• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Gods and Demons

just YES OR NO


  • Total voters
    318
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Lovekillsyou

Active Member
653
2,717
124
Note- Update 177 hi 178 hain
 
Last edited:

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,484
31,684
189
Guys Update kuch late aayega.
Peace ✌️.
 

Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
158
UPDATE 183

Mount Saint Crossing mei 6 Hurricane Secret Practicing Rooms the. Unmei se 3 Earth Stage Hurricane Secret Practicing Rooms the aur vo specifically un warriors ke liye the jo Earth Realm mei ho.

Baki ke 3 Heaven Stage Hurricane Secret Practicing Rooms the aur sirf Heaven Realm warriors ke liye hi diye jaate the.

Jab Kabir Secret Practicing Rooms ke paas aaya tab tak waha par sirf ek hi Hurricane Secret Practicing Room khali bacha hua tha.

Un rooms ko guard karne wala person ek Silver Robe elder tha. Vo niche ground par cross-sitting position mei baith kar practice kar raha tha. Jab Kabir waha par aaya tabhi usne apne aankho ko open kiya tha.

"Tum Internal Student nahi ho ?"

Us elder ne Kabir ko dekhte hue yeh usse pucha tha. Uski nazar kisi needle ki tarah piercing thi.

Kabir-Mein Outer Palace Student hu Western Campus se.

Kabir ki baat sunkar us elder ne gently apne sir ko naa mei hilate hue kaha.

"Agar tumhara cultivation Earth Realm mei nahi hai toh Earth Stage Hurricane Secret Practicing Room tumhare liye dangerous ho sakti hai. Tumhe is baat par phir se soch lena chahiye."

Kabir-Well agar mein Mount Saint Crossing aaya hu toh sab kuch soch kar hi aaya hu.

Kabir ko jaldi se Shadow of the Royal Wind next level tak successfully practice karna tha. Phir chahe vo kitna bhi kyo na dangerous ho. Usse us room mei enter kar ke practice karni hi thi.

Wahi is elder ne bhi aise bohot se students dekhe the jo is room mei kaafi confidence ke saath enter karte hai par jab waha se bahar aate hai toh heavily injured rehte hai.

Aise log tab tak apni haar nahi mante hai jab tak death unke samne na ho.

Us elder ko bhi laga ke Kabir bhi unhi students mei se ek hai is liye unhone bhi zyada Kabir ko samjhana nahi chaha. Us elder ne ek transperent sensing pill nikali aur usse Kabir ko dete hue kaha.

"2 baate achhe se yaad rakhna. 1st agar room mei practice karna difficult ho jaaye toh immediately is sensing pearl ko break kar dena. Waha par zyada tough hone ki zarurat nahi hai. Yeh life and death ka matter hai."

"2nd yeh ke har visit ke 100 merit points hote hai. Iske saath tum is room mei zyada se zyada 4th night tak hi ruk sakte ho. Par agar tum sirf 1 minute ke liye bhi andar gaye aur jaldi se bahar aaye toh tumhe yeh merit points phir se nahi milenge. Toh kya tum ready ho ?"

Kabir-Haan mein ready hu.

Issi ke saath Kabir ne us sensing pearl ko accept kiya aur jaa kar Earth Stage Hurricane Secret Practicing Room ke door ke samne khada ho gaya aur uske open hone ka wait karne laga.

Tabhi ek blast jaise aawaz ke saath vo door open hone lag gaya.

Yeh door ek stone door tha. Us stone door ke piche ek light door bana hua tha jo ground se upar ke taraf connect ho raha tha.

Us light ke upar ki taraf inscriptions bane hue the aur kisi water ripple ki tarah move ho rahe the.

Jaise hi Kabir ne apna ek step andar rakha waise hi usse us light door ne apne andar le liya. Issi ke saath Kabir Secret Room ke andar chala gaya.

Yeh ek bada se sphere shape room tha jo almost 50 meters ke diameter mei tha.

Uske aaspas jo stone walls thi vo bhi kisi iron ki tarah lag rahi thi. Unmei kuch kuch jagaho par Spiritual Crystals lage hue the aur unhe dekh kar aisa lag raha tha jaise vo raat ke aasman mei stars ho.

Iske alawa us room mei aisa kuch bhi nahi tha.

Tabhi waha par bani inscriptions lines activate hone lag gayi aur stone walls par lage un Spiritual Crystals ko ek dusre se connect karne lag gayi. Jaldi hi waha par ek complete sealed array ban gaya tha.

Suddenly us room mei mountains tak ko flat karne wali aur seas ko bhi hila dene wali hawa flow hone lag gayi.

Kuch der pehle jo stone room kaafi peacefull tha ab vo transform ho kar ek ravaging hurricanes aur raging winds ke saath fill ho gaya tha. Yeh hawa kisi bhi normal person ko pieces mei cut kar sakti thi.

Although Kabir pehle se ready tha is sab ke liye par phir bhi itne strong wind ke wajah se vo room mei yaha par ghumne lag gaya tha. Vo har baar opposite walls par crash ho raha tha.

Uske internal organs tak iske wajah se shake ho gaye the aur Kabir kaafi tremendous pain ko feel karne lag gaya tha. Usse aisa lag raha tha ke uski body split ho kar open ho rahi hai. Fortunately Kabir inta strong tha ke vo is sab ko jhel sake. Nahi toh sirf ek crash mei hi vo heavily injured ho sakta tha.

Kabir-Yeh sach mei ek Earth Stage Practicing Room hai. Agar koi normal warrior jo Black Realm ke Completion Stage par hota toh vo ab tak seriously injured ho gaya hota.

Kabir ke react karne se phele hi uske piche jo stone wall thi usmei se kaafi strong wind flow nikla aur Kabir ko aage ki taraf udate hue le gaya.

Abhi Kabir udte hue aage badh hi raha tha ke tabhi samne ke stone wall mei se bhi ek strong wind ka flow nikla aur Kabir ki taraf badh gaya. Kabir us leaf ki tarah ho gaya tha jisse khud ke movements par koi control na ho. Aise hi Kabir jaa kar dusre stone wall par crash hua.

BOOM !

BOOM !

...

Itna chaotic room mei Kabir ko gaye hue abhi sirf 1 minute hi hua tha aur issi 1 minute mei Kabir ab tak un stone walls par 43 times crash ho gaya tha.

Kabhi uski back walls ke saath crash hoti toh kabhi uska face wall ke saath crash hota tha. In endless attacks ne usse injured kar hi diya tha. Uske muu se blood nikalne laga tha.

Kabir-Mein aise hi is practice room se bahar jaane wala hu ? Nahi bilkul bhi nahi.

Kabir ne apne fists ko tightly close kiya aur apne aap ko focus karne lag gaya.

Jaise next wind blow aaya usne uske strength ko quickly analyse kiya aur saath hi uske direction ko bhi. Issi ke saath usne Shadow of the Royal Wind Dragon ke 9 footwork ko perform kiya aur 9 steps ke saath us wind blow mei aage badhne lag gaya.

BOOM !

Kabir sirf 2 second ke liye hi apne aap ko stable rakh paya tha aur uske baad wind pressure ke wajah se aage jaa kar wall par crash ho gaya. Is baar uska right shoulder bhi kaafi heavily crash hua tha us stone wall par. Iske wajah use uska haat numb ho gaya tha. Uske shoulder mei se kaafi intense pain uske pure body mei failne lag gaya. Kabir ko aise feel ho raha tha jaise uska bone break ho gaya ho.

Ek baar phir se Kabir ko wind blow ne uda diya. Par is baar Kabir apne center of gravity ko control karne mei laga hua tha. Usne phir se Shadow of the Royal Wind Dragon ko execute kiya aur har taraf se aa rahe wind blows ke saath fight karne lag gaya.

Wahi us stone door ke bahar jo Silver Robe elder the unke face par kaafi shocking expressions aa rahe the.

"Yeh ladka utna bhi bura nahi hai. Is ladkne ne apne aap ko is room mei 1 minute tak roke rakhne mei manage kar liya hai. Yeh already kaafi better hai bohot se internal students ke mukable. Ab bas yeh dekhna hai yeh kab tak apne aap ko us room mei rok kar rakh sakta hai."

Bohot se internal students secret practicing room se 1 minute ke andar hi bahar aa jaate hai heavy injuries ke saath.

Even kuch internal students jo Earth Realm ke Initial Stage par hote he vo bhi is room mei se 1 minute ke andar bahar aa jate hai. Jab vo 1st time Earth Stage Hurricane Secret Practicing Room mei enter karte hai.

Us Silver Robe elder ko laga tha ke Kabir bhi ek arrogant student hai par ab jab unhone Kabir ki performence ko dekh liya tha toh ab vo bhi yeh dekhna chahte the ke Kabir kab tak andar reh pata hai.

2nd minute mei Kabir ki body walls par sirf 37 times hi crash hui thi. Yeh ek improvement thi.

Kuch hi der mei Kabir ne us room ke environment ko adapt kar liya tha. Although vo abhi bhi un walls par crash ho raha tha par ab yeh kaafi kam ho gaya tha.

Aise hi 2 hours pass ho gaye the. Us room mei jo wind flow tha vo suddenly ruk gaya aur Kabir bhi niche aa kar ground par crash ho gaya.

Kabir ke body par aisi koi jagah nahi bachi thi jaha par usse injury na hui ho. Even 3 places par uske bones bhi break ho gaye the.

Kabir-Finally. 2 hours ho gaye.

Kabir ne apne pain ko jhelte hue apni jagah par uth kar baith gaya.

Usne apne Space Bracelet mei se ek healing pill nikali aur usse kha liya.

Kabir ki race time ke saath chal rahi thi. Usse jaldi se jaldi is pill ko refine kar ke apne injuries ko heal karna tha.

Practicing Room ke andar jo wind array tha vo continuous nahi tha. 2 hours ke liye activate hone baad vo next 2 hours ke liye ruk jata tha.

Yeh 2 hours andar practice kar rahe warrior ke liye kaafi important the. Issi bich vo apne aap ko heal karta tha aur saath hi ab tak kiye hue practice ko review kar sakta tha.

Kabir-Well sirf 2 hours hi hue hai ab tak par mein ne kaafi improve kar liya hai. Starting mei mein 43 times walls par crash hua tha aur ab end aate aate vo 27 times par aa gaya hai.

Kabir ko pata chal gaya tha ke agar vo is Earth Stage Hurricane Secret Practicing Room ke wind blows ko conquer kar le toh uski Shadow of the Royal Wind Dragon jaldi next level par successfully pohoch sakti hai.

Is room ke wind ko perfectly conquer karna matlab sirf uske attack ko dodge karna nahi tha balki us wind flow mei naturally move karna tha.

"Yeh 2 hours se andar hai."

Vo Silver Robe elder is baat se kaafi shock ho gaya tha. Usse ab Kabir ke baremei tension hone lag gaya tha ke kahi vo andar mar toh nahi gaya.

After all koi bhi outer palace student ab tak itni der andar nahi raha tha.

Even Internal Students ko bhi fully 2 hours Secret Practicing Room mei rehne ke liye Earth Realm ke Advance Stage par hona padta tha.

Us elder ne Kabir ko Sensing Pearl di hui thi ke jab usse lage ke vo andar nahi ruk sakta hai tab vo usse crush kar de. Usse andar ka array deactivate ho jayega. Lekin kabhi kabhi andar gaye warrior ko utna time hi nahi mil pata hai.

Jab aisa hota hai tab andar gaye warrior ki death hi ho sakti hai.

Us elder stone gate ko open kiya aur us light door ki taraf chala gaya.

Waha par ek image bani hui thi.

Us elder ne dekha ke Kabir abhi room ke center mei baitha hua hai. Uski body Genuine Qi se envelope ho gayi thi aur heal ho rahi thi.

Yeh dekh kar us Silver Robe elder ne toh jaise apne aankho ko rub kiya aur phir se us light door par bane image ko dekhne lag gaya.

"Kya yeh sach mei Outer Palace student hai ?"

Ab tak 3 days ho gaye the. Although Kabir ki injuries heavier se heavier hoti jaa rahi thi par Kabir abhi haar nahi maan lena chahta tha. Balki vo abhi bhi continue karna chahta tha. Vo abhi bhi Shadow of the Royal Wind Dragon ko Hurricane Secret Room mei practice kar raha tha.

Kabir ne is room ke environment aur pressure ke under kaafi improvment kar li thi.

Ab vo 1 minute ke andar sirf 10 times hi wall par crash ho raha tha. Agar vo sahi se karta tha toh vo sirf 7-8 times hi wall par crash hota tha.

Yeh ek sign ke Kabir Shadow of the Royal Wind Dragon mei kaafi improve kar raha hai.

Wall par baar baar crash hone ke wajah se vo sirf injured hi nahi ho raha tha balki uski body bhi strong aur tough hoti jaa rahi thi. Har practice ke saath uske bones aur muscles pehle se bhi zyada powerful hote jaa rahe the.

Same time par Kabir ke body ke andar jo Genuine Qi thi vo aur bhi pure hoti jaa rahi thi. Iske wajah se uske Meridians bhi tougher ho gayi thi.

Kabir-Although Hurricane Secret Practicing Room ka environment kaafi harsh hai par iske wajah se mere is realm ke foundation ko kaafi jaldi consolidate kar diya hai. Agar mein aise hi is room mei practice karta raha toh mujhe apne is realm ko perfect karne ke liye sirf 3 months ka hi time lag sakta hai.

Kabir ne calculate kar liya tha ke har din us par winds ka hundreds of time attack hota hai.

Aise hi 2 weeks ka bit gaye.

Kabir ne apne is practice mei bilkul na ke barabar rest li hui thi. Agar vo practice nahi karta rehta toh apne aap ko heal karta rehta tha.

Agar uski Spiritual Powers strong na hoti toh uska ab tak mental breakdown ho gaya hota.

Is sab ke baar Kabir kaafi exhausted feel kar raha tha. Uske body mei bilkul bhi energy nahi bachi thi.

In 2 weeks ke tough training mei Kabir ne kaafi improvment ki hui thi.

Ab vo walls par sirf 5 times hi crash hota tha per minute mei.

Apne best state mei Kabir almost 30 seconds ke liye us hurricane mei hover kar sakta tha. 30 seconds ke baad vo wind power ko use kar ke apne center of gravity ko control karta tha aur is baat par focus karta tha ke vo stone wall par crash na kar sake.

Mohini aaj phir se Mount Saint Crossing mei aayi thi aur aa kar Kabir jis room mei tha uske door ke samne khadi ho gayi. Usne ek snow silk robe pehna hua tha. Saath hi uske waist par lagi vo small bell abhi bhi waise hi sweet sound ko create kar rahi thi.

Yeh Mohini ki 5th trip thi Mount Saint Crossing mei.

Mohini-Vo abhi bhi Secret Practicing Room mei se bahar nahi aaya ?

Mohini ne us Silver Robe elder se pucha.

Vo Silver Robe elder bhi apni jagha par khada ho gaya aur usne Mohini se kaha.

"Vo apne fortnight ko practice kar ke hi complete karega shayad aur ab vo bahar aane hi wala hoga."

Is Silver Robe elder ko Mohini ki identity pata thi is liye vo usse other younger warriors ki tarah treat nahi karta tha. Vo Mohini ko apne equal hi samajhta tha.

Mohini yeh baat sunkar kuch sochne lagti hai aur phir ek smile ke saath kehti hai.

Mohini-Yeh abhi bhi sirf Black Realm warrior hai aur phir bhi yeh fortnight tak Earth Stage Hurricane Secret Practicing Room mei reh sakta hai. Elder aap ko kya lagta hai yeh sab Kabir kyo kar paa raha hai ?

"Last decades mei sirf Shreya hi thi vo Secret Practicing Room me best perform kar payi thi. Uske 1st visit par vo full 3 days tak andar rahi thi. Par tab vo Earth Realm ke Initial Stage par thi."

"Uske 2nd visit par vo bhi fortnight tak andar rahi thi. Us waqt uska cultivation Earth Realm ke Mid Stage par pohoch gaya tha. Upar se uske physical qualities bhi Wind Nature ki hai toh uske wajah se vo uske liye yeh sab aur bhi easy ho gaya tha."

"Par Kabir ki physical quality Wind Nature ki nahi hai aur uska cultivation bhi abhi bhi Black Realm par hai. Phir bhi vo Commandery Princess Shreya se powerful hai. Lagta hai vo Black Realm ke Ultimate Realm ke kaafi paas hai. Shayad vo Secret Practicing Room mei gaya hi is liye ho ke vo Black Realm ke Ultimate Realm mei breakthrough kar sake."

Us Silver Robe elder ke analysis ko sunkar Mohini ke face ke expressions change ho gaye.

Mohini-Par yeh nahi kaha jata hai ke Ultimate Realm ko recent history mei koi bhi achieve nahi kar paya hai ?

Mohini ki baat sunkar us Silver Robe elder ne smile karte hue kaha.

"Although yeh sab bahar ke log kehte hai, aur yeh necessary nahi hai ke vo jo kehte hai wahi sach ho. Jo warrior Ultimate Realm ko achieve karta ho vo aise batayega toh nahi ke usne Ultimate Realm ko achieve kar liya hai. Jaise example ke liye agar Kabir Ultimate Realm ko achieve karta hai toh vo bhi nahi batayega ke usne Ultimate Realm ko achieve kiya hua hai."

Us elder ki baat ko sunkar Mohini ne apne sir ko haan mei hilaya.

Yaha Kabir apne heavily injured body ko jaise taise us room ke bahar lekar aata hai.

Ab usse sirf kuch din ki achhi neend ki zarurat thi.

Jaise hi Mohini ne dekha ke Kabir bahar aaya hai waise hi vo aage badhi aur usse apna haat dekh kar help karte hue dekhne lagi.

Mohini-Kabir tum itne heavily injured kyo hue ho ?

Jaise hi Kabir ne Mohini ki aawaz suni waise hi co confuse ho gaya.

Kabir-Mohini tum yaha kya kar rahi ho ?

Mohini-Mein ne calculate kar liya tha ke tum aaj room se bahar aaoge toh mein tumhe pick karne aa gayi.

Kabir-Mujhe pick karne ke liye ? Aur kaha jaa rahe hai ham ?

Mohini ne apne aankho ko roll karte hue kaha.

Mohini-Of course aisi jagah jaha tum rest aur recover kar sako.

Although Kabir ne last 14-15 days se rest nahi li thi aur abhi kaafi thaka hua tha lekin vo abhi bhi kaafi alert tha.

After all Mohini abhi bhi uske itni close nahi thi toh vo usse itna help kyo kar rahi hai.

Kabir-Mujhe nahi lagta hai ke abhi ke liye mujhe rest ki zarurat hai.

Mohini-Kya matlab hai tumhara ke tumhe rest ki zarurat nahi hai ? Tumhare current state mei tum Inner School se bahar jaa kar kahi stay karne wale ho aur agar issi bich tumhe phir se Rena mil gaya toh tum kya karoge ?

Dekha jaaye toh Mohini kaafi intelligent thi. Abhi usne jo kaha tha vo logically kaafi sahi tha.

Kabir ne apne halat ko dekha aur kuch der soch kar kaha.

Kabir-Thik hai phir.

Inner School mei students ko sirf 100 merit points spend karne padte the khud ke building ke liye.

Most of the Internal Students ki khud ki practice building the. Aisi ek Mohini ki bhi thi.

Jaise bhi Kabir aur Mohini uske building ke paas aaye waise hi 12 serving girls bahar aa kar unka welcome karne lag gaye.

"Greetings, Master."

Yeh baat leading maid ne kahi thi. Uska cultivation Yellow Realm ke Completion Stage par tha. Vo bhi kaafi pretty thi aur Kabir ke hi same age ki thi.

Par sabhi maids kuch confuse thi ke unke master ne 1st time kisi male person ko unke practice building mei laya tha.

Mohini ne smile karte hue Kabir ko dekha aur kaha.

Mohini-Martial Market School mei merit points ke saath tum kuch bhi paa sakte ho. Jaise example ke liye yeh serving girls. Inmei se cheapest tumhe 1 merit point ke liye milti hai. Agar transaction successful raha toh yeh tumhe serve karegi. Wahi agar tumhare paas enough merit points hue toh tumhe Black Realm aur Earth Realm maids bhi mil sakti hai. In sabhi ko Martial Market School ne Black Market se free kar ke laya hua hai.

Mohini ne phir apne maids ko dekhte hue kaha.

Mohini-Kya Blue tea, Green tea aur Seven Spirit medicinal spring water ready hai ?

Tabhi 2 maids aage aati hai aur ek saath kehti hai.

"Master aap ke order par sab kuch ready hai."

Mohini-Tum Kabir ko lekar us medicinal water ki taraf lekar jaao taaki vo apne injuries ko heal kar sake.

Kabir ek baar confuse ho kar Mohini ko dekhta hai aur sochta hai.

Kabir-Mein isse sirf 2 baar hi mila hu toh yeh meri itni care kyo kar rahi hai ? Even agar Mohini Shreya ki cousin hui toh bhi usse meri itni care karne ki zarurat nahi thi. Aankhir chahti kya hai ?

Par abhi ke liye Kabir kaafi thaka hua tha is liye usne is baremei abhi kuch bhi sochna sahi nahi samjha. Vo bas un 2 maids ke piche jata raha.

Us bath mei jo water tha usmei seven colour dikh rahe the jo seven different type ke medicine ko milakar bana tha. Har ek medicine ki value 100,000 Silver Coins ke upar ki thi. Agar in sabhi seven spirt herbs ko combine kare toh Million Silver Coins ke upar ki price jaa rahi thi.

Even Heaven Realm warriors bhi seven spirit medicinal spring water ko tabhi use karte hai jab vo kaafi heavily injured ho.

Is bath mei jitna seven spirit medicinal spring water hai usmei ek half city ko buy kiya jaa sakta hai.

Jaise hi Kabir us bath mei gaya usse aisa feel ho raha tha ke vo us feeling explain bhi nahi kar sakta tha. Vo kaafi relax feel kar raha tha. Uske skin ke pores open ho gaye aur us water ke healing properties ko absorb karne lag gaye.


Kuch hi der mei Kabir ko neend aa gayi us bath mei.
Nice update Bhai

Waiting for new update bhai
 
Status
Not open for further replies.
Top