• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Gulam (Completed)

Lone survivor

Well-Known Member
8,688
29,868
219
awesome update dost shandaar update hai jay ko bhi lagbhag pichla sab yaad aa raha hai achchi baat hai waise mai na sonch raha tha ki goli jahan lagi wahan par dil na tha koi baat nahi ye sasuri yaddast kaise chali gayi fir :confused:ab chalo gayi jo wo gayi ab wapas aa jaye time par to theek hai nahi to is baar nisha sidha sar ma goli maregi :dost:
Baat to sahi Hai aapki
Vaise etne upar se gira hai aur pani me bhi bahut raha to yaadast ja sakti hai
Nahi to typical bollywood story samjh lo
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,688
29,868
219
Excellent update bhai bahut hi Shandar on lajawab bole to ekdum jhakaas dhamakedar mind blowing & fantastic

Wah Bhai bahut hi badiya update tha lekin ek baat samajh mein nahi aayi ke Priya Shivani aur nisha Gaon Aane Se Pahle Hi matlab jey se milne se pahle Hi Sabhi kuch plan Bana kar Aaye The aur Inka asli maqsad jey ko Barbad karna aur Uske Sabhi network aur power par khud ka Kabza kar usko Khatam karna tha Lekin Jey London se aane ke baad inse Pehli Baar sirf Gaon Mein mila hai to Fir Jey se yeh log kis baat Ka Badla le rahe hain Aakhir Jey in logon ka kya Bigada hai yeh log to Jey ki sagi behnen Hain aur koi bhai chah Kar Bhi apni sagi behno ka kuch kharab nahin kar sakta

Aur Nisha ka jey ke liye yeh bolna ka kya matlab nafrat etni jaldi pyaar me nahi badalti
Aur humare sath jo hua vohi uske sath hota to kya vo hum sabko marne se pehle ek baar bhi sochta Aakhir in SAB Ke Piche kya Wajah hai yeh suspense jaan ne ke liye Aage Ka Intezar rahega bhai

Keep going
We will wait for next update

:yourock:
​
Aapke sare doubts sahi hai aur aage ke updates me dheere dheere karke khul jaenge
Sath bane rahe
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,688
29,868
219
Awesome update bhai,
behad hi shandaar, lajawaab aur amazing update hai bhai,
jey ko uske atit ke baare me kuchh dhundhla sa sapna aaya hai,
aur ab vo paise aur car lekar khud ki khoj me nikal pada hai,
vahi udhar shivani jey ke jaane ke baad ab bhi uski yaado me khoyi hai, lekin nisha ko apne karmo ka jara sa bhi pachhatava nahi hai,
dekhte hai ab aage kya hota hai,
Waiting for next update
Thank you for your review bhai
Sath bane rahe bahut kuch hone baki hai
Stay tuned and keep supporting
 
  • Like
Reactions: Jitu kumar

Lone survivor

Well-Known Member
8,688
29,868
219
Nice update bhai lag raha tha unlog jey ki bahen nahi hai lekin ab pata chala uski hii bahen hai..... Thakur unlogo ke sath kya kiya tha jo itna gussa hai ki apni bhai ko bhi marba diya tha lekin jey ki naseeb achha hai ki heart right side me tha.... Ab lagta hai flashback me jana hoga..... Mast update bhai
Behane hai ye kab pata chala?
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,688
29,868
219
Update-57

Jey jangalo me kahi bahut door nikal gaya tha
Kuch doond raha tha jo usse mil nahi raha tha
Kafi der ho gaye thi usse drive karte hue lekin abhi tak kamyaab nahi ho paya tha

Ab to aisa lagne laga tha ki vo baar baar ek hi jagah par aa ja raha hai esliye jab vo vapas vaha aaya to car rok kar niche utar gaya aur edhar udar dekhne laga

Usse pakka yakin tha ki yaha kuch na kuch to hai lekin uska pata kaise lagaye ye bada kaam tha

Ek baar laptop khol kar dobara check kiya to jagah to sahi thi par jangal ke alava aur kuch nahi dikh raha tha usse

Vaha bade bade ped the aur bas kuch nahi

Jey edhar udhar gumne laga ki sayad kuch uski najaro se bacha hua hoga

Abhi vo chal hi raha tha ki ek aawaz aae jaise usne kisi chhij par pair rakh diya ho

Jey ek statue ki tarah vaha khada hogya kyuki etni common sense to sabme hoti hai ki ye bomb vagira kuch ho sakta hai

Jey ke chehre par pasine ki boonde saaf dikhne lag gaye thi ki

Samne ke bade ped se ek machine gun nikal kar aagaye aur usne Jey ko aim laga liya

Ab to uski aur faat gaye ki Bhai ye to akhiri waqt aagya lekin gun ki dusri taraf se ek camera bhi nikal ke aaya jo Jey ko scan karne laga

Jey ko to ganta kuch samjh me nahi aa raha tha ki sala ho kya raha hai

Man to kar raha tha ki vaha se bhag khada ho lekin samne machine gun aur pair ke niche pata nahi kya tha ki himmat hi nahi hue

Tabhi ek aawaz aae
Scan completed
Welcome back sir

Aur samne ke ped pode aage piche hatne lage aur jo unke piche pahad tha uske niche se ek gate nikal kar aaya

Machine gun vapas apni jagah par chhup gaye aur sath me camera bhi

Jab jake Jey ko saas aae
Usne jaldi se car ko us gate ke undar gussa diya aur gate apne aap band hogya

Jaise hi gate band hua
Jey apne man me
Ab ye sala khulega kaise

Fir aage bhad gaya

Ye kisi guma type ki thi jisme kafi undera tha to Jey ko kafi mahnat karni pad rahi thi aage jane me

Tabhi usse kahi par electricity switch dikha

Purane jamane ke bade wale switch
Usse on karte hi vaha dheere dheere karke light jalne lagi

Aur jo vaha chhije thi vo jey jo dikhane lagi

Chalo aaram se batata hu ki vaha tha kya kya

Pehle to hathiyaro ka bhandar tha
Dusre etne sare systems the ki pure sehar ko vaha se dekh sakte ho
Tisra kafi achi achi gadiya thi
Fourth kuch photos lagi hue thi jinko sayad jey abhi pahchan nahi pa raha tha

Etni sari chhijo ko dekh kar jey ko ye to lag gaya tha ki vo koe don hai aur esliye hi uspar hamla bhi hua hai

Lekin baar baar uski najar un photos par ja rahi thi jinhe dekh kar usse kuch apni feelings aa rahi thi jaise ye sab to mere apne hai

Par sirf feelings aa rahi thi kyuki yaad to ganta kuch nahi tha

Photos se aage bhada to hathiyaar dikhe par unhe to ignore kar diya aur systems me dekhne laga

Jaha alag alag jagah ki live videos aa rahi thi ab ye jagah kaha thi aur kyu yaha camera LaHaye gaye the ye usko bhi yaad nahi tha

Jo jey ko memory card mila tha ab uska kaam bhi khatam ho gaya tha kyuki usme ye do chhij hi thi

Ek number aur dusri es jagah ke coordinate

Help to dono jagah se mili par apni hakikat ko samjh paye aisa kuch nahi hua

To frustrate hokar side me rakhi daru utha kar aaram aaram se peene laga

Tabhi ek scene flashback ki tarah uski aankhon ke samne se gujra

"Ek din nashe karte karte hi mar jaoge tum"

Usse sirf aawaz aae kyuki chehra nahi dikhata tha kisi ka

par usne ignore karte hue peene jari rakha aur peete peete ye decide kar liya ki vo jaha se aaj hi nikal jaega kyuki yaha bathe bathe kuch nahi hone wala

Vo firse usi direction me jaega jaha usse jana chahiye tha aur har jagah bahut ache se dekhega sayad kuch pata chal jaye

Usne vaha se photos lagi hue thi vo nikal li ki unhe dikha kar puch sakta hai

Agar vo log mil gaye to sayad uske bare me kuch bata sake

Bahut der peene ke baad usne kuch bottles apne beg me daali aur sath me vo photos bhi aur vaha se nikalne laga

Tabhi ek under se aawaz aae
Guns ki jarurat padegi

Jey ko vo aawaz etni tej sunae di ki ek baar to ye hi lag gaya tha ki sach me kisi aur ne boli vo

Par usne nahi suni aur sayad ye uski galati bhi sabit ho

Aur vo vaha se ek car leke chala gaya

Jaise hi janglo se nikala car ki speed bahut fast kardi kyuki ab uske upar frustration havi hone laga tha

Baar Baar apni pahchan ke bare me sochne ke karan vo apne upar se control khone laga tha

Esliye usse jaldi se jaldi sara area cover karna tha

Un jangalo se nikalne ke baad sabse pehle vapas ussi jagah pahucha jaha usse memory card mila tha kyuki usse pehle to vo har jagah check karte hue hi aaya tha

Ab usse uske aage jana tha aur car aur paise hone ki vajah se ye bhi soch liya tha ki jo jo jagah raste me aaegi usse bahut ache tarike se pura dekhega

Sayad kuch pata chal jaye

Lekin usse ye nahi pata tha ki vo narak ki taraf bhad raha hai
Jaha sare havaan uske khoon ke pyaase bathe hai

Aur yaadast na hone ke karan vo aur bhi jada kamjor hai

Par jana to tha hi aur koe rasta bhi to nahi bacha tha

Jey- **** kitni door padega kaka
Jey kisi bhudhe aadmi se pucha

Kaka- 100km
Gumne aaye ho?
Jey- aisa hi kuch samjh lo

Kaka- vo jagah achi nahi hai beta
Jey- matlab?

Kaka- vaha sare badmaash log rahte hai
Jey- unka baap hu main
Jey ke muh se apne aap nikal gaya ye aur usse aisa laga jaise ye sab vo pehle bol chuka ho

Kaka- nashe kiye ho kya beta
Tum to bache lagte ho
Us bhudhe uncle ko pata nahi kis angle se Jey bacha lag raha tha kyuki ab to beared aur hair dono hi bahut bade ho chuke the aur chehre par ek alag hi udasi thi jo usse thoda aged dikhane me help kar rahi thi

Kaka- kaha kho gaye
Jey- nashe to sirf khoon ka karta hu main
Baki Kal ke newspaper me padh lena

Jey ke muh se aaj kuch bhi nikal raha tha par yaha ek baat to sayad kisi ne notice nahi ki hogi ki ye sab bolte hue Jey ke chehre ko dekh kar purane Jey ki jhalak dikhane lag gaye thi

Sayad vo jada din tak nind me nahi rah sakta tha
Par ek baat ye bhi hai ki jab usse pata hi nahi hoga ki vo kya kya kar sakta hai aur usne sab kaise Kiya to vo kitni tabhae macha sakta hai

Ha manta hu ki khatra bhi pehle se kahi jada hoga lekin ek baar soch ke dekho
Mujhe to galat hi najara dikh raha hai

Jey vaha se nikal gaya us admi ke bataye hue jagah par

100km pahuchne me jada waqt nahi laga aur jaisa us admi ne kaha tha vaha ka najara bilkul vaisa hi tha

Har jagah aam logo ko pareshan kiya ja raha tha aur ajib language ka use ho raha tha

Jey ne side me car park ki aur utar kar vo photo dikha kar logo se puchne laga

Lekin kisi ko kuch pata nahi tha

Sayad aisa ho sakta hai ki vo kisi ke bachpan ki photo ho aur ab vo bade ho chuke ho jiske karan koe pahchan nahi pa raha ho

Ya fir koe sach me janta hi na ho
Kuch bhi ho sakta hai

Yaha ye bhi ho sakta hai ki koe batana hi nahi chahta ho

Tabhi ek ladka Jey ke pass aaya
Ladka- esko doond rahe ho
Photo ki taraf ishara karke bola
Jey- ha aap jante ho isse

Ladka- kon nahi janta isse
Sab jante hai
Chalo mere sath batata hu
Jey uske sath sath chalne lag gaya

Jey- mere paas car hai
Ladka- koe baat nahi
Edar hi rahne do
Paas me hi jana hai

To Jey paidal hi uske sath chalne lag gaya

Usse negative vibes to aa gaye thi par ek ummid thi ki sayad enhe pata ho kuch
Ek percent bhi chance ho to kuch baat ban jaye

Bas yehi soch kar vo uske sath chal diya aur vo bhi bina kuch soche samjhe

Ab aage Jey ke sath kya hoga ye to waqt hi batega to tab tak ke liye sath bane raho......
 

Fighter

THE CREATER OF DEVIL FIGHTERS
11,654
26,061
259
Mast update bro

Kya jabardast description tha or kya idea tha

Waiting for next
 
Last edited:
Top