Update 57
Thandi hawa ke thapede Jay ke gaalo ki
tvacha ko cheerte huye andar haddiyo tak
pahuch rahe the. Dopahar ka
chamchamaata surya bhi apni garmi se
us thandak ko dur nahi bhaga paa raha
tha. Bagal me uski maa gaadi chalaate
huye saamne raste par apna dhyaan
kendrit kar rahi thi. Par beech beech me
wo Jay ki or dekhti aur sar hilaakar use
apni harkato se baaj aane ki chetaavani deti.
Par Jay ne car ki khidki nahi band ki. Wo
apni naraazgi jata raha tha. Par kuchh
der me thandi hawaao ka aakraman
asahniy ho gaya. Akhirkaar usne khidki
ka kaanch chadha diya. Wo apni
naarazagi jataane ka dusra koi upaay
sochne laga.
Aakhir uski naaraajgi bhi uchit thi. Wo
gao me kuchh din aur rukna chahta tha.
Chachi, sameer, Khusboo aur Alka
bhabhi ne bahut minnate ki thi Mrs.
Sharma se, Use kuchh din aur rokne ke
liye. Par Wo ek bhi baat sunne ke liye
taiyaar nahi thi. Unhone chachi ko
ashwaasan diya ki wo garmi ki chhuttiyo
me sapariwaar lambe samay ke liye aayenge.
Jay ne us wakt kuchh nahi kaha tha par
usne apne kharaab mood ka saaf saboot
diya tha. Yaatra ki shuruwaat se hi usne
kisiki bhi baat ka seedhe se jawaab nahi