• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Harf e Dua (Complete)

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
335
1,186
139
UPDATE:10

AB AGEY:

Meri ankh Zu ki awaz se khuli thi,wo kisi k sath baat ker rhi thi ankhain kholte hi mujhe jamshed ka chehra nazar aya wo Zu ki taraf hi matwajoh ta jabke Zu ki meri janib pisht thi maine jaldi se ankhain band ker lin.

“Sorry Raju k theak hone tak main yahan se kahin nhi ja sakti.”

“Tum hosh me to ho?”jamshed dabe dabe lehje me bola ta.”Ami jan tumahre ghar pohanch gayin hain sirf tumahra intezar hai.”

Wo itmenan se boli.”2&3 din bad ho jai gi ye rasam.”

“Mujhe rasam se koi sarokar nahi yaqeni tor per 2&3 din bad ho jai gi magar Azhra socho Jadheer ki ami jan heyaat hain yahan bethna unka farz banta hai ya ziada se ziada tumahri Ami jan ise attend ker sakti hain.”

“Keh diya na jab tak Raju theak nahi ho jata tab tak main yahan se kahin nahi ja sakti.”

“Jab tumahri shadi ho jai or Raju bemar ho ga tab kia karo gi?....kia us waqt b mujhe chor ker apne Raju k sarhane beth jao gi?”jamshed ka sawal talkh hone k bawajod hakekat per mabni ta.

“Ap jo samjhen?”Zu se jawab nahi ban para ta.

“Azhra main mumani jan ko cal ker rha hu wo yahan aa jayen gi tum chalo mere sath.”

Mujhe jamshed ki bat per itna gussa aya k mujh se bardasht kerna mushkil ho gaya ta or is koshish me mere muh se beikhteyar awaz nikli.

“Raju!”Zu k muh se be-sahta nikla or wo jaldi se mere kareeb ai.

“Kia howa?”

“Aa….Han…..kuch nahi.”main harbara ker reh gaya ta.

“Jadheer kaise ho?”jamshed zabardasti muskurahat honthu per saja ker pochne laga.

“Kafi behtar hun jamshed bhai.”

“Acha main Azhra ko lene aya ta agar ap behtar mehsos ker rhe hain to ye ghar chali jati hai wahan se mumani jan aa jain gi?”

Maine thandi Ahh bhar ker k han me ser hila diya.

“Chalo Azhra ab to Jadheer ne b ijazat de di hai.”wo 1 martaba phir Zu se mukhatib howa magar wo suni un suni ker k nurse ko bolane k liye bel dene lagi.

“Jee?”mustid nurse ne kamre me dakhil ho ker pocha.

“Soup le ao.”Zu ne kaha or wo ser hilate howe wapis mur gayi.

“Azhra main kia keh rha hu?”wo dobara Zu ko mukhatib howa.

“Bata to diya hai maine?”wo itmenan se boli.

“Acha 1 minute bahir aa ker meri bat suno.”jamshed itni asani se uska pecha nahi chorne wala ta.

“Zu chali jao meri deakh bahal k liye nurse mojod hai na?”main badikat tamam bola ta.

“Tum se kisi ne mashvara manga hai?”wo mujh per baras pari or maine khamoshi se ankhain band ker lin.

“Tumne meri bat sunni hai k nahi?”is bar jamshed k lehje me jhalakne wala gussa waziha ta.

“Muh sambhal k bat kro mister!”Zu 1 dum phat pari thi.”shayad tumhe meri bakwas smjh nahi ai jab 1 martaba keh diya k Raju k theak hone tak main yahan se kahin nahi jana to phir tumhe yahan se dafa ho jana chahiye.”

Uska tez lehja or talkh bat sun ker jamshed haka-baka reh gaya.

“Hosh me to ho?”wo gusse se bola.

“Han hosh me hun or jate waqt apni ami ko b sath lete jaiye ga mujhe na to rishtu ki kami hai or na main itni gayi guzri hun tumahre jaise behuda shaks ki bakwas main pichle 1 ghante se sun rahin hun per tujhe izat raas nahi hai shayad.”Zu k muh jo aya kehti chali gayi.

“Tum is waqt apne hawasu me nahi ho main tum se bad me bat keru ga.”jamshed kehar-aloud ankhain mujh per dalta howa bahir nikal gaya or wo mere sarhane beth ker mere balu me ungliyan pherne lagi.

“Ab kaisa mehsos ker rhe ho?”usne chahat se pocha.

“Bohat acha.”main apne andher ki khushi dabata howa bola.”magar tumhe jamshed ki itni toheen nahi keri chahiye thi?”

“To kia kerti tumhe is haal me chor ker chali jati?”

“Itna acha rishta tere hath se nikal jai ga bewaqof.”main karb-naak awaz me bola.”or uski wajah main banu ga.”

Wo itmenan se boli.”tune b to meri wajah se itne ache rishte gunwaye hain?”

“Goya hisab baraber ker rhi ho?”

“Nahi asal bat or hai.”usne hathu k pyale me mera chehra le ker mera rukh apni taraf mora.

“Kia?”mere labu se phansi phansi awaz nikli.

“Kal jab maine dining table per apni shadi ka ziker kia ta to tum koi jawab diye bagair is tarah kyu uth ge te tum se meri shadi ki bat bardasht nahi hoi thi na?”

Main ahista se bola.”han.”

“To bs theak hai,ab tumahri shadi ho jane k bad hi shadi karu gi take tumhe bura na lage.”

Main bebasi se bola.”agar main kahun k aj tak main bohat bari galat fehmi me rha to tum kia kaho gi?”

Wo umeed bhare lehje me boli.”yehi meri duayen rang le ain hain.”

“Zu mujhe muaf ker do maine tumhe bohat dukh diye mujhe pta hi nahi ta k main tumhe is shidat se chahta hun.”

“lakin mujhe pta ta.”wo mere seene per ser rakhti hoi boli.”bs darti is bat se thi k tumhe is bat ki khabar bohat der bad na ho kahin ye na ho k pani ser se oncha ho jai,kahin ye na ho k shadi k bad tumhe pta chale or humare pas faqat pachtawe reh jayen.”

Usi waqt nurse khankharti hoi andher dakhil hoi usne hathu me tray uthayi hoi thi jis me soup ka pyala or bread rakhi hoi thi nurse k aney k bawajod Zu mujh se dur hatne per teyar nahi thi.

“Sister 2 oble howe ande or 1 glass dhood b le ao metha na dalna”

“Jee madam?”keh ker nurse wapis mur gayi.

Maine muh bana.”ye soup wali musebat kum thi k ab uble howe ande b?”

Wo maini-hez muskurahat se boli.

“Mere hath se b nahi khao ge?”

“Saari zindagi khau ga Zu.”

“Acha 1 bat batau?”wo mere balu me ungliyan pherne lagi.

“Koi bat reh gayi hai?”

“Raju is se pehle tune jitni larkiyu se rawabat rakhe mujhe parwah nahi hoi,magar abhi rakshi ki wajah se mujhe sambhalna para us din jo tum ne mujhe Azhra kaha uski talkhi ab tak mere wajoud me rachi hoi hai main der b gayi thi maine samjh liya ta k main tujhe koh chuki hu or phir maine 1 dao khelne ka faisla kia orat mard ki ankhu ko khob janti hai or kafi arse se main ye mehsos ker rhi thi k jamshed mujhe passand kerta hai maine us din uski hosla afzai ki or wo 1 dum shadi per razi ho gaya mera wajdan keh rha ta k tum mujhe rok le ge apni Zu ko kisi dosre ki dastras me jane nahi do ge or deakh lo mera andaza kitna sahi ta.”

“Pagal!”main mohabbat bhari muskurahat se bola usi waqt nurse dobara kamre me ai.

“Shukria.”keh ker Zu ne us se tray pakri or mujhe ande khilane lagi abhi main dhood pee rha ta k Ami jan darwaze pe dastak dete howe andher dakhil hoin unke peeche Chachi jan,Abu jan or Chacha jan b te.

“ye kia bi tum to pake hi let ge ho?”Chacha jan ne muskura ker pocha.

“Ye Zu ki karastani hai chacha jan mujhe uthne hi nahi de rhi hai.

“Acha doctor kia keh rha hai?”chacha jan doabara mujh ko mukhatib howe yaqenan wo ab tak Zu se khafa te baki tamam b Zu se khenche khenche lag rhe te.

Main jawaban bola.”Doctor ne to kuch nahi bola.”

Achanak Zu agey barh ker Ami jan k gale lag gayi.”Meri pyari chachi jan mujh se kyu khafa hain.?”

“Betiyu se b koi khafa ho sakta hai.?”ami jan uske ser per hath pherte howe bolin.”Waise,teri phopi ain thin….abhi wapis chali gayin.”

“Han ab wo ati jati rahen gi.”chachi jan ne kehar aloud nigahu se Zu ko ghora.

“Dekhain chachi jan ami apki bahu ko kaise ghor ghor ker deakh rahin hain?”Zu shararti lehje me boli.

“Meri bahu?”Ami jan k lehje me herani thi.

“To or kia ap b mujhe shakela phopi ki bahu banane per tuli hain.”

“Kia…”Zu ki ami bazu phela ker uski taraf barhi.”meri pyari shehzadi.”unhone Zu ko bahu k ghere me le liya,shuker hai tumhe samjh aa gayi?”

Wo shararat se boli.”Han na ami jan abhi Raju bemar para hai or ghar ka koi fard b uski dekh bahal k liye hospital nahi aya,main smjh gayi k agar main is ghar se rukhsat ho gayi to kisi ne mere masom cousin ka kheyal nahi rakhna.”uski bat per ami jan or chachi jan jhenp ker hansne lagi jabke mere halak se besakhta kehkaha ubal para Zu un dono se lipti mohabbat bhari nazru se mujhe dekhti rahi maine pur-sukoon andaz me ankhain band ker lin.

*…*…*…*

Mobile ki ring bajhte hi maine screen per nigah dorayi,ya hairat!....rakshi ki call thi.main thori der pehle hospital se lota ta Zu meri birthday per milne wale gifts khol ker deakh rhi thi sath sath uska tabasra b jari ta.

“Haye Raju kitni khobsurat wrest watch hai,itna pyara kalam,is diary k oraaq to lagta hai gulab ki patian hain,khush-budar or mulayam.

“Yes?”main call attend karte howe normal lehje me bola.

“Kaise ho?”rakshi k lehje me guzishta ranjish ka nam o nishan tak nahi ta.

“Mujhe pta chala ap do din howe hospital me admit hain.”

“Abhi theak hu or abhi abhi hospital se lota hu.”

“Khafa ho?”usne dill awaiz lejhe me pocha uski khafa sunte hi maine mobile ka loud speaker on ker diya ta.

“Nahi to khafgi to galiban apki taraf se thi.”

“Ab nahi rahi…..sorry,Jadheer main zara jazbati ho gayi thi.”uske lehje me nidamat ka ansar numaya ta.

“Agar abhi aram nahi kerna to main milne k liye aa jati hu?”

Main itmenan se bola.”ye to Zu se pochna pare ga,ab pta nahi usne kia program banaya howa hai?”

1 lamhe ki khamoshi k bad wo ahista se boli.”Tana de rhe ho?”

“Nahi,hakekat bata rha hu.”

“Mujhe samjh nahi ai?”wo ulajh gayi thi.

“2 hafte bad Zu ki birthday hai or isi taqreeb me humari mangni b hogi or aisa Zu chahti hai or main iske ilawa kuch chah b nahi sakta k jo meri Zu chahe.”

Mujhe yaqeen ta k wo 1 dum rabta munkita ker de gi magar iski bajaye mujhe uski dukh bhari awaz sunayi di.”Kia ye such hai?”

“100%”

“Jadheer tum mujhe pyare ho bohat ziada pyare magar is bat ka pta mujhe usi din chal gaya ta jab tum Azhra ko manane k liye mujhe chor ker us k peeche bhag ge te balke main kia tumahre tamam janane wale is bat se waqif hain k tum faqat Azhra k ho yun b wo mujh se khobsurat b hai or mujh se ziada tumahri zaroriat ka kheyal b rakh sakti hai itne din main seraab k peeche dorti rahi khuda hafiz oper wala tum dono ki jori salamat rakhe.”

“Shukria rakshi tum me sahi kaha is bat se tamam waqif te,Lakin ye b hakekat hai k main khud na-waqif ta khuda hafiz.”ye keh ker maine rabta munkita ker diya.

Zu mujhe tang karte howe boli.”Tum na-waqif rehte to behtar ta itna acha rishta ganvaya tumahri is waqfiyat ne doctor to kismat waliyu ko milte hain.”

“Kafi din howe tumahri pitayi howe.”main bed se utar ker uski taraf barha.

“Na-waqif te to pitayi karte te,ab b pito ge?”usne is masomiyat se kaha k mera mood 1 dum badal gaya or main uske kareeb carpet per bethta howa bola.”Acha 1 bat batau?”

Mut-jasis ho ker boli.”Poch ker waqt zayan mat kia karo?”

“Us rat main tere pas aya ta,magar tu us waqt apne doctor sahab se gapen hank rahi thin.”

“Raju jis waqt tum dining table per se uth ker apne kamre me ge te usi waqt se main apne kamre k darwaze per khari tumahri rah dekh rhi thi,mujhe malom ta tum zaror mere pas ao ge,kyu k bakool rakshanda bibi bakiyu ki tarah mujhe b malom ta k tum mujhe kitni shidat se chahte ho?”ye keh ker wo uth ker darwaze k kareeb pohanchi or hanste howe boli.

“Or Han us waqt ki sari guftagu farzi thi,us waqt jamshed ka koi phone nahi aya ta.”

“Tehro main tumhe batata hu.”Main uth ker uski taraf barha or wo zuban nikal ker mera muh chirate howe jhapaak se bahir nikal gayi,main janta ta k yahan se usne sedha Ami jan ki goud me ja ker ghus jana ta k aise waqt per wahi uski sab se bari tarafdar howa kerti thin.

THE END........!

The_InnoCent

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,047
115,825
354
:congrats: for starting a new story :celebconf:

Sabse pahle yahi kahunga mitra ki ye kahani shuru huyi aur fir khatam bhi ho gayi lekin is forum ka koi bhi shakhs new story shuru karne ke liye aapko congrats karne nahi aaya. Forum me kareeb 1lac se bhi zyada members ho gaye hain. Ye bade hi dukh ki baat hai ki is kahani ke sath is tarah ki na-insaafi huyi. Normal members ki to baat chhodo kyoki shayad unhe isse koi fark nahi padta lekin main staff logo se puchhna chahta hu ki kya unka bhi koi farz nahi hota???? :?:

Main aapko dhanyawaad deta hu dost ki aapne is sabke bavjood story ko likhna jaari rakha aur use uske mukaam tak bhi pahucha diya. :bow:

Maine is kahani ko start se le kar aakhir tak padha aur yakeen maaniye mujhe ye kahani behad pasand aayi. Khaas kar urdu zubaan ke sath piroya gaya kahani ka har ek waakya. Mujhe shuru se hi Urdu behad pasand thi. Thoda bahut Urdu main samajhta hu lekin sirf apne kaam ke liye, puri tarah se bilkul bhi nahi. Khair ye kahani ek chhoti si prem kahani thi jise aapne bahut hi khubsurati aur Urdu ke taur tariko ke sath likha hai joki specially mujhe bahut pasand aaya :claps:

Jadheer and Azhra ke kirdaar ke ird gird ghoomti ye kahani apne andar kayi tarah ke jazbaat liye huye thi. Dono yu to cousin's the lekin kyoki Islam me cousins me ye aam baat hai is liye dono ke beech ke rishte se kisi ko koi eitraaz nahi tha. Dono hi bachapn se ek dusre ke sath the aur ek dusre ke liye jazbaat rakhte the. Ye alag baat hai ki jadheer Azhra ko kabhi us nazar se nahi dekhta tha jise paak mohabbat kahte hain. Well jadheer apne University me jane kitni hi ladkiyo ke sath mohabbat ki Zoro ajmaaish kar chuka lekin kamyaabi naseeb na huyi. Har baar Azhra ki vajah se use is nakaami ka muh dekhna pada. Aakhir me ek ladki mili uske sath bhi same kissa hua but is baar shayad ye kissa sach me jadheer ke emotions me jud gaya tha aur jab ek baar fir se Azhra us emotions ke beech rukawat bani to dono ke beech ke rishte me daraar pad gayi jiska anjaam kaafi had tak bura hi tha lekin ek tarike se ye achha hi hua kyoki is daraar ki vajah se jab jadheer Azhra se alahda hua aur jab use Azhra ke dwara uske kisi aur hi mashook ka pata chala to jadheer ko maano hosh aa gaya. Ye to wahi baat huyi ki hiran hamesha apni kastoori ko jungle me khojta hai jabki kastoori to uske andar hi hoti hai. Jadheer ke sath bhi yahi maamla tha. Wo baahar ki duniya me mohabbat khoj raha tha jabki uski asal mohabbat to Azhra thi jo shuru se uske hi paas thi. Khair jadheer ko sach ka pata chal gaya aur usne Azhra ko apna liya. :claps:

Kahani ne kahi bhi bore nahi kiya, balki ek sama sa baandhe rakha. Har ek emotions ko aapne bahut hi khubsurti se dikhaya aur wo bhi apne Urdu zubaan ke taur tariko ke sath jiski vajah se kahani ki khubsurti me aur bhi chaar chaand lag gaye. Ummid hai aage bhi is tarah ke emotions se bharpoor kahani aapke dwara padhne ko milegi.... :hug:
 
  • Love
Reactions: Lover_boy143

Hi there sir kaise hain ap umeed kerta hu khair kheriyat se hu ge sb se pehle to main apka dill se abhari hu jo apne apne keemti waqt se thora sa waqt mere thread ko diya really thanku so much apka view mere liye bohat keemti hai jaisa k apne kaha k story shiro hoi or sath hi khatam b to such kahu to ye mere liye 1 tuff job thi normally mujhe ghantu beth ker typing karne ki adat bilkul b na jis wajah se ye or b ziada mushkil task ta main xossip k time se stories novels waigaira read karne shiro kiye or ab alam ye hai k ye meri one and only hobby ban chuki hai main khud b kuch likh ker post kerna chahta ta magar ye mere liye impossible hi rha kyu k jitna easy lagta hai utna hai nahi to bs phir kheyal aya k kuch to post kerna chahiye Harf e Dua ye story mere favorite writer Riaz Aqib Kohler sir ki likhi hoi hai waise to ye story originally urdu me hai per mujhe isey English font me type kerna para story short thi to ye plus point ta jaldi complete ho jane ka or 1 bat k jaisa apne ka k 1 member b thread pe nahi aya to ye chez thori disappoint ki mujhe maine b than li k chahe agar koi na b aya to jo shiro kia hai usey to poora ker du kyu k usually yahan per bohat si stories adhori reh jati hain ho sakta ta k agar maine complete story pehle se type na ki hoti to ye b incomplete reh jati response na milne ki wajah se thanks to God maine typing complete ker k hi thread start kia khair dill se khushi hoi k apne apni keemti rai di is 1 reply se laga k mujhe meri mehnat ka silah mil gaya bs itna kafi hai😊
Story short is liye b choose ki k pehla pehla experience ta typing ka to bs isi wajah se hai baki apko story achi lagi ye jan ker acha laga or 1 bat ye b hai k is story ka credit is k original author ko jata hai agar unhone ye story na likhi hoti to main yaha post kaise ker pata or maine isko romance base pe is liye rakha jaisa k apne kaha k islam me cousins married allowed hai to is hisab se ispe yehi suite kerta hai
We’ll 1 bar phir se apka bohat shukria such me mujhe bohat acha laga apka reply read ker k
1 help chahiye apse k story k nam k sath complete ka tag kaise ad ho ga?
 
  • Like
Reactions: The_InnoCent

The_InnoCent

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,047
115,825
354
1 help chahiye apse k story k nam k sath complete ka tag kaise ad ho ga?
Is thread ke first post par jaao, left side me Report ka option dikhega, usme click Karo, click karte hi ek box open hoga, us box me Please write complete next to the title of the story. Ye msg likhne ke baad Niche dikhne wale Black colour ke Report option par click kar do......ya fir kisi staff ke kisi member ko pm kar do... :declare:
 
  • Like
Reactions: Lover_boy143

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
335
1,186
139
Is thread ke first post par jaao, left side me Report ka option dikhega, usme click Karo, click karte hi ek box open hoga, us box me Please write complete next to the title of the story. Ye msg likhne ke baad Niche dikhne wale Black colour ke Report option par click kar do......ya fir kisi staff ke kisi member ko pm kar do... :declare:
Got it thanks
 
  • Like
Reactions: The_InnoCent
1,238
4,499
144
UPDATE:1

“Uthte ho ya pani ka jug undhelna pare ga”?Zu ne kambal mere oper se kheench ker pare phenka.

“Sone do na yar…!

Maine karwat badal ker dobara ankhain band ker lin.

“Mera kheyal hai,ye alfaaz tumhe khali khuli dhamki lag rhe hain?

Usne dobara tanbiya ki.

Main jawab diye bagair dum-saadhe para rha.

Wo itmenan se boli_”theek hai!

“Pehle marhale me adha glass pani”

Aur uske pani phenkne se pehle main herbara k uth betha.

“Kia musebat hai yar!...ab chuti k din b sone nahi do gi?

“Aram ka time hota hai mohtaram!...11 hone ko hain or tumahri neend hi poori hone ko nahi aa rahi”

“Pata hai?...main rat ko kis time soya ta?”

“Meri balah se”usne kandhe uchkaye.”main to 11 bajhe apne room me chali gayi thi.

“acha takleef kia hai tumhe?”maine takiye se tek lagate howe pocha.

“itni jaldi bhool ge?”usne ankhain nikali.

“ye gussa kisi or ko dikhana,darta nahi hu tum se?”ab main waise hi uth gaya ta or is halat me us se dab ker bat kerna mujhe kisi tor gawara nahi ta.

“teri to…..?”wo phurti se mez per pare jug ki taraf jhapti or main chalang laga ker bathroom ki taraf bhag gaya_bathroom ka darwaza kundi karte howe maine dekha wo kamre se bahir ja rhi hai.Or mujhe pta ta k mere liye nasta lene ja rahi hai.

Hum dono cousin hain or waldain ki ikloti olad b.Azhra jise main hamesha Zu keh ker bulata hun mujh se 6 saal choti hai.Apni pedaish k sath hi wo mujhe tohfe me mil gayi thi.Maa ki goud se ziada wo meri goud me pali barhi.Bachpan se hi hum dono me achi jumne lagi thi.Hum dono ka bartao bilkul dosto wala ta.Jawan hone k bad b ye raviya nahi badla ta.Larki hone k bawajod wo mujh se hathapai karne se b baz nahi ati thi.Eent ka jawab pathar se dena uski fitrat e sania thi.Lakin isme koi shak nahi ta wo meri choti se choti bat ka kheyal maa behan ki tarah rakhti.Mere kapre istari karna,almari me tarteeb se lagana,bistar ki chadar badli kerna,mere liye nashta khana wagaira le ker ana usi ki zimedari thi.

Waldain ki taraf se b hum per koi rok tok nahi thi.Ajeeb bat ye thi k jawan hone k bad b maine usey kabhi un nazru se nahi dekha ta,k wo 1 khobsurat or purkashish larki hai.Mere nazdeek wo 1 dost ki tarah thi.1 acha mukhlis or keemti dost.Jis se main her bat manva sakta ta.Gusse me aker uski pitayi ker deta or galti per hone ki sorat me uske thapar or ghonse hansi khushi bardasht ker leta.Meri choti c choti bat b us se poshida nahi thi or na usne kabhi apne kheyalat ya ehsasaat mujh se chupane ki koshish ki thi.Waldain ka raviya aisa ta k hum dono do do maa baap rakhte te.Main kabhi Abu jan or Chacha jan ki mohabat me tameez na ker saka or na Ami jan or chachi jan ki shafqat me kisi 1 ko ziada number de saka.Yehi haal Zu ka ta.

Main naha ker nikla to wo nashte ki tray liye muntazir nazar ai.

“Tumhe pata hai na…?Mujhe ande se allergy hai.”Maine palate me rakhe uble howe ando ko dekh ker naak-buh charhie,jinka chilka nafasat se utara gaya ta.

“Janti hu mohtaram!....”Usne beparwahi se kandhe uchkaye.”Lakin mosam badal rha hai or sardiyu ki amad k sath,tumhe pasand ho ya na ho ande khane parte hain or her saal ki tarah is martaba b thonsne pare ge?”

“Per ye teen ande?.....tum to rozana 1 anda leti hona phir?”

“Han…..aj b 1 hi lugi….2 tumahre liye hain.”

“Maine nahi khane 2 ande,khud kha lena.”Maine lehje me sakhti paida karne ki koshish ki,go main janta ta usne irada ker liya hai to her sorat mujhe mana ker chore gi,wo apni bat manvana janti thi.

“Shayad izat se nashta kerna tumhe acha nahi lagta?”apne hise ka anda utha ker usne plate meri janib serka di.

“Yar Zu……!

“Kia bawas hai”?maine purzor ehtejaj kia.

“Mera nam Azhra Makhtiyar hai….?”jab usne meri bat ka jawab nahi dena hota to yehi andaz ikhteyar kerti k kisi aitraz na karne wali bat per aitraz ker deti.

“Agar main na khau to tum kia bigar logi?”maine milk-shake ka glass 1 hi sans me khali ker k pocha.

“Koshish ker k dekh lo?uske itmenan me farak nahi aya.

“Nahi phir b…..?matlab agr main sirf 1 khau?”

“1 khao ya bilkul na khao saza 1 hi mile gi.”

“Zara main b sunu?

“Kal Australia or Pakistan ka cricket match hai.”Wo seb(Apple) cut karte howe sar-sari andaz me boli.

“Oh shit yar!....main to bhool gaya ta.”main jaldi jaldi ande thonsne laga,kyuke uski dhamki nehayat waziha thi,k usne mujhe cricket match nahi dekhne dena ta.Go wo khud b meri wajah se cricket match dekhti rha kerti thi lakin jab zid per aa jati thi to mujhe 1 jhalak b dekhne nahi deti thi or iska tajurba mujhe ho chuka ta,Pakistan or News Zealand ka match shiro hone me adha ghanta rehta ta jab usne ice cream khane ki khawish ka izhar kia ta.Iska mokaf ta k markeet se ice cream le ker hum ghar beth ker kha len ge or is kheeridari me 20 se 25 minutes se ziada na lagte magar mujhe tv k samne se uthna gawara na howa natijatan main wo match na dekh saka.Or ab main Aus&Pak k match ki qurbani dene k liye teyar nahi ta.

Wo mujhe sirf cricket match ki dhamki nahi deti thi,is zaman me uske tarkish me kayin teer te,meri kisi keemti cheez ka bera gharak kerna,mujhe sone na dena,khud bhook hertal ker lena wagaira.Albata meri bat wo ziada-ter,be chu-chara amal kerti,kabhi nahi karne ka itefaq ho b jata to mujh se gadhe ki tarah pit b jati.

Nashta ker k wo bartan sametne lagi….ghar me nokrani hone k bawajod mere kam wo khud kerna passand kerti thi.

“Wo bertan rakh k loti to main abhi tak itmenan se betha ta.”Ab chalo b Raju!....pehle hi itne late ho chuke hain.”

“Yar Zu……!kuch khuda ka khof karo….mujhe shopping se itni chir hoti hai k jee chahta hai kahin bhag jau.”

“Bakwas karne ki zarorat nahi,hafte bad shahdi hai kum se kum 3 suit khareedne hain maine,joote or make up ka saman b lena hai.Phir tumahre liye majburan mujhe hi khareedari karne pare gi k janab ka intekhab,ghatiya pan ki ala misal hota hai or yaqenan ye kaam 2&3 ghantu me niptaya nahi ja sakta?”

Main ser pakarte howe bola.’kuch khuda ka khof kero Zu!.....”

“Khuda ka khof hi to ker rahi hu…..warna tujhe 8 bajhe hi market na le jati?

“Acha meri maa!....ab chalo.”maine uske samne hath jorte howe kaha.

Wo shararat se boli.”waise aj mood nahi hai to ye kaam kal per b tala ja sakta hai?

“Pito gi mujh se Zu…..”maine dant peese or wo khil-khila ker hans di.wo achi tarah janti thi k cricket match meri kitni bari kamzori hai.

Hum din dhale hi wapis lot sake te.Apne liye shopping k sath usne mere liye b shopping ki thi,yun b mere liye kapru,jootu,perfume,kamre ki sajawat ka saman,yahan tak k wo mobile or laptop tak wo apni passand se kahreedti.Maine zindagi me sirf 1 dafa sport shirt khareedi thi,magar sirf 1 din hi pehan saka ta.Uske bad wo kahan gayab hoi mujhe ajtak nahi pta chal saka.Albata uska rang kitna bonga ta,lambai chaurayi kitni be-dhangi thi,is per hone wala tabasra her khareedari k moqa per taza kia jata.

ABHI K LIYE ITNA HI….!

TILL then T.C😊
Beautiful update ❤️

first update hai but acha laga padh kr.

Zu or Raju ki nok jhok bohot hi maze ki lagi.

or aapne bataya k urdu story ko English Fonts k saath likh rhe ho to us hisaab se alfaaz ka chunaao bhi behtareen tha .
 
  • Love
Reactions: Lover_boy143
1,238
4,499
144
UPDATE:2

AB AGEY:

Main master ker rha ta jab k Zu second year me thi.College wo mere sath hi jati albata wapsi per usey driver lene jata kyuk mujhe university se thora late ana hota ta.Wapsi per wo college ki uniform badal ker mere room ki safayi apni nigrani me kerwati or phir wahi beth ker mera intezar kerti.Meri wapsi per hum dono thori der ghup shup karte,ikhate dopehar ka khana khate or is k bad wo aram karne k liye apne kamre me chali jati.Is din b wo kamre ki safayi k baad mere bistar pe leti 1 magazine ki warq gardani ker rhi thi jab main tez kadmu se chalta ander dakhil howa,mere chahre per chaye khushi k asraat usey nihaal ker ge.Mujhe khush dekh ker jane kyu wo b khil uthti thi.

“Zu…..Zu,pata hai aj main bohat khush hun?”main khushi se chehka.

“Wo tumahre thobre se b dikh rha hai,wajah phuto?”

“Uska nam rakshanda hai,mujh se 1 saal junior hai or bohat pyari hai.”

Zu k chehre per 1 lamhe k liye ajeeb se tasuraat namudar howe magar agle lamhe khud pe qabu pate howe usne ne keh-kaha lagaya…..”Mohataram!.....ye galiban athvi hai ya phir novi?.....lakin is martaba 1 dum achanak,maltab pehle ziker nahi kia……?

“Achanak kahan Zu……!Maheene bhar se uske dayen bayen phir rha hun.”

“Matlab…..pehle mujh se ye bat chupaye rakhi…..?KYU….?

“Wo kia hai k…..agr wo na manti to tumne mera mazakh urana ta,maine socha pehle usey mana lu,iske bad tumhe batau ga.”

“Mana na lu……pata lu kaho?”usne zuban nikal ker mujhe chiraya.”waise agr wo na manti phir?”

“To kia…..?tumhe phir b bta deta.”

“Bs……bs main janti hun……sharam ani chahiye tumhe,agr mujhe dost smjhte to Pehle din hi ye bat bta dete.”

“Zu……Sorry na yar!.....acha ainda pehle se bata diya keru ga.”

Usne keh-kaha lagaya.”mtlb ye akhri nahi hai…?iske bad b kahin muh marne ka irada hai?”

“Nahi yar!....mera mtlb hai abhi rakshi se hone wali sari batu se tumhe agah rakhu ga.”

“Wo to khair rakho ge,jaise samina,rani,pinki,kiran,sumbal,akdas,razia k bare me mujhe agah rakhte the.”

“Han or such me Zu…..!is martaba main sanjeda hun.”

“Acha mazakh hai.”wo hansi.”Waise khandani background kaisa hai?”

“SP ki beti hai.”

“Wah!....iska mtlb hai?tune zara b garbar ki to hawalat ki ser kerni pare gi.”

“Rakshi k liye sb kuch kabol hai.”maine uska tasuwar karte howe ankhain band ker lin.

“Kia bohat khobsurat hai?”uske lehje me hasad ye rashk jaisa koi jazba posheda ta magar maine ziada tawajoh is liye b nahi di k dosri orat k husan ki tareef koi orat b bardasht nahi ker sakti.

“Han Zu!.....surkh seb se rukhsar,moti moti galafi ankhain,gulabi hont,surahi-dar gerdan……sarv kad,yaqeen karo apsara hai apsara…..ajtak maine us jaisi haseen larki nahi dekhi.”

“Mtlb pehle wali tamam se khobsurat hai?”

“Beshak.”

“To phir,kab mila rhe ho?”

“Jab kaho.”

“Aisa hai k…..kal main chuti k bad uder university me hi aa jau gi.”

“Theak hai.”maine asbaat me ser hila diya.”

“Acha tum change karo main khana lati hun.”wo kitchen ki taraf barh gayi or main ser hilata howa washroom me ghus gaya.

*…*…*…*

“Acha pata hai?aj Zu tumhe dekhne ae gi.’

“Ye kon zaat-shareef hai?”Rakshanda mustafar hoi.hum dono is waqt university ki canteen me bethe chaye pee rhe te.

“Meri dost hai.”or phir uski ankhu me chalakne wali hairat ki maine wazahat ki.”Mera mtlb cousin hai meri.”

“Apki cousin ka mere sath kia kaam?”

“Wo bachpan se mere her kam pe dakheel rahi hai ab shadi jaisa kam to main uske mashware k bina to nahi ker sakta na?”

“Kia mtlb agr main usey passand na ai to mujhe chor den ge?”Rakshi k lehje me hairat k sath gusse ka ansar b shamil ta.

“Oho!....ye maine kab kaha…… wo meri razdar zaror hai magar iska mtlb ye b nahi k us ki wajah se humari mohabbat me darar par sakti hai?”

“Deakh lo Jadheer!.....kahin wo ziada hi efficient dikhana shiro ker de.”

Nahi jee!...wo aisi nahi hai.”main jaldi se bola.

“Acha deak len ge…..ab chalo period shiro hone wala hai.”

Wo uth gayi or main ser hilata howa counter ki taraf barh gaya.Akhri period shiro hone se pehle mujhe Zu ka sms mosool howa k wo university gate per pohanch chuki hai.

“Ok driver ko wapis bejh do or khud university canteen me aa jao.”jawabi sms likh ker main rakshi ko cal karne laga.

“Yes?”usne cal attend karne me der nahi lagayi thi.

“Zu canteen me humari muntazir hai.”

“Kia akhri period attend na keru?”

“Han,rakshi!....wo itni dur se sirf tumhe milne ai hai.”

“ok,main pohanch gayi.”keh ker usne cal munkita ker di.mere kadam b canteen ki taraf uth ge.us waqt canteen me rush na hone k barabar ta.Zu ne nisbatan khali goshe me nishist sambhali hoi thi.wo is waqt college uniform me thi.main uske samne kursi sambhaal ker beth gaya.”

“Kahan hai jee humari babhi?”

“Bs ane wali hai”main darwaze ki taraf dekhne laga.

“Usey mere bare me bata diya ta na?”wo ajeeb se lehje me mustafir hoi.

“Han Zu!....abhi wo tumhe hi to milne aa rhi hai.”alfaaz mere hontu per te k rakshanda canteen me dakhil hoi.

“Yehi hai?”uske ander dakhil hote hi Zu ne ahista se pocha.

“Sahi pehchana…..”kehte howe main uske isteqbal me khara ho gaya Zu ne b meri takleed ki thi.

“Assalamualikum!.....”rakshi ne salam karte howe musafa k liye apna hath Zu ki taraf barha diya.

“Wa’alikum assalam!....ayen babhi bethen.”Zu shohi se boli.

“Zu kia logi garam ya thanda?”

“Raju jee canteen ki be-maza chaye per ter-khane ki zarorat nahi hai.or tumhe pta hai ghar se bahir main kis hotel me khana passand kerti hu?”

“Tumhe maine nahi bolaya ta samjhin?”maine usey ankhain nikali.

“Bolane ko choro meri amad ka maqsad dekho akhir me maine hi jaker ami jan or abu jan ko razi karna hai.”

“Mjhe tumahri madad ki zarorat nahi hai khamukha,mera bara banne ki zarorat nahi?”

“Banu gi…..kia tum mujhe rok sakte ho?”usne mujhe ankhain nikali,is time usey ye bhool gaya ta k humare sath koi teesra b mojoud hai.

“Shut up Zu!...”maine usey dant ker khamosh karana chaha.

“You shut up….bhar me jao…tum b or….”usne rakshi ki taraf dekha or mazeed kuch kahe bagair canteen se uth ker bahir nikalti chali gayi.

“Ae Zu suno to?”maine usey awaz di magr wo suni un suni kerti hoi bahir nikalti chali gayi.

“Sorry rakshi magar mujhe uske peeche jana hoga.”main rakshi ka jawab sune bagair tez kadmu se canteen se bahir nikalta chala aya…..Zu ka rukh university k dakhili darwaze ki taraf ta,main janta ta usey wahin manane ki koshish kamyab hone wali nahi hai.wo kisi b sorat wapis ane per razi na hoti.or agr main bilkul usey nazar andaz ker deta or uske peeche na jata tab to wo kayin din hafgi me guzar deti.

Main parking ki taraf barha,jab tak main car parking se bahir nikalta wo university se bahir nikal gayi thi.jald hi maine usey ja liya.car us se chund guz agey rok ker neeche utra.

“Ye kia behodgi hai Zu…?”main is waqt such me taish me ta.

“Mujhe tum se bat nahi kerni.”beparwahi se kehte howe usne mere kareeb se guzarna chaha.

Maine hath pakar ker usey roka.”akhir aisa kia keh diya maine tum seekh-paa ho gayin?”

“1 gair larki k samne mujhe shut up tumahre nazdeek koi bat hi nahi hai,jane wo kia soch rhi hogi mere bare me?”

“Acha car me beth ker bat karte hain.”maine usey bazo se pakar ker car ki taraf khencha,khilaf tawaqoh bagair kisi aitraz k wo car me beth gayi.

“Zu bat samjhne ki koshish kro,wo koi gair nahi meri hone wali biwi hai.or tumne b to jawaban mujhe shut up keh diya ta,phir khafa ho ker wahan se bhagne ki kia zarorat thi?”

“Ab main jawab b na deti?”usne ankhain nikali.

“Bat samjhne ki koshish kro yr mere kehne ka mtlb hai,jab tumne badla le liya ta,phir kyu uth ain.jane rakshi kia soch rhi hogi….main uska akhri period b miss kera diya.”

“Bari takleef ho rhi hai uski zara c zehmat per….or main jo itne dur se chal ker ain hun wo tumahre nazdeek koi miani nahi rakhta?”wo bhanate howe boli.”yun b pehli nahi hai k uski hafgi se tumhe koi faraq pare?”

“Acha ye dekho….”maine dono hath uske samne jor diye,koi peer fakeer hai to uska wasta….mujhe muaf kro.”

“Hahaha”wo khil-khila ker hanste howe boli.”acha ab chalo b,ya yahin rat guzarne ka irada hai?”

“wapis chalen?”

“Jee nahi.”usne nafi me ser hilaya.”yahan se seedha MacDonald’s or phir wahan se ma-badolat ko market le jana…koi cheez leni hai.”

“Kia mtlb koi cheez leni hai?”main bokhla gaya tha.

“Kapru ka 1 suit lena hai na yar!.....us din 3 suit liye te,1 Tai jan ne apne liye rakh liya ab 1 or khareedna pare ga.”

“To konsa tumahri shadi ho rhi hai,k 2 suitu se guzara nahi ho sakta?”

“Tumne chalna hai k nahi…?wo dobara sanjedha ho gayi thi

Or maine ser jhatakte howe car agey barha di,k is se behas kerna pathar se ser takrane k mutradif ta.

ABHI KE LIYE ITNA HI…..!

TILL then T.C😊
Yahaan to muaamlaa gadbad hota maloom hota hai .

zu or rakshi ki tension akele Raju pr bechaara galat phansa huwa hai.
ek taraf bachpan ki dost saheli uski cousin hai to dusri taraf Uski nazar m uska pyaar
ab dekhna hai k aage kya rang laata hai ye Triangle.
 
  • Love
Reactions: Lover_boy143
1,238
4,499
144
UPDATE:8

AB AGEY:

Wapsi per main kamre me ghusa or rat ka khana b wahin mangvaya subah ka nashta b mere liye mulazma le ker ai agle din rat dining table per meri Zu se mulakat hoi wo khamosh khamosh c thi mujh se nazre milae bagair wo khamoshi se khana khati rhi mujhe laga humare darmian bohat bari khaleej hail ho gayi hai khane k doran hi achanak chacha jan us se mukhatib howe.

“To ye tera akhri faisla hai?”

“Jee Abu jan.”wo itmenan se boli.”Kal jamshed k ghar wale aa rhe hain.”

“Ye kis faisle ki bat ho rhi hai bi?”Abu jan ne herani se pocha.

“Apki ladli bhateeji ki shadi ki.”Chachi jan ne talkhi se jawab diya.

“Hayen….Azhra ki shadi or jamshed se?”Ami jan ko gehra sadma laga Abu jan b hath me tora howa niwala wapis plate me rakh ker apni bhawaj yani Chachi jan ki taraf matwajoh howe.

“Itna bara faisla hum se poche bagair.”

“Apne bhai or bhateeji se pochen bhaiya.”Chachi jan sakht gusse me thin.

“Chacha jan.”Zu Abu jan se mukhatib hoi.”jamshed or maine bohat soch samjh ker ye faisla kia hai.phopi jan b humare is faisle se bohat khus hain.”

“Magar 1 dum jamshed se kaise bat chal pari,mtlb maine to….?Abu jan ki herani beja nahi thi.

“1 dum nahi Chacha jan pehle wo taleem k silsile me masrof te or abhi farigh howe hain waise phone per kafi arse se humara rabta rha hai.”

Usne sarehan jhot bola kyu k agar esi koi bat hoti to wo mujhe zaror batati.

“Theak hai beta jaise tumahri marzi.”Abu jan khare ho ge unhone bs 2 niwale hi liye te abu jan ki tarah ami jan b sakht up set nazar aney lagi thin balke main jo kab se is din ka intezar ker rha ta,k Zu nam ki talwar mere ser se hate achanak mujhe mehsos howa kuch galat hone ja rha hai mera dil na-khush gawar andaz me dharakne laga abu jan or ami jan k sath chachi jan or chacha jan b dining table se walk out ker ge te.

Main or Zu akele howe to wo ahista se boli.

“Jadheer pichle 1 saal se jamshed mujhe calen or msg ker rha hai sorry main apko bata na saki asal me main khud pehle sanjedha nahi thi magar kal sara din sochne k bad main is nateje pe pohanchi k is se behtar rishta shayad mujhe na mil paye is liye kal rat hi maine us se mobile per bat ker li thi meri wajah se jane usne kitne rishte thukra diye te aj sara din humne ikhate guzara phopo jan se b bat hoi wo b bohat khush hain ap bs kuch din intezar ker len jamshed ne wada kia hai k wo 1 hafte me mujhe beyah ker le jai ga baki taleem main wahin mukamal ker lu gi.”wo iske ilawa b bohat kuch kehti rhi magar mere dimagh me sayen sayen ho rhi thi Zu jamshed k sath ghomti rhi thi dono ne ikhate khana khaya hoga parku me ghomte rahen hu ge kehkahe bikherte rahen hu ge usne Zu k hathu ko thama ho ga mohabbat bhari sargoshian ki hu gi Zu sharmai hogi…..meri nigahu me kayin undekhe manazir ghom ge te.

Or phir Zu ki bat jaari thi k main 1 jhatke me utha or apne kamre ki taraf barh gaya mujhe kamra bilkul khali khali sa laga tv per chalne wali khabru ka shor b mere kamre ki khamoshi ko dur karne me nakam nazar aa rha ta Zu kisi or k sath kaise ghom sakti hai wo kisi dosre ki bat per kaise hans sakti hai usey koi or kaise chu sakta ta?

Wo to sirf meri thi,meri zati jageer.

Magar ye kia ho gaya ta 1 hafte k bad wo jamshed ki mulazma ho gi?

“Maine ande nahi khane?”jamshed nakhre se kahe ga or Zu bari chahat se usey nashta karaye gi?

“Uth b jayen na jee?”Zu ne jamshed k oper se kambal khencha maine beikhteyar ankhain khol di.

Samne dewar per Zu ka hansta howa chehra nazar aney laga wo tarafi wasol karte howe bohat khush nazar aa rhi thi yaqenan jamshed b isi tarah khus ho ga Zu 1 tarafi hi to thi main bechaini se tehalne laga ye kia ho gaya ta kia main shiro hi se Zu se mohabbat kerta ta magar ye mohabbat kahan chupi thi?

Main khud kalami k andaz me barbaraya.”jab dosri larkiyu se gapen hankte te ishq larate te us waqt Zu ki mohabbat kahan gayab thi?”

Main khud ko lanat malamat karne laga shayad maine socha ta k Zu hamesha isi tarh is ghar me rhe gi usne kis se shadi kerni hai?

Wo bhala kahan kisi ko passand kerti hai?

Han“Bat kuch or thi main or samjh betha tha.”

Main easy chair per beth gaya tha mere andher musalsal zalzale uth rhe te jane rakshi ki duri ka dukh kahan ja soya ta?

“Nahi aisa nahi hoga main aisa hone nahi du ga?”main khud kalami kerta howa utha or Zu k kamre ki taraf barha or phir main uske darwaze hi per pohancha ta k mere kanu me uski madhur awaz gonjhi.

“bs sone lagi hu na sara din to ikhate sath guzara hai?”

Main 1 dum ruk gaya wo kisi se gapen hank rhi thi mujhe laga meri sans ruk rhi hai rakshi mere samne beth ker Nauman se gapen hankti rhi thi magar mujhe mehsos tak nahi howa ta aj Zu phone per bat ker rhi thi to meri ankhu me andhera chahne laga ta.

Wo hansi.”Nahi jee nahi 12 bajhe tak to main kabhi nahi jagi?”wo khamosh ho gayi thi yaqenan jamshed ki bat sun rhi thi.”tab ki tab deakhi jai gi.”

Ye bat karte howe b wo sharmaye howe andaz me hansi thi waqfe k bad….

“Bataya na….?Mujhe 11 bajhe k bad jagne ki adat nahi hai,yaqen mano Raju k sath b ziada se ziada 11 bajhe tak gap hoti thi wo b Sunday night ko.”

Thore waqfe k bad wo phir boli.

“Isme khafa hone ki kia bat hai or Raju k sath main khel ker jawan hoi hun Ami Abu ne us se milne ki ijazat di hoi thi Han ab ap mana karen ge to alehda bat hai.”

Halka sa waqfa…

“Hahaha kisi se b milne nahi doge?....wah jee wah ye khob rhi,chalo jaise tumahri marzi nahi milu gi kisi ko b or koi hukam sarkar ka?”

Mazeed sunna mere liye mumkin nahi ta mujhe apne paun per khara rehna dushwar ho gaya ta 1 din me wo itna agey barh ge te mujhe Zu pe betahasha gussa aya magar phir gusse ki roh meri apni zaat ki taraf behne lagi ye sara kia dhara mera apna ta maine hamesha Zu ko apna zerkhareed gulam samjha ta kabhi uske nazuk ehsasaat ka kheyal rakhne ki koshish nahi ki thi ab usey 1 chahne wala mil gaya ta to mujhe aitraz nahi hona chahiye ta usne b to kabhi meri chahat per aitraz nahi kia ta.

“Usey to mujh se mohabbat nahi thi tabhi usne kabhi aitraz nahi kia ta?”mere dill ne 1 bogas daleel di main larzta kanpta apne kamre ki taraf barh gaya ta main badikat tamam apne bed tak pohanch paya ta meri tange larz rahin thin main ondhe muh bed per gira or mahi be-aab ki tarah tarapne laga.

Mera asasa mujh se cheen gaya ta meri Zu kisi or ki ho gayi thi wo Zu jis se main her bat manvane ki taqat rakhta ta mujh se pit ker b jo meri zaroriyat se gafil nahi hoti thi sardi garmi me mere liye kia zarori hai is bat ka kheyal wo ami jan se b ziada rakhti.”Honha ab wo Dr jamshed ka kheyal rakhe gi.”mere seene me dard uthne laga.

“Tab ki tab deakhi jai gi.”mere dimagh me Zu k alfaz gonjhe yaqenan jamshed ne usey mere kareeb jane se roka ta or ab to ye huq usey hasil hone wala ta.

“Agar ainda tune Jadheer se bat ki to khaal utar du ga.”jamshed mujhe Zu ko dantta howa nazar aya.

Main sedha ho ker let gaya achanak mujhe sardi mehsos hone lagi ajeeb kism ki nakahat mehsos ho rhi thi jise main koi nam dene se qasir ta jab sardi ka ehsas hud se ziada barh gaya to main rengta howa kambal me ghus gaya meri nazar dewar per tangi hoi tasver per pari wo hans rhi thi hanste howe wo bohat pyari lagti.Gool chehra,shehad angeen ankhain,smart badan,doodh si khilti hoi goori rangat,nut khat shararti.main Zu ko sochta gaya samina,rani,pinky,kiran,aqdas,sumbal,razia or rakshi ka kheyal Jane kahan ja chupa ta.

Zu or sirf Zu mere sahour se la-sahour tak pel gayi thi.

Achanak mujhe mehsos howa k meri ankhu se pani beh rha hai.main kabhi kisi k liye nahi roya ta aj uske liye ro rha ta jise hamesha rulata aya hu jab main usey apne kisi naye mashke ki khabar deta to us per yehi beeti hogi.

“To kia tumhe larkiyu ki kami hai?”mere her ishq k khatme per wo is fikre se mera khair maqdum kerti apni zaat pesh kerti.umeed bhari nazru se meri janib ghorti magar mere andher bhare ehsas bartari ne kabhi uski ankhu ki ilteja ko mehsos na kia kabhi uske honthu ki larzish ko mehsos na kia?uski muntazir nigahu ko ehmiyat na di,wo kushada peshani k jisko deakh ker ufaq ki lamehdodiyat ka ehsas ho usey kabool na kia,wo shahed angeen ankhain jo behar-alkahil si gehrayi liye howe thin mere nazdek behesiyat rahin.

“Kash main kabhi ankhain band ker k apne andher jhank liya hota?”maine sard aah bhari.

Manzil mere kadmu me thi or main isey sang rah samjh ker agey nikalta chala gaya.main aisa musafir ta k jo daire me safar ker rha ta k her bar manzil ko chu leta or phir agey barh jata.ab achanak apne daire se nikalna para to samjh lagi k manzil ko to bohat peche chor aya hun,itna peeche k wapsi b namumkin ho gayi hai.

“Zu….mujhe muaf ker dena?”meri siskiyan nikalne lagin.

“Agar abhi uske pas chala jau,usey sb kuch such bata dun?”

Magar wo to jamshed k sath wade waeed ker chuki thi ab wo usey kahan chorne per teyar hogi jamshed 1 wajeeha larka ta or phir doctor hone k ilawa rishtedar b ta umeed e wasiq thi k wo inkar ker deti mere garor or meri anna ki dhajiyan bikher jatin sari zindagi k liye Zu ko hansne ka bahan mil jata.

“Acha jnb bohat jaldi kheyal aa gaya k ap mujhe chahte hain?Lakin sorry ab mujhe 1 ideal shareek e heyat mil gaya hai bewaquf thi jo tum se umeeden bhande howe thi tumhe khud apni chahtu se fursat nahi thi,mujhe khaak samjhte?barae meharbani ab mera peecha chor do sb kuch khatam ho gaya hai wagaira wagaira.

Main seekh me paroye kabab ki tarah karwaten badalta rha ankhun se ansu behne ka silsila talooh e sehar tak jari rha wo meri halki si takleef per tarap uthti thi aj meri halat se bekhabar thi or usne bekhabar hi rehna ta apni kashtiyan to main khud jala chuka ta pehle to wo nashta dene aa jati thi magar parsu uske nashta lane k istefsar per.

“maine mulazma ko nashta lane ka bata diya hai.”keh ker uske jazbe ki toheen ki thi.

“Sab kuch darust magar usne 1 dum mujhe chorne ka faisla kyu kia hai?”1 nayi soch mere dimagh me jagi iske sath hi mujhe yad aya k maine khud parsu subah usey bataya ta k rakshi meri zindagi me usi sorat aa sakti hai k Zu is ghar se kahin gayab ho jai,yaqenan usne is wajah se jamshed per jaldi jaldi shadi ker lene ka zor diya hoga.

Main sochta,tarapta,sisakta rha yahan tak k mozan ko mere haal per reham aa gaya or wo khuda ki kibrayi beyan karne laga.

Main bamushkil wazo karne k liye washroom tak ja saka ta namaz maine kamre hi me pari or dua k liye jab hath uthaye to alfaaz khatam ho chuke te sirf sisakti sochen or larazte kheyal baki te.

ABHI K LIYE ITNA HI……!

TILL then T.C😊
Is update pr to kya hi bola jaye

khud hi apne paaoun pr kulhaadi maari hai janaab ne, jab Zu khud saamne se ehsaas krwaati thi tab mosuuf ko samjh naa ayiii or ab aansuu bahaa rhe hain.

PR ab pachtaaye kya hovat, jab Chidiya vhug gyii khet.

ya shayad khet abhi chuga nhi gaya hai sirf announcement huiii hai .
 
  • Love
Reactions: Lover_boy143
1,238
4,499
144
UPDATE:10

AB AGEY:

Meri ankh Zu ki awaz se khuli thi,wo kisi k sath baat ker rhi thi ankhain kholte hi mujhe jamshed ka chehra nazar aya wo Zu ki taraf hi matwajoh ta jabke Zu ki meri janib pisht thi maine jaldi se ankhain band ker lin.

“Sorry Raju k theak hone tak main yahan se kahin nhi ja sakti.”

“Tum hosh me to ho?”jamshed dabe dabe lehje me bola ta.”Ami jan tumahre ghar pohanch gayin hain sirf tumahra intezar hai.”

Wo itmenan se boli.”2&3 din bad ho jai gi ye rasam.”

“Mujhe rasam se koi sarokar nahi yaqeni tor per 2&3 din bad ho jai gi magar Azhra socho Jadheer ki ami jan heyaat hain yahan bethna unka farz banta hai ya ziada se ziada tumahri Ami jan ise attend ker sakti hain.”

“Keh diya na jab tak Raju theak nahi ho jata tab tak main yahan se kahin nahi ja sakti.”

“Jab tumahri shadi ho jai or Raju bemar ho ga tab kia karo gi?....kia us waqt b mujhe chor ker apne Raju k sarhane beth jao gi?”jamshed ka sawal talkh hone k bawajod hakekat per mabni ta.

“Ap jo samjhen?”Zu se jawab nahi ban para ta.

“Azhra main mumani jan ko cal ker rha hu wo yahan aa jayen gi tum chalo mere sath.”

Mujhe jamshed ki bat per itna gussa aya k mujh se bardasht kerna mushkil ho gaya ta or is koshish me mere muh se beikhteyar awaz nikli.

“Raju!”Zu k muh se be-sahta nikla or wo jaldi se mere kareeb ai.

“Kia howa?”

“Aa….Han…..kuch nahi.”main harbara ker reh gaya ta.

“Jadheer kaise ho?”jamshed zabardasti muskurahat honthu per saja ker pochne laga.

“Kafi behtar hun jamshed bhai.”

“Acha main Azhra ko lene aya ta agar ap behtar mehsos ker rhe hain to ye ghar chali jati hai wahan se mumani jan aa jain gi?”

Maine thandi Ahh bhar ker k han me ser hila diya.

“Chalo Azhra ab to Jadheer ne b ijazat de di hai.”wo 1 martaba phir Zu se mukhatib howa magar wo suni un suni ker k nurse ko bolane k liye bel dene lagi.

“Jee?”mustid nurse ne kamre me dakhil ho ker pocha.

“Soup le ao.”Zu ne kaha or wo ser hilate howe wapis mur gayi.

“Azhra main kia keh rha hu?”wo dobara Zu ko mukhatib howa.

“Bata to diya hai maine?”wo itmenan se boli.

“Acha 1 minute bahir aa ker meri bat suno.”jamshed itni asani se uska pecha nahi chorne wala ta.

“Zu chali jao meri deakh bahal k liye nurse mojod hai na?”main badikat tamam bola ta.

“Tum se kisi ne mashvara manga hai?”wo mujh per baras pari or maine khamoshi se ankhain band ker lin.

“Tumne meri bat sunni hai k nahi?”is bar jamshed k lehje me jhalakne wala gussa waziha ta.

“Muh sambhal k bat kro mister!”Zu 1 dum phat pari thi.”shayad tumhe meri bakwas smjh nahi ai jab 1 martaba keh diya k Raju k theak hone tak main yahan se kahin nahi jana to phir tumhe yahan se dafa ho jana chahiye.”

Uska tez lehja or talkh bat sun ker jamshed haka-baka reh gaya.

“Hosh me to ho?”wo gusse se bola.

“Han hosh me hun or jate waqt apni ami ko b sath lete jaiye ga mujhe na to rishtu ki kami hai or na main itni gayi guzri hun tumahre jaise behuda shaks ki bakwas main pichle 1 ghante se sun rahin hun per tujhe izat raas nahi hai shayad.”Zu k muh jo aya kehti chali gayi.

“Tum is waqt apne hawasu me nahi ho main tum se bad me bat keru ga.”jamshed kehar-aloud ankhain mujh per dalta howa bahir nikal gaya or wo mere sarhane beth ker mere balu me ungliyan pherne lagi.

“Ab kaisa mehsos ker rhe ho?”usne chahat se pocha.

“Bohat acha.”main apne andher ki khushi dabata howa bola.”magar tumhe jamshed ki itni toheen nahi keri chahiye thi?”

“To kia kerti tumhe is haal me chor ker chali jati?”

“Itna acha rishta tere hath se nikal jai ga bewaqof.”main karb-naak awaz me bola.”or uski wajah main banu ga.”

Wo itmenan se boli.”tune b to meri wajah se itne ache rishte gunwaye hain?”

“Goya hisab baraber ker rhi ho?”

“Nahi asal bat or hai.”usne hathu k pyale me mera chehra le ker mera rukh apni taraf mora.

“Kia?”mere labu se phansi phansi awaz nikli.

“Kal jab maine dining table per apni shadi ka ziker kia ta to tum koi jawab diye bagair is tarah kyu uth ge te tum se meri shadi ki bat bardasht nahi hoi thi na?”

Main ahista se bola.”han.”

“To bs theak hai,ab tumahri shadi ho jane k bad hi shadi karu gi take tumhe bura na lage.”

Main bebasi se bola.”agar main kahun k aj tak main bohat bari galat fehmi me rha to tum kia kaho gi?”

Wo umeed bhare lehje me boli.”yehi meri duayen rang le ain hain.”

“Zu mujhe muaf ker do maine tumhe bohat dukh diye mujhe pta hi nahi ta k main tumhe is shidat se chahta hun.”

“lakin mujhe pta ta.”wo mere seene per ser rakhti hoi boli.”bs darti is bat se thi k tumhe is bat ki khabar bohat der bad na ho kahin ye na ho k pani ser se oncha ho jai,kahin ye na ho k shadi k bad tumhe pta chale or humare pas faqat pachtawe reh jayen.”

Usi waqt nurse khankharti hoi andher dakhil hoi usne hathu me tray uthayi hoi thi jis me soup ka pyala or bread rakhi hoi thi nurse k aney k bawajod Zu mujh se dur hatne per teyar nahi thi.

“Sister 2 oble howe ande or 1 glass dhood b le ao metha na dalna”

“Jee madam?”keh ker nurse wapis mur gayi.

Maine muh bana.”ye soup wali musebat kum thi k ab uble howe ande b?”

Wo maini-hez muskurahat se boli.

“Mere hath se b nahi khao ge?”

“Saari zindagi khau ga Zu.”

“Acha 1 bat batau?”wo mere balu me ungliyan pherne lagi.

“Koi bat reh gayi hai?”

“Raju is se pehle tune jitni larkiyu se rawabat rakhe mujhe parwah nahi hoi,magar abhi rakshi ki wajah se mujhe sambhalna para us din jo tum ne mujhe Azhra kaha uski talkhi ab tak mere wajoud me rachi hoi hai main der b gayi thi maine samjh liya ta k main tujhe koh chuki hu or phir maine 1 dao khelne ka faisla kia orat mard ki ankhu ko khob janti hai or kafi arse se main ye mehsos ker rhi thi k jamshed mujhe passand kerta hai maine us din uski hosla afzai ki or wo 1 dum shadi per razi ho gaya mera wajdan keh rha ta k tum mujhe rok le ge apni Zu ko kisi dosre ki dastras me jane nahi do ge or deakh lo mera andaza kitna sahi ta.”

“Pagal!”main mohabbat bhari muskurahat se bola usi waqt nurse dobara kamre me ai.

“Shukria.”keh ker Zu ne us se tray pakri or mujhe ande khilane lagi abhi main dhood pee rha ta k Ami jan darwaze pe dastak dete howe andher dakhil hoin unke peeche Chachi jan,Abu jan or Chacha jan b te.

“ye kia bi tum to pake hi let ge ho?”Chacha jan ne muskura ker pocha.

“Ye Zu ki karastani hai chacha jan mujhe uthne hi nahi de rhi hai.

“Acha doctor kia keh rha hai?”chacha jan doabara mujh ko mukhatib howe yaqenan wo ab tak Zu se khafa te baki tamam b Zu se khenche khenche lag rhe te.

Main jawaban bola.”Doctor ne to kuch nahi bola.”

Achanak Zu agey barh ker Ami jan k gale lag gayi.”Meri pyari chachi jan mujh se kyu khafa hain.?”

“Betiyu se b koi khafa ho sakta hai.?”ami jan uske ser per hath pherte howe bolin.”Waise,teri phopi ain thin….abhi wapis chali gayin.”

“Han ab wo ati jati rahen gi.”chachi jan ne kehar aloud nigahu se Zu ko ghora.

“Dekhain chachi jan ami apki bahu ko kaise ghor ghor ker deakh rahin hain?”Zu shararti lehje me boli.

“Meri bahu?”Ami jan k lehje me herani thi.

“To or kia ap b mujhe shakela phopi ki bahu banane per tuli hain.”

“Kia…”Zu ki ami bazu phela ker uski taraf barhi.”meri pyari shehzadi.”unhone Zu ko bahu k ghere me le liya,shuker hai tumhe samjh aa gayi?”

Wo shararat se boli.”Han na ami jan abhi Raju bemar para hai or ghar ka koi fard b uski dekh bahal k liye hospital nahi aya,main smjh gayi k agar main is ghar se rukhsat ho gayi to kisi ne mere masom cousin ka kheyal nahi rakhna.”uski bat per ami jan or chachi jan jhenp ker hansne lagi jabke mere halak se besakhta kehkaha ubal para Zu un dono se lipti mohabbat bhari nazru se mujhe dekhti rahi maine pur-sukoon andaz me ankhain band ker lin.

*…*…*…*

Mobile ki ring bajhte hi maine screen per nigah dorayi,ya hairat!....rakshi ki call thi.main thori der pehle hospital se lota ta Zu meri birthday per milne wale gifts khol ker deakh rhi thi sath sath uska tabasra b jari ta.

“Haye Raju kitni khobsurat wrest watch hai,itna pyara kalam,is diary k oraaq to lagta hai gulab ki patian hain,khush-budar or mulayam.

“Yes?”main call attend karte howe normal lehje me bola.

“Kaise ho?”rakshi k lehje me guzishta ranjish ka nam o nishan tak nahi ta.

“Mujhe pta chala ap do din howe hospital me admit hain.”

“Abhi theak hu or abhi abhi hospital se lota hu.”

“Khafa ho?”usne dill awaiz lejhe me pocha uski khafa sunte hi maine mobile ka loud speaker on ker diya ta.

“Nahi to khafgi to galiban apki taraf se thi.”

“Ab nahi rahi…..sorry,Jadheer main zara jazbati ho gayi thi.”uske lehje me nidamat ka ansar numaya ta.

“Agar abhi aram nahi kerna to main milne k liye aa jati hu?”

Main itmenan se bola.”ye to Zu se pochna pare ga,ab pta nahi usne kia program banaya howa hai?”

1 lamhe ki khamoshi k bad wo ahista se boli.”Tana de rhe ho?”

“Nahi,hakekat bata rha hu.”

“Mujhe samjh nahi ai?”wo ulajh gayi thi.

“2 hafte bad Zu ki birthday hai or isi taqreeb me humari mangni b hogi or aisa Zu chahti hai or main iske ilawa kuch chah b nahi sakta k jo meri Zu chahe.”

Mujhe yaqeen ta k wo 1 dum rabta munkita ker de gi magar iski bajaye mujhe uski dukh bhari awaz sunayi di.”Kia ye such hai?”

“100%”

“Jadheer tum mujhe pyare ho bohat ziada pyare magar is bat ka pta mujhe usi din chal gaya ta jab tum Azhra ko manane k liye mujhe chor ker us k peeche bhag ge te balke main kia tumahre tamam janane wale is bat se waqif hain k tum faqat Azhra k ho yun b wo mujh se khobsurat b hai or mujh se ziada tumahri zaroriat ka kheyal b rakh sakti hai itne din main seraab k peeche dorti rahi khuda hafiz oper wala tum dono ki jori salamat rakhe.”

“Shukria rakshi tum me sahi kaha is bat se tamam waqif te,Lakin ye b hakekat hai k main khud na-waqif ta khuda hafiz.”ye keh ker maine rabta munkita ker diya.

Zu mujhe tang karte howe boli.”Tum na-waqif rehte to behtar ta itna acha rishta ganvaya tumahri is waqfiyat ne doctor to kismat waliyu ko milte hain.”

“Kafi din howe tumahri pitayi howe.”main bed se utar ker uski taraf barha.

“Na-waqif te to pitayi karte te,ab b pito ge?”usne is masomiyat se kaha k mera mood 1 dum badal gaya or main uske kareeb carpet per bethta howa bola.”Acha 1 bat batau?”

Mut-jasis ho ker boli.”Poch ker waqt zayan mat kia karo?”

“Us rat main tere pas aya ta,magar tu us waqt apne doctor sahab se gapen hank rahi thin.”

“Raju jis waqt tum dining table per se uth ker apne kamre me ge te usi waqt se main apne kamre k darwaze per khari tumahri rah dekh rhi thi,mujhe malom ta tum zaror mere pas ao ge,kyu k bakool rakshanda bibi bakiyu ki tarah mujhe b malom ta k tum mujhe kitni shidat se chahte ho?”ye keh ker wo uth ker darwaze k kareeb pohanchi or hanste howe boli.

“Or Han us waqt ki sari guftagu farzi thi,us waqt jamshed ka koi phone nahi aya ta.”

“Tehro main tumhe batata hu.”Main uth ker uski taraf barha or wo zuban nikal ker mera muh chirate howe jhapaak se bahir nikal gayi,main janta ta k yahan se usne sedha Ami jan ki goud me ja ker ghus jana ta k aise waqt per wahi uski sab se bari tarafdar howa kerti thin.

THE END........!
Bohot ho Khubsoorat story thi ye padh kr maza aaya or achi bhi lagi 🤩

Haan beech 2 m is Raju pr gussa to aaraha tha k kaisa namoona hai ye jo sabko dikhaye de rha hai ye us se naa-aashna baitha hai or haqeeqat se Roobrooo hona bhi nhi chahta.😠

Pr Zu ki mohabbat sachi or paak thi isii liye use apni manzil mi hi gyiiii .😍

Acha laga is story ko padh kr 🥳🪅.

Best Of Luck 👍 for the Future 😘.
 
  • Wow
Reactions: Lover_boy143

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
335
1,186
139
Bohot ho Khubsoorat story thi ye padh kr maza aaya or achi bhi lagi 🤩

Haan beech 2 m is Raju pr gussa to aaraha tha k kaisa namoona hai ye jo sabko dikhaye de rha hai ye us se naa-aashna baitha hai or haqeeqat se Roobrooo hona bhi nhi chahta.😠

Pr Zu ki mohabbat sachi or paak thi isii liye use apni manzil mi hi gyiiii .😍

Acha laga is story ko padh kr 🥳🪅.

Best Of Luck 👍 for the Future 😘.
Thank u so much brother😊
It means a lot to me apko story achi lagi
janker acha laga han Raju se galtian hoin
per Zu ki duayen uski mohabbat ne usey
harne nahi diya or last me Raju ko Zu
k pas lotna hi ta dosri or koi Zu ki tarah
kaise ho sakti thi khair once again thanku
 
  • Love
Reactions: LionHeart007
Top