• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Immortals

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Sr. Moderator
47,268
40,180
304
Last edited:

spritemathews

Well-Known Member
4,353
8,559
158
UPDATE - 62

Ek aur din beet chukka tha...kal se school shuru hone the to aaj sham jaana bhi tha par Chachi wapas nahi aayi thi....wo kal raat kya aaj sham tak nahi aayi hai ghar mein....aur naa hi koi gaya hai unke pass.....siway iss Nikita ke.....Pata nahi kya chal raha tha yaha main samajh nahi paa raha tha...Rupal didi sayad kuch samajh rahi thi par puri baat sayad wo bhi nahi jaanti thi....unhone kal to kuch naa kaha par aaj....aaj subah wo waha jaane wali thi....ab unki Mom aise hi acchanak se apne Mom Dad ke yaha chali gayi thi aur sandesha bhijwaya tha koi waha aaye naa to kaaran pata karne ka dil to karega hi naa.....par subah bhi unko rok liya gaya tha.....

Wo din bhar se Nikita se puch rahi thi ki kya Mom ne kuch kaha hai...wo parehsan hai kya....yaa koi aur cheez jo usne notice kiya ho agal...

Par Nikita unko kya.....kisi ko kuch nahi bata rahi thi....baaki sab ka to ispe jyada bada reaction nahi tha......siwaye mere K.Bua ke aur Didi ke.....hum tinno ko iss baat ko leke uspe bahut gussa aa raha tha.....

Bua - Chalo tum dono School chalne ka waqt aa gaya hai hum nikal rahe hai abhi....

Nikita - Bua main nahi jaa rahi....main ghar pe padhayi kar lungi mujhe koi dikkat nahi hogi....

Bua ne uski baat sunni.....thoda socha aur fir theek hai bol diya.....

Nikita ne apna jo bhi saman yaha pe thoda bahut tha wo sameta aur nikal gayi....

Bua - Tum kya baithe ho tumhe nahi chalna...

Main - Chachi ne 2 din ke liye manna kiya tha naa....Main kal hi waha aa jaunga.....

Bua - nahi tum saath chal rahe ho....aur Rupal tum bhi kal se hotel nahi gayi naa apne....aise business chalana sikhogi...chalo taiyaar ho jaao aur niklo waha ke liye.....

Rupal didi - Main kahi nahi jaa rahi jab tak Mom se meri baat nahi hoti.....aap logo ne mujhe jaane nahi diya subah bhi.....

Bua - Bacchu unko bhi thodi privacy dena banta hai naa Bhabhi hamesha to ghar mein hi lagi rahti hai naa aur fir yaha se nbahar gayi bhi to hotel mein jaati hai....abhi wo apne Mom dad ke saath hai to rahne do naa unko waha....

Rupal didi - Par baat kyun nahi karni hai ye batao naa.....mujhse koi galti hui...maine kuch kiya to wo aake mujhe sazza de aise ghar se kyun gayi hui hai wo.......

Bua - sayad iss ghar se hi naaraz hai wo...

Dheere se hi kaha unhone par jinko sunna tha won sun chukke the.....

Main Rupal didi aur K bua teeno hi unko dekhe ja rahe the....ghar pe abhi bas hum hi to the....aur koi nahi tha yaha pe...Chachu thodi der baad aane wale the....

Bua - arre ab dekh kya rahe ho....aur kavita tum bhi....chalo jaldi se saman uthao...humko jaana bhi hai yaad hai na meeting hai aaj....

K.Bua ne kuch nahi kaha wo bas jis room mein hamesha rukti thi waha gayi waha se apna bag liya aur aur bahar aa gayi....

Bua - Tumko kya alag se kahu.....jaldi samman leke aao....

Main - Par Bua aap samajh kyun nahi rahi agar chachi mujhse aur naraz hui to....main pahli class se pahle aa jaunga....aap jaao..

K.Bua - rahne de naa humko waise bhi deri ho rahi hai....

Bua ne ek baar haa kaha aur apna samman bhi leke aa gayi....

Bua - Rupal Prateek koi Bhabhi ke pass nahi jaayega samjhe naa.....abhi thode waqt unko akela rahne do...

Itna bol ke wo waha se chali gayi.....ab ghar mein main aur Didi the bas.....

Main - Aapne bhi wo sunna tha ji Bua ne kaha tha.....

Rupal didi - Par Mummy sabse kyun naaraz hogi....aur ghar se jaana ye kya baat hui....

Main - Mujhe sazza dete waqt unhone kaha tha wo Prof Daksh ke yaha jaayegi Pankaj ko mujhse dur rahne ko kahne ke liye....aur ussi ke baad se wo ghar nahi aayi....

Rupal didi - To tu kah raha hai jo kuch hua hai wahi hua hai.....unn Baap Bete ki wajah se....

Main - Lag to yahi raha hai...Mujhe lagta hai mujhe old Olw se bolke pata karna chahiye ye....

Rupal - Ye sab old Owl ka kaam nahi hai main jaa rahi hu waha....main khud puchunngi unse....kya hua tha waha...Mummy se milne se manna kiya hai naa mujhe unse to nahi naa....

Main - Didi Main bhi aata hu...

Rupal - Tum nahi aa rahe tum yahi rahoge....Mom ne kaha hai nahi nikalne to nahi hi nikloge....

Wo ye bolke gusse mein nikal gayi waha se....aaj ye subah se gusse mein hai aur chiddhi hui bhi....pata nahi waha kya karegi....

Main - Old Owl kisi ko inke picche bhejo mujhe sab khabar milti rahni chahiye....

Old Owl ne meri baat sunni aur kisi ko unke picche bhej diya....

Main ghar mein akela baitha soch raha tha ki kya hoga....ki tabhi Chacha ghar mein aa gaye.....

Chacha - Tum nahi gaye Prateek school....mujse Poonam ne kaha tha wo sabhi ko leke jaa rahi hai ghar pe koi nahi hoga....

Maine socha sayad inse kuch pata chale....Bua ne kaha ghar se naraj hai...ye jaante honge kuch....

Main - Nahi chachu wo Chachi ne manna kiya tha naa bahar jaane se warna wo wapas se mujhe sazza de degi...

Chacha - hahahha.....arre aisa kuch nahi hoga ruko main baa......accha wo to hai nahi naa abhi....

Main - Haa Chachi aayi hi nahi wapas....pata nahi kya hua unko....

Chacha ne thodi der waha rahe......kuch bolne ko hue....par fir waha se chale gaye....aisa laga jaise inko pata hai kyun nah aayi hai chachi par mujhe bataya nahi....

Yaha sabko pata hi hai sayad....siway mere aur Didi ko chod ke....Ab Chacha apne room mein chale gaye to main bhi apne room mein chala gaya....

Main - Dhruv tumhe kya lagta hai kya baat hai jo sabko pata hai par hum dono ko nahi....

Dhruv - Ab iske baare mein main kaise bataun bhala...waise tum pata laga sakte ho agar tumne...

Main - Agar main kya....batao kya karna hoga...

Dhruv - arre wahi mind read karne wala wo jeev....usse pata chal hi jaayega naa usko leke aatein hai....aur tumhare Chacha ka dimmag pa.....

Main - kya......matlab kuch bhi idea doge....pagal ho kya....kuch ho gaya unko to.....

Dhruv - main to bas bata raha tha....aur hone ko kya uss taskari wale ko kuch nahi ho sakta.....

Main - wo sala bura hai par Chachu bure nahi hai....

Dhruv - fir main aur kya bataun....haa tum apne sareer se nikal ke unka mann padh sake to baat alag hai par tumse hoga hi nahi abhi ye....isme practice ki jarurat hoti hai aur tum iske baare mein jyada jaante bhi nahi hoge....

Main - To pahle bataya kyun nahi kabhi....

Dhruv - Ye jo sareer hai naa tumhara....isme insano ke bhi gun hai...thodi bahut nahi balki jyada....aur mazze ki baat dekho tumko insan ab pasand nahi aate...khair ye baat nahi hai baat ye hai ki abhi shareer taiyaar nahi inn sab vidyaon ko apnane ke liye...jab hoga naa tab main khud bataunga...abhi ye batao sapne ka kya hua...

Main - Arre yaar maine try kiya par hua hi nahi kuch....accha waise Nikita aur Leemi ki bacchi ke case mein to...

Dhruv - Main jaanta tha tum puchoge hi iss baare mein.....unki halat dekhi thi....wo puri tarah apne hi banaye hue mayajaal mein fasse hue the unka bass nahi tha khud pe tabhi.....

Main - Samajh gaya....kaash Didi ko kuch pata chale....

Dhruv - ye manao ki unko sab jyada gussa aane se pahle pata chal jaaye....ghar mein to abhi kewal wo Pankaj hoga....aur khuni ghudsawaon ki Rani ke pass abhi hai ek power....jiske baare mein jyada unko pata hai nahi... ab aage main kya hi bataun kuch bhi ho sakta hai....

Main - haa Bua ne kaha tha Prof.s ki meeting hai....matlab Daksh mama bhi nahi honge.....aur agar didi ne gusse mein,...mujhe kuch karna hoga.....Old Owl jaldi se yaha aao....

Maine kaha aur wo waha pe aa gaya.....

Old Owl - Kya baat hai jaldi batao main waha pe tumhara hi important kaam kar raha hu.....

Main - uss kaam pe kisi aur bharosemand ko bhejo abhi tum meri baat sunno Didi Pankaj ke yaha gayi hai wo akela hoga ghar pe insano ka muhala hai....Didi ke pass ek nayi power hai jiske baare mein unko utna pata nahi hai abhi.....kuch bhi ho sakta hai....

Old Owl - Tumhare kahne pe maine apne ek bande ko waha pe bheja hua hai.....ab kya main bhi jaun waha....

Main - tum baat ki gambhirta nahi samajh rahe kya....main yahi kah raha hu tum waha jaao....aur kuch aisa karo ki dono hi surakshit rahe....

Old Owl kuch bolta usse pahle hi usne jiss bande ko bheja tha uski aawaj aayi.....

Wo - Yaha pe ladayi shuru ho gayi hai....ye ladki iss ladke ko maar daalegi...

Main - to tum pahle nahi bata sakte the kya gadhe.....ab kya karu...Didi ko rokna mere bas mein to nahi hai....

Old Owl - Main waha leke chalta hu tumhe...

Main - arre wo gusse main hai aur unka gussa ab Chachi se hi shant hoga.....Neekita ke pass jaao.....usko batao kya ho raha hai usko bolo chachi ko bataye ye sab....aur jaise hi chachi ko sab pata chale unko jadli se waha pahuchao.....

Old Owl nikal gaya jaldi se....

Main - ab kya ho raha hai waha pe......

Wo - Ladki ne ladke ka gala pakda hua hai....

Main - hadd hai.....Dhruv tum batao kya karna chahiye....

Dhruv - Main bas ye kahunga....rokk lo khuni Ghudsawaron ki raani ko ek baar khoon karne ka nasha wapas se laga naa.....to mushkil hogi fir.....

Main - pata nahi kya bolta rahta hai ye....Albus Cooper bahar aao.....uss jagah pe jaao aur ye sunishchit karo uss ghar mein hjo bhi ho raha hai uska pata bahar naa lage.....

Mere aise kahne pe mere seene se wo do roshniyan nikli aur chali gayi waha se....

Main - Ab kya ho raha hai....main kya baar baar puchta rahu tumse..tumko bataya nahi jaata....

Wo - Ladki se chutne ki koshish kar raha hai ladka......usne ladki ko apne pairon se maar ke khud se dur kiya hai.....ladka khada ho raha hai....ladki usko dekh rahi hai....ladki ki aakhen gusse se laal hoti jaa rahi hai....ye kya ladki to vampire hai uske daaant bahar aa rahe hai....par daant kuch bade lag rahe hai...ye wo ladka khada hua hai aur khud ki saansen sambhal chukka hai aur ladki ko rukne ka ishara kar raha hai.....aur ladki ruk nahi rahi hai ladki aage badh rahi hai ladka picche jaa raha hai....ladka ladne ke mood mein nahi lag raha hai....

Main - aae paagal itna detail mein bhi nahi batana hai.....Old Owl tumne Nikita ko khabar batayi.....

Old Owl - Haa unko sab bata chukka hu....wo jaa rahi hai tumhari chachi ko batane ke liye ye sab....

Main - dhyaan rakho....jaise hi Chachi jaane ke liye ready ho unke liye portal khol dena,....ek second bhi nahi rukna hai....Dhruv ye dono pahuche ki nahi abhi tak....

Dhruv - Albus aur cooper waha pahuch gaye hai aur abhi insano ke bhesh mein hai.....aur uss ghar ke charo taraf ek shield laga rahe hai bikul uske pass se....taaki kisi ko kuch saq naa ho.....waise waha pe pahle se hi ek aisa shield laga hua hai....

Main - theek hai.....aur tum ab chup kya ho aage batao kya ho raha hai...Didi aur Pankaj dono theek hai naa....

Wo - Aapki Didi uspe bhari pad rahi hai ab physical ladayi nahi ho rahi hai jaadu ka prayog ho raha hai....

Itna bol wo chup ho gaya....

Main - Old Owl kya hua.....Chachi ne sab sunna kya....

Old Owl - wo Bathroom mein hai,....

Main - Tum unke bathroom mein kya kar rahe ho.....

Old Owl - main unke room ke khidki pe hu....bathroom mein wo hai aur room mein Nikita hai....wo wait karne ko bol rahi hai Nikita ko.....

Main - aur wo pagal kya wait kar rahi hai waha pe.....usko bolo wahi se sab bataye....waha Didi aur Pankaj mein ladayi chalu hai abhi bhi....

Old Owl - To tum khud kyun nahi jaate waha....chale jaao kya pata rukk jaaye wo dono.....

Main - Jitna kaha hai naa utna hi karo.....

Main fir se waise dekha jaaye to sayad mere jaane se ladayi rukk jaati.....par isse Chachi wapas nahi aane wali thi....ab wo wapas aaye yaa naa aaye par baat to ek baar jarur hogi....aisa kuch socha nahi tha par ye hone ki ummid si ab jaag rahi thi...

Waha se wo old Owl ka banda mujhe batane laga kya ho raha hai ab....

Wo Aapki didi ne mutthi band ki hui hai.....aur Pankaj hill nahi paa raha hai...bas cheekhta jaa raha hai wo....ajeeb hai ye to.....

Main - Dhruv ye ussi power ke wajah se hai naa....

Dhruv - haa aur bata du abhi pankaj ko bahut dard ho raha hoga....agar Rupal ka gussa aur badhta gaya to ye dard ayuyr badegi....power control mein hai nahi aur abhi Rupal sayad thodi pareshan hai to aise mein bahut danger hai.....

Main - Albus ander jaao....aur rooko unk....

Old Owl - Portal khol diya hai tumhari Chachi aur Nikita dono ussi ghar mein hai....

waha se Old Owl ka banda....

Wo - 2 naye log aaye hai kahi se.....ek umar mein thodi badi hai aur dusri wali....aapki didi se choti hai thodi.....par aapki didi lagi hui hai abhi bhi.....

Albus itne mein ander pahuch chukka tha aur ab mujhe wo sab dikh raha tha jo uski aankhen dekh rahi thi.....

Chachi aur Nikita abhi aaye the aur waha ki haalat ko dekh rahe the.....ki unki nazar Rupal pe gayi jo haath samne karke mutthi baandhe khadi thi wahi unke saamne Pankaj tha jo chilate chilate ab behosh hone hi wala tha....

Chachi - Rupal.....chodo usko.....kya kar rahi ho tum.....

Chachi ki aawaj jaise unko sunayi hi nahi di.....wo waha pe thi hi nahi jaise....wo bas muthi ko kasse jaa rahi thi.....ki ek chaanta pada aur wo nicche........Muthi khul gayi Pakaj jo abhi tak hawa mein latka tha wo nicche jamin pe girke behosh ho gaya.....

Chachi Pankaj ke pass gayi aur usko dekhne lagi....ki theek hai ki nahi.....wahi Rupal didi ne bhi dekh liya tha chachi ko....aur wo iss thapad se bahut hi jyada khush thi....

Wo uthi aur chillate hue unke pass chali gayi.....aur picche se unko hug kar liya.....

Nikita bhi abhi wahi Pankaj ke pass thi aur chachi ke kahne pe usko acche se check kar rahi thi....iska K.Bua ke saath rahna kaam aa raha tha....seekh rahi hai ladki....

Chachi picche ghummi aur gusse se chahra lal tha unka....pahle to Didi ko alag kiya.....aur fir ek thappad maara...

Chachi - Ye kya kar rahi thi tum.....isse ladne kyun chali aayi.....dekho kaisi haalat hi gayi hai iski.....kuch ho jaata to kya hota fir...

Rupal didi bas khadi muskurati rahi jaise.....usko sunayi hi naa de raha ho ye sab....yaa fir ye daant bahut acchi lag rahi hai unko....wahi Chachi aisa dekh ke aur gusse mein....

Chachi - Pata nahi kaisi ladki hai ye itna kuch kar rahi hu par ye hasi jaa rahi hai....rukk tujjhe batati hu.....aaj ke baad agle 3 din tak bas 2 waqt ka khana aur ghar ka sara kaam tumko hi karna hai....aur ye mat samajhna Hotel ki jimedari nahi uthani hogi....hotel bhi jaaogi tum....aur ye muskurana band karo nahi to daant tod dungi....

Fir se daant sunke pata nahi kya hua inko....ye ekdum se aashu bahane lagi aur Chachi ke gale hi lag gayi aur roye jaa rahi hai roye jaaa rahi hai....Chachi ko lagne laga sayad jyada kah diya kuch

Chachi uske saar pe haath pherte hue unko chup karane lag gayi.....tabhi Nikita unke pass aayi....

Nikita - ye theek hai bas thodi si chot aayi hui hai....1-2 din mein theek ho jaayega....Main Kavita madam se bol dungi iske baare mein...

Chachi - hmmm theek hai.....aarre ab aur kitna royegi ek to galti karo.....uske baad danto to rone lag jaao...aisa to pahle nahi karti thi tu....ye kya ho gaya tujhko...

Didi waise hi gale lage hue....

Didi - aap...aap chali kyun gayi thi.....aur baat kyun nahi karni thi aapse.....aur aapne.....apne aise kyun kahalwaya ki koi naa milne aaye.....main bhi naa.....maine to....kuch kiya bhi nahi tha......fir kyu...

Chachi - :doh: hadd hai itni si baat pe ro rahi hai......wo mujhe thoda kaam tha aur tum to mujhe karne deti nahi....aur wo tumhara ek nalayak bhai bhi aa gaya hai....wo to accha hua Nikita jaisi pyari bahen bhi aayi hai bas yahi hai jo meri madad kar rahi thi.....aur koi baat nahi hai....hai naa Nikita...

Nikita ne ye baat sunni aur Haa mein Haa milla diya......ek baar ko usko bhi ander hi ander laga kya kya nahi sahna padta ek Maa ko.....kaha ye apne dukh ko thoda kam karne ke liye apne Mom Dad ke yaha aayi hui thi aur ab uske baare mein apni beti ko bata bhi nahi sakti hai.....

Chachi bhi sayad samajh rahi thi Nikita kya soch rahi hogi unhone bas uski oor dekha aur kuch nahi...

Maa hona sach mein bahut hi kathin hota hoga....apni pareshaniyan apni baatein dur karke pahle apne bacchon ko dekho.....agar waqt mil jaye tab fir apni pareshaniyon ke baare mein socho....

Chachi Rupal didi ko chup karane mein lagi rahi....aur jab wo thodi shant hui to unhone uska kaan pakda aur madodte hue puccha...

Chachi - Ye sab karne ko kisne kaha tha....dekho kaisi halat ho gayi hai bechare ki....

Rupal didi - Chotu ne kaha ki aap inn dono se milne ke baad hi se ghar nahi aayi ho......to main aa gayi inki khabar lene....main bas puch rahi thi kya kaha inhone aapse ki aap humse baat hi nahi karna chahti....

Chachi - Gadhi ki bacchi....akal nahi hai naa tujhme....binna matlab ke isko itna maara....aur wo.....tera chotu usko to main abhi jaake batati hu....aaj uske taange tod dungi main....ek to pahle ladayi dekhne jaata hai aur khud ladne lag jaata hai uske baad tujhko yaha bhej deta hai iss bechare ko peetne ke liye...

Rupal - Ye koi bechara nahi hai aur chotu ne bas anuman lagaya tha sab ki wajah ye hai aapki chahiti Nikita....aisa suspence bana ke rakh diya ki hum dono bhai bahen to samjhe daal puri kaali hai....

Chachi - Haa ab kaali daal ke chakkar mein jo kiya hai naa uske badle kaali saza bhi dungi dono ko.....Nikita beta tum jara meri madad karo iss jagah ko pahle jaisa karne mein....sab kharab kar diya hai iss ladki ne....

Dono mil ke sab sahi karne lagte hai Rupal didi bhi unka saath dene lagti hai Main wahi Light orb mein badle hue Albus ke jariye sab dekh aur sunn raha tha....

Jab sab sahi ho jaata hai tab.....

Chachi - chalo ab sab...ghar chalte hai ek aur ko bhi sabak sikhana hai....

Nikita - Iska kya kare....chotein jyada nahi hai par.....akela chodna sahi nahi hoga sayad....Main Daksh sir ko khabar pahuchwa du kya....

Chachi - Nahi Main unko khabar kara dungi....isko leke chalte hai ghar pe.....

Rupal didi - Isko....ghar pe.... :sigh:

Chachi - Jyada muh banayegi to aisa chanta maarungi naa ki muh waisa hi bana rah jaayega....ek to iski halat kharab kar di ab dekh bhal to karni hi hogi naa....aur maafi bhi maangni hogi tujhe isse bhi aur Prof. Daksh se bhi samjhi....

Rupal didi (muh banate hue) - Maafi maangni hogi....huhhhhh....theek hai....

Chachi - Kya theek hai utha isko aur leke aa.....

Main - Old Owl Portal kholo yaar....

Old Owl ne wapas se unke liye portal khola aur wo sidha ghar ke bahar aa gaye....charo....yaa saadhe theen log....Nikita ne jitna bataya tha usse to jyada hi kharab halat thi Pankaj ki haa par marne wala nahi tha wo...

Chachi gate ke bahar khadi ek baar fir se ghar ko dekh rahi thi....

Rupal didi - Kya hua Mummy chalo bhi.....

Chachi - Haa chal rahi hu naa.....

Aur wo waha ander chali jaati hai...naa par bemaan se.....Chacha to apne room mein the....itne mein maine apne Albus aur cooper dono ko hi bahar bhi sab normal karke apne paas bual liya tha....Old Owl wapas se chala gaya Strange world apna kaam karne ko....Aur Main nicche chala gaya Chachi ko milne....milne kya maar khane bolo....

Main nicche aaya hi tha ki darwaja khulla.....

Main - Chachi aap aa gayi....

Chachi ka chahra thoda sa murjhaya hua tha par mujhe dekhte hi wo wapas se pahle jaisi ho gayi aur fir turant se gusse mein......

Chachi - haa aa gayi aur abhi batati hu tujhe kyun aayi hu main.....

Wo mere pass aane lagi....aur main piche jaane laga....

Tabhi Room se Chachu bhi bahar aa gaye....wo Chachi ko dekh ke khush the par saath hi thoda aascharya bhi ho raha tha unko....

Chachu - Kya hua aise gusse mein kyun ho.....

Unhone normal tarike se hi kaha par Chachi unko dekh ke ek dum se chup ho gayi.....aur fir Nikita se kaha....

Nikita - Pankaj ko room mein leke jaao......aur haa jarurat pade to Kavita ko bhi bulla lena....iska acha se dhyaan rakhna hai humme....

Chachu - Isko yaha leke aa gaye...aur isko hua kya hai...

Nikita ko laga sayad baaki sabhi ko pata chal jaayega ki kuch gadbad hai to usne batana shuru kiya.....

Nikita - WO hua ye ki Rupal didi ne isko thoda gusse mein aake koot diya hai wo bhi binna kisi galti ke....

Rupal - aeee kya kuch bhi haaa......ye mujhe bata nahi raha tha ki isne aur iske Papa ne Mummy se kaha kya jo wo naa to ghar aa rahi thi aur naa hi humse baat arne ko taiyar thi...

Ye sunne ke baad....sayad Chacha ji ko ye samajh aa gaya hoga ki baat shuru kaha se hui hai....aur yaha tak aayi kaise....khair iss baare mein next update mein dekh lenge....Abhi chalte hai Fumos pe.....

Fumos pe Slayer laga hua tha apne hi kaam mein....matlab ladayi karo....aur khaa jaao ye sab.....aur saath mein kaam bhi karo.....uski jarra bhi pata nahi tha ki uski kismat usko uss jagah leke aayi hai jaha uska sab kuch badalne wala tha.....

Khair ye mahasay abhi wo nahi jinse milne hum aaye hai hum to yaha ke Leader se milne aaye hai jo inn dinno apne guptcharon ko badhane mein laga hua tha....pata chala tha unko ki aaj kal Elf King ke saath kuch accha nahi ho raha hai...pareshani mein hai wo.....ab wo thahre inke dost.....wo maane yaa naa mane par Leader ne unko apna dost maan liya tha kyunki usne Leader ko uski beti ke baare mein thoda hi bataya tha par bataya tha ek ummid jagayi thi.....Leader kabhi nahi chahta tha ki uske ek aise dost ke saath kkuch bhi bura ho jo uski uski beti ke baare mei batata hai...

Leader waise to Earth yaa fir Demos tak jaa sakta tha....par unko pata nahi tha ki unki Beti ko kaha rakha gaya hai....inke hisab se usk kahi aisi jagah hi rakha gaya ho jaha ye naa jaa sakke usse mil naa sakke....

Leader abhi unhi guptacharon ke saath tha....

Leader - batao kya khabar laaye ho.....

G1 - Pata nahi kaise bataye samajh nahi aa raha hai.....wo jagah badhaal hoti jaa rahi hai.....ek to waha pe log ek dusre se ladte nahi hai waha pe...naa koi maar kaaat....aise hi mar jaate hai ab to wo kisi beemari se maar rahe the...aur kuch pagal aise hai jo marro huo ki laashen leke jaatein hai aur unko saaf karte hai aur unki dekh bhal karte hai....sayad waha ke logo ki dimagi halat bhi theek nahi hai...

Aur bhi aisi kahi baatein unko batayi gayi jinme bas issi ke baare mein nahi tha balki DB ke cousin ke kuch logo ke baare mein bhi tha....

Leader ne sab sunna aur fir tay kiya ki ye sab Elf King ko bataya jaayega par uske badle wo apni beti ka patta lenge usse.....aur koshish karenge usse milne ki...

Abhi ke liye itna hi aaj ka update classes ke baad :smile:

jaha hum dekhenge ki kaise Leader aur Elf king ke baare mein Old Owl ko khabar lagti hai aur saath hi CHachi ne ghar naa aane ka kahne se pahle ghar ke bado ko kya sandesh bheja tha jiske kaaran wo jaan rahe the ki aakhir baaat kya hai...

Brilliant update with awesome writing skill :applause: :applause:
 
Top