Update: 5
.
.
.
.
us din maa se koi baat nahi hui. doosre di maine moka dekh maa ko ishara kiya maa kamre me chali gai. mian bhi idhr udhar dekh maa ke paas kamre me chala gaya. kamre me dakhil hote hi maine door ki chatkhani laga di. maa mujhe hi dekh rahi thi.
maa .... vijju beta tune kundi kyun lagai hai sab theek to hai.
vijay ..... haan baaji sab theek hai bas aap se ek baat karni thi.
maa ... haan bol beta kya baat karni hai.
vijay .... main maa ka hath pakad kar bed par beth gaya. main sochne laga kaise main maa se baat karoon. meri baat ka kya asar hoga maa par. kya wo mujhe jaane degi apne se door ik anjaan dunya me jahan main pehle kabhi nahi gaya. main bhale hi apni umar ke ladkon se bohat aage tha lekin zamane se aage nahi. kaise ik anjaan shehar me apne aap ko sambhal paonga. ye sab maa bhi lazmi sochegi.
maa hai naa, bechari to darr jayegi. kaisi apne jigar ke tukde ko apni ankhon se door kar paye gi. zamane ki dar dar ki thokren khane ko milengi us ke bete ko .....
bhala ek maa itni himmat apne andar kahan rakhti hai.
par kothe par rehte maa ko bhi bahadur hona chahiye. lekin meri maa kitni bahadur hai abb pata nahi.
main unhi socho me gum tha . ke maa ne mujhe jhanjhod daala.
maa ... beta kin sochon me gum ho. baat karne aaya hai to baat kar naa. is se pehle ke koi aa jaye.
vijay .... baaji main kaise kahoon kuch samajh nahi aa raha .
maa ...... aisi kaunsi baat hai jis ke liye itna soch rahe ho.
vijay .... wo .. wo .. main ye kehna chahta tha ke yahan reh kar main kuch nahi kar sakta hum sari zindagi aise hi rehte reh jayenge. aapki tarha priya ki bhi zindagi is kothe ki nazar ho jayegi. main soch raha tha ke main kisi aur shehar main ja kar khud ko kisi kaabil bana kar aap sab ko yahan se nikal kar le jaaon.
meri bat sun kar maa ki ankhon me aasnu aa gaye wo mujhe gale laga kar rone lagi main bhi maa ke gale lag kar unki peeth ko hath se sehlane laga.
maa ... mera beta itna bada ho gaya hai wo apni maa aur behen ke liye ye sab soch raha hai. lekin main tujhe kaise jaane de sakti hoon. tu agar chala gaya to hamara kya hoga.
vijay ... baaji jaana pade ga warna sab kuch khatam ho jayega. ab to rekha baai ne priya ko bhi aap ki hi tarha dhande par lagane wali hai. us se pehle ke rekha baai priya ko bhi dhande par lagaye. humen yahan se nikalna ho ga.
maa ..... vijju beta ye itna aasan nahi hai jitna tu samajh raha hai.rekha baai ke chungal se bach nikalna bohat mushkil hai. yahan hum khush nai hain lekin phir bhi yahan par rekha baai ke rehte koi khatra nahi hai.
vijay .... baaji sab se bada khatra to rekha baai khud hai. baaki ke khatre baad me dekhe jayenge. pehle humen yaha se nikalna hoga.
maa .... lekin beta tu jayega kahan. tu is se pehle kabhi is bazaar se bahar bhi to nahi nikla. kahin kuch aur gadbad na ho jaye. mujhe darr lagta hai. bhagwan na kare agar tumko kuch ho gaya to phir hamara kya hoga. main to sirf tum dono ki waja se zinda hoon warna kab ki mar gayi hoti.
maine maa ke marne ki baat sun kar unke mohn par haath rakh diya phir bola
vijay .... baaji please marne ki baat na kiya karo mere saamne mera bhi to aap dono aur shuruti jhanvi ke siwa kaun hai is dunya me. main to sirf aap sab ke liye yahan se jaane ka soch raha hoon. yahan se jaaonga nahi to aap sab ko lekar kaise jaaonga. mujhe pehle yahan se nikal kar apne liye koi thikana dhundna hai. phir kuch banna hai. itna taqatwar banna hai ke rekha baai humen na rok sake ...
abhi priya choti hai to hamare paas kuch saal ka time hai. phir rekha baai priya ko bhi dhande par laga degi. shuruti aur jhanvi to mujhse badi hain unko to rekha baai jald hi dhande par lagayegi. mujhe priya aur aap sab ke liye jaldi hi jana hoga wapis aane ke liye.
baaji jab tak hum himmat nahi karenge hum is daldal se kaise niklenge.
maa .... vijju beta tu sahi keh raha hai. lekin kahin aisa na ho ke achi zindagi talashne ki chakkar me is zindagi me jo khushiyan tumhare aur priya ki surat me mere paas hain kahin wo na mujhse chhin jaye. vijju beta bas yahi darr rehta hai mujhe har waqt. meri saansein sirf tum dono ki waja se chalti hai.
ye bol maa dupatte ko mohn par daba kar phoot phoot kar rone lagi. mera dil bhi andar hi andar khoon ke aansu rone laga. aisi sitution me paas maa ko dilasa dene ke liye mere paas kuch nahi tha. phir bhi main maa ko jhuthe dilase dene laga. un ke aansu apni ungli ki poron se saaf karne laga. maa ka rona ruk hi nahi raha tha. bade dino baad aaj maa ka control khatam hua tha. miane bhi kuch soch kar maa ko rone diya. maa tab tak roti rahi jab tak maa ke andar ki ghutan kisi had tak aasnu ki surat me beh kar nikal na gai. kuch der baad maaa thodi relax hui.
main maa ki ankhon me aur maa meri ankhon me dekhne lagi kitna dard tha maa ki ankhon me. agar mera dil kamzor hota tu yakeenan maa ki is tadap ko dekh kar sheeshe ki tarha choor choor ho jaata.
lekin kambakht is zamane ne itna dard mere liye bacha kar rakha hua tha ke dil choor choor to na hua lekin is dil ke dard ko bardasht karne ki shakti apne andar khatam hote mehsoos hone lagi. maa ne apne andar ki ghutan ko apne aansuoon ki surat nikal kar kuch to khud ko relax kar liya. main kya karta main kaise apne andar ki ghutan ko nikalon mere paas to koi rasta koi kandha nahi tha. maa ka kandha ya aanchal mujhe sakoon dene se qasir the. najane kitne saal mujhe isi ghutan ke saath rehna tha. ya isi ghutan ko sehte sehte marr jaana tha. zindagi kitni thi meri. thi bhi ya nahi. main nahi janta tha...
jis raah par main nikalne ki soch raha hoon us raah par mere liye saanson ki badi ahmiyat thi. waqt khatam hone se pehle mujhe apne maqsad me kamiyab hona tha. lekin kaise ............