• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Immortals

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
41,889
37,129
304
Last edited:

Suryaa

सुन, हमसे कायदे में रहोंगे, तो फायदे में रहोगे😎।
Banned
3,821
5,379
143

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
41,889
37,129
304
UPDATE - 93

Main bed pe hi baitha tha......jo bhi hua abhi....usse khush to bahut tha......par samajhne ki koshish bhi kar raha tha usko.....

Maine jab haath aage kiya ki usko chuu sakku main usse durr jaa ke gir pada.......par wo mere pass aa gayi thi......aur usne mujhe chuwa bhi......matlab agar wo chahe to wo mujhe chu sakti hai......

Kya ye bas itna sa hi hai......yaa kuch aur bhi hai isme......kya itne samay se main iss baat ko galat samajh raha tha......

Jab Madhu ne ye sazza di thi to mujhe laga tha ki ye hum dono ke liye sazza hai.....aur ye thi bhi.....usne kabhi mujhse milne ke baare mein socha hi nahi tha uss waqt ke baad se.....ye mujhe lagta hai.....aur main to uske passs jaa hi nahi sakta tha milne ko......isse humme baatein nahi hone lagi thi....aur uske baad....jab baatein nahi hoti hai do logo ke bich to thisra chautha aur paachwa.....yaa ye kahu sabhi ke sabhi......galatfahmiyan badhane lag jaate hai......jaan bujh ke bhi aur kabhi kabhi anjaane mein bhi.....

Usne mujhe chuwa....matlab wo mujhe chuu sakti thi.....sayad ye baat usko bhi pata nahi thi uss waqt......wo mere pass aa sakti thi.....Main itna to jaanta hu agar ye usko pata hota to wo mere pass aati jarur ek baar to meri baatein sunne ko aati......

" Prateek Mauka accha hai....usko kuch yaad nahi.....tum usko apne pass aane pe mazboor kar sakte ho...."

"Prateek par aage kya karoge.....kya wo sach mein hamesha saath rahegi tumhare.....jab usse sab yaad aa jaayega jaise tumhe yaad aaya hai.....kya wo iss baat se aur gussa nahi hogi......"

"Prateek tum ye bas apne pyaar ke liye kar rahe ho.....aur koi baat nahi hai......tum ye karne wale ho......hai naa...."

Main samajh nahi paa raha tha.....aur ye aawajein......ye mere sarr mein gunj rahi thi.....Main isse pareshan ho raha tha.......

Main let gaya aur apne kaan band kar liye......

Bed pe lette hi mujhe neend aa gayi......

Daksh Mama wapas aa gaye the.......unhone ye baad Pankaj tak pahucha di thi ki wo wapas aa gaye hai aur abhi wo ghar pe hai......to aaj wo bhi ghar pe aa jaye.....Madhu ko leke......

Nix kabila toot chukka tha aur ye baat sabhi ko pata chal gayi thi.......sunne mein aaya tha ye sab mandir ko leke hua tha......

Jab ye baat phaili to iss baat se aur kahi saari baaton ne janam le liya.....

Kya Madhu ko Earth pe bas yaha ka mahaul dekhne ko bheja gaya tha.....taki wo apne logo ko yaha bulla sakke......aur bhi naa jaane kaise kaise baatein chal rahi thi......par isse kya hi fark padta tha.....

Strange world mein jo Nix log rah gaye the unn sab ne aapas mein hi ek bande ko chunna aur usko Mandir ki dekh bhal karne ko kaha gaya.....par wo banda......wo bhag gaya waha se dusre hi din.......

Bol raha tha Murti baatein karta hai.....uski aankhon se aashu aatein hai.....wo.....wo saitaan hai.....

ye baat kisi ko samajh nahi aayi unnn sab mein.......par Mandir ko aise hi to nahi chod sakte the......unhone socha ki naya banda dhundha jaaye......par iss baar......iss baar to sabhi ke mann mein ek darr tha......

Lagbhag se andhera ho gaya tha......jab Nikita aur Rupal didi mere kamere mein aa dhamki......pata nahi ye darwaja kaise khola inhone......

Rupal didi - ooye....utth.....uth jaa chotu.......

Nikita - arre uthh bhi jaao humme der ho jaayegi.....

Maine dekha ye dono mere room mein aaye hue the......Main apne bed pe uth ke baith gaya.....apni aakhen saaf kar raha tha......

Main - aap yaha kaise.....aur darwaja.....wo kaise......

Rupal - tujhse pahle main bhi yahi raha karti thi......itna to pata hai kaun sa darwaja kaise khola jaata hai.......ab ye sab chod aur jaldi se taiyaar hoja....ghar jaana hai.....aur kisi naye shaitaan ke baare mein pata chalne wala hai......

Main - Ghar......par main nahi jaana chahta......

Main kya karta ghar pe jaake......kyunki usse jyada jaruri kaam mujhe yaha pe tha naa.......Mujhe dekhna tha Madhu aur mera ye kya hai......matlab kya wo mere pass aa sakti hai....bas itni si hi baat thi.....yaa aur bhi kuch baat thi.....matlab.....kya koi aisa rasta bhi tha ki Main uske pas jaa sakku......

Tabhi mujhe yaad aaya.......jab wo mujhse pahli baar milli......matlab school mein.....matlab uss din jab usne paani daal diya tha mujhpe.....tab to hum sath the......pass pass the......kya uss waqt.....wo chah rahi thi ki hum saath ho yaa ye kuch aur tha......

Rupal - Nahi jaana chahte......kyun nahi jaana chahte tum ghar waha sab wait kar rahe honge......

Main - Maine nahi jaana yaha kaam hai mujhe jaao tum sab.......

Nikita - Rupal didi aap ek minute ke liye bahar jaaogi isse baat karni hai.......

Rupal - Main bahar jaaun......theek hai.....pata nahi kaun si khichdi pakk rahi hai tum dono mein.....

Itna bol wo bas bahar chali gayi......

Main - kya baat karni hai batao......aur dekho main pahle se kah raha hu Main nahi jaana chahta waha......mujhe kaam hai idhar.....

Nikita - Dekho.....agar tumne......galti se bhi......matlab galti se bhi Pankaj ko kuch kiya......to samajh lena.....main.....Main khoon kar dungi.....maine kaha tha Main usse pucch lungi par mauka hi nahi mila.....mujhe thoda aur waqt chahiye.....

Main - kya baat kar rahi ho.....mujhe ab nahi janna usse dimmag mein kya hai......nahi par phir bhi tum puch hi lo accha hoga.....main clear rahunga.....

Nikita ko meri baat samajh nahi aayi.....Main khud ki baatein nahi samajh paa raha tha usko kya hi samjhata abhi dimmag mein bas yahi chal raha tha kya main bhi usko chuu sakta hu.....

Nikita - kya bol rahe ho....kuch samajh aaye aisa bolo.....

Main - Dekho Main ghar nahi jaa raha aaj to nahi.....tum sab jaao aur Bua ko bol dena mujhe yaha pe thoda kaam hai Main kal aa jaaunga......yaa parso......

Nikita -(aankhen dikhate hue) theek hai.....par bhool ke bhi.....Pankaj ko kuch mat karna.....

Main - Arre theek hai meri Maa ab jaa naa.......mat karna mat karna.....pata nahi kya hai......ab tum ek aur baar ye baat kaho.....main abhi jaake usko peet ke aaunga......

Rupal didi - ho gaya tum dono ka......bua bula rahi hai jaldi se bahar aao......

Nikita ne meri oor dekha.....apni ungli meri taraf ki aur aankhen choti karte hue ungli hila rahi thi......

Main ass pass dekha kuch hai nahi kya isko maarne ke liye.....aur wo waha se chali gayi.....

Rupal didi - tujhe alag se bolu.....

Nikita - usko kaam hai Didi......rahne do....kal parso aa jaayega wo.....

Rupal - aise kaise rah......

Pata nahi unke dimmag mein kya aaya......wo ek dum se muskurane lagi.......

Rupal - Theek hai chotu.....bas dhyaan rakhna apna.....

itna bol dono challe gaye......Main ye soch raha tha ye itne ajeeb kyun hote hai ye log.....

Main utha apne jagah se.....aur pahle ye dekha ki Madhu kaha par hai......matlab itna to pata laga hi sakta tha na......

Wahi Nikita aur Rupal didi dono hi chale gaye the.....Bua ko jaake unhone kaha ki usko koi jaruri kaam hai usko abhi rahne dete hai.....Bua ne ek baar mujhe bulana chaha par phir kuch soch ke nahi aayi.....wo bas jaake gate ke pass khadi ho gayi thi......taaki bahar jaane ka jo procedure hai wo pura kar sakke.....

Sabhi wahi pe the.....

Rupal didi ne dekha ki dusri taraf ke line mein Pankaj aur Madhu lage hue the......aur unhone apna sar peet liya.......

Phir unhone socha ki unhone maafi nahi maangi thi Pankaj se......unko bhi maafi maang leni chahiye......taaki sab sort out rahe baad mein unki wajah se koi dkkat naa ho......

Wo Nikita se kah ke uss taraf nikal gayi......Nikita ne bhi dekha wo bhi jaana chahti thi par wo jaake kya kahti.....waise bhi Didi to pahle hi nikal li thi......

Didi Pankaj ke pass gayi aur.......

Didi - Pankaj......

Pankaj abhi kisi cheez ke baare mein soch raha tha......ki tabhi usko aawaj sunayi di......wo bhi Rupal ki......ek baar to usne yaad karne ki koshish hi shuru kar di ki kahi usne galti se koi panga to nahi le liya tha......

Madhu - haa boliye.....

Rupal - tum Madhu ho naa......waise to main abhi inse baat karne.....sorry maafi maangne aayi thi.....wo darasal picche bahut si galatfahmiya ho gayi thi.....aur jyadatar mere wajah se thi......aisa mujhe lagta hai to main soch rahi thi ki mujhe iske baare mein maai maang lena chahiye......taaki hum nayi suruwat kar sakke......

Madhu - yaha kisi ko nayi......

Pankaj - tum chup raho.......ye mujhse baat karne aayi hai......

Madhu ne gusse mein uski oor dekha.....

Pankaj - haa haa aap bolo......

Rupal - wo darasal baat aisi hai ki tum bhi jaante ho hamare bich mein bahut sari galatfahmiyan hui hai aur unke baad bahut si ladaiyan bhi......hai naa......to main soch rahi hu wo sab bhul jaaye aur hum dost ban sakte hai.....

Pankaj - haa sab bhul jaate hai.....aapne mere ghar pe aake mujhe peeta wo bhul jaate hai.....aapne mujhe baar baar peeta hai haa usme galti meri thi main jaanta hu.....par har jagah sahi aap bhi nahi the......to Main bas yahi kahunga.....aap aage jaao mujhe nahi ,atlab hai aap kya kahte ho aur kya nahi.....

Nikita waise to dur thi.....par sunn sab rahi thi.......

Usne jab sunna wo pankaj Rupal didi ki beizzati kar raha tha to usse raha nahi gaya.......

Wo unke taraf gayi.....

Nikita - Himmat kai........

Wo kuch bolti usse pahle hi Rupal didi ne usko rok liya aur bas itna kaha......

Rupal didi - Mujhe bas maafi maangni thi.....ab maaf karna naa karna ye to tumhare haath mein hai ye tum samjho.....aur iski baaton ka bhi bura mat manna.....Nikita chalo yaaha se......

Nikita ko wo khinchte hue leke gayi apne saath.......

Nikita - chodo mujhe.....ye samajhta kya hai khud ko......iske haath pair tod ke rakh dungi main.....aapko bola kaise isne ye sab......

Rupal - aeei pagal......chup.....main yaha sab khatam karne mein lagi hu aur tum ho ki sab wapas se shuru kar rahi ho......

Main - kya shuru kar rahe ho aap sab......

Bua - tu to nahi jaane wala tha naa phir yaha kya kar raha hai.......

Main - wo bas mann badal gaya.......

Rupal - aur kaam ka......kaam tha naa tujhe.......

Main - hmm par ab wo nahi ho paayega.......

Rupal - haa ab kaam bhi to jaa rahi hai......

Main - kya bol rahi ho aap......main samjha nahi......

Rupal - Kuch nahi.....main kaha kuch bol rahi hu......

Bua - to aa gaye tum.....maine to sunna tha kaam hai kuch tumko......

Main - wo to baad mein bhi ho jaayega.....

Bua ne aage kuch bhi nahi kaha.......sab bahar chale gaye......bus pe.......aur phir wo dono apne stop pe utar gaye aur hum apne stop pe.....waise main to Madhu wale stop pe utar hi jaata par K.Bua ne pucch liya kaha jaa rahe ho.....aur uss waqt batane ko kuch tha nahi.......

Hum ghar pahuch gaye........

Pahle khana khaya hum sab ne uske baad.......

Dada ji - tum sab ne ek saitaan ko maar diya tha......par wo kamzor tha......ab aage jo saitaan hai wo usse to takatwar hi hoga.......to kya tum taiyar ho......

Pata nahi inko kya sunna tha......kya humme is waqt jor se chilana chahiye tha yes siir.......aise cheezz ki ummid mein the wo.....pata nahi.....

Par humne kuch nahi kiya......bas unki oor dekhte rahe......

Dada ji - Plan taiyaar hai......iss baar bhi wahi karna hai 3 ladkiyan ek saath aur Prateek aur Nikita ek saath Nidhi aur Satya ek saath ........pichle hi baar ki tarah karna hai sab......kisi ko kuch kahna hai......

Nikita - Mujhe iske sath nahi rahna......matlab mujhe ladne ke liye jaana hai......main pichli baar bhi.....

Wo bas bol hi deti ki usko pichli baar Jwala ke kabile jaana pad gaya tha par wo rukk gayi......

Dadi - par isse Prateek akela ho jayega aur usko waqt lag jaayega pata lagane mein wo saitaan uss jagah pe kaha hai aur kaisa hai.....

Chachi waise bhi iss baat se pareshan thi ki Didi ki tabiyat thodi sahi nahi hai....to unko abhi inn sab mein naa bheja jaaye....unhone ye baad Didi ko samjhane ki koshish kari ki wo naa jaaye iss baar par wo maane tab naa.......ye mauka accha tha.....

Chachi - Mujhe bhi lagta hai Nikita ko ek mauka dena chahiye waha pe......Aur rahi Prateek ki baat to uske liye to.....Rupal chali jaayegi uske saath.......

Rupal - Mummy ye kya bol rahi ho.......Main kaise.....

Dadi ko bhi laga ye sahi hai......aur wo koi jor jabardasti to kar nahi rahi thi Nikita ke sath Nikita ne khud kaha tha waha jaane ke baare mein......

Dadi - mujhe bhi yahi lagta hai.....

Rupal didi - Dadi aap bhi.....aap to kam se kam mera......

Dadu - hmm to tay ho gaya hai Rupal aur Nikita apni jagah badal rahe hai.....to iss baar......Poonam aur Kavita thoda dhyaan se Nikita saath hogi tumhare.......

Main kuch nahi bol raha tha mujhe bolna hi nahi tha.....ye pata nahi kaise jeev ke baare mein baat kar rahe the.....isko pahle dekha hi nahi tha maine......

sab tai ho gaya kaun kaise jaayega.....saitaan ki baatein bhi kar li gayi.....ye ek shaher ke bich ka ilaka tha......koi band pada hua godam......iss shaitan ko sab ke sab bhoot samajhte the.....issi wajah se uss ilake ko haunted bata diya gaya tha,.....waha koi nahi jaata.....

Iss dauran Leader ye soch raha tha ki Main hu kaun,....aur maine wo sab kiya kaise.....matlab unn kiddon ko maarne ka wo tarika.......waisa tarika usne nahi dekha tha.....kisi ne nahi dekha tha......

Ghar pe ab sab sone chale gaye the.....aur main pahle se so chuka tha to maine socha kyun naa......bas ek baar.....dekh aaun usko.....

Ghar mein hi portal khola maine aur nikal gaya......mujhe ye pata tha wo dono ek saath honge.....matlab Pankaj ke ghar pe hi.......waise to uske ghar mein bhi jaa sakta tha main sidhe par dikkat bhi ho sakti thi isse.....agar main galti se Madhu ke jyada kareeb chala gaya to......

issi liye maine usse dur jo park tha Pankaj ke ghar ke pass waha jaana ka phaisla kiya......raat ho chukki thi koi tha bhi nahi waha......Main waha chala gaya......uss jagah se pankaj ka ghar dikhayi deta tha.......

Dhruv - aapko yaad hoga.....ye aapki Maa ka ghar hai....matlab iss waqt ki Maa ka.....waise to hum jaison ke koi apne nahi hote.....

Main - Dhruv tum inn riston mein kab se bhatakne lag gaye......ye sab accha nahi hai......

Dhruv - Main to bas aapki baaton ko dekh ke sikhta aaya hu.....aapne bhi to rista banaya tha.....

Main - wo baat aur thi....aur tum to dekh bhi rahe ho.....uske baad kya kya ho raha hai......kya tum inn sab se gujarna chahoge......

Dhruv - Kya aap unn sab mein khush the.....kya aap ek immortal ban ke khush the......kya aapko nahi pata tha ki kitne niyam hai aur naa jaane kitne hi bandishen......

Main - ye tum meri baatein kyun kar rahe ho Dhruv.....aur tum kya mera haal nahi dekh rahe ho.......iske mukable to uss waqt hi khu.....

Main jo bol raha tha agar uske bare mein sochu to main abhi sabse bada jhoot bolne wala tha......Main kabhi bhi ek immortal ke taur pe khush nahi tha......kyunki main bore ho jaata tha kuch karne ko bachta hi nahi mere pass.......Maine chizzen sikhna shuru kiya....aur bas sikhta chala gaya itna jyada ki main usme expert ban gaya par uske baad kya.....Main ek teacher ban gaya......Immortals ko gyaan batne lag gaya......ye tha mera kaam......Jab tak Madhu nahi aayi thi main bas bore hi hota rahta tha.....issi wajah se to Main dusre jeevon ki jindgiyon mein dakhal dene lag gaya tha......ye jeev mujhe acche lagte the....inke pass hamesa ek aisa mod hota tha.....jaha sab khatam bas sab khatam aage kuch bhi nahi......haa inme bhi dobara janam lena hota tha.....par inki yaadein mit jaaya karti thi.....chahera naya ho jaata tha......aur to aur aas pass ke log bhi badal jaate the......

Par ek Immortal ka.....uska kya.....wo to bas sadiyon se laga hua hota tha......naa yadein dhundhli hoti naa hi kuch aur.....

Dhruv - kya aap khush the......

Main - Nahi tum sahi ho.....main khush nahi tha.....mujhe insab se jalan hoti thi.....har kisi se.....har ek jeev se jo mar sakta tha......mujhe dekho Main to sayad theek se marra bhi nahi.....sab kuch to yaad hi hai mujhe.......meri body bas badal gayi hai......chahera bhi pahle jaisa hi hai.....dekho.....kya kahi se antar dikh raha hai.....

Dhruv - aapko mauka milla hai.....aap wo bane hue hai jinse aapko jalan ho rahi thi.....kya aap iske mazze lena nahi chahenge....kya aap inn roshon ka doston ka....

Main - bas bas.....samajh gaya kya kah rahe ho.....waise ye baat bhi sahi hai alag mujhe rishton ke baare mein pata hota to main......main sayad Madhu ke saath waisa nahi karta.....yakkin karta uspe......

Dhruv - hmm......

Main phir Pankaj ke ghar ke taraf nikla......ek aisi jagah jaga se sab dikh sakke......Maine dhyaan diya to itna samajh mein aa gaya ghar mein 3 log hai......aur tinno hi alag alag kamre mein.......sayad tinno hi so rahe the.....

Main Madhu ko dekh nahi paa raha tha......

Maine thodi aur koshish kari par kaam nahi bana aur uske baad main wapas aa gaya.......

Aur aate hi dhyaan lagane baith gaya......Dark power ko ab mujhe itna takatwar banana tha.....aur usko ek dum se control mein rakhna tha jisse mere iss sareer ko yaa phir mere aas pass ke logo ko koi pareshani naa ho......

Jab aakhen kholi to waha pe Rupal didi thi.....wo pata nahi kab aayi thi......wo bhi dhyaan laga rahi thi.....baaki ke sab ka sayad ho gaya tha......

Maine unki oor dekha......Energy levels ekdum se sahi the.....matlab wo ekdum se theek thi.....jo baatein unke dimmag mein honi chahiye thi wo sab waha pe thi....aur jo nahi wo nahi thi......

Maine phir unki kulhadi pe dhyaan lagaya.......wo aur bhi jyada badal gaya tha.....jo bats unke ander gaye the unhone naa sirf unko balki uss kulhadi ko bhi badal ke rakh diya tha jo maine diya tha......

Agar inhone apne shaktiyon pe sahi se kaabu kar liya.....to ye khooni ghoodsawaron ki rani ke roop se bhi jyada takatwar ho jaayegi......

Main - Dhruv dekho ab main tumhe kya sikhane wala hu.......apne ander ki takat ka ek tukda kisi ko de dena.....ye bahut hi effective hota hai......jo dene wala hota hai wo uss tukde ko wapas se bana bhi sakta hai to usko jyada fark nahi padta haa shuru mein thoda sa......par jisko wo tukda milta hai......wo achanak se takatwar ho jaata hai dekho.....

Maine apni aankhen band kari......aur khud ke energy levels pe dhyaan lagane laga.....aur uske baad apna haath Rupal didi ke sar ke upar rakha.....aur bas......mere haath se hote hue wo tukda unke ander......

Jaise hi ye hua wo kaampne lagi......par unki aankhen nahi khuli thi......wo waise hi kaampti rahi......aur karib 5 minute baad wo shant hone lagi......

Jab aankhen khuli to aankhen thodi aur kali ho gayi thi.....

Rupal - mere sar pe hath kyun rakha hua hai tumne.....

Main - kuch nahi......

wo uthi aur waha se chali gayi.....par jaate hue usne mud ke mujhe dekha.......

Main bhi unke picche picche ghar mein chala gaya......

Waha sab nasta kar rahe the......

Chachi - tum dono ko sabse pahle jaana chahiye tha.....aur tum dono.....chalo jaao taiyaar ho jaao aur khana khaa lo......

Humne wahi kiya......aur phir khane ke baad......waise to humse kaha gaya tha ki bus se jaaye par maine iss baare mein dhyaan hi nahi diya tha.....Main to ghar mein hi portal khol ke Didi ke saath waha sidha ussi godaam mein chala gaya tha,......waha pahuch ke Didi ko yaad aaya ye kya kar diya unhone......wo sidha waha aa gayi thi......

Ghar mein sab thoda gussa hue ki main plan se nahi chala mujhe bus se jaana chahiye tha......par....unhe kaha pata tha ki hum gomad mein chaale gaye hai unko to yahi laga ki hum bas uss ilake ke pass gaye honge.....

Rupal - ye kya.....tu to humme yaha leke aa gaya.......

Main - wo main bhool gaya tha.....accha chalo hum yaha se nikalte hai......

"kon hai.....kon hai waha....."

Main - kya aapne ye aawaj sunni......

Rupal - hmm kya ye koi insan hai.....

Main - humme dekhna chahiye agar ye insan hai to.....wo khatre mein hoga......

Rupal didi - hmm thek kaha.....par taiyaar rahna.....

Hum dono aage badhe sawdhani se......aawaj ki taraf.......

"Main yaha hu.....yaha....."

Main - ye kya hai.....koi hai bhi nahi yaha pe...

"niche dekho.....nicche....."

Rupal didi ne jab nicche dekha waha pe ek chota sa kidde itna chota ek aankh wala insan tha sayad......iske pair 2 hi the par haath 4......upar se sar thoda bada tha......samajh nahi aa rahaa tha ye hai kya......ye tha wo saitaan......jisse ladne aaye the hum sab.....

"mujhe yaha se le chalo.....main yaha nahi rah sakta......"

Rupal didi - ye hai kya......itna chota sa......aaahhhhhhh......isne kaata mujhe......

Didi ne itna bolte hue usko patak diya wahi pe.......

"wooooh........ye kya tha.......iss baar lagta hai......insan nahi.....ye kuch aur hi haat laga hai......tu bhi aa tujhe bhi chakh ke dekhta hu......"

Main - ye hai kya......

Rupal - Chotu......mujhe.....mujhe kuch accha nah.......

Unke chahre ka rang badalne laga tha......Main samajh nahi paaya ye kya ho gaya.......

Main - ye kya kiya tumne.....inko kya hua hai......

Maine ye bolte hue unki energy levels dekhi.....jo nicche hi jaate jaa rahi thi......aisa laga jaise ek baar mein hi iss jeev ne unki saari energy khinch li ho.....

Main abhi unki energy level dekh hi raha tha ki.......acchanak se sab badhne laga......mujhe ye pata tha ab kya hone wala hai......Maine unko side mein bitha diya......par jab nicche dekha uss jeev ke taraf waha wo akkela nahi tha.......uske jaise hazaron the waha pe.......aur sab itne chote the ki main talwaar chala ke maar nahi sakta tha.....aur ab sayad mujhe talwar chalane ki jarurat bhi nahi thi.....Main to soch raha tha ye aage ka kaha pe baith ke dekhun.....

Maine unn jeevon ki taraf dekha.....aur uske baad ek smile deke waha se thoda picche ho gaya aur ek ucchi jagah pe jaake baith gaya......

unn sab mein se jisne Didi ko kaata tha wo hasta hua bola.....

"kya lagta hai hum chote hai to upar nahi chadh paayenge.....tum aaye yaha do ho.....par jaayega koi bhi nahi......ek bhi haddi nahi bachegi tum dono ki......"

Maine jyada kuch nahi bola.....bas picche jaha pe Maine Rupal didi ko choda tha uss taraf dekhne ko kaha.......

Didi jo abhi tak niche baithi thi.....jinka chahera peela sa ho gaya tha......wo abhi ekdum alag hi look mein aa gayi thi.....

Bats ne apna kaam kiya.....unhone uske body ko bachaya aur khud ko ek kawach bana diya unke liye.....aur saath mein wo unko heal bhi kar rahe the......

Didi - Hmm ye khusbu bahut acchi hai.......bas thoda sa bhunna aur padega.....phir inn sab ko khane mein mazza hi aa jaayega......

"ye uth kaise gayi......aaj tak aisa nahi hua hai....."

" ye insan nahi hai sayad iss wajah se...."

"hamara zaher sirf insan pe hi nahi.......har kisi pe kaam karta hai......chahe koi bhi ho....."

Main - zaher......ye jo hai wo tumhare zaher ke 10-10 bottle pi jaaye aur kuch naa hoga inko......

"theek hai phir issi ko check kar lete hai naa......"

Wo sab ke sab badhne lage Didi ki taraf......

Didi ne apni Kulhadi nikali.......aur hawa mein upar uchali......

Main game shuru......

Dhruv - aapko kya lagta hai ye control mein rah jaayegi....abhi to......

Main - ab dekh hi lete hai naa Dhruv phir main to hu hi......accha ek madad kar sakte ho tum......aas pass kisi ko aane mat dena bas......uff ye body kyun nahi hai tumhare pass.....abhi kaam aur aasan ho jaata.......in sab ko jaldi se niptana hoga....isse pahle koi ghar se koi aaye......

Rupal didi ne abhi kulhadi upar uthayi hi to thi....maine ye nahi socha tha ki kulhadi ki jo shadow banne wali hai wo saare ke saare bats hone wale the......matlab jaise jis jis jagah pe kulhadi ki shadow banti waha pe chote chote bats chale jaate aur uss jagah ko ekdum se saaf kar dete.......wo kulhadi ki parchayi se wo chote log ab dar rahe the.....ek baar jaha jaha wo gayi.....waha per ke unke saare sathi hi gayab......

haa unki tadad bahut jyada thi....par phir bhi jab log marne lagte hai to dar hi jaate hai baaki sab......

Maine jab ye dekha to main bas baitha hi raha ab kya hi jarurat thi......ye Rupal didi khud isko kar rahi thi.....par maine jab nicche unke pairon ke pass dekha to waha pe wahi chote log dikhayi diye......wo sab wapas se unpe hamla karne jaa rahe the.....waise to ye kuch bhi nahi karne wale the.....par phir laga main thoda khel sakta hu yaha pe.......Maine apni talwar li aur nicche jamin se usko laga di......ye tarika pata nahi kyun sabse accha lag raha tha mujhe......

Unn saare kidde jitne logo ke charo taraf ek gol ghera bana diya maine.......bijli ka......matlab wo usse aage nahi jaa sakte the.......agar nikalte to wo maare jaate.....Rupal didi apne kulhadi ko bas yaha waha kar rahi thi taaki uski parchayi bas uske pass jaaye aur wo khatam......aise karte karte bas kuch hi jeev bacche the......

Main - Rukko didi itne rahne dete hai......

Mujhe laga wo meri baat sunegi.....par wo khud ke control mein nahi thi......ye wapas se ho gaya.....

Didi abhi bhi apni kulhadi yaha waha kar rahi thi....aur dekhte hi dekhte wo jeev.....wo bacche hi nahi jaise kabhi uss jagah pe the hi nahi.....par Didi to control mein thi nahi.....wo kulhadi meri taraf ghumane lag gayi.....matlab ab main tha unka sikkar....

Ab inko nuksan to pahucha nahi sakta tha Main.......Main bas khud ko bacchata raha.....yaa kahu iss sareer ko.....ye khatam ho jaata to pata nahi phir kab mujhe nayi body milti aur kya hota uss waqt......

Main - Didi aap theek hai naa......Didi.....

Wo sunn hi nahi rahi thi.....wo to bas mazze se apne kulhadi yaha waha kar rahi thi.......

Dhruv - ye khooni ghoodsawaron ki rani hai.....aap dekho sahi hai.....isko ussi naam se pukaro.....yaad dilao isko ki ye kulhadi aapki di hui hai......

Maine Dhruv ne jaisa kaha waisa hi kiya.....pahle unka naam liya.....unko bulaya par wo nahi sunn rahi thi.....maine dekha unke kaan dhakke hue hai.....kya ye aisa ho sakta hai ye bats jaan bujh ke......

Main itna to jaanta tha main unko wapas se theek kar hi dunga......Maine apni talwar li aur unki oor badh gaya.......

Par unhone bhi wahi kiya.....wo ladna chahti thi......

Main unko kam se kam nukshan pahuchana chahta tha.....to maine bas halke haathon se ladayi shuru ki......

Maine waar kiya....unhone usko apne kulhadi se rook liya......yahi.....yahi to baat thi.....issi ke wajah se to inko kulhadi di thi maine......inke kulhadi ko chlane ka tarika.....aisa tha jaise.....jaise titli ka udna panchi ka chahakna.....matlab ekdum se natural.......aur saath mein jab ye apna dimmag lagane lag jaat thi tab ye ek dum se unpridictable ho jaati thi.....

Hmm thoda jor lagana hoga.......

Maine iss baar uspe aise waar karne shuru kar diya jisse uske kalaiyan modni pade.....ab maana wo lachili thi....par itni bhi nahi ki ek baar iss taraf kalai modi aur uske turant baad dusri taraf wo bhi puri tarah se.....aisa mumkin hi nahi tha......bas maine ye 4-5 baaar kiya....jiske baad uski Kulhadi per se pakad kamzor ho gayi thi......

aur 2 war ke baad kulhadi jamie pe girri hui thi.....

Maine unko uthaya......

Wo bahut bhadak gayi ye dekh ke.......Main chup chap apne jagah pe wo kulhadi utahaye khada raha......aur wo meri oor daudhte hue aa rahi thi gusse mein....maine uss ek kulhadi ko do mein badla....aur apni talwar ko wapas bula liya......dono haathon mein wo kulhadi pakde hue tha main.....

Jaise hi.....jaise hi wo mere pass aayi maine unke kaano pe wo kulhadi bas touch karai.....jisse wo jagah khul gayi ab ye sunn sakti thi mujhe.....par mere aisa karne pe wo ekdum se chilaane lag gayi.....bahut jyada.....

"nayi mat maaro isko.....ye bas khel raha tha......ye khel raha tha mere saath......khelne do isk.oo....o "

Aur unki aawaj dheere dheere kamzor hoti jaa rahi thi....matlab wo ekdum se nicche baith gayi.....aur behosh hi ho gayi....

Main - ye jeev abhi bhi naadan hai......inn bats ka kuch to karna hi hoga........RIIIAAANNN

Maine apne immortal dost ko bulaya......aur wo aa gaya waha pe......par bas wahi nahi aaya saath mei ghar se log bhi pahuch gaye the.....bas wo ander nahi aaye the abhi.....

Main - Rian ye bats......ye bhi tumhare banaye hue hai kya......

Rian - ye maine nahi banaye hai.....par main inko bana sakta hu......tumhe chahiye.....

Main - nahi......kya tum inse baat kar sakte ho meri baat intak pahucha sakte ho......

Rian - ye bhi koi kahne ki baat hai batao kya kahna hai.......

Main - inse kaho ki Didi ke saath ye rah sakte hai.....par ye mazak band kare.....wo unpe puri tarah se kaabu nahi kar sakte.....agar wapas se aisa kiya to main inko alag kar dunga......

Rian - didi......kya kya hai.....

Main - iss baare mein baad mein baat karenge pahle jo bola hai wo karo......

Rian - hmm theek hai......

Phir pata nahi wo kya karne lag gaya......Maine kuch aawaj sunni mujhe laga ki sayad unn jeevon mein se ek do bacha hua hoga.....wahi kar rahe hai ye aawaj.....par nahi ye to ghar wale the....abhi dono Bua aur Nikita ander aane wale the......

Sukar hai hum darwaje ke pass nahi the.....unko waqt lagna tha.....

Maine Rian ko dekha wo kuch to kar raha tha......

Main - Jaldi karo mere family wale aate hi honge....unko kya bataunga.....

Rian - bas ho gaya......ye ziddi hai bade.......inka kahna hai ki inko khelne ke liye waqt chahiye hi chahiye.....aur ye.....ye inki Maa hai hum alag nahi kar sakte inhe.....ye kya hai.....

Main - bahut lambi kahani.....theek hai bolo inko ki inko khelne ke liye hum waqt denge.....par ye puri tarah se kaabu kabhi nahi karenge Didi ko warna sach mein inko nikal fekunga main.....aur jaldi kaho......

Rian ne waisa hi kiya.....par utne mein waha pe wo tinno aa pahuche.......

Bua - Bacchu.......Rupal.....kya hua.....ye.....ye kaun hai.......

Maine thoda socha aur phir kaha......

Main - Bua ye wahi saitaan hai......par ye accha hai.....dekho ye ab Rupal didi ko theek kar raha hai......

Bua - Bacchu Rupal ko pakdo aur dur ho jaao usse......

Rian - Saitaan......saitaan bas yahi sunna baaki rah gaya tha.....

Maine usko natak ka ishara kiya par ek number ka chutiya tha wo.......

Usne portal khola aur waha se chala gaya....bc naraz hoke chala gaya.....par wapas aayega hi wo......

Bua - wo kaha gaya......wo apne sathiyon ko lene gaya hoga.....Nikita sabhi ko yaha bulao....kavita check karo Rupal ko.....

Itne mein Rupal didi khud uth gayi.....

Rupal didi - mann nahi bhara aap sab ka ab kya roz roz check karoge mujhe......

Bua - Rupal tu theek hai naa......

Rupal - haa......bas ye....ye haath mein thoda......

Unko uss jeev ne jaha kaata tha waha pe bas thodi si jalan ho rahi thi.....kapde bhi pahle jaise ho gaye the unke......

K.Bua - wo saitaan kaha gaya......

Main - K.Bua wo accha wala tha.....usko bas madad chahiye tha taaki wo portal khol ke nikal sakke....aur maine aur didi ne wahi kiya.....wo chala gaya.....hai na Didi.....

Didi apna sar pakadte hue......

Rupal didi - ab tu kah raha hai to sahi hi hoga naa......

Next update mein Madhu se milne ko Pankaj ke ghar mein ghusna hai.....par waha Mama bhi honge.....to thoda family drama......
 
Prince sumit

Active Member
680
2,283
138

Nice update bhai 👍👌😀😊👏🙂👍👌
 
ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,878
188

Fantastic update bhai
 
Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,003
173

Hasheen update bhai
 
Naik

Well-Known Member
21,302
77,079
258

Bahot behtareen shaandaar mazedaar update bhai
Bahot khoob lajawab
 
Top