Update ::::::::::: 6
>> <<
>>> <<<
>>>><<<<
>>> <<<
>> <<
kuch der aise hi sochte-2 guzar gai. maa bhi ab behtar lag rahi thi.
vijay .... baaji rone se kya hoga agar himmat na ki to baaki ki zindagi bhi aise hi rote guzar jayegi. pehle aap akeli thi aur koi aap ka sahara nahi ban paaya tha. is liye aap yahan majboor ho kar khud ko barbad hone se bacha na paai.
lekin abb main hoon na aap ke saath. hum dono ko mil kar priya, shuruti aur jhanvi ko yahan se nikalna hai. baaji aap sun rahi hain na meri baat. kuch saal aur bardasht karlo. bhagwan ne chaha to hum yahan se nikal jayenge. koshish karne se hi kuch ho sakta hai. aapko himmat rakhni chahiye.
main yahan se jane ke baad ajit bhai se aap sab ki khariyat janta rahoonga.
kabhi bhi agar meri zaroorat padi to main aa jaonga. lekin mera jaana zaroori hai. aap apne dil ko mazboot bana len.
maa meri sun khush bhi thi. udaas bhi thi. darri hui bhi lag rahi thi. ek saath rehne se hosla mitla rehta hai. mere jaane se wo akeli pad jayegi. yahi soch us ki himmat tootne lagti thi............
"ek thandi gehri saans lete huye maa ne mujhe gale laga liya aur lagi mere poore chehre ko choomne. kuch der aise hi mere chehre ko choomne ke baad maa mujhse alag hui. unki aankhen phir se nam ho gai thee...... "
maa ..... 14 saal ho gaye hian vijju beta dukh dard jhelte jhelte sehte sehte andar se khokhli ho gai hoon (ik gehri saans lete huye) kuch saal aur sahi. tu ja mera beta, jaa aur "himmat-wala" ban kar aa hum sab tera intezar karenge. hum sab ki duayen tere saath hain. lekin beta har dum apna khayal rakhna ye kabhi na bhoolna ke tu yahan hum sab ko is qaid me chhod kar ja raha hai. agar tujhe kuch hua to tere saath saath 4 aur bhi marengi ye yaad rakhna.
hum sab saath hain to zinda hain.....warna zindagi me aur kuch hai nahi hamara.
abb mujh me aur bolne ki himmat nahi hai. abb apni behno ko tujhe khud hi sambhalna hoga. main nahi unse bat kar sakti. priya ka kya haal hoga. jab usay tere jaane ka pata chalega. tu khud hi un teeno se baat kar.
maa ne teeno billiyon ko mere hawale kar diya aur main maa ka chehra dekhne laga. maa ka chehre par jo kuch der pehle jo dard aur mujhse bichdne ke bhav the abb teeno billiyon ko "maine manana hai" is baat ko le kar sharart ke bhav dikh rahe the. main itni jaldi maa ke chehre ke bhav badalte dekh heran reh gaya. par maa ko to dard sehne ki adat pad chuki thi. unke liye khud ko control karna bhi aata tha. wo abb ankhon me sharat liye mujhe dekh rahi thi. main bhi hadbada gaya.
vijay ... baaji main un teeno se kaise baat karoonga. wo aap ki baat jaldi samajh jati hain. mujhse ye hona mushkil hai. please aap meri help karden unko manane me.
maa ..... (hanste huye)na na ye tera kaam hai tu khud hi kar. bohat der ho gai hai abb tu ja kar kundi khol de kisi ko koi shak na ho jaye. tu yahan se khamoshi se jana kisi ko bhanak na padne dena.
phir maine door ki kundi khol bahar chala gaya. apni billiyon se phir kabhi kisi munasab time dekh kar baat karne ka soch kar main bazaar ke liye nikal gaya.
aaj bohat din ke baad mujhe apne andar ka mahol kuch halka phulka sa lag raha tha. maa se apne jaane ki baat karna aasan nahi tha. maa maan bhi gai thi. mere jaane ke liye. aur maa ne khud ko sambhal bhi liya tha. aaj bohat din baad mujhe bazaar ke mahol me ghutan kuch kam mehsoos ho rahi thi.
"...........shayad mere jaane ka waqt aa gaya tha.............."
main chalte huye ajit bhai ki dukaan par chala gaya. is waqt wo akela hi tha apni dukaan par. miane ye moka sahi jaana aur ajit bhai ki dukaan ke andar chala gaya. ajit bhai mujhe dukan me dekh khush ho gaye.
ajit bhai.... arre bijay aaj kuch khaas hai kya bohat badla badla lag rha hai.
vijay ....... haan ajit bhai aaj sach me kuch badla hua hai.
ajit bhai.... mujhe bata, sab theek to hai naa..
vijay ....... han ajit bhai sab theek hi hai. kuch baat karni thi aap se.
ajit bhai ... haan haan bolo, kya kehna hai. mujhe bataao.
vijay ....... ajit bhai ek kaam tha aapse. kaise kahoon kaam ajeeb bhi hai, aur khatarnaak bhi...
ajit bhai ... aisi kya baat ho gai, tu aaj badi ajeeb ajeb batein kar raha hai,baat ko ghuma mat seedhe seedhe bol, kaisa kaam, aur kaisa khatra...
vijay ....... (dheeme lehje me ) ajit bhai main yahan se nikalne ki soch raha hoon .
ajit bhai ... (shocked) kyaaaaaaa
vijay ....... ajit bhai please apni awaz dheemi rakaho marwao gay kya...
ajit bhai ... (awaz down) haan kyun jana chahta hai aur kahan jana chahta hai .
vijay ....... ajit bhai aap to sab jaante hain meri maa aur behne yahan kitni majboor hain. maa ye sab majboori me kar rahi hai. aur abb to priya bhi badi ho rahi hai. agar maine kuch na kiya to priya ko bhi rekha baai barbaad kar degi..
(thoda sa detail intro ajit bhai ke baare me...)
ajit bhai ki zindagi bhi achi nahi guzri hai jab wo 15 saal ke the. to in ke chacha ne inke maata pita ko maar kar ajit bhai ko ghar se nikal diya tha.
ajit bhai ke pita ke paas 30 acre zameen thi. us zameen ke laach me ajit bhai ke chacha ne ajit bhai ke maata pita ko maar diya tha. in ki ek behen bhi thi jis ki age us time 13 sal thi. jab ajit bhai ko ghar se nikala gaya tha, tab ajit bhai ki behen ghar me nahi thi wo apni saheli ke ghar gai hui thi. ajit bhai dar-ba-dar bhatakte huye mumbai pohnch gaye, yahan reh kar khud ko kaabil banaya aur 20 saal ki age me apne ghar gaye, to pata chala ke us ke chacha to kab ke ghr aur zameen bech kar kahin chale gaye, ajit bhai ko apni behen ka bohat gham tha, 2 saal tak kai shehron me dhoondte rahe,lekin behen nahi mili, thak haar kar phir se mumbai a gaye, aur inki zindagi me maalti naam ki ladki aa gai wo bhi be-sahara thi to, dono ne shadi karli, tabse wo yahi reh kar life guzar rahe hai,)
ajit bhai (paanwala) age: 35 saal
maalti (wife) age: 34 saal
shikha beti age: ....
roopa beti age: ....
raaj beta age: ....
__________________________________________
ajit bhai ... (kuch der mujhe dekhte rahe) "bole" maine khud se kai bar socha tha tumse ye baat karon lekin darr lagta tha kahin kisi ko bhanak bhi pad gai to rekha baai mujhe aur meri family ko maar de gi. is liye darta tha tumse baat karte huye. sach kahoon to mujhe tum ko dekh kar kabhi bhi nahi laga tu yahan ki zindagi ka hissa ban sakta hai. is liye sochta tha ke tum ko kuch aur karne ka mashwara doon lekin dar lagta hai tha. abb tu khud hi yahan se jaana chahta hai to is se achi baat kya hogi. lekin tere jaane ke baad teri maa aur behne un ka kya hoga.
vijay .... abb jaana to hai hi aur jaana zaroori bhi hai. jaaon ga nahi to kaabil kaise banoon ga. aur kaabil nahi bana to maa aur behne rull jayengi.
is liye himmat to karni padegi naa. baaki sab bhagwan jane.
agar bhagwan ne hum sab ki zindagi aise hi sisakte kuchalte huye likhi hai. to hum kya kar sakte hain. aur bhi najane kitni zindagiyan yahan sisak sisak kar khatam ho gai. aur kai yahan par apni saanson ki dor thamne ka intezar kar rahi hain.
lekin maine abhi himmat nahi haari, abhi meri saansein chal rahi hain....
"jab tak saans tab tak aas"
mian jaaon ga yahan se wapis aane ke liye dekhte hain bhagwan ne mere aur meri family ke liye kiya likh rakha hai...
ajit bhai aap apna mobile number kabhi band mat karna. main aap se raabte me rahunga. yahan kuch bhi gadbad ho to aap mujhe bana dena. aur haan ajit bhai bhabhi ka number bhi mujhe de do, kabhi aap ka number band hua to main bhabhi ke numbar par call kar lunga...
ajit bhai .... chal theek hai jitna mujhse hua utna main karoonga.
vijay ...... ajit bhai kisi ko pata na chalne dena mera aap se raabta hai, warna rekha baai ka kuch pata nahi maa aur meri behno ke sath kya kare. aur aaap ke liye khatra ho sakta hai, ho sakta hai mere jaane ke baad wo aap se ye poochhen ke main kahan gaya hoon..
ajit bhai ... main sawdhan rahunga tum bhi koi plan bana kar niklo yahan se aise hi na bhaag jana.
vijay ...... kuch na kuch to sochna padega. acha abb main chalta hoon.
ajit bhai se baat karke acha bhi laga aur darr bhi, yahan se jaana asaan nahi tha mere peeche reh jaane walon ke liye situation achi nahi thi, ajit bhai ke liye bhi khatra ho sakta tha. kahi main apne chakkar me ajit bhai ki khush-haal family ke liye khatra na jaon. ye sab bhi ho sakta tha, rekha baai koi aam aurat to thi nahi aur na hi usay kisi par daya aati thi. agar usay zara bhi bhanak pad gai ke ajit bhai mere baare kuch jante hain. to rekha baai ajit bhai to kutton ke aage daal degi.
aise hi sochta hua main apne daldali thikane par pohnch gaya.