- 5,758
- 13,139
- 189
https://drive.google.com/file/d/1T5L5geP0jDWq_FwZV06uUR_t3kKw7C0w/view?usp=drivesdkBro aapki story "ek bhool "
Ka wait kar raha hoon
Bhai ye pdf file ka link hai...Download kar lijiye bhai.
https://drive.google.com/file/d/1T5L5geP0jDWq_FwZV06uUR_t3kKw7C0w/view?usp=drivesdkBro aapki story "ek bhool "
Ka wait kar raha hoon
UPDATE 1
Dear Diya,
Aaj dusri baar tumhe letter likh raha hu...Ha pehli baar ki tarah ye bhi love letter hai...Lekin fark itna hai ki iss baar tumhe apne dil ki baat bataane se jyada apni galtiyon ke liye maafi mangna chaahta hu.
Maine tumhaare saath jo kuch bhi kiya ya fir jo galtiyan mujhse hua hai uske liye mai dil se maafi mangna chaahta hu...Mai nahi jaanta ki tum mujhe maaf kar paaogi ya nahi...Mai tumhe ye letter iss liye bhi nahi likh raha hu ki tum ye sab padh kar mujhe maaf kar do...Mai ye letter tumhe ye bataane ke liye likh raha hu ki mujhe apne galtiyon ka ehsas ho gaya hai...Agar mujhe maafi mil gaya to isse mai apne aap ko khus nasib samjhunga warna isse ek bura khwaab samajh kar bhulaane ka koshish karunga.
Ha 2 saal ho gaye aaj hame alag hue...Aur yahi do saal me mujhe ehsas hua hai apne dosti ka apne pyar ka...Aur yahi 2 saal me pata chala ki maine kya khoya hai...Tumhe khone ke baad pata chala hai akela pan kya hota hai...Kitna mushkil aur bekar ho jaata hai jindagi jab apna koi apne paas nahi hota hai isa baat ka ehsas bhi mujhe tumhe khone ke baad hi pata chala.
Pata nahi tumhe mujhse kaise pya ho gaya lekin tum ne jis insan se pyar kiya tha uske paas koi feelings aur emotions hi nahi tha...Ha lekin uss vakt bhi mai dil ka bura insan nahi tha aur aaj bhi nahi hu...Lekin jab tumne mujhse pyar kiya aur ham dono saath the tab mujh me samajhdaari naam ki koi cheej nahi tha.
Pyar aur vishwas ye do shabd par kabhi bharosha hi nahi kiya maine...Mai aise maahaul me rehta tha jaha log sirf khud ka swarth hi dekhte the...Apne liye jeete the aur dusro ke liye koi parwah nahi chaahe wo jiye ya mare...Aise me pyar aur vishwas to dur insaaniyat naam ka shabd bhi nahi tha.
Mujhe bhi uss maahaul ka hawa ne chhu liya...Mera soch bhi kuch waisa hi ban gaya...Khud ke liye jiyo aur dusro par kabhi bharosha mat karo...Pata nahi kab kaun dhokha de de...Lekin mujh me aur baaki ke logo me sirf ye fark tha ki mai kabhi kisi ka hak nahi chheenta tha...Aur bewajah kisi ko pareshan nahi karta tha...Thoda bahut insaaniyat to mujh me bhi tha...Lekin kabhi uss insaaniyat ko bahar nikal kar ek saccha insaan nahi ban paaya.
Jo dekha jo suna wohi sahi aur sach laga...Galat logo ke bich me reh kar mai bhi galat ban gaya..."A rotten potato damage all other potatoes"...Kuch aisa hi haal tha mera bhi.
Aur uske baad dosto ka sangat ka asar...Dosto ka sangat insan ko sudhar bhi sakta hai aur bigaad bhi sakta hai...Galat dosto ka sangat kar liya maine bachpan se hi...Ya fir ye keh lo ki jinse maine dosti kiya tha wo galat log the...Bachpan se hi ek alag tarah ka mentality ban gaya tha mera.
Accha aur sacha insan kya hota hai, asli insaaniyat kya hota hai...Hame kaise jeena chaahiye, apne liye jeena ya apno ke liye jeena chaahiye...Jindagi ka saccha khushi kya hai aur hamaara jindagi ka kya makshad hai ye saari baatein kabhi pata chala hi nahi...Sikhane wala aur samjhaane wala koi tha hi nahi.
Maa aur Papa ne apna jimmedaari to nibhaya lekin jo pyar unhe apne baccha ko dena chaahiye tha wo de nahi paaye...Hamesha paise ke piche bhaagte rahe ya yun kaho ki apne swarth ke piche...Naa to dono ka aapas me hi accha relation tha aur nahi mujhse...Ghar me bhi jhagada aur man mutaaw hi hota rehta tha.
Mera jindagi kisi tarah aage badhta raha...Mai bada hota gaya.. Paisa ya fir aisho aaram ki kami to nahi tha lekin jo ek bacche ko suru se hi chaahoye hota hai wo nahi tha...Maa baap ka pyar, saath aur sanskar.
Ye teeno cheej mere paas nahi tha aur uss vakt ye sab baaton ka matlab bhi pata nahi tha.
Bahut vakt laga diya ye jaane me ki mai kyu paida hua hu aur mera jindagi ka kya makshad hai...Bahut sochne ke baad bhi ye nahi pata chala ki mai kyu paida hua hu lekin ye pata chal gaya ki mera jindagi ka koi makshad nahi hai...Kisi tarah jindagi se sangharsh karte raho jab tak jee sakte ho jeete raho aur ant me mar jaao.
Issi tarah jindagi chalta raha...Aur kuch bigde hue ladko se dosti bhi ho gaya...Uss vakt to kuch maalum nahi tha ki wo sahi hai ya galat...Bas mere akele pan me saath dete the, mujhse baat karte the, mere saath ghumte the...Bas issi vajah se unse dosti bhi ho gaya.
Unke dosti ke saath jindagi me thoda badlaaw to aa gaya...Time pass acche se hone laga...Unki sangat me kisi aur se dosti bhi nahi hua...Abb ham jaise gunde ya awara se kaun dosti karte...Koi sharif ladka ya ladki paas bhi nahi bhatakte the...Awara ladko ke saath reh kar mera bhi pehchaan awara hi ban gaya.
Unke sangat me mai bhi bahut hadd tak unn jaisa hi ban gaya...Din bhar sadko par school aur college bunk kar ke ghumna, club ya bar me jaa kar paise udaana, gang fight me saamil hona, sabhi se badtameezi karna cigarette aur daru peena aur bhi bahut kuch.
Lekin kuch aadatein tha jo kisi ke sangat me nahi badla...Mai pehle se hi dayalu tha...Mushibat me fase hue logo ko jitna ho sake utna madad karta tha...Bhale hi apne chehre me hansi na ho lekin dusro ke chehre me hansi laane ka ek alag hi maja hota hai aur usme hi apna khushi dhundta tha.
Lekin apna pehchaan se kabhi baahar nahi nikal paaya ya fir nikalna hi nahi chaaha...Jindagi me bahut kam dost hi mile mujhe...Aur jo dost the wo bigde hue gunde the fir bhi wohi the jo mere saath utthte baithte the baat karte the...Unka saath kabhi nahi chhoda aur chhodna bhi nahi chaaha.
Dhire dhire aadat ho gaya logo ka parwah na karne ka...Mujhe koi fikar nahi tha ki log mere baare me kya sochte the...Mai apni hi jindagi jeene laga...Kabhi kabhi kisi ka madad kar deta tha aur kabhi kabhi apne jaise gunde ke saath ladai jhagada hota rehta tha.
Padhai likhaai me thik thaak tha...Itne laaparwahi ke baawjud padhai me jyada piche nahi raha...Khair kisi tarah bachelor tak pahunch gaya.
Bachelor tak pahunchte pahunchte 20 saal ka ho gaya...Iss umar me bahut saare badlaaw bhi aate hai sharirik ya manasik roop me...Yahi to wo vakt hota hai jab hame pata chalta hai pyar kya hota hai, kaisa hota hai aur pyar ho jaane ke baad kaisi feelings aata hai...Yahi wo vakt hai jab ham kisi ladki ki taraf attract hote hai.
Lekin iss umar tak mai exception tha...Mujhe kisi se pyar nahi hua tha...Kisi se pyar aur bharosha par se to pehle hi vishwas utth chuka tha...Upar se dosto ka sangat aur unke behkaane wali baatein.
Iss baat ka tumhe bhi andaaza hoga ki awara ladko ke bich kisi ladki ke baare me kaisi baatein hota hai...Ladki aisi hoti hai, waisi hoti hai aur wo hamaare istemaal ke liye bani hoti hai...Ladkiyan jivit praani nahi balki hamaare istemaal ke liye bani hui cheej hoti hai...Kuch aisi hi bichaar tha dosto ka...Aur koi ye kehta tha ki ladki se pyar karna matlab sabse badi bewkoofi karna hai...Ladkiyan bewafa hoti hai...Kuch aise hi baatein ladkiyon ke baare me maine suna aur kuch hadd tam sahi laga.
Kuch vakt bitne ke baad sabhi doato apna apna girl friend banane lage...Mujhe bhi uksaaya lekin mai ye sab baaton ke liye taiyar nahi tha...Lekin sabhi ke saamne kitna din tik sakta tha...Unhone mana hi liya aur mujhe maana hi pada...Lekin ye bhi bata diya ki kisi bhi ladki se saccha pyar mat kar baithna...Bas ladki ko pataao aur unka istemaal karke chhod do aur fir kisi dusre ko dhundo.
Mai maan to gaya lekin bahut ajeeb lagta tha ki mai kya karne jaa raha hu aur ye sab karke mujhe kya haasil hoga...Lekin dhire dhire apne dosto ko dekh kar utshuk bhi hone laga ki girlfriend banne ke baad kya kya hota hai.
Raat bhar ham kaise girl friend se phone par baat karte hai aur karne par kya hota hai...Dating me kya hota hai...Ek saath time spend aur baat kaise karte hai aur dil me kya feelings aate hai ye baatein jaane ke liye bahut utshuk ho gaya tha.
Mai bhi jaana chaahta tha ki girl friend me aisi kaunsi baatein hota hai jis vajah se log bas bf gf ke chakkar me lage rehte hai...Sab kaam chhod kar bas pyar ki baatein hi karte hai...Mai bhi jaana chaahta tha ki aakhir girl friend me aisi kya jaadu hota hai.
Maine bhi soch liya ki mai bhi ek ladki pataunga...Socha ek khubsurat ladki pataunga jaise sabhi ladke sochte hai.
Ussi vakt mera najar tum par pad gaya...Tumhara roop dekha to laga ki tum patane laayak ladki ho...Khubsurat to thi hi tum aur tumhari aawaj bhi bahut hi surili thi...Bahari roop se to mai prabhawit ho hi gaya tha aur doato ke saamne bhi koi sharm ki baat nahi tha ki kisi badsurat ladki ko pataya.
Duniya ko dikhaane ke liye baahari roop se tum khubsurat to thi aur andar ki khubsurati yaani ki dil aur tumhara behavior ye baatein nahi jaana tha...Lekin mujhe iss baat se koi matlab bhi nahi tha...Mujhe kaunsa tumse sacha pyar karna tha...Mai to bas ye jaana chaahta tha ki pyar aur ye bf aur gf ka chakkar kya hota hai...Usme aisa kya baat hota hai jo insan ko ek dam se badal deta hai...Aur dosto ke saamne majaak banne se bhi bach jaata ki koi ladki mujhse nahi pat ti hai.
Tumhe patana tha to pehle ye baat pata lagaya ki ladki ko pataate kaise hai...Kaise kapde pehen na padta hai, kaisi baatein karna padta hai aur kaisa attitude dikhana padta hai...Ye saari baatein maine doato se aur movies se sikh liya...Aur chal pada mission me tumhe pataane ke liye.
Aise hi kuch koshish ke baad tumse dosti bana hi liya...Iske liye mujhe khud ko puri tarah se badalna pada...Jab bhi tumhaare paas jaata tha tab ek dam se sharif ladka banne ka acting karta tha...Daru aur Cigarette bhi kuch dino se peena band kar diya tha...Kisi tarah apne acting se tumhe yakin dilaya ki mai ek accha aur saccha dost hu tumhaara...Jo dosti ke liye kuch bhi kar sakta hai aur tumhaara saath kabhi nahi chhodega.
Aur tumne meri naatak ko sach maan liya...Khair hamara dosti aage badhta raha.
Tumhaare baare me maine galat kabhi nahi socha tha...Tumse jhutha pyar aur sex karke chhod dena mera makshad kabhi nahi tha...Mai kabhi kisi ko be vajah hurt nahi karta tha aur kisi ko iss tarh se dhokha dena to ek paap hai...Mai bas ye dekhna chaahta tha ki pyar aakhir hota kya hai aur log kyu karte hai.
Hamara dosti to aage badhta raha lekin mujh me bhi bahut badlaaw aane laga...Na jaane kyu tumhaare saath baat karna, tumhaare saath kahi ghumna aur tumhari baatein sunna bahut accha lagne laga. Tumhaari baat karte vakt muskuraana usme mai khone laga. Jab bhi tum paas hoti thi to alag hi sukoon milta tha.
Jab bhi tum paas nahi hoti thi tab ek bechaini sa lagne lagta tha. Anjaane me hi sahi lekin tumse agli mulaakat ka intejaar karne lagta tha.
Pata hi nahi chala mai kya se kya ban gaya hu. Sach me tumhaare saath time spend karne ke baad mai apni buri aadatein bhulne lag gaya. Daru aur kuch dushmano se fighting ke liye vakt bhi nahi milta tha. College ke vakt to tumhaare saath hi vakt bitata tha aur college ke baahar tumhari yaad aur intejaar me vakt bitata tha.
Mai tum me itna kho gaya tha ki ye bhi yaad nahi raha ki kyu mai tumhaare saath hu aur kyu tumse doati kiya. Jab kuch dino baad iss baat ka ehsas hua ki mai tumhaare baare me bahut sochne laga hu.
Bahut baar khud se pucha iss baare me lekin dil se koi aisa jawab nahi mila ki mai santusht ho paata. Kabhi kabhi ye jawaab bhi milta ki shayad mai tumse pyar karne laga hu. Lekin agle hi pal ye khayal mai apne dil aur dimaag se nikal deta tha. Maine kabhi kisi par pyar aur vishwas nahi kiya tha to kaise yakin kar leta ki mujhe tumse pyar ho gaya hai.
Khair bahut koshish kiya khud ko jhutha saabit kane ke liye. Hamara doati aur mera natak chalta hi raha. Mai apne hi soch me uljha hua tha ki mai tumhaare baare me itna kyu sochta hu. Bahut se badlaaw aa gaya tha mujh me tumhaara mere jindagi me aane se...Dil ka ek chota sa kona jisme kuch insaaniyat bhi tha wo baahar aane laga...Sach me puri tarah se badal gaya tha...Uss vakt to pata nahi chala lekin aaj pata chal raha hai ki wo pyar ka jaadu tha jo mai dekhna chaahta tha...Pyar me wo jaadu aur taakat hai jo insan ko puri tarah se badal sakta hai aur patthar dil ko bhi pighla sakta hai.
Uss vakt mai khud me hi uljha hua tha ki tumne hi mujhe apne pyar ka izhaar kar diya...Mujhe hairaani to bahut hua uss vakt lekin tumhaare izhaar ko maan liya.
Inkar bhi kaise karta jo mission me aage badha wo to pura ho hi gaya tha...Uske baad mujhe ye dekhna tha ki pyar kya hota hai aur pyar ho jaane ke baad kya hota hai...Tumhara proposal ne mera baaki ka kaam kar diya...Maine dosti ke liye apna kadam aage badhaya aur tumne pyar ka izhaar karke hamara rishta ko ek alag naam diya.
Pata nahi yaar tumne mujh me kya dekh liya jo mujhse pyar kar baithi...Tumne nalaayak aur dhokhebaaz ladka se pyar kiya tha...Jhuth aur dhokha se suru hua tha hamaara pyar ke rishte ka suruwat...Ye rishta to ek na ek din tutna hi tha.
Suruwat me mujhe kabhi iss baat ka dar nahi tha...Mujhe lagta tha ki mujhe tumse pyar hai hi nahi to darna kis baat ke liye...Lekin mera apna dil ne hi mujhe dhokha de diya.
Dhire dhire kar baitha tumse sacha pyar...Ho gaya ehsas ki mai tumse bahut pyar karne laga hu...Bahut pyar karne laga hu...Tumhaare bina ek pal jindagi nahi soch sakta tha...Har vakt tumhara fikar hone laga tha...Aankho ko sukoon milta tha tumhari jhalak se...Aur jab bhi tum dur hoti thi tab ek bechaini aur fikar.
Tumhaare saath ne mujhe puri tarah se badal diya...Tumse baat karne ke baad, tumhaare saath ghumne ke baad pata chala ki insan ka sahi arth kya hota hai...Insaniyat kise kehte hai aur insan ki jimmedaari kya hota hai...Jindagi me khushi kise kehte hai, kaun apna aur kaun paraya...Sab kuch tumse hi sikha hai maine.
Tumse milne ke baad aur tumhara pyar ne naya jindagi diya hai mujhe...Patthar dil aur awara insan ko insaaniyat ka paath padha diya.
College park me jab bhi tum mere kandhe me sar rakhti thi aur mera baal sehlaati thi tab uss vakt ka feeling bata nahi paaunga...Aisa lagta tha iss duniya me koi hai jisne mujhe dil se chaaha hai aur maine bhi usse...Uss vakt lagta tha ki tumhe apne seene me hi chhupa lu...Kabhi dur jaane nahi du.
Tumse pyar ho jaane ke baad ehsas hua ki tum jitna baahar se khubsurat ho usse kayi guna jyada andar se.
Jab pehli baar tumhaara ghar gaya tab pata chala pariwar ka matlab kya hota hai…Ye pata chala ki pariwar me agar pyar ho to ghar hi swarg hota hai…Tumhaare Maa aur Papa ne mujh ajnabee ko wo pyar aur samaan diya jo shaayad hi kabhi maine mehsus kiya ho…Bata nahi sakta tumhe kitna ajeeb aur sukoon mila tha uss vakt…Tab ehsas hua ki pyar kitna jaruri hota hai insaan ki jindagi me…Kisi bhi rishte ki pyar ki alag ehmiyat hota hai jindagi me…Pyar na milne ki vajah se hi mai awara ban gaya tha…Aur pyar milne ke baad hi mai fir se badal gaya…Mujhe bhi ehsas ho gaya jindagi ka asli majaa kis baat me hai…Pyar bhari jindagi me wo sukoon hai jo kisi aur cheej me nahi hai…Hamesha dil santusht hota hai aur har ek lamhe ka alag hi maja hota hai.
Tum meri jindagi me bhagwan se kam nahi ho...Mera sab kuch thi aur ho tum...Tum mere liye iss duniya me sabse badhkar ho...Itna izzat mai bhagwan ko bhi nahi deta hu jitna tumhe.
Sach me tumne mujhe khud se milwaya hai...Agar tum nahi hoti to mai apna gunda aur awara wala jindagi jee raha hota...Tumne hi mujhe jeene ka makshad bataya.
Kitna galat hu na mai...Itna pyar karta tha tumhe, Itna izzat deta tha...Sab kuch karne ke liye taiyar rehta tha tumhaare liye...Fir bhi tumhe chhodna pada.
Ye wo decision tha jisko maine dil me patthar rakh kar liya tha...Mai hi jaanta tha mai kya kar raha hu aur baad me kya hoga...Jis din tumse ek drama karke alag hua tha uss din raat bhar fut fut kar roya tha...Aisa laga jaise maine khud ko hi jeete jee maar diya ho.
Lekin kya karta apne hi unn dosto ki vajah se tumhaare paas aaya tha unhi ki vajah se tumse dur ho gaya...Unhone mujhe aayina dikhaya ki mai kya hu aur meri kya aukaat hai.
Unhone ye bhi bataya ki mai bhi unki tarah sadak chaap gunda hu...Kaha ek sadak chaap gunda aur kaha tum...Hamara koi mel tha hi nahi...Wo to mai kho gaya tha tumhare pyar me jo ye bhul gaya ki ham dono kabhi ek ho hi nahi sakte...Kya batata tumhe mai apna asaliyat...Ki mai ek sadak chaap gunda hu jo dhokha se tumhaare paas aa gaya tha pyar ka naatak karne ke liye.
Ye sab dekh mujhe khud se hi nafrat hone laga aur apni hi galti me pacchtaane laga...Khud se to nafrat hone hi laga tha lekin mai ye nahi chaahta tha ki tum bhi mujhe nafrat karo.
Tumse bachne ke liye naatak kiya maine...Ek chhota sa drama karke tumse alag ho gaya...Jo gunaah kiya hi nahi maine tumhe wo dikhaya aur jo kiya usse nahi dikhaya.
Jaanta tha ye karne se ham dono ki jindagi me kya hoga...Na tum khus rahogi aur na hi mai...Meri ek galti ki saja ham dono ko mila...Apna asliyat tumse bachane ke liye tumse dur chala gaya...Kitna darpok tha mai.
Tum soch rahi hogi ki aaj aisa kya ho gaya ki 2 saal baad mai tumhe ye sab bata raha hu.
Ha bahut vakt laga diya maine...Shayad ussi vakt mujhe tumhe sach bata dena chaahiye tha.
Lekin tumse dur jaane ke baad mai itna toot gaya tha ki khud ko hi bahut mushkil se samjhaya...Khud ko samjhaane ke baad har din khud se hi jung ladta tha ki tumhe sacchaayi batau ya nahi...Kabhi khud se jeet nahi paaya...Itna darpok ho gaya tha ki apna galti chupaane ke liye khud ko hi dhokha dene laga.
Bahut vakt tak ye jung chalta raha...Khair aakhir me mai jeet hi gaya...Socha ki tumse maafi maang lu...Aur apna asliyat batau...Fir socha agar tum maaf bhi kar do bhi tumhare saath nyay nahi hoga.
Pyar hi kaafi nahi hota hai jeene ke liye...Dal roti aur rehne ke liye jagah bhi chaahiye jeene ke liye...Papa aur Maa se koi madad nahi lena chaahta tha apne pyar ko waapas paane ke liye...Jo karna tha mujhe hi karna tha...Kisi tarah job dhund liya aur iss laayak bana ki ham dono ka har sapna pura ho sake.
Maine khud ko iss kaabil banaya apne mehnat aur job se ki tumhe jindagi me wo har khushiyan du jo tum chaahti ho...Paise ki koi kami nahi hai mere paas aur wo to har din badhta hi jaa raha hai...Lekin abb sache pyar ki kami khal raha hai.
Bahut din ho gaya tumhe dekhe bina...Tumhaare yaad aur tumhaare liye kuch karne ki soch me vakt kab beeta pata hi nahi chala...Abb jab shayad tumhaare laayak ban gaya hu to aur intejaar nahi hota.
Abb iss ghar me sirf tumhara intejaar hai...Na jaane kitne sapne dekh liya hai maine tumhaare baare me aur apne future ke baare me.
Socha ki shayad sache dil se tumse maafi maangu to tum maaf kar dogi...Mai bhi yahi chaahta hu ki agar tum mujhse pyar karo to asli Yash se pyar karo...Iss liye apna janam kundali likh diya maafi ke saath.
Abb tumhare haath me hai mujhe maaf karna ya nahi karna...Jo bhi faisla hai tumhaara mujhe manjur hai...Agar tum mujhe maaf kar dogi to wo mera jindagi ka sabse khubsurat taufa hoga aur agar tum maaf nahi karogi to bhi mujhe tumse koi shikayat nahi rahega.
Mai to khus nasib hu ki tum meri jindagi me aayi aur mujhe jeene ka makshad bataya...Jitna tumne mujhe pyar aur apna pan diya hai uska koi mol nahi...Hamare bich me jo duriyan aaya hai usme tumhaara koi galti nahi...Saara kasur mera tha...Aur apne pyar se dur hone ke liye jimmedaar bhi mai hi tha...Galti maine kiya tha to tumse kaisa shikaayat.
Pata nahi tumhara kya faisla hai...Please jarur batana...Agar tumne mujhe maaf kar diya to tum wohi puraana Yash ko dekhogi jisse tumne pyar kiya tha...Abb aage ka jindagj tumhaare saath pyar aur khushj ke saath jeena chaahta hu...Agar tumne mujhe maaf nahi kiya to bhi mere paas abb bahut si vajah hai jo tumne hi diya tha aage badhne ke liye.
Abb wo puraana mobile number fir se chalu kar diya hai...Please usme jawab dena...Tumhara jawaab ka besabri se intejaar rahega.
Aur ha iss baar dil se sorry apne galti ke liye...Abb bas itni si dua hai abb aage jo bhi haalat ho jaisa bhi vakt ho tumhaari hontho me wohi muskaan aata rahe jisko dekh mujhe tumse pyar ho gaya tha.
Aaj tumhe fir se apne dil ki baat aur galtiyan bata kar bahut sukoon mil raha hai.
Thanks for coming in my boring life...Tumne sach me mere andhakar jindagi me Diya ki roshni se ujaala kar diya...Thanks a lot.
Hamesha muskuraate rehna Diya.
Tumhe Pyar Karne Wala Aur Tumhara Gunehgar
Yash
As promised main ne padh liya. Its good.UPDATE 2
Letter padhte vakt Diya ke chehre me bahut saari bhaaw aa rahe the…Suru me wo thoda gussa thi to baad me usko bhi Yash ke liye bura lag raha tha…Abb Diya ko samajh me aaya Yash ka uske life se chale jaane ki vajah…Jo bhi naarajgi tha Diya ke dil me wo sab Yash ki iss letter se dur ho gaya.
Kuch der tak wo Yash ke bare me sochti rahi…Kitna mushkil aur bematlab ka jindagi tha uska…Jindagi me kabhi acche se pyar mila hi nahi…Aur jab pyar mila tab wo apne pyar bhare lamho ko khul kar jee bhi nahi paaya…Hamesha ek hi dart tha uske paas kahi Diya ko uska sachaayi pata nachal jaaye aur kahi wo bhi usse alag naho jaaye.
Wo Yash ki majburi aur pyar ke baad aaya hua badaaw ko saaf mehsus kar rahi thi.
Wo sochne lagi ki Yash se pyar kar ke usne koi galti nahi kiya.
Kuch der aisi hi baatein sochne ke baad usne apna mobile uthaa kar Yash ka number dial kiya.
Second ring me hi Yash ne phone uthaa liya.
Yash:- Hello.
Yash iss tarah se bola jaise wo kisi anjaan aadmi se baat kar raha hai…Diya ne new number se usse call kiya tha.
Yash ki aawaj sun kar Diya ke dil ko ek alag hi khushi mila…Bahut vakt baad usne Yash ki aawaj suni thi…Wo kuch nahi boli.
Yash:- Hello.
Dusri taraf se jawaab na milne ke baad Yash ne fir se kaha.
Yash ki iss aawaj se Diya waapas hosh me aayi aur usse ehsas hua ki wo phone me Yash se baat kar rahi hai.
Diya:- Tumse milna hai…Yahi mere ghar ke paas ki park me aa jaao.
Diya ne itna kaha aur phone kaat diya…Aur wo park ki taraf nikal gayi.
Yash ne bhi Diya ki aawaj pehchaan liya…Khusi me jhumte hue wo bhi ussi park ki taraf gaya jaha Diya ne usse bulaaya tha.
Diyako park me pahunchne me jada vakt nahi laga…Wo park ke ek bench me baith kar Yashka intejaar karne lagi…Usne faisla kar liya ki wo Yash ko maaf kar degi lekin thoda nakhre dikhaane ke baad.
Wo baithi baithi Yash ke bare me hi soch rahi thi…Wo Yash ke roop ke bare me soch rahi thi…Wo dekhna chaahti thi ki 2 saal me Yash me kitna badlaaw aaya hai…Uski personality kitna badla hai…Pehle ki tarah hi abb wo uske saath masti majaak karega ya fir jimmedaari ki vajah se wo ye sab kuch bhul gaya hai…Letter jis tarah se likha tha usse to yahi lag raha tha ki abb wo bahut serious ho gaya hai.
Kuch issi tarah ki baatein sochte hue 30 minute beet gaya.
30 minute baad Yash bhi aa gaya…Diya Yash ke khayal me itna kho gayi thi ki usse pata hi nahi chala Yash kab uske paas aaya aur baith gaya.
Bench par baithne ke baad Yash ne pyar bhari nighaao se Diya ko dekh kar kaha.
Yash:- Sorry Diya…Thoda late ho gaya.
Yash ki aawaj sunne ke baad Diya chaunk kar apne baayi taarf mudi…Paas me hi Yash ko baitha dekh wo hairaani se boli.
Diya:- Ttum…Tum kab aaye yaha?
Yash:- Bas kuch der pehle…Jab tum mere khayalon me hi khoi hui thi.
Yash ne muskura kar kaha…Yash ka iss andaaj me kehne se Diya ko ehsas hua ki aaj bhi ye wohi Yash hai jise wo pyar karti thi.
Lekin apna nakhra dikhaate hue wo boli.
Diya:- Mai tumhaare bare me kyu sochungi…Maine tumhe issi liye bulaaya hai kyu ki mai tumhe ye bataana chaahti thi ki maine tumhe maaf nahi kiya.
Diya jhutthi naarajgi dikhaate hue boli…Usse yakin tha uski iss baat se Yash ka chehra latak jaayega aur wo usse manaayega…Lekin Yash ka jawaab uske soch se bilul alag tha.
Yash:- Abb meri Diya mujhse jhuth bhi bolne lagi.
Yash ne pehle ki tarah hi muskura kar kaha.
Yash:- Mai tumhe acche se jaanta hu meri jaan…Tumne mujhe maaf kar diya hai…Agar mana hi karna hota to phone me hi apna saara gussa nikaal kar mujhe kehti ki tumne mujhe maaf nahi kiya.
Yash ne iss baar confidently kaha.
Diya:- What "meri Diya"? Khabardaar agar aage se aisa kuch bolke mujhe irritate kiya to…Aur maine tumhe ye nahi kaha ki maine tumhe maaf kar diya hai…Maine sach me tumhe ye kehne ke liye bulaaya tha ki maine tumhe maaf nahi kiya.
Diya ka jhutthi naarajgi jaari tha.
Yash:- Maanta hu tumne ye nahi kaha ki tumne mujhe maaf kar diya hai…Lekin ye bolna utna jaruri bhi nahi…Kyu ki kabhi kabhi dil ki baat bin kahe bhi samajh me aa jaata hai…Tumne mujhe maaf kar diya hai yahi bahut hai.
Yash ki baat me abhi bhi confidence tha…Abb Diya ko bhi laga ki uski jhutthi naarajgi dikhaane se koi faaidaa nahi hai.
Diya:- Ha maine tumhe maaf kar diya hai…Lekin tum yakin ke saath kaise keh rahe the.
Yash:- Tumse pyar kiya hai dear…Tumhe acche se jaanta hu…Tumhaare chehre ko dekh kar hi bata sakta hu ki tum kya soch rahe ho.
Mai yaha kuch der pehle hi aa gaya tha…Mai tab se tumhe hi dekh raha tha…Tum kuch sochti hui muskura rahi thi…Tumne mujhe yaha milne bulaaya to tum mere hi bare me soch rahi thi.
Diya Yash ki iss baat par kuch na boli...Uska muskaan hi sab kuch bol raha tha.
Yash bhi usko muskuraata dekh muskuraane laga.
Diya:- Maine socha tha jab tum yaha aaoge to mujhe manaaoge aur mai khub nakhra karungi…Lekin tumne mauka diya hi nahi.
Diya ne naarajgi dikhaate hue kaha.
Yash:- Nakhre dikhaane ke liye to saari jindagi baaki hai…Vaada karta hu tumse tumhaara ye hak kabhi nahi cheenunga.
Yash ki iss baat par Diya ne kuch nahi kaha.
Kuch der baad fir Yash ne kaha.
Yash:- Agar tum sach me naraaj hoti to sach me bahut mushkil ho jaata manana…Mai sure nahi tha ki tum mujhe maaf karogi bhi ya nahi…Saamne se kehne ki himmat nahi tha…Himmat karke ek letter me apni majburi aur feelings bataya…Aur tum par faisla chhod diya ki tum mujhe maaf karogi ya nahi.
Thanks a lot Diya…Mujhe maaf karne ke liye…Tumhaara maafi mere liye kisi vardaan se kam nahi hai…Aisa lag raha hai mujhe dusri jindagi mil gaya hai.
Yash ne iss baar serious ho kar apni baat kaha…Diya ka usko maaf karne se wo sach me bahut khus tha.
Diya:- Maine bhi tumse saccha pyar kiya tha Yash aur aaj bhi karti hu…Tumhaari majburi jaane ke baad bhi agar mai tumhe maaf nahi karti to ye mera ego hota…Aur pyar me ego ki koi jagah nahi hota.
Yash maine tumhaara dil ki acchaayi ko dekh kar pyar kiya tha…Bhale hi tum galat the lekin tumhaara dil bahut saaf tha…Mai tumhaari sacchaayi to nahi jaanti thi lekin tumhaara acchaayi, mera saath dena , baat karna inn sab vajah se mai bhi tumse pyar karne lagi.
Hamesha yahi sochti thi ki sach me mujhe bahut hi sharif aur imaandaar ladka se pyar hua hai…Aaj bhi wohi khayal hai…Jab tum mujh se alag ho gaye to mujhe bilkul bhi vishwas nahi ho raha tha ki kya wo wohi Yash hai jisse mai pyar karti thi.
Uss vakt to khud se hi nafrat ho gaya tha apna faisla par…Lekin aaj tumhaara letter padhne ke baad pata chal gaya tumhaara bewafai ka sach.
Yash sach me tumhari jindagi me bahut kam khushiya aayi hai…Abb aage se aisa nahi hoga…Mai tumhe itna pyar dungi ki tum apna ateet bhul jaaoge…Abb aage hamaare jindagi me sirf pyar aur khushiyan honge.
Diya ne bhi apni dil ki baat kahi.
Yash bhi Diya ki baat sun kar muskuraata raha...Kuch der baad usne kaha.
Yash:- Mai bhi tumse bilkul waise hi pyar karunga jaise pehle karta tha...Pehle to ek majburi tha aur mai khusi se pyar bhare lamho ko jee nahi paa raha tha...Lekin abb koi majburi nahi hai...Abb hamaare bich sirf pyar aur khushiya hi honge.
Yash ki baat sun kar Diya ke hontho me bhi muskaan aa jaata hai...Iss baar wo kuch nahi boli...Fir kuch der baad usko kuch yaad aaya aur wo boli.
Diya:- Tum me to bilkul bhi badlaaw nahi aaya…Pehle jaise the abhi bhi waise hi ho.
Diya ne Yash ko gaur se dekhte hue pucha.
Yash:- Kisne kaha…Thoda daadhi aur moonch badh gaya hai.
Yash ne apne daadhi par haath ferte hue kaha.
Diya:- Mai daadhi moonch ki baat nahi kar rahi hu…Mai tumhaare masti majaak ke bare me baat kar rahi hu…Aate hi tumne maafi maangne ki jagah majaak karna suru kar diya.
Yash:- Ye majaak bhi mai sirf tumhaare saath hi karta hu…Jab pehle tumhaare karib jaane ka socha tha…To socha mujhe khud ko badalna hoga…Issi liye mai apne khaamosh rehne wali aadat ko bhula kar tumhaare saath hansi majaak kiya karta tha…Tumse uss andaaj me baat karne me bhi alag hi maja tha.
Mai aaj bhi yahi chaahta hu ki mai tumhaare saath hamesha pehle ki tarah hi rahu…Aur hamaare bich bhi hamesha waise hi pyar, hansi aur majaak hi rahe.
Diya:- Hamesha aise hi rehna Yash…Mujhe tum aise hi pasand ho.
Diya ki baat sun kar Yash ne kaha.
Yash:- As you wish Mam.
Yash ne iss andaaj me kaha ki Diya bhi apni hansi rok nahi paayi.
Yash:- Lekin tum me aaya ek badlaaw ko maine acche se mehsoos kiya.
Diya:- Kya?
Diya ne utsukta ke saath pucha.
Yash:- Abb tum pehle se moti ho gayi ho.
Yash ne hanste hue kaha.
Diya:- You!!!
Diya ne jhutha gussa dikhaate hue Yash ke kandhe me maarne lagi.
Yash:- Mai to majaak kar raha tha…Tum abhi bhi waise hi ho jaise pehle thi…Agar moti ho bhi gayi to mera bhi mera pyar me koi kami nahi aayega.
Yash ki iss baat se Diya shaant ho gayi…Iske baad kuch der tak dono ke bich khaamoshi chaa gaya…Iss khaamoshi ke dauran dono hi ek dusre ko kabhi kabhi pyar bhari nighaawo se dekh lete the.
Yash:- Aaj mujhe mehsus ho raha hai ki mai bahut lucky hu.
Yaash ne khushi jaahir karte hue kaha.
Diya:- Aur wo kyu?
Diya ne bhi utsukta ke saath pucha.
Yash:- Kyu ki abhi tak tumhaari shaadi nahi hua…Jab tumse alag hua tab yahi baat soch kar darta tha ki agar tumhaari shaadi ho jaayegi to mera kya hoga…Thanks a lot…Tumne mera intejaar kiya.
Yash ne khush ho kar kaha…Aur last ke line majaak me.
Diya:- Mai tumhaara intejaar nahi kar rahi thi…Sach me tum par bahut gussa aa raha tha…Mujhe to pyar aur shaadi se nafrat ho gaya tha…Issi liye abhi tak maine shaadi ke baare me socha tak tak nahi.
Yash:- Jo bhi ho…Mere liye to bahut acchi baat hai…Abb tum bataao ki tumhaare ghar me rishte ke liye baat karne kab aau?
Diya:- Itni jaldi…Thoda to wait kar lo…Mai Maa aur Papa ko acche se mana to lu.
Yash:- Bahut alag reh liya tumse…Abb aur nahi raha jaata…Abb to yahi khwahish hai ki bahut jald tumhe apna dulhan bana kar apna ghar le jaau.
Yash ne bahut pyar se kaha aur Diya Sharma gayi.
Yash:- Tumhaare parents iss rishte ke liye inkaar to nahi karenge na?
Yash ne thoda darte hue kaha.
Diya:- Kyu dar gaye? Pyar karne wale aise dara nahi karte…Fikar mat karo…Maan jaayenge lekin thoda vakt lagega…Maan to wo pehle bhi gaye the jab maine unhe hamaare pyar ke bare me bataya tha…Lekin tumhaare uss harkat ki vajah se bahut naaraj hai.
Yash:- Sach me bahut bada galti kar diya tha tumhe khone ki dar se…Koi baat nahi mai khud chal kar maafi maangunga.
Iske baad kuch der baat karne ke baad Yash aur Diya Diya ki ghar ki taraf chale jaate hai.
Yash Diya ki parents se maafi maangta hai aur sab kuch bataata hai…Sab kuch jaane ke baad aur thodi der baat karne ke baad Diya ke parents Yash ko maaf karke usko apna lete hai.
Issi ke saath Yash aur Diya ki jindagi aage pyar aur khusiyon se bhar jaata hai.
THE END