• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Rajesh

Well-Known Member
3,464
7,926
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF NAISHA KE SAWAL KE JAWAB ME SANVY KO THANKS BOL ANJALI SABKO CHOWNKA DETI HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY KE HAR SAWAL KA JAWAB KHANAK BADE KHUBSOORAT SHABDON KE SAATH DETI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-20

PART-1


THE MAX FUN RESORT...
(A CHANDER'S PARADISE)





OH SHIT....!!!!


neend tutathe hi jab apne paas pade mobile par nazar padi DEEPESH ne toh hadbadate hue uth baitha woh..

REASON...

abhi morning ke 9 baj rahe the aur plan ke according usse RESORT se ab tak check out kar lena chahiya tha..


DEEPESH-saala in chutiye SIRIUS waalon ke chakkar me 2 baj gaye raat ko sote sote...

alarm bhi sunayi nahi diya....

NAMITH ko call karte hue jiska early morning hi ek miss call aa chuka tha,ye sab baatein budbuda raha tha DEEPESH..

par jab full ring ke baad bhi call nahi uthaya NAMITH toh..


DEEPESH-ab ye kahan mara raha hai..chhod yaar...apna toh sab kaam kar hi diya hai maine..

time to leave this shit place...


turant bed se nikal washroom ki taraf jaate hue kahi ye baat DEEPESH ne jiske 15 minute baad hi woh ready tha resort se nikalne ke liye...

apne liye laaye ek maatra travel bag pack ko dono kandhon me latka room se checkout kar reception ki taraf badh chuka tha DEEPESH..


DEEPESH-double check kar liya jaaye ek baar...


gallery se hokar aage badhte DEEPESH ki nazar jab opposite direction me bane saare cottages par gayi toh khudse ye bol woh cottages ki taraf badh chuka tha...


DEEPESH-fantastic..so lo guys,so lo..waise bhi chain ki aakhri neend hai ye...

aankh khulne ke baad toh waise bhi hamesha ka sukoon chale hi jaana hai...

SIRIUS waalon ke equipped 5on rooms ab tak andar se locked the aur iska kaaran bhi DEEPESH hi tha...

kal dinner aur FIRST BLINK game ke khelne ke kuch der baad soft drinks pee thi sabne jisse glasses me daal serve khud DEEPESH ne kiya tha...

par un drinks me EMAZEPAM naam ki sleeping pill bhi thi jo chupke se daal di thi unme DEEPESH ne aur yahi wajah thi ki sabhi SIRIUS waale ab tak so rahe the...

aur DEEPESH aur NAMITH ke plan ke according aisa hona zaroori tha taaki SIRIUS waalon ko khudko bachane ka mouka aur waqt bilkul naa mile...

anyways, cottages check karne ke baad ek baar phir se reception ki taraf badhte hue call kiya DEEPESH ne NAMITH ko par jab is baar bhi call nahi uthaya usne toh..


"MAI CHECKOUT KAR RAHA HUN... SIRIUS WAALE AB BHI SO RAHE HAIN...BAG MAINE KAL SHAAM HI SAM KE COTTAGE ME IMPLANT KAR DIYA THA..

AUR APNE CHAARON BANDE D WING ROOM NO 124 ME PADE HUE HAIN, COMPLETELY OUT...INQUIRY ME DONO SIRIUS WAALON KO HI BLAME KARENGE"...

MESSAGE PADHTE HI CALL KARIYO...


saari detailing text me likhte hue bhej di NAMITH ko DEEPESH ne..

ab tak reception par bhi pahunch chuka tha woh jiske baad apna account settle kar woh resort se checkout kar gaya...



AFTER AN HOUR:-




UFFF....MY HEAD....


apna sir pakad uththe hue ANJALI ne kahi thi ye baat jispar...


NAISHA-tera bhi sir dukh raha hai..mera bhi yaar...aisa lag raha hai jaise fever chadha hua ho....

ANJALI-coffe mangwa de yaar...

NAISHA-apne liye toh already mangwa chuki hun...tere liye bhi bol deti hun...


HUM DONO ke liye bhi bol de...

uthne ke baad cottage entrance door open kar usse khulla hi chhod diya tha NAISHA ne jisse KHANAK ke saath enter karte hue kahi thi ye baat RASHI ne..


NAISHA-tum dono ka bhi sir dukh raha hai...!!!strange...


KHANAK aur RASHI bhi apne ek ek haath se apna sir daba si rahi thi jisse dekh kahi ye baat NAISHA ne...

darasal night pills kabhi li nahi thi chaaron ne isiliye headache ka side effect jhelna pad raha tha un sabko..


KHANAK-neend toh puri hui hai phir pata nahi sir kyun dard kar raha hai...!!!

ANJALI-true..boyz kahan hain...pool me hain kya...???

RASHI-pata nahi..maine toh jab apna door khola toh tera door bhi khula paaya isiliye KHANAK ke saath sidhe idhar aa gayi...


ANJALI aur RASHI ke baaton ke douran NAISHA ne wahan moujud sabhi ke liye coffee order kar di thi jo kuch hi minutes me aa bhi gayi..


KHANAK-haash...ab kuch theek laga...


coffee joki NAISHA ke kahe according hard bani thi,uski chand chuskiyan lene ke baad kuch behetar mehsoos karne lagi thi KHANAK..

baaki teeno girls bhi thoda fresh feel karne lagi thi..


ANJALI-shower lene ke baad i hope pura sahi lag jaaye nahi toh holiday ka ye aakhri din kharab ho jaana hai...


NAISHA-shower lene se acha hai let's hit the pool...uske baad shower toh waise bhi leni hoti hai.. what say...!!!

RASHI-lets do it...

ANJALI-alright then..fresh ho jaate hain pehle..

let's meet up in thirty...!!!!

KHANAK-cool...


din ki shuruat ka plan set kar jahan ek taraf ANJALI bathroom me ghus chuki thi wahin dusri taraf RASHI aur KHANAK bhi apne room me fresh hone jaa chuke the is baat se anjaan ki aaj ke un sabke din ki planning pehle hi set kar DEEPESH resort se checkout bhi kar chuka tha..



AFTER 30 MINUTES:-



CATCH IT....!!!!


badi tezi se feka tha FRIZBIE ko EKPREET ne SAM ki taraf jisse khudko pura strech karte hue catch kiya usne...

sabhi ladke excluding SANVY is waqt pool me hi the aur FRIZBIE grab game ka maza utha rahe the..


ANJALI-tum sab yahan ho toh hume kyun nahi bulaya...???


baaki teeno girls ke saath pool par pahunchi ANJALI ne apne kamar par haath rakh sabko ghusse se ghurte hue ye baat kahi thi..


SAM-arre babes abhi 10 minute hi hue honge hum sabko pool me aaye hun..

aur after waking up, aaya tha mai tumhare room..knock kiya but naa tumne response diya aur naahi NAISHA ne..

RAJAT-same goes for KHANAK and RASHI..tum dono ko bhi bohot awaaz di humne,par you didn't open..

par hum samajh gaye the ki kal din bhar ki activities ke baad aur late night sone ki wajah se kaafi thake hoge tum chaaron isiliye zyada try nahi kiya humne..

kaafi time game zone me the hum aur phir idhar aa gaye...

RASHI-guyz,kya uthne ke baad tum sab ke bhi sir me pain tha...

NITS-nahi toh,kyun...???

ANJALI-arre in sabko aadat hai..

late night parties karne ke baad bhi morning drill ke liye jaldi uth jaate hain..

isiliye uthne sone ke schedule bigadne ka bhi asar nahi hota in sabko...

SAM-par ye sawal hi kyun..???kya tum sabka sir pain ho raha hai..!!!

ANJALI-haan, thoda bohot..uthne ke baad bohot zyada tha but abhi thoda kam hai...

KHANAK-isiliye toh pool aaye hain taaki baaki dizziness bhi khatm hi jaaye...

EKPREET-then what are you all waiting for..jump sweethearts....


EKPREET ki baat par halka haste hue chaaron girls turant pool me kood gaye..

kal ki wajah se aaj KHANAK ka bhi paani me jaane se man nahi ghabraya tha..


SAM-so,hum sab bande deep jaate hain, tum chaaron shallow parts me hi thoda gap banakar khade ho jaao...

let's catch some frizbie.....

ye bol SAM aur uske saath sabhi bande swim karte hue pool ke deep part me chale gaye jiske baad..


SAM-ready..

KHANAK-wait..ye SANVY kahan hai...!!!

NITS-arre woh ledra so raha hai..

KHANAK-abhi tak...

SONU-hhaan..wwoh gghar mme aunty ddaily jjaldi uttha ddeti hhai nna usko isiliye abbhi mmouka mmila hhai ssone kka ttoh pura kkumbkaran bban ggaya hhai wwoh..

RASHI-arre aise kaise..!!?chalo uthaate hain usse...

NITS-soch bhi mat..maine ki thi zabardasti usse uthane ki koshish toh kamine ne bhayanak zor ki laath maari..

galti se tujhe bhi maar diya toh abhi khatm ho jaana hai holiday tera...

sone de usse,thodi der baad khud hi uth ke aa jaayega woh...

ANJALI-arre uski zaroorat hi kyun hai..!!let him be..

KHANAK-kyun,aaj thanks nahi bolna kya tujhe usse..


KHANAK ki baat par ANJALI ne koi reaction hi nahi diya jisse dekh..


RASHI-kal raat se 10 baar puch chuke hain hum ki kyun bola tha thanks tune SANVY ko par madam har baar bas expression less face banakar khadi ho jaati hain..

NAISHA-hahahaha.. isiliye hi thanks bola tha isne..

KHANAK-matlab...!!

NAISHA-taaki tum sabka dimaag ghume aur us thanks ka reason joki kuch tha hi nahi,jaanane ke liye irritate hote raho sab..

RASHI-kitni kamini hai tu ANJALI..


muskura diya RASHI ke is irritated tone me kahi baat ko sun ANJALI ne..


SAM-catch it...


SAM ki is achanak aayi us tez awaaz ne chaaron girls ka dhyan apni taraf ya phir ye kahun ki frizbie grab game ki taraf wapas laa diya tha..

KHANAK ki taraf feka tha SAM ne frizbie jisse catch karne ke chakkar me..

CHAPPAKKKK..

pura paani me doob hi gayi woh jiske baad turant paani se nikal lambi lambi saans lete hue idhar udhar dekhne lagi KHANAK...

frizbie NAISHA ne pakad liya tha aur is waqt teeno hi girls KHANAK ko jiska pura face uske baaalon se dhak sa gaya tha,usse dekh has rahe the..

anyways,ek taraf KHANAK ne khudko durust kiya aur dusri taraf NAISHA ne frizbie RAJAT ke taraf fekh diya jisse unlike KHANAK,kaafi ache se catch kar liya tha RAJAT ne...

RAJAT ne paas on kiya frizbie RASHI ko aur RASHI ne bhi catch na pakad paani se frizbie collect kar usse pheka EKPREET ki taraf..

is tarah se in sabka ye game shuru toh ho gaya par jab kuch der baad bhi girls ek baar frizbie ko catch nahi kar paaye toh woh irritated ho gaye..

aur woh irritation aur badha boys ke unpar hasne aur mazak udaane se..

yahi wajah thi ki jab agli baar NITS ne frizbie ANJALI ki taraf feki aur woh ek baar phirse usse catch karne me unsuccessful rahi toh jhunjhlate hue usne us frizbie ko boys ki taraf fekne ki jagah pool ke bahar hi ucchal diya..

ye dekh boys kuch kehte par tabhi....


DEKH RAHE HO BASANT BABU AMEERO KE THAATH...KITNE HI KAAND KAR LO AUR KHULE SAAND KI TARAH MAST RAHO...


hawa me tairti hui si us frizbie ko catch kar pool ke taraf hi aata hua ek middle age banda,jiske saaf rang ke ausat chehre par zamane bhar ka ghaagh dikh raha tha aur jisne abhi pehni thi ek half sleeve polo aur grey trousers,kahi thi ye baat apne saath chalte constable se jispar woh constable jiska naam BASANT bola tha us bande ne,woh aur uske piche chal rahe aur chaar constables has pade the...

wahin apni taraf aate hue us aadmi aur police ki choti si tukdi ko dekh SAM and party bhi pool stair ki taraf badh chuke the..

itna toh woh sab bhi samajh chuke the ki un constable ke saath aane waala aadmi bhi police officer hi hai...


UNKNOWN-aayiye aaiye desh ki yuva pidhi,khade ho jaaiye line se mere saamne...

mai bhi toh dekhun ki rahisi ki chamdi ke andar ka ganda khoon paas se kaisa dikhta hai...

SAM-tamiz se baat kijiye SIR...aur bina permission mere resort me ghuse kaise aap sab...???


us aadmi ki baat sun bhadak utha tha SAM..SAM hi kya,sabhi boys aur girls ghusse se ghoor rahe the us aadmi ko jispar halka sa hasa woh aur...


UNKNOWN-mera resort...!!!hmm, matlab tu hai SMRITI CHANDER ka lounda,hain...!!!

SAM-dobara bol raha hun sir,tameez se baat kijiye...

inke saath hain aap matlab police officer hi hain..

par sirf ek phone lagega mujhe aapki is vardi ko utarwane me...

INSPECTOR-beta tamiz ka sahi matlab batata hun tujhe thodi der me...

aur ladke,vardi utarwane ki dhamki mujhe mat de tu..

INSPECTOR RAJESH MISHRA... naam yaad rakhiyo mera..

(INFO:-RAJESH MISHRA.INSPECTOR FROM THE PROLOUGLE UPDATE...ISSI NE SANVY KO JUVILINE ME KAID KARKE MAARA THA...EK NUMBER KA GHAAGH, RISHWATKHOR, HARAMKHOR BUT MOST IMPORTANTLY, EGOISTIC BANDA..APNE AAGE KISIKO KUCH NAHI SAMAJHTA YE... APNI VARDI KA GAIR KAANUNI FAAYDA UTHANA SHOUK HAI ISKA..6 MAHINE PEHLE HI YAHAN DEHRADUN TRANSFER HUA HAI ISKA...JAISA KI AKSAR HOTA HAI,HAR BADI ORGANIZATION SE HAFTA AATA HAI ISKE POLICE STATION SIWAY SMRITI CHANDER KE AUR UNKE HIGH INFLUENCE KE KAARAN RAJESH KUCH KAR BHI NAHI PAA RAHA HAI..YEH BHI EK REASON HAI ISKE YAHAN HONE KA AUR SAM SE ROUGHLY BAAT KARNE KA)


BACK TO THE SCENE:-



RAJESH-ache achon ki akad nikaal di hai maine,par mujhe naa nikaal paaya koi..

aur tu toh abhi thik tarah ande se bhi nahi nikla..par ab theek se niklega bhi nahi..

anda fodne jo aa gaya hun mai..jao re,check karo pura RESORT...

dhundo un loundo ko..floor manager ko pakdo aur khulwao rooms..

BASANT mere saath chal...gawah toh woh chaaron dhund hi lenge,hum jadh dhund lete hain...


EXCUSE ME...KYA HO RAHA HAI YAHAN PAR...???HEY OFFICER,KYA INVESTIGATE KAR RAHE HAIN AAP YAHAN AND MORE IMPORTANTLY,KIS BINAAH PAR..

KOI PERMISSION,SEARCH WARRENT HAI AAPKE PAAS...!!!

ye resort ka manager tha jo police ke aane ki khabar sun turant aaya tha yahan..

upar se chal rahe scene ki wajah se kaafi guest bhi jama ho chuke the yahan jo resort ke reputation ke liye bilkul bhi sahi nahi tha...

yahi wajah thi ki manager ke tone me frustration ke saath narazgi bhi thi jo mehsoos kar ghoora usse RAJESH ne aur..


RAJESH-tu kaun hai be...???

MANAGER-tamiz se baat karo officer.. manager hun mai is resort ka..

aur jaante bhi ho ye resort kiska hai...!!!! SMRITI CHANDER ka...wapas thaane pahunchne se pehle wardi utar jaayegi tumhari..

RAJESH-woh tab hoga jab yahan se khaali haath loutunga mai jo hoga nahi..

drug raid me aaya hun mai idhar aur ek baar drugs baramad ho jaayen,saath hi saath victims ki shinakth aur unki return complaint darj jo jaaye,toh thaane pahunchne ke baad meri wardi toh nahi niklegi par teri us owner SMRITI CHANDER ki izzat zaroor utar jaayegi...


SAM-mind your language INSPECTOR....


apni mom ka naam yun disrespectfully sun kaafi bhadak gaya tha SAM aur isiliye aage badh RAJESH ka collar pakadne ko hua woh par tabhi beech me uske haathon ko pakad liya RAJESH ne aur..


RAJESH-bohot garmi hai kyun...!!! evidence aur gawah mil jaayen,teri saari garmi nikal dunga..

kahan thehre ho tum sab...!!!

SAM-cottage me...start se paanch hamare hain..

chal re...


us BASANT constable ko liye apne saath COTTAGE area ki taraf chal pada RAJESH...

SAM and group, resort ka manager,sabhi uske piche ho liye the...

2nd cottage joki SANVY aur RAJAT ka tha,usme woh BASANT ghussa aur first joki SAM aur EKPREET ka tha,usme gaya RAJESH...


ANJALI-what the hell is happening here...???drugs aur humare paas...!!!!

KHANAK-yaar mom dad ko pata chala toh pata nahi kya hoga...!!!

SAM-chill babes..kuch nahi hoga.. what the hell..!!ye kyun call kar raha hai mujhe...???


KHANAK ko reply kiya hi tha SAM ne ki tabhi uska mobile jisse usne swim wear me hone ke kaaran haathon me pakda hua tha, vibrate hone laga..

par screen me jo naam flash ho raha tha,usse dekh chownka tha SAM..

reason...

ROHAN...

ROHAN ka call tha ye jo thodi der baad disconnect ho gaya par aisa hote hi phirse chownka tha SAM...

aur woh isiliye kyunki kul 10 missed call the uske phone me aur saare ROHAN ke hi the..

is baare me soch hi raha tha SAM ki tabhi mobile par phirse ROHAN ka call aane laga...


SAM-why the hell are you calling me ROHAN...


phone uthathe hi mudde ki baat ki SAM ne jispar..


ROHAN-SAM,dhyan se sun...police ki raid padne waali hai tere resort me...someone has implanted drugs there...

SAM-tujhe kaise maalum ROHAN...!!!are you..

ROHAN-trust me,mera koi lena dena nahi hai in sabme..

aur baaki baaton ka bhi time nahi hai abhi..police waalon ke aane se pehle yaa toh drugs dhund lo yaa phir nikal jaao resort se..

atleast tum sab safe ho jaaoge...

SAM-too late for that...!! police aa chuki hai...

ROHAN-what...!!!!SAM...


CALL DISCONNECTED....


aage suna nahi kuch SAM ne aur call kaat diya...

REASON..

ROHAN se baat karte hue bhi SAM sabke saath us RAJESH ke piche hi chal raha tha jo abhi ussike stay kiye cottage me ghussa tha...

aur specifically is waqt master bedroom me bane lambe chowde WARDROBE ke aakhri khaanche ko khol usme rakha ek kaala average size bag joki SAM ya EKPREET, dono ka hi nahi tha,usse nikaal khol chuka tha woh...


RAJESH-well,well,well....dekho kya mila hume...jannat bhejne ka samaan...

ECSTASY,FLAKKA,BATHSALTS...

youngsters ke beech sabse zyada use hone waale drugs... interesting...

bag aadhe se zyada bhara hua tha jiske upari bhaag ko checkout karte hue kahi ye baat us RAJESH ne jiske baad pura bag hi palath diya usne..

injections,syringe,snort holders...woh saare equipments jinse woh nashili chizen consume ki jaati thi,sab mixed up the us bag me lekin aakhein chamki RAJESH ki bag se nikle aakhri chiz ko dekh...

RAJESH-ohho.. toh real deal yahan hai...

HEROIN....nice...

HEROIN ki choti choti 2,3 pudiyon ko haath me liye SAM aur uske doston ko dekh kahi ye baat usne jisse dekh aur apna anjaam soch girls toh dar ke maare kaampne hi lagi thi...


RAJESH-kyun be...ab nahi chal rahi zaban teri...saale,meri vardi utarwayega tu...

tu dekh beta ab..tere aur tere in doston ka kya haal karta hun mai..

izzat aur chamdi, dono utaarunga tum sabki mai..

SIR,D WING,ROOM NUMBER 124 ME CHAAR LADKE BEHOSH MILE HAIN...

UNKE BEDS PAR SYRINGES AUR TABLE PAR DRUGS, CAPSULES KE ATIMANSH PADE HAIN...

RAJESH-matlab mili hui puri information sahi thi...

behenchodon,jawan loundon ko zabardasti laate ho yahan aur unhe drugs ka aadi banate ho...

itna hi hai ki brothel bhi khola hua hai idhar...randi baazi bhi karaate ho kya...!!

waise sample toh saamne hi hai...maanana padega,drugs ki tarah maal bhi tanatan rakhte ho...


girls jo pool se sidhe idhar hi aayi thi aur isiliye is waqt swimming costumes me hi thi, unhe upar se neeche tak ghurte hue kahi thi ye baat RAJESH ne jispar jahan ek taraf sabhi constables has diye,dusri taraf chaaron girls ki aankhein sharm aur ghrina se bhar neechi ho gayi wahin teesri taraf ab tak jo patience boys dikha rahe the,us sabr ka baandh toot gaya aur..


EKPREET-bhosdike.. apni behen se karwana dhandha...pehle customer hum hi honge...


ye bol tezi se aage badha EKPREET jispar badi tezi se harkat me aaya RAJESH aur apni jeans ki pichli taraf chuppa kar rakhe 9mm semi automatic service pistol ko turant nikaal EKPREET ke sir par tika diya usne..

pistol yun EKPREET ke sir par dekh kaafi dar gaye the baaki sabhi..

ghabraya toh thoda EKPREET bhi tha par RAJESH ne jo baatein kahi thi,unse chaddha ghussa thoda bhaari tha us dar par isiliye piche nahi hua woh aur ye dekh..


RAJESH-lounde garmi control me rakh warna yahin thok dunga tujhe..

RASHI-please step back EKPREET...or else he will shoot you...

dari sehmi RASHI ne EKPREET se piche hatne ki request ki jispar woh yaa koi aur kuch kehta ki tabhi...


RELAX RASHI...KUCH NAHI HOGA....


mai tha ye jiski awaaz bhar sun RASHI ka dar kam ho chuka tha..

wahin apni baat bol aage badha mai aur...




pehle se gili zameene aur paani ko itni asaani se SOKHTE NAHI...

aandhi chalti hai jab toh raaste se hath jaate hai log,tufaan ko aane se ROKTE NAHI...

bandhuk haath me hai par chalegi nahi goli tujhse kyunki,

jo THOKNE ka madda rakhte hain,woh itna BHONKTE NAHI...











AAJ KE LIYE ITNA HI.....











AAPKA APNA V...J...
Mind blowing bro maza aa gaya
 

Rajesh

Well-Known Member
3,464
7,926
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF POLICE KO SAM KE COTTAGE ME DRUGS MILTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF INSPECTOR RAJESH EKPREET PAR PISTOL TAAN DETA HAI PAR TABHI SANVY WAHAN PAHUNCH JAATA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-21

FINAL PART


THE MAX FUN RESORT...
(A CHANDER'S PARADISE)





pehle se gili zameene aur paani ko itni asaani se SOKHTE NAHI...

aandhi chalti hai jab toh raaste se hath jaate hai log,tufaan ko aane se ROKTE NAHI...

bandhuk haath me hai par chalegi nahi goli tujhse kyunki,

jo THOKNE ka madda rakhte hain,woh itna BHONKTE NAHI...



us RAJESH ko lagatar ghur in lines ko bolte hue mai uski taraf badh chuka tha...

par mai akela nahi tha... mere saath RESORT ke kuch security guards bhi the..

hatte katte mushtande the woh sab ke sab jinhe mai hi kisi kaam se lekar gaya hua tha...

anyways,us RAJESH ki taraf badhne ke beech jab meri nazar sabhi girls ke faces par padi jo is waqt unke aansuon se bhari hui toh pehle se hi laal hui padi meri aankhon me jaise ek khoon utar aaya tha..

us RAJESH ki woh aakhri baat jo usne girls ke liye kahi thi,woh suni thi maine...

wahin dusri taraf mera yun aana,phir meri boli hui baat aur ab uski taraf badhne par bhi pehle toh normal hi raha woh RAJESH lekin jab meri aankhon ki laali dekhi usne toh ek pal ke liye ghabra gaya tha woh..

corrupted zaroor tha woh par saath hi saath ek experienced police officer bhi tha..

is waqt mere face ki intensity se andaza laga liya tha usne ki ye banda tedha hai..

isiliye us ghabrahat ke beech bhi turant khudko normal kar kuch kehne ko hua woh par tabhi..

us tak pahunch chuka tha mai aur agle hi pal uske us haath ko jisse usne gun pakdi hui thi,usse EKPREET ke sir se hata apne maathe ke beecho beech rakh diya maine aur ye dekh mere dost toh dare hi par us RAJESH ka toh dimag hi ghum gaya..

kuch samajh hi nahi paaya tha woh par tabhi..


MAI-kya hua...thokne waala tha naa tu... ye naa sahi,mera bheja toh tere bandhook ki nali ke saamne hai...

ek baap ki aulad hai toh daba trigger...daba na madarchod...


DHADDH.....


aakhri baat chillakar boli thi maine jiske baad padi meri laath us RAJESH ke chest par..

tezi se piche ki taraf jaakar gira woh aur ye dekh saare constables lapakne ko hue meri taraf par mere saath aaye guards ne un sabka raasta rok liya tha...


MAI-kya bola tu is jagah ko..randi khaana...

DHAKKK.. CHATAKKHHHH....DHAKKK...

MAI-randi khaana woh hota hai jahan tujh jaise dalle paida hote hain behenchod...

DHABBBB....


mere usse laath maarne ke turant baad khada ho mujhe hit karne aage badha tha RAJESH jispar uske right hand ko block kar maare the do tamache maine usse..

ussi beech kahi thi maine apni baat jiske baad ek baar phir mujh par jhapta tha woh par tabhi uske haath ko lock kar apne kandhon ke pressure se utha uski hi movement se create hue power ko use kar aage ki taraf patak diya tha maine usse...

wooden floor tha cottage ka jispar yun pressure se girne ki wajah se pura back chatak sa gaya tha us RAJESH ka..

par in sabke beech mere sabhi dost hairan bhi hue,dare bhi aur saath hi saath itne der se jo frustration aur ghussa un sabke andar panap raha tha,usse sukoon bhi mila...

hairan isiliye hue woh sab kyunki height.size aur taakat,in dono maamlo me kahin aage tha mujhse woh officer par jin techniques se maara tha maine usse, aisa laga unhe ki ek trained martial artist apna gur dikha raha hai..

dare isiliye kyunki chaahe jaisa bhi ho,par tha toh RAJESH MISHRA ek police officer woh bhi INSPECTOR..

par bina us point par dhyan diye suth diya tha maine usse...


SONU-yye ssaala ppagal hhi hhai ppura...

RAJAT-haan yaar...sanka toh aage piche kuch nahi dekhta ye...

NITS-GALALTH ke saath GALATH karne se sahi kuch nahi hota..par maanana padega..85 kg ke upar hoga ye RAJESH par kitne araam se thobi pacchad de diya lounde ne...

SAM- technique perfect ho toh saamne waala kitna hi taakatwar kyun naa ho,zamin par aa hi jaata hai...


ek taraf ye saari baatein kar rahe the mere dost aur dusri taraf dhobi pacchad khaane par girne ke kuch der baad khud ko sambhal khade hote hue...


RAJESH-ek on duty police officer par haath uthaya hai tune...teri jo haalath karunga mai,soch bhi nahi sakta tu...


ek patla dubla ladka tha mai par jis speed aur technique ke saath ab tak maara tha maine usse,ye dekh man hi man hairan ho chuka tha RAJESH..

wahin lambi lambi saanson ke beech uski kahi baat ko sun...


MAI-on duty officer..matlab kaanoon,law ki baat kar raha hai tu.....

wahi law jiske NDPCS act ki adhiniyam ke tahat, yadi kisi bande ke paas se nasheele ya manodaihik chizon ki baraamadagi ke baare mein pehle se news mili ho, to aise bande ko giraftar karane ya even talaashi lene ya zabt karane ki power police officer ke paas hoti hi nahin hai..

sirf metropolitan magistrate,first class magistrate ya in dono ke absence me special cases ke liye rakhe gaye second class magistrate ko hi us bande ke khilaaf talaashi aur giraftaari ke warrent jaari karne ka hakh hota hai jispar drug consuming aur distribution crime ka aarop ho..

par kya aisa hua hai idhar...

antways,ye toh hua pehla clause..ab agar baat karen second and the most important clause ki toh...

jab bhi pre info ke base par raid ki jaati hai, to NDPS act ke code 41 (2) aur 42 (1) ke according written right holding officer ya charged special officer ke alaava koi aur officer ke through talashi, zabti ya giraftari investigation ko nuksaan pahuncha sakti hai..

agar bataye gaye kisi bhi rule ka paalan authority ne nahi kiya toh iska faayda jispar ilzaam lagaya jaa raha hoga,usse milega...

am i right or am i right officer...


pure rules aksharaksh sahi bole the maine jisse sun aankh aur gaand dono hi khul gaye the us RAJESH ke..

ek school going ladka tha mai..mai hi kya,yahan moujud har woh shakhs jispe drugs supplier ka ilzaam lagaya tha RAJESH ne,woh sab students the..

isiliye hi toh bina khaas taiyari ke aaya tha woh... usse laga tha ki normal school going bacchon ko handle karna kaun si badi baat hogi..

jab tak humari taraf se retaliation hoga,joki obviously hamare parents ke through hi ho payega,tab tak toh drugs aur woh chaar bande jo uske gawah the,unke dum par media me baat faila dega woh jisse usse ek strong backup mil jaayega...

aakhir public support se bada koi support jo nahi hota..

khair,kuch seconds lage usse meri baaton ke sach ko hazam karne me jiske baad..


RAJESH-last aaya na tu yahan crime scene par.. situation dekh google kiya hoga tune niyam jaanane ke liye..

par koi faayda nahi beta...bhale hi warrent nahi hai mere paas lekin drugs toh baramad hue hi hain yahan se aur drug effected bande bhi issi resort me moujud hain..

itna kaafi hai tum sabko lamba lapetne ke liye..

MAI-dimag me gobar bhara hai kya tere...!!! drugs, effected bande,inme se kisi bhi chiz par tera comment tabhi maayne rakhta jab ye sab achanak hi tere saamne aaye hote..

par tu planning ke saath yahan aaya tha jo tujhe kisi bhi tarah ke action ke liye unauthorized bana deti hai..

phir bhi,itni mehnet ki hai tune...apna pichwada sujaate hue itni door aaya hai tu toh aise hi toh naa jaane denge tujhe..

de bhi dete par jo bakwas tune hamari friend's ke liye ki,uske baad toh saste me naa chhutega tu..

RAJESH-acha..aur kya karega tu...!!!waise bhi mujhpar,on duty officer par haath uthakar pehle hi apni kabr khod li hai tune...

MAI-on duty officer..ye shabd zyada der tak sajega nahi tere mooh par..

par woh baad me.. filhal jo scene chal raha hai,usse clear kar lete hain...

le aao bhai,patko idhar dono chutiyon ko...

DHABBBB...DHABBBB..

meri baat khatm hui hi thi ki guards ne do logon ko hamare beech patak diya jinhe dekh aakhein badi ho gayi thi girls ki par unse zyada fati RAJESH ki..

REASON..

NAMITH aur DEEPESH....

ye dono hi gire pade the hamare beech...mooh maar khaa khaakar suja hua tha dono ka..sense toh pura tha dono ko par situation dekh dimag sunn hi padh gaya tha unka..


MAI-jaanta hai naa dono ko...

RAJESH-nnnahi toh...aur police ke saamne kisi innocent ko aisi halaath me daal saamne rakhna, it's a big crime...


hadbada gaya tha DEEPESH aur khaaskar NAMITH ko dekh RAJESH...

kyunki apne bade bhai ke through jiska connection tha RAJESH se,usse mil, usse acha khaasa paisa khila is kaand ke liye raazi kiya tha usne...

jaanta tha mai ye baat par filhal is connection ko saabit karne ka na logic tha,naa matlab isiliye...


MAI-innocent aur ye dono...ye pura kaand in dono ne hi toh racha hai...

RAJESH-bakwas mat kar ladke.. khudko aur apne doston ko bachane ke liye innocent bacchon ko fasa raha hai tu..

drugs is room se mila hai aur in dono ko tumhare log laaye hain yahan...

inka is drugs aur case se koi lena dena nahi hai...inhe toh pata bhi nahi hoga ki kyun laaya gaya hai inhe yahan..

NAMITH-jee sir...aapne bilkul theek kaha...mai toh apne friend's ke saath apni colony ke ground me tha ki tabhi ye SANVY in logon ke saath aaya wahan aur mujhe maarte hue yahan lekar aa gaya..

DEEPESH-mere saath bhi yahi hua SIR..mai toh morning yahan se checkout karke jaa raha tha ki tabhi ye NITS aur SONU ne mujhe parking ke paas gher liya..

bohot maara in dono ne mujhe aur yahan ke guards ke through mujhe pakadwa kisi room me lock kar diya aur ab yahan laakar patak diya..

we are completely innocent sir..


us RAJESH ki baat sun ek opening window dikha tha NAMITH aur DEEPESH ko jiska faayda uthathe hue apni apni dalile di dono ne jispar...


MAI-suje hue mooh ke saath wakayi sharif lagte ho be dono...

tum dono ki hi tarah kuch aur sharif log bhi hai idhar..miloge..!!!

DHABBBB...DHABBBB...DHABBBB...DHABBBBB...


SAM ke ishare par ek ke baad ek chaar ladke jinke haath pair bandhe hue the,unhe feka gaya NAMITH aur DEEPESH ke paas jinhe dekh ek baar phirse aankhein badi ho gayi un dono ki...

wahin un chaaron ka sir jhuka hua tha....


NITS-ab inhe toh pehchaante hi hoge naa be...classmates hain tum dono ke..

wahi chaar log jinhe hamare khilaaf forced toxicology ka gawah banana chahte the tum dono..

BASANT-ye jhooth hai...woh chaaron alag hain aur abhi bhi behosh pade hain...


head constable BASANT tapaak se bola beech me jispar muskuraya mai aur..


MAI-aapko kaise pata constable sir..!!!gawahon ke shinaakth ke liye toh baaki constables gaye the...

aap toh cottages checkout kar rahe the...

BASANT-woh,woh mai..


hadbada gaya tha BASANT...


MAI-itni jaldi mat hadbadayiye... bohot mouke aane waale hain abhi..

RAJAT-shuruat turant kar dete hain...

aa jaao guys...


thoda zor se bola RAJAT ne jiske baad cottage me enter hue 4 ladke jinhe dekh ab baari thi sabhi constables ke aankhein faadne ki..

kyunki ye wahi chaar ladke the jo unhe room 124 me behosh mile the..


SONU-hhairan hho ggaye nna...yye ccharron kkoi ggawah nnahi balki hhamare classmates hhain jjinhe hummne SSAMRAT kke ccharron lladko kko ppakadne kke bbaad unkke eqqiuped rroom mme rrakhwwa ddiya ttha...

auur wwoh ssaare drugs jjo yye bbas hhalka sa lle oout hhone waale the,hhumne llene nnahi ddiya innhe wwoh...

cclean hhain yye ssab abbhi....

aur yye ccharon bbehosh nnahi tthe,bbas bbehosh hhone kka nnatak kkar rrahe tthe...

ggreat jjob gguyzz...ppolice wwaale bbhi guess nnahi kkar ppaaye ttumhari accting.. bbrilliant..


jahan SONU ki baat par woh chaaron bas muskura bhar diye wahin SONU ne jo kaha,usse sun...


MAI-woh isiliye kyunki ye sab corrupted hain, imaandar hote toh chalti naa budhi inki..

upar se hum sab thehre school going students isiliye overconfidence tha inhe ki araam se lapet lenge hum sabko..

RAJESH-zabaan bohot chalti hi teri ladke par faayda ab bhi zyada nahi hai tum sabko..

haan,ye ho sakta hai ki ye gawah negetive hon par drugs se bhara ek pura bag issi kamre se mila hai jo is ladke ko aur agar tum sab iske saath ho toh tum sabko bhi guilty banata hai...

HAHAHAHAHA...


us RAJESH ki baat par hasne lage the hum sabhi boys jispar hairani se dekhne laga woh hume jispar...


SAM-hairan mat ho..yahin hain hum..sab samajha denge tujhe woh bhi proof ke saath...

le aao...dikhao inspector sahab ko picture...


un do attendents me se ek ko jisse hamare liye hi rakha gaya tha, kahi ye baat SAM ne jiske baad ek laptop liye aaya woh aur hum sabke aage bed par rakh diya usse..

laptop open hi tha jisme kisi video ko paused mode me rakha hua tha par bed par rakhte hi video play kar diya usne jiske baad jo scene chala,usne us RAJESH aur uske constables ko toh hairan kiya hi,par sabse zyada hairan aur dar paida hua tha DEEPESH ke chehre aur man me...

REASON..

is waqt laptop me kal shaam ki hi video chal rahi thi jisme saaf dikh raha tha DEEPESH...

haathon me uske wahi bag tha jisme drugs thi jisse usne last wardrobe ke khaanche me rakh diya tha...

aur bag wardrobe me rakh room se nikal gaya tha woh...

video clear tha isiliye shak ki koi gunjaaiyish nahi thi..

drugs hamara nahi us DEEPESH ka hi tha,ye proof kar diya tha humne par in sabme bhi man hi man loophole talash kar raha woh RAJESH jisse ek halka sa window mil bhi gaya jisse woh bolne ko hua par tabhi...


MAI-yahi bolna hai naa ki zaroori toh nahi,agar bag DEEPESH ne rakha ho toh hume fasane ka plan bhi ussine banaya ho...

hum bhi toh usse fasaane ke liye bag usse yahan rakhwa sakte hain aur isiliye hi video bhi banayi humne...


mere tark ko joki wakayi woh dene waala tha,sun chup reh gaya RAJESH..

is beech apni baat bolte hue haath SONU ki taraf kiya usne jispar ek mobile joki DEEPESH ka tha aur jiska pehle hi password break kar chuka tha woh,meri taraf badha diya usne..

last whatsapp message joki NAMITH ko is morning yahan se checkout karte waqt type kiya tha usne par situation under control aur normal feel kar us text ko delete nahi kiya tha usne,usse khol us RAJESH ke mooh ke saamne kar diya maine jisse padh aise dekha RAJESH ne DEEPESH ko jaise mind teleporting communication ke zariye usse chutiya bol raha ho...


HOW......!!???


itni der se chupchap ye sab dekh aur lagatar hairan ho rahe NAMITH ne aakhirkaar ek shabd ka woh sawal puch hi liya jo uske sabhi sawalon ka kendra bindu tha..

mujhse hi pucha tha ye sawal NAMITH ne jispar usse dekh halka sa muskuraya mai aur...


MAI-andar aa jaa bhai....


mere yun awaaz dene ke kuch seconds baad cottage me enter hua KALPESH...wahi FUSION SHOP waala...

aur usse yahan dekh aankhein badi ho gayi NAMITH aur DEEPESH ki jiske baad..


NAMITH-KALPESH,tu....tune bataya in sabko...


ghusse se bhar kahi thi ye baat NAMITH ne jispar..


NITS-arre nahi bhai..bohot imaandar dost hai tumhara..isne nahi bataya hume kuch..

par haan,tum sabke plan ke baare me pata hume tum dono se hi chal gaya tha...


NITS ki baat palle nahi padi thi NAMITH ke isiliye aakhon me sawal liye woh hum sabko hi ghoor raha tha jispar...




A SMALL FLASHBACK:-




BHAI KUCH SAMAJH ME AAYE,AISA BOL...


DEEPESH ki baat par muskuraya NAMITH aur...


NAMITH-plan simple hai par super effective bhi...par pehle ye bata ki us pedler ka stock ab bhi apne paas rakhta hai tera bhai ki nahi...!!!

KALPESH-abbe us akele ka hi nahi,2,3 aur pedlers ka bhi stock rakhta hai woh...

un sabke trusted circle me aata hai mera bhai aur sabse zyada grahak bhi ussike contact se bane hain un sabke....

parso bahar jaane se pehle apne room bulaya tha usne mujhe...

mujhse toh kuch chhupata nahi hai woh..2 bag pade the udhar jinhe bed ke neeche rakh mujhe dhyan dene ka bol nikla woh..

NAMITH-kahan hai tera bhai...???

KALPESH-masoori gaya hai apni bandi ke saath..

NAMITH-wapsi...

KAPESH-exact toh nahi bataya usne par monday se pehle nahi aayega woh...

NAMITH-phir toh tention hi nahi hai koi..sun, uske room se drugs ka ek bag mujhe nikal ke dega tu..

PRINCE me banda hai apna ek..DEEPESH...ye SANVEER,SAM aur uske dost nahi jaante usse..

in sab SIRIUS waalon ke jaane se pehle hi usse us bag ke saath bhejunga mai RESORT jahan in sabka wait karega woh..

aur un sabke wahan aate hi mouka dekh unme se kisi bhi ek room me rakh dega woh us bag ko..

bag plant karne ke agle hi din padegi SAMEER CHANDER ke resort me police ki raid...

drugs toh unhe mil hi jaayegi par SIRIUS waalon par case strong karne ke liye kuch aur bhi hoga wahan..

in SIRIUS waalon ke resort pahunchne waale din hi apne chaar aur bande bhi bhejunga mai wahan jo drug implantation waali raat khud bhi drug le out ho jaayenge...

aur jab raid padegi toh drugs ke saath apne bande bhi nashe me dhut milenge wahan jo hosh me aate hi ye gawahi denge ki SAM aur uske sabhi doston ne unhe jhaanse me lekar resort bulwaya tha aur drugs lene ke liye force kiya...

aur jab woh nahi maane toh un sabne zabardasti unhe snorts aur injections de diya...

bas,is statement ki der hai jiske baad us SAM, SANVY aur uske sabhi doston ki life barbaad ho jaani hai...

KALPESH-baaki sab toh theek hai par un drugs ka kya...???agar police ke haathon chaddha drugs toh wapas milne se raha..

aur bhai, laakhon ka maal hai woh...woh pedlers bhai ko nahi chhodenge aur bhai mujhe nahi bakshega...

NAMITH-abbe relax...kuch nahi hoga waisa...agle hi din wapas mil jaana hai tujhe woh bag...meri guarantee hai..

ab drugs ki chinta chhod aur batao guyz, kaisa laga plan...!!!

KALPESH-maan gaye bhai..kamal ka harami hai tu saale..sab kuch theek se ho gaya toh maza hi aa jaayega..lanka lag jaane waali hai un sabke life ki..



FLASHBACK ENDS:-



SONU-aurr kkoi ssawal...??


SONU ke phone me chal rahi thi ye recording jiske pura hote hi wapas apni jeb me rakh liya usne apna phone...

wahin us recording ko aankh kaan aur baaki sab chhed khol sun rahe the NAMITH aur DEEPESH par samajh unhe ye nahi aa raha tha ki unke plan ko record kiya kaise hum sabne..

unke confused expressions unka ye sawal clear bata raha tha jispar..


MAI-zyada ganit mat laga..batata hun..yaad hai us din FUSION me jab apni shopping kar bathroom gaya tha mai..

SONU ka phone tab mere paas hi tha jisse wapas loutne ke baad usse nahi pakdaya tha maine balki recording on kar chupke se apne hi ek shopping bag ke andar slip in kar diya tha..

tum dono ko ghoor rahe the SONU NITS us waqt jinhe apne saath neeche le gaya tha mai..

baaki sab bags toh pakad liye the maine bas ek bag jisme SONU ka mobile tha,wahin chhod diya tha..

mujhe maalum tha ki hamare jaane ke baad koi na koi khichdi pakaoge tum sab joki pakayi tumne aur woh saari baatein record ho gayi mobile me..

SONU wapas louta apni chhuti bag lene jiske baad usse aur NITS ko tum sabki recording sunayi maine..

in dono ke baad baaki boys ko bhi tumhari planning batayi humne aur phir banaya tumhare plan ke har step par counter plan..

sirf tere hi bande PRINCE me nahi hain NAMITH..hamare bhi hain.

unse tere is dost DEEPESH ki puri details le li thi humne..

PRINCE me padhta hai tu aur woh bhi ussi class ka part hai jisme KHANAK padhti thi pichle saal tak..

EKPREET-aur beta DEEPESH...pool ke paas jo takraya tha mai tujhse,woh achanak nahi hua tha..

plan tha woh hamara tujhe KHANAK ki nazaron me laane ka taaki uske zariye hum tujhe apne kareeb rakh saken..

kal raat ko jo tune sleeping pills milayi thi sabke drinks me,woh sirf girls ne hi pee thi,humne nahi..

hum toh early morning hi uth gaye the taaki police ke aane tak saari plannings set kar saken..

NITS-aur SANVY kuch gurads ko lekar gaya tha NAMITH ko uthane...aakhir main culprit yahi toh hai..

hamari baat ya phir ue kahun ki unki planning par jo counter planning ki thi humne,usse sun dimag ghum chuka tha unka..

DEEPESH ko ab samajh me aa raha tha ki kyun NAMITH ne usse mujhe seriously lene ko kaha tha..

par ab faayda kya tha..lanka toh lag hi chuki thi in dono ki...

khud me khoye hue ye sab soch rahe the woh dono par tabhi cottage me enter hue JIGNESH UNCLE..KALPESH ke father..

jaisa ki bataya tha maine ki unke kaafi ache relations hain meri mom ke saath isiliye KALPESH ko drag karne ke bajaye aaj subah NAMITH ko uthwane se pehle unke paas jaa saara sach saboot ke saath bata diya tha maine..

achi khaasi sutayi ki thi unhone KALPESH ki aur uske saath woh bhi idhar aaye the..

JIGNESH uncle ko dekh aankhein jhuka li thi NAMITH aur DEEPESH ne..

par isse uncle ka un dono ke prati ghrina,ghussa bilkul zara bhi kam nahi hua tha..

bina kuch kahe SAM, EKPREET,RAJAT,NITS aur SONU ke saamne haath jod diye unhone jispar turant aage badh unka haath pakad liya SONU ne aur..


SONU-aappki ggalti nnahi hhai unncle...aapne ttoh bbas appne bbete kko ffreedom hhi di,ppar wwoh us azzadi kka ssahi isstamal nnahi kkar ppaya toh issme aappka kkya kkasoor..

MAI-apne bache ke gunah ke liye ussike umr ke ladkon ke aage haath jodne padh gaye tere dad ko..

tere occhepan aur neechta ki isse badi kya saza mil sakti hai inko..


meri baat sun sir sharmindagi se jhuk gaya tha KALPESH ka par jo usne kiya tha ya phir ye kahun ki karne ki koshish ki thi,uski maafi sirf sharmindagi toh chuka nahi sakti thi...


RAJESH-alright then...tumhara phone tumhe hume handover karna hoga..

recording ki voice authenticity karwani zaroori hai..par abhi ke liye ye tum sab clear ho..

BASANT,daal in sabko jeep me... JUVILINE bhejna padega in sabko..


NAMITH, DEEPESH aur woh chaar lounde jo NAMITH ke bolne par yahan aaye the,unki taraf ishara kar boli ye baat RAJESH ne jispar..


EKPREET-aise kaise chale inspector...ek culprit toh tum bhi ho...

pehle toh bina permission,warrent mooh uthaye chale aaye yahan aur uske upar battamizi ki hum sab aur khaas kar girls se...

pehle toh haath jod maafi maang in sabse warna yahin chhil denge tujhe...


jo jo baatein kahi thi us RAJESH ne,woh naa EKPREET bhula tha aur naa hum..

gurrate hue kahi thi ye baat usne jispar muskura utha RAJESH aur...


RAJESH-beta dhamki apne umar ke loundo ko dena,mujhe nahi...mujhse maafi mangwayega tu..

bhulo mat ki abhi bhi minor catagory me aate ho tum isiliye false investigation jaisi maamuli complaint par mera kuch bigaad nahi paaoge tum sab..

ek warning milegi mujhe aur bas,sab clear...

abhi on duty hun mai isiliye saamne se kuch nahi kar sakte tum sab mera aur agar kiya toh mera kisi bhi tarah se jawab dena completely legal maana jaayega..

aur yahan jo bhi hua,uske binah par bhi kuch nahi kar sakte tum sab kyunki proof nahi hai kuch tumhare paas...

yahan ke staaf ki gawahi zyada maayne rakhegi nahi aur iske alawa aur kya hi dikha sakte ho tum...


jab SONU apne phone ki recording sabko suna raha tha,tab us scene ke beech ek aur scene chal raha tha...

woh INSPECTOR RAJESH us recording ko sunte hue us area ki taraf badh chala tha jahan se DEEPESH ke room me aane aur bag me rakhne ki recording ki gayi thi..

camara abhi bhi laga tha wahan par filhal off tha jisse RAJESH ki anubhavi aankhen turant taad gayi thi..

upar se recording ke dauran NAMITH ki kahi gayi saari baaton me kahin bhi RAJESH ka direct zikr nahi hua tha...

ye ek bada plus point tha uske liye jiska faayda abhi utha raha tha woh...

anyways,uski baat sun EKPREET aur uske saath hum sabhi muskurane lage aur ye dekh RAJESH ki aankhein sochne waale andaz me choti ho gayi..


MAI-zyada mat soch,bas sunta jaa...jis camera ke off hone ke kaaran uchak raha hai tu,woh is room me laga ek maatra camera nahi hai..

NITS...


mere NITS ka naam lete hi haste hue NITS aage badha aur BED me chadh ek point par pahunch apni ungli point ki usne jisse dekh aankhein badi ho gayi RAJESH ki..

ek micro camara us pointed jagah par laga hua tha joki chaalu tha..

aur wahi nahi,us jagah ke baad NITS RAJESH ke paas pahunch uske right taraf ki diwaar ke taraf badh gaya jahan ek aur camara bugged tha jisse dekh dimag hi ghum gaya RAJESH aur uske saath uske sabhi constables ka bhi..

kaafi paas tha woh camara aur jaise khada tha RAJESH,uske according uski har baat ke saath facial expressions bhi saaf dikh rahe the us camara me...


RAJESH-ek baar me batao,recording kahan par ho rahi hai...???


ek dhamki bhari gurrahat thi RAJESH ke sawal me jisse sun hasne lage hum sab aur..


EKPREET-recording..abbe live telecast ho raha hai yahan chal raha har scene...


hadbada aur ghabra gaya tha RAJESH EKPREET ki baat sun jispar..


EKPREET-relax..kisi channel par nahi, sirf ek connection gaya hai in camaras ka jisse dekh bhi sirf ek hi shaksh rahe hain...

SAM-le,khud baat kar le...


EKPREET ki baaton ke dauran ek number dial kar diya tha SAM ne jiske dusri taraf se pick up karte hi mobile speaker par rakh phone aage kar diya tha SAM ne jiske baad...


INSPECTOR RAJESH MISHRA...


pehli baar kisike mooh se apna naam sun gaand fati hogi RAJESH MISHRA ki joki laazmi bhi tha...

police department ke count road,nardev shashtri marg,D.I.G office se khud DIG KEWAL KHURANA ki awaaz thi ye jisse sun pehle toh hadbadaya RAJESH aur phir..


RAJESH-good morning sir..sir mai..

D.I.G-not a word officer..tumhari kahi har baat clearly suni hai maine...

who the hell do you think you are...jaante ho kin bacchon par itne serious allegation laga rahe ho..

SIRIUS SCHOOL ke students hain woh sab joki pure uttarakhand ka sabse reputated institution hai..

aur tum mooh uthaye MRS SMRITI CHANDER ke resort me chale gaye woh bhi bina warrent...

kaise explain karoge apni ye non sensical action ko...!!

RAJESH-sorry sir par aaj morning hi mujhe ye info mili ki yahan resort me drugs aur drug victims hain..

maine socha ki agar warrent ke through gaya toh kaafi time lag jaayega aur evidence, victims,sab clear ho jaayenge..

D.I.G-accha...and how did the plan went out exactly...!!!

ek tricked scene me fasaya gaya tha un bacchon ko..but leave that thing..

baat kaise kar rahe the tum un students se..aur language,kya yahi language apne ghar ki ladies par bhi istamal karte ho tum...!!!

today,you have disgraced the whole department through yours action..


pehle ek student ke haathon sutayi aur phir sabke saamne D.I.G ka yun sunana..andar se toh bohot sulag raha tha RAJESH par filhal kar kuch kar sakta tha nahi woh isiliye...


RAJESH-sorry sir..it wont happen again..

D.I.G-woh pata hai mujhe..law ko apni property samajh jitna karna tha,kar chuke tum..

lekin ab tumhare saath sab by law hi hoga..

but first things first...maafi maango sabhi bachon se...


D.I.G ki baat sun hum sabko dekh sir halka neeche kar..


RAJESH-sorry...for everything..

ANJALI-sorry my foot...mother fucker son of a bitch...


dheere par ek gurrahat ke saath di thi ye gaali ANJALI ne jo RAJESH ke kaano me padh chuki thi par react toh kar sakta tha nahi, isiliye shaant hi raha woh..

par ANJALI ki baat ya phir ye kahun ki uski gaali sun halka halka has diye the hum sab jisne us RAJESH ke dil ko aur jalaane ka kaam kiya tha...

anyways,RAJESH ke apology ke baad...


D.I.G-constables..jitne bhi alleged suspects hain,baramad kiye drugs ke saath unhe JUVILINE le kar jaao...


sabhi constables jinki D.I.G ki awaaz sun pehli hi fati hui thi,unke order ko sun woh sab aise harkat me aaye maano agar ek second ki bhi deri hui toh phone par hi gaand maar lega D.I.G unki..

agle 1 minute me hi NAMITH, DEEPESH,KALPESH jiske saath uske dad bhi gaye aur woh chaar bande jinhe gawah ke roop me hume trap karne ke liye laaya gaya tha,woh sab constables ke saath cottage se jaa chuke the..

aur aisa hote hi ek baar phirse ubhri phone par D.I.G KEWAL KHURANA ki awaaz...


D.I.G-and for you officer..aaj kiye tumhare action ke liye tumhe substantial proof ke saath ek written statement S.S.P desk par issue karwani hogi...

par tab tak indefinite period ke liye, you are SUSPENDED....

beep...

apna faisla suna call rakh diya D.I.G ne jisse sun jabde sakhti se bheench gaye the us RAJESH ke par ab kare bhi toh kya..

jo boya tha,uska hi phal khaa raha tha woh...

kuch seconds yunhi apne ghusse aur apmaan ke ghoont ki leher ko zabt karte hue khada raha woh aur phir dheere se cottage ke bahar jaane ke liye kadam badha diye usne...

humne bhi roka nahi usse aur jane diya par jahan hum the,us room se nikal door ke dusri taraf pahunch joki surveillance free area tha,rook palta hamari taraf yaa phir ye kahun ki meri taraf woh aur..


RAJESH-naam kya hai tera...???

NITS-kyun, substantial proof me iska bhi naam add karega kya...!!!

MAI-SANVEER AHARYA...


NITS ke taunt ke baad bina laag lapeth apna naam bata diya maine jispar..


RAJESH-ye din nahi bhulne waala mai..aaj tak kisi ne ungli tak nahi uthayi thi mujhpar aur tune haath utha diya..

manmane encounters kiye hain maine par saza toh door, inquiry tak nahi hui thi mujhpar kabhi..

lekin aaj ek investigation ke liye jiske fail hone ke piche bhi tera hi dimaag tha,life me pehli baar suspend hua hun mai...

you have to pay for this..you will pay for this...


RAJESH ki dhamki sun ek lambi saans chhod uski taraf badha mai..

mere sabhi dost bhi saath hi the mere... anyways,uske paas pahunch chuka tha mai jiske baad uske aankhon me dekha maine jahan mere saath kuch bura karne ka conviction saaf dikh raha tha..


MAI-tere is jhuthe ghamand ka kaaran khud hi bata diya tune..

tere lagatar kiye gaye GALATH kaamo ko GALATH nahi thehraya tha kisine..

aur aaj jab woh GALATH wakayi GALATH saabit hua toh us sahi faisle ko bhi GALATH hi maan raha hai tu...

koi naa..tere jaise GALATH aadmi se sirf GALATH ki hi ummid ki jaa sakti hai...

aur rahi teri mere saath kuch GALATH karne ki baat toh..

try kar ke dekh lena...fail hua toh koi baat nahi par agar wakayi galti se bhi mujhe taklif pahuncha gaya tu toh...




hamesha kaanpega tu,tere sir par dar ka woh CHHAT BANEGA....

jiski buri gath ko koi padh naa sakega,tu woh KHATH BANEGA....

sukoon ki saanson ka daur khatm ho jaayega tera...

jo teri har SAHI cheez ko mita dega, SANVEER woh GALATH BANEGA...











AAJ KE LIYE ITNA HI...










AAPKA APNA V...J...
Brilliant update bro maza aa gaya
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Voldimort

Member
128
439
79
Yar aese he chalta raha toh jab tak story khatam hote hae tab tak kaye readers he duniya chor chuke honge .. bohot faadu story hae . 1 he din mein saare perh le but 10 days se wait ker raha hoon next update ka but abhi tak no update . Plz update de dein . Bohot achy story hae . Slow updates ke waja se saara maza khatam ho raha hae .. agar mere baat bure lagy hue toh plz maaf kerna
 

Rajesh

Well-Known Member
3,464
7,926
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY AND GROUP KHUDKO NIRDOSH SAABIT KAR DETE HAIN WAHIN DUSRI TARAF D.I.G KEWAL KHURANA RAJESH MISHRA KO SUSPEND KAR DETE HAIN..

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-22


DATE-17TH JUNE 2019

PLACE-SIRIUS





DHABBBB...


PPAGAL HHO GGAYA HHAI KKYA BHOSDIKE...


ek mukka jamaya tha SONU ki peeth par NITS ne jispar bhadak gaya SONU..


NITS-chup saale...acha khasa ghar me chill karne ka plan tha mera,par nahi..

gaand me chul ka keeda kaata mereko jo teri baaton me aa gaya..

kya bola tha tu..!!ppehla ddin hhai..ppadhayi nnahi hhogi..

mmast cchill kkarenge sschool mme..

landu, tere chill ke chakkar me gaand chhil gayi meri..

aur ye saale sabhi teachers ko ho kya gaya hai.. vacation ke baad pehla din hai session ka par padha aise rahe hain maano aaj ke baad classes hi naa lagne waali ho jaise.....


khud se hi budbudaate hue ye saari baatein kar raha tha NITS par tabhi...


GOOD AFTERNOON STUDENTS...


bas is ek awaaz ne NITS ki woh saari budbudahat, frustration ek jhatke me hi khatm kar di thi..

NITS ki hi kya, class ke sabhi ladke ka yahi haal tha..

REASON...

ANSHUMALA LAKHMANIA...

SECTION B ki maths aur SIRIUS school ki sabse khubsurat teacher jinhone is waqt class me enter maari thi..

halki naarangi printed colour ki shifon saari me classroom ke andar bhi apni be-intehan khubsoorati se bin baarish indradhanush dikha diya tha unhone sabhi male students ko..

actually vacation ke vaad first day of school ka aakhri par free period tha ye jispar ANSHUMALA ma'am ka substitution laga tha..

aur unka yahan aana saare male students ke liye woh refreshing moment tha jisne din bhar ke hectic schedule ko ek jhatke me chilled out kar diya tha..

anyways ma'am ke gesture ka reply dene ke baad hum sabhi baith gaye..

ANSHUMALA ma'am ki ek aadat thi aur woh ye ki zyadatar woh smile karti rehtithi joki is waqt bhi unke face par saji hui thi.

uss smile ke saath unhone is new batch par ek bharpoor nazar daali par aisa karte waqt unki nazar ek jagah par pahunch tik gayi..

ye jagah meri thi jo is waqt apne dono haath gaalon par tikaaye unhe hi dekh raha tha..


ANSHUMALA-SANVY....!!!!

MAI-haaye....

hahahaha....


ma'am ke mere naam pukarne par mere reaction ko dekh aur sun RASHI aur KHANAK ko chhod sabhi students has diye the..

un sabhi ko pata tha ki favourite student tha mai unka aur shayad hi aisa kabhi hua hoga jab ma'am ke saath ek healthy flirting nahi ki hogi maine..

(NOTE: ANSHUMALA MA'AM ka kirdaar mere real life se inspired hai..)

anyways,un sabko toh mera ma'am ke saath ravaiya pata tha par RASHI aur KHANAK mere aise reaction ko aakhein faade dekh rahe the..

wahin mere "haaye" ko sun MA'AM ne apne sir par haath maar liya..


ANSHUMALA-tu maar khaayega mujhse SANVY....

MAI-it will be my pleasure ma'am..

HAHAHAHAHA...


mere reply ko sun aur khaaskar jis tarah se woh reply diya tha maine,kisi sache aashiq ki tarah,usse dekh phirse has di thi puri class...

par is baar un sabke beech ek muskurahat ma'am ki bhi thi jiske baad apne sir ko shake karte hue...


MA'AM-so,how is this new session treating you students...???

MAI-subah se ab tak toh hell tha par ab heaven sa feel ho raha hai ma'am...

HAHAHAHAHA...

students ke giggling hasi ke beech is baar ma'am meri taraf badhi aur mere paas pahunch..


ANSHUMALA-tu kabhi sudhrega ki nahi..har waqt masti hi sujhti rehti hai tujhe..

MAI-lie detecter test kar lijiye ma'am..ek shabd bhi jhooth saabit hua mera toh jo bolo aap phir...


mere is tark par bas muskurakar mere kandhon par halki chapat lagaate hue palath gayi ma'am jiske baad..


ANSHUMALA-so,maths ke kuch imp. questions discuss kar len...!!!

SAB-no ma'am please...

NITS-ma'am MAALVIYA SIR ne aaj maths ki do do classes li hain..ek hi din me pura chapter khatm kar diya unhone...

aur naa padha jaayega aaj...

ANSHUMALA-haan,ehsaan kiya hai naa tumne sir ko chapter complete karne dekar..

duffers course jitna jaldi complete hoga, revision ke liye utna zyada waqt milega na tum sabko...


ma'am ki baat sun kaha nahi kuch kisine par padhaku bacchon ko chhod mooh sabhi ke utre hue the jisse dekh..

ANSHUMALA-ok fine...nahi padhaungi mai..

SAB-thank you ma'am...

ANHUMALA-ek second...itni jaldi excited hone ki zaroorat nahi hai..

puri baat sun lo pehle...free period ke liye ek task dungi mai..a kind of challenge..

agar pura kar diya tumme se kisine bhi toh class free ho jaayegi or else we will discuss some important topics of maths..


free period ke ehsaas se jitni jaldi khush hue the sabhi, ma'am ke us challenge waali baat se woh khushi utni tezi se feeki bhi padh chuki thi aur woh isiliye kyunki sab jaante the ki bhale hi ANSHUMALA ma'am ek teacher thi par attitude unka kisi competitive bacche se kam nahi tha..

aur unke diye challenge bhi utne hi atrangi hote the...

par backout karne ka matlab tha sidhe sidhe ek aur mathematics ki class isiliye...


RAJAT-what's the challenge ma'am...!!!

ANSHUMALA-oh,very simple..ek mathematical tounge twister hai jisse one go me clearly bol kar dikhana hai tumme se kisi ek ko bhi...

agar kisi ek ne bhi aisa kar diya toh class free ho jaayegi...


tounge twister ka task sun chill out ho gaye sab...

kyunki SIRIUS ek convent international school tha isiliye shakespeare plays jinme hard se hard words ke collaboration se likha script yaad karna padta tha,woh bhi bol lete the kayi students toh aise me ek tounge twister bolna kaun si badi baat hone waali thi un sabke liye...

issi thought ki wajah se chill out the sab ke sab aur ye dekh halki si muskurayi ma'am aur..


ANSHUMALA-so,ready..!!!

SAB-yes ma'am..


confidence se bhara yes gunj utha pure class me jisse sun...


ANSHUMALA-fantastic.. alright then, here we go...

"a mathematician can mathematically mathematise mathematics in a mathematical mathematiculation.so if a mathematician can mathematise mathematics in a mathematical mathematiculation, why can't you mathematically mathematise mathematics in a mathematical mathematiculation like the mathematician who mathematically mathematises mathematics in a mathematical mathematiculation."


simple hai naa...ok, toh kaun karega sabse pehle try...???


MA'AM ke bole tounge twister ko sun pehle hi aankhein badi ho chuki thi sabki aur ab jab unki baari thi us tounge twister ko repeat karne ki toh fuse ud chuka tha sabka...

ek dusre ko dekh rahe the sab aur ma'am un sabki haalath dekh halke halke smile de rahi thi...

wahin mujhe toh is challenge se koi matlab tha nahi.. mai ab bhi dono haath gaalon par tikaye ma'am ko hi dekh raha tha...


MA'AM-so,bolo phir..kaun karega sabse pehle try...!!!!???

ANJALI-ma'am, SANVY ko hi boliye naa...usse plans aur counter plans banana, challenge accept karna,edge tak chizon ko kheenchna acha lagta hai bohot...


piche palat mujhe ghusse se ghoor kahi ye baat ANJALI ne jispar..


ANSHUMALA-yeh toh maine bhi suna hai ki hamara SANVY kaafi bada challenger hai...

bhale school ka match ho ya dusre school ke students ke beech se hamare students ko unharmed nikaalna...sab badi asaani se kar leta hai SANVY...


house match me jo hua aur usse pehle SAMRAT waalon ke saath hue pange me apne doston ko mera bachana,ye baat puri school jaanti thi aur ANSHU ma'am ka toh favourite tha hi mai..

isiliye un situations ka example diya unhone mujhe jispar..


MAI-hamara SANVY nahi sirf aapka ma'am..aur tounge twister nahi hai mere bas ki..

haan,ek tounge twister pata hai mujhe jo is ANJALI par bohot suit hoti hai..

ANHUMALA-really..?!!kaun si..??

MAI-

bakwas me ki bakbak bakbak se zyada bakwas hoti hai jo bakwas ke beech ki bakbak ko yaa toh bakbak banati hai ya bakwas...

HAHAHAHAHA....


mere tounge twister ko sun ma'am aur puri class has padi thi wahin ANJALI mujhe yun ghurne lagi maano agar class khaali hoti toh pel deti mujhe..

anyways,mere kahe tounge twister ke baad ma'am ne apna twister firse repeat karte hue usse bolne ka sabko challenge kiya jispar kuch students ne koshish ki par aadha bhi kaamiyab nahi ho paaya koi bhi...

aur isiliye challenge ma'am jeet gayi jiska matlab tha ki class free nahi jaane waali thi..

maths ki book nikaali ma'am ne aur pehle dono chapters se kuch imp questions nikaal unhe narrate karne lagi jispar man maarkar students un questions par focus karne me lag gaye..

TRRRRRRR...

tounge twister challenge ki wajah se last study segment waali class jald hi khatm ho gayi.

final bell baj chuki thi aur aisa hote hi ek raahat hi saans li sabhi students ne aur apni apni copies bag me daal class se nikalne lage...


ANSHUMALA-mujhe laga tha tu tounge twister atleast try toh karega hi...


SAM, EKPREET aur RAJAT ke baad jab mai SONU aur NITS ke saath ma'am ke paas se hokar class se nikalne ko hua toh unki is baat se badhte kadam rook gaye mere...

SONU aur NITS ko aage jaane ka bol mai palta ma'am ki taraf aur...


MAI-zaroor karta ma'am agar challenge jeetne par milne waala prize mujhe acha lagta...

ANSHUMALA-matlab!!!

MAI-aapne kaha tha ki agar kisine aapke bole tounge twister ko perfectly mimic kar liya toh aap class free kar dengi..

mujhe ye condition excitable nahi laga isiliye try nahi kiya maine..

ANSHUMALA-ok...the MR SANVEER AHARYA ko excitable lagne waala condition kya hota..???

MAI-well hamare next free period me bhi substitute teacher aap hi rahengi,agar ye promise karti aap toh aapka har challenge accept karta mai..

ANSHUMALA-SANVY.. phir shuru ho gaya naa tu...

MAI-its true ma'am...

ANSHUMALA-acha..tu bhul raha hai ki sirf attempt karne par sharth pure nahi maane jaate...you have to win them...

MAI-pata hai ma'am...aur accept kiye gaye challenge ko nahi haarta SANVEER AHARYA..


meri baat sun kuch pal dekha mujhe ma'am ne aur...


ANSHUMALA-alright then...agar tune one go me wahi mathematical tounge twister jo class me bola tha maine, clearly repeat kar diya toh i promise ki is section ki agli free class mai hi lungi..

MAI-well in that case,i accept the challenge..

ANSHUMALA-par mai bata dun ki kisiko bhi maine us twister ko one go me clearly bolte nahi suna...

anyways,tu karke dekh le try.. toh dhyan se sun..sirf ek baar bolungi...

MAI-

a mathematician can mathematically mathematise mathematics in a mathematical mathematiculation.so if a mathematician can mathematise mathematics in a mathematical mathematiculation, why can't you mathematically mathematise mathematics in a mathematical mathematiculation like the mathematician who mathematically mathematises mathematics in a mathematical mathematiculation.

aisa hi kuch tha naa ma'am...


ma'am ke bolne se pehle hi unke tounge twister ko clearly repeat kar puchi ye baat maine jispar aankhein faade dekhne lagi woh mujhe aur ye dekh muskuraya mai aur...


MAI-i will see you in the next free period then ma'am...good bye...


ma'am ko ussi shocking condition me chhod class se nikal gaya mai jiske baad..


ANSHUMALA-what the hell...yaad tha isse wph twister aur aise hi bol.diya usse jaise saalon ki practice ho..

hai kya aakhir hai ye ladka....!!!!!

SAM-arre baat toh suno yaar tum log..!!!


class ke just bahar ANJALI ka haath hold kiye request si ki thi SAM ne chaaron girls se jispar mooh banate hue woh sab nikal gaye...

REASON...

kal ke hamare epic last day of vacation ke baad der shaam hum sab wapas dehradun pahuche the.

waise toh saari chizen exactly jaisa plan kiya tha maine,waisi hi hui thi par girls jinke liye woh sab kisi sudden shock se kam nahi tha,unhe pura din lag gaya tha kal ghati ghantnaon se khudko ubharne ke liye...

ubhar toh woh gaye the par humare plan ke baare me unhe pre-informed naa rakhne ki wajah se humse naaraz chal rahe the chaaron...

subah se hi sabhi boys unse baat karne ki koshish kar rahe the par woh sunne tab naa..

abhi bhi mooh fulaakar jaa chuke the woh sab jiske baad..


MAI-itni jaldi naa maanengi ye sab..time lagega..de unhe...


class se bahar aa chal rahe scene par nazar padte hi kahi ye baat maine jispar..


EKPREET-yahi toh kabse bol raha hun mai in chutiyon ko par dosti ke saath aashiqui ka bhi bhoot hai naa..

asaani se thodi naa utrega...ab chaloge bhi,campus se bahar nikle,usse pehle baat karni hai usse...

MAI-puch kya raha hai...???chalo be...


ye bol aage badh gaya mai aur mere piche woh sab bhi ho liye...



ROHAN...!!!!!!


apne kuch doston ke saath apni class se nikal premises se aage badhte hue parking ki disha me badh rahe ROHAN ka swagat SAM ke is awaaz ne kiya jispar apne doston ko aage badhne ka bol ko bol woh hamari as in hum sab boys ki taraf badha jo ussika wait karte hue ground me baithe hue the..

kyun..??reason toh obvio hi tha..

kal jo hua,woh saari baatein,chizen toh clear hi thi siway ek chiz ke aur woh tha ROHAN ka SAM ko warn karna...

aur isiliye hi hum sab aaj school off hone ke baad apni class se thoda jaldi nikal uska yahan entry and exit gate se pehle bane ground me uska wait kar rahe the...


ROHAN-hey guyzz..look,mai jaanta hun kya puchna chahte jo tum..

NITS-antaryaami toh shuru se hi hai tu tabhi toh ye jaante hue bhi ki hamare khilaaf banaye tere har plan ka matiyameth hum kar hi denge, phir bhi gaand illi karne se baaz nahi aata hai tu...

ROHAN-sense of humor...nice..par filhal mera aisa koi irada nahi hai...

SONU-wahhi ttoh jjaanana hhai hhum ssabko..hhar wwaqt hhamare kkhilaaf pplotting kkarne waala ttu, ttere mman mme acchanak hhamare lliye itnna ppyar kkahan sse jjaag ggaya kki hhume wwarn kkarne kke lliye kkal ccall kkiya ttune...

SAM-and most importantly,tujhe pata kaise chala ki mere resort me drugs planted tha...

ROHAN-firstly,haan ye sach hai ki i don't like you SAM...tujhe beat karna chahta hun mai..tera woh school champ ka khitaab chhinana chahta hun mai aur haan,mai maanta hun ki uske liye mai kuch bhi karta aaya hun..

aur teri hi tarah,i don't like any of your friend.. aur ye SANVY...i just don't like you,i hate you..tu kal mar jaaye,mujhe ghanta fark nahi padega..

infact,mai toh treat dunga agar aisa hua toh..

MAI-feelings are mutual brother... bas fark itna hoga ki meri mout par tu party dega par teri mout par mai shraadh rakhunga..

ROHAN-pata hai mujhe...par woh dusri baat hai...lekin kal jo hone waala tha woh ek complete different scenario tha...

mujhe DUSHYANT ne bataya tha ki uske friends SAM tere resort me drugs plant kar tum sabko fasaane waale hain..

usse laga ki mujhe woh sab jaan khushi hogi..

SAM-aur tujhe nahi hui...!!!

ROHAN-surprise hoga tu,par haan..nahi hui thi mujhe khushi..i mean common yaar,drug case.. seriously...

haan mai tujhe beat karna chahta hun chaahe koi bhi tarika kyun naa aazmana padh jaaye mujhe...

par kal jo hone waala tha,woh completely below the belt tha... tum sabki life kharab ho sakti thi.

ab jitna bhi kameena kehlo mujhe par waisa toh kabhi nahi chah sakta mai..

vacation par bahar gaya tha mai,parso hi louta wapas...

kal morning jab globe chowk waale ground gaya toh DUSHYANT mila mujhe...

aur baaton baaton me usne jaise hi drugs ke baare me bataya mujhe,i called you..

par tune uthaya hi nahi..aur jab uthaya toh late ho chuka tha..

you said ki police aa chuki thi udhar..but thank god ki koi scene create nahi hua..

par surprised bhi hun mai...i mean,nikle kaise tum sab us mess se..kya police ko drugs nahi mile udhar..

SAM-drugs bhi mila aur usse wahan rakhne waala bhi...hume sab pehle se hi maalum tha..

we were just playing around...jo hume trap karna chahate the,humne unhe hi trap kar diya...

anyways,woh sab chhod..

agar wakayi tu hamara sahi chahta tha,then i really appreciate that..i hope ki tere kisi naye game ya new trap ka base nahi tha woh call..

ROHAN-dont worry dude..aisa kuch nahi hai...


ROHAN ki baat par kuch seconds dekhte rahe hum sab usse par phir..


SAM-chal phir.. thanks for the gesture..


usse haath milaate hue kahi ye baat SAM ne jiske baad hum sab exit ki taraf badh gaye..

wahin hume piche se jaate dekhte ROHAN ke face par ek evil smile naach rahi thi aur waise bhi muskurate hue...


ROHAN-

"jaal toh hai mere dushmano par naya nahi,PURANA HAI...

aur bicchaya kuch yun hain maine ki fas tum sabko usme khudbakhud JAANA HAI"....


SAME DAY:-



PLACE-B.O.B BRANCH





MA'AM,B.M SIR BULA RAHE AAPKO...



apne cabin me baith laptop par kaam karti VERONICA ko table boy ne kahi ye baat jispar bina zyada pratikriya diye woh apni jagah se uth khadi hui...


VERONICA-yes sir...


BANK OF BARODA, DEHRADUN HEAD BRANCH,newly appointed B.M,MR HARISH KHATRI ke cabin ki us glass gate ko dhakel andar aate hue ye sanshipt sa sawal kiya VERONICA ne..


(NOTE:-MR HARISH KHATRI...ek 45 years old lagbhag 6 feet unche aakarshak vyaktitv ke maalik... pichle mahine hi inka yahan dehradun transfer hua tha..isse pehle ye RISHIKESH B.O.B BRANCH ke B.M the...

waise toh khushmijaaz kism ke vyakti hain ye par apne opposite gender as in ladies ke maamle me thode reserved hain...jitni zaroorat,utni hi baat karte hain ye un sabse...

yahan tak ki is ek mahine me MRS VERONICA PAUL AHARYA joki yahan branch me unki second best officer thi, unse bhi open nahi hue the ye..to the point hi rahe the ye apni FIELD OFFICER se.)


HARISH-MRS VERONICA...please sit..


bohot shaalinta purv kahi ye baat MR HARISH ne jispar unke saamne waali seat par baith gayi VERONICA...


HARISH-ULIP(UNIT LINKED INSURANCE PLAN)

PPF(PUBLIC PROVIDENT FUND)

APF(ARMY PENSION FUNDS)


in teeno schemes,plans ke baare me toh suna hi hoga aapne..!!!

VERONICA-ofcourse sir... government linked schemes hai ye sab joki national level par operate hone waali hai...

ULIP aur PPF public welfare ke liye ab tak ki sabse important, profitable aur high returns schemes hain aur har army regiment ke liye,un sabki families ke liye APF bohot faaydemand hone waala hai..

a very good initiative taken by both government body and every bank's entrepreneurs...

par abhi toh time hai shayad in teeno hi schemes ke launch me..

HARISH-jee..abhi toh in teeno hi plans ke perfect layouts, structure, payment dispatch procedure,return policies ke proper calculations ki report taiyar karni baaki hai jo lagbhag saare banks ke chosen representatives ne karni shuru bhi kar di hai..

aur hamare state uttarakhand ke B.O.B me is plan par kaam karne ke liye mujhe chuna gaya hai..

VERONICA-really..wow.. congrats sir...

HARISH-thanks aur aapko maine issi silsile me baat karne ke liye bulaya hai.

darasal mai chahta hun ki aap officially mere saath in plans ke sabhi aspects par kaam karen.

infact, maine aapka naam bank ke board of directors of refer bhi kar diya hai..

VERONICA-what..!!!i mean,thanks sir ki aapne mujhe is laayak samjha par it's a gigantic project..

i am not sure ki i am good enough to handle all this...

HARISH-oh common,MRS VERONICA...ye aapki modesty hai,bas..mere paas aapke yahan kiye har work ki file hai...

aapke ab tak ke B.O.B service records ke according aisa koi loan aur investment plan nahi jisse aapka approval mila ho aur woh loan return nahi hua ya woh investment plan fail hua ho..

100 percent profitable record hai aapka...

infact,aapki farsightedness ki wajah se hi aapko B.O.B ke bohot se sub branches me bhi tour provide kiye jaa chuke hain..

dehradun ki hi tarah chakrata, clement town,haridwar,landor,chamba aur inke saath kuch jagah par bhi aapke impliment kiye gaye saare schemes ka return percentage 100 percent raha hai...

mujhe toh ye samajh me nahi aa raha ki ab tak aapki post FIELD OFFICER tak hi kaise halt par hai..

i mean,aise results ke baad aap kamsekam division officer ki post toh deserve karti hi hain..

actually,woh post bhi choti hogi aapke calibre ke hisaab se...

but ab aisa nahi hoga..is project ki completion ke baad i am sure ki aapko much higher position ke liye turant consideration milega...

shayad promotion ke saath aapka transfer DELHI maine branch me bhi ho jaaye...

MAA-thanks for such appreciation sir par the thing is i love it here.. mujhe dehradun aur apni ye moujuda post, dono hi pasand hai..

mere koi high ambition nahi hain..agar aapko lagta hai ki mai itne privileged plan ka hissa banane ke laayak hun toh mai definately apna best dene ki koshish karungi par reason koi promotion nahi bas wahi hoga jo ab tak raha hai..my job...


VERONICA ki baat sun aur jis saadgi se usne promotion ki sifarish ke liye mana kar diya tha, hairangi se dekhne lage HARISH unhe jiske baad..


HARISH-you are something else MRS VERONICA...aaj ke daur me jab ethically ya non ethically log har kisi ko dhakka maar yaa piche dhakel khud sabse aage nikalna chahte hain wahin aap,itni hunarmand hone ke baawjud kuch zyada hi suttled hain..

no desire,no urge to be in the top... incredible...


HARISH ki baat sun halka sa muskurayi VERONICA aur...


VERONICA-sir,zarooraten ek bhikaari ki bhi puri ho jaati hai par khwaishen toh rajaon ke bhi pure nahi hote..

phir aise me khwaishon ka bojh dhona hi kyun...???

waise bhi mere husband hamesha kaha karte the ki,

"jo khwahish aur zaroorat ke beech zaroorat ko CHUNTE HAIN.

asal khushi ke daaman ko aise hi log CHUMTE HAIN"..


bade saaf aur naram alfazon me apni baat keh gayi VERONICA jiske baad..


VERONICA-sir,aaj ke kaafi documentations sheets pending hain..so,can i..

HARISH-ya,ya, please go..


HARISH ki baat sun ek baar phir oupcharik smile dete hue VERONICA apni jagah se uth cabin se bahar nikal gayi..

aur piche se unke aur unke ass ko hasrat-e-nazaron se dekh rahe HARISH ne apne seene ko sehlana shuru kiya aur..


HARISH-intelligent,smart,khubsoorat, sexy,sensual par simple...deadly combination hai yaar ye patakha toh....

par paisa,power, position kaam nahi aane waale isse pataane me...

isse lapetne ke liye iski hi tarah saadgi ka chutiyapa karna padega...waqt lagega saala isme..

par lagana toh padega hi...afeem ke lath ki tarah hai saali jo lag chuki hai mujhe...ab....




aag lag chuki hai dil me,tere husn ke baarish se hi isse BUJHAAUNGA MAI...

jo bhi gaana pasand hai tujhe,tujhe paane ke liye us geet ko GAAUNGA MAI...

haan thoda mushkil hai tujhe kareeb se mehsoos karna magar...

bohot jald apna diwana bana tujhe apne neeche SULAAUNGA MAI....













AAJ KE LIYE ITNA HI....












AAPKA APNA V...J...
Nice update bro maza aa gaya
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,756
39,936
189
Yar aese he chalta raha toh jab tak story khatam hote hae tab tak kaye readers he duniya chor chuke honge .. bohot faadu story hae . 1 he din mein saare perh le but 10 days se wait ker raha hoon next update ka but abhi tak no update . Plz update de dein . Bohot achy story hae . Slow updates ke waja se saara maza khatam ho raha hae .. agar mere baat bure lagy hue toh plz maaf kerna
brother, in-laws ke saath bohot se mehman aaye hue hain ghar me..upar se mom bhi recovering position me hain..

aise me update likhne ke liye waqt nahi mil raha..free hote hi update aa jaayega.
 
Top