• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SCHOOL ME PRINCI PRE-PROM NIGHT KI DATE ANNOUNCE KARTI HAI WAHIN DUSRI TARAF VERONICA SANVY PAR BIG WINDMILL TECHNIQUE KA PERFECT EXECUTION KARTI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-64

DATE-30TH SEPTEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE





SANVY.....MAAR KHAAYEGA AB MUJHSE TU...DARWAZA KHOL AUR JO DRESS MAI LAAYI HUN, CHUPCHAP WEAR IT...


pre-prom ki night thi aaj...aur is occasion ke liye SANVY ke dulness ko uski mom ki excitement ne cover kar diya tha..

SANVY ko surprise dene ke liye ek bohot hi achi 3 piece suit kharidi thi unhone par jab present kiya unhone usse woh dress toh aise mooh banaya SANVY ne jaise uski MAA ne uske saamne dress nahi balki karele ka soup rakh diya ho...

"i am not wearing this"...bas itna bol apne room me bhaag door lock kar liya tha usne jispar pichle 15 minute tak usse samjhaane ke baad aakhirkar frustrate ho hi gayi thi VERONICA par woh band door jaise ab bhi mooh chidhaane se baaz nahi aaya tha uske...


VERONICA-that sit..agar ab darwaza nahi khola tune toh tera pre-prom me jaana hi cancel kar dungi mai...

DDDAKKKK....


THAT,I WILL BE COMPLETELY OK WITH...


MAA ki baat khatm hui hi thi ki tabhi khula mere room ka door jiske dusri taraf sleeves button ko lagaate hue mai khada tha..

apni baat bol saamne MAA ko dekha maine par kuch bolna toh door ki baat hai, mujhe ek tak dekhte hue unke jaise honth hi sil gaye the...

aur aisa hona laazmi bhi tha..DAD ke school time waale get up me jo tha mai...

"black formals ke upar two button black slim suit jacket jiske andar se bright skin sparkle shirt jhaank rahi thi,aur jacket ke upper pocket se ussi shirt ka ek shiney piece hanker-chief bankar thoda bahar aur zyada andar chuppa hua tha"...

a perfect vintage tuxedo jinko aaj ebay me keemat 1000 grands se bhi zyada thi...

dad mere ek army learning institution me padhe hue the aur isiliye unke time me woh bhi prom nights jaisi prathaon ka hissa reh chuke the...

school senior batches me bhi aur college me bhi...har khaas moukon par pehne apne saare kapdon ko bohot sambhal kar rakha tha unhone aur unke baad unki is aadat ko maine carry forward kiya hua tha...

and to put cherry on the cake,aaj shayad pehli baar hair gelled up kiya tha maine..ye bhi dad ke vintage look ka jo hissa tha...

aur MAA jaise dekh rahi thi mujhe,saaf tha ki i had cleaned up well...

but the most important thing,MAA mujhse hamesha kehti aayi thi ki meri body growth bilkul mere dad ki tarah hi hui hai...

aur jaisa perfect fit ye tuxedo baitha tha mujhpar,bilkul sahi thi woh...

jahan mai is waqt ek bright smile ke saath MAA ko dekh raha tha wahin MAA bas ek tak mujhe dekhe jaa rahi thi..

mujhme young SANEEL AHARYA jo dikh raha tha unhe...

anyways,kuch pal mujhe yunhi dekhne ke baad aage badhi woh aur apne aankhon me lage kaajal ko halka sa nikaal mere gardan me laga diya unhone...


VERONICA-mujhe toh pata hi nahi tha ki mera beta itna handsome dikhta hai...


MAA ki baat par bas smile kar sir shake kar diya maine aur aage sofe ki taraf badh gaya..

shoe laces jo baandhne bache the mere...


MAA-sidha baithe reh..mai kar deti hun..


laces baandhne ke liye mere jhukne se pehle hi MAA ne mere laces ko hold kar liya tha...


MAA-waise agar pehle bata deta ki apne DAD ka suit pehenene waala hai tu toh 10k bach jaate mere...

MAI-agar aap bata deti ki suit laane waali hain dry clean ke 200 bach jaate mere...

MAA-baat karwa lo tujhse bas...


lace baandh chuki thi MAA...meri baat par mere sir par ek dheema chapat laga diya unhone jispar haste hue mai bhi khada ho gaya...


MAA-kaise jaa raha hai...???

MAI-aur kaise..???NITS aa raha hai...

MAA-nahi aa raha woh...


jaise boli thi MAA ne ye baat,samajh gaya mai ki unhone hi mana kiya tha NITS ko aur kyun kiya tha,iska bhi andaza ho chala tha mujhe..

isiliye bina kuch kahe haath aage kar diya tha maine jispar smile karte hue apne bank outdoor work me use honi cars me se kisi ek ki key mere hatheli par rakh di unhone...

key lekar bahar ki taraf chal pada mai...MAA bhi thi mere piche piche...

shining black colour ki VERNA SX OPT TURBO car khadi thi mere saamne...

jab bhi MAA kisi multinational company ka billion funds valuation ke liye kahin baahar jaati thi,tabhi ye car use karti thi woh..

bottomline, important aur lavish moukon par lekin aaj mere liye ye car mangwayi thi unhone..

car dekhne ke baad ek baaar palath MAA ko dekhne laga mai jispar..


MAA-what...!!!ye kaisa expression hai...!!!aisa moukon par happiness dikhta hai face par but you my son are carrying a suspicious look...!!!

MAI-feelings are mutual MAA...new surprise dress aur ab ye car....kuch toh pak raha hai aapke dimag me...

MAA-hahaha..pak nahi raha hai, already pak chuka hai...

MAI-please clear your riddle...

MAA-well, it's not that hard...mera beta apne first pre-prom me jaa raha hai...

jahan woh school ki sabse beautiful girl ke saath milkar participate karne waala hai aur...

MAI-wo,wo,wo...aapke imagination ka sirf first sentence hi sahi hai but woh bhi aadha..yes,i am going to the pre-prom... that sit...new girl toh aayegi ya nahi,ye bhi confirm nahi hai...

par agar woh aayi bhi toh naa mai prom ke kisi competition me participate karne waala hun aur naahi new girl...


MAA-wow...matlab maante hain janab ki DIMPLE is beautiful...bhai,ye toh kamal ho gaya...

pehli baar SANVEER AHARYA ne kisi ladki ko khubsoorat maana hai...

MAI-off i ho MAA..


tounge of slip, mera matlab slip of tounge toh ho gaya tha mera..

isiliye zyada kuch bolne ka tha nahi.. turant palath car ki taraf badh gaya hai mai and within a few seconds,mai aur meri gaadi aage nikal chuke the..

wahin palath kar jaane ke beech SANVY ke face par aayi sharm ko bohot enjoy kiya tha VERONICA ne aur jaise hi car me baith nikla SANVY toh...


VERONICA-meri baat toh puri hone diya hi nahi diya tune beta..

tu aur DIMPLE aaj ki raat sirf pre-prom me participate hi nahi karoge balki jeetoge bhi..

you and DIMPLE my dears are going to be the pre-prom king and queen tonight...

aur apne dad ki dress pehen you already have shrugged off the history to repeat itself..

ussi dress me tumhare dad bhi prom king bane the aur aaj tum bhi banoge...

you have always been a champion..a born winner..mai is baat ko shuru se jaanti hun aur aaj event me moujud sab bhi ye truth witness karenge ki just like SANEEL,SANVEER AHARYA is

THE SYNONYM OF WINNING...




PLACE-SIRIUS

THE PRE-PROM NIGHT....




BHAI,YE SAB APNI HI SCHOOL KI BANDIYAN HAI NAA...!!!!


YE NITS tha jiski aankhein INDOOR STADIUM ke bahar ka nazara dekhkar choundhiya si gayi thi....

senior three classes ki saari female students decided dress code as in long gowns me keher jo dhaa rahi thi...

aaj ki shaam SIRIUS ka main gate har tarah ke vehecles ke liye open tha..

ek se badhkar ek gaadi jinme se 90 percent cars international hi thi,alag alag angles me indoor stadium ke left aur right me sirf aaj ke liye bane special open parking me khadi thi..

unhi cars me se ek car NITS ki thi jisme woh aur SONU pahunche the yahan...

aur car se utar jaise hi woh dono stadium ke andar pahunche toh hall ke har hisse me dikh rahi khubsoorati ko dekh NITS ka dil hi machal gaya tha...


SONU-ttu ssaale havsi kka havsi hi rrahega...lladki ddekhi nnahi kki laar ttapakna shuru ho jjaata hai ttera...

NITS-chup chodu...khud ke dukaan me ande nahi hain toh hamare ghar ke amroodon par nazar rakhoge tum...

KAUN KISKE AMDRUDON PAR NAZAR RAKHE HAI BHAI...????


ye SAM tha jo RAJAT aur EKPREET ke saath NITS aur SONU ka paas pahuncha tha...


NITS-waah lounde,gazab...bhai keher dikh raha hai apna...lagta hai,aaj toh wakayi PRE-PROM king tujhe hi banana hai...

SAM-well,lets see....


emporio armani ki black tuxedo pehni thi SAM ne jisme uski personality wakayi sabse hatke lag rahi thi..

premises me enter hone ke baad se hi uska kaafi girls ki aankhon ka candy ban jaana is baat ki gawahi tha...

waise grey aur mehroon colour ke tuxedo me EKPREET aur RAJAT bhi kaafi dashing lag rahe the...

HEY GUYZZ....

ANJALI thi ye jo aaj ki is romanchak raat ka hissa banane ke liye RASHI,NAISHA aur KHANAK ke saath yahan pahunchi thi..

MIDI FLARE DRESS GOWN..sabhi girls ne issi pattern ke gowns pehne hue the...

ANJALI ne black, NAISHA ne blue,RASHI ne purple aur KHANAK ne olive rang ke gowns pehne hue the and they all were looking hot...smoking hot...

indoor stadium ke andar jaane ke liye aas paas se guzar rahe saare students ke appreciating nazar saboot the is baat ka..

aur random students hi kya,NITS,RAJAT, EKPREET aur SAM ki nazar bhi jaise chaaron girls par theher si gayi thi...

infact SONU jo fraction of a second ke liye bhi kisi ladki ko dekhta tak nahi tha,usne bhi pal bhar ke liye hi sahi par dekha zaroor tha chaaron ko...

wahin dusri taraf thi girls jinki zubaani taarif bhale hi ab tak boys ne nahi ki thi par shayad uski zaroorat thi bhi nahi...

un sabki aankhon me dikh raha appreciation kaafi tha girls ko khush aur blush,dono karne ke liye...


SAM-looking gorgeous girls...


SAM ki taarif ko baaki sabne bhi follow kiya jispar thanks ke saath ek bright smile naach uthi thi girls ke faces par...


ANJALI-so finally,our first pre-prom night...

KHANAK-yup..the mark of youth...

NAISHA-oh yeh..and we all are here to rock this evening..

RASHI-siway SANVY aur DIMPLE ke....hai kahan ye dono...!!aa toh rahe hain naa...!!!

KHANAK-DIMPLE ka toh pata nahi par SANVY ka i am not sure...

NAISHA-why do you say that...???

KHANAK-arre aana hota toh woh NITS aur SONU ke saath hi aata naa..

NITS-arre nahi,aa raha hai woh..aunty ka call aaya tha mujhe ki hum nikal jaayen.. SANVY aaj khud aayega...

ANJALI-and what about DIMPLE...???

RASHI-not sure...2 baar ring kiya tha maine but she didn't pick...

SAM-yaar enjoy karne ke liye kisiko force nahi kiya jaata... agar aana hoga toh dono aa jaayenge..

RAJAT-satya vachan...hum chalen andar...my girl...

SAB-WOOOOOO...

NITS-sahi hai lounde....


NAISHA ki taraf apni kohni open kar ghuma di RAJAT ne jisme blush karne ki beech apne haath daalte hue apne b.f ke saath indoor stadium ke gigantic gate ki taraf badh chali NAISHA..

wahin group ki current and only couple ko hoot karte hue baaki sab bhi unke piche ho liye...

WOW....

sabhi ke mooh se ye shabd ek saath nikla tha...

reason...

the damm happening decoration of indoor stadium for this night..

for starters,baloons...500 ss bhi zyada heart shaped white,purple aur red baloons jinhone floor ko khudme jaise chuppa sa liya tha..

walls arches aur coloumns se sajaya gaya tha...

walls ke aage dono taraf alag alag designs ke cardboard stand-ups banaye gaye the jinme lage jagmag karte sparkles unhe aur eye catchy bana rahe the...

but decoration ko sabse zyada aakarshak do chizen bana rahi thi..

pehli thi varidhi gota flowers hanging confetti jisse stadium ke pure ceiling ko cover kiya gaya tha..

it was looking more than awesome...

aur dusri chiz thi stadium ke end par lage stage ke upar bani cabana candle throne setup joki aaj ke banane waale pre-prom king aur queen ka royal throne tha...

aur us throne ko jaise har student ki nazarein naa sirf dekh rahi thi balki khudko uspar baitha hua visualize bhi kar rahi thi...

is out of the world aur never expected sajawat ko mantra mugdha sa hokar baaki students je saath SAM & group bhi dekh hi rahe the ki tabhi...


IS THAT..... SANVEER AHARYA....


paas hi khade B section ke group ki ek ladki ki nazar entrance ki taraf gayi thi jiske beech SANVY khada tha..

ek soft drink pee rahi thi woh ladki par SANVY jo wakayi in taaron jaise students ke beech chand ki tarah alag se dikh raha tha,usse dekh uska drink jaise gale me hi atak gaya..

par kyunki SANVY ke appearance se shock ki wajah se kuch loud naam le liya tha usne,SAM & group ke saath saath entrance ki taraf kaafi groups me khade students ki nazar bhi ghum chuki thi..

aur itne bulk of the students ke yun back head turn ko dekh baaki bache students ka face bhi piche ghum chuka tha..

aisa hone par kaha toh kisine kuch nahi par aankhein sabki hi badi ho gayi thi..

jahan kuch der pehle tak majority of the single girls ka eye candy SAM tha, achanak se hi woh favourite chocolate ab SANVY me badalne laga tha...

infact,har din closely usse dekhne waali NAISHA, RASHI aur KHANAK...unki bhi aankhein badi ho gayi thi...

wahin scene ke dusri chhor par khada tha mai jisne apni taraf ghurti aankhon par dhyan hi nahi diya..

apne coat ke triangular three buttons me se aakhri button ko lagaane ke beech mai aage badh chala tha..

meri group jinki nazarein mujhpar hi tiki thi,dekh liya tha maine unhe..

unki taraf hi badha tha mai...


MAI-hey guyz, what's up...!!!!

RASHI-who are you dude...!!!???itna classy toh SANVEER AHARYA ho nahi sakta...

MAI-correct...!!!judwa bhai hun uska mai...

RASHI-toh date ban jaao aaj ke liye mere...i am sure ki SANVY bura nahi maanega...


healthy flirting ke beech meri baanh me haath daal chuki thi RASHI...

wahin baaki sab bhi ab tak gher chuke the mujhe..


SONU-ssach bbhai, ggazab ddikh rraha hai bbe ttu...

RAJAT-gazab understatement hoga buddy...

NAISHA-true...school me hamesha bikhre baal, untidy uniform,loose tie aur bahar dheele dhaale t-shirt,non matching shirt jean pair me pata hi nahi chala kabhi ki banda apna itna handsome ho gaya hai...

RAJAT-wowowo..easy babes...SANVY ko dekh bhul toh nahi gayi tum ki you have a b.f...me....

NAISHA-pre-prom hai yaar..aaj ek shaam bhul jaane do...

hahahaha..

NAISHA ke naughty reply par has diye the sab...


NITS-saale,tera pura ward robe chaana hua hai mera...

ye tuxedo kahan chuppa kar rakha tha be tune...

ANJALI-iske dad ki hai ye..apne school time me pehna hua tha unhone...MAA ne sambhal kar rakha tha...

ab tak bas chupchap mujhe aur mere look ko admire kar rahi ANI ne finally kuch bola..

aur bolte hue hi mere paas aa chuki thi woh jispar RASHI se alag ho usse side se hug kar liya maine...

RASHI-kuch hai aisa iske baare me jo nahi pata tumhe...!!!

ANJALI-samandar me utarne waale tairak ko uski har leher ki jaankari hoti hai par iska ye matlab bhi nahi hota ki gehrayi ka bhi andaza hai usse...


ek hi jawab me do statements de diye the ANI ne...

pehla statement toh yahi tha ki baakiyon se zyada jaanti thi woh mujhe aur dusra ye ki woh chaahe jitna bhi kyun naa jaan le,woh kam hi hona tha...


KHANAK-yaar tu naa,kabhi kabhi puri SANVY ki tarah hi baatein karti hain..sunane me achi lagti hai par samajh kuch nahi aata...

SAB-true...

NAISHA-ab bas DIMPLE reh gayi... agar aa jaaye toh group complete ho jaayega apna..

RASHI-par mushkil lag raha hai...!!!bataya tha na maine,i had called her but response nahi diya usne..

pakka avoid kar rahi hai pre-prom woh...

NAISHA-mujhe bhi aisa hi lagta hai...

MAI-GALATH...she is here...


halke se badbadayi thi maine ye baat jisse sirf mujhse lag kar khadi ANI ne hi khada tha..

puchne ko hui woh par usse pehle hi entrance ki taraf palath gaya tha mai aur mere saath saath uski nazar bhi ussi taraf ho gayi thi...

kuch students abhi bhi aa rahe the wahan se par unme new girl nahi thi...


ANJALI-nahi hai woh...aise hi prediction baba banana band kar tu...


ANI ko baat par smile karte hue uski naak khinchi maine par tabhi...


WOW.... HOLY DIVINE.... THAT'S,DIMPLE,DIMPLE BATRA, RIGHT...!!!!


is baar section B ke ek group ka ladke ne entrance ko dekhte hue kahi thi ye baat aur aisa karte waqt uski awaaz us girl se kahin zyada thi jisne mere entry ke waqt mera naam pukara tha...

uski awaaz aur usme jhalak rahi taarif aur excitement ki gunj kaafi kaano me padi thi..

yahi wajah thi ki majority of the students ki gardan ek baar phir stadium ke entrance door ki taraf ghum chuki thi...

WOW....

us bade se khule darwaze ke beech khade damakte chehre ko dekh kisi ne man me toh kisi ne khul kar is ek shabd ka use kiya tha joki har lihaaz se sahi tha...

pre-prom jaise super happening event me jahan ek taraf har ladki ne charam ka shringaar kiya hua tha wahin new girl ke face me halki si lipa pothi ka aks tak nahi tha...

par itni saadgi ke baawjud chehre par uske chamak kuch aisi thi jaise kisi dulhan ke chehre par hoti hai...

aur us khubsoorat chehre par alag se noor paida kar raha tha woh libaas jisse new girl ka sangemarmar sa badan dhakka hua tha...

jahan baaki sabhi girls ne out and out completely western gown pehna hua tha wahin new girl ne aisa nahi kiya tha..

half anarkali cut me a-line silhouette with stripes and flowers dress pehni hui thi usne..

semi traditional/western dress thi ye but thi gown hi...matlab proper dress code hi kahiye...

khair, jahan ek taraf sabhi boys aur unke saath girls ki nigaahen bhi new girl par theher si gayi thi wahin dusri taraf dekh mai bhi usse hi raha tha par ek fark tha..

aur woh ye ki meri nazar ko new girl ki nazar ne khudse joda hua tha...itne bade hall me students ke is kaafile ke beech new girl ki nazar sabse pehle mujhpar hi padi thi aur shayad un nazaron ke liye itna hi kaafi tha...

mujhe dekh halki si smile di usne jisne uski pehle se hi behisaab lag rahe byaaj waali khubsoorati par ek kisht aur chadha diya tha..

aur us smile ke beech uske kadam meri taraf badh gaye the..

aankhein ab bhi uski mujhpar hi tiki thi aur un aankhon me khushi ke saath kuch aur bhaav bhi the..

par un bhaavon ke baare me socha nahi maine...bas saamne se meri aur chali aa rahi us haqeeqat bhare sapne ko jeene me laga tha mai...


waise SANVY ka andaza sahi tha...uski taraf badh rahi DIMPLE ki aankhon me wakayi do bhaav tair rahe the...

pehli toh SANVY ko dekh khushi aur dusri....

black formals...two button black slim suit jacket with a bright skin sparkle shirt inside it...dark shiney jacket and a shiney piece of hanker-chief made of the cut from the shirt...

a perfect vintage tuxedo....

SANVY ke complete outfit ko itne door se bhi puri tarah checkout lar liya tha new girl ne aur aisa karte waqt uski nazar bhale hi SANVY par tiki rahi par bohot si girls ke eye glances jinka mukhya kendra SANVY tha, feel kar liya tha usne...


"THANK GOD KI YE LADKA HAMESHA YUN SAJTA SAWARTA NAHI"...WARNA PATA NAHI,ISKE AAS PAAS KAISE MAHOUL REHTA..."


yahi the woh bhaav aur us bhaav se paida hue shabd jinhe feel kiya tha SANVY ne..

khair,ek taraf thi new girl jo ab bas chand kadam hi door thi SANVY se aur dusri taraf tha SANVY jo bin awaaz kiye uski taraf badh rahe new girl ke kadamo ki ansuni awaaz mehsoos kar raha tha...

in kuch palon me hi DIMPLE aur SANVY,dono ke dil tez par phir bhi ek taal me bajne lage the aur aisa karte hue unme umad rahe jazbaat bhi jaise us taal me apne shabdon ki moti ko pirone me lag chuke the...


DIMPLE/SANVY:-





tere jism ki hararat, tere kaano me hone waali mai SARGOSHI HUN...

duniya ke liye begunah, sirf tere liye mai DOSHI HUN...

rishta judne se pehle ka ye rishta bhi ba-kamaal hai hamara...

ki tu meri awaaz hai aur mai, mai teri KHAMOSHI HUN...


(THE NIGHT CONTINOUS)









AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Awesome update bhai
 

Jamesbond99

New Member
66
104
33
Yaar GOD promise mere nazar mai iss forum ka sabse best writer vj bahi hi the lekin jab wo apni readers ka khayal nahi lartey to ye unhe kharab writer bana dete hai
Mai ye nahi kehta k update dena must hai
Lekin na dene ki waja
Aur dene ka date to batana chahiye na kam se kam
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Satvikkaushik

New Member
25
22
4
Vj bhai new year aane wala h plzz reply karke ye toh bta do ki new year pr update do ge 😭😭😭
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA YE PREDICTION DETI HAI KI SANVY AUR DIMPLE PRE-PROM NIGHT KE KING AUR QUEEN BANENGE WAHIN DUSRI TARAF PRE-PROM VENUE ME SANVY AUR DIMPLE KE ZABARDAST APPEARANCE KO DEKH SABKE HOSH UD JAATE HAIN...

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-65

DATE-29TH SEPTEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE


YESTERDAY'S FLASHBACK (PART-1)





TOH, PRE-PROM KI TIMING KITNE BAJE KI RAKHI GAYI HAI...


bank se just ghar pahunchi thi MAA aur mujhe dekhte hi ye sawal pucha tha unhone...


MAI-7.PM...

MAA-arre,itna dull answer...no excitement in your voice...jaa raha hai naa pre-prom me...!!!

MAI-not sure...waise bhi compulsion event toh hai nahi...

MAA-woh isiliye kyunki entertaining night me compulsion ki zaroorat hoti hi nahi hai...

MAI-entertainment ke liye specific nights ki bhi zaroorat nahi hoti MAA...

it's all up to the mind....

MAA-is bahumulya gyan se mere gyan chakshayu ko kholne ke liye dhanyawad BABA SANVESHWAR....

par ye jo school aur college ke events hote hain naa,ye maturity claiming investments ki tarah hote hain...

present time me toh inki value nahi hoti par umr ke aakhri padhav me in beete events se judi yaadein hi hain jo dil aur dimaag ko sukoon deti hain...

MAI-wow...aapke examples bhi aapke profession ko tarah bank related hi hote hain...

waise aapko bhi pata hai ki mere budhaape ka sukoon sirf woh chizen hongi jinme mujhe challenge ki mehek mile..

jo mere thrill points ko excite karen...


MAA ki baat par mazak kar apna point of view dekar mai apne room ke liye palta hi tha ki tabhi...


MAA-aur tujhe kaise pata ki kal pre-prom me tere thrill points excited nahi honge...

ye bhi toh ho sakta hai ke challanges itne interesting hon ki tujhe participate karne ka man kar jaaye...

but finally marzi teri hi hai...dil kare toh chale jaana..waise agar tu jaata toh mujhe acha lagta...


bas,ye aakhri words woh bramhastra the jinse mai as in SANVY bach nahi sakte the...

ab MAA ko kuch acha lage aur mai naa karun,ye toh hone se raha...

saath hi saath unki woh speculation ki challenge mujhe bhi interesting lag sakta hai,mere dimag me ghum chuka tha..

apni baat bol MAA bhi apne room ki taraf badh chuki thi ki tabhi...


MAI-fine...i will go....


jahan apni baat bol mai turant apne room ki taraf badh chuka tha wahin MAA ke badhte kadam rook chuke the..

ek pyaari si smile naach uthi thi unke face par lekin ye smile kuch seconds hi tiki..


VERONICA-hang on.. agar ab se pehle tak ye sure nahi tha pre-prom ke liye toh is baat ko isne DIMPLE se bhi discuss kiya hoga...

matlab usne bhi pre-prom me nahi jaane ka man bana liya hoga...


apne phone ki taraf badhte hue khudse hi ye saari baat kahi thi VERONICA ne jiske baad mobile haath me aate hi woh DIMPLE ka number dial kar chuki thi...


DIMPLE-hello aunty....kaise hain aap...???

VERONICA-mai thik hun beta..kuch baat karni thi aapse..you have time...!!!

DIMPLE-now you are making me feel bad aunty...i have always time for you....bataiye, what's up...???

VERONICA-do you have any idea ki ye tuxedo collections abhi kis mall me best aaye hue honge...???


tuxedo collections woh bhi pre-prom se ek shaam pehle...man hi man hadbada si gayi thi DIMPLE...


DIMPLE-aunty, dresses ka woh bhi male,koi idea nahi hai mujhe...

waise SANVY ke liye hi puch rahi hain naa aap...!!!is hi going to pre-prom...

VERONICA-aur kiske liye...!!!!and ofcourse he is going...

aur kyunki kal mere bete ka first pre-prom hai...i want him to look dashing...

DIMPLE-he will aunty....ok aunty,i have to rush somewhere...so can i...

VERONICA-sure beta..carry on..hum baad me baat karte hain..


yahan muskurate hue VERONICA ne call kaata aur wahan phone honth ke neeche daba apne maathe par bal le aayi thi DIMPLE...

kuch seconds yunhi sochte rehne me baad ek naya number dial kiya DIMPLE ne aur..


DIMPLE-haan mujhe ek gown chahiye...but with a slightly different design...kal dopahar tak kuch designs mere ghar le aayiyega...

measurements....good....


phone ke dusri taraf DIMPLE ki caretaker thi jisse uski har external need ko pura karne ke liye hire kiya gaya tha...

DIMPLE ke measurements pehle bhi liye hue the usne...

khair,baat puri kar phone cut kiya DIMPLE ne aur is baar uske face par bhi ek pyari si smile thi...

aur ussi smile ko carry karte hue...


DIMPLE-see you tomorrow night SANVEER AHARYA...



FLASHBACK ENDS:-




DATE-30TH SEPTEMBER

BACK TO CURRENT SCENE



jahan ek taraf group ke sabhi students DIMPLE ke look aur uske get up ki taarif karne me lage hue the wahin DIMPLE sirf physically hi un sabke saath thi aur unke gestures par smile de rahi thi par uski nazrein joki lagataar thode door khade SANVY ki taraf hi ghoom rahi thi,saaf zaahir tha ki dil aur usse juda har emotion is waqt SANVY ke ird gird hi ghum raha tha...


HELLOOOOO EVERYBODY....WOW, I MUST SAY,YOU GUYZ ARE REWRITING THE DEFINATION OF HOTNESS....


ye ANSHUMALA MISS thi..ab pre-prom night ko anchor aur host karne ke liye inse behtar aur kaun ho sakta tha bhala...

taarif saare students aur unke get up ki kar rahi thi ANSHUMALA MISS par red silk modern sleeveless saree jiske upar aur ird gird kuch real aur kuch american diamonds lage hue the,khud ek chalti firti kayamat lag rahi thi woh...

khair jahan ek taraf MISS ke gesture par kuch students ne smile bhar kiya,kuch ne thanks kaha aur kuch ne hooting ki wahin apni baat ko aage badhate hue...


ANSHUMALA MISS-i guarantee you students... it's gonna be hell of a night....

bas aap sabko karna ye hai ki aapke aur pre-prom king/queen ke beech jo interesting and tough challenges ka wall hai,apna best dekar usse break karna hai...

jaante hain tough kyun bola maine...!!!

kyunki pre-prom king aur queen banane ke liye aapko kul teen challenges succesfully pure karne hain...

aur ye teen challenges kisi aur ne nahi balki khud hamari PRINCIPAL RANJANA MATTHEW'S ne set kiya hai...


WHAT...!!!HOLY SHIT....


ANSHUMALA MISS ki baat sun sabhi students ko laga tha jhatka..

aur ye laazmi bhi tha... RANJANA MATTHEW'S ne aaj se pehle kabhi bhi pre-prom jaise event me involvement tak nahi dikhayi thi aur is baar dikhayi bhi toh sidhe centre point par..

challenges unhone set kiye hain toh kitne tough ho sakte the,ye soch kar hi sab nervous ho gaye...

sab, siway do logon ke...SANVY aur DIMPLE....

ab ye bhi laazmi hi tha...these to dig challenges toh aise me nervousness ka toh sawal hi nahi uththa tha...

wahin dusri taraf RANJANA MATTHEW'S ke naam ko sun students ke jo kandhe down hone lage the, dekh liya tha ANSHUMALA MISS ne aur isiliye...


ANSHUMALA MISS-hey,hey,hey guyzz relax...tough ka matlab hamesha mentally hard challenge hi nahi hota...

hamari PRINCI ne jo challenges set kiye hain woh tough zaroor hain par usse zyada interesting aur thrilling hai...

you all are going to love it...so are you all ready to start this happening night with your first challenge...!!!!???


YES MA'AM....

students ke ek loud shout se gunj utha tha pura indoor stadium....


ANSHUMALA MISS-alright then...so the name of your first challenge is THE WORLD RECORD....


naam sunte hi soch me padh gaye the students aur ye dekh has padi MISS aur...


ANSHUMALA MISS-relax students..har world record guinness books ke liye nahi hota...

this world record challenge is different and as i said before,very interesting...

so,kul teen task me bata hai ye challenge..pehla task hai to BLOW THE BALLOON...


MISS ke is line par 1 substitute teacher hum sabke saamne aakar khade ho gaye..

unke haathon me ek red colour ka 10 inches lamba airless balloon tha....

ek baar us balloon ko hum sabki taraf wave sa kar usse apne honth se laga liya unhone..

the next moment,sir ne balloon ko blow karna shuru kar diya tha..

the balloon was latex which meant ki uska air fill size kaafi bada hone waala tha..

sach thi ye baat joki thodi der me sabke saamne the...

us balloon ko kaafi bada round shape dene ke baad usse uske hole point se strech karte hue baandh diya sir ne...

aisa karne ke baad apni pant ki jeb me haath daal ek measuring tape nikala unhone aur us balloon ki all around length aur breadth naapne lag gaye woh...

MISS bhi dekh rahi thi sir ko aisa karte hue jiske baad...


ANSHUMALA MISS-28 inches... impressive shuklaji...so students, apne pehle challenge ke first task me karna aapko bhi yahi hai...

sabse pehle first challenge me one after the other ke pattern me alag alag boys aur girls participate karenge...

10,10 ki line banakar stadium ke right end se task shuru karenge aap sab..

30 seconds milenge aap sabko..is 30 seconds me jitna zyada bada fula saken,utna air fill karna hai aapko balloon me...

balloons ka full strech diameter 48 inches ka hai isiliye inke fatne ka koi chance nahi hai...

30 seconds pura hote hi stop alarm baj uthega aur agar waisa hone ke baad bhi kisine balloon me air fill karna jaari rakha toh he or she will be disqualified...

and don't think of dodging anything kyunki c.c.t.v se continous monitoring hogi har challenge ki...

anyways,alarm bajte hi apne balloons piche khade next 10 participants ko de dijiyega jo usse baandh kar unhe measure karne ke liye volunteers ko de denge..

is beech active participants turant apne next task ko shuru karenge aur woh isiliye kyunki first task ke 30 seconds pure hote hi next task ke liye aap sabko milne waale agle 30 seconds shuru ho jayenge...

first challenge ka next as in second task hai...."ANKLE WALK"...

apne dono pairon ke takhne,ankles ko jhuk kar apne hatheliyon se pakde hue aapko jitna ho sake,tezi se aage badhna hai...

jahan se aap walk shuru karenge,wahan se stadium ke left end tak ki doori exactly 40 metres ki hai...

yaad rahe,agar ankle walk ke beech kisi bhi participant ka haath uske ankle se chhuta, woh disbalanced hokar gira ya giri toh they will be disqualified and will be out from the race of pre-prom king and queen...

saath hi saath 30 seconds complete hone tak agar koi participant left end tak nahi pahuncha toh bhi he and she will be disqualified...

anyways, left end tak pahunchne ke baad jaise hi second task stop alarm baja,third task of your first challenge will start aur is task ke liye bhi aapke paas 30 seconds hi honge..

"RIDDLE SOLVER"...

yahi hoga aapke first challenge ka third aur aakhri task...

par is task ke liye aapko kahin jaane ki zaroorat nahi hogi...left end me hi line se 10 green boards rakhe hue honge...

unhi boards me aapke liye ek ek riddle likha hoga...

participants ko bas board ke kinaare rakhe chalk box se chalk nikaalna hai aur us riddle ka one word answer riddle ke neeche likhna hai...

bas yahi hai aapka first challenge... first 10 participants ke last task ko complete karne ke baad next 10 participants ki baar shuru ho jaayegi...

hain naa exciting aur simple....

HOOOOOOOOOOO.....

BRILLIANT.....


jahan ek taraf sirf first challenge aur usme milne waale teeno tasks ke baare me jaan excitement se bhar baaki students hooting karne me lag gaye the wahin dusri taraf the mao aur DIMPLE jo ki is first challenge ke sequence order ke roots aur participants par hone waale asar ko samajh PRINCI ki jinhone ye challenge set kiya tha,taarif karne se khud ko rok nahi paaye the...

pehla task..BLOW THE BALOON... continously 30 seconds tak apne pure mouth pressure ke saath pressure exert karna...

kyunki hawa lagataar blow karni thi isiliye core strength ka bhi use hona tha isiliye khade khade hi body is task me thak jaani thi..

aisi thakaan jiska participant ko us very moment me pata bhi nahi chalega..

aur jab pata lagne ka time aayega,tab tak woh next task ke liye aage badh chuka hoga...

"THE ANKLE WALK"...

apni uppar body ko joki sirf isiliye relaxed rehti hai kyunki uska pura bhaar hamara nichla sharir, hamare pair uthaate hain,usse jhukana hoga...

aur sirf jhukana hi nahi balki jjhukkar apne ankles ko hold karte hue aage badhna hoga...

beshak walk karna hai par kyunki body ke dono bhaag completely bate hue honge isiliye woh walk kisi marathon race se kam nahi feel hoga..

upar se kyunki aankhein head ke neeche hone ki wajah se ground ki taraf dekh rahi hongi isiliye target blind spot jaisa hoga resulting extra pressure....

sharir ka khoon gale se hokar brain tak pahunchega..

final line tak pahunchte pahunchte head spin hone lagega jiski wajah se 2+2 ka answer batane me bhi kuch seconds lagenge aur waisi haalath me challenge ka final task "RIDDLE SOLVER"rakha gaya hai...

GAZAB.....

khair,yahan SANVY aur DIMPLE PRINCI ke twisting challenge ko appreciate karne me lage hue the aur udhar first challenge ke pehle 10 students ke female participants right corner me khade bhi ho chuke the..

senior most batch ke students the woh sab....

haathon me unke balloons diye jaa chuke the aur unke theek piche agle 10 girl participants khade bhi ho chuke the...


ANSHUMALA MISS-lastly, is first challenge ke result me jo best 10 male aur 10 female participants honge,wahi qualify karenge next challenge ke liye...

so,ready girls...and your first 30 seconds starts..........now..........

FOOOOOOOOOOHHHHH......


MISS ke NOW bolte hi apne apne balloons me pura mouth pressure release karte hue air fill karna shuru kar diya tha sabhi participants ne....

PAMMMMMMMM.......

sirf 30 seconds mile the un sabko jo dekhte hi dekhte is time out alarm ke bajte hi pure ho chuke the....

par unfortunately un 10 participants me se 2 ke balloons mid task me hi neeche gir gaye the jiska matlab tha ki woh challenge ke saath saath king aur queen ki ladhayi se bhi out ho chuke the...

baaki bache 8...un sabne apne apne balloons me air fill time me kar piche khade participants ko unhe tie karne ke liye pakda diya tha aur aisa karte hi woh 8 apne pehle challenge ke second task"ANKLE WALK" ke liye neeche jhuk chuke the..

ghutne halke modte hue un sabne jhuk kar apne apne ankles ko hold kar liya tha aur ussi position me sabne aage hi taraf apna apna step liya par tabhi...

DHAMMMM....DHAMMM....DHAMMMM....

kuch hi steps badhe honge woh sab ki tabhi un bache 8 me se 3 participants apna balance control me nahi rakh paaye aur neeche gir gaye...

matlab they all were also out of the competition...

bache 5 kisi tarah kisi tarah dheere dheere jhuke hue hi kadam badhate aage badhne lage the...

PAMMMMMMMMM.....

ab 30 seconds koi bohot zyada time toh hota hai nahi... alarm baj utha tha par aisa hone par un paanch me se 3 participants hi finishing line tak pahunch paaye the..

baaki 2 ka safar ab bhi chand metres ka bacha hua tha jo ab kabhi pura hone ka tha nahi...

2 task pure ho chuke the aur ab baari thi first challenge ke third aur final task "THE RIDDLE SOLVER" ki...

par second task ke baad participants ki jaisi haalath honi thi, wahi hua tha...

saans fulne ke saath saath head me chadhe blood flow ki wajah se sir bhi halka halka spin kar raha un teeno ko..

yahi wajah thi ki saamne rakhe green board par likha riddle woh sab padh toh rahe the par unka dimag abhi unhe solution dene ki haalath ne nahi tha..

aur jab tak brain un teeno ka stable hue,20 seconds se zyada nikal chuke the..

riddles bohot hard nahi the par phir bhi,itne complexed toh the hi ki ek normal brain me unke answer ko click hone me kuch seconds lage hi..

aur aisa hi hua...more then 5 seconds lag gaye the un teeno ke brains ko riddle ka ganith samajhne ke liye jiske baad turant chalk utha green board par pahuncha un teeno ka haath par tabhi....

PAMMMMMMMM......

OH NO...........

stop alarm baj utha tha jiska matlab tha ki participants ke is first 10 lot me se ek bhi bandi second challenge ke liye qualify tak nahi kar paayi thi....

kandhe aur sir jhuka frustration sabse chuppate hue woh teeno girls ek taraf badh chuke the..

wahin unke efforts ko baaki students clap kar appreciate karne me lag chuke the...

GO.......

ab baari thi first male 10 participants ki jinka first task shuru ho chuka tha...

pehle 10 participants ke performance aur usse tasks ki toughness ka andaza unhe aur baaki sabko ho chuka tha..

isiliye task behter dhang se handle karne ke liye strategies ready ki hui thi un 10 participants ne par koi khaas faayda hua nahi...

kyunki agle 90 seconds aur teen tasks ke pure hote hote 9 participants disqualify ho chuke the...

aur sirf ek participant aisa tha jisne 90th matlab aakhri second me apna final task "THE RIDDLE SOLVER" pura kiya..

WOOOOOOOHHH..........CLAP,CLAP......

finally first 20 participants me koi ek student tha jisne pehla challenge pura kiya tha isiliye usse gesture dete hue pura indoor stadium hi hooting aur clapping se gunj utha tha...

GO....GO....GO...GO....GO...GO...GO....GO...GO...GO...GO...

second 10 participants me se ek student ke teeno task pura karne ke baad jaise baaki students ka josh double ho chuka tha...

ANSHUMALA MISS ke GO bolne ke baad 10,10 ke hisaab se saare moujud students participate karte chale gaye...

SIRIUS ke senior 3 classes me kareeb 800 students the par aaj ki is romanchak raat me attendence aadhe se bhi kam students ne diya tha..

300 hi students moujud the is waqt yahan par jisme se exact 50 percent girls the..

ANSHUMALA MISS 10,10 participants ke hisaab se girls aur boys ka first challenge karwa rahi thi jinme se ab tak 280 students ne participate kar liya tha...

ab sirf final 20 students bache the...ye 20 students hum aur hamari hi dono sections ke students the...

pehla attempt girls ka tha isiliye NEW GIRL, ANJALI,NAISHA,KHANAK, RASHI ke saath paanch aur ladkiyon ke saath first task ke starting point par khade ho chuke the...

wahin hum male 10 students joki last participants the, girls ke theek piche unke air filled baloons ko tie karne ke liye chal pade...

is beech NEW GIRL ki aankhein mujhse mili thi..

kaha kuch nahi usne par jo chahti thi, samajh gaya tha mai...


MAI-chale be,ANJALI ke piche khade hona tu...


NITS se kahi thi maine ye baat jispar...


NITS-abbe nahi yaar..agar uska fugga nahi phoola toh bewajah meri hawa nikaal degi woh chudail...

MAI-pehle har disha me kheench balloon ko...dheela kar usse...

phir balloon ki gardan matlab uske opening area ko apne index aur thumb se thoda tightly hold kar...

us hold se opening seal khulega jahan kiss karne ka shape banate hue mooh laga baloon me...

lastly,hawa blow karna hai par ek tez blow me mat karna...

lungs me hawa fill kar, uske baad pehle blow me 25 percent pressure,phir 50 aur third flow me jitni energy lage,use karte hue blow karna...

baloon ache daimeter tak inflate ho jaayega...

ye gyan pelna ANI ke saamne aur issi tarah aur confidence se bolna jaise maine bola abhi...

maan jaayegi woh...

NITS ke kandhe me haath daale hue hi girls ke piche ya phir ye kahun ki new girl ke just piche pahunch chuka tha mai..

nazar uski saamne thi par apne piche meri moujudgi ko sense kar liya tha new girl ne..

face par aayi uski woh houli si muskurahat gawah thi is baat ki.

wahin new girl ke side me khadi thi ANI jo mere pahunchte hi ghumi meri taraf aur...


ANI-oye,bata jaldi..kaise nail karun mai is pehle task ko...

NITS-mai bataun...!!!

ANI-tu...!!!!


awaaz me halki shock ke saath tu kaha tha ANI ne par uske baad jaise jaise NITS BALOON INFLATION ka technique bataya gaya,woh shock awaaz se ANI ke pure face par chhadhta chala gaya...

kuch kaha nahi usne, bas kuch pal NITS ko dekh saamne ghum gayi woh...


DIMPLE-nice idea...mai bhi try karungi...


NITS se nahi,balki halka piche ho mujhe dheere se kahi thi ye baat new ne jispar mai bhi halka sa muskura diya...

GO.....

kuch pal beete honge ki tabhi girls ke is final lot ko GO bolkar task shuru karne ki hari jhandi fe di thi MISS ne jiske baad un sabka balloon inflation shuru ho chuka tha...

OHHH... LOOK AT THEM.......BRAVO......


abhi 15 seconds hi guzre honge ki jo scene saamne aaya,usse dekh sabhi students including ANSHUMALA MISS aur saare substitute teachers ki aankhon me taarif ke bhaav dikhne lage the..

aur us taarif ke kendra bindu ek nahi balki do students the..

pehli new girl jisne 12 seconds me hi apne balloon ko 30 inch tak inflate kar liya tha and not lacking much behind her was ANI jisne same diameter me apne balloon ko 15 seconds me hi fill kar liya tha...

aisa kar dono girls ne hi apne apne ballons ko piche matlab NITS aur mujhe paas on kar liya diya...

jahan hum dono hi balloons ko tie karne me lag gaye the wahin ek dusre se high five kar dono girls bache hue chand seconds me apne use kiye hue saanson ko normal karne me lag gaye the...

PAMMMMM....

first task ka stop aur next task ka start alarm baj chuka tha jiske baad ANI aur NEW GIRL ke saath baaki 8 girls bhi apne apne ankles ko touch karne ke liye jhuk chuke the par ANI,NEW GIRL aur baaki sabme ek fark tha...


"SECOND TASK ME FOOTS KO SIDHE NAHI 45 DEGREE TEDHE KARKAR CHALNA...BALANCE ZYADA ACHA BANEGA"....

"AUR TASK PURA HONE KE BAAD KAMSEKAM 5 SECONDS AANKHEN BAND KAR LENA AND TAKE DEEP BREATH FROM NOSE...HEAD BLOOD FLOW SMOOTH HO JAAYEGA"...


first task ke beech jab saare girl participants balloon blow karne me lage hue the,aage ke task ko karne ka technique NITS ke kaano me whisper kiya tha usne jisse NITS ne balloon tie karne ke beech ANI se share kiya tha...

aur new girl,usse ye technique pehle se hi pata tha...

that's why un dono ke foot angles aur speed baaki girls se zyada the...

jahan dusre end tak pahunchte pahunchte 7 girls disqualify ho chuke the wahin new girl ne sirf 18 seconds aur ANI ne 24 seconds me apna second task bhi pura kar liya tha...

jahan ye dekh un dono ke gesture me ek baar phir pura stadium taaliyon aur hooting se gunj utha tha wahin ANI aur NEW GIRL ne un saare appreciation ko ignore kar turant apni aankhein band kar li thi...

they both were breathing from there nose jiska asar wakayi tezi se hua...

PAMMMMMM....

pehle challenge ke final task ka alarm baj chuka tha aur aisa hote hi jab aankhein kholi ANI aur NEW GIRL ne toh they mind and vision had become smooth...


ANI-"aisa kya hai jo hum kisiko dene ke baad bhi rakh sakte hain"???

DIMPLE-"mai bina chhue tumhe theek bhi kar sakti hun aur maar bhi sakti hun"???


jahan baaki sabhi girls second task se hue thakaan aur head spin se abhi ladh rahe the wahin new girl aur ANI ko thakaan bhi kuch khaas nahi lag rahi thi aur sir unka normal hi tha..

yahi wajah thi ki ki mile riddles ke jawab bohot jald un dono ke dimag me click ho gaye the...


ANI-VAADA...VACHAN...

DIMPLE-WAQT...


jawab apne man me bolne ke beech chalk utha apne apne answer ko riddle ke neeche likh chuki the dono...

PAMMM.....

first challenge ke last task ka stop alarm bell baj chuka tha..

aur aisa hote hi pehle challenge ke result next challenge me qualify karne waale first do girls ka naam clear ho chuka tha...

DIMPLE aur ANJALI...in dono ke alawa hamare group se NAISHA hi bas thi jo second challenge ke liye girls me se qualify kar paayi thi...

khair,jahan apne performance se behadh khush ho excitement me ucchal hi padi thi ANI wahin face lar hamesha rehne waali smile ke saath boys ke final lot ki taraf ya phir ye kahun ki meri taraf badh chuki thi NEW GIRL...


DIMPLE-thanks...your tip really helped...

MAI-tip ANI ke liye thi... tumhe us strategy ke baare me pehle se pata tha...

DIMPLE-why do you say that...!!!???

MAI-answer toh abhi abhi board par likha hai tumne...TIME...WAQT...

DIMPLE-woooo...tumhe itni door se board par likha riddle dikh gaya...!!!!

MAI-nopes...par jab tum answer likh rahi thi,i watched your hand movements...ussi se pata chala mujhe ki kya likha tumne...

DIMPLE-brilliant...ab ye bhi bata do ki why do you think ki...

MAI-tumhe meri batayi strategy pehle se pata thi..

simple...dono task ko shuru karne se pehle ek second ke liye hi sahi,ANI took time...time to set her body for the strategic movement...

par tumne har task right away shuru kiya..aisa tab hi ho sakta hai jab tum pehle hi saare ganith laga kar baithi ho...

DIMPLE-jawab dene se pehle simple kaha tha tumne par aise observation kahin se bhi simple nahi hote...


new girl ki baat par muskurakar bas kandhe uchka diye the maine...


DIMPLE-ANJALI ke first challenge puri karne ki wish NITS ke through puri karwa di tumne..

kya ek wish meri bhi puri karoge...!!!???

MAI-mai bhi is first challenge ko cross karun,yahi chahti ho naa tum...!!!

DIMPLE-final challenge hum dono as partners pura karen,ye khwahish hai meri...


new girl ki baat sun kuch pal dekha maine usse aur...


MAI-jeetne ki aadat hai tumhe... agar meri wajah se haar gayi toh...!!!

DIMPLE-jab meri wajah se tumhe jeetne ka laalach nahi toh tumhari wajah se mai haarne ka malaal kyun karun...!!!


new girl ki baat ne dil par asar kiya tha mere...par filhal kuch kehna chahta tha nahi mai...


MAI-challenge shuru hone waala hai...

DIMPLE-final task end me khadi hun mai...


usne kaha KHADI HUN tha par feel INTAZAR KAR RAHI HUN laga mujhe...

khair, jahan apni baat bol new girl final task end ki taraf badh chuki thi wahin haath me balloon pakad apne challenge ke start hone ka wait karne laga tha mai..

kyunki hum final 10 participants the isiliye balloons tie karne ke liye 10 x participants hamare piche khade ho chuke the...

MAI,NITS,SONU,RAJAT, EKPREET aur SAM ke saath B section se ROHAN,ALOK aur NEERAJ bhi the is last line me...

anjaane me hi A aur B section ki is CHALLENGE ke andar ek nayi challenge si ho gayi thi jaise...

ek taraf se B waalon aur dusri taraf se A waalon ki zordar hooting is takkar ka saboot thi...

wahin ek dusre ke sections ko ghurte sabhi participants ki nazar is challenge ko ek alag intensity dene me lag gayi thi...

PAMMMM.....

hum 10 as in last participants ke lot ka is first challenge ke first task start karne ki bell baj uthi aur aisa hote hi humne apne haathon me hold kiye balloon me air bharna shuru kar diya...

jo advice NITS ne ANI ko di thi, uspar khud bhi amal kar raha tha woh...

teen baari me air fill kiya tha usne jispar uska balloon bhi 30 inches ke daayre se thoda zyada full chuka tha...

waise SAM bhi zyada piche nahi tha aur naahi ROHAN....

NITS ke saath saath un dono ki apne balloon me air filling time speed hi thi...

rahi baat meri....

32 inches tak ka air fill maine 15 seconds me hi kar liya tha par honth mere abhi bhi balloon me lage hue hi the...

DONE....

baaki sabko surprise karte hue NITS pehla banda tha jisne 20 seconds me hi air fill kar apne balloon ko piche khade volunteer ke haathon me pakda diya tha...

aur ye dekh jahan B section ke participants ki sulag gayi thi wahin humare section ke participants aur humare liye hooting karti hamari class ke students khush ho gaye the...

DONE...DONE...DONE...DONE...

NITS ko follow karte hue baaki sabne bhi apne apne ballons fill kar piche de diye the...

maine bhi...par last tha mai... aur ye dekh jahan mujhse hamesha hi sabse zyada khaar khaaye rehne waale B section ke students hasne lage the wahin door khadi new girl bas sir shake karti hui muskura rahi thi...

ARRE YE TOH BANDHA HAI...

PAMMM....


unlike other participants,maine apna balloon khud baandhne ke baad piche khade bande ko pakdaya tha...

ye dekh woh hairan ho raha tha par uski hairangi par react karne se pehle hi mai baaki sabke saath apne next task ANKLE WALK ke liye aage badh chuka tha...


HEY LOOK AT SANVY....HOW IS HE GOING THIS QUICK....!!!


mere first task me slow perform karne par B section ke students ki hasi dekh new girl ke smiling face ke piche chuppa disappointment feel kar liya tha maine isiliye us underperformance ko is baar overperformance se cover karne ka soch liya tha maine...

aur jo hum soche woh naa ho,aisa toh hone se raha...

3 second guzarne se pehle hi baaki sabko piche chhodte hue aage badh chuka tha mai..

aur jis speed se aage badh raha tha mai,usse dekh sabka hairan hona laazmi tha...

khair,18 seconds ke pura hone se pehle hi maine apna second task pura kar liya tha aur ye dekh ek baar phirse mere section ke students zordaar hooting karne lage the..

wahin dusri taraf the B section ke students jo kuch der pehle mujhpar has rahe the...aur ab unke chehre kutton ke pichwade jaise sukhne lage the...

aur new girl...jo khushi uske face par dikh rahi thi,woh khushi kam us vaade ki tarah zyada lag rahi thi jisne mujhse bina maange hi mujhe mere agle task me jeetne ka vachan le liya tha...

PAMMM.....


ek hi rang hai,par alag alag AAKAR HAI...

neeche daba hua sa hai,par phir bhi BAHAR HAI...

surya me chhipta nahi par baarish me dikhta nahi...

na dard deta hai,na nuksaan pahunchata hai,ekdum KAMAAL HAI...


RIDDLE padhne ke baad na hi chalk uthane me ek second bhi waqt lagaya maine aur naahi answer likhna shuru karne me...


ANSWER-CHHAYA...SHADOW...

RIGHT......


volunteer joki mere board ke paas khade the,mere answer likhte hi unhone us answer ke aage right tick kar diya tha aur ye dekh ek baar phir zordaar clapping hui par is baar us gesture ki shuruat new girl ne ki thi...

mujhe sabse pehle task pura karte aur most importantly, pehle challenge ke male participants me first aata dekh jo khushi uske face par dikh rahi thi woh wakayi kamal thi...

wahin second task ki tarah is third task ko bhi mere baad SAM ne baakiyon se pehle pura kiya tha jisse follow kiya tha ROHAN ne...

par ROHAN ke baad NITS aur mere class ke participants ne hi ye final task complete kiya tha aur ye dekh is baar meri class ke kuch namunon ne sirf hooting aur clapping hi nahi ki balki woh sab saale B section ki sulgaane ke liye unke paas jaakar naachne hi lage the...


NITS-kya baat hai lounde..chhaa gaya aaj toh tu...


mere gale me apne haath ko fasaate hue kamina jhul hi gaya tha pura...

waise result abhi open nahi kiya gaya tha par mere performance ko dekh koi bhi ye bata sakta tha ki boys me first position meri hi thi...


ANJALI-ohho..kya baat hai..!!!aaj pehli baar kisi event me openly hissa liya tune aur jeet bhi gaya...

MAI-abbe teri performance se motivate ho gaya tha mai...

ANJALI-chal re, aaya bada...by the way, thanks NITS...pata nahi kyun par aaj tere diye tips par amal karne ka man kiya mujhe and it actually worked...

kahan se sikha tune woh sab...????


ANI ki baat par NITS ki nazar meri taraf ghumi jispar naa ne sir hilaya maine...


NITS-arre bade gubbare fulaaye hain apan ne...aur balloon inflation ke baad kaisa feel hota hai,pata hai mujhe...

baaki pair waala koi bhi task toh easy hi hai apne liye...

ANJALI-really...!!!and how's that...!!!???

NITS-dimag jo pairon me hai..

ANJALI-HAHAHA.. that's true...


apne humour se ANI ke mind ko divert kar diya tha NITS ne aur ye dekh mai bhi muskurakar palaththe hue aage badh gaya par tabhi...


DIMPLE-congrats...


mere theek saamne khade ho apni chamkili aankhon se dekh rahi thi mujhe NEW GIRL...


MAI-khudse keh lo...khwahish tumhari puri hone waali hai...

DIMPLE-so toh hai..waise apne kaam ka shray lena kab shuru karne waale ho tum...???

mere piche khade NITS aur ANI ko dekh kahi thi ye baat NEW GIRL ne...

MAI-jis din pedh har raahgir ko chaanv dene ka shray lene lage,tab...


mere jawab par kuch kehte bana nahi new girl ko.. bas kuch pal mujhe dekhti rahi woh aur...


DIMPLE-ek baat batao...har lime light se khudko door rakhne waala SANVEER AHARYA aaj itne bade informal school event me sharik hone ke liye maan gaya...

wajah iski sirf meri request thi ya kuch aur...!!!!

MAI-kuch ya koi aur hota toh mai is waqt us wajah ke saamne khada hota,yahan tumhare saamne nahi..

waise milta julta sawal toh mera bhi hai.. pre-prom queen banane ki khwahish tumhe kabse ho gayi...!!!

DIMPLE-queen kabhi kisi event ki nahi hoti,king ki hoti hai aur mai...


flow flow me dil ka haal batane lagi thi new girl par tabhi jaise usse ehsaas se hue apne shabd...


DIMPLE-aati hun...


aisi sharm jo sharm ko bhi sharmaane par majboor kar de,us sharm ki chaadar se apne chehre ko chuppa ghum gayi thi new girl par andaza nahi tha usse ki uski us sharmili muskaan ne saansein bhaari kar di thi meri...

palath chuki thi woh par ab bhi meri aankhon ke aage uska woh rukhsaar,usme aayi laali waali sharm tair si rahi thi...

khudko trance se nikaalne ke liye apne sir par tapli maari maine aur ek lambi saans bharte hue us mehek ko mehsoos karne laga tha mai jo kisi sougat ki tarah apne piche chhod gayi thi new girl...


MAI-sambhal kar beta SANVY....life me pehli baar sab clear hone ke baad bhi confusion ho raha hai...saala.....





samajh nahi aa raha ki andar hi rahun ya phir BAHAAR JAAUN MAI...


tujhe khudme zinda rakhne ke liye apne aap ko hi naa MAAR JAAUN MAI...

pehla mukabala jeeta hai,aage bhi jeet jaayenge,bas dar itna hai ki....

tere saath jeetne ke chakkar me tere haathon khud ko hi NAA HAAR JAAUN MAI...



(THE NIGHT CONTINOUS)






AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
Fantastic update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Agrawal ji

Supreme
438
937
108
Merry Christmas bro
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA APNI INDIRECT BAATON SE PEHLE SANVY AUR PHIR DIMPLE KO PRE-PROM ME JAANE KE LIYE MANA LETI HAI WAHIN DUSRI TARAF PRE-PROM KA FIRST CHALLENGE PURA HO CHUKA HAI JISME SANVY AUR DIMPLE SABHI PARTICIPANTS SE BEHTER PERFORM KARTE HAIN.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-66

DATE-30TH SEPTEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-INDOOR STADIUM


PRE-PROM

THE NIGHT CONTINOUS






ALRIGHT.. ALRIGHT...CALM DOWN STUDENTS....

lagataar hooting se gunj raha pura stadium MISS ki awaaz se kuch shaant ho gaya tha...

first round ke pure hone ke baad baari aayi thi un 10 boys aur 10 girls ke naam announce karne ki jinhone khudko second challenge ke liye qualify kar liya tha..

ab tak 8 boys aur itne hi qualified girls ke naam bata chuki thi MISS aur har naam ke baad us selected student ka group shout kar raha tha...

last do naam second position waale participants ke the which were none other than ANJALI aur and SAMEER...

kuch waqt pehle tak school ke sabse happening couple reh chuke the dono...

aur aaj ek saath second position me aane ki wajah se dono ke liye hooting bhi kaafi zor se hui thi...

anyways,mike par MISS ki awaaz ne us shor ko shaant kar diya tha jiske baad...


MISS-and now,name of the two students jinka first challenge me performance sabse acha raha hai....

girls me it's DIMPLE BATRA & for the boys...well,well,well...look who we have in the first place...

SANVEER AHARYA....

HOOOOOOOO.......


naa kisi academic event me kabhi pehle hissa liya tha maine aur naahi kisi aur curricular activity me sharik hua tha mai..

par phir bhi jab MISS ne NEW GIRL ke baad mera naam liya toh aise gunj utha pura stadium maano unke favourite celeb ka naam pukara gaya ho...

shayad is saal ittafaq se hi sahi par mera CRICKET khelna,usme meri performance aur phir DEHRADUN ke dusre top schools ke naami bachon ke saath hui meri ladhayi aur un sabme baitha mera dar joki kisi aag jaisi news ki tarah hamare school me bhi faila tha,meri credibility ko badha diya tha usne...

anyways, us zordaar hooting ke beech ek dusre ko pal bhar ke liye dekhne ke baad mai aur new girl bhi baaki selected students ke line ki taraf badh chale the...

EKPREET,NITS,RAJAT aur ab mai...

first challenge ke 10 qualified boys students me se 4 toh hamare hi group se the...

wahin B section se bhi ROHAN ke saath saath NEERAJ aur ALOK bhi second challenge ke liye qualify kar gaye the...

sirf ek hi class ke dono sections se total 7 students select hue the joki choti baat kahin se bhi nahi thi..

aaj se pehle kisi pre-prom night me aisa nahi hua tha...

waise is record me girls bhi piche nahi the...NEW GIRL ke saath saath ANJALI aur RASHI bhi the jinhone second challenge ke liye qualify kiya hua tha...

wahin B section se bhi do girls ne ye kaarnama kar dikhaya tha...

anyways, hum selected 10 boys aur girls chhatkar alag khade ho chuke the aur aisa hote hi...


ANSHUMALA MISS-so now,we all move to our second challenge jiska naam hai....

SHERLOCK...


second challenge ka naam sunkar chownke toh sabhi the..

kya tha ye SHERLOCK,kisi ko pata toh nahi tha par jo bhi hoga,mind related hi hoga,iska andaza tha sabhi ko...

wahin students ke faces par aayi confusion waale bhaav chuppe nahi thi MISS se...


ANSHUMALA MISS-abhi se confuse ho gaye.. save it guyz kyunki jab challenge elaborate karungi toh is expression ka daayra aur badhega...

so SHERLOCK...naam sunkar is naam se jude kirdaar ke baare me and most importantly, uski main qualities toh dimag me ghum hi gayi hogi aapki...

unhi qualities me se ek hi challenge hai aap sabka...

any prediction.... what it's gonna be...!!!

DIMPLE-PREDICTION...

ANSHUMALA MISS-wow... aap toh beta pehle hi challenge mode me aa gaye ho...

that is correct...

prediction.....SHERLOCK HOLMES ka sabse bada hathiyar...

kehte hain ki kisi ko bhi dekh bhar ke uski life ke sabse important aspects,uske secrets jo usne kisi se bhi share nahi kiye honge kabhi, woh 1 minute ke andar hi bata dete the...

and his prediction used to be 99 percent bang on...

aisa hi kuch aap sabko aaj ek dusre ke saath karna hai...

ek bowl me hum aap sabke names ki chits daalenge aur phir mai ek baar me 2 chits nikaalungi...

jo bhi do naam un chits me honge,woh dono participants ek dusre ke saamne aayenge and one by one,they will predict stuffs about the other one...

kul paanch statements dene hain har participants ko saamne waale par..ye statements ya phir ye kahun ki predictions kuch bhi ho sakte hain bas obvious baaten nahi joki saamne waale ne pehle se share ki ho...

ye prediction statements aap sabko current aur just recent past ki hi karni hai,not about something very old...

un 5 statements me se jin 8 participants ke,as in 4 boys aur itne hi girls k sabse zyada correct prediction honge,they will march into the next and final challenge of tonight...

so ready....

OHHHHHH.....


the challenge was tough...dekha jaaye toh opponent par tukka sa lagana saamne waale ko joki sahi hi ho,ye asaan nahi tha...

isiliye 20 participants toh shaant hi rahe the par audience jinka daayra ab first challenge ke baad kaafu badh chuka tha,they all became very excited...

unhi sabke excitement bhari awaaz se gunj utha tha pura stadium...

anyways,yahan students shor machane me busy the aur wahan MISS ke saath khade volunteering kar rahe teachers ne sabhi participants ke naam chit me likhkar bowl me daal bhi diya tha..

aisa hote hi us bowl ko lekar MISS centre par rakhe gaye ek 4 feet unche stool ke paas pahunchi aur us bowl ko uspar rakh diya...

bowl rakh ek ek kar do chits nikaale unhone aur...


ANSHUMALA MISS-and the first two participants are NITENDRA and NEERAJ...

ROHAN-go for it NEERAJ... prediction bhale hi GALATH ho par saale ka insult karne ka isse better mouka nahi milega tujhe...

jo chaahe bol gaandu ko,aaj toh SANVY bhi kuch kar nahi paayega...

NEERAJ-mutual feelings bro...maine bhi yahi socha hua hai...

ALOK-par brake ka dhyan bhi rakhiyo be..kuch bhi bol sakta hai,ye soch kar line cross na kar diyo warna saamne ANSHUMALA MISS hain,yaad rakhiyo...

jitni cute personality hai unki,dimag utna hi garam bhi hai...

kuch zyada GALATH bol diya toh sabke saamne pel dengi tereko...

NEERAJ-jaise pichle saal tujhe pela tha...pata hai hai be mujhe kya aur kitna bolna hai...

NITS-bhai,agle pre-prom me entry maarega ke...


NITS jiska naam anounce hote hi bharpoor taaliyan baji thi,woh pehle hi stool aur bowl ke ek taraf khada ho chuka th...

wahin uski baat par NEERAJ usse ghurta hua uski taraf chal pada...

agle kuch seconds me NEERAJ aur NITS bowl aur stool de divide hote hue ek dusre ke saamne khade the...

wahin ANSHUMALA MISS pehle hi dono ke centre me khadi thi...


ANSHUMALA MISS-all the best guyz...so,who will predict first...???

NITS-tu bol le bhai...


NITS ki baat sun ek evil smile naach uthi thi NEERAJ ke face par...


NEERAJ man me-saale, aisi insult karunga aaj mai teri ki predict chhod,apni baari me mooh kholne ke liye zubaan bhi ladhkhadayegi teri...

ANSHUMALA MISS-ok then NEERAJ...you can go first...


ANSHUMALA MISS ki baat puri hote hi apne smile ko carry karte hue NITS ke ird gird dheemi chaal ke saath gol ghuma NEERAJ..

is beech NITS ke over jacket ko peep sa kiya tha usne..

anyways,peep karne ke baad phir apni position me wapas aakar khada ho gaya NEERAJ...


NEERAJ-ARROW SELF DESIGN SINGLE BREASTED TUXEDO...

nice choice buddy... bilkul apni personality ko suit karne waala tuxedo kharida hai tune...

cheap...

par isme teri bhi kya galti...!!!! jitni aukaad hogi, utni ki hi toh dress dilwa sakenge na parents...

khair,chehre par tere make-up bhi kiya hua hai tune...!!!gazab...par salon ya parlour touch toh nahi lag raha tere thobde par...

fair and lovely, handsome ya aisi hi koi local cream se khud ko touch up diya hai tune..

again,teri kya galti... jitna bas me hoga,utne budget ka hi toh makeup karega na tu...

honda city me aaya hai tu....aur bhi kayi jagah ussi car me spot kiya hai maine tujhe...

par i can bet ki woh car teri personal nahi hai...papa ki hogi jo unhone down payment dekar kharidi hogi...

really,i mean seriously...13,14 lakh ki car bhala kaun kishton me kharidata hai...

anyways maine dekha ki yahan indoor stadium me aate hi girls ko check out karna shuru kar diya tha tune...

prediction toh mai jaanta hi ki ye sahin hi hai but saath me ek advice bhi leta jaa...

try mat kar... tere wallet ki hadh se bahar hai yahan par moujud har ladki...

lastly,ye dekh, mere wallet ko aur uski condition...ye hai arista vault wallet...price 10 thousand rupees...

aur iske andar,ye dekh...amex gold charge card hai ye...limit 2 lakh ki hai iski...

isse chhod kuch chilhar bhi hai kere paas..wait,i will count..oh,10 thousand,only...aaj thoda cash kam ho gaya hai..

yaar,thoda bohot cash udhaar de naa..zyada nahi, 10 thousand extra will do...

par mujhe nahi lagta ki 10 kya,5 bhi honge tere paas...


NEERAJ ki baat sun kuch kaha nahi NITS ne aur ye dekh...


NEERAJ-kya hua...???sach bola kya maine...!!!i thought so....

dekhen toh,kitna hai..


turant NITS ke paas pahunch uske tuxedo ke right taraf haath daal wahan rakha purse ek jhatke me nikaal liya NEERAJ ne...

uski ye harkat bilkul pasand nahi aayi thi MISS ko par challenge continuity me tha isiliye shaant hi rahi woh..


NEERAJ-woooo..ye kya brand hai bhai...al fascino....kya baat hai.. Spanish,haan...

wow,but ek second..ye kaisa spanish brand hai jisne apna mark GALATH taraf likha hai...

oh teri, duplicate maal hai be ye toh...chagan laal accessories shop se toh nahi liya isse tune..

lag toh wahin ka raha hai... anyways,apne ko kya.. apne ko toh cash se matlab hai...


ye bol purse open kiya usne aur aisa karte hi...


NEERAJ-ye kya...!!! sirf do hazar.. seriously...abbe itna toh din ka kharcha hai mera... woh bhi tab jab adjust karke chalta hun mai...

anyways,baaki predictions ki tarah ye panchwi aur last prediction bhi sach hi hui meri...

right ma'am...!!!!

WOOOOO.... THAT' WAS ALL BELOW THE BELT DUDE....


NEERAJ ke remark ko sun jahan ek taraf NITS shaant hi raha,dusri taraf the students ya phir ye kahun ki ROHAN and friends jinhone NEERAJ ki har baat ya phir ye kahun ki insult par hooting ki thi...

wahin teesri taraf thi ANSHUMALA MISS jo ab tak kisi tarah shaant khadi thi par NEERAJ ke aakhri remark ko sun khudse control chhut gaya unka...


ANSHUMALA MISS-you are so wrong NEERAJ..sirf prediction karne ke maamle me hi nahi balki as a person,bohot GALATH ho tum..

you are disqualified...

NEERAJ-but why MISS...???prediction dene ka challenge tha aur wahi toh kar raha tha mai...

ANSHUMALA MISS-nopes..tum NITENDRA ko neecha dikhane ki koshish kar rahe the..par trust me,jo bhi log yahan proper mind aur heart carry karte hain,unhe tumhare remarks se fark nahi padega aur jinhe bhi tumhari baatein sunkar maza aaya hai,unpar aur unhe mili parwarish par taras aata hai mujhe...

ab isse pehle ki i throw you out of this stadium,apni jagah par jaakar khade ho jaao...


MISS ki baat se jaise koi fark pada hi nahi NEERAJ ko..jo mission tha uska,to humiliate NITS, woh jo pura ho chuka tha..

sir jhuka ek halki smile carry karte hue woh apni jagah par jaane ke liye palta hi tha ki tabhi...


NITS-ek minute bhai..kahan chale...???MISS ye bhale hi disqualify ho gaya hai par meri baari toh abhi baaki hai...

i also wanna predict....

ANSHUMALA MISS-sure..ho ahead...

GO FOR IT, BROTHER...AND DONT HESITATE... THODA BHI NAHI....


MISS bhi jaanti thi ki NITS yunhi toh chhodega nahi NEERAJ ko isiliye turant NITS ki baat maan gayi woh..

wahin MISS ke approval ko sun maine ek dahad si maari thi..aur us awaaz ka impact aur meri aankhon me dikh rahi intensity kuch aisi thi jisse dekh NEERAJ aur usse thode door khade uske group members halke dar se gaye the...


ANSHUMALA MISS-yes NITENDRA...i agree with SANVEER...don't hesitate...


ek hari jhandi si de di thi MISS ne NITS ko jisse sun bright smile se khil utha tha uska face..

haathon ko aapas me rub kiya usne aur theek NEERAJ ki tarah uske ird gird ek chakkar lagaya usne jiske baad...


NITS-hmm...

designer GAURAV GUPTA'S black metalic orbit tuxedo...kya baat hai bhai.. national level jiske clothe lines bollywood me bhi pehni jaati hai,usse pehna hua hai tune...!!! right...!!!

NEERAJ-ofcourse..a suit you can never afford...


bade garv se apne tuxedo ko pull off kiya tha NEERAJ ne jiske baad...


NITS-ye toh hai..waise tere dress ke baare me bohot se students baat kar rahe hain..

mai bhi karta agar ye.....original hoti...


NITS ke pause lene ke baad boli baat ko sun hadbada sa gaya tha NEERAJ...


NEERAJ-what do you mean,agar ye original hoti...!!!ye original hi hai...and by the way, tujhe designer suits ke baare me kya pata...???

NITS-zyada nahi,par itna zaroor maalum hai ki har designer ka sirf initial hi uske designed dress par nahi hota balki us initial mark ki position bhi accurate aur fixed hoti hai..

jaise ki GAURAV GUPTA ka originally designed dress...G.G naam ka uska initial dress ke color crack me exact centre point par hota hai...

par tere dress me ye initials color me toh hai par halka sa neeche...

that's why,it cannot be the original...


G.G ka woh signature behadh chota hota tha aur kyunki woh likha chota sa signature color me jispar nazar aam taur par padni hi nahi hai kisiki, isiliye hi NEERAJ ne woh dress kharida tha...

par uski soch GALATH saabit hui thi...


NITS-aur haan, wakayi sasti tuxedo pehni hai maine par hai ye original...middle class hun mai par teri tarah wanna be aur fake show off nahi karta...


jahan ek taraf NITS ki baat ko sun pure stadium me gossip shuru ho chuki thi wahin dusri taraf NITS ne SANVY ko ek wink kiya...

aakhir SANVY ka hi toh observation tha ye...ye aur aage jo bhi batane waala tha NITS,woh sab...

waise NITS ke wink ko DIMPLE ne dekh liya tha jispar sir shake karte hue smile karne lag gayi thi woh...


NITS-waise bhai, agar pet zyada kharab hai toh esaf ghol manga deta hun...

yahan D.J ke awaaz ke beech kahin teri gas leak ho gayi toh sound malfunction na jo jaaye...

HAHAHAHA....


jahan NITS ke is second prediction ko sun students aur unke saath ANSHUMALA MISS bhi hasne lag gayi thi wahin NEERAJ ka eye sharm se jhukne laga tha...


NEERAJ-how did you know...???

MAI-abbe jab se aaya hai, khaane ke har counter ko dekh bhikari waali shakal bana raha hai tu...

ab tere jaise mota genda jisse haram ka khaane me maza aata ho,fokat ka khaane me mooh bana raha ho toh kaaran pet ki gadbadi hi hogi naa...

HAHAHAHA....


NITS ke remark ko sun ek baar phirse pura stadium hasi se gunj utha tha...


NITS-waise ek baat hai... tuxedo bhale hi first copy pehni hai tune par kamsekam hai toh ye teri hi..

unlike your shoes jinhe maang kar pehna hai tune...

NEERAJ-what nonsense...!!!

NITS-nonsense..really...!!!!tere pair ka size 9 hai par jo joote pehne hue hain tune,unka size 10 hai...

dono taraf front me chota sa kapda daal size adjust kiya hai tune...

aur itni magaj maari sirf isiliye kyunki they are JIMMY CHOO...

fake show off karne ke liye extra accessory...

waise mai ye bhi bata sakta hun ki ye joote tere baap ke nahi hain...

reason... height...tere dad ki height hai 5,7...ab itne height waale ka foot size 10 toh hone se raha...

ye tere bade bhai ke shoes hain..aur jitna licchad insaan tera bada bhai hai,us hisaab se toh is shoe ke liye tune literally bheek maangi hogi uske aage..

ab batao..itna rahees hone ka kaa faayda hua jab paise hokar bhi bheek maangni padh rahi ho...

but it even makes sense...import export me hain naa dad tere...

do numbri aur government se thag kar chori kiye hue paise kamaoge phir hazam toh hone se raha...

NEERAJ-hey watch out.....!!!!

NITS-and why so...!!!tu mere baap ke middle class hone ka mazak udaayega aur mai nahi...

that's not fare buddy...

waise,ek baat aur bataun...haan,mera baap middle class hai...din raat chakki chala chala kar mera ghar bhi chalata hai aur mujhe SIRIUS jaise respectable institution me padhata bhi hai..

in sabke baad savings itni bachti hi nahi ki HONDA CITY cash me kharide woh...

but you know,what...!!!i am proud of my dad...!!!for the person he is..

aur khaas kar isiliye kyunki mere ghar me jo bhi kama kar laate hain woh, it's white...mere baap ki imandari aur khhudari waale pasine ki mehek aati hai mere pure ghar se...

WOOHHH...PHEWWWEWW....NAILED IT BRO....

whistle, clapping aur hooting se gunj utha tha pura stadium jisse sun NEERAJ aur door khade uske supporters ka face ab pura hi jhuk chuka tha...


ANSHUMALA MISS-NITENDRA BHATNAGAR...

NITS-yes MISS...

ANSHUMALA MISS-proud of you...

NITS-thanks miss...

ANSHUMALA MISS-alright then...toh ye second challenge wakayi ek unexpected way me shuru hua hai..

jahan ek taraf pehla participant as in NEERAJ disqualify ho chuka hai wahin NITENDRA has passed with full marks...

5 me 5 bang on prediction kiya hai isne that means you my boy have qualified for the final challenge...

NITS-thanks MISS...


khush hote hue tezi se hamari taraf badha NITS aur mujhe zor se gale laga liya usne...

NITS-thanks bhai...naa sirf challenge jeetwane ke liye balki baaki ki raat kisi humiliation ka centre point banane se bachane ke liye bhi...


dheere se mere kaan me fusfusaya tha NITS jispar haste hue uski peeth thapthapayi maine ...


ANSHUMALA-alright then...the next two participants are...


iske baad do random naam saamne aaye the jinka ek dusre ko lekar prediction bhi utna hi random tha...

waise ye silsila un dono par hi nahi thama ..unke baad aaye 6 aur jodiyon ka bhi haal kuch same hi tha including most of the selected members of our group..

ab hamare group se girls me bas ANJALI aur NEW GIRL bache the aur boys me bas mai aur SAM...


ANSHUMALA MISS-alright then...now we are down to aur last 4 contestent...


chaar me se pehli do parchi nikaalne ke beech apni baat kahi thi MISS ne...


ANSHUMALA MISS-wow...now this is gonna be interesting...

two buddies who will compete against each other...

so,the next two participants are SAMEER CHANDER and SANVEER AHARYA...

OHHHHHHHH...


MISS ke naam lete hi ab tak ke sabse bade hoot se gunj utha tha STADIUM..

par dekhne waali baat ye thi ki kisi bhi tarah ke competition me hamesha SAMEER ko back karti thi girls...

par aaj aisa nahi hua...GO SANVY ke loud shout out ke saath mera housla badhane me lag chuki thi stadium me moujud zyada tar girls...

anyways,kuch hi palon me hum dono hi MISS ke dono taraf khade ho chuke the...


ANSHUMALA MISS-so, who's gonna start...

SANVY, SAM....

maine SAM ka aur SAM ne mera naam le liya tha aur ye sun...


ANSHUMALA MISS-arre..koi ek hi toh round start karega naa...

SAM-i am going second...SANVY start karega...

MAI-start karega..!!!sounds like compulsion joki suit na hota bhai apne ko...mai nahi jaa raha first...

ANSHUMALA MISS-well in that case... let's start with a different prediction round...select,empty aur full...

apne dono mutthi ko band rakh haath cross kar hum dono ke saamne kar diye the MISS ne..


ek haath me unke sikka tha and the other one was empty..kisme sikka tha aur kaun sa khaali,hume sahi prediction dena tha...


MAI-right palm is full...

ANSHUMALA MISS-correct... SAMEER, you have to go first...


abhi SAM MISS ke haaw bhaav read karne ki koshish kar hi raha tha ki tabhi maine jawab de diya joki sahi tha...

kandhe jhuka ek lambi saans chhodne ke beech SAM pehle predict karne ke liye ready ho gaya...


SAM-bohot classy tuxedo pehna hai bhai tune par ye trendy nahi hai, semi vintage hai...i think it's your dad's...!!!

MAI-true...

SAM-kal tak pre-prom me aane ke liye tak ready nahi tha tu aur aaj naa sirf tu yahan hai balki for the very first time,you are competing in it...

aunty is one the main reason behind it,right...!!!

MAI-right...

SAM-issi statement ko next prediction me carry forward karte hue i would like to add ki tu yahan aayega,iska faisla bhi tune aaj hi ya phir zyada se zyada kal liya hoga...

MAI-true...

ANSHUMALA MISS-great going SAM...just two more to go...

SAM-mmmm...NITS...NITS abhi tak is round ke sabse aage hai..par iska reason woh khud nahi,tu hai...NEERAJ ke liye kya kya bolna hai,ye tune usse bataya tha...in a way,you didn't just save him but literally placed him in the top... right..!!!

MAI-half...mujhe maalum tha ki NEERAJ apne true character waala face yahan dikhayega..

aur agar woh waisa kare tab hi NITS uski negetive details share kare,aisa kaha tha maine...

waise zaroorat padhne par apne har friend ki madad karta hi hun mai..

aur ye baat tujhse behter kaun jaan sakta hai...tere thobde ke saath is champ waale tag ki haalat bigaadne se kitni baar bachayi hai maine...

warna ab tak train me viglang logon ke kote me tere naam ka registration bhi ho chuka hota...

HAHAHAHA....


jahan meri baat sun sabhi zor se has pade the wahin SAM ke face me ek pal ke liye sharmindagi dikhne lagi thi..

aisa kuch karne aur kehne ka irada nahi tha mera.. par jo SAM ne kaha,usne ek pal me hi NITS se uske performance ka credit chhin liya tha usse..


isiliye reality check diya tha maine SAM ko...

par is reality check ne aane waale kuch palon ke liye uski mati ka main door band kar diya tha...


SAM-bhai lag aaj tu bohot handsome raha hai..i mean yahan moujud lagbhag saari girls tujhe dekh rahi hain including one of the hottest girls of our school which also happens to be MY EX...ANJALI....

ya we have broke up par phir bhi,usne ek baar mujhe tak theek se dekha nahi but tere par glance uski baaki girls ki tarah hi rahi hai...

but you my friend, hamesha ki tarah aaj bhi lagbhag sabhi ko avoid sa kiya hai tune...

ab iske piche toh sirf do reasons hi ho sakte hain..

pehla toh ye ki koi hogi idhar jisse impress karne ke chakkar me baaki sabko avoid karta aaya hai tu or....

woh kya line tha us gaane ka...haan...

bas yahi apradh mai har baar karta hun... aadmi hun aadmi se pyar karta hun...


eye wink karte hue kahi thi ye baat SAM be jispar baaki sabka reaction toh general hi raha par NEERAJ and group jo NITS ke prediction se aur ye jaankar ki maine usse woh sab bolne ke liye bola tha,chide hue the mujhse,zor se has pade the woh sab...


SAM-it was just a prediction...no hard feelings bro...

MAI-none talen...waise jo sach hai, bhale hi woh negetive kyun na ho, accept kar le,asli mard woh hota hai...

ANSHUMALA MISS-ALRIGHT then...SANVY, your turn...

MAI-tabiyat sahi hai teri..dimag ki baat nahi kar raha,woh toh tere maamle me externally lailaaj hai,but internally you have a mild cold...

bhari aankhein jinhe tu sabse chhupa chuppa kar baar baar poch raha hai, nail colour jo apna natural whiteness 5 percent tak kho chuke hain, awaaz jo normal naa hokar halki kharkhari hai, first challenge ke second task par ghutno me ubhra pain, the proper term for your illness is rhinovirus...

waise you are on medication which includes either is
oxymetazoline or phenylephrine...

SAM-true...

ANSHUMALA MISS-not bad SANVEER...mujhe nahi pata tha ki you are so much into biology...

MAI-aisa nahi hai MISS...bas iske body symptoms par gour kiya tha maine...

curiosity ke liye i googled isiliye pata hai mujhe...

ANSHUMALA MISS-smart...

MAI-waise toh tu apne daily exercise schedule ke saath comprise kabhi nahi karta,par aaj skip kiya hai tune...

aur reason tera cold nahi balki ye night hai jisme apna best lagna chahta tha tu..

SAM-how do you know that..???

MAI-aaj se pehle bhi kayi random events me physical challenge ke liye participate kiya hai tune par unlike others, kyunki tu exercises me regular bhi hai aur khudpar hard bhi isiliye legs kabhi strech nahi kiye tune, unlike today...

SAM-true...

MAI-agle teen predictions ek dusre se jude hue hain...

firstly,you are very desperate to win today aur aisa tu apne sake ke liye nahi balki SIRIUS ke history me rahe sabse honhar student ke takkar ka banane ke liye karna chahta hai..MR JAIDEN CHOWDHARY...

secondly,unlike a true champion,tu dara hua hai.. bohot zyada dara hua hai...

kyunki shuru se hi you have been visualizing your defeat..

and finally,apne dar aur usse paida hue frustration ko kam karne ke liye baaki girls, ANJALI aur mere manhood par non succesful neech comment kiya tune...

and for your comment, baaki girls ka toh pata nahi par teri X ANI ne dekha tha tujhe..

par casually jaise kisi bhi random bande ko dekha jaata hai...

aur ye GALATH bhi nahi hai...random se zyada hai hi kya tu...!!!

simplicity ka choga pehne ek wanna be champion jo asal life ke kisi soul looser se zyada kuch bhi nahi....

apne prediction ka kota byaaj ke saath pura kar liya tha maine...

isiliye apni last line bol wapas apne place me jaane ke liye mooda hi tha mai ki phir rook SAM ke taraf ghoom...


MAI-these were all just predictions...no hard feelings bro....





jawabon par sawal ho toh man me dobara RAT LENA...

agla challenge samajh naa aaye toh ache bacche ki tarah chup chaap KAT LENA...

shuru tune kiya aur khatm maine....

jaise maine nahi liya, dil par apne tu bhi kuch MAT LENA...










AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Wonderful update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SECOND CHALLENGE ME NITS NEERAJ KO HARA DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY AUR SAM BHI EK DUSRE PAR HARD PREDICTIONS KARTE HAIN.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-67

DATE-3TH SEPTEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-INDOOR STADIUM


PRE-PROM

THE NIGHT CONTINOUS





SO,READY YOU TWO...!!!


second challenge ke final two contestent DIMPLE aur ANJALI khade ho chuke the aamne saamne...

MISS ki baat par smile ke saath haan me sir hilaya dono ne jispar...


ANSHUMALA MISS-who will go first then...???


MISS ki baat par bhavein utha sawal kiya ANJALI ne DIMPLE ko jispar halke se kandhe upar kiye usne...ye dekh...


ANJALI-i will go first...

ANSHUMALA MISS-ok then...shoot...

ANJALI-tumne bhi last moment as in kal hi decide kiya tha yahan pre-prom me aane ka...

DIMPLE-true...

ANJALI-tumhari pehni dress yahan se nahi hai...

pehli baar pehni hai isse tumne, matlab kal pre-prom me aane ka decide karne ke baad isse tumne kal hi isse DELHI se mangwayi hai...

DIMPLE-true...

ANJALI-is indoor stadium me enter karne ke baad se hi you have been the eye magnet of every guy around here par unme se kisi me bhi you have no interest...

DIMPLE-true...

ANJALI-waise hona bhi nahi chahiye...your interest should be one in a million guy...


ANJALI ke gesture par smile karne lag gayi thi DIMPLE...


ANJALI-tumhari abhi pehni har accessories costly hai par tumhe personally inhe pehenena acha nahi lag raha...

DIMPLE-true...

ANJALI-yahan aane tak tumhe pre-prom queen banane ka koi shouk nahi tha par ab hai...

but reason fame nahi,kuch aur hai...


muskurate hue kahi thi ye baat ANJALI ne jispar ek pal usse dekhne ke baad...


DIMPLE-TRUE...

ANSHUMALA MISS-wow..that was really good ANJALI... your turn DIMPLE...

DIMPLE-you are looking very pretty in this dress...par ye tumhari choice nahi hai...SANVY ki MOM ki pasand pehni hai tumne...

infact,tumhara complete get up unhone khud ready kiya hai...

ANJALI-true...and, SANVY se pehle woh meri MAA hain...

DIMPLE-indeed she is... we are in the second round and you are going to play the final round...

par agar us round me tum haar bhi gayi toh fark nahi padega tumhe...

ANJALI-right...

DIMPLE-adding to that,you want SANVY to win...

ANJALI-i always want him to win...

DIMPLE-NITS... his performances have really impressed you today...

ANJALI-true...it has...

DIMPLE-aur jo non point baatein NEERAJ ne ki,for that you want to kick his ass...

ANJALI-right...aur baatein nahi bullshit tha woh sab...

paise ki garmi ka show off karna hai toh mere saamne khada hona tha usse...

jitna uska baap kamata hai,meri MAA tax bharti hai utne ka saal me...

mere dost par superiority dikhata hai...saath me khade ho jaayen dono toh dekhne waalon ko lagega ki NITS ne apne liye personal chaprasi rakha hua hai...

HAHAHAHAHA...


NEERAJ waali baat par prediction dekar DIMPLE ne bhadka diya tha ANJALI ko..

jis tamtamate chehre ke saath dil ki bhadas nikaali ANJALI ne usse sun jahan ek taraf sabhi students including ANSHUMALA MISS has pade the, dusri taraf NEERAJ ab aur rook nahi paaya...

woh nikal liya tha stadium se wahin teesri taraf sabse nazar bachakar wink kiya new girl ne mujhe...

reason...uske aakhri do reactions mere hi thoughts jo the...

NEERAJ ke insulting comments ka mooh tod jawab bhale hi de diya tha NITS ne par un teer bujhe baaton ka halka asar tha uske dil par...

uske saare male friends ke saath female friends ke saamne aaj NITS ke middle-class position ka yun wild exposure jo hua tha...

ussi asar aur effect ko puri tarah khatm karna tha mujhe isiliye i had DIMPLE for help jisse usne khushi khushi oblige kar diya tha...


ANSHUMALA MISS-ok then...with this,hamara ye second challenge "SHERLOCK" yahin khatm hota hai...

and i must say,we really do have some sharp minds in our college...

anyways,15 minutes ka break lenge hum ab..

after 15 minutes,i will give you all our final 6 contestant who will then participate in the third and final challenge of tonight...

hey D.J,the break is not for you...hit it hard...


ANSHUMALA ke enthusiastic awaaz ke baad D.J ke zabardast hiphop music se gunj tha pura stadium...

par jahan ek taraf baaki har group is tez shor me khudko bhul naachne thirakne laga tha wahin dusri taraf tha hamara group jahan mahoul thoda sirious bana hua tha...


SAM- come on guyz...it was just a casual challenge..


frnz ki ghurti nazaron ko dekh justification diya tha SAM ne...


NITS-kabhi sabke saamne casually maadarchod bol dun toh bura mat maaniyo tu bhi...

SAM-hey, watch your tounge NITS...

NITS-arre waah...tere repo me chuppe ego ko bura laga... bhosdike jaise teri izzat hai naa,waise hi ANJALI ki bhi hai..

actually tere se zyada hi hai jisse tune casual challenge ki aad me udaane ki koshish ki...

mai toh ye soch ke hairan hun ki SANVY ne tujhe saste me kaise chhod diya...

haan,dost hai naa tu..aur doston ki izzat kisi bhi kaaran se sare aam ucchali nahi jaati,pata hai usse...

RAJAT-true...it was not cool SAM...!!!

EKPREET-yaar.....mai bol raha hun it was just a simple prediction...

bura maanane waali baat thi hi nahi...

aur ek baat batao, SANVY ne bhi toh kya kuch nahi kaha mujhe...

he even called me a random guy par kya tum sabki tarah mooh sujakar baitha hun mai...


ANJALI-SANVY ne tujhe tere hi ghatiya prediction ke according simple replies diye the...

simple... SANVY agar real aur exact jawab deta toh tujhe bhi maalum hai ki kaan se khoon nikal jaane the tere...

aur haan,random nahi meri nazaron me tu random tha,ye kaha tha SANVY ne and he was correct there too...

SAM-tu bhi suna le ab.....

ANJALI-suna deti beta...

but the thing is ki SANVY ke controlled jawab me ek message tha,chhod do tujhe...

sirf isiliye,cchod diya tujhe...

RASHI-par ye SANVY hain kahan yaar...???apni baari ke baad se hi gayab hai...

DIMPLE-woh khada hai, smoothie corner me...


jahan ye sab khade the,uske theek opposite direction me end point par bane smoothie joint me khada cold drink sip kar raha tha mai...


EKPREET-ye kab bhaag gaya udhar..aur cold drink kab se peene laga be ye...

ANJALI-cold drink nahi apna ghussa pee raha hai woh...agar abhi idhar rehta aur ye SAM ka GALATH hone par bhi yun casual attitude dekhta toh pakka pela jaana tha isse...

NITS-par yaar ab mera mood nahi raha agle challenge me participate karne ka..

infact idhar stadium me hi nahi rehna apne ko..mai jaa raha...

ANJALI-mai bhi...

NITS-chal bhai,tere toh maze ho gaye...do do participant gayab...

SANVY ka bhi clear nahi hai mujhe ki woh participate karna chahega...

RASHI, DIMPLE bache bas...inme hi competition hoga aakhri,loundo me toh akela hi bacha ab tu...

daant niporte hue baith jaaiyo MR PRE-PROM ki daan me di gayi kursi pe...

SAM-abbe kuch bol nahi raha tujhe toh sir pe hi chaddhe jaa raha hai tu..

aur tu daan dega be mujhe.. SAMEER CHANDER ko...khud SANVY ke dum par pehle do rounds cross kiye hain tune...

aur agar khudpar aur apni ability par bharosa hai toh rook...

rook aur jeetkar dikha last challenge mujhse...

MAI-done...koi kahin nahi jaa raha...


mujhe apne piche dekh kaafi hadbada gaya tha SAM par baaki sabke face ki smile waapas aa gayi thi...

MAI-ek coach har match se pehle bohot gyan deta hai apne student ko par ultimately,game me hissa woh student hi leta hai...

ye uski performance hai jo usse mili advice ko live banati hai...

aur ye uski pure mehnet hai jo usse woh game,woh challenge jeetati hai..

theek waise hi jaise aaj NITS jeeta hai...

toh ye jo baar baar SANVY ki madad se jeeta waali bakwas rate hue hai na tu,isse band kar...

SIRIUS ke champ ko itni licchad aur looser waali soch rakhna suit nahi karta...

I don't think ki MR JAIDEN CHOWDHARY kabhi apne time me aisa karte honge...

ANSHUMALA MISS-alright then..break times up...

kul 6 students have qualified for the final challenge...3 boys and 3 girls...

SANVEER,NEETENDRA, SAMEER...

these are the three guyz who are gonna play the final challenge...

DIMPLE,ANJALI,RASHI...

these are the three girls who will play along with the boys in the final challenge...

so come up... huge round of applause for our 6 finalists guyzz...

WOOOOOOOOOOO........



ho rahi behisaab hooting aur taaliyon ke shor ke beech hum 6 finalists stadium ke beech jahan MISS ne point kiya tha aur ab khud khadi thi,wahan pahunch gaye the...

yahan maamla thoda alag aur suspicious sa tha..

aur woh isiliye kyunki floor se 3 feet upar 8 feets ke 360 degrees as in complete radius me gol sa kuch bana hua tha..

kuch isiliye kyunki us round unknown thing ke upar ek bada sa reddish kapda rakha gaya tha jiski length itni thi ki us thing ko puri tarah cover karne ke baad woh kapda neeche zameen tak ko touch kar raha tha...


ANSHUMALA MISS-ok now...aap sab soch rahe honge ki kya hoga final challenge and more importantly,is kapde ke neeche kya bana hua hai..

well, dusre sawal la jawab hai ki ye chiz hi aapke third aur final challenge ka zariya hai...


haathon se ishara kiya MISS ne jiske baad ek volunteer aage aaye aur agle hi pal he started pulling the clothe....

WOWWW....THE REVOLVING FLOOR.....


kapda haththe hi ek naya bana floor sabke saamne tha jisko sachhayi sabko hi pata thi..

kisi bhavre ki tarah adjustable speed me ghumti thi woh floor...


ANSHUMALA MISS-ya,THE REVOLVING FLOOR...par sirf revolve hi nahi balki rotate in teen alag alag parts me rotate bhi hoti hai ye floor...

issime aap 6 apna final challenge pura karenge jiska naam hai DANCE IN A DANCE...

toh hoga ye ki aap 6 as couples is floor ke un teen hisson me joki rotate bhi hoti hai,khade honge..

khade hone ke baad you will hold your partner's hand and slow music start hote hi just swing and slowly dance with your partner's..

woh bhi bas apni jagah par khade khade...hain na simple...

haan bas addition ye hoga ki music ke start hote hi jis floor par aap khade honge,woh bhi ghumne lagegi aur guzarte waqt ke saath jaise jaise music speed hota chala jaayega,floor ke revolve hone ki speed bhi badhti chali jaayegi..

and not to mention,jis jagah par aap sab khade honge,woh bhi beech beeche me exactly 30 seconds ke liye alag se ghumegi...

matlab aap sab revolve hone ke saath saath apni apni jagah par apne apne partner ke saath rotate bhi honge...

jo bhi jodi is floor se girti chali jaayegi, they will be out of the challenge...

and the remaining final couple will be the winner and the PRE-PROM KING & QUEEN OF SIRIUS SESSION 2020..

iska matlab samajh rahe hain aap...jisse bhi aap apna partner chunenge, unki destiny aap khudse jod lenge..

he wins,she wins...she looses,he looses...

so are you ready...????

OH YEH......

hum sabse pehle hi pura stadium excitement se chilla utha tha par is beech hum sabko the most important kaam karna tha..

couple selection jiski shuruwat NITS ne kar di thi...


NITS-ae ANJALI...final challenge hai...partner banti kya..!!!

ANJALI-waah re tapori..aise puchte hain...!!!

NITS-apan toh aiseich puchta hai..tereko parwarta hai toh bata...

ANJALI-chal tu bhi kya yaad rakhega...!!! bante hain partners..waise bhi minute bhar ki baat hai... phir toh girna hi hai...

because i cant revolve or rotate.......

MAI-shall we...!!!


new girl se puchi thi maine ye baat jispar apne million dollars smile ke saath haan me aankhen jhukaane ke baad mere saath us REVOLVING FLOOR par chadh chuki thi woh...

NITS aur ANJALI toh pehle hi floor par chadh chuke the jiska matlab tha ki sirf do log an bache hue the...


RASHI-i guess we don't have options...

SAM-zaroorat bhi nahi hai...i got you... let's go...


haath badha diya SAM ne apna jisse thaamte hue RASHI aur woh floor par chadh chuke the..


ANSHUMALA MISS-alright then...hamare 6 finalists ya phir ye kahun ki teeno couple floor par chadh chuke hain aur apne apne standing points par bhi khade ho chuke hain..

now guyz,time to surrender to your partner...thaamiye ek dusre ka haath...

aur shuru hone waali is ghumavadaar safar ke beech apne saathi par bharosa rakh,chakkar aane ke beech apne apne bhaar ko usse thama bas houle houle nachiye...

ek advice deti hun..agar is challenge ko challenge ki tarah hi lenge toh zyada der tak tik nahi paayenge par tez chakkaron ke beech bhi apne saathi ke saath guzaar rahe sangeetmay samay ko mehsoos kar uska lutf uthaane ki koshish karenge toh aapka dil kaam par laga rahega..

aur jab dil kaam par laga hoga toh dimag par asar kam padega aur jitna kam padega,utna woh kam ghumega...

ok then...we are ready now...and GO....

MAI-just focus on the song...it's beat and.....me.....


floor revolve hona shuru ho chuka tha...

aisa hote hi new girl ke haathon ki grip mere haathon par tight hone lagi thi...

filhal ek dheema instrumental baj raha tha par maalum tha mujhe ki jaise jaise music ke speed me izafa hoga,floor bhi tezi se ghumega..

upar se abhi toh jahan hum khade the,us particular jagah par rotation bhi shuru hona tha which was going to make aur self control loose...

khair,meri baat ko sun jahan new girl ki nazarein jaise meri nazaron me jam si gayi wahin baaki dono couples ki haalath damadoul hone lagi thi...


ANJALI-kya kar raha hai NITS...kamar par haath tight rakh, mera balance bigad raha hai...

NITS-arre zor se pakda toh dukhega tereko..phir mujhe hi bakegi tu...

ANJALI-bakwas band kar apni and hold me tight..yaad nahi hai SAN ne kya kaha tha...???hume aas paas ke mahoul ko bhul bas ek dusre par concentrate karna hai...

mai bas tujhe dekhungi and you, just see me without blinking...chakkar kam aayenge...

NITS-woh sab toh theek hai par mai tereko lagatar nahi dekh sakta...

hasi chhut jaayegi meri...

ANJALI-bakwas band nahi ki toh tere gaal par haath chhut jaayega mera...

ab chup chaap hold me tight and focus...


jaisa ANJALI ne kaha,kiya NITS ne...

uski kamar ko tightly hold kar bina palke jhapkaye usse dekhne laga woh and the trick really started working...

lagatar ghoom rahe floor ki wajah se ghoom raha in dono ka sir thoda hi sahi par relax hone laga tha...

wahin disbalancing problem SAM aur RASHI ke saath bhi tha.. mainly RASHI ke saath par kisi tarah khudko aur RASHI ko sambhale hue the SAM...


MAI-what...!!!


mujhe dekh halka halka smile kar rahi thi new girl...


DIMPLE-c.c cream apply kiya hai tumne...

MAI-that's MAA.. makeup zyada der tak hold hoga,laga bolkar khud hi laga diya unhone...

DIMPLE-aur SANVY the mama's boy mana nahi kar paaya...

MAI-mai kisme kaisa dikhunga,ye jaanane aur dekhne ke liye meri MAA ki aankhon se behter koi aayna nahi...


meri baat sun apni gehri aankhon se dekhne lagi thi mujhe new girl...


DIMPLE-agar neeche gir gaye hum toh...!!!

MAI-mai nahi gir raha neeche...

DIMPLE-mai gir gayi toh...we will loose the challenge aur tum apna promise tod jaaoge...

MAI-tumhare haath aur mere tuxedo ke beech is waqt hawa bhi nahi ghus sakti..

naahi mere haath aur tumhari kamar ke beech koi teesra aa sakta hai...

mai apna naach raha hun aur tum apna par is waqt sharir na judke bhi kuch yun jude hain hamare ki movement hum dono ke hi bodies ki ek si hai...

abhi,is waqt naa tum tum hokar bhi tum ho aur naa mai mai hokar bhi mai...

abhi HUM hain...aur jab do sharir ek hokar HUM ne badal jaaye toh koi ek kaise neeche gir sakta hai...

girenge toh dono hi par jaisa ki maine kaha...mai nahi gir raha, matlab tum bhi nahi gir rahi...


new girl ke kaano me in saari baaton ki sargoshi si ki thi maine jisse sun uski aankhein apne aap hi band hone lagi thi...

HOLY SHIT....

floor ki speed badhne ke beech hum sab jahan jahan khade the,woh couple spot bhi tezi se rotate hone laga tha joki abhi pure 30 seconds tak hona tha...

DHAKKK.....DHAKKKK.....

15 seconds tak ho rahi tez rotation ko control karne ke baad finally RASHI ka brain hadh se zyada ghumne laga..

result...

tez chakkar aa gaya usse aur khudko naa control me rakh paate hue RASHI jhul si gayi thi SAM ke upar...

bhara badan tha RASHI ka...upar se SAM khud is tez rotation ke kaaran kaafi dizziness feel karne laga tha isiliye RASHI ke is sudden bhaar ko apne upar control nahi kar paaya woh...

he slipped with RASHI in his hands...

sidhe revolving floor fisalte hue neeche gir ground floor me aa gaye the dono...

BOOOOOOO.....

SAM and RASHI were disqualified jispar ek tez BOO ke saath mooh chidhaya tha sabne...


ANSHUMALA MISS-so RASHI,SAM...you are out...


dono abhi bhi neeche hi pade the par reason alag the...

RASHI feel ho rahe dizziness ki wajah se lambi lambi saansein le rahi thi par SAM..

aankhein band kar woh abhi bhi yakin nahi kar paa raha tha ki he was actually out of the challenge...

anyways,yahan revolving floor joki ab tezi se rotate bhi ho raha tha, uspar ek alag hi andaz me khade the is waqt hum chaaron...

we were hugging our partners, very tightly....

rotation se faint hone ka dar bohot zyada jo tha...


NITS-yaar ANJALI...agar teri dress saamne se thodi geeli ho jaaye toh adjust kar liyo...

ANJALI-what...!!!kameene, bathroom karkar dekh mujhpar...

tere pure sharir ko tatti se abhishek kar dungi mai...

saala,ye sir ho kya ho raha hai...!!!aisa lag raha hai ki sir abhi fat jaayega...


wahan ek dusre ko gaali bakte hue ab gire ki tab gire waali haalath dikha rahe the woh dono aur idhar...

new girl ki body halki bhari hone lagi thi.. matlab saaf tha...floor ke saath saath kaafi tez head spin hone laga tha uska jis wajah se new girl ka brain temporary freeze mode me jaane laga tha..

it was not good... her brain needed a triggered fast start woh bhi turant...

MAI-hey sleepy head...sorry...

DIMPLE-what for...


gale toh lage hi the hum dono..

kaano me boli thi maine ye baat jiska jawab new girl ne jaise kisi madhoshi me diya tha...

UMMMHHH....

gale ke paas gardan par chum liya tha maine new girl ke...

mere honth ke us chhuvan ka ehsaas itna zyada asardaar tha ki ek tez jhatka sa laga tha new girl ke pure sharir ko...

jaise achanak hi turant apne senses me aayi thi woh...

mera left haath joki uske right hand ke saath juda hua hi tha,uspar apne naakhuno ko halka dhasa sa diya tha usne par ye sirf ek second ke liye hi tha..

bina mujhse alag ho bas apne naakhuno ko mere hand skin se alag kiya usne..

wahin new girl ko triggered dekh ek baar phirse sorry kehne ko hua maine par tabhi...

new girl ki ungliyan mere ungliyon ke beech chhupti hui si mehsoos ki maine aur uska jism...

ab tak bas gale hi lage the hum par ab kuch yun sameta khudko new girl ne mujhme maano mere sharir me sama jaana chahti ho...

uske is harkat par dil ki dhadkan tez ho gayi thi meri par abhi jaise unka tham sa jaana baaki tha...

mere kandhe par new girl ne apni thuddi thodi aur adjust ki aur khudke gaalon ko mere gardan par sehlate hue...

SSSHHHH.....

behadh soft,halki si chhuvan apne honthon ki mere gale par ragad si di usne...

"MUJHE ACHA LAGA"...

jaise bina bole yahi teen shabd keh diye the uski is harkat ne...

DHABBBB...DHABBB....

WOOOOOOOO....


ek dusre ki baahon me khoye hue aa rahe chakkaron ke beech bhi chal rahe sangeet me halka halka thirak hi rahe the hum ki tabhi hamare paas se ye girne ki awaaz aayi...

aur aisa hote hi pure stadium me gunja ek aisa tez shor jisne d.j ki awaaz ko bhi badi asaani se daba diya tha...

mere aur new girl ke face par aayi smile us cheer ka matlab samajh gayi thi aur revolving floor ki gati dheemi hone ke beech ANSHUMALA MISS ka mike hold karna hamari samajh ko official banane waala tha...


ANSHUMALA MISS-so finally,ANJALI aur NITENDRA aur down and out, which means,we have our winners or should i say,this years PRE-PROM KING & QUEEN...

who are non other then....

SANVY & DIMPLE...


MISS ke bolne se pehle hi pure stadium ne hum dono ka naam apne tez shor me shaamil karte hue announce kar diya tha...


ANSHUMALA MISS-you are right guyzz...DIMPLE and SANVEER...

our tonight's PRE-PROM QUEEN & KING......


new girl ka haath pakad revolving floor se ground ke floor par aa gaya tha mai...

ANJALI aur NITS ab tak khade ho gaye the aur taali bajane ke beech hume dekh jo khushi un dono ki aankhon me dikh rahi thi,uski sachhayi hi hum dono ke liye kisi inaam se kam nahi thi...


NITS-jeet gaya mera bhai...


uchhalkar mere upar kood hi gaya tha kameena jisse follow karte hue SONU, EKPREET aur RAJAT bhi jump laga gaye mere upar..

wahin new girl ko bhi ANJALI,RASHI,KHANAK aur NAISHA ne jaise apne aap me chuppa sa liya tha...

PRE-PROM QUEEN ke naam se chhed rahe the woh sab usse...


ANSHUMALA MISS-ok,ok,ok... arre yaar,kaise log ho tum sab...

abhi abhi pre-prom king aur queen bane hain ye dono aur tum log ho ki dono ke beech ghus diwar bana di...

hawa do guyz dono ko and let them be together...


RAJAT-aur kitna together MISS...abhi upar revolving floor par aise chipke the dono ek dusre se maano do nahi ek hon...

HAHAHAHAHA....

RAJAT ke chhedpan par has pade the sab...


ANSHUMALA MISS-nazdiki sabse zyada thi tabhi toh jeete bhi dono hain...

woh sab chhodo, SANVEER,DIMPLE,come here...


hum dono hi MISS ke saamne jaakar khade ho gaye...

hamare paas aate hi ek position par ek saath khada kiya MISS ne hum dono ko aur khud thoda piche hath gayi..

abhi hum kuch samajhte ki tabhi...

pure stadium ki lights off ho gayi jiske agle hi pal ek tez flash light hum dono ko hit hui...

par this was not the end...

hume hit karne ke baad us flash light se ek aur light nikli jo hamare sidh me ek raasta light out karti chali gayi aur agle hi pal...

DHAKKKKK...

back to back party poppers ke chamkile papers se kuch seconds chuppe rehne ke baad hamare saamne aaj ki shaam ke winners joki hum dono the,hamara PRE-PROM KING & QUEEN thrones dikhne lage the...

bohot behtarin tarike se sajaya gaya tha dono thrones ko...

thrones aur pura stage light up hote hi stadium ke lights on ho gaye aur MISS hamare saamne aakar khadi ho gayi...


ANSHUMALA MISS-so,my KING & QUEEN...your pedestals are ready...its time you embrace it by sitting on it...

kisi british province ke high minister ki tarah bade elegant tarah se halka bend hote hue kahi thi ye baat MISS ne jisse dekh haste hue mai aur new girl aage throne ki taraf badhne ko hue par tabhi...


ANSHUMALA MISS-no,no,no,no,no...ek task baaki hai...

NAISHA-aur kya task MISS...ab kisse compete karna bacha in dono ka...ban toh gaye king, queen...

ANSHUMALA MISS-true...par ye task sirf SANVEER ke liye hai and it's called "IMPRESS YOUR QUEEN"...

ANJALI-kaise...???


kuch kaha nahi MISS ne bas halka sa ishara kiya jiske baad ek volunteer aage aaya par jo chiz thi, uske haathon me usse dekh sab MISS ki baaton ka matlab samajh gaye the...

black colour me ek bada hi khubsoorat acoustic guitar tha woh...


ANSHUMALA MISS-so SANVEER,you have to play this,sing a song and walk through the ramp aur aisa karne ke saath saath you even have to escort your queen to the throne...


EKPREET-but MISS, SANVY ko naahi guitar play karna aata hai aur naahi he is good in singing...

phir ye kaise...????

ANSHUMALA MISS-well,karna toh padega bhale hi betaan aur besur ke saath...

maine pehle hi bataya tha ki aaj ki raat ka pura concept PRINCI ne taiyar kiya hai...ye part bhi...so it can't be changed...

SAM-koi baat nahi MISS...apne yaar ke liye guitar baja bhi mai deta hun aur gaa bhi...

ye bas apni queen ke saath apne throne par baithe...


ek bright smile aur apologizing request ke saath meri taraf haath badhaya tha SAM ne jispar smile karte hue punch hit kiya maine uska...

no hard feelings...

yahi bro code tha is punch beat ka...


ANSHUMALA MISS-no,no,no,no,no...karna toh SANVEER ko hi padega sab...

MAI-cool...give me that...


MISS se woh guitar le liya tha maine...


ANSHUMALA MISS-now that's the spirit... common everybody, give it here for our pre-prom king...

WOOOOOOOOOO....


sabhi ke tez shout ke beech new girl ko dekh joki apne bright aankhon se mujhe hi dekh rahi thi,guitar playing position me hold karte hue thoda aage badh gaya mai...

is waqt meri peeth thi new girl aur mere doston ki taraf...


NITS-gayi bhains paani me...saala har task jeetkar acha khasa naam banaya saale ne par ab sab kamaya chuk jaayega...

DRRNNNGGGGGGG

D ur E minor ko halke haathon se chheda maine jiske baad gaana shuru karne se pehle hi meri ungliyan guitar ke har string par khudko ferne lagi...

mere aisa karte hi ek behadh sukoon deh dhun nikli baahar jisse sun jahan ek taraf baaki sabhi whistle aur hooting karne lage wahin dusri taraf NITS aur mere baaki sabhi doston ki aankhein badi ho gayi...

par in shocking faces me new girl nahi thi...dekha aur suna nahi tha ab se pehle usne bhi meri guitar playing par bharosa tha usse ki i can play good...

par agle kuch palon me shock toh usse bhi lagna hi tha...

reason...


"thode bhare hain hum
thode se khaali hain
tum bhi ho uljhe se
hum bhi sawaali hain"

"kuch tum bhi kore ho
kuch hum bhi saare hain
ek aasmaan par hum
do chand aadhe hain"

"kam hai zameen bhi thodi
kam asmaan hai
lagta adhoora
tum bin har jahaan hai"

"apni har kami.. mein hum
ab tujhe hi paate hain
khud ko tere pass hi
chhod aate hain"...


mukhde se naa kar antre se shuru kiya tha maine aur un lines se kiya tha jo mujhe personally bohot pasand the...

aur meri awaaz sun is baar new girl ki aankhein bhi baakiyon ke saath badi ho gayi thi...

usne expect nahi kiya tha ki mai itna sahi bhi gaa sakta hun...

wahin guitar play kar antra pura karne ke beech uske paas pahunch chuka tha mai jiske baad apna ek haath badhaya maine uski taraf jisse thaam woh mere saath throne stage ki taraf chal padi...


DIMPLE-aur gaao naa...


bade halke awaaz me request ki thi usne mujhse jisse kaise mana kar sakta tha mai...

guitar par ek baar phirse ungliyan pherne ke beech...


"do raaz milte hain
humraaz bante hain
sannate aise hi..
awaaz bante hain"

"khamoshi mein teri
meri sadaayen hain
meri hatheli mein
teri duayein hain"

ab tum...


head attached mike pehna hua tha maine jisse utaar new girl ki taraf badha diya maine jisse smile ke saath le pehen liya usne aur...


"ek saath tera ho toh
sau manzile ho..
tanhai teri
meri mehfile hon"

"hum teri nigahon se
khud mein jhilmilate hain
khud ko tere paas hi
chhod aate hain"

"tujhse apni raaton ko
subah hum banate hain
khud ko tere paas hi
chhod aate hain"


bakamal awaaz..aisi awaaz jisne baaki sabke kaano ko sukoon diya tha par mere dil ko woh thandak pahuncha baitha tha jiske baad kisi aur chiz ki khwahish-e-talab hi nahi bachi thi mujhe...

stage me pahunch chuke the hum dono jiske baad ek baar phir mere badhe haath ko thaam mere saath stage par hamare throne ki taraf badh chale the hum dono...

ANSHUMALA MISS toh pehle hi ek badi si tray ke baaju me jisme king aur queen ka crown tha,uske paas khadi thi...


ANSHUMALA MISS-boys and girls, teacher and staff members,i give you your pre-prom KING & QUEEN....


pehle new girl ke sir par aur phir mere sir par crown pehnaya unhone jiske baad ye announcement ki unhone...

wahin ye sun saare students aur khaaskar mere friends jitni loudly aur fastly clapping kar rahe the,saaf tha ki woh sab hum dono ko aaj ke pre-prom king aur queen ke roop me dil se accept kar rahe the...

anyways, crowning ho chuki thi hamari jiske baad...


ANSHUMALA MISS-sit on your thrones...


MISS ko bolte hi hum dono hi apne apne thrones me baith chuke the jiske baad...


ANSHUMALA MISS-aap sabne dekha ki yahan is throne tak pahunchne ka safar aasan nahi tha...

teeno hi challenges kaafi tough the jisse over power kar ye dono yahan tak pahunche hain...

par jaise performances in dono ne diye,uspar sirf pre-prom king aur queen ka title hi kaafi nahi hai...

they deserve more...and that more is...


paas hi ek table tha jisme do gift boxes rakhe hue the...

unhe le hamare paas aayi MISS aur ek ek box hum dono ko pakadwa diya...


DIMPLE-what's in this MISS...!!!???

ANSHUMALA MISS-a well deserve prize to you two by our PRINCIPAL MA'AM...


PRINCI..ye sun bhave upar hui meri...

MAI-can i open it...!!!

ANSHUMALA MISS-sure,its yours...


MISS ki baat sun turant gift ka cover unwrap karne me lag chuka tha mai...

IPHONE X.....

yahi tha hum dono ka gift jisse dekh...


MAI-MISS,how can i accept it..???

ANSHUMALA MISS-kyunki ye koi gift nahi hai,its your hard earned prize...

is competition ko win kar you have earned this prize...ab earned chiz toh arguable nahi hoti, right...!!!


sahi khel gayi thi MAA...

haan MAA..ye pura challenge,iska course aur finally ye iphone naam ka prize, unhi ka plan tha ye jisse lena hi tha ab mujhe...

adjective jo sahi fit kar diya tha unhone...PRIZE joki earn ki thi maine...


ANSHUMALA MISS-ok then..abhi kuch der yahin apne thrones me baithenge aap dono...

dinner time hai isiliye baaki sab par toh buffet system applicable hoga but you king and queen,you are royalty tonight isiliye,all foods and beverages will be served to you here only...

ok,so enjoy your royalties my highness...


mazak me ek baar hum dono ke aage bend hone ke baad haste hue MISS stage se neeche utar gayi...


DIMPLE-agar iphone pasand nahi hai toh wapas kar do PRINCI ko..but i think you should keep it..

MISS ne sahi hi kaha hai,afterall ye gift nahi prize hai which you have earned...

MAI-we have earned my queen... aur haan,rakh raha hun mai isse...

DIMPLE-really...!!!wow..toh apna number sabse pehle tum mujhe hi doge...

MAI-lets do one better...agar free ho kal toh chalen number register karne...


meri baat sun jo khushi new girl ke face par aayi,bin jawab diye sab keh diya tha us smile ne mujhe...


DIMPLE-thanks,apna promise rakhne ke liye...

MAI-mujhse kuch bhi chahiye agar tumhe toh promise mat maanga karo...bas keh diya karo, promise se kam asar nahi hoga us sidhi baat ka...

DIMPLE-matlab mai jo bhi maangungi,tum doge...!!!

MAI-meri hadh ki jadh me raha toh zaroor...


meri baat sun kuch kehne ko hui new girl par labh uske bas tharthara kar reh gaye...

keh nahi paayi woh aur acha hi hua... kyunki pehle hi aaj ki raat itna kuch ho chuka tha jiske baad shayad mera dil aur zyada seh nahi paata...

labh bhale hi sharma gaye the uske par new girl ki aankhein badi besharmi se meri aankhon me jhaank rahi thi aur us besharmi me uska saath meri aankhein bhi dene lagi thi...

kuch keh nahi rahe the hum dono par bina kahe hi baatein lagatar kar raha tha mera dil uske dil se..

keh raha tha ki...



gehre samandar paar kar ishq ke do katre paani me hum khudko DUBO GAYE HAIN...


zamaana goom ho gaya hai ya phir hum zamaane me kahin KHO GAYE HAIN...

naa mohhobate-iqrar hua hai naa izhar,phir bhi...

khudko khudke wajood se alvida dila hum puri tarah tere,sirf tere HO GAYE HAIN...











AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Awesome update bhai
 

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI SANVY AUR DIMPLE PRE-PROM KING AUR QUEEN BAN JAATE HAIN.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-68

DATE-3RD OCTOBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS




HEY ANJALI....YAHAN AKELE KYUN BAITHI HO...???ANY PROBLEM...!!!


final bell bajne ke baad jahan baaki sabhi students class se nikal chuke the,wahin ANJALI kisi gehri soch me apni seat par baithi hui thi...

wapas class me aa usse yun soch me gum dekh pucha tha ye sawal DIMPLE ne...


ANJALI-nothing yaar...woh driver uncle abhi pahunche nahi hain isiliye socha, yahi wait kar lun...

DIMPLE-and i thought we were friends...!!!

ANJALI-and we are..aise kyun bol rahi ho...???

DIMPLE-kyunki tum jhooth bol rahi ho..agar sirf driver ka wait karne waali baat hoti toh pura group tumhare wait me shaamil hota, khaaskar SANVY...

but tum yahan akeli baithi ho..so...

ANJALI-SANVY ki sangati ka asar kuch zyada hi nahi ho raha tumpar...

DIMPLE-ab bataogi bhi,yun akele baithkar kya soch rahi thi tum...!!!???


DIMPLE ki baat sun ek lambi saans chhodi ANJALI ne aur...


ANJALI-i was thinking about that pre-prom night...

DIMPLE-what about it...!!!

ANJALI-NITS...

DIMPLE-uska kya...???


halke smile ke saath pucha tha ye sawal DIMPLE ne jisse apni hi soch me gum ANJALI dekh nahi paayi...


ANJALI-us raat bhi hamesha ki tarah annoying hi tha woh par pata nahi kyun aisa laga mujhe ki there was something different about him...

DIMPLE-hoga bhi so how does that concern you...???

ANJALI-tum samajh nahi rahi..the difference i felt was that i felt for me...

kya,pata nahi par kayi jagah mujhe woh waisa NITS nahi laga jaise hamesha lagta hai...


WAKAYI NAHI PATA TUJHE KI JO PATA HAI,JISKA ANDAZA HAI, USSE KHUDSE KUBOOL NAHI KARNA CHAHTI...


ye mai tha...apni baat keh ANI aur new girl ke paas aakar khada ho gaya tha mai...

wahin meri baat ka jawab nahi diya ANI ne bas mujhe dekhne lagi thi woh...


MAI-what...???

ANJALI-mujhe task kaise karne hain,ye khud na bata NITS ke through message ki tarah pahunchaya tune...

final task me mujhe partner banaye,i am sure NITS ko ye idea bhi tune hi diya tha...kyun...???

MAI-as i said,jawab tujhe pata hai...waise bhi saare 2+2 jod liye hain tune phir conclusion part likhne me jhijhak kyun rahi hai...???

ANJALI-kaisa conclusion...???mai...

MAI-tu nahi NITS...he is into you...he likes you or should i say loves you...


meri baat sun kuch palon ke liye jaise blank ho gayi thi ANI par phir us blank face par ghussa dikhne laga tha..

par kuch kaha nahi usne...bas ghoor kar dekha mujhe kuch palon ke liye aur phir palath kar jaane lagi par kalayi uski turant pakad li maine...


ANJALI-leave me SAN...

MAI-nopes...

ANJALI-damn it SAN leave me...samajhta kya hai tu khudko...infact mujhe...

pehle SAM aur ab NITS...am i an object to you that should pass from one person to another...!!!

MAI-SAM ke time mai GALATH tha ANI aur ye baat mai pehle bhi admit kar chuka hun...

i thought ki school ka sabse popular ladka hi deserve karta hai tujhe, that's why i brought you two close...

par tab bhi,i didn't hand you over to him...maine bas mouke create kiye the tum dono ke paas aane ke liye jisse tum dono ne hi openly accept kiya tha..

phir bhi,mai jaanta hun ki mere us trigger ko meri khwahish samajh tune us relationship ko accept kiya tha aur isiliye kaha maine ki mai GALATH tha...

ANJALI-aur ab...!!! aren't you repeating the same thing..kya ab GALATH nahi hai tu...???

MAI-nahi...is baar naa mai koi match making karne waala hun aur naahi tujhe aur NITS ko close laane ke liye koi planning karne waala hun...

nopes... pre-prom ki night ke agle din se hi tu NITS ke us raat dikhaye naye roop ke baare me soch rahi hai..

maine bas us soch ka sach tujhe bataya hai...

ANJALI-sach...!!!ki NITS is into me... that's the most bulshit statement i have ever heard...

har hot ladki ko taadna jis ladke ke liye job jaise ho, tu keh raha hai ki woh mujhe pasand,oh sorry, as per your exact words goes,pyar karta hai mujhe...!!!ye bakwas nahi hai toh woh kya hai phir...!!!!

MAI-tune usse ladkiyon ko taadte hue dekha hai,par uske waisa karne ke baad maine usse tera reaction tatolte dekha hai...

aur tere normal i dont give a damn reaction ko dekh har baar uske face ko murjhaate dekha hai...

bachpan se lekar aaj tak jitni baar bhi kisi bhi reason se chot lagi hai tujhe,ghuma phirakar usse maine mujhse tere baare me puchte dekha hai...

jitni baar bhi bukhaar ki wajah se absent rahi hai tu,tujhe pata hai NITS bhi nahi aaya hai school un saare dino me...

ghar kabhi nahi ghusa woh tere par school se loutne ke baad maine usse tere ghar ke piche waale neem ke pedh ke piche khade hue dekha hai...

lagataar dekha hai...jis din SAM se breakup hua tha tera, khush hona chahiye tha usse...

par tere aansuon ko dekh akele me chupchap baith maine usse bhi rote hue dekha hai...

aur ye saari baatein mai tujhe isiliye nahi bata raha taaki NITS ke pyar ki intehaan dekh mai ye chahta hun ki tu bhi uske liye feel karna shuru kar de..

nopes...aisa karke bhi koi faayda nahi...kyunki itna pyar karne ke baad bhi agar aaj tak us ladke ne tujhe us pyar ka ehsaas tak nahi hone diya hai toh iska sirf ek hi matlab hai...

tu uske liye us chand ki tarah hai jisse usse bas dekhne ki khwahish hai...haasil karne ki talab nahi...

woh naa tere kareeb aayega naahi kabhi kuch aisa karega jisse tu uske kareeb jaane ki koshish kare...

maine bas tere us sawal ka jawab diya hai jo pucha tere ehsaas ne tere dil se tha par jawab dhundh tera dimag raha tha...

aur dil ke sawal ka jawab dimag ke paas kabhi nahi hota... isiliye bas wahi jawab diya hai maine tujhe...

tu chill kar...ek atka sawal tha jiska jawab mil gaya hai,bas yahi maan ke chal...

kyunki isse zyada naa kuch hai aur naahi filhal ho sakta hai...


apni baat bol class de nikalne ke liye badh gaya mai par phir door ke paas pahunch rook wapas palta mai aur...


MAI-mai teri match making kar sakta hun,NITS ki matchmaking kar sakta hun par tum dono ki aapas me matchmaking kabhi nahi kar sakta...

kyunki ek taraf paak saaf dosti hai aur dusri taraf paak saaf mohobbat...

dono hi dil ke banaye rishte hain par beech me do alag alag ehsaason ke diwaar moujud hai jisse koi match maker kabhi tod nahi sakta...

ghar jinke,diwaar unke jisse banaye bhi unhone hai aur agar kabhi todna ho toh todenge bhi sirf wahi...


abki baar class se nikal chuka tha mai jiske baad shunya ko ghurti hui ANJALI bhi class se nikal gayi...

reh gayi DIMPLE jo apne sir ko shake karte hue hum dono ke peeche peeche class se nikalne lagi par kadam uske class se nikalne ke baad rook gaye...

ek pal palath kar dekha usne par phir halki muskaan ke saath school exit way ke taraf badh gayi woh...





PLACE-SANEEL'S RESIDENCE

(FLASHBACK)





HELLO....SANEEL AHARYA THIS SIDE...


land line ki teesri ghanti bajte hi phone utha liya tha SANEEL ne jispar saamne se kuch bhi nahi kaha gaya...


SANEEL- hello...!!!hello...awaaz aa rahi hai...

VERONICA-kaun hai...???


abhi abhi naha kar nikli apne baal pochti apni beintehan khubsoorat biwi ko dekh SANEEL jaise apne haath me pakde phone ko jaise bhool hi gaya tha...

sirf shaadi shuda hi nahi the SANEEL aur VERONICA...

ek 5 saal ka ek beta bhi tha un dono ka par ab bhi har baar SANEEL apni biwi ko aise dekhta tha jaise koi premi apni nayi nayi premika ko dekhta tha...

waise baat sirf VERONICA ki khubsoorati ki nahi thi...

ye ishq ki hadh hi thi SANEEL ki jisse mehsoos kar shadi ke itne saalon baad bhi VERONICA sharm se dohri ho jaaya karti thi..

abhi bhi kuch aisa hi hua...!!!apne pati ki nazar me khudke liye taarif aur beshumar pyar ko mehsoos kar gaal sharm se laal ho gaye the VERONICA ke...


SANEEL-


"samajh nahi aata ki teri taarif mai tujhe kisse jod kar karun...???

khuda ne tere jaisa banaya bhi toh sirf tujhe hi hai..."

VERONICA-pagal...phone haath me hai...attend karo ya phir rakh do...


halke shararat aur jhuti narazgi ke beech muskurate hue apne room me chali gayi VERONICA...

wahin VERONICA ki baat sun ehsaas hua SANEEL ko ki ek unknown blank call ko ab bhi hold par rakha hua hai usne...


SANEEL-hello...

BRILLIANT MIND WITH A LOVABLE HEART...TOXIC COMBINATION SANEEL...


ek kharkharati yet saaf aur confident awaaz padi thi SANEEL ke kaano me jisse waise toh pehli baar suna tha usne par ek aisi authority thi us awaaz me jisse sun ek second ke liye restless ho gaya tha SANEEL ka dimag...


SANEEL-who's this...???

ABHI ABHI BRILLIANT MIND BOLA HAI MAINE TUMHE...MAI KAUN HO SAKTA HUN,I THINK YOU CAN FIGURE OUT YOURSELF...

SANEEL-G.O.D....!!!!!


dimag ke lagatar compress hone ke beech life me pehli baar unsurity jhalki thi SANEEL ki awaaz me joki laazmi bhi thi...

3 saal...3 saal se SANEEL AHARYA G.O.D naam ke mafia organization ke piche tha...

an organisation which was like a hell in the midst of heaven...

duniya ka sabse bada criminal syndicate jiska naam uske head ke naam par rakha gaya tha...

G.O.D.

ek aisa organization jiske kisi bhi operation ko rokna toh door,uski right time me info nikalna tak duniya ke kisi secret ya government organisation ke bas ki baat nahi rahi thi..

but SANEEL AHARYA...he was the first MAN jisne naa sirf is organization ke unique ways to commit unimaginable crime ko beforehand theorize kiya tha balki G.O.D ke kul 10 operations ko fail bhi kiya tha usne..

ek aisa feat jisse puri duniya me SANEEL AHARYA ke siwa koi aur nahi kar paaya tha...

par us achievement ke baad bhi the spear head of that syndicate G.O.D,SANEEL ke pahunch ke koson door tha...

indirect encounters hue the SANEEL ke G.O.D se but baaki sabki tarah uska ek glimpse bhi nahi dekha tha usne...

uske upar jitna reasearch kiya tha SANEEL ne G.O.D par,uske dimag ka kaayal tha woh...

one in a billion tha G.O.D jiske kisse, planning was out of this world...

he wanted to talk yo him, confront him par aisa kabhi ho nahi paaya tha...

par aaj,the guy jisse pakadna hi sole mission tha SANEEL AHARYA ke life ka,usne saamne se call kiya tha...


G.O.D-are you there my son...!!!

SANEEL-i am not your son...

G.O.D-everybody is the son of GOD...

SANEEL-self proclaimed GOD...

G.O.D-hahahahaha....true...but still i am G.O.D...aur jaisa ki hota hai,koi bhagwaan par vishwas rakhta hai,koi nahi..par phir bhi GOD GOD hi hota hai,mai bhi hun...

SANEEL-apna adress batane ke liye toh phone nahi kiya hoga tune...!!!

G.O.D-tune...!!!

stithpragyasya ka bhasha samadhistasya...

stithdiha kim prabhasheth kimasit vajreth kim!!!

ek prabudh vyakti ka swabhav...woh kaise chalta hai,kaise baiththa hai par sabse zaroori,woh kaise baat karta hai...

Bhagavad Geeta adhyay 2 shloka 54...

you have a lot of catching to do on general behaviour son...

SANEEL-samadhistasya ke baad keshav nahi lagaya tumne...

G.O.D-good...waise asar phir bhi ho gaya meri baaton ka...tune se tumne me pahunch gaye tum...

SANEEL-cut the crap and come to the point...why have you called???

G.O.D- hahahaha....i guess jis hotline ke through apne organization se mera number track karne ki koshish me be-sir pair waali baaton se call lambi kar rahe the tum,woh kaam nahi aaya...

the place keeps on bouncing...

SANEEL-as i said...!!!just cut the crap and come to the point...

G.O.D-tell me, what's the synonym of surprise...!!!!

SANEEL-matlab point me aana hi nahi hai tumhe...!!!

WHAT SURPRISE PAPA...!!!!


ye 5 saal ka chota sa SANVY tha jo baaju ke computer room me baitha dekstop me kuch kar raha tha..

par choti umar me hi grow kar liye apne bade se hearing ability ki wajah se line ke dusri taraf bole SURPRISE shabd ko sun excited hokar apne papa ke saamne dhamak pada tha SANVY...


G.O.D-well,well well...have i just heard the voice of the prodigal son...!!!

SANEEL-it's a work thing beta...aap jaao, play...

SANVY-i am not playing papa...mai ek photoshop software ki coding kar raha tha...

G.O.D-impressive...indeed he the prodigal son...i will love to meet him...

SANEEL-dont you dare...jao beta,do you coding..and give it..

SANVY-my best..i know papa...


wapas mood room se nikal gaya tha SANVY...


G.O.D-jawab nahi diya tumne... surprise ka synonym kya hai...???

and to be clear, every thing i say, ask or do, it's always to the point...

SANEEL-astound,amaze, stunned,startle....

G.O.D-nopes...in my dictionary,its nightmare,shock,ordeal, torment,curse...

par hain ye sirf synonyms... surprise sirf surprise hi reh sakta hai,par aisa hi ho,ye tumpar depend karta hai...

SANEEL-mujhpar...

G.O.D-ofcourse...aakhir maine ek surprise tumhare liye ready jo kiya hai...

SANEEL-not interested...

G.O.D-oh you have to be...and you will be...kyunki ye surprise mai tumhe saamne se dunga...


ab ye ek aisi baat kar di thi G.O.D ne jisse sun ek thrill sa paida hua tha SANEEL ki ragon me..jisse pichle 3 saal se dhund raha tha woh,jiski ek side angle jhalak bhi nahi dekhi thi usne,woh G.O.D aaj usse saamne se milne ka offee de raha tha...

but baat itni sidhi si toh ho nahi sakti.. samajhta tha SANEEL is baat ko isiliye...


SANEEL-and what's the catch...???

G.O.D-oh no catch...mai sidhe tumhara future batane waala hun tumhe...

i will meet you jahan mai tumhe ek surprise dikhaunga and than you will die...

SANEEL-oh toh tum mujhe maar doge...

G.O.D-hell no...usme na maza hai aur naahi koi challenge...aur ab tak itna toh andaza laga hi chuke hoge tum mere baare me,i dig challenges...

now coming to the point,mere kayi efficient logon ko dhul chatayi hai tumne... mentally hi nahi physically bhi which means tum dimag daar ke saath saath ek bahadur insaan ho...

aur ek bahadur insaan se suicide commit karwana, now that's what i call a challenge,and the real fun...

SANEEL-tum mujhe suicide karne par majboor karoge..!!!how,mere bache ya meri biwi ko kidnap karke...

aisa kabhi hoga nahi...

G.O.D-aisa nahi hai jo G.O.D nahi kar sakta par relax, VERONICA aur SANVEER ko kuch nahi karunga mai..

atleast tab tak toh nahi jab tak mere saath khelne ke liye VERONICA haan nahi kehti ya phir tumhara honhar beta us laayak nahi ho jaata...

tab tak ke liye,i promise,i will not harm them...

par tum mere bacche, mujhse milne ke baad suicide commit karoge...

bina tumhe chhue i will make you do it...

SANEEL-aur agar aisa nahi hua toh...???

G.O.D-then i will surrender...


ek jhanaka sa hua tha SANEEL ke dimag me..in 3 saalon me G.O.D ko lekar itna toh samajh chuka tha woh ki he never backs from his commitment and his word...

saath hi saath jaanta tha SANEEL ki G.O.D ne jo bhi patte apne aasthin me chhupaye honge,unhe beat karna asaan nahi hoga par G.O.D ko pakadne ka isse behtar mouka usse mil nahi sakta tha..

isiliye jabde halke sakht hote chale gaye SANEEL ke aur...


SANEEL-i accept...



FLASHBACK ENDS:-




NOOOOOOOOOOOOOO....

apne bed par chikhte hue utha tha SANVY....us paanch saal ke bacche ko jisse SANEEL ne wapas bhej diya tha, surprise word ko anjaane me hi sunane ke baad baaki ki conversation uske kaano ne deliberately sune the...

har ek word jo uske dad aur phone ke dusri taraf waale shaksh ke beech hui thi,uski photographic memory me us conversation ka har shabd baith sa chuka tha jo halka sa bhi erase nahi ho paaya tha...

haan,waqt aur apne will power ke dum par un baaton ko apne subconscious mind ki memory me chuppa sa diya tha usne par kabhi kabhi woh memory,woh yaad saare diwaron ko tod sapne ke through SANVY ki band aankhon ke aage aa hi jaate the jaisa ki aaj hua tha..

aur jab bhi kabhi aisa hota tha, SANVY used to get a panic attack jo abhi bhi ho raha tha...

mera pura sharir paseene se bheeg chuka tha aur lagatar lag rahe jhatko ke beech mai apne bistar se neeche gir gaya tha...

SANVY....

MAA thi ye jo mere room ka room joki bas half jolted hi tha,usse zor se push kar andar aayi aur agle hi pal mai unki baahon ke giraft me tha...


MAA-shhhhh....kuch nahi hua beta..kuch nahi hua...bas sapna tha... forget about it and just relax...


khud apne aasuon se bhige aankhon ko jhapkaati hui mere aansuon ko pochne ke beech dusre haath se mere sir ko sehlane lagi thi MAA...

aur unke waisa karne ka asar bohot jald hua...wapas neend ke aagosh me haa chuka tha mai aur ye dekh ek lambi thandi saans li unhone...

mujhe wapas apne bed me sula mere sir ke kareeb hi baith mere baalon ko sehlaane lagi thi woh par aisa karne ke beech unki aankhon ke aansu aur tez ho chuke the...



MAA-



socha nahi tha ki guzarte waqt ke saath badi ye AAFAT HOGI...

pata nahi aisa kab hoga jab tere dil-o-dimag me puri RAAHAT HOGI...

aaj tere saath hun mai par agar kal naa rahi toh...!!!

teri toh taklif badhegi par tere dushmano ke liye har pal QAYAMAT HOGI...










AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Awesome update bhai
 

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY AUR DIMPLE ANJALI KO BATATE HAIN KI NITS USSE PYAR KARTA HAI WAHIN DUSRI TARAF APNE DAD AUR GOD KE BEECH HUI PAST KE EK CONVERSATION KA SAPNA DEKH SANVY KO PANIC ATTACK AA JAATA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-69

DATE-10TH OCTOBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS






BATAYA NAHI TUMNE...!!!!HOW WAS YOUR TRIP TO HOME...???ITNE DINO BAAD GAYI THI,MOM KE SAATH, KAAFI HANGOUT KIYA HOGA...!!!


RASHI ne DIMPLE se joki aaj ek hafte ke leave ke baad wapas school aa rahi thi, pucha tha ye sawal usne jispar kore kaagaz me sketch draw karti DIMPLE ke haath rook gaye the...

final period chal raha tha jo ki khaali tha aaj...saamne ek substitute teacher zaroor moujud tha par usse aapas me gossip karte students me utna hi interest tha jitna lakdi ka current se hota hai...zero...


DIMPLE-kiya naa hangout...hall se hall tak...

RASHI-matlab...!!!

DIMPLE-matlab ye ki ek super successful business women ka matlab hota hai ki she is always busy...

kul teen baar hi mili mai MOM se woh bhi not more than 15 minutes..koi na koi important meeting always came through...

RASHI-shit...that sounds boring...

DIMPLE-naa..i am used to it...waise bhi,i have some childhood friends back home...

unke saath acha khaasa time spend ho jaata tha...

MAY I COME IN SIR...


humse ek class junior girl thi ye jiski request par sir ne haan me sir hilaya...


NITS-oh bhai...ye kis school ki pari idhar aa gayi re...

SONU-chutiya...hhamarre hhi sschool kki ttoh hhai bbe...

jjunior hhai appni...

NITS-arre waah...tu kabse ladkiyon ki info rakhne lag gaya lounde...

SONU-appne llakadbaghe jjaisi shakal kko aur gghatiya mmat bbana bbe...

e.v.s kki bbest ppractical sstudents mme sse ek hhai yye...

ggovernment autthorized ggreenary pprojects me willingly pparticippate kkarti hhai yye isiliye ccreative aur inttellectual ccircles mme bohot ppoplular hhai yye...

i amm ssure kki abbhi bbhi kkisi pproject kke bbaare me ddiscuss kkarne kke lliye hhi ssir kke ppaas aayi hhai yye...

NITS-itni khubsoorat upar se popular...phir mujhe kaise nahi pata yaar...

SONU-kkyunki ccreative aur inttellectual jjaise shabdon sse ttera ddoor ddoor tak kkoi nnaata nnahi hai...

NITS-hai nahi tha...ab toh hai...excuse me sir...ek doubt hai..can i come there and ask about it...???


NITS aur uski bakarchodiyon se badi achi tarah faakif the sir.. isiliye uski baat sun kuch pal ghura unhone NITS ko par phir sir dheere se haan me hilaya unhone jispar NITS turant badh chala unki taraf...


NITS-sir,mai kuch dino pehle dhanaulti gaya tha,for camping...

udhar forest me ghumte waqt kaafi saare unknown vegs aur fruits dekhe the maine..i want to ask sir,ye kaise pata karen ki koi unknown vegetable ya fruit edible hai ya nahi...


NITS ka sawal wakayi acha tha jiski ummid sir ko nahi thi..even jis ladki ko impress karne ke liye ye sawal pucha tha NITS ne,woh bhi sawal sun uske jawab ko jaanane ke liye sir ki taraf interest se dekhne lagi..


wahin NITS ke sawal ko sun aankhen thodi badi ho gayi thi SONU ki aur...


SONU-uss ttrip mme ttoh hhum dono bbhi ggaye tthe... aurr yyahi ssawal ppucha ttha nna ttune uddhar kke ek agriculturalist se...!!!

MAI-hmm...

SONU-ttujhe kkya hho ggaya hhai bbe...ppehle 3 ddin sschool nnahi aaya aur jjabse aaya hhai ttabse rrobot fface llekar ghhumta rrehta hhai...

MAI-aand mat kha be...

SONU-gand mmara loudu...

SIR-lab le jaa sakte ho..wahan check ho jaayega...

NITS-sir ek snack jaise meal ke liye kisi fruit ya veg ko lekar 100 kms ka safar...!!! it's too much..kya koi shortcut nahi hai...

SIR-hai par 100 percent authentic nahi hai...us unknown plant ke root ya stem ko kaato and rub the juices on your skin that comes out of it...

kuch der wait karo..agar poisonous ya unedible hua toh skin par rashes aa jaayenge,agar nahi aaya toh it's ok to eat it...

NITS-thank you sir...that was a beautiful answer...


beautiful NITS ne us ladki ko dekhkar bola tha joki abhi usse hi dekh rahi thi aur NITS ki baat sun halke surprise aur smile ke saath usse dekhne lagi thi woh...


SIR-thank you for the appreciation beta..ab agar aur koi sawal naa ho toh apni jagah par jaakar baitho...

NITS-sure sir..


ladki ko dekhte hue uspar nazrein tikaye hue hi dheere se ghuma tha NITS jispar us ladki ke face ki smile thodi aur badh gayi thi...

wahin ye sab bade dhyan se dekh rahi ANJALI ke face par ek vyang purn smile naach uthi thi jisse carry karte hue woh pehle piche SANVY ki taraf palti aur phir paas hi baithi DIMPLE ko dekha usne aur...


ANJALI-so he is into me,haan... bullshit...


ANJALI ke taane ko sun ek lambi saans chhodi DIMPLE ne aur sir shake kar neeche dekhne lagi thi woh...

TRRRRRR......

finally final bell baj uthi thi jiske baad sir aise nikle hamari class se jaise loose motion ke aakhri check naake ko paar karne hi waala tha unka pichwada...

aur sir ke baad students bhi apne apne groups ke saath class se nikalne lage the...


DIMPLE-wait...


NITS DIMPLE ke baaju se nikal hi raha tha ki tabhi bade dheeme se uske kaano me kahi thi ye baat DIMPLE ne jisse sun kuch kehne ko hua NITS...


DIMPLE-just wait...


thoda serious tha DIMPLE ka tone jisse sun ek pal usse dekhne ke baad...


NITS-abbe,tum log niklo...mai mutr mukti karkar aata hun...

SONU-abbe abbhi ssecond rrecess mme hi ttoh mmoota tha ttu...

NITS-issi ka hisaab rakh tu ki kitni baar mutata hun mai...aur kahan likha hai be ki ek baar mootne ke baad turant dusri baat nahi moot sakte...

SONU-abbe aise hi ppucha... bbhadak kkyun rraha hai...


mooh banate hue class se turant nikal chuka tha SONU jiske saath saath mai bhi bahar aa chuka tha...

baaki ke students toh pehle hi class se nikal chuke the which meant ki is waqt class me sirf DIMPLE aur SONU hi the...


NITS-dekh yaar...pehle hi clear kar deta hun...maine dekha nahi kabhi tujhe us nazar se...


hamesha ki tarah daant niporte hue apne sense of humour ka pradarshan kiya tha NITS ne jispar DIMPLE ka face straight hi raha...


DIMPLE-bataya kyun nahi tumne ki pehli baar SANVY GALATH tha...

NITS-mai samjha nahi...aur SANVY kabse GALATH hone lag gaya bhala...???

DIMPLE-jabse you started flirting with random girls...

NITS-started matlab...!!! flirting is my forte...

DIMPLE-aur pyar...!!!or to be precise...ANJALI ke liye pyar...

NITS-what...!!!are you out of your mind...

DIMPLE-style kam dramatic rakhta toh performance ko zyada realistic bana sakta tha...

NITS-tune toh realistic hi rakha naa par baat toh jhuti hi hai...

DIMPLE-isiliye toh kaha maine ki SANVY GALATH tha...bade bade speculations laga leta hai,par sab bakwas...

jaakar confront karti hun usko...usse bhi toh pata chale ki har baar sahi nahi hota woh and this time, woh GALATH hai...

NITS-mera dost kabhi GALATH nahi ho sakta...


apni baat bol DIMPLE palti hi thi ki tabhi NITS ki baat ne uske face par smile laa di thi...

jaanti thi DIMPLE ki SANVY ko GALATH bolne par hi asal baat par aayega NITS aur wahi ho raha tha...

apne smile ko daba wapas NITS ki taraf palti DIMPLE aur...


DIMPLE-SANVY GALATH nahi ho sakta...!!! isiliye hi us din ANJALI ki saari baatein chupchap bahar se sunte rahe tum aur phir humse chhupne ke liye B section me chale gaye the...

NITS-tujhepata tha...!!!

DIMPLE-haan...par jo mujhe nahi pata, woh ye hai ki jab tu ANJALI se utna pyar karta hai jitna ki SANVY bata raha tha toh phir uske saamne confess kyun nahi karta...!!!???

confess toh door ki baat hai,tu toh dusri ladkiyon ke saath openly flirt karte rehta hai, jaise ki aaj kar raha tha...

jo kisi se sachha pyar karta ho,woh dusri ladkiyon ke saath flirt kaise kar sakta hai...???


DIMPLE ki baat sun ek feeki smile naach uthi NITS ke face par aur...


NITS-confess jurm ka karte hain,pyar ka nahi...pyar ka izhar hota hai...

aur woh isiliye nahi kiya maine kyunki jo bill tak mai afford nahi kar sakta,usse zyada ANJALI tip de deti hai...


DIMPLE-really NITS...that's your excuse...kis sadi me reh rahe ho tum...!!!its 2020.. tumhe lagta hai ye rich pure waala funda chalta bhi hai...

NITS-hahahaha...sadi ke hisaab se insaan ki soch badalne lagti toh ab tak hum bhagwan hi nahi ban chuke hote...

DIMPLE-oh common NITS...tum ye kaise bhul gaye ki tumhari hi tarah ek average ghar se SANVY bhi belong karta hai aur woh ANJALI ka best friend hai...

NITS-wow... example bhi diya toh kiska...rich poor ke comparison par toh phir bhi logics mil jaayenge par how can you compare me with SANVY...

mera bestie hai woh aur kabhi kabhi apne aap ke saath jod comparison bhi karta rehta hun mai uski par woh sirf mazak hota hai..

haqiqat me toh mai chhod,is school ka champ SAM bhi uske aage kahin nahi tikta...

ye uski courtesy aur down do earth attitude hi hai ki woh hume apne barabar ka darja deta hai..

SANVY is one in a million warna is school ki,school kya is shehar ki sabse khubsurat ladki pasand thodi na karti usse...


NITS ki aakhri baat sun aankhein halki badi ho gayi DIMPLE ki aur kuch kehne ko hui woh par tabhi...


NITS-cut the bullshit DIMPLE... tumhe kya lagta hai hum sab andhe hai..tumhare aur SANVY ke beech jo chemistry chal rahi hai,hume dikhta nahi...

haan,ye sach hai ki abhi tak tum dono ne ek dusre se apni apni feelings share nahi ki hai par feelings toh hai aur woh bhi tagdi waali...

dil par haath rakh SANVY ki kasam khaa keh do ki GALATH hun mai...


naa dil par haath rakha aur naahi kuch keh paayi DIMPLE..labh bas halke tharthara kar reh gaye...

aur ye dekh halka sa smile diya NITS ne aur...


NITS-bohot lucky ho tum DIMPLE ki SANVY jaisa banda is into you..haan, background uska meri tarah decent bhar hi hai par jab situation me SANVY ho toh background se fark nahi padta...

uske jaisa dusra piece hai hi nahi aur agar heere ko parakhne waali nazar hui tumhare parents me toh SANVY se milte hi samajh jaayenge woh ki kohinoor chuna hai unki beti ne...

see you...


palath class se bahar nikalne laga NITS par phir door ke paas rook wapas palta woh aur...


NITS-shuru me ek sawal pucha tha tumne...

"JO KISI SE SACHHA PYAR KARTA HO,WOH DUSRI LADKIYON KE SAATH FLIRT KAISE KAR SAKTA HAI"...???

DIMPLE mai jo ye flirt karta rehta hun naa,woh mere liye pain killer jaisa hai...

"GHAAW BHALE HI NAHI BHARTA PAR DARD ZAROOR KAM HO JAATA HAI..."

ab mere jaise looser aashiq ko kamsekam dard kam karne ki azaadi toh honi hi chahiye,nahi...

ek aur baat...

propose karne ki jo salah tum mujhe de rahi thi naa,uspar khudpar amal karo...

meri na ho saki toh kya, kamsekam tum dono ki toh do tarfa love story shuru ho...


muskurate hue jisme khushi nahi gum chalak raha tha, NITS palta aur class se nikal gaya...

wahin DIMPLE NITS ki saari baaton aur khaas kar uski aakhri salah ko sun shaant si hokar apni jagah par kuch seconds khadi si reh gayi...

kahan woh NITS ko interrogate karne waali thi aur kahan NITS ne uski unlikhi prem kahani padh di thi....

kuch seconds gehri soch ke beech apni jagah par khade rehne ke baad ek lambi saans chhod DIMPLE bhi class se nikal gayi...




SAME EVENING

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE





REALLY...!!!THE EYE GOUGE...ITNA BACHKANA MOVE...KISI TEEN SAAL KE BACCHE KO BULA LAAUN..SHAYAD WOH TUMHARE IS IDIOTIC TRICK ME FANS JAAYE...


apne home city delhi trip ke ek hafte baad aaj finally DIMPLE wapas study home,dehradun ke apne sabse favourite spot me thi...

SANEEL'S RESIDENCE ka backyard jahan woh SANVY ke saath combat training karti thi...

bohot excited thi woh aaj ki training session ko lekar aur usee bhi zyada SANVY ke saath personal time spend karne ke liye par uske saare hi expectations ne kuch hi der me U turn le liya tha...

reason...

kuch naya sikhane ki jagah SANVY ne aaj DIMPLE ne ab tak jitna sikha hai,uska ek practical test lene ka decide kiya tha aur uska ye decision DIMPLE ke liye shaam ko hi night mare me badal gaya tha...

uske har move ko na sirf SANVY sahi predict kar unhe dodge dete aa raha tha balki har dodge ke baad ek offensive push bhi karta tha woh DIMPLE ko..

ye push koi zyada power ka nahi hota tha aur naahi DIMPLE ko kisi tarah ka physical pain hota tha par mentally it was hurting her...

SANVY ka har push uski ab tak ki hard training par ek slap jaisa tha...

un pushes ke through SANVY jaise DIMPLE ko humiliate kar raha tha jisse saaf mehsoos kar rahi thi woh...

yahi wajah thi ki last push se chidh halka below the belt move ke liye chal padi thi DIMPLE...

THE EYE GOUGE MOVE..move jisme apne index aur middle finger ko suddenly opponent ki aankhon me halka poke kiya jaata hai jisse uska vision kuch seconds ke liye off ya phir blurry ho jaata hai, resulting him or her to be off gaurd...

par DIMPLE ka woh move bhi waste chala gaya tha..

uske dono fingers ko mid way hi block kar unhe jakadte hue apne side ki taraf push kiya tha SANVY ne....

aur uske baad jo line boli SANVY ne,usne dimplke frustration ko aur badha diya tha...

DHAKKK,DHAK,DHAK,DHAK,DHAK,DHAKKKK..........DDDDDDDDDDDDDDHAKKKKKK......

"THE LONG KNEE,UP KNEE, THROAT PUNCH,AX STOMPS, NUTCRACKER CHOKE JUMP aur aise hi kayi free style combat moves ek ke baad ek try karti chali gayi thi NEW GIRL jinhe mai beasar karta chala gaya aur isiliye finally apna last daav chalta hue "THE DRIBBLING FAST HANDS move try kiya usne...

bijli ki gati se apne dono haathon ko baari baari se mere stomach se lekar mere sir tak aim karte hue chalati chali gayi woh and at the same time apne dono pairon ko horizontally move karte hue mujhe girane ki koshish bhi kar rahi thi woh...

par backward march jaise pairon ko uthate hue na sirf mai un leg movement se bach raha tha balki uske tez hand movements ko bhi continuously block karta chala jaa raha tha mai..

par NEW GIRL rook nahi rahi thi jiska sabse bada kaaran tha mere piche ka woh wall jisse meri peeth takraane hi waali thi..

NEW GIRL jaanti thi ki ek baar wausa ho gaya phir woh mujhe neeche gira sakti hai but the thing she didn't knew was ki naa sirf mujhe apne piche lagne waale wall ke baare me pata tha balki ab maine apne defensive hand blocks ki speed badha di thi jiska matlab tha ki ab NEW GIRLS ke hand moves mai kabhi bhi control aur rok sakta tha aur wahi hua...

BHAPPP.....

wall me meri peeth lagne hi waali thi par tabhi mere dono haathon ki grip ne NEW GIRL ki dono kalaiyon ko jakad liya tha..

aisa hote hi halka sa hadbadayi NEW GIRL aur isse pehle ki woh sambhal paati,thoda sa side hote hue uski kalaiyon ko ek tez jhatke ke saath pull kiya maine....

ye movement itna forceful tha ki NEW GIRL ka sharir bohot tezi se wall ki taraf badh gaya..

ye movement itna speed aur tez tha ke NEW GIRL knew ki woh khudse khudko wall me thrash hone se bacha nahi sakti..

us impact aur hone waale pain ke liye ready nahi thi NEW GIRL isiliye aankhein apne aap band hoti chali gayi uski par tabhi...

ek behadh strong hand block apne stomach par feel kiya tha usne...

sharir ke jhatke me rook gaya tha NEW GIRL ka par sharir ke saath saath dil bhi uska ek pal ke liye jaise tham sa gaya tha...

REASON...

SANVY ka haath tha woh jisne uske stomach ko ghera hua tha..jaanti thi ye baat DIMPLE aur isiliye apne jism par SANVY ke us direct touch se andar hi andar sihar uthi thi woh...

ek chadhti utarti saanson ko sayyamit kar meri taraf palti woh aur aisa hone ke beech apna haath uske peth se hata liya tha maine...


MAI-5 minutes ka break...pasina pochon and restratagize..shayad is baar mujhe chhu bhi paao tum...!!!


jahan is vyang ke saath palath paani peene ghar ke andar chala gaya mai wahin NEW GIRL chehre par maayusi liye paas hi rakhe ek stool par baith gayi...


FRUSTRATION PHIR BHI CHALEGA BUT MAAYUSI BILKUL ACHI NAHI LAGTI TUMHARE FACE PAR BETA...


DIMPLE ka water sipper joki kaafi pehle hi khaali ho chuka tha,usse refill kar uske saamne kar diya tha VERONICA ne...

wahin VERONICA ki baat par ek halki smile ke saath apna sipper le paani ke kuch ghoont se apne sukh chuke gale ko tar karne lagi DIMPLE...


VERONICA-zyada rough hai aaj SANVY...???

DIMPLE-nourishment ke liye roughness ki zaroorat toh padti hi hai aunty...mujhe acha lagta hai hard drill... par...

VERONICA-par kya...???

DIMPLE-aaj ke pure session me SANVY ke face par ek anjaani udaasi dekhi maine...

aur andar jaane se pehle jab mujhse baat ki usne toh woh udaasi thodi aur badh gayi thi...

kabhi dekha nahi maine usse aise aur kabhi dekhna bhi nahi chahti...

par dekh toh rahi hun and that's the real rough for me and it's hurting...


ek hafte pehle aaye panic attack ki wajah,us sapne ke drishyon ko apne dimag ee abhi tak hata nahi paaya tha SANVY...

isiliye hi teen din tak school nahi gaya tha woh...

is ek hafte me din ke 14 ghante unimaginable physical training ki thi usne par kisi bhi tarah ka sweat us sapne waale yaad ko puri tarah dho nahi paaya tha...

yahi wajah thi aaj DIMPLE ke prati kade ravaiye ki jiski asal wajah bhale hi woh nahi jaanti thi par dard hai,ye mehsoos kar liya tha DIMPLE ne apne andar...

wahin DIMPLE ki baat sun ek halki si smile naach uthi thi VERONICA ke face par aur apne mamta bhare hatheli ke sparsh se DIMPLE ke sir ko sehlane lagi woh...


DIMPLE-aapko toh pata hoga na aunty ki what's hurting him...???

VERONICA-hmm..uske dad ki ek yaad hai jo kabhi kabhi sapne ke through uske aankhon ke aage ghum jaati hai..

aur jab bhi waisa hota hai, SANVY suffers mentally...aur aisa kuch waqt tak lagatar hota rehta hai..

isiliye i suggest ki jab tak woh apne mental health ke saath peace na kar le,door raho usse...


DIMPLE-no way aunty...SANVY taklif mai hai aur mai usse akela chhod dun,aisa kabhi nahi hoga...

par woh theek ho jaaye,iske liye karun kya...???

VERONICA-tarika hai par it will hurt...

DIMPLE-chalega aunty... bataiye kya karun...???

VERONICA-bataya toh,it will hurt and i mean literally...

DIMPLE-mai samjhi nahi...

VERONICA-smart ho, khud hi figure out karo...

MAI-shuru karen...!!!


paani pee aur freshen up ho wapas aa chuka tha mai par MAA ko saamne dekh halka door hi rook gaya...


MAA-kabhi kabhi ek dard ko bhulaane ke liye dusre dard ki zaroorat padti hai...


kuch kaha dheere se MAA ne NEW GIRL ko jisse sun nahi paaya tha mai ya phir ye kahun ki sunane ki koshish hi nahi ki maine...

apni baat bol MAA toh chali gayi par NEW GIRL straight face ke saath kuch sochne me busy ho gayi...


MAI-kuch aur kaam hai toh chali jaao...we will do it tomorrow...

DIMPLE-kahin nahi jaa rahi mai...


jaise kuch samajh me aa gaya tha NEW GIRL ko..awaaz me uski confidence lout aayi thi aur ye dekh...


MAI-tumhe lagta hai ki is baar result alag aayega...

DIMPLE-mujhe lagta nahi,mai jaanti hun ki is baar result dusra aayega aur behtar aayega...

MAI-we will see...

DIMPLE-ofcousre we will se...

DHAPP....DHAPPP....


apni baat khatm karne ke saath hi mujhpar pehle OVER HAND,phir RIGHT 360 DEGREE SWING KICK,aur phir ussi move ko improvise karte hue KNEE FROM THE DOUBLE COLLAR THE move se swing kiya tha apne right leg ko NEW GIRL ne...

ye saare moves naa sirf super fast the balki saath hi saath kaafi dangerous or core strength driven bhi the...

inhe sahi se use me laane ke liye naa sirf kaafi strength use karni padi thi NEW GIRL ko par saath me apne balance ko banaye rakhne ko next to impossible task bhi kar rahi thi woh...

wahin uske saare moves ko dodge aur block kar raha tha mai par kyunki un moves me strength kuch zyada hi thi aur isiliye unhe block karne ke douran mere dono wrists me halka pain hone laga tha...

waise toh normal circumstances me ye pain kuch bhi nahi tha par abhi jis tarah ka mental situation tha mera,it was very frustrating...

DHABBBB....

AHHHHHHH.....

ek chest JAB HIT maarne ke liye apne fist ghumane hi waali thi NEW GIRL ki tabhi mere dono haath badi tezi se upar aaye wyr agle hi pal...

SHARP FINGER POKE HIT kiya apne dono haathon ki khadi ungliyon se uske shoulders par...

shoulder joints ke just baaju me ek nas hoti hai jispar agar sahi pressure se hit kiya jaaye toh ek saath do do effects create hota hai...

first, immense pain aur second... temporary paralytic malfunction...

aisa hi kuch hua NEW GIRL ke saath...

dono haath uske jhool se gaye the aur shoulders me uth rahe unbearable pain ki wajah se ghutne uske mudte chale gaye the...

par isse pehle ki woh neeche gire, dimag jaise ek pal me hi pura khul gaya mera...

tezi si NEW GIRL ke baaju me slip in hokar usse sir se thaamte hue baiththa chala gaya mai...

hit maine halka hi kiya tha par dimag me chadhe frustration ne ungliyon me jaan thodi zyada de di thi..

hit ka impact bohot zyada tha aur iske saboot the NEW GIRL ki bheegi aankhein...

aur un aankhon me dard dekh mere dimag me pichle ek hafte se chal raha dwandh jaise gayab hi ho gaya...

bas NEW GIRL,uska dard aur us dard ke liye usse dene waale par ghussa, matlab khudpar aane laga tha mujhe..

NEW GIRL ke sir aur body ko apne haathon aur godh me rakhne ke beech palke meri bhi bheegne lagi thi par kisi tarah apne emotions par control kiya hua tha maine...


MAI-sorry...


maafi maangi thi maine par mere aisa karte hi dard ke beech bhi ek pyari si smile naach uthi thi NEW GIRL ke face par jiska kaaran nahi samajh paaya hai...


MAI-dard sir me chadh gaya hai kya...??? muskura kyun rahi ho...???


mere taunt ko sun smile thodi aur badh gayi NEW GIRL ki aur...


DIMPLE-tumhara dard tumhare sir se jo utar gaya hai... isiliye muskura rahi hun...


NEW ki baat par turant kuch keh nahi paaya mai aur ektak usse dekhne laga...


MAI-mere dard se jiski wajah se bhi anjaan thi tum,uske liye khudko dard de diya tumne...

DIMPLE-tumhare dard se bhale hi anjaan thi par tumse toh waakif hun...

jaanti hun maamuli chot tumhe dard nahi de sakta aur jo de sakta hai,usse mai dene dungi nahi...


DIMPLE ki baat sun kuch kehne ko hua mai par labh dab se gaye the mere par mere us anjaan dard ki tarah mere unkahe shabdon ko bhi jaise samajh gayi thi NEW GIRL...


DIMPLE-kyun...??? yahi puchna chah rahe the naa...!!!

isiliye kyunki NITS ne aaj mujhse mere baare me kuch aisa kaha jisse apne aap se chhupate aa rahi thi mai...


MAI-kya..???that you are mad...!!!

DIMPLE-haan..par sirf tumhare liye...

"I AM MADLY IN LOVE WITH YOU SANVY"....

BOOM...


jaanta tha mai ki ye lamha ek na ek din zaroor aayega... par aaj, abhi is tarah aayega,ye nahi socha tha maine..

aise waqt me jab apne past me ghati ek ghatna ke sadme se ubhar raha tha mai,ye khubsoorat vartmaan dene me lagi thi mujhe NEW GIRL...

jazbaat SAHI the par waqt GALATH...


MAI-mai...

DIMPLE-shhh.... kuch mat kaho...tumse jawab nahi maanga hai maine...bas apni bhaavna batayi hai...

mai jaanti hun ki abhi tumhara dimag aur dil saath me kaam nahi kar rahe, isiliye abhi kuch mat kaho...

bas ek request hai,maanoge...!!!

MAI-kya...???

DIMPLE-maanoge...!!!


kar request rahi thi par ankhon me command sa tha NEW GIRL ke jo achi lagi mujhe isiliye...


MAI-haan...

DIMPLE-


aaj mai taiyar thi ke jo bhi tere liye mere dil me hai,tujhse KAHUN...


jab bhi tu taiyar ho, tere jawab se bhale mai khush ho jaaun yaa phir DARD SAHUN...

khwahish bas itni si hai meri ki teri taraf se inkaar ho yaa phir ikraar...

tere izhaar ke waqt bilkul abhi ki tarah mai teri BAAHON ME RAHUN...









AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
Wonderful update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in
Top