bachho ke murjhaaye chehro ki taraf dekha. "Maine tum logo
ke liye aaj ek surprise plan kiya hai." Is ghosna ke sath hi
sabhi ke chehro me thoda rang laut aaya.
Priya : Mummy Kya surprise hai ? Movies?
Nisha : Definitely shopping hai. Hai na Mom?
Jay : Shopping? Yuk! Batao na Mummy Kya surprise hai?
" Shaant ho jao bachcha party. Hum log aaj picnic jaa rahe
hai. " Mrs. Sharma ne unhe shaant karte huye kaha." Aaj ka
saara din hum ghumenge, firenge aur aish karenge."
Jay aur uski bahne chhote bachho ki tarah taali bajaane lage.
Jay ne Nisha ko thenga dikhaya to Nisha ne uska jawaab
jeebh dikhaakar diya.
Nisha : Lekin Mom, yaha koi jagah ghumne laayak hai bhi
kya? Mujhe nahi lagta yaha 100 km ke radius me ek bhi resort
hoga.
Priya: Jaha tak meri history knowledge ka sawaal hai yaha
par koi aitihaasik smaarak bhi nahi hai.
Mrs Sharma: Ye ek surprise hai aur ye surprise mai tumhe
nahi bataanewaali. Ye tum logo khud experience karna hoga.
Priya: Ok mummy. Waise bhi mujhe fark nahi padta ki hum
kaha jaa rahe hai. Bas hum sab saath ho mujhe aur kuchh
nahi chahiye.
Mrs. Sharma : Are mera sweet beta.
Nisha : Par kaun kaun jaa raha aur PIcnic ki taiyaari, snacks
etc?
Aarti: Saari taiyaari ho chuki hai.
Mrs. Sharma : Picnic par sirf hum jaa rahe hai. HUM
PAANCH. Aur haa Sameer bhi.
************************************
"Sab aaram se baith gaye?. " Mrs. Sharma ne car ka engine
me chaabhi ghusaate huye puchhha.