• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Immortals

🔥 Read Next Hot Story →
Discover more exclusive stories

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Sr. Moderator
47,898
40,344
304
Last edited:

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE - 94

Hum ghar pe the.......Main aur Rupal didi bich mein baithe the.......aas pass sabhi khade the aur baithe the......

Chachi - dono ke dono ander gaye hi kyun.......kya jarurat thi jaane ki......

Didi - waha pe aawajein aa rahi thi.......humme laga.......sayd koi musibat mein hai.......hum aise kaise.....usko rahne dete.....

unhone mujhe bachane ko jhoot bol diya.......Maine aisa to nahi socha tha.......

Chachi - kya tumhe nahi laga wo wahi saitaan hoga.......kya milla tha ander koi.......wo insan milla tha kya......

Chachi - ussi ke wajah se to behosh hui main......tu chup kyun baitha hai bata jaldi.......

Main -main.....wo.....hmmm......haa ussi se.....ussi hua tha.....ye sab ussi ki wajah se hua tha......

Dadi - to wo insan kaha gaya......kahi usko.......

Didi - Nahi wo to waha se bhag gaya........ander ki taraf........wo camera leke aaya tha sayad wo bhoot dekhne aaya ho.....aur humko dekh ke wo bhag gaya.....par jaane se pahle usne...... tu chup kyun hai bolega.......baitha hai aise hi......Mummy main jaa rahi hu mera sar dard kar raha hai......Mujhe sona hai......

Chachi - baitho chup chap kya lagta hai sab mann lungi main......Kavita isko check karo jarra......

Didi - Haa ye sahi hai......har waqt check karte jaao ye Doctor ko issi ke liye to rakha hai ghar mein naa........thoda der hua Rupal ko check karo......mujhe nahi karana kuch......

Wo jhootha gussa dikha ke waha se nikal li........ab main bacha tha sirf.......

Chachi - isko main baad mein dekhungi.....tum batao.....kya kya hua tha waha pe........aur dhyaan rahe......jo bhi bologe wo sab usse confirm karaungi.....agar dono ki baatein alag hui.....to samajh lena......

Maine bas unki hi baatein batayi thoda badha chadha ke......aur phir main bhi waha se khishak liya.......

Bua - Kavita tu uski baaton ka bur.......

K.Bua - kya bol rahi hai......uski baaton ka bura kaise lag sakta hai......wo bhi to apni hi hai naa......tu bhi.....Bhabhi isko check karu kya.....mujhe isme bhi dikkat lag rahi hai......

Bua - jyada udd mat......samjhi.....

Maine dekha ye log khud mein lage hue hai main waha se nikal gaya.......

Bahar aaya tha main.......mujhe iss waqt uss Rian se baat karna tha.......uss Old Owl ke baare mein uska kaam kiya yaa nahi........

Maine usko ek do baar aawaj di......par aaya hi nahi wo........ek number ka chutiya hai ye bhi.......Immortals mein sayad ye sabse bewakoof ho......par jitna ye bewakoof hai iski muhboli bahen :faint: wo utni hi chalak thi.......

Ab ye aaya nahi to main chal diya aise hi aas pass ghumne ko wo bhi binna kisi ko bataye.........

Ghar pe Bua sabko wo sab bata rahi thi jo kuch din pahle hua tha.......hamara Strange world mein chale jaana waha pe Nix logo ka alag ho jaana......ye sab.......

Unhone iske baare mein bahut socha ki bataya jaaye yaa naa jaaye......par jab unhone mera behaviour dekha to ek tarah se unko laga ki sayad isse problem ho sakti hai.......to aage kuch bura naa ho iske liye wo sabko batana hi sahi samjhi.......par bas utna h jo pata hona chahiye.......haa Madhu ke baare mein bhi bata diya inhone jo bhi inko pata tha.......

Chachi - Matlab kya hai......ye pichle janam jaisa hai kya kuch......

Bua - Pujari ji ne jaisa kaha tha usse to mujhe bhi yahi lagta hai Bhabhi.......bas aap sab thoda usko ab bado jaisa treat karna.......

Dadi - wo ladki kaun hai......usko dekha hai naa tunne.......

Bua - Haa main usko.......ye aap abhi se kya leke baith gayi......

Dadi - Kya leke baith gayi se kya matlab hai......ab khud ki bhi age dekho......kya pata agar tumhare bhatije ki shadi ho jaaye to tumhara dimmag khule ki tumko bhi kar lena chahiye......

Bua - Maaa........kya kabhi bhi kuch bhi shuru kar deti ho.......

K.Bua - Kya bol rahi hai......sahi to kaha inhone.......ab umar ho gayi hai teri.......

Chachi chay ka pyaala apne honton se lagate hue......

Chachi - waise umar to tumhari bhi ho gayi hai.......kaho to tumhare yaha iski khabar de du.......

K.Bua ki aankhen ek dum se badi ho gayi......wo ekdum Chachi ko dekhne lagi.......

Bua - hmm ye bhi sahi hai Bhabhi......

Yaha ye sab chal raha tha,......Main aaj wapas se jaake baitha hua tha park mein......ab ghar jaa nahi sakta tha main......to bas waise hi baitha uske ghar ke taraf dekh raha tha ki sayad.......galti se......bas ek baar......wo dikh jaaye.....aur main usko dekhu......kass wo rukk jati......waise hi kisi murat ki tarah....aur main bas usko dekhta rahta........

"aaee Bacche tum yaha......"

pata nahi kaun tha......pahle to maine ignore maara.......par wo mere pass aa gaya.....jab dekha usko to wo leader tha.......

Leader - tum yaha kya kar rahe ho......

Main - tumse matlab.......

Leader - dekho uss din jaan naa bachai hoti to abhi yahi pe.....

Main - mujhe tumse koi ladayi nahi karni main bas yaha pe baith.......

Bol hi raha tha ki uske dusre taraf se......Madhu aur wo Pankaj aate hue dikhe.......

Dhadkane ekdum se tezz ho gayi......sar pe pasina aa gaya......waha hawa acchi khassi chal rahi thi....aur main to chaaw mein baitha tha......

Main - Agar wo aa rahi hai to main binna darre yaha rah sakta hu.......mujhe kuch nahi hoga......main usko itne pass se wapas se dekh paaunga......

Main bas yahi to soch raha tha......aur wo dono aaye.....

Pankaj - aap yaha ho hum uss taraf dekh rahe the.....

Leader - arre main wahi tha.....wo to isko dekha........sach kahte the tum......ye log..... :sigh:

Wo baat puri karta usse pahle mujhe kahna tha kuch warna ye leader meri image aur kharab kar deta Madhu ke samne......

Main - Pankaj mere bhai......wo main......mujhe Maa ki yaad aa rahi thi.....yaad hai tumne mujhe kaha tha wo yahi rahti thi.....unka ek kamra tha......Main bas ussi ke baare mein soch raha tha......

Madhu - Ye kya bol raha hai Pankaj......

Pankaj to pahle bas mujhe dekhe jaa raha tha.......ekdum se shocked........

Madhu - Pankaj....kya hua......ye kya bol raha hai.....

Pankaj - isne mujhe bhai kaha......tumne sunna naa......aapne sunna Bhai kaha isne mujhe.....

Main - Ab bhai ko to Bhai hi kahenge naa......

Pankaj - Par main kaha tumhara bhai hu......tumhi ne kaha tha pahle dost banenge aur phir bhai....main to dost bhi nahi ban sakka Bhai to dur ki baat hai.....isko rahne dete hai.....

Mann to kiya abhi yahi pe apni talwaar se isko 1000 tukdon mein kaat du.......

Madhu - rukko.....isne kaha iski Maa yaha rahti thi.....to kya......

Pankaj - Maine tumhe ye sab bataya to tha......

Madhu - Hmm main iss baare mein bhul gayi......Iska naam kya tha......

:redface: Naam bhul gayi.... :suicide: mera naam bhul gayi.....kyun.....

jab usne puccha mera naam kya tha......main bas apne jagah se utha.......aas pass kya hai kaun hai kyun hai kisi chizz se matlab nahi raha tha mera......maine portal khola aur waha se nikal gaya......

Main nahi jaanta tha main kaha jaa raha hu.......bas khola aur nikal gaya waha se......

Ye bhi sayad ek park hi tha......Main baith gaya ek taalab ke saamne.....

Bahut ajeeb lag raha tha matlab kya hi kahu isko........naa accha kah sakta hu naa burra......gussa tha.....par dukh usse jyada tha.....

Wahi baitha taalab mein chote chote bijli ke tukde phenkne laga main.......

Wahi waha Madhu ke pass.......

unhone dekha ki Maine portal khola aur uske ander chala gaya.......wo bhi iss waqt.....jab park bhara hua tha......Madhu ko itna to pata tha ki ye sab insano ke saamne nahi karte hai......

Wo teeno aas pass dekhne lag gaye.......ki kahi kisi ne dekha to nahi abhi jo hua.......karib 10 minute tak wo dekhte rahe......aur jab unko laga kisi ne nahi dekha tab wo waha se wapas apne ghar jaane lage.....inka plan kuch aur tha par ho kuch aur gaya......

Madhu - usko aisa nahi karna chahiye tha......agar kisi Insan ne dekha hota to pareshani ho jaati......aare ek do hote to hum sambhal sakte the.....usne purre park ke samne ye kiya tha......

Pankaj ko thoda thoda samajh aa raha tha Prateek ne aisa kyun kiya.....aur abhi wo thoda sa ghabra bhi raha tha......Pujari ji ke kahe anusar.......kisi bhi kimmat pe Madhu aur Prateek ke bich nahi aana hai.....aur wo aa chuka tha......ab usko pata nahi tha aage kya ho sakta hai....

Pankaj - Humme iske baare mein ghar mein batana hoga.....Papa ko ye sab batana hoga.....wo inn sabko thoda aur baarikhi se dekhenge...

Leader - Main isme madad kar sakta tha par agar maine apni powers uss amount mein bahar nikale to dikkat ho sakti hai......Head office ko pata chal jaayega aur phir main....wapas chala jaaunga sayad......

Madhu - Humme bas jaake ye tumhare Papa ko bolna hai......par isme tumhari galti hai Pankaj......

Pankaj ne jab ye sunna uski fatt gayi thi......wo itne der se bas yahi to soch raha tha......Pujari ji ki baat.......dono ke bich mein nahi aana hai.....aur ab Madhu ne usko galat bol diya......ho sakta hai ye abhi kaabu se bahar jaaye aur.....kaam khatam......

Pankaj - nahi.....nahi.....dekho main galat tha....par tum bas iske liye mujhe kuch nahi kar sakti......Main bata raha hu tumko.....main usko yaha leke aaunga....tumhare saamne.....tumse milne ko......bas kuch karna mat mujhe......

Madhu ko samajh nahi aaya iska matlab....wo apna sar khujane lag gayi.......

Madhu - Ye kya bol rahe ho.....maine kab kaha main kuch karne wali hu......maine kaha tumhari galti thi......uski Maa rahti thi tumhare yaha.....aur usko uski Maa ki yaad aa rahi thi.....usko aane dena tha....baaki batein baad mein kar sakte the....par usko aane to dena tha......

Leader - Main bhi sayad yahi kahunga.....

Pankaj - haa....usko aane dena chahiye tha.....main khud leke aaunga usko......tum bas....bas mujhe kuch mat karna.....main leke aaunga usko......

Madhu - Pagal ho kya,......main kya karungi tumko......bekkar mein kuch bhi bole jaa rahe ho......chalo ghar aur jaake batao sab kuch......

Pankaj kaamp raha tha iss waqt......usne apni aakhon se dekha tha darwaja ukhadte hue......

Wo jaldi se ghar mein gaya.....Daksh ko dhundha aur sab kuch bataya......naa sirf ye sab,.......balki Strange world wala kissa bhi.....wo kissa jo school mein sab samajh nahi paa rahe the ki kya tha.......School ke hisab se Madhu bas waha chali gayi aur uske baad jab wo wapas aayi to uske sath saath aadhe se jyada Nix bhi yaha aa gaye......

Sabko aisa laga wo bas apne logo ki madad karne gayi thi.....yaa aisa hi kuch......par jab saari sachayi Pankaj ne Daksh ko batayi to wo.....wo pareshan ho gaye......wo samajh nahi paa rahe the ki kya karna chahiye......matlab aisa kuch unhone pahli baar sunna tha......

Aur jiss tarah se sab unko bataya gaya wo samajh rahe the sab sach hi hona chahiye......

Unhone isko bado ki tarah handle karne ka socha.......pahle to wo uss park mein gaye.....aur waha pe uss portal ke tukde dekhne lage......kyunki wo sabse pahle Prateek ko dhundhna chahte the.....

Par kuch bhi nahi milla waisa......wo waha se wapas aaye......dekha Leader Madhu aur Pankaj wahi hai......

Daksh - Pankaj ghar pe raho Madhu ke saath.....aur aapko main thoda parehsan karna chahta hu.....kya aap mere saath Meri Bahen ke yaha chalenge......mujhe lagta hai humme unse baat karni hogi isko leke......

Pankaj - Main bhi chalunga......main yaha pe.....

Daksh ko pata tha wo kya soch raha hai......unhone manna kar diya......

Pankaj ko ghar pe hi rahna tha Madhu ke saath.......aur usko bas yahi lag raha tha naa jaane kab......wo wapas se apna aapa kho degi aur usko.......agar ye nahi karegi to wo Prateek aa jaayega aur wo......yaa phir sayad dono milke......

Pankaj - Papa main Pujari ji ke pass.....haa unke pass chala jaata hu.....sayad......

Madhu ko ye bada ajeeb lag raha tha matlab itni si baat hui aur ye Pankaj usse itna darr raha tha....usne kuch kaha bhi nahi usko jyada......

Madhu - Main jaa rahi hu waha........Daksh sir aapne mujhe apne saath rakha bahut bahut aabhar uska.....par.....par ab sayad main iss jagah ke liye sahi nahi hu......waise bhi mere kabile ke log yaha aa chukke hai.....Main unke saath hi rahna pasand karungi......

Daksh - abhi ke liye iss baat ko yahi rahne dete hai Madhu......tum ek kaam karo......apne iss darpokh bhai ko leke jaau apne Pujari ji ke pass......aur tum.......darr kya rahe ho.......aaj tumhari Maa yaha hoti to....pata nahi kya sochti wo......

Pankaj darra hua tha......usne dekha tha kya hua tha darwaje ke saath.....iss wajahse wo darra hua tha.....par apne pita ki baat sunn ke usko khud se sharm aane lagi......

Pankaj - Main yahi rahunga.....madhu ke saath.....aap jaao......

Madhu - main jaa rahi hu Pujari ji ke pass......

Daksh - Beta kuch der rukk jaao......nahi to ye......

Madhu - ye meri wajah se to darr raha hai.....aur maine kaha kuch kiya iske sath....maine kuch bola tumko.....jo darr rahe ho.....

Yaha ye sab chal raha tha wahi ghar pe ab sabhi mujhe dundh rahe the.....kyunki main bahut der se bahar tha......Nikita ne Jwala ko bulana sahi nahi samjha sabhi ke saamne......par usko pata tha main kaha ho sakta hu........

To usne sabko bata diya......aur uski baat se lagbhag sab santust the......

Nikita - Wo pakka Madhu ke pass hoga......School mein bhi usko dekhta rahta hai bas.......

Bua - hmmm Mujhe bhi yahi lag raha hai....par kya humme....waha jaana chahiye......

Chachi - Main baat karti hu Daksh se......sayad unko pata ho Madhu kaha hai phir waha jaake dekh lenge.....

Chachi ne ye kaha aur call laga diya......

Waha Daksh samjha rahe the ghar pe hi raho....par Madhu mann nahi rahi thi......

Chachi - Hello......Daksh ji.......

Daksh - Hmm....bataiye Nitya kya kar sakta hu main aapke liye......

Chachi - Ek minute........(ye Daksh ji ko bhi pata hai ye sab yaa sirf humme hi pata hai...)

Bua - Pankaj tha waha pe pata nahi usne bataya hai yaa nahi.....

Halaki phone ko dhakk rakha tha par aawaj chali gayi......

Daksh - Nitya ji mujhe inn sab ke baare mein abhi hi pata chala hai......hum iss baare mein baad mein baat karenge.....waise mujhe aapse ek baat puchni thi.....

Chachi - Hmm iss baare mein milke ek saath baat karna hi sahi hoga.....aur haa puchiye kya puchna hai uske baad main bhi puch lungi.....

Daksh - Wo Kya Prateek waha pe hai abhi....

Chachi - Nahi to yaha nahi hai......Mujhe lagta hai aapke ghar ke pass hoga wo Madhu aapke yaha hi hai naa......

Daksh Mama ko samajh aa gaya tha ki wo ghar to nahi gaya hai......to pahle wo baaki sab se thoda dur ho gaye......

Daksh - Ji darasal baat aisi hai.......Prateek tha yaha pe.....par baccho mein kuch baatein ho gayi.....aur wo yaha se chala gaya......mujhe laga aapke pass hoga to main aane wala tha.....par aapne call kar diya....wo yaha nahi hai.....aur naa hi uske portal ka koi tukda mujhe milla hai jisse main bata paaun wo kaha hai....

Chachi - Hmm.....ye to chinta ki baat hai.....Hum aa rahe hai waha pe.......

Call cut aur Chachi ne ye baat sabhi ko batayi...

Chachi ki baat sunne ke baad sabhi jaane ko ready ho gaye.....par Bua ne Nikita ko ghar pe rukne ko kaha......ek to Didi thi apne kamre mein iss wajah se aur dusra....wo chahti thi Nikita waha pe Jwala ko bulaye aur usko dhundhne kahe......

Sabhi ko ye sahi laga ki Nikita ghar mein rahi to agar Prateek wapas aaya to wo bata degi.....saath mein Rupal ko bhi dekh legi......sab usko waha chod ke nikal gaye.......

Nikita ne bhi sabke jaane ke baad jaldi se Jwala ko bulaya......aur usko Prateek ko dhundhne ko bola......

Jwala bhi chal diya......

Sab Mujhe dhundh rahe the......par main ek taalab ke pass baitha taalab mein bijli ke chote chote tukde paani mein fenk raha tha.....usse waha pe wo paani garam hota jaa raha tha......aur aas pass baadal jaisa ban gaya tha.......

"Aee ladke ......kya kar rahe ho yaha......band karo ye badal banana......"

Maine mudd ke dekha......ek budha.....haa Budha hi tha.....yaa pata nahi matlab baal aise safed ki uske saamne dudh bhi ganda lage......aur chahra bhi bahut attractive tha......ek pal ko laga ki ye Orion ka hi banda hoga.....par phir.....uske kapde dekh ke laga nahi ye nahi hai waha ka....ye koi aur hi hai.....

"jaao yaha se.....mera mood sahi nahi hai.....bhago...."

Maine aise hi usko kah diya.......

Jaane ke wajaye wo mere bagal mein aake baith gaya......maine ek baar uski taraf dekha....phir laga bekkar mein kya karna......main ab pattar utha ke fenkne wala tha ki......

"bijli khatam ho gayi kya.....jo patther utha liya....."

Main - to tum bhi koi jaadui jeev ho.....

"hmm main.......haa main bhi hu....."

Ajeeb tha......aisa laga pahle wo kuch aur kahne wala tha aur phir socha kya samjhana mujhe.....usne bas haa kah diya......ye mujhe bewakoof samajh raha hai.....

Main - tum jaao kahi aur jaake baitho.....main yaha akela rahna chahta hu......

Nadi ke upar badal banne hue the.....meri wajah se......usne apna haath aage kiya....aur ek tezz hawa ka jhoonka aaya aur usse wo puri jagah saaf ho gayi.....bas raha to.......paani ke upar machliyan.....

Ye machliyan paani ke upar kyun thi pata nahi.......

" ye sab dekh rahe ho......tumne inn sab ko maar diya.....inko maine banaya tha.....ye sab tumne khatam kar diya......."

Maine jab sunna wo saari machliyan marri hui hai mujhe bura laga......main yaha apne dukh ko mitane aaya tha ye to dusro ko mitta baitha.....

Main - maaf karna mujhe pata nahi tha aisa kuch ho jayega.......Main chala jaata hu yaha se......

Wo - sunno.....baitho.....chalo baatein karte hai kuch....thoda bahut tum batao....thoda bahut main bataunga......

Main - tum mujhe nahi jaante aur naa Main tumko......humme kya baat hogi......

Wo - to jaan lete hai naa......Main Viraj hu.....

Next update mein inki baatein sunenge......Viraj batane wala hai kaise usko Sofia na jhoot bola aur Slayer ko bana diya.....Matlab Slayer ka pura itihaas pata chalne wala hai usko.....aur saath hi wo kiss jagah pe hai wo bhi.....insano ko laane ka waqt bhi ho gaya hai.....
Very fantastic update
 

Raja maurya

Well-Known Member
5,124
11,310
188
UPDATE - 107

2 Din baad

Fumos ki pareshaniya bas badhti hi jaa rahi thi.......wo ped jo waha pe the wo koi aam ped the nahi ek tarah se unme bhi Fumos ki shaktiyan thi........aur wo shaktiyan apne banane wale se milne ko taras si rahi thi........

Sayad yahi wajah bhi thi ki unn pedon ki jadein tezzi se Fumso ke ander tak jaa rahi thi......waha jaha pe Fumos ki saari shaktiyan basti thi.......

Isse bachne ko Fumos bhukamp laa raha tha yaa aur bhi cheezin kar raha tha par wo ped.......wo jaise ke taise hi the.......nahi ulta aur badh rahe the.......

Leader ye sab dekh raha tha........usko bas itna pata tha ki kuch to ho raha hai.....par kya ye sach mein wo bhi nahi samajh paa raha tha........aur wo samajhna bhi nahi chahta tha.......aakhir usko uss jagah se nikalna bhi tha......aur apni Beti ke pass jaana tha.....

Par usko DB ki fikar ho rahi thi.....wo nahi chahta tha ki iss waqt kuch ho jaaye........wo bas iss baare mein soch raha tha ki kab DB Prateek ko waha bulayega.......

Isi ke liye to usne baaki ke Fumos ke jeevon ko bhi kaam pe laga diya tha.....taaki unko iske baare mein pata naa chale......par aisa kuch nahi hua......

DB ne Prateek ko nahi bulaya tha......abhi tak to nahi......

Wahi Slayer jisko khud iss jagah se bahar jaana tha......aur ab usko koi mil gaya tha jo sayad usko waha se nikal de.......to wo usko kaise chodta.....

Slayer ne piccha kiya tha Fumos ke unn jeevon ka jinhone DB ko uthaya tha.......

Wo ye mauka kaise chod sakta tha.....itne waqt se iss jagah se nikalne ke liye wo tadap raha tha.......usne kya kuch try nahi kiya.....par aakhir mein usko kuch bhi nahi mil paa raha tha aur ab usko koi aur milla......

Wo theek ussi jagah ke samne khada tha jaha pe DB ko leke gaye the.......ye bahar se to pahad ki tarah dikhta tha par ander se khokhla tha.......haa lekin isme koi darwaja nahi tha......nicche patheron ki itni moti parat thi ki koi bhi usko todd ke bahar nahi jaa sakta tha.....aur bahar wala kyun hi ek pahad ko todne ki koshish karega......

DB ke pass kuch beej aur the......par wo unhe yaha kharch nahi karna chahta tha.....wo kisi aur hi chizz ke liye the......

Khair Slayer ne ye dekh hi liya tha.....aur usne tay kar liya wo uss pahad ko todd ke hi rahega.......

Bas phir kya tha.....wo lag gaya apne kaam mein........Iss waqt Fumos khud ko control nahi kar paa raha tha wo aakhir kis tarah se Slayer ki shaktiyon ko kam jjyada kar paata........

Slayer ne shuru mein to aise hi maara unn patheron ko par jaise hi unko iss baat ka andaja hua ki uski shaktiyan wapas aa gayi hai.......usme aur josh bhar gaya aur wo bas......maarta raha unn patheron ko aur wo pather tutne lag gaye.....kuch ander bhi jaa rahe the......

DB - jyada khush ho gaya ye sayad........

Uske baad wo Old Owl chillaya........

Old Owl jo iss waqt theek Slayer ke pass baitha hua tha,......usko dekh raha tha.......binna usko khabar hue......yahi kaam to tha uska......

Upar se Rian ne usko iss kaam mein aur jyada kaabil bana diya tha......ek baar ko to usko bhi yakkin nahi hua ki DB usko hi bulla raha tha......

Wo bas waha pe baitha ye dekh raha tha ki aage kya hota hai......

Lekin ab naam aa gaya uska.....to wo apni jagah se udda aur sidha jaa pahucha DB ke pass.......

Old Owl - tum mujhe dekh sakte the......kaise.....

DB - inn sab ke baare mein baad mein baat kar lenge......abhi mujhe yaha se nikalo......Ye Slayer to mujhe inn patheron ke bich mein hi marwa dega.......

Old Owl - par ye sab ho kya raha hai......

DB - Ye sab......ye sab bas aise hi hai......hmmm chalo ab bahar chalte hai......Mujhe uss Slayer se durr utarna.....wo ye pahad tode ye jaruri hai....

Old Owl DB ko leke waha se bahar aa gaya.......kuch iss tarah se ki Slayer ki nazar nahi padi......

Old Owl - Mujhe Prateek ne yaha pe ispe nazar rakhne ke liye bheja hai......tum yaha kya kar rahe ho......aur tumhe mere baare......

DB - Bas karo......Mujhe lagta hai waqt ho chala hai......

Old Owl - Kis chizz ka waqt......yaha pe ho kya raha hai aur ye bhukamp......

DB - Batata hu......par.....

Abhi wo kuch bolta usse pahle hi aasman se koi aa gira wahi pe......

DB - hmm sahi kaha tha.......Waqt ho gaya hai.....Old Owl tum yaha pe bahut waqt se ho......kya koi aisi jagah dekhi hai tumne jouske aaspass ke ilake se match nahi karti......

Old Owl - kya matlab ....

DB - ek aisi jagah jo uss jagah pe hai jaha pe usko nahi hona chahiye tha......aisa kuch.....

Old Owl - Main yaha bas Slayer pe nazar rakhne ko aaya hua hu.......aisi cheez maine nahi dekhi.....

DB - hmm tab tumhe thodi mehnat karni hogi......par sambhal kar.......upar ladai hone wali hai......

Old Owl - kya matlab hai....au.....

Wapas se thodi durri pe kuch girra.....

DB - tum aasmaan se dekho koi aisi jagah......ek aisi jagah jiske aas pass ka ilaka usse match nahi karta ho......

Waise to Old Owl ye nahi karna chahta tha.....par phir bhi wo chala gaya wo jaanta tha DB aur Prateek dost hai......

Wahi DB ussi jagah pe khada raha......sayad Slayer ka iss baat pe dhyaan nahi gaya ki aasmaan se kuch chizzen gir rahi hai.....wo to bas laga hua tha khud mein hi uss pahad ko todne mein,....

Leader jo iss waqt bas baitha tha.....usko pata chal chukka tha kya hua hai......aur wo isme chah ke bhi nahi rukk sakta tha.....usko Fumos pe hue hamle ka jawab dene jaana hi tha......chahe uski marzi ho yaa naa ho......

Aur usne wahi kiya wo waha se utha aur chala gaya bahar......

DB iss waqt uss Slayer ko dekh raha tha.....aur khud se baatein kar raha tha.....

DB - sayad ab sahi waqt aa gaya hai......wo waha pe busy hai.....agar iss waqt Prateek ko yaha bulaya jaaye to ye accha hoga.....par abhi ye Slayer takatwar hi hai......

DB nahi chahta tha ki ladai ho Prateek aur Slayer mein.....ab aisa kyun tha ye wahi jaane.....

Yaha se wo teleport nahi ho sakta tha.......usko khabar waha pahucani thi.....aur iska upar bhi usne dhundh rakha tha....par abhi wo upay waha pe tha nahi.....wo to kisi aur chizz mein laga hua tha.......to ye dekhte hue DB ne kuch der rukne ka socha.....waise bhi abhi Slayer ko waqt lagne wala tha.....

Ye sab waha Fumos pe jameen pe chal raha tha par uske aasman mein kuch aur hi chal raha tha......thodi waqt mein picche chal ke dekhte hai......

Demos pe wo sab taiyaari ho chukki thi......waise to ye do din Lucifer ke liye sayad sabse jyada muskil the.....wo intezzaar nahi kar paa raha tha par wo ye bhi jaanta tha agar thodi bhi gali hui....to chizzen bas kharab hi honi hai.....bas issi ko dekhte hue wo khud ko tasali deta raha......

Ki uska beta inn sab ke baad wapas aayega....aur uske baad wo uske saath wapas se uss shakti ko dhundhega aur usko sabse takatwar banayega......

Khair kisi tarah se ye do din bitane ke baad wo aaj jaldi se apne sainikon ko hamle ke liye bol deta hai......aur wo sab bhi waha se nikal padte hai.......

Inn do dinno mein Fumos ki halat kharab hi thi......aasman mein jo uske jeev uski suraksha ke liye the wo sab bhi kamzoor hue baithe the.......

Isse accha mauka bhi ho sakta hai kya......

Demos se log aaye aur unhone hamla kar diya.....ye ektarfa ladai si ho chukki thi......Raja khud ander se kamzoor hota jaa raha tha.....aur uske sainikon ki halat bhi waisi hi thi to isse accha koi samay hi nahi hamla ke liye.....

Wahi Earth pe.....

Yun to halchal yaha bhi ho rahi thi......par abhi sabhi ki nazarein FUmos ki taraf chali gayi thi......sabhi ki....Chahe wo Orion wale ho yaa Titan wale.....sab ke sab ussi pe nazar rakhe hue the.....kyun ki pahle kabhi bhi kuch aisa nahi hua tha Fumos ke saath....waha pe Bhukamp aate rahte the.....par itne bade bade jhatke nahi aur naa hi itne lambe......

Khair unki baat naa karte hue Prateek ko dekhte hai.....

Inn do dinno mein Main Madhu ke saath hi raha.......

Ab Main uski bahno ka bodyguard bana phir raha tha.....aur Madhu ko unke saath time spend karna tha.....to wo chahe yaa naa chahe Main waha pe rahne hi wala tha.....

Haa iss dauraan 2-3 baar uski mere se ladai bhi hui......wo darasal har baar mujhe uski taraf dekhte hue pakad leti thi.....aur usko chiddh hone lag gayi iss baat se.....

Sach kahu to wo sach mein mujhe bahut halke mein le rahi thi.....Main isse gussa nahi tha par khush bhi nahi tha.....

To Maine ek plan banaya.....

Mujhe usse jyada hi insano ki jindgi ke baare mein pata tha.....to Maine sabse pahle ussi baat ka fayda utaya...

Pahle Maine jaake movies ki 3 tickets li.....aur collage ke bahar gate ke pass baitha tha apni gaadi mein......

uski wo bahne driver ke saath aati thi....aur usme ek banda bhi hota tha.....

Mera plan tha Madhu ke waha aane se pahle hi Main unn dono ko collage bunk karne ko bolke unko movie dikhane ke liye le jaaunga.....aur uske baad wo sab karunga jisse Madhu aaj kisi tarah bhi unse mil hi naa paaye......

Bas plan ke hisab se jaise hi wo dono car se nicche aai....aur collage ke gate ki taraf badhi Main bhi apni car se nicche utar gaya......

"dekh aa gaya apna bodyguard :lol: "

"Ooye Hero yaha kya kar raha hai....."

Main - aaj class nahi karna mujhe......

"dekho to 2 din hue collage aaye aur mann bhar gaya iska...."

"Accha hi hai....Papa isko naukri pe rakh hi lenge...."

Main - Tumhe bhi nahi karna....

"kya matlab.....hum kyun nahi karenge class....."

"Haa batao jarra hum kyun naa kare....."

Main - Mere pass movie ki ticket hai....3 hai waise....to socha...aaj tumhe treat de du.....

"Humme koi trea....."

"haa haa challo challo.....kya bol rahi hai....yaar dekh ye collage ke baad jyada ghumne milta nahi hummme....tujhe bhi pata hai.....ab ek din kar li masti to kya hoga.....aur upar se iske saath hi jaa rahe hai naa....."

"theek hai ab tu bol rahi hai to...."

Wo dono maan gayi......Maine aas pass dekha.....abhi Madhu ke aane ka waqt nahi hua tha kuch der baaki tha.....to Maine unn dono ko car mein baithne bola aur wo dono bhi aa gayi....

"ek minute yaar Madhu bhi aati hogi usko bhi le chalte hai naa....wo kya karegi....."

Main - wo padhne wali ladki hai padegi aur kya karegi.....

Itna bol Maine car shuru kar di.....

Prateek waha se nikal gaya.....wahi thodi hi der mein waha pe Madhu aa gayi.....wo Scooty se aayi thi.....pichle din se hi usne ye shuru kiya tha.....

Aate hi yaha waha dekha.....jab humme se koi nahi dikha to wo ander chali gayi scooty park karne......aur uske baad collage mein....

Waha pe bhi tinno ko dhundha par koi nahi milla.....

Itne mein class shuru ho gayi.....uska mann to nahi tha class ka....par usko jana pada waha pe.....

Abhi class chal hi rahi thi.....ki wo apni jagah se khadi hui aur waha se nikal gayi....darasal usko bahut ajeeb sa lag raha tha 3 hi din hue the.....par phir bhi uski bonding acchi ban gayi thi apni bahno se....

Wo class se bahar aayi aur sabse pahle apne Chacha ko dhundhne lagi....usko laga sayad ghar mein kuch hua hoga.....agar aisa hai to wo waha jaana chahegi.....

Usko uske chacha mill gaye par wo class le rahe the.....usne kuch der socha....agar ghar mein kuch bhi hua hota to ye yaha pe nahi hote......yaa phir uske Papa jo abhi apne cabin mein baithe hue the.......Ghar mein nahi to kahi bahar kuch naa hua ho....aur kisi ko iss baare mein pata bhi nahi hai.....

Madhu waha se bhi bahar nikal gayi....aur apni scooty ke pass chali gayi....waha dekha to wo driver abhi bhi wahi the....jiske saath uski bahne aayi thi....

Madhu uske pass gayi.....aur puccha usse....

Driver - wo dono to collage mein hi gaye the....kya baat hai.....

Madhu (khud se)- Matlab wo collage bhi aayi thi.....kahi collage mein.....par agar aisa hota to pata to chal jaata naa.....ye prateek bhi nahi dikh raha hai.....kya kuch aur hi chal raha hai yaha pe......

Madhu khud se hi baatein kar rahi thi.....

Usne phone karne ki koshish kari thi aur phone ki ring bhi baj rahi thi.....par koi accept nahi kar raha tha.....

Yaha tak ki usne Prateek ko bhi call kiya......

Par waha movie dekhte waqt jaan bujh ke usne hi dono bahno ka phone silent mode pe kar diya tha.....

Fumos pe lagbhag se kaam khatam ho chukka tha unn sab ka.....matlab pahad tutne hi wala tha Slayer se.......Old owl ne ek jagah dhundh li thi bilkul waisi hi jaisa usko kaha gaya tha.....aur waha pe DB ko leke bhi pahuch gaya tha wo.....

Ye ek pathrile jagah ke biccho bicch rett se bhari hui jagah thi.....aisa bahut kam hota hai.....DB ko issi ki talash thi.......ye wojagah thi jaha se Fumos ki energy sabse najdeek aur siddhi padti thi....usne apne pass pade hue bijjon ko waha pe de diya.....aur apna kaam shuru kar diya.....par usse pahle usne Old Owl se Prateek ko ek sandesh bhejne ko kaha......

Main yaha pe Madhu ko mazza chakhane ke baare mein soch raha tha....par mujhe pata nahi tha mujhe achanak se kahi jaana pad jaayega.....Movie khatam hi hone wali thi ki Mujhe Old Owl ki aawaj sunai di......wo wahi pe tha ek hotel ke khidki pe

Pahle to usko dekh Main chonk gaya par phir mujhe laga sayad DB ka kaam ho gaya hai.......

Lekin ab Main inn dono ko aise chod ke nahi jaa sakta tha......Mujhe koi chahiye tha jo unn dono ke pass aaye....aur unko dekhe.....

Wahi Madhu iss waqt Manager ke ghar pe jaa pahuchi thi.....usko laga sayad wo dono mere saath waha gaye hue honge....par waha pe bhi kuch pata nahi chala......ulta wo Manager ki ladki bhi pareshan ho gayi.....aur wo bhi bahar chali aayi apne ghar se.....

Dono hi Madhu ke scooty pe baith ke nikal pade.......Madhu scooty chala rahi thi aur wo call kar rahi thi.....phone unke handbag mein tha iss wajah se pata nahi chal raha tha.....

Main yaha hotel ke pass khada tha......mera ye so called plan kharab ho gaya tha.....

Maine apna phone nikala aur usse Madhu ko call kiya.....par shuru mein busy aa raha tha......lekin uske urant baad usne call kiya.....

Madhu - Kaha ho tum....aur wo dono.....

Main iss waqt isko kuch samjhana nahi chahta tha.....Maine usko address bataya....aur wahi pe khada raha.......Madhu ki bahne abhi hotel mein baithi hui thi aur khane ke liye order dene wali thi.....

Maine saamne se unn dono ko aate hue dekha.......

Madhu gusse mein thi....par Maine mauka nahi diya.....

Mai - wo dono ander hai mujhe abhi jaana hoga.....main baad mein milta hu.......

Madhu - Aiiyee sunno.....

Maine nahi sunna waha ek sant jagah pe gaya jaha pe koi mujhe dekh naa sake.......

Old Owl mere picche picche aa raha tha.......

Usne Portal khola aur hum dono uske ander hote hue chal diye dusri taraf Fumos pe.......

Next update mein dekhte hai Slayer ke sharir ke saath kya hota hai....saath mein Lucifer ko Justin ki soul milti hai yaa nahi
Mast update Bhai
 
🔥 Read Next Hot Story →
Discover more exclusive stories

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE -95

Viraj ne apna naam bataya aur meri taraf dekhne laga sayad iss aas mein ki main bhi usko apna naam bataun......ye pata nahi kaun sa pagal hai.....aise thodi naa hoti hai jaan pahchan.........Mood pahle se kharab tha......par.....naam batane mein kya jaata hai.......Maine uski oor dekha.....

Main - Mera naam Prateek hai......isse jyada janne ki jarurat nahi hai tumhe.......Main chala jaata hu yaha se.......

Viraj - Ye machliyan........pata hai ye kya hai.......Khud se banaya tha inko maine.......

Main - Maaf karna par ab kuch ho nahi sakta........

Main waha se jaane ko aage badha......

Viraj - har ek machli meri har ek yaad se banni hui thi.......tumhari wajah se meri har ek yaad........wo jaane wali hai.......main iss jagah pe.....bas inke sahare tha......aur aur tumne inhe bhi khatam kar diya.........

Ab thoda bura lagne laga tha mujhe......matlab pata nahi ye kya bol raha tha par jaise bol raha tha uss hisab se maine iska bahut bada nuksaan.......machli.......yaadein....kya ye.....

Main abhi soch hi raha tha ki maine uski Machli wali baat pe gaur kiya........ye chizz........ye to hum kiya karte the waha.....apne jagah pe........ye yaha kaise......

Main - Tumne kaha tumhari yaadon se ye machliyan banni hui thi.......Kaun ho tum.......

Viraj - Main........maine naam bataya to apna......aur bhi janna hai kuch......to sunno Main wo hu jo tut chukka tha.......bahut mehnaat se maine khud ko sambhala tha aur tum.....tumne aaj wapas aake mujhe tod diya.......Main wo hu......jisko har jagah pe dhokha hi milla hai......par ab.....sayad ye theek hi kiya tumne.......main ab sab bhul jaaunga.....sab kuh.....kyunki meri yaadon se ye machliyan banni hui thi......aur tumne......tumne inn sab ko maar diya.....sayad meri ye yaadein bhi.....aaj hi khatam ho jaaye.......

Main - Maaf karna maine aisa socha nahi tha.....par....par ye tarika...ye yaha ka nahi hai......

Viraj - hmm wo thodi si sari rang ki machli dekh rahe ho.......wo meri tab ki yaad se bana hua hai jab......jab main pahli baar usse milla tha.......

Main usse puchna to kuch aur chahta tha......par wo kuch aur hi bata raha tha.......Main samajh sakta tha isko......Log chale jaatein hai unko to jaana hi hota hai....par ye yaadein......jo unke saath ki hoti hai......jab wo chali jaati hai tab to pata hi nahi hota kya tha kya nahi tha......par jab wo jaati hoti hai uss waqt.....uss waqt ek alag hi dard hota hai......

Viraj - wo.....wo wali dekh rahe ho.......pile rang wali........wo tab ki hai......jab maine uske liye apne logo se ladai ki thi........mere log kahte the wo kaabil nahi hai hamare........main kahta tha main kabil nahi hu uske......hmm main sach mein naakabil hi tha......

Main bas usko dekhta raha......wo mujhe waha pade hue machliyon ko dikha dikha ke bata raha tha usse related yaadein.......usne ussi tarah mujhe bahut kuch bataya........Sofia se milna........Sofia se pyaar hona.......kaise usne usko apne dil ki baat batai thi.....Kya hua jab Sofia maan gayi.......Fir dono ka waha se bhag jaana.......aur fir wo bhi bataya ki kaise Sofia ki sacchayi pata chali isko......par.....par ye kya karta.......isne socha sayad wo badal jaayegi.......aur isne koshish bhi kari.......aur Sofia badal bhi rahi thi......par phir se kuch hua......wo wapas se pahle ki tarah ho gayi.......wo yaha Earth pe aaye........Viraj ko usne pather ka ek putla bana diya tha......aur wo lag gayi thi apne kaam mein........kaise wo logo ko pakad ke laati aur unko.....unko khaa jaati thi.....aur kuch hissa unke sarir ka wo apne pass rakh leti thi......phir usne wo bhi bataya......wo raat jab usne Sofia ko aamne saamne aakhiri baar dekha tha......Sofia ne uska haath kaat diya tha.....aur uske khoon se usne......usne ek maans ka pulta banaya usko jinda kiya.......aur......naa jaane kaise kaise saktiyan usme daal di thi usne.......Uske baad kaise Viraj waha se bhag gaya tha.....aur phir chup chup ke unpe nazar rakhne laga tha.......har wo yaad bata raha tha wo.......aakhiri yaad.......aakhiri yaad tab ki thi......jab Sofia ko Slayer ne apne hi haathon se maar diya tha......aur.....aur usko......uske baad ki koi yaad hi nahi thi waha pe.......

Main sab sunn raha tha......hamari kahani ek jaisi to nahi thi......par ek wo ahsaas hota hai naa......wo ek jaisi thi.......ye bhi dard mein duba tha main bhi dard mein dubba tha.......hum dono hi ek hi sadak ke raahi the........

Viraj - Tum kaun ho waise........pata nahi kyun tumhe dekh ke......laga......jaise.....

Main - jaise hum dono jude hue hai.....haa ab mujhe bhi lag raha hai......

Viraj - hmm.....accha agar tum mujhe apni kahani nahi sunana chahte to koi baat nahi......waise bhi ab.....iske baad sayad hi mujhe kuch yaad rahne wala hai.....ek baar ye saari machliyan.....gayab hone lage......meri yaadein bhi.......

Main - Viraj iss jagah ke baare mein batao kuch......

Viraj - meri kahani to tumhe pata hi chal gayi hogi......ab to bahut waqt ho gaya......jab.....jab main Sofia ka piccha kiya karta tha.....uske pass se bhagne ke baad......tab ki baat hai......Main kisi se milla tha usse pahle......usne.....mujhe iss jagah ke baare mein bataya tha......kaha tha ye jagah usne banayi thi....ussi ne mujhe inn sab ke baare mein bataya tha......ye machliyan meri yaadein sab ussi ne bataaya tha.....

Main - Tumhe yaad hai wo kaisa tha.......

Viraj - maine uski yaadon ka bhi machli banaya tha......par usne khud usko maar diya.......aur....main usko bhul gaya......kuch baatein kahi thi usne......par wo kya thi ye yaad nahi theek se mujhe.....

Main - Kya main iss jagah pe......aa jaa sakta hu......

Viraj - Iss jagah pe......hmm waise bhi sayad mera waqt khatam ho gaya hai ab......meri yaadien thi.....to main tha.....ab wo nahi.....to sayad.....Main bhi nahi......

Main - Yaadein chali jaana acha bhi hota hai......jo kuch bhi tumhare sath hua.....wo sab bhul ke tum aage jee sakte ho.......tum Orion wale hi lagte ho....tum sab ki umar bhi lambi hoti hai......

Viraj - lambi hai......issi baat ka to dukh hai......dekh nahi rahe.......kaise jee raha hu main......

Main - Kya main kisi tarah tumhari madad kar sakta hu......

Viraj - hmm Tumne meri kahani sunni naa......wo Slayer.......usko bas kisi tarah......agar tum khatam kar sakke to main.....main samjhunga meri wajah se jo kuch bhi hua uska ek antt to aa hi gaya......

Main - Main uss Slayer ko maarunga nahi.....kyun ki wo marr nahi sakta......par uske ander main kisi aur ko daalne wala hu......sayad isse sab sahi ho jaaye.......

Viraj - pata nahi tum ye kar paaoge yaa nahi.......par agar naa kar paaye......to......to usko kaid kar dena kahi bhi.......

Main - Fikar mat karo main dekh lunga......mujhe lagta hai......tumhe.....

Viraj - haa......mujhe bhi neend aa rahi hai......ye sabse accha tarika hai apni yaadon ko bhulne ka......agar main abhi jaaga raha......to sayad.....sayad kisi ko nuksan pahucha du.......Main so jata hu.......sunno waha durr uss tarah wo pedd hmm uske pass se hi tum yaha se nikal sakte ho......aur koi jagah nahi hai.......

Maine uss oor dekha......

Main - hmm theek hai tum aaram karo......aur fikar mat karna .....

Viraj - hmm......waise tumne apna naam hi bataya hai sirf kahani nahi batayi.......

Main - Fir kabhi milenge tab bata dunga........

Maine usko wahi chod diya aur uss taraf chal diya jaha ke baare mein isne bataya tha.....waha gaya to pahle se hi ek portal khula hua tha........

Main - Kaha jaaun.....kass koi aisi jagah ho......jaha pe mujhe Madhu se milna ka mauka mill jaaye........

Maine ye bola aur uss portal mein chala gaya.......

Jab dusri taraf pahucha......to waha......waha pe ek purana sa board laga hua tha......Bhanupur....ye likha hua tha waha pe.......

Main - ye kaha pahuch gaya.......Maine socha tha Madhu ke pass aa jaaunga.....aur ye to...... :sigh:

Main aas pass dekh raha tha.......ki sayad yaha kuch ho......tabhi to yaha pe aaya tha Main......aise hi nahi aa sakta tha yaha.......aur mera ye khayal sahi hi nikla........

Ye Insan :sigh: main apni lifeline ke hisab se dekhu to sayad inki lifeline 1 din ki bhi naa hai......tab bhi naa jaane kitne panga hote rahte hai inke life mein.......

Ek car aa rahi thi.......aur uske picche 3-4 bike pe log the......aur unn sab ne hockey sticks aur naa jaane kya kya le rakhe the.......wo sab uss car ke picche the......aur jab bhi uske pass pahuchte usko hockey sticks se yaa fir jo bhi unke pass tha usse maar rahe the......

Waise to mujhe ghanta interest nahi tha isme.......Main kyun hi isme padu.....par pata nahi aisa lag raha tha isko bacchana chahiye.....ander yahi koi......ab kya kahu umar ke baare mein......meri umar hazaron saalo se jyada ki hai.....iss insan ko kaise kahu mujhse bada tha ye........dekhne mein mujhse kaafi bada lag raha tha wo.......

Abhi dekh hi to raha tha ki uss car wale bande ki car band ho gayi.....aur wo log.....jo bike par the unhone uske car ko gher liya.......

"betichod.......paas nahi karega humko........itna lamba chaudha answer likhwa ke liye tab bhi fail karta hai Madarchod.....jaaanta nahi kya kaun hu main......."

"Bhai aaj isko sahi se pelte hai.......main to bolta hu iske ghar chalte hai sabhi ko pel denge ek hi baar mein......"

"Bro yaar......kya hi peloge isko......Randwa hai sala......Biwi bhag gayi thi iski :lol: khada nahi hota hoga iska....."

"t......tuut....tumm ye sah....hi nahi kar rahe.......main kal kal complain kar dunga....."

"Bro maar hi dete hai naa isko......phir tere baap se bol ke naya master rakhwa lenge....."

Main samajhne ki koshish kar raha tha ye namune kar kya rahe the waha.....matlab maar rahe the ye theek hai par ye baatein kis baare mein kar rahe the.......Main dheere dheere unki taraf jaane laga.....

Maine dekha unn bike wale mein se ek ne uss car wale aadmi ka collar pakad ke usko bahar nikal raha tha.......

Car wala banda chillane lag gaya......Bachaao bacchaoo........

Ab kaun aaye usko bachane iss kaali andheri raat mein wo bhi iss jagah :sigh:

Yahi baat unn ladko ne kahi........ki yaha iss waqt koi bhi nahi aane wala hai......

Main - aee......kya kar rahe ho chodo unko.......

"Bhenchod ye kaun aa gaya be......jaake dekh kiski Maa chudne ke liye itni tadap rahi hai....."

Waise mujhe inki galiyon se fark nahi padta par kuch hi to waqt hua hai ki mujhe samajh mein aaya hai ki mujhe aone riston ke baare mein sochna chahiye......unko samman dena chahiye......aur ye.....ye insan ab meri Maa ko gali de raha tha.....

"Bro akela hai ye......isko bhi pel dete hai......sabut bhi nahi bachega......"

"beta bacchao mujhe.....ye log.....ye maar denge mujhe......."

Main - Sunno jaane do inko.......

"tu kaun hai......yaha ka koi neta ho raha hai tu jo teri baat maan le.....nikal yaha se madarchod last warning de raha hu......nahi gaya to mujhe mat bolna "

Dhruv - Ye log kaun hai aur hum yaha kaise aa gaye.....mujhe kuch yaad kyun nahi aa raha hai......

Main - ooo to jaag gaye aap sayad tum uss jagah pe jaane ke baad se behosh ho gaye the......yaa pata nahi......

Dhruv - kaha jaane pe.......

"OO bhenchod tu nahi jaayega to main bhej dunga tujhe wo bhi sidha upar....."

Main - Bhasa bahut kharab hai tumhari......abhi bhi bata raha hu......soch samajh ke bolo.......

"tu mujhe sikhayega......aee jaao isko pakad ke leke aao....."

Dhruv - ye kya ho raha hai.......

Main - chup raho......aur khayal rakhna jyada jor se naa maar du inko main.......

Dhruv - aap....aap in....insano ko.....ye mar jaayenge.....

Main - issi liye to kaha tumko.......main chahta hu ye jinda rahe bas dard sahe.....gali de rahe hai mujhe ye......

Main usse baat kar raha tha tabhi ek banda aaya aur usne apne haath se pakde hue hockey stick se mere pairon pe maara.....sayad ye soch raha hoga ki main gir jaaunga aur bas.....ye mujhe leke jaayega waha......

Main hilla tak nahi....aisa nahi tha kuch mehsoos nahi hua tha......Mehsoos to hua tha......ye dard tha......par jyada nahi........Maine usko dekha........wo mujhe dekh raha tha aur apne haath mein pade uss hockey stick ko......uske hisab se mujhe abhi chillate rahna chahiye tha......aur nicche jammin pe hona chahiye tha......

Maine halke se bas uske gaalon ko chuwa......aur wo mere se durr jaake jamin pe gir gaya......do daant toot gaye the uske......

Wo pahle to samajh nahi paaya aakhir hua tha......wo kya waha pe koi bhi samajh nahi paaya......wo Car wala banda wo bike wale baaki ke saare sab bas aakhen badi karke dekh rahe the.....ki aakhir ye hua to hua kya,,,,

Kabhi mujhe dekhte to kabhi usko.......Unka dhyaan tab toota jab wo banda chillane laga dard se.......

Dhruv - aapko control karna hoga........ye bahut jyada hai......

Main - Uff.......ye nazuk se insan.....Maine bas usko chuwa tha........

Dhruv - aapko apni powers lock karni hogi.....warna ye bachne wale nahi hai chahe aap chute hi kyun naa rahe inko......

Main - Theek hai......Meri strength ko 20 % pe kar do......tum kar paaoge ye......

Dhruv - Jab aapko kuch yaad nahi tha tab main hi sambhalta tha sab....main ye kar dunga......bas aap dhyaan rahna tab bhi aap inke liye jaanleva hi honge.......

"b....bbrro....ye ye bhoot to nahi hai naa......."

"Bhai maine bhi sunna hai.....aise.....aise sunsaan jagahon pe.....bhooot hote hai.....dekho isko chot naa lagi aur wo......uske to daant tak toot gaye....."

"Bro main to kahta hu......hum bhag jaate hai yaha iss buddhe ko chod ke.....ye bhoot khud isko maar dega.....hamara kaam asan hoga....."

Main inki baatein sunn raha tha aur dekhte hi dekhte wo saare dheere dheere picche jaane lag gaye.......

Main - kaha jaa rahe ho.....

"Isko khaa jaao Main tumhe paise dunga...."

"Bro Bhoot paise ka kya karega....."

Main - Main tumhe bhoot lag raha hu.......

Maine dekha unn sab mein se ek ne kisi ko phone kiya tha......aur unko yaha aane ko bol raha tha......

Wio banda saamne aaya aur kaha.....

"Bhai ye bhoot woot nahi hai.....wo hote hi nahi hai.....bas ruko 2 minute......log aa rahe hai apne.....aaj ye bhi jaayega iss buddhe ke saath......"

Ye bahut boring ho raha tha.......Main unki oor chal pada.....wo picche jaa rahe the par tab bhi meri speed unse jyada thi......Main unke pass pahuch gaya aur.......pahle to usko maara jisne bhoot bola tha mujhe......2 thapad.....aur hoth phatt gaye uske.....Itne mkein mauka dekh ke picche se kisi ne mere saar pe maarne ki koshish kari.......inko kaha pata main kaun hu......Maine apna haath picche kiya.....aur uska bat pakad liya......

Main - sunno bhagne ki sochna bhi mat main zarrra isse baat kar lu pahle.....

Main uski oor mudda.....aur dusre haath se uski kalayi ko pakad liya......

Thodi si taqat kya lagayi wo chillane lag gaya.......

Main - picche se nahi maarte dekho tumhare doston ko kitne acche hai...maine kaha aur baithe hue hai.......

Maine ye kaha aur picche ki oor dekha wo sab baithe the par mauka dekh rahe the mujhe maarne ka......isse mujhe wo yaad aa gaya.......maine dekha tha kisi ko.......issi tarah se apne dusmanon ko dara ke maarte hue......ab main maarne to wala nahi tha par dara to sakta tha naa.......

To maine uski kalayi pe thoda jorr lagaya.....aur wo aur chillane lag gaya......uska chahra lal ho gaya tha.......

Main - Dhruv ye insano ke sarir ke baare mein mujhe sab jaankari chahiye.......kaha pe kya karna hai ki usko jyada dard ho.....

Dhruv - iss baare mein abhi to kuch nahi kar sakte.....par main iska kuch karunga aage.....iss waqt aap hi karo jo karna hai.....

Maine uss insan ka haath aur madod diya waise hi uske doston ko dekhte hue.....yaha wo chilla raha tha aur wahi dusri oor uske doston ke pant gille ho rahe the......

"Bhai jaane do usko.......aur humme bhi bhai hum kabhi yaha nahi aayenge.....jaane do iss baar bas...."

Main - pahle ye batao yaha chal kya raha hai.....aur.....

Maine uss car wale bande ko dekha......wo wahi pe baitha hua bas mujhe ghoor raha tha.....

Main - aap......aap theek hai naa......choot to naa lagi aapko.....

Wo to jaise kahi khoye hue the......meri aawaj se unko hoss aaya......

Wo - ha.......haa main theek hu......sukiriya beta tumhara.......aur tum sab......bas dekhte jaao.......jail mein jaaoge future barbaad naa kar diya tum sab ka tab kahna......

"Sir maaf kar do sir......humse bhul ho gayi....aage se kabhi nahi karenge aisa......bas maaf kar do....isko bolo humme jaane de..."

Main - inke kahne se main tumhe kyun jaane dunga....sapna dekh rahe ho kya.....

Sayad unko lag raha tha main yaha pe inn car wale sahab ko bachane aaya hu.....haa pahle to yahi socha tha.....par gaaliyan to mujhe bhi padd gayi naa.....ab aise kaise chala jaaun binna samjhaye inko......ye car wala banda bhi agar mujhe bolta ki chod do inko tab bhi naa chodu mein

Wo mujhe dekh rahe the......maine abhi tak uss bande ki kalayi pakad rakhi thi......

Main - chalo sab iss taraf aao......aur ye batao gaali kisne di thi

"bhai maaaf kar do......aage se kabhi nahi karenge......"

Unme se ek ne bola aur maine jiski kalayi pakdi hui thi uspe thoda aur jorr lagaya aur wo chillate hue iss baar nicche gir gaya par uska haath mere haath mein hi tha......maine dekha uski aankhen band ho gayi thi.....

Dhurb - ye behosh ho gaya hai.....

Maine uska haath chod diya....aur jaise hi picche mudda wo sab ke sab kaaamp rahe the.......

"isne.....isne gaali di thi aapko.....ye hai wo....."

"haa yahi hai.....issi ne di thi gaali....."

"n....nahi.....main.....main nahi......main kaise.....main.....main to bola hi nahi....."

Wo bol raha tha ki kisi ka phone bajja......Maine dekha ye wahi car wala banda tha........

Wo ishare se puch raha tha ki wo phone uthaye yaa nahi......

Maine usko uthane ko kaha......

Wo - Main theek hu......main aa raha hu bas thodi der mein......

.................

Wo - Theek hai......hmm.....

..........

Call cut......

Wo - Ghar se call aaya tha.......mujhe jaldi jaana hai waha.......

Maine unki baat sunni aur phir se inn sab ko dekhne lag gaya.......

Main - hmm kaun tha wo......

Unnn sab ne wapas se uss ladke ki oor ishara kiya......

Main - Dhruv ye log kya dark power ko sah paayenge......

Dhruv - aap jaante hai Dark power ka chota sa bhi hissa agar inke ander gaya to ye dard se tadap tadap ke yahi pe......

Main - hmm marne nahi dunga.....par wo dard mujhe inko dena hai........Mujhe lagta hai main control kar lunga dark power ko apna kaam nikalne ke liye........

Dhruv - Ye insan hai...aap ek baar aur.....

Main - Maine soch liya......chalo......

Maine apni aakhen band kari aas pass pahle se hi andera tha to dark power ko thoda bhi waqt nahi laga......wo mere ander se bahar aaya aur mere ungliyon ke ishare pe.....unn sab mein chala gaya.......Dhruv sahi tha........kitni bhi kam dark energy lagaun main ye log marr hi jaate......par maine bhi calculate kiya tha.....agar main bahut kam waqt du isko.....to ye bas dard denge....aur kuch nahi......

Sayad 1 second se bhi kam waqt hua hoga......aur maine unn sab se dark power wapas khinch bhi liya......par uske baad jo waha pe aawajein hui thi.......unke baare mein Main kya hi kahu.......kaan band karne pade the tab bhi unke dard bhari cheekhen sunayi de rahi thi.......

Itne mein waha pe kuch gadiyon ki light aane lag gayi.......Jab Car wale bande ne dekha wo to wo ghabra gaya......

Wo - humme jaana chahiye.....ye log yahi aa rahe hai.....

Main - aap jaao main chala jaaunga.....

Us bande ko waise bhi sayad mujhse darr lag raha tha......to mere kahte hi wo car mein baitha aur furrrrr se bhag gaya waha se.......wahi Main unn lights ke taraf dekh raha tha ki tabhi.......

"Prateek chalo yaha se"

Ye Chachi thi......pata nahi yaha kaise pahuchi ye.....par mujhe kuch bolne bhi nahi diya aur mera haath pakda aur waha pe khule portal se hote hue mujhe ghar pe leke aa gayi......

Aage dekhte hai.....

Insano ke bich mein kaise jaata hai Hero......aur Madhu kya karne wali hai ab
Excellent update
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE - 96

Chachi aayi aur mujhe waha se Portal mein leke chali gayi.......aur hum dono sidhe pahuch gaye.....ghar pe.........waha pe abhi sab ikkatha hue the.......Daksh Mama pankaj aur sath mein Madhu bhi aayi hui thi......

Jab ghar pahuche tab jaake Chachi ne puccha.......

Chachi - kaha gaye the........hum kitna pareshan the pata hai tumhe......

Ab Main kya bolu inko ki Main kaha gaya tha......ye waha jaa nahi sakti.......aur kyun chala gaya tha ye Main batane wala nahi tha.......Mujhe lag raha tha iss waqt maine jyada hi kar diya kuch........ek wo Viraj hai........uss bande ne naa jane kya kya dekha tha......matlab uski lover usko maarne wali thi.....aur wo tab bhi usko pyaar karta tha.....uski yaadein usne sambhal ke rakhi hui thi.......aur Main......Mera naam bhul gayi Madhu......Haa bat badi hai......par......Mujhe aise nahi jana chahiye tha......

Ab Main chup chap khada khud mein hi khoya hua tha......to Chachi ne wapas se puccha........

Main - Main bas pareshan tha......to kahi chala gaya tha......ab aa gaya naa.......

Bua - Prateek......theek se baat karo......warna.....

Mere pass jaawab nahi tha iss wajah se waisa kaha tha Maine......nahi to kya Main nahi samajhta Chachi ko phikar hai meri iss wajahse aise pucch rahi thi.....par Main bata bhi to nahi sakta......

Chachi - Rukko Poonam......sahi to kah raha hai ye.....wapas aa to gaya hai ye......ab kya hi puchna......aur main kaun hoti hu isse pucchne wali......

K.Bua - Bhabhi aap......

Itne mein Madhu aage aati hai......

Madhu - :sigh: bade ajeeb ho tum.......ajeeb nahi kya bolte hai usko Pankaj......jo logo ki feelings naa samajhta ho bas khud mein hi laga hua hota hai......

Pankaj - Khudgarj......

Madhu - Haa.....bade khudgarj ho tum to.......chalo ye accha hai aage se dhyaan rahega ki kisse durr rahna hai........pata bhi hai ye tumhare ghar wale......sab ke sab kitna pareshan the.......ye sab ke sab.......naa jaane kab se tumhe dhundhne mein lage hue hai.......Wo (Rupal didi ki oor dekhte hue) wo Bimar thi.......kaisa lag raha hai aapko Rupal ji......aap jiske liye bimar hone ke baad bhi apne halat ko nazarandaaz karte hue usko dhundhne nikli thi......uski ye baat.....kaisi lagi......ab to aa hi gaya hu naa.....ab kya.....

Pankaj - Maddhhuuu rukk jaao......

Madhu - 1 minute abhi kaha pura hua hai.......ye isko jaante ho naa.....Bhai hai naa ye tumhara.....ye bhi dhundh raha tha.....wo sab bhul ke......jab tumne iski bejati ki thi......kya kaha tha ki ye tum sab ke saath nahi rah sakta.......Pankaj tum kyun gaye the dhundhne ko isko.....Wo Prof. Poonam wo bhi yaha waha ghoom rahi thi......aise hi ghoom rahi hogi naa........yaha waha.......ye sab ke sab.....pagal honge...

Daksh - Madhu.....chalo chup ho jaao......hum chalte hai yaha se.........Prateek wapas aa gaya hai ab humme yaha rahne ki koi jarurat nahi hai......

Madhu - bas thoda sa aur.......Haa to Prateek ye jo pariwar walo ko.......tumne aise hi chod diya naa......pata nahi kya karan tha tmhara yaha se chale jane ka.......wo to Main nahi jaanti.....par tum itna to samajh hi jaana chahiye......ye log bahut phikar karte hai tumhari......hadd se jyada tabhi pareshan the ye sab.....aur tumhe aise jawab nahi dena chahiye tha......Mujhe pakka pata hai......inn sab mein se abhi koi aake mujhe chup rahne ko bol dega.......kyun......kyunki ye log abhi bhi......abhi bhi tumhari burayi nahi sunn sakte.......

Uske baad wo chup ho gayi........ek baar sabhi ki oor dekha.......

Madhu - Mera bhi ek pariwar hai.....par Main unke pass nahi jaa paa rahi hu.......sayad meri kismat kharab thi......yaa jo bhi kaho.......par jis din waha jaa paaungi naa......kabhi bhi......kabhi bhi unko aise jawab nahi dungi.......Chaliye ab hum chalte hai......aur haa ho sakke to Maaf kar dena Maine aapke ghar ke kisi ke baare mein itna kuch bol diya.......

Uske baad wo bas waha se muddi aur......ghar se nikal gayi.......aur uske picche Pankaj......

Daksh - maaf kariyega ye sayad thoda......pata nahi kya bol rahi thi ye aise.....

Darasal Madhu insan hai ye baat kisi ko nahi pata thi yaha pe siway Prateek ke aur Bua aur Rupal didi ke........par ye baat bas Prateek ko pata hai ki uska pariwar bhi hai......lekin wo ye nahi jaanta kaun hai wo sab.......

Daksh bhi itna bol ke waha se nikal gaye.......Main waise hi khada raha......

Haa mujhe aise to nahi kahna chahiye tha.....par Main aur kya hi kahta,,,,,,,sayad din hi kharab hai aaj ka.....itna sab kuch hua......

Main waise hi khada raha sochta hua.....aur pata bhi nahi chala kab sab ke sab waha se chale gaye......ajeeb hai naa.......ye akelapan.......Main khud har baar isko chunn leta hu.....pichli baar bhi yahi hua tha.....

Rian aur mere aur kuch dost the waha pe......mujhe samjha rahe the wo ki Main wo kadam naa uthaun par.......par maine nahi sunna......ulta unn sab ko bura bhala kaha aur waha se bhaga diya tha......Rian se baad mein baatein hone lagi thi....par baaki sab.......wo sab to jaise bhul hi gaye mujhe.....ya sayad Maine hi unko bhula diya......ye akelapan har baar Main khud hi chunta hu.....iss bar bhi....to kya iss baar bhi Main.....Main akela hi rah jaaunga.....Madhu jo abhi mujhe milli bhi nahi hai....kya wo aise hi chali jaayegi......aur Main apne akelepan ke saath rah jaaunga yaha pe.....

Ye sab sochte hue jab main aakhiri point pe aaya to khud se hi muh se nikal gaya......

Main - Nahi............ye nahi hoga.....iss baar nahi.....

Tab jake to asspass dekha tha Maine......Sab ja chukke the....

Main - mujhe kuch karna hoga.....main wapas se akela nahi ho sakta.......Main sabhi ko iss baare mein bata du.....kya wo yakkin karenge.....

Dhruv - Pichli baar Main bhi nahi tha aapke saath.......aur bura mat maaniyega agar iss baar bhi mauka hota mere pass to Main chala hi jaata......aapko unn sab ko bata dena hoga......ye naa bata sakte ki kaha gaye the to ye to bata hi do ki kyun gaye the.....

Main - Hmm sahi kaha......

Main - Chachi Bua Chacha Dadi Dada Rupal didi......Mujhe baat karni hai aap sab se.....

Main bola aur ghar mein koi hilla tak nahi.....

Main thodi der rukka raha.....par kuch nahi hua......sab shant

Dhruv - abhi sab naraz honge.....kal baat kar lenge

Main - Hmm ye sahi hai......

Iske baad Main apne room mein chala gaya.....aur bed pe leta hi tha ki.....bahar Old Owl dikha mujhe........jo thoda badla sa lag raha tha......

Aur wo jis ped ke daali pe baitha tha ussi ped ke nicche koi khada tha......Rian tha waha pe.......

Main turant apne ghar se bahar nikla......aur waha pe chala gaya.....

Rian - ye lo kar diya tumhara kaam.......iski kaabiliyat itni badha di hai ki ye kisi ke sar pe bhi baitha rahe to usko pata nahi chalega........

Main - sukariya dost Tumne mere kahne pe ye kiya......aur uss din ke liye Maaf kar dena.....main sharminda hu......

Rian aankhen faad faad ke mujhe dekh raha tha......pata nahi usko kya ho gaya tha.......

Main - jaanta hu ek sorry se kaam nahi hone wala naa jaane kitni hi baar maine apne logo ko bura bhala kah daala hai.....par kabhi maafi nahi maangi unse......tum phir bhi mere bulane pe wapas aaye.....mujhe maaf kar do pichli saari baaton ke liye.....aur iss baar bhi mere saath rahna Mujhe akela mat chodna.....Main.....Main samajh gaya hu Jab jab Main akela hua hu......sab bura hi hua hai mere saath.....

Rian ko sayad abhi bhi apne kaano pe yakki nahi ho raha tha.......Maine Old owl ki oor dekha......tum bhi dost......agar galti se kuch bura bhala kah diya ho to maaf kar dena.....

Old Owl ko ye sab kahne ke baad Maine usko Mudde ki baat batayi.......

Main - old Owl tum itne din yaha nahi the.....pahle to tum apne ghar jaaoge kuch din aaram karo......uske baad.....uske baad tum Fumos jaaoge......waha pe Slayer naam ka ek kaidi hai....uspe nazar rakhna hai tumhe.....wo kya karta hai uske sath kya hota hai sab batana hai tumhe......

Old Owl - Hmm theek hai......To Main jaata hu.......

Old Owl itna bol ke waha se chala gaya.......

Ab waha Main aur RIan the.....

Rian - kya baat hai aaj kuch pareshan se lag rahe ho.....kuch hua hai kya.....tum maafi nahi maanga karte the....aur aaj......aaj tum maafi maang rahe ho.....

Maine usko sab bataya aj jo kuch bhi hua tha wo sab bataya usko......wo dhyaan se sunta raha.....aur jab usne apna muh khola to mann kiya ki uske muh mein mitti bhar ke yahi pe mar du usko.....

Rian - tumhe kya lagta hai Machliyan aur yaadein.....ye baat usko kaise pata chali hogi.....ye chizzen....ye hamari jagah se kabhi bahar gayi hi nahi......ye bas Hum immortals karte hai.......bas hum....aur koi nahi......

Main - Maine tujhe itna kuch bataya aur tune ye point chunna bolne ke liye......

Rian - Bura mat maan par.....ye bahut hi gambhir vishay hai......mujhe iske baare mein sabhi ko batana hoga......hamari kalayein koi bahar ke logo ko de raha hai.......

Main - :sigh: tu jaa......jaa yaha se......

Rian - Hmm Ja raha hu......par dhyan se rahna.......agar ye kalayein sach mein yaha hai.....to kya aur kalayein yaha nahi ho sakti.....aur wo Slayer ke baare mein jo tunne bataya.......uska pata laga.....uss baare mein Main kuch nahi bata raha hamare logo ko......kyunki tune uska use karne ka socha hai......

Main - hmm sukriya.....

Uske baad wo chala gaya.....aur Main apne ghar aane laga ki wo wapas se aaya.......

Rian - aur haa sunno ye family wamily jo bhi bataya tunne Mujhe samajh to nahi aaya.....par ek baat kahunga.....saath mein raho inke....kyunki tum bhi jaante ho jab jab akele pade ho tum sab bas bura hi hua hai......ye sab kadar karte hai tumhari to theek se raho.....

Usne ye kaha aur waha se chala gaya.....aur Main ghar ki oor jaane laga.......

Jab darwaje pe pahucha to dekha Chachi apne room ke khidki se bahar ki oor dekh rahi thi......Sayad unhone Rian ko dekh liye hoga......par unko ye thodi pata chalega wo Immortal hai.....

Maine unki oor dekha to unhone parda band kar diya.....

Main wapas se apne kamre mein chala gaya aur so gaya......

Subah neend darwaje pe khat khat ki aawaj se khuli......aaj Main khud se jaag nahi paaya.....maine aaj dhyaan bhi nahi lagaya......

Jab darwaja khola to waha pe koi nahi tha......

Main fresh hua aur uske baad waha se nicche chala gaya......sab khana khaa rahe the......par dinning table pe meri kursi hi nahi thi......balki ek plate khana rakha hua tha waha sofe ke pass......

Maine unn sab ki oor dekha unko fark hi nahi pada sayad......ye natak sahi kar lete hai.....agar inko natak mein dale to accha responce a jaayega......

Maine thali uthayi aur ussi oor chala gaya......

Bua - dekho wapas aa gaya ye......

K.Bua - haa dekh rahi hu......Bhabhi kuch baaki rah gaya tha kya dena......ab yaha kyun aa raha hai ye......

Chachi - Dono chup raho......Rupal uski kursi kaha hai......lagawo wapas se.......

Rupal - Mujhe kya pata kaha hai....Main thodi leke chal rahi hu.......

Chachi - tum tinno naa......

Dadi - kuch galat nahi kiya hai unn tinno ne......aur tum chup chap baithi raho......

Chachi - Maa aap bhi......(mujhe dekhte hue) kal raat ko bahar kya kar rahe the.....ye bata sakte hi yaa.....ye bhi nahi.....

Main - Wo ek dost tha......wo yaha pe aaya tha....mujhse milne ko......kuch baatein karni thi usko.....

Rupal didi - Raat mein......Dost......yaha kaun sa dost bana liya tumne......

Nikita - wo DB to nahi hoga......aur kaun sa dost hai tumhara....

Chachi - Ruko......usko bolne do......

Main - wo Rian naam tha uska......hum kuch waqt pahle hi mille the......

Chachi - Yaha ka nahi tha wo.....kaha pe mille the.....

Main - Stange world mein......waha pe milla tha usse.......aur wahi dosti hui......

Bua - waha kab....

Main - Jab hum waha gaye the tab......

Ab inko sach bata nahi sakta wo Immortal hai aur kaha se aaya hai......to jhoot bata diya....sayad kal bhi ye kar sakta tha to itna kuch to nahi hi hota.......par accha hi hua jo ho gaya.....

Chachi - Mujhe pata hai tum kal kaha the......

Ye ek bomb tha mere liye......inko kaise pata Main kaha tha......

Chachi - Humme pata hai......Tum Madhu ko pasand karte ho aur kal kuch hua jiski wajah se tum chale gaye......aur ye bhi pata hai kal tum kyun kuch nahi bol rahe the.....tum darr rahe the kahi usko sab pata chal jaayega to kya hoga.....Kya wo wapas se milegi yaa nahi ye sab.....

Bua - par phir bhi waise baat nahi karni chahiye thi isko Bhabhi.......

Chachi - Chup rah......kal usne pata nahi kya kya bol diya bechare ko.......waise ab tu kya karega....wo to aur naraz ho gayi sayad......

Nikita - Naraz kaha :sigh: koi feeling hi nahi bacchi iske liye usme.....wo to sayad aaj hi Pankaj ke yaha se bhi nikalne wali hai.....

Main - Kya matlab nikalne wali hai.......

Nikita - Usne kaha tha kal hi wo ab waha nahi rah paayegi......yaa to wo Pujari ji ke pass chali jaayegi yaa fir sabhi se durr......

Rupal - Tujhe bada pata hai.....

Nikita - Wo maine sunna tha.....bas bata diya......waise Pankaj ne samjhaya par wo samjhi nahi.....aur jaa rahi hai ab......

Main - Par wo rahegi kaha.......aur....aise kaise chali jayegi.....

Bua - Humme kya pata jaake puccho uisse......

Nikita - Mujhe lagta hai agar wo waha Pujari ji ke pass nahi gayi naa.....to pakka wo Bhanupur jaayegi.......uss jagah ke baare mein maine baat karte hue sunna tha usko.....

K.Bua - tum to sach mein bahut sunne lagi ho......

Main - Bhanupur.....

Yaha ye sab chal raha tha wahi baaki jagahon pe hangama maccha hua tha.....Dark power wapas se dikha tha.....aur iss baar acchi tarah se......naa sirf Demos balki Orion aur Titan mein bhi iss baat ko leke baatein chal rahi thi......

Lucifer ne apne kuch logo ko.....Earth pe jaane ko kah diya tha......ye wo log the.......jo yaha pe aa jaa sakte the.....usne khass taur pe kaha tha ki bas pata karna hai kaha hai ye power.....usse yada kuch nahi.......

Lucifer ne wapas se sapne dekhne shuru kar diye the.....ki pahle wo slayer ki body mein Justin ki soul daalega aur saath hi Dark power ko bhi.....jisse Justin bahut takatwar ho jaayega......

Par iss baar sirf wahi to tha nahi bahut se log the.......upar se.......Immortals mein bhi ye baat pata chal gayi thi......ki hamare tarike bahar kisi ko pata chal chukke hai......

Aur sab kuch Earth pe hi ho raha tha.......

Earth in sab ka epicentre bana hua tha......aur saare log yaha pe nazar gadaye baithe the.......log Titan aur Orion se bhi nikle the inn sab ki jaanch karne ko.......Wahi Strange world se waha se 2 tarah ke log nikle the......ek to bas jaanch karne ke liye aur dusre wo the wo nix kabile ke log jo wahi pe rah gaye the.......

Wahi pe apne so called Devta ke liye rukke hue the.......jab tak pujari ji mandir mein hote the.....tab tak to wo murti mein kaid hua banda bas usse hi baat kar paata tha.....par jab se wo gaye hai......tab se uske pass jo bacche kucche nix the waha ke wo aaya karte the......wo bhi roj koi ek nahi aata tha.....har roj koi agal hi hota tha........to iss wajah se uske pass baat karne ke liye log badh gaye the......aur issi ka fayda utha ke usne waha ke Nix logo ko bahkana shuru kar diya tha sirf bahkana hi nahi balki unko kuch aisi cheezein bata raha tha jisse wo jyada takatwar ho jaaye......par ye Nix sab ye nahi samajh paa rahe the ki ye sab uss Murti mein kaid bande ke gulam bante jaa rahe hai.......Ab unhone Jalphool chdhana band kar diya tha.......Jalphool bas uss bande ko aaram hi nahi deta tha.....balki uski shaktiyon ko badhne se rokta bhi tha......aur jab se ye jalphool usko milna band hua hai.....tab se wo thoda dard mein to rahta hai lekin iss wajah se uski powers......wo badhti jaa rahi thi......ye jaise kisi drug ki tarah tha uske liye....jiski aadat padd chukki thi usko......aur ab wo uss aadat ko chudda raha tha.....

Wahi Madhu ke pass......

Madhu ko raat se baar baar samjha rahe the Daksh Mama aur saath hi Pankaj bhi.....par Madhu sunne ko taiyaar hi nahi thi......waise sach kahu to ek baar usne socha tha......ki rukk jaate hai.....par phir sayad dhyaan se sochne ke baad usko samajh aaya......ki wo agar yaha rahi to bas iss Mrightrishna mein hi phasi rahegi.......

Agar usko apne pariwar ke pass jaana hai to usko khud hi karna hoga kuch.......issi wajah se to usne Bhanupur jaane ka tay kar liya tha.......

Ek baar wo waha pahuch gayi to koi naa koi raasta nikal hi legi......

Madhu - Pankaj ab inn sab ka koi fayda nahi hai Maine apna mann banna liya hai........aur tumhe isme khud ko dosh dene ki jarurat bhi nahi hai......Mujhe to tumhe sukriya kahna chahiye.....kyunki tumhari wajah se hi mere dimag mein ye khayal aaya aur Maine ye karne ka socha hai.......

Pankaj abhi bhi koshish kar raha tha par nakam.........usko burra lag raha tha agar usne darr ke maare wo sab naa kaha hota to sayad wo jaane ke baare mein sochti bhi nahi.......

Pankaj - Par tum waha rahogi kaha pe.....aur kaise.....Main bhi tumhare saath chalunga......

Madhu - Pagal mat banno.......tumhe abhi school mein padhna hai.......Main in...mera mann nahi hai ye sab karne ka agar Main naa bhi padhu tab bhi kuch nahi hone wala......

Madhu abhi bas bol hi deti ki wo insan hai aur wo jaadu padhe yaa naa padhe usse jyada phark nahi padne wala usko......par Pankaj usko to padhna hi tha......

Pankaj - Kya bol rahi ho tum.....Tum Nix Rajkumari ho agar tum nahi padhogi to.......

Madhu - wahi to Mujhe jitna kuch seekhna tha.....Main seekh chuki hu apne logo se.......aur ab mujhe school jaane ki koi jarurat nahi hai......

Ye dono baat kar rahe the tabhi ghar ki ghanti bajji darasal Daksh Mama ne Pujari ji ko bulla liya tha......sayad wo samjha paaye......

Pujari ji ander aaye........

Daksh ne unko sab kuch samjhaya.....har ek cheez.......Pujari ji iss waqt kisi aur hi chinta mein the.......lekin jab unhone sunna ki Madhu jaa rahi hai.....to unko ek aasha ki kiran dikhi.....

Pujari ji - ye acchi baat hai.....Mujhe usse milna hai kaha hai wo.....

Daksh Mama ko samajh nahi aaya.......aakhir kya hi accha hai isme......par unhone Pujari ji ko bata diya ki wo kaha pe hai......

Madhu abhi samjha rahi thi Pankaj ko ki wo nahi aa sakta uske sath.....kyunki usse Pankaj ko pareshani ho sakti thi......

Pujari ji - Hmm sahi kaha......Pankaj tum usse milne jaa sakte ho par uske saath nahi rah sakte......

Madhu - Aap yaha.......Main aapke pass hi aane wali thi......Maine aage badhne ka faisla kiya hai......

Pujari ji - Hmm maine sunna aur mujhe accha laga jaan ke ye.......par tumhe meri ek baat manni hogi......

Madhu - kaun si baat.......

Pujari ji - Tum waha jaa sakti ho......aaram se raho.....aur kisi bhi cheez ki jarurat pade mujhe batao.....Main dekh lunga.....par main tumhari suraksha ke liye kisi ko waha bhejne wala hu......Wo tumhare saath to nahi rahega.....par aas pass rahega wo......aur tum is baat ke liye naa nahi kahogi.....

Madhu - aap kaisi batein kar rahe hai......aapne mujhe sikhaya hai aur aap mere liye kisi aur ko bhej rahe hai......Meri raksha ke liye.....

Pujari ji - Agar tum khud ki raksha karne lagi to sabko pata chal jaayega ki kya ho raha hai yaha pe.....aur uss waqt.....uss waqt cheezein aur bigad jaayegi......

Madhu - Aap kiss baare mein baat kar rahe hai......

Pujari ji - Kuch nahi......Maine kaha hai tumhe ye baat manni hi hogi.....

Madhu - Theek hai Main taiyaar hu bataiye kaun hoga meri rakhsa karne wala.....main bhi dekhu kaun hai wo......

Pujari ji - Tumhe abhi dekhne ki jarurat nahi hai tum jaao jaha jaa rahi ho........Daksh Ji aap iske liye kya waha pe rahne ka bandobast kar denge.......

Daksh - Ye bhi koi kahne ki baat hai Main abhi kar dunga......

Pujari ji - Tumhe to documents bhi chahiye honge naa tumhare kaam ke liye.......Tum kuch din rukna hoga........Main iss baare mein baat karta hu

Madhu ye jaan ke khush ho gayi.....aakhir usko ab mauka milne wala tha apne pariwar walo se milne ka.....aur ab usse rukka nahi jaa raha tha......

Pankaj ne jab ye jann liya ki ab to ye jaayegi hi to wo room se bahar gaya aur Library mein chala gaya aur waha se wo kitab utha laya......wahi kitab jisse ye dono Bhanupur gaaon ko dhundh rahe the......

Wo uss kitab ko leke aaya aur usko Madhu ko de diya.......Daksh ke saamne......

Daksh ne dekha ki ye kaun si kitab hai.....par usne bhi socha ki ye kitab abhi uske kisi kaam ki nahi hai......aur sayad ye Madhu ke kaam aa jaaye.......

Daksh - Wo kitab mujhe do.....tumhe jaane se pahle Main iske baare mein sab bata deta hu......isse tum naa sirf kisi jagah ke baare mein jaan paogi balki agar kisi khass ko dhundhna bhi ho to ye kitab tumhari madad kar dega....

Madhu - par Main ye kitab kaise.....ye to......

Daksh - Mujhe iski jarurat nahi hai aur maine ye Pankaj ke liye rakha hua tha......ab jab usne tumhe dene ka socha hai to main kya kah sakta hu isme.....chalio aao Main bata deta hu.....aur haa pujari ji aap jab tak documents banwate hai tab tak to ye yaha rah hi sakti hai.....waha jaake kya hi karegi ye......

Madhu - Main waha logo se milungi mujhe jo janna hai uske baare mein pata karungi......

Daksh - hmm theek hai......phir aaj ke liye bas rukk jaao aur samajh lo iss kitab ko......waise bhi mujhe bhi to waqt lagega naa ghar ke liye......

Madhu ne socha ye to sahi baat hai......to usne rahne ke baare mein kah diya.......

Madhu - hmmm aisi baat hai to documents aane tak Main yaha rah sakti hu......aur aap bhi ghar ka bandobast kar sakte hai itne waqt mein.....

Daksh - haa 2-3- din mein main sab kar dunga.......uske baad chali jaana......

Pujari ji ko iss baat ka pta chal gaya tha ki wo Murti mein jo koi bhi hai usko ab Jalphool nahi mill raha hai.......aur isse wo khatarnaak ho sakta hai......ek baar wo apni shaktiyan paane lag jaayega to wo wapas se Prateek aur Madhu ke bich mein ane ki koshish karega.....aur abhi to......abhi to ye dono saath kya aas pass bhi nahi the......agar aise mein kuch ho gaya to sab bigad jaayega.......Immortals ki tabahi nischit ho jaayegi......aur uske baad.......sab kuch khatam......

Agar sab bacchana hai to usko rokna hi hoga.......Pujari ji soch rahe the ki wo wapas se Strange world chale jaaye.....par agar wo chale gaye to yaha pe jitne bhi Nix aaye hai wo sab ke sab yaha pe sahi se nahi rahenge........ye wajah bahut pareshan kar rahi thi unko.......aur wo jaldi se Prateek ko iss baare mein batana chahte the.....par wo puri baat bata bhi nahi sakte the......Jis tarah ka dimmag prateek ka hai......unko lag raha tha agar sab kuch usko bata diya jaaye to wo sab barbaad kardega wo bhi apne haathon se......

Ye pariwar riste naate.....ye sab issi ke liye tha ki ye bandh jaaye inn sab se.....aur samajh sakke... ki akele rahna hamesha sahi nahi hota......dusro ki bhi chinta karni chahiye.......

:sigh: Main iss dauran kuch busy sa ho gaya hu aur mujhe waqt nahi mill paa raha hai issi wajah se updates itne late aa rahe hai......
thoda sa aur wait karlo free hone ke baad daily naa sahi week mein 4-5 updates aane shuru ho jaayenge

Next update mein Madhu insano ke bich jaayegi aur sath hi Earth pe bahar se log aane wale hai......bahut jagahon se.......
Nice update
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE - 97

Yaha Pujari ji Madhu se baatein kar rahe the aur wahi dusri taraf sabhi jagahon se log yaha aane ki taiyaari kar rahe the......ek raat gujar chukki th ye sab hue........Demos ki baat kare......to waha se to log subah hi aa chukke the......aur kuch aane baaki the......Pujari ji ghar se Daksh Mama ke ghar se nikle meri talash mein......unko ab bas jaldi se mujhe inn sab ke baare mein batana tha par unko koi aur mil gaya.......

Jab wo Daksh Mama ke yaha se nikal rahe the uss waqt Fumos ka leader.....wo jaa raha tha Daksh Mama ke ghar pe.......Fumos ke leader ke yaha hone ki khabar kisi ko bhi nahi thi.........aur Jab Pujari ji ne usko dekha.....usko nahi uske ander se aa rahi energies ko......to wo ekdum se chowk gaye......aur ghar se bahar aane ke baad bhi wo mud ke uske picche chale gaye......aur jab unhone ye dekha ki Leader bhi Daksh Mama ke yaha jaa raha hai to wo thoda ghabra gaye.......yaha pe baat Dark power ki rahi hi nahi thi.....seedhe Golden power pe chali gayi thi......Golden power matlab Madhu.......Pujari ji ko laga sayad kisi tarah isko pata chal gaya hai iss baare mein......aur agar ye sach hai to mushibatein aur bhi badhne wali hai.......par wo iss waqt kuch bhi nahi kar sakte the......wo jaante the agar wo yaha pe isse ladne lag gaye......aur unko kuch ho gaya to daav pe bahut si chizzen lagi hui thi.......yaha pe sabse accha unko yahi sujha ki wo kisi tarah usko alag rakhe Madhu se par wo chuke tab jab Daksh Mama usse has has ke baatein kar rahe the........Ye sab Pujari ji darwaje pe se dekh rahe the........

Daksh - arre aap.....aaiye aaiye....

Leader - Wo bas yaha se gujar raha tha to.......aur kal itna kuch hua......Main bas ye janne ko aa gaya wo ladka......Prateek mila yaa nahi.....

Daksh - Hmm mil to gaya wo.....par uski wajah se bhag-daud karni pad gayi.......

Leader - Haa......waise Pankaj bata raha tha wo bhanja hai aapka......

Daksh - Haa bhanja hai......par akal se sayad apne baap pe gaya hai.......ek meri bahen thi.....samajhdaar......aise kabhi kisi ko pareshan nahi kiya karti thi......aur ek ye hai......arre Pujari ji aap.....aap yahi pe hai.....

Daksh ki nazar darwaje ke pass gayi aur usne dekha waha pe Pujari ji the......jab Daksh ne bola tab jaake Leader ki bhi nazar unke upar padi......Leader ko nahi lag raha tha ki ye banda uski asli pahchan pata kar paayega....to wo to pure befikar hoke baithe the......

Pujari ji ko laga sayad Daksh se pata chal jaaye ye yaha pe kyun aaya hua hai aur kya jo wo soch rahe hai wo bhi ek wajah hai iske yaha hone ki.....waise unko to wahi ek mukhya wajah lag rahi thi......

Pujari ji - Wo Main sayad kuch batana bhul gaya tha Madhu ko.....bas issi wajah se......

Daksh - Arre Main abhi usko bulla deta hu.......Madhu......aur aap waha kyun khade hai ander aaiye......

Pujari ji ander aa jaate hai.........aur Leader ko dekhte hai......Daksh ko laga unko inn dono ki pahchan karani chahiye......

Daksh - Pujari ji.....ye yaha pe apni koi cheez dhundhne ko aaye hai......aur Ye hai Nix samuday ke Pujari ji......

Leader - Hmm.....accha to ye hai wo......maine Madhu se sunna tha inke baare mein par.....mil nahi sakka......

Pujari ji - To aap Madhu se mill chukke hai......

Leader - Hmm Mil chukka hu......usne to aap kah sakte hai meri jaan bachai hai ek baar.......waise Nix logo se milna bahut badi baat hai.....aur Main to.....Main to Nix rajkumari ke saath saath Nix samuday ke pujari ji se mil liya aaj.....

Pujari ji ko ek baar to laga ye banda sab jaan chukka hai......par wo iss baat ko confirm karna chahte the......sath hi wo baat....ki ye koi apni chizz dhundh rahe hai.....ye wali baat unko thodi thedi lagi......Yun Leader ki kahani sabhi ko nahi pata thi.....par kuch log the jo ye sab jaante the.....aur unme se ek ye Pujari ji bhi the......par abhi wo ye andaza nahi laga paa rahe the aisi kaun si apni cheez hai iski.....

Itne mein Madhu nicche aa jaati hai......

Madhu - Hmm arre aap.....aap bhi yaha hai......

Leader - haaa wo bas milne chala aaya.......waise ye Pankaj nahi dikh raha uski tabiyat to theek hai naa.......

Itne mein waha Pankaj bhi aa gaya tha......Madhu ko ye baat samajhne mein der nahi lagi ki Leader yaha pe aise hi nahi aaya hai.....pichle din bhi wo kisi kaam se hi aaya tha par uss waqt Prateek ka wo natak shuru ho gaya aur uski wajah se kuch ho nahi paaya.......yaha pe aaj Leader ussi ke liye aaya hoga.....lekin yaha pe aur bhi log hai jinke saamne wo ye baatein khul ke nahi bata sakta.......

Daksh - nahi Pankaj bhi thek hi hai.......arre haa Madhu wo Pujari ji ko tumse kuch aur baat karni thi.......

Daksh ko bhi lag raha tha sayad baat kuch private hogi to usne sidha kah diya unk Study room mein leke jaao waha baat karo.......Madhu bhi Pujari ji ko leke chali gayi study room mein......

Pujari ji - Madhu tum uss aadmi ko jaanti ho.......

Madhu - Hmm wo Leader hai.....Fumo......ooooooooo

Galti se iske muh se wo baat nikal gayi jo isko chupani thi.....Jaise hi Pujari ji ne ye baat sunni wo chauk gaye......

Pujari ji (Mann mein) - kya iss leader ne koi patti padhayi hai Madhu ko......kahi wo dhokhe se isko Fumos to nahi leke jaana chahta.......

Pujari ji - Haa main jaanta hu wo Fumos ka Leader hai ye baat chupane ki jarurat nahi hai......par....par wo yaha kyun hai......kya wo tumhe kahi le jaane ko aaya hai......

Madhu ko laga ab jab inko ye pata hai ki wo Leader hi hai to kya hi chupana.....haa bas ye ladayi ki baat ko chupa lungi to koi bakheda nahi hoga.......

Madhu - Haa wo Mujhe aur Pankaj ko apne saath leke jane ko aaye hai......hum unki beti ko dhundh rahe hai.......

Pujari ji ne jaise hi ye beti wali baat sunni unke dimmag mein sab clear ho gaya......aakhir kyun wo yaha pe hai......par wo Madhu se kaise milla.....ye baat abhi bhi pata nahi thi usko......aur sabse jaruri kya wo jaanta hai Madhu kaun hai.......jab unhone iss baare mein socha......to unko laga ye sab bekkar hai......aisa koi bhi tarika nah ki wo jaan sakke iss baat ko.......Madhu ke pass golden power hai ye baat khass log jaante the aur wo sab kabhi bhi....kisi bhi tarah se iss baat ko bahar nahi laane wale.......

Madhu - kya hua......aap kuch batane wale the........

Pujari ji - Nahi kuch nahi.......waise mil gayi kya uski beti.......

Madhu - Nahi....abhhi nahi.....hum koshish kar rahe hai par.....humme nahi mil rahi wo........

Pujari ji - Kya tumhe pata hai kya hua jo wo apne pariwar se bicchad gaya.......

Madhu - haa mujhe bataya tha unhone......pahle unke saath bura hua phir wo taqat ki talash mein gaye....aur unhone badla liya.....par wo taqat mahngi pad gayi.......

Pujari ji - hmm.......baat sahi hai tumhari.....waise wo yaha hai to Fumos ka kya......

Madhu - ye mujhe nahi pata......

Pujari ji - Tum ek kaam karo......aaj unko leke aao mere pass.......ussi aashram mein jaha hum sab rahte hai......

Madhu - Aap yahi ho unko saath mein leke chalo......

Pujari ji - Nahi mujhe uske baare mein pahle baat karni hai kisi se......aur agar sab sahi raha to sayad Main....uski madad kar sakta hu.......

Madhu ye jaan ke khush ho gayi aur usne bol diya wo leke aayegi usko......

Pujari ji ke dimmag mein iss waqt kuch aur hi chalne lag gaya tha.......ab unko pahle to sab baatein Prateek ko batana tha......aur uske baad guruji ke saath milke ye sab discuss bhi karna tha.....aur waqt.....wo to tha hi nahi.......

Pujari ji waha se nikal gaye..........iss waqt Main ghar pe hi tha......sabhi ghar pe hi the......darasal Chachi ne sabko bata diya tha ki kal maine kuch insano pe hamla kiya tha......aur iss baat ko leke sab pareshan the......darasal yaha pe problems ho sakti thi.....headoffice ne niyam banaye hue the......hum insano ke bich rah to sakte hai par aise magical powers se unpe hamla karna ye sahi nahi hai.....aur agar aisa hota hai to sazza bhi tha isme......

Abhi Mujhe sab ye samjha hi rahe the ki Pujari ji aaye.......

Pujari ji - Mujhe Prateek se kuch baat karni hai......

Main - Hmm ji boliye.....kya baat hai......

Pujari ji - akele mein.......

Main - waise bhi main wo baat sabhi ko bataunga hi to isse accha hai aapke muh se hi sab sunn le.....aap batiye......

Pujari ji ne ek baar sabhi ki oor dekha....waise unko bhi lag raha tha ye baat sabko pata honi hi chahiye.....aakhir mera school chutne wala tha.....aur saath hi sayad yaha se main dur bhi jaane wala tha......

Pujari ji - Haa......ye baat sabhi ko batani hi hogi.......Main chahta hu ki Tum Madhu ki suraksha karo.......

Pahle mujhe laga mere kaan bajj rahe hai.....kya isne sach mein ye baat kahi......

Dadi - par iske school ka kya hoga.....aur baaki sab......

Pujari ji - aapko iss baat ki fikar karne ki jarurat nahi hai......isko jitna seekhna tha ye usse kahi jyada seekh chukka hai......

Sabne ek baar meri taraf dekha......waise ye sab naa kah bhi dete to bhi sayad Main chala hi jaata.....par haa ye kuch din mein jo bhi hua hai......ek baar koshish karta inko mannane ki taaki mujhe waha jaane de........lekin ye ulta hua......Maine nahi socha tha Chachi khud kahegi ki Main jaa sakta hu....aur uske baad Bua ne bhi kaha Main jaa sakta hu.......Haa Dadi......wo manna kar rahi thi......

Bua - Maa ye aata rahega.....hamesha ke liye thodi jaa raha hai ye......Bacchu aayega naa.....

Main - haa aunga.....

Pujari ji - aap fikar mat kariye......iska dhyaan rakhne ke liye waha pe log hai.....aur main aapse vadda karta hu waha pe aap kabhi bhi jaa sakte hai koi aapko nahi rokega.......aur ye aapse milne bhi aata rahega......

Dadi - to Main bhi iske saath jaaungi.......wahi rahungi iske sath......

Dada ji - ye bada ho gaya hai.....isko ab akele rahne do.......

Dadi - aapne tab bhi yahi kaha tha.....jab Parth jaa raha tha.......aur dekho wo....wo wapas nahi aa sakta ab......

Itna bol ke wo rone lag gayi.......ye alag hi tha mere liye.....family drama type......

Main - Dadi.......Dadi Main aaunga aap dekh lena raat ka khana main ghar e aake hi khaunga.....roj pakka......waaise bhi mere pass portal hai.....Main jab chahe tab aa sakta hu yaha......

Pujari ji - Prateek waha pe insan honge.....to tumhe apni magical powers ko bahut sambhal ke use karna hoga......kisi ko bhi.....gatli se bhi pata nahi chalna chahiye.......

Main - Hmm main koshish karunga......

Rupal didi jo abhi tak chup baithi hui thi.......wo boli.....

Rupal didi - Dadi aap chinta mat karo......main iske saath rahungi.......aapko iski chinta karne ki jarurat nahi hai.......Papa yaha pe bhi hamare hotels hai naa........

Chacha ji - ye Bhanupur jaa raha hoga naa wahi pe Madhu jaa rahi hai......uss jagah pe to hotel nahi hai hamara.......haa usse thodi duri pe ek hotel hai.......sunna hai uska malik usko bechna chahta hai.....waha pe kuch gunde aur politicians ka kuch hai.....wo pareshan karte rahte hai unko....iss wajah se.......

Rupal didi - aap usko kharid lo.......Main wahi rahungi......aur waha se ispe nazar rakhungi......

Pujari ji - Hmm mujhe bhi ye baat sahi lagti hai.....Prateek ko Main seedha Madhu ke pass bhi nahi bhej sakta........tum agar wo hotel kharid paao to waha pe Prateek rahega.......Prateek kya tum waha se nazar rakh paaoge Madhu pe....

Main to kahi se bhi nazar rakh lunga uspe.....par ye usse naa mill paana ye mujhe accha nahi lag raha tha......

Main - haa.......

Didi - haa to phir Papa main uss hotel ko sambhal lungi.......Spain ke hotel ko aap kisi aur ko de sakte hai......

Chacha - par Rupal wo projects jo tumne aur Nikita ne banaye the unka kya......wo to waise hi......

Rupal didi - haa ye to aur sahi hai naa Papa aap ek kaam karo....shuru hum Spain wale se hi karte hai ab......ye ek hotel hone mein kam se kam 6-7 mahine lag jayenge tab tak uss jagah ko wo dekh lega jisne project ka idea diya tha.......aur Main yaa nikita kabhi kabhi chale jaayenge kaam dekhne ko......

Chacha ne bhi socha ye bhi theek hai.....to unhone manjuri de di.......

Chacha - Ye hotel Main Rupal aur Nikita ke naam se le raha hu......aur tum dono ko hi dekhna hai.....waha ke problems ko samjhe....

Nikita jo iss waqt bas sabki baatein sunn rahi thi jab uska naam isme aaya to wo ekdum se chawk gayi.........

Nikita - Par main kaise.......

Chacha - Hum iss baare mein pahle se soch rahe the....aur ab jab mauka hai to hum ye le rahe hai......tumhe bas waha pe jaana hai aur agar koi pareshani hai to dekhni hai........itna to tum kar hi sakti ho.......

Yaha ye sab chal raha tha wahi dusri tarah.........

Log aa chukke the Earth pe........

Waise pahle to kisi Immortal ko aana chahiye tha :sigh: par wo nahi aaye........waha pe Rian ki baat pe kisi ne yakkin hi nahi kiya tha........aur Dark power ke baare mein Rian ne bataya hi nahi tha.....aur naa wo log yaha Earth pe nazar rakhe hue the.....ki unko pata chale ye sab.......

Haa Orion aur Titan se log nikal chukke the par pahuche wo bhi nahi the.........Strange world se pahuche the log.........kuch Nix the......jo abhi uss murti mein kaid bande ke kaabu mein the.......aur kuch bas pata karne aaye the ki kya ho raha hai......wo saare aise hi scholors ki ek team thi........

Dark world se bhi log aaye the......waha pe......waha par se jo aaye the wo bas ek ummid ke saath aaye the.....unhe abhi bhi dar tha.....klisi din Slayer wapas unke pass naa chala jaaye aur uske baad wo.....to wo log yaha pe iss ummid se aaye the ki jiske pass bhi ye ajeeb si shakti hai usse madad maang sakke........Fumos ko ye baat pata chali thi.....par uske pass koi tha nahi......jisko wo bhej sakke........Fumos ki baat kuch aisi thi usse baatein bas Leader kar sakta tha.......Leader ek medium tha......uske binna wo kuch kar nahi sakta tha.....aur Leader abhi Earth pe tha.....aur Fumos usko wapas bulla bhi nahi sakta tha.......aur Slayer.....wo abhi taiyaar nahi tha uske hisab se........Demos se lucifer ne logo ko bhej diya tha......aur wo pahuchne wale the......

Kul milla ke yaha pe abhi Strange world se aaye log aur Dark world se aaye hue log hi the.......baaki sab raste mein hi the......

Earth ke Head office mein ye baat jab pata chali yaha pe bahut se log aa rahe hai......to unhone saare intezam karne ka socha......aur insano ki surakhsha ke baare mein bhi......

Head office ke logo ko bhi paa chala tha iss baare mein ki Earth pe kuch hua hai......yaha pe kuch aisa hai......jiske baare mein wo nahi jaante......aur inn logo ka manna tha ki hum ye soch ke chale ki ye jo bhi hai bas hamara dost ho.....aur kisi ko nukshan naa pahuchaye.....par taiyaari uss hisab se karni hai ki agar ye dost naa hoke dusman nikla to hum isko khatam kar sakke.......

Pata sabko chal gaya tha.......aur jaha pe ye sab hua tha uss jagah ke baare mein bhi.....par jab log waha pe pahuche tab tak koi tha hi nahi waha pe.......darasal jaise hi Chachi Prateek ko leke gayi thi ussi waqt unn ladko ke dost aa gaye the waha.....aur unn sab ko dard mein tadapte hue dekh wo sab ke sab unko waha se leke chale gaye........jo wo car wala banda tha usne ye baat batai apne ghar walo ko par kisi ne yakkin hi nahi kiya.......koi kahta ki sharb pine ki wajah se aisa hai to koi kaam ke pressure ki wajah se aisa laga hoga tumko....ye bol raha tha.......

Uss jagah pe sabse pahle pahuche Dark world wale........ek to ye sab yaha aaye bade muskil se the......matlab inko chunna bahut kathin tha.......Earth pe wo surkasha kawach jo tha....usko parr kar pana aasan nahi tha....iss liye dark world se sabse sarif sarif logo ko yaha pe bheja gaya tha.....aur unko dhundhne mein muskil hui thi.......

Ye log abhi Bhanupur gaon ke pass aaye hue the.....aur aas pass jaanch kar rahe the......par jyada kuch mil nahi raha tha.....ulta inn sab ne aake yaha pe chizzen kharab kar di....Dark power ke thode bahut jo ansh yaha pe hone the......wo sab bhi.....inn sab ki wajah se yaha waha chale gaye.......

Thodi der dekhne ke baad jab kuch bhi nahi milla inko to ye waha se nikal gaye......aur ass pass kahi rahne ka thikana dekhne lag gaye.......

Wahi Pujari ji ab ja chukke the aur waqt sham ka ho challa tha.....waise to Leader aaj aaya tha Madhu ke pass ki wo kahi aur jaa sakke par......aaj jab usko pata chala wo jane wali hai waha se to usne ye aaj naa karne ke baare mein socha.......wo waha se nikalne hi wala tha ki Madhu ne usko rok liya.......aur aise hi Madhu aur pankaj uske baare mein usse aur detail mein puchne lage......

Jab sham hui tab Pankaj ko Madhu ne kaha ki Pujari ji ne usko bulaya hai aur kaha hai Leader ko bhi waha leke jaaye........

Pankaj ne bhi haa kah diya usko kya hi pata tha kya hona hai kya nahi......

Leader ko leke dono hi nikal gaye Pujari ji ke pass jaane ko matlab Guruji ke aasram mein......

Aashram mein ab DB ki bahut chalti thi.....darasal baat ye ho gayi thi usko samajhna muskil ho raha tha ab....aur saath hi uski baaton ko bhi......par wo jo bhi kahta wo sach hi hota tha.......

Uske element ki wajah se ye sab ho raha tha......aur to aur DB ab aashram mein rah rahe logo ko training de raha tha bahut si chizzon mein.....bas yahi sab kuch karan the uski baatein sab manne lage the.....aur agar nahi maante the to kam se kam 2-3 baar uski baaton ko smajhne ke liye sochte jarur the......

DB laga hua tha aise hi ki waha pe Pankaj aur Madhu Leader ko leke aa gaye.........

Pujari ji aur Guruji iss waqt aapas mein baat kar rahe the aasram mein hi

DB ne dekha Pankaj waha hai......to wo muskrate hue uske pass chala gaya.......waise DB aur Pankaj ki jyada banni nahi hai abhi tak......par kaun jaane kab kya ho jaaye.......

Pankaj ne usko dekha to pahle to usne thoda muh banaya phir wo bhi muskurate hue wahi khada raha......

DB - aap sab...yaha.....koi baat hai kya......

Pankaj kuch bolta usse pahle Madhu ne bola......

Madhu - Humme Pujari ji se milna hai unhone bulaya hai humme......

DB ne uski baatein sunni aur phir unko apne picche aane ko kaha.....par jaane se pahle hi uska dhyaan Leader pe pada tha.......aur wo kuch sochte hue waha se jaa raha tha.......

Leader yaha aaya tha aur pucch raha tha Madhu aur pankaj se aakhir usko yaha kyun leke aaye hai.......yaha pe wo kya karega.......waise usko aisa lagne laga tha sayad kisi tarah se yaha ke logo ko uske asliyat ke baare mein pata chal gaya hai........aisa hona nahi chahiye par ab kya hi kahe........wo issi ko leke thoda sa pareshan sa tha.......

DB ne unn tinno ko hi Guruji ke pass pahuchaya.....aur khud jaake wahi pass mein baith gaya........

Guruji ne ye dekha.....par unhone kuch kaha nahi.......wo pareshan ho gaye the iss DB se.......yaa ye kahu DB unko parehsan kiya karta tha aise hi baatein.....

Wo aksar kuch naa kuch kahta tha jiska matlab Guruji ko pata karne mein waqt lag jaata tha.....aur ye unko ab thoda pareshan karne laga tha.......

Guruji ne apna dhyaan usse hataya aur Leader ki oor dekha.......aur muskurate hue kaaha......

Guruji - Swagat hai......tum yaha aaye aur humme mauka bhi nahi milla tumhara swagat karne ka......

DB - aap kar to rahe hai swagat unka......

Guruji ne ek baar DB ki oor dekha....aur phir se Leader se kaha......

Guruji - haa to main kaha tha........

Pujari ji - Madhu Pankaj tum dono kya mere saath chaloge yaha pe ye log kuch baatein karne wale hai........hamari jarurat nahi hai yaha........DB tum bhi chalo......

DB - Meri jarurat padegi......Main to kahunga sabhi ko yahi rahna chahiye.....ye accha hoga....aage ke liye......

Guruji - Pujari ji inn dono ko leke jaaiye ye yaha se nahi jaane wala......

Madhu aur Pankaj ne ek baar dekha Leader ki oor aur Guruji ki oor unko ye lag raha tha sayad yaha pe kuch gadbad hone wali hai.......par abhi wo kuch bhi nahi kar sakte the....kya karte wo Kya Madhu Pujari ji pe hamla karti ......nahi wo iske baare mein soch bhi nahi sakti.......unn dono ko Leader ne khud jaane ka ishara kiya tab wo dono gaye.......

Leader - hmm to aapko mere baare mein pata hai......

DB - Main to kahta hu Mudde pe aate hai yaha sabko ek dusre ke baare mein pata hai......wo sab doshra ke kuch nahi hone wala......

Guruji - Rajkumar kya aap humme baat karne denge.......yaa hum kahi aur chale jaaye.......

DB - jaaha jaoge waha mujhe to aana hi hoga......waise koi baat nahi Main uss waqt tak chup rahunga jab tak mera bolna jaruri nahi ho......

Guruji - hmm theek hai........To Fumos ke leader iss jagah pe.....kyun hai......

DB - jaahir si baat hai......ab uske paas shaktiyan hai.......lekin kiss liye......wo abhi bas ek putla hi banke rah gaya hai.......Mujhe kuch din pahle hi pata chala mere jo Pitaji hai.....unhone koi raaz ki baat kisi ko batayi thi......kya thi wo.....

Leader - ye sab isko kaise pata aur kya ye jaanta hai ye meri beijjati kar raha hai mujhe ek pulta bulla ke.......

Guruji - DB ye hamare mehmaan hai tum inse aise baat nahi karoge........Leader kya ye sach hai tum yaha apni eklauti beti ko dhundhne aaye ho.......

Leader - haa ye sach hai.....Main usko dhundhne aaya hu.......

DB - Wo theek hai.....aur jaha tak maine sunna.......abhi wo bahu jyada khush hai.......Guruji aapko pata hai koi Hotel le raha hai uske naam pe.....bataiye itna kaun hi karta hai.......

Leader - kya tum meri bacchi ke baare mein jaante ho......Kya ye jaanta hai meri bachi ke baare mein.....

Guruji - Main ye nahi jaanta kyunki Maine tumhari bacchi ka pata nahi lagaya hai abhi tak......DB abhi mujhe meri baat puri karne do......Leader kya lagta hai tumhe.....kya tumhari beti tumhe apna paayegi......kya tum usko samjha paaoge ki tum uss waqt kaha the jab uski Maa ne usko bachane ke liye kisi aur ke jariye Earth pe bhej diya tha........kya tum usko samjha paaoge ki jab jab wo pareshan thi......darri hui thi......tum kaha the.....kya tum ye sab samjha paaoge.......

Leader ko sach mein inn sab ke baare mein kya batana hai ye samajh mein nahi aa raha tha......wo nahi jaanta tha ki wo kya samjhayega apni beti ko yaa phir kaise....ye jo sawal abhi usse kiye gaye the wo kisi bomb ki tarah the.....jo bas usko todte jaa rahe the.......

Leader ek dum se hup raha bas khud mein hi sochta raha........abhi thodi der pahle ek khushi milli thi ki DB uski beti ko janta hai aur abhi turant sab khatam........

DB - Guruji ki baaton se main bhi sahmat hu.....ye sawal to wo kar sakti hai......aur karegi bhi......par kya aap.....aap joki ek katputli hai......wo inka jawab de paayega........

Leader - To kya Main usse naa millu......Main usko sab batana chahta hu.....par......uske baad wo mujhse nafrat kareegi......haa Main sach mein ek katputli hi hu......

Guruji - Leader kya tumhe lagta hai ki tumhe apni beti se milna chahiye......agar tum haa kahoge....Main Rajkumar se tumhe uska pata aur pahchan batane ko kahunga....aur tum usse mil sakte ho.....par ye sawal.....ye honge waha uss waqt......

DB - Guruji Fumos ka waqt khatam ho chala hai sayad.......

Guruji - Kya bol rahe ho tum.......kya lagta hai tumhe.....uss chizz ko khatam kar dena aasan hai......wo tab se hai jab tumhare pariwar ka astitwa bhi nahi tha......

DB - wo bas intezar mein tha mere.......chalo ye kahani mere hi haathon khatam hogi......Leader aap yaha rahenge aur inn sawalon ke baare mein sochenge.......Main aapse wada karta hu aapko naa sirf aazad karaunga.....balki aapko apki beti ke sath rahne ka mauka bhi dunga.....hamesha ke liye....jab tak aap rah sakke.......

Leader iss baat ko samajh nahi paa raha tha naa hi Guruji.......kya matlab tha DB ka kya ye Fumos ko khatam karne wala hai.......ye mumkin hi nahi hai........

DB kya soch raha tha wo wahi jaanta tha......Leader bas pareshan tha.....usne nahi socha tha ki usko sach mein aise sawal bhi mil sakte the......haa usne socha tha ki wo sab kuch apni Beto ko batayega.....par uske baad kya hoga uska ahsaas aaj usko hua tha.....wo nahi jaanta tha ki inn sab ke baad uski beti usse nafrat karna shuru kar de......agar aisa hai to wo uske saamne jaayega hi nahi.......uski beti ko khush rahne dega.....ye sochte hue ki uska Pita koi acha banda hoga......

Guruji DB ki baaton ke bare mein soch rahe the aakhir uska matlab kya hai......par DB wo to bol ke nikal gaya wahase.........

Leader - Main yahi rahunga to......to pareshani ho jaayegi.......Fumos mujse meri saari taqat cheen lega......aur to aur......wo mujhe saza bhi dega.....ye khatarnaak hai.....main yaha nahi rah sakta.....

Guruji - waha wapas jaane ke liye kitna waqt hai aapke pass aap utne waqt tak to yaha rah hi sakte hai.....

Leader - waqt........abhi kuch weeks hai......Main tab tak yaha rah hi sakta hu......

Yaha ye sab baatein kar rahe the.....

Wahi Chacha ji apne contacts se ye pata laga rahe the ki wo jo hotel hai jiske baare mein bat hui thi.....uska malik kaha pe hai....aur kya wo ye sab itni jaldi karega........

Hotel ka maalik pareshan ho chukka tha usne jaise hi sunna koi usse wo hotel kharidna chahta hai.....wo bhi sahi kimat pe to usne turant haa kar diya......wo banda khud milne ko chala gaya tha Chacha ji ke office mein.......par Chacha ji aaj office gaye hi nahi the....wo ghar pe the....unko phone aaya tab unhe ye pata chala aur wo turant Rupal didi aur Nikita ko leke chal diye........

Deal itni jaldi hui ki puccho hi mat....haa papers transfer mein waqt lagne wala tha kuch......lekin wo ho hi jaata ek do din mein.......

Jab hotel ke maalik ne dekha.....ki Hotel do ladkiyon ke naam pe liya jaa raha hai to wo thoda pareshan hua par sign karne se pahle usne apna muh nahi khola.....aur jab sign kar diya tab bolna shuru kiya.......

Maalik - Waise aapko waha pe sambhal ke kaam karna hoga wo kya hai naa waha ke kuch local politicians hai aur kuch unke paaltu kutte hai......jo aaye din waha hungama karte rahte hai......Ab jab aapne papers inn bacchiyon ke naam pe karwaya hai to.......aapko inke liye security arrange karna hoga......

Chacha - Hum jaante hai ye....aur aapne ye bataya iske liye bahut bahu sukriya par chinta karne ki baat nahi hai......wo jo koi bhi ho......inhe chu bhi nahi sakta......

Malik ko laga Chacha ne security arrange kar rakhi hai par phir bhi itna confidence......

Malik - Wo log ruling party ke hai.....aapko sambhal ke rahna chahiye.......chaliye Main to ye shaher chod ke jaa raha hu......bas ab apne ghar ka deal kar lu aaj uske baad yaha se chala jaaunga.....ye jagah mere liye manhoos hai......

Chacha ji - Theek hai.....phir kabhi mauka milla to mulakat hogi hamari.......

Wo hotel owner waha se chala gaya......

Chacha ji - tum dono ne sunna yaha pe kya hota hai.....ab dhyaan se socho ki kya karna hai.....inn sab se bahar nikalne ke liye......

iske baad sab ghar chale gaye.......Par Earth pe raat mein bahut kuch hua.......bahut se log aaye.......

Next update mein dekhte hai kya hua.....aur kya koi pahuch paayega Prateek tak.....ye dekhne wali baat hogi.....kyunki Dark world walo ne aake pura kabada kar diya tha........
Nice update
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE - 98

"nahi......yaha pe kuch nahi milne wala........sab kuch to bikhara pada hai yaha pe.......dekh rahe ho......"

"Kya aapko lagta hai ye jaanbujh ke uss ajeeb si shakti wale ne kiya hai taaki hum ustak naa pahuch paaye......"

"Pahli baat isko Dark power kahte hai......usko ajeeb si power mat kaho......aur dusri baat.....pata nahi.....Main nahi jaanta ye sab usne kiya hai yaa kisi aur ne....."

"Mujhe lagta hai ye sab ussi ka kiya hua hai.....wo itne waqt se yaha pe hai......usne apne aap ko sabhi se chupa ke rakha par iss baar kuch hua aur usse ek galti ho gayi......wo iss galti ke kaaran sabke saamne aa jaata......isse bachne ke liye usne ye kiya....."

"Aakhir kyun koi chupega agar uske pass aisi koi shakti ho.....wo aadhe universe ko jeet sakta hai kuch hi waqt mein......tumhe ab bhi lagta hai wo chuppa hua hoga......Tum batao agar tumhare pass aisa kuch hota to kya karte......"

"Main......Main to raja ban jaata.......aise chupta nahi Main......"

Orion se aaye hue kuch log baatein kar rahe the wahi pe jaha pe wo sab hua tha........inko kuch mil nahi raha tha.......haa thode bahut bikare hue tukde mille the energies ke par unse kuch khass pata nahi chal raha tha.......aisa nahi tha ki Ye uss kabil nahi the ki inn chizzon se pata laga sakke ki yaha hua kya tha......par baat aisi thi ki inko abhi results jaldi chahiye thi........aur wo mumkin nahi ho paa raha tha.......

"Ek kaam karo......jo bhi hai.....unko uthao aur long procedure wale tarike ko apnao......hum pata laga hi lenge kaun hai kya hai sab kuch......."

"Par usme bahut waqt lagega kya sab ine waqt tak......."

"aur koi rasta nahi hai.....agar ye jo koi bhi hai.....kal ko hamara dusman ban gaya to......to hume koi nahi baccha paayega.......Chizzen samet lo.....aur dhyaan se kuch bhi bachna nahi chahiye yaha pe......wo sab leke jaao hamare thikane pe......"

"Naye aadesh aaye hai......humse kaha gaya hai ki hum Titan se aaye hue hamare doston ki madad le aur unki madad kare......."

"Yahi baat Strange world ke liye bhi kahi gayi hai......"

"uff ab wapas se ye sab karna hoga.......theek hai saari cheezin hamare thikane pe leke chalo aur haa unn dono planets se jo bhi aaye hai unko leke aao hamare thikane pe......unse baat kar leni chahiye......"

Ye log iss jagah se dur aur Head office ke pass mein rahne wale the......saare intezamat Head office ne khud kar rakhe the.......unka sochna bhi sahi tha........isse kam se kam wo ek baat to tay kar sakte the kaun shanti banaye rakhna chahta hai aur kaun yaha pe kisi aur hi maksad se aaya hua hai.......

Iss waqt tak sab ke sab aa chukke the......Demos wale jassos bhi......par wo sab ke sab yaha pe nahi rah sakte the......to unme se kuch ne insano ke bich rahne ka faishla kiya......par Lucifer ne unhe acche se samjhaya tha khud pe kaaabu rakhe......tab tak kisi ke nazar mein naa aaye jab tak wo uss Dark power ke baare mein kuch pata na kar le.......

Par bas yahi nahi the jo sabse chup ke rah rahe the Dark world wale bhi aise hi the......ye baat alag thi unke yaha aane ke baare mein Head office ko unke yaha pahuchne ke kuch ghanto baad pata chal gaya tha......aur jo koi bhi aaya tha unn sab ke records saaf the.....to unhone unko apne hisab se rahne diya......Lekin Stange world se jo dusra group aaya tha uske baare mein pata nahi tha kisi ko.......wo sab chup ke yaha aaye the......saare ke saare uss murti mein kaid bande ke isharo pe chal rahe the.......

Yahi subah ki hi baat hogi........

Pujari ji har subah ki tarah aaj bhi aasram se thodi dur ke ek talab ke pass pahuch gaye....wo har roj waha jaaya karte the aur uss talab ke paani mein kuch kiya karte the.....unko lagta tha ki jab wo sab yaha Earth pe rahne aa hi gaye hai to yaha pe ek aisi jagah honi hi chahiye jaha pe saare Nix khud ko theek kar sakke....par unko pata nahi tha ki aaj unke picche koi laga hua hai....

Koi nahi kuch log.......Nadi abhi thodi duri pe thi ki unpe hamla hua......

Hamla karne wale bhi saare Nix hi the.....ye wahi sab the jo Strange world se aaye the.......aur abhi uss murti mein kaid bande ke kaabu mein the......

Pujari ji aage ki oor jaa hi rahe the ki unke upar kisi ne gande paani se hamla kiya......

Pujari ji ne jab uss oor dekha jaha se paani aaya tha to waha pe koi nahi tha......par ussi waqt dusre taraf se wapas se hamla hua.......jab khud ko sambhal ke dusre taraf dekha to waha pe bhi koi nahi tha.......ye 2 baar aur hua........uske baad Pujari ji ne apne pass padi hui bottle se kuch paani nikala aur usko apne charo taraf phaila liya......ye bottle wala paani khass hota hai.......Jalphool ka bahut sara ras isme milaya hua hota hai jisse ye aur jyada takatwarr ho jaata hai......

Pujari ji yaha ke talab mein wahi phool ke liye to jaate the......unko yaha Earth pe bhi Jalphool ugana tha aur bas ek wahi talab tha jaha pe ye ugne ke chances the.......

Pujari ji - Kaun ho tum sab.......Main kahta hu saamne aao warna accha nahi hoga......

Koi bhi saamne nahi aaya....balki iss baar wapas se gande paani se hamla hua......aur jiss bottle ke paani se Pujari ji ne khud ko baccha ke rakha tha......uss paani mein thoda kaalapan aa gaya.......jaise hi Pujari ji ne isko dekha.........unki aankhen hairaani se chaudi ho gayi.........

Ye ho hi nahi sakta tha unke hisab se..........jiss tarah ke paani se unpe hamla ho raha tha......wo koi aam paani nahi tha.......usme Jalphool ke ras ke saath saath wahi kali shaktiyan thi jo uss murti mein kaid bande ke pass hai.......to kya wo banda aazad ho gaya hai........agar nahi to phir ye sab kya tha.......ye paani aisa kaise ho sakta hai.......

Abhi ye soch hi rahe the ki wapas se ek aur waar hua.......iss baar unke paani se banne hue shield mein darar si ban gayi thi......

Pujari ji ab mushibat mein the........sayad unki kismat acchi thi.......uss waqt Leemi ki nazar uss oor chali gayi......wo sayad kahi jaa rahi thi yaa pata nahi......usne dekha ki kuch aisa ho raha hai........par sayad usko ye jaake kisi ko batana chahiye tha........wo khud waha chali gayi.......

Leemi ne dekha ki kuch log pedon ke picche chuppe hue hai aur Pujari ji pe hamla kiye jaa rahe hai......

Leemi ek ped ke pass gayi aur usne apna khanjar bahar nikala aur usse uss ped ke pass khade bande pe hamla karne hi wali thi ki........kisi ne uspe hamla kar diya.........ek waar hua uspe waisa hi jaisa abhi tak Pujari ji pe ho raha tha.........Leemi ke pass koi shield nahi thi ki wo usse bach paati.........usko jaise hi wo waar laga ek dhamaka sa hua......aur uski aawaj sabhi taraf gayi.......Aasram mein bhi.......

Aasram ke pass mein kuch aisa hua tha........Aasram mein jitne bhi yodha the wo sab satark ho gaye......kuch ko bahar bheja gaya......dekhne ko ki kya chal raha hai...........Tab tak wo Nix jo abhi tak hamla kar rahe the wo waha se nikal gaye.......pata nahi kyun par sayad wo sab kisi ek ko hi nuksan pahuchane aaye the....jaise hi unka kaam hua wo sab ke sab ekdum se jaise neend se jaag gaye ho........aur aisa hone ke baad wo sab ke sab waha se nikal liye........

Pujari ji ne jab ye dekha to wo hairaan rah gaye......Leemi ne unki madad karne ke liye apni jaan de di.......

Haa uss waqt unko wahi lag raha tha.......Leemi ki saanse naa ke barabar thi.....aur uska sarir kaala padta jaa raha tha.......

Wo bhag ke uske pass gaye......aur tab tak waha pe Aasram se nikle hue Yodha bhi pahuch gaye the....Unhone bhi dekha ki Leemi waha jamin pe padhi hui hai......uska khoon to nahi nikal raha par.......par uska sarir kaala hota jaa raha tha.........aur saanse bhi ukhadti jaa rahi thi........

Wo kuch karte usse pahle waha pe DB aa gaya.......aur uske saath Leader bhi tha.......

DB -inko wapas aasram mein le chalo jaldi.......Pujari ji aapko mere dost ko bulana hoga......uski Rupal didi ke saath mein.......

Leader - Ye itni badi maatra mein shaktiyon ka prayog.......kya yaha pe itne takatwar log bhi hai.......

Pujari ji - Main unhe leke aata hu......par kya ye.....

DB - jitni jaldi aap karenge utna accha hoga.....aap jaaiye.......Leader aap meri madad kariye......mujhe khun chahiye.......aapka.......

Leader ne jab ye sunna to wo DB ko dekhne laga.....par DB ka chahra ekdum serious tha......usko sach mein ye chahiye tha.......

Leader - hmm theek hai......

DB - yaha nahi humme aashram mein jaana hoga......

Leemi ko jaldi se aashram mein le jaaya gaya........ye baat jab Guruji ko pata chali unhone sabse pahle Leemi ki beti ko aashram ke dusre taraf bhej diya.....wo nahi chahte the abhi wo ye sab dekhe.......Leemi ki haalat kharab ho rahi thi......

Main ghar mein tha......bas bahar nikle hi wala tha.......Mujhe jaana tha bahar......uss hotel mein jo Chacha ne abhi liya tha.......

Didi aur Nikita bhi saath chalne wale the.......ki tabhi ghar mein pujari ji aa gaye aur wo pareshan lag rahe the......

Pujari ji - Prateek Rupal mere saath chalo.......

Main - kya baat hai Pujari ji koi pareshani hai kya.....aur aap.........

Main kuch aur bolta usse pahle mujhe kisi chiz ke hone ka ahsaas hua........ye......ye wahi hai.......wahi shakti.......

Maine ek nazar acche se pujari ji ko dekha.......

Main - wo aazad ho gaya.......

Pujari ji ko samajh mein aa gaya Main kiski baat kar raha hu.......

Wo - Nahi......pata nahi mujhe......par usne.....usne hamla kiya mujhpe......aur mujhe bacchane mein Leemi ghayal ho gayi hai........DB ne mujhe yaha bheja hai Tumhe aur Rupal ko bulane ke liye........

Hum ghar mein the wahi pass mein dono Bua aur Chachi bhi thi......Dadi sayad upar hogi.......

Unn sab ne bhi ye baat sunni.......

K.Bua turant khadi ho gayi........

K.Bua - Main bhi chalungi.......Main usko check kar sakti hu......sayad isse madad mille........

Bua bhi aa gayi hamare saath.....aur saath mein Chachi bhi.......

Main samajh raha tha ye kaisa mamla hai.......main isse pahle bhi gujar chukka hu........naa jaane kitne baar iske chakkar mein mujhe sazza milne wali hoti thi.....

Maine waqt naa gawate hue khud portal khola aur usme se chal diya......wo sab bhi picche picche aa gaye......aur hum sab pahuch gaye aashram mein........

Hum sab jaldi mein Leemi ke pass chale gaye.....waha pe Leader tha.......aur DB.........Leader ke haath se khoon nikal raha tha.....aur DB uss khoon mein kuch kar raha tha.......pata nahi kya kar raha tha.......

Chachi ne jab Leemi ki halat dekhi to wo ghabra gayi thi......pura sarir ajeeb tarah se kaala hone laga tha.....aur sukhta jaa raha tha.......

Unko Leemi ki beti ka dhyaan aaya.......usko ye sab nahi dekhna chahiye tha.........Unhone aas pass dekha......koi nahi tha waha pe......

Chachi - iski beti kaha hai......kya usne....

Guruji - Nahi Maine usko dusre taraf bhej diya hai.....wo wahi hai....

Chachi - Main uske pass jaati hu.......

Chachi waha se nikal gayi.....

DB - Prateek accha hua tum aa gaye.......tum to jaante hi ho ye kya hai.......

Main janta hu ye kya hai acchi tarah se..........ye mere dark power ke jaisa hi dikhta tha.....par asar uske jaaisa nahi usse bhi dardnaak tha ye.........agar kisi ke ander ye chala jaaye......to halat to aap dekh hi rahe hai.....sarir kaala hone lag jaata hai....aur sarir ka saara maans jaise sadd ke sukh jaata hai.....aur ye sab jinda rahte hue hi hota hai.......ye itna dardnaak hai ki Main isko acche se bata nahi sakta..........iska use uss Murti mein kaid bande ne bahut baar kiya tha mere khilaaf........chukki ye dekhne mein aisa lagta hai ki mera hi dark power use hua hai......isko dekh ke Immortals mujhpe ungli uthaya karte the.......par janch ke baad pata chal jaata tha ki ye kya hai.......

Ye baat DB ko kaise pata ki main jaanta hu iss chizz ko.......Maine iske baare mein socha hi nahi.......

DB - Rupal didi kya aap mujhe kuch de sakti hai........

Rupal didi ko samajh nahi aaya ye kya maang raha hai.......waise agar baaki sab nahi aate to yaha pe kaam aur aasan ho jaata........

DB ko wo bats chahiye the.......yaa unme se kuch........

Yun to bats khoon pitte hai.....par Rupal didi agar unse kah deti ki unko khoon daalna hai sarir mein to wo ye kar hi dete.....

Rupal didi - Kis chizz ke baare mein baat kar rahe ho tum.......

Rupal didi ke iss power ke baare mein kisi ko pata nahi tha sirf mere........

Main - Uski jarurat nahi padegi.......Main ye kar dunga.......par uske liye mujhe ye puri jagah khaali chahiye......abhi......

Guruji aur Pujari ji wahi the.....unn dono ne ek dusre ko dekha.....aur phir bahar jaane ka socha........

Guruji - Sab bahar chalte hai.....ye Prateek khud kar sakta hai.......

K.Bua - Arre mujhe check to karne dijiye.....

Pujari ji - Waqt kam hai......abhi ke liye bahar chalte hai........

Unn dono ne sabko bahar bhej diya.....DB aur leader ko bhi aur wo khoon ka katora usko bhi maine bahar le jaane ko kaha.......pata nahi wo kar kya raha tha......

Jab sab bahar gaye......Main uske pass gaya.......

Main saari powers ko khinch leta.....aur khud ke ander daal leta......mere ander ki dark power uss chizz ko aaram se sambhal leti.......haa ye insani sharir hai to isme thoda dard jarur hoga mujhe par jyada nuksan nahi hone wala......

Maine apna haath uss jagah pe rakha.......jaha pe Leemi ko wo waar laga tha.......uska kandha.......

Waha pe haath rakhne ke baad maine apna dusra haath uss haath ke upar rakha aur usse uske ander gayi hui wo khatarnaak energies ko bahar khinchne laga......

Iss dauran mera wo haath jo uske kandhe pe tha.....wo jal raha tha......bahut jyada......aur dard.......wo to puccho hi mat.......aisa lag raha tha meri haddiyon ke bich mein kuch reng raha hai......aur wo ander se bahar aana chahta hai........saari haddiyon ko todd ke.......

Main chillane laga.......meri aakhen sayad band hone wali thi......

Par uss waqt.......kuch hua.......Maine wo sunahri roshani dekhi.......Madhu.......

Wo roshni mere ander chali aayi........aur isse jaise.....jaise mujhme bahut jyada takat aa gayi thi.........ab wo dard jaise gayab ho gaya tha.......

Maine apne haath ko dekha to waha pe ek energyball tha........wahi khatarnaak shaktiyan jo Leemi ke ander thi wo sab bahar aa chukki thi aur mere haath mein thi.......

Ye insani sarir......ye meri takaton ko rok leta hai.......aur sath hi mujhe dard bhi hota hai.......Main uss shakti ko apne ander nahi rakh sakta tha.....

Wo energy ball mere haathon mein tha......par Leemi......haa uska sarir ab pahle jaise rang ka ho gaya tha.....par bahut kamzor tha.....aur sukha hua tha.......Ye aise nahi rah sakti.......Maine pahle to wo energy ball ko waha se durr fenk diya.......khidki se

Main iss chizz mein kuch kar bhi nahi sakta tha.......kya hi karta.......meri powers sirf destructive hai.....

Main ye soch hi raha tha ki mere ander se wahi sunahri roshani ka ek chota sa tukda bahar aaya.....aur wo Leemi ke ander chala gaya.......

Maine usko dekha wo theek ho rahi thi........uska sarir wapas se pahle jaisa ho raha tha.....nahi sayad usse bhi accha.......

Ab bas uski aankhen band thi.....aisa lag raha tha jaise wo bas so rahi ho.........Jab main chikh raha tha tab bahar aawaj jaa rahi thi....aur wo sab ander aane ko bol rahe the par DB ne unko nahi aane diya.......saath mein Guruji aur Pujari ji bhi manna kar rahe the........

Maine jaake ab darwaja khola......Main bhi check kar sakta tha par iss waqt dimmag mein kuh aur hi chal raha tha......wo sunahri roshni........kya wo sach mein Madhu thi.......

Darwaja kholte hi sab mujhe dekhne lage......maine kisi ko kuch nahi kaha bas K.bua ko chod ke......

Main - K.Bua aap check kar lo unko.....

K.Bua ne jab ye sunna to wo ander chali gayi......bas wahi nahi baaki sab bhi.........Main darwaje pe tha......apne khayalon mein khoya hua..........waise bas Main hi nahi tha aisa..........Leader ka haath katta hua tha DB ne K.Bua ko naa kahke Nikita se kaha uska haath dekhne ko.......

Aaj pata nahi Leader ko kya hua.......jab ye sab ho raha tha aur wo bahar gaya tha tab uski nazar Nikita pe paddi thi......aisa nahi tha usne usko pahle nahi dekha hai......dekha hai pahle bhi par.......aaj sayad dhyaan se dekh raha tha........

Leader ko usme kuch jaana pahchana sa lag raha tha......par wo iss waqt darra hua bhi tha.......usko samajh nahi aa raha tha.....ki agar jo usko lag raha hai wo sach hai.....to wo khud ko rok paayega uske pass jaane se.......aur agar wo uske pass gaya aur usne wahi sawal puche to kya wo jawab de paayega.........

Wo issi mein khoya tha ki maine darwaja khola tha.......wo ander nahi gaya wo bahar hi raha........

Aur wo DB haath mein abhi bhi katora liye hue khada tha......ander.......Main isko samajh nahi paa raha tha ye kya kar raha tha......Mujhe nahi pata iss khoon se bhare katore se kya hi hoga........

Main abhi bhi apne khayalon mein khoya tha ki tabhi K.bua ne aake kaha......

K.Bua - wo.......wo bas so rahi hai........tumne aisa kya kiya.......

Main - Bas uske ander jo khatarnaak saktiyan chali gayi thi unko bahar nikal liya........

K.Bua - Tum theek ho......rukko main check karti hu tumhe.......

Main kuch kahta usse pahle wo shuru ho gayi.........

Mujhe check karne ek baad wo mujhe dekh rahi thi.......

Main - kya hua......aap aise kyun dekh rahi ho.......

K.Bua - tumhara sarir khud se theek ho raha hai......

Main - wo to sabka hota hai naa.....isme kya aap bhi.....

K.Bua - bahut jaldi ho raha hai.......tumne kaun si magic use kiya tha.......

Main - Ye mera nahi hai........sayad ye kisi aur ka hai.........par mujhe ye samajh nahi aa raha ye mere pass kaise aaya.......kya jo Main soch raha hu wo sahi ho sakta hai.......

K.bua - Kya bol rahe ho.......

Main - Nahi kuch nahi......lagta hai main thak gaya hu........Aap yaha inko dekh lo Main thoda bahar se aata hu.......

Main unka jawab sunne binna waha se nikal gaya.........

Kya ye sach mein ho sakta hai......Kya Madhu ko sab yaad hai.....kya wo ye sab bas natak kar rahi hai.......

Next update mein dekhte hai.......Nix samuday ke logo ke saath ladayi aur ye Golden power kyun aur kaise aaya Prateek ki madad karne ko.......
Fantastic update
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE - 99

Yaha pe Leemi ko bachane ke baad Main bahar soch raha tha aakhir kyun........kyun Madhu natak karegi.......

Mujhse naraz hai iss wajah se......agar naaraz hoti to jaha tak Main usko jaanta hu wo.......sayad Main usko jaanta hi nahi......agar jaanta hota samajhta hota to aaj hum aise to naa hi hote.......

Iss sunahri roshani ne naa jaane kitne hi sawal paida kar diye the mere dil mein bas sawal hi nahi ek darr bhi.......

Pujari ji - Prateek Mujhe tumse kuch baat karni hai......

Main - Hmm kahiye......waise aapke upar hamla kaha hua tha uss jagah ko dekhna hai mujhe........

Pujari ji - Hmm Main ussi ke baare mein baat karne wala tha.........Ye sab kuch uss Murti wale ne kiya hai........wo sayad......sayad humme......

Main - Jaanta hu usko......wo humme darra raha hai......wo fasane wala tha mujhe.......aapko agar abhi kuch ho jaata to Madhu mere picche lag jaati........

Pujari ji - Hmm agar aisa hai to......Main abhi aashram mein hi rahunga.....yaha pe log hai jo ekdusre ko usse baccha sakte hai.......

Main - Hmm baccha sakte hai......par sabse badi baat ye hai wo yaha tak pahuch chuka hai......Mujhe darr hai kahi usko......

Pujari ji - Haa ye baat mujhe bhi satta rahi thi........Madhu mujh anjaan ke liye uss din Starnge world pahuch gayi thi.....agar uske kisi apne ko kuch hua.....to wo.......

Main - Haa wo chall chalne mein bahut accha hai.....usne apne kaid hone ka bhi fayda uthana shuru kar diya hai..........Meri Dark power ki tarah hi usne bhi ek shakti banayi thi.....haa wo shaktiyan banaya karta tha.......par wo mere jaisa nahi tha........jab wo uss shakti ko bana raha tha to wo bas mujhe dard dene ke baare mein soch raha tha aur sayad yahi wo wajah hai ki uski shaktiyan bahut kasht deti hai.......Maine mehsoos kiya iss insani shareer mein......

Main flow flow mein sayad jyada bol gaya.....jab iss baat ka mujhe pata chala to Maine apna muh band kiya aur unki oor dekha.....par wo normal the.....jaise sab jaante hai.......pata nahi jaante hai yaa nahi Main nahi jaanta......

Main - Main inn sab ka dhyaan rakh lunga....par kya aap aashram se kuch logo ko bijwa denge Madhu ke pariwar ko dekhne ke liye.......unse kahiyega bas nazar rakhe dur se.......

Main inn sab mein Old Owl ko leke aa sakta tha par......uske liye abhi ek jaruri kaam tha.....aur uske logo ko taiyaar rahna tha.....kyunki akele mein ye hone wala nahi tha......

Pujari ji - Hmm theek hai Main iss baat ka dhyaan rakhunga......

Main - Aur aapko bhi abhi sambhal ke rahna hoga......ek baat suniye aap wo jalphool wo aashram ke ander hi kyun nahi bana lete.......

Pujari ji - wo darasal baat ye hai Main usko wahi banana chahta tha par.....uske wajah se aasram mein rah rahe logo ko dikkat ho sakti hai.......wo paani hamare liye hi accha hai bas......agar usko koi insan yaa koi aur peeye o wo unko nukshan pahuchata hai......wo ek nashe ki tarah hai......uski aadat lag jaaye to......

Main samajh gaya kya baat thi.......Haa tabhi to wo phool hamesha murti ke saamne chadaya jaata tha....uske rass se uss murti ko dhoya jaata tha......

Main - Hmm phir aapke liye mujhe ek khass talab banwani hogi......aapne iss baare mein waha pe kisi se baat ki hai kya......

Pujari ji - Main pahle hi apne bahut se log leke yaha pe aa chukka hu......aur ab aur chizzon me liye inko pareshan karna.......mujhe sahi nahi lag raha tha........

Main - Aapko baat karni chahiye thi.......aur Main madad karwa dunga......to kaam jaldi ho jaayega......humme aasram mein hi ek naya talab banana hoga......jalphool ke liye......accha yaha aasram mein koi vaidya hai jo uss jalphool ke upar shodh kar sakke......

Pujari ji - jalphool ke upar shodh.....iski kya jarurat hai.........

Main - aapko kya uss chizz ke baare mein sab pata hai.......nahi aap sab nahi jaante......mujhe uske baare mein har ek chizz jaanni hai.....aur uske baad mujhe uska istemal karna hai......

Abhi Main unse baat kar hi raha tha ki waha pe picche se Madhu ki aawaj aayi.....uske saath DB aur Pankaj bhi the........

Wo lagbhag se bhagti hui waha pe aa rahi thi.........Ab main jo abhi pata nahi kya bol raha tha......main bhul gaya ki main kya bol raha tha.....bas usko hi dekhne laga.......

Pujari ji bhi mudd gaye aur unhone dekha Madhu ko........

Pujari ji - Madhu......tum yaha.....kya baat hai......

Madhu - Wo....wo....wo paani......khatam ho gaya.....

Pujari ji - Kaun sa paan........Mera diya hua paani.......wo kaise khatam ho gaya........agar wo gir bhi jaata tab bhi tum usko wapas se bottle mein rakh sakti ho.......phir ye kaise....

Madhu ne sab bataya......ki achanak se usko chakkar aa gaya aur Pankaj ne pass padde hue bottle ka paani usko pilla diya......

Pujari ji ne jab ye sunna ki wo paani Madhu ne pi liya hai to unke pasine nikalne lag gaye......Madhu koi sach much ki Nix nahi thi.....wo Insani sharir mein thi.....aur iss sharir mein Jalphool ke ras ka milla hua paani pinna......matlab dard hai.....betahasha dard.......

Pujari ji - Tum thek to ho.....kuch ajeeb to nahi lag raha kahi dard........

Maine abhi hi to sunna tha ki wo paani sabke liye sahi nahi hai.....aur jab maine sunna Pankaj ne wo paani Madhu ko pilla diya..........Dark power jaise mere ander jalne lag gayi thi.........Main bas Madhu ki wajah se rukka hua tha.....warna uss Pankaj ko itna dard deta ki.....ki maut bhi usko uss dard se alag nahi kar paati........

DB - arre Main check kar leta hu naa......itna ghabrane ki kya baat hai Pujari ji......paani hi to tha.....

DB Madhu ke pass gaya aur usko apna haath aage karne ko bola........Madhu ne pahle to ek baar usko dekha......aise kaise apna haath dede kisi ko.......

Pujari ji - Madhu isko check karn......

Main - Main kar leta hu check usko karne ki jarurat nahi hai.......

Meri baat sunn ke usne jhat se apna haath uske saamne kar diya.....ye alag hi tha kuch.......

Madhu - Karo check.......

DB kamina meri oor dekh ke uska haath pakad raha tha........aise kaun torcher karta hai bhala.......

Usne sayad uske nabs dekhen.......

DB - sab theek hai....nahi theek se bhi accha hai.......aisa lag raha hai jaise iske ander bahut saari urja hai.......

Pujari ji aur Main iss baat ko sunn ke thoda shock ho gaye.......Mujhe wapas se wahi lagne laga isko sab yaad hai ye bas yaha pe natak kar rahi hai........par sarir to ye insan ka hi hai.......isme kuch kaise nahi hua.......

Madhu - Pujari ji Maine wo paani khoo diya.....kya mujhe wo aur mill sakta hai......

Pujari ji - Main kya kahu iss baare mein......Main yaha pe ussi jalphool ke liye hi bhatak raha tha.......

Main - Ki inpe kisi ne hamla kar diya......tumko pata chali kya ye baat......inpe hamla hua tha wo to Leemi ne inko apni jaan daav pe laga ke bacchaya......aur phir usko Maine......

Madhu - Kya.......Pujari ji aapke upar hamla hua tha......aur aapne ye baat......aur Leemi ab theek hai......kya ussi ko leke aashram mein sab itna.......tumne mujhe bataya kyun nahi yaha kyun leke aa gaye mujhe......

DB - Ab tumne kaha mujhe Pujari ji se milna hai to Pujari ji to Pujari ji hi honge naa Leemi thodi na Pujari ji hai.......

Madhu ne uski baaton pe dhyaan hi nahi diya......

Madhu - Aap theek to hai.....aur kisne aapke upar.....kiski itni himmat ho gayi.......

Pujari ji - Shant ho jaao Madhu......dekho Main theek hu......wo bas Strange world se kuch Nix yaha aaye the....sayad mujhe dekha to mujhe khud ka gunehgaar samajh ke mujhpe hamla kar diya.......

Madhu - Unki itni himmat ho gayi.....aur aap unke gunehgaar nahi wo khud bewakoof hai.....aapne unko sab kuch bataya aur wo nahi maane yaha aane ko.......

Pujari ji - Arre shant ho jaao........Haa wo tumhe Jalphool ke ras wala paani chahiye tha naa.......Main ussi ke baare mein baat kar raha tha Prateek se......usne kaha hai wo meri madad kar dega......humme aashram ke ander hi ek naya talab banana hoga......par uska paani....wo kisi ke pine ke liye nahi hoga......

Madhu - Isko kya hi pata hai uss phool ke baare mein.....

DB - Mujhe pata hai......main jaanta hu uske baare mein......

Ye kuch jyada hi taang adda raha tha........

Pujari ji - Tumhe kya pata hai uske baare mein......batao

DB - Pujari ji........aapko ye pata hai Main kaun hu.......phir bhi aap ye puch rahe hai......

Pujari ji - Tum Elf Prince ho par isse kya......

DB - Ye meri pahchan nahi hai........ab to bilkul nahi maine pahle hi tay kar liya hai Main nahi banne wala waha ka raja.........Meri pahchan hai mera nature element.......aur ye Jalphool ye bhi to natural hi hai naa.......to mujhe iske baare mein sab pata hai......

Main - Sab pata hai......

DB - hmm lagbhag sab pata hai.......Main isme madad kar sakta hu Pujari ji ki.......

Pujari ji - hmm ye sahi kah raha hai.......iska nature element.......usse humme madad milegi.......tumhe pata nahi par uss kitab mein nature element ka bhi jikar tha.......sayad iske purvajo ne hi humme ye phool diya tha......

Mujhe nah pata tha inn sab ke baare mein........gussa aa raha tha par ye kaam ka banda tha mujhe isse kaam nikalwana hi tha......hum yaha pe talab banna sakte the......par uss phool ko waha pe laane jaana hota humme.......agar kisi tarah ye DB humare binna waha jaaye hue hi kaam kar diya to ye accha hoga.......

Yaha ye sab chal raha tha wahi kuch insan.......inn namuno ko pata hi nahi tha ki ye jo karne wale hai uska natiza kya hone wala hai...........

Waha Rupal didi Leemi ke pass thi.....sabhi ke saath ki unka phone bajja.........

Ye phone Hotel se aaya tha.......naye wale hotel se.........

Humne Hotel karida tha.......par workers jo the.....wo purane wale hi the......ab sabko nikal nahi sakte manpower ki jarurat to hoti hi hai....

Uss hotel ke manager ka call tha.........

Manager - Miss wo kuch khass log aane wale hai........mujhe lagta hai agar owners khud unse mille to accha hoga.......

Rupal didi - Main abhi busy hu.....inn chizzon ko tum khud dekh sakte ho.......

Manager - Miss ye bada order hai....waise bhi aap dono ko sign to karna hi hoga to jitna jaldi ho utna sahi hai naa.......

Rupal didi - Mujhe abhi project ke baare mein nahi pata aur tum sign karne ki baat kar rahe ho........kaun aa raha hai batao

Manager - Miss ye ek VVIP hai......aapko iske liye yaha pe aana hi hoga.....agar ye hamare dost ban gaye to hotel bahut accha chalega.......par agar ye aapke naa aane se naraz ho gaye to phir dikkat ho sakti hai.......

Rupal didi kuch bolti usse pahle Chachi ne unko dekha......aur puccha kaun hai.......

Rupal didi ne bataya naye hotel ka manager hai wo bol raha hai humme waha pe jaana hoga ek meeting ke liye........koi khass banda aane wala hai aisa kuch.......

Chachi - To tum jaati kyun nahi.......

Rupal didi - Iske liye kya jaana Mummy wo manager issi kaam ke liye to hai......ab kya uska kaam hum kare.....

Chachi - Tumhare papa ne bekkar hi tumhare naam kiya hai hotel ko......tum dono jaaogi......owners ho tum dono.....aur yaha pe business karna hai tum dono ko.......hum Earth pe rahte hai......paise hume bhi chahiye hote hai insan.......

Rupal didi - Theek hai.....aap bhi lecture dene lag jaati ho baat baat pe......

Chachi - Lecture......theek hai......Main tere Papa se bolke ye hotel Prateek ke naam karwa deti hu......uske baad tujhe waha jaane bhi nahi dungi.....

Rupal didi - Bola naa chali jaaungi.....Main jaake Nikita ko bolti hu........

Chachi - hmm jaao.......Kavita ab ye theek hai naa.......kab tak hosh mein aayegi ye......

K.Bua - Hosh mein.....Bhabhi ye so rahi hai......isko uthayenge to ye abhi uth jaayegi.......par hume isko aaram karne dena chahiye......iske energies kuch disturbed the.....uss waqt

Chachi - Hmm to isko sone dete hai.......Tum ek kaam karo tum yahi rukk jaao Main ghar chali jaati hu.......mujhe sab batate rahna sab theek hai naa.......

K.Bua - theek hai Bhabhi......

Bua - Main bh chalti hu Bhabhi mujhe kaam hai School ka kuch.....

Guruji - Poonam......aap kuch der ruk jaayengi kya mujhe aapse baat karni hai......

Bua ne Guruji ki oor dekha.....aur phir haa kah diya......sayad wo jaanti thi kis baare mein baat karni hai unko......

Wahi Rupal didi Nikita se batein karne bahar chali gayi......wo bahar thi iss waqt.......

Wahi Hotel mein.........

"jaa raat ko teri beti wapas mil jaayegi tujhe......"

Manager - par maine to wahi kiya naa jo aapne kaha tha......ab aap meri beti ko chod do........

"chod de......wo kya hai naa teri beti pasand aa gayi hai mujhe......aur mere logo ko bhi.....to kuch waqt uske saath bitana hai......ab jab tak wo do nayi item nahi aayegi tab tak teri beti se hi to kaam chalana hoga......."

Manager - Dekhiye ye aap sahi nahi kar rahe.......maine wo sab kiya jo aapne kaha tha......phir kyun aap......

"aeei le jaao re isko.......mera sarr garam ho raha hai iske baaton se.......aur sunn jab mera sar garam hota hai naa to Main jitna bolta hu usse kuch jyada hi kar deta hu.........abhi raat ko wapas bhejne ka bola naa Maine......agar jyada bola to......wo kabhi nahi aayegi.......usse bech dunga jaake kisi randikhane mein.......aur phir teri Biwi ko bhi....bhag yaha se...."

Manager koi burra insan nahi tha........theek thak sa aam insan tha wo......apna kaam bahut imandaari se karta tha.......par aaj usko ye sab karna pad raha tha......apni beti ke liye........

Subah jab uski beti collage ko nikli......tabhi usko kidnap kar liya tha kuch logo ne......aur phir usko phone karke milne ko bulaya.....aur phir ye sab......

Wo rote hue uss makkan se bahar nikla......wo kuch nahi kar sakta tha ab........usne naa sirf apni beti ko musibat mein daala balki ab 2 aur ladkiyon ko bhi......wo naa to hotel ki taraf gaya aur naa hi apne ghar ki taraf jaaha uski biwi ka ro ro kar bura haal ho chuka tha......wo bas sadak ke kinare chal raha tha......

Wahi Rupal didi aur Nikita......dono nikal gaye the hotel ki oor.....warna unko aur sunna padta......

Ab insano ke pass jaana ha to portal se to jaa nahi sakte......jaao aur jaake aeei thappa bol do......insan hai dar ke maare pata nahi kya haal ho jaaye unka.....

Dono car se jaa rahe the.....car Rupal didi chala rahi thi......aur dono aapas mein baatein bhi kar rahe the.......ki tabhi waha pass mein kuch logo ki bheed lagi hui thi jisse unko car rokni padi.....car aage nahi jaa sakti thi aise mein......

Rupal - Ab ye kya ho gaya yaha pe.......lagta hai accident hua hai koi......

Nikita - Haa......ab humme ghum ke jaana hoga.....dusre raste se......

Rupal didi - waha se der ho jaayegi.....ek kaam karte hai aage chal ke dekhte hai ki jaam chutne mein kitna waqt lagega......koi badi gaddi to dikh nahi rahi hai ke jyada waqt lage......

Nikita - hmm ye bhi sahi hai aap yahi rukko Main dekh ke aati hu......

Nikita itna bol ke car se utari aur chal di uss taraf jaha pe bhed laga hua tha.......

Nikita - Kya hua bhaiya.......ye bheed kyun laga rakhi hai.....usne bhed ke bahar khade ek aadmi se puccha.......

"Arre ye buddha aadmi....iska accident ho gaya hai aur marne wala hai "

Nikita - kya......aur yaha sab ke sab usko dekh rahe hai.......

"oo madam.......police case hai.....kaun jaaye inn sab lafdon mein......"

Nikita unko chod ke bheed ko chirte hue aage pahuchi.......aage usne jo dekha wo hairaan rah gayi.......

Ye unke naye hotel ka manager tha.....par ye yaha Hotel se itni dur......

Nikita ke dimmag mein ye sab aaya to.....par usne inn sab ko apne dimmag se nikala kyunki abhi......abhi uski jaan bachana jyada jaruri tha.....

Nikita - Main inko jaanti hu.......tum sab madad nahi kar sakte to hatto yaha se......main inko leke jaati hu hospital.......

Pahle to Nikita ne Rupal ko call kiya aur jaldi se car ko aage laane ko kaha.......waise Nikita ko bhi thoda bahut aata tha ilaz karna usne seekha tha K.bua se......par wo yaha pe sabke saamne koi chamatkaar nahi karna chahti thi.....wo jo karti wo inko chamatkaar hi lagta.....

Rupal didi ko pata nahi tha kya hua hai....par Nikita ke kahne pe wo car aage leke aa gayi......car ke aate hi sab side ho gaye.....Rupal didi ne bhi dekha ki koi jameen pe pada hua hai....to wo baahar aayi gadi se.....wo bhi apne manager ko yaha dekh ke chauk gayi thi.....wo bhi iss haal mein......abhi to baat hui thi usse.......

Nikita - Didi inko hospital leke jaana hoga.....aap madad karo.......

Nikita ne jaan bujh ke kisi aur se madad nahi li.......Rupal uske pass gayi aur dono ne uss Manager ko utha ke car mein rakha......aur car chalu karke nikal li......

Nikita picche baithi hui thi.......

Rupal - ye yaha kaise aa gaya.......abhi to call kiya tha isne......Mujhe laga ye hotel mein hi hoga.....theek hai naa ye dekho pahle....

Nikita wahi check kar rahi thi......

Nikita - hmm ye bach jayega......kuch pasliyan tuti hai.....aur sar pe chot laga hai........khoon nikla hai thoda bahut to kamzori hogi......haa ye iska pair bhi tuta hua hai......

Rupal - Kya kare.......isko hosh mein leke aaye abhi yaa rahne de hospital ke liye......

Nikita - Ab isko hum mille hai to iski kismat to acchi hi honi chahiye naa Didi......jo chizzen toot gayi hai uka to kuch nahi par jo yaha waha ho gayi hai wo to theek kar hi sakti hu Main......sayad abhi hosh mein bhi aa jaaye.....

Rupal - Haa Hosh mein leke aao isko.......mujhe isse puchna hai ye hotel se itni jaldi yaha pe kaise aa pahucha.....

Nikita - theek hai......

Rupal didi car chalati rahi wahi Nikita apne kaam mein lag gayi thi......wo pasliyan jo apne jagah se yaha waha ho gayi thi jhatke ke kaaran unko wapas se sahi jagah pe karne lagi......ladkiyon ke purse ke baare mein to pata hi hai.....usme se kuch bhi nikal jata hai......bas Nikita ne bhi apne purse mein kuch dawaiyan rakh hui thi......par wo insano ke liye nahi thi.......insan unhe lenge to thodi gadbad ho jaayegi......

Nikita ne ek seeshi nikali....usme goli thi ek....usne uss goli ko masal ke uska powder bana diya.....aur phir ekdum thoda sa.....bahut thoda sa usko uthaya aur wo Manager ke muh mein de diya......Ye energy levels ko sahi karne ki dawa thi.....utne se matra mein di gayi uss dawa ne apna kaam shuru kiya......jo manager abhi behosh padda hua tha uske sharir mein halchal hone lagi.....

Nikita - Didi car rok do thodi der ke liye....isko hosh aa raha hai.....

Rupal ne car rokki aur picche mudd ke usko dekhne lagi......

Thodi hi der mein uss manager ki aankhen khuli aur ussi ke saath uske aashu nikalne lage.......wo rone lag gaya......

Manager - Meri beti......meri beti.....

Usne dekha bhi nahi tha wo kaha tha......kiske saath tha....bas ro raha tha.....wo to marne ke liye hi kuda tha ek gaadi ke saamne.....aakhir kya hi jawab deta wo apni beti ko wo usko nahi bacha paaya.....aur to aur......2 aur ladkiyon ko bhi faswa diya....

Rupal didi - Manager kya hua aapki beti ko....

Rupal ki aawaj sunni to usne uss ooor dekha.......ab 2 mulakat mein aawaj pahchan nahi jaate log......par chahre yaad hote hai.....aur agar chahra apne boss ki ho to aur bhi jyada.....yaha to pata nahi aur kitne saare factors the......

Wo hairaan rah gaya.....usko bacchane wale koi aur nahi wahi hai jisko usne abhi fasaya tha........

Nikita - Aap theek hai naa....aur kya hua aapki beti ko.....kya wo bimar hai......hum aapki madad kar sakte hai isme.....

Manager ne sab kuch sach sach batane ke baare mein socha......uske hisab se uski beti ab bachegi nahi......aur isse baad wo aur koi paap apne sar nahi lena chahta tha......

Manager ne sab batana shuru kiya......kaise aaj subah jab uski beti collage ko nikli to usko kidnap kar liya logo ne......aur phir uske baad ki saari ghatnayein.....aur phir wo sab haar ke yaha aa gaya sadak ke kinare.....khud ko khatam karne ko......

Ye baat sunn ke Rupal didi ko pahle to Manager pe gussa aaya.......par jab unhone khud ko aise kisi mushibat mein pada hua socha to wo samajh gayi ki wo bhi sayad kuch aisa hi karti.....apno ko bachane ke liye dusro ki jaan de deti......

Nikita bhi gusse mein thi.....par unn logo pe........

Nikita - Didi aap inko hospital leke jaao Main mujhe kuch kaam hai......

Rupal ko pata tha kya hi kaam hai usko.......par yaha pe sochna tha.....wo dono direct jaake hamla nahi kar sakte the unn insano pe.......Prateek bacch gaya tha kyun ki waha pe sabut nahi the ki kisne kya kiya hai......par ye dono aise nahi bachne wale.....Head office inke khilaf kuch na kuch jarur action lenge.......

Rupal - Tum aage aao.....aur car chalao......main thak gayi hu.......

Nikita ko samajh nahi aaya ye....par wo aage chali gayi driving seat pe......aur Rupal didi picche.......

Rupal - Hospital ki taraf lo gaadi.....yaa chota mota clinic bhi chalega......

Manager kuch nahi bol raha tha......wo bas ro raha tha.......ye kaafi burra tha.......wo khud ke beti ke sath ye sab hone wala hai jaan raha tha par wo kuch kar nahi paa raha tha.....itna laachar......

Rupal didi picche aake Chacha se chat karne lagi.....unko sab batane lagi......

Chacha ye sab padh rahe the aur reply kar rahe the......wo bhi jaante the insano ke bicch jaana bekkar hai......Head office unko notice de dega......par iss waqt......notice se matlab nahi tha unko......Manager pe gussa unko bhi aa raha tha par uska dard......wo bhi mahsush kar rahe the wo......

Chacha ne reply diya.....

Chacha - pata karo kaha rakha hai ladki ko......aur jaao waha pe........unko batao kuch acchi baatein......Main sab dekh lunga.....

Didi ko bas issi ki to jarurat thi.......

Rupal didi - Manager......kya aapko pata hai aapki beti ko kaha rakha hai......yaa wo log kaha rahte hai jinhone aapko bulaya tha......

Manager - haa mujhe pata hai......

Manager ne patta bataya......unn logo ka jinhone usko bulaya tha milne ko......par apni Beti ke baare mein wo nahi jaanta tha.....

Rupal - Ab hum aapko ek auto pe chod denge wo aapko hospital leke jaayega.....Nikita car rokko.....aur ek auto bulao.....

Auto nahi thi taxi thi ek usko bulaya aur Manager ko usme bitha ke driver ko jyada paise deke bhej diya hospital ki taraf.......

Nikita - To ab hum waha jaayenge......

Rupal - Haa par jaise wo chahte hai waise......kapde sahi karo apne.....ye address pass ka hi hai......sayad hum late naa ho......

Nikita ne gaddi ko ghumaya aur chal diye uss makkan ki oor jaha se Manager nikala tha thodi der pahle......

10 minute lage honge waha tak pahuchne mein......Manager paidal aa raha tha to usko jyada waqt laga tha......

Dono ne kapde sahi kar liye the......Waise to Chacha ne kaha tha wo sab dekhn lenge......par Rupal didi ke dimmag mein kuch aur bhi tha.....agar innn insano ne pahle hamla kiya....to Head office kya Strange world yaa Orion se aaye hue log bhi kuch nahi bol sakte......

Nikita ko car mein hi samjha diya tha......jab tak wo kuch naa kare......humko kuch nahi karna hai......

Prateek jo abhi uss jagah pe pahucha hua tha jaha pe Nix logo ne hamla kiya tha......wo pata karne aaya tha wo sab hai kaha......kyunki agar ek baar ye sab uske bas mein aa sakte hai to dobara aana koi baddi baat nahi thi.......aur isse pahle kuch ho wo khud unko sabak sikhana chahta tha.......

Prateek unke nishan dekh raha tha....aur ho naa ho wo yaha aas pass mein kisi paani wale jagah pe hi honge.....Nix paani wali jagahon mein rahna hi pasand karte hai.......

Prateek - Jwala yaha aao......

Jwala turant waha chala gaya........

Prateek - Jwala.......Earth pe kuch nix aaye hue hai.......jo yaha ke logo ke liye khatarnaak hai......mujhe unka pata chahiye........

Jwala ne kuch nahi kaha usne uski baat sunni aur waha se nikal gaya apna kaam karne ko.......

Prateek khud bhi nishano ko dekh raha tha......ki waha pe Madhu aa gayi.......Pankaj ke saath.......sukar hai DB nahi aaya......wo iss waqt Pujari ji ke saath tha......

Panakj - Prateek yahi hai sayad isko kuch pata chala ho wo kaha gaye hai......hum untak jaldi pahuch jaayenge.......

Madhu - Main khud dhundh lungi......mujhe uski madad nahi chahiye......

Pankaj - :sigh: wo bhi yahi kaam kar raha hai hum bhi wahi karne wale hai agar ek dusre ki madad kare to kaam aasan ho jaayega......tumhe yaad hai isne hummme unn kiddon se bacchaya tha.....

Madhu - To kya....bacchaya tha usse iss baat ka kya lena dena......

Pankaj - wo turant humtak pahuch gaya tha sayad aaj bhi wo jaldi hi untak pahuch jaye......

Madhu - wo wahi pass mein tha....tab aaya tha jaldi.....aur isko dekh ke to yahi lagta hai isse kuch nahi hoga......dekh rahe ho.....kaise ghoor raha hai jameen ko.....

Pankaj - Wo nishan dekh raha hai jo hum bhi dekhne aaye hai.......tumhe nahi jaana mat jaao Main jaa raha hu uske pass......

Main apna kaam kar raha tha ki ek nishan pe wo pankaj aake khada ho gaya......ye sala bas kaam bigadta hai mera.......

Main kuch bolta usse pahle wo bola......

Pankaj - Prateek hum bhi unko hi dhundh rahe hai......hum tumhari madad kare kya.......

Maine bas usko hi dekha tha Madhu ko nahi........

Main - nahi main akela hi kar lunga......tum jaao.....

"ye kya tumhari jamin hai to jaao kaha isko......hum yahi rahenge.....aur tumse pahle unko dhundhenge......dekh lena...."

KIsmat hi kharab hai.....ye jab bhi mere pass aati hai naraz hoke hi jaati hai......

Main kuch kahta usse pahle mere pass jo phone tha wo bajja.......Chacha ka phone tha......

Main - Haa hello.....

Chacha - Beta wo uss din head office se wo aadmi ghar aaya tha yaad hai wo aadmi......

Main - Head office se.......wo mota aadmi....

Chacha - haa wahi.......Tumhe uske pass jaana hai abhi.....

Main - Par chacha abhi main kisi kaam mein phasa hua hu......

Chacha - Beta jaruri nahi hota to tumse nahi kahta Main aur tumhare Dada busy hai aur Chachi call nahi utha rahi hai......tum chale jaao.....bas usse meri baat karani hai tumko......

Main - Main kuch samjha nahi aap iske liye call kar sakte ho naa usko......

Chacha - Nahi.....ye thoda alag matter hai.....tum jaao waha pe......aur waha pahuch ke mujhe call karo phir Main sab batata hu.....

Main - Theek hai.....

Ab mujhse kaam karne ko kahte nahi ye.....iss baar kaha hai koi to wajah hogi to Main bhi chal diya......waise bhi Jwala dekh hi raha tha usko......

Waha pe Madhu aur pankaj ko waise hi chod Main uss Mote aadmi ke pass pahuch gaya......

Wahi Rupal didi aur Nikita jo abhi pahuch chukki thi uss makkan mein.....wo waha baithi hui thi sofe pe......waha ke log thode chauke jarur the......meeting hotel mein hone wali thi aur ye dono iss makkan mein aaye hue the.....ye ajeeb nahi hai kya......

Par ajeeb ke saath saath accha bhi to hai.....Hotel mein log dekh sakte the case wagera hote......yaha pe sab apne hi hai.......

"Aap dono yaha.......meeting to hotel mein......"

Nikita - Wo Manager ne kaha ki aap kuch jaldi mein hai.......to unhone iss jagah ke baare mein bataya aur hum yaha aa gaye......

"Manager ne......(muskurate hue) haa jaldi mein to hai hum.....par mujhe naa ye meeting wagera nahi aaata karna ye sab hamare badke bhaiya ka kaam hai.......MLA hai yaha ke......jaanti hi hongi unko....."

Rupal - To kya humme unse milne jaana hoga ab......Humme bhi kaam hai....agar ho sakke to aap hi bata de.....kya karna hai hum sochenge uske baare mein.....

"karna hai.....haa karna hi to hai.......aeee papers leke aao re....."

Ek aadmi turant papers lene chala gaya.......

Nikita - Papers.....kaise papers.....

"arre madam rukko to.....aa hi to raha hai.....pahle aap uspe sign kar do phir hum aap dono pe angutha laga denge....."

Rupal - kya matlab hai......hum kahi sign nahi karne wale.......

"Binna malik ke sign ke property bikti nahi hai naa......to sign to karna hi hoga....."

Nikita - To tum wo hotel ke liye aaye ho.......hum nahi bechne wale usko......chalo didi yaha se.....

"oo Didi......chalo yaha se bolke yaha se nikal jaana aasan nahi hai......aap apni marji se yaha tak aaye hai....ab jab tak hamara mann nahi bhar jaata yaha se nahi jaa sakti....."

Rupal - Mann nahi bhar jaata.....kya chahte ho tum.....tumhe pata nahi hum kaun hai......

"aapko pata nahi hum kaun hai.....aap jo yaha pe apne manager ke kahne pe aayi hai naa......uski beti utha li humne.....aur ab aap bhi ussi ke saath rahogi....."

Nikita - To kya wo yahi hai.....

"haa yahi hai bedroom mein.....Main bas jaane hi wala tha ki tum dono aa gayi......ab mehnat thodi jyada lag jaayegi.....par kar lenge...."

Nikita - Haa mehnat to lagegi thodi jyada......par hum mehnati hai.......leke chale jayenge usko.....Didi Main dekh aaun usko aap inko dekh lena.......

Rupal - Haa jaao jaao......yaha Main dekhti hu.......ab koi bhi aayega usko ye to dikhega hi shuruwat isne kari hai.....

Nikita - par ye to baatein hi kar raha hai naa.....

Rupal - haa to hum bhi respected log hai.....inki baatein kaise sunle.....inhone hume offend kiya hai......tum jaao jaake dekho wo theek hai ki nahi inko Main dekti hu.......

"aaeeii......dono ki dobo paagal hai sayad.......pakdo inko "

Nikita to chal di aage rooms ki taraf dekhne ko ki kaha hai Manager ki beti......tabhi ek banda uske saamne aa gaya usko pakadne ko.......

Nikita - Mujhe pakdoge......accha......itni taaqat hai tumme.....

Wo banda aage badha usko pakadne ke liye ki tabhi Nikita ne apne pair se uske pair pe maar diya....jisse uska balance bigad gaya......lekin wo girra nahi......uska chahra jamin se 8-9 inch upar raha hoga.....picche se Nikita ne uske baal pakad liye the jiski waja se wo nahi gira.....par phir aawaj aayi.....

Nikita ne ek haath se uska haath pakda hua tha aur dusre haath se ek jor ka mukka uske peeth pe diya.....jiske baad uss bande ke baal Nikita ke haath mein rah gaye aur wo nicche gir gaya....force kaafi jyada tha.......to sar fatt gaya tha aur haddi bhi tut gayi thi......

"dekh kya rahe ho.....ab kya ladkiyon se pitoge.......kya muh dikhaunga main badke bhaiya ko.......ye dono pakdi nahi gayi to tum sab ko main maar du......"

Rupal didi theek uske saamne chali gayi.....wo bhi palak jhapakte hi.......

Rupal didi - Bahut bolta hai tu.......

Phir uski aankhon mein dekhte hue......usko kaha ki tu apne haath se apni jeebh kaat ke usko khaayega.......

Ye hypnotism ki tarah tha......par yaha aapko sab pata hota hai aap kya kar rahe hai.....aur aap lakh koshish karne ke baad bhi wo chizz karne se khud ko rok nahi sakte.......pass mein sarab ki bottle padi hui thi......uss bande ne khud apne haathon se wo bottle todda.......kuch log the jo soch rahe the wo ladki ko maar dega.....unki aankhen fati rah gayi jab ek haath mein bottle liye wo banda dusre haath se apna muh dabba raha tha.....ki bottle uske muh mein naa chala jaaye.....par agle hi pal.....dusra haath.....wo uska muh kholne lag gaya.....aur uske jinh ko bahar khinch liya......fir dusre haath mein pakde hue sarab ki bottle ke tukde se usne apna jeebh kaat liya......wo cheekh raha tha.....par uske haath lage hue the kaatne mein......Waha pe sab ke sab schocked the......jinke pass hathiyaar the....unnn sab ne to ye dekh ke unn hathiyron ko phenk diya.....kahi iss ladki ne unhe aisa karne kah diya to......

Nikita aaram se har ek kamre ko dekh rahi thi.......kuch hi kamre bacche hue the.......ki tabhi unn gundo mein se ek khud ek kamre mein chala gaya aur uss ladki ko leke aa gaya.....sayad usne socha hoga usko apni dhaal bana ke yaha se nikal jaayega.....par agar Rupal ne usko bol diya chakku khud ko maar lo....to wo....wo kya karta......

"ye lijiye....ye rahi ladki.....humme jaane.....nahi mujhe jaane dijiye.......main kisi ko kuch nahi bataunga......"

Rupal - Wo to isko yaha laane se pahle sochna tha naa.......

Waha main jaa pahucha tha mote aadmi ke pass........wo mujhe dekh ke chauk gaya.......

Wo - Kya baat hai aaj tum yaha aaye ho.......

Maine kuch nahi kaha.....apna phone nikala aur Chacha ko call kiya.......

Main - Hello chacha.....lijiye baat kariye......

Mote aadmi ne phone liya.......

Wo - Haa Hello....aapne issko yaha......

...........

Wo - Ji kuch hua hai kya.......

,,,,,,,,,,,,,,

Wo - par isme.......

...........

Pata nahi kya kah rahe the Chacha usko uski halat kharab si hoti jaa rahi thi......

Wo - theek hai......Main jaanch karne walo ko sambhal lunga......

Uske baad usne phone mujhe dediya.....

Main kuch bolta usse pahle hi......

Chacha - kaam ho gaya hai......ek address de raha hu.....waha pe chale jaao....aur Rupal aur Nikita ki thodi madad kar dena......

Main - kuch hua hai kya Chacha.....wo dono theek hai naa.....

Chacha - arre wo theek hi hai......wo bas waha se pick karna hai tumhe unko......aur ghar leke jaana hai......Main wahi milunga......

Main - Theek hai.....

Main waha se nikalne laga......

Mota aadmi - Sunno Prateek......aage se koi baat ho to mujhe phone karna yaha pe aane mein pareshani hogi naa......

Usne apna card mujhe de diya.......maine le liya aur waha se nikal gaya......ab mujhe ek car chahiye thi......pick karne ke liye dono ko......par address ke saath saath ye bhi likha tha car wahi pe hai.......

Ye mujhe waha bhej hi kyun rahe the.....bada ajeeb hai....jab car wahi hai tab kyun.......

Main gaya waha pe.......portal se......aur jab pahucha to waha pe ek makkan se Nikita aur Rupal didi bahar aa rahe the.....dono ne ek behosh ladki ko utha rakha tha......

Main - ye kya kar rahe ho tum dono....

Rupal - Tu yaha kya kar raha hai.......

Main - Mujhe chacha ne bheja aapko sidhe ghar le jaane ke liye......

Rupal didi aur Nikita ek dusre ko dekhne lage......sayad wo iss ladki ke baare mein soch rahe the.....waise main bhi soch raha tha,....par unhone kaha tha sidhe ghar leke aao.....sayad wo iss ladki ko dekhna chahte the......yaa pata nahi kya......

Main - Chaliye ab......isko bhi leke chalte hai waise bhi behosh hi hai......

Dono ko sahi laga ye aur baith gaye wo car mein......main car chalane laga....aur hum sidha ghar jaake rukke.......

Ghar pe pahle se hi sab aa chukke the....Leemi jaag gayi thi......ab wo pahle se bhi theek thi.....usne lagbhag maut ko chu liya tha....aur jinda bacch aayi thi......

Ye baat Strange world mein bhi pahuchi thi.....Lemmo leemi ka bhai jab usne ye sunna to wo waha se yaha aane ko nikal gaya tha.......

next update mein nix ki ladayi aur sath mein dark world walo se mulakat.......abse pahle wahi milenge inn Pratek se



Very nice update
 
🔥 Read Next Hot Story →
Discover more exclusive stories

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
Gajab up
UPDATE - 100

Hum ghar aa chukke the Manager ki ladki hamare saath thi........Chacha ji ko iss baat ki chinta thi ki kahi isne waha kuch sunn naa liya ho yaa dekh naa liya ho.......iss wajah se usko yaha pe leke aane ko kaha gaya tha humko.......usko check karna tha ki sab sahi hai yaa nahi.......

K.Bua Leemi ke pass se ghar aa chukki thi......Chachi pahle se ghar mein thi.....unhone bhi jo kuch hua uske baare mein sunna.......unko gussa aa raha tha par unn logo se jyada uss manager pe jisne unn logo ko madad kari.......

Majburi chahe kaisi bhi rahi ho......par usne jo kiya......wo Chachi ke nazar mein galat hi tha.......

Chachi - Uss insan ko naukri se nikal diya jaayega......aur aage se.....usko hamare kisi bhi tarah ke business mein nahi rakha jaayega........usne meri betiyon ka sauda kiya hai.......

Rupal didi - Mummy aap kya bol rahi ho........uski apni beto bhi to.......haa main bhi jaanti hu usne galat kiya par......aise.....

Chachi - koi aise waise nahi......wo apne kaam ke prati immandaar nahi raha......kal ko uske ghar koi aur pareshani ho rahi hogi to wo hamare hotel ko bech dega......yaa waha ke samman ko......

Rupal - aap kuch jyada nahi so.......

Chacha - Nahi tumhari Mummy sahi kah rahi hai......hum maaf nahi kar sakte usko......usne tumhe sab kuch bata diya aur tumne waha jaane ka faisla liya uski beti ko bachane ke liye iss wajah se maine bhi iss baat ko aage badhne nahi diya.....agar tum ussi waqt uski beti ko waise hi chodne ka sochti to main kuch bhi nahi kahta.....haa thoda bura lagta par Main kuch bhi nahi kahta.....kyunki inn sab se directly hamara koi lena dena nahi tha.......Naukri se to wo jaayega hi....chahe kuch bhi ho......

Hum sab sunn rahe the unki baatein.....aur kahi naa kahi mujhe bhi aisa hi lag raha tha.......usne ek tartah se apne maalik ko dhokha diya tha......ab agar kabhi Jwala mere saath aisa kuch karta......Main uski baat sunta aur agar wajah jayaj hoti to sayad uski madad karta.....par uske baad sazza bhi deta.......

Yaha Chacha Chachi apni baatein bata rahe the wahi uss ladki ko K.Bua check kar rahi thi........jab unko pakka yakkin ho gaya ki uss ladki ko kuch nahi hua hai.....bas behoshi ki dawa ke kaaran behosh hai to unhone uss head office wale mote aadmi ko call kiya.....aisa karne ko Chacha ne hi kaha tha unse......unki sayad isko leke bhi baat hui thi.......

Thodi hi der mein ghar ki ghanti baji aur darwaja khlne pe kuch log dikhe......

K.Bua - 2 log kaafi honge.....mahilayein hi bas.......isko check kar liye hai......koi gadbad nahi hai.......hamari wajah se iske sath kuch bura bhi nahi hua hai......Isko iske ghar ke pass chod dena.....aur rukko.....

K.Bua ne ek parchi bhi di unko.....usme kuch likha hua tha.......

K.Bua - Maine iske yaadon ke sath kuch kiya hai.....to uss hisab se hi ye jawab degi.....agar kuch gadbad lage to isko dekh lena........

K.bua ne sabko sab bataya.....uske baad do ladies ander aayi aur uss behosh ladki ko utha ke chal diye waha se.......

Chachi - Rukko....ek minute........Rupal......Nikita......jaao jaake papers banwao aur isko leke iske ghar jaana.......aur tum sab....uss ghar ko saaf karao.......koi sabut nahi hona chahiye waha.......Pata nahi usne tum sab ko yaha pe iss ladki ke liye kyun bhej diya.....usko to pahle wo ghar saaf karana tha......

Chachi uss mote aadmi ke baare mein bol rahi thi.......aur wo rukki nahi unhone call kar diya usko.....aur usse puccha ki kya wo ghar saaf hua hai......waha pe kisi ajeeb chizz hone ka surag to nahi hai......

Mote aadmi ne bataya waha pe kaam chalu hai......par usme thoda waqt lagega.......

Chachi ne jab ye sunna to unhone usko ek salah di.....aur apni baat batai ki usko waha pe inn sab ko bhejna chahiye kaam jaldi ho jaayega aur iss ladki ko Rupal aur Nikita khud pahucha denge waha pe.......

Mote aadmi ne apne kuch logo ko hamare yaha iss wajah se bheja tha ki kahi humari wajah se usko koi nuksan naa pahuch jaaye......par ab jab Chachi aisa kah rahi thi to usne apne logo mein se ek ko chod ke baaki sab ko waha se jaane ko kah diya.....ye ek bas sab check karne ke liye tha.......

Wahi Rupal didi ne Hotel ke financial sector ko call kiya aur unko Manager ko bahar nikalne ki taiyaari karne ko kaha.......kuch niyam hote hai jaise.....6 mahine ki salary aur pata nahi kya kya......wo sab karne ko kaha......waise ye sab magic se ho sakta tha.....par bekar mein kyun hi kare magic use......aur bhi wajah thi magic naa use karne ki.....

Waha saare paperworks hone lag gaye.....wahi Rupal didi aur Nikita khud bhi mere saath Hotel ki oor chal di.....uss ladki ko leke.....

Waha pe pahle to hum tinno hi office mein gaye......aur uss ladki ko utha ke maine ek room mein sulla diya....aur waha pe ek lady ko rukne ko bola.....ki jab wo jaage to humme bata de......

Hum tinno office mein aake baithe hue the......

Rupal didi - To aage ka kya socha hai Prateek.......

Main - Aage.......bahut kuch socha hai aur wo sab karna bhi hai.....par sabse pahle to inn Nix logo ko sabak sikhana hai.......ye jo yaha pe aaye hue hai......inhone aaj Pujari ji pe hamla karne ke baare mein socha hai.......kal ko.....kal ko kahi humme se ek pe yaa phir Madhu ke family pe kiya to.......Hum to sambhal lenge......par.....wo kaise.....

Rupal - Hmm ye sochne ki baat hai......tumhe unko bhi protect karna hoga.......

Hum sab phir aise hi baatein karne lage.......

Wahi......yaha se dur......matlab saher to yahi tha........Dark world ke log......wo bahut nirash the......unke hisab se agar ye nayi aur taakatwar shakti wala jo koi bhi tha....agar unse dosti kar le....unki madad kar de....to Dark world ek baar phir se apne acche dinno mein wapas jaa sakta tha....jaha pe waha ke baccho ko khanne ke liye ladna nahi hoga.....aur waha ke haalat bhi acche ho jaayenge......

Wo log wapas se ussi jagah pe jaa pahuche the jaha pe Prateek ne apni power ka use kiya tha.......par iss baar.....iss baar unko kuch aur bhi mila tha.....ab isko kya kah sakte hai sanjog......

Jo itni durr se maine Leemi ke ander se wo khatarnaak energy ball bahar nikal ke khidki se bahar phenka tha......wo jaake ussi jagah ke pass mein gira jaaha pe......jaha pe maine apni powers use kari thi......aur ussi jagah pe wapas se Dark world ke log aa pahuche the.....wo log yaha waha dekh rahe the ki unhe kuch naya sa mehsus hua.....koi nayi urja.....aur wo sab uske pass jaane lage......

Uss energy ball ke ek ped pe lagne se wo ped......ekdum se sukh gaya tha......agar koi baccha bhi ek mukka usko maar deta to wo tut jaata waisa........wo sab uss ped ke pass jaa pahuche.......ab isko bhi sanjog hi kahenge naa.......wo ped bilkul uss jahag se 4 kadam dur tha jaha pe Chachi ne portal khola tha.......wahi portal jisse wo waha aayi thi aur mujhe apne saath leke gayi thi..........

Portal ke ukde wahi per the.....par chukki ye uss jagah se thoda dur tha jaha maine power use kiya tha to wo sab ke sab waha nahi gaye the dekhne ko .....naa to Orion wale aur naa hi Titan wale.....yaa koi bhi aur.....kyunki uske tukdo se jyada energy nahi nikal raha tha to pata nahi chal raha tha.......wahi jab wo Leemi wali energy ball waha gayi to uski energy ke wajah se ye wah apahuche aur inme se ek ko uss portal ka ek tukda milla......

Wo uss tukde ko dekh raha tha kii unme se hi kisi ek ne uss ped ko halke se chuwa aur wo tut ke nicche gir gaya......jisse baaki ke tukde......yaha waha bikhar gaye.....wo to accha tha ek tukda unhone apne pass rakh liya tha......

Uss ek bande ne sabko ye baat batayi......

Wo sab uss tukde ko leke waha se chal diye......Ye log jitni baar bhi kahi pahuchte the.....waha pade saaare saburton ko khatam kar dete the......nahi bikher dete the.....jisse dusro ko kuch jyada pata nahi lag pata tha.......pata nahi jaan bujh ke karte the yaa

Yaha ye log Prateek se milne ke liye ek aur kadam pass aa chukke the wahi Hum tinno abhi bhi baatein kar rahe the........

Rupal didi puch rahi thi ki Main yaha karunga kya.......

Maine unko apne saare plans bataye ki main bhi collage mein uske saath rahunga aur mauka dhundhunga uske aur karib jaane ka.......

Hum baatein kar hi rahe the ki wo lady ne intercom pe call kiya........wo bata rahi thi ki wo ladki jaag chukki hai par bahut darri hui hai aur ro rahi hai......

Hum tinno uske room ki oor chal padde......

Jab waha pahuche to Maine dekha wo lady uski peeth sahla rahi thi.....aur wo ladki kaamp rahi thi sayad darr ke maare.......Humme nahi pata tha usko kaise leke gaye the wo log......aur naa hi iss ladki ke baare mein kuch pata tha ki ye kaisi hai ye sab......bas yahi to jaante the ki ye Manager ki ladki hai bas.......

Usko waisi halat mein dekh ke Didi sabse pahle uske pass gayi.....aur uss lady ko jaldi se paani aur khane ke liye kuch halka fulka laane ko kaha......

Lady turant waha se chali gayi......

Rupal didi - aaram se......tum theek ho.....kisi ne kuch nahi kiya.....tum bilkul theek ho......

Wo ladki hadd se jyada darri hui thi.......usne ek bar bhi khud ko dekha hi nahi tha bas rone lag gayi thi......

Rupal - Tum hamare hotel mein ho......yaha pe tumhare Papa kaam karte hai.....dekho.....sab sahi hai.....

Itne mein wo lady paani aur juice dono leke aa gayi thi....saath mein kuch fal aur namkeen tha.....

Nikita ne wo liya aur uss ladki ke pass jaane lagi......Ladki ne jab apne Papa ke baare mein suna to wo aur ronne lag gayi.......

Jab usko kidnapp kar rahe the tab uske Papa ke baare mein hi to baat kar rahe the.......usko sayad aisa lag raha tha innn sab ne uske papa ko maar diya.....yaa kuch kar diya hai......

Rupal didi ne jab dekha wo chup ho hi nahi rahi thi.....to unhone uss lady se Manager ke yaha phone karne ko kaha......aur iske family ko yaha bulane ko kaha......

Main uss Ladki ko dekh raha tha.......wo itni darri hui thi......ki mujhe ek pal ko aisa laga jaise uske ander maine dark power de diya ho.....jisse wo dard se tadap rahi hai.....aur darr rahi hai.....

Maine apni power ko bahut use kiya hai.....par kabhi bhi......kabhi bhi uske kaam karne ke tarike ke baare mein nahi socha tha.....naa jane kitne lambe waqt se Maine iske baare mein sochne ki jarurat hi nahi samjhi ki ye kisi ke ander jaake kaise uspe asar karta hai......aaj iss ladki ko dekh ke......main ye sochne pe majbor ho gaya,,,,,,,

Rupal didi aur Nikita ne laakh koshish kari usko sambhalne ki par wo bas roti hi rahi......haa bas ab wo darr nahi rahi thi humse......mujhse pata nahi par unse to nahi darr rahi thi......

Rupal didi ne usko paani pilaya aur phir juice bhi pilaya......wo subakte hue uski pee rahi thi......

Thodi hi der mein waha pe Manager ke ghar se 2 auratein aayi....ek bujurg lag rahi wahi dusri unse choti......

Jab wo waha aaye.....aur uss ladki ko waha dekha......ladki wapas se jor jor se rone lag gayi aur wahi wo dono auratein bhi......

Rupal - Aap dono......

Ladki ne bataya ki wo unki Maa aur dadi hai......aur wo dono uske pass aa gaye the.....aur rona chalu hi raha......

Rupal didi - Ye thek hai isko kuch nahi hua hai....aap ab rona band karo.....nahi to ye bhi roti rahegi......

Uski Dadi aur Maa ko bhi ye sahi laga.....wo bas issi baat se khush the ki unki bacchi theek hai......kuch nahi hua hai usko....

Unn dono ne bhi phir uss ladki ko chup karne mein lag gaye.......ladki ne bhi jab apno ko apne pass dekha to wo shant hone lag gayi thi....par jyada der nahi......

Wo yaha pe thi.....apne Papa ke hotel mein......aur uske Papa waha pe nahi the.....jab ye baat usko yaad aayi to wo humme dekhne lag gayi......

Mujhse nah par usne Rupal didi se puccha......

Ladki - Papa kaha hai......wo log bol rahe the unke baare mein.....wo theek hai naa......

Rupal didi - Haa wo theek hai......tum ruko Main unhe yaha bulati hu......

Rupal didi ne mujhe dekha....aur bahar bulaya......

Main - hmm....

Rupal didi - Main uska number tumhe de rahi hu......uske pass jaao usko kuch chot lagi thi......usko yaha pe leke aao.....agar wo aane ke halat mein naa ho to mujhe call karna hum innko waha leke chale jaayenge.....aur kis baare mein soch rahe ho.....ye ajeeb so sakal kyun bana rakhi hai.....

Main - Nahi Main bas kisi chezz ke baare mein soch raha tha......sayad mujhe kuch aur chizzon pe bhi kaam karna hoga......Main aata hu usko dekh ke.....aap jaao ander......

Maine pahle to uss number pe call kiya.....aur kisi ne nahi uthaya.......phir se try karne pe kisi ne uthaya.....

Main - Hello.....

Dusre taraf se ek aurat ki aawaj aayi......

Wo - aap jisko phone kar rahe hai unka accident hua tha.....wo abhi admit hai.....aap uske janne wale hai to iss hospital mein aa jaiye.....

Ye sayad waha ki koi nurse thi.....yaa koi dusri kaam karne wali......Maine usse address puccha aur phir Main chal diya waha pe dekhne ko usko.......

Yaha Dark world walo ne ss portal ke tukde ko acche se dekhna shuru kar diya tha.....aur wo usko wapas se banane ki koshish kar rahe the......jisse unko pata chal jaayega ki wo portal kaha se khulla aur kaha pe band hua......tukdo se ye pata chal jaata hai......

Wo issi kaam mein lage hue the......unko nahi pata tha ye sahi hai yaa galat....par wo ye to jaante the.....kuch naa karne se accha hai kuch kar ke dekhna.....agar wo banda jiske pass wo ajeeb si powers hai wo waha pe aaya tha to kisi naa kisi tarah se hi aaya hoga....sayad issi portal se.....yaa gaya hoga iska istemal karke....isse wo uss tak pahuch hi sakte hai.....

Wahi dusri oor........wo saare Nix......jo uss Murti mein kaid bande ke vash mein the......wo wapas se uske vash mein chale gaye the.......darasal jab unn sab ne Pujari ji pe hamla kiya aur leemi ghayal ho gayi thi ussi waqt ki baat hai wi Murti wala banda so gaya tha......Murti ke ander se wo apni powers ka jyada use nahi kar paa raha tha.....aur thak jaldi jaa raha tha.....ye jalphool naa lene ke wajah se bhi tha......

Jalphool uske liye dono the.....zaher bhi aur dawai bhi.....naa lo to bhi nuksan hai aur lo to bhi.......kyunki usko aadat jo banni hui thi uski......

Jab wo jaaga aur usko khabar milli ki Pujari ko kuch nahi hua.....to usko bahut gussa aaya.....usne phir se apni shaktiyon ka use kiya aur wapas se jo bhi Nix jo uske taraf the.....Earth pe aaye the unko apne vash mein kar liya......aur wapas se.....unko Pujari ji ke picche bhej diya......usko bas yahi pata tha wo nakmiyab hue the.....aur Pujari ji ke jagah kisi aur pe hamla kar aaye......par isse uska plan shuru bhi nahi hua......

Usne ye sab mujhe ek warning dene ke liye kiya tha......ab usko ye pata hi nahi tha ki Mujhe pata chala hau yaa nahi uske logo ke yaha aane ke baare mein.....

To usne wapas se hamla karne ko kaha unse......aur wo sab bhi jab uske kaabu mein aa chukke the to bas taiyaar ho gaye....aur koi rasta to tha nahi......

Par iss baar Pujari ji aashram mein hi the.....wo bahar gaye hi nahi the......to ye sab bas mauka dekh rahe the ki kab wo bahar aaye aur kab ye sab unpe hamla kare.........

Madhu jo ki ussi jagah pe thi jaha pe Pujari ji pe hamla hua tha......wo tab se wahi pe thi........waha pe kuch dhundh rahi thi jisse usko pata chal sakke ki wo log kaha gaye.......

Jwala bhi unn sab ko dhundh raha tha......par wo saare ke saare chuppe hue the......koi Pani mein to koi kahi aur......jiss wajah se wo unhe dhundh nahi paa raha tha.......par jab wo sab bahar nikle.......tab jhat se Jwala ko pata chal gaya.....par usne mujhe nahi bataya.....wo ye dekh raha tha ki ye sab kahi na kahi jaa rahe hai......to sayad wo mujhe sedha wahi ke baare mein batane wala tha......

Ab ye saare ke saare wapas se ussi jagah pe jaa pahuche the......jaha pe inhone hamla kiya tha.....wo jagah aashram se thodi duri par thi aur waha pe aashram se log aate jaate rahte the......sayad ye Nix jo abhi uss murti wale ke kaabu mein the....inka dimmag atak sa gaya tha......ye shuru wale plan pe hi chal rahe the.....ki wo waha wait karenge aur kuch Pujari ji ka piccha karenge aur phir iss jagah pe hamla kar denge......

Aakhir kyun koi wapas se uss jagah jaayega jaha pe uspe hamla hua tha......aur wo bhi hamle ke kuch ghante baad.....haa ab agar usko badla lena hota to wo jaa sakta hai......

Ye sab jaake waise hi intezar kar rahe the......ki Madhu ki naraz waha pe ek parchai par padi.......wo bhi to wahi pe thi Pankaj ke saath.....

Madhu ne parchayi ko dekha.....uske pass wo kiski parchai thi ye bhi.......

Ye ek Nix tha......par ye unme se nahi tha jo Pujari ji ke saath yaha aaye the.......matlab.....matlab ye unme se ek hai jinhone aaj Pujari ji pe hamla kiya tha......

Jwala upar se dekh raha tha ki inn sab ne Madhu ko aur Pankaj ko ghera hua hai.......

Jo dikhta hai wo hota nahi jo nahi dikhta wo hota hai.....yahi wali baat thi yaha pe......

Jwala ne turant hi mujhe iss baare mein bataya.......main iss waqt uss hospital mein tha jaha pe wo manager tha......Main uske pass hi tha ki mujhe ye khabar milli......Maine usko dekha......wo theek thak tha......

Main - Tumhari beti hotel mein hai aur tumhari Maa aur Biwi bhi......waha jaao......Mujhe kuch kaam karna hai......

Maine usko bas wahi kaha tha....aur kuch bhi nahi......ab wo ye sunn ke thoda pareshan tha ek to mujhe wo jaanta nahi tha.....dusra uski beti kidnap ho gayi thi......aur ab wo hotel mein thi....to uske mann mein bas ek hi dar tha......aur wo darr aur badh gaya jab uski patni aur maa ka bhi jikar hua.......

Main uss jagah se nikla aur sidha portal khol ke Jwala ke pass jaa pahucha.......

Jwala ke pass iss wajah se kyunki mujhe uski baat pe yakkin nahi ho raha tha......wo murti mein kaid banda......wo kabhi bhi......Madhu pe hamla nahi kar sakkta tha......ye baat Main acche tarah se jaanta tha.....par Jwala ne mujhe bataya ki Madhu aur Pankaj ko Nix logo ne gher rakha hai......aur ye Nix wahi hai strange world wale......

Jwala ke pass se maine bhi dekha wo sab.......

Dhruv - Ye mumkin nahi hai.......nahi hai naa......

Main - Hmm wo mere saath yaa phir iss puri duniya ke saath kuch bhi kar dega.....par aise Madhu pe hamla......nahi.....

Wahi Madhu ko samajh aa gaya tha ki usko gher liya gaya hai......usko pahle ek parchayi dikhi thi phir dusri aur phir tisri....aur waise hi bahut saari......

Madhu - Pankaj pass rahna.......wo sab yaha aa chukke hai.....sayad iss baar main nishana hu.......

Pankaj - Kya......nahi Main tumhe kuch nahi hone dunga......

Main - Jwala ek bhi harkat......ek bhi harkat inme se kisi ne ki......tum inn sab ke upar aag ki barish kar dena......

Jwala - Par.....wo dono......

Main - Unke liye main ja raha hu......

Maine apni talwar nikali aur Jwala ke upar se waha nicche kudd gaya.......Madhu aur Pankaj se thodi si durri pe......ab ye unko to pata tha nahi ki Main hu.....aur wo Pankaj.....usne mujhpe hamla kar diya......accha hua main bach gaya.....

Main - Kya kar rahe ho......ye main hu......

Pankaj - Prateek.....tum......yaha pe humme gher liya gaya hai......sayad Madhu ke liye wo sab aaye hai......

Main confuse tha.....wo aisa kaise kar sakta hai......arre jisne Madhu ke liye khud ki body ko chod diya.....aur uss Murti mein kaid ho gaya.......wahi aaj Madhu ko maarne ke liye log bhej raha hai......nahi.....

Main - Nahi.....usko kuch nahi hoga....aur naa hi tumhe......

Madhu ko apne golden power ke baare mein kuch bhi pata nahi tha.......wo bas apne kuch powers ko jaanti thi......aur jab uske pass wo Jalphool wala paani tha to wahi uske liye sabse bada hatyar tha.....wo usse apne aap ko theek kar sakti thi.....yaa phir usse hamla bhi kar sakti thi......aisa nahi tha ki uske pass aur hathiyaar nahi the.....par uske hisab se wo uska khass hathiyaar tha.....

Khair ab uske pass waisa kuch tha nahi to School mein aane pe jo talwar usko milli thi usne usko nikala aur......pass ke peddon ke upar se paani ki bundon se uss talwar ko aur tej kar diya.....

Matlab wo bhi taiyaar thi.....

Hum tino hi waha pe waise hi taiyaar the par koi halchal nahi ho rahi thi......

Pankaj - Ye sab kya humse dar gaye hai....ye kuch kar kyun nahi rahe.......

Madhu - Ye nahi kar rahe to Main karungi....inki himmat kaise hui yaha aane ki.......

Itna bolte hi wo apni talwar leke aage ko chal di......Maine koshish ki ki wo naa jaaye.....par kaha kuch hua......

Wo aage badhi aur unn Nix mein se ek pe hamla kar diya........wo saare Nix jaise stand by mode mein baithe hue the......ki kab unko Pujari ji wapas se dikhe.....aur wo unpe hamla kare.......

Par unhone ye nahi socha tha......nahi wo to soch hi nahi rahe the......unse bas ek kaam karne ko kaha gaya tha.....aur wo wahi kar rahe the sochne samajhne ki saari kaabiliyat hi khoo baithe the jaise wo.......

Madhu ne unme se ek pe apni talwar se waar kiya......par wo hilla bhi nahi......aur jab usko chot lagi to jaise wo apne hosh mein aa gaya......matlab murti wale ke kaabu se bahar......

Maine dekha uske expresions ko......wo bahut hi ajeeb the.......Main pahle nahi samajh paaya tha kyun ki wo itna jyada surprise hua humme waha dekh ke ki puccho hi mat.....

Ab jab wo apne hosh mein tha tab usne Madhu ko rokne ke liye apna hathiyaar nikal liya......

Main iss waqt bas unhe dekh raha tha.....aur baakiyon ko.......abhi baaki ke saare ke saare stand by mode mein hi pade the.......

Mujhe samajh mein aa gaya ho naa ho ye sab ke sab uske vash mein hai.....to kya unhone sach mein Madhu pe hamla karne ko inko bheja tha......

Maine Jwala ko ishara kiya ki wo unn sab ke upar aag barshaye.....par sambhal ke.......

Madhu aur wo jisse wo lad rahi thi unn dono ko pankaj ke saath Maine apne talwar se banne kawach ke ander le liya......Madhu usse lad hi rahi thi......aur pankaj bhi ab uski oor badh raha tha.......

Itne mein aasman se aag ki baarish hone lag gayi......Madhu ka dhyaan isse thoda sa batt gaya.....aur iska fayda uss Nix ko milla.....uska ek waar Madhu ko lag gaya.......ek kharoch hi to aayi hogi sayad Madhu ko.......par wo kharosh hi bahut thi.......

Maine uss talwaar ko waise hi chod diya.....jisse wo waha pe kawach banaye rah jaaye......aur khud uss nix ke pass pahuch gaya.......

Maine apni dono haathon ko phailaya aur Mere dono hathon se kaale rang ka dhuwan jaisa kuch nikalne laga....aur phir maine apni muthi bandhi....hisse wo sab mere haath ke charo oor hi jaise band ho gaye the.......

Aur phir apna ek haath uss Nix ki oor kiya......aur mere uss haath se wo saari ki saari kaali chizz uske ander jaane lag gayi......ye bahut adhik maatra mein thi.......

Maine isko pahle bhi bahut baar use kiya hai......par iss baar......iss baar kuch alag tha.......Main pata nahi kaise uske dimmag se judd gaya........Mujhe waha bahut kuch dikh raha tha......bahut si chizzen......jinme wo Nix khush dikh raha tha dukhi dikh raha tha........

Bahar wo dard se tadap raha tha.....aur uski awaj charo taraf gunj rahi thi.......Jwala ab rukk chuka tha......baaki ke nix yaa to jal ke mar gaye the.....yaa jakhmi the....par ab hosh mein the.......aur apne ek sathi ki chikhen sunn rahe the......

Kya lagta hai sabse jyada dukh......dard kiss chizz mein aata hoga.......Mere hisab se wo aapke sabhi bhayanak sapno ko sach kar dena......ye nahi hai......mujhe lagta hai agar Main unn haseen yaadon ko kharab kar du.....jinse aapko khushi milti hai to apke pass kuch nahi bachega......aap khud ba khud mar jaaoge.....

Aaj pahli baar Dark power se mujhe ye karne ka mauka milla tha......Main uss Nix ke yaadon ko dekh raha tha.......aur apne haathon se unn yaadon ko bat se battar karta jaa raha tha........

Iska bachpan......khatam kar diya.....isko jo aaj tak pyaar karte aaye hai unn sab ko iska dusman bana diya......jisko ye chahta tha......usko kisi aur ka bana diya.....aur unhone mill ke isko dhokha diya.......aaj tak isko jo bhi milla wo sab khatam kar diya.......

Physical tourcher se jyada mazza mental mein aata hai....ye baat aaj samajh aa rahi thi.......

Main bas badalta gaya......har ek chizz.....uss waqt agar wo haath mere kandhe pe nahi aata to sayad.....sayad ye inn sab dard ki wajah se hi khud ko maar deta.....aur saath hi uske chillane ki aawaj se hum sab ke kaan fatt jaatein......

Wo haath Madhu ka tha......usne ek haath se apna ek kaan dhakk rakha tha aur dusra haath kisi tarah mere kandhe pe rakha....aur Main uske yaadon se bahar aa gaya.......

Ye jo bhi tha........bahut hi mazedar tha.......Maine isko aaj tak kabhi use nahi kiya tha.......

Jab Maine phir saamne dekha.......wo Nix khud apne haathon se apna chahra noch raha tha........

Madhu - bas karo.......bas karo......

Main uski taraf muda......Maine dekha Pankaj ne bhi apne haathon se apne kaan band kar rakhe the.......waha pe aashram se log aa rahe the daudte hue......

Leemo jo aa chukka tha yaha pe.....wo bhi apni bahen ke sath waha aa raha tha.......

Main - haa.....theek hai band kar diya......tum theek ho.....

Maine uska haath dekha jaha pe wo chot lagi honi chahiye thi......par wo waha nahi thi.......Maine uska dusra haath dekha waha bhi nahi thi.......wo khud bhi isse hairaan thi......

Main - Kahi ye uss paani pinne se to nahi hua sayad ab tum khud ko theek kar sakti ho khud se.......

Madhu ne kuch nahi kaha bas khud ka haath dekh rahi thi.......

Abhi tak wo talwar se ghera bana hua hi tha......aur wo chilla chilla ke behosh ho gaya tha sayad.......

Wahi aashram se bahut se log waha aa chukke the.....aur aas pass dekh rahe the.......waha pass mein aag lagi hui thi kahi kahi pe......wahi kuch logo ke dard se karahne ki aawajein bhi aa rahi thi......

Wo sab yaha waha dekh rahe the........

Issi daurann ek aur chiz hui.......jo mar gaye the wo to nahi......par jo jinda the......unki chikhen achanak se shant ho gayi....aur wo apne hathiyaron se khud ko hi maarne lag gaye......

Mujhe pata tha ye kaun kar raha hai......

Dhruv - Kya usne koi galti kar di hai.....

Main - Haa usne kar di hai galti......aur sazza har baar ki tarah uske pyaado ko hi mil rahi hai.......mujhe lagta hai usne socha nahi hoga ki Madhu inn sab ke bich mein aa jaayegi.....aur uska ek pyaada Madhu ko chott pahucha dega.......

Sab ke sab jinhone ye sab dekha wo sab hairaan the......yaha pe Pujari ji nahi aaye the......wo jaante the abhi unka bahar jaana sirf unke liye hi nahi balki naa jaane kin kin chizzon ke liye khatarnaak hai.....unko kuch bhi hua to kya hoga iska wo soch ke ghabra rahe the......bas issi wajah se wo bahar nahi aaye......

Maine apni talwar ko waha se uthaya aur wo kawach band ho gaya......Jwala ko ishare se waha se jaane ko bol diya.....

Main - accha tum yahi inke sath raho aur Main....Main chalta hu baad mein milunga.....

Madhu ne bas haa mein sar hilaya aur Main waha se portal khol ke.....nikal gaya.......mujhe iss waqt akela rahna tha.....aur Dark power ke iss chizz ko samajhna tha......ye maine pahle kabhi dekha hi nahi tha......Main yaadon ke saath khel raha tha......

Main ek jagah pe baitha ye sab soch raha tha.......

Wahi ek baar phir se dark power ka use hua tha wo bhi bahut adhik matra mein......par phir waha pe utne log pahuch gaye ki wapas se sab bikhar gaya......aashram weale saare log.....

Jo bhi iss chizz ko dhundhne mein lage hue the wo uss jagah pe jaane ko nikal gaye jaha pe ye sab hua tha......Dark world walo mein se bhi kuch log waha ko nikal gaye aur baaki ke sab uss portal ke tukde ke sath kaam kar rahe the.....

Thodi aur mehnat ke baad unko ye pata chal gaya ki wo portal kis jagah pe khula tha.......par wo uss jagah ke liye portal nahi khol paa rahe the......aur naa hi wo ye jaante the ki ye jagah hai kaha ki wo aas pass kahi pe chale jaayenge.....haa par wo ye pata laga sakte the.....bas thodi aur mehnat lahne wali thi.....aur unhone haar nahi maani aur karte rahe ye sab.......

Wahi ghar pe jab sabko aashram ke pass jo bhi hua uske baare mein pata chala aur ye pata chala ki Main bhi wahi tha to sab mujhse contact karne lag gaye....koi phone kar raha tha to koi kuch aur....bua jo ki School mien thi wo wapas ghar aa gayi thi......

Rupal didi aur Nikita bhi wapas aa gaye the......Manager ko kaam se nikale jaane ka raddi bhar dukh nahi tha.....wo bas issi baat se khush tha ki uski beti theek hai......usko kuch bhi nahi hua......wo bas Rupal didi aur Nikita ka sukriya karta raha.....

Main iss waqt dhyaan laga raha tha.....itni der se......aur jab dhyaan tutta to Main pasine se lathpath tha......Maine waqt dekha.....raat ho rahi thi.....Main ghar ki taraf nkal gaya....aur jab waha pahucha to dekha sab ke sab pareshan the.....ye log kuch jaldi hi pareshhn ho jaaye hai sayad.......

Khair Mujhe dekhte hi wo sab thoda shant hue.....aur hum ander chale gaye.....unhone puccha ki kya hua par Main pahle nahane chala gaya......

Next update mein dekhte hai kaise Dark world wale yaha pe aate hai.....aur Prateek se milte hai......aur Prateek unki madad karta hai yaa nahi ye bhi.....saath mein wo MLA......usko rahne dete hai kya hi kar lega wo
Gajab update
 
Top