan reh gaye...


MAI-sab ke sab..apne apne guns door feko be..dobara bolna pada toh tumhare boss ka bheja ud jaayega..


turant asar hua meri baat ka ya phir ye kahun ki MANGAL ki hand position ka jo uske hold kiye gun par strong ho chuki thi...

ek ke baad ek door fekte chale gaye ARIF ke sabhi log apne apne gun ko...


MAI-go...


DIMPLE jo khud is naye twist ko aankhein faade dekh rahi thi,uske kaano me kahi thi maine ye baat..


DIMPLE-no way,i am not leaving you...

MAI-kuch nahi hoga mujhe..par aage ho sakta hai.. isiliye go,bring help..sabko lekar aao and even call 100 ...

DIMPLE-but...

MAI-please dont argue..just leave, right now..


meri baat sahi lagi new girl ko.. waise bhi abhi MANGAL ki wajah se ARIF aur uske aadmi backfoot par the.

is time ko utilize karna sahi tha isiliye ek baar mujhe dekh aankhon se hi be safe,i will be back soon ka vaada kar turant bhaagi camp fire waale area ki taraf new girl...

dekh rahe the aisa hote ARIF aur uske log par MANGAL ki wajah se haath un sabke naa bandhe hone kw baawjud shakles me the..

wahin ARIF jiski new girl ko jaate dekh puri jhaantein hi sulag gayi thi, turant ghumi uski gardan MANGAL ki taraf...


ARIF-MANGAL...ye kya himaakat hai...dimag toh thikaane par hai tere.. mujhpar gun taana hai tune..


MANGAL jisne dar aur nervous face ke saath bhi ARIF par gun taane rakhi thi,ARIF ki baat sun thook jo gale me fasa tha,usse halak se neeche utara usne aur..


MANGAL-maaf karna bhai, majboori hai...

ARIF-majboori...aisi kya majboori be ki mujhpar gun taan apni zindagi daav par laga di tune...!!!




CITY-DEHRADUN

PLACE-SANVY'S BEDROOM




VERONICA-aur ye ladki....she is..

VIJENDRA-RITU BHIL.. DAUGHTER OF MANGAL BHIL...


behoshi ki haalath me ek ladki SANVY ke bed par padi hui thi joko aur koi nahi MANGAL ki beti thi.


18 saal ki thi RITU BHIL joki CHAKRATA ke national college me first year student thi..

apne line of work ki wajah se khudse thoda door rakhta tha MANGAL apni wife aur beti ko par in reach me..

that's why CHAKRATA...

apni mom ke saath town se 5 km door bane ek naye naye bane housing project ke 3 bhk duplex ghar me rehti thi RITU...


VERONICA-kab se abduct kiya hai isse..!!!

VIJENDRA-one week ma'am..

VERONICA-the source of unconsciousness...

VIJENDRA-profofol... general...

VERONICA-kitne doses de chuke ho...!!

VIJENDRA-not much ***..kal se hi PROFOFOL ke do doses diye hain.usse pehle i was local...LIDOCAINE..

VERONICA-iski info kaise nikaali...!!!

VIJENDRA-that was all SANVEER..mujhe bas itna bataya unhone ki you helped...!!

VERONICA-me..!!!


thodi shocked hui thi VERONICA...!!!aur ye dekh...


VIJENDRA-jee but how,i have no idea..

VERONICA-isne dekha hai tumhe...

VIJENDRA-no ****i was covered...

VERONICA-hosh me laao aur chhod kar aao isse ghar...

but make sure ki aankhein iski CHAKRATA ke aas paas hi khule..with a story,introduce yourself as her saviour...


VIJENDRA-ok ***..


attention position me aane ke baad turant ek baar VERONICA ke aage jhukne ke baad aage badha VIJENDRA aur behosh padi RITU ko aise utha liye usne apne kandhon par maanlo wazan uska kayi kilos me nahi balki grams me ho...

RITU ko kandhe me laadh room aur phir ghar se bahar jaa chuka tha VIJENDRA wahin usse jaate dekh apna sir shake kiya VERONICA ne aur..


VERONICA-i helped...again...HOW...???





BACK TO MOSSY FALLS:-





ARIF-behenchod..!!!!saale tu hai kaun be...!!!!

school going student hi hai naa yaa plastic surgery jaisa kuch kiya hai thobde me..

saala,aur tu,apni beti ke liye mujhe dokha diya tune..

bhosdike,isne toh sirf kidnap kiya hai,mai toh thok dunga usse aur teri beti ko...


jahan ARIF ki dhamki joki woh yahan se jaane ke baad wakayi sach kar sakta tha,usse sun hadbada aur dar gaya tha MANGAL wahin ussi dar me nazar idhar udhar hui uski jiska turant faayda uthaya ARIF ne.

trousers pehne the neeche usne jiske andar uska favourite hand combat weapon chuppa hua tha..

NAAN CHAKU..

uska right numb hand ab tak theek ho chuka tha ji bijli ki gati se gaya neeche aur agle hi pal usne apne NAAN CHAKU bahar nikaal liya tha...

aisa karte hi ek nuns ka ek tez jhatkedaar swing ghuma diya tha ARIF ne MANGAL ke haath ki taraf par tabhi..

beech raaste hi rook gaya tha nuns ka safar..

REASON...

maine dekh li thi ARIF ki movement isiliye nuns ke ghumte hi usse pakad liya tha maine...

ye dekh ek baar phir jhatka diya ARIF ne apne haath ko jiske asar se mere hisse ka nuns chhut chuka tha..

NAAN CHAKU free tha jiske baad bina MANGAL aur uski gun point ki parwah kiye ARIF ne ek swift clean nuns move kiya mera head aim kar..

waise toh NAAN CHAKU me bohot se hit techniques hote hain but woh sab do variations me merged up hote hain..

FOREHAND & BACKHAND VARIATION...

ye forehand variation move tha jispar halka sa apne right ki taraf tilt hua mai aur agle hi pal NAAN CHAKU meri baanh me fas chuka tha..

SOOBHHH...

forehand variation ko perfectly implify karne ke kiye wrist thoda dheele rakhna padta hai.

yahi wajah thi ki naan chaku mere baanh me faste waqt ARIF ke haathon se halka sarakne laga jo agle hi pal uske giraft se bilkul gayab ho chuka tha..

naan chaku ko left haath se kheechte hue tezi se ghum chuka tha mai..

SOOBHHHH..SOOBHHHHH....SOOBHHHHH...SOOBHHHHH....

NAAN CHAKU movement ka ek behatarin namuna ARIF ke aankhon ke saamne tha jisse dekh woh impress bhi hua aur satark bhi par tabhi..

SOOBHHHH....

forehand variation ke tehath naan chaku ghum chuka tha jisse dekh thik mere move ko copy karte hue ARIF bhi halka tilt hua par yahi bhool saabit hui uski..

beech raaste se hi variation change kiya maine aur apne shoulder joint ke pressure ko exert karte hue move ko BACKHAND VARIATION me convert kar diya tha maine...

variation improvisation ki wajah se naan chaku ka hit point change ho gaya aur vibrate sa hote hue thik sir ke piche pada ARIF ke..

AHHHHHH..

sir ka pichla bhaag halka fat chuka tha ARIF ka...but hit normal kiya tha maine isiliye lehra bhar gaya ARIF par phir turant sambhal bhi gaya...

apne sir ke piche jahan se khoon ris raha tha, haath lagaya usne.

apne bahate khun ko dekh khoon tez ubaal maar gaya ARIF ka..

jalti aankhon se dekha usne mujhe aur..


ARIF-khuda kasam ladke...woh hasr karunga tera ki mout ko tarsega tu par zindagi chhutegi nahi teri..

teri ussi gidgidati haalath me tere hi saamne pehle us loundiya ka aur phir teri MAA ka....


DHAKKK...DHAKKK...DHAKK.....DHAKKK...CHATTTT..


aage bol paata ARIF ki tabhi chale mere fists jinhe theek ussi tarah rokne ki koshish ki usne jaise kuch der pehle uske hits ke jawab me new girl ne kiya tha.

par jahan uske hits new girl ke liye thode extra speedy the wahin mere swings kuch hi palon me ARIF ke liye invisible ho chuke the..

low chin cut..meta hand slash theek uske gaal aur gale ke beech pada tha..is hit se gala ek jhatke me sookh jaata hai sir turant bhaari ho jaata hai.

aisa hi hua ARIF ke saath..ek haath se apna gala aur dusre haath se apna sir pakad liya tha ARIF ne.


MAI-do galti ki tune.pehli khuda ki dusri baar jhuti kasam khaa li aur second,meri khuda,meri MAA ke baare me GALATH bolne ka socha...

kis condition ki baat ki thi tune...mout ko tarsega magar zindagi chhutegi nahi teri...

mehsoos kar tere kahe shabdon ki haqiqat..


apne dono haathon ko zor se shrug kiya maine aur...



EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA TECHNIQUE:-


VAJRABODHI-THREE LEVELS OF GROUND aur NOURISHING KIDNEYS...

ye dono hi moves kaafi zyada deadly hain aur isiliye utne hi tough to execute bhi...

THREE LEVELS OF GROUND me ek baar phir taakat dharti se leni hoti hai but teen baar kishton me..

low,mid aur high pressure ke saath power lene ke beech apne wrist me backbone ki strength lete hue palm hit karna hota hai..

perfect execution hone par opponent ke sharir ka mid part weak ho jaata hai...bohot weak..

aur tab use me laaya jaata hai NOURISHING KIDNEYS TECHNIQUE ko..

ussi backbone aur ground power ko apni ungliyon me daal usse kisi knife ki tarah sharp bana diya jaata hai..

jiske baad sirf ek straight slice hit se opponent ki swans nali 80 percent tak block ho jaata hai..

saath hi saath us hit ka direct asar saamne waale ke dono kidneys par hota hai..it weakens them....

ye dono hi attacks sirf tab hi use karna jab tum apne dushman ko sirf harana hi nahi chahte balki uski aage ki zindagi mout se badtar karni chahte ho...


DHADHHHHH...DHADHHHH...


THREE LEVELS OF GROUND and NOURISHING KIDNEYS...in do suoer deadly moves ko ARIF ke sharir par try kiya tha maine jiske baad wahi hua jaisa VAJRABODHI ne kaha tha...

ARIF ka sharir aur dimag,dono har guzarte pal ke saath sunn hote chale gaye aur..

DHABBBB..

kisi dead person ki tarah mooh ke bal zamin par gir chuka tha ARIF..

aankhein khuli thi jinke beech se nikal rahe continous tears do baaton ki pushti kar rahe the.

pehli ki zinda tha ARIF aur dusra ki sharir par mehsoos ho rahe asahaniya dard ko chilla kar bayan karne ki haalath bhi nahi bachi thi uski...

wahin is scene ko dekh ARIF ke log hadbada gaye aur ye hadbadahat tab dar me badli jab un sabko bohot se flashlights door se jhaankte hue dikhayi diye..

ye dekh apne boss ko chhod turant bhaag nikle the woh sab ke sab,reh gaya tha bas MANGAL jisse aankhon hi aankhon me jaane ka ishara kiya maine..


MANGAL-meri beti...

MAI-ghar pahunch jaayegi..nikal....


baaki logon ki tarah turant nou do gyarah ho chuka tha MANGAL jiske baad ek nazar door se meri hi taraf badh rahe flashlights ko aur phir just saamne pade ARIF numa zinda laash ko dekha maine aur sir shake karte hue palath gaya.

par kuch kadam aage badh ruka mai aur..


MAI-school waalen ye kachra naa dekhen toh hi acha hai..waise bhi aaj ke liye ye jagah SIRIUS ki premise hi hai aur apne premise me bahari logon ka hona pasand nahi aapko, MA'AM....


jahan apni baat keh camp fire area ki taraf badh gaya mai wahin mere jaate hi paas hi ke ek pedh ke piche ae ek saaya bahar nikla aur ARIF ke saamne jaakar khada ho gaya..

ye saaya aur koi nahi balki RANJANA MATTHEWS thi jo kaafi der se chal rahe scenes ko dekh rahi thi...

unki jaisi personality ki presence se waakif tha mai,ye RANJANA MATTHEWS ke liye shocking baat hi thi.

kuch seconds mujhe piche se jaate hue dekhne ke baad ARIF par ek close look diya unhone jispar uski haalath dekh unke sharir me bhi ek thandi leher doud uthi..

chhalakti aankhon ke beech pure sharir me ho rahi vibrations ko dekh kis level ka internal damage kiya tha maine ARIF ki body ka,andaza ho chuka tha unhe..

gaal fulaa thandi hawa bahar nikaalte hue haath se ishara kiya unhone jiske baad unke hi saath aaye kuch log turant harkat ke aaye aur kuch hi seconds me RANJANA MATTHEWS,woh saare log aur unme se ek ke kandhe par lada ARIF REZA scene se gayab ho chuke the..

is beech RANJANA MATTHEWS ke dimag me SANVY ne jo kiya tha,jitni brutally aakhri ke waar kiye the usne ARIF par,woh sab dobara chalne laga tha..

zyada door nahi thi RANJANA SANVY aur ARIF se..

un deadly hits ke beech SANVY ka facial expression jisme daya,karuna,ghussa toh chhodo kisi bhi tarah ka bhaav tak nahi tha, observe kiya tha usne..


RANJANA-VERONICA ke liye sirf kuch kaha ARIF ne aur uski zindagi mout se badtar kar di us ladke ne..

khuda na kare agar kabhi situation baaton se aage nikal gayi toh kya karega ye ladka..!!!more importantly,kya ban jaayega ye ladka..



jisme sab hoga,bas phool nahi, waise VRINDAAVAN HOGA..

jisme sukoon nahi bechaini mehsoos hogi,waisa SAAWAN HOGA...

dharm aur adharm ek ho jaayenge....

RAM ke vyaktitv me lipat jo har vachan aur maryada todega, ye ladka waisa RAAVAN HOGA...









AAJ KE LIYE ITNA HI...







AAPKA APNA V...J...
Mind blowing update bhai
 

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ANJALI CLIFF SE KOODNE KE BAAD SAFELY PAANI SE NIKAL JAATI HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY ARIF REZA KI BODY PARALYZE KAR DETA HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE


UPDATE-54

DATE-8TH JULY





GOOD MORNING SUNSHINE...AAJ PAANCH MINUTE LATE HAIN AAP...

NOT VERY MUCH LIKE SANVEER AHARYA...!!!!

MAI-morning MAA...aap mere room me,itni early...!!!!


aankhein khol uth kar baitha hi tha mai ki meri morning ka swagat MAA ke impactful awaaz ne kiya...

mere computer chair par baithi thi woh aur apne chir parichit smile ke saath dekh rahi thi mujhe..

mere gesture aur phir puche sawal par kuch kaha nahi unhone balki uthi woh chair se aur mere saamne bed ke edge par aakar baith gayi...


MAA-waise aaj off lega toh bhi zyada fark nahi padega...

MAI-off lene se fark nahi padta,waisa karne ki soch se padta hai...

feeling to take break dulls the enthusiasm nerve aur usse fark padega...bohot padega...


constant going ke liye dad ki lines thi ye jo mere mooh se sun ek beautiful smile naach uthi thi MAA ke face par...


MAI-ab aap bataiye, itni morning mere room me yunhi toh nahi aayi hongi aap...!!!

MAA-puchna tha,ye kitni padi thi tujhe..!!!


apni FAITH ROSEGOLD BRACELET WRIST WATCH jisse last year gift me diya tha maine MAA ko,mere saamne karte hue pucha tha ye sawal unhone jisse dekh ek halki si smile naach uthi mere face par...

aur ye smile tab aur badhi jab us watch ko hold kiya maine..


MAI-is wazan ke saath 4,700 rs pada tha ye..aur jo 30 grams weight extract kiya hai aapne iske andar se,uske saath 7 lakhs 50 thousands zyada pada tha ye..


ab baari thi MAA ke face par aane waali hairani thi joki laazmi bhi thi..

exact 30 grams weight ki chiz hi toh extract kiya tha unhone watch se jiske baad she had made sure ki watch is tarah se wapas band ho ki uske khulne ki baat pata hi naa chale...

but aisa ho nahi paaya tha..


MAA-HOLOPHONE H2-PRO 7.2 G.P.S & SURROUND SOUND RECORDING MICROPHONE...


ek bohot hi choti,halki par utni hi branded aur mehengi micro gps + recording microphone tha ye device jiske outer edges me universal magnets lage hue the..

universal as in kisi bhi tarah ke metal ke saath khud ko attach karne ki khubi thi is device ki..

kisi bhi mobile tower aur toh aur radio frequencies waves se bhi is device ke gps ko track kiya jaa sakta tha aur saath hi saath 20 metres ki doori se bhi isme lage super strong catchy micro phones voice ko clear rakh sakte the...

pichle ek saal se MAA ke haath me bandhe watch ke andar chuppa tha ye device jiska pata parso hi chala tha MAA ko..


MAA-how..!!!


wahi sawal jo 2 raaton pehle khud se pucha tha unhone,ek baar phir chadh chuka tha unke zubaan par joki laazmi bhi tha..

itna mehenga device afford maine kiya toh kiya kaise!!!it was a big HOW jiska jawab bhi utna hi mind blowing tha..


MAI-CH93 0076 2011 6238 5295 7....

IDENTIFIER-00762....

NUMBER-011623852957...


jahan ek taraf saare binaries bolte hue mai apne bed se uth bathroom ki taraf badh chala tha wahin un saare numbers aur unki sacchayi samajh naa sirf ek baar phirse MAA ki aankhein badi hote jaa rahi thi par saath hi saath un badi hoti chali jaa rahi aankhon me khushi ki chamak bhi thi...

numbers khatm hote hote maine bathroom ka knob ghuma diya tha par tabhi MAA tezi se palti meri taraf aur..


MAA-you...you cracked it..!!!!

MAI-aapka beta hun.. intelligence aur punctuality,i never lack..

by the way, punctuality se yaad aaya....4.53 ko room me enter hui thi aap...kareeb 5 minute khade hokar mujhe dekhti rahi,uske baad jaakar computer chair par baithi thi aap...

aakhri baat bol bathroom me ghus chuka tha mai aur MAA...

meri baat sun has padi thi woh aur..


MAA-ofcourse mere bete ho tum...par shock dene me gaye tum apne dad par ho..

a pure SANEEL AHARYA'S recipe...with signs of being the better version..





PLACE-SIRIUS (CANTEEN)



WHAT...!!!MAA KO CHEDDA...!!!


CHHEDA...is shabd ko bolte bolte volume kam ho chuka tha ANI ka..

canteen me baithne ka realisation jo ho chuka tha usse...

par nazar me ghurne ka volume abhi bhi high pitch par hi tha joki mere explanation ke core point ko maddenazar rakhte hue sahi bhi tha.

explanation.ussi baat ka jiski wajah se ROOF TOP HILL se blind jump karwa diya tha maine ANI ka..

aur jiska reason abhi abhi bataya tha maine usse joki obviously made up as in jhuth hi tha...


ANJALI-woh log jo mere piche aaye the,MAA ko chheda tha unhone...!!!aur tune mujhe bataya bhi nahi tha..!!?

MAI-kisi aur language me bola tha kya mai...!!!apan jo gandhi udyan jaate hain har sunday,wahin MAA par comment kiya tha un logon ne..

isiliye pel diya tha maine.colony ke kuch bande bhi the saath..un sabne bhi haath saaf kar liya tha...

ab woh sab koi local gang ke log the isiliye sabke saamne peetne par ego sulag gayi un sabki..

isiliye badla lena chahte the woh...

ANJALI-un saalon ki toh.kamine,pehle bataya hota toh jaan le leti haramzaadon ke..


baat MAA ki thi isiliye ANI ka tamtamana jaayaz hi tha...but main sawal toh ab bhi baaki hi tha..

isiliye ghusse se bhara ANI ke face ka expression agle hi pal questionable slide me badla aur..


ANJALI- par mere piche kyun aaye woh sab..!!!

MAI-ek do baar aur mere piche aaye the woh but i was aware isiliye har baar peet ke gaye.

isiliye lagayi un sabne buddhi... piche kiya unhone mera.. detailing bhi nikaali..

aur jab pata chala unhe ki you are my best friend toh tere through mujhe hurt karna chahte the woh..

luckily kisi pehchaan waale ke through mujh tak leak ho gaya unka plan.

so i was prepared...

ANJALI-waah...prabhu hain aap.. dushman ke kheme me bhi apna pehchaan,jugaad laga hi lete hain.

CHATTTTT..

kamine,khud bol raha hai gang ke log the aur phir bhi bhid gaya un sabse.

kuch ho jaata tujhe toh...!!!


mere kandhe par ek zor ka jamaane ke beech apni baat kahi thi ANI ne jispar halka sa has diya mai..


MAI-cliff ke neeche kya tha, khabar nahi thi tujhe... phir bhi bina soche yunhi kood gayi thi tu..kyun..???

ANJALI-mere liye toh tu soche baitha tha..phir mai bhala kyun sochun...!!!

MAI-jab teri safety ke liye soch sakta hun mai toh apne liye bhi toh kuch socha hi hoga na maine...!!!

ANJALI-hamesha ki tarah abhi bhi fasa hi liya naa apni baaton me...

but yaar,aage bhi toh pareshaan kar sakte hain woh log...!!

MAI-nope...ghada bhar gaya us gang ka...MAA ka thulo me koi pehchaan waala tha..

usne andar kar diya un sabko...

ANJALI-nice...!!!

SANVY...!!!


new girl thi ye jo theek mere piche khadi thi...


ANJALI-hey DIMPLE...aise formally piche kyun khadi ho..!!come sit...!!

DIMPLE-no,woh actually,i wanted to talk with SANVY...!!!

ANJALI-ohho.. privaaaaaate talk....haan...!!!


private ko lamba khichte hue ek shararat se bhari smile ke saath sir hilaya tha ANJALI ne jisse dekh thodi hadbada gayi new girl aur..


DIMPLE-nothing like that yaar...woh toh mai...

ANJALI-hey, chill babes...friends hain hum...you dont need to clearify...mazaak kar rahi thi mai..

you guyz talk...aati hun mai...


ye bol DIMPLE se nazar bacha mujhe halka sa wink karte hue uth aage badh gayi ANI...

hamara baaki group auditorium me kisi kaam par laga hua tha.ussi taraf badh chali thi ANI...


MAI-sit...


mere bolne se baith gayi thi new girl aur aisa karne ke beech aur abhi baithne ke baad uske face par jo excitement thi,sawal the, jigyasa thi,usse dekh man hi man has pada tha mai...

waise ye saare expressions logical bhi the..

parso raat jo hua,aisa laga tha DIMPLE ko jaise koi sci fi super high octane action movie ka scene live dekha ho usne..

aise aise moves jinka demonstration toh kya text elaboration bhi nahi padha tha usne...

itne tez hand combat skill,river water se zyada saaf aur fluent defense technique jo practically impossible se kam nahi the,apni aankhon se dekha tha DIMPLE ne..

khud ek kaafi achi fighter thi woh..par ARIF REZA ke saamne khudko kaafi chota mehsoos kiya tha us raat usne.

par ussi ARIF REZA ke saath SANVY kisi amateur bande ki tarah khel raha tha..

kal ka beeta pura din DIMPLE ke dimag me sirf SANVY ki woh fighting hi ghumi thi..

kal kayi baar baat karne ke koshish ki thi usne SANVY se par har baar woh baaki doston aur dusre section ke students se ghira hua tha.

kaafi entertaining tha SANVY isiliye koi na koi bunch uske saath hamesha raha tha..

bache waqt me female teachers ke saath masti karte hue bitaya tha SANVY ne isiliye koi baat nahi ho paayi thi DIMPLE ki usse.

beeti raat neend bhi late aayi usse par jeetni bhi aayi usme bas SANVY aur uske moves hi naache the uske sapne me..


MAI-kuch puchna hai..!!!!


mere saamne baith mujhe bas ektak dekh rahi thi new girl isiliye is khamoshi ko maine hi toda jispar kuch bolne ko hui woh par tabhi..


HEY SANVY...


ek saal junior 2 girls khadi thi mere saamne jo bade excitement ke saath dekh rahi thi mujhe..


MAI-hey..!!!

1ST-can we take a selfie with you...

MAI-sure...


apne garam khopdi aur hamara group joki SAM ke hone ke kaaran school ke sabse popular groups me se ek tha,uska saviour hone ki wajah se sab pehle hi mujhe kaafi maante the...

SIRIUS me yog aur yog gurus ke liye utna hype nahi tha par ACHARYA PRATHAMESH joki ek allround known personality the,unke baare me PRINCI ne kaafi info di thi jisse ashram jaane se pehle google bhi kiya tha students ne.

aur unke jaise renowned personality ka mujhse yun friendly hokar milna mere us popularity ko aur badhaane ke liye kaafi tha..

isiliye hi mujhse nazdikiyan badhane ke liye kal aur aaj bhi kayi students aur khaaskar girls mere aaju baaju mandra rahe the.

ek wajah ye bhi rahi thi new girl ki mujhse akele me baat naa kar paane ki aur ye kahani ab bhi jaari thi...

anyways,baat selfie ki as in ek pic ki hui thi par jaise hi un dono girls ki ungli camara click button par push hui, there was no end to it..

ek ke baad ek kayi photo leti chali gayi woh dono..

alag alag angles me pout karkar,apne bodies ko mere shoulders par continously shrug karte hue apne phone memory ka space bharti chali jaa rahi thi woh dono..

aur ye dekh kuch aur students jo mere aggresive behaviour se parichit the aur isiliye mere paas aane se dar rahe the,un sabka bhi confidence boost ho gaya.

result...

jaise hi un dono girls ka selfie photo session khatm hua,kaafi students same chutiyaape ke liye mere ird gird khade ho chuke the..


THANKS....

MAI-woooo..not this babes...


gratitude gesture ka dikhawa kar sabko dikhaane ke liye un dono girls me se ek selfies ke liye thanks bolne ke beech mere gaal par kiss karne ke liye mere behadh kareeb aa chuki thi..

infact uske honth mere gaal par lagne se millimetres hi door the ki tabhi turant ek taraf sarakte hue khada ho chuka tha mai..

HAHAHAHA...

us girl ka popat hia tha isiliye has pade the sab jispar pair patak apni friend ke saath nikal gayi woh..


MAI-guyzz... phir kabhi...


shaant tone par ghoorti aankhon se kahi thi maine ye baat jisse sun mere aaju baaju gather hui woh mini bheed turant nou do gyarah ho gayi...


MAI-so, where were we...???


new girl jo is pure waqt bas mujhe ghoore jaa rahi thi,palta mai uski taraf..


DIMPLE-we were no where... mai yahan baithi hui thi aur tum selfies ke bahane tharkipana kar rahe the...


MAI-hahahahaha....


ghussa but most importantly,ek unknown jalan feel kar rahi thi new girl apne andar jiska reason woh jaanti toh nahi thi par pehla feel, anger uske charam par hone ke kaaran abhi usse aur kuch jaanana tha bhi nahi...

aur meri hasi ne new girl ke us ghusse par aag me ghee ka kaam kiya tha...

kehte hain ghussa vivek ka sabse bada dushman hota hai..aisa hi kuch abhi hone waala tha...


DIMPLE-whats so funny...!!!

MAI-somebody is feeling jealous...i wonder,why..???

DIMPLE-wonder toh pakka kar rahe ho tum...mujhe jo jealous bata rahe ho..!! dude,i am DIMPLE freaking BATRA...

mai aisi looser feeling ke liye bani hi nahi...

but just for a reality check,hazaron bande har waqt ghumte hain mere aage piche...and mind you, they all are better than you...

jab unke kisi harkat ka i have never given a damn than who in the hell do you think are you...!!

MAI-who the hell am i..!!!i am SANVEER FREAKING AHARYA...

hazaron bande, mujhse better..!!!name one... just one..

DIMPLE-you...

MAI-ya you....give me a name.. just a name...


ab new girl chidi hui zaroor thi par false aur fake naam woh le sakti thi nahi...

she new ki baaki sab toh door ki baat hai,mere saamne woh khudko bhi nahi rakh sakti thi..

yahi wajah thi ki uski woh nazar jisme ab tak ghussa aur chidh tha,ab unme nervousness ne ghar karna shuru kar diya tha..


KRRRRRRR.....

hum mese koi kuch aur kehta ki tabhi recess khatm hone ki bell baj uthi jiske baad baaki sabke saath ANI bhi jisse new girl ki nervousness chuppi nahi thi,smile karte hue canteen se nikal gayi..

wahin ek halki smile ke saath mai bhi palta aur mudkar aage badh gaya..

par kuch kadam aage badh ruka mai aur palta new girl ki taraf jo mujhe hi dekh rahi thi...


MAI-i can understand..hazaron naam hai chhaatne ke liye, select karne me waqt lagega...

but don't you worry,yahin hun mai..araam se batana naam...

magar agar naa bata paayi toh....


mere toh ke baad liye pause ne new girl ke maathe par sawal waale silwatein paida kar di thi jisse dekh ek baar phir muskuraya mai aur...


MAI-toh no one bol dena ya phir ek better option bhi hai...

us ladki ki tarah kiss karne ki koshish karke grateful hone ka gesture dikha dena...


DIMPLE-you....

DHAKKK........THAKKKK.....


table par coke ki can rakhi hui thi jisse ghusse se utha feka usse new girl ne meri taraf..

par mai bilkul hadbadaya nahi..can ko bade araam se catch kar liya maine lekin phir diya maine apne right wrist ko jisme woh can tha,halka sa jhatka..

par woh jhatka aur usse release hua pressure itna high tha ki nano seconds me can new girl ke face se hota hua paar ho chuka tha.

dhang se dekh bhi nahi paayi thi woh us can ko..bullet cross hua ho,aisa feel kiya tha new girl ne...

uske kaan ke paas aaye baalon ko halka hawa deta jaa chuka tha can aur jab tak new girl palti, thode door wall par hit hone ke baad uske edge par rakhe trash bin me gir chuka tha woh can..


MAI-aise throw karte hain...!!!


mera aisa hi kartab 2 raat pehle sticks ke through bhi dekha tha usne aur usse pehle same speed aur technique apne saviour lady ka bhi view kar chuki thi new girl..

khud hazaron baar try kar chuki thi par apne feke chizon me aisa force kabhi paida nahi kar saki thi new girl...

khair,apni baat bol palat gaya tha mai par tabhi..


DIMPLE-teach me...


new girl ki baat sun palta mai uski taraf aur wapas pahuncha uske saamne...


MAI-sikha toh deta par...

DIMPLE-par..!!!par kya...!!!!free me nahi bol rahi hun..i will pay you...!!!!


ego abhi bhi chadha hua tha ladki ke dimag me..


ia aakhri baat ko sun sir halka shake kar ek baar phir jhuka mai new girl ki taraf aur..


MAI-babes,you cant afford me...


jahan ye bol palaththe hue canteen se nikal gaya mai wahin same dialogue jo uski saviour ne bola tha usse,mere mooh se sun halka shock ho gayi new girl...


par meri aakhri baat ne uske ghusse aur ego, dono ko jaise ek jhatke ke khatm kar diya tha..

mujhe piche se jaata dekh ek confident smile naach uthi thi uske face par aur...


DIMPLE-lavs sahi nahi the yaar aaj tere DIMPLE...kuch bhi bol gayi..par ab.....





bolne ka kaam hai zubaan ka,sahi ho ya GALATH,kuch na kuch toh KAHENGE...

nadi ke paani hai hum,jahan marzi hogi,us aur BAHENGE...

akad hum me bhi hai,rubaab tum me bhi hai,par itna jaan lo...

sikhne ka jo socha hai tumse toh ab kuch bhi ho jaaye,hum toh tumse seekh kar hi RAHENGE...









AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Awesome update bhai
 

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF KUCH BINARY DIGITS BATA SANVY APNI MAA KO HAIRAN AUR KHUSH DONO KAR DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF DIMPLE THAANTI HAI KI WOH SANVY SE FIGHTING SKILLS SEEKH KAR RAHEGI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-55

DATE-12TH JULY


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS





GOOD MORNING STUDENTS...


pehle ke 8 periods jinme se ek me bhi aaj off nahi mila tha hume,woh sab pure hue hi the ki final period joki environmental science ka tha aur jisse aaj free samajh sab chill mode me aaye hi the,hamare galathfehmi ko door karte hue class me enter hue hamare vice principal MR SAJU FERNANDIS...

ek junior teacher bhi the unke piche...


SAJU FERNANDIS...vice PRINCI the ye SIRIUS ke...naam ki tarah personality bhi foreigner si hi thi..

height 6.4 thi inki..cleam white face par french cut ke saath europe ke hi lagte the MR SAJU FERNANDIS..

waise hain ye south indian... senior science classes ko chemistry padhate hain ye..

infact MR SAJU ek loute aise school devision teacher bhi hain jo SIRIUS ke college division me bhi padhate hain...

anyways,sir ko dekh hum sab ka aalas ek jhatke me khatm ho chuka tha aur hum turant uth kar khade ho chuke the...

kuch studius students excited bhi ho chuke the aur woh isiliye kyunki MR SAJU FERNANDIS yunhi kisi class me jaate the nahi..

koi tough competition ya school level challenge hone par hi yun aaya karte the woh...


SAB-GOOD AFTERNOON SIR...

SAJU-afternoon...sit....


hume baithne ka bol apna ek haath trouser ke pocket me daal dusre haath ko lecture table me tika hum sab par ek sarsari nazar daali sir ne aur...


SAJU-INTER SCHOOL BRAIN AWARENESS CHALLENGE... heard of it...!!!!


challenge ka naam sunte hi jitne log jaante the is challenge ke baare me, excited dikhne lage the..


SAM-yes sir..sirf senior three batches hi is challenge me participate kar sakte hain..

SAJU-yup..and from this year,aap sab bhi is challange me participate karne liye qualify ho chuke hai..

and let me tell you,bhale hi ye challenge sirf ek interschool level championship hai but the level and importance of this challenge is too intense..

kyunki ye challenge har school ka i.q,unka standard sabke saamne show karta hai..

this challenge brings in line the pride of every school...

now for the rules of the competition,har school ko total do students represent karte hain..

and i am here now for the selection drill joki bohot hi simple hai...

20 words...total twenty words bolne waala hun mai, thoda fastly...aap sabko jitna yaad reh paaye, utne words paper me likhna hai...

aise paper me..


apna woh haath jo trouser ki jeb me tha,usse ek paper nikaal liya tha sir ne..

us paper me wahi 20 words the jo ab hume likhne the..


SAJU-2 minutes hi milenge is task karne ke liye..simple..!!!


jis challenge me SIRIUS ka pride daav par lage,usme use hone waale words easy toh hone ae rahe..

saare students jaan chuke the ki naa toh VICE PRINCI words thoda fastly bolne waale hain aur naahi unke use karne waale words easy hone waale hain..

isiliye khudko hone waale memory sharpening test ke liye sab taiyar karne me lag gaye..

ek ek plain paper sab nikaal chuke the aur apna apna pen hold kiye vice princi ko dekh rahe the..


SAJU-so ready..!!!

SAB-yes sir..

SAJU-good..and dont forget to mention your name in the top..

so here we go..

1-Abstruse
2. Worcestershire
3. blandishment
4. circumlocution
5. Quinoa
6. Onomatopoeia
7. Aberration
8. Anemone
9. Isthmus
10. Otorhinolaryngologist
11. Demagogue
12. Ignominious
13. Commensurate
14. Expurgate
15. Idiosyncratic
16. hazardous
17. Legerdemain
18. Synecdoche
19. Obstreperous
20. emancipation


waise toh pehle se saare words memorize kiya hua tha sir ne par phir bhi just to be sure,ek baar apne pakde paper par sarsari nazar daalne ke baad tez nahi balki kaafi speedily bolte chale gaye the woh..

speed ka andaza issi baat se lagaya jaa sakta hai ki itne heavy words ko bhi 15 seconds se pehle pura bol chuke the woh..


SAJU-and your 2 minutes starts now...


paper wahin lecture table me rakha sir ne aur issi beech timer bhi on ho chuka tha task ka jispar hadbadate hue,jitna ho paaya tha,yaad karte hue sabhi likhna shuru kar chuke the..

par saare students ke beech teen chehre the joki kaafi calm the..

SAM,new girl aur mai..

par ek fark tha..jahan ek taraf SAM aur new girl isiliye relaxed the kyunki un dono ke tez dimag me ab bhi woh saare words ghum rahe the,wahin dusri taraf mai isiliye bindaas tha kyunki mujhe sirf do words hi likhna tha.

pehla aur aakhri.. challange ki hi tarah baaki words se apne ko matlab kuch tha nahi..

bindaas un do words ko likhne ke baad page ke dusri taraf kamal ka phool banaane me lag chuka tha mai...

wahin mere baaju me baithe NITS aur SONU aise dimag ke ghode douda rahe the jaise i.a.s ka paper likh rahe hon par koi word tika hota magaj me toh naa likh paate..

NITS le dekar 4 words likh paaya tha aur SONU was 1 better..

kul paanch words likh saka tha woh...


NITS-iski MAA ka...ye saala malyali kahan se dhundh dhundh ke words laaya re baba...

sab upar se gaya hai..

SAJU- times up...!!!


2 minutes ho chuke the jiska matlab tha ki aur likhne ka koi matlab tha nahi.

ab koi sahi bhi likhe toh SAJU SIR count karne waale the nahi..

agle minute saare papers unke saath aaye junior teacher collect kar chuke the jiske baad woh un papers ko baari baari check karne me lag chuke the.

is beech new girl ki nazar kayi baar meri taraf ghum chuki thi..

jaanana chahti thi woh ki attempt kiya bhi tha ki nahi maine..

khair,agle 15 minutes ke andar pure class ke papers check kar chuke the woh teacher jiske baad upar ke do papers SAJU SIR ko hand over kar diya unhone jinpar nazar padte hi surprise aur proud, ye dono hi bhaav ubhar aaye the unke face par...


SAJU-hamari PRINCI ne kaha tha mujhe ki is class me mai sabse aakhir me jaun..

i wondered why but ab reason clear hai...

baaki saare classes me ** standard ke ek student ne ab tak highest number of words likhe the that was 15...

second *** standard ke student ne achieve kiya tha...14...

but here we have two names..

DIMPLE BATRA & SAMEER CHANDER...


new girl aur SAM, dono hi apni apni jagah par khade ho chuke the...


SAJU-SAMEER ne 19 words correctly likha hai that is really amazing but itne zyada correct words likhne ke baad bhi he has been able to achieve second position only..

because this girl over here, DIMPLE BATRA,inke saare ke saare matlab pure 20 words sahi hain...

absolutely brilliant...


SAJU SIR ki baat sun drool,wooh aur mesmerizing expressions ek saath dikhne lage the sabhi students ke faces par joki laazmi bhi tha..

haan, DIMPLE was a top student..uske last school and overall records jiske baare me sabhi jaante the,unke binah par school ke champ SAMEER se better bhi maan sakte the usse sab but jo abhi kiya tha DIMPLE ne,that was tough..

asaan shabdon ka chayan nahi kiya tha sir ne aur naahi araam se bola tha un sabko...

he was quite fast..aise me un saare words ko one go me likh dena woh bhi sirf 2 minute me, extraordinary...


JUNIOR TEACHER-sir..


SAJU SIR ki baaton ke beech baaki sabhi papers ko check out kar raha tha woh junior teacher aur aisa karte karte usko nazar ek paper par theher gayi jiske baad halka has sir ki taraf us paper ko badha diya tha usne..

wahin SAJU SIR ne jab woh paper dekha toh turant ghumi unki sarsarati nazar pure class me par phir ek jagah pahunch rook bhi gayi..


SAJU-SANVEER AHARYA...

MAI-yes sir...


samajh toh gaya tha mai ki izzat ka faaluda abhi hoega ich par phir bhi sir ki awaaz par aise tan kar khada hua mai jaise param vir chakra award ke liye namakan hua ho mera..


SAJU-ohhohoho...what an energy...!!!jitni tezi se khade hue ho, utni hi tezi se dimag bhi doudaya hota toh kamsekam ek do words aur likh liya hota...

MAI-with all due respect sir,but ek do words agar zyada likh bhi liya hota tab bhi selection toh naa ho paata..

isiliye koshish bhi nahi ki...

HAHAHA..


meri baat par dabi hasi has pade the sab ke sab jispar ghura sir ne mujhe aur...


SAJU-beta,jitna mooh chala lete ho,utni buddhi bhi chala liya karo kabhi...

khud par aur SIRIUS ki reputation par ehsaan ho jaayega..


MAI-SIRIUS ke liye i am always SERIOUS sir...i will SERIOUSLY do everything so SERIOUSLY that SIRIUS will never have to face anything SERIOUS sir...

hahaha....


jahan kisi jawan ki tarah ek soor aur rythm me pura sentence bol daala tha maine wahin meri baat ko sun ek baar phir puri class has di thi par is baar tone thoda high tha aur iska kaaran tha SAJU SIR ka expression..

meri baat par sir shake karte hue woh bhi halka sa has diye the..

bachpan se dekhte aa rahe the sir mujhe.. meri badmashiyon se bohot ache se waakif the woh...


SAJU-SAMEER,DIMPLE.. congrats..you both are selected for 2020 INTER SCHOOL BRAIN AWARENESS CHALLENGE joki next week hai..

baaki puri details class off hone ke baad staff room se collect kar lena...


DIMPLE aur SAMEER ke papers unhe dene ke beech unse baat karne ke baad sir aur unke saath aaye junior teacher class se nikal gaye the...

is last period ke10 minute abhi bhi bache the joki completely free the isiliye sab apni matargashti me lag chuke the.

par DIMPLE joki abhi abhi mile challenge me first aayi thi,uske face me thoda dissatisfaction tha...

woh uthi aur saamne rakhe lecture table par rakhe SAJU SIR waale paper ko wahan se lene ke baad wapas apne seat par baith gayi...

KRRRRRRRRRRR...


NITS-haash... finally...


final bell ke bajte hi aisi angdayi li NITS ne maano pure din kheti karne se thak gaya ho woh....

chutiya saala...


NITS ke dekh man hi man ye do shabd ek saath nikle the mere aur SONU ke man se..


NITS-toh bhai,aaj pakka naa..!!!

SONU-bhosdike,10wwi bbaar puch rraha hai ttu...

NITS-100 baar puchunga..kya kar lega be...!!!

MAI-100 baar puchkar tere ko kya mil jaayega gaandu,ye bata pehle..

NITS-tripti..jibvah ko uske sabse priya vyanjan ka swaad milega,us soch ki tripti....

SONU-kya bak raha hai be...!!!

NITS-excitement pagle, excitement...

SAM-kis baat ki excitement bhai...!!


apne apne school bags le hamare paas aa chuke the SAM aur baaki sabhi group waale..


NITS-CHIKEN CHETTINAD...aur kaahe ke liye..

SAM-arre bhai, uske liye toh mai bhi super excited hun..

EKPREET-hum bol bhai...pel ke khaayenge aaj toh...

MAI-kab nahi khaate be...

KHANAK-mai toh aaj chicken ki puri recipe lene waali hun..

ANJALI-recipe mujhse le le...but kuch hoga nahi...

najaane kitni baar MAA ko live banate dekha hai maine..

apne ghar ke chef ko bhi dikhaya hai but MAA waala taste match nahi hua and i am damn sure ki hoga bhi nahi...

DIMPLE-really..is she that good...!!!

ANJALI-you will see for yourself tonight... chicken ke saath ungliyan na chaba jaao toh kehna...

DIMPLE-well i doubt so..chicken khaati hun mai but i am not that into it..

ANJALI-we will see...

SAM-abhi chalen guyz... staff room se competition k papers lene hain,unpar PRINCI ke sign bhi karwani hai..

DIMPLE-SAM,mere bhi papers collect kar loge...

SAM-sure..sign bhi karwa dunga..

DIMPLE-thanks...

SAM-chal bhai.shaam ko milte hain..7.pm...kya bolte ho guyzz..???

SAB-perfect...


SAM ke saath saath baaki sab bhi class se nikalne lage the...


DIMPLE-so...!!!

MAI-so...!!!!


baaki sabke saath NITS aur SONU bhi class se nikal chuke the..mai bhi class ke door par pahuncha hi tha ki tabhi new girl joki wahin khadi thi, mere theek saamne aakar khadi ho chuki thi...


DIMPLE-matlab sirf haath pair hi tez chalta hai,dimag average hai tumhara...only two words...!!!

MAI-have we discussed your sallery yet..!!!!

DIMPLE-excuse me..!!!

MAI-ab mujhpar lagatar gour karne ka job kar rahi ho tum toh you deserve salary right..!!!

DIMPLE-hahaha, very funny...but seriously, let's barter...

tum mujhe fight me train kar do and i will help you with

brainy stuffs....

MAI-wow...nice offer,but i will pass..


ye bol mai new girl ke baaju se ho aage nikalne ko hua hi tha ki tabhi..


DIMPLE-soch lo..ho sakta hai,mujhse learn kar next time,tum bhi pure 20 words memorize kar paao....

MAI-tumhari tarah...!!!

DIMPLE-yup...

MAI-can i see your paper...


meri is khawahish ka reason toh andaza nahi laga paayi DIMPLE par bina zyada soche apne bag se woh paper nikal mujhe pakadwa diya usne...

ek pal nazar daali maine us paper par jisme new girl ne saare ke saare words likhe the...


DIMPLE-dekh lo...saare words hain....

MAI-woh toh hain..par khush toh phir bhi nahi thi tum...!!!

DIMPLE-matlab...!!!!


light mood aur face hadbadahat aur seriousness me badal chuka tha new girl ka...


MAI-lecture desk se SAJU sir ka page yunhi toh nahi liya hoga tumne..

afterall,aisa koi word toh mila nahi hoga usme jo chhut gaya tha tumse...

15th word sir ka IDIOSYNCRATIC tha aur 20th EMANCIPATION...baaki saare words sequence me likhe the tumne bas in do words ko aage piche karna pada tha tumhe...

isiliye upset thi naa tum...!!!!


meri baat sun aankhen badi ho chuki thi new girl ki joki hona hi tha..

aur woh isiliye kyunki SAJU SIR waala paper wapas lecture table par rakh chuki thi new girl jisse maine dekha nahi tha...

par new girl ke paper ko dekh aakhri word tak ke sequence ka knowledge tha mujhe...

iska toh sirf ek hi matlab ho sakta hai tha ki i knew the words..all the words woh bhi complete sequence me...


MAI-i will see you this evening...bye...


jahan new girl ke surprised facial expression ko dekhne ke beech paper ko uske bag me daal aage badh gaya mai wahin kuch seconds mujhe jaate dekhne ke baad halki smile ke beech sir shake kiya DIMPLE ne..


DIMPLE-this guy is something else...logon ko toh unpredictable hote bohot dekha hai,pehla banda hai ye jo apne aas paas ka pura mahoul hi unpredictable bana deta hai...

dekhen,aaj ki shaam baaki shaamo ki tarah guzarti hai ya phir kuch aisa hoga jo socha naa tha...



AT EVENING:-

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE



WOW.....HOW CAN SOMEONE ALWAYS LOOK THIS BEAUTIFUL...!!!!


VERONICA-beautiful dekhne waale ki nazar me hota hai kid...


ghar me entry karte hi SAM aur baaki sabka swagat VERONICA ne apne bright aur priceless smile se kiya tha jisse dekh SAM ki tarah baaki sab bhi super impressed hue the..

waise toh SAM aur baaki sab pehle bhi mile the VERONICA se par woh thi hi us chaand ki tarah jisse chaahe jitni baar dekh lo par man na bharta kabhi...

aur is baar toh in sab me ek naya chehra bhi tha..DIMPLE BATRA..

jisne sirf suna tha VERONICA ke baare me aur un saari baaton se khudse khudhi uske liye ek chavi taiyar kar li thi DIMPLE ke dimag ne VERONICA ke vyakyitv ke liye.

apne ussi kalpanik chavi ko dimag me taaza kar VERONICA ke ghar ke main door se andar ghusi thi DIMPLE...

kyunki sabse aakhir me khadi thi woh isiliye nazar abhi tak VERONICA ke chehre par theek se padi nahi thi uski...

par ab, padne waali thi...


VERONICA-snacks are on the way...ghar pura tum sabka hai,jahan chaahe chill karo...

hello,tum DIMPLE ho,right...!!!!


SAM aur baaki sab gallery view unblock karte hue hall ki taraf badh gaye aur aisa hote hi VERONICA ki nazar padi ab bhi main door ke hi kareeb khadi DIMPLE par..

par VERONICA ki baat ka jawab mila hi nahi usse..

reason....





jisme dikh kar bhi sab chhup jaaye,saamne KOHRA HI KUCH AISA THA...

jinhe nazarein bhedh na paaye,saamne PEHRA HI KUCH AISA THA...

DIMPLE ka bhavishya saamne khada tha uske....

ek tak dekh rahi thi woh aur kyun na dekhe,aakhir VERONICA ka
vyaktitv, uska CHEHRA HI KUCH AISA THA...









AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
Awesome update bhai
 

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DIMPLE AUR SAM KA SELECTION BRAIN AWARENESS CHALLENGE KE KIYE HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY KE GHAR PAR DIMPLE AUR VERONICA EK DUSRE KE SAAMNE KHADE HAIN.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-56

DATE-12TH JULY


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE


(THE EVENING CONTINOUS)





VERONICA-ARE YOU OK..!!!


nazar atak gayi thi DIMPLE ki VERONICA ke face par....

halke neele rang ki simple suit me thi VERONICA par us sadharan paridhaan me bhi uska vyaktitv asadharan tha...

gala aur uske upar chamakta gora chehra jispar jahan baaki sabko sirf khubsoorati hi dikhti aayi thi wahin DIMPLE ko us face par extreme beauty ke saath unmatchable confidence,focus aur determination ka ek aisa mixture dikha tha jaise usne pehle kabhi bhi nahi dekha tha...

uski khud ki mom ek high profile business tycoon thi but phir bhi waisa raub jo VERONICA ke simple face par tha,naa dekha tha apni mom ke face par DIMPLE ne...

but the most important thing...

VERONICA ke awaaz ne DIMPLE ke brain ke auditory nerve me ek electrical vibration create di thi...

ye vibration tabhi create hoti hai jab brain koi pehle se suni awaaz dobara sunta hai but pehchaan nahi paata...

DIMPLE ko jawab na deta bas shaant dekh uske theek saamne pahunch bade pyaar se uske sir par haath fera tha VERONICA ne aur uske aisa karte hi wapas present me lout aayi thi DIMPLE...


DIMPLE-hhello aunty...!!!yes,i am DIMPLE...!!!SANVY ne bataya aapko..!!!!

VERONICA-hmm... NITS ke mobile par tum sabki group photo bhi dekhi hai maine...

DIMPLE-aunty,you are very beautiful...

HAHAHAHAHA....


DIMPLE ke gesture par VERONICA ke khanakte awaaz me uski hasi goonj uthi har taraf jiske baad..


VERONICA-its quite a compliment coming from a beautiful girl as you yourself are..


jhoota ya diplomatic jawab nahi diya tha VERONICA ne..DIMPLE was extremely beautiful jisse uske pehnave ne aur nikhaar diya tha...

cheetah print ki silk shirt pehni thi usne with a black stripped jeans to go with it..

haathon me bracelet look waali watch jiske upar actual WIN alphabets waali ek bracelet ghumte hue latak rahi thi...

pointed black sandal look waali shoe us pure pehnaawe ko ek extra confident look de rahi thi...

but the most important thing, DIMPLE ka face...us thehre hue saagar ke paani ki tarah lag raha tha jispar chandrama ka prakash padh usse swarg ka rasta batane waale paani ki tarah bana raha ho..

ek sentence me kaha jaaye toh an indian mesmerizing beauty covered within the western layers...

ek nazar me VERONICA ke baaz waali nazaron ne DIMPLE ko completely check out kar liya tha aur woh jaan gayi thi ki kyun unke bete ka dil unke saamne khadi ladki ke liye dhadka tha...

DIMPLE was like a trophy and at the same time,she was a champion player..

aisa cocktail jisse puri tarah hasil karne ke liye SANVEER AHARYA jaise champ ko bhi mehnet lagne waali thi...bohot mehnet....


DIMPLE-thanks aunty..this is for you...


first visit gesture ke tahat perfume ki bottle joki is waqt ek bohot hi eye catchy gift wrap me chuppi hui thi,aage kar di thi DIMPLE ne jisse pure dil se hold kiya VERONICA ne par aisa karte hue uski paarkhi hatheli ne us gift wrap ko jaanchna nahi bhula tha...


VERONICA-is it a perfume bottle..!!!

DIMPLE-sharp hands observation aunty...jee, perfume hi hai..i hope you will like it...!!!

VERONICA-french inhaler..!!!

DIMPLE-jee..

VERONICA-hmm...YVES SAINT LAUREN BLACK OPIUM EAU DE PERFUME..am i right..!!!


bina dekhe perfume ka brand bilkul sahi guess kiya tha VERONICA ne jispar ankhein halki badi honi hi thi DIMPLE ki jo hui bhi...


DIMPLE-how do you know aunty.!!!

VERONICA-ye brand jaanti hun mai aur tumne bhi abhi yahi lagaya hua hai...french bataya tumne isiliye guess kar liya...

DIMPLE-spot on aunty...!!!haan,lauren black hi lagati hun mai..

fragrance bohot mild hai and i like it that way...socha aapko bhi acha lagega...!!!!

VERONICA-sahi socha..i love it..come..


apne saath lagate hue VERONICA DIMPLE ko liye gallery se aage badh chuki thi...


DIMPLE-beautiful..ye sab wakayi SANVY ne decorate kiya hai...!!!!


ANJALI ne bataya tha DIMPLE ko ki apne ghar ka interior SANVY ne khud design kiya hai..

aur gallery se hote hue jaise hi DIMPLE hall ke entrance me pahunchi toh hall decor dekh woh wakayi khush ho gayi...

antiques, aquariums,hand made premium wood sofa set,aur ussi sofe colour se match karta dining table...

aise hi aur bhi bohot se chote chote hall decor se saja hua tha pura hall..

pa kamal ki baat ye thi ki itni saari chizon ke hone ke baawjud hall kaafi spacious lag raha tha...

aur sabse kamal ki baat ye thi ki saare ke saare decors hall ke overall impact ko bright kar rahe the..

hall ko dekh ek refreshing feeling ne ghar kiya tha DIMPLE ke man me..


VERONICA-har chiz ussiki soch hai aur sajaya bhi sab ussine hai..

i am not allowed to touch anything and mai karun bhi kyun..!! it's...

DIMPLE-perfect...


VERONICA ki baat ko DIMPLE ne pura kiya jispar smile karne lagi thi VERONICA par ye smile puri hoti ki tabhi...


DIMPLE-who's that...!!!


left wall jispar hummingbird shaped prints lag us wall ko ek live look de rahe the, uski khubsoorati ko aur badha rahe SANEEL AHARYA ke 4/3 ki us badi si tasvir ko continous praise ke saath dekh rahi thi DIMPLE...

6 feet ke SANEEL AHARYA us pic me abhi puri glory par the..aisi tasveer jisse dekhne waale ki nazar uspar naa atke,aisa ho hi nahi sakta tha.

live example DIMPLE thi...


VERONICA-that's my husband...late SANEEL AHARYA...


VERONICA ki baat par uski taraf palti DIMPLE ki aankhein par un aankhon me zara bhi hairani na thi..

ab VERONICA jaise chand ko SANEEL jaisa suraj hi toh deserve kar sakta tha,jaise samajh gayi thi DIMPLE..

ek baar VERONICA ko dekh wapas ghumi uski aankhein SANEEL ke tasvir ki taraf...


DIMPLE-EMPERIO ARMANI BLACK DIAMOND VISCOSE TRIPLE SPENCER SUIT....

kehna padega,uncle was classy...


suit ko dhyan se dekh uska brand and most importantly,uski puri making bata di thi DIMPLE ne jo VERONICA ko kaafi impress kar gayi thi..


VERONICA-i see you know clothes...

DIMPLE-sirf tabhi jab kapda jaanane laayak ho..and that dress,the brand, making is very eye catchy...

RASHI-hain na uncle super handsome...


DIMPLE ko SANEEL ki tasvir dekhte paa uske paas aa gaye the RASHI, NAISHA aur KHANAK..

DIMPLE-very...

RASHI-pic aisi hai toh live kya hi personality hogi uncle ki..!!!SANVY ko imitate karna chahiye uncle ko..

it will be soothing for eyes...

DIMPLE-kaun si duniya me rehti ho tum...SANVY is exactly like his father...

jaise uncle khade hain,45 degree tilted,chest up,chin up,right haath pocket me,just like kahin nikalne lage hain woh..

ye pura posture,kayi baar dekha hai maine SANVY ko aise...

uncle ki aankhon ka colour aur confidence,dono inherit kiya hai SANVY ne..

look at the way uncle ne apne honthon ko halka sa dabaya hua hai,bohot baar SANVY jab kuch khaata hai ya mostly meetha intake karta hai toh uske lips bhi aise ho jaate hain...

uncle ka second hand visible hai..unki ungliyan exactly SANVY jaisi hai ya phir ye kehna sahi hoga ki SANVY ki uncle jaisi hain...

but the most important part is unka index finger jo rolled up hai,same chiz SANVY bhi karta hai..

bohot karta hai..bas woh jo halki si smile hai pic me uncle ke face par,that SANVY doesn't resembles.

aur woh isiliye kyunki SANVY ki smile aunty ki tarah hai......


hai bolte bolte jab ghuma DIMPLE ka face VERONICA aur NAISHA, RASHI, KHANAK ki taraf toh chup reh gayi woh..

reason..

jahan ek taraf NAISHA, KHANAK aur RASHI aankhein faade dekh rahe the usse wahin VERONICA bina expression ke bas ek tak dekh rahi thi DIMPLE ko..


DIMPLE-i am sorry agar kuch GALATH..

VERONICA-GALATH bilkul nahi ho tum..aur SAHI hone ke liye kabhi maafi mat maagna...

haan, SANVY ki smile meri tarah hai.. that's because his cheek lines aur chin jo mujhpar gayi hai.

baaki sab,he is a two copy of his father..woh bas SANVY ne apni body ko apne dad ki tarah develop nahi kiya hai isiliye resemblence batana itna asaan nahi...

par jis din kar lega...

DIMPLE-bilkul apne dad ki tarah dikhega woh...

VERONICA-no,he will surpass his father..he will look better..ye ek maa ki nahi,ek women ki nazar hai..you will see...

AHHHHHHH....


VERONICA ki baat par koi kuch kehta ki tabhi gunji NITS ke chillane ki awaaz jiska reason bas DIMPLE hi thi jo samajh nahi paayi thi...


RASHI/KHANAK/NAISHA-again...!!!

DIMPLE-Twhat again...!!!???

VERONICA-kuch nahi beta.. it's the guitar..

DIMPLE-guitar..!!!!

VERONICA-SANEEL ka guitar hai..SANVY possesive hai uske liye thoda...har baar NITS touches that aur phir SANVY..

RASHI-usse chhuta hai...thoda kas ke.. come DIMPLE,i will show you the guitar.. it's one in a million...

ek taraf DIMPLE, RASHI, NAISHA aur KHANAK SANVY ke bedroom ki taraf badh chuki thi wahin dusri taraf VERONICA bhi haste hue kitchen ki aur badh chali thi...


KHANAK-arre jaan se maarne ka irada hai kya..!!!!chhodo usse...


bed ke side me apne dono ghutno ke beech fasaya hua tha maine NITS ko...

wahin SAM NITS ke pichwade me aur SONU uske thode bohot dikh rahe sir me tapli baja rahe the...

aur baaki saare lounde wwe ke crowd ki tarah NITS ko aur pelne ke liye hume uksa rahe the..


KHANAK ki awaaz par chhod diya tha maine NITS ko aur sidha hua jispar..


RASHI-nice dress SANVY..

SANVY-haina...party me pehniyo tu...


polo ki t-shirt ke upar cook waali apron pehni thi maine jisse dekh new girl ke face par halki si smile naach uthi...

waise ek aur expression bhi tha uske chehre par..

taarif ka,mere room ke liye.. waise jitna tidy mera room tha aur jis salike se maine isse sajaya hua tha,aise me woh gesture normal bhi tha..


DIMPLE-wow,is that a...!!!

RASHI-MARTIN 1948..yup... pure vintage in all form.


hamare NITS ko kootne ka root cause, meri guitar joki saamne bed par rakhi hui thi,uspar nazar padh chuki thi girls ki...


DIMPLE-may i...


guitar tak turant pahunchi thi new girl par phir usse mera guitar ke prati rookh yaad aaya tha..

par jab haan me sir hilaya maine toh behadh khushi se guitar utha liya usne..


DIMPLE-VERZ....aunty..!!!!


guitar par bane initials ko dekh mujhse pucha tha ye sawal DIMPLE ne jispar ek baar phir haan me sir hilaya maine...


DIMPLE-martin 1948...organic wiring strings,,animal intestine with steal weilding...

dual eco... acoustic and classical giving different and rare sounds on every minor and major...

this is a master piece....


us dark yellow solid wood se bani beautiful guitar ko hold kar uski speciality ke baare me baat karte hue admire kar rahi thi usse DIMPLE...


RASHI-wow yaar.. tumhe toh guitar ki bhi achi knowledge hai...!!

KHANAK-phir toh play karna bhi aata hoga..!!!

DIMPLE-yup,par isse mai..

MAI-try it...


"play kaise kar sakti hun"..mere guitar ko lekar sentiment ke baare me jaan ye line kehne waali thi new girl par guitar ko hold kar uske baare me baat karte waqt jo admiration dekha tha maine uski aankhon me,acha laga tha mujhe..

khair,jahan meri baat sun halki hairan hui new girl wahin mai turant palat chuka tha..

meri dish ko final touch dene ka time aa gaya tha isiliye kitchen ki taraf badh gaya mai par tabhi..

TNNN.....NNNTNN....

ek second ke liye rook gaye the mere badhte kadam...

reason...

strings tuned the..e minor se shuru kiya tha new girl ne joki 75 percent tak sahi baja tha...

SAM pichle 3 saal se try kar raha tha par 50 percent bhi sahi dhun nikaal nahi paaya tha woh..

par ye lagbhag right pitch zyada der tak theek nahi rahi...aage ke notes apna safar khone lage jispar smile karte hue kitchen ki taraf wapas badh gaya mai...


MAI-oye cartoon network... lagatar toh steer nahi kar rahi hai naa tu...

ANJALI-chup pogo...har 2 minute me 20 seconds ke liye hi kiya hai,jaise kaha tha tune...


ANI joki mere dish as in paneer pasanda ko steer kar rahi thi,uske paas pahuncha mai joki almost ready ho hi chuka tha...

par mixed veg,malai kofta aur baigan bharta abhi half cooked hi the jisse prepare karne me lag gaye mai aur ANI...


RASHI-help in anything.. myself,NAISHA, KHANAK and DIMPLE are at your service...

DIMPLE-umm.. what's that smell...!!!


kareeb 15 minutes hi guzre honge ki tabhi chaaron girls pahunche kitchen par aisa hote hi ek dish ki smell ne DIMPLE ke taste buds ko active kar diya tha..


NAISHA-arre yahi toh hai aunty ka world famous chicken chettinad.... thoda sa taste karogi....

chicken chettinad joki just abhi abhi bana tha,uski smell wakayi pure ghar me failne lagi thi..


DIMPLE-chicken recipes ke smell toh ache hi hote hain..but bataya tha maine, chicken utna zyada bhi pasand nahi hai mujhe...

MAI-pasand aur pyar me fark hota hai..pasand me options hote hain,pyar me nahi..

aur jo tum taste karne waali ho,woh pyar waali catagory me aata hai..


kuch pieces chettinad ki speciality,moti gravy me saath fold kar nikaalte hue us chote se plate ko new girl ki taraf badha diya tha maine jispar ek pal mujhe dekha usne aur phir ungliyan uski chicken piece ki taraf badh gayi aur agle hi pal..

UMMMMMM.......

woh garm par super soft chicken piece new girl ke mooh me ghulne laga tha..

aur aankhein band kar jis tarah ke expressions de rahi thi woh,batane ke liye kaafi tha ki bohot pasand aaya tha usse recipe...


DIMPLE-wow..this is amazing...arre....


aankhein khol taarif ki hi thi new girl ne ki tabhi plate par nazar padhte hue muskura uthi woh..

baaki pieces gayab jo the..baaki saare girls bache pieces gayab kar chuke the...


ANJALI-baaki sab toh ho gaya..bas salad bacha..chal shuru ho jaa...

KHANAK-mai kar deti hun...

ANJALI-time lag jaayega..aur hum sab ke chicken pieces khaate waqt woh NITS jhaank chuka hai idhar..


aur zyada late hue toh baaki boys ke saath yahi dinner karne aa jaayega woh..


MAI-paas me the knife..

DIMPLE-mai deti hun...

MAI-woh nahi...uski side waali..


knives ka ek pura set rakha hua tha jisme se ek uthane jaa rahi thi new girl par mere input aur finger pointing ko samajh meri batayi knife utha li usni..


DIMPLE-sab slicing ke hi toh kaam aate hain...

whats the difference...!!!

MAI-wahi jo sand aur soil me hota tha..

jo knife tum utha rahi thi,usse ROCKING VEGETABLE CHOPPER AND MINCING KNIFE kehte hain..

bulk me green main course vegs ko slice karne ke kaam aata hai woh...

but this one,CRAFTSMEN MEZZALUNA SLICER, sirf salad vegs ko slice karne ka kaam karta hai ye...


saamne rakhe basket ko apni taraf sarka liya tha maine jisme gaajar,kheera, pyaaz,tamatar,lemon broccoli aur baaki saare salad ki chizen rakhi hui thi....

taktaktaktak.....

onion se shuru kiya tha maine aur dekhte hi dekhte jis speed se saare salad items kaathte chala gaya mai,new girl ke saath KHANAK aur RASHI ki bhi aankhein badi hoti chali gayi..

wahin ANI ke saath NAISHA bhi mere slicing skills jaante the isiliye they were normal...


KHANAK-wow yaar..you are a proffessional...

MAI-rocket science thodi naa hai...time ke saath aa hi jaata hai...

VERONICA-every thing ready...!!!arre waah,salad hi dekhne aa rahi thi mai...chalo phir,saare dishes dining table par rakhte hain warna NITS yahin kitchen me dining table laga dega..

chaar panch round laga chuka hai woh...


MAA ki baat par smile karte hue food trolley me ek ke baad ek hum sab saare dishes sajane lage the..

agle paanch minute me dining table par saare dishes lag chuke the...


DIMPLE-chicken is delicious aunty...!!!!

SAM-haina.it's the best...

NITS-better than the best..


loundo ko toh jaise kisi aur chiz se matlab tha hi nahi...khudse khudko chicken serve kar pelna start bhi kar chuke the sab..

wahin new girl ki baat sun MAA ne bas smile bhar diya..

is beech mom ke plate me rice,daal aur side me meri banayi paneer pasanda mai serve kar chuka tha..


DIMPLE-aap chicken nahi le rahi aunty...

ANI-nopes..jab SAN koi dish banata hai toh aunty kuch aur nahi khaati...


MAA ke naam par khud pasanda ke kuch pieces apne plate me daal liye the ANI ne...


DIMPLE-can i try some...

MAA-you can have it all beta..puchne ki zaroorat nahi...


meri banayi pasanda DIMPLE ke plate me daalne lagi thi MAA.


DIMPLE-bas bas aunty..aur kuch nahi...

MAA-ye bharta bhi SANVY ne hi banaya hai..try some...


pasanda ke baad bharta bhi thoda sa daalne lagi thi MAA jispar pehle toh mana kar rahi thi new girl par mera naam sun chup ho gayi woh..


DIMPLE-hmmm... it's good..very good...

MAI-thanks...


ye aakhri shabd tha dining table par..no talk while eating rule ke tahat sab shaanti se khaane me lag chuke the..


NITS-ahhhhh...maza aa gaya bhai... chicken kuch zyada khaa liya shayad..pet full ho gaya hai...

khaane ke baad halke dakaar ke saath pehli tripti se bhari awaaz NITS ke mooh se nikli thi..


MAI-saale..3 kg chicken tha jisme se 2 kg tum paanchon hi pel gaye ho...bhar nahi fat jaayega pet...

MAA-kuch nahi hoga..ye lo, caramel custard...hazam ho jaana hai sab...


heavy chicken recipe ke baad meetha loosen up karne me bohot asadar hota hai...

jahan baaki sab jab custard thoosne me lag chuke the wahin mai saare plates wapas tray me daal chuka tha...


DIMPLE-lao,mai le jaati hun...

MAI-tum,no..chill karo,mai chhodkar aata hun..


tray dhakal kitchen ki taraf jahan MAA ANI ke saath pehle hi jaa chuki thi,badh gaya mai..

par jahan baaki sab custard khaate hue chit chat me lag chuke the wahin DIMPLE ne dheere se mere piche kitchen ki taraf rukh kar liya tha...


ANI-oye tu jaa...hum dekh lenge...


plates wash karne me MAA ki help kar rahi thi ANI...


MAI-mai nahi tu jaa rahi hai...idhar rahi toh baaki ladkiyan bhi aa jaayengi..

aur dinner ke baad mehmaan plates dhote ache nahi lagte...

MAA-sahi bol raha hai SANVY baccha..tu jaa, enjoy kar baaki sabke saath...ye sab mai dekh lungi...

ANI-MAA,mere jaane se kuch nahi hoga..un sabko ek saath ek jagah sirf ye ullu hi rakh sakta hai..

MAA-toh tum dono jaao phir...

MAI-no way...plates zyade hain..

DIMPLE-uski chinta mat karo..mai help kar dungi aunty ki..

VERONICA-beta aap kaise..!!!

DIMPLE-naa nahi sunane waali mai...i am helping you..waise bhi gathering me baithna is not my cup of coffee...


aage kuch bolne ka mouka hi nahi diya tha new girl ne...

ek saath bulk me plates utha sink me rakh chuki thi woh...

ye dekh MAA ke face par halki smile aa gayi aur mujhe,ANI ko ishare se jaane ke liye kaha unhone...


MAI-so,kya puchna tha beta aapko...!!!!


humare jaate hi MAA ke sawal par ek second ke liye hairangi se dekha unhe DIMPLE ne par phir smile naach uthi uske face par..


DIMPLE-ab pata chala ki SANVY ko uski observation skills kahan se mili hai..


DIMPLE soap up kar rahi thi jisse wash karte hue ek taraf rakhti chali jaa rahi thi VERONICA...


VERONICA-kya ye pehla sawal tha...!!!??

DIMPLE-ye compliment tha jisme i know aapko zyada dilchaspi nahi hai...

SANVY is brilliant....i mean uska level kya hai,isse predict bhi nahi kiya jaa sakta..

ab aapko toh pata hi hoga ye.. but aisa kyun hain ki itna brilliant mind,extra active body ke hone ke baawjud hi showcases himself just as an ordinary student...


DIMPLE ke sawal par ek second ke liye haath ruke VERONICA ke aur...


VERONICA-ordinary...defination kya hai is shabd ka...!!!

DIMPLE-jo regular activities me aam ho..

VERONICA-SANVY hai kya...!!!


VERONICA ke sawal ka jawab toh SANVY ki taarif ke through pehle hi jawab de chuki thi DIMPLE isiliye sirf naa me sir hila diya usne...


VERONICA-tumhare hi statements ko agar ek line me kahen toh SANVY is the new synonym for extraordinary...

log challenges me participate isiliye karte hain kyunki man me jeetne ka thrill hota hai...

he doesn't participate beause he knows he will win..

matlab no thrill..and without thrill...

DIMPLE-participate karne ka kya maza..!!!but, appreciations ka kya...???his level of talent,bohot naam ho sakta hai uska...

VERONICA-ab yahan baat choice ki hai..fame chahiye ya nahi,ye SANVY ka apna decision hai...

DIMPLE-aapko toh pata hi hoga ki SANVY is way too good in martial arts..aise aise moves hain uske paas jo maine kabhi apni life me nahi dekhe...

who has trained him...!!!!

VERONICA-beta life jee hi kitni hai tumne abhi..!!! surprise hone ke bohot se mouke milenge tumhe...

rahi baat SANVY ki toh...2 saal ka tha woh..jis umar me bacche totlate hue thoda bohot tuta futa bol lete hain, nursery aur kg's ka pura knowledge ho gaya tha usse aur koi specific teacher nahi tha uska.

uske papa tv me gyan darshan aur dusre primary teachings waale channels ke saamne usse baitha diya karte the.

bas un channels ko dekh sirf letters,words aur numbers hi nahi sikhe usne balki sikhaane waale teachers ko perfectly copy bhi karne laga tha woh...

bottom line,woh kahin se bhi sikh sakta hai aur improvisation uske blood me hai..

har chiz ko us level tak le sakta hai woh jis level par woh chiz kabhi gayi hi nahi...

apne hi dhyan me baat karte hue saare plates ko wash karti ja rahi thi VERONICA aur bade dhyan se ye hote dekh rahi thi DIMPLE...

reason...

chiz badi aam thi par jis tarike se plates rub karne ke baad side me rakhe plate holder me rakh rahi thi VERONICA,woh aam nahi tha.

VERONICA bina dekhe hi apne haath se aise angles bana saare copper aur kaanch ke plates us holder me rakh rahi thi ki awaaz tak nahi ho rahi thi..

jabki itni bekhayali me koi aur aisa karta toh 10 me se 9 plates toot chuke hote...


DIMPLE-wow aunty... you are really good with knives...kaise kiya aapne..!!!


plates rakhne ke beech salad waale bade se knife ko dhone ke baad bas apne index finger aur thumb ke sahare left me bane knife stand me uchhalte hue knife ko uske exact position jiski chowdayi bas 1/2 inch ki thi,andar daal diya tha VERONICA ne..

again without seeing..

aisa perfect flick mushkil tha..bohot mushkil..khaas kar tab jab same time me right hand se plates holder par plate bhi rakh rahi thi VERONICA..

aisa kuch karna brain ke double time active hone ka saboot tha...


VERONICA-ye kitchen mera hai beta..pichle 10 saal se iska har inch naapa hai maine.kaun si chiz kahan hai aur kahan honi chahiye,iske liye dekhne ki zaroorat nahi hai mujhe..

10 saal..jo chizen VERONICA kar rahi thi,10 kya 50 saal bhi aise perfection ke liye kam the..

jaanti thi ye baat DIMPLE par kuch kaha nahi usne...


VERONICA-tumhare sawal pure ho gaye toh ab ek sawal mai puchun..!!!???


aakhri plate holder par rakhne ke baad ghumi VERONICA DIMPLE ki taraf..


DIMPLE-sure aunty...

VERONICA-itne sawal puche tumne jinhe puchne ke piche kayi reasons honge..

par agar sirf ek reason batana ho toh..!!!! what's yours...!!!???

DIMPLE-i wanna learn from him...!!!

VERONICA-really..!!!kya??

DIMPLE-pehle toh sirf fighting techniques sikhne the but ab toh SANVY mujhe multi purpose book lagne laga hai..

VERONICA-hahahahaha......hmm.....usse pucha hai tumne...!!!

DIMPLE-haan,par mana kar diya usne...

VERONICA-phir tumne pucha nahi hoga,offer diya hoga..you know,barter something...


sach kaha tha VERONICA ne..yahi toh kiya tha DIMPLE ne..yahi wajah thi ki hairangi dikhi DIMPLE ke face par jiske baad...


DIMPLE-how do you know..!!!

VERONICA-i know my son...tum samandar ko gehrayi offer karogi toh offer reject hi hoga naa...


VERONICA ki baat sun halki maayus ho gayi thi DIMPLE jisse dekh halka smile kiya VERONICA ne aur...


VERONICA-aankhon me desperation ya competition waale bhaav ke saath nahi,sachhayi ke saath dekho usse aur bas puch lo...mana nahi karega...

DIMPLE-mai samjhi nahi..

VERONICA-wakayi sikhna chahti ho...!!!

DIMPLE-haan...!!!

VERONICA-ye jo haan kaha naa,jis feel ke saath kaha,bas ussike saath puch lena...!!!


saare topics cover ho gaye toh jaao,be with your friends..aur haan, guitar agar aur try karna ho toh kar lena,mana nahi karega SANVY tumhe...


"tumhe".. DIMPLE ko dekh is shabd ko jis tarah se kaha tha VERONICA ne,ek alag hi haya ko parath chaddhi thi uske face par..

pehli baar bhi jab SANVY ne guitar ke liye haan kaha tha aur jis tarah se kaha tha,bohot acha laga tha usse...

khair,halke smile ke saath palath gayi woh par phir kitchen door ke edge par pahunch wapas palti woh VERONICA ki taraf joki usse hi smile ke saath dekh rahi thi..


VERONICA-aur kitne sawal reh gaye...???

DIMPLE-SANVY par sawal toh shayad kabhi khatm hi na ho,par ek dusra sawal man me lagatar uth raha hai..!!!

VERONICA-kya..!!!!???

DIMPLE-kya hum kabhi mile hain...!!!????

VERONICA-haan...bachaya hai maine tumhe...!!!!


VERONICA ki baat sun expressions change hone lage the DIMPLE ke..


VERONICA-mai har waqt apne bete me rehti hun.. mera aks hamesha usme dikhta hai jisse har din anjaane me hi sahi,dekha hai tumne..

aur kuch din pehle MOSSY FALLS me bachaya tha tumhe mere bete ne...ab usne bachaya toh maine bachaya...


VERONICA ki is baat par expressions wapas normal ho gaye the DIMPLE ke par dil aur dimag.!!!!

confusion tha usme jisse abhi ke liye relax mode me daal diya tha usne..


DIMPLE-it was an honour to meet and talk with you aunty... agar man kiya toh kya mai kabhi kabhi aa sakti hun yahan...!!!


DIMPLE ki baat par uske paas pahunch bade pyar se uske sir par haath firaya VERONICA ne aur pyar wakayi tha...

kyunki mehsoos kiya tha us pyar ko DIMPLE ke dil ne...


VERONICA-ghar aur log jab apne ho,toh aane ke liye man nahi dekha karte..bas aa jaate hain...


apne aap hi gale lag gayi thi DIMPLE VERONICA ke jiske baad ussi smile ko carry karte hue SANVY ke room ki taraf jahan se sabke hasne ki awaaz aa rahi thi, badh gayi DIMPLE..

wahin DIMPLE ko piche se jaata dekh rahi thi VERONICA par face bilkul sthir tha uska...


VERONICA-SANVY,DIMPLE...




kache umr ke woh do kirdaar jo is kahani me sabse BADE HAIN...

alag alag raahon se hote hue ab ye ek dusre ki taraf MUDE HAIN...

khawahish aur chahat dono ko hai ek duje ke liye magar...

andaza nahi ki alag hone ke baawjud kitna ye ek dusre se JUDE HAIN...










AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Fantastic update bhai
 

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA DIMPLE KE SHARP OBSERVATION SKILLS SE IMPRESS HOTI HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY SE SIKHNE KE LIYE USSE KAISE MANAYA JAAYE,ISKA TARIKA VERONICA DIMPLE KO BATATI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-57

DATE-19TH JULY


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS





LET HEAVEN AND MEN AND DEVILS, LET THEM ALL, ALL, ALL, CRY SHAME AGAINST ME, YET I'LL SPEAK. I KISSED THEE ERE I KILLED THEE.NO WAY BUT THIS, KILLING MYSELF, TO DIE

UPON A KISS.


jaise imagination se koi painting bana rahi ho,certain contemporary hand movements ke saath is sentence ko bola tha MISS CHOUBEY ne...

MISS LINDA CHOUBEY....half British half indian hain ye but jhukaav completely enland waali taraf hai inka..

pichle saal hi SIRIUS join kiya hai inhone par itne prestigious school ka hissa hone ke baawjud inka yahan ka stay temporary hi hai..

pichle saal hi England me aaye recession ki wajah se inki wahan job chali gayi thi..

theek ussi waqt inki mom joki inke half indian hone ka reason hain aur jo yahin dehradun me rehti thi,unki death ho gayi thi...

death ceremony me yahan aayi thi ye but kyunki inka sibling bhi tha isiliye property division ke liye joki disputable tha,MISS ko yahan rehna pada tha..

guzarte waqt ke saath paison ka shortage hona hi tha isiliye yahan SIRIUS me job apply kiya tha MISS ne...

london me bhi ek international school me padhane ka experience tha MISS ko aur ussi experience ke kaaran she got the job here...

par yahan padhate hue bhi LONDON ke bohot se schools and colleges me job apply kiya hua hai MISS ne...

par kyunki property waala case abhi bhi court me hai isiliye Britain me job hunt ki koshish minimum par hi rakhi hai inhone...

but as they say,soul roams in the places that heart desires, aisa hi kuch case tha CHOUBEY MISS ka..

western culture aur wahan ke poets, writers ko bohot zyada high regards deti hain woh aur unka aisa karna unke padhane ke procedure bhi saaf jhalakta hai jaise ke abhi..

literature se nikle woh lines jo abhi abhi bole the MISS ne,unhe kehte waqt jaise un lines me bataye gaye matlab me jaise doob si gayi thi MISS CHOUBEY..


MISS-with this breathtaking line,we end the beautiful chapter of OTHELLO...

any questions...!!!!


book lecture table par rakh apne spectacles adjust karte hue MISS ki nazre ghumi puri class ki taraf par jawab me sabke shaant chehre hi dekh saki woh joki obvious hi tha..

SAM aur DIMPLE as in the two toppers of our class,unke liye literature ka ek chapter hi kya pura book hi clear tha aur unko chhod jitne bhi students the, literature hi ek aisa subject tha jispar tark vitark koi bhi karna nahi chahta tha...

it was like dhang se rato aur paper bharo...waise toh aisa karna har class me hi normal tha par unfortunately and unlike us,B section me kuch students the jo MISS se chapters discuss karte the..

issi wajah se hume har baar MISS se sunani padti thi joki aaj bhi hone waala tha...


MISS-wow,no questions..matlab you all have by hearted your literature completely, right..???

aur aisa ho bhi kyun naa...after all, it's
section A....school ki sabse interesting aur energetic class section.

sab pata rehta aap sabko kyun..!!!!how about,i test...

OTHELLO chapter se koi bhi ek quote bataiye aur dhyan rahe, agar kisi ka bhi haath book ki taraf gaya toh i will fail him or her in the first semester..


MISS ke sawal par lagbhag sabhi ka haath saamne rakhe apne apne literature ke book ki taraf jaa raha tha jo MISS ki dhamki sun turant wapas back off kar chuka tha...

wahin as expected,miss ke sawal par SAM aur DIMPLE ke haath jawab dene ke liye upar uth chuke the jisse dekh..


MISS-just as i thought...SAMEER and DIMPLE...woh do pedh jinke sahare ye puri class respect aur authenticity ka fruit khaa rahi hai...

par aaj nahi..haath niche kariye aap dono..jawab kisi aur ko dena hoga..you, NITENDRA BHATNAGAR naam hai naa aapka...sir neeche karke kya dhoond rahe ho floor par..!!!???


NITS joki khudko miss ki nazar se chhupane ke liye thoda sa jhuk kar sir neeche kiye baitha tha,MISS ki awaaz sun hadbadate hue khada ho chuka tha woh...


NITS-miss woh..

MISS-apne faltu ke excuses apne paas hi rakho and answer the question.. OTHELLO se koi bhi ek quote bolo...

NITS-sorry MISS...i dont know...

MISS-that i know...tum,stand up and say a quote...

NITS ke baaju me mai baitha tha..

mujhpar hi finger point kiya tha MISS ne..


MAI-sorry MISS..i don't know...

MISS-kamsekam line toh original bol lete SANVEER AHARYA...woh bhi baaju waale ka copy kar liya...

par tumse expect hi kya kiya jaa sakta hai...!!!haan agar gunda gardi karne waala koi kaam hota toh merit me aate tum,kyun...!!!!

board hai is saal..padh lo beta,padh lo warna apne saath saath pure school ka naam kharab karoge tum...

MAI-MISS,pardon me but"WHAT'S THERE IN THE NAME"..NAAM ME KYA RAKHA HAI...ye bhi Shakespeare ka hi quote hai naa..

HAHAHAHAHA...


meri baat sun puri class dabi hasi hasne lagi thi aur MISS,unka para bhayanak chadh chuka tha...


MISS-silence....and you,bohot charming samajhte ho apna aap ko...!!!

MAI-no MISS...woh aap shakespeare ka quote bolne ko bol rahi thi toh OTHELLO ka yaada aaya nahi isiliye unhi ka bola dusra bata diya...

HAHAHAHA...


ek baar phir has padi thi puri class aur MISS.. battamizi ki nahi thi maine,aakhir quote hi toh bola tha isiliye daant chabate hue khudko shaant kiya unhone aur..


MISS-you...tum batao...


MISS ki baat par mere baaju me baitha SONU bhi sir neeche kiye hue hi utha aur...


SONU-ssorry mmiss...i

MISS-dont know...aage ka maine hi bol diya.. mehnet bacha li tumhari jo i i am sure kaafi zyada hi hone waali thi..

kyunki jitna atak atak ke bolte ho tum,ek line bolne me paanch quotes batane ka time le loge tum....


ohhhhh... mujhpar jo chidh tha,usse SONU par nikaalne ke chakkar me GALATH bol gayi thi MISS...

SONU ki natural problem ka mazak uda diya tha unhone par aisa kar jab vyang bhari muskaan ke saath pure class me ghumi unki nazar toh sabko ek disha me dekhte paaya unhone...

meri taraf... sabko pata tha ki apne doston ke liye kaisa tha mai aur SONU bestie tha mera...

aise me dimag ghumna laazmi tha mera..sabko meri disha me dekhte paa jab MISS ki nazar bhi ghumi meri taraf toh ek pal ke liye hadbada gayi thi woh..

unhe hi dekh raha tha mai..face par koi expression nahi tha mere par aankhon me jo coldness thi,usse halki panic ho gayi thi woh..

but teacher thi woh aur upar se egoistic... isiliye...


MISS-hey,whom are you staring at...aur tum sab,faces kyun moode hue tum sabke...

shame on every one of you.. SHAKESPEARE...world ke greatest dramatist aur best ever writer ki likhi legendary play se ek quote bhi nahi bata paaye tum sab...


MISS ki is aakhri baat par halka sa has diya tha mai..halki thi but ye hasi audible aur vyang se bhari bhi thi jisse sun aur dekh liya tha MISS ne..


MISS-badi hasi aa rahi hai SANVEER..koi joke maara maine...!!!

MAI-yes MISS...

MISS-excuse me...!!!

MAI-greatest,best..ye sab perception words hain..it varies from person to person...

MISS-really..!!!toh tum keh rahe ho ki there is a debate for a better writer than shakespeare..!!!

MAI-jee...

MISS-aur kya mai jaan sakti hun ki who's competing SHAKESPEARE...???

MAI-MAHAKAVI KALIDAS....

MISS-ohho..KALIDAS...the wanna be indian SHAKESPEARE...

MAI-wanna be woh hota hai jo copy karta hai..aur copy wahi kar sakte hain jo baad me paida hote hain...

William Shakespeare 26th april 1564 me paida hue the aur KALIDASA...unka birthday bhale hi 19th november ko manaya jaata hai but unka exact birthday koi nahi jaanta..

aur woh isiliye kyunki KALIDAS 380CE aur 415CE ke beech as in 4th aur 5th century ke darmiyan paida hue the..

matlab Shakespeare se 1000 saal pehle..so you tell miss,how is KALIDAS a wanna be...

DIMPLE-and he knows history also....


jahan meri baat sun aur khaas kar mere bataye SHAKESPEARE ke exact birth date ko jaan hairan ho gayi thi MISS wahin new girl ek baar phirse mere knowledge ke versatility ko jaan hairan bhi thi aur impress bhi...

khair, apni baat ko aage badhate hue...


MAI-with all due respect MISS,wanna be ka perfect example toh aap khud hain...

indian hai aap,india ke school me padhati hain but showoff british hone ka karti hain...

now that's what i called a complete crap....

MISS-SANVEER AHARYA...!!!watch your tounge...ek respected teacher ki insult karne ke liye i can make you resticated...

MAI-ek aur quote hai MISS,simple but very true..

"you want respect,first you give respect"...

izzat chahiye,toh izzat do..

stammering is a birth problem...jaan bujh kar nahi karta ye SONU aur uski is kamzori ka mazak udaya aapne... embarras kiya isse...

tab respect shabd ka matlab bhool gayi thi kya aap..!!!

“A RARER SPIRIT NEVER DID STEER HUMANITY; BUT YOU GODS WILL GIVE US SOME FAULTS TO MAKE US MEN.”

OTHELLO se na sahi par ye bhi SHAKESPEARE ka hi ek quote hai, humanity par...pata toh hoga hi aapko...


humanity par wakayi Shakespeare ka hi quote tha ye jo mere mooh se sun aankhen halki badi ho gayi thi MISS ki...

saath hi sharmindagi bhi hui thi unhe kyunki quote ke piche chuppe insaaniyat ke paath waale taane ko jo samajh gayi thi woh...


MAI-aur jahan tak baat aapke mujhe resticate karwane ki hai toh i dare you..karwa ke dikhayiye...

infact, chaliye,chalte hain PRINCIPALS OFFICE...


jo SONU ke liye kaha tha MISS ne,usse satak gayi thi meri... SONU, NITS aur mere group ke baaki logon ke saath saath puri class jaanti thi ye baat isiliye aisa kuch hoga,iska andaza laga liya tha sabne par MISS..

jo ab tak meri baaton se ghussa aur hairan,dono hi thi,meri last baat sun thodi aur hadbada gayi thi woh par ye hadbadahat agle hi pal dar me badalne lagi thi...

REASON...


EKPREET-hum bhi chalenge...kuch GALATH nahi bola hai tune..phir bhi agar expel hona hi hai toh hum sab honge...


EKPREET ke saath puri class khadi ho chuki thi aur ye dekh haalath kharab ho chuki thi MISS ko joki obvious hi tha..

maamuli students toh the nahi class ke sabhi ladke ladki.. zyadatar sabhi uttrakhand aur baaki regions se top business man aur bureaucrats ke bacche jo the...


RAJAT-chal bhai....

KISI KO KAHIN JAANE KI ZAROORAT NAHI HAI... SIT IN YOUR PLACES, QUICKLY...


hamari PRINCI thi ye jinki awaaz ka impact itna tagda tha ki jitni jaldi uthe the hum sab,usse double speed ke saath wapas baith chuke the sab...

wahin PRINCI ko dekh thodi rahat ki saans li thi CHOUBEY MISS ne aur..


MISS-MA'AM ye...

PRINCI-kuch bhi explain karne ki zaroorat nahi hai...i have heard everything...aur ab aapko ek chiz karni hai...

MISS- kya MISS...!!!???

PRINCI-apologize to SONU...jo kaha aapne, woh GALATH tha..bohot GALATH....teachers are the live symbols of respect, par aapke shabd,that was the symbol of shame...


PRINCI ki baat par sir jhuk gaya tha MISS CHOUBEY ka...kuch seconds yunhi rehne ke baad SONU ki taraf ghumi woh aur..


MISS-i am..

SONU-nno mmiss pplease...tteacher hhain aap...ddantna hhakh hhai aappka..mmujhe bbura nnahi laga....


jahan SONU ki baat sun apne student aur uski soch ke liye PRINCI ka sir thoda aur uncha ho gaya tha wahin MISS ko SORRY bolne se bhale hi rok diya tha SONU ne par uske kahe shabdon ne MISS ke man ko aatm glani se bhar diya tha...

aaj ek student ne life ka sabse bada paath"humility jo sikha diya tha unhe"...


PRINCI-SANVEER AHARYA..


turant khada ho chuka tha mai apni jagah par jiske baad...


PRINCI-apne dost ke liye stand lena, it's good,very good...par apne teacher se baat karte waqt words me filter zaroori hai...

don't forget it...

MAI-i won't MA'AM..sorry miss...

MISS-dont be beta.. kuch bhi GALATH nahi kaha tha tumne..and i must say,ab pata chala mujhe ki kyun is class ko khaas maana jaata hai..

it's a mini SIRIUS after all.. school ke main motos me ek,UNITY IS THE BEST QUALITY ka live symbol hai ye class...

KRRRRR....


third class thi ye jiska end bell baj chuka tha....

CHOUBEY MISS ki baat par muskurate hue class se bahar chali gayi thi PRINCI jiske baad MISS bhi class se nikalne lagi thi..


SONU-tthanks bhai...hhamesha ssath kkhade rehne kke lliye...

MAI-kaise khada nahi rehta be..aakhir samosa jo khilane waala hai tu...

SONU-bhosdike..


dheere se has mere peeth par mukka jama diya tha SONU ne..

DIMPLE,SAMEER....WE HAVE TO GO,NOW...


new girl aur SAM,baaki sabke saath hamare paas aa hi rahe the ki tabhi event management waale teacher hamare class ke entrance par aakar khade ho chuke the..

ab unka now matlab now hi hota tha ,jaante the hum sab...


RASHI-THE BRAIN AWARENESS CHALLENGE naa..abhi hai woh..bhool hi gayi thi mai toh..

KHANAK-hum bol..all the best guyz...


KHANAK ki tarah baaki sabne bhi all the best bola SAM aur DIMPLE ko..


MAI-jeet ke aayiyo be..agla samosa teri taraf se chahiye...all the best...


jahan meri baat par has diya tha SAM wahin mere wish par aankhon se halka gesture diya tha new girl ne..

jab se mere ghar aayi thi woh,is pichle ek hafte me bas mujhe dekha tha usne,zyada baat nahi ki thi mujhse..

aisa laga tha maano kuch puchna chah rahi hai woh par puch nahi paa rahi..

ab jaanta toh tha mai ki kya puchna chah rahi hai woh and the reason aisa na kar paane ka.

pehli baar me mana jo kar diya tha maine....

khair,ek baar mujhe dekh SAM ke saath nikal gayi new girl class se..


NITS-pagal wagal ho gaya hai kya be..akele akele daant dikhate hue sir kya hila raha hai..!!!

MAI-tu lund aur gote hilata rehta hai,bola kuch maine..saala gaandu....


NITS ke kaan me dheere se bak aage badh gaya mai par meri baat RASHI ne sun ki thi isiliye has di thi woh..

ye dekh jhaantein sulag gayi NITS ki...


NITS-rook saale,batata hun kya kya hilata hun mai...


doud pada mere piche NITS par aise maamlo me usain bolt ka baap ban jaata hun mai..

kuch hi seconds me NITS ke network ke liye out of reach ho chuka tha mai...




NEXT DAY:-

PLACE-ANUPAM GARDEN



GOODMORNING...!!!WAISE USUALLY SUNDAY'S KO CHEAT DAY BOLA JAATA HAI...I MEAN REST FROM ANY KIND OF WORKOUT....


jog ke baad garden ke ek khaali bench par baitha hi tha mai ki tabhi mere baaju me aakar baithi new girl...

meri hi tarah joggers me thi woh with a very beautiful smile jo subhah ke ujaale ko aur nikharne ke liye kaafi thi...


MAI-ANI,NITS, or SONU...!!!

DIMPLE-SONU...


mai sundays ko yahan is garden me aata hun,in teeno ko hi pata tha ye baat...


MAI-saans toh fooli nahi lag rahi tumhari..jog nahi karogi..!!!

DIMPLE-socha saath me kar len...

MAI-mera ho gaya...

DIMPLE-waise i am impressed.. pichle aadhe ghante se doud rahe the tum...you are all sweaty too but saansein bilkul normal chal rahi hai tumhari...

jaise jog kiya hi nahi tumne.. that's some stamina...

MAI-impressed toh mai hun...do din me do qualities show ki tumne...

kal SIRIUS ki taraf se apna pehla competition, brain awareness championship jeet liya tumne..

DIMPLE-aur dusri quality...!!!

MAI-bina saamne aaye aadhe ghante se lagatar monitor kar rahi thi tum mujhe...

DIMPLE-saamne aati toh doudna chhodo chalne me bhi bahane banate tum...

MAI-aisa nahi hai..

DIMPLE-ab toh bologe hi..

MAI-i said what i meant..6.35 ho raha hai abhi..exact 6.am ko 3rd number gate se entry liya tha tumne...

sabse pehle ussi gate ke straight middle edge par bane ashoka tree ke paas ruki thi tumne.. mujhe dekhte hue thodi bohot stretching ki thi tumne...

phir wahan se right cork trees waale area me bane glides par kuch der body ease exercises kiye tumne...

wahan aage jo old people ka bunch hai,unke paas bane benches par kuch der baithe hue mujhe dekha tha tumne...

flame,tulip,sago palm,in saare trees ke shadows me kuch der tehelti rahi thi tum aur phir finally jab mai yahan baitha toh your headed towards me...

meri baaton ko sun bas kuch pal mujhe dekhti rahi new girl aur phir unhi shabdon ka samuh nikla uske mooh se jo mere liye aksar khudse kehti aayi thi woh...


DIMPLE-who are you...???

MAI-a normal guy from this block...woh toh jaisa psychology me kaha jaata hai ki agar koi hume lagatar dekhe toh hume apne subconscious brain ke through andesha ho jaata hai..

aisa hi hua hai kuch...


DIMPLE-is lihaz se toh spy business kabka history ban jaana chahiye tha....kabhi toh honest raha karo..

MAI-shuruat khud karo..batao mujhe,kyun ho yahan tum..!!!???


meri baat par ek lambi saans chhodi new girl ne aur...


DIMPLE-i wanna learn from you... fighting techniques, impeccable feet attachment to ground,brain clicks as in jaisa abhi mere presence ko na sirf bina dekhe hi dekh liya tumne balki itne door se bhi perfectly monitor tak kar liya...

super sharp six sense, mid way plan modifications,ye sab kuch...teach me...

what..!!!!


new girl ki puri baat ke dauran bas shanti se dekhta raha tha mai usse aur same posture uske chup rehne ke baad bhi jaari raha tha mera jispar sawal kiya tha usne...


MAI-aur deal...!!!badle me kya dene waali ho tum mujhe...!!!

DIMPLE-sorry for that day...mujhe paison ki baat nahi karni chahiye thi...

MAI-but you are rich...paison se ache ache trainers hire kar sakti ho tum...

DIMPLE-i wanna learn the best aur ye tabhi ho sakta hai jab i learn from the best...jo tum admit kark ya na karo but tum ho..

haan agar mai tumse sikhne ke layak nahi toh koi baat nahi..tum mana kar sakte ho...


now that's what i like...DIMPLE BATRA...jo shayad is saal SIRIUS, dehradun ya uttarakhand me hi nahi balki pure INDIA me first aane waali thi,woh keh rahi thi ki agar woh layak nahi hai...

no false ego, no desperation,no anxiety... just the hunger to learn...

ek lambi saans chhodi maine aur...


MAI-jog karna tha na tumhe.. let's do it....


jahan apni baat bol jog track ki taraf badh gaya mai wahin mere yun achanak bole out of the box baat ko sun pehle toh hadbadayi new girl par phir mere piche ho li woh...

kuch hi palon me hum dono jog track par khade the..


MAI-is that a smart watch...!!!

DIMPLE-haan...

MAI-garden ka ek pura round exact 400 metre ka hai..4 rounds equals 1600 metres...

1600 metres ka women's national record time hai 50.79...i give you 55 seconds... finish it...agar kar paayi, we are in business...


jo task diya tha maine,that was tough..very tough..par jo challenge se back down kar de,woh DIMPLE BATRA toh ho sakti thi nahi...

ek lambi saans chhod apne smart watch ke stop watch section me gayi woh aur ek baar mujhe dekh...

ek ungli se stop watch start kiya new girl ne aur theek ussi pal doud padi thi woh...

maanana toh padega..she is good..very good..kaafi achi speed me doud rahi thi new girl par jo chiz taarif ke kaabil thi woh ye thi ki 2 rounds joki 800 metre ke the,unhe pura karne ke baad bhi speed kam nahi hua tha uska...

aas paas jog kar rahe logon ke faces par bhi new girl ke consistent speed ko dekh taarif ka gesture saaf dikh raha tha..

dekhte hi dekhte she was in her final lap joki ab bas 50,40,30,20,20,10 metre hi reh gaya tha and up...

HHHHAHHHHAHHHHHAHHHHHAHHHHAHHHHAHHHAHHH....


MAI-57.23 seconds..tum...

DIMPLE-haar HHHHHAHHHA gayi....


dono haath kamar par rakh halka jhuk haafte hue kahi thi ye baat new girl ne par thakaan se zyada afsos aur khudpar ghussa saaf dikh raha tha uske face par...

apni baat bol jhuke kandhon ke saath palath gayi new girl..


MAI-haari nahi,jeetne se bas thoda piche reh gayi...ye kehne waala tha mai...

DIMPLE-fark kya hai..!!!

MAI-piche rehna temporary hota hai,haar maan jaana permanent...

hima das... 1600 metres race,national record holder...50.79 seconds...
asian games,jakarta 2018..

ye toh unka race record hai..woh record jisse banane ke liye saalon ki mehnat ki hogi unhone..

but i am damn sure ki apne pehle attempt me jo grounds tumne cover kiye,jo time set kiya,uske aas paas bhi nahi hogi unki timing..

isiliye haari nahi tum,bas piche reh gayi, for now..

DIMPLE-kya faayda..tumhari sharth toh puri nahi kar paayi naa...

MAI-correction..maine kaha tha agar kar paayi,we are in business..ye toh nahi kaha tha ki agar na kar paayi toh we are out of business....


meri baat sun ab bhi halka thakan feel kar rahi new girl ke face par ek beautiful smile doud padi thi...

aisa lag raha tha usse jaise uski last wish puri hone waali ho..

turant meri taraf badhi woh aur..

DHAKKKKK....


DIMPLE-thank you....


excitement me mujhe hug kar liya tha new girl ne mujhe aur aisa kar jaise pehli baar apna hi dil mehsoos karwa diye tha mujhe usne...

dheere se uske dono soft shoulders ko hold kar khudse alag karne laga mai usse..

is beech usse bhi apni harkat ka andaza ho gaya tha.. friends the hum..aur friend ko hug karna bohot hi maamuli baat hoti but mere hand touch se jab ehsaas hua new girl ko ki usne hug kiya hai mujhe, toh wahi hua uske saath bhi jo kuch seconds pehle mere saath hua tha..

DHAKKKKK....

dil dhadak utha uska jiske reason ko na samajh paane ke baawjud halka sa sharmane se khudko rok nahi paayi thi woh...

dheere se alag hui woh mujhse aur apne aage se kinaare ke baalon ko joki saamne gir se gaye the,unhe ungliyon se piche kar mere dil ko ek baar aur dhadka gayi new girl...


DIMPLE-kabse...!!!

MAI-kal bataun...

DIMPLE-theek hai..chalti hun... tumhe ghar chhod dun...

MAI-meri colony me ho tum..ghar chhodne ka offer mujhe tumhe dena chahiye...

DIMPLE-bye...

MAI-bye...


ek baar mujhe dekh palath gayi new girl par phir thoda aage jaa rooki woh aur palath wapas aayi woh mere paas...


DIMPLE-hain hum par officially kabhi ek dusre ko bola nahi...

MAI-kya..!!!

DIMPLE-friends...!!!!


apna haath meri taraf badha diya tha new girl ne...


MAI-RAJAT,SAM, EKPREET,SONU, NITS..unse bhi bola tha aise..

DIMPLE-RAJAT,SAM, EKPREET,SONU,NITS se kabhi kuch sikha nahi maine...

waise bhi FRIENDS...ek khaas relation bunta hai ye shabd...

bolte toh hum sabko hain par dil se maante kuch logon ko hi hain...

tumhe maanane ka dil kiya toh puch liya..

MAI-friends....


haath mila liya tha maine new girl ka aur mere aisa karte hi uski grip automatically hi halki tight hi gayi thi..

kuch keh nahi rahe the mai aur new girl par hamari aankhein jaise bina hume bataye hi ek dusre se waada karne me lag gayi thi...




DIMPLE'S EYES....



"awaaz jo khamoshi ko DHUN DE RAHI HAI...

band hoti navz jo dil ko KHOON DE RAHI HAI...

abhi toh dosti ka paak rishta bhar juda hai phir,

ye kaisa ehsaas hai jo mere bechaini ko SUKOON DE RAHI HAI...



SANVY'S EYES:-


tera haal-e-khat padhne ke liye mujhe usse KHOLNE KI ZAROORAT NAHI HAI...

tere suroor-e-husn me behekne ke liye mujhe DOLNE KI ZAROORAT NAHI HAI...

jaanta hun bohot kuch hai hamare darmiyan jo samajh se pare hai magar...

samajh aa bhi jaaye toh samjhaane ke liye tujhe mujhse kuch BOLNE KI ZAROORAT NAHI HAI...









AAJKE LIYE ITNA HAI...






AAPKA APNA V...J...
Wonderful update bhai
 
Top