★ INDEX ★
☟
☟
♡ Family Introduction ♡ |
---|
Last edited:
♡ Family Introduction ♡ |
---|
Nice updateUPDATE - 108
Main Fumos ke liye nikal gaya tha.....par yaha pe bas Main akela hi nahi tha......
Yun to Earth , Demos . yaa iss jaise planets Immortals ke space mein ghoomne wali faltu ke planets mein se the......par Fumos ka ek alag mahatwa tha......Titan ka bhi alag mahatwa tha par Fumos wo Titan se bhi jyada mahatwa rakhta tha Immortals ke liye....Jaahir si baat hai Fumos ek alag hi tarah ka planet tha,.....wo jinda tha......sayad hi pure space mein aisa koi planet hoga jo jinda hoga.....
Main jab yaha pe pahucha to sidha DB ke pass aaya tha......wo wahi pe jameen pe baitha tha......apni hatheliyon ko jameen pe rakhe hue.....
Main waha aaya to mujhe thoda ajeeb sa laga.......par Main yaha pe kisi maksad se aaya tha aur usko pura karna meri pahli prathmikta thi.......Maine baaki chizzon ko ignore kar diya......
Yaha aaya to sabse pahle Maine aas pass ka jaayza liya......aur uske baad Old Owl ki taraf dekhne laga......wo bhi meri baat samajh gaya tha.....wo turant hi udd ke uchai pe gaya aur waha ek chakkar laga ke wapas mere pass aaya......
Old Owl - Wo abhi yaha se durr hai.......usko yaha aane mein thoda waqt lagega......
Main - Ye DB kya kar raha hai......
Old Owl - Usne yaha pe har jagah ped ugga diye hai ab yaha bhi wahi kar raha hai sayad......inn pedon ki wajah se ye planet ajeeb tarah se bartaaw kar raha hai......
Main - Matlab yaha......yahi nicche iss planet ki saari energy hai.....ek surkasha ghera banao yaha pe......koi bhi iske aas pass nahi aana chahiye......Isko abhi waqt lagne wala hai.....
Old owl ko mere bolne ki deri thi.....aur wo lag gaya uss kaam mein......
Main - Dhruv......waqt aa raha hai.....tum apni taraf se taiyaar raho......Main bhi taiyaari karta hu......
Dhruv - Aapko pata hai naa iska natija kya hoga wo abhi bhi anjaan hai.....
Main - Humne iss baare mein pahle bhi baat kar rakhi hai......tumhe bas uss sharir mein jaana hai aur uske baad jitni bhi aatmayein uss sarir se juddi hui hai unn sab ko bahar kar dena hai tumne......
Dhruv - Haa par phir bhi isme unn saari aatmaon ki bhi icchha honi jaruri hai.....agar wo nahi chahte bahar jaana to main kuch nahi kar paaunga.....
Main - wo sarir unn aatmaon ke liye kisi jail se kam nahi hoga......unko jaise hi mauka milega wo khud se bahar nikal jaayenge.....ek baar wo saari aatmaein nikal gayi to Slayer khud se hi khatam ho jaayega....aur wo sarir tumhara ho jaayega......
Dhruv - Haa......agar aisa hua to accha hoga.....sayad aap sahi kah rahe hai......aisa hi hoga.....aakhir kaun si aatma hogi jo uss sarir se bahar nahi nikalna chahegi.....Kya aap unn dono ke liye taiyaar hai.....
Main - Abhi to Mujhe bhi pata nahi hai......Maine iss baare mein jyada socha hi nahi.....par agar hamara andazza sahi hai.....to wo dono bhi wahi hone chahiye......
Dhruv - Haa aur unke saath saath wo bhi wahi pe hogi......aapko lagta hai wo uss jagah ko chod ke bahar aa jaayegi.....
Main - Dhruv hum ghum ke ussi baat ke shuruwat pe aa gaye hai......inn sab pe humne bahut baatein kari hui hai......sayad jab tak hum isko kar naa le humme jawab nahi milega.....
Dhruv - Agar kuch gadbad hui to uske baad humme aage kya karna hai uska bhi pata nahi hoga......par phir bhi Main aapka saath dunga.....mujhe aapke upar yakkin hai.....
Main - Mujhe pata hai.....aur main vadda karta hu.......ab kisi ka yakkin nahi tutne dunga khud ke upar se......Tum apni taraf se taiyaariyan shuru karo.....
Maine ye kaha aur wo apna kaam karne lag gaya.......iss waqt mujhe aisa lag raha tha koi chizz mujhe kaat rahi hai.....unn sab ke baad Main aur Dhruv ek dusre se judde hue the.....aur ab wo alag ho raha tha sayad issi wajah se......
Old Owl ne DB ke charo taraf wo suraksha gheera bana diya tha.....Main uss gheere se bahar tha.....aur wo khud bhi mere pass aa chukka tha ab......
Old owl - tum.....tum theek ho naa.....mujhe tumharee ander kuch halchal mehsoos ho rahi hai......
Main - Haa......Main theek hu.....Tum jaake dekho wo kitni durr hai yaha se.....
Jab Main bol raha tha to mere muh se gahre laal rang ka kuch nikal raha tha aur wo hawa mein jaake gayab ho raha tha......usne usko dekh liya......aur mujhe ghoorne laga.....
Main - Jaao aur dekho wo kaha hai.....
Wo mujhe dekhta raha aur uske baad waha se udd ke upar chala gaya......
DB ne usse Prateek ke pass jaane se pahle hi kaha tha wo nahi chahta ki Prateek aur Slayer ke bich ladai ho.....par abhi usne jo dekha uske baad Old owl thoda aur pareshan ho gaya tha......DB ke anusaar Slayer abhi bhi takatwar hoga......aur Prateek ki halat aur kharab ho rahi thi.....
Old owl ne socha sayad wo Prateek ko kuch waqt de paayega.....wo upar gaya aur usne Slayer ko dekha......wo ab Prateek aur DB ke taraf hi aa raha tha....Old Owl waha se turant Prateek ke pass gaya.....aur waha jaane ke baad......
Old owl - Wo aa raha hai......tum bhi iss ghere mein kyun nahi chale jaate......Main usko sambhal lunga......
Maine uski baat sunni to mujhe hassi aa gayi....par saath mein dard bhi badhne laga tha.....
Main - Iski koi jarurat nahi hai.....Tum ek kaam karo.....wo Leader yahi pe hai naa.....uski madad karo.....usko kuch naa ho iss baat ka dhyaan rakhna....
Old Owl - Nahi......wo khud ka dhyaan khud hi rakh lega....Mujhe tum sahi nahi lag rahe to Main yahi tumhare pass rukunga....
Main - Aisa kuch bhi nahi hoga.....tum mere pass nahi rah sakte......tumhe....yaha se.....ahhhh......yaha se jaana hoga.....
Old Owl - ye kya ho raha hai tumhe.....tumhare muh se ye kya nikal raha hai......
Main - Iske baare mein abhi tumhe nahi samjha paaunga......tum.....tumhe abhi yaha se jaana hoga.....Main nahi chahta tumhe kuch ho.....
Old owl - Par tum theek.......nahi Main nahi jaa raha kahi bhi.....
Main - Maine kaha yaha se jaao matlab jaao.....jaao Leader ke pass jab DB apna kaam pura kar lega to uski shaktiyan bhi jaa sakti hai.....uss waqt wo kamzor hoga......Tum uske pass jaao......
Wo jaana nahi chah raha tha par aakhir mein main uska maalik tha.....to wo chala gaya.....par wo dost bhi tha mera.....jaate jaate usne mere ass pass bhi ek kawach bana diya......Ab mujhe iss kawach ko bhi todna tha......kaam badha ke chala gaya ye.....
Main ander tha aur ander se kawach ko todna aasan hota hai.....ye accha tha......waise usne majboot kawach banana seekh liya tha.....
Maine usko toda aur waha se bahar aa gaya......
DB ki taraf mudd ke dekha to wo abhi bhi laga hua tha apne kaam mein......sayad usko abhi aur waqt lagne wala tha inn sab mein......
Maine bhi apni aakhen band kari.....aur dark power ki madad se khud ko Dhruv se alag karne lag gaya......isse mujhe aur dard ho raha tha......Dhruv ne apni taraf se kaam pura kar hi liya tha bas......thoda sa aur hissa baaki tha.....
"Ajeeb hai......"
Main apna kaam kar hi raha tha.....ki mere kaano mein ye aawaj aayi......Mujhe laga ye Dhruv hai.....sayad usko kuch ajeeb sa lag raha tha......
Main - Tum ab ek alag body mein jaane waale ho sayad iss wajah se ajeeb lag raha hoga......
Dhruv - haa ajeeb lag raha hai.....par aapko ye kaise pata chala......
Main - Ab tum bataoge to kaise pata nahi chalega......
Dhruv - par maine to nahi bataya.......
Main - Hum abhi bhi judde hue hai naa iss wajah se sayad.....
Main ye bol ke wapas se apne kaam mein laga raha.....aur apne hisse ka kaam karta raha.......inn sab mein Mujhe ye pata nahi chala ki Dark Power ne kab mere sarir ke aas pass ek bahut hi mazboot deewar bana rakhi thi.....waise iss baat ka andaza mujhe pahle se tha.......Dark power har mumkin koshish karega mujhe nuksaan naa pahuche iss baat ki.....aur wo wahi kar raha tha.....par Main ye khud kar raha tha aur wo bhi ander se......issi wajah se to Maine Old Owl se DB ke liye wo gheere wanwaya....aur saath mein usko bhi waha se jaane ko bola....agar wo yaha uss ghere ke bahar hota to Mere aur Dhruv ke alag hone ke baad jo hota usme usko bahut chotein aa sakti thi.....
Uss kawach ki wajah se ab mujhe bahar ki koi bhi baatein pata hi nahi chal rahi thi.....aankhen pahle se band thi aur aawaj ab uske ander koi aa nahi rahi thi......
Mujhe pata nahi chala kab waha pe Slayer aa chukka tha.....aur wo DB ke pass jaa raha tha......par bich mein wo ghera hone ke wajah se wo ustak pahuch nahi paaya tha.....aur usko todne ki koshish mein laga hua tha......
Wo apna kaam kar paata usse pahle hi Maine apna kaam pura kar liya tha......aur uske baad wo dark power ka ghera jo mere charo taraf tha.....wo tut gaya.....aur uske tootne se waha charo taraf Dark energy phailne lagi.......DB ghere mein tha to usko kuch nahi hua.....par Slayer.......wo apni jagah se bahu durr jaake girra tha.......
Main aur Dhruv alag hue hi the ki humme ye dikha.....Dark power ne apna kaam bakhubi kiya tha......Slayer jaise behosh hi ho gaya tha.....ye sabse sahi waqt tha Dhruv ke liye uske sarir mein jaane ka.....aur usne ye mauka gawana sahi nahi samjha....aur wo uske sarir mein chala gaya......par
Jaise hi wo uske sarir mein gaya Slayer uth gaya......Mujhe laga tha wo uske ander chala gaya....aur apna kaam karne laga hoga....par abhi jo dekh raha tha usse samajh nahi paa raha tha.....agar Slayer abhi puri tarah se hosh mein tha to......to Dhruv bhi uska khana ban gaya hoga.....
Main ekdum se darr gaya tha.......Slayer se nahi.......Dhruv ke liye......hum naa jaane kab se ek saath the.......aur aaj sayad wo meri wajah se.....
Slayer jo abhi uth chukka tha.....wo wapas se DB ke pass jaane laga.......wo gheera abhi bhi waha tha........usne uski taraf dekha.....aur uss gheere mein darar si aane lag gayi......ye dekh ke mujhe yakkin ho gaya ki.....ki Dhruv ab nahi raha........wo iss Slayer ka khana ban chukka tha.....
Par abhi Mere pass itna bhi waqt nahi tha ki Main Dhruv ke jaane ka shoq manna sakku kyunki agar maine waisa kiya to sayad.....sayad kuch der ke baad DB ke liye bhi mujhe......Main ye nahi hone de sakta tha.....Mujhe nahi pata wo DB ke picche kyun pada hai.....par Main usko use nuksaan pahuchane nahi dene wala tha.....
Maine apna haath aage kiya aur usse Dark energy bahut jyada matra mein Slayer ke upar chala gaya.......aur wo waha se durr jaake gira.....
Iss insani sarir mein ye pahli baar tha ki Maine itni jyada matra mein Dark power ko ek baar mein use kiya ho......par isse mujhe koi phark nahi pad raha tha.....aur sayad naa hi iss insani sarir ko.....
Main aage badha Slayer ki taraf......wo jaha pe girra tha waha pe abhi bas dhull hi udd rahi thi.....kuch saaf saaf dikhai nahi de raha tha.....
Main dekhne ki koshish kar raha tha.....par kuch dikh nahi raha tha.....lekin kuch hi der mein mujhe 2 aakhen dikhai di.....chamakti hui aankhen.......aur agle hi pal.....Main nicche jamin pe girra hua tha.....
Kuch samajhne ka waqt hi nahi milla bas wo chamkili aankhen dikhai di aur uske baad unme se kuch aaya mere pass aur Main nicche jamin pe tha.....
Main kisi tarah waha se utha.....aur wahi nicche ek pathar ka sahara leke baith gaya.....ye jo bhi tha.......bahut takatwar tha......mera ye sarir uske saamne muskil se kuch waqt tikne wala tha bas......
Dhruv ki shaktiyon se ye Slayer bahut jyada takatwar ho chukka tha......kisi Immortal ko wo takkar de sakta tha.....aur sayad jeet bhi sakta tha.....
Abhi inhi sab ke baare mein soch raha tha ki achanak se mujhe aisa laga jaise koi chizz thi jo mujhse judd rahi thi......meri ye insani sarir.....ekdum se majboot si lagne lag gayi.....Main jo abhi nicche baitha hua tha......wapas se khade hone ki koshish karne lag gaya.....aur dekhte hi dekhte Main khada ho bhi gaya.......
Ye Jwala tha......wo yaha pe aaya hua tha......par uska yaha aana ye ajeeb tha.......Old owl yaha pe aa sakta tha......kyunki usko Riyan ne taiyaar kiya tha iske liye.....par Jwala nahi.......haa uske pass dark power hai par wo aise yaha pe nahi aa sakta.......
Mujhe laga sayad DB apne kaam mein kamiyab ho chukka hai......sayad wo Fumos ke ander jaha uski saari energies hai waha pe pahuch chuka hai.......par agar aisa hua bhi tha.....to iska matlab ye tha ki abhi kuch hi der mein pura planet uthal puthal hone wala tha.......Maine upar dekha......waha pe abhi bhi Fumos ke creatures the......matlab abhi aisa kuch nahi hua tha.......
Abhi kuch aur ochta usse pahle meri nazar wapas se uss Slayer pe padi jo wapas se DB ke ass pass lage uss gheere ko todne mein laga hua tha.......
Maine apna haath aage kiya aur uske ander se kaali aag baharr aayi......Dark power aur Jwala ke aag ka milla hua roop......
Wo kisi golle ki tarah tha.....aur wo sidha jaake uss Slayer ko laga......jisse wo waha se kuch durr chala gaya par wo abhi bhi khada hi tha.....girra nahi tha.....uss aag ke golle ne jaise bas usko dhakka diya ho......par dark power ka kaam baaki tha......
Dark power ne uss aag ko uske pure sarir pe phaila diya......aur wo wahi khade khade jal raha tha......par tab bhi wo bas khada hi tha.......
Agar koi jal raha ho to wo yaha waha bhagega......par ye to bas khada tha....aur uski aankhen.....wo wapas se chamakne hi wali thi ki meri peeth se pankh nikle aur main apni jagah se udd ke waha se side chala gaya......
Jwala aur Main pahle bhi ek do baar sayad aise ek saath aaye the.....par ye unn sab se alag tha......iss baar hamara connection kuch jyada hi majboot lag raha tha.....
Maine abhi ek baat aur notice kari.....ye jab aakhen chamki thi iss Slayer ki to uske chahre se matlab uske muh se aur naak se kuch dhuwan jaisa bahar aaya tha......pata nahi ye kya tha......lekin ye usko ander se kamjor kar raha tha......
Iss baar usne ye cheez kuch der tak kari thi kyunki uska nishana sahi laga hi nahi tha......Main apni jagah se udd ke yaha waha ho raha tha.....aur uska nishana issi mein nahi lag paa raha tha.....
Aur phir wo ekdum se rukk gaya tha aur maine wo dhuwan wagera dekha......aur wo waha haanf raha tha......issi ko leke maine kaha ki wo sayad kamzoor ho raha tha.....
Mere saamne ek pareshani thi aur ab sayad mujhe uska hal dikh raha tha.....isko harane ke liye mujhe bas isko ussi power ko use karne ke liye uksana tha......par yaha pe mere liye bhi dikkat thi......main jyada uccha nahi jaa sakta tha.....waha jaaunga to waha pe jo log lad rahe hai unme se kisi na kisi ka nishana ban jaaunga.....aur abhi unko aur isko dono ko sambhalna wo bhi ek saath wo thoda muskil to tha.....aur Main jaan bujh ke muskilein nahi khadi karna chahta tha.....
Maine wapas se apni black fire ball banai......aur uske upar phenkne ke jagah uske aas pass ke jagahn pe phenka aur phir unse uske aaas pass mein hi aag ki ek unchi si diwwar bana di.....aise mein usko double mehnat karni padegi......pahle to aag ke iss deewar se bahar aana aur uske baad nishana lagana.......
Ander se nishana lagana aur muskil hoga uske liye.....aag hai to waha ki hawa bhi garam hogi....aur garam hawa ke karan bahut baar chizzen jaha hoti hai uss jagah pe nahi dikhai deti hai......to agar aapko nishana lagana haii to uss jagah se nikalna hi hoga.....
Ab bahar wo aag se hi aayega.....isse bhi uski kuch na kuch saktiyan to kam honi hi thi......
Jaisa maine socha tha waisa hi hua bhi.....wo waha se nikalne ke liye aage chala aur wapas se uske pure sharir pe aag hi aag thi......lekin iss baar bhi usko uss aag se kuch ho nahi raha tha sayad......wo aaram se hi bahar aaya aur phir se mujhe dekhte hue usne aakhen chamkai........Sukar ho inn pankhon ka.....ye sach mein bahut tezz thi.....Main turant hi ek jagah se dusre jagah pahuch gaya tha.....
Maine wapas se wahi kiya....uske ass pass aage ki deewar aur iss baar bhi wo waha se bahar aa gaya......par wo kamzor hota jaa raha tha.....aur iss baar kuch aur bhi dikha mujhe......iss baar dhuwein ki matra aur jyada thi......
Kya ye saab jo nikal raha tha wo uske ander fansi hui aatmayein thi.....Mujhe pakka pata nahi tha ye.....par.....wo jo bhi uske muh se yaa naak se nikal rahi thi.....wo thodi upar jaake kuch ban rahi thi.....jaise koi chahra ho......aur uske baad gayab ho jaa rahi thi.....
Sayad abhi bhi ander mein Dhruv ladd raha tha.....
Dekhte hai next update mein
Aaj raat ko busy in thingsAgle update ka intizar h bhai
Fantastic updateUPDATE - 109
Sayad abhi bhi.....Dhruv uske ander se meri madad kar raha tha.......
Waise bhi kuch ho ho uska sarir chahe kitne hi insano ke sarir ke tukdo se milke banaya hua ho......par Dhruv ki asal kshamta ko khud mein kaid kar paana wo bhi tab jab pahle se hi ander naa jaane kitni hi aatmayein hai aasan nahi hone wala tha......
Par ye sab jo kuch bhi tha......wo sab bas mere khayal hi to the.....abhi tak Main confirm nahi hua tha......sayad ye jo bhi uske chahre se nikal raha tha wo kuch aur hi ho....
Wo iss waqt wahi jamin pe baitha hua tha aur haanf raha tha.....Main bas usko dekhe jaa raha tha.....Main ye bhi nahi chahta tha ki uske sharir ko jyada nuksan pahuchaya jaaye......wo apne tarah ka iss jagah pe eklauta tha......usko kam se kam nuksan pahuchana ye meri soch thi.....haa par tabhi tak jab tak wo mujhe yaa kisi aur ko chot naa pahuchaye....
Main inn baaton pe gaur kar raha tha ki tabhi mujhe kuch mehsoos hua.....Mujhe aisa laga jaise koi mujhe kah raha ho.....bas ek baar aur......
Maine aas pass dekha.....par koi bhi nahi tha waha pe.....Main yaha pe jab se aaya hu tab se mujhe ajeeb sa lag raha tha par....iss feeling se jyada important chizz mere saamne thi to ispe dhyaan naa ke barabar de raha tha Main.....isse pahle bhi ek baar mujhe ek aawaj sunai di thi.....aur abhi ye jo hua wo.....
Jab Maine kuch nahi kiya.....to mujhe mere kaano mein aawaj aayi wahi aawaj jo iske pahle aayi thi.....
" Maine kaha naa bas ek baar aur....."
Iss awaj ke baad jaise Mujpe mera koi control hi nahi raha......aur Maine....Apna haath aage kiya aur sidha.....ek bada sa black fire ball banaya aur iss baar uske aas pass nahi theek uske upar de maara......
Slayer jo baitha hua tha jamin pe abhi wo iss baar chatpatane lag gaya......wo aag aur dark power iss baar....iss baar wo uspe asar kar rahi thi.....aisa nahi tha pahle nahi kar rahi thi.....lekin iss baar uska asar mujhe dikhai de raha tha.....
Wo aag bas badhti hi jaa rahi thi shuru mein to usne hilne ki koshish kari thi aur wo hilla bhi tha.....par uske kuch der baad.....wo bas chilla hi raha tha aur apne jagah pe thoda bahut hill raha tha aisa lag raha tha jaise wo bandha hua ho kisi chizz se......aur tabhi achanak se.....
"Band kardo ab...."
Wapas se mujhe ye aawaj sunai di....aur maine bas apna haath aage kiya aur iss baar bas Dark power hi tha.....usne uss aag ko khatam kar diya.....
Yaha uss aag ki laptein khatam hui hi thi ki aachanak se Slayer ka sarir akadne sa laga.....uska chahra ekdum se upar ki taraf ho gaya aur haath sarir se bilkul durr jaise kissi ne rassi se bandh rakhe ho aur ab unko khinch raha tha.....par baat yahi pe khatam nahi hui.....
Upar ki oor dekhte hue hi uski aankhon se aur muh se dher saari roshani nikalne lag gayi......roshani ki matra bahut hi adheek thi....
Wo roshani nahi thi......wo saare wahi aatmaein thi jo uske ander fanse hue the.....wo itni raftaar se bahar aa rahe the iss wajah se unko dekhna muskil tha......
Main unhi sab ko dekh raha tha...alag alag chahre.....kuch insani to kuch dusre jeev....wo bas bahar aate jaa rahe the.....maine dekha unme se kuch wo uss tarah ke bhi dikh rahe the jaise Dark world se aaye log dikh rahe the.....
Wo sab bas uske ander se bahar aate aur upar ki taraf jaa rahe the.....upar jitne bhi log iss waqt lad rahe the.....wo sab isko dekh ke shant ho chukke the......Khud Lucifer to yaha pe nahi aaya tha par agar hota to iss waqt wo bhi bas rukka hua hi hota.....
Maine iss dauran kuch aur bhi dekha.....unn aatmaon ke upar jaane ke karan jo roshani chahro taraf phaili hui thi uske karaan hi mujhe ek parchai dikhai di thi.....par sayad usne bhi mujhe dekh liya tha aur issi wajah se wo turant hi waha se gayab ho gayi....
Maine yaha waha dekha.....uss parchai ko dhundhne ki koshish kari.....par Mujhe wo kahi bhi nahi dikhe...
Jab Meri nazar wapas se Slayer ki taraf gayi to ab uske haath uske chahre pe the aur wo koshish kar raha tha apne haathon se apne muh ko aur aankhon ko dhakne ki par usse nahi ho paa raha tha.....
Wo aatmainn bas nikalti hi jaa rahi thi theek usi taraf se jaise sode ke bottle ka dakkan kholne pe uske ander ka gan bahar aane lag jaata hai.....
Ye bas hota hi chala gaya......Main usko dekhta raha uski cheekhen sunn raha tha.....
Jwala jo abhi bhi mere ander tha......wo bhi mujhse alag ho gaya......aur abhi bas wo ek chote se cheel ke roop mein tha......mere kandhe pe baitha hua.....Hum dono bas usko dekh rahe the.....
Main - Jwala tum yaha pe kaise.....
Jwala ne meri taraf dekha.....aur bas phir waha se udd gaya wo....
Main kuch samajh nahi paaya.....ye aise kaise chala gaya.....
Main usko bulata raha par wo wapas aaya hi nahi bas uss jagah se udd kar gayab ho gaya jaise......aur mujhe wahi chod gaya DB ke sath jo abhi bhi apne kaam mein laga hua tha aur Slayer ke saath jiska kaam syad khatam hone wala tha......
Meri aawaj se Jwala to nahi aaya par haa Old Owl waha pe jarur aa gaya tha.....
Usne bhi dekha tha sab kuch ekdum se rukk gaya hai koi bhi abhi lad nahi raha tha bas saare ke saare log uss Slayer ko hi dekh rahe the....haa wo DB ko chod ke.....to wo mere pass aa gaya.....
Old Owl - Kya hua Prateek waha kya dekh rahe ho.....ye iske saath aisa tumne kiya kya....
Main - Hmm....sayad....Old Owl ye batao kya Jwala yaha pe aa sakta hai abhi.....
Old Owl - Haa kyun nahi Main usko abhi yaha pe le aata hu.....
Usne bola aur Portal kholne lag gaya......ki Maine usko rokka....
Main - Wo khud se nahi aa sakta kya....
Meri iss baat pe wo mujhe apni gardan tedhi karke dekhne laga.....
Old Owl - Kaisi baat kar rahe ho.....iss jagah pe tum bhi khud se nahi aa sakte the.....Main leke aaya hu tumhe.....Jwala khud se kaise aayega yaha pe.....
Main - par ye....kya tumne mujhe Slayer se ladte hue dekha tha....
Old owl - Nahi Main tumhari hi sunke yaha se waha gaya tha....aur waise bhi yaha jamin pe bahut dhool udd rahi thi upar jyada kuch nahi dikhai de raha tha wo to ab sab saaf saaf dikh raha hai.....
Main - Tumhe pakka yakkin hai naa Jwala yaha nahi aa sakta.....
Old Owl - Tumhe yakkin nahi to tum usko yaha bulla ke dekho.....wo nahi aa paayega yaha pe.....ye jagah hi kuch aisi hai....
Mujhe abhi bhi yakkin nahi hua iss wajah se Maine pukara usko aur koi jawab nahi aaya.....
Main - Old Owl wo yaha tha.....hum dono ek saath milke lade Slayer se....aur uske baad wo chote se cheel mein badal ke mere.....yaha issi kandhe pe baitha hua tha.....phir wo udd ke chala gaya.....Main usko pukarta raha.....par usne koi jawab nahi diya.....bas chala gaya....
Old Owl - Aisa kaise ho sakta....ye kya hai.....
Wo abhi kuch aur hi bol raha tha par usko kuch dikha aur usne apni baat ko badal diya.....Maine uss jagah dekha jaha pe wo ishara kar raha tha.....waha pe 2 roshani ke golle the.....ek thoda pinkish tha aur dusre wala bluish....dono hi yaha waha hill rahe the.....
Maine Slayer ki taraf dekha to ab uske ander se roshani ke saath saath kuch gole bhi bahar aa rahe the jaise mere pass the ussi ke tarah ke.....aur wo bahar aake uske upar ek chakkar lagate aur phir....phir waha se chale jaa rahe thebahut tezz speed mein......par ek gola tha jo uske ander se bahar to aa gaya tha lekin wapas ander jaana chah raha tha halke kale rang ka tha wo gola......par bahut koshish karne ke baad bhi wo ander nahi jaa paa raha tha kyunki ander se bas golle bahar hi aate jaa rahe the aur sayad usme utni takat nahi thi ki wo rokk paaye unn sab ko aur ander chali jaaye.....Maine dekha jo do gole mere pass the wo dono uss kaale golle ke pass gaye....aur ek pal ko to aisa laga jaise wo tinno hi ek ho gaye.....aur phir unme se chingari nikli aur thoda sa dhuwan nikla...aur phir wo alag ho gaye.....Uss kaale rang ke gole ka kalapan pahle se aur kam ho gaya tha wahi baaki ke dono golo ka rang kuch kuch gadha sa ho chukka tha.....aur phir wo mere pass aa gaye....aur wo kaale rang ka gola usne 3-4 aur chakkar lagaye Slayer ke uske baad wo bhi aasman ki taraf chala gaya......aur wahi pe kahi gum ho gaya baaki sabhi ke jaise.....
Main jaanta tha ye do gole kya hai....yaa ye kahu ki kaun hai.....Mujhe inse milna tha....aur naa sirf milna tha balki kuch logo ko inse milwana bhi tha.......
Main - Old Owl Bua ke pass jaao.....aur unse kaho ki wo sabhi gharwalo ko ikkatha kare.....Daksh Mama aur Pankaj ko bhi....
Old Owl - Main tumhe yaha pe akela chod ke.....
Main - iss baare mein hum pahle baat kar chukke hai aur tumhe pata hai ki tumhe meri baat manni hi hogi to jaao aur Bua se kaho jo Maine kaha hai.....agar sawal pucche to bas wahi baat wapas se kah dena...aur uske baad mere pass wapas aa jaana....
Old Owl jaane ke liye taiyaar tha par usse pahle wo piche mudda aur isse pahle wo wapas se mere charo taraf wo ghera banata.....Maine usko rokk diya.....aur jaldi se jaane ko kaha......
Main - Kya wo Sofia thi......
Mere itna kahne se wo dono golle mere charo taraf ghumne lag gaye....Matlab wo Sofia hi thi......
Main - Kya Slayer ke ander abhi bhi Dhruv theek hai.....
Wo dono golle abhi bhi mere charo taraf ghumte rahe......matlab wo theek tha ander.....ye acchi baat thi....
Main - Main aap dono ko baaki sab se milwana chahta hu.....sayad aap bhi yahi chahte hai.....
Wo dono waise hi ghumte rahe.....gol gol mere charo taraf....
Slayer abhi bhi ussi tarah baitha apne chahre ko dhakne ki koshish kar raha tha par ab uska sarir jaise kamzzor hota jaa raha tha.....uski haddiyan dikhne lag gayi thi......sareer sukh chukka tha....aur dekhte hi dekhte.....wo nicche ki taraf gir gaya......par wo roshaniya abhi bhi....waise hi nikal rahi thi.....kuch deer ke baad wo band ho gayi....aur Slayer abhi bas ek haddiyon ka dhancha jaisa dikhai de raha tha saamne......
Thodi der tak jab uska sarir waise hi waha raha uske baad wapas se uska sarir pahle jaisa hone lag gaya.....jo abhi haddiyon ka dhancha dikhai de raha tha wo wapas se apne pahle jaise roop mein aane lag gaya tha.....haa psr aankhon ka rang badal gaya tha......Slayer ko banane ke liye Sofia ne dono tarah ke jaadu ka use kiya tha....par ab.......ab uske ander Dhruv tha to dark magic naa ke barabar hone lag gayi thi....kahte hai aankhon mein sarir ka haal dikhai deta hai bas wahi baat thi.....wo uske nader maujood saari energies ko dikha raha tha.....par abhi usne koi ek colour choose nahi kiya tha....wo bas badalta jaa raha tha.....
Main apne aankhon ke saamne dekh raha tha uske sarir ko bante hue....
Abhi yaha pe ye ho hi raha tha ki DB apne jagah se khada hua.....matlab uska kaam pura ho chukka tha usne Fumos ke energy source ko kaabu mein kar liya tha.....aur shant bhi kar diya tha....yaa ye kaha jaaye usne usko sulla diya....
Agar aisa nahi hota to sayad abhi main aur wo khud aur baaki ke sab jo yaha Fumos pe the....wo sab ke sab yaha waha antariksh mein tairti hui patheron pe hote......naa ki iss pure planet pe.....
Uske aisa karne ke baad waha aas pass jo bhi pathrili jameen thi unke pass bhi chote chote paudhe dikhai dene lag gaye the......
Upar jo aasmaan mein Fumos ke log the.....wo sab ke sab baarish ki bundon ki tarah jameen pe girne lag gaye the....Maine jab wo dekha to meri nazarein Leader ko dhundhne lag gayi.....agar baaki sabhi ki powers jaa rahi thi to uski bhi jaane wali thi....aur wo bhi upar aasman se girne wala tha.....par Maine dekha pass ka hi ped achanak se bada hone lag gaya aur uncha hota jaa raha tha...upar dekha to waha pe Leader tha....aur isse pahle wo nicche girta usne uss ped ko pakad liya tha.....
Ye DB kar raha tha uss ped ke saath......aur jab Leader ne ped ko pakad liya to DB ne usko nicche uttar diya....wo nicche aaya par sath mein Demos wale bhi aa rahe the uspe hamla karne ko aakhir wo abhi tak unke hisab se iss jagah ka leader tha aur jung mein jab tak aap yaa to mar nahi jaate yaa haar kabl nahi karte tab tak aap nahi haarte ho.....to wo to yaha pe isko maarne aa rahe the....
Main kuch karta isse pahle waha pe lage pedon ne wapas se apna kamal dikhaya.....wo jhoom rahe the.....unki pattiyan unke tanne kisi hathiyar ki tarah kaam kar rahi thi......kabhi koi ped kisi Demos wale ko apne pattiyon mein samma leta to kabhi kisi ko apne tanne se maar ke dusre taraf pahucha deta.....
Demos ki aadhi sena inhi sab ke chappet mein aa chukki thi.....aur kyunki unhone aisa kuch pahle dekha nahi tha....iss wajah se unhone waha se bhag jaane mein hi apni salamati samjhi aur bas.....saare ke saare ho gaye 9....2....11...
Iss baat se bekhabar ki jab Lucifer unko binna jeet hasil kiye hue paayega....to wo unka kya haal karega.....
DB abhi bhi uss Suraksha dhere ke ander hi tha.....aur wahi se ye sab kar raha tha.....usne wo ghera toda.....aur usme se bahar aaya.....usne ek nazar Slayer pe daali phir mujhe dekha.....
DB - Tum dono kahi lad to nahi rahe the naa.....
Main - Nahi aisi koi baat nahi hai.....usne bhi mere pass unn do gollon ko dekha....aur bas dekhta raha....phir apni gardan hilate hue aage badha.....
DB - Maine iske baare mein nahi socha tha.....
Mujhe nahi pata ye kya soch raha tha par kuch baatein sirf aur sirf immortals ko hi pata hoti hai.....aur ye baat bhi unhi mein se ek thi.....mujhe yaad nahi kisi bhi Immortal ne iss baare mein kisi dusre ko koi baat batai thi.....
Leader - DB.....Kya ab sab theek hai.....kya Main aazad hu....aur Fumos ka kya hua....
DB - Aap bataiye.....kaisa mehsoos ho raha hai aapko......
Leader - Main.....main theek hu.....haa thodi kamzori si lag rahi hai mujhe.....
DB - wo iss wajah se kyunki ab aapko Fumos ki taraf se milne wali powers nahi mil rahi hai......ab wo saari powers uss ped ko mil rahi hai....aur wo ped.....unn sabhi powers ko aas pass bikher de raha hai....
Leader - To kya Fumos abhi bhi......
DB - Wo gahri neend mein so raha hai....aur abhi usko bahut waqt lagne wala hai......
Abhi hum baatein kar rahe the ki Slayer ka sarir wapas se hilne lag gaya aur wo khada ho gaya......
Leader ne bhi dekha usko.....
Leader - To ab iska kya....
Main - Iski chinta mat kariye ye hamare saath hi hai....
Dhruv(Slayer) - Ha Main aapke saath hi hu....
Yaha ka kaam mere hisab se pura ho chukka tha.....Main bas uss Old owl ka wait kar raha tha.....pata nahi usko kya hua......ek kaam diya tha usko aur usme bhi wo itna waqt laga raha tha.....
Wahi yaha se durr.....
Bahar se jitne bhi log Fumos pe nazrein gadayein hue the......unko ab kuch samajh nahi aa raha tha.....Fumos bilkul se badal gaya tha.......har jagah pe ped hi ped the ab.....pura planet hi jungle jaisa dikhai de raha tha bahar se.....ander kya chal raha tha aur kya nahi ye sab kuch samajh nahi aa raha tha kisi ko....
Kuch ko lagne laga sayad Lucifer ne jeet liya iss planet ko wahi kuch logo ko lag raha tha ki Fumos ne apna roop badal liya unn sab ko harane ke baad......
To upar to bahut halchal thi.....har koi janna chah raha tha par kisi ko kuch pata nahi chal raha tha......
Lekin ek banda tha.....asal mein do the.....ek to Lucifer aur dusra koi aur.......
Lucifer to gusse se pagal ho gaya tha aur apne logo ko maar raha tha.....wahi dusra abhi jo hua wo dekh ke pagal hua jaa raha tha......
Uske hisab se waqt aa gaya tha iss jagah ko tabah kar dene ka.....nahi to Fumos baaki planets pe kabza kar leta.....lekin usne dekha Fumos shant ho gaya tha.....so gaya tha.....aur ye baat usko samajh nahi aa rahi thi.......
Par wo wapas se waha aana nahi chahta tha......usko iss baat ki phikar thi ki kahi usko dekh naa liya jaaye......
Next update mein ek baar Demos ka nazara dekhne chalenge aur Fumos pe kuch kaam bacche hai wo bhi dekh lenge.....saath mein kya Prateek apne Maa Baap ke khooni ke sarir ko apne ghar pe le jaa paayega.....
Fabulous updateUPDATE - 110
Demos pe
Lucifer ki nazarein Fumos pe hi tikki hui thi.....usne apne hisab se chunn chunn ke unn logo ko bheja tha jo iss ladaai mein usko jeet dilla sakte the......par wo bhi kaam nahi aaye.....
Aisa nahi tha bilkul hi nahi aaye......shuru mein jab Lucifer ki sena Fumos pe gayi thi to unka manobal hi kuch alag tha.....wo bahut acche se lad rahe the......khud Lucifer Demos pe baitha kisi yantra se ye sab dekh raha tha aur bada khush ho raha tha.....
Haa usko sab saaf saaf nahi dikhai de raha tha khass kar jameen pe kya chal raha tha wo to bilkul hi nahi.....par chukki uski sena aasman mein hi ladai kar rahi thi to uski jarurat usko padi bhi nahi.......
Lekin jaisa ki hua......ek pal ke liye jab Slayer se wo aatmaein nikalne lagi thi to sab ke sab ekdum se rukk gaye the......wo Lucifer ne bhi dekha par aadha adhura......
Usne bas yahi dekha tha ki Fumos ke saare log kisi chizz ko dekh ke rukk gaye.....aur iss baat ka fayda uthane ke ke badle uske log bhi bas rukke hue rahe.....
Ye dekh uska khoon khaulne lag gaya tha.....wo ekdum se gusse mein aa gaya tha....par phir bhi wo apne daant pista hua wo sab dekhta raha.......
Wo roshani aati rahi kuch der tak aur wo bas ye soch raha tha ki ab uske log hamla karenge ab karenge par......uske log tas se mas nahi ho rahe the.....jaise putle ho saare ke saare.....
Phir acchanak se wo roshani band hui.....aur uske baad.....uske baad jaise aasmaan mein patakhe phootne lag gaye the.....Fumos ke jitne bhi jeev the wo saare ke saare apni jagah pe fatne lag gaye the...Ye dekh ke usko laga sayad uski sena ke kisi ne apni dimmag ka istemal kiya hai aur usko jeet dilai hai.....wo kaafi khush hua tha....aur to aur usne apne pass khade ek sainik se bhi kaha ki uska Fumos jaane ka prabandh kiya jaaye....
Yaha wo sainik thodi durr hi gaya tha aur Lucifer ki nazar wapas se uss yantra pe padi thi ki usko dikhai diya.......
Fumos pe aur bhi jyada ped ugane lag gaye hai.....wo bhi itni raftaar mein ki kuch hi der pe pura fumos hi hara bhara jungle ban gaya tha.....
Pahle dhull ke karan jameen nahi dikh rahi thi aur ab pedon ke karan.....
Wo iss ghatna ko dekh hi raha tha ki usko ek ped aisa dikhai diya jisne apni jattaon se uske kisi sainik pe hamla kiya tha......ye ajeeb tha.....par ye bas shuruwat thi.....
Usne dekha ki uske log unn pedon ki taraf badh rahe the.....par saath hi sath wo ped bhi uske logo ki taraf badh rahe the....aur ye koi ek ped nahi tha....balki ab saare ke saare ped ussi tarah se uske logo pe hamla kiye jaa rahe hai.....
Dekhte hi dekhe uski sena aadhi ho gayi thi....
Lucifer ko kuch bhi samajh nahi aa raha tha....aisa nahi tha usne chalne wale pedon ki prajati nahi dekhi thi.....par ye wo nahi the iss baat pe usko jarra bhi shaq nahi tha....
Lucifer abhi unko pahchanne ki koshish hi kar raha tha ki usko uski sena waha se bhagti hui dikhai di......
Ye dekh ke Lucifer ko bahut gussa aaya ki uski khud se chunni hui ye sena iss tarah se bhag rahi thi......
Banda pahle se gusse mein tha ki tabhi wahi sainik uske pass aaya aur usse kaha ki apke waha jaane ka prabandh kar diya gaya hai.....
Ye sunte hi Lucifer ne gusse se uski taraf dekha aur apne pass padde uss yantra ko uthaya aur usko uss sainik ke upar phenk diya........
Wahi dusri taraf Earth pe......
Earth pe alag hi kuch chal raha tha......Prateek ne Madhu ko jab uski bahno ke saath chod diya tha aur khud waha se Fumos ko nikal gaya tha.....to Madhu ne apni bahno se baat kari......yun to usko pahle se hi kuch andaza ho chukka tha ki Prateek uske saath kya kar raha tha......usko pareshan karne ke liye.....aur baat karne ke baad usko saari baatein aur acche se samajh aa gayi thi.....
Pahle wo kuch der unhi dono ke saath baithi rahi waha pe aur uske baad kuch sochne ke baad wo waha se unn dono ke saaath hi nikal gayi....waise to wo chahti thi ki unn dono ke saath unke ghar jaaye wo par.....abhi usko kuch aur hi karna tha....
Apni scooty se wo apne kiraye ke ghar pe gayi jo usko Daksh ne dilayi thi....aur uske baad wo bahar aayi aur kuch der tak ek khali jagah pe rukki rahi......
Phir waha pe bus aayi aur wo uspe chali gayi.....usne turant hi Ashram jaane ke liye ticket li....
Bus se ashram aane ke baad usne pahle Pujari ji ko dhundhna shuru kiya.....waha usko pata chala ki Pujari ji kisi kaam ko leke school gaye hue hai......to wo wapas se bahar aayi aur phir bus se school ki taraf chal di.....
School pahuchne pe usne waha bhi Pujari ji ka pata lagaya.....par jyada kuch pata hi nahi chal raha tha.....phir usko kisi se pata chal wo Poonam bua se milne aaye hai....to wo chali gayi Poonam bua ke cabin ki taraf......
Par bas yahi nahi thi jo iss waqt waha pe pahuchi thi.....
Poonam Bua ne apne cabin ka darwaja band nahi kiya tha jaane se pahle aakhir baat hi kuch aisi thi......School mein Madhu ko Pujari ji ke baare mein kuch sahi sahi pata nahi lag raha tha iski bhi wahi wajah thi...
Acchanak se ek planet mein bahut se badlaaw aane lag gaye the jisko dekhne ke liye sab dusri jagah jaa rahe the......issi mein darwaja band karna rah gaya tha....
Ab yaha pe Madhu ne darwaja khola aur waha pe ek portal khula kamre ke ander.....aur usme se Old owl bahar aaya tha.....
Madhu ki nazar uss Portal ke muhh pe chali gayi......uska rang alag tha.....aur Bua ke office mein portal se aa jaana ye aasan nahi tha....to usne kuch socha nahi bas paas mein rakhe jug ke paani ko apne haathon se ek bulbulle mein badla aur usko uss Portal ke muh ke pass kar diya.....
Yaha Old Owl bahar aaya aur khud ko uss bulbulle mein kaid paaya usne.....wo picche mudda apne portal se bahar jaane ke liye par der ho chukki thi.....Madhu ne bulbulle ko barf ka bana diya tha.....aur usne usko Portal se durr kar diya.....
Old Owl waha se jaa nahi paaya.....usne dekha ye kisne kiya to saamne Madhu ko paaya usne......
Ab Old Owl ko jab Riyan train kar raha tha to kuch baatein bhi batai thi usne.......aur baatein thi wo Madhu ke baare mein......
Madhu khass hai utni hi jitna ki Prateek hai aur Prateek ke liye to wo aur bhi jyada khass hai to Madhu ko kabhi bhi kisi bhi kimat pe chahhe Prateek ne hi kyun naa kaha ho wo kuch bhi nahi karega......
Aisi aisi baatein usko samjha di gayi thi......Old Owl jab waha se aaya tab se usko Madhu se milne ka mauka hi nahi milla tha....waha se aane ke baad to wo sidha Fumos hi chala gaya tha......
Ab Madhu saamne thi uske.....wo kuch kar bhi nahi sakta tha.....
Madhu ne ab dekha ki kaun hai ander......usne pahle bhi Old Owl ko dekha hua tha.....
Madhu - wahhh to ab apni hi Bua pe nazar rakhne ke liye tumhe bheja hai usne.......pata nahi kya chalta rahta hai iske dimmag mein.....
Old Owl - Aap....galat samajh rahi hai.....Main to bulane aaya tha unko....
Madhu - Main galat nahi samajh rahi.....tumne kya mujhe apni tarah samjha hai ulllu....
Old Owl - Aap galat samajh rahi hai......main yaha pe sach mein unko bulane ke liye aaya hu.....
Madhu - Kaha bulane ke liye aur wo Prateek kaha hai.....aaj usne mere saath jo kiya hai uske liye Main usko kabhi bhi maaf nahi karne wali......
Old owl - Wo yaha nahi hai.....wo Fumos pe hai.....aur usne kaha tha ke uski Bua se kahu uske gharwalo ko ikatha kare.....
Madhu - Wo Fumos pe hai......ye to wahi planet hai naa jaha pe....jail hai....
Old owl - haa usko sab jail ki tarah istemal karte hai....
Madhu - To ab kya wo apne pariwar ko waha le jaana chahta hai.....
Old Owl - Nahi usne bas kaha ki Bua se kaho sabko ek jagah pe ikatha kare......
Madhu - Jab tak mujhe ye nahi pata chalta ki kyun.....main ye nahi hone dungi.....
Old owl - Dekhiye wo mera intezaar kar raha hoga....aap mujhe jaane dijiye.....
Madhu - Karne do usko intezaar aaj jo usne mere saath kiya hai naa.....uske liye ye sahi hai....bilkul sahi hai....
Madhu kuch bhi sunne ko taiyaar hi nahi thi wo to bas apni baat pe hi addi hui thi ki jab tak puri baat nahi pata chalegi wo usko nahi jaane degi......
Ab bechara old owl bataye bhi to kya....bataye usko.....jo uske samajh mein aa jaaye......pahli baat agar Old Owl sab batata usko to wo yakkin nahi karti ispe aur jab yakkin nahi karti to jaane nahi deti
Yaha ye chal raha tha iss wajah se Old owl wapas aa nahi paa raha tha Fumos pe.....
Ab Fumos pe chalte hai.....
Yaha pe ek sawal kiya tha DB ne Prateek se......jiska jawab Prateek ko samajh hi nahi aa raha tha.....darasal baat ye hui ki....
Jab Old Owl nahi aa raha tha waha pe to DB ne Prateek se puccha aage kya karega wo....Slayer ke sarir ke saath.....
Main - Main kya karunga.....ab ye sarir Dhruv ka hai.....aur wo jo chahe wo kar sakta hai iska......Mujhe yakkin hai ye koi burra kaam to nahi karne wala.....
DB - Ab nahi karega ye par isne isse pahle bahut se burre kam kar diye hai.....tumhe kya lagta hai jab ye Earth pe hamare saath jaayega to kya hoga.....
Main - Kya hoga se kya matlab hai tumhara.....
DB - Manna Earth pe jo bhi isko jaanta tha wo sab ke sab maare gaye the iske dwara par uske baad jo isne dusre planets pe kiya uska kya......aur wo khabrein aur iske baare mein sab kuch sabhi ko pata chal gaya tha uska kya....
Main - Main samjha nahi......
DB - Isne Dark world mein jo kiya....uske baad umhe lagta hai koi bhi planet iss chahre wale sarir ko apne grah pe rahne ki izzazat degi....
Main - par.....kya unhone iska chahra dekha hoga....
DB - Dark world mein to jarur dekha hoga.....uske baad ye baatein dusre jagahon pe bhi phaili thi.....Strange world mein bhi iske jaise ek bande ke baare mein baatein chal rahi thi ek waqt ko......kya pata kisi ne isko pehchan liya to.....
Main - To kya Main isko yaha se chale jaane ko kah du.....ye nahi ho sakta......
DB - Pata hai....jaise tumhare pass ye do roshni ke gole aayein hue hai naa usi tarah bahut se logo ke pass bhi gaye honge....aur mujhe nahi lagta wo ye nahi batayenge ki unki maut kaise hui aur kisne kari.....tum samajh rahe ho....ye baat abhi aur badhne wali hai.....
Main samajh raha tha....par Main iss tarah se Dhruv ko akela kaise chod sakta tha......usko abhi Immortals swikar bhi nahi karne wale the.....uske sarir ke wajah se......aur agar Maine bhi chod diya to wo akela ho jaayega...par DB ki baat bhi sahi thi......Mujhe bhi lag raha tha agar abhi Main apne pariwar walo ko Maa papa se milaunga aur unko pata chalega ki Maa papa ko maarne wala unke pass hi khada hua hai to wo pata nahi kya karenge.....Meri samajh mein nahi aa raha tha aise kaha akele chod du isko.....
Main - par Main isko aise hi nahi chod sakta....
Slayer(Dhruv) - Prateek ye sahi kah rahe hai....aur aap bhi jaante hai Main iss sharir mein kisi bhi jagah pe nahi rah paunga.....
Main ab usko uss sarir se alag bhi nahi kar sakta tha....aur wapas se khud mein milla leta.....Maine iss baare mein sach mein nahi socha tha......kaash mein ye soch leta....kaash Maine wo wadda naa kiya hota isse sarir dene ka.....
Main - To tum kya chahte ho......
Slayer(Dhruv) - Ye jagah bhi theek lag rahi hai.....Main iss jagah pe rah sakta hu....yaha ki suraksha ke liye.....
Main - par iss jagah pe akele...
Slayer(Dhruv) - Akele kaha yaha pe ye ped paudhe to hai naa.....aur wo kaidi bhi to honge.....
DB - Ye kuch sahi lag raha hai Mujhe....agar tum yaha rahoge to koi pareshani nahi honi chahiye.....
Main - Dhruv.....Main ye nahi chahta tha.....maine nahi socha tha ki kuch aisa ho jaayega.....mujhe iss baare mein sochna chahiye tha.....
Slayer(Dhruv) - Ye bas aapka phaisla nahi tha maine bhi aapka saath diya tha....aur aage bhi dunga....
Leader - Main ye samajh nahi paa raha tum sab kis baare mein baat kar rahe ho.....aur ye Slayer ab itna badla badla sa kyun lag raha hai.....
DB - jaisee ye planet badal gaya waise hi Slayer bhi badal gaya hai.....aap isko chodiye aur meri thodi madad kariye.....
Leader - kaisi madad.....
DB - Main yaha pe ek manni ke liye aaya tha......harre rang ka manni.....Usse mere logo ki musibatein khatam ho sakti hai.....wo bas issi planet pe milti hai....kya aap uss jagah ko jaante hai....
Leader - haa....main jaanta to hu.....par....wo yaha se bahut durr hai.....aur mujhe nahi lagta hum yaha pe portal khol paayenge.....
DB - Portal ki jarurat nahi hai.....ye ped hai naa ye leke chalenge humme.....
Leader - ye ped......paaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa............................yeeeeeeeeeeeeee kya haiiiiiiiiiiii....
Leader apni baat puri karta usse pahle hi uske pairon ke nicche se ek jadd nikli aur usne uske pairon ko jakad liya.....aur phir tezzi se wo jaddein aur badi hone lag gayi....aur wo ab ek ped ke upar tha......
Ped usko ussi tarah se aage ki taraf uchal rahe the jaise hi Lucifer ke sena ke logo ko bhagaya tha waha se par haa dheere dheere jisse usko choot naa lage......aur dekhte hi dekhte ek ped se dusre ped tak wo dono hi bahut aage pahuch gaye......
DB - Mazzaa aa raha hai naa.....
Leader - nahiiiiiiiiiii......
DB - kya kaha......sunai nahi diya.......wo jagah kis taraf hai batana jarra.....
Leader ne kisi tarah apne haath se ishara kiya aur uske baad pedon ne unko uss taraf fenkna shuru kar diya.....aur kuch hi der mein dono ne dono waha pahuch chukke the.....
Leader ki halat kharab ho chukki thi.....
Wahi Earth pe.....
Fumos pe kya hua ye bahut logo ne dekha...par ab dhirre dhirre log apne apne kaamon pe jaa rahe the haa par baatein uske baare mein hi kar rahe the....
Poonam Bua bhi Pujari ji ke saath aur K.Bua ke saath apne cabin ki taraf aa rahi thi......
Jaise hi wo tinno ander aaye wo chawk gaye......
Hawa mein ek barf ka bulbula tha.....jisme Old owl tha.....aur wo yaha waha ghum raha tha.....uske alawa aur koi nahi tha room mein......
P.bua - ye yaha......iss haal mein kaise......
Unki baat puri hi hui thi ki cabin ke washroom ka darwaja khoola aur ander se Madhu aayi.....
Madhu - maaf kariyega maine puccha nahi aane se pahle.....
Pujari ji - Madhu tum yaha....aur ye sab kya hai.....
Madhu - ye.....isko usne apni bua pe nazar rakhne ke liye bheja tha....
P.bua - Kya.....Prateek ne isko mujhpe nazar rakhne ke liye bheja tha.....ye nahi ho sakta.....
Old Owl - haa Main yaha bas aapko kuch batane aaya hu.....
Madhu - Arre rukko Main batati hu.....Apka Prateek aap sabhi ko Fumos pe bhejna chahta hai....aur isko bheja hai aapke pass taaki aap sabhi ko ikkatha kar sakko....
Fumos ka naam aate hi waha pe sab ke sab chauk gaye the....unhone abhi dekha waha pe kya hua hai.....aur ab ye aisi baat bol rahi hai.....jisse sabhi ko laga ki sayad Prateek waha pe hai.....
P.Bua - Kya.....Prateek Fumos pe hai.....
Madhu - Haa wo wahi hai....aur aap sab ko waha le jaane wala hai wo....mujhe to lagta hai wahi chod dega wo aap sab ko.....
P.Bua - chup karo.....kuch bhi mat bolo.....aur isko bahar nikalo jalldi se......Old owl mujhe Prateek ke pass le challo.....
Madhu ne ajeeb sa muh bana ke P.Bua ki taraf dekha....par phir Old Owl ko bahar nikal diya.....
Old Owl - main apko waha nahi le jaa sakta.....aap sabhi ko ek jagah pe ikkatha kariye Prateek aapko kisi se milwana chahta hai.....aap sabhi ko......
P.bua - Kya....nahi.....Mujhe uske pass jaana hai....tum jaldi se......
Old Owl ko ek baat samajh aa chuki thi wo yaha raha to usko inn sab ko waha leke jaana hi hoga.....par iss waqt wo khud nahi jaanta tha ki wo jagah kitni surakshit hai to wo ye nahi karna chahta tha.....
Usne hawa mein portal khola aur apni baat dohrai aur waha se nikal gaya.....
P.Bua,K.bua aur baaki sab bhi dekhte hi rah gaye.....
Madhu - Isko chodna hi nahi chahiye tha....ab kya karoge......
P.Bua - wo waha kisi mushibat mein hua to.....Mujhe waha jaana hoga.....
K.Bua - Main bhi chalungi.....
Pujari ji - uss jagah pe aise koi nahi jaa sakta.....Mujhe lagta hai tum wahi karo jo usne kaha hai.....
Pujari ji ko pata tha Prateek ko jyada kuch nahi ho sakta....agar hua hota to Madhu abhi aise to khadi nahi hoti.....uske ander ki Golden power ab tak kuch aisa kar rahi hoti jiski kalpana kar pana muskil hai....
Next update mein dekhte hai Mulakat aur saath mein Dark world wali problem ka solution......
Very nice updateUPDATE - 111
Pujari ji ki baat sunne ke baad waha pe baaki tinno hi unko ghurne lag gayi.......
K.Bua aur P.Bua yaha ka gussa waha nikalne ke chakkar mein aur Madhu.....uska bhi kuch aisa hi tha....
Madhu ne abhi tak jitna bhi sunna tha Prateek ke baare mein yaa khud se dekha tha uss hisab se wo apne pariwar ke sath kuch bhi kar sakta tha......ye ek baat thi jiski wajah se Madhu ko kabhi bhi Prateek accha nahi lag raha tha.....
Haa kabhi kabhi uske dimmag mein kuch acchi baatein aati thi uske baare mein par uske turant baad kuch aisi baatein aa jaati jiske baad wo usse aur jyada chiddh jaati thi.....
Madhu yaha pe apne pariwar ke liye aayi hui thi......wahi dusri taraf ye Prateek tha jiska pariwar uske paas tha par wo unko koi ahmiyat nahi deta tha......ye sab Madhu ka sochna tha.....
Abhi bhi wo issi wajah se gusse mein thi......akhir wo aisa kaise kar sakta hai......waise usko ye pata nahi tha ki Prateek karne kya wala hai wo bas gussa thi.....
K.Bua aur P.Bua iss wajah se gussa thi ki Pujari ji ne kitne aaram se kah diya ke wo accha hi hoga....aur to aur unhone unko Fumos jaane ka koi tarika batane ki jagah sabhi logo ko ikatha karne ko kaha.......
Ye dono iss waqt Prateek se.....Madhu se.....aur uss Old Owl se gussa the.....par shuru mein chukki Pujari ji ne kaha to gussa unpe nikala jaana hi banta tha....
P.Bua - ye kya kah rahe hai aap.....wo waha pe pata nahi kya kar raha hoga theek bhi hoga yaa nahi aur aap.....aap humme yaha pe baith jaane ko kah rahe hai.....
K.Bua - Apko to iss waqt humme waha jaane ka koi rasta batana chahiye tha......Poonam mujhe lagta hai humme IP madam ke pass jaana chahiye.....unse baat karni chahiye....wo sayad humme.....
Madhu ko ab ye samajh nahi aa raha tha wo kaha aur kispe nikale apna gussa......wo Pujari ji ke baat se sahmat nahi thi.....par abhi jo K.Bua aur P.Bua ne kaha usse to wo aur bhi jyada sahmat nahi thi......
Pujari ji - Arre aap dono galat samajh rahe ho.....(Madhu ki oor dekhte hue) Mujhe pata hai wo jarur theek hoga.....aur rahi baat Fumos pe jaane ki to abhi koi bhi madad nahi karne wala aap logo ki.....behtar yahi hai ki aap dono wahi kare jo usne karne ko kaha hai.....
Madhu - Main to abhi bhi kahti hu uss ullu ko chodna hi nahi chahiye tha......
Yaha abhi bhi tu-tu Main main chal rahi thi.....
Wahi dusri taraf.......
Demos pe ab Demos ke wo sipahi pahuch gaye the jo Fumos se bachke bhage the.....pata nahi inki kismat kiss chizz se likhi gayi thi.....
Yaha pe Lucifer jo ekdum se pagal hi ho chukka tha gusse ki wajah se......wo apne haathon mein apni talwaar liye khada tha talwaar mein se aag ki laptein nikal rahi thi.....
Dusri taraf se jo thakki haari sena wapas aa rahi thi unko wo dikha to jarur par der ho chukki thi......Lucifer ne aaw dekha naa taaw bas apni talwaar ko ghumane lag gaya......yaha waha......
Kuch bhi kaho....uske talwar chalane ki speed ko dekh ke koi bhi kah sakta tha ki usne kitni practice kari hogi....uske sath saath uski wo techniques itne gusse mein hone ke baad bhi talwar se cut maarne ka angle ek degree bhi yaha waha nahi ho raha tha.....
Gusse mein bas apna talwar chalate aur apne hi logo ko kaatta ja raha tha wo....
Isme wo ek jasoos bhi tha.....jo dark world wali khabar leke aaya tha yaha pe.......uski kismat acchi thi sayad......yaa buri.....pata nahi....
Lucifer jab apne hi kisi sainik ko maar raha tha to wo uske theek picche tha....aur wo banda nicche gir gaya aur jasoos uske sarir ke nicche dab gaya...wo uth sakta tha.....par yaha pe uth ke bas maut milni thi.....to wo waise hi raha......ekdum waise hi hilla bhi nahi.....
Lucifer ne unn sab bacche hue logo ko maarne ke baad apni talwaar unhi laashon ke dher mein kisi ek laash ke upar jor se maara aur wo talwaar uske ander chali gayi.....aur waise hi khadi rahi......
Lucifer uske baad apne ghutno ke bal baith gaya...aur apna sar upar karke jor jor se dahadne lag gaya.....
Lucifer ke inn harkaton ko koi tha jo upar se dekh raha tha.....aur wo kuch soch raha tha
Fumos pe......
Leader aur DB iss waqt unn maniyon ke pass pahuch chukke the.....Leader ki halat kharab ho gayi thi.......hoga wo bahadur par ye uske liye ekdum se naya tha aur darawana bhi tha.....
DB - hmm wo rahe saare......waise apko pata hai ye yaha pe itne jyada kyun hai.....
Leader - Nahi.....Main nahi jaanta.......aur kya ab hum chal ke wapas jaa sakte hai......
DB - chal ke.....isme bahut waqt lag jaayega......
Leader - Mujhe chalega wo......
DB - theek hai.....jaisa aap kahe....waise maine puccha kya aapko pata hai ye yaha pe itne saare kyun hai.....'
Leader - Maine bataya naa Mujhe nahi pata......iss jagah pe Main bas tab aaya tha jab meri training chal rahi thi......uske baad iss jagah pe nahi aaya Main kabhi....
DB - jaha tak mujhe pata hai ye manni Fumos ke sarir ke khoon se banne hue hai......
Leader - Khoon se......par....
DB - Hmm aapko iss baare mein pata nahi hoga......kabhi fursat mein bataunga......chaliye hum inme se ek tukda le lete hai aur yaha se nikalte hai....
Leader - ek hi kyun ye to bahut hai yaha pe.....hum jitna chahe utna le sakte hai.....
DB - Le ke koi fayda nahi hone wala......mujhe bas ek tukde ka kaam hai.....iss chizz ko yahi pe rahne dena sahi hai.....yaha se bahar jaake ye bas tabahi machane ke kaam mein aa sakti hai aur kuch nahi......aap bas yahi khade rahiye.....main apna kaam karta hu.....
Leader ne iss baare mein kuch socha....par wo saajh nahi paa raha tha usko aisa karna chahiye yaa nahi.....
Wahi dusri taraf Old Owl wapas aa gaya tha waha pe.....
Main - Itna waqt kaise lag gaya Old Owl.....Tumhe to kaafi der pahle hi yaha pe aa jaana chahiye tha......
Old owl - Main fans gaya tha.....issi wajah se mujhe der ho gayi.....
Maine usko dhyaan se dekha....jaha tak mujhe pata tha Riyan ne uske saath jo kuch kiya uske baad wo sayad hi kahi fans sakta tha.....yaha to bilkul bhi nahi......
Main - Tumhe jo bola tha wo kaam ho gaya naa......
Old owl - haa wo kaam ho gaya.....bas thodi si pareshani ho gayi hai......
Main - kaisi pareshani.....kya ussi ke wajah se der hui hai tumko....
Old owl - wo darasal mujhe pakad liya tha.....aur mujhe batana pada tum yaha pe ho.....aur ab waha sabhi ko ye pata hai.....
Maine ye sunna aur mera sar ghum gaya......isne bata diya main Fumos pe tha......agar Main khud se batata to uss waqt baat alag hoti lekin abhi main waha pe pahucha bhi nahi hu aur waha pata chal chukka tha sabhi ko matlab wo sab pareshan honge gussa honge.....
Main - Dhruv lagta hai humme jaldi se nikalna hoga yaha se....
Dhruv - Main soch raha tha ki kyun na apka ek kaam main pura kar du....uske baad yaha pe wapas aa jaaunga.....
Main - Kaun sa kaam.....kiss baare mein baat kar rahe ho tum.....
Dhruv - Apko yaad nahi Dark world wale log aaye the Earth pe.....Main iss waqt Slayer ke sarir mein hu.....isse waha pe sabhi darte hai.....agar main unn sab ko darra deta hu jinhone waha pe logo ko pareshan kar rakha hai to......
Main - Par waha pe aise nahi jaa sakte......Maine unki puri kahani sunni thi.....wo ghera uska kya.....kya tum iss sarir ke saath usko parr kar paaoge.....
Old owl - Isme Main madad kar sakta hu.....main isko waha teleport kar sakta hu.....
Main - Agar aisa hai to Main bhi waha chalunga.....akhir unn sab se kaha tha Main waha aaunga......
Old Owl - par waha jaake bas waqt ki barbaadi hogi.....
Main - Abhi Earth pe bua ko sabhi ko sath laane mein thoda waqt to lagega hi....par ek dikkat hai......Main Maa Papa ka kya karu.....ye waha nahi ja sakte agar waha gaye to inka gharwalo se milna baaki hi rah jaayega....aur yaha pe chod nahi sakta Main inko......
Dhruv - Kya main......Main inko wapas se apne ander le sakta hu kuch waqt ke liye jab waha se hum wapas aayenge to unko bahar nikal dunga.....
Main - Ye mumkin hai kya.....
Dhruv - Ha agar main iss sarir pe apna prabhav thoda kam kar dun to.....aur Main aisa kar sakta hu.....
Maine socha Dhruv hi to hai....ispe bharosha karne mein koi nuksan nahi hai....aur maine haa bol diya....
DB aur Leader bhi wapas nahi aa rahe the.....aur Dhruv ko wapas se yaha lekar aana hi tha....to old Owl se jaldi dark world ke liye portal kholne ko kaha aur hum waha chale gaye.......
Iss jagah pe humne jo dekha wo bahut hi khass tha......Slayer ne sayad apna sabse jyada waqt iss jagah pe hi bitaya tha....aur uske wajah se sabse jyada aatmayein issi planet ki thi uske ander......jo aatmayein takatwar th....wo sab Ma Papa ke tarah hi energy ball mein badal ke aakhiri baar apno se mulakat karne nikal padi thi.....
Wo sab humme issi jagah pe mil rahe the.....
Jaha kahi bhi hum nazar daalte waha pe energy ball hoti aur wo apni kahani sunna rahi hoti apne logo ko....apne pariwar walo ko....
Hum ye dekh hi rahe the ki kisi ne Slayer ke sarir pe hamla kar diya......
Jab humne picche mud ke dekha....to wo waha ke kuch log the.....
Main - Rukk jaao.....ye kya kar rahe ho.....
"Iski wajah se hamare log.....hamare bacche humse alag ho gaye...."
"Isko nahi chodenge hum...."
Ye sab baaki ke log bol rahe the....ki tabhi meri nazar unme se ek pe padi.....wo unn logo mein se tha jo Earth pe aaya tha.....usne bhi mujhe pahchan liya.....
Uske aankhon se pahle se hi aanshu nikal rahe the....pata nahi kya baat thi......
Usne sabhi ko rukne ke liye kaha...aur sabhi rukk gaye.....aisa nahi ki wo waha ka koi raja wagera tha.....bas sab rukk gaye the....
Wo - tum yaha aa gaye.....tumne apna wada purra kiya....
Main - Nahi abhi nahi abhi aapki pareshani ko khatam karna hai humme.....
Wo - Tumne hamare liye ye sab socha......accha laga par....ab to ye bh yaha aa chukka hai....ab sab wapas se.....
Main - arre aap samajh nahi rahe isko Main leke aaya hu.....ye aapki madad karne wala hai.....aap mujhe bas unn sab ke baare mein bataiye jo sabhi ko pareshan karte hai.....
Pahle to kisi ko yakkin nahi hua......kuch ne to manna bhi kiya......par kuch logo ne humme unn sab ke baare mein bataya bhi......
Kuch goblins the.....aur kuch dark world ke Elfs aur kuch vampires.....jo yaha pe apni chalane mein lage hue the....
Humme unn sab ke baare mein pata chalne ke baad Slayer ke sarir ke saath Dhruv sabse pahle waha se nikal gaya......
Usne pata nahi kyun ye socha ki inn sab ko sazza theek ussi tarah se milegi jaise Slayer baaki sab ke saath apni bhukh mitane ke liye kiya karta tha......wo unki aatmaon ko apne ander lene ke baare mein mann bana chukka tha.....
Mujhe iss baat ke baare mein pata nahi tha.....
Wo har uss bande ke pass gaya jinka naam liya gaya tha.....aur chukki wo sarir Slayer ka tha....to jiske saamne wo jaata uski hawa tight ho jaati thi......wo ekdum se kaampne lag jaata......
Dhruv ko jyada mehnat nahi karni padti thi.....bas jaata waha pe aur unke ander se unki aatmaon ko chuss ke bahar nikal leta....aur phir apne ander daal leta.....
Maine usse bas yahi kaha tha unn sab ko sabak sikhao......aur wo pata nahi kya kya kar aaya......
Khair kuch hi der mein wo mere pass wapas aa gaya tha.....
Main - Itni jaldi.....
Dhruv - unn sab ko sazza dena tha....aur iss nek kaam mein deri sahi nahi lagi mujhe to maine jaldi se kaam nipta liya....waise bhi aapko ghar bhi jaana hai......
Maine Dark world ke logo ke liye ek aur message choda......
"Agar aaj ke baad wapas se mujhe pata chala yaha pe koi aur hai jo baakiyon ko nicch samajh ke unko khuchalne ka kaam kar raha hai....to Main usko aisi sazza dunga ki wo soch bhi nahi sakta......." aisa kahne ke baad Maine Old Owl ki taraf dekha.....aur usne bhi turant hi portal khol diya.
Portal khulte hi hum wapas chale aaye.....
Maine dekha Dhruv thoda alag sa lag raha tha.....par mujhe abhi jaldi thi ghar jaane ki to Maine kuch jyada nahi socha......bas usko Maa Papa ko wapas laane ke liye bola......iss baat pe uskne mujhe ajeeb tarah se dekha....jaise maine usse kya hi maang liya ho.....
Khair usne baad mein muskurate hue unko wapas kiya.....tab tak Maine dekha DB aur Leader bhi pass aa chukke the......
Main - Jaldi karo humme jaldi jaana hoga.....
Leader - haa.....rukko bas aa rahe hai.....
Ye bahut durr se paidal aa rahe the.....
Maine wapas se Old owl ki taraf dekha usne bhi portal khol diya aur hum tinno aur sath mein Maa papa waha se nikal ke Earth pe aa gaye......
Iss Old Owl ne ghar ke pass hi humme teleport karaya tha.....isse jyada yaha waha jaane ki jarurat nahi padi humko......par ek baat ye bhi thi.....kuch sochne ka mauka bhi nahi milla mujhe.....jisse Main bach paata....
Khair hum darwaje ke taraf badhe hi the ki ander se hi kisi ne darwaja khola.....aur tezzi se hamare taraf aa rahi thi.....
P.Bua thi wo......
Aate ke saath sabse pahle to mere saamne rukki aur mujhe dekhne lag gayi......puri acchi tarah se jaise scan kar rahi ho......aur main....main waise hi khada tha......
Ye jo mere saath aaye the.....wo pahle hi aage badh gaye ghar ki oor.....rukke hi nahi mere liye.....
Bua ne jab dekh liya sab theek hai ki nahi to unhone khinch ke ek thappad maara mere gaal mein.....
Abhi wo energy ball jo mere kapdo ke ander the.....wo bahar aa gaye.....aur Bua ke charo taraf ghumne lag gaye.....
Bua - Ye kya hai.....inko rokko abhi......warna tumhe....
Main - ye....wo.....
Bua -Maine kaha rokko samajh nahi aata.....
Waise to Main jaanta tha unko kaise rokka jaaye yaa phir unse koi kaam karana ho to kaise karaya jaaye....par isse unko bahut taklif hoti....aur Main ab innko takleef nahi dena chahta tha.....
Bua ko gusse mein dekh ke unn do energy balls mein se ek sidha ghar ki taraf chala gaya....aur ander jaake sabhi ko apni taraf aakarshit kara...aur phir bahar le aaya.....
Sayad bua ne kisi aur ko ye nahi bataya tha Main kaha pe tha.....agar batati to ekdum se unka chahra badal nahi jaata.....
Sabko bahar aate dekh unhone bas mera haath pakda aur mujhe ander leke jaane lag gayi....wo energy balls bhi hamare sath jaa rahi thi.....
Main jab ander gaya to waha pe pujari ji bhi the.....aur saath mein Madhu bhi.....Pankaj aur Daksh Mama bhi the waha pe......
Wahi dusri taraf......
Yaha hum Fumos se bahar nikle hi the ki waha pe koi aur chala gaya tha.....wahi immortal jo uss jagah ko tabah karne aaya tha......par ab usko alag hi kuch ho gaya tha......wo experiments ke baare mein soch raha tha....wo bhi pata nahi kaise kaise......
Hua yun ki usne apne itne saal....itne hazaron saal ke experience ke madad se ye natiza nikala tha ki agar aas pass ke planets aur waha ke jeevon ko bachana hai......to usko Fumos ko puri tarah se khatam hi karna hoga.....par yaha aane ke baad usne kuch alag aur naya dekh liya.......
Kuch aisa jisne uske hazaron saal ki expernience se nikle natize ko bhi jhoothla diya tha.....aur ek naya hi natiza uske saamne tha.....jisme Fumos ko khatam karne ki jarurat hi nahi padi aur baaki sab bhi theek thaak tha.....
Prateek ke baare mein dekha tha humne usne kaise kuch ginne chunne jeevon ki jindagi mein dakhal daala aur unko puri tarah badal diya tha......Khooni ghudsawaron ki raani Rupal didi ko yaa aur bhi log the unko......Waise hi Riyan ka bhi kuch aisa hi tha.....wo ajeeb se jeev banata aur unko yaha waha chod deta aur dekhta wo kaha tak jaa sakte hai.....kya kya kar sakte hai....
Ye aadat lagbhag har ek Immortal mein thi.....
Niyam banne hue the unn sab ke liye ki koi bhi kisi dusre jeev ke jivan ke saath koi ched-chad nahi karega....par iss baat ko har immortal kabhi naa kabhi bhul hi jaata tha......
Waisa hi kuch ab hone wala tha.....yaha pe
Inn Immortal ko experiment karne ki chull mach gayi......aur inhone aas pass ke chizzon ke saath aisa karna shuru bhi kar diya.......
Slayer ke body pe usko experiment karna tha....usko dekhna tha ki ek sarir mein do takatwar aatmayein kab tak saath mein rah sakti hai.....usne uske sarir mein dekha....Justin ke alawa aur koi nahi milla usko jo Dhruv ko takkar de sakke.....to usne Justin ko aur takatwar bana diya.....
Par iss immortal ne ek aur kaam kiya.....usne waha pe lage pedon ko bhi aur shaktiyan de di....saath mein planet pe ek gheera bana diya....usse log ander aa sakte the....bahar bhi jaa sakte the.....bas Slayer ka sarir bahar nahi jaa sakta tha waha se......wo wahi pe badh gaya tha....
Ek aur khass baat th uss ghere ki......jab koi uss ghere ke ander yaani ke iss Planet pe aata to uske ander beshumaar takatein aa jaati thi.....aur jaise hi wo ghere se bahar jaata wo saari takatein aise gayab ho jaati jaise ki wo thi hi nahi.....
Itna sab karne ke baad wo Immortal waha se chala gaya apne jagah pe.....aur Fumos pe saath saath Slayer ke sarir pe nazar rakhne ka kaam shuru kar diya.....
Awesome updateUPDATE - 112
Prateek ek haath se apne gaal ko pakde hua tha aur uske dusre haath ko uski Bua ne pakda hua tha aur usko ghar ke ander leke jaa rahi thi.....
Gharwale pahle se hi thode pareshan the......unn sab ko achanak se bulla liya gaya tha Poonam Bua ke dwara......aur puchne pe kuch bataya bhi nahi unhone.....bas ye kaha ki Prateek ko to aane do....jab wo aayega to sabko ek saath batayegi.....
Abhi jab wo aaya to uske saath ghar mein ek energy ball bhi aake ghum ke gaya....wo log iss wajah se aur bhi chauk gaye.....wo energy ball ghar ke suraksha kawach ke ander aa gaya tha....wo bhi aaram se....
Wo sab ussi ko to dekhne ke liye bahar ki oor jaa rahe the aur unko Prateek dikh gaya.....Poonam Bua uska haath pakad ke usko unki taraf hi leke aa rahi thi......
Aur wo energy balls abhi bhi Prateek ke charo taraf ghoom rahi thi...
Nikita - Rupal didi ye.....ye kaisi chizz hai....aur ye uske charo taraf aise ghoom kyun rahi hai.....
Rupal - Pata nahi Nikita.....Maine bhi isko aaj hi dekha hai....aur mujhe yaad nahi aa raha iss jaisi chizz ke baare mein kabhi padha ho Maine......Tunne wo dekha kya.....
Nikita - Kya....
Rupal - Usko dekh uska haath kaha hai.....lagta hai aaj phir se kutta gaya ye.....
Nikita - arre haa inn golo ke dekhne ke wajah se meri nazar uske gaalon pe gayi hi nahi....
Chachi - Maa ye kya hai....ye ghere ke ander aa gaya aur humme usko binna dekhe pata bhi nahi chala...
Dadi - Main wahi soch rahi hu bahu......iss chizz ke baare mein sayad kisi se suna tha maine.....par mujhe yaad nahi aa raha...
Ye sab yaha apni pani baatein kar rahe the wahi Prateek ko leke pahuch gayi thi Poonam Bua ghar darwaje pe.....ab sab wahi pe khade the to unhone kuch kaha nahi bas unko dekhti rahi.....lekin wo sab to apne mein hi lage hue the darwaja gher ke.....
Poonam Bua- Aap log humme ander aane denge bhi yaa nahi.....darwaje pe kyun khade ho saare.....
Gussa hone ki wajah to kaafi thi unki jaise ki wo puri baat jaan nahi paayi Prateek se.....kyun ki ye sab ke sab darwaje pe aa gaye the.....dusri ye ki wo dono energy balls.....unko Prateek ke aise chakkar kaatte hue dekh unko aur gussa aa raha tha kyunki wo bhi ek wajah the baat puri naa hone ka.....par gussa nikala unhone baaki sab pe jo darwaje pe khade hue the.....
Bua ne jor se apni baat kahi.....aur unki baatein sunne ke baad saare log ekdum se unke gusse se laal chahre ko dekhne lag gaye.....kisi ne bhi jyada kuch puchne ka socha hi nahi kyunki lagbhag saare hi unke gusse ko jaante the.....bas phir kya.....
Saare ke saare ander jaane lag gaye par Bua ke picche pahle unko aur Prateek ko ander jaane ki jagah di unhone.....uske baad hi baaki ke saare ander jaane lage the....
Abhi bhi wo saare unn do energy balls ko hi dekh rahe the...aur janne ki koshish kar rahe the aakhir wo hai kya.....
DB aur Leader dono ander aaye to the par bas jaake Pujari ji ke pass khade ho gaye the.....ek unme se apni beti ko dekh raha tha aur soch raha tha ki ab wo usko sab bata sakta hai......dusra pujari ji se baatein kar raha tha....
Jaise hi hum ander gaye aur darwaja band hua.....ander aur jyada roshani phail gayi......aur uske baad jo hua usko dekh ke sab hairaan the.....kisi ko samajh nahi aa raha tha ki kya bole kaise bole.....bas aankhen faadein dekhe jaa rahe the.....
Kisi ko bhi kuch samajh nahi aa raha tha.....yaa yun kaho ki yakkin hi nahi ho raha tha ki abhi jo wo dekh rahe hai wo sab sach hai yaa koi sapna......
Kisi ki himmat nahi ho rahi thi ki kuch kare......ek darr tha unke ander agar ye sapna hua aur maine kuch kiya to kahi ye tut naa jaaye.....
Ye haal gharwalo ka tha.....baaki jo alag se the jaise Nikita, Madhu, Pujari ji, Leader aur DB ye bas dekh rahe the.....kabhi unn dono ko to kabhi baakiyon ko jo ekdum se murat ki tarah ban gaye the.....
K.bua baakiyon ki tarah nahi thi....wo baharwali hoke bhi gharwalo ke jaise hi thi.....
Madhu se tab raha nahi gaya jab usne dekha Daksh ke aankhen ekdum se aashuon se lablabba gayi hai.....tab usne inn sab ke bich bolna shuru kiya.....
Madhu - Ye dono kaun hai.....aur aap sab....
Ab wo bol rahi thi to Nikita ne bhi uski baat ko dohraya......par uske baad bhi koi khass asar nahi pada tha....
"Bhaiya...kaise ho aap"
Ye sabd jaise hi Daksh Mama ke kaano mein pade.....jo aanshu abhi tak aankhon mein fansse hue the.....unko jaise rasta mil gaya.....honth chal nahi paa rahe the.....kaanp se rahe the.....kisi tarah khud ko sambhalte hue.....
Daksh - Neelam ye sach......sach mein tu hi hai.....
"Haa Bhaiya......Main hi hu.....aap kya bhul gaye mujhe....haa...."
P.Bua - Paarth.....
"Poonam....."
P.Bua - Maa.....aapne sunna.....Papa.....dekha aapne.....Bhaiya dekho....ye....ye Parth hai....hamara Parth...
Dadi - Haa....Poonam....haa ye...ye Parth hi hai.....
Khud ko bahut sambhalne ke baad kaha tha ye Dadi ne......aur itna kahne ke baad aage badhi ki ek baar apne bete ko chu sakke......par wo mumkin nahi tha.....
Ye bhi kisi sazza se kam nahi lagta.....aap kisi se bahut arson baad mile wo bhi tab jab aapko koi ummid hi nahi thi ki mil sakenge....aur jab mille to bas ek dusre ko dekh bhar hi sakte hai aur kuch nahi.....bas dekhna aur baatein karna....
Dada ji bhi ro rahe the par uss tarah nahi theek wahi haal Chacha ji ka tha......Par bua, Chachi aur Dadi ka haal alag sa tha....
Aisa hota hai aksar dekha jaata hai ye.....Bhai Bhai ke bich ka lagav Baap Bete ke bich ka lagav dikhai nahi deta agar hum Bhai bahen ke bich ka yaa Maa bete ke bich ka lagav dekhe.....par wo hota hai....aisa nahi ki ye hota hi nahi hai....
Neelam aur Daksh mama ka bhi kuch aisa hi chal raha tha.....Neelam ki jo aakriti banni hui thi usme saaf saaf dikhai de raha tha ki uske aankhon se aanshu nikal rahe hai.....par Daksh unko ponch nahi paa raha tha....
K.Bua ke bhi aashu aa rahe the par wo waha se kuch dur chali gayi thi.....aur saath mein Madhu aur Nikita ko bhi leke chali gayi thi.....khud se nahi unko sawal karne the iss wajah se wo dono gaye the.....
Jab unhone dekha Prateek bas aise hi khada hai.....to unko laga sayad isko pata nahi ki ye kaun hai.....jab ki unhone khud hi dekha tha baaki sab Paarth aur Neelam ka naam le rahe hai..
K.Bua - Prateek.....ye tumhare Maa Papa hai.....jaao millo unse.....
K.bua ki baaton ne jaise baakiyon ko jagga diya......unn logo ne to phir bhi waqt bitaya tha unn dono ke sath par Prateek ne.....usne kaha waqt bitaya tha......chota sa tha.....sayad yaad bhi naa ho usko ki wo dono kaun hai.....
Poonam Bua uth ke gayi Prateek ke pass aur usko Paarth ke saamne leke aayi....
Aisa bilkul nahi tha ki Prateek ko inn sab se koi matlab hi nahi tha....matlab tha bahut matlab tha....tabhi to uske aankhon mein aanshu the.....wo baakiyon ko khush dekh ke khush ho raha tha.....
P.Bua - Prateek ye.....ye tumhare Papa hai.....Parth ye....ye Prateek hai tumhara aur Neelam ka beta.....
Parth - Hmm humme pata hai.....yahi to humme yaha leke aaya hai....
Prateek ne nahi socha tha ki Parth kuch aisa kah dega.....ab usko sab kuch batana hoga sabhi ko....
Jab sabne ye sunna to sab ke sab Prateek ko hi dekhne lag gaye....jaise intezaar mein ho ki wo kab kuch kahega......
Maa samajh jaati hai apne baccho ki pareshani.....Ye sacch hi hai....
Jab wo kuch nahi bol paa raha tha to Neelam uske pass aa gayi....
Neelam - inn sab ke baare mein kabhi aur baatein kar lena.....abhi hum aaye hai to hume tumko dekhne do.....
Neelam ne apna haath badhaya par aadhe mein hi rukk gayi...usko laga jaise baaki log usko nahi chu paa rahe hai waise hi wo bhi apne bete ko nahi chu payegi....aur isse sayad prateek ko dukh ho....to usne bich mein hi haath mod liya apna.....ye kisi se bhi chuppa nahi magar....
Haa par isse ye hua ki Prateek ke upar se dhyaan hat gaya tha sabhi ka......
Madhu - Kitna bura hai ye.....
Nikita - haa samne hoke bhi.....chu nahi paana.....
Nikita jab ye bol rahi thi to uske ander bahut kuch chal raha tha.......ek to wo jal rahi thi abhi Prateek se......par usko ye dekh ke bura bhi lag raha tha Prateek aur uski Maa ke liye......wo ye bhi soch rahi thi ki kya kabhi uske saath bhi aisa kuch hoga......kya uske Maa Baap bhi kisi din.....
Itni saari baatein chal rahi thi uske dimmag mein ki ab chahera ekdum se sapat ho gaya tha.....koi expression hi nahi baccha tha.....ya ye kahe itne emotions ummad rahe the ki samajh hi nahi aa raha tha ki kaise expressions dikhaye jaaye.....
Chachi ne jab ye dekha ki Neelam Prateek ko chu bhi nahi sakti to uska dhyaan batane ke liye unhone Rupal didi ko aage kar diya.....
Chachi - Neelam Paarth isko jaante ho kya tum dono.....
Sab samajh rahe the ki kya chal raha ha....kisi ne kuch aisa nahi socha ki wo Chachi Neelam ko apne bete ko dekhne bhi nahi de rahi hai....accche se milne bhi nahi de rahi hai....
Neelam - ye Rupal hai kya......itni badi ho gayi ye.....Paarth pichli baar to kitni choti thi naa ye.....
Paarth - Haa.....dekho ab kitni badi ho gayi hai.....
Abhi unhone aisa kaha hi tha ki unn dono ki aakritiyan thodi aur dhundhli si ho gayi......
Ye dhundhlapan pahle bhi aa raha tha.....aur sabko dikhai bhi de raha tha par sab unse milne mein itne khoye hue the ki dhyaan hi nahi diya kisi ne......par iss baar aisa nahi hua.....
Ye dhundhlapan ye bata raha tha ki unke pass waqt kam hai.....aatmaon ko baandh ke nahi rakha jaa sakta agar rakha jaaye to unki yaadein dhundhli hone lag jaayegi jaisi ki unki aakriti hoti jaa rahi hai.....aur kuch waqt baad unko khud ke baare mein pata nahi hoga aur naa kisi aur ke baare mein......wo bas khud ko uss jagah pe fansa hua paayenge aur kuch bhi karenge uss jagah se nikalne ke liye.....
Wo logo pe hamla karenge unko pareshan karenge taaki unko waha se jaane diya jaaye....iss dauran wo apno ko bhi nuksan pahucha dete hai......
Sabne unn dono ki aakriti ko dhundhla hote dekha aur uss baare mein puccha......
Parth - Hamara waqt khatam ho raha hai....
Dadi - Kya matlab waqt khatam ho raha hai......
Neelam - Humme jaana hoga....hum yaha par aakhiri baar sabse milne aaye the.....
Dadi - nahi Neelam abhi nahi.....abhi to hum mille bhi nahi....aur....aur maine....maine mafi bhi nahi maangi.....
Neelam - Apne aisa kuch bhi nahi kiya jiski wajah se aapko maafi maangni pade....Prateek ka dhyaan rakhiyega....
Parth - Beta sabki baatein sunna aur......agar koi kabhi kabhi daant bhi de to naraz nahi ho jaana....
Neelam - aap sab apna khayal rakhna.....Bhaiya, Pankaj bacche Prateek ka dhyaan rakhna.....
Prateek jaanta tha.....wo unn dono ko yaha pe rok sakta hai par isse bas dard milne wala tha.....agar wo abhi rukk gaye to aage kabhi bhi.....kabhi bhi yaha se nahi jaa paayenge anant kaal ke liye issi jagah pe fanse rahenge wo....aur unki yaadein dhundhali ho jaayegi...
Sayad agar ye pahle wala Prateek hota to wo ye karne ke baare mein sochta.....par ab wo badal raha tha....aur usne uss panne ko chod aage badhne ke baare mein socha....haa par usko ek baat ka bura lag raha tha wo chahta tha thoda aur waqt mille sabko....par isme wo kuch nahi kar sakta tha...
Pujari ji - (dheere se) Madhu dekho ye ab jaane wale hai kya tum inhe rokna chahti ho....
Madhu sabhi ko aise dekh ke emotional ho chukki thi sochne ki kashamta usme thi par jyada nahi....
Usne bas haa mein sar hilla diya.....
Pujari ji - Jaao unn dono ko jaake chu aao...
Madhu ne nki baat sunni ek baar unki taraf dekha.....aur bas binna kuch bole aage badh gayi.....aur badhne ke baad Madhu ne Parth aur Neelam ko chu liya.....
Yaha Prateek bhi unko chu sakta tha....par wo iss wajah se darr raha tha agar usne aisa kuch kiya to uski dark energy unke ander naa chali jaaye.....
Wo dono energy ke form mein the.....yun samajh lo paani ab agar kala rang daal de unme chahe ek hi boond kyun naa wo unpe effect karenge.....
Dark power hai bhi distructive.....
Madhu ke saath aisa nahi hai....uski power creative hai.....chizzon ko bana sakti hai.....jab usne unn dono ko touch kiya.....wo jo dhundhlapan tha unme......wo khatam ho gaya aur saath hi saath dono ekdum se chamakne lag gaye.....
Ye kya hua waha pe bas do log samajh paa rahe the prateek aur Pujari ji......DB tak ko iss baare mein utna pata nahi tha......usko to ye bhi pata nahi tha ki Slayer ke sarir se ye aatmayein nikalne wali hai....
Prateek iss baat ko jaanta tha par wo ye karana nahi chahta tha.....usko nahi pata tha Madhu iske baare mein jaan ke aage kaise react karegi......
Next update mein thoda aur family drama
Amazing updateUPDATE - 113
Jab Parth aur Neelam ki aakritiyon mein Golden power gaya.....dono ke dono hi chamakne lag gaye the.....aur wo bhi bahut jyada......logo ko aankhen band karni pad gayi thi thodi der mein......
Sabhi ko nahi.....
Pujari ji iss roshani ko jaante the.....unki aankhon mein itni kshamta thi ki wo isko dekh sakke.....Prateek ka bhi aisa hi tha....aur Madhu ke baare mein kya kahna wo to khud hi Golden power ki source thi......
Dadi (Aankhen kholne ki koshish karte hue) - Rukk jaao abhi.....abhi mat jaao.....
Band aankhon se bhi aansu bahe jaa rahe the....
Unko aisa laga sayad Neelam aur Parth jaa rahe hai iss wajah se ye te roshani hui hai......Baaki sab ko bhi aisa hi lag raha tha.....ab unhone hi bataya tha unke jaane ka waqt ho chala hai.....aur ab kuch waisa hua....to sabko laga ki wo jaa hi rahe honge......
Ab roj roj to aatmayein aati nahi waha pe.....to unhone aisa soch liya......aur Dadi hi kya.....lagbhag sabhi ka yahi haal tha......
Ek to unn dono se milne ki koi ummid hi nahi thi sabhi ke pass aur wo aaj waha pe aa gaye the....aur ab jaane bhi wale the wo bhi itni jaldi......
Neelam aur Parth ko iss waqt kuch alag hi lag raha tha.....wo pahle se energy ke form mein the.....aur ab ye energy aur milne se wo aur jyada energetic ho gaye the....
Prateek Madhu ki taraf dekh raha tha bas......uske dimmag mein bas yahi baat chal rahi thi ki agar kahi uski sochi baatein sach ho gayi to naa jaane kya hoga.....Agar yaha pe Madhu sambhal nahi paayegi to bahut muskil hone wali thi......agar aisa nahi hua to naa sirf Madhu ko pareshani hogi balki waha pe jo koi bhi hai sabhi ko......
Golden energy creative energy hai par cancer jaisi bimari bhi kharab cells ke bahut matra mein creation hone ke karan hi hoti hai....Prateek iss baat ko jaanta tha agar Golden power kisi tarah yaha pe bahar aane lag gaya aur Madhu ne kaabu nahi kiya to wo energy yaha pe khade sabhi ko itni takat de dega ki saare ke saare uss takat ki matra se mar jaayenge.....bas yahi nahi wo badhti hi jaayegi aur kaha rukegi iska anuman lagana muskil hoga......
Wahi dusri taraf Madhu......wo bas ye soch rahi thi ki chalo kuch Prateek ke Maa Papa abhi waha pe aur rahne wale hai.....usne ye sab socha hi nahi ki usne ye kaise kiya.....yaa kya kiya usne.....aisa kuch bhi nahi....wo bas khush si thi.....ki usne kuch accha kiya hai.......muskura rahi thi wo.....
Prateek usko hi dekh raha tha.....usko muskurate hue dekh wo kuch samajh hi nahi paaya.....usne kya kya soch rakha tha.......
Overthinking bahut buri chizz hoti hai log naa jaane kya kya soch ke baith jaate hai......(log to itne chutiye hote hai kya bataye sawal puchne se katrate hai kahi jawab dene wala uss sawal ko hi galat naa bata de....)
Khair iss dauran Neelam aur Parth ke aakritiyon se nikalne wali roshani thodi kam hui thi par wo thi abhi bhi....ab log apni aakhen khol paa rahe the......
Jab sabhi ne baari baari se ye dekha ki wo dono abhi bhi wahi pe hai to sab bahut khush hue....ummid nahi thi naa iss baat ki.....
Sab wapas se unki taraf badh gaye......jaise pakadna chahte ho.....Ye pata nahi kya tha.....koi sazza yaa phir kuch aur......wo sab Neelam aur Parth ke samne the.....par chu nahi sakte the.....ek pal ko unko laga ki sayad ab wo waha se chale jaayenge.....par dusre pal wo waha se gaye nahi kuch der ke liye aur wahi pe rahne wale the.....
Ummid ye kisi sazza se kam nahi hoti.....bahut dukh deti hai ye ummid.....Khair iss waqt Madhu jo bas muskura rahi thi usko Pujari ji ne picche apne pass bula liya.....chunne ke baad wo khud se picche to gayi thi par abhi bhi pass mein hi thi Parth aur Neelam ke...
Pujari ji usko apne pass bula lete hai....
Prateek iss waqt tak usko hi dekh raha tha to usne ye bhi dekha....aur ye dekhte hi usko bahut gussa aaya.....Pujari ji ne abhi jo kiya tha uska natiza bahut bura ho sakta tha.....
Par abhi Prateek kuch kar nahi sakta tha siway chup chap khade rahne ke......
Dadi - Prateek......Prateek kya kar rahe ho.....hum kab se tumhe bula rahe hai....
Prateek - Haa Dadi....wo main bas.....
Dadi - Yaha aao....(Prateek ka haath pakad ke) Neelam tumne to kah diya ki humne koi aisa kaam nahi kiya tha jiski wajah se humme tum dono se maafi maangi pade.....par tum bhi jaanti ho.....agar uss waaqt humne shant dimmag se socha hota to.....sayad aaj hum sab saath hote.....aur Prateek ko itne waqt tak......apne pariwar se durr nahi rahna padta....
Neelam - Ye sab to kismat ki baat hai.....agar hum yaha pe hote aap sab ke saath to sayad kuch aur bhi bura ho jaata....aapko inn sab ke baare mein nahi sochna chahiye.....
Paarth - Haa Maa aap kyun baar baar ye sab soch ke khud ko taklif deti ho.....kuch chizzen humne khud bhi chunni thi....(Chacha ki oor dekhte hue) Maa aapko yaad hai jab Bhaiya ne mujhse dost banane ke baare mein baatein kahi thi....aur main unki baaton ka mazak udda raha tha....
Dadi - Haa yaad hai....uss din tum dono ke bich kaha sunni bhi ho gayi thi issi wajah se.....aur maine tinno ko sazza di thi....
Paarth - haa galti hum dono karte the aur sazza Poonam ko bhi di jaati thi....(shant hoker) Maa uss waqt hi der ho gayi thi.....
Waha Parth Dadi se baatein kar raha tha to dusri taraf Daksh Neelam se....
Daksh - Neelam tu chinta mat karna....Main Prateek ke sath rahunga.....uska dhyaan rakhunga....
Neelam - ye bhi koi kahne ki baat hai Bhaiya.....Mujhe to pata hi hai aap aisa hi karoge.....agar nahi kiya to...to aap jaante hai na main aapse naraz ho jaaungi....
Iss baat ko kahte hue uske aakhon mein bhi aashu wapas aa gaye the saath hi Daksh ke bhi....
Daksh se raha nahi gaya aur ek baar phir se apna haath aage badhaya usne apni bahen ke aashu pochne ke liye......aur jab aisa hua.....to dono hi hairaan ho gaye.....
Iss baar pata nahi kaise.....par jab Daksh ne Neelam ki aakriti ko chunne ki koshish kari to usko kuch kuch mehsoos hua tha.....aur aisa hi kuch khud Neelam ko bhi laga tha.....
Daksh (aankhen badi karte hue) - Neelam.....kya...tujhe bhi....
Neelam - Haa....haa bhaiya maine apka haath mehsoos kiya....kya aapne bhi....
Daksh - Haa....Neelam haa....rukko.....Prateek....Prateek yaha aao....
Prateek jo iss waqt dadi ke sath wo us taraf mudta usse pahle hi Neelam khud uske pass pahuch chukki thi.....wo kuch samajh paata usse pahle hi Neelam ne apna haath uski taraf badha diya tha......wo picche jaana chahta tha par der ho chukkki thi......
Neelam ne usko chu liya tha.....
Prateek ne sabse pahle apne ander maujood dark power ko ekdum se apne dil ke pass ikatha kar liya......Dark power pure sarir mein hota hai uske.....par isme der ho gayi thi.....
Neelam ki aakriti jo abhi chamak rahi thi wo dhire dhire wapas se dhimmi padti jaa rahi thi....
Parth - ye kya ho raha hai.....tum aisi kyun.....
Madhu jo ye sab dekh rahi thi.....usne jaise hi dekha ki Neelam wapas se dhundhli hoti jaa rahi hai.....wo apni jagah se aage badh gayi.....aur theek Prateek ke pass jaake khadi ho gayi....aur apna haath unki taraf badhaya....
Madhu - Hello....Main Madhu hu....apke bete ki dost......
Madhu ka haath lagna tha Golden power wapas se jaane lag gaya Neelam ki taraf......
Abhi Neelam ko kaisa mehsoos ho raha tha ye baat sirf Neelam hi samajh paa rahi thi aur saath mein Prateek......haa chunne ki wajah se thoda bahut Madhu ko bhi samajh aa raha tha......
Jab Madhu ne Neelam ko chua to uske dimmag mein tasveerein banne lag gayi.....andhera jo ujale ko khaye jaa raha tha....par uss andhere ke bich se hi ek roshni badhne lagi jo uss andhere ko khati jaa rahi thi....aur uss roshani ke biche mein se phir se ek andera.....aur aise hi bahut se andhere aur bahut se ujale.....sab dikh rahi thi Madhu ko......
Neelam ki aakriti jaise kisi bulb ki tarah ho chali thi.....abhi chamak rahi hai aur uske turant baad dhundhli......Uske mann mein bhi ek tasveer ban rahi thi......aur ye ajeeb thi.....ek taraf ujala hi ujala aur dusre taraf besummar andhera....itna ki kuch kaha hi nahi jaa sakta....aur wo unn dono ke hi sarhad pe khadi thi....kabhi iss taraf to kabhi uss taraf......
Ek baar to usne apna haath Prateek se alag kiya.....to usko wo sab dikhana band ho gaya ab wo bas ujale mein thi.....par usko ye ujala pasand nahi aaya aur wo haath jo Prateek se durr jaa raha tha wo wapas uske pas jaa pahucha.....
Prateek ke baare mein kya kaha jaaye......usko emotions jyada pasand nahi the.....pahle bilkul nahi aur ab thodi bahut aa rahi thi.....lekin abhi jo usne dekha....wo khud ko sambhal nahi paa raha tha.....Neelam uss jaal mein wapas aa gayi......uss dard ko usne apna liya....bas Prateek yaani apne bete ko chune ke liye.....
Prateek ne apne hazaron saal ke jeevan mein ye kabhi nahi dekha tha....haa jab yaha Earth pe tha to aisi chizen dekhi thi usne par kabhi mehsoos nahi kari thi.....aaj wo mehsoos kar raha tha......
Uske aankhon se aanshu girne lag gaye.....
Neelam - Parth Main apne bete ko chu sakti hu usko mehsoos kar sakti hu.....
Parth - Par ye.....tum iss tarah se....
Neelam - Kisi chizz ko apnanane ke liye kisi dusre chizz ko chodna padta hai bas wahi kar rahi hu.....(Madhu ki oor dekhte hue) Tum Mere Prateek ki dost ho....
Madhu ko khud wo sab mehsoos ho raha tha....usko to ye sunai bhi nahi diya tha....wo to bas Neelam ke chahre ko dekh rahi thi.....usko jab Neelam ke honth chalte hue dikhai diye tab usne puccha...
Madhu - haa.....kya hua.....
Neelam - Kuch nahi....Main bas puch rahi thi tum iski dost ho....
Madhu ne Prateek ki oor dekha bhi nahi bas haa mein sar hilla diya......wo iss waqt bahut kuch mehsoos kar rahi thi.....aur usne bahut saare ummid laga liye the......jaise jab wo apni maa se milegi to kya wo bhi issi tarah usko pyar karegi....aur bhi naa jaane kya kya....
uske aankhon se bhi aanshu gir jaate hai.....
Neelam apna haath aage karti hai aur uske aanshuyon ko pochne ke koshish karti hai....
Parth bhi waha aa jaata hai aur wo bhi Prateek ko chunne wala hota hai.....ye dekhte hi Madhu ne apna haath uske pass mein bhi laga diya hota hai.....ab wo sab Parth bhi mehsoos kar raha tha.....
Parth ne thodi der mein hi usko chod diya par baatein hoti rahi......
yaha pe ye sab chalta raha......
Dusri taraf Lucifer tha.....ab gussa dab gaya tha shant nahi hua tha.....kisi murde ki tarah apni gaddi pe baitha hua tha wo.....
Jab kabhi Raja udass yaa nirash hota hai.....to koi aur aa jaata hai uski jagah lene ko......kuch aisa yaha pe hone wala tha.....par abhi usme thoda waqt hai.....
Demos pe bas sanata tha......charo taraf hi sannata tha.....
Par yaha se jyada dur nahi Fumos pe.....waha bahut halchal thi.....
Dhruv khud ko Slayer ke sarir mein rakhne ke liye sangharsh kar raha tha......
Abhi tak usko ye pata nahi chala tha aakhir ye ho kya raha hai.....
Dhruv ne jinn aatmaon ko Slayer ke ander bandhi banane ke liye kaid kiya tha.....unhi aatmaon se takat khinch raha tha Justin......aur khud ko usse jyada takatwar banane ki koshish kar raha tha......Par ye ho nahi paa raha tha......
Lekin wo haar nahi maan raha tha bas laga hua tha.....
Dhruv thakta jaa raha tha....usko ye samajh nahi aa raha tha ki aakhir ye kyun ho raha hai.....koshish bahut kari usne ye janne ke liye par jaan hi nahi paa raha tha.....koi andaja h nahi tha....uske hisab se usne Slayer ke sarir ko khula chod diya tha.....aur sab nikal aye the......
Usne iss baare mein socha tha ki sayad jinn aatmaon ko usne Dark world se uthaya unme se koi ek hoga.....par isko dimmag se nikal diya usne turant hi.....aisa ho hi nahi sakta tha....agar aisa hota to usko unse ladne mein waqt lagta....aise hi khatam nahi kar deta unn sab ko.....
Usne kya kisi ne bhi nahi socha hoga ki khule pinare ke ander se koi parinda bahar hi naa aaye.....Justin wahi parinda tha yaha pe.....
Dhruv ne iss baare mein sandesh bhejne ke baare mein socha Prateek ko.....par wo kar nahi paaya.....isse pahle to wo dono judde hue the....matlab jab kabhi bhi dono mein se kisi ka mann hua dusre se baat kar leta tha......normally....haa agar koi khass wajah ho tab ye mumkin nahi ho paata tha.....
Khair wo Prateek ko koi sandesha nahi de paaya.....aur bas wahi pe rah gaya......aisa nahi usne koshish nahi kari...
EK baar do baar teen baar usne koshish kari....par kuch bhi nahi hua.....aur phir wo kamzor pad gaya......
ye mauka tha.....Justin ke liye......iss waqt usne Slayer ki body pe kaabu karna shuru kar diya.....aur usne bhi yahi koshish kari.....
Kisi tarah apne pita Lucifer tak apni baat pahuchane ke baare mein.....
Par yaha bhi wahi baat ho rahi thi.....wo kahi bhi jaata kuch bhi try karta kaam nahi ho raha tha......usne ek baar pedon ko todne ki koshish kari.....jiske baad usne khud ko jamin pe girra pada paaya.....
Wo bhi koshish karta gaya par kaam nahi bana uska bhi....
Ye sab kuch waha upar se wo immortal baitha dekh raha tha aur samajhne ki koshish kar raha tha.....
Ye Immortal bhi ajeeb tha isne dark power ko dekha tha uss planet pe....par isko usse jyada jaruri ye sab laga.....aur inn sab mein iss tarah se uljha hai ki usne wapas jaake kuch batane ke baare mein bhi nahi socha abhi tak.....
Dark power ki baat aayi hai to wapas chalte hai Earth pe.....
Yaha pe ab haal aisa tha ki thodi der aur thodi der aur ki kahani chal rahi thi.......
Koi nahi chahta tha wo dono waha se wapas jaaye......aur Madhu wo sabhi se sahmet thi......bas ek Pujari ji aur DB hi the waha pe......jinko sab dikhai de raha tha......
Golden power ka asar unn dono pe uss waqt tak hi rahne wali thi jab tak Madhu chahe....aur yaha pe Madhu ko khud hi pata nahi uske pass aisi koi shakti bhi hai......wo to ye sab kisi aur wajah se ho raha hai aisa soch rahi thi......
DB jaanta tha wo gujar chukke hai....aur gujre hue pallo ko bandh ke rakhne se khusi milti hai par usse jyada dukh bhi.....
DB ne iss baat ka jikar Pujari ji se kiya.....Pujari ji bhi uski baat se sahmet the......
Pujari ji ne Madhu ko apne oor aane ka ishara kiya......Madhu ne unko dekha usko laga ki agar usne unn dono ko chod diya to unko waha se jaana pad jaayega.....par iss baat ko Neelam ne bhi dekh liya tha.......wo Madhu ko hi dekhe jaa rahi thi.....
Neelam - Madhu beta wo log bhi dost hai kya.....
DB wahi pe tha aur Madhu ko waha jaana bhi tha to....
Madhu - Saare nahi unme se ek Pujari ji hai....ek baaki ke dono dost hai....
Neelam - Parth chalo unse bhi milte hai.....
Waise to Parth ko waha jaane ki koi ichaa nahi thi par Neelam ke kahne pe wo chala gaya....
Jab wo waha aaye to pahle to intro hua uske baad Parth Leader se aur Neelam DB se baat karne lag gayi.....
Madhu - Kya hua Pujari ji.....
Pujari ji - Madhu inke jaane ka waqt ho gaya hai.....
Madhu - Par abhi kaise.....abhi to ye aaye hai.....
Pujari ji - Madhu inka yaha jyada der tak rukna accha nahi hai.....ye apne aage ke safar mein pahle se hi bahut picche chuttein hue hai ab agar aur der hui to aur picche ho jaayenge....
Neelam - Madhu Pujari ji sahi kah rahe hai.....Mujhe bhi lagta hai ab humme yaha se jaana chahiye....
Neelam bas yun hi baatein kar rahi thi DB se par uska pura dhyaan to yaha tha Madhu aur Pujari ji pe......jab usne unki baat sunni to usko bhi wo baat sahi lagi....
Madhu - Par aap abhi bhi yaha rah sakti ho....
Neelam - Kab tak beta....kab tak tum hamare saath aise rahogi....
Madhu - Agar aap chale gaye to Prateek ka kya hoga....aur baaki sab ka.....dekho sab kitna pyaar karte hai aapse....
Neelam - Hum dono to kab ke jaa chukke hai beta....ye to yaha pe bas Prateek aur tumhare wajah se aa paaye hai....aur rukke hue hai....waha dekho unn sab ko......hum jitni der yaha pe rukenge naa hamare jaane ke baad utna hi dukh hoga unn sab ko.....hame ab jaana hi hoga....
Madhu - Main kya aapse kuch puch sakti hu.....
Neelam - Isme sochna kya hai.....jarur puccho tumne humme waqt diya hai aur sath mein apne bete ko ek baar chunne ka mauka bhi....puccho kya puchna hai....
Madhu - Kya sabke Maa Papa aap logo ke tarah hi pyaar karte hai apne baccho se.....
Neelam - Nahi beta.....sabke aise nahi karte isse bhi jyada karte hai.....Maa baap ke pyaar ko dusro ke maa baap ke pyar se compare karna bahut muskil hai.....bahut jyada.....Mujhe pata hai tumhe mere ander kya chal raha hai sab pata chal chukka hai.....hai naa.....ek raaz ki baat batao Mujhe bhi pata chal gaya hai tumhare ander ke baaton ka.....to chinta mat karo....jab tum apne Maa papa ke pass jaaogi aur unko pata chalega ki unki itni pyaari itni acchi beti hai to wo tumhe bahut pyaar karenge....samjhi...
Parth - Haa sahi kaha.....(Pujari ji se) Humme ek aakhiri baar unn sab ko alvida kahne ka mauka dijiye....
Pujari ji - Aap kaisi baat kar rahe hai ye sab mere haath mein nahi...(Parth ka ishara samajhte hue) haa ha....jarur Madhu.....ab inko padke rahne ka koi matlab nahi hai....inko chod do...ye khud se kuch der mein yaha se chale jayenge...
Madhu ne Parth ko to chod diya par Neelam ko chodne se pahle uske gale lagi thi wo.....sab dekh rahe the usko....
Parth waha pe gaya aur usne sabhi ko bataya ki ab unke jaane ka waqt ho gaya hai....wo aur der tak nahi ruk sakte....
Wapas se sabki aakhen bhar aayi Neelam ne Madhu ko sabhi ki oor dekhate hue kaha dekho ye wapas se uddas ho gaye.....par inke ander ek ummid hai abhi bhi ki sayad hum thodi der aur rukk jayenge....wapas se....
Ye jhuthi ummid jab tak nahi tutegi badhti hi jaayegi aur bahut dukh degi inhe.....
Madhu ne uski baat sunni aur haa mein gardan hilayi.....
Next update mein dekhte hai Nikita ka case.....yaha pe kya hota hai aur saath hi Strange world ki baatein kaise DB wo karta hai jo usne karne ka socha tha
Nice updateUPDATE - 114
Parth ne sabko bata diya tha ki ab unke pass jyada waqt nahi baccha hai.....ab unko waha se jaana hoga.....Sabne ye baat sunni aur udaas ho gaye......
Ye sab jaante the ki wo kab ke jaa chukke the iske baad bhi wo iss ummid mein the ki wo issi roop mein yaha unke pass unke saath rah sakke......jo mumkin hi nahi tha......
Neelam - Dekho.....ye sab kaise uddas ho gaye.....tumhe ab meri baat samajh aa rahi hai.....
Madhu ne haa kaha unse......
Neelam usko wahi chod ke baaki sabhi ke pass aa gayi......waha pe Parth sabhi ko wapas se samjha raha tha ki wo waha se kab ke jaa chukke hai iss roop mein waha sabhi ke saath rahna mumkin hi nahi hai....
Neelam - Maine abhi tak apne bete ka room nehi dekha hai.....Prateek kya hum dekh sakte hai tumhara room....
Prateek ne jab ye sunna to wo kuch nahi bola...wo samajh hi nahi paaya ki kya bole......
Itne mein P.Bua ne kaha.....
P.Bua - ye bhi koi puchne ki baat hai......Chalo iske kamre mein.....
Wo to chali bhi jaati room mein agar unko samajh nahi aaya hota ki room ki baat yaha pe kyun hui hai......thoda bura laga unko par wo bhi samajhdaar thi....
Wo jaanti thi kuch baatein hongi jo Neelam aur Parth bas Prateek se karna chahenge....kuch private baatein.....
Unhone picche mud ke Prateek ki taraf dekha.....
P.Bua - Prateek jaao apne Maa Papa ko apna room dikhao.....
Prateek ne kuch nahi kaha.....bas haa mein sar hilaya....wo bhi samajh chukka tha iss baat ko.....aur phir wo chal pada apne room ki taraf.......
Yaha wo tinno room mein gaye hi the ki Leader ne sabhi ko kaha......
Leader - Main aap sab ke saamne ek baat kahna chahta hu.....
Leader ko yaha pe acche se koi nahi jaanta tha.....bas itna hi pata tha ki Pankaj isko jaanta hai aur uske baad baaki sab se thodi bahut pahchan hai bas......
Jab Leader ne kaha usko kuch kahna hai to sab uski taraf dekhne lag gaye.......
DB ne dhirre se kaha bhi......
DB - Abhi sahi waqt nahi hai.......rukk jaao abhi.....
Leader ne iska jawab dhirre se diya.....
Leader - Abhi nahi to aur kab......ab to main unn sab chizzon se bhi aazad hu.....
DB usko samjhana chahta tha par ab teer kaman se nikal chukka tha....
Leader aage aaya....aur sabhi ki oor dekha.....sayad check kar raha tha ki sabhi ka dhyaan uski taraf hai bhi yaa nahi.....
Sab uski oor hi dekh rahe the.....ye dekhne ke baad Leader Nikita ki taraf dekhne lag gaya.....aur thoda aage badha.....
Wo kab se iss pal ka intezzar kar raha tha.....uske aankhon mein aanshu bhi aa chukke the....
Wahi Nikita ko ye baat samajh nahi aa rahi thi.....wo ye bilkul bhi samajh nahi paa rahi thi aakhir kya wajah hai ki ye aadmi uski taraf aa raha hai.....
Thodi pareshan thodi hairran si thi Nikita abhi.....par usko kya pata tha ye sab thodi hi der mein kya hone wala hai......
Leader - Nikita......Main....Main......Nikita....tumhara.....Main.....Tumhara Pita hu Nikita......
Ye Leader kuch aisa bolne wala hai iss baat ka pata nahi tha waha pe kisi ko.....par usne to bol diya tha.....
Sab ke sab hairaan the......
Aaj pata nahi ye sab aur kya kya dekhne wale the....abhi tak inhone Neelam aur Parth ko dekha tha aur ab ye Nikita ka Pita hai Leader ye dekh rahe the......
Sab ke sab hairaan the....bas Nikita ko chod ke......wo to jaise thodi der pahle thi waise hi abhi bhi thi......thoda bhi badlaaw nahi tha uske chahre pe.....
Leader - Nikita.....Beta main tumhara papa hu......
Ab bhi uske chahre pe koi bhi expression nahi badla tha......Leader ko ye baat samajh hi nahi aayi.....wo uske pass jaane wala tha ki tabhi Chachi apni jagah se hilli aur jaake Nikita ke saamne khadi ho gayi uske taraf muh karke.....
Chachi - nikal jao mere ghar se......niklo.....
Chachi to kuch kar hi deti uss leader ke saath......wo to DB ne unka dhyaan bata diya......
DB ne Leader ko pakda aur usko ghar se bahar leke jaane lag gaya.....
Leader kamzor tha pahle se par itna bhi nahi ki wo kisi bacche ki tarah DB ke saath chala jaayega......lekin iss waqt DB ke paas bhi wo hare rang ka heera tha jo usne Fumos se liya tha....aur wo usko kaafi taqat de raha tha....jiski wajah se wo aaram se Leader ko apne saath leke jaa paa raha tha.....par Leader wo kuch kar nah paa raha tha par bol paa raha tha.....
Wo wahi se chilla raha tha Nikita ko bulla raha tha.....
Leader - Nikita....Main tumhara Pita hu.....sach mein.....Meri baat sunno.....tum sab mujhe meri beti se durr nahi kar sakte......
Yaha Leader ghar ke darwaje se bahar gaya aur waha Nikita ke aankhon se aanshu bahar aane lag gaye.....
Ek aadmi itne waqt se uske aas pass tha.....usne kabhi usko iss baat ka ahsaas nahi hone diya....ki wo uska pita hai.....aur aaj pata nahi usko kya hua ki usne ye baat sabke saamne kahi.....wo kis chizz ke intezar mein tha.....
Bahut se sawal the sabhi ke mann mein aur unn sab se jyada sawal Nikita ke mann mein the.....
Jab ye hua to Daksh Pankaj ki taraf ghoor raha tha.....Pankaj hi tha wo jisne usko milaya tha uss Leader se....
Par pankaj bhi bechara kya kare......use bhi iske baare mein pata nahi chala tha....baat hi nahi iss baare mein jab Leader ko confirm hua ki Nikita uski beti hai....
Iss dauraan Rupal gusse mein darwaje ki taraf jaa rahi thi.....jiska pata Chachi ko lag gaya.....
Chachi - Rupal yaha aao.....aur Nikita ko room mein leke chalo......
Rupal - Par maa....
Chachi - Sunna nahi tumne maine kya kaha......chalo ander.....
Rupal didi kya hi kar leti.....chup chap pahle Chachi ke pass gayi phir waha se Nikita ko leke unke saath kamre ki oor badh gayi.....K.Bua bhi unke saath ander chali gayi....
Bahar jo bacche the wo bas ek dusre ko dekh rahe the......
Prateek ko apne room mein gaye waqt ho gaya tha.....Dadi se raha nahi nahi gaya wo ek aakhiri baar dono se aur milna chahti thi to unhone P.bua se kaha....par P.bua ne thoda rukne ko kaha
Wahi room mein aane ke baad Prateek side mein jaake khada ho gaya tha......
Neelam - Accha kamra hai ye to.....
Parth - Ye room hamare liye hi tha....
Neelam - Prateek tum bhi jaante ho humare pass waqt kam hai....hum yaha tumse bas ek baat karne aaye hai....humme nahi pata tum kis tarah Slayer ke pass jaa pahuche aur kis tarah usse bachke humme yaha leke aaye ho....par ek baat yaad rakhna.....wo hamesa wapas aata hai....
Parth - Haa beta hum iss baare mein hi baat karna chahte the.....uss Slayer ko kabhi bhi khatam nahi kiya jaa sakta......uska janm nahi hua tha usko banaya gaya tha....
Prateek - Main jaanta hu par aapko ab iski phikar karne ki jarurat nahi hai.....wo ab kabhi bhi wapas nahi aa sakta.....
Neelam - beta tum samajh nahi rahe wo har baar wapas aata hai......aur usko khatam nahi kiya jaa sakta.....tumhe humse ek wada karna hoga.....
Prateek ko apne prati unn dono ka itna sneh dekh bahut alag sa mehsus ho raha tha....wo bhavuk hota jaa raha tha.....
Prateek - kaisa wada....
Neelam - Tum kabhi khud se uske pass nahi jaaoge......wada karo ye.....
Prateek ne socha isme kya hai wo ye wada kar sakta hai.....par usne ye bhi socha tha ki wo ye wada jarur nibhayega.....chahe kuch bhi ho jaaye.....
Prateek - theek hai.....Maa Papa main aap dono se wada karta hu.....
Dono ne ye sunna to wo khus ho gaye......
Pata nahi bahar kya ho raha tha kuch aawajein aayi Prateek ne darwaje ki taraf dekha....aur jab palat ke wapas Neelam aur Parth ki ooor dekha to wo dono dhundhle hone lag gaye the....
Prateek - aapke pass ab jyada waqt nahi hai.....humme bahar chalna chahiye wo sab aapko aakhiri baar dekhna chah rahe honge.....
Parth - Wo dekh chuke hai Prateek.....ab aur dekha to dukh hi milna hai bas.....
Neelam - sahi kaha......Tum apna dhyan rakhna beta....aur agar kabhi koi ghar ka kuch kah de to bura na manna.....baat sayad hi galat niikle par unka maksad tumhari bhalai hi hogi hamesha.....
Aisi hi kuch aur baatein karte gaye wo aur dhire dhire unki aakritiyan dhundhli hoti jaa rahi thi....aur waise waise hi Prateek ki aankhen nam hoti jaa rahi thi.....
Wo aaj iss baat ko bhi samajh raha tha ki Maa Baap ke hone ka kya matlab hota hai......wo khud to dukhon ki dhup mein jalte rahte hai par apne baccho ko sukh ke chaw mein rakhte hai....
Unke jaane ke baad Prateek apne bed pe baith gaya.....
Abhi kuch hi waqt to hua tha.....ki uske darwaje pe dastak hui......Jab darwaja khula to samne Madhu aur Pankaj the....dono hi thode pareshan se lag rahe the.....par apni pareshani chupane ki koshish kar rahe the...
Prateek ne darwaja khola aur side mein khada ho gaya......wo dono bhi ander aa gaye.....
Madhu - Kya wo dono chale gaye......
Prateek - Haaa wo challe gaye....
Pankaj - Hum hai tumhare saath.....
Prateek - Haa pata hai.....chalo bahar sabko bata aate hai ki Maa papa jaa chukke hai......wo waha intezar kar rahe honge.....
Pankaj - Haa.....
Pankaj ne haa to kaha par bahar jaane ke liye utha nahi wo baitha hi raha.....
Prateek - Kya baat hai....kuch hua hai kya....pareshan lag rahe ho.....
Pankaj ne Madhu ki taraf dekha....aur ishare mein usko batane ke liye kaha....par Madhu ne apni badi badi aakhen aur badi karke usko dikhai.....
Pankaj - wo bahar....Leader ne....wo Nikita se....kaha ki wo uska.....Leader uska Pita hai......
Prateek - Ooh.....haa to....
Prateek ka reaction dekh ke dono hi hairaan the.....unko aisa laga jaise ye iss baat ko pahle se jaanta ho.....unko lag raha tha Nikita iski dost hai to isko gussa aayega....wagera wagera par ye to.....
Pankaj - ye kya hai.....kya tumhe iss baare mein pahle se pata tha.....
Prateek - Haa....
Wo aage kuch bolta usse pahle hi Madhu ne gusse mein usse kaha......
Madhu - tumhe pata tha......tumhe ye pata tha to tumne bataya kyun nahi.......Nikita to dost hai tumhari......kyun nahi bataya usko.....
Uska gussa dekh ke Prateek ne uski puri baat naa batane ka socha....aur kaha....
Prateek - arre sunno to mujhe pura to karne do....Main jaanta hu ye baat par kuch waqt pahle hi pata chali jab yaha aa raha tha tabhi.....
Madhu - Mujhe sab kuch batao.....
Prateek - abhi ye jaruri hai kya....Mujhe dekhna hai bahar kya chal raha hai.....
Pankaj ne pahle to usko jo kuch hua sab short mein bataya aur uske baad bahar chal diye wo sab.....
Bahar aate hi Dadi ne usse puccha.....
Dadi - wo dono kaha hai......
Prateek - Dadi Maa Papa jaa chukke hai.....
Dadi ne jab ye sunna to wo rone lagi....wo thoda aur waqt bitana chahti thi....par Dada ji ne unko sambhal liya.....
Prateek kuch bolta usse pahle Daksh ne kaha.....
Daksh - Mujhe lagta hai ab humme bhi chalna chahiye.....
Ye bol ke unhone Pankaj ki taraf ghoorte hue dekha......
Wo janaa chahte the jo kuch hua Nikita ka wo sab kya tha...Leader ka sach janna chahte the wo...aur Leader se to Pankaj ke karan milla tha wo to usse hi puch sakta tha,....
Madhu - Kya Main bhi aaj aa sakti hu waha.....
Daksh ne ek baar wapas ghoora Pankaj ko.....aur phir bola....
Daksh - Isme bhi koi puchne ki baat hai......Wo tumhara bhi ghar hai....tum waha aa sakti ho jab mann kare.....
update isse lamba tha.....par galti se file delete ho gayi.....Raat mein next update aayega usme DB ka Strange world jaana aur waha kya hoga wo sab dikhaya jaayega.....saath mein yaha ghar pe aur kya hota hai wo bhi.....