Smart killer
Romeoo Rajkumar 💘
- 171
- 646
- 108
PROLOGUE UPDATE:-
DATE-APRIL 1/2021....
TANNN...TANNN...TANNNNN.....
CHAL RE LADKE.. KISMAT WAKAYI ACCHI HAI TERI...KAAFI SASTE ME CHHUT RAHA HAI TU....
police station ke piche bane before hearing TEMPORARY JUVENILE HOME joki kisi normal adult jail se kam nahi thi,uske ek cell ki salakhon par pehle apne ruler se maarne ke baad lock kholte hue kahi thi ye baat ek hawaldar ne jispar cell ke andar diwal se tik kar baitha ladka bina koi pratikriya diye bas dheere dheere apni jagah se uthne laga but tabhi...
AHHHHH....
uthne ki koshish me pair ladhkhada gaye us ladke ke jiski wajah se woh neeche girne laga par tabhi us Hawaldar ne uske ek haath ko thaamte hue usse support sa diya aur fir ussi haath ko apne kandhe ki taraf ghumakar rakhte hue us ladke ko pakad usse sahara dekar aage badhne laga but ye chota sa safar bhi asaan na tha..
kapde jagah se phate hue us ladke ke jinke andar jhaanke se sharir par pade asankhya chot aur ghaav saaf dekhe jaa sakte the...
maasum chehre ke kayi hisson par khoon se sukhe dhabbe saaf bata rahe the ki us ladke ke face par bhi bohot se tez tamaache aur mukke padh chuke the..
dando ki asankhya maar ki wajah se dono pair aur khaaskar ghutne bhi kaafi suje hue the aur issi wajah se woh ladka thik se chal nahi paa raha tha...
sahara milne ke baad bhi us ladke ke face par dikh rahe pain ko dekh us hawaldar ko bhi us bacche par kaafi taras aa raha tha..
aur ye bhaavna sirf abhi hi nahi jaagi thi balki parso se jab se us ladke ko JUVENILE CUSTODY ke naam par is cell me bharti kiya gaya tha aur uske baad jo kayi ghanton tak lagatar usse kisi rapist ya maas murderer ki tarah maara gaya tha,woh sab dekh kar hi is hawaldar ko behadh taklif hui thi par apne chote ohde ki wajah se woh kuch kar nahi paaya tha...
khair, kisi tarah sahara dete hue woh hawaldar us ladke ko liye us JUVENILE HOME ke front hall me bane chamber ki taraf badha hi tha ki tabhi....
ARE YOU EVEN LISTENING TO ME INSPECTOR....2005,JUVENILE JUSTICE CARE & PROTECTION ACT KE ACCORDING KISI BACHE KI UMR AGAR 18 SAAL SE KAM HO TOH USSE POLICE REMAND PAR NAHI LE SAKTI AUR RAKH TOH BILKUL NAHI SAKTI..
AND DON'T EVEN DARE TO TRICK ME BY SAYING KI YE EK TEMPORARY JUVENILE HOME HAI KYUNKI YE JAGAH BHI BY LAW "GALATH"....
CHRRRRR....
chamber ke dono darwaze khulne ki wajah se chamber me khade us aadmi ka sentence pura nahi ho paaya aur woh turant palta aur aisa karte hi jab uski nazar door se enter hue hawaldar ka sahara lekar khade us half consciousness waale ladke par padi toh uski aankhein hairani aur ghusse se badi ho gayi aur..
AADMI-is this "SANVEER AHARYA"....
ye bolte hue woh turant us ladke ki taraf lapka jisne shayad us aadmi ki awaaz theek se suni bhi nahi thi ya phir ye kahun ki uski tooti phuti haalath aur dono hi kaano ke piche dikh raha sookh chuka khoon usse kuch bhi sunanane ke liye filhal temporarily non compitant kar chuka tha..
us ladke ke paas pahunch hawaldar ko side hata us aadmi ne khud us ladke ko sahara diya aur aisa karne ke baad jab uski ghusse se bhari aankhen saamne chair par baithe inspector ki taraf gayi jo ab bhi ghaagh ki tarah muskura raha tha toh woh kuch bolne ko hua par tabhi..
INSPECTOR-MR ANUPAM GHOSH....mai jaanta hun ki aap kaun hain..yahan ke sabse bade lawyer hain aap...
is JUVENILE HOME ke bahar aapke assistants ki lambi line aapke powerful hone ki baat par bhi bina bole mohor laga rahe hain but the thing is ki aap kuch nahi kar sakte...
jaante hain kyun....???
JAIDEN CHOWDHARY....
muskurate hue bhar ye ek naam hi liya us inspector ne par shayad itna hi kaafi tha...
naam sun ek pal ke liye LAWYER ANUPAM GHOSH ke chehre par shikan aaya but phir sakhti se bhar utha unka bhi face...
BEEP...BEEP...
ANUPAM GHOSH kuch kehte ki tabhi unke mobile ki message tone baji...
"JUST BRING THE CHILD"....
yahi likha tha us messege me jisse padh khudko shaant kiya ANUPAM GHOSH ne aur inspector ki taraf dekh...
ANUPAM-naam toh ek mere paas bhi hai,jisse agar le lun toh tumhari khudko safe samajhne ki galatfehmi abhi ke abhi door ho jaayegi but mai aisa karunga nahi..
sahi waqt aane tak tumhara ye over confidence barkarar rehna zaroori hai...
jahan ye bol half conscious mode me khade SANVEER AHARYA ko sahara dete hue ANUPAM GHOSH wapas moodte hue us chamber se bahar nikal gaya wahin uski baat sun woh inspector bas pehle ki hi tarah ghaagh ki tarah muskurate hue apne revolving chair me baith chuka tha...
NNNNNNNNNNNN.....
15 minute ke car drive ke baad ANUPAM GHOSH ki car ek bade se half opened gate ke saamne ruki jiske baad usne us maasum se teenager "SANVEER" ko wapas sahara dete hue car se utara...
is 15 minute ke safar ke dauran SANVEER bas apni aankhen band kiye chup chaap baitha hua tha..
but jab car rooki toh itne waqt me pehli baar naa sirf SANVEER ki aankhein khuli but saath hi saath uski sthir aur emotion less aankhon me ek halki si hi sahi,khushi dikhne lagi thi..
lekin usse ulat jab ANUPAM ne SANVEER ki aankhon me khushi dekhi toh uske face par dukh ke bhaav aa chuke the...
ANUPAM jaanta tha SANVEER ke aankhon me dikh rahi khushi ka reason...
but woh ye bhi jaanta tha ki woh reason,woh khushi ka shroth ab SANVEER ko kabhi nahi milne waala...
khair, jab ANUPAM ka sahara lete hue SANVEER car se utra toh uske kaano me padi gate ke khulne ki awaaz joki ANUPAM ke assistant ne kholi thi aur woh sun uski aankhein jhat se upar uthi aur aisa hote hi jo nazara uske saamne aaya,usse dekh SANVEER ki aankhein badi ho gayi...
"GOD'S ACRE"....
jahan SANVEER rehta tha,us sheher ke GRAVEYARD ka naam tha ye jisse dekh dil dhakk sa kar gaya tha uska..
graveyard ko dekh SANVEER ki nazarein turant ANUPAM ki taraf ghumi jiske face me is waqt negetive bhaav the jinhe naa sirf padh gaya SANVEER balki agle hi pal uske kadam ladhkhada gaye aur woh girne laga par ek baar phir ANUPAM ne usse sambhala aur bina kuch kahe usse apna saath liye GRAVEYARD ke andar daakhil ho gaya...
DHAKKK..DHAKKKK.DHAAKKKK..
tezi se dhadakte dil ke saath SANVEER khamosh zubaan liye aage badh raha tha..
pairon ke jodon me multiple fractures the uske but abhi jaise usse kuch feel hi nahi ho raha tha...
april ka pehla din tha aaj..garmi ki shuruat ho chuki thi but kaale baadal aur tez hawayein aaj fizaon me kuch aisi ghuli hui thi maano aaj ke din ko manhoos ghoshit kar rahi hon...
aur jaise jaise SANVEER ke kadam apne us anchaahe manzil ki taraf badh rahe the,waise waise woh tez chalti hawayein apne saath paani ke bauchaaron ko bhi kuch yun tezi se fekne lagi thi maano aisa kar woh SANVEER ke view ko block karna chah rahi hon taaki jo woh dekhne waala hai,usse waisa karne se rokna chah rahi hon...
khair,in saare odds ke beech SANVEER ko saath liye ANUPAM GRAVEYARD ke ek taraf kaafi aage badh chuka tha but tabhi...
DHAKKKK....
ek dhakka sa diya ANUPAM ko SANVEER ne jiske asar se woh piche ki taraf gir gaya..
wahin SANVEER jisne ye harkat saamne ke nazare ko dekh kar ki thi, pairon me multiple fractures hone ke baawjud badi tezi se aage badh chala woh aur lambi lambi saans lete hue ek fresh grave ke theek aage pahunch ruka...
HHHHH...HHHHHHH...HHHHHH....HHHHHH.....
SANVEER ki already tez chal rahi sansein aur tez ho chali thi par jaise hi uski nazar us grave ke piche gade gravestone me likhe naam par padi,woh naam jiske dhundle andeshe ki wajah se hi usne ANUPAM GHOSH ko dhakka diya tha,but ab woh dhundla andesha saaf hone ke baad bhi SANVEER ki zindagi ko kaali kar chuka tha,naa sirf uski tez chalti saansein ek jhatke me uske dil ki dhadkan ke saath tham si gayi par saath hi saath uski aankhein bhi badi hote hote apni aakhri hadh tak pahunchte pahunchte pathra si gayi....
VERONICA PAUL AHARYA....
yahi likha tha us gravestone par...
pathrayi aankhon se us naam ko lagatar padhne laga tha SANVEER maano usse ummid ho ki padhte padhte achanak se hi woh naam apne aap badal jaayega....
par kuch seconds baad jab uski pathrayi aankhon ke beech panap raha paani chalka toh uska ye bhram bhi us paani ki tarah uska saath chhodta chala gaya aur...
MAAAAAAAAAAA............
dil ko asaani se cheer de,aisi cheekh nikli SANVEER ke mooh se jisne zaahir kar diya us grave ke andar nirjeev pade shaksh ka SANVEER ke saath rishta aur ye bhi bata diya ki jo bhi hua hai,aise hi haadson ko toh kehte hain....
"GALATH"........
AAJ KE LIYE ITNA HI....
AAPKA APNA V....J....
VJ bro ap ka yahi andaz to pasand hai k frist update ma hi suspense dal dyty hain or us ma hi answer chur dyty hain parhny walun ko lagta hai boht complicated hai lakin hota nai is liya ap li story writing ka ma itna FAN hun keep it up God Bless You