Dono gaddhi se utare aur hospital ke darwaje ki tarafh badhe. Charon aur sukhi padi tehniyun ne gher li thi. " ajeeb si bechaini hai idhar " anshika ne shreyas jaisa hi mehsus kiya. Vo bina kuch bole anshika ka hath thame aage badha. Usne darwaja par dhakka diya par vo nahi khula.
" band hai " usne takat laga kar kholne ki kosish ki par vo nahi khula.
" shreyas kya pata rasta kahin aur se ho. Itni badhi jagah hai rasta us taraf se bhi ho sakta hai " usne ishara kiya.
" hmm " shreyas ko anshika ki baat sahi lagi. " theek hai tum yahin tehro mei dekh kar ata hun aur "
" chinta mat karo mujhe kuch nahi hoga " anshika ne shreyas ki baat puri ki. Shreyas anshika ko chhod kar dusri taraf chal pada. Maidan bahut badha tha vo ye sochte hue aage badha use ek aur gate dikha par vo bhi bandh tha. Khidki ki unchai zameen se uppar thi isliye vo vahan se bhi nahi jaa sakta tha. " Dono gate bandh hai to vo aurat yahan kese aati jati hogi. Aisa to nahi ki vo yahan ho hi nahi ? "
Anshika usi darwaje ke pas khadi thi ki tabhi use ek ahat sunai di. Vo koi awaz thi jo darwaje ke piche se aa rahi thi. Awaz sun anshika ka dil zoron se dhadkne laga vo darwaje ke pas ayi aur kaan laga kar dhayan se sunne lagi. Awaz bahut dhimi thi isliye uske liye samajh pana mushkil tha. Awaz jane ki jigasaya mein anshika ne hath se handle ko pakad kar niche kiya to vo ek awaz ke sath khul gaya. Khulte sath hi vo ek jhatke se piche hui. Darwaja thoda khul gaya tha, uske chehre par pareshani aur halka dar badha. Par sathi hi andar se ane wali awaz tez ho gayi. " kaun hai " uske muh se nikla aur vo ek kadam aage badhi. Aage badh kar usne darwaje ko dhakka dia aur vo ek ajeeb si awaz ke sath khul gaya. Samne corridor tha, roshni mein halka halka hi dikh raha tha lekin usk alawa vahan koi maujud nahi tha. Kisi ko na dekh vo aage badhi aur usne dusra darwaja bhi dhakka de kar khol dia. Vo thoda sa khula aur phir ruk gaya. Anshika ne apne hathon ke zor se use piche kiya lekin vo fir bhi piche nahi gaya. Jab vo piche nahi gaya tab uska dhayan usi awaz par vapis gaya jo theek usi darwaje ke piche se aa rahi thi. Dekhne ki jigasya mein usne intezar nahi kiya aur usne apne kadam andar rakhe. Uski sansein bahut tez ho gayi thi, kuch purani yadein taza hui phir bhi usne apni nazrein darwaje ke piche ghuma di.
Vahan ek ladki baithi apne baal kaat rahi thi usne apna chehra utha kar anshika ki taraf kia. Chehra bilkul safed tha aur ankhein ek dum nili mano din mein ek chudail uske samne baithi ho. Vo ladki use dekh kar hansi aur usi ke sath usne apni jali hui jaban bahar nikal di. Vo is pal ko dekhte hi chillai " aaaaaah--hhhhhhhhhhhhh "
Anshika ke chillane ki awaz sunte hi shreyas fauran vapis ane ke liye daudha. Vo bhagta hue anshika ke pass aya to dekha vo chillati hui piche ki taraf ho rahi thi.
" anshika "
" shreyas " vo uski bahon mein aagayi. " anshika kya hua " vo sawal karta use pehle uski nazar samne khule hue darwaje par gayi. Jo darwaja use khul nahi raha tha vo ab khula hua tha. Ye dekh shreyas samajh gaya ki hospital ki kahani sach hai. Uppar se anshika ka yun dara hua dekh vo aur ghabra gaya " anshika kya hua kya dekha tumne " usne anshika ko khud se alag kia.
" shreyas andar... vo ladki, vo bahut darwani thi shreyas " vo anshika ki ghabrahat saaf dekh raha tha.
" darne ki jarurat nahi mei hun tumhare sath " usne anshika ko bahon mein bhar liya. Dono kuch pal yun hi khade rahe aur jab use laga anshika theek hai tab usne use khud se alag kiya. " anshika tum theek ho " usne uska chehra tham lia.
" hmm "
" hospital ki kahani sachi lagti hai. Mei chahta hun tum vapis chali jao. Sham hone se pehle kuch nahi mila to mei vapis aa jaunga " vo ye baat police station mein hi kehna chahta tha.
" nahi agar is jagah mein kuch hai tum hum dono sath jayenge. Tum nahi the isliye dar gayi thi. Sath hote tab kisi bhi chiz ka dar nahi bhale hi vo koi bhatkati ruh hi kyun na ho " anshika apne faisle par adh chuki thi.
" par "
" pyar mein akela chhodna kahan likha hai shreyas. Tumhe umid hai ki vo budhi aurat yahin hogi ? " usne shreyas ki baat ko bich mein rok kar kaha.
" pata nahi anshika. Agar tumne kuch dekha hai to yahan jarur kuch hai aur aise mein vo aurat yahan kyun hogi ? " shreyas ka sawal sahi thi.
" bhulo mat vo aurat tumhare sapne mein ho rahi ghatnaon ki shakti ko pehchanti hai to kya pata vo yahan ki shaktiyun ko bhi janti ho " anshika ki baat sahi bhi ho sakti hai aur galat bhi. Agar wo budhi aurat itni takatwar hai to shayad vo mere sapnon ke bare mein bata paye. Shreyas bas isi soch mein tha ki vo andar jaye ya nahi kyun ki uske sath uske pyar ki zindagi judi thi. Par vo apne sapno ki hakikat janna chahta tha aur iske alawa koi aur rasta bhi nazar nahi aa raha tha.
" theek hai par dhayan rahe tum mera hath nahi chhodogi. Chahe jo bhi ho jaye " shreyas ki baat sun anshika ne hami bhari aur shreyas uska hath apne hath mein thame andar jane ke liye aage badha. Anshika andar ghusne se pehle halka ghabrai par shreyas ke ehsas ne usko darne nahi dia. Vo dono andar aa khade hue, andar ab vo ladki nahi thi jise anshika ne dekha tha. Barhal vahan koi bhi maujud nahi tha. Farsh par mitthi hi mitthi thi aur corridor ki us gehrai mein halki roshni ke sath ek andhera kayam tha.
Shreyas anshika ko lekar aage badha. Corridor ki mithi par badte dono ke kadam wahan ek lauti awaz thi. Vo dhire-dhire chalte hue aage badh rahe the. Dono ke sine mein ek ajeeb si khamoshi aur dar tha jo ek dusre ke liye tha. Samne kya hai Kuch bhi pata nahi chal paa raha tha aur aisa lag raha tha mano ye corridor kabhi khatam hi nahi hoga. Shreyas ne socha agar vo budhi aurat hogi to shayad is shanti mein uski awaz sun le isliye vo chillaya.
" koi hai " anshika ne uski taraf dekha. Uski sansein tez chal rahi thi. Uski awaz gunji par jawab mein kuch nahi aya vo ek baar phir chillaya " koi hai " aur is baar chillate hi pura corridor atmaon se bhar gaya jinki nazar un dono par hi thi. Koi doctor tha to koi pateint, koi zameen par baitha tha to koi chalta hua ruk kar unki taraf dekh raha tha. Ye dekhte hi anshika ne apna chehra shreyas ke sine mein chupa liya. Vo man hi man 'jai mata di' ka laap lene lagi. Shreyas ki nazar abhi samne khade doctor par thi jo ek patient ke sath tha aur eka-ek jab use mehsus hua ki ek nazar bilkul theek pass hi hai tab usne apni nazar us taraf ghumai. Vo ek bacha tha jo vahan uske badal mein baitha use hi ghur raha tha. Shreyas ne uska chehra dhayan se dekha, adha chehra jal chuka tha usme lage kide us jhakam par ghum rahe the. Shreyas ko apni taraf ghurta dekh vo bacha muskuraya jiske baad shreyas ki dil ki dhadkan aur tez ho gayi. Uske danton se khoon rista hua bahar girne laga. Vo janta tha anshika behad dari hui hai isliye usne anshika ka hath aur majbuti se pakad liya. Aur phir ek nazar piche ki aur dali jahan vo darwaja jise andar aye the vo bandh padha tha uske alawa piche bhi wahi atmayein maujud thi. Ek patient jo strecher par baitha use hi ghur raha tha. Uske hath per jale hue the aur vo apni niii ankhon se use hi ghur raha tha.
Achanak ek awaz hui jisne use dara dia aur usne apni nazar samne ki taraf kar li. Kuch hi duri par use kannch laga ek lakdi ka darwaja dikha jo shayad apne aap khula tha jiski awaz uske kano mein padhi thi. Vo sabhi atmayein shreyas ko hi dekh rahi thi. Vo ek baat samajh gaya tha isliye usne bina unki taraf dekhe anshika ko lekar dhire-dhire aage badhne laga. Use bas us darwaje tak pahunchna tha, jaise jaise vo aage badhta vo nili ankhein jo uske sath khadi thi vo use jata dekhti rahi. Aur phir vo us darwaje ke paar jaa khada hua.