Jaguaar
Well-Known Member
- 17,679
- 60,543
- 244
Awesome UpdateAB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ANJALI CLIFF SE KOOD JAATI HAI,DUSRI TARAF VERONICA SANVY KE ROOM ME KUCH DEKH SHOCKED HO JAATI HAI WAHIN TEESRI TARAF DARE OR DRINK GAME KE DARE ME SANVY DIMPLE KE LIYE EK ROMANTIC KAVITA BOLTA HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)
MEGA UPDATE-52
(PART-3)
VILLAGE-JHARIPANI
PLACE-A FEW METRES FROM THE UP HILLS WATER
FLASH BACK
(A FEW HOURS BACK)
KAMINE,GHUM KAHAN RAHA HAI TU SUBAH SE..!!!!NAA YOG CLASS ME TIKE TERE PICHWADE AUR USKE BAAD TOH 4 GHANTON KE LIYE HI GAYAB HO GAYA THA TU..
AUR YAHAN BHI TU SCHOOL CARRIER ME NAHI AAYA HAMARE SAATH...
DUSRI TARAF SE PAHUNCHA HAI...
SACH SACH BATA KAUN SI KHICHDI PAKA RAHA HAI AUR PAKA RAHA HAI TU..
KOI CASUAL JAWAB NAHI PURE AUTHENTIC SACH SUNANA HAI MUJHE ISILIYE GHUMANE KI SOCHIYO BHI MAT...!!!
MOSSY FALLS yahan ke sirf front view jharne ke liye hi nahi balki jis jharipani mountain ke western edge me bana tha ye, uski overall beauty ke liye bhi jaana jaata tha jisse yahan pahunchte hi check out kar rahe the SIRIUS ke sabhi students.
par ashram ki hi tarah bas mai missing tha SIRIUS ki toli se jisse waise toh sabhi ne gour kiya tha par ANI ko mera absence zyada khal raha tha aur ab jab door se mujhe akela apni taraf aate dekha usne toh turant lapki woh meri taraf aur mere kuch bolne se pehle hi apni bhadaas sawal roopi baarish ke roop me mujhpar barsaane ke baad apne dono haath kamar par rakh ghoorne lagi woh mujhe jispar haste hue naak kheencha maine uska aur usse apne se lagaate hue uske kandhe par haath daal ek disha ki taraf badh gaya..
ANJALI-chhod mujhe aur jo pucha,pehle jawab de uska..
MAI-batata hun... dekh le pehle kuch thoda..
khudko chhudane ki koshish ki ANI ne par aisa hua nahi isiliye saamne na dekh bas side se mujhe ghoorte hue mere saath aage badh chali woh...
par jab aage badh kuch mote bushes ko hatane laga mai toh hairan hui ANI par is baar kuch kaha nahi usne...
MAI-magic dekhegi...
ab bhi saamne na dekh mujhe hi ghoor rahi thi ANI aur meri baat sun woh ghoorna aur badh gaya..
kuch bolne ko hui woh par tabhi...
MAI-saamne dekh...facial expressions aur man ki feelings, dono ek second me change ho jaayenge..
mujhe ghoorne ke chakkar me kahan khade the hum,aas paas ke nazaare kya the,koi ilm nahi tha ANI ko..
meri baat sun ek thandi saans chhod nazar aur face dono ghumne laga ANI ka saamne aur aisa karte hue wakayi facial expressions badalte chale gaye uske..
joki laazmi bhi tha..aakhir gazab ki jagah jo thi UP HILL WATERS ka ye point jahan hum khade the..
MOSSY FALLS ke outer skirt me dense jungle ke beech bana ye 30 feet water fall ka top hill jahan hum khade the,wahan se aise dikhta tha maano badalon ke upar khade hai hum.
aisa isiliye hi tha kyunki fall se neeche jo 30 feet ka distance tha,uske beech cloud covers bane hue the jiske kaaran neeche ikattha ho rahe gehre paani ko dekha bhi nahi jaa sakta tha.
same blind spot neeche se dekhne waale ka bhi scene tha.
upar sirf badal hi badal the.. upar se gehre paani ke edges par ghane ghaans the jo asal me ek half swamp jaisi jagah par bane hue the jispar chala bhi nahi jaa sakta tha..
yahi kaaran tha ki itna fresh water flow hone ke baawjud koi wahan jaata nahi tha..
haan,ek steep pagdandi bani hui thi par dikhne me woh patli si jagah bhi waisi hi thi jaisi swamp grass isiliye bohot kam logon ko us solid walking platform ke baare me pata tha..
khair,mantra mugdh si us pure swargiya roopi drishya ko dekh rahi thi ANI..
MAI--yahan se aur khubsoorat hai..
meri awaaz se tandra tooti ANI ki par aisa hote hi thodi hairan hui woh..
uske paas nahi balki aage fall ke cliff point par bane ek 3 feet lambe aur utne hi chowde patthar par khada tha mai..
jeans niche tak thi ANI ki jisse ghutno tak fold kar meri taraf badh gayi woh aur kuch hi palon me mere baaju me patthar par hi khadi thi ANI..
sach kaha tha maine.yahan se aur khubsoorat tha nazara jisse aankhon ke through apne dil me utaarne lagi thi ANI...
MAI-kuch karne ko request karun tujhse toh bina koi sawal kiye karegi..!!!
dikh rahe scene me khoyi ANI ke senses meri baat sun ek pal me lout aaye the aur woh mujhe aur mere gambhir chehre ko dekhne lagi..
kuch der pehle jo sawal puche the usne mujhse,woh sab bhul chuki thi woh.
tha kuch zehen me toh mera abhi abhi pucha gaya sawal...
ANI-tujhe puchne ki, request karne ki zaroorat nahi thi..!!!neeche kuch nahi dikh raha par phir bhi agar yahan se kudne ko bhi bolega toh kood jaaungi mai...
MAI-yahi karna hai tujhe...
meri baat ko pehle toh mazak samajh muskurane lagi thi ANI par mere face par ab bhi jo seriousness ki parath chadhi hui thi,usse dekh samajh gayi woh ki mazak nahi thi meri baat.
ek lambi saans chhod apne kadam aage cliff se kudne ke liye badhane ko hui woh par tabhi haath pakad liya maine uska.
MAI-abhi nahi...raat ko aur is point se nahi,woh right me jo patthar hai,uspar chhadhkar neeche jump maarni hai tujhe..
meri baat sun apne right ki taraf dekha ANI ne jahan shuru me toh sirf paani hi dikha usse par dhyan se dekhne par us behte paani ke bas 1 inch andar jis patthar par hum khade the,waisa hi ek patthar dikha usse..
jahan ye patthar paani ke upar tha isiliye saaf dikh raha tha,wahin woh bhaag kuch inches water ke andar tha isiliye thoda gehra tha..
yahi wajah thi ki wahan rakha patthar paani ke halka andar chala gaya tha..
naked eyes se us pathhar ko dekhna mushkil tha par is waqt uske upar ek water proof silver paint laga hua tha jo suraj ki roshni ke water par padne se us point par paani ki chamak ko aur badha raha tha aur isiliye visible bhi tha...
maine hi lagaya tha us paint ko...
MAI-baby steps ke saath bhi aage badhi toh 8 kadam count par pahunch jaayegi us patthar ke saamne...
yaad rakhna ye baat kyunki raat aajki bhale hi chandni hone waali hai par yahan ki visibility phir bhi kaafi kam hogi...
ab sun dhyan se...raat ko jab camp par born fire jalna shuru hoga toh kuch random girls ke saath yahan is jagah par hi pee ke bahane aana..
random.. apne group se mat laaiyo kyunki phir sabko explain karna padega..
akela dekh kuch log aayenge tum sabke peeche ya phir to be precise,tere piche...
un ladkiyon ko bas behosh karenge woh aur phir tere piche aayenge..
unhe bhagate hue yahin is point par aana hai tujhe..
chandni raat hogi isiliye woh left waala patthar araam se dikh jaayega tujhe.. pehle ussi par chadhna aur phir 8 ke count ke beech baby steps lete hue is patthar par aa ispar chadh jaana...
and then jump...neeche free flowing water hai aur jis point par tu giregi,wahan par gehrayi kareeb 15 feets ki hai isiliye koi problem nahi hogi..
paani ke andar jaane ke baad sidhe upar aana hai tujhe..
ye beech ke cloud covers ki wajah se view aur dim hoga neeche ka...
par ghabrana mat...paani se bahar aa har taraf dekhna..jahan roshni dikhe,us taraf tair jaana.. that's your way out...
sirf ussi light waali area se hi bahar nikalna kyunki sirf wahin se nikla ja sakta hai..baaki ka 90 percent of the edge is swamp..
jo chahta tha mai,bata diya tha maine ANI ko aur jaisa ki hona chahiye,meri saari explaination ke beech bas sawal tha ANI ke face par lekin kamal ki baat ye thi ki jo maang raha tha ANI se,usse jo karne ke liye keh raha tha mai that was dangerous par phir bhi dar aur bechaini ki lesh maatra lakir tak nahi ubhri thi uske peshani par..
aisa lag raha tha jaise mere bina bole hi, bina convince kiye hi jaanti ho ANI ki usse kuch nahi hoga...
MAI-all your questions,i will answer you but later..aur trust me,kuch..
ANI-kuch nahi hoga mujhe..i know..jis scene me tu nahi hota, usme bhi kuch nahi hone deta tu mujha phir ye scene toh khud likh raha hai tu aise me safety precautions ki baat karna bhi GALATH hoga...
aur aage kabhi bolna mat to trust you.. because trusting you mere liye utna hi natural hai jitna ki breathing...
ANI ki baat par kuch palon ke liye dekha maine usse par keh kuch nahi paaya..
ab kya hi kehta..jung meri par maidan me utarne ko taiyar ye pagal thi woh bhi kuch is tarah jaise jung uski ho..
MAI-chalen..
ANI-ab toh idhar hi hai naa tu..
MAI-hmm.....
FLASHBACK ENDS:-
PLACE-UP HILL WATERS....
(ANJALI-THE REMAINING SCENE)
1,2,3,4,5,6,7,8....
MANGAL joki phone par ARIF se baat kar raha tha,us waqt baby steps le unhe count karte hue apne right ki taraf kadam badha diye the ANJALI ne...
aur jaisa ki SANVY ne kaha tha,exact 8we step par us second patthar par joki water ke halka andar tha,chadh chuki thi ANJALI....
aisa kar ek baar piche us 20 feet ke naa dikhne waale slope me jhaanka usne par dikha kuch bhi nahi usse..
us andheri khaayi numa dhalaan ko dekh dar ki tez leher doud uthi ANJALI ke kaano par jisse kisi tarah control kar hi rahi thi woh ki tabhi...
AATMA HATYA KARNA HAI TOH KOOD JAA PHIR...
padi saamne khade logon me se ek ki baat ANJALI ke kaano me jisse sun saamne dekh ek lambi saans chhodi ANJALI ne aur..
ANJALI-i know tu kabhi GALATH nahi hota SANVY par kamine,i wish ki mujhse is mahastunt ko karwane ke piche tere paas koi tagda reason ho because agar nahi hua,jaan se maar dungi tujhe..
GOD HELP me please... SHIT....
MANGAL-EE PAAGAL LADKI...
MANGAL ki cheekh ke beech piche us dhalaan me kood chuki thi ANJALI..
CHAPPAKKKKKH...
tezi se us slope me girte hue finally water ko hit kiya ANJALI ki body ne.
ek achi swimmer thi ANJALI..
neeche girte waqt position kisi proffessional swimmer ki tarah rakha tha usne aur isiliye badi smoothly paani ka seena cheerte hue uske andar samaate hue chali gayi woh..
aur us tez bahaav paani ke andar samate hue usse paida hone waale pressure se water depth ka andaza bhi ho gaya tha usko..
sach kaha tha SANVY ne..water depth wakayi lagbhag 15 feet hi gehra tha...
jump ne ANJALI ki body ko near about depth edge tak pahuncha hi diya tha jiske baad turant sir utha kar sidh lete hue upar ki disha ki taraf tairti chali gayi ANJALI..
kuch hi palon me sir uska paani se bahar tha... turant aankhon par chadhe paani ko saaf kar aankhein kholi usne par jaisa ki hona tha,cloud covers ki wajah se andhera hi andhera tha har taraf siway ek point ke..
ye wahi point tha jiski baat SANVY ne ki thi..wahan se dheemi roshni jagmaga rahi thi jisse dekh ussi taraf tair padi ANJALI..
DHABBBBBB....
us madham roshan hue edge point par pahunch wahan moujud sakht zamin ke sahare upar chadh chuki thi ANJALI jiske baad us roshni ke chote par kaargaar madhyam ko utha liya usne..
LED FLASHLIGHT TORCH thi ye maadhyam jo filhal low light mode par thi.
pichle 6 ghanton se yunhi jal rahi thi ye par light me fark kuch pada tha nahi kyunki low mode par 50 hours tak jal sakti thi ye torch..
par torch hold karte hi uska high mode switch click kar diya ANJALI ne.
kaafi achi range thi torch ke high mode ki..switch hote hi aas paas ka kaafi area roshni se jagmaga utha tha aur aisa hote hi face par smile naach uthi thi ANJALI ki..
REASON.
just aage ek bada sa open polithin tha jisme se turkish towel jhank rahi thi...
turkish towel nikaalne ke baad ANJALI ki nazar padi ek pair night wears par jo us polithin me rakhe hue the..
ANJALI-what the fuck..!!!ye toh mere hi hain..matlab puchna bas bahana tha..kamine ko pehle hi pata tha ki mai usse naa nahi bolungi..
khudse hi SANVY ke prati jhutha ghussa dikhane ke beech muskurane se rok nahi paayi apne aap ko ANJALI...
muskurane ka main reason KITKAT ka woh bada sa pack tha jo night dress ke side me rakha hua tha.
ANJALI ka fav tha KITKAT aur usse pamper karne ke liye SANVY ka best tarika bhi...
khair,pehne hue geele kapde utaar sharir poch turant night wear pehen liya ANJALI ne par is beech uski nazar ek parchi par padh chuki thi jisse finally utha liya usne aur kholte hi ek baar phir smile naach uthi thi ANJALI ke face par..
with exact foot steps and proper directions,wapas camp fire area me pahunchne ka pura map hi bana hua tha us paper par jisse follow karte hue aage badh chuki thi ANJALI...
is beech...
ANJALI-besty hai mera par kabhi kabhi lagta hai ki kya ek percent bhi jaanti hun mai us duffer ko..???
saala kab kahan kaun sa bomb fod de ye ladka,only GOD knows...
jo bhi reason hai jiske liye mujhe paani me kudwa diya,kya pata uske liye aur kaun kaun se kaand kar baitha hai woh pagal..!!!
SAME TIME:-
CITY-DEHRADUN
PLACE-SANVY'S BEDROOM
GGOOD EVVENING ***
ek super condfident ladka joki kisi super soldier se kam bhi nahi tha,usne nervousness aur kaampti awaaz aur sawdhan position me aakar gesture diya VERONICA ko..
VERONICA-VIJENDRA SINGH...aap yahan!!!!aur ye sab..???
(NOTE:-VIJENDRA SINGH...THANO FOREST ME RANJANA MATTHEWS KE SAATH AAYE TEENO COEF'S ME SE EK...UPDATE-43)
VIJENDRA-woh SANVEER...
VERONICA-ya SANVEER..my son..kaise jaante hain aap usse...!!aur woh mulakat yahan jo ho raha hai,wahan tak kaise pahunchi..??one go me bataiye..
VIJENDRA-yes ***...us din THANO FOREST me aapse milne ke baad MENDER RANJANA ne bataya tha ki aapka son,he is someone who will surpass you and even our founder... LATE,SANEEL AHARYA...
ye sun usse dekhne ki bohot iccha hui thi mujhe aur..
VERONICA-you followed him...
VIJENDRA-yes ***
VERONICA-and COEF like you who has been trained to hide yourself even in an open and empty island,usse pakad liya usne..
VIJENDRA-jee....
VERONICA-hmm..did you fight him...!!
VIJENDRA-yes ****..and i lasted 1 minute...
jahan aakhri baat bolte hue sir jhuk gaya tha VIJENDRA ka wahin VERONICA ek baar phir apne bete ke saamartya ko jaan hairan ho gayi thi...
sir shake kiya VERONICA ne kyunki aage ki saari kahani jaan chuki thi woh..
***me friendly, serious dono modes me combat aur challenges hote rehte hain..
friendly fight me jo us fight ko haarta hai,woh jeetne waale ka in-depth ho jaata hai jisse jeetne waala kisi bhi tarah se vasool sakta hai...
ab bhale hi SANVEER abhi *** ka direct part nahi bana tha par kyunki woh VERONICA ka beta tha isiliye kuch leverages woh le sakta tha jo usne le liya tha...
aur jo is room ka haal tha,bohot asaan tha VERONICA ke liye samajhna ki unke bete ne VIJENDRA se uske depth kaise vasoola tha....
BACK TO MOSSY FALLS:-
"MAI LAFZON ME KUCH BHI IZHAAR NAHI KARTA...
MAGAR ISKA YE MATLAB NAHI KI MAI PYAR NAHI KARTA"...
kavita shuru hone se pehle jo anjaani ghabrahat paida hui thi NEW GIRL ke face par, poetry ke end hote tak woh ghabrahat toh puri hi jaa chuki thi par ANJAANI...
is bhavna ke saath ek nayi feeling ne ghar kar liya tha uske dil me.
mere kahe har shabd ko khulte band hote new girl ke dil ne jaise khud me chhupa liya tha..
kisi SAMMOHAN me fase shaksh ki tarah bas ek tak dekh rahi thi mujhe.
aur mai...water fall ke kareeb aur jungle ke beech baithe hone ke kaaran ek madham thandi hawa beh rahi thi chaaron taraf jiski wajah se new girl ki kuch laton ne uske haseen rukhsaar ko khudme halka halka chhupa liya tha par aisa kar unhone us aadhe dikh rahe chaand ki khubsoorati me izafa hi kiya tha..
kisi film me suna tha"nasha aisa karo ki jiska asar zindagi bhar bana rahe aur jab utre toh us waqt utre jab aankhein hamesha ke liye band ho chuki ho.
kuch waisa hi nasha is waqt new girl ki aankhein numa jaam se behte hue meri aankhon se hokar mere dil aur dimag dono par haawi ho rahi thi...
itna kamzor kisi ne ladhkar bhi nahi kiya tha mujhe jitna mere saamne baithi jeeti jaagti tajmahal ki murat ne bas dekh bhar ke kar diya tha...
WOWWWWWWW....I MEAN...WOWWWWW....
tandra si tooti thi meri aur new girl ki is awaaz se...
SHAIFALI MISS thi ye jinke dono haath is waqt unke dil ke kareeb ek dusre se jude hue the aur chehre par meri kahi kavita ke liye naa khatm hone waali taarif saaf jhalak rahi thi...
waise awe me toh yahan moujud aur bhi kayi ladkiyan thi jinme hamare group ki teeno girls bhi shaamil the..
wahin ladke as in SAM,RAJAT, EKPREET,NITS aur SONU is waqt mere aur new girl ke faces par jo kuch seconds pehle tak bhaav the,unhe read kar smile kar rahe the...
SHAIFALI MISS-aisi shayri toh proffessional bande bhi itni jaldi aur feel ke saath nahi bolte jaisa tune bola...
sach bata SANVY...G.F hai na teri ye phir G.F'S...itna instant flow amateur me toh naa aata kabhi...
MAI-miss bol mai saamne dekh kar raha tha par aankhon ke aage face bas aapka imagine kiya tha maine..
ab aapka face toh gaane tak nikalwa de phir shayri kya chiz hai..!!!
HAHAHAHAHA.
SHAIFALI MISS-chup re...
jahan meri baat par mere saare friends aur aas paas baithe sabhi students has pade wahin blush karte hue mere kandhe par ek halka sa jama diya tha miss ne..
waise ek aur chiz hui..ek pal mujhe dekh new girl dheere se uth tents ke piche ki taraf chal padi...
par thoda aage badhne ke baad palath kar meri taraf dekha tha usne.
is beech chehre ko chum rahe uski laton ko hatana nahi bhuli thi woh aur aisa kar kamini ne mera dil bhi apni taraf thoda aur palath diya tha..
khud ko halka strech kar mai bhi uth chuka tha aur new girl jo kuch door khadi khule aasman me chamak rahe apne hi dusre roop "chaand" ko nihaar rahi thi,uski taraf badh chala mai...
DIMPLE-shayri kaafi achi thi...laga kaafi practice ki hai tumne...
MAI-chaand ko badalon ke beech chamakne ke liye practice nahi karni padti...
theek new girl ke piche khada hua tha mai.. meri moujudgi mehsoos kar li thi usne isiliye bina palte hi sawal kiya tha usne par mere jawab par smile naach uthi uske face par aur ghum gayi meri taraf new girl...
NEW GIRL-jawab mile na mile,baat aisi zaroor bolni hoti hai tumhe jiske baad agle sawal ka rukh badal jaata hai..
MAI-maine toh bas dil ki kahi...!!!par haan,aksar dil se nikli baatein dimag me uthne waale sawaalon ko shaant kar deti hai..
meri baat par bas sir naa me shake kar mand mand muskurane lagi new girl aur...
NEW GIRL-tum aur tumhari baatein..pata nahi mujhe samajh me aaoge bhi tum kabhi..!!!
MAI-ek sawal mai puchun..!!!
NEW GIRL-pucho..
MAI-kyun samajhna chahti jo tum mujhe..!!!
ek dusre ke opposite side ko hold kar aaju baaju khade the is waqt mai aur NEW GIRL.
sir aadha ghuma uski taraf kar pucha tha apna sawal maine jispar uski aankhein bhi ghumi meri taraf..
kisi chumbak ki tarah ek dusre se jaise jud si gayi thi meri aur new girl ki aankhein..
par jahan meri aankhon me thairav tha,wahin new girl ki aankhon me bechaini joki laazmi bhi thi...
aur woh isiliye kyunki sawal mera woh tha jo najaane kabse new girl khud hi apne aap se puch rahi thi..
MAI-tumhe khud bhi nahi pata, right..!!!
sach kaha tha maine jisse sun new girl ke aankhon ke bhaav tezi se badle..
ab bechaini ki jagah hairangi ne le li thi uski...
AAAAAAHHHHHHHHHHH....AHHHHHHHHH......
kuch kehti new girl ki tabhi do tez cheekh joki KHANAK aur RASHI ki thi, padi thi humare kaano par jisse sun turant palti woh gunji cheekh waali disha me...
ye cheekh sirf humne nahi balki born fire ke paas baithe sabhi SIRIUS waasiyon ne suni thi aur isiliye sabke sab us cheekh waali disha ki taraf tezi se chal pade the..
same chiz new girl ne bhi ki..tez kadmo ke saath woh bhi aage badh chuki thi par tabhi..
KDHKKKKK......
jahan hum khade the,uske ird gird har 3 se 4 metre ke gaps me halke mote tane waale pedh the..
unhi me se ek se jiske sidh me khadi thi new girl,aayi kuch tootne ke awaaz jisse saaf saaf suna tha usne par nazar andaz kar aage badhne ko hui par tabhi kadam rook gaye uske..
usse kareeb 10 metre door jis ped ke piche se aayi thi woh awaaz,nikla ek lamba chowda unknown shaksh..
sutte ke lambe kash lete hue jisme bhare charas ki wajah se uski aankhein surkh laal hui padi thi,dekh raha tha woh DIMPLE ko...
ARIF REZA tha ye...
sutte ka aakhri lamba kash le usse apne pairon ke tale roundhthe hue kadam ARIF ke badh chale new girl ki taraf...
wahin apne saamne achanak hi prakat se hue us unknown shaksh ko dekh DIMPLE ke dimag me khatre ka syren baj chuka tha..
aur ye syren tab aur badha jab theek us shaksh ki hi tarah aaju baaju ke pedon ke piche se kuch aur anjaane log us unknown shaksh ke piche uski taraf ho liye..
ab kul 7 unknown faces the uske saamne...
par nazar uski us first bande ke upar hi tiki thi par kyunki chandni raat thi aur chalte hue ab woh shaksh bas chand metres hi door tha, DIMPLE uske face ko kaafi hadh tak dekh paa rahi thi.
kuch jaani pehchaani lag rahi thi usse us shaksh ki shakal..kisi ki resemblence thi us shaksh ke face par lekin kiski,ye yaad nahi aa raha tha DIMPLE ko..
wahin dusri taraf DIMPLE ke paas jaate hue jab ARIF ki nazar ladki ke piche padi toh face par uske ghussa dikhne laga tha.
REASON..
SANVY jo gayab tha wahan se...
ishare se kuch kaha ARIF ne apne piche khade logon ko jiske baad un paanch logon me jo beech me tha, MANGAL,usne apne paas ke 3 bando ko ishara kiya..
agle pal woh teeno alag alag directions me chal pade the par maksad sirf ek tha un sabka..
SANVY...
DIMPLE un 3 logon ko alag alag directions me jaate hue dekh rahi thi aur ARIF jo ab DIMPLE ke itne kareeb toh tha hi ki chand ki roshni me uski surat saaf saaf dekh sakta tha,usne bhari ek thandi saans aur...
ARIF-MASHALLAH...
shak hai mujhe ki hamari tarah dusra koi JAHAN HOGA...
teri tarah noor-e-nazar bhala aur KAHAN HOGA...
lamha-e-jannat aaj dekh li humne, khabar naa thi ki..
ek chaand upar WAHAN hoga aur dusra hamare saamne YAHAN HOGA...
AAJ KE LIYE ITNA HI...
AAPKA APNA V...J...
Kyaa planning ki thi Sanvy ne Anjali ke liye. Jo puri tarah se work bhi kiyaa. Anjali ne Sanvy ke upar jo aankh band karke bharosa kiya tha isse yahi darsata hai ke dono ki dosti ki gehrai kitni hai.
Saneel aur Veronica jarur kisi secret organization ke member hai jiska founder khud Saneel thaa. Aur ab Veronica shayad uss organization ki cheif hai. Jo shayad in future Sanvy inherit karega. Aur isi organization ki member principal Ranjana bhi hai. Hosakta hai aur bhi bahot se jaan pehchan wale ho jo baad mein ek shock ke saath saamne aayenge.
Idher Sanvy ki boli shayri ne Dimple ke dil ke taar puri tarah se janna diye hai. Aur uske mein jo anjana se pyaar ki chingari hai usko thodi aur hawa de di hai.
Par dono ke beech khalal daalne ke liye Arif Reza beech mein aagaya par uske aate hi Sanvy gayab hogya. Jarur iske kuch khaash plan kiya hogaa Sanvy ne. Aakhir iss Arif ne apni gandi nazar jo di hai Sanvy ke life ke most important members ke upar.
Dekhte hai aage kyaa hota hai.