★ INDEX ★
☟
☟
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Last edited:
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Awesome update bhai waiting for next updateUPDATE - 84
Lucifer baitha hua tha apne Mahel mein apne jagah pe......samne kuch log the......ek pe bharosha ab uske bas ki baat nahi thi.....usne unn sab ko kaha ki jin jin ko bhi starange world se Fumos bheja jaa raha hai sabhi ko khabar pahuchao.....
Unse bataya ki unn sab ko iss baat se awagat karao agar wo sab Lucifer ka kaha maanenge to wo unn sab ko waha se nikalwa dega......agar unn sab ne wo kiya to......warna wo bhi jaante hai kiss jagah pe jaa rahe hai wo...Fumos kisi maut ke kuwen se alag thodi hai......waha tikna hai tio kismat aur saath mein khud pe yakkin hona chahiye.....ye dono hone ke baad bhi chances kam hi hote hai ki aap bachoge yaa nahi.....kya pata aaj aapse jyada acchi kismat aapke saamne wale bande ka hai....
Lucifer ka diya hua kaam kuch iss tarah tha.......usne kuch 10 logo ke baare mein pata karne ko kaha tha...wo nahi chahta tha ye log puri baat jaane.....aur unn 10 mein Slayer bhi ek tha......Roj ladayi se pahle unn sab ko unn 10 logo ke baare mein jo bhi jaankari milti usko Lucifer ko batana tha......
Batane ka bhi ek tarika tha.....ab aisa to tha nahi ki wo Lucifer ko love letter likhte......Priya Lucifer....hum acche hai/....aasha hai tum bhi acche hoge......aur uske baad pyar bhari baatein.....maan lo likh bhi dete to wo bhej nahi paate.....
Lucifer ne ussi ke liye to apneinn logo ko yaha pe bulaya hua tha......ye log bhasaon ke baare mein bahut kuch jaante the......sanketik bhasa aur bolne wali lagbhag har ek bhasa......inn sab ka kaam tha kisi chand ki tarah Fumos ka chakkar lagate rahna aur waha pe ye jitne bhi log the....unn sab ki baatein Lucifer tak pahuchana.......Lucifer ne inko aisa iss liye bhi kaha tha taaki wo jo Strange world se aaye hue log the unko lagta rahe ye log unki raksha ke liye hai waha pe....bas ek bhram sa bana diya tha unn sab ke liye.....
Wo log ladayi se pahle kisi uche jagah pe jaate aur aasman ki oor dekh sanketik bhasha mein yaa phir apne bhasa mein hi khabar de dete.....ye process bahut lamba jaane wala tha.....par iske alawa aur koi rasta bhi nahi tha.......Fumos pe jo log paida hue the wo sab Fumos ke hisse hi the....aur wo gaddari kar nahi sakte the.....bas ye ek rasta baccha tha....
Wahi dusri taraf......
Subah ka waqt tha.......
Waise to Madhi ji jab se waha aayi thi.....tab hi se wo insano ke baare mein puch rahi thi......par Daksh ke samjhane pe ki iss waqt aise hi kisi ke paas milne jaana sahi nahi hai.......
Madhu ne baat maan li thi.....par ye bhi kaha tha wo subah hote hi nikal padegi milne ko.....
Madhu subah subah uthi thi......jis kamre mein wo so rahi thi uske pass ek ped laga hua tha jaha pe kuch panchi baithe chahchaha rahe the.......
Madhu unko dekhne lagi....aisa nahi tha usne pahle koi panchi nahi dekha ho......dekha tha usne dusre planets pe bhi ye sab hote hi hai....par yaha pe usne pahli baar dekha tha to bas uski kubsurati ko dekh rahi thi.....usne dekha pass mein hi ek khali maidaan hai....waha pe log tahal rahe the......
Madhu - Insann.......aakhir kaar dikh hi gaye ye.......mujhe unse baat karni chahiye......sayad wo Bhanupur ke baare mein jaante ho.....
Ye kuch nahi bahut jyada hi excited thi.......Bed se uthi aur darwaja khol ke chal di bahar ki taraf......par waha pe Daksh mil gaye isko......
Daksh - Abhi bahar nahi jaana hai aur aise kapdo mein bilkul nahi......thoda rukk jaao Main insano jaisa kuch leke aata hu......aur tum bahar nahi jaaogi abhi.....
Madhu - inn kapdo mein kya pareshani hai.....aapko pata bhi hai ye bahut khaas hai......main jab aa rahi thi tab mu.....
Daksh - Haa haa khass hai issi liye to bola,....pehen ke bahar mat jaao kharab ho gaya to....aur tumko taiyaar nahi hona kya......thodi der mein taiyaar hoke aa jaao main khana laga raha hu......
Madhu ko bhi ye baat sahi lagi....w.aise bhi kal se aayi thi kuch khaya nahi tha usne.....aur ye uska insano wala pahla khana hona tha sayad......to wo chali gayi apne room mein.....Daksh ne kuch purane kapde joki Neelam ke the.....wo uske liye nikal diye the......kam chalane ke liye.....
Daksh bahar aake khana banane lag gaye......uske baad upar Pankaj ke pass gaye.....usko taiyaar karne.....baaki sab to theek tha uska....par uske haath.....wo abhi bhi challe se bhare pade the.....Daksh ne koshish ki unko theek karne ki par wo theek nahi kar paaya ulta uski wajah se Pankaj ko dard hone laga tha......Daksh samajh gaye the ki ye kisi bade jaadu ke wajah se hua hai.....isko waqt aur nirmal dawaon se hi sahi karna sahi hoga.....aise hi koi aur tarika thoda risky ho sakta tha.....
Upar aake Daksh ne uske liye pahle to paani taiyaar kiya.....uske baad usko uske haathon ko saaf karne lage usse......jab Daksh ye kar rahe the tab Pankaj so raha tha....aur acchanak se garam paani uske jakham pe laga to usko dard hua aur wo chikkh pada......
Yaha Madhu aaram se ready hoke Neelam ke kapde pahen bahar aa hi rahi thi ki usko ye aawaj sunayi di......usko laga sayad Daksh ko kuch hua hai.....to wo upar ki oor jaane lagi dekhne ko.......kal jab raat mein wo aayi thi yaha pe to aisa kuch bataya nahi tha usko Daksh ne ki ghar mein kaun hai kaha hao.....bas ek room de diya aur kudh Pankaj ke pass chale gaye the....
Madhu upar aayi usne dekha ek kamre ka darwaja khula hua tha.....waha pe Daksh kisi ka haath pakde hue tha aur paani se uska haath saaf kar raha tha kapde se......(yaha pe jaadu ka use kar sakta tha wo.....par wo Baap bete ka lagao....wo care karte hai ek dusre ki....par dikhate nahi hai......haa saheron ki baat aur hai....par hamare yaha aisa hi hota hai.....)
Madhu ne darwaje ko pura khola aur ander dekha......ek ladka tha wo bistar pe leta hua tha.....ab aakhen khuli hui thi uski.....wahi Daksh paani se saaf kar raha tha haathon ko.....
Pankaj ne dekha darwaje pe koi ladki khadi hui thi.....usne ek baar usko dekha......phir.....
Pankaj - Papa......ye.....
Daksh ne uski aawaj sunni aur ir unhone bhi darwaje ki oor dekha....waha pe Madhu khadi thi.....
Daksh - arre tum yaha aa gayi.....Ye Madhu hai.....Rajkumari hai ye Nix samuday ki.....jaante ho naa uske baare mein.....aur ye hai mera beta......Pankaj......tum nicche jaao main aata hu abhi isko leke....
Madhu - nahi koi baat nahi.....aap kar lo pahle ye kaam main wait kar lungi....
Daksh - hmm bas thodi der...iske haathon mein dawayi lagani hai bas....
Madhu - waise inko hua kya hai.....ye haathon mein aise chhallen.....
Daksh - kisi bade jaadu ke kaaran hua hai.....
Madhu - hmm....main dekhun kya isko....
Daksh - tum innn sab mein kya karogi.....tum nicche chalo.....
Abhi wo bol hi rahe the ki ghar ka bell bajata hai.....
Daksh - lagta hai pados se tumhe dekhne ke liye aayi hogi wo......tum rukko main unko bata ke aata hu aaj main ghar pe hu to jarurat nahi hai.....
Daksh waha se nicche chale jaate hai wahi Madhu Pankaj ke haath dekh rahi thi.....
Madhu - ghaaw to gahre lag rahe hai......aisa kaun sa jaadu kar rahe the.....
Pankaj - hamle ko ulta karne wala jaadu.....bas ussi mein thoda bhatak gaya aur ye ho gaya......
Madhu - hmm......saamne wala sach mein bahut saktishali raha hoga.....tabhi.....Main chuu sakti hu kya.....
Pankaj - Arre.....ye kya kar rahi ho........
Madhu ne sunna nahi usne nicche se thoda sa paani liya.....uske haath pe rakha aur uske hatheli ko apne hathon ke bich mein le liya......
Pankaj - arre dard ho raha hai.....tum ra.....
Madhu - chalo ek se 10 tak ki ginti ginno aur dekho mera jaadu......
Pankaj - kya bol rahi ho.......tum rahne do......kahi haath ko kuch aur ho gaya to......ye kya ho raha hai......
Pankaj bol hi raha tha ki uski hatheli mein bahut thanda thanda lagne laga tha....aur bas yahi nahi usne jab apne haath ki oor dekha to paani chamak raha tha kisi heere ki tarah.......wo paani uske sarir ke ander chala gaya tha aur uske jo nass thode bahut damage ho gaye the wo bhi theek ho gaye the.....par usse pahle chammak rahe the......
Madhu ne wo haath chod diya......
Pankaj haath ko hilla paa raha tha apni anguliyan acche se hilla paa raha tha apni kalayi.....wo apne iss wale haath mein hi laga hua tha ki usko dusre haath mein bhi thandak mehsus hone lag gayi......
Tabhi waha pe Daksh aa gaye.....unhone dekha Madhu ne Pankaj ka haath pakad rakha hai.....
Daksh - Ye kya kar rahi ho.......usko chott lagi hui hai waha pe......chodo usko.....maine kaha tha naa inn sab mein mat lag.......
Daksh jab tak apni baat kah rahe the tab tak Madhu ka kaam khatam ho gaya.....usne wo wali haatheli bhi chod di......
Madhu ne kuch kaha nahi bas side mein jaake khadi ho gayi.....
Daksh Pankaj ke haath ko dekhne laga aur dekh ke chawk gaya......uske hath ekdum se sahi the......par phir turant usko gussa aa gaya.......
Daksh - Ye kya kiya tumne......ander ke jo jakham hai wo ab theek nahi ho paayenge......ye sab karne ki kya jarurat t......
Pankaj - Papa......sab theek kar diya isne to ye dekho.......
Wo apne haath ko hilla ke dikha raha tha.....uske baad usne pass mein rakhe hue phoolon ko hawa mein utha kar dikhaya.....
Daksh ko samajh nahi aa raha tha ki aakhir ye hua kaise......wo Pankaj ko dekhte to kabhi Madhu ko jo abhi bhi side mein khadi thi,.....
Pankaj ne jo phool hawa mein uthaya tha wo phool Madhu ke pass leke gaya aur usko de diya....
Pankaj - Ye lo.......thanks
Madhu ne phool le liya.....
Daksh ne socha ki abhi hi pucch le par wo iss waqt jo jaisa tha waisa hi rahne dena chahte the.....to unhone bas dono ko khana khane aane ko nicche bola....aur khud bhi chal diye nicche.....
Unke darwaje se bahar jaate hi.....Madhu.....
Madhu - Ye phool se koi kaam nahi chalne wala.....aapko meri madad karni hogi.....
Pankaj - Main....madad....tumhari.....kaise.....
Madhu - sab bataungi...abhi chalo nicche mujhe bhook lagi hui hai......
Wo dono hi nicche chale gaye.....nicche pahuche to waha pe wo lady pahle se thi.....jo Pankaj ka dhyaan rakh rahi thi.......Daksh ne hu usko rukne ko bola tha taaki saath mein nasta kar le aur aabahr jaahir kar sakke.....Daksh apna....
Lady - (Madhu ko dekh ke) ye kaun hai.....aapne apne relative ko bulla liya kya Pankaj ka dhyaan rakhne ko....
Daksh - Nahi.....aisa nahi hai.....ye ye yaha pe padhne ko aayi hai......Pankaj ke saath hi padegi ye.....abhi waha chutti hai to ye yaha hai...
Madhu - Aap insan ho.....
Lady - haa insan hi to baatein karte hai naa.....dekho main tumse baat kar rahi hu....
Daksh - arre uska wo matlab nahi tha.....ye bas mazak kar rahi hai
Lady - hmm ye aaj kal ke baccho ke mazak bhi samajh nahi aate......waise ye hai kaun.....kya naam hai beta tumhara......
Daksh - Iska naam Madhu hai.....ye....ye meri dur ki bhanji hai......Pankaj ki bahen hai....
Lady - accha......Pankaj rukko main tumko khila deti hu.....aise mein kaise khaa paaoge....
Madhu - ab theek hai wo....haath sahi ho gaya unka.....
Lady - Beta main nurse rah chukki hu....itni jaldi ye theek nahi hote.....
Daksh be Pankaj ko kuch ishara kiya.....usne jaadu se apne haathon pe patiyan laga li....aur phir wo lady uske pass aayi aur khana khilane lagi.....
Lady - bahut mazak karti hai ye Madhu....
Khana khane ke baad wo lady apne yaha wapas chali gayi wahi Madhu muh bana rahi thi.....ye insan kuch samajh hi nahi rahe the.....aur upar se wo jhooti bhi ban gayi thi.....
Daksh - aise milogi insano se to wo bhag jaayenge.....kuch hi insan jaante hai magic ke baare mein saare nahi jaante samjhi....
Daksh ki baat se usko Pujari ji ki kahi hui baat bhi yaad aa gayi ki insano se chuppa ke rakhna hai magic ko.....
Madhu - hmm aap sahi kah rahe ho......main bas kuch jyada hi utsuk ho gayi thi......
Daksh - aage se dhyaan rakhna.....abhi ke liye......jao kamre mein jaao....main tumhare kapde leke aata hu.....
Pankaj - Papa isko leke hi chalte hai naa.....humko kya pata isko kya pasand hai.....
Daksh - Humko nahi Main jaa raha hu....tum abhi theek hue ho ander hi rahoge.....aur beta main jaanta hu mujhe kya lena hai kya nahi.....iss ladki ka dhyaan rakhna...
Daksh itna bol waha se nikal gaya ab bacche the bas Pankaj aur Madhu......
Pankaj - to tum rajkumari ho......sahi hai....waha to bahut se naukar honge.....
Madhu - nahi aisa kuch nahi hai.....ab tum batao meri madad kaise karoge.....
Pankaj -arre haa to kaisi madad chahiye thi tumko.....jab wo pata chalega tab hi kuch kar sakte hai naa.....
Madhu - Mujhe Bhanupur ke baare mein jaanna hai.....tum mujhe waha leke chaloge....
Pankaj - janne ke liye waha jaana jaruri hai kya.....waise bhi abhi main nahi jaa raha kahi....par madad kar sakta hu......aao mere picche....
Pankaj aage aage jaane lag gaya......Study room mein pahuch ke usne thodi der yaha waha pe kuch dundha aur phir ek kitab leke table pe aa gaya......
Pankaj - thoda piche hatto......
Usne kitab kholi......kitab khulte hi uske upar Earth bana hua tha......
Pankaj - Bhanupur bola naa......
Madhu - haa......ye kya hai waise....
Pankaj - ye Papa ne banaya tha.....apne kisi dost ke saath......rukko.....Bhanupur to 5 dikha rahe hai yaha pe......
Madhu - paanch.....par paanch kaise ho sakte hai....
Pankaj - yaha aisa hi hota hai.......ye gaon ke naam match kar jaate hai.....aur kuch pata hai tumko uske baare mein......
Madhu - hmm uss gaon ke pass mein naa sayad ek jungle tha aur ab wo park ban gaya hai.....usme ek talab hai.....
Pankaj - har gaon mein talab hote hai......rukko....dekhta hu jaisa tim bata rahi ho waisa kuch hai bhi yaa nahi.....
Pankaj wapas se dekhne lag gaya ki waisi koi jagah hai bhi yaa nahi......2 jagah waisi thi....jaha aas pass jungle tha aur usme ek talab tha......
Madhu - arre wo jungle ab park ban gaya hai waha log aate jaate rahte hai...
Pankaj - theek hai rukko.......
Pankaj wapas se dhundhne laga ki tabhi darwaja khulne ki aawaj aayi......Pankaj ne kitab band kari aur jaha se li thi theek ussi jagah rakh di....aur ek aam sa map leke aa gaya table ke pass......
Pankaj - ye dekho.....ye yaha ka naksha hai....iski madad se hum chizzen dhundh sakte hai......Bhanupur....bhi mil hi jaayega....arre aap aa gaye....
Madhu bas dekhe jaa rahi thi kaise usne turant se sab badal diya......
Daksh - haa aa gaya......Madhu ye lo.....ye kuch kapde hai.....koi aur cheez chahiye to bata dena......
Madhu - Ab main bahar jaa sakti hu waha insano ke pass......
Daksh - theek hai.....par tumko yaad rakhna hoga kaise baat karni hai......aisa naa ho wo tumko pakad le......
Madhu - hmm theek hai......aur main aisa kuch nahi karne wali.....
Daksh - Pankaj jaao taiyaar ho jaao aur isko leke jaao bahar......ab tum theek ho.....to main kuch kaam kar aata hu.......isko Park mein leke jaao......
Pankaj - Park mein....
Daksh - haa......aur jyada dur nahi jaana hai.....Madhu apna dhyaan rakhna.....
Wahi dusri taraf hamare yaha alag hi hisab chal raha tha subah subah sab ready hue......dyaan lagane ke baad sab ekdum se taiyaar ho gaye the ki aaj nikalna hai......isko phases mein baata gaya tha......1st phase tha Mera aur Nikita ka red dotted area mein jaana aur pata lagana waha pe kuch gadbad ho rahi hai yaa nahi.....agar haa to humko waha se nikal jaana tha....aur aake baaki sab ko khabar deni thi.....uske baad ka phase inn sab ka tha......Dada- Dadi guide karne wale the aur Chacha Chachi uss area ko secure karne wale the.....aur uss shaitaan ke pass K.Bua Bua aur Rupal didi jaane wali thi.....iss baat ko leke naa jaane kitni bahesh ho gayi subah subah......inn tinno ka kahna tha ye khud ko proof karna chahti thi......
Inke itna kahne pe Dada Dadi inki baat maan lete hai.....aur unhone jaisa pata lagaya tha uss hisab se ek kamzor sa shaitaan ke baare mein pata chala tha kisi gaon ke pass.....jaha pe wo logo ke jaanwaron ko khaa jaata tha....ab tak koi insan ko maara ho aisi koi khabar nahi aayi thi.....sayad ye wajah bhi thi ki unn tinno ko jaane de rahe the iss plan ke hisab se.....
Bas hum nikal liye......gaon ke pass portal se hum pahuch gaye.....aur phir jaisa ki bataya gaya tha Main aur Nikita Gaon mein gaye.....waha pe logo se baat karne ko......
Ek chaupaal sa bana hua tha wahi pe kuch log baithe hue the......hum dono wahi pe chal diye.....
Main - puccho inse.....
Nikita - suniye....yaha aas pass kuch ajeeb hota hai kya.....
waha pe kuch log the baithe hue......unho mein se ek bola.....
" aap kaun....."
Main - hum yaha pe research karne aaye hai.....sunna hai yaha kuch ajeeb hota hai.....
"kya ajeeb hota hai humko bhi bataiye"
Main Nikita ko dekh raha tha Nikita mujhe.....ab isko kya bataye kya ajeeb hota hai humko khud nahi pata tha yaha ajeeb kya hota hai......Dada Dadi ne ye bataya hi nahi tha.....
Main - wahi to pata karne aaye hai.....
"gazab ho be.....tumko jab pata hi nahi hai ki kya ajeeb hai to tum kaise aa gaya yaha ajeeb cheez dhundhne tum kya aise sabke ghare ghus jaaoge...."
"Aee kya ho raha hai re......tu sab ko kahte hai samajh nahi aata.....sala tu log ke chakkar mein jaanwar sab chori ho jaata hai......kitna baar kahe hai.....dhyaan rakha karo.....par sasur tum ho ke....."
Ek aadmi picche se aa raha tha aur waha pe baithe sabhi logo ko bol raaha tha.....wo waha tak pahuchta usse pahle hi wo sab ke sab bhag gaye waha se......
"kaa re tu log kaun hai.....kaahe aaye hai ihha....."
Main - Wo.....wo hum research karne aaye hai......yaha kuch ajeeb hota hai naa ussi ko leke.....
"TV wala hai kaa tu log....."
Nikita - nahi TV nahi hum yaha ke baare mein bas pata lagane aaye hai....aap madad kar sakte ho kya.....
:"humka pass time nahi tu logan ke mada.......haa hum karenge madad aap puccho kya puchna hai....."
Nikita ne usko hypnotize kar liya tha.....pahle bhi wo kar leti par sayad utne log the to nahi kiya.....
Nikita - kya ajeeb hota hai yaha pe batao......
Wo - bahut kuch ajeeb hota hai iss jagah pe upar ek pather se paani girta rahta hai.....yaha pe ek ghar mein bhoot hai....
Main - ye kisi kaam ka lag raha hai dekho bas bakwas kar raha hai ye......
Nikita - chup raho....tum bhi jaake puccho kisi se......
Main bhi waha se nikal gaya uske pass se......thoda aage aaya to ek buddi aurat baithi hui thi......pata nahi kya soch rahi thi.....
Main - Maaji......maaji......aap theek ho.....
Ek baaar mein unko sunayi hi nahi diya.....jab 2 baar aawaj lagayi tab unhone sunna......
wo - Haa.....kaun....kaun hai tu.....
Main - Maa ji yaha pe kaam se aaya hu kuch puchna tha......aap bataoge....
Wo - haa pucch......agar pata hoga to bata dungi.....
Main - ye yaha gaaon mein kuch ajeeb sa hota hai kya.....jaise log gayab ho gaye.....aisa kuch....
Wo - mera pota.....mera pota gayab ho gaya tha.....aaj tak usko wapas nahi diya......
Itna bol wo rone lag gayi.......
Main - ooh kab ki baat hogi ye.....
Wo kuch bolne ke halat mein nahi rahi thi.......Main kuch karta usse pahle hi sayad usko koi jaanne wala aa gaya aur unko ander leke chala gaya......
Nikita - Isne kaha ki yaha pe jaanwar aur choote bacche ye gayab ho jaate hai.....jungle ke side mein......
Main - Mujhe bhi ek bacche ke baare mein pata chala hai......hume iske baare mein unko batana hai......
Hum thodi aur jaankari leke chal diye wapas......portal se hote hue uss jagah pe jaha pe sabhi the......Chacha aur Chachi to waha se jaa chukke the....jaisa ki unka kaam tha......aas pass ke ilakon mein dekhna ki wo shaitaan bahar naa chala jaaye ladayi ke waqt......wahi Dada Dadi aaye nahi the yaha pe......to baaki ke 3no ko humne ye khabar di......
Wo tinno pahle se hi taiyaar ho rahi thi......
Main - wo shaitaan bacche aur jaanwar uthata hai......
Rupal didi - insano ko bhi nuksan pahucha raha hai wo.......sazza acche se deni hogi.....
Nikita - Mujhe bhi le chalo.....main iske saath yaha kya karungi....
Main - kya matlab hai tumhara......aur plan ke hisab se hamara kaam naa chahte hue bhi pura ho chuka hai.....
Rupal - haa iss baar yahi raho.....aage tumko bhi mahila morcha mein samil kar lenge....
Wo tinno chal diye aage.....
unka jaana tha ki tabhi Jwala ki aawaj aayi......
Jwala - Polar bear ke kabile pe jo wo bats hai wo apna illaka badha rahe hai.....wo uss kabile se aage bhi aa rahe hai.....jald hi kuch karna hoga.....
Main - kya baat kar rahe ho......aisa kaise ho gaya......
Jwala - iss baare mein pata nahi chala hai......par agar iska hal jaldi naa nikala gaya to muskil badhti jaayegi.......
Nikita - Rupal didi ko apne powers pe jaldi se kaabu paana hoga......kya unhone itna kaabu nahi paa liya ki wo inn sab ko sambhal sakke......
Main - uss din to nahi sambhal paayi thi.......main unse baat karta hu.....kya tum waha ek baar dekh aaogi halat kitne kharab hai.....Main yahi rukunga.....agar kisi madad ki jarurat padi to....
Nikita - theek hai.....Jwala Portal kholo.....
Jwala ne portal khola aur usse hote hue Nikita ander chali gayi.....par jaate jaate Jwala ne kaha ki abhi wo yaha pe kisi ko bhi bhej nahi paayega......wo waha pe apne jagah ko bachane mein apne logo ko lagana chahta hai.....to kuch waqt tak sambhal k rahe.....
Maine bhi usko aisa hi karne ko kaha......par ander......ander jungle mein ye tinno thi....aisa nahi tha ki inpe yakkin nahi mujhe...par phir bhi......
Main aage badha......Jungle ke ander jaane laga.......kuch door to gaya hi tha ki ajeeb se badbu aane lag gayi jaise koi maans sadd raha ho......
Main uss oor jaane laga ki tabhi Rupal didi ki chilane ki aawaj sunayi di......
Main - Albus Cooper bahar aao......ye nischit karo unn sab ko kuch naa ho.....
Wo dono bahar aaye aur apne kaam mein lag gaye.....Main bhi aawaj ki oor hi jaa raha tha ki tabhi wapas se chikkhne ki aawaj aayi aur iss baar uss badbu wale jagah se hi aayi.....main ussi oor chal diya......waha pahucha to koi bakri rahi hogi.....jiski body padi hui thi.....uske sarir mein baccha hua maans ka tukda ekdum se sadd gaya tha aur wah badbu maar raha tha.....abhi usko dekh raha tha ki phir se chillane ki aawaj.....
Main aage gaya......uss aawaj ki oor.....waha pe koi nahi tha.....aise hi aawajon ka piccha karte hue main ek khali jagah pe pahuch gaya......wo tinno bhi wahi pe thi.....tinno aapas mein chipki hui thi aur apne haathon mein apne apne hathiyaar liye thi......
Unke aas pass ek do nahi bahut saare kutte jitne bade bade ajeeb se dikhne wale jeev the.....pata nahi kya the wo.....Main unko dekh raha tha ki tabhi mere aas pass bhi wo aa gaye the......
Maine apni talwar bahar bulayi.....pata nahi ye Albus aur Cooper kaha pe the......yaha pe to nahi dikh rahe the wo dono......
Main - aap sab thek ho naa.....
Bua - tu yaha kya kar raha hai...ye bahut saare hai sambhal ke.....
Main - aap bhi sambhal ke raho....main dekhta hu inko.....
Maine apni talwaar ko dono haathon se pakda aur wo chamakna shuru ho gaya matlab thunder element se wo charge ho raha tha.....
Rupal didi ko dekha to wo bhi apni Kulhadiyon ko leke kuch to kar rahi thi.....same dono Bua ka bhi tha......
Unn sab jaanwaron mein se ek mere upar kudd ke aaya aur maine apne talwar se usko 2 hisson mein kaat diya......aur cukki thundeer bhi tha.....to wo jal gaya tha.....
uske baad wo sab aane lag gaye aur hum sab apne apne hathiyaron se unn sab ko maar rahe the.....par ye mar nahi rahe the sayad......aur nahi to inn sab ki taadat bahut hi jyada thi.....kyunki bodiers to nicche dikh rahi thi inki.......inn sab ki taadat sach mein bahut jyada hogi tabhi ye khatam hi nahi ho rahe the....balki aur aate hi jaa rahe the....
Main - Albus Cooper kaha ho.....
Dhruv - wo apne kaam mein lage hue hai......ye jagah sahi nahi hai tum sab ke liye....aur Jwala bhi nahi hai abhi to....abhi yaha pe aana khatarnaak hai.....
Main - Gyaan baad mein de dena.....pahle inko khatam karne ke baare mein batao......
Dhruv - tumhare ander bhi utni hi energy hai jitna tumhare Dragons mein hai.....ab baaki tum samjho.....
Main unn sab ko maarta jaa raha tha aur soch raha tha.....energy bahut jyada hai mujhme.....
Main - Bua......jab main kahu to aap sab jammin se upar kudd jaana.......K.Bua aap wind element wali ho naa.......kuch der tak aap mein se koi nicche jamin ko touch nahi karna chahiye.....samjhe.....
Wo log bhi ladte hue mujhe haa bole.....aur maine apna ek baar bahut tezz se apna talwaar chalana shuru kiya....jisse aas paas thodi jagah khali hui....aur wo jeev thoda picche hat gaye....bas yahi to chahiye tha....thoda sa waqt......maine apni talwaar upar ki oor uthayi.....
Main - K.Bua abhi.........
Mera aisa kahna tha wo tinno jamin se upar kuddi aur k.Bua ne tinno ko hi hawa mein sambhal liya......
Maine apni talwar jamin mein gaad di.....aisa karne se Main ek gole ke ander aa gaya.....ek gola....jisme current daud rahi thi.....kuch jeev uske iss paar aane ki koshish kar rahe the....par wo unko chutte hi bhaaph ban jaa rahe the.....
Maine apni talwaar ka Handle pakde rakha aur K.Bua ko thoda aur upar le jaane ko kaha sabko.....unhone waisa hi kiya......aur maine handle ko chod diya......mera waisa karna tha aur wo gola jiske ander main tha.....wo gola badhne laga......aur jo koi bhi uske touch mein aata wo saare ke saare bhaaf ban jaa rahe the......
K.Bua ne jab ye dekha to unhone aur upar le liye khud ko.....taaki unse touch naa ho......
Wo jeev jinse wo purri jagah bhari padi thi.....wo sab ke sab bhaaf bante jaa rahe the......kuch ped paudhe bhi uske chapet mein aaye par wo bach jaa rahe the.....jab maine dekha ki aas pass ab jagah bilkul khali hai......maine apne talwaar ko waapas se pakda....aur jab pakda to wo gheera wapas se choota ho gaya.....aur jab usko jammen se bahar nikala to wo gheera bhi gayab ho gaya.....bacchi hui thi to unn sab ke jalne ki badbu......
K.Bua sabko leke nicche aa gayi thi......
Bua - tu....tu theek hai.......itni acchi tarah se talwaar chalana kab sekha tunne aur ye.....ye kya tha....
Main - iske baare mein baad mein baat karte hai pahle rukko......Albus.....Cooper kaha ho dono....saamne aao.....
Maine bulaya par wo dono tab bhi nahi aaye.....Main wahi pe aankh band karke khada ho gaya......aur jo maine dekha uski wajah se bahut gussa aaya......ye jinn jeevon ko abhi hune maara tha unse size mein thode bade bade jeev Chacha chachi ke pass unko ghere khade hue the.......aur Albus aur Cooper unn dono ki madad kar rahe the unn sab ko maarne mein......
Main - Albus dono ko cover karo....aur Cooper......jalla daalo.....ek bhi bachna nahi chahiye.....
Dono ne theek waisa hi kiya jaisa maine kaha tha.......Albus ne Chacha Chachi ke irrd girrd ek ghera bana diya.....aur Cooper....wo to jaise phatt gaya waha pe.......aag ki laptein hi dikh rahi thi bas waha pe........iss baar to ped paudhe bhi nahi bacche the.....
Chacha Chachi ko apni aakhen band karni padi thi......pata nahi kaise ye dono ek hi jagah pe mil gaye the inko.....warna dikkatein aur bhi badh jaati.....
Bua - waha pe aag lagi hai sayad.,,,,,,dekho dhuwan utt raha hai waha se.....
Main - Chacha Chachi hai waha pe.....chalo yaha ka kaam khatam ho gaya hai......hum sab uss oor jaane lage....chacha Chachi ke hone ki baat sunke ye tinno jaldi jaldi jaa rahi thi......
Main pahuchta usse pahle hi wo pahuch gaye waha pe aur Rupal didi ne apne water element se waha lagi hui aag ko khatam kiya.....ghass tak puri tarah se jal chukka tha.....
waha pe ab wo jeev bhi bas raakh bane hue rah gaye the.....
Main - Albus Cooper bas......wapas aa jaao.....
Wo dono wapas merre pass aa gaye.....wahi Chacha Chachi ne jab dekha wo ab uss gole mein band nahi the to wo bhi bahar aaye....unhone humko aate hue dekha.....
Chacha - tum sab theek ho naa.....inki taadat to bahut jyada thi.....humne socha bhi nahi tha itni hogi......agar bas hum do aate to gadbad ho jati.....
Rupal didi - chup raho.....aur aage se akele jaane ke baare mein sochna bhi mat.....
Chachi - Nikita kaha gayi....
Main - wo gaon mein hi hai.....thodi der mein aa jaayegi......aap dono theek ho naa....
Dhruv - abhi jo Mukhya tha wo baccha hua hai.....ye sab to wo the jinko usne banaya tha......
Main - kya bol rahe ho......kaha par hai wo.....
Dhruv - ye main kaise bata sakta hu......Ablus aur Cooper ko bhejo.....wo ussi ke picche yaha aa gaye the par ye sab dekh wo rukk gaye.....wo yahi kahi jungle mein hoga.....
Main - Albus Cooper bahar aao....aur dhundho usko......jaise hi mille mujhe batana......
Chachi - hum theek hai......
Main - aap sab niklo main Nikita ko leke aata hu.....
Maine jab ye bola to wo sab mujhe ghurne lage jaise kya bol diya ho maine......par Bua ko maine ishare mein sabko waha se le jaane ko bola....aur wo maan bhi gayi.....sayad iss wajah se ki unko lagta tha Old Owl bata hi dega agar koi mushibat hui to....aur ye sach bhi tha.....
Bua unn sab ko waha se leke nikal gayi.....
Albus aur Cooper uss mukhya saitaan ko dhundh rahe the.......tabhi waha pe portal khulla aur Nikita bahar aa gayi.....
NIkita - ye kaha aa gaye tum....humko to bahar rahne bola tha naa.....
Main - kuch nahi abhi chup raho.....
Cooper ko uss jeev ka pata chal gaya tha.....wo jungle ke bicch mein tha......Albus bhi ussi taraf jaa raha tha aur Main bhi nikal gaya uss oor jaane ko.....par ye Nikita bhi mere picche aane lag gayi.....
Jab uss shaitaan ke pass pahucha hi tha tabhi Albus mere ander aa gaya aur meri dress badal gayi....aur uske baad Cooper.....jiske baad mere haath mein talwaar aa gayi.....iss baar ye dono mere ander hi the to taakaqt bhi aur jyada hi thi....
Main - Kaha hai wo......
Cooper ne mujhe bataya wo kisi ped ke upar baitha hua tha.....main ussi oor jaane laga.....aur Wo Nikita....wo tab bhi picche aa rahi thi....mjujhe usko manna kar dena chahiye tha.....
Main uss ped ke pass pahucha......ek ajeeb saa lambe haathon wala saitaan ped pe baitha hua tha.....uske daant nukile the.....
Nikita - Ye kya hai...
Main - tum...tum yaha kya kar rahi ho....wahi rahna tha tumko.....
Nikita - Main waha akele kya karti......
Nikita ne apni baat kahi thi ki wo shaitaan kood pada uske oor......par usko chuu paata usse pahle hi meri talwar uske pet ke aar parr chali gayi thi.....
Main - Kya karti....dikhta nahi yaha pe khatra hai....aur tum aise hi nihathe aa gayi ho yaha pe.....
Nikita - Nihathe main kahi nahi jaati......tumko dekhna hai mere pass kya kya hai......
Itna bolne ke baad talwaar chaaku khanjaar.....sab dikhane lagi mujhe.....wahi wo shaitaan jo abhi bhi mere talwaar mein latka hua tha usko kisi tarah se hosh aa gaya tha.....aur usne apne ambe haathon ko jamin pe rakha aur sahara lete hue talwaar se nikalne ki koshish karne laga.....par Nikita ne usko dekh liya tha....aur usne apne khanjar se uska sarr hi kaat diya....
Nikita - dekha issliye bhi hu yaha......ek to dhyaan hota nahi tumhara inn chizzon pe.....aur mujhe bata rahe ho......
Maine apne talwaar ko thoda majburti se pakda aur apne tunder element ke baare mein sochne laga.....jiske baad uss shaitaan ki body.....wo ussi mein jal ke khatam ho gayi,....par saar to iss Nikita ne pakad rakha tha....
Body jab jalne lagi tab usne kaha iska kya karu.....
Main - isko bhi jalla denge....ghar mein deewar pe thodi naa tangna hai ki dekho saitaan ko maara hai.....
Nikita - taang to sakte hai....par koi baat nahi.....isko main jala deti hu....usne usko jala diya...aur wo bhi khatam ho gaya.....uske baad hum waha se nikal gaye.....
Aaj ke liye itna hi.....next mein dekhte hai Madhu ko......jaha wo kuch insano ke saath khelne wali hai....wais khud bhi insan hi hai ye paraur uske baad Nikita se ye bhi puchna hai ki Jwala ke yaha haalat kitne kharab hai.....aur bhi kuch baatein
Chalo bhai kamase kam ek bar to gangadhar ko shaktiman banayaUPDATE - 84

very nice update bhai maza aa gyaUPDATE - 84