• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Immortals

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Sr. Moderator
47,253
40,163
304
Last edited:

Dungeon Master

Its not who i am underneath
Staff member
Moderator
21,704
15,961
229
UPDATE - 2

Ab tak....

Ab tak humne dekha ki kaise Slayer ko jinda kiya Sofia ne...aur uske through wo apne sapne pure karna chah rahi hai...

Ab aage

Raat to bas gujar gayi...aise hi...

Par issi raat mein ek aur ghatna hui thi....wo tha innsab ka aabhas hona...matlab ye ki IP jo i apne room mein so rahi thi acchanak se vatavaran mein aayi aisi hulchal se wo jaag jaati hai...Wo turant hi apne room ke khidki ke pass jaati hai bahar ki oor dekhti hai to usko bas andhera hi dikhayi deta hai aur kuch bhi nahi...Aashman ki oor dekhti hai to usko waha pe chandra grahan dikhati deta hai...

Aisa nahi tha ki usne pahle pritvi pe kabhi chandra grahan nahi dekha tha...usne dekha tha ye par aaj kuch ajeeb hi tha...aankhen band ki usne apni to usko aisa laga ki koi apni taraf bahut saara Aura(Energy) khinch raha hai...iss energy ki maatra itni thi ki ye koi ek magical creature nahi kar sakta tha....IP ne uss oor nazar dhyaan lagana chaha to uska dhyaan toot gaya...ye aurbhi ajeeb tha aisa uske saath pahle kabhi nahi hua tha...usne fir se koshih ki par iss baar bhi nakaamiyab..

Usne ek last baar fir se ye karna chaha to usne paya ki ab koi Aura(energy) transfer nahi ho rahi hai...aasman ki taraf dekha to chandra grahan khatam ho chuka tha...

Ye sab dekh wo ye sochne pe majbor ho gayi ki ye sab....chandra grahan ke karan hua hai....par usne iske baare mein Strange world ke Magic school ko khabar dena bhi sah samjha...

Usne ek kagaz pe jo bhi usne mehshoos kiya wo sab likh diya aur pass mein jal rahi aag mein usko daal diya...

Jab kagaz jal raha tha wo kuch budbuda rahi thi...

Thodi der mein kagaz jal gaya...aur wo wahi baith ke intezar karne lagi...pata nahi kis chiz ka intezar karne lagi wo....

Karib 10 minute baad uske kamre mein dhunwa failne laga...matlab smoke....aur saath hi mein ek aawaj bhi gunji..

"IP aapka sandesha Magic school ke head tak pahuch gaya hai wo jald hi aapse sampark karenge..."

Ye aawaj waha room mein gunji aur fir wo smoke gayab...

IP ne apna kaam kar diya tha auur wo wapas se apne bed pe jaakar baith gayi....

Inko yahi chod hum ek aur janab ke pass chalte hai jo ki ghayal hai abhi...ji haa baat ho rahi hai Jaadugar Viraj ji ki...wo Sofia ke yaha se bhagne ke baad pahuch gaye ek gaon mein...insano ka gaon...abhi bhi uske haath se khoon bahta jaa raha thaaur usko pata tha ki iska ilaz shubah se pahle hone se raha....Shubah iss liye kyunki suraj ki roshni jab padti hai Orion ke logo ko to wo takatwar ho jaate hai..unki shaktiyan badhne lagti hai...

Ye bhi ek wajah thi ki Sofia uss ghane jungle mein kyun rahti thi aur usne Viraj ko waha pe kyun rakha tha...uss ghanne jungle mein suraj ki roshani uss guffa ke pass naa ke barabar aati thi jiski wajah se Viraj ko uski shaktioyan yaa kahu khurakh nahi mil paa rahi thi...aur yahi karan tha unka pathar ka banna rah jaana..

Jab Viraj uss gaon mein pahuche to ek chor se unki takar ho gayi..wo chor wahi pe gir gaya aur girne ki wajah se jamin pe pade ek pather se usko choot lag gayi...jiski wajah se cheekh nikal gayi chor ki...

Ab raat ke waqt koi cheekhega wo bhi gaon mein to log to jaagenge hi naa..bas fir kya tha log jaaag gaye aur awaj wali jagah ki oor jaane lage...

Wo chor utha aur usne Viraj ke galle ke pass chaku laga diya...

Gaon wale tabtak waha pahuch chuke the..aur unhone jab saamne ka nazara dekha to ye samjhe ki chor ne iss musafir ke sath aisa kiya hai uska haath kaat diya hai...\

Gaon wale gusse mein uss chor ki taraf badhne lage...

Chor- aage aaye to ye gaya...wahi rahna...

Chor ki iss harkat pe naa chahte hue bhi Viraj ke chahre pe mushkan aa gayi....ek hi haath se usne chor ko aisi patkani di ki chor dher ho gaya...uske baad baaki kaa kaam Gaon walo ne kar diya...

tabhi kuch logo ki nazar padi Viraj pe aur uske katte hue haath pe....

Wo sab jaldi se Viraj ke pass aaye aur usko leker gaye uss gaon ke vaidyya ke pass....Viraj manna karta raha par kisi ne uski ek nahi sunni...

Vaidya ke pass jaane par Vaidya ne uske ghaw ko dekha...fir apne pass padi kuch paudhon ke lep ko uske ghaw pe laga diya...

Vaidya- Ye khoon rok dega tumhara...par iska ilaz hospittal mein hi karana hoga...

Viraj-Ji theek hai...

Viraj ko unn sab gaon walo ka caring nature bahut hi accha laga....

Unn gaon walone usko raat gujarne keliye jagah bhi di....

agle din...

Shubah hui...

Sofia bahut hi jyada khush thi apne sapna pura hone ke baare mein soch soch kar....

Usne Slayer ko uthaya aur fir usko shubah se hi wo basic baatein batane lagi samjhane lagi jiska pata hona Slayer ke liye jaruri tha....unke binna uska admission namumkin sa tha Magic school mein...

Sofia ne Slayer ko bataya ki wo usko agle 3 din tak usko kuch baatein batayeingi jiska usko dhyaan rakhna hai...

Slayer taiyaar tha...

Sofia ne sabse pahle to usko black energy aur white energy ke baare mein thoda thoda bataya...fir usko dhyaan lagana sheekhaya...saath hi ye bhi bataya ki kis tarah dhayyan lagane se dono hi energy samanya roop se usme badhti rahegi...

Sofia ne usko kuch aisi bhi baatein batayi jaise ki agar uske sharir ke ander ka black energy wahite energy se bahut jyada badh gaya to uske liye wo khatra ban sakta hai...khatra iss roop mein ki Earth ke Magical creatures ko uske hone ka aabha ho jaayega...jo ki abhi nahi hona chahiye....

Sofia- Jab tak tu apni saari shaktiyon ko unlock nahi kar leta kisi ko bhi tere yaha hone ka pata nahi chalna chahiye...tujhe bhi ussi tarah chip ke rahna hai jaise main rahti aa rahi hu...aaj tak kisi ko pata nahi main kon hu yaha kab se hu...

Sofia ne fir usko kuch hathiyaar chalana aur nihanebaazi ki bhi training di...saath mein kuch jaadu ke bhi...

Innn 3 dinno mein aise hi aur kahi baatein Saofia ne Slayer ko batayi...

Wahi inn 3 dinno mein IP ko koi jawab nahi aaya tha strange world se sayad waha ke principal kuch jyada hi vyast ho gaye honge....Wahi Viraj ka haath thik ho gaya tha aur wo uss gaon ko chod chla gaya tha par usne Earth nahi chodi thi...wo kisi chiz ke talash mein lag gaya tha...ab wo kya hai ye to wahi jane..

Next day...

Aaj wo din tha jab Sofia ne Slayer ke admission karwane ke liye...usko uska roop badalne bola....usko ek warewolf banne ko bola aur wo khud bhi roop badal kar ek warewolf ban gayi...Sofia roop badalne mein bahut maahir thi...iske iss shakti se Sofia ne kya kya kiya hai wo aage ke updates mein dekhne ko milega...

Dono Maa bete Warewolf banke...chal pade Magic school ki oor...

Magic school mein pahuch kar waha ke pricipal yaani Ip ke office ka pata le dono hi pahuch gaye unke office mein....

Jab dono ander aaye to IP ne unko dekha...dekha nahi ghoora kahiye...kuch der ghoorne ke baad

IP- Ji bliye kya kaam hai...

Sofia- Ji ye beta hai mera Slayer iko yaha admission dilana hai...

IP- Ek aur hybrid....

IP ka hybrid bolna tha ki Sofia ko jhatka laga...usko ummid hi nahi thi ki koi ye jaan paayega ki Slayer alag hai sabse...

Sofia- Hybrid...nahi nahi ye koi hybrid nahi hai...

IP- Pata nahi aap kyun jhoot bol rahi hai par ye ek hybrid hi hai...iske ander aapki black energy ke saath sath iske pita yaani aapke pati ki White energy bhi hai...aur isse saaf pata chalta hai ye hybrid hai...

Sofia ko pata chal gaya ki ab thoda drama karne ki jarurat hai...to wo shuru ho gayi...aankhon mein aashu liye apni kahani shunani shuru ki usne...

Sofia- Ab kya bataun aapko...ek jaadugar ne mujhe apne pyaar ke jaal mein fasa liya aur yaha le aaya aur....aur mere saath.....

Itna bol wo rone lagi...

IP ne turant hi Slayer ko bahar jaane ko kaha...

Slayer bahar chala gaya...

IP- aap roiye mat puri baat bataiye...aapke bete ko bahar bheja kyunki sayad ye sab...

Sofia- Haa samajh sakti hu...aapko pata hai uss jaadugar ne naa sirf mujhe pregnent kiya balki mujhe chod ke bhi bhag gaya...main main Dark world ke niyamon ki wajah se yahi ki ho gayi....aur ab bas....ab bas itni si iccha hai ki mera beta padh likh jaaye aur yaha Pritvi pe hi sahi par acchi jindgi bitaye...

IP thodi emotional type ki thi...par ye kisi ko dikhati nahi thi wo...

IP- Ji aapki iccha jarur puri hogi...main aapki har mumkin madad karungi...

Sofia apne drame mein kamiyab ho chuki thi...Sofia ke shahre pe ek shaitani mushkan aa gayi..

Sofia- Ji shukriya bahut bahut shukriya..

IP- dehi main aise hi uska admission to le nahi sakti maana main principal hu par yaha ke bhi niyam hai...aur unhe follow to karna hi hoga...

Sofia- Ji main samajh saktu hu...

IP ne ek kitab Sofia ko di aur kaha ki isme ek form hai usko bharna hoga...fir apke bete ko ek test ke liye bulaya jaayega...agar wo pass hota hai to aapka beta yaha padh sakta hai...

Sofia - Ji form to main abhi bhar dungi par ye test kab hoga...

IP - Test 2 din baad hoga...

Sofia ye sun udas ho gayi...

IP - Kya baat hai..

Sofia- JI baat aisi hai hum dono yaha bahut hi door se aaye hai...

IP- KOi baat nahi main ek kaam karti hu aaj hi apke bete ka test karwa deti ju...itna to main kar hi sakti hu...bas aaap jaldi se ye fiorm fill kar dijiye...

Sofia khush ho gayi...khush hone ki 2 wajahein thi ek ye ki Slayer ka admission aaj hi ho jaayega...dusri ye ki usko wapas se iss IP ke samne nahi aana padega...sach pucho to Sofia ko IP ke aankshon se dar lagne laga tha...jis tarah usne unn dono ke ander ke energy ko pahechan liya agar wo puri koshish lkarti hai to pakka Sofia ki asliyat usko pata chal jaayegi....

Sofia ne jaldi se form bhara wahi IP ne Slayer ke test ki taiyaaari karwa di...

Slayer ka test lene School ke hi ek teacher aaye the...

Teacher - To Slayer...tum taiyaar to hoge hi ab main tumhe iss test ke bare mein ek baar fir se apni taraf se batana chahunga...Iss test mein 3 rounds honge..1st round...magic round...isme tumhe jaadu karke dikhana hoga....Darne ki baat nahi hai tumhe bas chte mote jaadu hi dikhane hai naa ki Orion walo ke barabar jaadu....2nd round...hatiyar chalana aur nishanebazzi...3rd round...iss round mein tumhe kuch chizon se bachna hai unn chizon se jinse tumpe hamla hoga....Darna nahi tumpe pani ke gollon se hamla hoga aur kisi chiz se nahi....Ab ye bhi sun lo ki aisa test kyun to hamare school ki ye soch hai ki sabko pahle har chiz ka basic bataya jaaye...yaha har chiz se matlab hai jaruri chizon ka...baaki unke ander jo talent hai unko to hum nikharte hi hai aage.....

Teacher ne usko saare rules aur naa jaane kya kya bataya...

Ab shuru hua test....

Sabse pahle magic ki baari...Slayer ne magic dikhaya apni ungliyon ke isharon pe chizon ko yaha se waha karne ka jaadu....Teacher isko dekh bahut jyada impress ho gaya...fir baari aayi hatiyar chalane ki aur nishane baaji ki isme bhi usne kammal kar diya...jab 3rd round ki baari aayi to usne kuch aisa kiya ki teacher ko samajh hi nahi aa raha tha ki kya bole..

Teachers ne jaise hi paani ke golle fenkne ke liye kahha...to paani ke golle aane lage Slayer ke paas par ye to hill bhi nhi raha tha...jaise hi ye paani ke golee iske bahut paas aaye isne aankhen band kar li aur iske sharir se acchanak se bahut hi jyada garmi nikalne lagi itni ki wo saare baani ke golle evaporate ho gaye...aur ye dekh teacher ke hosh udd gaye...

Wo khud ko sambhalte hue Slayer ko bahar jaa ke intezar karne ko bolta hai...

Wo report banata hai iss test ka aur saath mein Slayer ki taarif bhi likhta hai usme aur uss report ko bhiljwa deta hai IP ke paas....

IP bhi report dekhti hai aur khush ho jaati hai...wo to ye soch rahi thi ki wo help kar rahi hai ek jaruratmand ki...

IP uska admission grant kar deti hai aur ye baat Sofia ko bata deti hai...Sofia waha se uska shukriya karte hue chali jaati hai...Slayer ko kuch baatein kahke...

Slayer ko school ke hostel mein uska room mil jaata hai aursaath hi mein uske padhayi mein lagne wali chizen bhi...

Aaj ke liye agle update mein shuru karenge school ke structre se saath hi dekhenge Slayer ka school mein pahela din...

Banne rahiye...
बहुत ही कमाल लिखा है, पर मैं ये देख रहा हूँ की अगर slayer मुख्य पात्र है तो उसकी अपनी सोच और भावनाएँ अभी तक सामने नहीं आयी है, और वो 18 साल का था तो उसका दिमाग़ पहले से ही विकसित था।
ip का पात्र भी मुझे अच्छा लगा, बेशक स्कूल की principal है, पर फिर भी emotional है, और दूसरों की मदद करना चाहती है,
विराज का पात्र अभी भी पूरा नहीं पता चला, उसकी backstory होनी चाहिए, एक शक्तिशाली जादूगर, जो sofia के चंगुल में कैसे फँसा

चलो आगे देखते है क्या होता है
 

SHADOW KING

Supreme
15,889
32,832
259
Update - 74

Earth se dur.....Strange world mein......Subah ka waqt tha.....

Leemo apne ek adde pe tha.....aur wahi khada sab dekh raha tha.....4 lashen padhi hui thi waha pe......Archery society ke logo ki....

Bahut hi ajeeb tarah se maara tha unko......dono haath kaat diye gaye the kandhe se hi...aur fir unko aapas mein badal diya tha....left wale haath ko right wale ke pass aur right wale ko left wale ke pass....

Leemo - Kuch pata chala kaun aaya tha yaha.....

"Nahi.....abhi tak kuch pata nahi chala hai....ye log jo maare gaye hai ye storng the.....isko aisa maar dena.....mujhe lagta hai koi bahut takatwar aaya hoga yaha pe....."

Leemo - iss jagah se kuch gayab nahi hua hai.....upar se inn jagahon ke baare mein kisi ko pata bhi nahi hota hai.....phir ye khooni yaha aaya kaha se.....pata karo inn sab ko kaun kaun sa kaam diya gaya tha...aur yaha ka pahredaar kaun tha.....

"pahredaar bhi yahi pe marra pada hai....usne kisi ko nahi choda hai....jaha tak aapne chizzen gayab hone ke baare mein kaha hai sab kuch apne jagah pe hi hai.....aur wo jo koi bhi tha yaha kaise aaya iske baare mein to kuch pata hi nahi hai..."

Leemo - hmm tum ab sabse pahle ye pata karo ki inn sab ko kis kis kaam pe lagaya gaya tha.....aur haa sabhi addon ki suraksha aur badhao....aur wo list pata hai naa tumko...jisme society ke sabhi logo ka naam hai....uss list ko...usko abhi ke abhi mere pass leke aao....wo surakshit nahi hai yaha pe....humko usse kahi aur leke jaana hoga....

"Ji main karta hu..."

Leemo itna bol ke waha se ek baar unn laashon ki taraf dekh ke nikal gaya......

Ghar pe hum sab ko subah subah hi nikal diya gaya tha.....Dadu aur Chachu bhi kahi saath mein nikal gaye the.....Chachi ne kaha tha humse ki uss Pankaj ko bhi call karke apne saath lele.....par wo aaya hi nahi.....usko jab Bua ne call kiya to usne bol diya usko School jaana hai kuch padhayi karni hai....Ajeeb to laga Bua ko ye sunke...par wo sochi sach mein badal raha hai ye to disturb nahi karte hai.....

Hum sab Rupal didi ke saath aaj India ke hi apne ek Hotel mein pahuche hue the.....Bua aur K.Bua ko Rupal Didi aur Nikita ka caretaker bana diya gaya tha....aur main...main bekkar mein aaya hua tha yaha pe....

Ye log business ko leke baatein kar rahe the....aur mujhe inn sab mein bilkul bhi interest nahi tha....Maine kaha ki main kahi aur chala jaata hu...par ye bol ke rokk diya ki aage jaake mujhe bhi to inn sab mein aana hi hai to dekh ke sikhne ki koshish karu....

Baari baari se log aate gaye....wo sab aate aur apna plan hum sabhi ko batate....plans bhi ajeeb ajeeb se the.....koi kuch leke aata to koi kuch.....ek bande ne aisa plan dikhaya ki humko apne hotels ko Kabristaan jaisa theme de dena chahiye....

Manna ki thoda darawana dikhana tha usko.....jisse agar waha pe asal ke bhi magical creatures aa jaaye insano ke saamne to unko bas yahi lagega ki ye to costume mein hai....par itna bhi nah karna tha....

Main waha pe thodi der aur rukta par usse pahle hi Old Owl ka message aaya......

Usne bataya ki Strange world mein kuch gadbad hui hai.....

Maine inn sab ko iss baare mein bataya aur waha se nikal gaya.....iss baar inn sab ne bhi nahi rooka inko ab pata jo chal gaya tha ki Nikita bhi mere behalf mein Jwala se kaam kara sakti thi.....to jab mann kiya ye tapak padenge waha pe...par abhi inko yaha pe kuch aur hi karna tha.....

Main jhat se pahuch gaya Old owl ke pass.....

Main - hmm puri baat batao....

Old Owl - Pichle 2-3 raaton se waha pe kuch gadbad chal rahi hai....

Main - kaisi gadbad aur iss baare mein mujhe kabhar kyun nahi milli hai....

Old Owl - Main to yaha tha aaram kar raha tha....aur mere jagah pe jo waha pe tha.....usne jaisi report di thi uske hisab se sab theek hi tha bas thodi bahut chizzen yaha waha thi....aur kal ka to tumko pata hi hai.....kal sabhi apna apna kaam chod ke yaha aa gaye the.....bas issi mein waha pe ye sab ho gaya....

Main - aur ye ye sab se kya matlab hai tumhara....waha pe hua kya hai asal mein.....

Old Owl - pahle to tumhari uss insan ke kaarname ke wajah se hum bach bhi gaye aur sayad fans bhi gaye hai...ispe abhi thodi confusion hai.....par saath hi leemo ke 4 log maare gaye hai kal raat mein.....

Main - Kya......Archery society ke log maare gaye....aur iss baare mein ab pata chal raha hai mujhe.....subah se abhi tak iss baare mein kyun nahi bataya....

Old Owl - wo darasal sabhi apne apne pariwar walo ke pass aaye the....aur kal jo kuch bhi hua tha uske baad maine sabhi ko kuch waqt ke liye unke kaamon se mukt kar diya tha,.....aur itne mein ye sab ho gaya....

Main - Abhi waha sab kaisa hai.....aur Leemo kya kar raha hai....kuch pata chala ki kaun tha wo jisne ye khoon kiye hai....

Old Owl - Nahi....iss baare mein maine kuch log bheje hai.....wo apna kaam kar rahe hai....par....abhi tak to kuch nahi milla hai.....

Main - Elf king yaa Yuvraj ka haath to nahi hai isme.....yaa fir koi aur hi.....

Old Owl - Elf king......wo bhala aisa kuch kyun karenge.....wo to madad maang rahe the naa.....

Main - inn bade logo ki soch ke baare mein kuch naa kaha jaa sakta hai.....ye bade log bade ajeeb hote hai.....khair....mujhe inn dono ke har ek movement ki khabar chahiye....aur khabar sirf mujhe milegi...aisa naa ho ki pahlle kahi aur khabar jaaye aur fir mujhe mille....isse baatein badal jaati hai.....

Old Owl - tum aisa kah ke mere pure samudaay pe ilzaam laga rahe ho....

Main - ye fact hai ye baatein har jagah hoti hai main sirf tumhe aur tumhare logo ko nahi bol raha.....ab jo kaha hai wo karo....aur ab aaram khatam ho gaya hai tumhara....kaam pe lago....

Old Owl waha se jaane laga....

Main - Ek minute aur uss insani ladki....uska kya bataya tha......

Old Owl - Usne hamla kiya tha.....Yuvraj pe.....aur sunne mein aaya hai usne koi cheez chura li hai unse....

Main - hmm to kya churaya usse.....

Old Owl - ek pankh...kal jiski maut hui thi ussi ki pankh chori ki thi usne aur apne Guru ko de di thi.....wo Nix mandir ka pujari hai.....humko shaq ho raha hai ki uss pujari ne sab dekh liya hai....

Main - kaise.....aur iss shaq ko confirm karne ke baare mein socho jisse....aage kya kiya jaaye ye soch paye hum.....wapas se sab kuch turant setup nahi kar sakte hum.....

Old Owl - Hmm theek hai....

Wo waha se chala gaya.....

Maine socha waha meeting mein janna ekdum se bekar hai.....Main Leemo se milne chala jaata hu......sayad uski kuh madad ki kar saku....

Main Jwala ke pass gaya aur usko portal kholne ke liye kaha....Strange world ke liye....

Hum dono shidhe Leemo ke pass pahuche......Leemo Jwala ko nahi dekh sakta tha.....

Lemmo - Arre aap.....main abhi aap jaise hi kisi ko milna chahta tha....

Main - Hmm maine sunna tumhare 4 logo ki maut ho gaye hai....

Leemo - Hatya hui hai unki.....jisne bhi kiya hai wo bachega nahi.....

Main - Haa aur isme main bhi madad karunga.....waise mujh jaise kisi ko kyun dhundh rahe the koi kaam tha kya.....

Usne apne kapdon mein chuppa rakhi ek choti si kitab mujhe di.....ye ek dairy thi....

Main - Ye kya hai aur mujhe kyun de rahe ho.....

Leemo - Ye hamare Society ka granth hai....hum ispe haath rakhne ke baad hi iss society meinn aate hai...aur hum sab ka naam usme aa jaata hai....ye kitab sayad yaha pe surakshit nahi hai.....isko aap apne pass rakhiye....jab ye khooni mil jaayega tab Main khud ye aapse le lunga.....

Main - Par iske naa hone se tum naye logo ko kaise le sakoge.....

Leemo - abhi kisi ko society mein nahi lena hai.....aur pramukh logo ki sabhi jagah bhi bhari hui hai....aap leke jaao isko...aur apne pass rakhna....

Main - hmm theek hai....par iski jarurat nahi padni chahiye.....

Leemo - nahi ye yaha pe surakshit nahi hai leke jaaiye aap isko.....

Maine usse wo kitab le liya.....aur thodi der yaha waha ki baatein kari usse......

Thodi der ke baad maine Jwala ko bolke Earth ke liye nikal gaya....

Wahi subah se Pankaj aur Leader bhi baatein kar rahe the......

Pankaj ko Leader ne apne energy ka signature de diya tha.....aur Pankaj bhi usko leke aaj School gaya hua tha......

School mein inn dinno mein waise bhi jyada log hote nahi hai....upar se ye to Prof Daksh ke ladke thahre....to baaki ke prof.s se yaa staff members se baatein hoti rahti thi.....bas issi ka use karte hue wo pata lagane lag gaya inn sab ke baare mein......ek junior staff member ke saath Records room mein jaake usne check karna shuru kiya.....Energy signatures ko bhi check karna koi aasan kaam to hoti nahi hai....aur upar se ye ek student tha ye......usne sabse pahle to ladkiyon ka data ek taraf kiya....aur uss data ko dekhne ke baad to usne apna sar patak liya,....bahut jyada deta tha wo....aur isko sabhi ke energy signatures ko dekhna tha......

Ek energy signature ko dekhne mein hi kamse kam 20 minute lagte the....aur jitna data tha yaha pe utna check karne ke liye agar binna khana khaye aur soye bhi dekhe to kam se kam 4 saal lag jaana tha

Pankaj - aap mere kaam ko shuru kariye....par ye kisi ko pata nahi chalna chahiye......

SM - Par yaar isme waqt bahut lagne wala hai.....koi aur chizz nahi hai kya....

Pankaj - Hota to Main aapko nahi batata....Main bhi isko jaldi dhundhna chahta hu....kisi ke liye bahut khass hai ye.....

SM - Chalo theek hai hum ye kar dete hai....par aap bhi wo chutti wali baat thoda Papa ko yaad dilaiyega....unke kahne se chances badh jaayenge.....humko jaana hai kuch waqt ke liye apne ghar....

Pankaj - Arre Main iska pura dhyaan rakhunga...aur pahli baar thodi hai apna....

Ghar pe alag hi sab chal raha hai.....Dadi aur Chachi dono hi ghar ke bilkul bich mein baithi hui hai.....aur koi viddhi kar rahi hai....aag nahi jal rahi waha pe par pure ghar mein dhunwa sa phaila hua tha.....aur ye inka jab se hum sab bahar gaye the tab se chal raha tha......ab to waise bhi dopaher ka waqt ho gaya tha.....

Wo Dhuwan ab lagbhag pure ghar mein har ek kone tak chala gaya tha....saath mein picche wala garden aur uske alawa aage ke garden ka kuch hissa bhi uske pass aa gaya tha......

Chachi ab khadi hoti hai.....aur apne haathon se ussi dhuwen mein kuch banane lagti hai....jaha jaha pe wo hath leke jaati waha waha se dhuwan hat jaata aisa lag raha tha jaise koi dwaring bana rahi ho wo.....Fir Dadi bhi khadi hoti hai aur wo bhi yahi karne lagti hai.....thodi der aisa karne ke baad....wo dhuwan gayab hone lag jaata hai.....

Chachi - Maa 3 jagah.....

Dadi - hmm mujhe bhi aisa hi lagta hai......ek to iss Prateek ke room mein hai....ek saamne wale garden mein.....aur ek hamara wala.....

Chachi - Maa Prateek ke room mein to wahi aaya tha ek do baar.....wo maine aapko bataya bhi tha naa wo sikh raha tha aur usse yaha aa gaya tha.....aur wo bahar garden wala bhi ussi ka hoga....wo uss din yaad hai naa.....aur apna wala to humhi sab ka hai naa....

Dadi - Nitya matlab samajh rahi ho....wo shaitaan yaha hamare liye hi aaya tha.....par itne waqt baad kyun.....

Chachi - Maa maine aapse aur Papa se kaha bhi tha.....ki unn sab ko humko bhej dena chahiye.....sayad ye wala shaitaan koi plan bana raha ho.....sayad wo uske yaha hone ka saboot mitana chahta ho....

Dadi - Maine bhi tumhare Papa se baat kari thi iss baare mein....par tum bhi jaanti ho.....wo sunte kaha hai.....lekin ab to sunna hi padega hamare baccho pe baat aa gayi hai....agar uss shaitaan ne unpe hamla kiya hota to.....

CHachi - Haa Maa main bhi yahi kah rahi hu....hume jaldi se unn sab ka pata laga ke unko bhejna hoga yaha se.....

Dadi - Kal Raat hi baat hui hai iss baare mein.....aaj Satya aur Ye ussi ke liye gaye hai.....abhi to uss shaitaan ke thikane pe gaye honge.....waha se pata karne ki ye chahta kya tha....aur baaki ke shaitaano ke baare mein bhi aisa hi hai....hum unko bhi hatta hi denge yaha se.....ab koi risk nahi le sakte hum.....

Chachi - Maa Poonam ab badi ho chuki hai sayad wo......

Dadi - Nahi......inn sab mein ab ghar ka koi aur nahi aana chahiye.....hum char hi bacche hai jo ye sab jaante hai aur hum char hi rahne chahiye....ye nuber badhni nahi chahiye....humne unko yaha pe laaya tha hum unko bhaga bhi sakte hai....aur khabardaar jo Poonam yaa kisi aur ko inn sab ke baare mein bataya hai to....ab chalo.....iss viddhi ko pura karte hai....wo sab shaam tak aa bhi jaayenge....

Chachi - ji theek hai....

Chachi ne kisi se nahi kaha tha ki unhone ye saari baatein apne Mom Dad se yaa fir Nikita se kahi hui hai.....

Dono hi wapas se ussi jagah pe baith jaate hai aur baithte hi dhuwan wapas aa jaata hai aur phir ye dono kuch karne lag jaati hai....iss dauraan uss dhuwen ka rang badal raha tha baar baar badal raha tha....

Inn sab se dur...Chacha ji aur Dada ji uss shaitan ke baare mein pata lagane gaye hue the.....unko ye nahi pata tha wo rahta kaha hai....par wo ye jaante the ki uska theekana kaise dhundhna hai.....pahli baat ye maans khane wala shaitaan tha...to unn ilako mein jaane ka jaha pe log maare jaa rahe ho....yaa gayab ho jaa rahe ho.....ab aise mein to bahut se jungle bhi aa jaayenge....jungli jaanwar bhi to maans khate hai....par inn dono ne iske baare mein bhi soch rakha tha......jaha kahi bhi ye shiatan rahta hai waha par ki hawa mein ek ajeeb si mahek hoti hai....shikar ko lubhane ke liye.....wahi mahek jiski wajah se Albus jaa pahucha tha iske pass......Ab Albus ki smelling strength bahut jyada thi itni to inki thi nahi to inhone pahle wo jagahin chunni jaha pe log gayab ho jaa rahe the....aur fir unn jagahon pe jaake check karne lage....par ye kaam bahut waqt lene wala tha....to sham hone tak inhone madad ke liye kuch log ikatha kar liye....aur unko unka kaam samjjha ke ye ghar ko nikal liye......

Yaha Main jab Meeting wale jagah pe wapas aaya to dekha waha pe DB baitha hua tha.....uske saath mein ek aadmi bhi tha pata nahi kaun tha wo......wo dono waiting room mein baithe hue the apne number ka wait kar rahe the.......

Sayad DB ko hamare ghar ke business ke baare mein bilkul hi nahi pata tha....yaa wo ye nahi jaanta tha jaha pe wo aaya hua hai wo hamara hotel tha.....Main interview wale room ki oor jaa raha tha ki uspe nazar padi meri....

Main - Ye DB yaha kya kar raha hai.....

Pahle maine wo dairy apni pocket mein rakhi....aur phir uske pass gaya...

Main - DB tum yaha....

DB ne pahle to ek baar mujhe acche se dekha...uske baad usne uss aadmi ko dekha jiske saath wo aaya tha.....

DB -(thoda hichkichate hue) haa wo main inka assistant ban ke aaya hu....

Raj kumar bana Assistant :sigh:

Main - Par kis liye....

Wo aadmi - Hum yaha pe apne designs dikhane aaye hai...iss hotel ke owners ne apne kuch hotels ko modify karne ke baare mein socha hai thoda ajeeb sa look dene ke baare mein....to Main aa gaya yaha pe....isko leke....waise tum isko kaise jaante ho.....

Main - wo ye mera dost hai.....accha kya kaha aapne ek baar aur batana....

Aadmi - yaha pe designs dikhane aaya hu.....freelancer hu naa....

Main - hmmm to aapka number nahi aaya abhi tak....aap rukko main dekhta hu....

Main unn dono ko wahi chod ke ander chala gaya room mein....mujhe jaate hue dekh dono ajeeb sa muh bana rahe the par ab kya hi kar sakte hai.....

Main - Didi abhi tak chal raha hai ye.....

Rupal didi - Inse hi puccho.....chotu 3 designs pasand aaye hai humko....par ye dono hai ki.....thoda aur dekh lete hai.....kya pata kuch naya aur unique mil jaaye....inke naye aur unique ke chakkar mein sar dard karne lag gaya hai......

Nikita - Bua ab bas bhi karo naa......kitne aur designs dekhoge....

Bua - Bas thode aur.....sayad kuc......

Rupal didi -(muh banate hue) sayad kuch Unique aur naya mil jaaye.....

Itna bolne ke baad unhone bell bajayi wapas se.....

aur bahar se ek aur banda aaya.....designs dekhe iske bhi.....aur thodi baatein kari.....

Main - K.Bua bahar DB aaya hua hai.....assistant banke kisi ke saath....

K.Bua ne meri baat sunni to unke chahre pe ek alag hi chamak aa gayi.....unhone Bua ke kaan mein kuch kaha.....

Bua ne bhi wapas unko kuch kaha......aur wo khud khadi hui aur bahar jaane lagi.....

Rupal didi - aap kaha nikal rahi ho....

Bua - wo aa rahi hai ab bas ek do aur log bacche hai....unka dekh ke ghar chalenge....Bacchu tunne lunch kiya kya.....

Main - Nahi wo thodi gadbad ho gayi thi Strange world mein....bas ussi ke karan yaad nahi raha....

Bua - kya hua waha pe....

Maine unko sab bataya kaise Leemo ke char log maare jaa chukke the aur usne mujhe unki dairy di thi.....

Bua - Bacchu ye dairy tu sambhal paayega.....mujhe lagta hai isko.....isko Leemi ko de dena chahiye....wo iska acche se dhyaan rakhegi....

Main - Bua Main bhi yahi soch raha tha.....kyunki ghar pe rakhna safe nahi hoga isko....kabhi bhi kisi ke haath lag sakta hai.....Maine aapko dene ka socha tha....par aap Leemi ka kah rahi ho tab mujhe bhi lagta hai ussi ko dena chahiye...

Hum baat kar hi rahe the ki K.Bua wapas aa gayi.....

K.Bua - Hmm ho gaya.....ab bas 2 aur designs hai.....aur turant ho jaana chahiye ye sab.....tum sab aise kyun muh kiye hue ho....

Nikita ne K.Bua ko sab bataya.....

K.Bua - Ye to bura hua uske saath.....

Thodi deer mein ek aur design ke saath ek ladki aayi....uske designs sabhi ne dekhe.....wo sach mein dekhne layak the....uski file ko humne rakh liya aur usko aage inform karenge aisa bol diya.....uske baad DB aur wi aadmi ander aaye.....wo dono hi muh phade the...DB sabhi ko dekh ke....aur wo banda dono Bua ko dekh ke.......

Ye wahi tha K.Bua ki Dost ka bhai.....wo designs bana raha tha.....hamare hi hotels ke liye....

DB iss waqt thoda sarminda sa lag raha tha....sayad wo iss tarah se apne doston ke saamne comfortable feel nahi kar raha tha.....

khair humne unko baithne ko kaha aur sab professional tarike se hi hua......aur uske baad humne 3 logo ke disigns chosse kiye....unme se ek e bhi the.....humne...tinno ko 3 hotels ke baare mein bataya aur waha pe kaam shuru karwane ko kah diya.....

DB chukki aaj bahut waqt baad milla tha to humne usko ghar chalne ko kaha....aur uske saath aaye aadmi ko bola ki wo kal tak aa jaayega.....wo bhi khushi khushi chala gaya....

Hum sab jab ghar pahuche....to waha pe bade log meeting kar rahe the.....pata nahi kya baatein chal rahi thi par the charo ekdum se serious.....

Hum sabko dekh ke charo ne sab batein band kar di aur apne kaam pe lag gaye.....

Hum bhi ander aaye thodi baat cheet ki wo designs aur Didi ne jo bhi phaisla liya tha uske baare mein sabko bataya.....

Chachi - ye Pankaj nahi aaya tum sab ke saath.....wo nahi tha waha pe....

Bua - Bhabhi usko call kiya tha to pata chala wo School mein gaya hua hai.....

Rupal didi - Ab itne padhaku bacche ko padhne se rokna....accha nahi lagta naa Mummy....

Bade hi ajeeb tarah se kaha tha unhone :lol: jisse sabhi ki hassi nikal gayi.....

Chachi ne lekin soch liya ki wo iss baare mein khud ab Pankaj se baat karegi ki wo kyun nahi aa raha yaha pe aakhir unhone wada kiya hua tha Mama ji se....

Inn sab ke aalawa aaj ke din Pujari ji ne kuch baatein pata karne ki koshish ki thi.....par uska natiza bhi kuch waqt baad hi aane wala tha....

To aaj ka yahi tak rakhte hai next update mein dekhenge.....

Strange world mein aaye hue ek naye hatyaare ko......aur saath hi Earth par ke shaitaano ke baare mein Nikita batayegi hum sab ko jo kuch bhi usko pata hai.....aur Pankaj aur Leader ki jodi.....
nice update ..ye leemo ke aadmiyo ko kisne itni berahami se maara jiska pata abhi tak kisiko nahi hai ...
chachi aur nani kya usi shaitan ki baat kar rahi thi jisko old owl ke logo ne maar diya 🤔..

db to assistent banke aa gaya sabke saamne 🤣🤣...
 

Dungeon Master

Its not who i am underneath
Staff member
Moderator
21,704
15,961
229
UPDATE - 3

Ab tak

Slayer ka admission ho gaya tha....Sofia usko waha pe chod kar chali gayi thi...

Ab aage

Pahle shuru karte hai Magic School ke structure ke baare mein...

Ye school bilkul Strange world ke school jaisa hi tha....

Jungle ke bich mein ek bada khali sa maidan....jaha har waqt kohra hi kohra rahta hai....Agar insan chahe bhi to apne sattelite se naa dekh paaye uss jagah ko...aur jungle ke bich mein hai to aaj tak koi aaya hi nahi...agar aa bhi jaaye to yaha ke jaadu ki wajah se kuch naa dikhega jabtak wo uss sima ko paar naa kar le...

uske baad bhi agar koi aaye to bhi kuch naa dikhega unko kohre ki wajah se...ye kohra issliye tha kyunki School ke charon taraf Nadi thi....isko nadi bole yaa kya pata nahi jo bhi tha usse School charon taraf se ghira hua tha...Haa ek aur chiz thi iss jagah se thodi hi duri pe aur wo tha iss Magic school ka khud ka stadium jaha saare programs hote the...par wo bhi insano ko kabhi nahi dikhega...

Ye tha bahar ka....Ab ander ka dekhte hai to nadi se shool ke pass tak jaane ke liye aapko boats ka use karna hota hai...boats se hote hue jab aap school ke pass utarte ho to.. shuru mein aata hai Entry gate, bahut bada gate tha ye....aur khass bhi...gate mein bahut se murtiyan banne hui the...inn murtiyon ki bhi khasiyat hai...ye pather ki murtiyan shuraksha ke liye hai iss school ke....ye baat alag hai aaj tak jarurat nahi padi hai isko istemal karne ki...

Gate se ander jaate hi aapke saamne 4 badi badi buildings nahi nahi castles kahna sahi hoga haa castles milti hai...wo bhi char....charon hi ek dusre se bilkul hi alag...

Naam bhi dekh lete hai...

Castle A - ye hai administration block....ab aage kuch batane ki jarurat hi nahi hai...ji haa yahi pe hote hai saare administrative work...yaha pe sabhi staff members ke liye alag alag cabins banne hue hai...aur bhi jo unke liye jaruri hota hai...

Castle H - ye hai hostle matlab students ke rahne ke liye castle...sabhi bacche yahi rahte hai...unka khana pinna sab yahi hota hai...

Castle M - iss castle mein sabhi tarah ke magics ki siksha di jaati hai...

Castle W- Yaha pe warfare ki...

Ab kuch aur baatein jo jaani jaruri hai...

Castle H mein students ke wo 3 groups alag alag blocks mein rahte hai...jinka naam unke groups pe hi hai...

Groups iss tarah se hai...

Pure

Half

Minors...(Ye group bas Earth pe hi hai naaki Strange world mein)

ye bilkul kisi caste system ki tarah hi tha...iska virodh bahut waqt se ho raha tha...khud IP madam aur bahut se teachers iske against the...par faisla Strange world ke principal ko lena tha jo ki iss baare mein kuch bhi nahi bata rahe the...ab iske picche kya karan tha ye to wahi jaane..

Hmm to hum ye dekhte hai kis aadhar pe baata jaata hai yaha pe baccho ko...

Agar aap mein bas ek hi tarah ki energy ho chahe wo kaisa bhi ho wo Pure group mein aata hai...

Wahi agar aapke ander 2 tarah ki energies hui to aapko Half mein bheja jaata hai...matlab aap milawat wale ho yaani hybrid...

Minors ka concept sirf Earth pe hi hai...Minors unko kaha jaata hai jine Mata Pita dono mein se koi ek insan ho...

Haa aisa bhi hota hai yaha kuch magical creatures insano ke sampark mein bhi the...wahi pyar vyaar etc...inn jaiso ko School mein aane ki ijjajat abhi kuch saal pahle hi milli hai wo bhi naa jaane kitni mushkil se..

Ye ho gaya School ka structure...aur uske baare mein...

Ab hum dekhte hai Slayer ko ki wo kya kar raha hai....

Slayer kyunki Hybrid tha uske pass 2 tarah ki energies thi to usko Half group mein rakha gaya tha...

Kal se classes shuru honi thio uski...

Sofia ne jaate jaate usko kah diya tha ki wo jab tak Slayer aaa nahi jata tab tak ke liye yaha se Dark world aur Demos planet pe jaa rahi hai...waha se uske liye powers aur kuch khass chizo ka intezam karne...

Haa yaha bhi wo binaa passport wala tarika hai ek planet se dusre planet pe jaane ka ussi tarike se wo bhi jaane wali thi...

Room mein 2 bed the matlab ek uska room mate bhi hoga...wo bhi ek hybrid hi hona chahiye tha...

Slayer apna saman jo kuch bhi usko school se milla tha aur ek do chizen jo usko Sofia ne di thi wo sab sajane laga...issi mein uska waqt beet gaya....

Raat ka samay hua usko khane ke liye bulaya gaya...

Khane khane ke liye ek bada saa haal tha jaha sabhi baccho ko ek saath khana diya jaata tha...yaha ka ye niyam tha ki sab apne apne group ko alloted table pe hi baithenge....

Slayer ka gaya apne group ke baachon ke pass aur kisi Pure group wale ne apna pair fassa ke usko girra diya....

Slayer ko gussa aaya wo chahta to abhi uss pure group wale ka bura haal karta par....uske aisa kuch karne se pahle hi ek ladka aaya aur usko waha se utha ke le gaya...

Ladka- Ye ab aise hi hai jab dekho humare aur minors ke saath aisa karte rahte hai...tumhe chot to nahi lagi...

Slayer ne pahle to uski oor dekha wo bhi ek warewolf tha...

Slayer- Nahi main thik hu...

Ladka- Waise pahlke dekha nahi tumhe kahi...naye ho kya tum....

Slayer- Haa....mera naam Slayer hai...

Ladka- Aur mera naam Parth hai...chalo waha chalte waha table khali hai...

Slayer jisko yaha koi nahi jaanta tha usko koi mil gaya tha...jiske jariye wo yaha ke baare mein sab jaan sakta tha...

Dono baith ke khana khane lage...itne mein ek Pure group wale ne apna jutha khana Slayer ki oor fenka...ye yaha aam baat thi...aur innhi sab ko lekar IP madam aur baaki sab virodh karte the ki iss group wale system ko hataya jaaye par....khair chodiye...

Jis Pure group wale ne ye kiya tha...kuch der baad uske upar sirf aur sirf khana hi girra hua tha...

Slayer ki chizon ko move karane ki powers se to aap sab parichit hi hai...ji ussi ki madad se usne ye kiya...

JAise hi uss Pure blood wale ne apna jootha khana Slayer ki oor phenka...Slayer ne uss chiz ko mehsoos kar liya...apni aankhen band ki usne aur anguliyon ke ishare se sabse pahle wo khana wapas se ussi lake ke muh pe de maara...tab bhi uska maan nahi bhara...usne Half group ke sabhi baccho ke thali se thoda thoda khana uthaya aur uss ladke ke upar giraaa diya...par bande ko kkhusi mille tab naa same kaam usne minors ke khane ke saath bhi kiya aur iss baar naa sirf uss Pure blood wale bande pe balki uspe bhi jisne apna pair fansa ke usko giraya tha...par bande ko khusi nahi milli puri tarrah se...

Uski nazar kachre ke dabbe pe gayi...par abhi powers kam hone ki wajah se wo usko utha nahi paya...

Ye sab jab hua to mahool hi badal gaya uss jagah ka...abhi kuch ho usse pahle hi staff ke log aa gaye waha aur sabko shanti se khana khane ko kaha....aur unn dono Pure blood walo ko waha se baharbhej diya khud ko saaf karne ko...Dono hi Minors group aur Half group ke baccho ko ghurte hue bahar nikal gaya...

Slayer sab bhul ke aaram se khana khane laga....

Khana khatam karke sab apne apnme room mein chale gaye...

Jab Slayer room mein jaa raha tha tabhi usko pata chala ki Parth hi uska roommate hai...isse Slayer ko jayda fark nahi pada...par Parth wo bada khush hua naya dost bana ke....

Par usko kya pata tha ki ye dosti usko kaha tak leke jaayega...

Raat hui dono soo gaye....

Aaj ke liye itna hi ab agle update mein dekhte hai wo class ka chakar aur ek intrsting part bhi hai...
कहानी में action आया हल्का सा, बहुत अच्छे से स्कूल की सब जगह का विवरण किया गया है। महोल पूरा जादुई बना दिया।

pure blood
Hybird
Minor
बहुत अच्छे से बताया है, block system और caste सिस्टम।
और slayer का पात्र बहुत गहरा लगा, क्या उसने ग़ुस्से की वजह से या फिर popular होने के लिए उसने खाना दूसरों की प्लेट से भी लिया।

काफ़ी बढ़िया अप्डेट था, मज़ा आ गया।
 
Top