• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Haunted ~~ " Game Of Rings " {Trilogy End}

In this trilogy series, for the readers what will be their favourite one?


  • Total voters
    30

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,428
219
This is the story i wish to finish, with so many things left to write when things ended in XP. Due to shortage of time i couldn't able to keep up with this one. But i would love to write and finish this one, though i don't have any backup of this one and i tried a lot but couldn't get so i decided to write again. The update will not be regular but i will try my best.

Ye kahani un viewers aur readers ke liye hai jinhone is part ki pehli 2 kahani padi hai.

Part 1 - Haunted (Tujhe Pyar karun to kaise ??) (PDF LINK - https://mega.nz/file/SxNR1SgS#rDb3cJET5V3XapK2VoGsZJ_nqOKc22BqG2yVcxEX3JY)
Part 2 - Haunted ~~ Dead Evil Returns (PDF LINK - https://mega.nz/file/K9UBhCYS#_lHNwaPCUcbgCk9RkcFH3ZvykGzv1HPk2x3CvjiKhVc)

This time this one for all the old friends which i met and they are doing well in their life. Cheers, enjoy the story everyone.

PDF For This Story :

 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,428
219
So this is haunted game of rings, final entry to trilogy of haunted.
Interesting.
Btw hi harshit :)

Samwa :ecs: tujhe dekh kar atyant kushi hui kahan gayab ho gaya tha be :( miss kiyela teko apun :weep:

Han yaar socha nipta hi dein dil ko tassali mile :D

Abe idhr ata raha kar ya baat krta raha kar :cry:
 
  • Like
Reactions: Samuel117

Samuel117

New Member
3
2
3
Samwa :ecs: tujhe dekh kar atyant kushi hui kahan gayab ho gaya tha be :( miss kiyela teko apun :weep:

Han yaar socha nipta hi dein dil ko tassali mile :D

Abe idhr ata raha kar ya baat krta raha kar :cry:
I missed you too :(
Story ko perfect ending dena, bhale time jada lage:perfect:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,428
219
" mei batati hun ki hum kyun use dhund rahe hain " awaz anshika ki thi jo shreyas ke sath aa khadi hui thi " iske liye apko hamari kahani sunni padegi " usne shreyas ki taraf dekhte hue inspector sharma ki taraf nazar modh li.

Kai baar jaan dena vala jaan bachane se jada bada mana jata hai. Kahani sunne vale to bahut hote hain par samjhne walle jaldi nahi milte aur kuch kahaniya to banti hi kisi ki kurbani par hai. Aise thi hamari kahani jisme madad to bahut mili par hume har bar uski kurbani deni padi. Anshika ne kahani khatam ki to sharma ne paya ki uske sharir ke rongte khade ho chuke hain. Andhere sath hi thand ka prakop badh chuka tha. Police station mein itni khamoshi kabhi nahi mehsus ki hogi kisi ne.

" to aap .. logon ko lagta hai vo baba se koi connection " sharma puchte hue ruka.

" pata nahi keh nahi sakte par puri kahani mein ek hi umid dikhi to usi ko dhundte hue aa gaye shayad kuch mil jaye. Kya vasta hai un mauton ka mujhse aur is kahani se. Aur agar nahi bhi hai to vo log mar kyun rahe hain aur kaun hai vo jo us ring ko logon tak pahuncha raha hai ? " shreyas ne sharma ke sawal ke jawab ke sath ek sawal aisa khada kiya jo kadiyan mila sakta tha.

" agar hume vo mil gaya to is case ki sabhi kadiyan mil jayegi " ajay ko sawal jaise sahi laga. " sir hum usko dhund sakte hain kya pata vo "

Anshika ne ajay ko bich mein rok dia " mujhe nahi lagta ki use hume kuch bhi milega "

" kehna kya chahti ho anshika ? " shreyas puchte hue kuch aur kehna chahta tha par ruk gaya.

" Tumhare sapne shreyas. Kya unhone kabhi tumhe us ring ki pehchan karane ke sanket diye ? " anshika ki baat sahi thi. Shreyas ne aisa kabhi socha hi nahi tha. Vo dimag par zor dalne laga lekin use is bare mein kuch bhi yaad nahi aya aur usne nah mein sar hila dia. " iska matlab yahi ki hume kahani jis disha mein le jana chahti hai hume us taraf jana chahie. " shreyas anshika ki baton ko samajh raha tha.

" inspector hume us awaz ko khojna hoga ek wahi rasta bacha hai hamare liye " shreyas ki baat par sharma ne hami bhari aur ajay ko ishare se samjha dia ki kya karna hai.

Shreyas anshika ki godhi par sar rakh kar laita hua soch mein duba hua tha. Anshika uske sar par hath ferte hue usi ko dekh rahi thi. " tumhe lagta hai anshika inspector us awaz ko khoj payenge "

" tumse sikha hai shreyas ki kosish ka koi na koi parinam milta hai "

" par sirf awaz se kaise "

" tum ho shreyas, tumhare pas sab kuch hai "

" matlab ? " vo uth baitha.

Anshika kuch sochne lagi " shreyas jab tumhe ye sapne ane shuru hue aur tumne us raat mujhe bataya ki tumhe sab yaad aa chuka hai usi baton se mujhe suja ki jo kahani tumse kuch keh rahi hai usi mein tumhari har problem ka solution hoga. Agar tum awaz sun sakte ho to ho sakta hai tum uska chehra bhi "

" par kaise " shreyas ke bolte hi usne uska sar phir apni godhi mein rakh dia. " ankhein band karke socho shayad yaad aa jaye " shreyas ne wesa hi kiya aur vo ankhein band karke sochne laga.

" sir apko kya lagta hai shreyas ki kahani sach hai " ajay aur sharma der raat jeep se ghar ki taraf chal rahe the. Thand ke sath kohra kafi tha isliye gaddi baht dhimi gatti par thi.

" Kahani sachi thi ajay. Hum police wale bhale hi in sab mein na manne par insan ki ankhon ki sachai ko jarur padh lete hai aur unki ankhein sach keh rahi thi" sharma ki nazar samne hi jami hui thi.

" yani apne vo awaz suni thi ?"

" han ajay vo bhi bahut karib se par jab mene vahan dekha tha to koi bhi nahi tha na jane kya hua us aurat ka "

" hum use dhundenge kese ? "

Sharma koi jawab deta use pehle uska phone bajne laga " hello, han shreyas ji .. han mein sun raha hun "

" vo budhi aurat hai inspector umar 60 se 70 ke bich hi hogi, chehra mujhe yaad nahi ki mein use bata paun " Shreyas ne hamesha sapno mein mauton ko hi dekha hai jude vo log ya kisse kabhi dekhe nahi par phir bhi vo awaz jo sharma ko sunai di vo uske dimag mein thi aur usi ki wajah se ek pehchan uske dimag mein ban ayi thi " kya apko isse madad milegi ? "

" bahut had tak hum use jald se jald dhund lenge, befikar rahie " sharma ne phone katt dia.

" kya hua sir ? "

" shreyas ne kuch hadh tak us aurat ka hulia bataya hai. Ajay kal apne khabri lagao chota sa sheher hai hume vo mil hi jayegi "

" ok sir " dhime raftar se jeep kohre ki chadar mein kho gayi.

Kahani ka ye vo daur tha jiske liye shreyas bechain tha itna ki agle do din beet gaye par vo soya nahi. Na jane kitni bar usne bich bich mein police station ke chakar lagaye aur kitni hi baar phone kiya. Par kudrat ke imtehan ne uski bechaini ko khatam nahi hone diya. Reh-reh kar usme dimag mein kuch sawal the jinka jawab use samajh nahi aa rahe the. Kaun si shaitaini shakti hai vo jo logon ko maar rahi hai ? Aur kyun vo mujhse judi hai ? . Vo ek baat bar-bar dahura raha tha taki use is baat ke sawal ka jawab mil jaye. Aisa usne kuch adhura chhod dia jo kahani mein laut aya ? Vo soch raha tha ki uska phone bajne laga.

" inspector " vo itna bol kar sunta raha aur uski nazar anshika par gayi jo abhi-abhi bathroom se nikli thi. Anshika ki nazar usi par thi, shreyas ne phone rakh dia.

" kya hua shreyas ? "

" hume vo mil gayi anshika. Vo yahin hai isi sheher mein "
 

Rahul

Kingkong
60,514
70,676
354
wonderfull update bhaiya ji
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,428
219
अपडेट कहीं और नहीं लिखी थी क्या मित्र

hai re deta hu purana pehle
 
  • Like
Reactions: Sidd6897
Top