• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hamara Gaon

Story kaisi lagti hai aapko apne vote se btaye?


  • Total voters
    38
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Nky

Active Member
601
1,476
138
#UPDATE 65

Uss vyakti ne bans ke ghere ko hata kar jaise hi praves kiya maine prashtuti ki madad se waha ek majboot kawachh ka nirman kar diya ab koi bhi kabhi bhi bina meri ijajat ke iske andar praves nahi kar sakta tha.

Jo bhi yaha praves karta usko bijli ke zordar jhatke lagte, or thik aisa hi vijay ke sath hua jaise hi usne praves ki or andar jana chaha, waha vishfot hua or vijay udta hua pichhe geer gaya or behoshs ho gaya.

Ab Aage......................

Jaise hi vijay ne pahla kadam rakha waha par usko bahut hi ajeeb si feeling aai, usne aage badhne ka prayas kiya lekin wo badh nahi paya, or jab pair apne zameen se lagaya to usko zordar jhatka laga or wah udhta hua pichhe gaya.

Vijay:- Pandeeeeeeyyyyy ji

Door khade pandey ji jo vijay ko andar jate dekh rahe the, uski aawaz sun wo daud pade uski taraf, unko jo darr tha wahi sach sabit ho gaya tha.

Pandey:- Siiiiirrrrrrr sir kya ho gaya aapko sirr ankhe kholiye sirrr kya hua aapko?

pandey vijay ko hosh me lane ki koshish karne laga kintu wo uth hi nahi raha tha, tabhi uski kuchh awaze aane lagi.

Awaazz:- hihihihihihihi aao aao aa jao andar usko bhi sath le aao hihihihihi.

awazz2:- bahut samay se kisi ka sharir nahi milaa jao hhahahaha.

Pandey ye sab awaze sun ke ghabrane laga or waha se uth ke bhagna chahta tha, lekin vijay ko aise chhod kar wo kaise jaa sakta tha, tabhi usne dekha ki kisi ke chikhne ki awaaze aane lage or chingariyan nikal rahi hain.

awaaz:- nahi aaahhhhhha nahi ye kisne kiya ......

Awaaz2:- ye asambhav hai aaahahahah aisa nahi ho sakta hame azaad karo nahiiiii...

Un sabki chikhe sun pandey or ghabra gaya, usko samajh nahi aa raha tha ye kya ho raha hai usne kaise na kaise kar pandey ko uthaya or gadi me dal kar waha se jaldi se bhaga.
********************

Wahi main shield lagane ke baad hosh me aa gaya tha, jab maine dekha to main achary ke samne tha or wo wahi kursipar baith ke dekh rahe the mujhe.

Acharya:- Ab kaise ho beta, tumhe kya ho gaya tha?

Main:- Mujhe kya aaahhhhhh mera sar, aah kya hua tha sir mujhe

Acharya:- Pata nahi kaise tum behosh ho gaye the canteen me bache tumhe yaha laye the, ab kaisa mahsus kar rahe ho?

Main:- thoda sar me dard ho raha hai, lekin main to ek dum thik tha phir ye achanak se kya ho gaya mujhe.

acharya:- lo ye dawai kha lo sar ka dard chala jayega, or tum chaho to chhatrvaas jaa sakte ho.

Main:- dhanywad acharya, mujhe bhi aisa hi lagta hai.

Phir main wahan se apne chhatrvaas ke liye nikal gaya, Mere sang jo bhi hua tha behoshi me mujhe tanik bhi yaad nahi tha.

Maine prince or prity ko mil ke bta diya ki main ab thik hun or apne room jaa raha hun, uske baad main chatrvaas aaya or aaj ke bare me sochne laga lekin usse mere sar me phir se dard hone laga.

Main:-(man me ) Aaj mere sang ye kya ho raha hai main to kabhi bimar bhi nahi padta phir aaj ye sar me dard kyo ho raha hai, mere behosh hone ki kya wajah thi.

Abhi main or kuchh sochta ki tabhi.....

Prashtuti:- Aap atyadhik soch rahe ho, aapko agar kuchh nahi samajh aa raha to use bare me vichar karna chhod de, waqt apne aap uska hal de dega.

Main:- han shayad tum thik kahti ho mujhe jyada nahi sochna chahiye, lekin kya tumko bhi nahi pata ke mere sath aisa kyo hua tha, or mujhe kuchh samajh nahi aa raha.

Lekin mujhe koi bhi jawab nahi mila, usne jawab hi nahi diya meri baat ka.

Main:- tum bhi badi ajeeb ho yaar main paresan hun or agar tum pata hai to bta do?

Prashtuti:- aap thodi der aaram kar lijiye aapko achha lagega.

Itna bol wo chup ho gai phir koi awaaz nahi aai, main bhi chip chap let gaya.
********************************

Wahi pandey vijay ko gadi me leke raftar ke sath jaa raha tha, ab kaha jaa raha hai aaiye dekhte hain.

Pandey:-(man me) maine pahle hi mna kiya tha naa jane ko lekin meri baat nahi suni sir ne, ab main kaha le jau inko, han main unke paas hi le chalta hun wahi kuchh karege iske vishay me?

pandey gadi raftar se bhagate hue gaon ke galiyon se sidha radha ji ke kar ke samne aa kar ruka, or jaldi se bhag kar baba ke paas gaye.

Pandey:- Baba ... baba kahan aap?

Radha ji:- Are koun hai bhai, kyo shor kar rahe ho kya hua hai? aa jao idhar main yahi hun.

Pandey:- Baba wo aap jaldi kuchh kijiye wo sir wo....

Radha ji:- Are pandey beta kya hua hai or aise ghabra kyo rahe ho?

Pandey:- wo baba sir ji ko kuchh ho gaya hai aap bahar chalo, main unko gadi me chhod kar aaya hun.

Radha ji:- Kyaa... kya hua unko? unko idhar hi le aao dalan me..... Are shankar o shankar zara pandey ki madad karo dekho to.

Itna shor gul sunn ke sab ghar wale jut gaye the, bade pita ji or pandey ne mil kar unko gadi se nikala or dalan me la kar bistar me lita diya, radha ji ne janch ki to Vijay ka sharir Thanda tha.

Radha ji:- Kya hua inspector sahab ke sath, or inka sharir itna thanda kyo hai aisa to nahi ho kisi ka?

Pandey:- Wo baba wo,,,,, kya btau main, pata nahi sir ke sath kya ho raha hai abhi kuchh din pahle inke sath wo durghatna hui thi or aaj ye sab ho gaya.

Radha ji:- Lekin hua kya ye to btao beta.

Pandey:- Baba wo jo sir ke sath ghatna hui thi darasal usme kisi ki sajish thi or usi ki chhan been karte hue hum log wo uss khandar wale gaon me jaa pahunche.

Sab:- Kya ?? tum log wahan gaye the ?

radha ji:- Tum aisa kaise kar sakte ho, tumko to sab pata tha, roka kyo nahi tumne inko?

Pandey:- main koshish ki thi kintu wo mane hi nahi, kahne lage jo uss accident me shamil tha wo yaha chhupa ho sakta hai, isliye ye akele hi andar jaa rahe the lekin jaise hi wahan kadam rakha pata nahi kya hua tha wahan, dhamake ke sath sir udh kar pichhe geer pade, tab se unki aisi hi halat hai aap kuchh kijiye baba kuchh kijiye.

Radha ji:- Tumhara kahna hai ki ye wahan andar nahi gaya tha tabhi isko kuchh ho gaya?

Pandey:- Han baba aisa hi hua tha.

Radha ji:- Achha thik hai kuchh karte hai, shankar zara jaa kar ram ashish ko le aao kahna bahut jaruri hai abhi chalo.

Kuchh hi der me shankar ji apne sang chhote baba ko le aaye, or unko btaya gaya ki kya kya hua hai or kaise hua hai.

Chhote baba:- Ye murkh log hain inko jane ki kya jarurat thi wahan, ab aisi halat me hai.

Chhote baba ne mantra padh kar vijay ke sar par hath rakh diya, or kuchh der andhe band kar apne man me jane kya budbudate rahe, unki aawaz koi nahi sun paa raha tha, bas unke honth hil rahe the.

Phir unhone apne hath hata liye.

Chhote baba:- Inko kuchh nahi hua hai kuchh der me hosh aa jayega.

Radha ji:- Lekin iska sharir itna thanda kyo padh gaya tha ramashish?

Chhote baba:- Isko Bijli ka jhatka laga tha shayad isliye shrir thanda pad gaya tha, iske wajah se hosh kho baitha tha.

Sab:- Kya lekin waha bijli kahan se aa gai jo jhatka lagega.

Chhote baba:- Mujhe kya pata lekin lagta hai wahan kuchh to hua hai or isko samjha dena tum waha naa jaye nahi to jaan se jayega.

Itna kah kar chhote baba wahan se chale gaye, sab log Vijay ke hosh me aane ka intezaar karne lage.

Aajj ke liye itna hi.

Thank You.
Nice update bhai
 

Azagar Dada

Active Member
911
4,069
123
ग्रेट वर्क। विजय मॉडर्न पुलिस वाला है। इसीलिए इन सभी बातों पर उसे विश्वास नहीं था। खतरा बहुत बड़ा है। चन्द्र ही इसे ठीक कर सकता है।
 
Status
Not open for further replies.
Top