• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Gods and Demons

just YES OR NO


  • Total voters
    318
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Lovekillsyou

Active Member
653
2,718
124
Note- Update 177 hi 178 hain
 
Last edited:

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,484
31,685
189

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,484
31,685
189
Kabir -ek mysterious person hai logo ke liye pr akhir Kabir hai kya ek calm, good looking handsome guy, broad minded person, wise, a very hard working man, helpful person, wast knowledge ka bhandar, sabko respect dene vala, talent ko admire karne vala, determination hai Apne lakshya ke prati over all bole to ek ideal hai sabke liye...

Mohini madam Shreya ke behavior ko dekh yah yah kayash lga rhi hain ki vo Kabir ko Shreya se chhin legi pr use kya pta Kabir kis khet ki muli hai dekhte hai kya Dhamal machane vali hain mohini ji...
Shreya zina ke pichhe khadi thi Kabir ne zina ko dekh usse mafi mangi yha kuchh din rukne or is situation me fasne ke liye vo to maaf karke chali gyi pr Shreya or Kabir akele rah gye Shreya ne ek baar fir se time manga apne aap ko samajhne ke liye Kabir ne bhi Samay de diya or bta diya ki vo apne dil se kaise naraj ho sakta hai...

To bhai logo kuchh log isme confuse lge mujhe Rati-mitali kiske sarir me hai Jay bhai ne answer de diya hai Rati Dina me hai jo dil ki dhadkan hai vhi mitali Shreya me jo khud Kabir ka dil hai ab bhi Ydi isme confusion hota hai to Iska mtlb Aap log dhyan se nhi padhte ho kahani ko...
Guihai hosh me aate hi badla lene ka sochne lga or usne to apne bapu se paise bhi mangva liye Kabir ko Marne ke liye fighter hire karne ko with reward jb use pta chla Kabir linsen ke pita neither master jo heaven relm warrior hai unke mention me thahra hai...
Best eating companion (pihu) ko 4th Prince ne accept karne se Mna kr diya Kabir ne uski situation ko samajh pihu ko ajad karne ka socha pr pihu ke Mna karne pr ki black market use kisi or ko bech sakti hai Kabir ne use apne sath as a made rakh liya pihu ne yha Kabir ko sacred prince kahkr sambodhit kiya jo ki thoda shocking tha ek yah bhi karan tha pihu ko apne sath rakhne ka Kabir ne pihu se akele me puchha use kaise pta pihu ke clan ko vardan hai sacred prince ko pahchanne ka yah pta chla Kabir ne relm or grade tecnik ke bare me puchha or yah bhi btaya ki Uski sirf 9 maradian hi open hai Kabir ne pihu ko uske clan ki top tecnik practice karne ko kaha is vade ke sath ki vo ise secret rakhegi jb tk Bahut jaruri na ho ki kisne di yah tecnik...

Is update me Jay Bhai ne Itni khubsurati ke sath pesh kiya hai sare element ko Jo dil pr Bahut jor ka feel hove hai Accha vala so keep it up bhai...
:applause: :applause: :applause: :bow::bow::bow::applause::applause::applause:
:tease3:
Superb update bhai sandar jabarjast lajvab with awesome writing skills

Thank you buddy 😊.

Yes Kabir ek tarah se John Wick hai. A man of Focus, Commitment and Sheer Fucking Will.

Well Mohini Kabir aur Shreya ke relation ko strong hone mek kaafi help karne wali hai. Bas dekhte rehna.

Well Guihai ek best example hai jiske paas money aur power dono hai aur agar jiske paas yeh dono hai uske paas mind sahi se na ho toh vo uska use kaise karta hai.
 

Mr.AK

Member
140
650
108
Thank you buddy 😊.

Are us matter ko zyada streched karne ki zarurat nahi thi otherwise uska vo feel nahi reh jata. Mujhe yeh dikhana tha ke itna sab hone ke baad bhi Kabir aur Shreya try kar rahe hai apne is new relationship ko jaldi accept karne ke liye.

Mirch masala toh aage banta hi rahega. Ab Mohini jo aa gayi hai story mei :akshay:.
Mohini aka is story ki kamonika


komolika-evil
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,514
188
UPDATE 178

Kabir best eating companion ke saath waha se nikalne laga. Stairs niche utar kar Kabir apne friends ke saath aa kar khada ho gaya.

Sky-Approaching Pavilion mei abhi bhi jitney warriors the vo sabhi abhi bhi shock mei the.

Agar Kabir Guihai ko sirf ek hi baar harata toh usse vo sabhi accident samajh sakte the par Kabir ne usse 2 baar har diya tha. Even Guihai ne Abdomen-through Palm tak ko use kar liya tha par is sab ke baad bhi Kabir ne usse single move mei hara diya tha.

Iska sirf ek hi reason nikal raha tha ke Kabir sach mei Guihai se kaafi strong tha.

"Guihai ke current strength ko dekh kar toh Yan jo Profound Board par No.1 ranker hai vo bhi usse hara nahi sakta hai. Par ab jab Kabir ne Guihai ko hara diya hai toh kya vo Yan se bhi powerful hai ?"

"Omen Ridge ke 36 Commanderies ka top prodigy Tian bhi Profound Board par 3rd ranker bana tha jab vo khud Black Realm mei tha. Toh kya yeh possible hai ke Kabir us Tian se bhi zyada talented ho ?"

"Is Kabir ne bhi Earth Realm mei breakthrough kar liya hoga. Otherwise vo itna powerful kaise ho sakta hai ?"

Ussi Sky-Approaching Pavilion ke 2nd floor par ek elder bhi the jo yeh sab hote hue dekh rahe the. Unhone kuch der Kabir ko dekha aur phir kaafi thoughtful aur serious tone mei kaha.

"Kabir ne abhi tak Earth Realm mei breakthrough nahi kiya hai kyo ki uska Qi Lake abhi tak Qi Sea nahi bana hai."

Us elder ki baat waha par jitney bhi warriors the unke liye kisi bomb se kam nahi thi. Unki us baat ki wajah se sabhi warriors apne apne mei discission karne lag gaye the.

Sabhi bas yahi soch rahe the ke kya Kabir sach mei abhi se hi Profound Board ke No.1 Spot ko hasil kar sakta hai ?

Aisa talent Omen Ridge ke 36 Commanderies ne hundreds of years mei nahi dekha tha.

Par tabhi us elder ne aage kaha.

"Waise dekhne toh nahi lag raha hai ke Kabir ne abhi tak Black Realm ke Ultimate Realm ko achieve kiya hai, par vo usse achieve karne se zyada dur bhi nahi hai."

Yeh baat us elder ne kaafi casually kahi thi par waha par jo warriors the unke liye yeh ek double bomb tha.

"Black Realm ka Ultimate Realm !"

Koi bhi us elder ki baat sunkar calm nahi baith sakta tha. Vo sabhi phir se Kabir ko dekhne lag gaye. Par kuch der pehle unki aankho mei Kabir ke liye jo expressions the vo ab change ho kar uski jagah admiration aur respect aa gayi thi.

Cultivators ke liye Ultimate Realm ek myth ho gaya tha ancient times se.

Toh kya Kabir ab us legendary realm ke kaafi paas pohoch gaya hai ?

Is waqt Kabir aur Gauren ke bich hue competition ko sabhi bhul se gaye the. Ab sabhi bas yahi discuss karne lag gaye the ke Kabir ki real kya hai aur uski level kya hogi.

Wahi upar 3rd floor ke private room mei.

Us room mei jitney bhi young geniuses the vo bhi bhi absent-minded the aur abhi tak shock se bahar hi nahi aaye the.

Is waqt unhe achhe se pata chal gaya tha ke Shreya ne Kabir ko hi apna partner kyo choose kiya tha. Omen Ridge ke 36 Commanderies ke andar aisa koun tha jo Kabir ke incredible talent ko match kar sakta tha ?

Yaha par sirf Shreya hi thi jo Kabir ke real strength ko janti thi. Usse yeh pata tha ke Kabir Yellow Realm ke Ultimate Realm ko achieve kar chuka hai. Pure Omen Ridge ke 36 Commanderies mei aisa koi nahi tha jo Yellow Realm ke bhi Ultimate Realm ko achieve kar paya ho.

Mohini kaafi gracefully aa kar Shreya ke side mei khadi ho gayi. Usse dekh kar aisa lag raha tha jaise vo kisi canvas painting se bahar aayi hai. Uski vo khubsurat aankhe Kabir ko dekh kar glitter kar rahi thi. Usne ek smile ki aur Shreya se kaha.

Mohini-Cousin Kabir ke abhi ke attitude ko dekh mein itna toh keh sakti hu ke usse best eating companion ko buy karne ke liye itne bade amount ko spend karne ki zarurat hi nahi thi. Us Gauren aur Kabir ke bich jo competiton chal raha tha jo zarur kisi personal matter ke liye chal raha hoga. Uski aankho ko dekh kar koi bhi bata sakta tha ke vo us ladki mei interested nahi tha. Par uski un cold aankho mei bhi jaise ajeeb si tadap ko mein ne feel kiya. Vo tumhe aise kyo dekh raha tha ?

Par Shreya ne Mohini ke is baat par kuch nahi kaha. Uski aankhe bad Kabir ke jaate hue figure ko hi dekh rahi thi.

Shreya ko pata tha ke Kabir kaafi honest person hai aur vo aise hi jhut nahi bolega. Kuch der pehle jo Kabir ne kaha vo sach bhi ho sakta hai aur usne sach mei us best eating companion ko apne brother ke liye buy kiya ho.

Par Shreya kaise itne saare warriors ke samne Kabir se maafi mang sakti thi. Uska jo high pride hai vo usse yeh karne nahi de raha tha.

Shreya-Jab yeh sab over ho jayega mein khud usse jaa kar baat karungi.

Shreya ne yeh baat apne aap se kahi thi.

Kabir ko jaate hue dekh kar bhi Shreya uske piche nahi gayi yeh dekh kar Mohini ki aankho mei ek alag hi chamak aa gayi thi.

Mohini ko lag raha tha ke is baar vo Shreya ko outmatch nahi kar sakti hai. Kabir jaisa ya phir usse bhi better talented person vo kaha se laa sakti thi, agar aisa hai toh kyo na Kabir ko hi Shreya se chura liya jaaye.

Best eating companion ki price 4 Million Silver Coins ho gayi thi aur yaha Kabir ke paas abhi ke liye 1 Million Silver Coins the toh usne baki ke price ko Half-Saint's Essence ke 6 drops ko de kar paid kiya. Luckily Moon Tower unhe bhi accept karta tha.

Best eating companion ki price ko pay kar ke vo uske saath bahar aa gaya.

Half-Saint's Essence ke single drop ki price 500,000 Silver Coins thi.

Western Campus ka No.1 master hone ke wajah se Kabir ko har quarter par 10 Half-Saint's Essence ke drop milte the. Ab uske paas 14 drops bach gaye the.

4th Prince ko abhi jo kuch bhi hua tha uske wajah se kaafi guilt feel ho rahi thi.

"Brother mujhe maaf karna. Mujhe nahi laga tha ke mujhe kiye promise ke wajah se Commandery Princess Shreya aur tumhare bich itni badi misunderstanding ho jayegi. Mein abhi jaa kar unhe sab kuch explain karta hu aur unse maafi mangta hu. Mujhe hi yeh sach clear karna hoga."

Kabir Moon Tower mei se nikal kar kaafi calm ho gaya tha. Usne smile karte hue 4th Prince se kaha.

Kabir-Brother tumhe is sab ke liye apne upar blame lene ki zarurat nahi hai. Ek tarah se dekha jaaye toh is sab mei mera bhi fault hua phir. Rahi baat Commandery Princess Shreya ki toh usse kuch bhi explain karne ki zarurat nahi hai. Agar vo is sab ke baad bhi mujhe apna friend manti hogi toh vo khud aayegi mere paas. Tab mei usse khud hi sab kuch bata dunga.

"Thik hai ab hame chalna chahiye."

Par 4th Prince ko abhi bhi kuch achha nahi lag raha tha. Usse pata chal gaya tha ke anjane mei hi sahi par usse badi mistake ho gayi hai.

Agar Yunvu Commandery King ko yeh baat pata chal jaati hai toh yeh uske liye bilkul bhi achha nahi hoga. Kyo ki jab se Shreya Kabir ko like karti hai yeh baat 36 Commanderies mei jab faili thi tab uske saath yeh baat bhi fail gayi thi ke Kabir Yunvu Commandery ke 4th Prince aur 9th Princess ko apna brother aur sister keh kar bulata hai. Iske wajah se Square Commandery jo is sab ke pehle aggresive thi vo ab kuch kam ho gayi thi.

Kabir ne us best eating companion ko dekha aur usse pucha.

Kabir-Naam kya hai tumhara ?

Yeh best eating companion jab se vo Kabir ke saath Moon Tower se nikal kar bahar aayi thi tab se usse admiration ke saath dekh rahi thi. Uske liye Kabir kisi God ki tarah aaya tha.

Uske looks ko dekhe toh vo kisi bhi tarah se Zina ya Shreya se kam nahi thi khubsurati mei. Uske face par ek gentle aur kind smile thi jab bhi Kabir ko dekhti thi.

Usne apne sir ko niche kiya aur kaafi gently kaha.

"Mera naam Pihu hai."

Kabir-Toh aaj se tum mere brother ki...

Jaise hi 4th Prince ne yeh suna waise hi usne zor se Kabir ko rokte hue kaha.

"Brother nahi ruko, please tum usse mujhe mat do. Agar father ko is sab ke baremei pata chal gaya toh vo isse maar denge aur mujhe bhi heavily punish karenge."

Agar 4th Prince best eating companion ko bina kisi bhi matter ke buy karta toh usse vo khushi khushi apnata.

Par ab sab jante the ke best eating companion ki wajah se jo Kabir aur Commandery Princess Shreya ki bich hua hai vo sab kuch jaldi hi Yunvu CIty mei pohoch jayega aur yeh bilkul bhi achha nahi lag raha tha 4th Prince ko.

Agar Yunvu Commandery King ko yeh pata chal jata hai ke 4th Prince is sab ke piche tha toh vo zarur Pihu ko death sentence de sakte the aur usse heavily punish kar sakte the.

Kabir-Ab yeh sahi mei kaafi tricky matter ho gaya hai.

Kabir bhi 4th Prince ke concern ko samajh sakta tha. Usne ek baar Pihu ko dekha aur phir kuch soch kar usse kaha.

Kabir-Pihu ab tum is sab se free ho. Tum jaha chaho waha jaa sakti ho.

Yeh sunte hue Pihu apne ghutno par Kabir ke samne baith jaati hai. Uski anakho mei dar dekha jaa sakta tha. Usne darte hue Kabir se kaha.

Pihu-Sacred Prince please mein aap ke aage apne haat jodti hu mujhe kahi bhi mat bhejiye. Even agar mein free ho gayi toh meri is khubsurati ke wajah se Black Market ke warriors mujhe pakad sakte hai. Please Sacred Prince.

Kabir Pihu ke muu se apne liye Sacred Prince sunkar kaafi shock ho gaya. Usne yeh bilkul bhi nahi socha tha ke Pihu usse aise bulayegi.

Agar vo Moon Tower mei hi rehti toh usse kuch nahi hota par agar Black Market mei usse kisi ne sell kar diya toh yeh uske liye kaafi bura ho sakta tha.

Par ab Pihu ke muu se apne liye Sacred Prince sunkar Kabir usse jaane nahi de sakta tha. Usne Pihu ko uske shoulder se pakad kar khada kiya aur kaha.

Kabir-Thik hai tum meri maid ban sakti ho.

Tabhi Linsen Kabir ke paas aata hai aur usse kehta hai.

Linsen-Kabir Guihai ne tumhare haato ko haar ko test kiya hai. Vo is humiliation ko bhul nahi payega. Mujhe aisa lag raha hai ke vo aisa kuch zarur karega ke vo tumhe hurt kar sake yaa phir vo kisi assassins ko bh hire kar sakta hai tumhe maarne ke liye.

Kabir-Well ab tum sabhi itna keh rahe ho toh mein kuch waqt ke liye issi Devil Martial City mei rehta hu. Jab tak mein yaha hu tab tak vo mujhe nahi maar payenge.

Kabir Western Campus ka top genius tha. Aise mei usse shayad hi koi marne ke liye aage aaye.

Linsen-Kabir samne se aa rahe spear ko toh dodge kiya jaa sakta hai par darkness se release kiye hue arrow ke against guard rehna difficult hota hai. Kabir mein tumhe suggest karta hu ke tum mere father ke mansion mei raho. Unke waha hote hue koi bhi tum par attack nahi kar payega.

Kabir-Thik hai phir. Agar tum yeh keh rahe ho toh tumhare father ke mansion mei hi chalte hai.

Issi ke saath Kabir aur baki sabhi Linsen ke father ke mansion ki taraf chale gaye.

Kabir ko pata tha ke Moon Tower mei jo hua hai usse uski taraf kaafi unchaha attention attract hua hoga. Aise mei Nether Master ke mansion mei rukna hi best option tha.

Kabir ne ab yeh decide kar liya tha ke vo jab tak Earth Realm mei breakthrough nahi kar leta hai tab tak vo Devil Martial City ko nahi chodega.

Yaha jab Guihai ko hosh aaya aur vo baki warriors ki help se Moon Tower mei se nikla tab uske mind mei bas yahi chal raha tha ke usse Kabir se mili is humiliation ka revenge lena hai.

Apne bachpan se top genius hone ke wajah se usse kaafi log admire karte the. Par aaj usse Martial Market School ke ek external student ne hara diya tha vo bhi 2 baar aur dono hi times sirf usne usse harane ke liye single move hi use kiya.

Aise mei vo kaise logo ko apna face dikha sakta tha.

"Kabir, aaj mein apne life ke upar swear karta hu mein tumhe maar dunga."

Tabhi kuch distance se ek warrior bhagte hue Guihai ke paas aata hai aur usse kehta hai.

"Master vo Kabir us Linsen ke father Nether Master ke mansion mei gaya hai."

"Usse kya lagta hai ke vo us Nether Master ke mansion mei chup sakta hai aur mein usse kuch nahi kar sakta hu."

Yeh keh kar Guihai ne kuch socha aur phir usne zor se chillate hue kaha.

"Mere father ko jaa kar inform karo ke mujhe jaldi se jaldi 20 Millions Silver Coins bheje. Mein is Kabir ke sir par bada sa reward lagana chahta hu ke jo bhi mujhe uska sir laa kar dega mein usse yeh big amount dunga. Jab tak vo Kabir zinda hai tab tak mein thik se jee nahi paunga."

Kyo ki Nether Master ek Heaven Realm warrior the aur saath hi Martial Market School ke Silver gown elder bhi the toh unka khud ka mansion tha Devil Martial City mei.

Yeh prestige sirf Heaven Realm warriors ko hi milta tha.

Kyo ki vo ek Heaven Realm warrior the unhe bas apne baremei sab jagah batana tha aur har taraf se warriors unke niche work karne ke liye aa sakte the.

Ek baar koi warrior Heaven Realm master ban jata hai toh uska status kaafi high ban jata tha. Usse easily koi bhi offend nahi kar sakta tha.

Wahi Heaven Realm warrior ke mansion ko guard karne wale soldiers bhi Black Realms warriors hote the aur kabhi kabhi unhe koi superior level martial technique bhi learn karne mil sakti thi.

Jaldi hi sabhi baate karte hue Nether Master ke mansion mei aate hai. Nether Master bhi khud sabhi ko greet karne ke liye aaye the. Aaj Devil Martial City mei unki respect Kabir aur uske friends ki wajah se hi thi kyo ki unki baate har jagah ho rahi thi.

Nether Master ko pehle hi news mil gayi thi ki Moon Tower mei kya hua hai. Uhone Kabir ko dekhte hue kaha.

"Kabir tum yaha aaram se reh sakte ho. Mere hote hue yaha par koi bhi nahi aa sakta hai."

Kabir-Thank you, Nether Master.

Iske baad sabhi mansion ke andar aate hai. Sabhi ko apne apne room diye gaye the. Kabir ne Zina ko mansion ke bahar ek small hil par khadi dekha. Usne usse waha jaa kar kaha.

Kabir-Sorry Zina meri wajah se tum bhi is matter mei aa gayi. Mujhe lagta hai tum bhi kuch der Devil Martial City ko chod nahi sakti ho.

Zina-Koi baat nahi Kabir kisi ko bhi yeh pata nahi tha ke yeh sab ho jaygea.

Yeh keh kar Zina palat jaati hai aur piche khadi Shreya ko dekhti hai.

Kabir ko pata tha ke Shreya unke piche khadi hai is liye vo bhi nahi palta tha.

Zina-Kabir mujhe lagta hai abh mujhe yaha se jana chahiye.

Yeh keh kar Zina Shreya ke side se nikal jaati hai.

Kabir abhi bhi samne ki taraf dekh raha tha jaha se usse sun west mei set hota hua dikh raha tha.

Kabir ne aage dekhte hue hi kaha.

Kabir-Kaho jo kehne aayi ho.

Shreya bhi jaise uske piche jaati hai aur usse piche se hug kar leti hai. Uski aankho mei bhi aansu the aur aage Kabir ki aanko mei bhi.

Shreya-Kabir please mujhse gussa mat karna. Isse mera dil jhel nahi payega.

Kabir-Shreya mein kaise tumse gussa ho sakta hu.

Yeh keh kar Kabir Shreya ko khud se alag karta hai aur palat kar usse dekhte hue kehta hai.

Kabir-Ab tum hu batao kaise gussa karu mei tumpar. Meri Maithili basti hai tumhare andar. Yaah tum basti thi Maithili mei. Yeh toh tum bhi janti ho ke Maithili mera dil thi aur Rati us dil ki dhadkan. Koi apne hi dil se kaise gussa reh sakta hai.

Shreya-Kabir mujhe kuch waqt chahiye. Is sab ko accept karnne ke liye.

Kabir ke face par Shreya ki yeh baat sunkar ek smile aati hai. Usne phir se samne ke dhalte suraj ko dekha aur kaha.

Kabir-Waqt ki dhara toh dekho Shreya ek waqt tha jab yahi baat mein ne Maithili se kahi thi aur aaj tum mujhe keh rahi ho. Thik ab kaafi der ho gayi hai tumhe yaha se jana chaiye.

Shreya-Hmm !

Yeh keh kar Shreya waha se chali jaati hai.

Kabir bhi apne room ki taraf jaane laga tha. Tabhi usse Pihu uski taraf aate hue dikhti hai.

Kabir bhi usse room mei aane ke liye kehta hai kyo ki uske haato mei ek teapot tha.

Kabir andar jaa kar ek sofa par baith jata hai aur Pihu bhi waha rakhe ek table par us teapot ko rakhti hai aur ek cup mei usse tea nikal kar deti hai.

Kabir uske haat se cup toh leta hai par usse pita nahi. Vo Pihu ko hi observe kar raha tha.

Kabir-Tum half-peacock clan se ho kyo jo Peacock Mountain Village mei hai aur tumhe kaise pata hai ke mein hi Sacred Prince hu ?

Pihu apne sir ko niche karti hai aur kehti hai.

Pihu-Sacred Prince yeh sab Buddhist Emperor ke wajah ho paya hai. Unhone hi hame bless kiya tha ke har half peacock human unke Empire ke Sacred Prince ko pehchan sakta hai. Yahi wajah thi ke mein aap ko pehchan saki.

Kabir ne yeh sab sunkar kuch socha aur phir kaha.

Kabir-Tumhare Sacred Mark ka class kya hai ?

Pihu-4th Class Sacred Mark.

Kabir-Well tumhare sacred mark ko dekhe toh usse medium hi classified kaha jaa sakta hai. Of course yeh tumhare andar jo potential hai usse represent nahi karta hai. History mei aise bhi warriors hue hai jina sacred mark low class ka tha par vo aaj Saint ban gaye hai. Tum kounsi exercises ko practice karti ho ?

Pihu-Mein Black Wind Hearing the Wave technique ko practice karti hu jo Human Stage ki Mid-Class martial technique hai.

Kabir ne yeh sunkar apne sir ko naa mei hilate hue kaha.


Kabir-Sirf 9 meridians open hai tumhari aur vo bhi Yellow Realm ke Dawn Stage par issi liye yeh tumhare cultivation ko effect kar raha hai. Mein tumhe Half-human peacock clan ki top exercise sikha sakta hu. Par tumhe mujhe yeh promise karna hoga ke tum iske baremei abhi ke liye kisi ko bhi nahi bataogi ke yeh technique tumne kaha se sikhi hai.
Zabardast awesome birrillint update
 
Status
Not open for further replies.
Top