saka. Khidki se baahr chamak rahe surya ki upasthiti use bata
rahi thi ki Subah kabka use chhod ke jaa chuka tha. Use aisa
lag raha tha ki vo kayi dino se bhukha hai. Uske sar me koi
hathode baja raha tha aur uska jabda abhi bhi dukh raha tha.
Usne bistar par baithe baithe hi kasam khaayi ki vo Nisha ko
kabhi aage se intejaar nahi karwayega.
Wo bistar se utarkar abhi bathroom ki taraf jaa hi raha tha ki
use yaad aaya ki wo kaha hai. Muh dhokar wo apne kamre me
pahucha. Vaha se Naha dhokar wo neeche living room me
aaya.
“Good morning, Jay” Aarti ne kitchen me se awaaj di. Ye
shubhkaama hasi ke saath me aayi thi. Jay ka dimaag is wakt
majaak sahne ke mood me nahi tha. Usne koi jawaab nahi diya
aur sofe par baithkar TV ke remote par apni bhadaas nikaalne
laga.
“Kya baat hai! Meri baato ka jawaab tak nahi mil raha aaj kal.
Koi baat nahi. Ye batao ki naashta karoge ya seedhe Lunch? “
Is baar Jay ko Arti ki vyangya se puti huyi awaaj thodi najdeek
se aati huyi mahsus huyi.
Kitchen ke darwaaje par khadi Aarti ne jab Jay ke chehre ke
bhaavo ko dekha to wo pet pakad kar hasne lagi.”Thik hai thik
hai…….. hehehe……… mai naashta lekar aati hu. Lunch taiyaar
hone me time hai abhi.”
Jay daat peseta hua Tv ke remote par naye sire se aakraman
me vyast ho gaya. Naashta karne ke jab thodi bahut urja ka
sanchaar hua to College ke liye nikal pada. Haalaki college ka
samay nikal chukka tha, par usne ghar se baahar kuchh der
khuli hawa me ghumne ka man bana liya tha. Iske alaawa wo
college aur apne dosto ko kaafi miss kar raha tha.
Jay man hi man muskuraaya. Jay apne un dosto ko miss kar
raha tha jinke saath hote huye bhi wo unke sath nahi hota tha.