★ INDEX ★
☟
☟
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Last edited:
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Areee jis post me tag kiya uska quote dekho... Ristrcted waithout permission ju ke universe me sendh laga raha haiKya hui gawa![]()
Madamji ka naam hai IP ab ye kyun hai wo ye jaane...
IpHaa to ye jo madamji hai ye Billi ki tarah dikhti hai sirf ye hi nahi yaha iss school ke bahut se log billi ki tarah hi dikhte hai...puch bhi hai inn sabki...
Madamji ka naam hai IP

ju billi ban gayi mujhe aaj pata chal raha hai... ye ye to daayan hai....wo insan ko khati hai
Karib 2 din baad matlab Aaj to 15 July 2018 hai to ye ghatna 27 july ki thi...

Chandragrahan laga...Kaali Safeed roshniyan Charo taraf se uss ghere mein aane lagi...
Jo upar likha tha ... Uss baat ka aakhri se Mel nahi ho sakta ... Jise banaya ja sakta hai usse mitaya bhi ja sakta hai... Mearega ye viraj aur ye main aaj hi guess kar deta hun... :UPDATE - 1
Shuru karte hai ek sawal se....
"Jo kabhi paida hi naa hua kya wo kabhi marega...jis raste pe aapne kadam hi nahi rakha kya aap aap uss raste se hoke jaane wale mukaam tak kabhi pahuch paoge...jo Imarat kabhi bani hi nahi kya wo todi jaa sakti hai....".
Sayad jyada ho gaya.....chaliye isko chod hum kahani pe chalte...waise ye sawal aate rahenge kahani mein issi liye likha hai....
Ek school hai...Earth ka nahi kahi aur kaa.....kaha ka wo aage dekhte hai....
Haa to school hai to class bhi hogi....ab yaha ki tarah to hai nahi ki binna class ke hi school binna collage ke hi degree..
To class chal rahi thi...Teacher shahiba padha rahi thi aur bacche padh rahe the...
Teacher- Kittu chalo batao pramukh planets kon kon se hai....
Kittu ek student hai jo kabhi padhayi mein dhyaan nahi deta usse sawal iss liye pucha Teacher ne kyun ki ye janab baithe hue the last bench pe aur khana thoosh rahe the...
Ab Madam ne pucha to khada hona hoga jawab dena hoga warna sazza ke liye taiyaar raho...
Kittu khada hota hai aur agal bagal apne doston ko dekhne lagta hai...par dost bhi iske harami the...koi 3 kah raha hai koi 6 to koi 1 bol raha hai...Kittu pareshan ho jata hai waqt to tha nahi ki sochte rahe kyunki Madam ji ko gussa to aa gaya tha pahle hi...to aankhen band kar ek andaza lagata hai wo....
Kittu- 7
Sayad aaj Kittu ka naseeb accha tha...usne andaze se hi par sahi jawab de diya tha...aur uska jawab sun sabhi usko dekhe jaa rahe the...Madam bhi usko dekhe ja rahi thi...
Madam- Haa sahi jawab....chalo ab batao ki kon kon se...
Ab kittu fasa wo bechara jiska pahle sawal ka jawab hi tukke se sahi hua hai ab usko ussi sawal ke baare mein batana hai....
Kittu- Madam naam to pata nahi hai....
Madam- Pata kaise hoga aap to khana khane aate ho yaha...padhayi karoge nahi to kaise pata hoga ye sab...chalo iss baar maaf kiya kyunki pahle sawal ka jawab sahi tha..tukke se hi sahi..
Kittu baith gaya...
Madam:- Chalo kon batayega 7 pramukh planets ke naam...
Ek student khada hota hai...
Student- Madam
"Sabse pahle aata hai sabse strong planet "Titan planet".....yaha pe Devta rahte hai...
dusra aata hai "Orion Planet".....ye jadugaron ka planet hai...
tisra aata hai "strange world".....yaha tarah tarah ke jeev hote hai.....hum bhi yahi ke rahne wale hai...
chautha aata hai "Earth"....yaha ajeeb se dikhne wale log rahte hai...ye pramukh ptanets mein hona chahiye yaa nahi ispe vivad hai abhi bhi...
panchma aata hai "Dark world"....yaha pe saare bure creaatures rahte hai...
Chhatha aata hai "Fomos world"....ye hai ek jail jaha pe upar ke sabhi planets ke siway Earth ke behad khatarnak mujrimon ko bheja jaata tha sazza katne ke liye...par unsabne yaha pe kabja kar liya aur iss jagah ko chor dakku insabka ilaka bana diya hai...
shatva aata hai "Demos world"....yaha pe shaitan rahte hai...
Waise aur bhi hai planets par unko iss shuchi mein naa rakhne ki wajah hai waha ki population aur kuch aur khass wajah..."
Madam ji to puri khush usne uss student ko sabasi di aur baithne ko kaha...
Madamji - Haa to aaj ka class hai Earth ke baare mein....Haa pata hai ye boring jagah hai...par ye pahle aisa nahi tha...yaha pe jo mukhya prajati hai wo hai insan ki...par iss Mukhya prajati ke alawa bhi aur prajatiyan hai yaha jo chup kar rahti hai iss jagah pe aur unhi ke karan iss Planet ko Mukhya planets mein ginna jaata hai...Ab unme aate hai Elfs, Fairies, Vampire...aur bhi naa jaane kitne jeev....
Abhi baat puri nahi hui ki ek student haath utha ke sawal puchne ka ishara karne laga...Madam ji ne usse puchne ko kaha...
Student- Madam ye sab jo prajatiyan hai wo to waha ki nahi lagti...fairy acche powers ki hoti hai Vampire bure powers ke fir dono ek planet pe kaise...
Madam- Haa ye ek accha sawal hai....chalo ab batati hu...baat ye hai ki jab Fomos planet se sazza kaatne ke baad cratures ko wapas apne planet pe jaane ka mauka milta tha to unhe pahle kuch waqt iss planet pe rahna hota tha....ab ye niyam kyun tha iska pata nahi hai....Haa to issi niyam ke karan log Pritvi pe jaaate...par waha se bahut hi kam log wapas apne planets pe pahuch paate the...baaki ke wahi rah jaate...waha ke logo ke bitch...Ab ye sab chalta raha aur unke baccho ka bhi janm hone laga Earth pe jisse unn sab ki bhi prajati badhne lagi...par ab unke baccho ko wapas unke planet pe nahi laya jaa sakta tha...jab aisa hua to unn creatures ne waha bhi apni apni community bana li....aur wahi pe rahne lage...
Ab bahut ho gayi padhayi chalo yaha ke logo ke baare mein bhi jaan le aur kuch mukhya kirdaro ke baare mein...
Haa to ye jo madamji hai ye Billi ki tarah dikhti hai sirf ye hi nahi yaha iss school ke bahut se log billi ki tarah hi dikhte hai...puch bhi hai inn sabki...
Madamji ka naam hai IP ab ye kyun hai wo ye jaane...
Inka iss kahani mein role aata rahega...ab iss school ke baare mein jaan le...to ye school Strange world mein hai aur sabhi 7 worlds mein sabse acche school mein aata hai ye school yaha pe har world ke bacche aate hai padhne ke liye apni powers jaane ke liye...Har world se matlab ye hai ki naa sirf inn 7 worlds balki aur bhi alag alag worlds se bhi....
Iss School ke sansthapak ke baare mein kisi ko kuch pata nahi hai....par unki shaktiyon se sab parichit hai...chaliye aapko bhi parichay dilwate hai ek ghatna se...
Kuch saal pahle ki baat hai...Demos world ka Rajkumar yaha padhne aaya tha...Demos world ka rajkumar bole to Demons ke Raja Lucifer ka beta....uska kisi karan se jhagda ho gaya kisi se...ab ye to thahre gusse wale rajkumar...to inhone apni buri kaali shaktiyon ka prayog karna chaha....Par ussi waqt ye janab Strange world se teleport hoke apne planet pe pahuch gaye...matlab ye ki iss school ke sansthapak ne yaha aise jaadu kiye hai jisse students apni shaktiyon ka use bas uss class mein hi kar sake bahar nahi...aise hi bahut saare jaadu wo karke gaye hai...Ab unka koi pata nahi hai koi nahi jaanta wo kaha hai...
Iss ghatna ko batane ka ek karan ye bhi tha ki issi ghatna ke baad se Demos world Strange world pe hamla karne ki koshish mein rahti hai...par strange world ko bhi Orion aur Titan world ki shuraksha milli hui hai to wo nakaam hi rahte hai....
Lucifer - Demos world ke king, Demon lord
IP- teacher, Strange world (kuch aur bhi baatein hai inke baare mein jo bahut khass hai wo aage pata chalegi)
Abhi ke liye bas inn dono ka hi introduction rakhte hai...aur chalte hai hum Earth pe...Jaha pe aaj ek meeting chal rahi thi saare magical creatures ke head ki...
Baat ye thi ki wo bhi apne baccho ko Strange world mein padhana chahte the par...Strange world ke log ye maan nahi rahe the...
Elf Community ka head- Baat sidhi hai humme bhi apne baacho ko Strange world mein padhane ka mauka milna chahiye....Maine Elf King ko sandesha bhijwaya hai aur wo humare support mein hai...
Vampire community ka head- Sandesh humne bhi bhijwaya hai par koi jawab nahi aaya waha se...ab to bas aap logo pe hi ummid hai...
Warewolf community ka head- Humare maharaj bhi support mein hai...unka kahna hai ki wo iss mudde ko Strange world mein jarur uthayenge...
Fairy community ki head- Fairy queen ne bhi humme kaha hai ki wo baat karegi...
Abhi meeting chal hi rahi thi ki acchanak se roshni hui waha pe...kisi ko kuch dikh nahi raha tha..sabki aankhen band thi...roshni to kaam nahi hui par ek awaj aayi usse jisko sun sab khush ho gaye...(Vampire chup gaya tha wo roshni mein nahi aate)
Awaj- Main Strange world se aaya hu aap sabko ye batane ki ekbaar firse Earth se log Strange world mein padhayi karne jaa sakenge...
Itna bol wo aawaj wo roshni sab chali gayi...aur yaha pe sabki khusi ka koi thikana hi nahi raha...
Ye baat har jagah phail gayi ki Earth se bhi ab Strange world padhne jaa sakte hai...
2 din ke ander hi sab bacche ready ho gaye apni apni tests ke liye jo unhe dena tha Strange world mein jaane ko...test tha magic ka weapons chalane ka aur bhi kuch chizon ka...
Jab results aaye to Strange world ke log hairaan the...Earth ke saare bacche pass the..wo bhi acche numbers se...Ab jab aisa hua to school administration ne ek aisa faisla liya jiska kisi ko yakkin hi nahi hua...
Faishla ye tha ki Earth pe bhi iss school ka ek branch khola jaayega...Branch kulla aur padhayi shuru ho gayi....Par kisi ne ye nahi socha tha ki Earth k branch ek din Strange world ke branch se bhi aage nikal jaayega...jab aisa hua to IP madam ko Earth ke branch ka principal bana diya gaya...
Arre ye sab bahut pahle ki baatein ho rahi hai...base banana bhi to jaruri hai naa...aur thodi faltu ki bak bak aadat hai meri..
Ab hum aate hai Earth pe aur kahani humari yahi pe ghumegi jab jarurat ho tab bahar bhi ghum aaya karenge...
Year - 1976
Planet - Earth
Place- Imperial College, London
Ajeeb si ghatna hui thi yaha pe...jo iss college ke security, management sabko pareshan kar rahi thi unse puch rahi thi ye kaise hua...Yaha se acchanak se Students gayab hone lage...ek do nahi purre 23 students gayab...kisi ne unko bahar jaate hue nahi dekha tha...wo ander hi the collage ke hostel mein aur bas gayab ho gaye..Aaj tak unka pata nahi chala hai kaha gaye wo..
Year - 1989
Planet- Earth
Place- University of Calcutta
Yaha pe bhi aisi hi ghatna hui bacche gayab ho gaye iss university se...aur kisi ko bhi unka pata nahi chala...parents ne puri koshish ki par kuch pata nahi chala...
Ye to bas 2 jagahon ke naam hai Earth pe bahut se aise jagah the jaha se aise hi log jawan log jinki umar karib 19 - 20 saal hai wo gayab ho rahe the..aur unka kuch bhi pata nahi lag raha tha...
Kiska haath tha inn sab ke picche koi nahi jaanta tha...
Chaliye hum ek jagah chalte hai jaha sayad pata chal jaaye kuch...ye ek jungle hai bahut hi ghanna jungle...jiske centre mein ek guffa hai...Guffa ke ander se bas chillane ki aur hasne ki aawajein aa rahi hai...wo bhi bhayanak aawajein...
Jaise jaise guffa ke karib jaate hai waha kankal pade milte hai insano ke kankal jaanwaron ke kankal...thoda aur pass jaaane pe badbu aani shuru ho jaati hai aise bhayanka badbu ki puccho mat...aisa lagta hai 1000 chuhe mare pade ho yaha...
Guffa ke dwar pe ek murti jaisa kuch bana hua hai...dikhne mein to kisi inshan ki tarah hi lag raha hai...par usse lamba hai...ye Orion planet ke jaadugaron ki tarah dikh raha hai...Thoda aur aage jaane pe ek parchayi dikhayi di....jo kuch khaa rahi thi...aahhh aahhahaaa ye to ye to insan kha rahi hai ye ye to daayan hai....wo insan ko khati hai aur uske bacche hue kuch angon ko Body parts ko alag rakhti hai...jab uska khana ho jaata hai to wo apni jagah se uthti hai aur unn body parts ko Guffa ke dusri oor le jaati hai...yaha kuch bana hua tha...jispe makhhiyan bhinbhina rahi thi...ye to pura ka pura maans se bana hua hai...
Daayan uske upar wo bacche hue chizen lagati hai...aur pagalon ki tarah hasne lagti hai...
Daayan- Mera sapna mera sapna pura karega tu karega pura tu hihiihihihhii....bas aankhen hi baaki hai ab .....wo bhi laga dungi fir tujhe jinda karungi...hihihihiii...tu raja banega iss pure planet ka sabko apna gulam banayega tu tu bhi amar hoga...Amar hoga tu bhi...fir fir hoga badle ka khel shuru...pahle Earth fir Strange world fir baaki ke planets sabko sabko tera gulam banna hoga sabko...hihhihiiihii..
Wo daayan hasti, naachti hui aise hi baatein karti rahi...
Ab yaha rahna sahi nahi hai kya pata mujhe hi pakad le ye....
Ye jo kuch bhi yaha ho raha tha uska pata abhi tak kisi aur world ko nahi tha...Earth pe bhi jo magic school tha usko bhi bas itna hi pata tha insan gayab ho rahe hai....par ye to aam baat hai...yaha to insan maar kaat karte hi rahte hai..
Karib 2 din baad matlab Aaj to 15 July 2018 hai to ye ghatna 27 july ki thi...
Jab Delhi se ek ladka gayab hua...uske picche bhi issi Daayan ka haath tha....Daayan ne usko pakda aur wapas le gayi ussi guffa mein Guffa mein jaane ke baad pahle to Daayan ne uski aankhen nikali aur fir baaki ka kaam kiya uske body ke saath....
Aaj naa jaane kitne saalo ki mehnat puri honi thi iss daayan ki...usne uss maans se banne jo bhi tha wo uspe aankhen bhi laga di...aur fir wahi bhayank hassi...
Hasne ke baad usne guffa se bahar aake aasman ki oor dekha...grahan lagne hi wala hai to usne uss pathar ke murat ko ek baar dekha aur uske dekhte hi wo murat hillne lagi...Wo pather ji utha...usme se ek lamba chauda aadmi nikla....ji haa ye Orion planet ka jaadugar hi hai....
Jaadugar- Ye tum sahi nahi kar rahi ho Sofia...bahut hi khatarnak hai ye...
Sofia iss Daayan ka naam hai...
Sofia- Sahi galat kuch nahi hota Viraj....bas takat hi sahi hoti hai jo ye mujhe dega...
Viraj jaadugar kaa naam hai..
Viraj- Sofia baat maano meri....aahhhh..
Viraj kuch aur bolta usse pahle hi Sofia ne uska haath kaat diya jisse nikalte hue khoon ko wo ek katote mein jamma kar rahi thi...
Viraj- Sofia bahut galat hai ye tum bhi jaanti ho isse wo Amar ho jaayega..usko koi bhi maar nahi poaayega...Wo tumhe bhi nukshan pahucha sakta hai...
Par Sofia ko insab baaton mein koi dilchaspi hi nahi thi wo to bas lagi hui thi khoon ko ikkatha karne mein...jab uske jarurat jitna khoon aa gaya uske pass to usne Viraj ko wapas se pather banana chaha par iss baar Viraj ne ye nahi hone diya apne magic se wo waha se bach nikla...uske jaane pe Sofia ko jyada fark nahi pada jiski usko jarurat thi wo usko mil chuka tha...
Sofia ne Viraj ke khoon se pahle ek ghera banaya...uske bich mein uss maans se banne hue gudde ko rakha...fir khud ka haath kaat kar Viraj ke khoon ke upar dalne lagi...ussi ghere pe...Jaise hi ye ghera pura hua aur Chandragrahan laga...Kaali Safeed roshniyan Charo taraf se uss ghere mein aane lagi...aur wo shedha jaa rahi thi uss maansh ke banne hue gudde mein...Sofia ye sab dekh bahut khush ho rahi thi wo to bas naache hi jaa rahi thi....usko to uska sapna pura hote dikh raha tha....Chandragarahan khatam hua roshniyan bhi aani khatam ho gayi....
Wo Maans ka tukda ab ek jitta jaagta insan ban gaya tha...Insan haa insan Pritvi ke logo jaisa insan...Dekhne se hi jisko koi bhi dar jaaye...Par uska roop turant hi badal gaya aur wo normal logo ki tarah dikhne laga...
Aas paas usne dekha to bas wo Daayan yaani Sofia hi nazar aayi jo pagalon ki tarah naach rahi thi has rahi thi.....
"kon ho tum"
Sofia- Main main hu teri Maa tu tu mere har ek saone ko pura karega...tu tu mujhe ye puri duniya jeet ke dega...
"Maa "
Sofia- Haa Maa...Abhi to teri padhayi karwani hai par jab tu uss kabil hoga main apni vidya bhi dungi tujhe aur aur tu fir mere sapne pure karega...tera naam tera naam hoga...Slayer...
Slayer- Jaisa tum kaho Maa...
Haa to ye hai humara Villain....Slayer
Slayer ke ander Viraj ka khoon tha sath mein Sofia ka bhi matlab black aur white dono powers....upar se iska janm to hua nahi tha balki isko banayya tha Sofia ne to ye marne wala bhi nahi hai...par abhi dikkat ye thi ki iske ander wo shaitani nahi thi jo honi chahiye thi...ye shaitani to ab aate aate hi aayegi..
Aaj ke liye yahi tak...agle din dekhte hai ke Slayer kaise Magic school pahuchta hai...
Abhi kahani Villain ki hi chalegi...Ye villan jab bana hai tab se uski umar 18+ hi hai
Ye bhi ek wajah thi ki Sofia uss ghane jungle mein kyun rahti thi aur usne Viraj ko waha pe kyun rakha tha...uss ghanne jungle mein suraj ki roshani uss guffa ke pass naa ke barabar aati thi jiski wajah se Viraj ko uski shaktioyan yaa kahu khurakh nahi mil paa rahi thi...aur yahi karan tha unka pathar ka banna rah jaana..
Wo sab jaldi se Viraj ke pass aaye aur usko leker gaye uss gaon ke vaidyya ke pass....Viraj manna karta raha par kisi ne uski ek nahi sunni...
Sofia- Jab tak tu apni saari shaktiyon ko unlock nahi kar leta kisi ko bhi tere yaha hone ka pata nahi chalna chahiye...tujhe bhi ussi tarah chip ke rahna hai jaise main rahti aa rahi hu...aaj tak kisi ko pata nahi main kon hu yaha kab se hu...
Dumbledore ki jagah minarva principle haiUPDATE - 2
Ab tak....
Ab tak humne dekha ki kaise Slayer ko jinda kiya Sofia ne...aur uske through wo apne sapne pure karna chah rahi hai...
Ab aage
Raat to bas gujar gayi...aise hi...
Par issi raat mein ek aur ghatna hui thi....wo tha innsab ka aabhas hona...matlab ye ki IP jo i apne room mein so rahi thi acchanak se vatavaran mein aayi aisi hulchal se wo jaag jaati hai...Wo turant hi apne room ke khidki ke pass jaati hai bahar ki oor dekhti hai to usko bas andhera hi dikhayi deta hai aur kuch bhi nahi...Aashman ki oor dekhti hai to usko waha pe chandra grahan dikhati deta hai...
Aisa nahi tha ki usne pahle pritvi pe kabhi chandra grahan nahi dekha tha...usne dekha tha ye par aaj kuch ajeeb hi tha...aankhen band ki usne apni to usko aisa laga ki koi apni taraf bahut saara Aura(Energy) khinch raha hai...iss energy ki maatra itni thi ki ye koi ek magical creature nahi kar sakta tha....IP ne uss oor nazar dhyaan lagana chaha to uska dhyaan toot gaya...ye aurbhi ajeeb tha aisa uske saath pahle kabhi nahi hua tha...usne fir se koshih ki par iss baar bhi nakaamiyab..
Usne ek last baar fir se ye karna chaha to usne paya ki ab koi Aura(energy) transfer nahi ho rahi hai...aasman ki taraf dekha to chandra grahan khatam ho chuka tha...
Ye sab dekh wo ye sochne pe majbor ho gayi ki ye sab....chandra grahan ke karan hua hai....par usne iske baare mein Strange world ke Magic school ko khabar dena bhi sah samjha...
Usne ek kagaz pe jo bhi usne mehshoos kiya wo sab likh diya aur pass mein jal rahi aag mein usko daal diya...
Jab kagaz jal raha tha wo kuch budbuda rahi thi...
Thodi der mein kagaz jal gaya...aur wo wahi baith ke intezar karne lagi...pata nahi kis chiz ka intezar karne lagi wo....
Karib 10 minute baad uske kamre mein dhunwa failne laga...matlab smoke....aur saath hi mein ek aawaj bhi gunji..
"IP aapka sandesha Magic school ke head tak pahuch gaya hai wo jald hi aapse sampark karenge..."
Ye aawaj waha room mein gunji aur fir wo smoke gayab...
IP ne apna kaam kar diya tha auur wo wapas se apne bed pe jaakar baith gayi....
Inko yahi chod hum ek aur janab ke pass chalte hai jo ki ghayal hai abhi...ji haa baat ho rahi hai Jaadugar Viraj ji ki...wo Sofia ke yaha se bhagne ke baad pahuch gaye ek gaon mein...insano ka gaon...abhi bhi uske haath se khoon bahta jaa raha thaaur usko pata tha ki iska ilaz shubah se pahle hone se raha....Shubah iss liye kyunki suraj ki roshni jab padti hai Orion ke logo ko to wo takatwar ho jaate hai..unki shaktiyan badhne lagti hai...
Ye bhi ek wajah thi ki Sofia uss ghane jungle mein kyun rahti thi aur usne Viraj ko waha pe kyun rakha tha...uss ghanne jungle mein suraj ki roshani uss guffa ke pass naa ke barabar aati thi jiski wajah se Viraj ko uski shaktioyan yaa kahu khurakh nahi mil paa rahi thi...aur yahi karan tha unka pathar ka banna rah jaana..
Jab Viraj uss gaon mein pahuche to ek chor se unki takar ho gayi..wo chor wahi pe gir gaya aur girne ki wajah se jamin pe pade ek pather se usko choot lag gayi...jiski wajah se cheekh nikal gayi chor ki...
Ab raat ke waqt koi cheekhega wo bhi gaon mein to log to jaagenge hi naa..bas fir kya tha log jaaag gaye aur awaj wali jagah ki oor jaane lage...
Wo chor utha aur usne Viraj ke galle ke pass chaku laga diya...
Gaon wale tabtak waha pahuch chuke the..aur unhone jab saamne ka nazara dekha to ye samjhe ki chor ne iss musafir ke sath aisa kiya hai uska haath kaat diya hai...\
Gaon wale gusse mein uss chor ki taraf badhne lage...
Chor- aage aaye to ye gaya...wahi rahna...
Chor ki iss harkat pe naa chahte hue bhi Viraj ke chahre pe mushkan aa gayi....ek hi haath se usne chor ko aisi patkani di ki chor dher ho gaya...uske baad baaki kaa kaam Gaon walo ne kar diya...
tabhi kuch logo ki nazar padi Viraj pe aur uske katte hue haath pe....
Wo sab jaldi se Viraj ke pass aaye aur usko leker gaye uss gaon ke vaidyya ke pass....Viraj manna karta raha par kisi ne uski ek nahi sunni...
Vaidya ke pass jaane par Vaidya ne uske ghaw ko dekha...fir apne pass padi kuch paudhon ke lep ko uske ghaw pe laga diya...
Vaidya- Ye khoon rok dega tumhara...par iska ilaz hospittal mein hi karana hoga...
Viraj-Ji theek hai...
Viraj ko unn sab gaon walo ka caring nature bahut hi accha laga....
Unn gaon walone usko raat gujarne keliye jagah bhi di....
agle din...
Shubah hui...
Sofia bahut hi jyada khush thi apne sapna pura hone ke baare mein soch soch kar....
Usne Slayer ko uthaya aur fir usko shubah se hi wo basic baatein batane lagi samjhane lagi jiska pata hona Slayer ke liye jaruri tha....unke binna uska admission namumkin sa tha Magic school mein...
Sofia ne Slayer ko bataya ki wo usko agle 3 din tak usko kuch baatein batayeingi jiska usko dhyaan rakhna hai...
Slayer taiyaar tha...
Sofia ne sabse pahle to usko black energy aur white energy ke baare mein thoda thoda bataya...fir usko dhyaan lagana sheekhaya...saath hi ye bhi bataya ki kis tarah dhayyan lagane se dono hi energy samanya roop se usme badhti rahegi...
Sofia ne usko kuch aisi bhi baatein batayi jaise ki agar uske sharir ke ander ka black energy wahite energy se bahut jyada badh gaya to uske liye wo khatra ban sakta hai...khatra iss roop mein ki Earth ke Magical creatures ko uske hone ka aabha ho jaayega...jo ki abhi nahi hona chahiye....
Sofia- Jab tak tu apni saari shaktiyon ko unlock nahi kar leta kisi ko bhi tere yaha hone ka pata nahi chalna chahiye...tujhe bhi ussi tarah chip ke rahna hai jaise main rahti aa rahi hu...aaj tak kisi ko pata nahi main kon hu yaha kab se hu...
Sofia ne fir usko kuch hathiyaar chalana aur nihanebaazi ki bhi training di...saath mein kuch jaadu ke bhi...
Innn 3 dinno mein aise hi aur kahi baatein Saofia ne Slayer ko batayi...
Wahi inn 3 dinno mein IP ko koi jawab nahi aaya tha strange world se sayad waha ke principal kuch jyada hi vyast ho gaye honge....Wahi Viraj ka haath thik ho gaya tha aur wo uss gaon ko chod chla gaya tha par usne Earth nahi chodi thi...wo kisi chiz ke talash mein lag gaya tha...ab wo kya hai ye to wahi jane..
Next day...
Aaj wo din tha jab Sofia ne Slayer ke admission karwane ke liye...usko uska roop badalne bola....usko ek warewolf banne ko bola aur wo khud bhi roop badal kar ek warewolf ban gayi...Sofia roop badalne mein bahut maahir thi...iske iss shakti se Sofia ne kya kya kiya hai wo aage ke updates mein dekhne ko milega...
Dono Maa bete Warewolf banke...chal pade Magic school ki oor...
Magic school mein pahuch kar waha ke pricipal yaani Ip ke office ka pata le dono hi pahuch gaye unke office mein....
Jab dono ander aaye to IP ne unko dekha...dekha nahi ghoora kahiye...kuch der ghoorne ke baad
IP- Ji bliye kya kaam hai...
Sofia- Ji ye beta hai mera Slayer iko yaha admission dilana hai...
IP- Ek aur hybrid....
IP ka hybrid bolna tha ki Sofia ko jhatka laga...usko ummid hi nahi thi ki koi ye jaan paayega ki Slayer alag hai sabse...
Sofia- Hybrid...nahi nahi ye koi hybrid nahi hai...
IP- Pata nahi aap kyun jhoot bol rahi hai par ye ek hybrid hi hai...iske ander aapki black energy ke saath sath iske pita yaani aapke pati ki White energy bhi hai...aur isse saaf pata chalta hai ye hybrid hai...
Sofia ko pata chal gaya ki ab thoda drama karne ki jarurat hai...to wo shuru ho gayi...aankhon mein aashu liye apni kahani shunani shuru ki usne...
Sofia- Ab kya bataun aapko...ek jaadugar ne mujhe apne pyaar ke jaal mein fasa liya aur yaha le aaya aur....aur mere saath.....
Itna bol wo rone lagi...
IP ne turant hi Slayer ko bahar jaane ko kaha...
Slayer bahar chala gaya...
IP- aap roiye mat puri baat bataiye...aapke bete ko bahar bheja kyunki sayad ye sab...
Sofia- Haa samajh sakti hu...aapko pata hai uss jaadugar ne naa sirf mujhe pregnent kiya balki mujhe chod ke bhi bhag gaya...main main Dark world ke niyamon ki wajah se yahi ki ho gayi....aur ab bas....ab bas itni si iccha hai ki mera beta padh likh jaaye aur yaha Pritvi pe hi sahi par acchi jindgi bitaye...
IP thodi emotional type ki thi...par ye kisi ko dikhati nahi thi wo...
IP- Ji aapki iccha jarur puri hogi...main aapki har mumkin madad karungi...
Sofia apne drame mein kamiyab ho chuki thi...Sofia ke shahre pe ek shaitani mushkan aa gayi..
Sofia- Ji shukriya bahut bahut shukriya..
IP- dehi main aise hi uska admission to le nahi sakti maana main principal hu par yaha ke bhi niyam hai...aur unhe follow to karna hi hoga...
Sofia- Ji main samajh saktu hu...
IP ne ek kitab Sofia ko di aur kaha ki isme ek form hai usko bharna hoga...fir apke bete ko ek test ke liye bulaya jaayega...agar wo pass hota hai to aapka beta yaha padh sakta hai...
Sofia - Ji form to main abhi bhar dungi par ye test kab hoga...
IP - Test 2 din baad hoga...
Sofia ye sun udas ho gayi...
IP - Kya baat hai..
Sofia- JI baat aisi hai hum dono yaha bahut hi door se aaye hai...
IP- KOi baat nahi main ek kaam karti hu aaj hi apke bete ka test karwa deti ju...itna to main kar hi sakti hu...bas aaap jaldi se ye fiorm fill kar dijiye...
Sofia khush ho gayi...khush hone ki 2 wajahein thi ek ye ki Slayer ka admission aaj hi ho jaayega...dusri ye ki usko wapas se iss IP ke samne nahi aana padega...sach pucho to Sofia ko IP ke aankshon se dar lagne laga tha...jis tarah usne unn dono ke ander ke energy ko pahechan liya agar wo puri koshish lkarti hai to pakka Sofia ki asliyat usko pata chal jaayegi....
Sofia ne jaldi se form bhara wahi IP ne Slayer ke test ki taiyaaari karwa di...
Slayer ka test lene School ke hi ek teacher aaye the...
Teacher - To Slayer...tum taiyaar to hoge hi ab main tumhe iss test ke bare mein ek baar fir se apni taraf se batana chahunga...Iss test mein 3 rounds honge..1st round...magic round...isme tumhe jaadu karke dikhana hoga....Darne ki baat nahi hai tumhe bas chte mote jaadu hi dikhane hai naa ki Orion walo ke barabar jaadu....2nd round...hatiyar chalana aur nishanebazzi...3rd round...iss round mein tumhe kuch chizon se bachna hai unn chizon se jinse tumpe hamla hoga....Darna nahi tumpe pani ke gollon se hamla hoga aur kisi chiz se nahi....Ab ye bhi sun lo ki aisa test kyun to hamare school ki ye soch hai ki sabko pahle har chiz ka basic bataya jaaye...yaha har chiz se matlab hai jaruri chizon ka...baaki unke ander jo talent hai unko to hum nikharte hi hai aage.....
Teacher ne usko saare rules aur naa jaane kya kya bataya...
Ab shuru hua test....
Sabse pahle magic ki baari...Slayer ne magic dikhaya apni ungliyon ke isharon pe chizon ko yaha se waha karne ka jaadu....Teacher isko dekh bahut jyada impress ho gaya...fir baari aayi hatiyar chalane ki aur nishane baaji ki isme bhi usne kammal kar diya...jab 3rd round ki baari aayi to usne kuch aisa kiya ki teacher ko samajh hi nahi aa raha tha ki kya bole..
Teachers ne jaise hi paani ke golle fenkne ke liye kahha...to paani ke golle aane lage Slayer ke paas par ye to hill bhi nhi raha tha...jaise hi ye paani ke golee iske bahut paas aaye isne aankhen band kar li aur iske sharir se acchanak se bahut hi jyada garmi nikalne lagi itni ki wo saare baani ke golle evaporate ho gaye...aur ye dekh teacher ke hosh udd gaye...
Wo khud ko sambhalte hue Slayer ko bahar jaa ke intezar karne ko bolta hai...
Wo report banata hai iss test ka aur saath mein Slayer ki taarif bhi likhta hai usme aur uss report ko bhiljwa deta hai IP ke paas....
IP bhi report dekhti hai aur khush ho jaati hai...wo to ye soch rahi thi ki wo help kar rahi hai ek jaruratmand ki...
IP uska admission grant kar deti hai aur ye baat Sofia ko bata deti hai...Sofia waha se uska shukriya karte hue chali jaati hai...Slayer ko kuch baatein kahke...
Slayer ko school ke hostel mein uska room mil jaata hai aursaath hi mein uske padhayi mein lagne wali chizen bhi...
Aaj ke liye agle update mein shuru karenge school ke structre se saath hi dekhenge Slayer ka school mein pahela din...
Banne rahiye...
.... Waise budhiy aur uske bete ko pahchan gayi .. BTW log kaise yahan jite hain kaisa mahol hai.... Like vemp aur wolf ka to physical Mela rela to kahin b ho jata hai... Werewolf ko to kapdon se b nafrat hoti hai aur vemp kafi modern kapde pahne hai.... UPDATE - 3
Ab tak
Slayer ka admission ho gaya tha....Sofia usko waha pe chod kar chali gayi thi...
Ab aage
Pahle shuru karte hai Magic School ke structure ke baare mein...
Ye school bilkul Strange world ke school jaisa hi tha....
Jungle ke bich mein ek bada khali sa maidan....jaha har waqt kohra hi kohra rahta hai....Agar insan chahe bhi to apne sattelite se naa dekh paaye uss jagah ko...aur jungle ke bich mein hai to aaj tak koi aaya hi nahi...agar aa bhi jaaye to yaha ke jaadu ki wajah se kuch naa dikhega jabtak wo uss sima ko paar naa kar le...
uske baad bhi agar koi aaye to bhi kuch naa dikhega unko kohre ki wajah se...ye kohra issliye tha kyunki School ke charon taraf Nadi thi....isko nadi bole yaa kya pata nahi jo bhi tha usse School charon taraf se ghira hua tha...Haa ek aur chiz thi iss jagah se thodi hi duri pe aur wo tha iss Magic school ka khud ka stadium jaha saare programs hote the...par wo bhi insano ko kabhi nahi dikhega...
Ye tha bahar ka....Ab ander ka dekhte hai to nadi se shool ke pass tak jaane ke liye aapko boats ka use karna hota hai...boats se hote hue jab aap school ke pass utarte ho to.. shuru mein aata hai Entry gate, bahut bada gate tha ye....aur khass bhi...gate mein bahut se murtiyan banne hui the...inn murtiyon ki bhi khasiyat hai...ye pather ki murtiyan shuraksha ke liye hai iss school ke....ye baat alag hai aaj tak jarurat nahi padi hai isko istemal karne ki...
Gate se ander jaate hi aapke saamne 4 badi badi buildings nahi nahi castles kahna sahi hoga haa castles milti hai...wo bhi char....charon hi ek dusre se bilkul hi alag...
Naam bhi dekh lete hai...
Castle A - ye hai administration block....ab aage kuch batane ki jarurat hi nahi hai...ji haa yahi pe hote hai saare administrative work...yaha pe sabhi staff members ke liye alag alag cabins banne hue hai...aur bhi jo unke liye jaruri hota hai...
Castle H - ye hai hostle matlab students ke rahne ke liye castle...sabhi bacche yahi rahte hai...unka khana pinna sab yahi hota hai...
Castle M - iss castle mein sabhi tarah ke magics ki siksha di jaati hai...
Castle W- Yaha pe warfare ki...
Ab kuch aur baatein jo jaani jaruri hai...
Castle H mein students ke wo 3 groups alag alag blocks mein rahte hai...jinka naam unke groups pe hi hai...
Groups iss tarah se hai...
Pure
Half
Minors...(Ye group bas Earth pe hi hai naaki Strange world mein)
ye bilkul kisi caste system ki tarah hi tha...iska virodh bahut waqt se ho raha tha...khud IP madam aur bahut se teachers iske against the...par faisla Strange world ke principal ko lena tha jo ki iss baare mein kuch bhi nahi bata rahe the...ab iske picche kya karan tha ye to wahi jaane..
Hmm to hum ye dekhte hai kis aadhar pe baata jaata hai yaha pe baccho ko...
Agar aap mein bas ek hi tarah ki energy ho chahe wo kaisa bhi ho wo Pure group mein aata hai...
Wahi agar aapke ander 2 tarah ki energies hui to aapko Half mein bheja jaata hai...matlab aap milawat wale ho yaani hybrid...
Minors ka concept sirf Earth pe hi hai...Minors unko kaha jaata hai jine Mata Pita dono mein se koi ek insan ho...
Haa aisa bhi hota hai yaha kuch magical creatures insano ke sampark mein bhi the...wahi pyar vyaar etc...inn jaiso ko School mein aane ki ijjajat abhi kuch saal pahle hi milli hai wo bhi naa jaane kitni mushkil se..
Ye ho gaya School ka structure...aur uske baare mein...
Ab hum dekhte hai Slayer ko ki wo kya kar raha hai....
Slayer kyunki Hybrid tha uske pass 2 tarah ki energies thi to usko Half group mein rakha gaya tha...
Kal se classes shuru honi thio uski...
Sofia ne jaate jaate usko kah diya tha ki wo jab tak Slayer aaa nahi jata tab tak ke liye yaha se Dark world aur Demos planet pe jaa rahi hai...waha se uske liye powers aur kuch khass chizo ka intezam karne...
Haa yaha bhi wo binaa passport wala tarika hai ek planet se dusre planet pe jaane ka ussi tarike se wo bhi jaane wali thi...
Room mein 2 bed the matlab ek uska room mate bhi hoga...wo bhi ek hybrid hi hona chahiye tha...
Slayer apna saman jo kuch bhi usko school se milla tha aur ek do chizen jo usko Sofia ne di thi wo sab sajane laga...issi mein uska waqt beet gaya....
Raat ka samay hua usko khane ke liye bulaya gaya...
Khane khane ke liye ek bada saa haal tha jaha sabhi baccho ko ek saath khana diya jaata tha...yaha ka ye niyam tha ki sab apne apne group ko alloted table pe hi baithenge....
Slayer ka gaya apne group ke baachon ke pass aur kisi Pure group wale ne apna pair fassa ke usko girra diya....
Slayer ko gussa aaya wo chahta to abhi uss pure group wale ka bura haal karta par....uske aisa kuch karne se pahle hi ek ladka aaya aur usko waha se utha ke le gaya...
Ladka- Ye ab aise hi hai jab dekho humare aur minors ke saath aisa karte rahte hai...tumhe chot to nahi lagi...
Slayer ne pahle to uski oor dekha wo bhi ek warewolf tha...
Slayer- Nahi main thik hu...
Ladka- Waise pahlke dekha nahi tumhe kahi...naye ho kya tum....
Slayer- Haa....mera naam Slayer hai...
Ladka- Aur mera naam Parth hai...chalo waha chalte waha table khali hai...
Slayer jisko yaha koi nahi jaanta tha usko koi mil gaya tha...jiske jariye wo yaha ke baare mein sab jaan sakta tha...
Dono baith ke khana khane lage...itne mein ek Pure group wale ne apna jutha khana Slayer ki oor fenka...ye yaha aam baat thi...aur innhi sab ko lekar IP madam aur baaki sab virodh karte the ki iss group wale system ko hataya jaaye par....khair chodiye...
Jis Pure group wale ne ye kiya tha...kuch der baad uske upar sirf aur sirf khana hi girra hua tha...
Slayer ki chizon ko move karane ki powers se to aap sab parichit hi hai...ji ussi ki madad se usne ye kiya...
JAise hi uss Pure blood wale ne apna jootha khana Slayer ki oor phenka...Slayer ne uss chiz ko mehsoos kar liya...apni aankhen band ki usne aur anguliyon ke ishare se sabse pahle wo khana wapas se ussi lake ke muh pe de maara...tab bhi uska maan nahi bhara...usne Half group ke sabhi baccho ke thali se thoda thoda khana uthaya aur uss ladke ke upar giraaa diya...par bande ko kkhusi mille tab naa same kaam usne minors ke khane ke saath bhi kiya aur iss baar naa sirf uss Pure blood wale bande pe balki uspe bhi jisne apna pair fansa ke usko giraya tha...par bande ko khusi nahi milli puri tarrah se...
Uski nazar kachre ke dabbe pe gayi...par abhi powers kam hone ki wajah se wo usko utha nahi paya...
Ye sab jab hua to mahool hi badal gaya uss jagah ka...abhi kuch ho usse pahle hi staff ke log aa gaye waha aur sabko shanti se khana khane ko kaha....aur unn dono Pure blood walo ko waha se baharbhej diya khud ko saaf karne ko...Dono hi Minors group aur Half group ke baccho ko ghurte hue bahar nikal gaya...
Slayer sab bhul ke aaram se khana khane laga....
Khana khatam karke sab apne apnme room mein chale gaye...
Jab Slayer room mein jaa raha tha tabhi usko pata chala ki Parth hi uska roommate hai...isse Slayer ko jayda fark nahi pada...par Parth wo bada khush hua naya dost bana ke....
Par usko kya pata tha ki ye dosti usko kaha tak leke jaayega...
Raat hui dono soo gaye....
Aaj ke liye itna hi ab agle update mein dekhte hai wo class ka chakar aur ek intrsting part bhi hai...

Mazedaar update bhai maza aa gya
UPDATE - 83
Sham ka waqt tha......Daksh Mama ne apne ek pados mein rahne wali insan ko Pankaj ka dhyaan rakhne ko bola tha.....aur thodi hi der pahle unko call aaya tha ki Pankaj ke haathon mein dard ho raha hai......wo nikalne ko hue hi the ghar ki oor ki tabhi......
Tabhi Principle ne unko apne saath aane ko kaha.......Mama ji usko samjhana chahte the.....par wo ye bhi jaante the,......jitna waqt usko samjhane mein lagega usse pahle hi wo uski baat sunn lenge aur jaldi se nikal lenge waha se......
Principle sir Unko leke Medical department mein jaate hai.......
Principle - Dekhiye Daksh ji......aapko pata hi hoga......RajKumari Madhu ki jimmedari aapko di gayi hai......
Daksh - Ji Main iss baat ko jaanta hu.....
Principle - Hmm to ab aap ek aur baat sunn lo.....tum bhi jaante ho Pankaj ke baare mein.....main bas madad karna chahta hu tumhari.....maine sunna wo ekdum se akela hai....ye Raj kumari bhi akeli hai....ye dot ban sakte hai......isse tumhe bhi kam pareshani hogi....aur upar se ye Rajkumari hai......sayad Pankaj mein aur acche badlaaw aa jaaye....
Daksh - Main koshish karunga......par ye chizzen thoppi to nahi jaa sakti naa.....maine koshish kari thi ek baar thopne ki par kaargar naa hui wo....
Principle - Hmm theek hai jaisa tum chaho.....
Daksh - Theek hai to Main chalta hu...meri jarurat ho to aap jaante hai mujhe kaise bulana hai......
Itna bol waha se Daksh Mama nikal gaye.....
Thodi hi der baad hum sab bhi ghar ko nikal liye........waha pe meeting jo hone wali thi......
Pahle to sabne khana khaya uske baad Dada ji ne sabhi ko hall mein aane ko kaha.....Nikita Nana Nani ke yaha jaa rahi thi par usko bhi rokk liya........jab wi ye sab kar rahe the tab Dadi unko ek baar aur sochne ke baare mein bol rahi thi.....par unhone tay kar liya tha......
Dada ji - sayad tum sab hi ab wo shaitano wali baat jaante ho.....humne ye sab is wajah se chuppaya kyunki humko laga ye chapter kabhi wapas nahi aane wala ab.....lekin aisa nahi hua....Main mudde pe aata hu......Hum sab ab unn shaitano ke pass jaayenge aur unko khatam karenge.....main tum sab ko mauka dena chahta hu isme aane ka.....par ye koi jabardasti nahi hai.......nahi aana to mat aaiye aana hai to aa jaaiye....
Bua - aapne siddhe khatam kar dena hai aisa kyun kaha......manna wo shaitaan hai par itna waqt ho chala hai aapko nahi lagta koi badal gaya hoga.....
Dadi - ye sab bhi wajah thi......naa batane ki......wo saitaan hai unka yaha rahna theek nahi hai.....
Mujhe pata nahi kya hua tha......sar pe chott lagi ho.....yaa dimmag kharab ho gaya ho.......
Main - Dadi rahna to hamara bhi theek nahi hai iss jagah pe......ye insano ki jagah hai......hum yaha kyun rah rahe hai.....
Maine jaise hi ye bola sabhi ke sabhi mujhe hi dekhne lag gaye.......
Dada ji - Chako theek hai hum pahle ye pata karenge ki kaun kaha par hai aur kya kar raha hai.....uske baad dekhenge ki agar wo khud jaana chahte to hum unki madad karenge unko maarenge nahi.....ab dekho.....iss kaam ka aadha hissa humne pura kar liya hai......
Itna bol ke unhone apne jeb se koi god ball nikali.......aur usko wahi pe rakhe pani ke glass mein daal diya......
Glass mein jaate hi ball chamakne lag gaya aur hamare charo taraf ek nille roshani ka ghera ban gaya......
Nikita - Kya.....ye....
Dadi - Haa meri bacchi ye wahi hai jo soch raho ho tum......ab yaha se main batati hu......iss nakse pe......ye lal dots dikh rahe hai.....yaha pe......waha pe.....aur dekho wo nicche bhi hai kuch.......ye un saitaano ke locations ho sakte hai.....
Bua - Ho sakte hai ka kya matlab......matlab aap confirm nahi ho.....
Dadi - Confirm hote to abhi yaha pe nahi hote hum......ye bas probable areas hai jaha pe wo ho sakte hai.......ye wala dekho........Nikita kuch yaad aaya isse.......
Nikita - ye to.....ye to sayad.....wo jungle hai jaha Pankaj.....
Dadi - Haa wahi hai.......ye wala saitaan wahi rahta hai.....jisne ham;a kiya tha tumpe.....par tum waha gayi kyun thi.......
Nikita ne Dadi ko bataya kaise wo K.Bua aur Pankaj ka piccha kar rahi thi aur waha pahuch gayi aur usne kya kya dekha waha pe......
Dadi - tum dono hi khushkismat thi uss Pankaj ne baccha liya.....warna....waise ye Kavita nahi aayi.....arre haa kaam tha naa usko kuch.....
Abhi Dadi ne baat puri hi kari thi ki bell bajti hai......Chachi jaake darwaja kholti hai aur waha pe K.Bua hi thi....
Hum sab bas unhi ko dekh rahe the.....
K.Bua - aise kya dekh rahe ho.....pahle kabhi dekha nahi kya.....
Rupal - Aapki baat kar rahi thi abhi Dadi aur aap aa bhi gayi.....wo kahte hai naa....Naam liya aur Shaitaan haazir....
K.Bua - Aee Rupal tera saitaan main banati hu.....
Dadi - Aeeei.....chalo baitho yaha......ab sab wapaas se batana hoga.....
Dadi ne wapas se sab kahani sunayi aur fir humko hamare hisse ka kaam bhi diya gaya.....
Kaam ye tha ki humko dotted jagahon ke aas pass bas pata karne jaana tha ki waha pe koi ajeeb se ghatna ho rahi hai yaa nahi......
Meeting khatam hui sab apne apne room mein chale aaye.......
Main to ye kaam aaram se kar deta...... par wo Old Owl chutti pe chala gaya tha......Strange world mein bhi usne apne bas kuch hi logo ko rahne ko bola tha.....baaki sabhi ghar chale gaye the.....
Main soch raha tha ye kaam khud se hi karna hoga tabhi Nicche aawaj aati hai......Chacha Dada-dadi ko bula rahe the......Main bhi nicche chala gaya......dekha to sabhi pahuche hue the....bas wo Nikita.....wo to chali gayi thi naa.....
Chacha - Elf Country ke Yuvraj ki......uske naam ka warrent nikala hai Demos pe......
Dadi - Kya baat kar rahe ho......Demos pe warrent....aisa kya kar diya tha usne.......Prateek......DB ko iss baare mein pata hai kya.....
Chacha - Arre Maa abhi khabar aayi hai ye......Strange world mein hungama maccha hua hai......kuch kah rahe hai usne jarur kuch accha kiya hoga....aur kuch bura bol rahe hai......par ab jo bhi hona hai court hi karegi......
Main - Warrent se kya hona hai......aur isko leke itna kya hungama.....
RUpal - Aree chotu.....wo DB ka cousin......Yuvraj hai......Yuvraj samajhta hai naa aane wala Raja......ab uske sambhandh agar wo Demos se acche hue.....to bhi strange world ko fark padega aur bure hue to bhi....par yaha pe mudda ye hoga ki kyun waha pe warrent bana hai.....
Main - waise ye to accha hi hua.....sayad usko Yuvraj ke pad se hatta de.....DB wapas se jaa sakta hai......
Bua - Tum nahi samjhoge ye Politics hai.....Bhaiya.....iss baat se abhi to koi fark nahi padne wala humko......abhi isko rahne hi dete hai.....
Wahi Strange world mein......
Jaise hi iss baat ka pata chala ki Elf Country ke Yuvraj ke khillaf ek warent banna hai Demos mein to sab shocked rah gaye.......Ek to pahle ye records ke hisab se kabhi Demos gaya nahi tha.....dusra agar gaya bhi.....to aisa kya kaand kar aaya isne......iske kaand se hi dono planets ki aapsi understanding pe prabhaw padne wala tha......
Pahle to iske liye Elf King ne raat mein hi sabha bula di......
Elf king ki baat kare to pareshan wo bhi the........unhone bas sunna tha ki unka bhatija unko dhokha de raha tha.....ab naa chahte hue bhi yakkin karna padd raha tha unko.......Demos pe Yuvraj kabhi gaye hi nahi the....to waha pe kyun warent nikala gaya......agar Elf king ko ye khabar naa hoti ki ye dhokha de raha hai to abhi wo khud higher court mein jaate iske saath.....par yaha abhi wo khud confirm nahi the.....
ELf King - Kya tum kabhi Demos ki Seema ke uss par gaye ho.....
Yuvraj.......isko bhi samajh nahi aa raha tha aakhir kyun.......sayad uss pather ki wajah se.......sayad Justin ko iss baat ka bura laga ki usne wo pather kho diya.....aur wo itna gussa ho gaya ki usne itna kuch kar diya......
Elf King - Kya tum kabhi Demos ki seema paar gaye ho......jawab do......
Yuvraj - haa......
Elf king - aur ye records mein kyun nahi hai......tumne kisi ko iski khabar kyun nahi hone di.....kya wajah thi tumhari waha jaane ki.....
Yuvraj - Iss baare mein main nahi bata sakta.....
Elf King - tum apne Raja ko manna kar rahe ho......iske saare adhikaar isse chinne jaate hai.......isko higher court le jaane ki taiyaari karo.....aur ye ek gunehgaar ki tarah hi jaana chahiye.....Sabha sthagit.......
Elf king ko jaise bas wo Haa hi nahi sunni thi jo Yuvraj ne kaha......jaise hi unko iss baat ka pata chala ye waha jaaya karta tha.....unhone khatam kar diya iss baat ko....
Yuvraj se saare adhikkar chinne jaa rahe the....wo wahi khada tha......waise wo kuch kar sakta tha abhi.....par uske baad ka soch wo waise hi raha.....wo sayad samajhna chahta tha ki aakir uske saath hua kya hai.....kyun Justin ne aisa kiya.....
Inn sab ke alawa......Strange world mein Nix samuday mein log pareshan the......Madhu jab se gayi thi tab se koi khabar nahi aayi thi uski......Pujari ji ne contact karne ki koshish kri par kuch pata nahi chala.....par iske wajah se sab paresan nahi the.....baaki sab ke pareshan hone ki wajah unke devta ki murti ke aankhon se paani aana tha....Jaise hi Madhu waha se nikli.....uske bad se murti ke aankhon se paani gir raha tha......wo sab samajh hi nahi paa rahe the aakhir aisa kyun ho raha tha.....Pujari ji ne bhi ye dekha tha.....par unhone kuch jal Phool chadhaye apne Devta ke murti pe.....aur waha se chale gaye.....saath hi kisi ko bhi abhi mandir mein naa jaaane ka aadesh bhi de gaye the......iss wajah se to aur bhi log pareshan the.....
Pujari ji koshish kar rahe the ki wo pata kare kaha hai Madhu.....binna kisi ko pata chale....par wo kamiyaab nahi ho paa rahe the.....anntatah unhone ye soch a ki wo khud jaayenge waha pe......par iss jagah ko bhi aise chod wo jaa nahi sakte the khaas kar iss waqt pe.....wo wapas se kuch jal Phool leke mandir ke pass pahuche.....waha pe logo ne bhidd laga rakhi thi.....
Pujari ji - Maine aap sab se kaha hai aaj ander nahi jaana hai....phir bhi aap sab yahi pe hai......
"kya humne jo sunna wo sach hai Pujari ji......kuch logo ne...."
Pujari ji - Haa wo sach hai......par aap sab shant rahe.....aur apne apne gharo mein jaake aaram kare......Main iss baat ka pura khayal rakh raha hu....
Naa chahte hue bhi unko waha se jaana hi pada.......
Pujari ji wapas se Murti ke pass aate hai....abhi bhi aashu aa hi rahe the usse......Unhone waha pe apne saath laaye hue Jal phool chadaye.....
Pujari ji - Madhu ka koi pata nahi chal raha hai.....Main nahi jaanta wo theek bhi hai yaa nahi......kyunki agar wo hoti to jawab to deti.....Main iss baat ko aappe chodta hu.....
Pujari ji ne ye baat kahi aur waha se mudd gaye......
Jo aashu abhi uss Murti ke aankhon se aa rahe te....wo chamakne lage......aur Mandir se bahar nikal gaye....fir unhi Guffaon se.....jaha se Madhu gayi thi.....wahi par se wo gayab ho gaye.....
Pujari ji jo picche mudde hue the....unke haathon pe bhi unn aasunon mein se ek boond girra.....aur wo wapas mudd ke dekhne lage.....Murti se aashu aana band ho chukka tha....Pujari ji jaldi se bahar gaye aur waha se.....kuch aur jal Phool leke ander aaye...aur unko Murti ke saamne rakh diya.....aur waha se nikal gaye.....
Ye Aashu wali baat tab ki hai Jab Prateek aur uske ghar wale khana khaa rahe the......Matlab K.Bua uss waqt apne department mein hi thi....aur dusre marizon ko dekh rahi thi.......
Wo aanshu ki bunde jab Earth pe aayi.....to kuch logo ko pata chal gaya tha unka.......Leemi jiss Guru ji ke pass rahti thi.....unko pata chala tha aur kuch aur log bhi the jinko iski khabar hui......
Wo aanshu ki bunde siddhi Medical department mein hote hue......Madhu ke pass chali gayi.......wo aashu......uske chahre pe paani ki bundon ki tarah girre.....
Ek ladki.......ek ladke ke saath ek bagiche mein tahal rahi thi.....dono aapas mein baatein kar rahe the.....picche ek baht bada sa mahel jaisa kuch dikh raha tha......aur aage ek ped tha......dono chalte jaa rahe the uss ped ki oor......
Kabhi ladka kuch kahta aur dino hasne lagte to kabhi ladki.....kabhi kabhi Ladka kuch aisa kah deta jisse ladki ko gussa aa jaata aur wo ladke ko halke se maarr deti......to kabhi ladki usko chidati thi.......
"Tumhe hosh aa gaya......tum theek ho naa......Arre sunno.......Principal sir ko khabar karo inko hosh aa gaya hai......aap baitho mat.......leti raho.....paani piyogi aap....."
Madhu - ummmmm.....main.....main kaha hu,....ye ye kaun si jagah.......
"Tum Earth pe ho......Magic School tumhari nayi school.....tum yaha padhne aayi ho.....Tumko yad hai naa sab kuch....."
Principal - Kavita......hosh aa gaya RajKumari Madhu ko.....aap theek hai RajKumari......
K.Bua - ji sir.....abhi hi hosh aaya hai.......
Principle - ek baar isko check karo.....Main tab tak Daksh ko bulla deta hu.....wo mill lega isse......aapka dhyaan Daksh hi rakhenge....wo yaha ke Prof hai.....
Madhu ko pahle to kuch samajh nahi aa raha tha par phir itna sab sunne ke baad wo ye samajh gayi ki wo Earth pe pahuch chukki hai.....aur ye baat.....ye baat hi to sabse important thi uske liye......wo Earth pe thi....yaani Insan aas pass hi honge.....aur matlab uske Mom Dad ka pata lagana aur aasan hoga.......bhaad mein jaaye halat....wo bas khush thi.....usko yaad aaya ki usko Pujari ji ne khud ko paani se theek karna bhi sikhaya tha.....waise bhi koi jyada chot woot nahi lagi hui thi usko,,,,,
K.Bua usko check karne ke liye darwaja band karti hai.....
Madhu - suniye......aap mujhe paani dedo....uske baad check kar lena......
K.Bua - Paani chahiye....rukko deti hu......
K.Bua pass mein rakhi paani ka glass usko de diya.....wo paani pinne ke wajay apne haath mein paani leke apni aankhen band karke baith gayi......aur phir jo Bua ne dekha......wo dekhti hi rah gayi.......
Wo paani jo uske haath mein tha wo chamakne laga tha....aur uske body pe ek cover jaisa ban gaya tha uss paani se......Bua ko laga kuch gadbad to nahi hai wo aage badhne hi wali thi ki.....ek bar aur chamakne ke bad sab theek ho gaya......
Madhu waha ke bed se khadi ho gayi aur khud ke dekhne lagi hi uske pair thee hai yaa nahi fir apne haath gardan....sab check kiya.....Bua muh baaye usko dekhe jaa rahi thi......
Bua - ye.....ye sab kaise kiya aapne.....
Madhu - Ooh aap iss baare mein kisi ko batana mat please.......ye hamara secret hai.....accha theek hai ab main chalti hu.....mujhe insano se milna hai.....
Itna bol uske darwaja khola aur nikal li......
K.Bua - ooye.....arre rukko aise nahi jaa sakti tum.....Rajkumari....Madhu.....ooye....
Madhu picche mudd ke dekhti hai.....wo thodi aage nikal gayi thi mukhya darwaje ke pass......
Madhu - Arre aap chunta mat karo main chali jaaungi......
Tabhi Principle sir aur Daksh waha aa gaye.....aur Madhu ko gate pe dekh liya......
Principle - arre aap yaha aa gaye......aapko to aaram karna hai.....
Madhu - nahi main theek hu aapka bahut bahut sukriya.....hmm ab mujhe chalna chahiye....main insano ke pass jaa rahi hu.....
Principle - Bacchi ye school hai tumhara....tum yaha padhne aayi ho.....aur main yaha ka principal hu....tum aise hi bahar nahi ja sakti.....
Madhu - ooh.....par mujhe jaha tak yaad hai.....mujhse kaha gaya tha main insano ke bich mein rahungi....usne mill sakungi....
Principal - haa par iss waqt nahi ye raat ka waqt hai abhi aapko aapke kamre mein jaana hoga.....aap phir kabhi chale jaana insano ke bich......
Madhu - aapko pata hai main bimar hu.....aur aise school mein iss halat mein rahna mere liye sahi nahi hai.....isse main aur bimar ho sakti hu.....mujhe kahi bahar rahna chahiye.....
Madhu ki iss baat ko sunn ke Daksh ko hassi aane lag gayi wahi K.Bua bhi hasne lagi.....aur Principle sir....wo bas ussi ko dekh rahe the.....
Principle - tum bilkul theek ho abhi waha se yaha aayi ho khud chalke....aur kal class bhi......
Daksh - Sir kal class nahi hai.....waise bhi aapne inki jimmedaari mujhe di hai.....to main soch raha tha......inko aaj apne yaha leke jaaun mehmaan ki tarah.....
Principle - haa kal to class nahi hai.....par phir bhi ye aise bahar nahi jaa sakti hai.....
Madhu - aapke paas koi karan nahi mujhe rokne ka.....main to jaungi....
Daksh- Sir wo waha pe meri jimmedari hogi....waise bhi mujhe iski jimmedari di hi gayi hai......
Madhu - Main aapke sath nahi jaa rahi hu.....mujhe....Bhanupur jaana hai.....
Principle - nahi aap Bhanupur nahi jaa rahi hai......chuki Daksh ji kah rahe hai iss wajah se aapko.....main insano ke bich jaane de raha hu.....par aap Daksh ji ke saath hi rahoge,,,,,,ye 3 din ki chuttiyan unke saath hi rahna hai aapko.....Daksh ji aap samajh rahe hai naa....
Daksh - Main samajh raha hu....Madhu aapko mere yaha koi dikkat nahi hogi....aur waha pe insan bhi aate hai....to aap unse baat kar sakte ho...
Principle - Kavita.....inko waha bhejne ki taiyaari karo....check kar lo inko....agar koi jaruri medicine deni ho to de dena.....
Phir kya tha Madhu ko check kiya gaya aur phir Daksh mama ke saath unke yaha bhej diya gaya......Daksh Mama uske baat karne ke tarike aur thode se jiddipan ko dekh ke Neelam se compare kar rahe the......Neelam(Mom) bhi waisi hi thi sayad....
Fumos pe......
Leader ne soch liya tha jab iss baar wo wapas jaayenge waha to sabse pahle to Pankaj ka haal chal puchna hai....uske baad unko khabar nikalni hai ki saitaan kaha kaha chippe hue hai.....wo soch raha tha ki sayad Headoffice unko madad kar de agar wo unn saitano ko mar ke unke samne laa de to.....
Leader ne iss khabar ko nikalne ke liye waha pe kuch sources nikali thi......
Slayer abhi bhi ek katputli ki tarah waha pe din gujaar raha tha.....bahar nikalne ki thodi si bhi ummid aati to wo taiyaar ho jaata par kaamiyabi haath hi nahi aa rahi thi.....uske pass jo tattos banne hue the....wo bhi ab mitne ko aa gaye the.....matlab saaf tha....wo tatoos wo powers.....wo ab Slayer ki Body se jaana chah rahe the....unke hisab se ab wo body iss kabil hi nahi bacchi ki wo unko sambhal sake.....
Slayer din-b-din khud ko aise hi dekh raha tha.....roj uthta uske baad kaam phir ladayi phir kaam phir so jaana.....yahi routine tha uska........Fumos bas apni soch raha tha.....wo ye dekh raha tha ki kaise wo Slayer ko apne liye bilkul sahi bana lega.....ye ekdum uss Baap bete ki kahani ke jaisa hi hai.....jaha Baap aopne bete ko baap ka sapna pura karne ko bol raha hai...jiski wajah se bete ka sapna waise ka waisa hi rah jaayega.....
Iski madad ab bas ek Lucifer hi kar sakta tha.....aur wo to karna bhi chahta tha....usne thodi taiyaari bhi kar li thi......
Starnge world se.......usne apne kuch logo ki bali dene ke baare mein soch liya tha.....Yuvraj bhi to unhi mein se the......par kismat......kuch logo ka Fumos jaana tay hi ho gaya tha.....waise to Court unko waha naa bhejti par......Elf country ke pratinihi ke kahne pe ye tay hua ki apradhiyon ko waha bheja jaaye....aur kismat ko phaisla karne de iska.......waise bhi unn apradhiyon ne bas yahi jawab diya tha ki kismat se unka aur Demos ka connection mil gaya tha.....
Higher court ne iss baat ko maan liya.....par Yuvraj ko leke wo sab iss baat pe sahmat nahi the......darasal kuch logo ko aisa lagne laga ki Elf king wapas se apne bete DB ko yivraj banana chahte hai....aur unka kara dharaya hai ye sab.....wo fassa rahe hai Yuvraj ko taaki ais kuch ho......aur iss baat ko thoda aur pakka kar diya tha Darbaar mein hui baaton ne......kaise sirf haa sunne ke bad hi Elf king ne sab kuch chhin liya usse....
Higher court ne unko Raj Privar ka hissa hone ke naate aur saath hi.....naa sirf Elf natipn balki Strange world ke liye bhi kiye gaye acche kaamo ko dekhte hue.....unko koi sazza nahi di,.....saath hi ek notice Elf king ko di gayi ki wo Yuvraj ko unke mahel mein rahne denge.....aur unki sabhi tarah ki jarurat puri ki jaayegi.....chukkki iss baat ka pata nahi hai ki kyun ek Yuvraj ke naam ka warrent jaari kiya hai Demos ne to pata lagne tak....uspe oi dabaaw nahi daala jaayega....ek banda bhi bhejna tha unko ek commmity ke liye jiska kaam ye pata lagana tha ki kyun ye warrent nikala gaya tha......
Wahi kuch galtiyan to Yuvraj ne kari hi thi chup ke dusre planet jaana......bas yahi to sabit hua tha.....aur kuch nahi.....to isko leke unko ek yantra pehnaya gaya jisse unki movements track kari jaaye....
aaj ke liye itna hi,,,,,,next mein dekhenge hum saitano ke baar mein kaise pata lagate hai ye sab.....saath mein Madhu ka insano se pahli baar milna....aur phir Lucifer ka chota sa plan.....
abhi ghar pe hi rahna sahi hai.....bahar naa jaao......in case aapko symtoms dikh rahe hai kuch wo bc Conoran ke to try kare....ghar pe hi khud ki madad karne ki....aise hi muh uttha ke hospital jaana sahi nahi hai...pahle to wo lenge nahi aapko.....phir wahi ocygen aur bed ye sab......to ghar mein hi raho aur self qurentine ka paalan karo.....log isse bhi theek ho rahe hai......