Update 22
Idher Sangeeta class mein aati hai Sam ko dekhti hai toh woh apni nazre ghuma leta hai. Woh sochti hai aaj Sam se baat karke rahegi.
Class start hoti hai woh sirf Sam ko hi dekh rahi thi.
Ritika: Woh sirf tumhe hi dekh rahi hai.
Sam: Jo karna hai kare. Mujhe koi matlab nhi.
Phir class end hota hai next period off tha isiliye bahar jaane lagte hai.
Sangeeta: Sam ek min ruko tumse kuch baat karni hai.
Class mein abhi bhi students the isiliye woh rukh gaya. Ritika bhi class ke bahar rukh jaati hai.
Phir jab sab students chale jaate hai tab
Sangeeta: Kaise ho beta.
Sam: Aap kya karengi jaan kar. Aur mujhse kisi bhi tarah ka rishta naa jodee. Ek teacher hai aap toh usi hadd mein rahe.
Sangeeta: Main tumhari maa hu. Tum mujhse aise baat karoge.
Sam: Main ek anath hu. Meri maa mujhe janam dete hi mar gayi hai aur mujhe iss maa word se hi nafrat hai. Toh aap apna yeh drama kahi aur jaake kare.
Sangeeta: Mujhe maaf kardo beta. Uss waqat mujhe kuch samaj nhi aaya tha aur main gusse mein tumhe uss haiwan ke paas chor gayi thi.
Sam: Maine kaha ne mujhse koi bhi rishta naa rakhe. Aur yeh meri last warning hai warna main yeh teacher student ki jo sima hai woh bhul jaunga. Main Sameer nhi jo sabki sunta tha aur jo sabko maaf kar deta tha. Woh Sameer bahot pahle mar chuka hai. Main Sam hu. Jo kisi ke baap ki nhi sunta aur aage se agar mere raaste mein aayi toh main aapke umar ke lihaaz bhi naa karu. Umeed hai baat samaj aagayi hogi.
Ritika bahar khadi hokar yeh sab sunn rahi thi. Par usko unse koi hamdardi nhi thi. Kyoki woh bhi jaanti thi bachpan mein Sam ko kitni takleef hui thi. Isiliye woh bhi ek tarah se unse nafrat hi karti thi.
Yeh sab bol Sam waha se nikal jaata hai aur Ritika ko leke canteen ki taraf.
Sangeeta waha khade khade sirf ro rahi thi. Aaj usko apni galti samaj aarahi thi jab usne Sam ko bina koi galti ki saza di. Aur usse Rajesh jaise haiwaan ke paas chor gayi.
Sam waha se nikal sidha canteen aata hai. Abhi Deepak aur Mahi ke class the isiliye waha sirf woh aur Kajal Rishi hi the. Wohlog bhi waha aakar baith jaate hai.
Yeh log baate kar rahe the tabhi Sam ke aankho mein koi haath rakh deta hai.
Sam: Neha di. Kaisi hai aap.
Neha: Tune mujhe kaise pehchana.
Sam: Apne dil ki aankho se. Aap meri behen ho. Aapko toh main bhid mein bhi pehchan lu.
Neha: Waah bhai dil khush kardiya. Par tune apna wada pura nhi kiya.
Sam: Aap chinta naa karo main hu naa achha yeh bataye kya aap kisi ko pasand karte ho.
Neha: Nhi bhai aisi koi baat nhi hai. Main kisi ko pasand nhi karti.
Sam: Okk toh kya aap abhi shaadi karna chahte ho ya wait karna chahte ho.
Neha: Bhai sach kahu toh mujhe uss ghar mein ek darr sa laga rehta hai. Aisa lagta hai harwaqat meri izaat pe baat bani rehti hai.
Sam: Toh aapki maa kya karti hai woh kuch nhi karti.
Neha: Woh toh khud darke rehti hai uss insaan se. Isiliye main ab shaadi karke uss ghar se durr jaana chahti hu. Par Singhaniya ke ghar nahi. Waha pe bhi ek tarah se mera sauda hi hua hai.
Sam: Toh thik hai. Meri nazar mein ek ladka hai. Agar aap chaho toh main usse baat karu.
Neha: Jaisa tum thik samjho bhai ab mujhe sirf tumpe bharosa hai. Par agar meri shaadi uss Singhaniya ke bete ke saath hui toh main suicide karlungi.
Sam: Bas phir aap tension naa lo. Ab aapki shaadi mein dekhlunga. Bas aap sham 7 baje SK mall mein aajana wahi pe Ladke se mila dunga.
Neha: Thik hai bhai.
Sam ne Ritika ko ishare se bata diya usko bhi isi mall mein aana hai.
Neha: Achha bhai main chalti hu. Sham ko mulakat hogi.
Sam: Thik hai Didi.
Phir Neha waha se chali jaati hai.
Sam: Rishi tu bhi aajana. Deepak aur Mahi bhi aayenge.
Rishi: Thik hai
Tabhi Sam Rishi ko ek msg karta hai aur kisi bhi tarah se Ritika ko waha se laane ko kehta hai.
Rishi: Ritika tumhe pata hai naa maine Ritu ko promise kiya tha usko dress kharid dunga kyoki uski dress mere se kharab hogyi thi.
Ritika: Haa yaad hai.
Rishi: Toh aaj humlog shopping pe jaarahe hai toh tum please mere saath chalna.
Ritika: Okkkk.
Rishi: Sam Ritika aur Kajal bhi aajaye naa saath.
Sam: Thik hai aajana.
Kajal: Nhi Sam main nhi aasakti mujhe sham ko thoda kaam hai. Sorry.
Sam: Koi baat nhi.
Kajal: Achha main washroom hoke aati hu.
Kajal waha se chali jaati hai.
Ritika: Isko kya kaam hai sham ko.
Sam: Yeh jaake abhi Akash aur Natasha ko yeh baat batayegi ke maine didi ke liye dusra ladka dekhne ke liye bulaya hai.
Ritika: Kyaaa. Kajal aisa karegi.
Sam: Yeh unke saath mili hui hai. Ab tujhe pata chala kyo maine tujhe kaha tha Kajal ko abhi humare baare mein naa bolna.
Rishi: But tujhe kaise pata chala yeh unke saath mili hui hai.
Sam: Jab main India aaya tha tab maine isko aur Karan ko ek saath dekha tha aur yeh plan kar rahe the Ritika ko Akash ke liye kaise ready kare ekdusre ke liye.
Ritika: But yeh aisa kyo chahegi.
Sam: Business darling business. Uss Akash ne Kajal se wada kiya hai agar woh tumhe Akash se ek karwa de toh woh uske dad ke saath ek badi deal sign karega. Aur isiliye yeh baar baar tumhe force karti thi uske liye.
Ritika: My God. Mujhe nhi pata tha meri best friend itni giri hui hogi. Main usko chorungi nhi.
Sam: Abhi nhi Ritika pahle humhe didi ko dekhna hai inko baad mein dekh lenge. Aur tab tak iske saamne aisa hi natak karo.
Rishi: Sach mein tu bahot badal gaya hai london jaake.
Ritika: Par tumne jo didi ko bulaya hai uska kya. Aur yeh ladka kaun hai.
Sam: Maine Kajal ke saamne didi ko SK mall bola hai par Rishi tu jaake unko SRM Mall le aana aur ladka hai apne Vishal bhaiya.
Rishi: Thik hai.