★ INDEX ★
☟
☟
♡ Family Introduction ♡ |
---|
Last edited:
♡ Family Introduction ♡ |
---|
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUPDATE - 128
Madhu inn sab se pareshan ho gayi thi.....usko ab yakin ho gaya tha ki uske sath kuch naa kuch to gadbad hai....aur issi wajah se usne ye tay kar liya ki wo abhi logo se duri banaye rakhegi......unn logo se jo uski fikar karte the......
Madu ke sath ye sab hp raha tha wahi Nikita ka bhi kuch aisa hi haal tha.......
Usne shuru mein khud ko apne pita se milne ke liye uar unki baatein sunne ke liye to manna liya tha......par sayad wo sach mein taiyaar nahi thi iske liye.....
Ab jab usko aur waqt milla iss baare mein sochne ke liye.....aur usne iss mudde pe baat bhi kari logo se.....to usko laga ki wo unse milne ke liye to taiyaar thi.....par unki baaton ko sunne ke liye nahi......
Wo apne pita ke pass bas kuch sawal leke jaana chahti thi.....aur jawab mein bas wahi sunna chahti thi jo usko sunna tha......
Jaise ki jo kuch bhi hua uske sath unn sab mein puri galti uske pita ki hi hogi.......par ab waisa nahi tha.....
Jis din usko Leader se milna tha.....uss din Leader uske saamne se binna kuch kahe chala gaya to wo sochne lagi inn sab ke baare mein.....aur usne tay kiya ki ab wo sab kuch sunegi aur uske baad sochegi ki usko kya karna chahiye....
Aaj subah hi Nikita ne pankaj ko call kiya aur usko Leader ke pass chalne ko bola....
Pankaj inn sab mein fasna nahi chahta tha.....wo jaanta tha ki yaha pe jo hoga.....wo uske bich mein fas jaayega aur phir aage bhi inn sab ke chakkar mein pista chala jaayega......ye sab unn dono ke pariwar ki baat thi......Pankaj ko isme nahi aana tha.....
Par jab Pankaj ne dhyaan se socha.....to ye uske liye ek invitation tha.....Nikita ke taraf se.......
Usne socha ki Nikita ko agar kisi ko le jaana hi tha to wo Prateek ko le jaa sakti thi, Rupal Didi bhi thi yaa baaki sab kyun nahi.....usne Pankaj se hi kyun bola.......
To Pankaj ye sab soch kar ekdum se khush ho gaya tha.....aur usne Leader se baat kar li thi......
Leader ki jab Pankaj se baat hui aur usko pata chala ki nikita usse milne aana chahti hai.....to wo khush ho gaya......wo iss waqt ka intezzar kar raha tha......
Leader ab Earth pe hi rahta tha to usne yaha pe Guruji ki aur Daksh mama ki madad se khud ko settle karna shuru kar diya tha......
Leader ladai ke mamle mein bahut accha tha......binna powers use kare hue bhi wo bahut acche se hathiyaaron ka use kar leta tha.....bas issi ke badaulat usne ek security agency mein trainer ki naukri paa li thi...
Aaj usne Nikita se milne ke liye half day le liya tha......aur iss baar kisi jungle mein milne na bula kar usne Nikita aur Pankaj ko apne office ke pass ke ek hotel mein bulaya tha...
Leader chahta tha ki uski beti ko pata chale wo ab uske sath rahne ke liye hi aaya hai.....aur sath mein uski aur apni jaruraton ko pura karne ka bhi bandobast kar raha hai.....
Dopaher ka waqt tha aur Nikita aur Pankaj uss hotel mein pahuch gaye......chuki dopaher thi to jyada bheed nahi thi waha pe......Lunch hour abhi kuch der pahle hi khatam hua tha to ass pass ke office ke log bhi jaa chukke the apne kaam pe....
Nikita Pankaj ke sath uss hotel mein pahuchi.....usne dekha ki Leader kone ke ek table pe baitha hua hai......
Dono waha uske pass gaye......
Jab Leader ne Nikita ko dekha to wo kuch bol nahi paaya aur Nikita kuch bolna nahi chah rahi thi.....to ekdum se chuppi chha gayi waha pe.....iss wajah se Pankaj ne chuppi thodi.....
Pankaj - Kaise hai aap.......
Leader - haa.....Main theek hu......tum kaise ho......
Pankaj - Hum bhi theek hai.....waise aaj aapne iss jagah pe ??
Leader - Ye jagah acchi hai......main pichle kuch dino se yaha aa raha hu....to maine socha ki Nikita se yahi pe milna sahi hoga....
Pankaj kuch bolne wala tha ki Nikita bich mein boli.....
Nikita - Tumhe pata hai.....ki hum yaha pe kyun aaye hai.....ab mujhe apni baat batao....kya batana chahte the tum mujhe.....
Pankaj - Nikita ye tumhare....
Pankaj apni baat puri karta usse pahle hi Nikita ne usko chup kara diya....
Leader - Hmm...theek hai.....par rukko.....pahle kuch order kar lete hai....nahi to waiter yaha aata rahega aur hamari baat bich mein ruk jaati rahegi....
Nikita ne waiter ki taraf dekha....to wo wahi aa raha tha uske table ke pass.....to usne bhi socha ye sahi hoga......
Nikita - Theek hai....
Par usne order nahi kiya kuch menu Pankaj ki taraf badha diya aur usko order karne ko bol diya......
Pankaj ne Nikita ki taraf dekha....aur phir Leader ki taraf.....phir wo samajh gaya.....ye usko hi karna hoga.....to usne jyada naa sochte hue.....kuch chizzen order kar di....
Waiter chala gaya......aur ek baar phir se shanti chaa gayi.....iss baar iss wajah se kyunki dono Pankaj ko dekhe jaa rahe the......
Pankaj ne jab ye dekha to usko bada ajeeb laga....aur usne menu ko dono ke bich mein rakh ke puccha....
Pankaj - Aap dono ko kuch aur bhi chahiye to bata do.....
Nikita - itna khana hum tinno nahi khaa paayenge.....
Leader - Mujhe iske baad office bhi jaana hai....
Nikita - tum....aur office...
Leader kuch bolna chahta tha......par usne kuch soch ke chup rahna hi sahi samjha.....
Pankaj - Theek hai.....ab aap log apni baatein shuru karo.....
Leader ne apni puri kahani Nikita ko batana shuru kiya......Kaise Leader ko laga ki usko aur bhi taakat chahiye.....aur Fumos ne usko kya offer diya tha......aur uske baad kaise Fumos ne apni wo sartein rakhi jiske kaaran usko Nikita ki Maa se dur hona pada tha.....
Sath mein wo sab bhi ki kaise wo apni beti ki talash kiye jaa raha tha itne waqt tak.....par wo kaamiyaab nahi ho sakka......
Leader ki ye kahani Pankaj ko pahle se maalum thi.....par Nikita ko saari baatein pata nahi thi.....
Usne ye sab sunna to usko bura laga......jaisa usne socha tha ki uske sath jo kuch bhi hua hai.....unn sab mein bas Leader ki galti nahi thi......haa galti thi kahi kahi par.....lekin Leader majboor bhi tha.....
Pankaj ne jyada kuch nahi socha aur usne Leader se bola.....
Pankaj - Ye sab jo kuch bhi hua......main aisa nahi kahunga ki isme aapki galti nahi thi....par phir aapne koshish kari.....aapne Nikita ko dhundhne ki koshish kari....ye acchi baat thi.....
Nikita ko Pankaj ki baat sahi nahi lagi.....aur naa hi Leader ko......
Nikita - Koshish kari.....to isme kya accha kaam kiya isne.....mujhe dundhna inki jimedaari thi......ye koi accha kaam nahi tha....
Leader - Haa....main khud ko har rozz koshta tha.....ki meri wajah se meri bacchi......pata nahi kinn halaton mein hogi.....
Pankaj chup ho gaya.....usko lag raha tha ki sayad uske ye bolne se unn dono ko accha lagega.....par yaha pe to baat hi alag ho gayi.....
Nikita - Aap khud ko koshte the ya nahi...isse maine jo sab saha hai wo wapas to nahi ho jaayega......naa hi Maa wapas aa jaayegi.....
Leader ke pass iska koi jawab nahi tha......
Nikita - Ab aap yaha aaye ho......kis wajah se.....kya chahte ho aap....
Leader ne bhi sayad dhyan nahi diya tha ki Nikita ne usko tum se aap kahna shuru kar diya tha.....
Leader - Main....main bas tumhare sath rahna chahta hu......kya....kya tum mere sath rahna pasand karogi.....
Nikita ne iss baat ka koi jawab nahi diya......unnn sab ka khana ho chukka tha.....aadha khaana Pankaj ne khaya tha......
Jab Leader ne dekha ki Nikita koi jawab nahi de rahi hai....to usne kaha.....
Leader - Tumhe agar aur waqt chahiye to....koi baat nahi hai.....tumhe jitna waqt lena hai lo.....Maine ab yahi pe rahne ka soch liya hai....Yaha rahunga to tum sab se mil bhi sakunga.....
Nikita ne uski baat sunni aur phir waha se uth ke chali gayi.......Pankaj abhi wahi pe baitha tha.....
Pankaj - Theek hai....main bhi chalta hu.....agar kisi cheez ki jarurat ho to bata dena.....
Leader - Apne Pita ko meri taraf se dhanyawad kahna......agar unhone papers mein madad nahi kari hoti to sayad meri yaha pe nayi pahchan nahi ban paati....aur mujhe abhi bhi chup ke rahna padta....
Pankaj - Hmm Papa ne bataya tha....waise aapko trainer ki job karne ki jarurat nahi hai.....aap kuch aur bhi....
Leader - nahi.....abhi ke liye ye sahi hai.....aage agar kuch hota hai to dekha jaayega.....tum jaao......aur uska dhyaan rakhna.....
Pankaj - Hmm theek hai....
Pankaj waha se bahar aaya to Nikita wahi gate pe khadi uska wait kar rahi thi.....
Nikita - Kya baat kar rahe the waha pe......tumhe mere saath hi bahar aa jaana chahiye tha....
Pankaj - Wo...kyun.....Main tumhare sath aaya tha.....par tumhare saath jaun ye jaruri to nahi naa.....
Nikita - Haa.....theek hai....phir raho yahi pe.....
Itna bol wo waha se jaane lagi....
Pankaj bhi uske picche ho liya.....wo kuch soch raha tha.....
Pankaj - Nikita.....nikita....sunno to.....Mujhe tumse kuch puchna hai.....
Nikita - Ab mere picche kyun aa rahe ho....tumhe to yahi rahna thaa naa.....
Pankaj - Abhi to bola mujhe tumse kuch puchna hai......
Nikita - Haa bolo....
Pankaj - Nahi....main bas soch raha tha...ki tum mujhe apne Papa se milwane leke aayi thi....kya main unhe pasand aaya hounga.....
Nikita ko shuru mein Pankaj ki ye tedhi baat samajh mein nahi aayi.....to usne bina kuch soche bol diya.....
Nikita - Pasand......tum hi the naa.....jisko unhone sab kuch bataya tha......aur tumne madad bhi kari thi to pasand to karenge hi......
Pankaj - Hmm matlab ek taraf se sab clear hai.....
Nikita - Kya clear hai....kya bole jaa rahe ho....
Pankaj - kuch nahi.....chalo chalte hai waise bhi mujhe Madhu ke pass jaana hai.....wo bata rahi thi ki uski tabiyat kharab hai.....
Nikita ko samaj mein nahi aaya kuch aur wo chali gayi waha se......par wo Pankaj ke baaton ke baare mein bhi soch rahi thi......
Wahi yaha se dur Madhu aaj bhi apne ghar mein akeli baithi thi......jaisa ki usne socha tha ki wo abhi bas khud ke sath kya ho raha hai uska hi pata lagayegi.......
Par usne jo camera wala tarika apnaya tha wo to shuru hone se pahle hi bigad gaya tha.....to usne wapas se camera ka socha hi nahi......
Usko kuch samajh nahi aa raha tha tabhi uski bahen ka call aaya......
Wo - Tum aaj bhi college nahi aayi.......
Madhu - Wo.....meri tabiyat thik nahi hai.....
Wo - Kya hua hai tumhe acche se batao.....ek to tum itna dur rahti ho......pata nahi khana wana khati bhi ho yaa nahi......aaj chacha ji tumhare baare mein puch rahe the......
Madhu - Papa.....mera matlab hai...Dean sir mere baare mein kya puch rahe the.....wo ab theek hai naa.....
Wo - Wo theek hai tumhe ussi din bataya tha......wo humse puch rahe the ki tum theek to ho.....uss din tumne jinn ladko ko mara tha naa unme se ek Sudent leader ka bhai tha.....aur tum abhi colllege aa nahi rahi to wo thode chintit the......
Madhu - Darasal mujhe kuch ho gaya hai......par mujhe samajh nahi aa raha ki kya hua hai.....
Wo - Kya....kya.....kya.....
Madhu - Mujhe lagta hai ki mujhe kuch to hua hai.....par kya hua hai ye samajh nahi aa raha.....
Wo - Tum doctor to ho nahi ki tumhe sab samajh aa jaayega....tumhe kisi doctor ke pass jaana chahiye.....wo batayenge naa tumhe ki tumhe kya hua hai......main jaanti hu ek doctor ko tum kaho to....
Madhu - Hmm.....doctor ke pass....tumne sahi kaha......mujhe wahi jana chahiye.......theek hai main rakhti hu....
Binna koi jawab sunne usne call rakh diya aur wo chal padi.....
Abhi Kavita Bua School mein thi.....wahi apne hospital mein kisi cheez ke baare mein pata laga rahi thi ki waha pe Madhu pahuch gayi......
Madhu - Kya aap free ho.....mujhe aapse baat karni hai......
K.Bua - Arre Madhu.....tum....tum yaha kaise.....
Madhu ne K.Bua ko sab kuch bata diya....jo bhi uske sath ho raha tha......
K.bua ko kuch kuch baatein to pata thi ki wo sab sahi hai.....par wo Madhu ko ye bata nahi sakti ki wo sab sapna nahi tha hakikat mein hua tha....aur naa hi wo Madhu ko koi dawa de sakti thi jisse uski powers kam ho jaaye.....
Kyunki unko pata hi nahi tha ki uspe dawa ka kaisa asar hoga......jab se K.Bua ne usko Elf Nation mein waise dekha tha.....wo chauk gayi thi....waise unhone pahle bhi ye sab dekh rakha tha par uss waqt baat kuch alag hi thi.....
K.bua - Madhu mujhe tumhari pareshani maansik lag rahi hai......ye saririk nahi lagti....tumhe sapno aur hakikat mein fark karne mein pareshani ho rahi hai.....mujhe lagta hai......tumhe kisi manocikitsak ke pass jana chahiye.....
Madhu - Manochikitsak.....wo kya karenge.....
K.bua - Wo tumhe samajhne ki koshish karenge aur uske baad tumhe tumhari bimari aur uska illaz batayenge.....
Madhu - hmm kya aap jaante ho kisi aise ko.....
K.Bua - Haa....par wo insaan hai.....agar tum kaho to.....
Madhu - Par....wo insan kya meri baaton ko samajh paayenge.....
K.Bua - arre tumhe nahi pata wo manochikitsak kaise hote hai......wo tumhari inn samasayaon ko ek kahani ki tarah samjhenge aur phir ussi kahani ke hisab se tumhe illaz bhi bata denge.....
K.Bua ko samajh mein aa raha tha ki ye sab uske sath kyun ho raha hai.....aur wo usko issi wajah se manochikitsak ke pass bhejna chah rahi thi.....
Madhu ne iss baare mein socha....aur usne K.bua ko haa kardi......phir wo waha se aashram ki taraf nikal li......
Madhu ke waha se jaane ke baad K.bua ne turant Prateek ko call kiya....
Prateek - haa Bua....
K.bua - Kaha ho tum.....
Prateek - Wo kuch chizzen set kar raha hu.....kya baat hai.....
K.bua - tujhe Madhu ka dhyaan rakhne ke liye bola tha naa Puraji ji ne......wo abhi mere pass aayi thi.....usko lag raha hai usko kuch ho gaya hai.....
Prateek - Accha wo aaj aapke pass aayi thi......kya kaha aapne usko.....
K.bua - Usko kisi manochikitsak ke pass jaane ko bola hai......tumhe uska dhyan rakhna chahiye....
Prateek - Bua aap maanogi nahi......Iss waqt bhi ussi ke liye kaam kar raha hu main......apko pata chala kuch din pahle usne Student leader ke bhai ko maara tha.....ab wo baukhalaya chal raha hai......usne to kuch logo ko bhi bheja tha Madhu ke pass......unko maine sambhal liya.....ab iss student leader se baat karne aaya hu....
K.bua - Meri baat dhyaan se sunn......tu jitna kam jaadu ka use waha unke samne karega utni jaldi nikalega....
Prateek - Hmm samajh aa raha hai Bua......uske logo ke sath maine aur Old Owl ne kuch kiya tha iss wajah se wo aur baukhalaya hua hai......usko lagta hai inn sab mein bas Madhu ki galti hai....issi liye usko samjhane jaa raha hu.....aur iss baar aapke tarike se kaam karunga.....
K.Bua - hmm theek hai...agar koi help chahiye to batana....
Prateek - theek hai Bua.....
Prateek iss waqt hospital mein tha....uss ladke ko dekhne aaya tha jisko Madhu ne maara tha......usko dekhne nahi balki usko dekhne aaye hue uske bhai se baat karne aaya hua tha......
Prateek uske pass jaata hai.....aur usko bahar aane ke liye bolta hai.....
Wo banda pahle to Prateek ko dekhta hai.....uske baad Prateek ke hath mein jo phone tha usko dekhta hai.....aur usme jo photo thi usko bhi.....aur wo photo dekh ke uske pasine nikal jaate hai.....
Wo turant waha se Prateek ko bahar leke jaata hai.....
"Ye tasveer tujhe kaha se milli.....kaun hai tu...."
Prateek - sunno...main kaun hu.....kya hu.....main ye batane nahi aaya hu yaha pe.....to ab jab tak tum sahi sawal nahi puchoge.....mujhe nahi lagta mujhe kuch bolne ki jarurat hai.....
"Kya chahte ho iss photo ke badle.."
Prateek - Hmm samajhdaar ho......jis ladki ne tumhare bhai ko maara tha.....uski taraf dekhna bhi mat....jis din mujhe pata chala tumne uske khilaf kuch iya hai....uss din ye tasveer viral ho jaayegi.....
"Theek hai.....main tumhari baat manne ko taiyaar hu.....par...."
Prateek - Abhi ye par war karne ke haalat nahi hai tumhare.....theek hai.....to iss par ko apne jagah pe rahne do....aur apne logo se kaho uss ladki se durr rahne ko....
"hmm"
Prateek ne ye maamla sambhal liya tha.....uske hisab se to wo aaram se waha se jaane lag gaya.....
Uss bande ne Prateek ko acche se dekha.....usko ummid nahi thi ki kuch aisa hoga....
Usne apna phone nikala aur.....apne logo ko picche hat jaane ko kaha.....
Wahi Madhu iss waqt aashram pahuci hui thi.....waha pe usne sabse pahle...Pujari ji se baat karne ka socha.....
Wo Pujari ji ke pass gayi.....aur unko uske sath jo ho raha tha wo sab bataya......
Pujari ji pahle se hi thode pareshan the......baaki ke Nix ko lekar......unhone bol to diya tha ki ab unka unn sab se koi lena dena nahi tha......par waisa nahi tha.....Pujari ji ko aaj bhi unki chinta thi...lekin abhi ke haalat aise ho gaye the ki......wo abhi kuch nahi kar sakte the.....bas intezaar kar sakte the....uss aane wale waqt ka....jab sab kuch theek ho jaayega.....
Pujari ji - hmm to tumhe kisi manochikitsak se milna hai.......mujhe lagta hai main bhi kisi ko jaanta hu.....aur tum unse milkar accha mehsoos karogi....
Madhu - Par maine Kavita miss ko bol diya hai....ki main unke bataye hue mannochikitsak ke pass jaaungi.....
Pujari ji - accha theek hai....main usse baat karunga.....
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUPDATE - 129
Ab tak
Madhu ko khud se lagne lag gaya tha ki uske sath kuch to galat hai.....par iss baat se usko utna matlab nahi tha jitna ki iss baat se ki wo ab apne pariwar walo ke liye ek khatra ban sakti hai.......uske dimmag mein har waqt bas wahi scene chalta rahta hai jab wo gusse mein thi aur usne apne Pita ko dhakka de diya tha......chahe ye galti se hi hua ho par hua to tha......
Ab aage
Madhu ke jaane ke baad pujari ji ne thodi der tak dhyaan lagaya......wo kuch uljhano mein the......unko unke pita ne kuch karya saunpe the......jinn karyon ko pura karne ke liye unhe chahe jo bhi karna ho wo waisa karenge aisa vachan bhi liya gaya tha unse....
Par unke ansaar kuch kartavya aur bhi the unke apne Nix samudaye ke liye.......aur abhi wo bas issi duvidha mein the.....ki aakhir unhe karna kya chahiye......kya unhe inn dono mein se sach mein kisi ek ko chunna padega......
Agar unhe aisa karna pada to ye aisa hoga jaise wo apne sareer ko do bhago mein baant rahe ho......
Chizzen unki samajh mein nahi aa rahi thi.....issi ke baare mein sochne ke liye unhone dhyaan lagane ka socha.....
Dhyaan se uthne ke baad unke chahre pe ek alag hi raunak si thi....unhone sabse pahle to aashram pe guruji se milne ka socha.....par wo jaante the ki unke akele jaane ka jyada fayda hai nahi......
Wahi dusri taraf.....
K.Bua lagi hui thi apne hospital mein.....
Magic school mein bahut se log the....jinhe ab magical medicines mein rucchi thi....ye sab dekhte hue.....K.bua ko ab hospital mein hi unko guide karne ka kaam diya gaya tha.....taaki unse baaki sab kuch seekh sakke...
Abhi K.Bua wahi kar rahi thi......ki unka phone bajja
K.Bua - Hello...
................
K.Bua - Par ye sab kaise......tum theek ho naa....
..............
K.Bua - Dekho aap pass ke logo ko bhi isse khatra ho sakta hai......meri maano to abhi ke abhi sab bandh karna hoga waha.....main jitni jaldi ho sakke waha aane ki koshish karti hu...
..............
K.Bua - Haa mujhe pata hai.....par abhi tum uske liye taiyaar nahi ho....main kisi aur ko leke aati hu.....
K.bua ne turant call rakha.....aur wo apne ass pass khade saare students ko dekhne lag gayi.....Unke dimag mein kuch chal raha tha par iske liye unhe permission leni thi.....
K.Bua ne wapas se apna phone uthaya aur Headmaster ko call kiya.....
Unhone waha ke haalat unko bataye.....sath mein unko uss halat se nikalne ke baare mein apna sujhav bhi diya.....
Head master ko unki baat sahi bhi lagi par unhe iss baat ki bhi chinta thi ki inn sab ke baad unpe upar se dabaaw aa sakta hai.....naa sirf school ki management balki saath mein Strange world se bhi unpe dabaaw aa sakta hai......
Lekin unhone ispe risk lene ka socha kyun ki baat badh chukki thi......
Darasal kuch chizzen hone lag gayi thi Earth pe........Yaha ke school ke hi ek purane teacher hua karte the.......jinko Earth ke jeevon pe magical experiments karne ke liye nikal diya gaya tha.......unko yaha se Strange world bheja jaane wala tha par pata nahi kaise wo bachke bhag gaya........
Iss bande ne uske baad jo kuhraam machaya wo Sofia se kam to tha......par phir bhi logo ke nazar mein aa jaaye aisa tha......
K.bua ka aur uss teacher ka kuch purana chapter bhi tha.......
Ek baar Head Master ne jaise hi K.Bua ko aage badhne ke liye permission de diya......K.bua ne turant hi apna dimmag chalana shuru kar diya......
Sabse pahle to unhe uss pure jagah ko baaki ke jagahon se kaatna tha......matlab naa to koi waha pe jaa sakke aur naa koi waha se aa sakke.....
Aur iss step ke liye unko logo ki jarurat thi.....aise log jo waha jo bhi ho uska samnna kar sakke......
Sath mein unhe aise log bhi chahiye the jo ki unke sath uss jagah ke ander jaaye aur waha pe jo logo ke sath ho raha tha unn sab ko kaabu mein kar sakke aur rokk sakke......
Ye saari baatein unke dimmga mein chal rahi thi.....aur wo unn logo ke baare mein bhi soch rahi thi jinko wo leke jaa sakti thi waha pe.......par dikkat ye ho rahi thi......ki pahle step ko pura karne ke liye.....yaani ke uss jagah ko uske ass pass ke ilakon se alag karne ke liye unhe jyada logo ki jarurat padne wali thi......
K.bua - Students......mujhe lagta hai aap sab ne kuch kuch chizzen to seekh li hai yaha pe.......kya main sahi hu ??
K.Bua ne aisa puccha waha pe baithe students se........ab students ne jyada chizzen to nahi par kuch kuch chizzen seekh rakhi thi.....to unhone bhi haa mein jawab diya.....
K.Bua - hmmm mujhe laga hi tha.......Samples ekatha karna......ye kaam to tum sab ko aata hai.....to aaj tum sab ke sab abhi se apni kits taiyaar rakhoge.....aur apne suits mein rahoge.....kyunki aaj tum sab ko ek mauka milne wala hai......kuch practicle karne ka......Kya main.....iske liye tum sab pe yakkin kar sakti hu.....
Students ko iss subject mein rucchi to thi.....aur issi wajah se jab K.Bua ne ye sab kaha to wo saare excited ho gaye.....aur taiyaari mein lag gaye......
K.bua ne jaane se pahle ek baar aur sabko acche se bataya ki unke suits jo unki protection ke liye hai......wo kisi bhi haal mein kharab nahi hone chahiye.......unn sabko apne suits acche se pahen ke aane the......
Ye sab bolne ke baad K.Bua waha se nikal padi......
Wahi dusri taraf......Prateek jo ki abhi thodi der pahle uss bande ko dhamki deke aaya tha jiske Bhai ko Madhu ne maara tha......
Main aaram se car chalate hue wapas aa raha tha ki K.Bua ka phone aaya......
Mujhe laga sayad wo ye puchne ke liye call kar rahi hogi ki maine uss ladke ke samne koi jaadu wagera to use nahi kiya.....
Main - Hello Bua.....
K.Bua - Kaha ho tum.....jaldi se ghar aa jaao....
Main - Kya hua.....sab theek hai naa.....
K.bua - Tu jaldi se ghar aa naa....
Main - theek hai Bua......
Maine bhi car ki speed badhai aur ek sunsaan se raste ke taraf gaya.....waha jaane ke baad ek portal khola aur uske ander car jump kara di......
Ye kaam pahle ek-do baar aur kar chukka tha main....par iss baar kuch alag hua.....yaa sayad maine inn chizzon pe pahle kabhi dhyaan hi nahi diya tha.....
Yun to Portal ke ander jyada kuch nahi dikhai deta hai.....par iss baar uske ander jaate hi mujhe car ke mirrors mein chizzen dikhai di......
Ek jagah thi....jaha pe jaanwaron ke kankaal pade hue the.....ek do nahi......bahut saare.....dhyaan se dekhne pe udhar insano ke bhi kankaal dikhai diye.....
iske aage kuch aur dekh paata usse pahle hi Main Portal ke dusre taraf pahuch chukka tha......
Maine jaldi se break lagaya.....aur wapas se car ke mirrors mein dekhne lag gaya.....aur inn sab ke baare mein soch hi raha tha ki Nikita ne darwaja knock kiya......
Nikita - Kya kar rahe ho.....sab ander bulla rahe hai tumhe.....
Main jaldi se gadi se nikala aur sabke pass ander gaya......
K.Bua - Aap logo mein se kuch logo ko sayad ye baatein pata hongi.....par kuch aise bhi hai jinko inn sabke baare mein bhanak bhi nahi hai......
Maine dekha waha pe Pujari ji....Guruji.....P.bua, Rupal Didi sab maujood the.....yaha tak ki Leader bhi waha pe tha......
K.Bua ne hamare saamne ek naksa rakha.....naksa kisi bade se gaon ka tha......unhone phir humme plan batana shuru kar diya......
K.bua - Sabse pahle to humme iss gaon ko baaki ke gaon se alag karna hoga......ye aas pass dekh rahe ho....yaha pe jungle hai.....sath mein ek nadi bhi hai......humme iss tarah se kaam karna hoga ki koi ek panchi tak iss gaon se bahar naa jaa paaye.....chahe phir wo iss jungle se hi kyun naa jaaye.....Prateek iss kaam ke liye humme Old Owl ki bhi jarurat padegi.....
Prateek - Hmm aap chinta naa kariye....Main iske liye sabko bula deta hu......par hum ye kyun karne wale hai.....
K.Bua - Lambi kahani hai Prateek iss kahani ko agar batane baithu to sayad humme aur jyada der ho jaayegi....
K.Bua ki baat sunke maine aage phir kuch nahi kaha.....aur seedha Old Owl, Polar Bear King aur sath mein Jwala ko bhi waha pe bula liya......
K.Bua ne unn sab ko uss gaon ke charo taraf phail jaane ko kaha....aur sath mein unn sab ko ye bhi kaha ki kisi bhi haal mein uss gaon se koi bhi bahar nahi jaana chahiye.....
Iske baad K.Bua ne unn tinno ko aage ka kuch nahi bataya.....bas unhe apne kaam mein lag jaane ko kaha.....aur wo teeno bhi chale gaye......
Unke jaane ke baad......
K.Bua - Ab baari hai hum sab ki.....Pujari Ji.....Guru ji.....aap dono ko gaon ke ander chalna hoga hamare sath......aap dono ke ander itna experience hai aap humme unn logo ko samajhne mein madad karoge.....rahi baat baaki sabki....to hume iss gaon mein inn inn jagahon pe jaana hoga......aur hum ye 3 pairs mein karne wale hai.....iss gaon ko humne 3 parts mein baant diya hai.....aur unn 3 parts ke centres mein humare ye 3 pairs rahne wale hai.....Mujhe iss baat ka pata nahi hai ki waha pe haalat kitne percent kharab ho chukki hai....par main ye jaanti hu ki jitni honi chahiye thi usse kaafi jyada kharab ho chukki hai.....
K.bua ne uske baad pairs banane shuru kar diye......pairs mein.....
Main aur Leader the......Nikita aur Rupal didi the......aur aakhiri ka pair K.bua aur P.Bua khud the.....
Sab kuch ready tha......
Maine khud dekha ki Pankaj waha pe nahi tha......to Maine iss baare mein waha pe puch liya.....
K.Bua - Usko maine ek alag kaam diya hai......aur ummid karti hu wo uss kaam ko sahi se kar raha hoga......warna halat aur kharab ho jaayenge.....
Ye sab hua uske turant baad hum sabko bataye hue jagahon pe pahuchana tha......
Baaki sab ka to theek tha.....waha pe koi naa koi aisa tha jo dusre ko bata sakta tha aakhir hum yaha pe karne kya aaye hai.......par mera kya.....
Main Leader ke sath tha......Leader jo yaha pe bas aur bas apni Beti ke liye aaya hua tha......mujhe pata nahi isko yaha pe kya hua hai kya ho raha hai......innn sab se koi matlab bhi hai yaa nahi.......
Mere kahne ka matlab ye tha ki naa to isko pata hai yaha pe kya ho raha hai.....aur naa hi mujhe pata hai iss baare mein.....hum dono hi anjaan the yaha pe kya ho raha hai isse......
Ab hum dono to aa gaye the apne tay kiye hue jagah pe......
Leader - Humme plan ke anusaar ander ki oor chalna chahiye......
Main - Leader ek baat batana.......kya tumhe pata hai yaha pe kya ho raha hai.....
Leader - Nahi....mujhe iss baare mein to nahi pata.....par itna jarur pata hai ye sab jo ho raha hai......usko rokna jaruri hai.....agar aisa nahi hota.....to mujhe nahi lagta ki hum dono yaha pe iss tarah se hote.....
Main - Hmm baat to tumhari sahi.....
Abhi main usse baat kar hi raha tha ki mujhe kuch ajeeb sa dikha.......pata nahi kaise......par ye jagah bilkul se ussi jagah ki tarah dikhai de rahi thi.....jo jagah maine thodi der pahle dekhi thi......Portal mein car ke mirrors ke ander.....
Ab ye baat meri samajh mein hi nahi aa rahi thi....aakhir kaise......
Leader ne mujhe thoda confuse dekha....par wo aage badh gaya.....kyunki usko bhi kuch dikha tha.....aur usne mujhe bhi wahi dekhne ke liye bulaya tha.....
Yaha ye sab chal raha tha.....wahi dursi taraf Fumos pe......
Dhruv aur Justin ki alag hi class chal rahi thi.....
Uss Immortal ne to jaise inn dono ko pareshan hi kar rakha tha.......inn dono ne haar maan li thi.....ye dono ab ek dusre se ladte ladte thak gaye the......
Ab haalat kuch aise the ki ye dono khud mein naa ladd kar aapas mein kaam kar liya karte the.....
Immortal ko apna ye kaam bahut accha laga.....usne aakhir kaar inn dono ko ek kar hi diya tha.....par phir bhi kuch baatein baaki hi thi.....
Immortal abhi bhi unpe kaam kar raha tha......par wo abhi Earth pe jo hone wala tha.....uss chizz se anjaan tha......
Darasal iss wale immortal ke pass......ek aisi power thi....jisse ye.....hone wali chizzon ke baare mein pahle se hi jaan leta tha......aur yahi wajah thi iske yaha pe aane ki.....
Agar ye Fumos ko khatam karne yaha nahi aaya hota.....to Fumos ke chakkar mein Universe ka 1/5th hissa khatam ho jaane wala tha.....aur usko rokne ka kaam iska tha......par jo tarika isko pata tha.....uss tarike se naa sirf Fumos tabah hota.....sath mein aas pass ke kuch planets aur bhi ho jaate....jinme se Earth bhi ek planet tha......
Ab Earth tabah to nahi hua.....par ek ajeeb si baat ho gayi iss immortal ke sath.......Ab Earth pe yaa ass pass ke unn planets pe jo ki Fumos ke sath tabah hone wale the.....waha jo kuch bhi ho raha tha.....unn sab ka andazza isko nahi lag paa raha tha......
Aur iss baat se iss Immortal ko koi khass fark bhi nahi pad raha tha abhi tak to......
Lekin ab kuch hone wala tha jisse isko hi nahi baaki ke Immortals ko bhi fark padhne wala tha Earth se.....
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUPDATE - 130
"Ye kaise nishan hai.....aur ye kya hai kala kala......"
Main - Ye khoon hai....aur ye sadd chukka hai.....par itna sara khoon iss jagah pe...
Leader - Agar ye khoon hai.....to iski halat bahut kharab ho chukki hai....lekin....jis tarah ka ye hai.....abhi tak to isko sukh jaana chahiye tha.......ye yaha ke mitti pe aise kaise hai....
Maine Leader ki baat sunni aur uss khoon ko dekhne ke liye aage jhooka hi tha ki khoon ke ander se bulbulle nikalne lage......aur uske theek baad uske ander se 2 aankhen bahar aayi......wo aankhen tair rahi thi uss khoon ke ander......
Maine chizzen dekhi hui hai.....tarah tarah ki par ye sach much ghinauna tha......bahut jyada.....
Leader ne bhi wo sab dekha.....aur pata nahi uske dimmag mein kya aaya.....usne pass pade hue ek lakdi ke tukde ko khoon ke ander daala.....
Jab wo tukda wapas se bahar aaya to usme dimmag laga hua tha......brain ka kuch hissa tha uske ander.....
Main - Ye kya hai......kya ye sach mein dimmag hai....
Leader - Hmm......aur mujhe lagta hai ab humme apne hathiyaar bahar nikal lene chahiye.....kya tum aas pass ki lakdiyan ikatha kar sakte ho......
Main - Hmmm par tumne aisa kyun kaha ki humme apne hathiyaar nikal lene chahiye.....
Leader - Fumos pe......ek jagah thi.....jaha pe iss tarah ki chizzen paayi jaati thi......aur yakkin maano......tum kabhi uss jagah pe jaane ke baarre mein sochna bhi nahi chahoge.....Uss jagah pe aisi aisi cheezein dekhne ko milti hai ki puccho mat....
Main - Agar wo jagah aisi hai......to humme baaki sab ko iske baare mein batana chahiye......
Leader - Tum lakdiyan ikatha karo.....main koshish karta hu.....
Uske baad Main lakdiyan ikatha karne lag gaya aur wahi Leader baat karne ki koshish karne lag gaya.......
Wahi dusri taraf........
Nikita aur Rupal didi sath mein the......wo gaaon ke jis ilake mein gaye hue the.....waha pe unhe log mille......aur wo sab normal hi the......
Waha pe sab normal tha.....par dono ne phir bhi satarkta se hi kaam liya......wo dono bas waha ka jaayejaa leti rahi.......
wahi teesri taraf.....
Wo jagah jaha pe.....K.bua aur P.bua gaye hue the.....
P.Bua - Kavita yaha pe itna sannata sa kyun hai......
K.Bua - Hum wahi dekhne ko aaye hai yaha pe........jaise hi mujhe pata chala iss gaaon ke baare mein aur yaha ho rahi gadbadiyon ke baare mein.....main turant hi yaha aa gayi tum sab ke sath......
P.Bua - Kya tum uspe tab se nazar rakh rahi thi......
K.bua - (Muskurate hue) Agar mujhe wo kaha pe hai iss baat ka pata hota.....tumhe lagta hai hum aaj yaha pe hote.......
Wo dono baatein kar hi rahe the ki door ek ghar mein light on off on hote hue P.bua ne dekha.......
Shuru mein unko laga jaise koi bulb kharab ho gaya hoga.....yaa waisa hi kuch.....par nahi......ye ek sequence mein ho raha tha......
P.Bua - Kavita......waha pe.....uss ghar mein dekho......lights kaise sequence mein band chalu ho rahe hai......
K.bua - hmm humme waha chalna chahiye......
Aur uske baad wo dono uss ghar ke taraf badh gaye......abhi kuch durr gaye hi the ki acchanak se usko jaanwar ke chillane ki aawajein aane lag gayi......
Wo to waqt rahte hi unn dono ne apne hathiyaar nikal liye........warna uss jhund ne unn dono pe hamla kar hi diya tha......
P.bua - Kya ye......sach mein......inki aisi haalat kaise ho gayi.....
K.Bua - Hmm......ye lag to insan hi rahe.....hainnnn.....Pankaj.......Abhi.....
Yaha K.Bua ne Pankaj ka naam liya.....aur waha pe ek portal khula......
Portal ke dusre taraf DB aur Pankaj the......
DB - Ye kaun sa jaanwar hai.....
K.Bua - Baatein kam karo.....aur inme se ek ko behosh karke apne sath leke jaao.....jaldi.....
Pankaj ne dusri taraf se unn insano mein se ek pe behoshi ka jaadu kiya.....par wo bekar ho gaya......
Ab mahaul aisa tha ki wo saara jhund naa sirf dono Bua pe laga hua tha.....balki ab DB aur Pankaj bhi uss jhund ka sikar banne wale the.....aur to aur......ass pass se waise aur 3-4 jhundh waha aa rahe the.......
Pankaj - Ye nahi ho raha.......inpe jaadu ka asar nahi ho raha hai.....
K.Bua - Bandook leke aao.....aur nashe ki dawai se shoot karo inko.....
DB ne pass mein rakha bandook uthaya aur usse nishana lagaya.....
Ek goli......do goli.....par phir bhi kuch nahi hua unko........teesri goli lagne ke baad unme se ek ne apne hosh khoye the.....aur DB aur Pankaj ne usko pakda aur apne sath portal ke dusre taraf le gaye......
DB - Aap logo ko madad chahiye.....
K.Bua - Jitna bola gaya hai utna hi karo......ab baari baari se baaki ki teams ke pass jaao.......tumhe pata hai naa isko kaha pe leke jaana hai.....
K.Bua ki baat sunne ke baad unn dono ne portal band kar diya.....unka jaana tha uske baad...
P.Bua - Mujhe nahi lagta ab ye insaan bach sakte hai.....hume inki jaan leni hi padegi.....
K.Bua - Hmm agar baaki sabhi ko bachana hai to inn sab ko maarna hi hoga....
Uske baad dono Bua lag gayi unn sab ko kaatne mein......aur kuch hi der ke baad wo pura ka pura jagah......kaale khoon se bhar gaya tha......
Jab unn dono ne kuch ko maar diya.....aur baakiyon ka intezzar karne lag gaye.....tabhi P.Bua ne dekha ki lights aur jaldi jaldi band chalu ho rahe hai.....
P.Bua - Mujhe lagta hai abhi ke liye ye kaafi hai.....baakiyon ko baad mein dekha jaayega....uss ghar mein sayad koi humme bulla raha hai....
K.Bua - Theek hai....chalo...
Yaha wo dono uss ghar mein jaa rahe the wahi dusri taraf....
Pujari ji aur Guruji jo iss waqt DB aur Pankaj se khabar ka intezaar kar rahe the......
Wo dono bhi gaaon ke ander hi the......par jaisa ki K.Bua ne unko kaha tha......wo dono bas chizzon ko samajh rahe the.......unn dono ke pass gyaan ka bhandaar tha.....aur K.bua janna chahti thi ki waha jo bhi ho raha hai uske baare mein sayad unko koi andaaza ho.....
DB aur Pankaj kuch der mein waha pahuch chukke the......aur unn dono ne jo bhi dekha wo sab batane lag gaye......
Guruji ne jab sab kuch sunna to unke chahre pe tannav ki lakirein aa gayi.....
Pujari ji ko sayad abhhi jo ho raha tha uske baare mein utna andaaza nahi tha.....par Guruji ko dekh ke koi bhi ye baata sakta tha ki wo kuch naa kuch jaante hai.....aur ye bura hai....
Guruji - Elf Prince....agar aap dono ki batayi hui baatein ekdum se sahi hai.....to sayad kuch bahut hi bura shuru ho chukka hai iss Earth pe......Aap dono jaao.....aur humme har ek jagah se khabar do.....kass main jaisa soch raha hu,......waisa kuch naa ho raha ho yaha pe....
DB aur Pankaj dono hi waha se jaldi nikal gaye.....unko samajh aa gaya tha ye chizz bahut serious hone wala hai.....
Pujari ji - Guruji.....kya ho raha hai yaha pe......
Guruji - Tabahi.....tabahi aane wali hai yaha pe.....agar inn bacchon ne jo bataya wo sach hai.....to iss jagah ko Earth ko bachane ke liye iss pure gaaon ko khatam karna hoga......ek bhi jeev yaha se bahar nahi jaana chahiye.....
DB aur Pankaj iske baad hamare pass aaye.....
Maine tab tak lakdiyan ikatha kar li thi.....aur Leader ki baat nahi ho paayi thi kisi se.....pata nahi kyun....mujhe lag raha tha wo baat kar hi nahi raha hai.....
DB - Ye kya kar rahe ho.....
Leader - Tum.....accha tum bhi aaye ho.....dhyaan se sunno......Mujhe aag ki neeli laptein chahiye.....sirf neeli lapton se ho ab kuch ho sakta hai.....
DB - Kya ho raha hai yaha pe......
Leader - Dikhao inhe.....
Main unn dono ko uss khoon se bhare hue gaddhe ke pass leke gaya.....aur unko sab kuch bataya.....
Pankaj - DB humme isko bhi leke jaana hoga.....
Leader - Kya bakwas kar rahe ho.....usko chunna bhi mat.....tumhe pata nahi usse chunne se kya kya ho sakta hai.....
Pankaj - Kavita Madam ne bola hai isko leke jaana hai aur mere pass......
Leader - Tumhara jaadu kaam nahi karne wala ispe.....
DB - Jaadu kar kaun raha hai.....
Uske baad DB ek ne portal ke ander se kisi ko bulaya......wo banda puri tarah se suit mein band tha.....wo baahar nikala....aur usne uss gaddhe mein se samples liye aur angutha dikha ke successful ho gaya aisa bataya.....
Leader bas dekhta raha uss chizz ko.....
DB - Leader kya tumhe pata hai yaha pe kya chal raha hai.....aisa lagta hai tumne ye sab pahle dekh rakha hai......
Leader - Hmm.....aisi ek jagah.....Fumos pe hua karti thi.....aur wo sach mein bahut khatarnaak jagah thi.....Mujhe aag ki neeli laptein chahiye.....
DB - Theek hai....accha tumhe kuch aur pata hai iske baare mein....
Leader - Maine sunna tha Fumos se.......usne kaha tha.....ki ye uski suruwat issi tarah se hui thi.....
Pankaj - Kiski suruwat.....
Leader - Fumos ki suruwat.....
Pankaj ne usko aag ki neeli laptein di....aur uske baad wo dono waha se jaane lag gaye.....
Leader - Sabse kah do......yaha ki koi cheez naa khaaye.....naa hi piyee......ye sab....ye sab aise hi phailta hai.....
Pankaj - Hmm theek hai.....
Uske baad Pankaj aur DB waha se nikal ke wapas se Guruji ke pass gaye......aur waha pe pahuch ke unko jo bhi pata chala tha wo sab wapas se bataya.....
Guruji - jiss baat ki chinta thi.....wahi ho raha hai.....jaao aur sabko boldo.....ki taiyaar rahe......waqt bahut kam hai hamare pass.....
Pankaj aur DB wapas se waha se nikal gaye.....aur iss baad to Guruji bhi Pujari ji ko leke kahi chale gaye......
DB aur Pankaj iss baar Rupal didi aur Nikita ke pass pahuche.......
Waqt sahi tha unka.....wo dono tab hi waha pe pahuche jab Nikita waha pe paani pine wali thi.....
Pankaj ne jaise hi ye dekha....usne portal ke dusre taraf se hi uske hath se paani nicche gira diya.....
Rupal didi - ye kya hai......Pankaj....tum....
Nikita - Ye kya tha.....
Pankaj - Tumhare Papa ne kaha hai iss gaaon mein naa to kuch khana hai aur naa hi peena hai....
Nikita - Kya matlab.....
Abhi Pankaj koi jawab deta usse pahle......
DB - doston......ye...ye log hamari taraf aise kyun aa rahe hai......
DB ki baat sunne ke baad jab sab ne aas pass dekha to hosh hi udd gaye sabhi ke......
Logo ki bheed unke taraf aa rahi thi.....aur wo bhi ajeeb tarike se......wo sab aapas mein takraye jaa rahe the.....girte jaa rahe the....par baar baar uth uth ke wo unn sab ke pass aa rahe the.....
Pankaj - Humme yaha se chalna chahiye.....
Rupal didi - Par ye ho kya raha hai......
Uske aage wo kuch aur bolti usse pahle hi Pankaj ne portal ko apne taraf kheech liya.....aur sath mein jo paani Nikita pine wali thi usko bhi utha liya aur le gaye......
Wo charo iss waqt waha se jaa chukke the......
Rupal didi - Ye kya tha.....K.bua ne humme waha pe rahne ko bola tha.....aur tumne....
Pankaj - Apne dekha nahi.....wo sab kaise hamare taraf aa rahe the.....
Pankaj ne wo paani uss lab mein khade ek bande ko diya....aur usko bhi test karne ko kaha.....
Nikita - ye kaun si jagah hai.....
Pankaj - ye.....ye K.bua ka thikana hai.....unhone apne insani doston ke sath banaya hua hai......
Rupal didi - kya humme unhe yaha nahi bulana chahiye....
DB - wo khud aa jaayenge.....humme bas Prateek aur Leader ko lene jaana hai.....aur uske liye abhi waqt hai......
Rupal didi - to humme kyun bulaya gaya yaha pe.....
Pankaj - Aap shant ho jaao....apko yaha iss wajah se laye hai taaki hum ye confirm kar sakke ki apne koi cheez khai pe to nahi hai....Inn dono ka bhi test karo.....
Wo dono kuch aur bolti usse pahle unn dono ko waha se leke chale gaye......
DB - ye kya tha.....
Pankaj - ye sawal bahut karti hai......ab thodi der shanti rahegi.....chalo tab tak Guruji ke pass ho lete hai.....
Uske baad dono wapas se Guruji ke pass chale gaye......par iss baar dono aashram jaa pahuche the......
Pankaj - ye Guruji yaha aa gaye kya.....
Guruji - Aoo tum dono ka hi intezzar tha.....maine aashram mein sabhi se bol diya hai.....ki wo sab tumhara sath denge....
Pankaj - kis chizz mein....
Guruji - Uss narsanghar mein jisko ab tum sab dekhne wale ho.....
DB - Hum kuch samjhe nahi.....
Guruji - Ye Earth ab Fumos ki tarah banne wali hai.......pata nahi kaise.....par ye banne wali hai.....
DB - hmm leader bhi kuch aisa bol raha tha.....par hum aisa nahi hone denge.....
Guruji - Tum isme kuch nahi kar sakte.....sab taiyaari ho chukki hai.....aur dukh iss baat ka hai ki mujhe iske baare mein kuch pata kyun nahi chala.....agar waqt rahte pata hota to sayad kuch ho sakta tha.....
Pujari ji - Guruji sayad abhi bhi thodi aasha ho......
Guruji - Assha ab naa ke barabar hai.....par theek hai......main apne logo ko tab tak koi aadesh nahi dunga jab tak uss gaaon se log bahar naa aane lag jaaye.....jaise hi log bahar aane lagenge.....mere log unko khatam karne waha pahuch jaayenge.....
DB - Kya apko pata hai uss gaaon mein kitne log hai.....
Guruji - Muthi bhar logo ko maar ke agar pura planet baccha sakte hai....to ye kabool hai mujhe....
DB aur Pankaj ye sab sunne ke baad waha se nikal gaye.....
Pankaj - humme ye sabko batana hoga.....
Aage dekhte hai kya hota hai.....kya Earth bhi Fumos bann jaayega......
बहुत ही शानदार लाजवाब शुरुआत हैं कहानी कीUPDATE - 1
Shuru karte hai ek sawal se....
"Jo kabhi paida hi naa hua kya wo kabhi marega...jis raste pe aapne kadam hi nahi rakha kya aap aap uss raste se hoke jaane wale mukaam tak kabhi pahuch paoge...jo Imarat kabhi bani hi nahi kya wo todi jaa sakti hai....".
Sayad jyada ho gaya.....chaliye isko chod hum kahani pe chalte...waise ye sawal aate rahenge kahani mein issi liye likha hai....
Ek school hai...Earth ka nahi kahi aur kaa.....kaha ka wo aage dekhte hai....
Haa to school hai to class bhi hogi....ab yaha ki tarah to hai nahi ki binna class ke hi school binna collage ke hi degree..
To class chal rahi thi...Teacher shahiba padha rahi thi aur bacche padh rahe the...
Teacher- Kittu chalo batao pramukh planets kon kon se hai....
Kittu ek student hai jo kabhi padhayi mein dhyaan nahi deta usse sawal iss liye pucha Teacher ne kyun ki ye janab baithe hue the last bench pe aur khana thoosh rahe the...
Ab Madam ne pucha to khada hona hoga jawab dena hoga warna sazza ke liye taiyaar raho...
Kittu khada hota hai aur agal bagal apne doston ko dekhne lagta hai...par dost bhi iske harami the...koi 3 kah raha hai koi 6 to koi 1 bol raha hai...Kittu pareshan ho jata hai waqt to tha nahi ki sochte rahe kyunki Madam ji ko gussa to aa gaya tha pahle hi...to aankhen band kar ek andaza lagata hai wo....
Kittu- 7
Sayad aaj Kittu ka naseeb accha tha...usne andaze se hi par sahi jawab de diya tha...aur uska jawab sun sabhi usko dekhe jaa rahe the...Madam bhi usko dekhe ja rahi thi...
Madam- Haa sahi jawab....chalo ab batao ki kon kon se...
Ab kittu fasa wo bechara jiska pahle sawal ka jawab hi tukke se sahi hua hai ab usko ussi sawal ke baare mein batana hai....
Kittu- Madam naam to pata nahi hai....
Madam- Pata kaise hoga aap to khana khane aate ho yaha...padhayi karoge nahi to kaise pata hoga ye sab...chalo iss baar maaf kiya kyunki pahle sawal ka jawab sahi tha..tukke se hi sahi..
Kittu baith gaya...
Madam:- Chalo kon batayega 7 pramukh planets ke naam...
Ek student khada hota hai...
Student- Madam
"Sabse pahle aata hai sabse strong planet "Titan planet".....yaha pe Devta rahte hai...
dusra aata hai "Orion Planet".....ye jadugaron ka planet hai...
tisra aata hai "strange world".....yaha tarah tarah ke jeev hote hai.....hum bhi yahi ke rahne wale hai...
chautha aata hai "Earth"....yaha ajeeb se dikhne wale log rahte hai...ye pramukh ptanets mein hona chahiye yaa nahi ispe vivad hai abhi bhi...
panchma aata hai "Dark world"....yaha pe saare bure creaatures rahte hai...
Chhatha aata hai "Fomos world"....ye hai ek jail jaha pe upar ke sabhi planets ke siway Earth ke behad khatarnak mujrimon ko bheja jaata tha sazza katne ke liye...par unsabne yaha pe kabja kar liya aur iss jagah ko chor dakku insabka ilaka bana diya hai...
shatva aata hai "Demos world"....yaha pe shaitan rahte hai...
Waise aur bhi hai planets par unko iss shuchi mein naa rakhne ki wajah hai waha ki population aur kuch aur khass wajah..."
Madam ji to puri khush usne uss student ko sabasi di aur baithne ko kaha...
Madamji - Haa to aaj ka class hai Earth ke baare mein....Haa pata hai ye boring jagah hai...par ye pahle aisa nahi tha...yaha pe jo mukhya prajati hai wo hai insan ki...par iss Mukhya prajati ke alawa bhi aur prajatiyan hai yaha jo chup kar rahti hai iss jagah pe aur unhi ke karan iss Planet ko Mukhya planets mein ginna jaata hai...Ab unme aate hai Elfs, Fairies, Vampire...aur bhi naa jaane kitne jeev....
Abhi baat puri nahi hui ki ek student haath utha ke sawal puchne ka ishara karne laga...Madam ji ne usse puchne ko kaha...
Student- Madam ye sab jo prajatiyan hai wo to waha ki nahi lagti...fairy acche powers ki hoti hai Vampire bure powers ke fir dono ek planet pe kaise...
Madam- Haa ye ek accha sawal hai....chalo ab batati hu...baat ye hai ki jab Fomos planet se sazza kaatne ke baad cratures ko wapas apne planet pe jaane ka mauka milta tha to unhe pahle kuch waqt iss planet pe rahna hota tha....ab ye niyam kyun tha iska pata nahi hai....Haa to issi niyam ke karan log Pritvi pe jaaate...par waha se bahut hi kam log wapas apne planets pe pahuch paate the...baaki ke wahi rah jaate...waha ke logo ke bitch...Ab ye sab chalta raha aur unke baccho ka bhi janm hone laga Earth pe jisse unn sab ki bhi prajati badhne lagi...par ab unke baccho ko wapas unke planet pe nahi laya jaa sakta tha...jab aisa hua to unn creatures ne waha bhi apni apni community bana li....aur wahi pe rahne lage...
Ab bahut ho gayi padhayi chalo yaha ke logo ke baare mein bhi jaan le aur kuch mukhya kirdaro ke baare mein...
Haa to ye jo madamji hai ye Billi ki tarah dikhti hai sirf ye hi nahi yaha iss school ke bahut se log billi ki tarah hi dikhte hai...puch bhi hai inn sabki...
Madamji ka naam hai IP ab ye kyun hai wo ye jaane...
Inka iss kahani mein role aata rahega...ab iss school ke baare mein jaan le...to ye school Strange world mein hai aur sabhi 7 worlds mein sabse acche school mein aata hai ye school yaha pe har world ke bacche aate hai padhne ke liye apni powers jaane ke liye...Har world se matlab ye hai ki naa sirf inn 7 worlds balki aur bhi alag alag worlds se bhi....
Iss School ke sansthapak ke baare mein kisi ko kuch pata nahi hai....par unki shaktiyon se sab parichit hai...chaliye aapko bhi parichay dilwate hai ek ghatna se...
Kuch saal pahle ki baat hai...Demos world ka Rajkumar yaha padhne aaya tha...Demos world ka rajkumar bole to Demons ke Raja Lucifer ka beta....uska kisi karan se jhagda ho gaya kisi se...ab ye to thahre gusse wale rajkumar...to inhone apni buri kaali shaktiyon ka prayog karna chaha....Par ussi waqt ye janab Strange world se teleport hoke apne planet pe pahuch gaye...matlab ye ki iss school ke sansthapak ne yaha aise jaadu kiye hai jisse students apni shaktiyon ka use bas uss class mein hi kar sake bahar nahi...aise hi bahut saare jaadu wo karke gaye hai...Ab unka koi pata nahi hai koi nahi jaanta wo kaha hai...
Iss ghatna ko batane ka ek karan ye bhi tha ki issi ghatna ke baad se Demos world Strange world pe hamla karne ki koshish mein rahti hai...par strange world ko bhi Orion aur Titan world ki shuraksha milli hui hai to wo nakaam hi rahte hai....
Lucifer - Demos world ke king, Demon lord
IP- teacher, Strange world (kuch aur bhi baatein hai inke baare mein jo bahut khass hai wo aage pata chalegi)
Abhi ke liye bas inn dono ka hi introduction rakhte hai...aur chalte hai hum Earth pe...Jaha pe aaj ek meeting chal rahi thi saare magical creatures ke head ki...
Baat ye thi ki wo bhi apne baccho ko Strange world mein padhana chahte the par...Strange world ke log ye maan nahi rahe the...
Elf Community ka head- Baat sidhi hai humme bhi apne baacho ko Strange world mein padhane ka mauka milna chahiye....Maine Elf King ko sandesha bhijwaya hai aur wo humare support mein hai...
Vampire community ka head- Sandesh humne bhi bhijwaya hai par koi jawab nahi aaya waha se...ab to bas aap logo pe hi ummid hai...
Warewolf community ka head- Humare maharaj bhi support mein hai...unka kahna hai ki wo iss mudde ko Strange world mein jarur uthayenge...
Fairy community ki head- Fairy queen ne bhi humme kaha hai ki wo baat karegi...
Abhi meeting chal hi rahi thi ki acchanak se roshni hui waha pe...kisi ko kuch dikh nahi raha tha..sabki aankhen band thi...roshni to kaam nahi hui par ek awaj aayi usse jisko sun sab khush ho gaye...(Vampire chup gaya tha wo roshni mein nahi aate)
Awaj- Main Strange world se aaya hu aap sabko ye batane ki ekbaar firse Earth se log Strange world mein padhayi karne jaa sakenge...
Itna bol wo aawaj wo roshni sab chali gayi...aur yaha pe sabki khusi ka koi thikana hi nahi raha...
Ye baat har jagah phail gayi ki Earth se bhi ab Strange world padhne jaa sakte hai...
2 din ke ander hi sab bacche ready ho gaye apni apni tests ke liye jo unhe dena tha Strange world mein jaane ko...test tha magic ka weapons chalane ka aur bhi kuch chizon ka...
Jab results aaye to Strange world ke log hairaan the...Earth ke saare bacche pass the..wo bhi acche numbers se...Ab jab aisa hua to school administration ne ek aisa faisla liya jiska kisi ko yakkin hi nahi hua...
Faishla ye tha ki Earth pe bhi iss school ka ek branch khola jaayega...Branch kulla aur padhayi shuru ho gayi....Par kisi ne ye nahi socha tha ki Earth k branch ek din Strange world ke branch se bhi aage nikal jaayega...jab aisa hua to IP madam ko Earth ke branch ka principal bana diya gaya...
Arre ye sab bahut pahle ki baatein ho rahi hai...base banana bhi to jaruri hai naa...aur thodi faltu ki bak bak aadat hai meri..
Ab hum aate hai Earth pe aur kahani humari yahi pe ghumegi jab jarurat ho tab bahar bhi ghum aaya karenge...
Year - 1976
Planet - Earth
Place- Imperial College, London
Ajeeb si ghatna hui thi yaha pe...jo iss college ke security, management sabko pareshan kar rahi thi unse puch rahi thi ye kaise hua...Yaha se acchanak se Students gayab hone lage...ek do nahi purre 23 students gayab...kisi ne unko bahar jaate hue nahi dekha tha...wo ander hi the collage ke hostel mein aur bas gayab ho gaye..Aaj tak unka pata nahi chala hai kaha gaye wo..
Year - 1989
Planet- Earth
Place- University of Calcutta
Yaha pe bhi aisi hi ghatna hui bacche gayab ho gaye iss university se...aur kisi ko bhi unka pata nahi chala...parents ne puri koshish ki par kuch pata nahi chala...
Ye to bas 2 jagahon ke naam hai Earth pe bahut se aise jagah the jaha se aise hi log jawan log jinki umar karib 19 - 20 saal hai wo gayab ho rahe the..aur unka kuch bhi pata nahi lag raha tha...
Kiska haath tha inn sab ke picche koi nahi jaanta tha...
Chaliye hum ek jagah chalte hai jaha sayad pata chal jaaye kuch...ye ek jungle hai bahut hi ghanna jungle...jiske centre mein ek guffa hai...Guffa ke ander se bas chillane ki aur hasne ki aawajein aa rahi hai...wo bhi bhayanak aawajein...
Jaise jaise guffa ke karib jaate hai waha kankal pade milte hai insano ke kankal jaanwaron ke kankal...thoda aur pass jaaane pe badbu aani shuru ho jaati hai aise bhayanka badbu ki puccho mat...aisa lagta hai 1000 chuhe mare pade ho yaha...
Guffa ke dwar pe ek murti jaisa kuch bana hua hai...dikhne mein to kisi inshan ki tarah hi lag raha hai...par usse lamba hai...ye Orion planet ke jaadugaron ki tarah dikh raha hai...Thoda aur aage jaane pe ek parchayi dikhayi di....jo kuch khaa rahi thi...aahhh aahhahaaa ye to ye to insan kha rahi hai ye ye to daayan hai....wo insan ko khati hai aur uske bacche hue kuch angon ko Body parts ko alag rakhti hai...jab uska khana ho jaata hai to wo apni jagah se uthti hai aur unn body parts ko Guffa ke dusri oor le jaati hai...yaha kuch bana hua tha...jispe makhhiyan bhinbhina rahi thi...ye to pura ka pura maans se bana hua hai...
Daayan uske upar wo bacche hue chizen lagati hai...aur pagalon ki tarah hasne lagti hai...
Daayan- Mera sapna mera sapna pura karega tu karega pura tu hihiihihihhii....bas aankhen hi baaki hai ab .....wo bhi laga dungi fir tujhe jinda karungi...hihihihiii...tu raja banega iss pure planet ka sabko apna gulam banayega tu tu bhi amar hoga...Amar hoga tu bhi...fir fir hoga badle ka khel shuru...pahle Earth fir Strange world fir baaki ke planets sabko sabko tera gulam banna hoga sabko...hihhihiiihii..
Wo daayan hasti, naachti hui aise hi baatein karti rahi...
Ab yaha rahna sahi nahi hai kya pata mujhe hi pakad le ye....
Ye jo kuch bhi yaha ho raha tha uska pata abhi tak kisi aur world ko nahi tha...Earth pe bhi jo magic school tha usko bhi bas itna hi pata tha insan gayab ho rahe hai....par ye to aam baat hai...yaha to insan maar kaat karte hi rahte hai..
Karib 2 din baad matlab Aaj to 15 July 2018 hai to ye ghatna 27 july ki thi...
Jab Delhi se ek ladka gayab hua...uske picche bhi issi Daayan ka haath tha....Daayan ne usko pakda aur wapas le gayi ussi guffa mein Guffa mein jaane ke baad pahle to Daayan ne uski aankhen nikali aur fir baaki ka kaam kiya uske body ke saath....
Aaj naa jaane kitne saalo ki mehnat puri honi thi iss daayan ki...usne uss maans se banne jo bhi tha wo uspe aankhen bhi laga di...aur fir wahi bhayank hassi...
Hasne ke baad usne guffa se bahar aake aasman ki oor dekha...grahan lagne hi wala hai to usne uss pathar ke murat ko ek baar dekha aur uske dekhte hi wo murat hillne lagi...Wo pather ji utha...usme se ek lamba chauda aadmi nikla....ji haa ye Orion planet ka jaadugar hi hai....
Jaadugar- Ye tum sahi nahi kar rahi ho Sofia...bahut hi khatarnak hai ye...
Sofia iss Daayan ka naam hai...
Sofia- Sahi galat kuch nahi hota Viraj....bas takat hi sahi hoti hai jo ye mujhe dega...
Viraj jaadugar kaa naam hai..
Viraj- Sofia baat maano meri....aahhhh..
Viraj kuch aur bolta usse pahle hi Sofia ne uska haath kaat diya jisse nikalte hue khoon ko wo ek katote mein jamma kar rahi thi...
Viraj- Sofia bahut galat hai ye tum bhi jaanti ho isse wo Amar ho jaayega..usko koi bhi maar nahi poaayega...Wo tumhe bhi nukshan pahucha sakta hai...
Par Sofia ko insab baaton mein koi dilchaspi hi nahi thi wo to bas lagi hui thi khoon ko ikkatha karne mein...jab uske jarurat jitna khoon aa gaya uske pass to usne Viraj ko wapas se pather banana chaha par iss baar Viraj ne ye nahi hone diya apne magic se wo waha se bach nikla...uske jaane pe Sofia ko jyada fark nahi pada jiski usko jarurat thi wo usko mil chuka tha...
Sofia ne Viraj ke khoon se pahle ek ghera banaya...uske bich mein uss maans se banne hue gudde ko rakha...fir khud ka haath kaat kar Viraj ke khoon ke upar dalne lagi...ussi ghere pe...Jaise hi ye ghera pura hua aur Chandragrahan laga...Kaali Safeed roshniyan Charo taraf se uss ghere mein aane lagi...aur wo shedha jaa rahi thi uss maansh ke banne hue gudde mein...Sofia ye sab dekh bahut khush ho rahi thi wo to bas naache hi jaa rahi thi....usko to uska sapna pura hote dikh raha tha....Chandragarahan khatam hua roshniyan bhi aani khatam ho gayi....
Wo Maans ka tukda ab ek jitta jaagta insan ban gaya tha...Insan haa insan Pritvi ke logo jaisa insan...Dekhne se hi jisko koi bhi dar jaaye...Par uska roop turant hi badal gaya aur wo normal logo ki tarah dikhne laga...
Aas paas usne dekha to bas wo Daayan yaani Sofia hi nazar aayi jo pagalon ki tarah naach rahi thi has rahi thi.....
"kon ho tum"
Sofia- Main main hu teri Maa tu tu mere har ek saone ko pura karega...tu tu mujhe ye puri duniya jeet ke dega...
"Maa "
Sofia- Haa Maa...Abhi to teri padhayi karwani hai par jab tu uss kabil hoga main apni vidya bhi dungi tujhe aur aur tu fir mere sapne pure karega...tera naam tera naam hoga...Slayer...
Slayer- Jaisa tum kaho Maa...
Haa to ye hai humara Villain....Slayer
Slayer ke ander Viraj ka khoon tha sath mein Sofia ka bhi matlab black aur white dono powers....upar se iska janm to hua nahi tha balki isko banayya tha Sofia ne to ye marne wala bhi nahi hai...par abhi dikkat ye thi ki iske ander wo shaitani nahi thi jo honi chahiye thi...ye shaitani to ab aate aate hi aayegi..
Aaj ke liye yahi tak...agle din dekhte hai ke Slayer kaise Magic school pahuchta hai...
Abhi kahani Villain ki hi chalegi...Ye villan jab bana hai tab se uski umar 18+ hi hai
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUPDATE - 2
Ab tak....
Ab tak humne dekha ki kaise Slayer ko jinda kiya Sofia ne...aur uske through wo apne sapne pure karna chah rahi hai...
Ab aage
Raat to bas gujar gayi...aise hi...
Par issi raat mein ek aur ghatna hui thi....wo tha innsab ka aabhas hona...matlab ye ki IP jo i apne room mein so rahi thi acchanak se vatavaran mein aayi aisi hulchal se wo jaag jaati hai...Wo turant hi apne room ke khidki ke pass jaati hai bahar ki oor dekhti hai to usko bas andhera hi dikhayi deta hai aur kuch bhi nahi...Aashman ki oor dekhti hai to usko waha pe chandra grahan dikhati deta hai...
Aisa nahi tha ki usne pahle pritvi pe kabhi chandra grahan nahi dekha tha...usne dekha tha ye par aaj kuch ajeeb hi tha...aankhen band ki usne apni to usko aisa laga ki koi apni taraf bahut saara Aura(Energy) khinch raha hai...iss energy ki maatra itni thi ki ye koi ek magical creature nahi kar sakta tha....IP ne uss oor nazar dhyaan lagana chaha to uska dhyaan toot gaya...ye aurbhi ajeeb tha aisa uske saath pahle kabhi nahi hua tha...usne fir se koshih ki par iss baar bhi nakaamiyab..
Usne ek last baar fir se ye karna chaha to usne paya ki ab koi Aura(energy) transfer nahi ho rahi hai...aasman ki taraf dekha to chandra grahan khatam ho chuka tha...
Ye sab dekh wo ye sochne pe majbor ho gayi ki ye sab....chandra grahan ke karan hua hai....par usne iske baare mein Strange world ke Magic school ko khabar dena bhi sah samjha...
Usne ek kagaz pe jo bhi usne mehshoos kiya wo sab likh diya aur pass mein jal rahi aag mein usko daal diya...
Jab kagaz jal raha tha wo kuch budbuda rahi thi...
Thodi der mein kagaz jal gaya...aur wo wahi baith ke intezar karne lagi...pata nahi kis chiz ka intezar karne lagi wo....
Karib 10 minute baad uske kamre mein dhunwa failne laga...matlab smoke....aur saath hi mein ek aawaj bhi gunji..
"IP aapka sandesha Magic school ke head tak pahuch gaya hai wo jald hi aapse sampark karenge..."
Ye aawaj waha room mein gunji aur fir wo smoke gayab...
IP ne apna kaam kar diya tha auur wo wapas se apne bed pe jaakar baith gayi....
Inko yahi chod hum ek aur janab ke pass chalte hai jo ki ghayal hai abhi...ji haa baat ho rahi hai Jaadugar Viraj ji ki...wo Sofia ke yaha se bhagne ke baad pahuch gaye ek gaon mein...insano ka gaon...abhi bhi uske haath se khoon bahta jaa raha thaaur usko pata tha ki iska ilaz shubah se pahle hone se raha....Shubah iss liye kyunki suraj ki roshni jab padti hai Orion ke logo ko to wo takatwar ho jaate hai..unki shaktiyan badhne lagti hai...
Ye bhi ek wajah thi ki Sofia uss ghane jungle mein kyun rahti thi aur usne Viraj ko waha pe kyun rakha tha...uss ghanne jungle mein suraj ki roshani uss guffa ke pass naa ke barabar aati thi jiski wajah se Viraj ko uski shaktioyan yaa kahu khurakh nahi mil paa rahi thi...aur yahi karan tha unka pathar ka banna rah jaana..
Jab Viraj uss gaon mein pahuche to ek chor se unki takar ho gayi..wo chor wahi pe gir gaya aur girne ki wajah se jamin pe pade ek pather se usko choot lag gayi...jiski wajah se cheekh nikal gayi chor ki...
Ab raat ke waqt koi cheekhega wo bhi gaon mein to log to jaagenge hi naa..bas fir kya tha log jaaag gaye aur awaj wali jagah ki oor jaane lage...
Wo chor utha aur usne Viraj ke galle ke pass chaku laga diya...
Gaon wale tabtak waha pahuch chuke the..aur unhone jab saamne ka nazara dekha to ye samjhe ki chor ne iss musafir ke sath aisa kiya hai uska haath kaat diya hai...\
Gaon wale gusse mein uss chor ki taraf badhne lage...
Chor- aage aaye to ye gaya...wahi rahna...
Chor ki iss harkat pe naa chahte hue bhi Viraj ke chahre pe mushkan aa gayi....ek hi haath se usne chor ko aisi patkani di ki chor dher ho gaya...uske baad baaki kaa kaam Gaon walo ne kar diya...
tabhi kuch logo ki nazar padi Viraj pe aur uske katte hue haath pe....
Wo sab jaldi se Viraj ke pass aaye aur usko leker gaye uss gaon ke vaidyya ke pass....Viraj manna karta raha par kisi ne uski ek nahi sunni...
Vaidya ke pass jaane par Vaidya ne uske ghaw ko dekha...fir apne pass padi kuch paudhon ke lep ko uske ghaw pe laga diya...
Vaidya- Ye khoon rok dega tumhara...par iska ilaz hospittal mein hi karana hoga...
Viraj-Ji theek hai...
Viraj ko unn sab gaon walo ka caring nature bahut hi accha laga....
Unn gaon walone usko raat gujarne keliye jagah bhi di....
agle din...
Shubah hui...
Sofia bahut hi jyada khush thi apne sapna pura hone ke baare mein soch soch kar....
Usne Slayer ko uthaya aur fir usko shubah se hi wo basic baatein batane lagi samjhane lagi jiska pata hona Slayer ke liye jaruri tha....unke binna uska admission namumkin sa tha Magic school mein...
Sofia ne Slayer ko bataya ki wo usko agle 3 din tak usko kuch baatein batayeingi jiska usko dhyaan rakhna hai...
Slayer taiyaar tha...
Sofia ne sabse pahle to usko black energy aur white energy ke baare mein thoda thoda bataya...fir usko dhyaan lagana sheekhaya...saath hi ye bhi bataya ki kis tarah dhayyan lagane se dono hi energy samanya roop se usme badhti rahegi...
Sofia ne usko kuch aisi bhi baatein batayi jaise ki agar uske sharir ke ander ka black energy wahite energy se bahut jyada badh gaya to uske liye wo khatra ban sakta hai...khatra iss roop mein ki Earth ke Magical creatures ko uske hone ka aabha ho jaayega...jo ki abhi nahi hona chahiye....
Sofia- Jab tak tu apni saari shaktiyon ko unlock nahi kar leta kisi ko bhi tere yaha hone ka pata nahi chalna chahiye...tujhe bhi ussi tarah chip ke rahna hai jaise main rahti aa rahi hu...aaj tak kisi ko pata nahi main kon hu yaha kab se hu...
Sofia ne fir usko kuch hathiyaar chalana aur nihanebaazi ki bhi training di...saath mein kuch jaadu ke bhi...
Innn 3 dinno mein aise hi aur kahi baatein Saofia ne Slayer ko batayi...
Wahi inn 3 dinno mein IP ko koi jawab nahi aaya tha strange world se sayad waha ke principal kuch jyada hi vyast ho gaye honge....Wahi Viraj ka haath thik ho gaya tha aur wo uss gaon ko chod chla gaya tha par usne Earth nahi chodi thi...wo kisi chiz ke talash mein lag gaya tha...ab wo kya hai ye to wahi jane..
Next day...
Aaj wo din tha jab Sofia ne Slayer ke admission karwane ke liye...usko uska roop badalne bola....usko ek warewolf banne ko bola aur wo khud bhi roop badal kar ek warewolf ban gayi...Sofia roop badalne mein bahut maahir thi...iske iss shakti se Sofia ne kya kya kiya hai wo aage ke updates mein dekhne ko milega...
Dono Maa bete Warewolf banke...chal pade Magic school ki oor...
Magic school mein pahuch kar waha ke pricipal yaani Ip ke office ka pata le dono hi pahuch gaye unke office mein....
Jab dono ander aaye to IP ne unko dekha...dekha nahi ghoora kahiye...kuch der ghoorne ke baad
IP- Ji bliye kya kaam hai...
Sofia- Ji ye beta hai mera Slayer iko yaha admission dilana hai...
IP- Ek aur hybrid....
IP ka hybrid bolna tha ki Sofia ko jhatka laga...usko ummid hi nahi thi ki koi ye jaan paayega ki Slayer alag hai sabse...
Sofia- Hybrid...nahi nahi ye koi hybrid nahi hai...
IP- Pata nahi aap kyun jhoot bol rahi hai par ye ek hybrid hi hai...iske ander aapki black energy ke saath sath iske pita yaani aapke pati ki White energy bhi hai...aur isse saaf pata chalta hai ye hybrid hai...
Sofia ko pata chal gaya ki ab thoda drama karne ki jarurat hai...to wo shuru ho gayi...aankhon mein aashu liye apni kahani shunani shuru ki usne...
Sofia- Ab kya bataun aapko...ek jaadugar ne mujhe apne pyaar ke jaal mein fasa liya aur yaha le aaya aur....aur mere saath.....
Itna bol wo rone lagi...
IP ne turant hi Slayer ko bahar jaane ko kaha...
Slayer bahar chala gaya...
IP- aap roiye mat puri baat bataiye...aapke bete ko bahar bheja kyunki sayad ye sab...
Sofia- Haa samajh sakti hu...aapko pata hai uss jaadugar ne naa sirf mujhe pregnent kiya balki mujhe chod ke bhi bhag gaya...main main Dark world ke niyamon ki wajah se yahi ki ho gayi....aur ab bas....ab bas itni si iccha hai ki mera beta padh likh jaaye aur yaha Pritvi pe hi sahi par acchi jindgi bitaye...
IP thodi emotional type ki thi...par ye kisi ko dikhati nahi thi wo...
IP- Ji aapki iccha jarur puri hogi...main aapki har mumkin madad karungi...
Sofia apne drame mein kamiyab ho chuki thi...Sofia ke shahre pe ek shaitani mushkan aa gayi..
Sofia- Ji shukriya bahut bahut shukriya..
IP- dehi main aise hi uska admission to le nahi sakti maana main principal hu par yaha ke bhi niyam hai...aur unhe follow to karna hi hoga...
Sofia- Ji main samajh saktu hu...
IP ne ek kitab Sofia ko di aur kaha ki isme ek form hai usko bharna hoga...fir apke bete ko ek test ke liye bulaya jaayega...agar wo pass hota hai to aapka beta yaha padh sakta hai...
Sofia - Ji form to main abhi bhar dungi par ye test kab hoga...
IP - Test 2 din baad hoga...
Sofia ye sun udas ho gayi...
IP - Kya baat hai..
Sofia- JI baat aisi hai hum dono yaha bahut hi door se aaye hai...
IP- KOi baat nahi main ek kaam karti hu aaj hi apke bete ka test karwa deti ju...itna to main kar hi sakti hu...bas aaap jaldi se ye fiorm fill kar dijiye...
Sofia khush ho gayi...khush hone ki 2 wajahein thi ek ye ki Slayer ka admission aaj hi ho jaayega...dusri ye ki usko wapas se iss IP ke samne nahi aana padega...sach pucho to Sofia ko IP ke aankshon se dar lagne laga tha...jis tarah usne unn dono ke ander ke energy ko pahechan liya agar wo puri koshish lkarti hai to pakka Sofia ki asliyat usko pata chal jaayegi....
Sofia ne jaldi se form bhara wahi IP ne Slayer ke test ki taiyaaari karwa di...
Slayer ka test lene School ke hi ek teacher aaye the...
Teacher - To Slayer...tum taiyaar to hoge hi ab main tumhe iss test ke bare mein ek baar fir se apni taraf se batana chahunga...Iss test mein 3 rounds honge..1st round...magic round...isme tumhe jaadu karke dikhana hoga....Darne ki baat nahi hai tumhe bas chte mote jaadu hi dikhane hai naa ki Orion walo ke barabar jaadu....2nd round...hatiyar chalana aur nishanebazzi...3rd round...iss round mein tumhe kuch chizon se bachna hai unn chizon se jinse tumpe hamla hoga....Darna nahi tumpe pani ke gollon se hamla hoga aur kisi chiz se nahi....Ab ye bhi sun lo ki aisa test kyun to hamare school ki ye soch hai ki sabko pahle har chiz ka basic bataya jaaye...yaha har chiz se matlab hai jaruri chizon ka...baaki unke ander jo talent hai unko to hum nikharte hi hai aage.....
Teacher ne usko saare rules aur naa jaane kya kya bataya...
Ab shuru hua test....
Sabse pahle magic ki baari...Slayer ne magic dikhaya apni ungliyon ke isharon pe chizon ko yaha se waha karne ka jaadu....Teacher isko dekh bahut jyada impress ho gaya...fir baari aayi hatiyar chalane ki aur nishane baaji ki isme bhi usne kammal kar diya...jab 3rd round ki baari aayi to usne kuch aisa kiya ki teacher ko samajh hi nahi aa raha tha ki kya bole..
Teachers ne jaise hi paani ke golle fenkne ke liye kahha...to paani ke golle aane lage Slayer ke paas par ye to hill bhi nhi raha tha...jaise hi ye paani ke golee iske bahut paas aaye isne aankhen band kar li aur iske sharir se acchanak se bahut hi jyada garmi nikalne lagi itni ki wo saare baani ke golle evaporate ho gaye...aur ye dekh teacher ke hosh udd gaye...
Wo khud ko sambhalte hue Slayer ko bahar jaa ke intezar karne ko bolta hai...
Wo report banata hai iss test ka aur saath mein Slayer ki taarif bhi likhta hai usme aur uss report ko bhiljwa deta hai IP ke paas....
IP bhi report dekhti hai aur khush ho jaati hai...wo to ye soch rahi thi ki wo help kar rahi hai ek jaruratmand ki...
IP uska admission grant kar deti hai aur ye baat Sofia ko bata deti hai...Sofia waha se uska shukriya karte hue chali jaati hai...Slayer ko kuch baatein kahke...
Slayer ko school ke hostel mein uska room mil jaata hai aursaath hi mein uske padhayi mein lagne wali chizen bhi...
Aaj ke liye agle update mein shuru karenge school ke structre se saath hi dekhenge Slayer ka school mein pahela din...
Banne rahiye...
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUPDATE - 3
Ab tak
Slayer ka admission ho gaya tha....Sofia usko waha pe chod kar chali gayi thi...
Ab aage
Pahle shuru karte hai Magic School ke structure ke baare mein...
Ye school bilkul Strange world ke school jaisa hi tha....
Jungle ke bich mein ek bada khali sa maidan....jaha har waqt kohra hi kohra rahta hai....Agar insan chahe bhi to apne sattelite se naa dekh paaye uss jagah ko...aur jungle ke bich mein hai to aaj tak koi aaya hi nahi...agar aa bhi jaaye to yaha ke jaadu ki wajah se kuch naa dikhega jabtak wo uss sima ko paar naa kar le...
uske baad bhi agar koi aaye to bhi kuch naa dikhega unko kohre ki wajah se...ye kohra issliye tha kyunki School ke charon taraf Nadi thi....isko nadi bole yaa kya pata nahi jo bhi tha usse School charon taraf se ghira hua tha...Haa ek aur chiz thi iss jagah se thodi hi duri pe aur wo tha iss Magic school ka khud ka stadium jaha saare programs hote the...par wo bhi insano ko kabhi nahi dikhega...
Ye tha bahar ka....Ab ander ka dekhte hai to nadi se shool ke pass tak jaane ke liye aapko boats ka use karna hota hai...boats se hote hue jab aap school ke pass utarte ho to.. shuru mein aata hai Entry gate, bahut bada gate tha ye....aur khass bhi...gate mein bahut se murtiyan banne hui the...inn murtiyon ki bhi khasiyat hai...ye pather ki murtiyan shuraksha ke liye hai iss school ke....ye baat alag hai aaj tak jarurat nahi padi hai isko istemal karne ki...
Gate se ander jaate hi aapke saamne 4 badi badi buildings nahi nahi castles kahna sahi hoga haa castles milti hai...wo bhi char....charon hi ek dusre se bilkul hi alag...
Naam bhi dekh lete hai...
Castle A - ye hai administration block....ab aage kuch batane ki jarurat hi nahi hai...ji haa yahi pe hote hai saare administrative work...yaha pe sabhi staff members ke liye alag alag cabins banne hue hai...aur bhi jo unke liye jaruri hota hai...
Castle H - ye hai hostle matlab students ke rahne ke liye castle...sabhi bacche yahi rahte hai...unka khana pinna sab yahi hota hai...
Castle M - iss castle mein sabhi tarah ke magics ki siksha di jaati hai...
Castle W- Yaha pe warfare ki...
Ab kuch aur baatein jo jaani jaruri hai...
Castle H mein students ke wo 3 groups alag alag blocks mein rahte hai...jinka naam unke groups pe hi hai...
Groups iss tarah se hai...
Pure
Half
Minors...(Ye group bas Earth pe hi hai naaki Strange world mein)
ye bilkul kisi caste system ki tarah hi tha...iska virodh bahut waqt se ho raha tha...khud IP madam aur bahut se teachers iske against the...par faisla Strange world ke principal ko lena tha jo ki iss baare mein kuch bhi nahi bata rahe the...ab iske picche kya karan tha ye to wahi jaane..
Hmm to hum ye dekhte hai kis aadhar pe baata jaata hai yaha pe baccho ko...
Agar aap mein bas ek hi tarah ki energy ho chahe wo kaisa bhi ho wo Pure group mein aata hai...
Wahi agar aapke ander 2 tarah ki energies hui to aapko Half mein bheja jaata hai...matlab aap milawat wale ho yaani hybrid...
Minors ka concept sirf Earth pe hi hai...Minors unko kaha jaata hai jine Mata Pita dono mein se koi ek insan ho...
Haa aisa bhi hota hai yaha kuch magical creatures insano ke sampark mein bhi the...wahi pyar vyaar etc...inn jaiso ko School mein aane ki ijjajat abhi kuch saal pahle hi milli hai wo bhi naa jaane kitni mushkil se..
Ye ho gaya School ka structure...aur uske baare mein...
Ab hum dekhte hai Slayer ko ki wo kya kar raha hai....
Slayer kyunki Hybrid tha uske pass 2 tarah ki energies thi to usko Half group mein rakha gaya tha...
Kal se classes shuru honi thio uski...
Sofia ne jaate jaate usko kah diya tha ki wo jab tak Slayer aaa nahi jata tab tak ke liye yaha se Dark world aur Demos planet pe jaa rahi hai...waha se uske liye powers aur kuch khass chizo ka intezam karne...
Haa yaha bhi wo binaa passport wala tarika hai ek planet se dusre planet pe jaane ka ussi tarike se wo bhi jaane wali thi...
Room mein 2 bed the matlab ek uska room mate bhi hoga...wo bhi ek hybrid hi hona chahiye tha...
Slayer apna saman jo kuch bhi usko school se milla tha aur ek do chizen jo usko Sofia ne di thi wo sab sajane laga...issi mein uska waqt beet gaya....
Raat ka samay hua usko khane ke liye bulaya gaya...
Khane khane ke liye ek bada saa haal tha jaha sabhi baccho ko ek saath khana diya jaata tha...yaha ka ye niyam tha ki sab apne apne group ko alloted table pe hi baithenge....
Slayer ka gaya apne group ke baachon ke pass aur kisi Pure group wale ne apna pair fassa ke usko girra diya....
Slayer ko gussa aaya wo chahta to abhi uss pure group wale ka bura haal karta par....uske aisa kuch karne se pahle hi ek ladka aaya aur usko waha se utha ke le gaya...
Ladka- Ye ab aise hi hai jab dekho humare aur minors ke saath aisa karte rahte hai...tumhe chot to nahi lagi...
Slayer ne pahle to uski oor dekha wo bhi ek warewolf tha...
Slayer- Nahi main thik hu...
Ladka- Waise pahlke dekha nahi tumhe kahi...naye ho kya tum....
Slayer- Haa....mera naam Slayer hai...
Ladka- Aur mera naam Parth hai...chalo waha chalte waha table khali hai...
Slayer jisko yaha koi nahi jaanta tha usko koi mil gaya tha...jiske jariye wo yaha ke baare mein sab jaan sakta tha...
Dono baith ke khana khane lage...itne mein ek Pure group wale ne apna jutha khana Slayer ki oor fenka...ye yaha aam baat thi...aur innhi sab ko lekar IP madam aur baaki sab virodh karte the ki iss group wale system ko hataya jaaye par....khair chodiye...
Jis Pure group wale ne ye kiya tha...kuch der baad uske upar sirf aur sirf khana hi girra hua tha...
Slayer ki chizon ko move karane ki powers se to aap sab parichit hi hai...ji ussi ki madad se usne ye kiya...
JAise hi uss Pure blood wale ne apna jootha khana Slayer ki oor phenka...Slayer ne uss chiz ko mehsoos kar liya...apni aankhen band ki usne aur anguliyon ke ishare se sabse pahle wo khana wapas se ussi lake ke muh pe de maara...tab bhi uska maan nahi bhara...usne Half group ke sabhi baccho ke thali se thoda thoda khana uthaya aur uss ladke ke upar giraaa diya...par bande ko kkhusi mille tab naa same kaam usne minors ke khane ke saath bhi kiya aur iss baar naa sirf uss Pure blood wale bande pe balki uspe bhi jisne apna pair fansa ke usko giraya tha...par bande ko khusi nahi milli puri tarrah se...
Uski nazar kachre ke dabbe pe gayi...par abhi powers kam hone ki wajah se wo usko utha nahi paya...
Ye sab jab hua to mahool hi badal gaya uss jagah ka...abhi kuch ho usse pahle hi staff ke log aa gaye waha aur sabko shanti se khana khane ko kaha....aur unn dono Pure blood walo ko waha se baharbhej diya khud ko saaf karne ko...Dono hi Minors group aur Half group ke baccho ko ghurte hue bahar nikal gaya...
Slayer sab bhul ke aaram se khana khane laga....
Khana khatam karke sab apne apnme room mein chale gaye...
Jab Slayer room mein jaa raha tha tabhi usko pata chala ki Parth hi uska roommate hai...isse Slayer ko jayda fark nahi pada...par Parth wo bada khush hua naya dost bana ke....
Par usko kya pata tha ki ye dosti usko kaha tak leke jaayega...
Raat hui dono soo gaye....
Aaj ke liye itna hi ab agle update mein dekhte hai wo class ka chakar aur ek intrsting part bhi hai...
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUPDATE - 4
Ab tak
Dinning haal ke kaand ke baad abhi log apne apne rooms mein chale gaye jaha pe....Slayer aur Parth dono ko pata chjalta hai ki dono hi roommates hai ye jaan Slayter ko kuch fark nahi padta par Parth bada khush ho jaata haiu...
Raat hui thi dono so jaate hai....
Ab aage
Subah ka waqt sab jaldi se uthte hai taiyaar hote hai aur dinning hall mnein wapas ikkatha hote hai waha pe breakfast ke liye....par isme Slayer aur Parth dono late ho jaate hai to jaisa ki yaha ka niyam hai unko khana unke room mein mill jaata hai par ek warning ke saath jo ki pahli aur aakhri warning thi....
Warning ek chitthi mein aayi thi...Parth jo ki jaanta tha ab kya hoga kyunki wo apne basics ke liye yahi padha tha issi school mein to wo yaha ke rules se acchi tarah parichit hai par...Slayer nahi...
To Slayer ko bhi sabhi chijo se parichit karne ka jimma apne sar lete hue...usne Slayer se bola letter kholne ko...Slayer ek ek look di phir wo badh gaya uss letter ki oor...jaise hi usne letter khola ek kaagaz bahar khuud aaya aur ek chahre ki tareah ban gaya...
"aap dono aaj ke breakfast ke liye late ha....iss school ke niyam ke anushar aapko aaj khana diya jaa raha hai kyunki pahli baar tha ye par uske saath warning bhi mil rahi hai....ab agar aage bhi aisa hua to khane ke jagah bas warning hi di jayegi..."
Itna bol wo kagaz khud se chuithde chithde ho gaya wahi Slayer usko dekhta rahga ye pahli baar jo tha....
Parth ne tabhi uske kande pe haath rakha aur bola ab aise hi dekhte rahe to aise bahut se letters aayenge humare pass...ab jaldi se chalo khana khao aur nayi class mein chalo....main naya jaadu seekhne ko bahut hi jyada utsahit hu...
Slayer chup chap jake khana khane laga..
Parth - yaar tum bolte nahi kya kal se sayad hi tum ek baar bhi kuch bole ho....arre bola karo bolna bahut accha hota hai isse hum apne ander ki bhawnao ko bahar nikal sakte hai...
Aise hi bakar bakar karte hue wo khata raha par Slayer usko kuch matlab hi nahi tha inn sabse....
Dono ne khana khaya aur fir dono chal diye Castle M ki oor jaha magic class thi aaj dono ki....
Par raste mein hi unhe kuch logo ne apni oor bulaya...POarth unko dekh dar gaya tha....par Slayer binna kisis bhaw ke aage badhta raha....jo unn logo ko pasand nahi aaya....unme se ek banda dono ke saamne aaya...
Ladka- Sunayi nahi deta kya Half blood humne buloya matlab aane ka...
Ye ek group tha seniors ka jisme bas Pure blood wale yhi the....
Slayer fir bhi kuch nahi bola bas usko dekhta raha wahi Parth usse bola hi nahi gaya kuch...
Usne dono ko apne picche aane ko kaha dono jaane lage...sorry Parth jaane laga Slayer hilla bhi nahi tha par Parth ne usko pakda tab wo bhi jaane laga uske saath....Wo ladka unko apne group ke pass le gaya jaha pe karib 7 log the wo...Saato ke saath unn donmo ke charo oor aise khade ho gaye jisse aas pass kisis ko pata bhi naa chale ki waha pe koi aur bhi hai..aur unn dono ko apne saath chalne ko kaha....
Slayer ka haath pakad ke Parth usko bhi apne saath le gaya...
Wo log unn dono ko Castle M ke taikhane ki taraf le gaye....ye bahut hi khatarnak jagah thi...yaha pe bahut hi ajeeb ajeeb ghatnaye hua karti thi....Iss school ke bhi kuch raaz the jo bahar kisi ko patanahi the....aur unn raaz ki baaton mein iss jagah ka jikr hamesha kiya jaata tha....
Jab ye dono waha gaye to dekha ki ek ladki hai sayad inhi ki class ki hogi....haa kyunki inhi ke umar ki lag rahi thi...usko waha pe bandh rakha tha....
unn saatho mein se ek ne bola...
Ladka- EK Minor do half blood wo bhi dono ke dono hi warewolf hai...isse accha aur kya hoga....ab hum apne kaam mein jarur kamiyab honge....
Parth ko samajh mein nahi aa raha tha kya ho raha hai par uskli fatti padi thi...same halat uss ladki ki bhi par Slayer usko kuch farkl nahi pad raha tha....
Wo baaki ke saato unn logo ne apne haatho mein kuch mombattiyan li aur fir unko jala ke unn timnno ke chakar katne lage....ye saatho Demos world ki ekl bahut hio prachilit jaadu ka upyog kar rahe the....isme hota ye hai ki jinke saath bhi ye kiya jaaye unki aatmayein aapke vash mein ho jaati hai aap unse kuch bhi karwa sakte ho....ab inn saato ko pata nahi kya kaam tha jo ye sab kar rahe the....Jab ye shuru hua to pahle wo ladki uski aankhe ulti ho gayi m,atlab undertaker ki tarah wo karna hai naa jab aankhon ka black hissa chip jaata hai....Haa bilkul waise hi...aur jab ye hua naa to uske sharir se kuch nikla aur wo chiz uss jagah ghumne lagi...wahi uss ladki ka saar bhi ajeeb tarike se ghumne laga waha pe....Todi der baad Paarth ke saath ye hona shuru hua....uske shjarir se bhi kuch waisa hi nikla fir uski bnhi aankhen ulti hui aur fir wahi ajeeb tarike se saar kaa hilna...
Abhi tak sab kuch unn saato ke hisab se chal raha tha par....Slayer ke saath aisa nahi ho raha tha...uske saath kuch bahut hi alag hua....ye alag unn saato ke liye bahut hi khatarnak tha...jaisa ki aap sab jaante haoi Slayer ko banane mein Sofia ne naa jaane kitne hi insano ko maar diya tha...ginti tak nahi pata hai kisi ko upar se wo roshni jo usko jinda karte waqt usme samma rahi thio wo unn logo ke aatma ko takat deke ek aatma banane ke liye the...ek aisi aatma jisko kaabu karna lagbhag naamumkin hi tha...
Ek baat clear karna hoga yaha pe warna confusion ho sakti hai...jaisa ki kaha tha ki school mein aisa jaadu hai jisse waha pe agar koi hanikarak jaadu ka use kiya jaaye to wo jaadu karne walke ko hi waha se teleport kar dete hai...par kahte hai naa rules bante hai aur log unse bachne ka tarika dhundh lete hai bas aisa hi yaha tha...saatho ne uss kriya ko aapas mein baat liya tha taaki uss jaau ka inpoe koi asar hi naa hoi...
Back to story
Haa to hua ye tha ki SSlayer ke body se bhi uske ander ke saare aatmayein jo ki ab ek aatma ban gayi thi wo bhi itni shaktishali ki usko kaabu karna lagbhag mumkin hi nahi hai...Ab wo aatma bhi bahar aane lagi....aur jaise hi wo bahar aayi...aur Slayer jamin pe girra....uss jagah pe maano manhusiyat chaa gayi thi...waise pahle bhi manhushg jagah hi thi wo par abhi aur jyada manhush ban gayi thi...
Wo saatho jo haato mein mombati liye unn tino ka chakar kaat rahe the aur kuch badbada rahe the...unn sab ki mombati ek ek kar ke bujh gayi...taikhana mein andhera cha gaya....kisi ko kuch bhi nahi dikhne laga ki
aaahhahhhhhahhaaaaa
ek bhayankar cheekh phir....kisi ke hasne ki awaj aayi....
"chihiiihihihi ek chiihihihihhiccii"
ye awaj waha faili....
saare jo waha pe hosh mein the sab ke sab darke maare kaampne lage jab aisi hassi sunni thi...darre bhi kyun naa ek to ye naushikhiye the iss jaadu mein aur iss jaadu ko karne mein agar gadbad hui to apko apni jaan se haath dhona hi padega...ye jaruri hota hai...bas yahi hua....
jassi ki awaj aati rahi aur counting badhti rahi 2 , 3, 4, 5, 6, 7 aur fir acchana se waha roshni hui...jiske baad uss jagah pe 3 log acchanak hosh mein aa gaye...wo tinno the Slayer Parth aur wo Minor ladki...jaise hi tinno ko hosh aaya waise hi waha taikhane mein bhujhe hue masal jalne lage aur waha roshni ho gayi...SLayer ko bada hi ajeeb par accha lag raha tha...ss jagah pe unn tinnmo ke alawa aur koi nahi tha bas wahi tinno the waha pe...Wo ladki usne to ek baar yaha waha dekha usko koi nahi dikha to wo Parth aur Slayer ko usko kholne ko bolne lagi...Oarth aur uss ladki ko bhi ajeeb lag raha tha par ek bandi hui thi iss wajah se aur dusra had se jyada darra hua tha iss wajah se uthna dhyaan nahi diya....Parth jaldi se gaya uss ladki ke pass aur usko aazad kiya...fir tinno jaldi se waha se bhag gaye....sorry do log tisre ko to khinch kew le jaaya gaya tha...
Jab bahar aaye tab bhi nahi rukke wo ttinno sidha class mein gaye jaha wo late ho gaye the...
Prof. - pahle hi din itn.....
Abhi wo aage bolte usse pahle unhone Parth aur uss ladki ka chahra dekha wo samajh gaye ki kuch hua hai to bas tinno ko ander anne ke liye kah diya...tinno baith gaye ek jagah pe...
Hmm class ke baare mein bhi jaan lete hai..to waise to IP madam ne kah diya hai ki sabko saath mein baithna hai per Pure blood wale thahre khud ko mahan samajhne wale haa to unhone class ko do hisso mein abaat diya hai ek hisse mein bas Pure blood hi baithega baaki ke log dusre hisse mein...iss baat pe kuch prof.. bhi unke saath the to IP jyada kuch kar nahi saki kyunki ek baar aisa hua ki kuch minor aur Half blood Pure blood walo ke saath baithe the...par fir unka koi pata hi nahi raha Kahte hai wo School chod ke chale gaye the...par sach kisi ko pata nahi..
Haa to tinno baith gaye...par Slayer ko bada ajeeb lag raha tha...ki tabhi pure blood walo ki taraf se kisi ne ek kagaz feka uski oor...ab Slayer ji kahi aur khoye hue the to usko pata nahi chalta par....ek aawaj usko sunayi di...
"maalik "
ye awaj bas usko hi nahi baaki ke dono ko bhi sunayi di aur dono ne dekha Slayer ki oor wahi Slayer uss Kagaz ki oor...ki kagaz mein aag lag gayi aur wo wapas se pure blood walo ki taraf chala gaya...ussi ke pass jisne fenka tha...ye sab hotye hue Parth ne aur uss Minor ladki ne bhi dekha tha...
Samajh mein nahi aaya unn dono o kuch wahi haal Slayer ka bhi tha usko bhi samajh nahi aaya kyunki usne nahi bheja tha kagaz ko waha wo bhi aag ke saath..
Wo kagaz waha gaya aur ek awaj ke saath fat gaya..jiski wajah se Prof. ki najar usss oor gayi aur jab dekhja to ek student apna muh kalla kiyte hue baitha tha...
Prof. - Ye kya hai...kya kar rahe the tuim...
Wo kya bvolta jab kuch samajh pata tab naa bolta...
Usko Prof. ne bahar milne ko kaha wahi thodi der mein class khatam hui...Prof. ne sabko jaane ko kaha siway 3 logo ke Slayer, Parth aur wo Minor ladki...
Ladki kaa naam hai Neelam
Prof- Hmm batao kya hua tha tinno ke saath...
Tinno mein se koi kuch bolta usse pahle hi awaj sunayi di tinno ko...
"raaz hai ye raaz hi rakho hum kaam aayenge aappke kisi ko mat batao.."
Pata nahi dono ko kya hua Parth aur Neelam ne biol diya ki ground mein kuch seniors pareshan kar rahe the par ek professor ne humme baccha kliya bas issi mein late hue....
Prof. ko unki baat pe yakkin to nahi hua par...phir kuch sochte hue unko jaane ke liye bol diya...
Tinno jab bnahar aaye...
Neelam- WO awaj wo tum dono ko bhi sunayi di thi naa....
Slayer ne kuch nahi kaha wahi Parth ne Haa kaha...
Paarth - Ye sab kahii unn logo ki wajah se to nahi....par wo gaye kaha...
Neelam - tumhe unki padi hui hai wo hum tinno ko maarne wale the...kaas wo tinno hi.,...
"Hum maar hi gaye hai aur ab se Malik ke wafadar hai saath hi aap dono k bnhi..."
Ye awaj aayi aur dono nahi iss baar tinno shocked....Ab Slayer ko bhi kaha pata tha ki aisa bhi kuch hota hai usko to bas kuch baatein bata ke Sofia chali gayi...baaki baatein to isko khud hi sikhni hai to shock aate rahenge...
Thoda der tinno ek dusre ko ghurte rahe...pata nahi Neelam ko kya sujha usne ek kaam bola karne ko....
Neelam- Mere ghhar mein mera puppy hai usko yaha leke aao...
Usne bola aur kuch hi der mein unn tinno ke bich mein ek kute ka baccha aa gaya jisko dekhj Neelam khush bhi thi aur shocked bhi wahi halat Parth ki bhi thi...ab wo bhala kaise picche rahta usne khane ke liye kuchj chijhe mangwayi aur wo aa bhi gayi...
Slayer- Iske baare mein kisi ko pata nahi cchalna chahiye ye hamara secret hai...itna bol wo dono ko dekhne laga...
Parth - Theek hai...
Itna bol wo aur Slayer ab Neelam, ko dekhne lage...
Neelam - Haa thik hai...accha haa mera naam Neelam hai aur main....
Parth- Minor ho ek aisi minor jiske guulam ab Puree blood wale hai...
Itna bol wo hasne laga...uske saath Neelkam bhi hasne lagi..
Thodi der baad ek aur vclass jo ki Castle W mein tha wepoanry wale castle mein waha jaake bhi tinno saath rahe....
Pata nahi ye tinno jo kismat se mille hai inko inki kismat kaha tak le jaati hai...
Aaj ke liye itna hi rakhte hai aage ka update kal milega...
Agle update mein hum bahut aage jaanewale hai matlab ab yahi pe to rah nahi sakte naa Ye Villain hua Hero ko bhi laana hai...to speed badhane ka..Viraj ke baare mein bhi thoda jaanege....Saath hi kuch aur baatein
Banne rahiye....
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUPDATE - 5
Ab tak
Hume dekha tha kaise Parth Neelam aur SLayer ke saath wo sab hua aur fir unke wo saatho unnke gulam ban gaye..
Ab aage
Next day..
Aaj bhi classes thi aaj tinno saath mein the aur Parth aur Neelam bahut hi jyada darre hue the...unko samajh nahi aa raha tha ki ye sab ho kya raha hai...
Hua ye tha ki raat ko dono hi apne apne room mein se pata nahi kaise ussi taikhane mein pahuch gaye the....aur jo kuch unn donon ne dekha wo bahut hi darawna tha dono ke liye....dekha to usko Slayer ne bhi tha par wo uthna nahi darra hua tha....
Abhi ye tinno class mein enter hue aur baithe hi the ki teacher ander aaye ussi dress mein jo inn tinno ne dekha tha...fir chapter bhi wahi shuru hua jo ye log kal raat ko dekh ke aaye the..bas yahi nahi sab kuch waisa hi ho raha tha jiski wajah se Parth aur Neelam dono hi bahut jyada darre hue the...
Class khatam hui...Parth ne Slayer ko khinchte hue ek jagah le gaya jaha koi aur nahi tha Neelam ke alawa....neelam daar ke maare ro rahi thi...
Parth- to aaj hum maar jaayenge...sab kuch bilkul ussi tarah se ho raha hai...
Slayer- Sayad
bas itna bol wo chup ho gaya....
Neelam - main nahi marna chahti abhi abhi to aayi hu yaha aur....nahi nahi main bhag jaaungi yaha se....
Parth- mumkin nahi hai wo tum bhi jaanti ho...
Slayer- Humme unhe hi khatam kar dena chahiye...
Parth- Kya bol raha hai..nahi humme Principal madam ko bolna chahiye...
Neelam - Wo wo nahi maanegi koi nahi maanega...mujhe pata hai sab humme hi pagal bolenge..
Parth- TO kya iski baat maan ke....unko...
Neelam ne ek baar Slayer ki oor dekha...
Neelam- tum sahi ho humme khud ko bachane ke liye unko khatam karna hoga...par...
Parth- ye kya hai tum bhi arre koi aur rasta hoga naa....
Neelam- Nahi hai rasta koi raasta nahi hai dekha nahi tha kal kaise humme maar diya tha....ye sab humme pata chal gaya...taaki hum khud ko baccha sakke...
Parth- Par...
Abhi wo aur baat karta ki ghanti baj gayi next class ki aur ussi ke saath Parth aur Neelam ka dar bhi badh gaya....
Neelam- Mujhe ek talwar chahiye...
Uska itna bolna tha ki ek talwar uske haath mein aaa gayi...
Slayer- Ek kulhadi....
Uske paas bhi ek kulhadi aa gayi...
Parth ne kuch nahi bola...wo waise hi raha aur karib 2 minute mein hi uss pure jagah pe kohra(fog) chaa gaya aur tinno ke tinno gayab....
Saamne kuch log khade the...sabhi ke kapde ajeeb the...aur chahre dhake hue...
"to ye hai...wo jinki wajah se...chalo khatam kar do inko..."
Ek aadmi jo beech mein tha usne kahha aur uske kahte hi 3 log unke saamne aane lage daudte hue...
Slayer apne haath mein kulhadi liye ekdum sidha khada tha wahi Neelam ne talwar pakad rakha tha...aur Parth wo bas khada tha...
Waha se wo log aaye aur unpe humla karne lage...unke haathon mein bhi kuch hathiyaar the....
Slayer ne ek unka war doutch kiya...Neelam ne bhi par wo Parth wo bas khadda tha...ye marega aaj....
Wo to accha hua ki Neelam ne usko bhi bacha liya.....aur issi waqt Parth ko bhi hosh aaya aur usne ek Bhale ke baare mein socha aur bhala uske haath mein....aur wo bhi shuru ho gaya....
Yaha pe bada hi ajeeb scene tha yaar ye Slayer ka samajh mein aata hai usme powers hai to wo aaram se lad raha hai par Parth..chalo uska bhi maan lete hai lekin Neelam wo bhi kammal kar rahi thi...wo har hamle ko naa sirf rok rahi thi balki maar bhi rahi thi....
Jyada der nahi lagi unn tinno ko maarne mein unko....uske baad jo bacche hue log the wpo aaye aur unke saath bhi kuch ussi tarah ka hua.....aur wo sab bhi tata bye bye ho liye...
Bas ek banda baccha tha wo waha se chala gaya gayab ho gaya...
uska jaana uske baad waha pe jitne bhi log marre the sabke body se kuch nikla aur wo sab Slayer ke ander chala gaya...
Thodi hi der mein wo tinno wapas se ussi jagah pe khade the jaha pe se wo gayab hue the...waqt dekha to abhi bhi wahi waqt tha jab wo gayab hue the....ye aur bhi ajeeb tha..tinno jaldi se class mein gaye aur waha pe class attend ki shaam ke waqt fir tinno mille...
Parth- ye kya tha....
Neelam - pata nahi hum jis waqt yaha se gaye the ussi waqt yaha pe wapas aa gaye the...
Slayer- Tum bahut accha ladi Neelam...
Parth- Haa tum to kisi expert ki tarah talwar chala rahi thi....
Neelam- hmm apne dad se sikha hai ye sab...unhone hi mujhe sab sikhaya hai aur abhi itna kuch aata hai ki yaha apne se 1 saal senior wale ko dhul chata du...
Parth- fir uss din..
Neelam - wo log mujhe dhokhe se pakad laaye the...wo sab chodo aur ye batao ab aage kya...wo jo ek bhag gaya wo pakka wapas aayega...
Slayer- Hmm aayega aur maara jaayega..
Parth - to kya humme ye karte rahna hoga...
Slayer- Ant mein wahi bachta hai jo bachne ke layak hota hai....
Itna bol wo aage badh gaya Dinning hall ke taraf khana khane ko....
Yaha se shuru hui inn tinno ki ek alag jindgi.....
2 saal baad....
Ye sab ab ek aam baat ban gayi thi tinno ke liye....week mein 2 baar aisa hi koi sapna inko aata aur fir uske baad tinno ko ladna hota tha apni jaan bachane ke liye...ye kisi training ke jaisa tha inke liye...issi beech Parth aur Neelam ko pyaar ho jaata hai ek dusre se...ab agar inke academics ki baat kare to ye tinno apne class ke toppers mein ginne jaane lagge....Magic ho yaa waeponary tinno hi bahut acchha kar rahe the aur iska kaaran wo ladaiyan bhi thi jo inko week mein 2 baar karni hoti thi...
Wahi dusri taraf Strange world ke school aur Earth ke school ke bich kisi competition ki baat shuru hui thi...jo ki Earth pe hona tha...competiton to ek bahana tha waha se kuch log aaye the jo yaha pe inspection karne wale the...pichle kuch waqt se bahut si ghatnaye hone lagi thi yaha jinpe shuru mein to dhyaan nahi diya kisi ne par ab sabka dhyaan gaya hai... Haa kuch logo ne khabar kari thi waha pe par waha se koi bhi jawab hi nahi aaya aur ab baat badhne lagi thi kyunki lagbghag bahut saare pure blood wale yaa to lapata ho gaye the nahi to unka swabhaw aisa ho gaya tha jaise wo kabhi wo the hi nahi...
inn do salo mein IP ke saath kuch aise hadse hue ki unko school se nikal diya gaya...aur ab school ki jimedari ek aise saksh ke haath mein thi jo uss kabil tha hi nahi...
Wahi VIraj inn do salo mein wo bhatakta raha tha Earth pe hi naa jaane kis chuiz ki talash mein wo bas bhatakta raha aur ek din achanak usko uski manzil mil gayi...Ek guffa ....wo waha gaya aur ander usko ek bahut hi jyada budha aadmi milta hai usko dekh ke aisa lag raha tha ki wo kayi hazar salo se wahi pe hai dhyaan mein baithe hue....
Viraj bhi unke pass jaake baith jaata hai...aur intezar karne lagta hai ki kab wo uthe aur wo unse baat kare....issi bich IP ne apna thikana ab Earth pe hi bana liya tha...wo roop badal kar insano ke bich rahti thi...aur sayad unhi mein kho jaana chahti thi....waise jo ilzam unpe lage the wo bhi apni puri umar uss school ke naam karne ke baad uske baad koi bhi khoo jana chahta bheed mein...Haa inn sab mein bhi unn tinno ka hi haath btha Parth Neelam aur Slayer...
Aaaj ke waqt mein agar sach kaha jaaye to inn tinno se jyada saktishali sayad hi koi hoga....Students ke bich baaki teachers ko sahi raaste pe laane ke liye tinno ne bahut hi accha plan bana liya tha....Yee log unko fasa lete the kisi bhi trah se unko yaa fir unke family ko aur fir unke through apna kaam karte rahte the...
Sayad hi ab School ke library mein koi aisi kitab bacchi ho jo inn tinno ne naa padhi ho...ye sab kuch jante the...aur yahi wajah thi ki ab Sofia ke yaha aane ka waqt hoo chala tha....aur wo aaayi bhi aur aate hi jab usne Slayer ke saath uske 2 saathi ko dekha to wo kuch naraz hui aur kuch khush bhi...Narazgi ki wajah bhi kuch rahi hogi ayur khusi ki bhi....
Dekhte hi dekhte ye games bhi khatam ho gaye aur kammal ki baatye hui ki inn games ke dauran kuch gadbad nahi hui waha pe...saath hi jo log inspection ke liye aaye theunhe bhi kuch nahi milla...haa kuch baate pata chali par wo normal thi unse kuch bhi clear nahi ho sakta tha...
Karib 1 saal baad hi Parth aur Neelam dono ka pyaar bahut jyada aage badh gaya tha aur Neelam pregnent ho gayi...Jab ye baat Parth ko pata chala to usne usse shadi karne ka faisala kiuya...rahi baat school ki to inn dono ne school aur Slayer ka saath chodne ka faisla kiya kyunki inko lagne laga agar inka baccha aise mahool mein araha to wo kuch aur naa ban jaaye...bas dono nikalne ko taiyaar ho gaye....Ye baat Slayer ko pata chali unhi aatamayon se jo inn tinno ke hi gulam the...Par shuru mein Slayer ne kuch bhi nahi kiya usko iuss waqt tak yahi lag raha tha jki ye dono apna maan badal lenge aur fir yahi rahenge par aisa nahi hua...wo dono ke dono nikal gaye..
Ye baat jab Sofia ko p[ata chali to usne jyada react nahi kiya jaise usko pata tha ki ek naa ek din ye hoga hi...usjko pata tha ki SLayer ke saath koi aur hamesha ke liye rahe ye mumkin hi nahi hai...
Slayer ko bhi ab inn donmo ki aadat si ho gayi thi tinno saath hi raha karte the jo bhi karte saath hi mein karte naa jaane kitni baar hi teeno ne kya kya kiya tha saath mein...
Wo dono inshan ke bich chalegaye the apni pahchan chuupa li thi unn dono ne par Slayer se kaise chupte Slayer ko pata tha kaha pe hai wo dono par...wo unn donmo ko kuch karna nahi chahta tha abhi ke liye khaskar aage ka sayad usne kuch soch rakha ho....
Sofia ne uske jariye Earth ke school pe pura apna kabja bana liya tha aur ab uski nazar strange world pe thi par Slayer ...uske dimag mein kuch aur hi chal raha tha...wo bas ab apne baare mein sochne laga tha...hota hai aisa pahle tinno dost banne fir ek din acchanak unme se do kisi ek ko chod ke chale jaaye to bura to lagta hai aur aise cases mein log khudgarz se ho jaate hai bas yahi mamla Slayer ke saath bhi tha usne bhi wahikiya...ab wo kisi ki baat nahi sunne laga tha agar koi usko kuch kahe to usko unsuna kar do School bhi usne ussi waqt se chod diya tha...Ek din pata nahi kya sujha uskko wo apne ghar yaani wahi guffa jaha usko banaya tha wo waha jaata hai aur uss jagah ko aag laga deta hai SOgfia bhi ander hi thi aur wo bhi jal jaati hai...Viraj ne sahi kaha tha usko ki ye tumhe bhi maar dehga....Ye sab jo bhi tha ab usse wo aatamayen karwa rahi thi jo uske ander thio...unhe khurak nahi mil raha tha ...Slayer ne Parth aur Neelam ke jaane ke 2 mahino tak kuch nahi kiya tha sayad yahi wajah rahi ki unn aaatmayon ne usko upar kaabu kar liya aur usse wo karwa baithe...Jaise hi Sofia jalli aur uski aatma bhi Slayer ke ander gayi Slayer wapas se theek ho gaya...wo samajh gaya ki agar sahi rahna hai to bhookh mitate rahna hoga aur bhoookh mitegi nayer naye aatmayon se....shuru mein kuch dukh hua hoga usjko Sofia ke marne ka fir wo wo sab chod aage badh gaya...
Sofia ne apni saari vidyayen inn tinno ko hi sikhayi thi...har ek kaali vidya...aur tinno ne hi unko acche se sikha tha..
Ab jab Sofia nahi rahi to uska sapna bhi nahi raha ab bas bach gaya tha to Slayueraur uski bhookh haa bas yahii bacchi hui thi uske liye..
Slayer ab logo ko maarne lagatha mazze ke liye bhi aur bhook mitane ke liye bhi....par usne ye paya ki magical creatures ko maar ke unki aatma khanemein jo mazza miltta hai wo inn insano ko maar ke khane mein nahi milta...to usne tay kiya ki wo yaha se abhi ke liye chala jaayega Dark world mein jaha pe wo apna khud ka samrajya banayega aur wahi par se shashan karega...har ek planet pe....
Bas ye soch wo Earth se nikalne ko taiyaar ho gaya par..ek aakhiri kaam karne ke baad uusne ye soch liya tha ki yaha pe wo aoisa kisi ko nahi chodega joki usko jaanta ho...aur usne shuru kar diya aisa karna...pahle school mein phir shool ke bahar....aur dekhte hi dekhte bas 2 hi log bacche uski nazar mein jo usko jaante the aur wo the Parth aur Neelam....
Parth aur Neelam dono ka baccha ho chuka tha ek beta thga unka..bada hi alag sa ho bhi kyun naa Vamprie ladki aur warewolf ladke kaa baccha tha wo....
Slayer ne unhi aatmayon se unn dono ka pata pucha aur pata milte hi Slayer nikal pada unn dono ko maarne ke liye...par aatmayin inki bhi wafadar thi unhone inhe bhi bataya ki wo aa raha hai inko khatam karne ko....Kuch bhi samajh nahi aa raha tha inn dono ko iss waqt tabhi pata nahi kaha se ek budda sa aadmi ek ahjeeb se kapde mein aata hai inke yaha aur inko kuch baate kahta hai...aur ye dono hi apne bacche ke saath kuch poal bitta ke usko uss bhudde ko saup dete hai saath hi mein kuch chitthiyan bhi aur kuch saman bhi...jaate waqt dono ne uss buddhe ka shukriya kiya aur apne bacche ko kiss kiya...
unke jaan eke baad...
Parth- To kaise marna pasand lkarogi tum usse lad ke yaa fir...
Nellam - Ladungi mein usse uski wajah se apna baccha...aane do usko jab tak wo mujhe nmaar naa de tab tak usse ladti rahungi aaakhiri saans tak...
Parth- Aakhiri saans tak..
Slayer- hhahahhaha aakhiri saans tak...
Wo aata hai aur fir ladayi shuru...Slayer ke haath mein wahi uski kulhadi thi....
Slayer- mujhe chod ke chale aaye kyun kya main itna bura ho gaya tha....
Bolte hue usne waar kiya Neelam pe...usne bhi jaadu se apne pass ek talwar magwayi aur usse ladne lagi....Wahi Parth bhi apna bhala manga ke usse ladne lag gaya...par...Slayer ab tak bahut hi jyada takatwar ho chuka tha uski power bahut badh gayi thi aatmayon ko khate kahte....ye ladayi jald hi khatam ho gayi aur Neelam aur Parth ki aatamayen unke body se nikal gayi...par jaise hi ye hua ek baar wo puri jagah safed roshni se bhar gayi aur waha pe bahar se 2 aatmayen aayi aur wo Slayuer ke ander chali gayi aur unn dono ki aatmayein kahi aur chali gayi...
Slayer isse anjan tha wo yaha se nikal gaya...aur jaa pahucjha Dark world jaha se wo har ek planet pe shashan karne ka soch raha tha...par uske jaate hi Earth ke charo tyaraf ek aisa kawach ban gaya jiske paar Slayer kabhi nahi jaa sakta tha...par Slayer ne ispe dhyaan bhi nahi diya....uske dwara logo ko maare jaane ke baad yaha Earth pe bhut si afwahe fail gayithi magical creatures ke bich jisse uske naam ka ek khauf sa ban gaya tha...School ki bhi halat bahut acchi nahi thi...kuch teaches lapata ho chuke the students ka bhi wahi haal tha...sab kuch uthal puthal hua pada tha...issliye School chlte rahne ke liye kuch waqt baad yaha pe naye tteachers aur Strange world se hi naye naye naye...students bhi aaye...
Chalo ye sab chodo aur ab hum uss bacche ke paas chalte hai Parth aur Neelam ka baccha...Wo iss waqt usssi guffa mein hai jaha pe Viraj gaya tha 1 saal pahle uss bhuddhe aadmi ke pass.....uss aadmi ki aankhen aaj hii khuli aur usne sabse pahle Viraj se uss bacche ko hi laane ko kaha...Wo baccha abhi ussi ke goad mein tha...
Buddhe aadmi ne Viraj ko kisi ko lane ke liye wapa bhej diya...aur uss bnacche ko dekhta raha...Viraj ke jaate hi uss guffa mein Neelam aur Parth ki aatma aati hai...jisko dekh wo buddha muskurata hai...
Neelam- Iska khayal thik se rakhiyega...kaash main rakh paati...
Buddha - Iska khayal main nahi balki wo rrakhne wali hai jinko tum lohgo ke karan naa jaane kya kya sunna pada...
Parth aur Neelam ko kuch bhi samajh nahi aaya...
Bhudhe ne ek locket liya apne haath mein aur unn dono ko ussi locket mein band kar diya aur wo locket uss bacche ko pehna diya...thodi hi der mein waha pe IP aayi IP ne pahle se hi chauki hui thi Viraj ko dekh ke jo usko lene gaya tha aur ab to aur jyada chauk gayi jab saamne baithe iss bhudde aadmi ko dekha usko samajh hi nahi aa raha tha ki ye yaha kaise....par wo koi sawal kiye binna uss aadmi ke samne jhuk gayi...
Budha- IP khadi ho jaao main tumhe ek bahut hi badi jimmedari dene wala hu kya tum taiyaar ho...
IP- aapne mujhe kisi kaam ke kaabuil samjha Lord ye merikhushkismati hai aap jo bhi bolenge main karne ko taiyaar hu...
Buddhe ne wo baccha Ip ko thama diya aur uska dhyaan rakhne ko kaha aur wo khud Vuiraj ke saath waha se chala gaya...
IP bhi waha se uss bacche jko lekar chal di insano ke bech jaha wo rahti thi...apne ek chote se ghar mein...
Aaj ke liye itna hi rakhte hai ab seedhe milenge 18 saal baad....jab ye baccha bhi school mein jaaayega...tab dekhenge school mein kya kya badla hai...
Slayer ke bahut se kaarname jo usne school mein kiye hai wo sab aapko aage dekhne ko milenge as flashback
banne rahiye..
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUPDATE -6
Ab tak
Bahut kuch hua pichle update mein...Sofia ko jala ke maar diya Slayer ne.....yaa uske bhookh ne...uske saath naa jaane aur bhi kitne hi logo ko maara tha Slayer nme yaha tak ki apne dost Parth aur Neelam ko bhi maar diya tha usne..aur fir Earth ko chod Dark world mein chala gaya tha wahi Neelam aur Parth ka ek baccha bhi tha jo abhi IP ko de diya gaya tha...
Ab aage...
After !8 years
Insano ki basti...sorry saher....Haa saher hi hai jaha pe ek aam se school se ek ladka bhagte hue nikal raha tha.....uske picche se aur bhi ladke aur ladkiyan bhaag rahi thi...wo School ki chutti hui thi naa bas ussi wajah se....sabse last mein ek ladka ajeeb sa dubla patla..aankhon pe mota sa chasma tha uske..dhire dhire bahar ki oor jaa raha tha...
"ooye Prateek chal naa bee ab kya yahi rahega..."
"aa raha hu...yaar aaj aakhiri din hai yaha humara...yaha se jaane ka dil hi nahi kar raha mera.....kitni ajeeb baat hai naa jab school aana hota tha to hum bunk maara karte the aur aaj jab pata hai ki ab yaha nahi aana hai to bura lag raha hai..."
"Ye nahi shudhrega sala jaha dekho wahi shurru ho jaata hai....Accha sunno tum dono main aage ki padhayi ke liye dusri jaggah jaa raha hu..tum dono ka kya hai..."
"main bhi bahar jaa raha hu dusre saher mein..wahi padhayi karunga aage ka...Prateek tera kya plan hai.."
Arre Intro bhul gaya yaar
Prateek- ye hi hai wo ladka Paarth aur neelam ka beta...unn dono ne kuch aur naaam diya tha isko par IP ne wo naam badal ke Prateek naam rakh diya...hoga koi kaaran...umar 18 saal se bada hai ye....aankhhon pe ek motta sa chasma..sarir dubla patla....aur kya hi kahu haa iski eyebrows milli hui thi...baaki sab dekhne mein ekdum normal saa lagta tha ye...
(prateek ke respect mein)
Main unn dono se ye sab sunn wapas se uddas ho gaya..Master mujhe kahi nahi bhejegi...wo mujhe yahi ope rahne ko kahegi...aur main bhi unki baat maan lkunga jaise aaj tak maante aaya hu...
Main kuch nahi bola aur waha se nikal gaya...
Hamara ghar pahle saher ke biccho bicch hua karta tha par kuchb saal pahle humne shift jkar liya...saher se thoda dur...jaha pe log kam the...yaa naa ke barabar....Master yahas mujhe ladne ke tarike shikhati hai...ab tak to main bahut kuchg seeekh chuka hu par kabhi Mastrer ko harra nahi payya...aur kisi aur pe wo mujhe ye sab use karne se manna karti hai...waise use karne ki jarurat hi nahi padhti yaha sab friendly hai...Haa kuch log mille the jo sahinahi the...par wo khud se mujhse dur ho jaate the...pata nahi kya tha....
Main School se nikal ke cycle leke chal diya ghar ki oor....
Meri speed bahut acchi thi...yaha se mere ghar tak jaane mein jaha ogo ko 30 minute tak cycle chalana padhta tha wahi main 5 minute mein waha pahuch jaata tha...par fir bhi master m,ujhe kachuwa kahti thi...
Main ghar pahucha...Master bahar garden mein baithi meditate kar rahi thi...haa wo mujhse bhi meditate karati hai...usnka kahna hai ki isse aap kisi ek chij pe jyada der tak focus ar sakte hai aur usko samajhne mein aapko aasani hoogi...ek baar mein hi aap kisi bnhi nayi cheez ko seekh sakte hai...
Yaad nahi kitne saalo se ye meditation karta aa raha hu main...
Maine cycle park ki aur fir kitchen mein jaake herbal tea banayi 2 cup ek Master ke liye aur ek mere liye...tea leke mein unke opaas gaya aur tea ko unke pass raklh fdiya...unhone aakhen kholi aur cut utha ke tea pinne lagi...
Master- School khatam kar liya tumne...ab aage ka kya socha hai...
Main jaanta tha ki nab kya hoga aakhir pahle bhi jheel chukka hu naa..ye pahle mujhse mera maat puchegi fir usko accha batayegi aur sab sahi chal raha hoga mere dimmag mein uss jagah pe jaake rahne tak ki planning ban jaayegi tab ye bolengi waha nahi tunm kahui aur jaaoge...
Main- Mere dost bahr jaa rahe hai study ke liye...main bhi...
Master- Hmm tum bhi jaana chahte ho hai naa...
Main- Haa Master main jaana chahta hu par...
Maater- Koin par war nahi tum jaaoge bahar sstudy ke liye...bas ye tay ho gaya....kal subhah humara saman pack karke rakhna...
Main ye sun ke ek baar itnna jt=yada chaunka ki muh mein jo herbal tea thi wo bahar niikal gayi...kaano pe yakkin hi nahi ho raha tha aaj Khud master ne bola mujhe ki main bahar padhne jaa sakta hu.....Maine 1 baar aur puccha pakka karne ke liye kahi aisa to nahi ki kaan khrab ho gaye hai mere..
Main jaldi se utha aur apna aur unka saman pack karne laga...jana kal subah tha par main abhi se laga hua tha...aisa lag raha tha kahi agarkuch chut gaya ho aur Master ne usko dekh apna mann naa badal de..bas yahi sab sochte hue main raat ke khane se pahle hi saari packing kar daali.....uske baad Raat ka khana banaya aur fir maine aur Master ne khana khaya...FIr main apne room mein chala gaya...
Room ke baare mein bata du...sayad ajeeb ho..par ye room bilul waisa hi tha jaise room mein main pahle se rahta aaya hu...ajeeb bas ye hai ki room ke dewaaron pe ajeeb tarah ki drawing banni hui thi aur ye...pata nahi kuch to tha inme...aisa lagta ki ye mujhe rokti ho bahar jaane mein....iss room ki ek aur baat thi...jab bhi mainj gussa ho jaata kissi bhi baat pe yaa fir kuch waisa hi main iss room mein aata aur fir jaadu ki tarah sab sahi...ajeeb hai naa...yaha pe naa agar mein bnahut jyada thaka hua bhii aata tha yaa fir chotton ke saath to thakan yaa wo chotten sab bahut jaldi hi khatam hoo jaati thi...kuch to ajeeb tha iss room mein....
Aaj mera yaha pe aakhiri din hoga...main saab kuch dhyaan se dekh raha tha sab kuch....fir bedpe leta aur soo gaya..
Next morning....
Meri aankh ek darawane sapne se khuli....aur jab khuli to....sab kuch ajeeb sa lag raha tha aisa jaise main...main nahi hu...mujhe apna sharir thoda alag sa lag raha tha...maine apne haath dekhe...to haath baalo se bhare hue the...nahkhun the lambe lambe haathon mein...
Ye sab bilkul ussi sapne jaisa lag raha tha...usme bhi yahi hua tha main ek jagah khada hu saamne mere ahut hi ajeeb ajeeb log the..jo insan ki tarah dikhte the par unki height bbahut jyada thi...(Devta)....kuch unse thode chote the par unn sab ki age bahut jyada lag rahi thi haathon mein ek ajeeb si stick..aur sar pe conical topi...(jadugar)...fir kuch aise bhi the jo insan ki tarah hi the sayad par kisi ke kaan bahut lambe to kisi ki punch to kisi ke pankh....naa jaane kya kya tha waha pe...Aur unn logo ne meri oor kuch fenka jo seedha mere body mein samma gaya aur main hawa mein udne laga....daant bahar aa gaye mere sarir baalon se bhar gaya...sar dard karne laga mein chillane laga...aur fir dhadam se jammen pe aur behosh hone se pahle Master waha aa gayi aur main unki goad mein...ki tabhi mujhe Master kisi billi ki tarah dikhne lagi aur...itnne mein meri neend khul gayi...
Main uss soch se bahar aaya aur fir se ek baar haath ki oor dekha..sab sahi tha...bilkul normal....maine socha ki ye sab bas uss sapne ke karan hua tha...main bed se utha aur paani se muh dhoya...aur jaaise hi mirror mein khud ki sakal dekhi...dar ke picche ho gaya....iss waqt sakal itni darawani lag hi rahi thi..maine apni aankhen saaf ki aur fir se dekha to sab normal hi tha..par ek baat ajeeb thi binna chasme ke main khud ka chahera saaf saar dekh paa raha tha...saath mein mirror pe lage hue sticker pe chote chote sabdon mein jo likha hua tha wo bhi....
Main room se jaldi bahar gaya....Master ke pass ye sab batane ko ki...par wo milli hi nahi...ek chithi milli mujhe..Chitthi mein kuch likha tha aur saath mein ek sikka tha usme ajeeb saa sikka jisme ek aadmi ki sakal thi par uske kaan bade bade the jaise sapne mein dikha tha...
"Saaman pahuch gaya hai waha pe humara Main kisi se milne jaa rahi hu...ek bus aayegi ghar ke paas usme baith jaana....wo kuch bolle to ye sikka dikha dena unhe..."
Bas itna hi likha tha par ye sab bada ajeeb tha...mere ghar ke pass...Sorry master ke ghar ke pass jo ki saher se dur hai...jaha bahut kam log aate hai waha pe ek bus aaayegi...aur waha wo ajee sa sikka dena hai mujhe..aur Master mere se pahle hi kahi jaa chuki hai...ye sab ajeeb tha aur abhi main soch hi raha tha ki....
poooonn ppppooooooooonnn ppooooooooooooooooonnnn
horn ki aawaj aayi aur...maine bahar dekha to ek badi si bus khadi thi jiske upar ajeeb ajeeb se drawning banne hue the...
"ooye bacche chalega bhi yaa jaun main....tere kaaran late ho raha hai..."
Main abhi tak nahaya bhi nahi tha aur Bus bhi aa gayi thi haa ajeeb hi thi....aur bus wala thoda chidchida lag raha tha..Main waise hi chad gaya bus mein ye soch kar ki waha pahuch ke naha lunga...
Main gate band karke lock laga ke nikal gaya ghar se...haa isme 10 minute lag gaye mujhe...sab kuch check bhi to karna pada...phir bus pe chada to Bus conductor pura gusse mein...
"Kaha jaana hai..."
Ab yaha pe mere ko samajh nahi aaya kya kahu...pata hi nahi tha kaha jaana hai naa to maine hi pucha tha Master se aur naa unhone bataya tha....kuch samajh naa aaya to wo coin nikal ke usko dikha diya...
Usne coin ko dekha...fir mujhe dekha...
"Kamra number 23 mein jaao.."
Main - Kamra number ????..
B.Conductor- Arre yaar kon chod deta hai aise naye logo ko akele safar karne ke liye...Mohit isko iski jagah dikhao re...ooye Driver chal be jaldi waise bhi der ho rahi hai....Pata nahi kaha kaha se aa jate hai..
Wo bol hi raha tha ki kisi ne mere kandhe pe haath rakha aur main piche mudda koi nahi tha aage mudda waha bhi koi nahi tha...aur ekdum dekhte hi dekhte jaha mein khada tha wo jagah hi badal gayi..Main ek room mein pahuch gaya...par ye kaise main to bus mein tha wo bhi gate ke paas aur ab room mein...
Itna sab kuch kabhi nahi hua tha mere saath ki tabhi darwaje pe khatkhat hui..aur main waha darwaje ke paas gaya darte hue....dar to lagega naa ab aise hi achanak se kuch bhi hone lage to dar to lagega hi naa...
Waha darwaje pe pahuch ke darwaja khola to ek ajeeb sa dikhne wala aadmi...haa aadmi hi hoga...bas uske baal nahi the matlab ek bhi baal nahi chahre pe....eyebrows bhi nahi....ab kya hi kaha jaaye isko....ek pal ko to koi bhi dar jaayega....upar se main to pahle se hi darra hua tha...to cheekh hi nikal gayi....salle ko maarne wala tha mein ki wo bhi cheekhne laga...sala chal kya raha tha...
Wo- chilla kaahe rahe ho...salla Heart attack se maar murra gaye to kaa hoga samajh mein aata bhi hai kuch....chalo kamra khali karo stoppage aa gaya hai tumhara....bekar mein darata hai....
Wo itna bola aur darwaja band karke chala gaya wahi main....shocked ki wo tha kon aur kya bol ke nikal gaya ki tabhi ek jor ka jhatka saa laga mujhe aur main...main road pe khada hua tha...Haa road pe...bagal mein aur bhi log the...par ye sab ke sab insan ki tarah hi dikh rahe the...
Mere ko kuch samajh mein nahi aa raha tha pahle wo bus fir wo room aur ab ye...aakhir ho kya raha tha...aur jab kuch samajh mein naa aaye to ek hi kaam kar sakte hai aur wo hai...ruk ke sochne ka...par yaar yaha wo bhi nahi ho raha tha..abhi abhi main road pe tha aur dekhte hi dekhte ab mein kisi garden mein ek line mein khada tha...jaha pe aur bhi bahut se log the aur wo kisi bade se jagah mein jaa rahe the..main jab thodi der rukka raha waha to picche se aawaj dene lag gaye...sab ki aage chalo aage chalo...
Main aage badha aur fir uss Gate ke pass pahuch gaya jaha pe sab jaa rahe the...
"Pahechan bataiye.."
Main- Pahechan ????
Abhi kuch karta ki ek aadmi aaya..Haa ye ek perfect aadmi ki hi tarah dikh raha tha bas iska pet kuch jyada nikla hua tha...
Aadmi- Ye mere saath hai...chalo beta ander aao Kabse sab tumhara intezar kar rahe hai...
Main usko jaanta nahi tha...wo mere ko beta bol raha tha..agar aur koi din hota naa to kabhi naa jaata uske paas par chuki aaj sab kuch itna ajeeb ho raha tha ki...to main bhi chal diya uske saath....
Aadmi- Koi dikkat to nahi hui naa beta aane mein.....chalo ab mere saath aao...
Dikkat kya hi bataun dikkat ka kuch samajh mein hi nahi aa raha tha ki kya hua kaise hua....main yaha tak paucha kaise...
Aadmi- aarre beta kya hua..
Main kuch nahi bola aur o bhi chalne lage...main bhi unke picche picche chalne laga...aur dekhte hi dekhte ek bade..se castle ke saamne pahuch gaye hum log...
Aadmi - Chalo ander chalo..log intezar kar rahe hai...
Main ander gaya to waha pe Master pahle se thi...main unke bagal mein jaake baith gaya...saamne wale chair pe ek aadmi baitha hua tha...jo sayad kuch dekh raha tha haathon mein leke aur uss waqt bahut hi jyada uddas tha aur gusse mein bhi...
Aadmi- Madam hum bahut sarminda hai inn sab ke liye jo kuch bi hua...wo bahut hi galat hua..par ab hum aapke liye kuch karna chahte hai...
Master- (meri oor ishara karte hue) isko yaha daakhila do...saath mein isko special batch....samajh rahe ho naa usme bhi rakhna hai....
Aadmi- Admission to main karwa dunga par special batch...aapko bhi pata hoga ki wo sabke liye nahi hai...uske liye test dena hota hai...
Master- Maine ye to nahi kaha ki binna test ke...lelo..
Aadmi- Hmm..waqt ka bhi bata dijiye..kitna waqt chahiye isko...
Master- Aap taiyaari kariye...ye taiyyaar hai...
Mere samajh mein nahi aa raha tha ki kon sa test aur kis chiz ki baat ho rahi thi...
Wo aadmi apne table pe rakhe hue ek bell ko bajata hai aur bahar se kuch log aa jaate hai...
Aadmi- Madam ko unka room dikhao...(Master se) aapko wahi room diya jaa raha hai jisme aap pahle rahte the...aur ab aapki post ki baat karre to aap..iss school ke Chancellor ki post di jaati hai...Ye sab Strange world se tay hua hai..sath mein aap samajh rahi hai naa Orion aur Titan planet bhi...
Master- Ye sab abhi batane ki jarurat nahi hai....Baad mein baat karte hai pahle iska test le lete hai..
Aadmi- Hmm...(logo se) samajh gaye naa jaao...
Sabhi nikal jaate hai...
Master bhi chair se khadi hoti hai aur..mujhe dekhti hai....main bhi khada ho jaata hu...aur fir waha se...nikal jaate hai hum dono...
Bahar jaate hi maine....
Main - Master aaj bahu....
Master- Hmm pata hai ab wo chodo jo main bata rahi hu wo suno...
Main - Ji master...
Master- Kuch der mein tumhe ladna hai....2 log honge...unko harana hai....ho sakta hai wo kuch aisi chize jaante ho jo tumhari soch se bhi parre ho par tum unhe haraoge...samhje...
Main - Hmm
Aaj pahli baar master ne mujhe ladne ko bola tha....aaj unki sikhayi hui har ek kala mein use kar sakta tha...m,aster ne bola tha Jitna hai matlab jitna hai...
Master- Chalo mere picche...
Aaj ke liye itna hi agle update mein dekhte hai...kaise Prateek ladta hai...2 fighters se..wo bhi binna magic ke kyunki usko magic aata hi nahi hai.....Saath mein school mein tab se ab tak hue badlaon ke baare mein bhi jaanege..aur bhi kuch baatein.....
Banne rahiye...
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUPDATE - 7
Ab tak
Haa to apna Hero School mein pahuch gaya tha aur aise pahucha tha ki usko kuch samajh mein nahi aa raha tha aur ab uski Master ne usko bol diya ki jao aur lado....
Ab Prateek ne bhi haa bol diya aur fir usko Master apne picche chalne ko kahti hai aur wo jaane lagta hai...
Ab aage
(Prateek ke respect mein...)
Main Master ke picche picche chalta gaya aur iss dauran naa jaane kya kya dekha maine...ajeeb se dikhne wale log...aur wo magic kar rahe the...mujhe pata nahi chal raha tha ye kis jagah pe aa gaya hu main...sayad koi magical school par...aisa kuch to hota hi nahi hai...ye sab to bas kitabon mein aur...movies mein dikhate hai naaa...Fir ye sab...
Master ko sayad pata tha ki mere ander kya kuch chal raha hai...
Master- Sab pata chalega abhi bas...uss ladayi ke baare mein socho....samjhe...naa
Main - Haa
Aur kya bolta...ek to pata nahi kaha pe aa gaya hu aur ye sab hai kya...bas ek Master ko jaanta tha to ab unke baateon ko maane ke alawa ek chara tha ki main bhag jaun yaha se....par wo karne ka dil nahi kar raha tha...kuch to tha yaha jo mujhe..bahut jyada apna saa lag raha tha...Master se bhi jyada apna...wo chiz mujhe rukne pe aur khud ko jaane pe majboor kar rahi thi...aur main majboor ho raha tha....bas yahi sab sochte hue aur baaki sab dekhte hue..main pahucha...ek bade se castle ke pass...waise hum pahle bhi ek castle mein hi the ussse nikal ke fir kisi aur castle mein aaye hai aur ye bhi bilkul ussi ke tarah dikhta tha...sayad hi koi anter ho dono mein....Haa naam bhale hi alag tha wo Castle A tha aur ye Castle M hai...
Master ne ek baar fir meri oor dekha..aur fir aage badh gayi...main bhii badh gaya unke saath saath...
Master- Kuch nahi badla hai sabb waisa hi hai yaha...inko thodi bahut badlaw karne chahiye the...
Ye bol hi rahi thi wo ki unki nazar ek room mein gayi jaha kuch log pata nahi kya kar rahe the...room mein thoda thoda dhuwa sa faila tha....
Master- Devtaon ne apne kuch raaz khol hi diye...ab sabke paas Spiritanimals hai....chalo ye sahi hai..warna pata nahi kya hota kaise hote yaha pe...
Mujhe samajh mein nahi aa raha tha kuch...bas dhuwa faila tha waha pe room mein aur wo sab kuch to kar rahe the...
Thoda aur aage jaane pe ek aur room milla waha pe Master ruk gayi....dhyaan se ander dekhne lagi...ek muskan unke chahre pe aa gayi...
Master- Aacccha to ye baat hai...ab sabhi ke baache yahi padhte hai...kisi ko koi special treatment nahi milti...ye sahi hai...
Mujhe abhi bhi jyada to kuch samajh nahi aaya bas ye dikha ki ander ek ladka hai uske kaan bade bade the aur baal bhi ajeeb se usko kuch ladkiyan..haa ladkiyon jaise hi dikh rahe the wo...wo sab usko sayad kuch samjha rahi thi...fassa hua tha wo banda....par master isko dekh ke kyun khuss ho rahi thi...
Wo fir aage jaane lagi aur iss baar sidha rukki ek room mein jaha pe pahle se kuch log the...2 log ek stage jaise banne hue platform pe khade the wahi 3 log chairs pe unse dur baithe hue the...jaise hi master ander gayi.....wo sab ke sab ek pal ke liye shocked rah gaye....fir chair pe baithe hue ek bande ne madam ko baithne ke liye apni kursi khali kar di....Madam ne manna kiya par wo nahi maana....isse ye to samajh gaya main ki Master ki yaha bahhut chalti hai...tabhi to waha bhi aur yaha bhi....aur wo chancellor wali baat alag....bahut si baatein hai Master ki jo mujhe nahi pata hai...
Master baith gayi aur wo sab unse baatein karne lage.....
Master ne meri oor dekha aur ishare mein waha uss stage pe jaane ko kaha...
Main bhi wahi pe chala gaya....jaha wo do log the dekhne mein hatte katte lag rahe the...
Mere waha jaane pe unn logo ne mujhe bas ek baar dekha aur fir aapas mein muskurate hue..baatein karne lage...wo muskan unke chahre pe unke...ghamand ko dikha raha tha...par wo kuch bole nahi ....
Abhi main unko dekh hi raha tha ki ussi room mein koi aur aaya aur wo ek side khada ho gaya....pata nahgi ab ye kon tha...arre uska kya mujhe to yaha pe kisi ka bhi pata nahi tha....Wo Stage ki taraf dekhne laga aur pata nahi kaise...kuch to hua ki wo stage ekdum se pack ho gaya...aisa lag raha tha ki jaise koi seesa aa gaya ho stage ke charo taraf...Abhi main yahi dekh raha tha ki wo dono jo waha pe the...unme se ek aaage badha...aur dusra jammen pe baith gaya wahi...
Ye dekh ke Bahar baithe logo mein se kisi ek ne kaha...
A- tum baith kyun gaye ye Special bacth ke liye test dene aaya hai dono ka ek saath mukabla karega ye....
L2- Sorry professor per mujhe nahi lagta ki ye...humme se kisi ek ke saamne bhi tikkega...iski aura bahut hi kamjor hai...
Master ne uski baat sunni aur fir muskurate hui waha baithe logo se boli...
Master- Lagta hai ye aap sabhi ke best stuidents mein se ek hai...aur itni si umar mein aura bhi pahchan pa raha hai...waah...
Ye kahne ko taarif thi par tha ek challenge...sidha challenge...unn saabhi professors ko aur unn dono ko bhi...ab Professors ko samajhne mein der nahi lagfi aur unhone...uss ladke ko fatkaar lagate hue bola...
A - Tumhe jitna kaha jaayte utna hi karo..bekar mein apna dimmag naa lagao...aur agar itna hi khud pe yakkin hai naa to agar dono jeet gaye isse...to tumhe innam bhi milega...
Master- Agar rateek jeeta to usko bhi inaam milna chahiye...hai naa
A - Haa jarur agar wo jeeta to usko innam diya jaayega..
Unn logo ki baat khatam hui...wahi yaha pe wo dono abb mre saamne aa gaye aur dhjere se bole....bahut jyada bharosha hai usko tere upar...chal aaj wo bhi tod dete hai...
Main shaant raha...
"shuru karto..."
Ek awaj gunji chaaro oor....aur wo dono pata nahi hawa mein haath hillane lage apna pata nahi kya kar rahe the...hoga kuch...wahi maine time waste naa karte hue....khud unpe humla kar diya...ab aap hi socho...ladayi shuru ho gayi hai aur koi maidan mein aake apne hatiyaar ko dhaar dene lage...to saamne wala fayda to uthayega naa...bas wahi kiya maine....Wo dono kuch kar rahe tyhe...main bhagta hua unke passs gaya aur unko maarne hi wala tha ki...unme se ek hi aankhen khuli aur main dur jaa girra...kuch samajh mein hi nahi aaya kikaise ...bas khud ko unn dono se dur girra hua paya....Main utha aur ek baar Master ki oor dekha..wo focus karne ka ishara kar rahi thi...Maine bhi ek baar aankhen band ki aur apna dhyaan ek jagah kiya..fir jab aakhen khol ke dekha to dang rah gaya....unnn dono ke sharir ke aas pass kuch to tha...kuch ajeeb sa...koi jaanver jaisa kuch bana hua...par kya tha wo mujhe wo samajh meiun nahi aaya...abhi dekh hi raha tha kki unme se kisi ek ne apna haarth aage ki oor kiya...wo mujhse bahut jyada dur tha par fir bhi mujhe chot lagi..uska haath mujhse sach mein bnahut dur tha....bas ek chij dikhi mujhe aur wo thi unke sharir se jo jaanwar jaisa kuch laga hua tha naa usse mujhe chot lagi thi...matlab aisa tha kuh..ki unn dono ka sharir kisi cheez mein band ho gaya tha aur jaise jaise wo apne sharir ko hilate waise waise hi wo cheez bhi hilti thi....
Ye sab dekhne aur samajhne mein mujhe waqt lag gaya aur saath hi 2 - 3 baar yaha waha bhi fekka gaya jmein unke dwara...par jab sab samajh meinb aaya...to ye clear ho gaya kisse bachna hai aur kisse ladna hai...ye samajh nahi aata agar maine dhayyan se ye nah dekha hotha ki jab dono ke wo body mein jo bhi tha aapas mein ek bar takraya to dono hi aopni jagah se hill gaye the...matlab ab mujhe samajh mein aa gaya tha kaha pe humla larna hai...
Maine ek lambi daud lagayi aur pahuch gaya bachte bachate unme se ek ke pass...bahut karib utna jitna mein jaa sakta tha aur fir wahi par se apne haath pair full speed mein chalana shuru kar diya maine...Usse unko thoda sa sayad fark pada ho aur kuch nahi....
Ab main samajh nahi paa raha tha ki ab kya kiya jaaye...fir se do theen fatke lag chukke the mujhe...inn sab mein pata nahi kaise sayad nashib accha hai mera iss wajah se...mera dhyaan gaya unn dono pe ek baar fir aur iss baar dekha unko to wo thakke hue the...bahut hi jyada thake hue...sayad apni power jyada use karne se ye ho raha tha unke saath aur jab ye dekha to dimmag mein aaya agar aise nahi harra sakta to itna thaka dunga ki ye khud gir jaaye...bas fir kya tha main bachta bachata unke pass jaata unpe humla karta aur jab wo mujhpe humla karne aate to main bhag jaata...ye karib 20 minute tak chalta raha aur uske baad to dono ki halat ka puccho hi maat...bahut thak gaye the wo dono....
Thaka hua main bhi tha par unke jitna nahi aur Master ki training ki wajah se ek to main unke wo daaw pench bahut aasani se samajh jaata tha aur unse bach jaata tha aur ek baat ye ki meri stamina bahut jyada thi to...bas jaise hi wo thakke aur unke upar wo jo bhi tha wo khatam hua main pahuch gaya dono ke pass aur fir...fir kya ek do baar hi sayad punch yaa laat ka use kiya hoaur wo dono nicche luddak gaye...jaise hi wo nicche ludke aur mera dhyaan Master aur baaki sab ki oor gaya to....Master naraz lag rahi thi wahi baaki ke saare shocked...wo seesa jaisa jo bhi tha wo gayad ho gaya tha aur Room mein kuch log aaye aur unn dono ko leke challe gaye...baaki sab mujhe dekh rahe the....
A1 - (Master se) Madam ye to kamal hai isne binna apne spirit ke madad se inn dono ko jinki spirit medium class pe thi unko hara diya...
Master- Yaha oe ab jaadu pe jyada jor nahi dete hai kya...ek bhi magic nahi hua hai yaha pe...kaise students the ye....
Master ki baat sunke wo sab apna saar nicche kar lete hai....
Master- Kya baat hai...
A2- Magic teacher hai to par wo aati nahi hai yaha pe...darashal unke saath kuch ho gaya tha yaah Castle M ke taikhane mein to...bas tab se....
Master ne jaise hi wo sunna...unki aankhen badi ho gayi....
Master- uss jagah ko to band kar diya tha naa fir wo waha kaise...
A3- Pata nahi kaise kyun kab wo waha pahuchi par uske baad se wo bas...aayi hi nahi...humne unko school ki taraf se khaat likhe par jawab bhi nahi aaya koi....
Master- Unnse milne gaya tha koi ye pata chala kya ki wo sahi hai yaa nahi...
A2- Ji unse milne gaye the kuch log wo bilkul sahi hai bas School nahi aana chahti thi abhi...unka kahna hai abh...
Abhi wo bol hi raha tha ki Room mein koi aata hai daudta hua aur wo seedha mere oor aake mujhe gale laga leta hai...main kya jaanu kon hai kya hai aise hi gale laga liya...
Usme gale lagane se ye pata chala ki wo ladki hai...mujhse badi hai par ye nahi ki kon hai kaise pata chalta...
Master ne usko dekha....
Master - Poonam tum...tum yaha kya kar rahi ho...
A3 - Madam aap...aap aa gayi...
Master ne ek baar A3 ki oor dekha fir poonam aue meri oor jaha Poonam ji ne mujhe gale se lagaya hua tha...
Master ne A3 se pucha Poonam ke baare mein to unhone bataya ki yahi hai magic teacher yaha ki jo bahut dinno se kya mahino se gayab thi...ye yaha aa hi nahi rahi thi...aur aaj aayi hai...
Main koshish kiye jaa raha tha unse bachne ki par wo chodne ko taiyaar hi nahi thi mujhe....
Master- Poonam ye yahi hai ab...chalo room mein baat karte hai...(professors ki oor dekh ke) pass to ho gaya naa ye...
Professor- Ha ha pass hai ye wo bhi bahut hi acche performance ke saath...aap jaaiye baaki sab hum sambhal lenge...
Master ne uske baad meri oor dekha jaha wo ladki abhi bhi gale lagi hui thi aur ab naa jaane kyun roo rahi thi...yaar pata nahi kon hai ye pahle to aise gale laga liya aur ab roo rahi hai pagal wagal to nahi hai naa ye....kuch samajh mein nahi aata...
Wo to Master ne usko pakad ke khada kiya aur fir samjhaya tab wo hilli warna pata nahi kya hai usme...uske baare mein bhi jaan lo chahera bilkul barf sa safed matlab kuch jyada hi safed tha chahera...honth halke gulabim..aankhen...annkhen badi ajeeb si thi uski lal jaisi kuch..infection hoga sayad.. baal ekdum se kaale aur lambe...choti si naak...aur jyada janna jaruri nahi hai...
Unko leke hum chal pade room ki oor jo pata nahi kaha pe tha. .
Main bas picche piccche chala jaa raha tha Master ke aur wo Poonam bhi...bas wo baar baar mujhe dekhti aur muskurati thi..
Kuch der mein dusre castke mein hum ek room mein gaye jo saayd Master ka tha...
Master- Hmm chalo baitho dono...
Hum dono baith gaye....
Master- Poonam tum yaha kaise matlab kav se professor ho yaha pe...
Poonam - Aapko mera naam yaad hai...
Master- Naam pata sab maalum hai wo sab chodo aur jo puccha wo batao...
Poonam- nahi pahle aap bataiye ki aapne mujhe isse dur kyun rakha kyun nahi hamare pariwar ko pata chalne diya iske baare mein...aur jab dur rakhna hi tha to ab kyun wapas le aayi issko yaha jaha isko khatra ho sakta hai...
Master- wo ek lambi kahani hai...abhi bas itna samjho ye jaruri tha...rahi baat isko yaha laane ki to khatre se darne ke liye paida nahi hua hai ye...ye ladega aur jeetega bhi...ab....
Abhi Master kuch aur bolti yaa main confusion mein kuch aur bolta usse pahle hi kisi ne gate ko knock kiya...
Aaj ke liye itna hi baaki agle update mein...dekhte hai ye Poonam kon aa gayi aur kya bole jaa rahi hai saath hi milenge kuch nays characters se aur bhi kuch baatein..
To banne rahiye