- 33,541
- 150,225
- 304
Apun bhi nawa story shuru kre ka
Bhalu ju shuru karo kahani hum tumhare saath hai
Apun bhi nawa story shuru kre ka
We all are eagerly waiting for your new storyApun bhi nawa story shuru kre ka
Update ~ 1
13th February, 2061
Oracle Tech Hub Office, Bengaluru
Darr ek aisa bhaav jo kisi ke mann mashtisk ko sithil sa kar deta hai.. Waise to darr kai chijon se lagta hai.. Kisi ko bhooton se to kisi ko unchaayi se, Kisi ko jeevan me asafal hone se, to kisi ko safalta ke baad bhi nay shuruaat se darr lagta ha.. Har Insaan ke jeevan me yah darr apni jagah bana hi leta hai.. Usi tarj par aaj jis darr ne mere mann mashtishk par apni jakad bana li thi, wo tha kisi apne ko khone ka darr.. Apne Dil ke kareeb ke kisi insaan se bichhadne ka darr.. Kareeb kareeb 10-12 logon ke beech maujood bhi mere bhitar darr ka vaas ho chuka tha.. Jyon-jyon samay beet raha tha, mann me us darr ne apne paaon failaane bhi shuru kar diye the..
Pichhle 2 ghante se chal rahi us meeting me apna sab kuchh daanv par laagane ke baad bhi jab mujhe mere man mutaabik parinaam nahi mile, to maine us kamre se baahar jaana hi uchit samjha.. Mere jehan me sirf uski yaadein or uske bhavishye ko lekar chinta or darr ke vichaar ek bhanvar ki bhaanti gol-gol ghoom rahe the.. Mera Dil ab ek pal bhi uske begair nahi bitaana chhata tha.. Jaane kitna samay sesh tha hum dono ke paas.. Office se baahar aate hi maine parking me padi apni car ki oor daud laga di.. Waise to is naye aadhunik sansaar me gaadiyan ek button ke ishaare par khud ba khud insaan tak pahunch jaati thi unhe pick up karne, par shayad aaj mera dhyaan us oor tha hi nahi.. mere jehan me to bas uske khayal samudra ki leharon ki tarah hichkole khaa rahe the.. Mera Dil or mera jehan baar-baar mujhse yahi kah rahe the ki mujhe jaldi se jaldi us tak pahunchna hai.. use punah ek baar wapas se dekhna hai.. uske saath fir se ye bache kuchh pal bitaane hain.. Dil jod se dhadak raha tha ek darr or anhoni ki aashanka ke saath, kya pata Maya abhi kaisi ho..
"Hello, Shayaan! " Car ki door kholte hi meri gaadi ne mera abhivaadan kiya.. Par mujhe aaj usse abhivaadan nahi chahiye tha..
"Siri, take me home immediately! Check for the shortest route. I have to reach home as soon as possible." Haan ye wahi Siri hai jise aaj se kareeb 40 saal pahle ek virtual assistant ke roop me is duniya me laaya gaya tha.. EK tarah se wah pahli AI thi jo insaan ke sawaalon ko sunn kar unka pratiuttar deti thi.. Wo kya hai na ki meri Maya thodi nostalgic si hai.. Usne hi mere ghar or Car ki settings change kar ise Siri ka roop diya tha..
"For Sure Shayaan! What's the rush? Are you ok? Is Maya Ok?" Siri ne bhi meri jaldibaaji ko bhaanp liya tha or mujhse sawaal puchhe.. Shayad Maya ki sangati ne uske Humanity level me bhi kaafi ijaafa kar diya tha..
"Yeah, Siri. Everything's fine. I am just not in the mood to talk, please just take me home immidiately."
Maine usse sach chhupaate hue baat naa karne ki iksha jataayi or wapas se Maya ke kahaylaon me kho saa gaya.. Is siri ki tarah hi, Maya ne mujhe bhi kitna badal diya tha.. Casanova ki tarah ghoomne waala, jo lagbhag har roj kisi nayi sangati me rahta tha, aaj ke samay me office se sidhe ghar ko jaata tha, siwaaye Maya ke uske mann me kisi ke khayal tak nahi panap paate the.. Mujhe pichhle ek mahine me ghati hui ghatnaayein kisi chalchitra ki bhaanti apne saamne nazar aa rahi thi..
To be continued.....
___________________________________
____________________________________________