Outstanding story thi harshit bhai
Aisa nahi hai ki maine kabhi horror story nahi padhi thi lekin is tarah ki nahi padhi thi. Ye story sabse alag aur sabse unique thi. Amazing story and unbelievable creation
Well baat karte hain story ki....
Samajh me nahi aata kaha se shuru karu kyoki apne paas word hi nahi hain aisi khatarnaak story ke bare me kuch bolne ke liye. Khair kahani shuru hoti hai haweli me hone wali hatyaao se ya yu kahe ki inspector Amit ke transfer ho kar yaha aane se. Shuruaat me jis tarah se us haweli me hatyaaye huyi usse inspector ko yahi laga ki un hatyaao ko koi insaan anjaam de raha hai lekin postmortem karne wale doctor ne jab laashe dikhaayi aur laasho ke sath hatya karne ka warna kiya to Amit jaise inspector ki haalat hi kharaab ho gayi. So shocked tha ki koi itni bhayanak tareeke se kisi ko kaise maar sakta hai. Waise ek baat puchhna chaahta hu aapse ki itni berahmi se bhooto dwara insaano ki hatya karwane me khud aapka dil nahi tharraya???
Badi hi dilchasp, badi hi hairatangez aur badi hi khaufnaak kahani thi.....par ek baat achhi huyi ki aisi kahani padh kar bhi apna jigar sahi salamat raha....halaaki padhte waqt usi tarah apni bhi hawa shant thi jaise is kahani ke kirdaar chintu ki thi.
Rajesh ek bada business man tha jo us bangle ko tudwa kar waha par ek hotel banwana chaahta tha lekin bangle ko todne ki neeyat se aaye architecture ko bangle ke bhooto me aisa daraya ki wo marte marte bacha. Halaaki uske sath aaya uska ek sathi ishwar ko pyara ho gaya. Yahi se inspector Amit case par lag gaya. Uske baad to hatyaao ka silsila aisa chala ki ant tak rukne ka naam hi nahi liya. Mujhe pura yakeen hai ki agar is story ko kisi bade parde par film ki tarah dikhaya jata to theatre me dekh rahe har darshak ki dar ke maare maut ho jati. Ya fir aisa bhi ho sakta tha ki senser board ise theatre me dikhane ki permission hi na deta.....logo ki jaan se badh kar ye film to nahi ho sakti thi na
Inspector Amit aur samuel to bangle me huyi hatyaao ka koi khaas rahasya nahi jaan paye lekin haan unhe itna zarur pata chal gaya ki ye kaam kisi insaan ka nahi hai balki shaitaano ka hai. Halaaki usne bangle ke current owner Rajesh ko phone par talab karne ki koshish ki lekin Rajesh ne sirf itna hi kaha ki wo apne bete ko bhejega jiska naam harshit hai. Mujhe lagta hai ki agar harshit and party yaha nahi aate to inspector Amit ghanta kuch nahi kar paata. Asal me ye case harshit ke alawa koi dusra solve hi nahi kar sakta tha.
Asli kahani harshit ke aane se hi shuru huyi. Harshit ek aisa ladka tha jo videsh me rahta tha aur is case ke chalte uske dad Rajesh ne use India bulaya tha. Harshit ke sath uski ek dost amb bhi aayi. India aane ke baad harshit pahle apne dosto se milta hai aur fir kuch dino baad wo Delhi se ooti ke liye chal padta hai. Yaha dhyaan dene wali baat ye hai ki harshit ko hamesha ek hi sapna aata hai jisme koi usko bachaao bachaao nahiiiii nahiiii kar ke awaaz deti rahti hai jiske chalte harshit hamesha vichlit hota rahta hai. Well haweli me pahuchne ke baad ek alag hi hairatangez kaam hone shuru hote hain. Pahla to yahi ki bangle ka main entrance door kisi ke bhi kholne se nahi khulta, uske baad sabhi dost harshit ke mukh se ye sun kar hairaan hote hain ki bangle ka ek darwaza bangle ke peeche hai. Harshit ko khud nahi pata hota ki ye sab use kaise pata hai lekin ye sab suddenly usse hota chala jata hai. Bangle peeche jo darwaza tha usse kholte samay harshit ke hath me cut lag jata hai...jabki lock me aisa kuch nahi hota jisse ki use cut lag jaye. End tak story agar nahi padhi hoti to ye samajh me nahi aata lekin ab samajh aata hai ki wo to itihaas dohraya ja raha tha kyoki iske pahle shrey us darwaze ko Sonia ke kahne par khola tha aur tab uske hath me cut laga tha jisse uske hath se khoon nikla tha. Halaaki tab me aur ab me ek fark ye tha ki pahle wo bedhyani me aisa hua tha jabki ab iske peeche reason tha. Well sabhi andar aate hain aur fir shuru hota hai ek naya adhyaay.
Is kahani me dar aur khauf ko itna behtareen tareeke se create kiya hai aapne ki yakeenan padhte waqt jaan halak me fasi rahi thi...wo bhi end tak....amazing. Hawaao ka chalna aur shant ho jana. Kutte ullu jeev jantuo ki awaaze, pedho ka hawaao ke zor se toot padna, bangle ke khidki darwaze apne aap hi khulna aur band ho jana. Bhooto ki aahat aur unke saans lene wala creation totally speechless tha. Aankho ke saamne har ek manzar kisi film ki tarah chal raha tha aur aisa wahi kar sakta hai jiski writing me itni badi kabiliyat ho...great harshit bhai
Jaisa ki maine pahle hi kaha ki is kahani ke bare me kuch kahne ke liye mere paas words nahi hain. Jaise jaise kahani aage badh rahi thi waise waise ek naya khauf aur ek naya rahasya saamne aata ja raha tha. Harshit ko jab Amit ke dwara pata chala ki bangle me ho rahi hatyaaye kaun kar Raha hai to usne khud sare rahasyo ka pata lagane ka faisla kiya. Bangle me ki gayi chhaanbeen me use ek key milti hai. Us key me jo words use dikhe uske dwara wo seedha ooti ke us college me pahuch jata hai jaha par uske anusaar iske rahaysa chhupe hone ka andesha tha aur aisa hua bhi. Us college ke locker se use ek aisi diary mili jise padhne ke baad uska mukammal vajood hil kar rah gaya. Harshit ke dwara laayi gayi us diary ko jab dipzz ne padha to pata chala ki ye kahani aaj ki nahi hai balki ye to 60 saal purani hai aur sath hi punarjanm ki bhi. Pahle janm me harshit shrey tha aur diary ki Sonia uski mohabbat. Wo Mohabbat jisme dard ke siva kuch na tha. Sabko pata chal gaya ki aakhir maajra kya hai, uske baad shuru hua ek aur Naya adhyaay. Is naye adhyaay me harshit and party bhooto se apna badla lene ki jaddo jahad me jut gaye lekin shaitaan prabal the. Shaitaano ne amb ka shikaar kar liya....amb wala ye scene sach me bahut hi haulnaak tha aur bahut hi unexpected bhi. Us bechari ke sath aisa nahi hona chahiye tha. Ye to achha hua ki harshit ne use waapas uske desh bhej diya warna yakeenan wo yaha maari jaati.
Kabristan me rahne wala wo buddha is kahani ka ek important character tha, I think agar wo na hota to harshit apne kaam ko anjaam hi na de pata. Niyati ne jab ye khel Racha tha tab shayad usne sab kuch pahle hi nirdharit kar diya tha aane wale samay me kiski kaha par kis tarah se zarurat padegi. Us buddhe ke dwara hi harshit ko pata chala ki wo jo ab tak samajh raha tha waisa nahi hai. Asal baat ye hai ki uske seene me sirf shrey ka dil hai aur isi tarah sonia ka dil bhi kisi ke paas hai. Sonia to bhooto ki kaid me 60 saalo se tadap rahi hai aur use uske dwara hi unse mukti milegi. Bangle me aa kar harshit is sabke bare me soch raha hota hai aur tabhi use kuch yaad aata hai jiske baad wo ek baar fir se search abhiyaan me chal padta hai delhi. Delhi me athak prayaas ke baad use shilpi naam ki ladki milti hai jise wo batata hai ki wo asal me kaun hai. Shilpi uski baat nahi maanti aur us par gussa ho kar use thappad tak maar deti hai. Harshit use Sonia ki diary de kar waapas aa jata hai. Use yakeen tha ki shilpi waapas aayegi lekin use ye bhi dar tha ki kahi wo is baar bhi apne pyar ko kho na de. Niyati ka khel apni raftaar se chal raha tha aur shilpi Ragini ke sath bangle me harshit ke paas pahuch jati hai. Barsho ke bichhde premi mil jate hain ek dusre se.
Maine bilkul bhi expect nahi kiya tha ki is story ka end is tarah se hoga but ye ek sachchaai hai ki aksar happy end nahi hota. Us buddhe ke dwara raasta dikhaye jane se harshit and party bhooto ka khatma karne ke kaam me lag jate hain. Iske pahle dipzz par shaitaano ne ek attack kar diya jiske chalte usko hospital me bharti karwa diya gaya tha. Shukar tha bechaari bach gayi warna uska bhi......! Shilpi par jab shaitaano ka saya aaya to badi safaayi se harshit and party ne use baandh diya aur fir uske dwara shaitaano ne apne karname batane shuru kiye. Kai saare rahasyo se parda utha. Attet me ramu kaka ne hi Sara game khela tha, jisme usne Khan ke sath sath Vicky aur Karan naam ke do ladko ko shamil kiya tha. Ramu kaka apni biwi aur beti ki maut ka badla Azad sabrawal se Lena chaahta tha jiske liye usne unki beti Sonia ko chuna tha. Sonia ke sath wo jo karna chaahta tha wo hua nahi kyoki shrey ki maut ke baad Sonia itna toot gayi thi ki usne khud khushi kar li.
Is kahani ke end ke scenes bahut hi zyada khatarnaak the. Harshit and party un char shaitaano se to bach gaye the lekin shilpi ke dwara un chaaro ne ek ek kar ke sabki jaan le li. End me jab harshit ki bhi maut ho gayi to kasam se bahut bura feel hua. Dhruv, dipzz aur shilpi hi bachi aakhir me. Ek baar fir se ye saabit ho gaya ki 60 saal pahle bhi pyar ke liye shrey ne khud ka balidaan diya aur 60 saal ke baad bhi usne waisa hi kiya. Jism juda ho gaye lekin pyar amar raha aur aage bhi amar hi rahega.
Last me shilpi dwara jo kuch likha ya kaha gaya wo dil ko chhu lene wala tha. Dhruv aur dipzz ne shadi kar li thi, idhar shilpi ko ek beta hua tha jiska naam usne shreyarsh rakha. Wo masoom sa balaak aksar apni maa se apne pita ke bare me puchhta hai lekin wo use jawaab nahi de paati. Uske dwara kahe gaye ek ek shabd dil ko kachotne wale the. Aksar ham yahi sochte hain ki jeewan me sab kuch achha hi ho lekin aisa hota nahi hai aur yahi sabse bade dukh kaaran hai. Cheeze hamare chaahne se ya hamare hisaab se nahi hoti, aur jab aisa hota hai to sab kuch byarth sa lagne lagta hai. Well aisa lagta hai jaise kahani abhi adhuri si hai....kyoki kuch sawaal abhi bhi hain jo chhoot gaye se lagte hain. Kahani me harshit ke sath jo kuch hua usse uske pita Rajesh par kya pratikriya huyi ye nahi dikhaya aapne. Harshit ke sath sath uske dosto ke sath jo hua usse unke mata pita par kya asar hua ye bhi nahi pata chala. Amb harshit ki best friend thi, mana ki wo apne desh laut gayi thi lekin kya usne baad me in sabke bare me jaanne ki koshish nahi ki??? Mujhe lagta hai is kahani ke ye sawaal is kahani ke next part me milenge.....so let's start reading the next part of this story...