• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Immortals

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
41,776
37,028
304
Last edited:

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,420
143
UPDATE -28

Ab tak

Maine Bua ko apne Thunder element ke milne ke baare mein bata diya tha aur fir humme mere liye ek nayi shield lene jaana tha...Kavita madam bhi aa rahi thi par pata nahi kyun unhone naa sirf Nikita ko balki DB ko bhi apne saath chalne ko kaha...aur to aur sayad wo Prof. Suraj ne indirect warning de dali thi humme...usne kaha tha ki Market mein aaj kal kuch bhi hojaata hai to bach ke raho...

Ab aage

Hum panch log abhi uss kamre ke darwaje ke samne khade the jaha se hum Market jaate the...thoda wait karne pe darwaja khula aur hum saare ander...

Bua - sab saath rahenge samjhe koi yaha waha nahi jaayega...pahle hum uss dukan mein jaayenge jaha se kuch chizze leni hai jo mujhe aur Kavita ko leni hai...uske baad agar tumme se kisi ko koi saman chahiye hoga to hum waha jaayenge..uss saman ko lene..fir khana khane ke baad wapas school...sab samajh gaye naa..

sabne haa mein apna sar hilaya...par abhi bhi mere maan mein yahi chal raha tha DB aur Nikita ko kyun laya gaya yaha...maltab main koi dusman nahi hu unka ki unke yaha aane se mujhe bura lag raha hai..bas baat itni si thi ki kyun laya gaya jaise main aaya tha bua ke saath shield lene ko...ussi tarah ye dono bhi to kisi wajah se aaye hai aur mujhe wahi wajah jaani hai..par pata nahi chal raha kya wajah hai.....

Main chalta raha aur yahi sab sochta raha aur itne mein hum pahuch gaye uss dukkan mein jaha se maine shield li thi fir wo testing magic stick bhi jo actually mein Dhruv ne li thi...main to apne sharir se bahar tha...wo Nikita wala chapter jo dekh raha tha...

To hum sab waha uss dukan mein pahuche aaj bhi sayad maalik nahi tha yaha ka wahi wo Bauna tha jo waha kaam karta tha ussi ne hamara swagat kiya...Bua aur Kavita madam ko to sayad wo bahut acche se jaanta tha aisa lag raha tha dekhne se...

Bua - Humme pahle to ek thunder element ka shield dikhaiye jo acche metal se bana ho au....

Bauna - Hmm rukiye mere pass ekdum naya piece aaya hai aur ye suit karega aapko...

Bua ne apni baat puri bhi nahi ki thi ki wo bauna bich mein bol pada aur naa sirf bola wo to uth ke wo shield bhi laane chala gaya...

Maine DB aur Nikita ki oor dekha dono hi dukkan mein rakhi hui chizzon ko dekh rahe the...DB waha pe pade tir kamman ko dekh raha tha waise thi bhi wo dekhne laayak...usme jo string laga hua tha wo bahut hi majboot aur saath mein halke material ka lag raha tha..aur kamman ki body bhi kisi acche metal ki lag rahi thi upar se uspe kuch manni bhi lage hue the..jisse wo aur bhi attractive lag rahe the...Elfs ko tir kamman ka bada saukh hota hai aisa padha tha maine to ye sab karna normal tha uske liye...wahi Nikita...wo waha pe ek konne mein rakhe hue ek khanjar ko dekhe jaa rahi thi ye bhi sayad koi antique piece hi hoga...bahut hi sundar nakasi ki hui thi uske handle pe aur saath mein ek bada sahera laga hua tha uske last mein...aur uska blade wo to bahut jyada chamak raha tha naa sirf chamak raha tha balki bahut tez bhi lag raha tha....uske sharp edge pe laal rang ki coating ki hui thi jo usko aur bhi aakarshaq bana rahi thi....

Wo dono unn chizon ko dekhne mein lage hue the aur main unn dono ko...tabhi Bua ne aawaj di...

Bua - Bacchu yaha aao...ye lo...

Maine sabse pahle to wapas se unn dono ki oorr dekha kahi unn dono ne sun to nahi liya inka mujhe Bacchu kahna...waise to bol rahi thi clas mein bhi sabko aise hi bolti hai...jhoot tha wo sab...ye bas mujhe hi Bacchu bulati hai...jab unke dekh ke laga ki dono ne nahi suna hai to main Bua ki oor daya unko aankhen dikhate hue...wahi kavita madam jo abhi Baune ko kuch bata rahi thi unki nazar mere upar gayi aur wo hasne lagi...

Main gaya waha pe Bua ke pass wo Shield liye hue usko dekh rahi thi check kar rahi thi...aur jab main pahucha to mujhe de diya wo shield......mera shield ko haath mein lena tha aur wo chamakne laga...uski chamak itni thi ki waha pe khade sabhi ka dhyaan meri oor kheench liya usne..

Bauna - Hmm acchi power hai aapke ander....

Bua - Matlab....

Bauna - Matlab ye ki inki powers bahut acchi hai....abhi se kisi yodha jitni,...ye jo chamak uthi naa iss shield se wo ye darsha raha hai.....

DB - Yodha itni...matlab mere se bhi jyada....par ye kaise...ek minute pahle to ye batao tumhe kab milli element wo bhi thunder element tum to wo testing shield use karte the naa....

Bua - Karta tha par ab..isko thunder element mil chuka hai....par ek baat hai ek din mein itna jyada powerful.???

DB - wahi to Prof. yahi baat to samajh mein nahi aa rahi hai...

Nikita - bas yahi nahi isne to aur bhi bahut kuch kiya hai...

Bua - Kya matlab hai Nikita kya kiya hai isne...

Nikita - Wo maine dekha tha isne akele hi Pankaj aur uske doston ko maara tha...aur Elf prince behosh pade hue the...

DB - Kya mazak kar rahi ho...main aur behosh....afwahein mat phailao..

Nikita - Yakkin naa ho to issi se puch lo...yaa fir nishan dikhaun gale pe...maine hi bachaya tha tumhe...

Bua - Ye sab kab hua....kya bole jaa rahi ho Nikita tum aur (mujhse) tumne bataya nahi kuch...

Main - wo bas aise hi tha bas...

Bua - haa baad mein ispe baat karenge..chalo...ab tum dono kuch pasand aaya kya....

Nikita ne to nahi bola kuch par DB ne bola uss tir kaman ke baare mein....

Bua ne Baune ki oor dekhaaur baune ne wo teer kaman nikal ke DB ko de diya...DB bilkul shocked tha usko nahi pata tha ki Bua usko wo dilwa degi...wo to bas bata raha tha ki usko wo pasannd aaya hai lene ke baare mein nahi soch raha tha wo...Bua ne uske baad Nikita ki oor dekha wo abhi bhi nahi bol rahi thi...par sayad Bua ne pahle dekh liya ho usko wo khanjar dekhte hue to bas...Bua ne usko bhi wo dilwa diya...Jab ye sab chal raha tha uss waqt Kavita madam kuch lockets dekh rahi thi..aur jab unka ho gaya wo to wo saare lockets leke aayi hamare pass aur hum tinno ko ek ek de diya...

Nikita - Ye kya hai Madam...

Kavita - tum tinno...pata nahi kyun aur kaise par hamesha mushibaton mein pade rahte ho...ye tum tinno ki raksha karega...

Baat to sahi thi unki...Db ek baar behosh ho gaya tha par agar sab kuch Pankaj ke plan ke hisab se hota to wo apne powers bhi kho sakta tha...upar se wo ek Prince hai...uske saath kuch bura hota to School mein hangama bhi ho sakta tha...wahi dusri oor Nikita ye to Market mein milli thi..ispe hamla hua tha...fir main...haa maana mere saath Dhruv hai aur Cooper aur Albus hai saath mein Jwala bhi hai par inke baare mein thodi naa pata hai inlogo ko to mujhe bhi ek locket mil hi gaya...Hum tinno ne jab usko pehna to aisa laaga koi chiz hai jisse hamari biody cover ki gayi ho...

Yaha ki shopping puri ho chuki thi...Bua ne fir humko pucha kisi ko aur koi saaman lena hai to sabne manna kar diya...fir kya tha hum saare chal diye dinner karne ko..ussi dukan ke pass mein hi koi hotel tha wahi pe gaye hum....acchi jagah thi...mainyaha waha dekh raha tha ki tabhi meri nazar gayi Old owl pe....wo wahi tha Hotel mein...hum hotel ke roof pe the waha pe table milli thi humko..aur wahi se mujhe wo Old owl dikha jo waha baitha tha ek deewar pe...

Old owl yaha tha matlab kya ho sakta hai iska...wo mujhse milne to aayega nahi usko kaam diya gaya tha Prof. Suraj pe nazar rakhne ke liye....aur jaha tak baat karni thi to main shuru karta usse baat karna...Meri samajh mein nahi aaya uska yaha hona...main aas pass dekhne laga,...dhundhne laga usko jo yaha hona chahiye tha...par waisa koi dikh hi nahi raha tha mujhe...bahut se log jo te waha...

Main - Dhruv Old owl yaha hai iska matlanb samjhe sayad Pro. Suraj bhi yaha hai...aur yaad hai usne kya kaha tha...market mein kuch bhi ho sakta hai...

Dhruv - Haa yaad hai...ek kaam karo main tumhari body ko sambhata hu tum usko dekho...wo yahi hoga...aur nahi to Old owl ki madad lo...

Main - haa ye sahi hai...waise ek baat batao...kya tumhe lagta hai Nikita ko ussi ne uss kille mein kaid kiya tha...

Dhruv - aur koi abhi ke liye uss kaam ke liye fit nahi baith raha..aur koi kyunkarega..aur dekha tha wo langda ke bhi chal raha tha kuch samajh mein aaya...

Jab usne mujhe yaad dilaya to mera sar ghoom gaya uss din jisne picche se humla kiya tha usko maine pair pe hi maara tha...kya wo wahi ho sakta hai...

Main jaldi se apne body se nikla aur yaha waha dekhne laga...mujhe kahi bhi Prof. Suraj dikhayi nahi de rahe the...kya ye sab wahem tha....par wo Old owl abhji bhi wahi pe hai...Main gaya uske pass...par sayad wo mujhe dekh nahi paaya...dekhe bhi kaise main abhi apne body mein tha hi nahi....

Dhruv - Jwala ko bulao...sayad uski jarurat pade...

Maine puchne mein iss baar waqt nahi gawaya aur sidha Jwala ko waha pe bulla liya...wo bhi aaya aur invisibale hoke aaya...ye sahi tha...Maine usko Prof. Suraj ko dhundhne ke liye bola...wo sidha Old Owl ke pass gaya...Old Owl usko dekh paa raha tha....

Jwala - Yaha kya kar rahe hai aap...aapko to abhi Prof. Suraj ke picche hona chahiye tha naa...

Old Owl - Main wahi kar raha hu...main uske hi piche laga hu...wo yahi pe hai...

Jwala - Kaha hai wo baato mujhe...

Old Owl ne apne pankhon se ek taraf ishara kiya...maine jab uss oor dekha to waha ek buddha saa aadmi baitha hua tha...

Main - Ye to koi aur hai...

Jwala - Ye to koi aur hai tum kahi bhatak to nahi gaye...

Old Owl- jitni aapki umar hai usse kahi juyada saal ka experience hai mujhe...aur rahi baat ye koi aur hai to jara gaur se dekhiye...isne roop bbadalne wale khade ka use kiya hai...

Main - haa ye to maine socha hi nahi...par ab jab pata lag gaya hai ye yaha hai to iska karna kya hai...mujhe pata nahi ki ye yaha karne kya aaye hai mujhe to bas shaq hai...confirm nahi hua hu main...

Dhruv - ye sayad bas Nikita ke liye aaya hai yaha dekho ussi ko dekhe jaa raha hai...aakhir Nikita ke picche kyun hai ye...

Main - Nikita ke liye....mujhe Nikita ke aare mein sab jaan lena chahiye tha tabhi hi..sayad kuch pata chal jaata kyun ye picche pad hua hai iske...ab kya karna hai...

Dhruv - Karna kya hai Jwala yahi raho...ispe nazar rakkho aagr ye kuch bhi karne wala ho to isko rokna hai tumhe...

Jwala - Bas rokna hai...???

Main - Haa bas rokna hai...main bhi Nikiyta se pata lagane ki koshish karta hu ki ye uske picche kyun pada hai...

Jwala - Hmm theek hai...

Main apne body mein wapas aa gaya....saamne dekha to plate mein bahut saara khana padha hua tha...main bhi usko khane laga aur nazre chura ke uss side bhi dekh leta...ki Prof. Suraj kuch kar to nahi rahe...par nahi wo to bas...khana khaa rahe the..aur kabhi kabhi humme dekh rahe the...Kya wo yaha humpe nazar rakhne aaye the...par kyun...bahut jyada confusion tha yaha pe....

Kuch hua nahi waha hum sab nikal gaye aur pahuch gaye wapas se school mein...aur fir apne rooms mein...hamare saaman to pahle hi waha pahuc gaye the...Main room mein aaya....aur sabse pahle Old owl ko bulaya saath mein Jwala ko bhi...

Mujhe dekh ke old Owl pahle to jhuka uske baad bola...

Old Owl - To aap hai wo iss kabile ke naye Raja hai....

Main - Nahi Raja t Jwala hai main to dost hu uska jaise aapka hu....

Old owl- Dost ....sab aisa hi kahte hai shuru mein aur uske baad jab jarurat nahi rahti to bhul jaate hai...

Wo ye sab Jwala ki oor dekh ke bol raha tha...Jwala se wo pure uske Kabile pe hi tanj kas raha tha,...

Main - Pahle jo bhi hua wo sab kuch majburiyon ka natija tha mujhe Jwala ne bataya ki uske kabile ne wada kiya tha tumara aur tumhare logo ka dhyaan rakhne ke liye par nahi rakh paaye...kyunki wo uss waqt khud hi kamzoor pad gaye the...

Old owl - wahi to baat hai main kyun ek aise kabile pe wapas se bharosha karu..jo kamjoor hai..kya ye wapas nahi hoga ki mujhe aur mere logo ko jarurat hogi inki aur ye nahi aayenge kyunki ye khud mein hi busy pade honge...

Main - Main iska dhyaan rakhunga...aisa naa ho...aur tumhare logo ki raksha ka jimma ab sirf Jwala ke kabile ko hi nahi mera bhi daaitwa hoga...

Old Owl - theek hai main aapki baat maan leta hu...aur main hamesha aapka wafadar rahunga...par ab aapko mere logo ki madad karna hoga...wo mushibat mein hai main yaha bas apne wade ko pura karne aaya tha...apno ko chod ke waha mushibat mein..

Main - Main kuch samjha nahi kya dikkat hai waha pe...

OLd Owl - ek kidda hai...wo hum sabhi ke pankhon mein chala gaya hai aur humsab ko usse bahut pareshani ho rahi hai...aapko humme usse aazad karna hoga..

Main - Kidda....sach mein bas ye hai dikkat...

Dhruv - ya hai kon hai sab pata kar lo uske baad hasna..

Main - Arre ye kidde ke baare mein baat kar raha hai...

Dhruv - tum jaante bhi ho kya hai wo kidde...aur ye socho wo inko pareshan kar rahe hai matlab kuch to hoga naa unke ander...

Main - arre par bas kidde hai unko to hum aise hi khatam kar sakte hai...sayad tumhe pata nahi par insani duniya mein bhi aisi dikkatein aati hai panchiyon ke saath aur hum unke upar powder yaa koi spray chidak dete hai jinse nko aaram milne lagta hai...

Dhruv - wo insani duniya hai aur ye Magic school...samajho meri baaton ko...

Main - accha theek hai...to main isko kal aane ke baare mein bol deta hu...kidde maarne ke liye..

DHruv - Kal....mujhe lagta hai tumhe pahle unnke baare mein pata kar lena chahiye...

Main - Arre jab tak jaayenge nahi tab tak pata kaise chalega...Kal bas dekhne jaayenge agar aasan hua aur mumkin hua to kal hi kar denge..aur agar nahi hua..to baad mein karenge..

Dhruv - Haa ye thik hai...

Main - Old Owl main kal aaunga waha tumhare logo ke pass aur dekhunga kya kar sakta hu...

Old Owl - Ji theek hai...

Maine socha ki ye dikkat to isko bhi hogi hi....to isko hi dekh leta hu...unn Kiddo ke baare mein sayad kuch pata chal jaaye...Maine issiliye uske pankhon ko dekhna shuru kiya..par kuch milla hi nahi...

Main - Kya tumme wo kidde nahi hai...

Old Owl - Nahi mere ander nahi hai womain baccha hua hu usse...par mere bahut se log usse dukhi hai...aap jald hi kuch kijiye...

Main - Haa theek hai main kal aaunga..

Dhruv - Pata bhi hai kaha jaana hai yaa bas aise hi kal aaunga bole jaa rahe ho..puch to lo kaha rahte hai ye aur iske log...

Main - Jwala hai naa wo mujhe le jaayega inke yaha...

Thodi der aur kuch baatein karne ke baad maine dono ko waha se bhej diya..aur fir sone ke liye ready ho gaya...aur bed ka to pata hi hai jaise hi uspe lete neend aa jaati hai...bas wahi hua..aur main so gaya...

Main bhul gaya tha ki aaj hi wo aayega...mujhe train karne...main soya aur pahuch gaya Albus aur cooper ke pass....waha pahucha aur unke pass jaake uske saath thodi masti karne laga ki aachanak kisi ne mere upar war kar diya....wo to Albus ne usko dekh liya tha tabhi usne mere pair pe pair maara aur main gir gaya aur ussse bach gaya...par ye to bas shuruat thi...wo to ab waar pe waar kiye jaane laga maine bhi apni talwar nikali...aur uska saamna karne laga.....par uski speed bahut hi jyada thi...main handle nahi kar paa raha tha...ab halat aisi ho gayi thi ki main usko theek se defend tak nahi kar paa raha tha...

Sayad ye baatein Albus ayr Cooper ko buri lagi ki dono hi uss hamlawar pe tut padde...waise to dono hi chote the abhi..par the to dragons hi...unke ander ki powers abhi balanced thi nahi...to issi wajah se jab Cooper ne uss hamlawar ke upar fire...haa sayad wahi tha...theek se dikha nahi mujhe...wo choda..to uski intensity bahut hi jyada thi....Wo kahte hai naa saanp se jyada khatra saanp ke bacche se hota hai...kyunki wo nahi jaanta kitna jaher kaafi hota hai kisi ko maarne ke liye...to wo kabhi jyada to kabhi bahut kam use karte hai jaher ka...bas waisa hi Cooper ne bhi kiya...aur jab usne kiya to Albus kaise picche rahta usne bhi kisi cheez se hamla kiya uspe...oi energy ball jaisa tha...Cooper ke hamle se to wo bas chaunk gaya tha par bachne mein bhi kamiyab raha tha...haa thoda bahut usko chot aayi hogi par Albus ka hamla...wo to kammal ka tha...wo energy ball aasmaan ki oor gaya aur fir uske ander se kuch bilji jaisa par kaale rang ka nikalne laga...aur wo bahut hi tez tha...wo hamlawar usse bachne ki koshish kar raha tha par bach nahi paa raha tha...

Dhruv - Arre wo test lene aaye the...maine bataya rtha naa ye tumhe talwar baazi sikhane wale hai...ab rokko inn dono ki...kahi wo jakhmi ho gaye to dikkat ho jaayegi...

Maine ye sunte hi Albus aur Cooper ko shant karne mein lag gaya par wo shant hi nahi ho rahe the...wo to maine uske liye khana rakh diya jisko dekh unka dhyaan bat gaya aur unki jo bhi powers thi wo dhire dhire khatam hui...par iss bich unn janab ki halat kharab ho gayi thi jo mujhe sikhane wale the...Main unke pass gaya aur unko uthaya...

Jaise hi maine unko chua uthane ke liye bahut hi ajeeb laga mujhe...main bata nahi sakta kaisa feel kiya maine...bas ajeeb sa laaga...aur sayad ye baat unko pata chal gayi wo bhi turnt alag ho gaye mujhse...

Wo - Dhruv aapne to kaha tha yaha bas yahi hoga...aurt do bacche honge dragons ke jo abhi kuch nahi jaante phir ye kya tha...

Dhruv - Arre ye sach mein nahi jaante kuch par pata nahi kaise ye sab powers use karne lage...tum chinta mat karo tumhari body thik hogi...ab lelo test iski...

Main - Body thik hogi...ek minute aur ye yaha kaise ye to mera mind hai naa..

Dhruv - Haa tumhara hi mind hai tabhi to inki body nahi inka soul aaya hai yaha pe tumhe sikhane ko...ye kaise aaye wo sab baad mein bataunga...

Main - waise hi aaye honge naa jaise main apne body se nikalta hu aur jaise main Nikita ko bachane gaya tha...

Dhruv - Haa sahi samjhe...ab taiyaar raho ye test lega tumhara...

Wo - Test ho gaya hai aur main fail hu....

Dhruv - arre wo to ye dragons aa gaye bich mein warna Prateek fa....ek minute tum fail ho ye kya hai...

Wo - Haa main fail hu...agar ye jung ka maidaan hota to main abhi maara jaata...mujhe sabhi chizon ke liye taiyaar rahna chahiye tha...par main nahi raha...

Main - Arre wo to ye Albus aur Cooper ke karan naa nahi to aap mujhpe bhari pad rahe the...

Wo - Haa jaanta hu...par ab mujhe lagta hai mujhe aur practice ki jarurat hai....main khud ko aur majboot karna chahta hu..

Dhruv - To kya tum isko nahi sikhaoge..

Wo - Arre nahi nahi aisi baat nahi hai main isko sikhaunga naa....main isko talwar vaaji sikhaunga..lekin mujhe nahi lagta inn dono ke hote hue isko koi kuch kar paayega...

Dhruv - Nahi phir bhi isko taiyaar to rahna hi padega naa..maan lo kabhi ye dono nahi ho fir kya hoga...

Wo - aisa lagta to nahi kabhi hone wala hai..par haa ye bhi sahi hai...bure se bure waqt ke liye taiyaar rahna sahi hota hai aur ye mujhse accha kon jaanega...Prateek kal se training shuru karenge aaj meri halat kharab ho gayi hai inn dono ki wajah se...waise kuch bhi kaho bonding acchi bana rahe ho inse...

wo phir chala gaya...

Aaj ke liye itna hi.......next update mein Old Owl ke logo ke pass jaayenge...saath mein Prof. Suraj ke baare mein kuch baatein pata karenge...aur ab kal se training bhi shuru karenge
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
 

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,420
143
UPDATE - 29

Ab tak

Maine Old Owl se baat kari usne mujhe bataya ki uski kuch pareshaniyan hai agar main unko suljha du to wo hamesha ke liye mera aur Jwala ke kabile ka saath dega..main taiyaar ho gaya....wahi uske jaane ke baad main Albus aur Cooper ke pass gaya...main bhul gaya tha ki aaj koi mujhe train karne aane wala tha...main to laga hua tha apne nanhe se dosto ke saath ki tabhi..kisi ne mujpe hamla kiya...wo to Albus ne mujhe bacha liya...fir uske baad jo hua...Cooper aur Albus ne uss hamla karne wale pe hamla kar diya....thodi der mein Dhruv ki aawaj aayi usne mujhe usko rokne ko kaha maine unko roka aur fir uss halma karne wale ko uthaya wo hi mujhe train karne aaye the...unse baatein hui aur

Ab aage...

Main subah utha aur ready hoke chala gaya meditate karne ko..syad aaj bhi thodi der baad Bua waha aa gayi...Main dhyaan ke waqt wahi kar raha tha apne thunder element ko majbooot kar raha tha...jab main dhyaan se utha to waha pe naa sirf Bua thi balki Nikita bhi thi...abhi wo dhyaan mein hi baithi hui thi...Bua bhi waise hi thi...main waha ek baar unn dono ko dekha aur fir waha se chala gaya apne room mein waha gaya aur fir jaldi se ready hoke chal diya breakfast ke liye....bahar aaya to DB ka dhyaan aaya.....maine socha ki uske saath hi chal deta hu....Main uske room ke darwaje pe gaya aur darwaja khatkhataya...darwaja khula hua tha....Maine dekha ki wo wahi farsh pe baitha hua tha dhyaan pe...par mere darwaja kholte hi wo utth gaya....iska meditate karne ka tarika bada hi kamjoor laga mujhe...

DB - Arre prateek tum...kya baat hai...

Main - Kya baat hai ??? classes nahi karni kya time dekho kya ho raha hai..

DB - nahi aaj main nahi jaa raha hu....mujhe aaj Strange world jaana hai Papa ne bulaya hai...

Main - Aaj par aaj to weekend se pahle ki aakhiri classes hai aaj kyun jana hai kal chale jaana....

DB - nahi yaar wo Papa ne kaha hai waha jaldi aane ko...sayad kuch kaam hai...aur main aise mauke nahi chod sakta...pata hai mere aur mere papa mein jyada banti nahi...Main hamesha se koshish karta aaya hu ki unse meri jo bonding hai wo majboot ho par kisi naa kisi wajah se aisa nahi ho paata...to ab main kpi bhi mauka nahi chodta...

Main samajh gaya ki iske aur iske pita ke bich ki kya condition hai to maine bas usko All the Best bola aur waha se bahar aa gaya...main Breakfast karne chala gaya....waha pe main aaj akela baitha hua tha....koi mere yaa DB ke pass nahi aaya karta tha...karan bhi tha hum dono ne pange hi aise logo se le rakhe the....wo do dost jinko DB ne bachaya tha wo bhi hamare saath nahi rahte the ab...

Main akela hi baitha breakfast kar raha tha...ki tabhi waha Nikita aati hai...aur aake baith jaati hai...waise bhi jagah khaali hi thi...baithne ke baad wo bhi khana khane lagti hai apna...main ek pal ke liye usko hi dekhta rah jaata hu samajh hi nahi aata mujhe ye yaha pe kyun hai...matlab..ye to dusre jagah baitha karti thi...

Nikita - apna khana khatam karo main yahi pe hu...baad mein bhi dekh sakte ho..yaa fir class mein..

Main - tum yaha kyun....

Nikita - kyun nahi aa sakti kya...yaha pe bas tum dono ko baithne ki izzazat mili hai kya...waise dikh nahi rahe hamare Elf Prince kaha gaye wo...

Main - Nahi aisa nahi hai wo to koi hamare saath baithta nahi..bas issiliye pucha...aur DB abhi apne Pita se milne jaane wala hai wo class bhi nahi karega aaj...

Nikita - Aaj par aaj to weekend ke pahle ki last class hai naa...Fir aaj kyun..kal jaana tha naa..

Main - Nahi usne bola koi jaruri kaam hai to chala gaya...

Nikita - hmm thik hai...waise kya main bhi tum doono ke group mein aa sakti hu kya...waise bhi humme to ek saath hi rahna hai naa ab....wo Prof. Poonam ne kaha tha naa...

Main - Haa haa waise koi grup nahi hai hamara.....aur tum dost ban sakti ho...

Nikita - thanks....waise main naa yaha kuch puchna chahti thi tumse....

Main - Haa pucho

Nikita - wo tum naaraz to nahi naa wo kal maine tumhari ladayi ke baare mein bata diya...

Main - Haa shuru mein thoda gussa aaya tha par koi baat nahi...chalo chalte hai class ka bhi time ho gaya hai...

Hum dono waha se the aur class mein chale gaye...par class mein jaane ke baad waha pe koi assistant prof. aa gaya aur wo class lene laga....hamare puchne pe bataya gaya ki Prof. Suraj kisi jaruri kaam se bahar gaye hai....class hui aadhe ytime tak hi sirf theory hi padhayi gayi practicles nahi hue..aur hum half time mein hi free kar diye gaye....Main class se nikla aur apne room mein jaane laga...par tabhi Nikita ki aawaj aayi.....

Nikita - Arre kaha jaa rahe ho...chalo library halte hai waha bahut mazza aata hai...

Main - library mein mazza ???? wo bhala kaise....waha to kitabein hi hoti hai naa aur mujhe kitabein room pe hi mil jaati hai....

Maine aisa kaha aur Nikita mujhe ghoorne lagi...jaise maine koi bahut bada jurm kar diya ho....

Main - Kya hua aise kyun ghoor rahi ho...

Nikita - To tum bhi unhi logo jaise ho...library ki ahmiyyat alag hoti hai....aur usko ye portable library kabhi kam nahi kar sakti....library mein wo chizzen bhi mil jaati hai jinko hum dundh nahi rahe hote hai....

Main - Haa pata hai par main yaha ke library mein nahi gaya hu abhi tak...

Nikita - To aaj chalo mere saath waha pe sach mein bahut acchi acchi kitabein hai sabhi chizon ke baare mein...

Main ek baat samajh gaya tha abhi tak Jwala ke kabile aur Polar bear ke kabile ke baare mein agar kuch bhi pata lagana ho to mujhe portable library se nahi pata chal sakta....kyunki usme se wahi nikalta hai jo main ussse mangta hu..aur main ye hi nahi jaanta wo hai komn to main kya mangu portable library se...aur kaise pata karu uske baare mein....to mujhe agar kuch jaana ho yaa pata karna ho to wo randomly hi ho paayega sayad...haa waqt bahut lagne wala hai isme par try karne mein kya jaata hai aur waise bhi library jana koi buri baat to hai nahi...to bas maine bhi mann bana liya waha jaane ka aur nikal pada Nikita ke saath...hum thodi der mein library mein the....

Kya library thi ye...matlab agar main yaha pe kitabein hi ginne baithu to bhi mujhe 10 saal lag jaane hai...

Nikita - Yaha ki kitabein roj update hoti hai...aur nayi kitabein hamesha aati rahti hai...yaha pe har tarah ki kitabein mil jaayegi...kadhe ke liye jaadu ke liye ladayi ke liye....yaa apne spirit ko takatwar banane ke liye...

Last wali baat pe usne kuch jyada hi jor diya tha aur mujhe dekh bhi rahi thi wo uss waqt....kal se hi mujhe aisa lag raha hai ki wo janti hai sayad ki maine usko bachaya aur saath hi uske spirit animal ko bhi powers di hai...

Main - ye to bahut acchi baat hai..

Nikita - haa accha hai tumhari wo portable lirary se bahut accha hai...usme books updated nahi hote...naye books bhi late aate hai...

Main - Ooh mujhe ye pata nahi t...

Main aage badh hi raha tha ki ek book shelf pe mujhe ek kitab dikhi....maine usko uthaya aur dekhne laga...

Nikita - Hmm acchi choice hai aate hi Merlin ki likhi hui kitab,,,waise tumne to padhi hui hogi ye wali naa...

Main - Nahi to kyun...

Maine ye kaha aur Nikita ke chahre pe ek smile aa gayi...usne wo kitab mujhe li aur usko mujhe dikhaya...maine usko dekha aur yaad karne laga isko kahi aur bhi dekha tha maine...

Nikita - Ye wahi kitab hai jisme likhi hui nbaat dikha ke tum aur DB kadhe wali class se nikalne se bacche the....tumne to page number tak bata diya tha...aur ab kahte ho padhi hui nahi hai...

Main shocked rah gaya....mujhe yaad nahi tha ye aur isko yaad tha ye sab...par kya kare pakda gaya tha ab bachen ke liye kuch naa kuch to karna hi hoga naa...

Main - Haa maine padhhhi hui hai wo bas yaad nahi raha tha...

Nikita - accha fir ye batao iss kitab ki wo page kon si hai jisko merlin ne nahi likhi...

Main - Aisa thodi naa hota hai kitab jab Merlin ke naam kihai to unhoone hi puri kitab likhi hogi naa fir kya aise hi....

Nikita- Tumne nahi padhi hai naa ye kitab mujhe pata hai tumne nahi padhi hai isko...agarr padhi hoti to ye baat jarur pata hoti tumhe...

Meri samajh mein nahi aa raha tha kuch...Main kuch bolta usse pahle ussi ne uss topic ko wahi pe band kar diya aur kaha ki next class shuru hone wali hai to chalo...

Main bhi khud ko bachane ke liye chal diya waha se...aur hum dono jaa pahuche Kadhe wali class mein waha pe jyada kuch nahi hua bas claass hui....Haa aaj HOD sahab bhi aaye the par...aisa laga nahi ki wo mere mein thoda sa bhi interested hai..wo bas aaye aur class li aur chale gaye...haa ye ajeeb sa laga kuch ki wo hamare class mein aaye the...jaisa sunna tha unke baare mein uss hisab se to unka hamare class mein aana ye kisi chamatkar se kam nahi tha...

Iss class ke baad hum chal diye Prof. Naman ke pass waha gaye to waha bhi jyada kuch nahi hua...bas classes hi hui jaise normally hoti hai same Bua ke class mein bhi hua...Ye sab hone ke thik baad mein turant hi apne room mein chala gaya...

Main aaya aur turant hi Jwala ko yaad kiya...saath mein Dhruv ko bhi...aaj uski aawaj bhi nahi suni aur sham tak ho gayi thi...

Dhruv ki aawaj to nahi aayi par Jwala aa gaya...

Maine Jwala se Old Owl ke jagah le jaane ko kaha aur usne waisa hi kiya..mujhe le gaya Old Owl ke ilake mein.....

Iss jagah ke baare mein kya kahu samajh nahi aa raha tha...mausam se shuru karta hu...yaha patjhad ka mausam tha...pedo se bhara hua ye ilaka abhi rang birange patto se bhara hua tha....dekh ke ek pal ko to laga itna bhi shunder koi jagah hota hai kya...main to yaha ke khubshurati mein hi kho gaya wo to Dhruv ki aawaj aayi aur main hosh mein aaya...

Dhruv - Yaad kiya tha mujhe kya tumne...

Main - Arre haa wo aaj ek baar bhi baat tak naa hui apni to bas...aur fir yaha aana bhi tha naa...

Dhruv - Wo main aaj un dono ko samjha raha tha...unke pass powers aa gaye hai ab usko sambhalna thoda pareshani bhara hai...bas ussi wajah se main baat nahi kar paya...

Main - To tum bhi unko train kar sakte ho naa...to tum hi unko mere liye train kyun nahi karte...

Maine ye bas aise hi pucha tha...yaa yun kaho to majak kiya tha par Dhruv to mere upar hi chad gaya...

Dhruv - Main yaha pe bas tumhe guide karne ko aaya hu naa ki unko tumhare liye taiyaar karne ke liye...aur agar kar bhi diya naa pichli baar ki tarah to wapas se wahi hoga....main fir se inhi ke saath chala jaunga aur tum tum....

Main ek pal ko to samajh hi nahi paaya ki ye bol kya raha hai pichli baar se kya matlab hai iska main usse iske baare mein puchta usse pahle hi hamare saamne ek Ullu aa gaya.....

Ullu - Swagat hai aapka Owl town mein,..Aap honge Jwala (Jwala ki oor dekhte hue kaha...) aur aap (meri oor dekhte hue) aap honge hamare masiha Prateek ji....aap dono se milke bahut accha laga...

Jab ye ullu aaya Dhruv ne wo saari baatein hi badal di Prateek ke dimmag se...wo nahi chahta tha abhi wo sawal uske saamne aaye jinka jawab abhi dena sahi nahi hai...

Main - Arre aisi koi baat nahi hai main koi Masiha nahi main to dost hu bas...Old Owl ji ka...waise aap kon...

Wo - Main...main yaha ki ek niwasi hu...Old Owl ne mujhe hi aapka swagat karne ka jimma diya tha....so bas main aa gayi...ab aap chale...

Maine note kiya ki wo bolte waqt kuch thoda hichkicha rahi thi...haa ye ladki thi...uske pankh bhi thode bikhre hue the...main samajh nahi paaya kuch...

Dhruv - Nahi aage nahi jaana hai pahle isse uss kidde ke baare mein pucho...

Kal maine chahe kitna hi Dhruv ki baaton ko nazar andaaz kiya tha par uske baaton mein logic to tha hi...Maine uski baat maani aur isse pucha uss kidde ke baare mein.....

Main - Ha ha chal lenge pahle ye bataiye wo kidda jiske baare mein Old owl ne bataya tha...uske baare mein kuch bata de to...

Ussne apna ek pankh toda aur mujhe de diya aur khud waha se chali gayi...Main bas dekhta raha...aisa kon karta hai..abhi swagat karne aayi thi aur ab bhag gayi...

Jwala - Picche dekho...ye kya hai...

Maine picche dekha to waha se dhool ki ek laher aa rahi thi...par wo dhool nahi thi wo chote chote kidde the...Jwala ne turant hi ek portal khola jisse hote hue main apne room mein aa gaya aur wo sayad apne kabile mein jaa pahucha....ye kya tha mainsamajh hi nahi paaya...

Dhruv- Maine kaha tha jaan lo kiss chiz ke baare mein baat chal rahi hai....

Main - Arre par wo tha kya....aur wo uska aise chale jaana pankh deke aur Jwala ka aisa karna..kya tha ye sab...

Dhruv - WO jo kidde the agar humse touch bhi hote naa to Albus aur Cooper dono ki hi halat kharab ho jaani thi....

Main - Kya matlab hai...unko kaise kuch ho jhaata wo to spirits hai mere...

Dhruv - Haa wahi to baat hai wo spirits hai aur ye jo kidde the wo Spirits ko hi maarte hai..abhi tak to Albus aur Cooper ka...

Main - Bakwass band karo main kabhi aisa nahi hone dunga...

Dhruv - Abhi ye hone wala tha...agar Jwala ne sahi waqt pe ye nahi kiya hota...aur wo ullu wo kon thi ye pata lagao pahle...mujhe to ispe bhi shaq hai wo ullu hi thi naa...uske pankh to dekhe te naa...

Main - Wo ullu hi thi itna pata hai mujhe..par jaise hi usne wo pankh mujhe diya turant hi wo dhool ka aana mujhe bhi uspe shaq karne pe majboor kar raha hai....

Dhruv - Hmm Old owl se baat karni hogi par abhi nahi raat mein par usko khabar kara do...

Main - Haa main kara deta hu...

Maine Jwala ko bol diya ki usse bole ki wo raat mein mujhse mille saath mein ye bhi to janna tha usse ki ye Prof. Suraj kaha hai aaj...

Ye karne ke baad main wo Pankh dekhne laga par usme koi cheez dikhi nahi mujhe....maine usko apmne pass hi rakh liya aur fir room se bahar nikla...dinner ko thoda waqt tha..aur abhi kuch karne ka mood nahi tha...Main bahar nikla aur mujhe Nikita wapas se mil gayi...

Nikita - Kaha chale gaye the main kab se dhundh rahi thi tuimko...

Main - Mujhe par kyun...

Nikita - Wo bas aise hi...accha ek baat batao...tum kya ghar jaa rahe ho iss weekend bhi..

Main - Haa jaa raha hu Bua ke saath..

Main (maaan mein) ye kya bol diya...

Nikita - Bua ke saath to tumhari Bua tumhe ene aa rahi hai...

Main - haa haa wahi to..wahi lene aa rahi hai mujhe...sayad aaj hi nikal jaun...

Main usse baat kar raha tha ki tabhi Bua aa gayi waha pe....

Bua - Wo bhi chal rahi hai hamare saath usko pata hai sab...maine bata diya...

Main - Kya...matlab isko pata hai ki main aapka bhatija hu...

Bua - Abhi kya kisi aur bhasa mein kaha maine...ab jaldi se bhago aur ready hoke aao humme nikalna hai Bus aati hi hogi...

Main - Hum aaj hhi jaa rahe hai kya...

Bua - tune hi to bola naa bachu ki teri bua aaj lene aayegi tujhe...to ab aa gayi jaldi ready ho aur chal...Nikita tum jao aur Kavita ko dekho wo taiyaar hui yaa nahi..

Main - Kya Kavita madam bhi jaa rahi hai hamare saath...

Bua - Haa kyun koi dikkat hai kya...

Main - nahi par...

Bua nahi naa fir ready hoke aa jaldi...

Main kya bolta Bua to alag hhi form mein chal rahi thi to bas main bhi chal diya waha se...room mein gaya ready hua aur bahar aa gaya...Bua wahi pe thi saath mein Nikita aur Kavita Madam bhi...Main waha khada hua hi tha ki bus aa gayi aur har baar ki tarah iss baar bhi Bus pe jaana tha aur hum pahuch bhi gaye....jab hum charo bus se utre to waha pe pahle se Rupal didi khadi thi...mujhe dekhti hi wo mere pass aayi aur mere gaal khichne lagi....tabhi unki nazar baaki ke do logo pe gayi...

Rupal - Ooh to fir aa gayi aap...

Kavita - Kya kare ab..hum to aapke diwane hai aana hi pada..judayi bardast nahi hoti naa...

Rupal - Iss baar dekho bas aap kaise harati hu aappko..

Kavita - Alle lle lee le mela bacha mujhe halayega.....

Bua - Kavita Rupal...abhi shuru nahi hona hai baad mnein dono ko mauka milega...aur Sunday ussi ke hisab se chalega jo jitega...pahle ki tarah...

Rupal - Haa thik hai...ye kon hai...

Bua - Arre Haa ye ye hai Nikita....Bacchu ki classmate hai meri student hai aur abhi ke liye yaha pe hamari mehmaan hai ye...

Rupal - Oo...chalo sab phir waise bhi Mom aur baaki sab wait kar rahe hai...

Sabhi apna apna saman utha ke chal diye waha pe...waha pahuche to sabhi khane ke table pe baithe hue the...sayad Bua ne Kavita madam aur Nikita ke aane ka nahi bataya tha pahle to waha pe chairs nahi thi par unko dekhte hi Chachi ne chairs ka bandobast kar diya...aur fir sabne khana khaya...sabki jaan pahchan bhi hui Nikita se...unko unka room diya gaya aur saare sone chale gaye....Main sone aaya room to wahi tha pahle wala,,,,

SOne ke baad turant hi pahuch gaya ussi jagah pe...Albus aur cooper ke pass...unko dekha to unko kahi door khana diya hua tha...wah ek parchayi si koi cheej aayi...

WO - Pahla lesson....speed badhana hoga.......Ab sunno yaha se speed to bedegi nahi to training pyhsically hi karna hoga naa...

Main - Haa to kya ab kal se shuru kare...

Wo - Arre nahi baat bas ye hai ki main..

Aaj ke liye itna hi next update mein training aage jaayegi aur saath hi wo old owl aayega...aur kiddo ke baare mein pata cchae...
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
 

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,420
143
UPDATE - 30

Ab tak

Main gaya tha waha Old owl ke yaha par waha pe kuch bada hi ajeeb hua...ek madda ullu aayi aur usne apna pankh mujhe de diya aur uske theek baad waha pe unhi kiddo ki fauj aa gayi...ye wahi thi jo nn logo ko pareshan kar rahi thi...wo to waha se Jwala ne nikal liya mujhe...waha se nikalne ke baad main jab school aaya to Bua ne naya bomb fod...ye to pata tha mujhe ki main ghar jaunga par Nikita bhi...ye pata nahi tha aur Bua ne usko hamare baare mein bata bhi diya tha...par kyun...ghar mein aake jab main sone gaya to pahuch gaya Albus aur Cooper ke pass...par wo nahi the waha...waha abhi abs wahi tha jo mujhe sikhane aaya tha....unhone kaha ki yaha pe physical training nahi ho sakti....

Aage

Main - To kya ab kal se shuru karna hai ye sab...

Wo - Arre nahi wo to main...main ye kah raha tha ki main tumhe yaha pe kuch tips ddunga aur unhi ke hisab se tumhe...dhyaan lagane ke baad execise karna hoga...usse naa sirf stamina badega balki body majboot bhi hogi....waise bhi tumhari body bahut kamjoor si lagti hai...

Main - Nahi aisa nahi hai main pahle se hi bahut se arts jaanta hu mujhe mere master ne bahut kuch sikhaya hai aur mera body sayad utna bhi kamzoor nahi jitna aap samajh rahe hai.,...

Wo - Hmm to fir theek hai main bhi dekh lunga...

Dhruv - Body strong nahi hai tumhari...haa stamina to hai tumme par strong sach mein nahi hai...tum khud dekh sakte ho...

Main - accha theek hai batao kya karna hoga body ko strong banane ke liye....

Wo - wo bhi bata dunga...ab apni talwar nikalo...aur saamne jo wo ped hai usko kaato 2 waar mein....

Pahle to maine saamne dekha kuch dikha hi nahi kuch tha hi nahi waha...fir dekhte hi dekhte waha pe ek chota sa paudha ugga...aur wo bada hone laga...pahle ek tahli fir dusri...aise hi karte karte wo ek bahut hi bada ped ban gaya....iss ped ki shakahyein itni moti thi ki unko ek waar mein nahi kata jaa sakta aur ye mujhe pura ped ek waar mein katne ko kah rahe the...

Main - Isko ek waar mein wo kaise ho ga...

Wo - kyun nahi hoga...tum to strong ho naa...jao kaat ke aao usko...

Main samajh gaya ye kaha pe hai...ye mujhe samjha rahe hai ki abhi naa mujhme wo stamina hai aur naa hi meri body strong hai...

Main - Main samajh gaya aap kya kahna chahte hai aage se aisa nahi hoga...

Wo - Jaldi samajh gaye...chalo theek hai par ped ab aa gaya hai to katna to padega naa dekho kaise sukh gaya hai wo...

MAine ped ki oor dekha to uske saare patte niche gir chukke the aur wo pura sukh bhi chuka tha...par abhi bhi mere se ek waar mein kat jaaye ye mumkin nahi tha...maine ek baar aur unki oor dekha aur unhone bas aankhon se ishara kiya ki jao aur kaat ke aao...

Main bhi apni talwar ko dono haathon se pakad ke tezi se daudta hua gaya aur uss ped pe de maara...par uske baad main jamin pe tha meri talwar ped mein phasi hui thi...aur mujhe 2 logo ke hasne ki aawajein aa rahi thi...

Dhruv - ek baar aur try karo...mujhe lagta hai isko mauke dene chahiye jab tak ye talwar se iss ped ko naa tode tab tak hum chalte hai baat karenge...

Wo - Haa chalo waise bhi kuch cheezein batani thi...sayad isse isko bhi madad mil jaaye...

Wo don hi waha se chale gaye aur mujhe wo ped katne ko kah gaye...main bhi laga raha....naa jaane kitne hi waar kiye maine par ped ko jyada koi fark hi nahi pad raha tha...ek pal ko to maine bhi haar maan li...par pata nahi agle hi pa kya hua...mujhe wo ped chidhane laga....bada hi ajee tha wo...

Ped - kyun be haar gaya mujhse...hahaaha ahaa harega bhi kyun nahi tu to hai hi darpookh...tu kya tera to pura khandan hi darpookh hai naa.....

WO ped abhi ussi suwar ke saar wale ki tarah baaatein kar raha tha jisse mera aur Rupal didi ka samna hua tha....aur abhi wo mere family pe jaaa raha tha....gussa aane laga mujhe...wo fir bhi saant nahi hua...wo bolta hi gaya aur bas bolta hi gaya aur fir mera gussa bi badhta gaya aur ant mein maine sach mein uss ped ko ek hi waar mein kaat diya...gusse mein pata nahi kaise main uss angle mein waar kiya uss ped pe ki wo bas nicche hi gir gaya...makhan ki tarah meri talwar uss ped se hote hue gujri thi...waha ped gira aur ussi ke saath wo waha pe wo aaye...

Wo - kuch samajh mein aaya kya...

Main - Gusse ko sahi samay pe aur sahi tarke se use karne se bahut jyada fayda hota hai...

Wo - Jaldi seekh rahe ho...par ek baat ye bhi sach hai ki koi bhi kaam hum jitna accha shant maan se karte hai utna gusse mein yaa fir kisi cheez ke baare mein sochte hue nahi kar sakte hai...samjh rahe ho naa

Main - Haa samajh gaya...

Phir unhone mujhe kuch tips diye exercise ke aur saath hi diet bhi batayi jisse meri body strong h...uske baad wo chale gaye...aur main bhi jaane ko hua ki mujhe Albus aur cooper ki yaad aayi...

Main - Dhruv kaha hai wo dono...

Dhruv - aawaj do wo khud hi aa jaayenge...

Main - Albus....cooper...

Mera aawaj dena tha ki dono hi mere saamne aa gaye bhagte hue...unki speed bahut tez thi...kuch hi seconds mein wo bahut dur se mere pass aa gaye the...aur mere upar kud gaye the...

Thodi der unke saath khelne ke baad main chal diya wapas...jab jaaga to yahi koi 4 baje honge....room se bahar nikla..aur garden ki oor chala gaya aur waha jaake meditate karne laga...ghar mein 2 garden the ek to ghar ke aage ki oor aur ek picche ki oor...main aage ki oor gaya tha meditate karne ko...jyada waqt nahi hua tha ki kisi ne koi pather pheka hamare ghar ki oor...aur wo pather mujhe laga....meri aankhen khul gayi saamne dekha to koi nahi tha...sar pe chot lagi thi mere ko....main utha aur bahar jaake aas pass dekhne laga...koi nahi dikha...main wapas se ghar mein gaya to waha pe chachi mil gayi...unhone dekha ki mujhe chot lagi hui hai...wo ghabra gayi...aur jaldi se sabko aawaj dene lagi...

Main - Chachi kuch nahi hua hai ye bas aise hi gr gaya tha...

Chachi ne ek baar mujhe dekha aur fir dawayi leke aayi aur mujhe lagane lagi...tab tak waha pe baaki ke log bhi aa gaye the...Bua aur Nikita saath mein Rupal didi aur Kavita madam to piche ke bagiche ki oor dhyaan laga rahe the...wo bhi aa gaye saath hi dada dai aur chacha hi aa gaye....Chachi ne sayad unko koi ishara kiya...jiske baad chacha ji ko bahut gussa aaya aur wo bahar chale gaye...wahi Dada ji thode shant rahe...Dadi bhi mujhe dawayi lagane lagi...Bua bahar chali gayi thi Rupal didi ke saath...Main samajh nahi paa raha tha waha ho kya raha hai....thodi der mein aasmaan mein pura andhera chaa gaya...main samajh nahi paaya ye kaise hua...

Main - CHachi ye kya ho raha hai...

Chachi - Kuch nahi tu bas baith...Maa ji isko dekho jarra main bhi aati hu...

Kavita - Bhabhi main bhi aati hu...

Chachi - Haa chalo....Nikita beta aap yahi rahna samjhi...

Nikita - Ji

Aur iss baar Dada chachi aur Kavita madam bhi bahar chale gaye....thodi der baad maine dekha ki aasmaan saaf ho gaya hai wapas se...

Main - wo sab kaha gaye Dadi...

Dadi - Kahi nahi bas bahar gaye hai...kuch kaam yaad aa gaya hoga naa..tu bas aaram kar...

Main - Arre bas thokar lag ke girra hi to hu...aur aap log to bas...

Dadi (aankhen dikhate hue) - Thokar lag ke gira hai....tu bilkul apni Maa pe gaya hai...waise to uske saath jyada rahi nahi hu main..par wo jab ghar aayi thi to dekha tha usko...dusro ko bachane ke liye jhoot bolna...

Main - Arre main jhoot nahi bol raha...

Dadi - Haa bas hamara wahem hai...jyada hosiyaar mat banno...

Main samajh gaya inko sab pata hai inko kya baaki sab ko bhi pata hai kisi ne pathar pheka mere upar...par kyun pheka...

Main - Dadi Maa papa ke baare mein batao naa kuch...Master ne kaha tha waqt aane pe mujhe pata chalega...

Dadi - Master ne kaha tha naa mere bacche to waqt aane pe wo khud hi bata degi...chalo ab fesh ho jaao...aur fir khana khayege...Nikita beta aap bhi jao fresh ho jao...

Nikita - Ji..

Hum dono upar jaane lage..upar hi to hamare rooms the..

Nikita - Kya tumhare Mom dad bhi nahi hai...

Main - Nahi hai main bachpan se apne master ke saath raha hu...school mein aaya tab Bua ka pata chala phir pata chala ki ek pariwar bhi hai...waise tumhare Mom dad kaha hai...

Nikita - Wo...wo...Main apne aunt ke saath rahti thi...mujhe pata nahi mere Mom dad kaha hai...jab tak pchne ki umar aayi ta aunt bhi nahi rahi....aur mujhe ek orphanage mein bhej diya gaya....

Main - Ooh.chalo fresh ho jaate hai..

Main usko koi sahanubhuti nahi dikhana chahta tha kyunki itne waqt mein itna to samajh gaya tha isko sahanubhuti bilkul bhi pasand nahi...aur abhi main usko aur pareshan nahi karna chahta tha to hum chal diye apne apne rooms mein taiyaar hone ko..Main room mein gaya to khidki se bahar ki oor dekha....aur jo dekha usse to main dang hi rah gaya...hamare ghar ke saamne bahut se log khade the...aur Bua chachu..Dadu aur baaki sab..unko dekhe jaa rahe the...wo saare sach mein darre hue the...main samajh nahi paya yaha ho kya raha hai...abhi kuch kahta usse pahle hi wo sab aise bhage jaise unke picche kisi ne pagal kutton ki fauj chod di ho...

Unke jaane ke baad baaki sab bhi wapas aa gaye aur main nicche jaane ki sochne laga..par fir socha ki fresh hoke hi jaaya jaaye...Main jaldi se fresh hua aur fir nicche gaya...niche gaya to mahaul ekdum se shant tha....abhi Rupal didi ke Nana Nani bhi yahi aaye hue the...

Main jaise hi niche gaya...

Nani - Kaise ho Prateek beta...sab theek hai naa..

Main - Ha Nani ji main theek hu...Rupal didi wo abhi bahar...

Rupal - Bahar...arre wo kuch nahi wo kuch log aaye the yaha...ab chale gaye tum chinta mat karo....

Didi ne aise jawab diya jaise wo jaanti ho ki maine dekh liya tha sab kuch aur wo jaanti hai ki main kya kahne wala hu...jawab ke baad ab kuch baccha hi nahi mere pass bolne ke liye..

Chachi - arre chalo sab nasta karlo...fir Rupal aur Kavita ki ladayi bhi to dekhni hai...

Kavita - Arre Bhabhi kyun apni phul si bacchi ko pareshan karti ho...

Rupal - Phul si bacchi haa aaj naa main aapko batatui hu phul si bacchi...aaj to haraungi hi aapko..

Dadi - Haa haa hara lena par usse pahle sab khana khayenge...

Abhi baatein hi ho rahi thi ki Nikita bhi upar se nicche aayi...

Nani - Ye bacchi kon hai dekhne mein to badi pyari lag rahi hai...

Bua- Ye...ye meri student hai Nikita naam hai iska...

Nani - Naam bhi bada pyara hai...

Chachi - Chalo sab aa jao...

Sabhi naste ke table pe jaa baithe aur fir khana khane lage...abhi hum khana khaa hi rahe the ki accanak se mujhe laga ki sab ke sab ruk gaye hai....Main samajh nahi paya ye kya ho raha hai..maine sabko dekha...Bagal mein Rupal didi baithi hui thi unko hilaya bhi par kuch hua hi nahi....

Main - DHruv ye kya ho raha hai...

Dhruv - Samay rukka hua hai koi badi baat hui hai...koi kuch batane aaya hai sayad...

Main yaha waha dekhne laga...ki tabhi ek portal khula aur usme se Old owl samen aaya...

Old owl - Aapne aane ko kaha tha...

Main - Haa kaha tha...par ye sab kya tumne kiya hai..

Old owl - Haa maine kiya hai taaki kahi picche naa ho jaun...meri kuch shaktiyon mein ye bhi aati hai....ab ye bataiye hua kya kaise yaad kiya mujhe...

Maine usko sab baatein batayi ki kaise kya kya hua waha pe..jab main aur Jwala uske ilake mein gaye....meri baatein sun ke usne apna sar niche kar liya...

Old Owl - Mujhe pata nahi tha ki wo bhi ab unn kiddo ke bas mein chali gayi hai...ye sab unn kiddo ne karwaya hai unse...

Main - Kiddo ne karwaya...to kya ye sab unhi ka kiya dhara hai...

Old Owl - ji haa wahi baat hai...wo kidde dimmag pe bhi kaabu kar lete hai...

Dhruv - Maine kaha tha sab pata kar lo uske baad kuch karenge...ab sab kuch puccho unn kiddo ke baare mein...

Main - Mujhe unn kiddo ke baare mein sab batao..old owl...

Old Owl - wo kidde...pata nahi kaha se aaye the...shuru mein to ek bacche ko uski shikayat hui thi...fir dekhte hi dekhte bahut se log...jinko bhi wo kidde lag jaate hai wo apne kaabu mein nahi rahta...ek to unke pankh bikhre hue hote hai aur dusra wo hamesha hichkichte hue rahte hai...

Main - Hmm aur bhi koi baat hai kya...

Old Owl - nahi aur koi baat nahi hai hamare bahut se log hai jinhone unko rokne ke upay dhundhne ki koshish ki par koi kamiyab nahi hua...haa par ek baat hai unn sab ne kisi paidhe ka zikr jarur kiya hai...par wo paudha hai hi nahi yaha pe...

Dhruv - Paudha...waise to inn kiddo ke baare mein sunna su na lag raha raha hai...inko hathiyar ke roop mein use karte te log pahle...yaad hai tumne kaise unko sabak sikhaya tha...

Main - Maine sabak sikhaya tha...kya bol rahe ho main to jaanta bhi nahi inko...

Druv - Arre haa wo lagta hai main kuch aur soch raha tha...Old Owl se puccho kya wo Red dragon paudhe ki baat kar raha hai...

Main - kya tum red dragon paudhe ke baare mein bol rahe ho...

Old Owl - Haa wahi paudha..ussi ke baare mein..par wo milta hi nahi hai kahi....maine sunna hai wo bas kisse kahaniyon mein hote hai asal jindgi mein nahi hote wo...

Dhruv - isko jaane bole...aur bolo chinta naa kare hum le aayenge wo paudha...ab lagta hai unn kiddo ko jaldi hi khatam karna hoga...kahi wo apne maalik tak pahuch gaye to dikkat ho jaayegi...

Main - Tum jaante ho kya unke maalik ke baare mein...

Druv - Haa janta hu...aur issiliye ye jaldi karna hoga...warna Old Owl ke saare log ussi ke liye kaam karne lagenge...

Maine Old Owl ko jaane ke liye bol diya...aur uske jaate hi sab sahi ho gaya...sab khana khane lag gaye...wahi main sochne laga ki Prof. Suraj ke baare mein nahi puccha isse...unka bhi puch lena tha...

Dhruv - ab yaha se nikalna hoga...body se niklo aur Jwala ko bulla lo...main tum dono ko guide karta hu...

Main - hmm thik hai...

Maine Jwala ko bulaya aur hum dono merge ho gaye....apni body ko wahi Dhruv ke hawale chod mein chala gaya Jwala ke saath...

Dhruv - Merlin ki kitab yaad hai...usne ek chote se plante ka patta bataya tha..wahi planet jo Demos world ke baad tha...

Main - Haa par wo to bahut dur hai naa...

Dhruv - tumko pata bhi hai abhi jis roop mein tum ho...agar chaho to abhi ke abhi pura universe ghum aao...

Main - thoda jyada nahi bol diya...

Dhruv - :sigh: nahi sach kah raha hu...agar iss roop ko acche se kaabu karne lag gaye to speed bahut hai tumme...par hamesha issi room mein rahna ye galat hoga...ab jao...Jwala isko waha leke jao...shurakshit..

Jwala - Haa bilkul...

Aur issi ke saath main chal diya demos world ke pass ki ek chote se planet pe jaha se mujhe kuch chizzen leni thi...

Aaj ke liye itna hi...Deemos world mein kuch hone wala hai...next update meinsaath hi mein Rupal aur Kavita ki wo ladayi...bhi dekhni hai...kuch aur bhi baatein hongi...

Sabhi ko happy diwali...late ho gaya naa :lol:
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
 

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,420
143
UPDATE - 31

Ab tak

Ek paudha hai Red dragon karke mujhe wo laana hai Demoos world ke pass ke ek chote se planet se...iss paudhe ke madad se hum uss kidde ko rokne wale the jo Old OWl ke logo ko pareshan kar rahe the...Maine Jwala ko bulaya Dhruv ke kahne pe aur fir hum dono ek hue aur jaane ko ready ho gaye...

Ab aage...

Jwala ne udna shuru kiya....aur dekhte hi dekhte hum Earth se bahar the...

Main - Portal se bhi to jaa sakte hai naa...

Jwala - Portal har jagah nahi le jaa sakti...aur uss jagah portal se janna matlab maut ko bulana hoga....

Main - Kya matlab...

Jwala - Waha pe goblins rahte hai.....aur wo energy ke bhukhe hote hai...jaise i unk portal ke energy ka pata chalega wo hamare pass aa jaayenge aur fir bematlab ki ladayi hogi....unki tadat bahut jyada hoti hai jis wajah se jeet pana muskil hota hai....upar se bagal mein hi Demos bhi hai agar Demos mein ye khabar phaili to waha se bhi log aayenge...aur ant mein hame bandi bana liya jaayega...

Main - Accha aisa hai fir to issi tarah se jana sahi hai.....

Jwala apne speed mein jata raha....main bas iuske body mein tha koi kaam nahi kar raha tha...kuch hi der mein hum dark world ke upar se gujre....upar se dekhne mein sab shant hi lag raha tha....uske baad hum gaye fumos ke upar se waha pe bhi wahi haal tha upar se dekhne mein bilkul shant....aur uske baad demos ke upar se...waha pe kuch alag tha....jwalamukhi to picche wale planets pe bhi the..par itne jyada nahi...ye to pura planet hi jwalamukhi se bhara pada tha....Main nicche ki oor sab dekh raha tha..

Jwala - wo dekho wo raha planet.....humme wahi jaana hai..

Uski baateon ne mera dhyaan khincha aur maine uss oor dekha jaha wo mujhe dikha raha tha....samne ek chota sa bahut hi chota sa planet tha...dekhne mein to wo Demos ka chaand lag raha tha par aisa nahi tha wo ek alag planet tha....

Main - ye hai wo planet...

Jwala - Haa yahi hai ab hum ek baar upar se hi chakar laga lete hai.....waise uss paudhe ke baare mein pata hai naa tumhe...

Main - Nahi mujhe nahi pata hai maine to dekha bhi nahi hai....kya tumne kabhi dekha hai usko...

Jwala - Nahi maine bas uske baare mein sunna hai dur se hi uski khusbu logo ko khinch leti hai par wo bas ek jaal hota hai jaise hi uske pass jaate hai uske pass ke ek danavi baudha humpe humla kar deta hai....wo danavi paudha ussi Red dragon paudhe ke pass hota hai...aur haa dikhne mein red dragon paudha normal paudho jaisa hi lagta hai...bas uske phool usko alag karte hai...unke phool lal rang ke hote hai aur dekhne mein dragons jaise lagte hai...

Main - hmm itne se to kaam chal jaayega...agar aur koi confusion hui to Dhruv hai hi....hai aa dhruv..

Koi jawab hi nahi aaya...sayad connection cut chuka tha..

Main - lagta hai main Dhruv se connect nahi kar paa raha...chalo koi nahi hum dono hi le aate hai wo paudha...chalo Jwala

Maine usko kaha aur humne fir upar se hi planet ka ek chakkar mara...humme kahi koi goblin nahi dikha....dikhe to bas paudhe...rang birange ped paudhe...aur kuch nahi tha waha pe...


EK khali jagah ko dekh ke hum utre...

Hum ek oor jaane lage kyunki humme waha pe kuch to dikha tha hawa se...jo sayad wahi paudha ho...hum ussi oor jaa rahe the...aur jaate hue humme khusbu bhi aane lagi...jaisa ki Jwala ne bataya tha...par ab humme sawadhan bhi rahna tha wo danavi paudha bhi wahi pe hone wala tha... maine apne talwar ko yaad kiya aur wo hamare pass aa gaya....aur fir hum dhire dhire aage ki oor badhne lage...sab kuch dekhte hue...

Kuch hi der mein wo khusbu bahut tezz ho gayi thi matlab hum uss paudhe ke bahut pass the....par tabhi jammen hilne lagi...aur jameen ke ander se paudhon ke jadde nikalne lagi aur wo hamare pairon mein fasne lagi....hum jaldi se waha se nikalne wale the par tabhi pedon ki daliyan bhi humme pakadne lagi...

Jwala uddne ki koshish kar raha tha par parinke bandhe hone ki wajah se nahi ho paa raha tha...usne phir waha pe aag se hamla kiya...aur aag se wo saare jadde jal gaye....par ye sayad hamari bhul thi...ussi aag ke karan waha pe Goblins aane lage...shuru mein to bas ek hi aaya...par aane ke saath hi wo chillane laga...apne sathiyon ko bulane laga...

Hum pahle hi unn pedon se pareshan the...aur ab ye goblins alag hai...agar hum jaldi yaha se paudha leke naa nikle to dikkat ho jaata...

Main - Jwala aag se war kar chro taraf....inn pedon se aazad hote hi hum uss paudhe ko leke yaha se nikal jaayenge...isse pahle ki ye goblins yaha aaye...

Jwala ne bhi waisa hi kiya..sabse pahle hamre charo oor aag ki lapte chodi jiske baad wo saare jal gaye....uske baad hum thodaa aage gaye aur turant hi saamne dikh rahe paudhon mein se kuch ko leke waha se udd gaye...hamara udna tha aur waha pe Goblins ka ek bahut bada jhund aa gaya...hum bach gaye ye hi kafi tha...maine unn paudhon ki oor dekha...humne naa sirf wo red Dragon paudha liya tha saath hi mein galti se 2 aur tarah ke bhi paudhe aa gaye the hamare haath mein....ye kya the pata nahi...

Hum jab waha se nikal rahe the wo pura planet hi Goblins ke chillane ki aawaj se unj utha tha.....hum abhi Demos ke karib hi the....Jwala kuch takka hua mehsoos kar raha tha...ye sab unn pedon ki wajah se tha....unhone hum dono ki hi energy ko khinchna shuru kar diya tha...ab humme thodi der kahi naa kahi aaram karna hi tha...aur saamen Demos tha....Jwala nahi chahta tha waha rukna...par maine hi kaha ki waha pe thodi der aaram kar lo...shuru mein to wo nahi manna par thoda haa naa karne ke baad wo maan gaya..

Hum waha pe gaye aur ek jungle mein chale gaye....waha pe saher jaise kuch ilake dikh to rahe the humme jab hum uske upar se jaa rahe the...par waha jaana hamare liye sahi nahi hota....Jwala yaha rukne ke liye bhi issi shart pe manna tha ki hum jungle mein hi rahe...

Hum dono thodi der waha pe aaram karne lage...main uss waqt uske body se nikal gaya aur yaha waha dekhne laga....thoda upar gaya to pass mein hi ek guffa jaisa kuch dikha....Main bhi uske ander chala gaya...pahle to socha maine ki naa jaun..par mann nahi manna aur main waha chala hi gaya...ander gaya to waha pe kuch sainik the...haa sainik hi lag rahe the...paar unme se koi bhi mujhe dekh nahi paya...bas issi wajah se to main ander gaya tha ki koi mujhe dekh hi nahi paayega...

Jaise jaise ander jaata raha waise waise waha pe sainikon ki shankhaya badhti gayi...ye guffa sayad kahi se conncted tha...matlab koi khufiya rasta type tha...main aage badhta gaya badhta gaya...aur fir ek jagah pe pahucha....waha pe bhi bahut se sainik the....aur waha pe koi meeting jaisa kuch chal raha tha....ek ajeeb sa dikhne wala aadmi baitha tha chair pe...aur uske saamne 2 log aur the...dono ne hi kala libas oodh rakha tha....pata nahi kyun par unme se ek mujhe bahut pahchana hua sa lag raha tha...main uss tak jaata usse pahle hi wo ajeeb sa aadmi jo waha baitha tha wo meri oor dekhne laga...mujhe aisa laga jaise wo ujhe dekh sakta hai.....main dar gaya aur turant hi waha se nikal gaya...main upar ki oor se gaya tha...aur jab waha se upar ki oor pahucha to main abhi kisi mahel mein tha...jaha pe ye meeting chal rahi thi...maine yaha waha dekha...aur fir ussi oor chal diya jaha pe Jwala ko choda tha maine.....wo abhi bhi aaram kar raha tha...main bhi waha pe baith gaya.....thodi der mein mujhe aisa laga jaise koi hamari oor aa raha hai...uss halchal se Jwala bhi jaag gaya aur usne turant hi mujhse merge kiya aur unn paudhon ko uthaya aur hum nikal gaye waha se....par mere dimmag mein bas wahi sab chal raha tha....jo maine uss karme mein sunna tha....agar wo log sach mein waisa karne wale the to hamara School mukil mein tha...Haa abhi kuch waqt tha hamare pass...par wo hamare yaha bhi jarur aayenge...

Jwala iss baar jo udda to mujhe sidha Earth pe hi le aaya...Hum waha se sidha Ghar pe gaye...ghar pe aaya to waha koi tha hi nahi...

Main - Dhruv kaha hai sabhi...

Ab main Dhruv se connect ho sakta ta...

Dhruv - Hum sab ground mein hai...ghar ke pass hi ek maidaan hai wahi pe aa jao...

Main - Kya maidan hai...par mujhe kaha pata inn sab ke baare mein.,..

Dhruv - To upar jaake dekho aur aa jao...match bas shuru hi hone wala hai...

Main - Match...kaisa match...

Maine wo paudhe apne room mein rakhe....Jwala ko jaane ko kaha...aur khud ghar se bahar aake thodi uchayi pe jaake dekhne laga ki maidaan hai kaha....Ghar se thodi hi duri pe ek maidan dikha mujhe..jaha pe abhi ghar ke sabhi log the...bahar ke bhi kuch log aaye hue the..inme se jyadatar wahi bujurag log the jinko Maine aur Rupal didi ne bachaya tha...saath hi ek stage bhi banna hua tha jaha pe Rupal didi aur Kavita Madam khade the....Main jaldi se waha gaya aur turant hi apne body mein chala gaya...

Main - Ye sab kya ho raha hai...

Dhruv - Arre kal hi to kaha tha inn logo ne aur aaj bhi to bola tha ki dono ke bich mukabla hoga...

Main - Arre haa main bhul gaya tha...to abhi tak kya hua yaha...

Dhruv - Hona kya tha...bas aise hi hum yaha aaye ye saari taiyaariyan ki...aur ab jaake match shuru hone wala hai...tumne apna kaam kiya...

Main - Haa kiya naa...aur bas ek paudha nahi balki teen tarah ke paudhe leke aaya hu main...ek aur baat hai jo tumhe batana hai...

Dhruv - Hmm theek hai hum baad mein ispe baat karte hai abhi match dekho....aur ho sake to inse bhi sikho..inke moves ko predict karne ki koshish karo...

Main - Hmm thik hai..

Match shuru hua....Rupal Didi apne naye shield ke saath waha pe khadi thi wahi Kavita madam bhi...saath hi unn dono ke hathon mein abhi talwar tha....

Kavita - Shield naya liya kya...accha lag raha hai...par afsoos haarne wale ke pass hai ye...

Rupal - Aapko main nahi chodne wali iss baar....

Kavita - Alle lele mela baccha chal tujhe mauka diya pahla war to kar...

Rupal didi bhi aage badhi talwar leke daudhte hue...aur war kiya...par Kavita madam ne bahut hi accha defend kiya...Rupal DIdi war karti rahi aur Kavita madal defend kartti rahi...

Kavita - Manna padega pichle baar se to bahut takat badh gayi hai..par mujhe harane ke liye kaafi nahi hai...

Rupal didi ne ispe kuch bola nahi balki war karti rahi aur iss baar waar karne ki speed aur saath hi power bhi badha di....jisse ab Kavita madam aasani se defend nahi kar paa rahi thi...defend karne mein unko muskil ho rahi thi....To unhone bihi ab waar karna shuru kiya...aur ye ladai tab tak chali jabtak dono hi thak nahi gaye...aur jab aisa hua to Chachi ne isko draw ghoshit kar diya...haa wahi thi judge....

Kavita - Yaar tu to badi tezz ho gayi hai....barabar ki takar de dali mujhe...

Rupal - Aur nahi to kya...ab aapse ladna hai to tezz to hona hi padega...agli baar dekho main harra hi dungi...

Kavita - Ha ha dekhte hai...waise ab ye bata karna kya hai aaj aur sunday ko...match to draw ho gaya naa...

Rupal ne iss baat pe ek baar meri oor ishara kiya aur Kavita ko bhi sayad kuch samajh mein aa gaya aur wo dono hi mujhe dekhne lage aur fir muskurane lage.....main samajh nahi paya ye kya karne wale hai ab...

Match kahatm ho gaya tha...par yaha to ek baar bhi magic ka use hi nahi kiya inn dono ne naa hi apne elemnet ka...Bua mere hi pass baithi hui thi...

Main - Bua inn dono ne naa koi magic kiya naa hi koi element ka use...ye kaisa mukabla hai bas talwarbazzi...

Bua - Bacchu dhyaan se dekho...aas pass kya dikh raha hai...

Maine yaha waha dekha mujhe kuch khass nahi dikha bas log dikhe...aur issi waajah se main ajeeb sa muh bana ke bua ko dekhne laga...

Bua - Arre bacchu log hi to hai...agar maan lo magic se inko kuch hua to....waise bhi log humse milna nahi chahte aur agar aisa hua to phir aur bhi pareshani ho sakti hai...issi wajah se yaha pe mukable mein ye sab nahi kiya karte...par agar mukabla dekhna hai to yaha se thodi dur ek stedium hai waha pe bahut se mukable hote hai...Rupal bhi ussi ki taiyaar karti rahti hai time milne pe....wo mukabla jitne ke baad kuch inam milte hai jo khass hote hai...

Main - To kya didi abhi ready nahi hui hai...

Bua - nahi abhi nahi next year hi wo ready hogi aur tab hi wo waha pe lad sakti hai umar ki pabandhi jo hai waha pe...waha pe har tarah ki fight milegi...

Bua abhi baat hi kar rahi ti ki Nikita ko unn dono ne apne pass bulla liya...

Ab jab ye sab khatam ho gaya tha aur dopaher bhi ho gayi thi to hum sab ko ghar chalne ke liye bola gaya aur wahi pe tay hona tha aaj aur kal ka din kaise katta jaayega...

Hum sabhi ghar pahuche...Nana Nani bhi hamre saath hi the...humne lunch kiya...par iss dauran mujhe teen log bade ajeeb tarah se dekh rahe the...

Sabne lunch kiya aur sabhi chal diye apne rooms mein...aaram karne..

Main room mein aaya darwaja band kiya aur unn plants ko dekhne aga..

Dhruv - Red dragon sahi hai...par ye dono paudhe...dekhe hue to lag rahe hai par yaad nahi aa raha kaha dekha hai....

Main - Yaad karlo usme kya hai...par usse pahle ye batao iss paudhe ka karna kya hai...

Dhruv - isse hume iska ras nikalna hai aur fir ussi ko waha old owl ke yaha hawa mein phaila dena hai...isse wo saare kidde yaa to maar jaayenge...yaa bhag jaayenge...par humme unko bhagne nahi dena hai humme saabhi ko marna hai...aur iske liye humme chahiye ek bakra...

Main - Bakra...ab wo kon banega...aur ye kaam to karega naa kahi aisa nahi hua to dikkat ho sakti hai...

Dhruv - Ye kaam karega jarur karega...ab isko banane ki taiyaari kare hai...

Main - Hmm batao kya kya chahiye...

Maine bola hi tha ki usne pahle hi saare chijje waha manga li thi...

Main - Waah sab aa gaya chalo ab batao kya karna hai mujhe...

Dhruv - ek kaam karo tum abhi apmne body se nikal jao main khud ye bana lunga...aur jab kaam ho jaaye to tumhe wapas bulla lunga...abhi tum jao ghummo...

Main - Tum mujhe mere hi body se nikalne ko kah rahe ho...

Dhruv - Haa ab jao...

Main apne body se nikla aur yaha waha ghoomne laga....kuch mazza nahi aa raha tha...waise main usko batana chahta tha jo kuch bhi maine demos mein sunna tha...par abhi chodo....maine Jwala ko portal kholne ke liye kaha...aur usne khol bhi diya...aiur main uske kable mein chala gaya....

Jwala - Batao kya baat hai,,

Main - arre koi baat nahi hai wo to main bas aise hi ghumne chala aaya...tum raho yahi main yaha waha hota hu...

Jwala - hmm theek hai par jyada dur mat janna aur wo barf ki jo sharhad hai waha to jaanahi mat...

Main - haa theek hai..tum aaram karo...

Wo bhi apne kaam mein lag gaya wahi main uska kabila ghumne laga......jwalamukhi ke upar bana hua tha wo....waha pe bahut se ghosle banne hue the jaha pe wo sab rahte the

Main unhi sab ko dekhta raha...tabbhi meri nazr ek ghosle pe padi...jisme 3 ande the....abhi waha aur koi tha naahi..unn tinno mein se ek anda hilne laga sayad wo tutne wala tha...main usko dhyaan se dekhne laga....wo anda ludakta ludakta gosle ke kinare pe pahuch gaya tabhi usme ek crack hua...aur usse ek panja nikal...par abhi aur kuch hota usse pahle wo anda hi nicchi jwalamukhi mein girne laga.....Mujhe kuch samajh nahi aaya maine jaldi se apna thunder power use kiya...aur usko hawa mein hi rok liya...par sayad yaha pe kuch galat kar diya maine...uss ande mein jo bhi tha usne meri thunder energy ko sokhna shuru kar diya...jis wajah se mujhse wo anda hoot gaya aur wo jaake jwalamukhi mein gir gaya...ab meri samajh mein nahi aa raha tha ki main kya karu...main usko bacha sakta tha agar hadbadi mein kadam naa uthaye hote to...par nahi...

Waha pe sabhi log aa gaye...kyunki Jwalamukhi mein kuch bahut hi ajeeb halchal hona shuru ho gayi thi....Jwala bhi waha pe aa gaya...

Jwala - kya hua hai yaha pe....

Maine usko sab kuch bataya...aur uske baad wo bas mujhe dekhta hi raha...kuch bola nahi...wo shocked tha...aur iske baad jo hua usse sirf wo hi nahi balki baaki ke sab bhi shocked rah gaye....

Jwalamukhi ke ander se ek cheel nikla....aam taur pe isko baccha hona tha par ye baccha tha nahi...ye bada tha...aur sabhi se alag tha....iske pankhon mein naa sirf aag ki lapte thi balki bilji bhi tair rahi thi....

Usko dekh ke sabhi ne apna sar niche jhuka liya siway Jwala ke...wo waise hi khada raha....wo cheel jo abhi abhi waha se aaya tha usne Jwala ke aage sar jhukka liya...

Cheel - Maharaj ki jay ho...

Jwala - Tum aazad ho gaye....jwalamukhi ne tumhe aazad kar diya...

Cheel - Ji maharaj....Jwalamukhi ne mujhe aazad kar diya...meri aatma ko iss sharir mein jaane ki ijjajat de di...ab main aazad hu aur main bhi bahar rah sakti hu...

Jwala - Haa par Bijli tumhe iss baar aisa kuch bhi nahi karna hai jiski wajah se tumhe wapas se yaha band karna pade....

Bijli - Aap nischint rahe Maharaj ye sharir bilkul sahi hai mere liye...main ab kaabu main bhi hu to aisa koi karya nahi karungi jisse kisi ko dikaat ho...

Jwala - to fir theek hai...ab batao tum pahle apna karyabhar sambhalogi yaa fir apne maalik ko dhundhne jaogi...

Bilji - Jaisa aap kahe Maharaj...agar aap mujhe mera karyabhar saupna chahte hai to mujhe wo bhi manju hai aur agar aap mujhe apne malik ko dhundhne jaane dena chahte hai to wo bhi sahi hai

Jwala - mujhe lagta hai abhi tumhe thoda aaram karna chahiye uske baad hi kuch baat karenge...Bijli ke rahne ka prabandh karao...aur iske khane pinne ka bhi....Prateek tum mere saath aao..

Sabhi apne apne kaam pe lag gaye wahi main chal diya Jwala ke saath...

Jwala - Ye kya kar diya...ab iss Bijli ko kaise sambhaluga main...isko abhi aazad karna sahi nahi hoga..

Main - Arre wo anda nicche giren wala tha to bas...aur ye Bijli to acche se hi baat kar rahi thi aur tumhare saath hi hai wo dekhne mein to aisa hi lagta hai...

Jwala - Tumhe nahi pata Bijli ki kahani...usko gussa bahut jaldi aata hai aur jab bhi aata hai wo sab tabah karne pe chali jaati hai...usko rokna muskil hota hai aur main to abhi naya hu...

Main - Arre mujhe nahi pata tha kuch aisa bhi hai...main to bas....par tum kar logo chinta mat karo..

Jwala - :sigh: dekho ab kya hota hai..main puri koshish karunga iss nayi mushibat ko sambhane ka aakhir mere upar hi iska zimma aana tha...

Aaj ke liye itna hi next update mein dekhte hai Old owl ke ilake mein kiddo ka khatma saath hi Demos pe jo bhi Prateek ne sunna wo sab batayega wo..aur bhi kuch baatein
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
 

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,420
143

UPDATE - 32

Ab tak

Maine paudhe laa diye the.....aur jab usse wo medicine banane ka waqt aaya jisse Old Owl ke log theek hone wale the...wo banane ke waqt mujhe waha se jaane ko kah diya...main bhi waha se nikal ke Jwala ke kabile mein aa gaya aur yaha aane ke baad ghumne laga par...kuch hua jiske karan se koi Bijli karke jaag gayi...mujhe pata chala ki usko jwalamukhi ne kaid kar rakha tha..aur ab wo meri wajah se jaag gayi...

Ab aage...

Jwala pareshan tha ki wo iss Bijli ko aakhir sambhale kaise....usko pata tha uske baare mein....bachpan se kahaniyon mein bahut baar uska naam jo aaya hua tha....aur jis tarah aaya tha uss tarah se wo bas mushibat hi lagi thi Jwala ko...par ab kuch kiya nahi jaa sakta tha to...

Main wahi tha Jwala ke pass....uski baatein sun raha tha...ki tabhi Dhruv ne mujhe bulaya aur main waha chala gaya...waha pahucha to usne dawayi bana li thi...aur usko ek spray ki bottle mein dal diya tha....

Main - isse kya sabko spray karte rahenge hum...aise to bahut waqt lag jaayega...

Dhruv - Ye sirf hamare bakre ke liye hai usko bhi to bachaye rakhna hai unn kiddon se.....aur unn sabhi ke liye maine kuch aur soch rakha hai....

Main - Kya..

Dhruv - BAarish....hum uss ilake mein jaayenge aur badalon mein ye dawa millla denege....fir tum apni thunder power se unn badalon ko chared kar doge aur fir waha barish hogi....barish ke saath hi hamari ye dawayi bhi hogi.....jiski wajah se wo saare hi khatam ho jaayenge...

Main - Hmm par ye ho to sakta ha naa....maine aisa kuch sunna nahi hai kabhi..

Dhruv - Hawa ki jarurat bhi hogi....aur uske liye sayad Jwala sahi hoga......

Main - Nahi Jwala abhi bahut busy hai usko wahi rahne dete hai kisi aur ko dhundhte hai...

Dhruv - Busy hai...??? main to ussi to apna bakra banane ki soch raha tha....wo hame manna bhi nahi karega aur wo sabse accha hai iske liye....

Main - Kya matlab....main usko musibat mein nahi dalne wala....tumhe pata bhi hai...

Dhruv - Pata tumhari wajah se uske pita ki maut hui.....par wo hona hi tha....usko roka nahi jaa sakta tha....aur ab agar um ussko musibat mein nahi dalte to kuch waqt baad naa sirf wo balki uska pura kabila hi mushibat mein hoga agar ye tumhe sahi lag raha hai to thik hai mat bulao..usko....

Main - Par usko abhi nahi bula sakta wo pahle se pareshan hai meri wajah se.....maine galti se kisi Bijli ko jaga diya hai...

Dhruv - Kya kya kaha Bijli...wo jaag gayi hai...bulao usko yaha pe...

Main - Main bulaun usko...???

DHruv - Haa usko aur Jwala dono ko bulao.....mujhe dono se baat karni hai....

Main - theek hai...

Main Jwala ko aane ke liye kaha par Bijli ke saath...humne kuch der wait kiya aur fir wo waha aa gaye...Jwala pahle ki tarah hi pareshan dikh raha tha wahi Bijli...wo bas yaha waha dekhe jaa rahi thi sab chizon ko.....

Jwala ne aate hi usko kaha ki main hi hu uska malik...to Bilji mere saamne bhi jhuk gayi...

Main - Arre nahi nahi iski koi jarurat nahi hai...

Main - Dhruv tum baat kaise karoge inse...Jwla ka to pata hai wo mere ander hota hai tab wo tumko sun pata hai aur uske baad jab hum alag hote hai to usko yahi lagta hai sab kuch main hi kah raha tha...par Bjli ke case mein kya hoga...

Dhruv - Main jo bhi bolu wahi bolna bas....nahi to tum kuch bolo hi mat main handle kar leta hu isko...waise sahi samay pe aayi hai ye...ab Jwala nahi ye hogi hamare saath waha pe Jwala ke jagah...ye Barish bhi turant karwa sakti hai...

Main - theek hai kar lo baat...

Dhruv - Bijli itne waqt baad bahar aane ke baad kaisa lag raha hai....

Aawaj mere hi muh se aa rahi thi par bol to Dhruv raha tha aur Bijli ne jab ye sunna to usko yahi laga ki main uske baare mein sab janta hhu...

Bijli - Aazad hone ke baad accha kisse nahi lagega...waha Jwalamukhi mein baithi hui main kab se dhyaan laga rahi thi mujhe khud yaad nahi tha...wo to aaj ye sab hua aur main aazad ho gayi...waise sab kuch waisa hi hai...Maine Maharaj ko bhi dekha hai uss waqt bhi...

Dhruv - Bas bas sab abhi hi nahi batana hai...ab ye batao tum apmne malik ko dhundhne ka kaam kab se shuru karne wali ho....

Bijli - wo to main Maharaj se puch rahi hu...agar Kabile mein abhi mere binna kaam chal jaaye to main apne malik ki talash mein nikal jaungi...

Dhruv - Tumhara kya kahna hai Jwala...

Jwala - Main kya kahu...maine to ye faisla issi pe chod diya hai ab ye jab chahe jaa sakti hai aur aa bhi sakti hai...

Dhruv - Haa bilkul pahle ke hi tarah....par Bijli iss baar jo bhi karna sahi tarike se karna....har baar mauke nahi milte hai sabko...

Jwala - Pahle ki tarah main kuch samjha nahi aur ko...

Bijli - Main samajh rahi hu aap kya kah rahe hai...iss baar mein koi bhul nahi karungi....kuch bhi karne se pahle 2 baar sochungi...

Dhruv - Ye sahi hai...accha mujhe tumhari madad chahiye...

Jwala - Ruko ruko...ek minute mujhe pahle to ye batao yaha chal kya raha hai...ye pahle ki baatein kaha se aa gayi yaha Prateek kya tum pahle se jaante hoBijli ko,...

Dhruv - Maine bhi iske baare mein sun rakha hai jaise ki tumne...wo chodo tum jaa sakte ho maine bas Bijli ko yaha laane ke liye tumhe bulaya tha ab wo aa gayi hai hamara kaam ho jaayega...

Jwala - Hmm thik hai phir main chalta hu...Bijli jo bhi ye kahe wahi karna koi gadbad nahi honi chahiye....Prateek maine pahle hi bataya tha iske baare mein ab ye tumpe hai....

Dhruv - Ha ha thik hai tum jao...

Jwala waha se chala gaya...wahi Dhruv ne Bijli ko sab bataya....Bijli bhi samajh gayi sab kuch...Main bhi plan samajh raha tha aur main apmne kaam ke liye ready tha...Mujhe upar rahna tha aasmaan mein aur waha se kaam Thunder energy ka use karke badalon ko barsana tha...par usse pahle Mujhe aur Bijli ko upar wo dawayi chidakni thi....Hum dono gaye waha pe aur ye sab kiya....fir Maine Bijli pe wo dawayi spray kiya....aur fir Bijli ko waha niche Old Owl ke ilake mein bhej diya....Main upar se sab dekh raha tha...iss baar bhi kuch waisa hi hua....Bijli waha khadi thi....koi ullu waha pe aaya aur usko apne saath le jaane ko hua....Plan bhi yahi tha humme uske saath jana tha uske baaki ke sathiyon ke pass aur humne wahi kiya......Maine dekha wo ullu Bijli ko leke uss ghane jungle mein gayi jaha pe bahut jyada ped paudhe the....kuch der ke baad to mujhe wo dikhne bhi nahi lage the itne ped paudhe the waha pe par....tabhi mujhe chilane ki aawaj aayi....aur ussi waqt Dhruv ne mujhe apna kaam karne ko kaha aur maine wahi kiya....Barish karwa di maine.....jisse wo pura ka pura junle hi cover hone wala tha....aur waisa hi hua......Barish shuru hui....aur jungle chinkho se gunjne laga...syaad ye uss kidde ki wajah se tha...wo aasani se apne host ko nahi chodne wala tha wo unko dard de raha tha...jis wajah se baaki ke ullu chilla rahe the...Ye chillam chilli chalti hi rahi....par mere pass waqt nahi tha....Bijli waha se upar aa gayi thi..

Dhruv - saare wahi par the yaa koi baccha hua bhi tha...

Bijli - Mujhe nahi pata waha pe kitne the par....sabhi ke sabhi bhinge hai...aur sabhi kidde bhagne ko hai...

Main - Kya wo marre nah...

Dhruv - WO mar jaayenge...par usme waqt lagega...

Main - Humme chalna hoga....koi naa koi abhi tak room ke pass aa gaya hoga aur wo mujhe dhundh rahe honge....aawaj de rahe honge...

Dhruv - Haa ye bhi sahi hai chalo chalte hai.....Bijli tum bhi chali jao...yaha ka kaam waise bhi khatam ho gaya hai.....jao mazze karo.....

Bijli - jarur...

Bijli waha se chali gayi aur main aur DHruv bhi apne room mein aa gaye...Room mein aate hi mujhe darwaja khatkhatane ki aawaj aayi...

Main sabse pahle to room mein jo wo dawayi banane ka saman tha usko gayab kiya....aur jaake darwaja khola....waha pe Chachi thi....

Chachi- Kitni der se darwaja khatkhata rahi hu....chal reday hoja....bahar jaana hai...

Main - Bahar kaha...

Chachi - wo to wo dono hi batayegi...tu chal ready hoke aa jaa...

Itna bol ke chachi chali gayi niche...main bhi ready hua aur waha se nicche chala gaya jaha pe sabhi the....aur sabhi ke sabhi ek hi tarah ke t-shirts mein the,,,,pata nahi kya tha ye main pahucha to mujhe bhi ek t-shirt de di gayi....Rupal didi ne di thi..aur pehanne ko kaha...main bhi ready hoke chal diya....Hum sab car mein baithe aur car chalne lagi...mujhe pata nahi tha hum kaha jaa rahe hai...par itna samajh aa raha tha ki hum koi game dekhne jaa rahe hai yaa fir khelne ....par kon sa ye samajh nahi aaya tha

Thodi hi der baad hum sab uss ilake se bahar nikal gaye...aur pahuch gaye ek insano ke saher mein....ab yaha bata du...ye jo saher tha jaha se hum abhi nikle the...wo baaki sab se chupa hua hai....aur hum ab waha se nikal ke insano ke ek saher mein pahuch gaye....

Rupal - Chotu tu t yahi rahta tha naa to yaha ka sab pata hoga tujhe....

Maine kuch der to socha aur fir haa bol diya....sochne ki bhi ek wajah thi ab mujhe kaha pata tha ki ye log mujhe yaha kis lye leke aa gaye hai main kaha jaanta tha ki yaha pe kya hone wala hai....bas inhi sab ke karan main soch mei pad gaya tha....khair chodo isko...

Maine haa kah to diya par uske turant baad hi mujhe samajh nahi aane laga ye Rupal Didi baat kis baare mein kar rahi thi....abhi soch hi raha tha ki bahar ek sign board dikha....jaha pe Bullring likha tha....

Rupal - Iske baare mein to pata hi hoga naa...hum aaj yahi dekhne jaa rahe hai...

Main - Bullring....nahi mujhe iska kuch pata nahi waise hum hai kaha....

Jab maine signboard ko dekha tha to aas pass ki chizen bhi dikhi aur dekhne se aisa lag raha tha jaise hum kisi registani ilake mein hai

Kavita - Spain ye Spain hai....aur tum yaha bull fight karoge...

Rupal - Abhi kyun bataya baad mein batanna tha nmaa aap bhi naa...

Dadi - Kya Bull fight...nahi ye nahi karega aisa kuch....

Rupal - Arre Dadi socho aap normal insan kar lete hai ye to kya apna chotu nahi kar paayega isko... kya aap bhi...

Main to bas ye sun ke hi chakkra gaya tha...ye mujhe yaha pe bull fight karane ke liye kleke aayi thi...aisa nahi hai ki main jeet nahi sakta par...ye pahli baar hone wala hai mere saath mujhe to kuch pata bhi nahi hai aur ye sab acchanak se....

Chachi - Haa thik hai wo jaayega par uske saaath tum sab bhi jaoge....tum tumhari ye Bua...Ye kavita tinno....

Dadi - Kya bol rahi ho....kahi inn logo ne jaadu us kiya inn insano ke bich to gadbad ho jaayegi...

Chachi - nahi karenge ye sab....aur agar kiya to fir ye sab hi jaane....

Chacha - tum log jao mujhe yaha ke apne hotel mein kuch kaam hai...

Main - yaha pe apna hotel hai....

Rupal - Haa chotu apna hotel hai yaha pe....aur hum yaha ussi ke liye aaye hai....Papa aap sab taiyaari kar ke rakho...

Chacha - Haa thik hai tum sab jao....Papa aap yaha rahiyega yaa hotel mein...

Dada ji - Nahi main yahi dekhta hu inn logo ko tum jao...

Thodi derr mein car ek Bull ring ke pass rukki aur hum sab nicche uttar gaye...wahi Chacha chale gaye waha se...

Ab hum 10 log the waha pe....yaha participate karne ke liye waise to kuch niyam the.....par pata nahi kaise...Kavita madam ne koi tigdam chalaya aur hum 5 logo ka participate karne ka rasta khul gaya....Nikita ke liye bhi...baaki sab ke liye waha ka ticket liya gaya...

Bull fight ke baare mein bata du...ye Spain ka national game hai aur isme player ko bull se bachna hota hai yaa usko bewakoof banana hota hai...

Sabse pahle ring mein Kavita madam gayi....aur hum sab dekh rahe the....waise inko dekh ke to lag raha tha ye yaha pahle bhi aa chuki hai...pata nahi.....wo gayi...unhone haathon mein ek laal kapda pakda hua tha...aur wo waha jaake hamari oor dekhne lagi...Bua aur Ruppal Didi unko all the best bol rahi thi.....thodi der mein Bull wala darwaja khula aur usme se...wo bada sa bull bahar aaya....

Sach mein bada bhayanak tha wo....aur uske singh wo to pucho hi mat....wo waha pe thodi der yaha waha dekhta hai aur fir uski nazar jaati hai uss lal kapde pe...aur fir Kavita madam p...aur wo tezzi se saans lete hue...gusse mein badh jaata hai unki oor......Kavita madam wahi pe khadi thi...hil bhi nahi raho thi wo....aur jaise hi wo bail unko khunne wala tha...unhone ek jump mara aur...waha baithe sabhi ke hosh udd gaye....ab thodi naa saare insan ye sab roz dekhte honge....Kavita madam kuch jyada hi upar uchal gayi...aur bas itne par hi nahi rukki wo....unhone bull pe hi chalang laga di....jiske turant baad wo bull jamin pe dher ho gaya...aur kisi ko samajh mein hi nahi aaya ki hua kya....itni jaldi aisa hua kaise...isko dekh ke...Bua aur Rupal didi ne apna sar peet liya....

Rupal - Chalo nikalne ka waqt ho gaya...inse ek kaam theek se nahi hota....kitni baar kaha hai kam takat lagaya karo...par nahi sunti ye,...Bua aap kuch kahti kyun nahi inko...

Bua - aane de isko main samjhati hu...itna accha plan tha sab kharab kar diya isne...

Nikita - Matlab ab nahi hoga wo sab...

Bua - Nahi hoga....par hum kuch aur soch lenge...

Meri kuch samajh nahi aa raha tha par...accha jarur lag raha tha ki yaha pe kuch karna nahi padega..thodi der mein hum saare ke saare wapas se bahar mille..Pahle to jam ke sabne Kavita madam ko sunaya...phir sabhi nikal liye hamare holtel ki oor....jo yaha se jyada dur nahi tha...

Chachi - Rupal kya karne gaye hai tere papa kon si taiyaari ke baare mein baatein chal rahi thi tum dono ki...

Rupal - Maa wo...naa Papa mujhe yaha se start karne ke liye kah rahe the...bas wahi baat hai...aur abhi wo yaha mujhe introduce karayenge...

Chachi - accha theek hai....par yaad rahe roj raat ka khana ghar pe sab saath hi karenge....samjhi naa...

Rupal - Haa samajh gayi....ab chale...

Hum saare waha se nikal liye hotel ki oor....jab hum waha pahuche to ek bada sa villa jaisa hotel tha....naam tha "viejo fuerte" matlab Purana Killa......Ajeeb naam tha ye...

Hum sab waha bahar hi khade the ki ander se kuch log aaye....

(waise to saare Spanish hi bol rahe the par yaha samajhne layak bhasha mein hi likha jaayega..)

2 ladke aur 2 ladkiyan thi waha pe...wo aaye aur humme ander chalne ko kaha...Hum ladkiyon ke saath ander chale gaye wahi ladke...kahi bahar chale gaye the...Ander ek bada sa hall tha...jaha pe Chachu baithe hue the...unke pass kuch log baithe the,...unme se ek to vakil tha wahi baaki ke jo do log the wo sayad koi DharamGuru the...dono ke kapdo se to wahi lag raha tha....pata nahi inn dono ka yaha kya kaam tha..matlab hotel ko Rupal didi ko saupne ke liye priest ko bulana..ajeeb tha...

Vakil ne papers nikale..aur apna kaam karne laga...thodi der mein jab unka kaam ho gaya...sign le liya unhone tab.wo waha se chale gaye....Main usko dekhta raha....Wo bahar gaya aur dono hi priest khade ho gaye...

P1- Rupal...mujhe ummid hai tum apne parivar ka naam yaha ussi tarah banaye rakhogi jaise pahle hai...tumhe niyam to pata hai saare...

Rupal - Ji main jalni hu..aur aapko yakkin dilati hu...ki har ek niyam ka palan hoga...

P2 - Ek aur baat hai waise to hum ye baat apke Pita se karne wale the..aur unki madad lene wale the iss vishay mein par...ab jab aap yaha ki owner hai to aapko hi isko hal karna hoga..

Chachu- Haa Rupal..ab jo bhi inki pareshani hai wo tum khud solve karogi...par ye mat samajhna ki tum akeli ho...jab bhi jarurat pade...humme aawaj de dena..hum pahuch jaayenge..

Rupal - Ji Papa aap chinta mat karo..ab main yaha sab sambhal lungi...aaap sab ao apne rooms mein aaram karo...main inse baat karke aati hu...

Sayad inn dono ko hi hamare baare mein pata tha...tabhi ye aise baatein kar rahe the...par main confirm nahi tha..aur abhi to sayad unn dono ka dhyaan mere uopar gaya hi nahi tha..naa hi Nikita ke upar...wo dono khud hi pareshan lag rahe the...Hum sab apmne rooms mein jaane lage...

Main - Bua ye log kon hai aur kya ye...

Bua - Haa ye sab jaante hai...humara jaha bhi business hai naa waha pe..kuch aam logo ko pata hota hai hamare baare mein...

Main - Par hum kyun batate hai unhe...

Chachi- Baad mein kabhi batayenge iske baare mein samjhe...ab chalo...waise bhi itna ghumme hai...thakaan ho rahi hai mujhe...

Main - Hmm thik hai baad mein batana...Mera room kaha hai mujhe neend aa rahi hai...

Bua- Haa neend to humme bhi aa rahi hai..ye inka paper worlk bahut der tak chala hai...aur iss Kavita ke karan hamara..plan bhi kharab ho gaya hai...

Kavita Madam- Arre yaar main to bas..khul ke khelna chahti thi...par...

Bua - Haa Pata hai khul ke khelna chahti thi..ab chal..waise bhi kal jaldi nikalna hoga humme...School dinner se pahle hi pahuchna hoga..matlab.,...yaha se nikalna hoga aur pahle taaki ghar jaa sake...

Itne mein waha pe Rupal Didi bhi aa gayi...

Rupal Didi - Arre Bua aap log yahi se chale jaana naa...ghar wapas kyun jaana main saman yaha mangwa deti hu...

Chachi - wo Kal jaane wale hai aaj nahi...tum bhi aaram kar lo...

Chacha - Haa Rupal ab aaram karlo...aaj se yaha kaam bhi sambhalna hai...maine sabko bata diya hai...ki tum aaj se yaha sab handle karogi...waise to yaha ka manager hai hi..wo tumhari madad karega kaam sikhne mein...

Rupal - Haa Papa main samajh gayi..

Fir kya tha saare ke saare chal diye apne apne rooms mein,...Main bhi apne room mein gaya...ye sayad hi wo pahla room hoga..jaha wo sabkuch bhi nahi tha...jo mere har room mein hota tha...wo sab...designs aur baaki ki chizzen...Maine iss baat pe jyada gaur nahi kiya..aur bed pe jaakle sone ki koshish karne laga....par.....

Main jaise hi aankhen band karta...mere saamne kuch parchayiyan aa jaati parchayiyan nahi ye koi dhundhli si tasveer thi....jisme kuch log dikh ahe the...saaf saaf nahi par..itna pata chal raha tha ki wo sab..log hi hai....Main unki oor dekhta aur meri aankhen khul jaaya karti...aisa 3 baar hua....aur uske baad.....uske baad jab meri aankhen khuli to main...ghar pe tha...apne room mein....pata nahi kya hua tha....main apne room mein tha..waha pe ghadi rakhi hui thi jisme din bhi batate hai.....maine usko dekha to pata chala ki naya din aa gaya hai...aur waqt bhi bahut jyada ho gaya hai...abhi 11 bajne wale the subah ke...rooom mein koi aur nahi tha...sirf main hi tha...main jaldi se utha...aur room se bahar nikla...

Bahar aate hi...sabse pahle mujhe..Chachi dikhi...jo darwaaje ke pass hi thi...unhone bhi mujhe dekha....

Chachi - Tum theek ho naa beta...

Main - Pata nahi...hum to waha the naa...phir yaha pe...

Chachi - baad mein baat karenge uske baare mein..abhi chalo nasta karo...thodi der mein tumhari Master aane wali hai School mein to tumhe waha jaana hoga...

Main - Master wapas aa rahi hai...

Bua - Haa...chalo ab jaldi se taiyaar ho jaao aur fir humme nuikalna hai...

Main - Par...

Bua - Par waar kuch nahi jaldi karo...agar Master ke pass jaane mein late kiya to wo aane bhi nahi degi...

Bua ne aur bhi baatein kahi jinse main...jo bhi soch raha hu...wo sab bhul ke jaldi se main taiyaar hoke school ke liye nikal jaun...aur hua bhi waisa hi...

Main jaldi se taiyaar hua aur Nasta kar ke nikal gaya waha se...par Nikita aur Kavita Madam nahi aa rahi thi...wo dono pahle hi waha se jaa chukke the..aisa mujhe Bua ne hi bataya...Hum jaldi se bus pe baithe aur school ke liye nikal gaye aur waha pahuch bhi gaye...waha pahuchte hi Bua ne mujhe apne room mein bhej diya..aur aaram karne ko kaha....

Main aaya yaha pe...ur yaha aate hi maine sabse pahle...Dhruv ko kuch baatein batayi...wahi baatein jo maine sunni thi Demos planet pe....lekin..Dhruv ne aise jawab diye jaise usko insab se jyada matlab hi naa ho..wo kam bol raha tha...aur uski boli se ye pata chal raha tha ki wo pareshan hai aur bahut hi jyada thaka hua bhi...

Aaj ke liye yahi tak rakhte hai next update mein dekhenge ki Spain mein kya hua...unn Priests ne Rupal Didi ko kya kaha...aur Mere saath kya hua tha waha room mein...kya thi wo parchayiyan...aur kyun pareshan hai Dhruv...saath mein ye Master acchanak se kaise aa gayi...To banne rahiye..



break ke baad aaya hu...to agar thoda upar niche ho to samajh rahe ho naa...maaf kar dena...baaki ab updates regular honge
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
 

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,420
143
UPDATE - 33

Ab tak

Main Spain gaya tha waha pe Rupal didi ko waha ki jimedari Chacha ji ne saunp di thi...par kuch aisa hua jiske baad ka mujhe kuch yaad hi nahi....ek din mere life se hi gayab ho gaya tha....jaise kisi ne mitta diya ho usko....jab aakhen khuli thi to main ghar mein tha...aur sabse puchne pe bhi koi jawab nahi milla...humme jaldi se waha se nikalna pada kyunki humme school jana tha...waha pe Master wapas aa gayi thi...acchanak se...saath hi ye bhi pata chala ki Kavita Madam aur Nikita waha se ahle hi jaa chuke hai...

Ab aage

Class mein baitha hua tha mein...class thi Prof. Suraj ki....yaha aaye 3 din ho gaye the...DB ka kuch pata nahi tha.....wo wapas aaya hi nahi tha...baaki students se pata chala ki wo kisi Puja ke liye wahi rukka hua hai..aur sayad hi iss week aaye wo....wahi Nikita....wo bhi mujhe ignore kar rahi thi...par hamesha hi saath rahti...main jaha jaata waha wo aati...par...par jaise hi main uske pass jaata wo waha se bhag jaati...aur meri kuch samajh nahi aa raha tha...yahi haal Dhruv ke saath bhi thi...wo bas mujhe guide kar raha tha...koi aur baat nahi ho rahi thi hamare bich...ye sab hamare yaha aane ke baad aur mere usko Demos world ki baatein batane ke baad se shuru hua....aisa mujhe lagta hai....usne wo sab sunne ke baad..mujhe kaha tha ki wo iske baare mein sochega par,...ab mujhe usse sawal nahi puchna hoga....jaisa wo kahe waisa hi karna hoga...

Inn 3 dinno mein naa hi main Jwala se baat kar paya naa ho Old owl se...bas training ki...aur kuch waqt bitaya karta tha Albus aur Cooper ke saath thoda time spend kiya...Master aa to gayi thi....par wo mujhse bas ek baar hi milli...wo bhi bas ussi din jab hum wapas school aaye the...aur uske baad,....mujhe pata nahi wo kaha chali gayi thi...yaha tak ki Bua wo bhi busy ho gayi thi....wo bhi time nahi nikal rahi thi mere liye...kul milla kar...main ekdum se akela ho gaya tha...ye 3 din aate aate main samajh nahi paa raha tha...ki aisa kya hua ki sab ek dum se badal gaya...

Prof. Suraj - Prateek.....Prateek...dhyaan kaha hai tumhara....

Main apne hi khayalon mein itna kho gaya tha ki main kaha pe baitha hu aur kya kar raha hu sab bhul gaya tha.....Prof. ki aawajon se bhi main apne khayalon se bahar nahi aaya tha...wo to pata nahi kis ne...mere pith pe kuch marra...jiski wajah se main apne khayalon se bahar aaya...

Main - Wo..wo main bas kuch soch raha tha...

Prof. Suraj - Hmm to batao kya soch rahe the...kya iss topic mein kuch samajh mein kuch aisa hai jo tumhe soch mein daal raha hai yaa kuch aur hai...

Mujhe pata bhi nahi tha ki ye padha kya rahe hai...aur mere chahre pe aaye hue expression se wo samajh gaye ye baat...aur unhone mujhe waha se jaane ko kah diya....maine bhi bas apne saman uthaye aur nikal pada class se...Room mein jaane ka maan nahi ho raha tha to bas...field mein hi ek bench pe jaake baith gaya....Classes chal rahe the..to koi tha nahi waha pe bas main hi tha...aise hi baithe baithe..main sochne laga ki sab accha tha..aur ab turant hi ye sab...jaise wo sab koi accha sapna ho mere liye....bas main ye soch hi raha tha ki Rupal didi ki aawaj aayi...

Rupal didi - Chotu...jaldi se aa mere pass..

Pahle to aga ki ye mera wahem hai...par iske baad fir se unki aawaj aayi aur iss baar jaise wo mujhe daant rahi ho..par mujhe pata nahi tha kaise janna hai unke pass...aaj tak bus se jab bhi gaya hu..ticket to Bua yaa Master ne hi li thi..mujhe pata bhi nahi tha kaise lete hai ticket...

Rupal Didi - Ticket tujhe Bus mein bhi mil jaayegi...bas..tu school se bahar nikal...gate ke pass jaa..bus aati hi hogi..hamesa aati rahti hai buses...par haa sambhal ke...waha tak jaana aasan nahi hai..agar pakde gaye Chotu to...

Iss waqt mujhe bas waha se nikalna tha..baat karni thi mujhe kisi apne se....Bua to kuch jyada hi busy chal rahi thi...to Rupal didi hi sabse best option thi mere liye..abhi...

Main - Aap batao main kaise bahar niklu yaha se...mujhe bahar aana hai aapse milna hai aap...

Rupal didi - Chotu sab theek hai naa...

Main - Haa sab theek hai aap bas batao kaise bahar aaun main...

Rupal didi - hmm theek hai ek secret rasta hai..par iske baare mein kisi ko bhi nahi batayega...Bua ko bhi nahi...warna bahut se students ke bahar aane ka rasta band ho jaayega...

Main - Ap batao to..main kisi ko kuch nahi batane wala...

Rupal didi - tu sach mein theek hai naa...

Main - Haa main theek hu ab aap jaldi batao...

Rupal Didi - Hmm theek hai...Medical centre ke pass jaa...waha pe ek ped hoga...jiske patte kuch kuch safed honge....barf ki tarah....bas uske pass jaa..uss ped mein ek chota sa bill bana hua hai...wo gilahriyon ka bill hota hai naa ussi tarah ka....uss Bill mein apna haath dalna aur..bas..

Main - Bas...matlab...

Rupal didi - Bas matlab..uske baad tu bahar hoga...gate ke bahar...aur waha pe Bus aayegi tu uspe chadh jaana aur...jab TC ticket ka puche..to usko Spain ke liye bol dena...wo tujhe yaha sidha hotel ke bahar le aayega..aur paise hai naa tere pass...

Main - Haa thode bahut hai...

Rupal didi - Hmm theek hai ab jaldi se aaja yaah...aur haa sun wo ped ka kisi prof. ko pata nahi chalna chahiye...

Iske baad unki aawaj hi nahi aayi...wo jaa chuki thi.....main bhi jaldi se medical centre ki oor bhaga...bas jaldi se yaha se nikalna tha aur baat karna tha mujhe kisi se bhi....Main waha pahucha...par waha pe pahle se hi koi tha...uss ped ke pass..pata nahi kon tha...Ab main uske saamne se to jaa nahi sakta tha..to main thoda piche ruk gaya...maine dekha ki wo Kavita Madam hai...aur wo ussi ped ke pass thi...

Main - Ho gaya kaam...sayad inko pata chal gaya hai iss raste ke baare mein...aur ye isko band kar rahi hai...kismat hi kharab hai meri...

Par aisa kuch hua nahi...ulta jo hua wo dekh ke to main shocked rah gaya...Kavita Madam khud uss raste ko use kar rahi thi bahar jaane ke liye....maine dekha unhone apne haath bill mein dala aur uss bill se thoda dhuwa jaisa kuch nikla jo unke aas pass phail gaya aur.....aur wo waha se gaya ho gayi...main thoda shocked hua..par jald hi khud ko sambhal liya..aur main bhi ussi ped ke pass jaa pahucha..au jaisa didi ne bataya tha theek waisa hi kiya...aur main waha se bahar nikal aaya...wahi hua tha wo dhuwa nikla aur mere aas pass phail;a..aur fir bas...main bahar nikal gaya waha se..aur aa pahucha...School ke gate pe...par...kismat wo to kharab hi hai meri....Main bahar aaya lekin theek Kavita madam ke bagal mein...qur bas wahi nahi thi waha pe....waha pe 3 aur bhi log the...ek to mera koi senior student tha....ek school ka maali tha..wahi tisra..wo pata nahi kon tha...par usko bhi dekha hua tha kahi maine...

Iss situation mein Main ek dum se ghabra gaya....aur bas...Kavita Madam se sorry bolne hi wala tha....ki unhone ishare mein chup rahne ko kaha..

Main phir se shocked rah gaya..thodi der mein Bus aayi aur hum sab chad gaye uspe...

Bus pe aane ke baad...

Kavita madam - tum kaha jaa rahe ho Prateek aur iss raste ke baare mein kisne bataya....Poonam to batayegi nahi...uss Rupal ne bataya naa..
Main - Nahi.....wo to,,,,wo to main khud aa gaya yaha pe...pata nahi kaise....wo main gaya tha ek jagah aur waha se yaha aa gaya...par pata hi nahi chala kaise...

Kavita madam - Arre shant ho jao...main tumhe daantne wali nahi hu...bas iss raste ke baare mein khul ke baatein mat karna...waise jyadatar logo ko pata hai iske baare mein par koi kuch nahi bolta..accha wo chodo aur ye batao..kaha jaa rahe ho..

Main- Wo main Rupal Didi ke pass jaa raha hu....unhone bulaya hai mujhe...

Kavita - Pata tha..ussi ne bataya hoga tumhe...

Abhi baat hi kar rahe the ki waha pe TC aa gaya...aur ticket ka bolne laga....Maine apne pocket se paise nikale aur usko Spain ke liye bola....usne mujhe ticket diya....joblank tha....par mere haath meinaate hi uske upar...hotel ka adress aa gaya....wahi Kavita madam ne usko ek pass dikhaya aur usko dekh ke TC waha se chala gaya....

Kavita - Haa to usne kyun bulaya hai tumhe koi andazza hai...

Main- Nahi main nahi jaanta mujhe bhi unse kuch baat karni thi to main bhi bas jaldi se nikal gaya...

Kavita - hmm sahi hai...

Main - Ye kya tha,...jo aapne dikhaya usko...ticket to nahi hai ye..

Kavita - Haa ticket nahi hai ye....ye pass hai....mujhe roj hi kaam hota hai naa to maine pass banwa liya hai...ye dekho..

Unhone mujhe wo pass diya....par uspe unka naam nahi tha..haa photo unhi ki thi...par naam kuch aur tha...

Main - Isme to aapka naam ho nahi hai...ye to kisi aur ke naam se hai..

Kavita - Haa wo issliye taaki main kahi pe fans naa jaun...Chalo mera stop aa gaya hai main chalti hu....

Maine bahar dekha to hum kisi hhospital ke pass khade the..aur ye insano ka hospital tha..main iske baare mein Kavita madam se puchta usse pahle hi wo utar gayi thi....aur jab meri nazar unke upar wapas padi to wo bhi doctors ke kapdon mein thi..Bus wapas se shuru hui...aurr kuch hi der mein hum Spain mein the...theek hotel ke samne....Main jaldi se utra aur samne hi Rupal didi khadi thi....

Bus chali gayi...aur main Rupal didi ke pass chala gaya...Main bahut khush tha unse mil ke....jyada din nahi hue the par fir bhi..main sidha unke galle lag gaya....

Rupal didi - Chalo ander chalte hai aur batao kya baat hai...

Hum dono hotel ke ander gaye...aur Rupal didi ke office mein chale gaye....waha unhone mujhe bithaya aur...

Rupal didi - Haa to bata...kya baat hai kyun pareshan hai tu...

Main - main kaha pareshan hu...

Rupal didi - sach mein naa...kyunki agar iske baad koi pareshani batayi naa to tere gaal honge aur mere haath...fir samajh jaana...

Main - Wo....wo mujhe bahut akela akela lag raha hai...

Maine unko sab kuch bataya...kaise yaha se janne ke baad sab badal sa gaya...Nikita baat nahi kar rahi...Bua kuch jyada hi Busy hai aur bas..itna hi bata paya..main unko..Dhruv ke baare mein nahi bata sakta tha...

Rupal didi - Nikita baat nahi kar rahi...aisa kya ho gaya usko...aur rahi baat Bua ki..to wo mujhse bhi baat nahi kar rahi hai.....aur aksar aisa ho jaata tha...ye sab sayad tumhare master ki wajah se hai...Bua bata rahi thi..ki unhone kaha tha unse ki tum dono ke bich ka rista abhi bahar nahi aana chahiye....par Bua kuch out of control ho gayi aur....sayad unhe daant padi ho tumhare master se.....ye Nikita ka samajh nahi aa raha hai...par wo bhi theek ho jaayegi...

Maine thoda socha..inn chizon ke baare mein aur ye kuch kuch to sahi laga...par..khair maine inn baaton ko abhi wahi chod diya aur Didi se pucha ki mujhe waha kyun bulaya..

Rupal didi - Arre wo ek baat pata karni thi....tum to inn insano ke bich mein hi raha karte the naa.....to inke baare mein thoda bahut jante hpoga hi...

Main - Haa janta hu....par sabhi games aur baaki chizon ke baare mein nahi...

Itna bol ke hasne laga kyunki yahi sawal pahle bhi pucha tha mujhse aur uske baad bull fight ke liye leke aa gaye the...

Rupal - Arre game wame nahi chotu....wo bas kuch insan hai jo...yaha pe kuch bure kaam kar rahe hai...aur yaha ke priests ne mujhe unse nipatne ke liye madad maangi hai..Main Papa se puchne wali thi...par phir laga tu meri madad kar sakta hai to bula liya tujhe...

Main - Kya kaam kar rahe hai wo yaha..

Rupal - wo yaha pe logo ko pareshan karte hai unko loot lete hai,,,maine socha ki sidhe maarr ke hi khatam kar dete hai par...aisa nahi kar sakte...agar aisa kiya to Papa mujhe chodenge nahi...

Main - Haa maine bhi dekha tha aise logo ko...wo bure insan hote hai jo acche logo ko pareshan kiya karte hai...aap police ki madad le sakte ho....par..

Rupal - Haa pata hai...Police se madad maangi thi priests ne par koi jyada madad nahi milli...issi wajah se mere pass aaye hai wo...Ab mujhe samajh nahi aa raha main kya karu...

Main - mujhe lagta hai ek baar Chachu se baat karni chahiye aapko....wo pahle bhi ye sab kar chuke honge...unse madad milegi aapko....Main insano ke saath raha to hu par...jyada kuch pata nahi aise mein kaise deal karni hai...

Rupal - hmm theek hai..main tumse baad mein milti hu...aur haa ab jab bhi akele lage aa jaaya karo yaha..samjhe....main hamesha rahungi yaha,,,

Main - hmm theek hai

Main phir waha se nikal gaya kyunki waqt ho gaya ab tak naa sirf saare classes khatam ho gaye honge balki....dinner ka waqt ho gaya tha....to maine Bus liya aur jaldi se school pahuch gaya....ander jaane ke liye mujhe Rupal didi ne bata diya tha ek rasta main...main gate se nahi jaa sakta tha to bas ussi raste se wahase chala gaya...aur sidha apne room mein chala gaya...waha jaane ke baad thoda der baitha aur phir waha se bahar aaya....aur dinner karne chala gaya....

Jab main waha pahucha...to Nikita pe nazar gayi meri...sayad wo kisi ko dhundh rahi thi...Maine soch liya tha ki aaj isse puch hi lunga ki aakhir baat kya hai...kyun ye mujhe ignore kar rahi hai bas...fir kya tha maine bhi plate uthayi khana liya aur ussi ke pass chala gaya...wo abhi bhi kisi ko dhundh hi rahi thi...aur jaise hi main uske pass baitha...wo darr gayi...

Main - Kya...ab baith bhi nahi sakta kya...

Wo kuch nahi boli..wo bas apne plate ko dekhne lagi aur usse khana khane lagi...

Main - Kya problem hai...

Nikita - Kuch nahi mujhe kya problem hogi.,..

Main - to ignore kyun kar rahi ho,...3 din se dekh raha hu...nazar rakhti ho par jab bhi main pass aata hu bhag jaati ho...

Nikita - nahi kuch nahi...

Main - dekho main bahut pareshan hu iss baat ko leke...tum dono hi to dost ho mere...aur abhi DB hai nahi yaha...aur tum bhi aise...tum mujhe bata sakti ho...main tumhari madad kar sakta hu...

Nikita - Tumhe bikluk bhi yaad nahi ki kya hua tha...nahi naa

Main - kya baa.....tum uss din ke baare mein bol rahi ho naa...mujhe yaad nahi hai kya hua tha...ye bhi yaad nahi ki main ghar kaise pahucha...batao kya hua tha...

Nikita- Nahi main nahi bata sakti...kya prof. Poonam ne nahi bataya kuch...

Main - Wo sayad abhi kuch busy hai...tum bata do...

Nikita ne ek baar aas pass dekha...aur fir baad mein milne ke liye kaha...wahi talab ke pass...

Maine bhi theek hai kah diya aur khana khane laga...

Khane ke baad hum nikal gaye rooms ke liye...main pahle to sabke saat gaya phir baad mein waha se nikal ke chala gaya talab ke pass.....jaha pe pahle se hi Nikita baithi thi...

Main - haa ab batao...

Nikita - Tumme Dark powers hai...wo bhi bahut jyada...

Main - Dark powers kya baat kar rahi ho...

Wo bas itna bol ke waha se bhag gayi...main puchta rah gaya par...wo muddi bhi nahi bas waha se bhag gayi....

Main - Dhruv ye dark powers kya hai....

Dhruv se koi jawab nahi milla...

Main room mein aaya aur jaldi se sone ki taiyaar karne laga kyunki training mein to wo aayega hi...aur tab sayad wo mujhe bataye ye sab...Par yaha bhi main galat ho gaya...training mein bhi wo nahi aaya tha...bas mera trainer aaya tha...jiske saath training kari maine aur thoda time Albus aur Cooper ke saath spend kiya aur main waha se nikal gaya...Subah hui...main jaldi se Dhyaan mein baithne ke liye nikal gaya...waha pahucha to aaj waha 3 aur log the...Master bhi thi waha pe...saath mein Bua aur Nikita bhi...wo tinno dhyaan mein baithi hui thi...aane mein mujhe thodi si deri ho gayi thi...main inn tinno se baat karna chahtra tha par abhi ye tinno hi dhyaan mein the to koi chance hi nahi tha...phir kya main bas baith gaya dhyaan mein....waqt bitta aur uske baad jab aankhen khuli to jaisa socha tha...koi nahi tha waha pe...aur isse bahut gussa aaya mujhe....par...tabhi waha pe ek kitab nazar aayi...kitab purani lag rahi thi....ajeeb se language mein likhi hui thi....wo kitab Master jaha pe thi waha pe rakha hua tha...maine Kitab uthayi aur nikal pada usko master ko wapas dene ke liye...saath hi unse baat karne ke liye bhi....par jaise hi unke office mein pahucha.....waha pe koi nahi tha....

Office se nikla to waha pe koi aadmi tha...school ka hi tha koi..maine usse Master ke baare mein pucha to wo bol gaya ki wo kahi bahar gayi hai....maine scha wo kitab unke office mein hi rakh du aur nikal jaun waha se....mujhe breakfast bhi karna tha...par breakfast se yaad aaya main ye kitab Bua ko de sakta hu...saath hi unse baat bhi kar lunga..aur breakfast to ho hi jaayega waha...main jaldi se unke office mein gaya....wo waha pe pahle se hi 2 plates mein khana mangwa ke baithi hui thi...

Main waha pahucha aur unke chahre pe ek smile aa gayi...

Bua - Aaj Bua ki yaad kaise aayi Bacchu...

Main - wo main Master ki kitab dene aaya tha wo nahi thi waha pe...to socha aapko de du...

Maine kitab rakha aur waha se bahar jaane laga,....

Bua - ye dusra plate tumhare liye hi rakha hai...itna nahi khaya jatta mujhse...

Main - Mujhe bhukh nahi hai aap khud hi khao...

Itna bol main bahar jaane laga...

Bua - Bacchu main thodi busy thi bas....aur koi baat nahi hai...chalo ab maaf kar do aur aao yaha khana khao...

Bhukh lagi thi ab jyada nakhre karne se khana to haath se jana hi tha...koi bharosha nahi Bua mujhe koi sazza bhi dede...to main bas mudda aur jaake table pe baith gaya aur khana khane laga...

Bua - Ab sab pahle jaisa hi rakhega...

Main - Pahle jaisa...matlab ???

Bua - Matlab?? wo chodo pahle ye batao kal kaha bhag gaye the...kaha kaha nahi dhundha tumhe....

Main - wo mera maan nahi tha to room mei....

Bua (aankhen dikhate hue) - Room mein...

Main - Nahi Rupal didi ki pass gaya tha...unhone bulaya tha...

Bua - Binna bataye gaye agli baar to taange tod dungi samjhe...pata bhi hai kitne pareshan the hum....aur tumhare wajah se hamara trip bhi kharab ho gaya...

Main - Trip kon sa trip...

Bua - Bataungi..abhi nahi...uss Rupal ko bhi yaha aane ke baad...

Main- arre aap gussa mat ho unko koi proble thi bas issi wajah se bulaya tha...par ab wo chachu se baat kar leg unko dantna mat...

Bua - tum dono bhai bahen ko naa acche se sabak sikhana hoga...main Bhabhi ko batane wali hu ye sab...bas phir wo jaane aur tum dono bhai bahen..

Main chup ho gaya matlab ab class lagne wali thi hum dono ki...

Bua - Nasta karo aur classes mein jao...humme fir tumhari Master ke saath trip pe bhi jaana hai..tab tak wo Rupal bhi aa jayegi...

Main chup chal nasta karne laga aur naste ke baad nikal liya...kaha main gusse mein tha aur ab ye sab..

AAj ke liye itna hi next mein dekhte hai ye trip ka kya chakar hai aur Master ke yaha aane ka bhi pata ussi mein lagega...aur ye Dark power ka kya naya chapter hai...
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
 

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,420
143
UPDATE -34

Ab tak

Ghar se aane ke baad sab badal gaya tha ek pal ko aisa laga jaise jo bhi mujhe milla ek pariwar..kuch dost wo sab wapas se chin gaya ho..kyunki wo mere pass nahi aate the,,,Nikita mujse dar rahi thi pata nahi kyun...Bua ke pass time nahi tha..Master wapas aayi thi par mujhse milli nahi..bas ek baar hi milli thi...DB bhi abhi nahi tha yaha...Dhruv wo bhi jyada baat nahi kar raha tha...naa hi Jwala se koi baat ho paa rahi thi...bas Albus aur Cooper hi the...jo saath hote the...fir Rupal didi ne bulaya aur uske baad sab change hua..sayad...Nikiyta ne baat ki par usne sidha mujhe Dark power ka kuch bataya aur chali gayi...wahi Bua se bhi baat hui aur unhone bulaya aur bataya ki Master ke kaamo ki wajah se wo nahi mil rahi thi..aur saath mein ek trip ka bhi bataya..

Ab aage

Main unse milne ke baad classes mein chala gaya...wahi Prof. Suraj ka class tha abhi..main wahi chala aya...Aaj bade khush dikh rahe the Prof. Suraj...aur saath hi ajeeb bhi...class shuru hui...aur unhone ek khass tarah ke bhale ke baare mein batana shuru kiya....jisme ek pankh laga hota hai...pankh wale bhale waise to aam hai par isko chalane ki kalla ab waisi nahi rahi...pahle ki baatein aur thi..pahle ye pramukh hathiyaaron ki suchi mein aaya karta tha par ab...ab ye nahi aata...iske jagah pe bahut si aadhunik chizzen aa gayi hai...lekin iske saamne wo sab kuch bhi nahi hai...Pankh wala Bhala..apke ander ke urja ko ek sahi disha deta hai agar sahi se use kiya jaye...

Aise hi bahut si baatein wo bata rahe the...fir aayi baari practicles ki...par...tabhi unhone class band kar diye..

Prof. Suraj - Students....aaj ke liye itna hi aapki class khatam ho gayi hai...

Har class mein ek hota hi hai jo aise mauko pe sawal karta hai aur yaha bhi the kuch waise...unhone pucha aur jawab mein bas itna paya ki Prof. Suraj ko kahi bahar janna tha....kuch kaam ke liye..

Sabhi class se bahar nikal liye main bhi...aur class se nikalte hi ek jagah pe mujhe Old Owl dikha...Main side mein gaya jaha koi naa ho aur waha pe usko bulaya...thodi der mein wo aa gaya...

Main - Kaha the tum itne waqt se...

Old Owl - Main to yahi tha Iss Prof ka piccha kar raha tha jaha jaha ye jaata waha main bhi jatta yahi to aapka aadesh tha..

Main - Haa tha par iske baare mein batane ko bhi kaha tha..mujhe kab batane wale the tum...

Old Owl - Aisa nahi ki maine koshish nahi ki...main to roj hi aapke pas aata tha..aapko batane ke liye..par aap dhyaan nahi dete the...maine iss baare mein Jwala se bhi baat kari...par wo Bimar hai abhi

Main - Kya.....wo bimar hai kya hua hai usko...

Old Owl - Uska rang kalla hota jaa raha hai..aur wo kamzor hota ja raha hai..

Main - Kya tum mujhe uske pass leke jaa sakte ho...

Old Owl - Haa kyun nahi par....

Main - Par kya...

Old Owl - Par main ek hi saath ye nahi kar paunga...yaa to aapko waha le jaa sakta hu yaa Prof. Suraj ka pichha,,,

Main - iska pata tum baad mein bhi laga loge...abhi mujhe Jwala ke pass janna hai...

Old owl ne kisi tarah ek portal khola..par hum abhi Jwala ke pass nahi the...hum pata nahi kaha pe the..

Main - ye kya hai maine tumhe Jwala ke pass le jaane ko kaha tha..aur tum mujhe...

Old Owl - Malik...kuch kannon hai jinko manna mere liye jaruri hai..agar meri baat hoti to main chipte chipate waha chala jatta par aapko kisi mushibat mein nahi dal sakta..ye wo ilaka hai jaha pe polar bear aur Eagles ke bich ydh hota tha..

Usne ek side uishara kiya aur kaha ki ussi disha mein jaane se main Jwala ke kabile mein pahuch jaunga...

Main - kitna waqt lag jaayega...

Old Owl - ye to appe hai ki aap kitni der mein pahuchte ho...Ab main chalta hu...mujhe uska pata bhi lagana hai..iss waqt wo kisi bahut bade shazish ka hissa bana hua hai..

Itna bol wo gayab hi ho gaya aur main chalne laga...mujhe jaldi se janna tha waha apne dost ke pass...dimmag mein aur kuch chal hi nahi raha tha bas yahi tha ki kisi tarah jaldi uske pass pahuchna hai...Old Ol ke bataye hue dissa mein main aage badhta raha...kuch der baad mujhe kisi ke karahne ki aawajein sunayi dene lagi...aisa lag raha tha jaise koi dard se tadap raha ho..aur madad ke liye logo ko bulla raha ho..par dhire dhire..ajeeb tha ye...

Maine aas pass dekha..kuch dikha nahi..main wapas se ussi disha mein par wapas se wo aawaj sunyi di..aur iss baar thodi zor se....main iss baar fir se gaya uss disha mein...waha gaya to ek safed pair bas wahi dikha mujhe...

waha pe..sayad kisi tarah se kuch hua aur mitti girri houpar se..jiski wajah se ye jo koi bhi tha wo uske niche fass gaya tha...Maine mitti hatana shuru kiya...aur kuch der mein puri mitti hatta di..aur fir mujhe waha pe dikha ek chota sa polar Bear...jo jakhmi lag raha tha....

Main - Kon ho tum aur yaha aise..

Wo - ghar...ghar..

Itna bolne ke baad wo behosh ho gaya...Main usko hosh mein laane ke ki koshish karne laga...parye bhalu tha...wo bhi baccha pata nahi kaise main isko hosh mein laun...aas pass kahi paani bhi nahi dikh raha tha...ab isko aise hi chodna galat tha....Mujhe laga sayad Jwala ke kabile mein mujhe kuch madad mill jaaye...aur main chal diya bhalu ko leke wahi...kuch der mein main ...kabile ke bahiri hisse mein pahucha...jaha pe kuch pahredaar the...wo mujhe jante the..ab yaha sab mujhe jante the...

pahredar 2 - Aap yaah iss tarah se....

Main - Jwala ki tabiyat harab hai..main usse milne aaya tha...par Old owl ne mujhe wahi pe chod diya..

Pahredar 1 - Kya...usko aapke saath ye karne ki jarurat nahi thi...aap to Maharaj ke Malik hai..aapko wo yaha pe leke aa sakta tha..

Main - wo sab chodo aur ye batao Jwala kaha hai....

Pahredar - wo kabile ke vaidya di ke yaha hai abhi..kal se unko kuch aaram milne laga hai..

Main - Kaha rahte hai ye vaidyaji leke chalo mujhe...

Maine socha waha pe uss bhalu ke bache ko bhi dikha denge,...unn pahredaron mein se ek mujhe apne saath aane ko bola..

Main bhi chaldiya uske saath aur kuch hi der mein pahuch gaya waha pe...Jwala abhi baitha hua tha aur ek budha sa dikhne wala chill uski jaanch kar raha tha..

Main - Jwala - kya hua tha tumnhe aur tumne mujhe bataya kyun nahi kuch...

Meri aawaj sun ke wo chaunk gaya...wo pahredaar jo mere saath aaya tha wo to pahle hi waha pe ghosna karwane wala tha par maine usko rok diya tha..

Jwala - aap yaha..

Main - haa main ab batao kya hua tha tumnhe...aur ab kaise ho...

Vaidyaji - sayad koi shakti thi...jo inke ander aana chahti hai par aa nahi paa rahi hai...aur wahi inko kamzoor karne mein lagi hui thi...par kisi tarah abhi wo shakti gayab ho gayi hai...aisa pahle bhi dekha hai maine...par iss baar baat alag ti..

Jwala - Prateek aap chalo hum mahel mein baat karte hai...

Main - rukko mujhe ek kaam hai vaidya ji se...

Maine unke saamne wo chota polar ear rakha...apne pado se nikal ke...aur usko dekhte hi waha sab chaunk gaye..Jo pahredaar mujhe waha leke aaya tha ab wahi mere saamne khada ho gaya tha..

Jwala - Ye kya hai..aapne ek polar bear ko yaha laane ka gunnah kiya hai..

main - ye mar jatta waha pe...isko bachana jaruri tha...

Jwala - nah...

Vaidyaji - Maharaj ye to Rajkumar hai...Polar bears ke rajkumar..dekhiye inke panjo pe wahi nishani hai..

Jwala - tumne ye kya kar diya..main abhi swasth bhi nahi hu..aur agar iss waqt wo log humpe hamla karne aaye to bahut nuksan hoga...pahredaar..isko thikane laga do....

Main - Kya..thikane laga do..nahi...Vaidyaji aap iska ilaaj karo...aur tum..tum mere gulam ho abhi chalo mujhe tumse baat karni hai...aur pahle iss pahredaar ko hatao..

Jwala ne ishara kiya aur wo hat gaya...wahi Vaidyaji bhi uss polar bear ke saath kuch karne lage...aur main Jwala ke saath bahar aa gaya....

Main - Ye sab kuya tha,...wo ek baccha hai usko thikane lagado se kya matlab tha tumhara...marna chahte ho usko..

Jwala - agar hamare yaha ka koi hota waha to wo bhi yahi karte..

Main - shant ho jao..aur meri baat ko sunno...ye ek accha mauka hai unse dosti karne ke liye...

Jwala - nahi aisa kuch nahi hone wala hum dusman hai aur rahenge...

Main - ye mera aadesh hai..aur tum iska virodh nahi karna chahoge...

Jwala - Haa bas yahi baaki rah gaya tha...ek to tumhari wajah se ye haalat hai meri aur ab....

Main - ye kya bol rahe ho...meri wajah se...maine kya kiya hai...

Jwala - kuch nahi...mujhse galti ho gayi...

Main - Jwala batao mujhe...ye mera hukum hai..

Jwala - Dark power...ye wahi tha....tumse judde hue har ek chiz ke saath aisa hi hone wala hai....jab tak tum taiyaar nahi hote hum sab ki halat kharab hoti rahegi.....tum uss shakti ko apna nahi paaye iss wajah se meri ye halat hai...

Meri samajh mein nahi aa raha tha ye kya bol raha hai..aur ye dark power hai kya...Nikita ne bhi aisa hi bola tha aur ab ye bhi...

Main - Uss polar bear ke bacche ko sahi salamat tumhe uske kabile mein chodna hoga...aur ye tum khud karoge..ye mera aadesh hai..aur abhi mujhe school jaana hai....

Usne kuch nahi bola bas ek poratl khol diya jisse main School mein wapas aa gaya...aate hi main apne room mein chala gaya...mujhe kuch chizzen samajhni thi...Abhi sabhi classes mein busy the..meri bhi jaduyi dawayi wali class thi par main late ho chuka tha..aur ab jaane ka bhi mann nahi tha...

Room mein aane ke baad mein sochne lag gaya aakhir ye hai kya...meri wajah se kaise usko kuch ho sakta hai...aur kya aisa kuch Nikita ke saath bhi hua tha....kya issi wajah se wo mujhse darri hui thi..yaa bhag rahi thi...main samajh nahi paa raha tha..aur ye Dhruv..uske saath bhi kuch waisa hi to....

Main - Dhruv tum sun rahe ho..tum thik ho naa...

Pahle to koi jawab hi nahi aaya...kuch der baad jawab aaya...

Dhruv - haa Main theek hu..

Main - kya hua tha tumhe....kya ye sab meri wajah se hua tha...kya tum bhi..

Dhruv - Nahi ye meri galti thi...agar main tumhe pahle hi bata deta to sayad ye sab nahi hota..maine dhyaan nahi diya uss waqt aur fir achanak se ye sab ho gaya aur...main kuch kar nahi sakka

Main - par ye tha kya...aur kya Jwala ko meri wajah se...

Dhruv - Haa Jwala ko bhi aur Nikita ko bhi...Nikita o jyada nukshan nahi pahuchne diya maine par...Jwala ko nahi baccha saka...aur wo uss shakti ke karan..

Main - hmm thi hai ab ye batao ki hai kya ye Dark power...aur Main hi kyun..

Dhruv - Dark power kya hai ye to main bata dunga par tumhara ye dusra question..wo main nahi bata paunga..usko tumhe khud hi pata karna hoga...

Main - kya..

Dhruv - Dark power kaha se aaya iska pata nahi hai par wo tumse judd gaya aur fir kabhi alag nahi huaa...wo hissa ban gaya tha tumhare soul ka...aur abhi bhi hai..par wo active nahi hai..wo abhi so raha hai...usko sone dena hi sahi hai abhi ke liye..taaki koi nuksan naa ho tumhe...jab tum uske kaabil ho jaaoge to wo khud jaagega..dhire dhie...par aise nahi..

Main - ye kya hai...inn baaton se kya hi pata chalega..wo mujhse judda kab aur kaise...

Dhruv - Dekho Prateek meri kuch hadde hai jinko paar kiya to hum dono ka nuksan hoga....mujhe apni fikar nahi hai par tum..tumk main kuch hone nahi de sakta...iss liye abhi main unn haddo mein hi sahi hu....isse jyada matt pucho mujhse..

Main abhi bolne hi wala tha ki Master ki aawaj aayi...

Main bahar gaya..dekha to waha pe...Nikita, Rupal didi, Bua aur Master khade the...

Master - Class mein nahi gaye the tum...

Main - wo Master main wo...

Master - baad mein aat karenge ispe...abhi chalo yaha se....Poonam wo kaha hai...

Bua - Wo aa rahi hai...

Maine piche dekha to waha se Kavita Madam bhi aa rahi thi...wo bhi unhi ke saath khadi ho gayi...

Master - Humme Elf country jaana hoga...

Main/ Nikita - Elf country matlab DB ke desh mein..

Master - Haa wahi pe...

Nikita - Par waha to hum jaise...

Master - koi bhi kahi bhi jaa sakta hai bas raste ka patta hona chahiye...Rasta main bata rahi hu...ab chalo..

Master ne apne pouch mein se kuch nikala aur usko jamin pe fenk diya...aur dekhte hi dekhte waha pe ek ped ugg gaya..jisme ek darwaja laga hua tha....

Master - sabhi ander chalo...aur kapde change karo...

Hum sab ander gaye,...ye kisi ghar jaisa tha..aur bada bhi tha...Master ne humme kuch kapde diye aur unko pehenne ko kaha..aur humne change kar liya....jab hum sab wapas se darwaje ke pass aaye...to ye kuch alag tha...maine notice kiya ki hum sab jab aaye the to darwaja dusre taraf tha..aur abhi thik uske ulte side mein...par baaki ki chizen bilkul waisi hi thi...

Main - Master ye darwaja to...

Master(muskurate hue) - Haa ye darwaja to kya...

Main - ye to waha tha naa sayad,,,

Master - Mirror ke through traveel karna...aasan hai aur kisi ko pata bhi nahi chalta...ye sabse accha tarika hai...haa wo darwaja dusre side hi tha....Par ye sab hum baad mein dekhenge abhi humme dekhna hai yaha ki problem ko...

Bua - problem aapne kal hi kaha tha kuch hone wala hai yaha...par kal aap nahi aayi kyunki bachu nahi tha yaha...

Master - dekho Poonam ye jo pareshani hai naa ye inn dono ki hai,....aur inhi dono ko isse nipatna hai aur tisre ko bulana hai...

Master meri aur Nikita ki oor ishara kar rahi thi...aur humme kuch pata hi nahi tha..

Nikita - Mujhe kya karna hai...

Master - tumhe nahi tum dono ko...dekho jab tak dono saath mein nahi aate tab tak tisre ko bacha nahi paoge..aur wo tisra bahut jaruri hone wala hai...

Kavita - kya...Madam aap sach mein uss bhavisyavaani ki baat kar rahi hai..mujhe yakkin nahi ho raha hai...

Poonam - Bhavis...nahi kya..par...madam iske pass to chuha hai...

Master - Thunder element hai iske pass...aur rahi iske spirit ki baat to wo baad mein pata chal jaayega...

Bua - Par ye kaise..ye to..

Master - tumhe kyun lagta hai main kisi aam se bache ke saath rahungi itne saal...wo bhi chup ke...

Main - kya baat kar rahe ho aap sab...mujhe kuch samajh nahi aa raha hai...

Nikita - Iske ander Dark powers hai aur main nahi jaaungi iske saath...

Bua / Kavita - Kya...Dark Power...

Master - Haa Dark power...tumhe kya lagta hai kya hua tha iske saath uss din Spain mein....

Bua - humme laga iski thunder element ki stability ka koi problem hai...tabhi to ghar leke aa gaye the isko..waha insano ke bich ye sab...mushibat ho jaati...

Master - Haa stability ki hi kami thi...aur ye ussi ki wajah se hua tha...aur yahi wajah thi ki main sidha Earth pe aa gayi..Mujhe dekhna tha ye thik hai yaa nahi...par ye thik ho gaya tha...

Kavita - Iske pass Dark power hai matlab samajh rahe ho..ye ye...

Master - ye abhi kabu nahi kar paya hai..issi wajah se to ye aisa hai...ye sab chodo...Nikita sunno...tumhe janna hoga...abhi yaha kuch to hone wala hai...main issi baare mein pata laga rahi thi yaha pe par ye sab hua aur mujhe Earth pe janna pada..aur waha tum milli mujhe...tumhe janna hi hoga...tum hi kar sakti ho ye kaam...

Nikita - par wo bbahut darawna hai...

Master - Nikita tum janti ho..ki usse bhi jyada darawna kya hai..agar ye nahi kiya to...fir usme main bhi kuch nahi kar paungi..main kya koi bhi nahi...iske 3 tukde hone hi hai...agar nahi hue to sab wapas se shuru hoga..

Main - Mujhe kuch samajh nahi aa raha hai..aakhir baatein kya kar rahe ho aap s....

Main bol hi raha tha ki waha pe Old Owl udta hua dikha mujhe...

Main - Main abhi aata hu...

Binna kisi ki baat sunne main waha se nikal gaya...darwaja khola aur bahar...Baha dekha to hum kisi jungle jaise ilake mein the....

Main - Old Owl...samne aao..

Thodi der mein wo mere saamne tha...

Main - Tum yaha pe kaise..strange world mein...

Old Owl - Main aapki hi baat maan raha hu....yaha pe hai wo Prof. Suraj..

Main - Kya par wo yaha pe kyun...aur hum bhi issi jagah pe kyun aaye hai...

Old Owl - aapka dost musibat mein hai...yaha se ye seena jaane wali hai Elf Country mein..aur hamla karegi....ussi sena ke pramukh hai Prof. Suraj...waha ander bhi log hai jo gaddi ke liye aisa kar rahe hai...

Main - DB kaha hai wo theek hai...

Old Owl - Abhi theek hai par aage ka pata nahi...agar ye sena waha pehuci to sayad unhe bandhi bana liya jaaye...

Main - Nahi aisa nahi hoga...nere rahte hue to nahi...

Main jaldi se waha se nikla..Old owl ko unpe nazar rakhne ka bol ke..aur jaa pahucha wahi mastwer ke pass..jo ki ab ghar se bahar nikal gaye the...

Main - Waha senna hai wo Elf country pe hamla karne wale hai aur...aur Prof. suraj unke leader hai...

Bua - Suraj wo waha....par kyun..

Master - iss kyun ka jawab dene ka waqt nahi hai....taiyaar raho tum dono...aur Prateek...Nikita..niklo yaha se tumhe Elf countruy janna hai aur waha ke gaddar ko sabke samne leke janna hai...hum tab tak yaha dekhte hai...

Main - Par master yaha pe bahut se log hai...

Master - hum taiyaar hai..tum dono jao...Nikita yaad rahe...maine jo bola hai...

Nikita ne haa mein sar hikaya aur hum dono chal pade....

Kavita Madam - arre naksa to lelo...rasta pata hai kya...

Main jaldi se gaya aur Naksha liya unse aur fir hum dono chal diye waha se....wahi...Bua Master aur kavita madam tinno hi ready ho gayi apne kaam ke liuye....

Hum jungle wale raste se jaa rahe the...ye aasan hone wala tha...sipahi..yaa waha ke pahredaar jo nahi milte humme...par jungli jeevon se bachna ye to muskil tha hi...upar se ye Nikita abhi bhi baat nahi kar rahi thi..

Main - Nikita mujhe baad mein pata chala ki meri wajah se tumhe pareshani hui...

Nikita - tumne mujhe powers di...kyun..

Main - uss waqt wo jaruri tha...nahi to tumhara spirit animal nahi bach pata...aur mujhe tumhe uss kille se bhi nikalna tha..

Nikita - Haa waha se nikal ke yaha pe fassa diya..tumhe pata bhi hai...ab mujhe hamesha tum dono ke saath rahna hoga..kyun...kyun...

Main - Kya matlab..kya tum nahi rahna chahti hamare saath...hum dost hai...

Nikita - Arre puchna to tha naa..aur dost kya dost ko aisi mushibat mein daal dete hai jisme jaan hi chali jaaye...

Main - Nhai mujhe pata nahi tha uss waqt...aur naa hi abhi pata hai...main bas madad karna chahta tha...

Usne kuch nahi bola bas aage chali gayi..

main - Dhruv ye sa kya ho raha hai..aur ye bhavishyavanio ka kya chaklar hai...

Dhruv - Maine kaha tha hadde paar nahi kar sakta...sabr rakho sab pata chal jaayega...

Main - Kya main usko inn sab se dur kar sakta hu...wo khush nahi hai inn sab se...

Dhruv - Agar wo chahe to wo tumhe tumhari di gayio powers wapas kar sakti hai par uske liye usko bahut dhyaan lagana hoga...aur isme waqt lagega...

Main - Matlab ye mumkin hai..hai naa..

Dhruv - sab kuch mumkin hai...bas chah hone chahiye...tumne waha Jwala ke kabile mein jo kiya wo accha tha....

Main - Haa par sayad isse Jwala aur uske kabile wale mujse naraz rahe...

Dhruv - ye ek kadvi dawayi hai unke liye...aur tumhare liye bhi..sab theek ho jaayega..bas dekhte jao..

Main - hmm...waise tum mujhse baat nahi kar rahe the kyun..

Dhruv - Main Sarminda tha...auur mujhe burra bhi lag raha tha...

Main - Agar fir kabhi kuch aisa ho to baat naa karne ka idea dimmag mein mat lana..

DHruv - Haa theek hai..

Hum jaa hi rahe the ki aachanak se mujhe kuch hua...ek ajeeb si feeling aayi...jaise pata nahi kya...matlab kuch accha hi tha par...kaise bataun..

Dhruv - lagta hai wo bhi yahi hai...

Main - Kon hai yaha....

Dhruv - koi nahi bas khud pe kaabu rakhna samjhe...

Main - Haa wo to main rakhunga hi...par aisa kyun bola..

Nikita ne ek baar piche mudd ke dekha....main usse bahut picche rah gaya tha...

Nikita - aise hi chale to der ho jaayegi...jaldi jaldi chalo...

Aaj ke liye itna hi next mein dekhte hai sena ke saath Bua Master rupal didi aur Kavita madam ki ladayi..aur Elf country mein hamara janna
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
 

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,420
143
UPDATE - 35

Ab tak

Ye trip Strange planet ki kuch badal si gayi thi...yaha aane pe pata chala ki humme DB ko bachana hai bas usse hi nahi uske pure rajya ko hi...Prof. Suraj bhi yahi the...aur wo hi the jo DB ke rajya pe hamla karne wali seena ke seena nayak the....Master ne mujhe aur Nikita ko ek saath Elf country jaane ke liye kah diya wahi...Wo charo khud waha pe uss sena ko sambhalne wali thi..Nikita mujhpe gussa thi ki kyun maine usko powers de di...aur wo yaha pe fans gayi hai...par maine to uski madad karne ke liye aisa kiya tha aur ab ye.....par Dhrv ne mujhe bataya ki ye wapas se pahle jaisi ho sakti hai....thodi der chalne pe mujhe kuch ajeeb sa laga aur uspe Dhruv ne kuch to kaha par samajh nahi sakka main...

Ab aage

Hum aage badhne lage...aur meri bechani bhi badhti jaa rahi thi...par main chalta jaa raha tha kyunki ye jaruri tha...mujhe waha pahuchna hi tha....Nikita se baat kar nahi sakta tha kyunki wo to bas gusse mein badbadati hui jaa rahithi..to DHruv se hi baatein karte hue aage jaa raha tha...

CHaliye ek nazar Master aun team pe bhi dalte hai....wo sab theek Suraj ke seena ke paas chippi hui thi....abhi senna mein bhi koi halchal nahi ho rahi thi...wo sab intezar mein the....sayad koi signal tha jiska wo wait kar rahe the...

Bua - Rupal mujhe pata nahi tha yaha ye sab hona hai...tum ek kaam karo tum naa yahi pe rahna hum sambhal lenge...

Rupal - Bua kya bol rahi ho aap...Mai...

Master - Poonam...wo bhi janti hai ladna...aur ye baat tumhe bhi payta hai..ab uspe bharosha rakho aur hum jo karne aaye hai wo karte hai samjhe...

Bua - Haa par...Rupal tu thoda dhyaan rakhna samjhi..

Kavita - Haa thoda dhyaan rakhna manna tumhe ladna aata hai par fir bhi ye log bahut khatarnaak hai..

Ye sab baatein kar rahe the aur Rupal didi ko bahut chiddh ho rahi thi isse...Bua aur Kavita madam unko bahut kam aank rahe the...sayad abhi Bua ye bhi bhul chukki thi ki hamare family ko Jwala ke kabile walo se suraksha milne wali hai..Ab Didi ko gussa aa raha tha to wo bas utthi aur binna dekhe sunne jaake uss seena ke saamne khadi ho gayi...waha pe sabhi sainik positions mein the..wo bas intezar kar rahe the..aur jaise hi Didi unke saamne gayi wo sab chaunk gaye..au sabse jyada chaunke prof. Suraj....

Prof. Suraj - Tum...Rupal tum yaha kya kar rahi ho...

Bua - Rupal pagal ho kya...

Prof. Suraj - Poonam tum bhi....ye koi family picnic hai kya tum logo ka....aur yaha strange world mein kaise aana hua tum sab ka..yaha to...

Kavita - Madam humme bhi chalna chahiye...warna patanahi kya ho jaayega...

Master - Haa dikh raha hai...maine kaha tha tum dono se wo koi bacchi nahi hai jo uska dhyan rakhne ke liye baiythe the tum dono ab chalo..

Master aur Kavita madam bhi unke saamne jaake khade ho gaye..

Prof. Suraj - Nahi ye family picnic to nahi hai...aur ye...yaad nahi aa raha dekha hai kahi isko..

Bua - ye hamare school ki chanc....

sainik- Sena nayak ye wahi aurat hai...jo hamare picche lagi hui thi..

Prof.Suraj - Haa yaad aaya ye wahi hai..par ye hamare school ki kya hai...Poonam ji jara bataogi aap...wo kya hai naa tum sab ko marne ke baad pata nahi chal paayega naa...

Master - Wo to dekh lenge kon marta hai auer kon bachta hai...sab taiyaar ho naa...

Sabhi ne apne apne hathiyaar nikal liye....

Master ke pass...ek stick thi...ye stick hamesha se hi unke pass hi rahi hai...Wahi Bua ne apni talwar nikali...jisme blue flame thi...aur ek sunahera handle jispe...lomdi ka muh bana hua tha....wahi..Kavita madam ne Bhala nikala...ye wahi bhala ytha jiske baare mein Prof. Suraj aaj humme bata rahe the...par isme pankh nahi balki 4 pankh lage the aur 3 daant lage hue the...kisi bade janwar ke nukile daant.....Rupal didi ne bhi apni talwar hi nikali...jo simple si thi...unki apni...ab wo kaha inn tinno ki tarah expert thi...jo unko bhi koi khass tarah ka hathiyaar milta ...wo kaise milta hai ye aage pata chalega...

Wahi Prof. Suraj ne ek kulhadi jaisa hatiyaar nikala...2 sirre wali kulhadi..jo alag alag bhi ho jaati thi..agar chalane wala chahe to...baaki sainik the..wo bhi aise hi normal se hatiyaar leke khade ho gaye...

Bua - Rupal thoda bach ke...

Bas Bua ka ye kahna tha aur Rupal didi chillate hue daud gayi unn logo ki oor....

Prof surj ne bhi apne seena ki dhanush walo ko teen chalane ko bola....par...

Bua - iske pass Earth element kaha se aaya wo bhi itna powerful...iske pass to water element tha...

Kavita - dekho ye to bahut najdik pahuch gayi...

Hua ye ki jab teer Didi ki taraf aa rahe the to unhone apne earth element ki madad se...waha pe pade bahut se patharon ko unn teeron ki oor fennk diya..naa sirf pather balki jamin ke tukde bhi..

Master - hmm baat to isme bhi hai...tum dono kya yaha program dekhne aayi ho...aage jao...

Bua aur Kavita dono hi ye sunne ke aad aage jaane lage..aur bhi teer aa rahe the..kuch ko Bua ne sambhala to kuch ko kavita adam ne...Bua ke pass Water aur fire dono element the...saath mein ye magic tricks jaanti thi...jisse ye logo ko illusion mein fassa deti aur bhi bahut kuch karti thi...wahi Kavita madam...waise to ye ek healer thi....par inke pass bhi kam powers nahi thi....naa sirf heal karna saath hi ye dusman ki body ko bas dekhne bhar se itna dard de sakti thi ki wo khud ko hi maar le...aur inka hathiyaar wo agal hi tha...

Bua Aur Kavita Madam badhti jaa rahi thi wahi Rupal didi alag hi apne mein lagi hui thi..talwar to normal thi didi ki...par usse ab wo naa sirf wo water balki Earth element bhi handle kar rahi thi...

Abhi tak jo bhi kiya tha inn tinno ne usko hamla to nahi kah sakte..ye tinno hi bas bachao kiye jaa rahi thi...aur abhi to bas teer walo ko hi ishara kiya tha Porf, Suraj ne..

Prof. Suraj - Ruk jaao...aise to saare teer hi khatam ho jaayenge...

Unse aage walo ko ishara kiya..jaha pe bhala liye log khade the...wo sab bhi apne apne element ka use karte hue aage aane lage...sabse aage abhi Rupal didi hi thi to sapse pahgle unn sab ki ek group ne unko hi ghera...wo sab bhale se unpe hamla karne lage wahi didi bhi apne element aur talwar baazi ke dum pe unse lad rahi thi...

Bua - Kavita dekh Rupal ko pakad liya...

Kavita - Yaar mujhe lagta hai wo sambhal legi...aur usme hum uski bahut help karenge...bas usko gussa dilana hai...

Ye dono aage badhte jaa rahe the aur baatein bhi kiye jaa rahe the...

Bua - batao....ye sale aate hi jaa rahe hai...waise maine nahi socha tha ye Suraj aisa niklega...

Kavita - mujhe to pahle se shaq tha...wo Nikita wala xcase nahi dekha tha..humne to usko chupa ke rakha tha fir isne kaise bata diya tha DB aur Prateek ko ki ab wo theek hai bas behosh hai...main to tab se daubt kar rahi thi...

Bua - Haa yaad aaya...tunne bataya tha...accha ab ye bata iss Rupal ki madad kaise kare...

Kavita - waise hi jaise ab tak karte aaye hai,...gussa dilao usko...Bhabhi ko dekha hai gussa hone pe kya klarnti hai...ye to bas sainik hai...aur ye bhabhi ki beti inko kaccha kha jaayegi...

Bua - Ye baat bhabhi ko batane wali hu main...(Zor se) Rupal bacchu sambhal ke...gir mat janna...

Rupal didi -(gusse mein ) Buaaaaaaaaaaaa...chup raho...

Kavita - baap re...dekha isko...ye to bomb jaisi hai....dekho to jarra...rukko iss baar main...(zor se) Rupal wo dekh wo waha pe tujhe dekh ke has rahe hai...aur wo dekh wo bol raha hai kis bacchi ko leke aa gaye hai ye...

Inn dono ki baaton se Rupal didi ko gussa aata jaa raha tha aur gussa hone pe usnki speed naa jaane kaise par bahut badh jaa rahi thi...jiskoi wajah se sainiko ko pata bhi nahi chal paa raha tha ki kab uske haath se unka hatiyaar girra aur kab unke sarir se unka sar alag hua...

Suraj - ye tinno to sab barbaad kar degi....mujhe apne patte kholne hionge....

Suraj ne pahle to aur sainiko ko aage jaane ko kaha aur khud hoda picche chale gaye jaha pe sainik jyada the....usne apne hathiyar ko alag alag kiya aur ek kuhadi se 2 mein badal liya aur apne aas pass khade kuch logo ko khud hi maar diya...
aur fir upar aasmaan ki oor dekhne laga...

jo sainik usko dekh paa rahe the wo waha se bhagne lage..ab khud ka hi seena nayak agar apne seena ko marne lage to aur kya kare bechare sainik...wo sab jaante the ki suraj ko maarna unke bas ki baat nahi thi..to wo sab ke sab waha se bhagne lage.....jo bach sake wo to bach ke nikal gaye par...saare nahi...aasaman acchanak se laal sa ho gaya..aur wahi pe ek kaali bijli kadki...jo sidha unn lasho pe thi..jinko Suraj ne marra tha....aur uske baad waha pe dhundh chaa gaya..jis wajah sesabhi rukk gaye...Bua aur Kavita tab tak Rupal Didi ke pass chale gaye...thodi der mein waha se dhundh hatta to saamne ek ajeeb sa danav tha,,,jo unhi bodies ke tukdon se bana hua tha dekhne mein itna bhada ki dekh ke hi kamzor dil walo ko ulti aa jaaye....

Rupal - ye kya hai chiiiii...

Bua aur Kaviyta ek dusre ki oor dekh rahe the...

Kavita - ye wo hai...

Bua - par sytrange world mein ye nahi ho sakta...

Kavita - par ye hamare samne hai....

Rupal - Kya hai ye...chii..dekha bhi nahi jaa raha mujhse ye...

Bua - Rupal picche jao..isko hum dono dekhenge..tumne bahut ladayi lad li...

Iss baar gussa nahi aaya RUpal didi ko wo sach mein picche chali gayi...wahi Bua aur Kavita Madam dono taiyaar ho gaye...

Bua- tum inn jaiso se ladi ho kya...'

Kavita - Haa ek baar samna hua tha...ta main Dark world ke safar pe thi....aur tum...

Bua - Fumos mein...school ki oor se ek assignment milla tha...waqt pe kiya nahi to punishment de diya....aur galti se humme se kuch log ek worm hole se hote hue waha pahuch gaye...wahi pe milla tha ye...isse kam bhada tha wo..

yaha ye sab chal raha tha wahi Prof.Suraj lage pade the..khud ke hi sainikon ko marne mein..aur jab lashen ikatha hoti to wo aasmaan ki oor dekhte aur uske baad kali bijli unpe girti aur wo laashen Daanav ban jaati thi..

Master - Rupal ab isse ladke dikhao...

Rupal - inse chiii ye to...

Master - inse nahi inko banane wale se...tumhara kaam ye hai ki ab Suraj aur jyada daanav naa bana paaye..

Itna bolne ke baad Master waha se aage badh gayi..aur wo khud bhi apne stick ke saath 2 daanav ke samne khadi ho gayi...

wo dono hi unki oor badhe...Master waise hi khadi rahi....jab dono ke dono bahut najdik aa gaye to unhone apna stick upar kiya...aur bas...phir picche muid gayi..uske baad wo dono hi patakhon ki tarah faat gaye..har jagah khoon hi khoon tha...bas...

Yaha pe ye ladayi chal rahi thi wahi Nikita aur main....pahuch chukke the Elf counrty ke sarhad pe...waha pe ek gate tha...bas gate hi laga hua tha jo ajeeb tha..matlab koi deewar nahi bas ek gate khada kar rakha hai...isse bada mazak aur kya hoga...

Main - ye sirf ek gate kyun khada kar rakhaaaaaaaaaaaaa......

Maine bolte hue ss gate ke bagal se jaane jo khali jagah thi waha se aage jaane ki koshish ki aur mainpata nahi kaise..par....aisa laga jaise...bahut hi kam samay mein maine bahut hi jyada safar tay kar liya ho..aur aisa hua bhi hoga..kyunki main ab kahi aur khada tha aur waha pe bhi ek gate tha...waha bhi kuch log the....aur m,ain bahut jyada chaunk gaya tha..theek se khada hua nahi jaa raha tha....

Wahi meri aisi halat dekh ke waha pe khade kuch log hasne lage....paar mujhe kuch samajhhi nahi aa raha tha...ki ye chal kya raha hai...

Main wahi pe jamiin pe baith gaya tha....tabhi ek choti si bacchi aayi...lambe kaan...naak bhi thodi to lambi thi hi...green aankhen..aur pyaara sa chahra...haa thoda sa ganda tha...mitti lagi hui thi uske chahre pe..wo mere pass aayi aur usne mujhe panni diya...maine uski oor dekha...aur dekhta raha...jab maine paani nahi liya to usne ek baar picche ki oor dekha....waha sayad uski Maa khadi thi..unki halat bhi jyada acchi nahi lag rahi thi..saathon mein kuch thailiyan thi...aur aankhen aisi jaise bahut royi ho...Bacchi ne apni Maa ki oor dekha aur fir waha se jaane lagi...panni leke...

Maine paani ki bottle usse le li...to waha ke darwaje pe khade hue pahredaar ne mujhe dekha aur ajeeb sa muh banane laga...fir apna kaam karne laga...

Main - sukriya...

Sayad uss bacchi ko meri baat ka matlab samajh nahi aaya..par meri aawaj nikalte hi uske kaan jo pahle thode jukke hue the wo acchanak se khade ho gaye..aur aankhen badi aascharya se...aur wo waha se apni Maa ke pass bhag gayi..

Meri samajh mein kuch nahi aaya...par paani pinne ke baad kuch kuch sahi lag raha tha main utha aur main bhi iss baar darwaje ke pass chala gaya..

Main - Dhruv ye kya tha aur Nikita kaha hai...

Dhruv - Ye...ye hai elf country ki suraksha ke liye mayavi deewar...yaha pe ander janna ho to bas aur bas darwaje se hi jaa sakte hai...aur koi rasta nahi hai..agar koi deewar se aane ki koshish kare...to wo andr nahi bahar chala jaata hai...jaise ki tum...Nikita ab tak yaha nahi aayi matlab wo tumse wahi milegi...wo ander chali gayi hogi...samajhdaar hai wo..

Maine dekh wo ladki abhi bhi mujhe dekh rahi thi...aur jab maine usko dekha to wo apni maa ke picche chup gayi...

Maine dekha ki wo dono sabse alag khade the...side mein...pata nahi kyun...thodi der nbaad mera number aaya...

P1(ye wahi tha jo muh bana raha tha) - Kya kaam hai kyun janna hai ander..

Main - Mujhe apne dost se milna hai...

P1 - Dost tujh jaiso ke bhi dost hote hai kya..naam bata...

Main - mujh jaise se kya matlab hai tumhara....DB naam hai uska...

P1 - ha ha thodi der mein Maharaj ko hi apna dost bata dena...jao waha khade ho jao...pata nahi kaha kaha se aa jaate hai...

Mujhe bhi unn dono Maa beti ke pass bhej diya....

Aurat - ye aise nahi jaane denge...

Main - Par mera unse milna bahut jaruri hai..wo sach mein dost hai mera...

Aurat - Nahi jaane dete hai ye...mujhe bhi nah jaane de rahe hai apne bhai see milne...

Main - Bhai....

Bacchi - Mummy mummy chalo naa..

Aurat - Haa beta chalte hai...tum chaho to hamare saath aa jao...kuch der baad inki badli hogi..jab naye pahredaar aaye tab unko Mele mein jaane ke baare mein kahna wo tumhe jaane de denge...

Main - hmm thik hai par ye meri baat kyun nahi maan rahe...

Aurat ne bas ek fikki si muskaan pass ki aur waha se jaane lagi...wo bacchi bhi uske saath jaa rahi thi main bhi unke picche chal diya...wo mujhe jungle ke pass leke gayi....wahi pe ek chota sa guffa jaisa banna hua tha jaha wo dono Ma beti chale gaye...

Main - Dhruv ab kya karna hai...

Dhruv - intezar aur kya,,,

Wahi dusri taraf...Nikita ko sach mein pata tha iss dewar ke baare mein tabhi to usne mere jaisi galti nahi ki..aur sayad usko laga ki main waha pahuch hi jaunga bas issiliye usne jyada kuch nahi kiya...wo bas ander chali gayi mele wali baat kah ke..

Aaj ke liye itna hi next update mein dekhte hai main kaise ander jataa hu..aur waha Master and team ke saath kya hota hai saath hi..Kya Nikita akele hi pahuch payegi DB ke pass...aur usko sab bata paayegi...
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
दोस्त आया हैं अपने दोस्त उसके राज्य को बचाने और गद्दारों को मिटाने
 

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,420
143
UPDATE - 36

Ab tak

Master aur unki team lagi hui thi Suraj ki seena ko sambhalne mein.....aur dekhne se to aisa lag raha tha sab unke kaabu mein hai....wahi dusri oor Main aur Nikita gaye the Elf country ke oor....hum waha pe ek gate ke pass pahuche...jaa main galti se deewar se hota hua dusre side pahuch gaya aur waha mujhe ek aurat aur ek bacchi milli...Aurat apne Bhai se milna chahti thi par...waha pe jo pahredaar tha wo usko jaane nahi de raha tha...aur jab maine uss Pahredaar ko bataya ki main DB ka dost hu aur usse milne aaya hu...to mujhe bhi side mein kar diya tha usne....Uss aurat ne mujhe apne saathchalne ko kaha aur main uske saath chala gaya...wahi Nikita jo jaanti thi inn sab deewaron ke baare mein wo Elf country mein pahuch gayi thi..aur wo waha DB tak pahuchne ke raste ke baare mein soch rahi thi..

Ab aage

Chaliye pahle hum chalte hai Master and team ke pass...

Master ne waise to unn do danavon ko patakhe ki tarah food diya tha...par sayad unko aisa hone ka koi andazza hi nahi tha....wo daanav fatte aur purra yaha waha bikhar gaye...par thodi hi der baad wo dono wapas se ikkatha hone lage aur ek baar fir se khade hgo gaye...

Bua aur Kavita Madam lage hue the do daanavon ke saath ladne mein....aur unke saamne bhi yahi pareshani thi....wo khatam, hi nahi ho rahe the...agar kahi chot aaye to wo khud se theek ho jaati aur mves alag se jaan jaate the ye Daanav..

Rupal didi Master ke kahne pe Prof Suraj ke picche pad gayi...Prof Suraj khud hi khud ke sena ke bando ko maare jaa raha tha...sayad plan hi yahi tha unka...yaa kuch aisa...jisko bhi wo maarte wo marta...magar uska sharir....dusre mare hue logo ke saath mill ke ek naya daanav bana deta....aur inn daanavon ki tooli mein itna daam to tha ki ye hadkaamp maccha de....Abhi tak naa to Master se aur naa hi Bua yaa Kavita madam se ek bhi daanav khatam hua tha...aur ye Suraj bhai sahab lage hue the naye daanav banane mein....

Rupal didi usko rokne ki koshish kar rahi thi....wo jaha jaata waha wo bhi jaati par...Suraj waha se bhaag jata aur apne logo ko maar deta...fir wo daanav ban jaate....

Rupal did - Ye to haath hi nahi aa raha hai....

Unhone yaha waha dekha...to ek baat badi ajeeb lagi unko...jin logo ko unlogo ne maara tha unki bodies waise hi padi hui thi....daanav bas wahi bodies ban rahe the jinko khud Prof. Suraj ne marra ho....par aisa kaise ho sakta hai ye samajh mein nahi aaya Didi ko...par itna wo samajh gayi agar unhone Prof. se pahle baaki logo ko maar diya to wo daanav nahi ban paayenge...Didi ko yahi karna sahi laga aur wo nikal gayi bache hue sainiko ko marne mein...Sainikon ki kismat hi kharab thi yaha pe...arre koi aur ladayi hoti to dusmaan ke haathon marte par yaha...yaha pe to jinke liye ladne aaye the wahi maarne mein laga hua tha...dusmano ki to baat hi naa kare to accha...

Rupal didi ne bhi unn logo ko maarna suru kar diya...aur dekhte hi dekhte waha pe bas laasen hi bachi thi...aur ek sipahion ka samuh...jiske dono side mein...Didi aur Prof. Khade the...

Sipahi 1 - Iske hatiyaar ki wajah se daanav ban rahe ha...wo lel.....

Bas itna hi bol paya tha wo sipahi ki uski gardan udda di Prof. ne...apne kulhadi ke ek waar se...par ye kaafi tha....uske sabd pahuch gaye the waha...jaha pe jaana the...Master ne wo baat sun li thi....par wo abhi 3 daanavon se ghirri hui thi...jo marr hi nahi rahe the....

Master - Rupal Uski kulhadi....usko jeetna hoga tumhe...wo mill gayi to ye sab khatam ho jaayenge...

Suraj - ye jeetegi inn kulhadiyon ko...iske baas ki nahi hai mujhe haa panna... itna bol ke wo hasne laga...

Rupal didi ko gussa aaya aur wo talwaar leke badh gayi Prof. Suraj ki oor...par wo koi aam sainik to the nahi....wo bhi Magic school ke ek prof. the.... Didi apne talwaar se halma karti ur Prof. to bas unse khel rahe the...sayad hi unhone apni kulhadi ka use kiya ek bhi baar....wo bas...apne body movements se hi Rupal didi ko thaka rahe the...Rupal didi waar pe waar kiye jaa rahi thi par ek bhi waar Prof. Suraj ko nahi lagta tha...

Wahi dusri oor Main.....

Main abhi uss aurat aur bacchi ke saath unke guffa ke bahar baitha tha...dekhne se hi lag raha tha ki inn dono ki halat bahut kharab hai...

Main - Aap yaha rahti hai...apni bacchi ke saath..

Aurat - Haa waha se nikale ke baad aur koi jagah milli hi nahi....ye ek bhalu ki guffa thi...maine usko maar diya aur yaha rahne lagi...

Main - Bhalu ko maar diya....kaise..

Aurat - Bhukh se....bhukh lagi thi meri bacchi ko....agar uss bhalu ko naa maar paati to apni bacchi ko....bas yahi dimmag mein tha aur saamne wo bhalu...aur maine usko maar diya...

Main - Par aap yaha kyun rahti hai akele...mera matlab...

Aurat - iske pita ke marne ke baad...humko kabile se nikal diya...Main bahar ki thi naa....aur jab main apne ghar aane ko hui...taaki iska khayal rakh saku to.....to ye log mujhe jaane nahi dete...maine kitni baar kaha hai ki mere bhaiya ko khabar pahucha do mere baare mein....wo bhi nahi karte ye....mere bhaiya waha ki seena mein hai...agar unko pata hota to jarur mujhe ander bulla lete par...ye log khabar hi nahi pahuchate...main 3 mahino se yahi hu...iss jungle mein apni beti ke saath...roj waha pe gate ke pass jaati hu...iunn logo se vinti karti hu par wo nahi jaane dete mujhe...

Ye sab sunn ke mujhe bhi burra laga...

Main - Aap chinta mat kijiye main...ander jaake aapke bhaiya ko aapke baare mein bata dunga...aap mujhe bataiye untak kaise pahuchna hai...

Aurat- Unka naam Leemo hai...wo tumhe headquater mein milenge...agar wo nahi mille to waha pe wo kaha hai iska pata to chal hi jaayega...tu unhe mere baare mein batana..

Main - hmm theek hai...

Hum baatein karte rahe..thodi der baad bells bajne ki aawaj aayi...

Aurat - lagta hai shift badalne ka waqt ho gaya hai...humme gate ke pass chalna chahiye....aur haa iss baar Raj Kumar ke dost ho aisa at kahna warna iss baar bhi jaane nahi denge...

Main - Par main sach mein dost hu uska...hum ek hi jagah padhte hai...

Aurat - pata nahi...agar dost hai bhi tab bhi aisa bilkul mat kahna....inn pahredaaron ko aadesh milla hua hai ki jo bhi khud ko raj parivaar ke sadasyon ka dost yaa jaanne wala bata ke ander aane ki koshish kare unhe nahi aane diya jaaye khasss kar khass dinno pe....aur aaj to khass din hi hai...aaj puja ka din hai...tumhe ander jaana ho to sabse accha hai puja dekhne aaye hai bol do...wo tumhe ek pass denge aur tum ander jaa sakte ho....par haa wo pass koi aam pass nahi hoga..usse wo tumpe nazar rakhenge...tum jaha jaha jaaoge unko pata chal jaayega...aur agar tum Raj Mahel ke ass pass bhi dikhe to tumhe bahar kar diya jaayega...

Main - Raj Mahhel ke aas pass kyun nahi janna hai ??

Aurat - tum koun ho jo ye sab nahi jaante...arre aaj ke din wo Crowned elf parivaar waale sabse kamjoor hote hai...issiliye to unke pass kisi ko jaane nahi diya jaata...yahi to wajah hai ki tum abhi yaha ho...

Main - Kamjoor hote hai ka kya matlab...

Aurat - Kamjoor ka matlab unki saktiyan unke pass nahi hoti...jab tak puja khatam naa ho jaaye...

Main (maan mein) - saayad issi wajah se aaj ke din prof. hamla karne wale hai...wo jaante honge ye sab...

Aurat- ek kissa bhi to hai unke saath aisa hone ke karan...wo kabhi aur miloge to sunna dungi..abhi chalo...aur haa naam yaad rakhna Leemo...Bhaiya se kahna ki main yaha hu...iss guffa mein...

uss Aurat ne apna naam Leemi bataya aur ussi ke saath mein gate tak pahucha aur fir waha se iss baar Puja ke baare mein bol ke main Elf counrty mein pahuch gaya....ye jagah kaafi acchi thi dekhne mein....building banni hui thi...par lakdiyon ki....sadke bhi sahi the...Main inhi sab ko dekh raha tha....fir yaad aaya ki yaha ghumne nahi aaya hu....wo to kabhi aur bhi kar lunga abhi yaha pe jo karne aaya hu wo karta hu...Maine aas pass puchna suru kya waha ke headquater ke baare mein...ye wo jagah thi jaha pe sainik raha karte the...saat mein jail bhi yahi pe tha jaha pe kaidiyon ko rakha jaaata tha...Jyada puchna nahi pada...mujhe turant hi pata mil gaya uss jagah ka...saath mein ek sawari bhi jispe baith ke mein waha ke liye nikal gaya....ye jo sawari thi wo kaidiyon ko leke jaane wali gaadi thi...aur main abhi issi pe baith ke headquater ki oor jaa raha tha...aisa karne ke liye mujhe bas Leemo ka naam batana padda...Maine kaha ki main Leemo ka dost hu...dur se aaya hu..ussi se milne..aur Puja dekhne ko...pahle to mujhse mera pass manga gaya...aur maine bhi usko dikha diya..jisme saaf saaf likha tha ki puja dekhne aaya hu...aur iss gaadi mein baitha hua ek sainik bhi Leemo ko jaanta tha to ussi ne lift dedu-i...aur main bhi chal diya...

Picche kuch kaidi the....jo sayad abhi hi pakde gaye the...aur unko leke ab jail jaya jaa raha tha...

Sainik - Naam kya bataya tumne apna...

Main - Preeko...preeko naam hai mera...

Preeko... ye naam uss aurat ne hi kaha tha bolne ko...kyunki waha pe aise hi naam common the...agar asli naam bolta to sayad yaha tak nahi pahuch pata...

Sainik - accha...

"chodo mujhe...Prateek tum ho kya...bahar nikalo mujhe....Main DB ki dost hu.."

Ye aawaj mujhe picche se aayi..aur ye aawaj Nikita ki thi..

Main(maan mein)- ye yaha kaise pahuch gayi..

Sainik - arre chup karao isko...ye log bhi naa jaane yaha pe kya soch ke aa jaate hai...manna aaj raj parivaar kamjor hota hai to kya koi bhi aise hi pahuch jaayega untak...arre hum hai apna kaam karne ke lliye...pata hai dost aaj ye tisri hai jo khud ko raj pariwar walo ki jaanne wali bata rahi hai...par pagal hai ye...isne naam bhi liya to Raj kumar ka..arre wo to uss nille planet pe padhte hai aur waha se yaha aane wale kuch hi log hai bas...aur ye unn sab mein se nahi hai...koi aur naam lena chahiye tha isko..

Hum thodi der mein headquater mein pahuch gaye jaha mujhe gaadi se utarne ko kaha...aur fir uss gaadi se sabhi kaidiyon ko nikala jaane laga...aur unhi mein Nikita bhi nikli...usne mujhe dekha par maine usko chup rahne ka isshara kiya..aur wo chup hi rahi...

Sainik - chalo dost tum unke saath chale jao...wo tumhe leemo tak pahucha denge main inn kaidiyon ko jail mein daal ke aata hu...

Main - Par inko to nikal diya jaata hai naa...naya kanoon aaya hai kya koi...wo maine sunna tha bas..

Sainik - Arre haa dost pata nahi kyun..inn logo ko jail mein rakhna inko bas bahar nikal dene wala kaanoon hi sahi tha...par pata nahi kya hua...aur hamare seena pramukh ne aise aadesh de diye....

Main - Seena pramukh wahi hai naa Maharaj ke batije..

Sainik - Haa wahi hai...wo bhi aaj wahi mahel mein hi hai...ab aadesh hai to paalan to karna hi hoga naa dost..chalo main chalta hu..tum unke saath chale jao wo tumhe pahucha denge tumhare dost ke pass...

usne wapas se do logo ki oor ishara kiya..aur main unn logo ki taraf badh gaya...

Main - Leemo se milna hai...

unme se ek ne mujhe seedhi dikhayi aur floor number bataya...

Main bhi seedhiyon se hote hue bataye gaye floor pe pahuch gaya par yaha ab usko pahchanu kaise isme dikkat thi...iss floor pe sayad canteen tha...Main bhi anfder chala gaya...aur ek table pe baithe kuch logo se Leemo ke baare mein pucha...unhone ek table ki oor ishara kiya...waha pe ek pahalwaan type banda baitha hua tha...akele...aur gusse mein lag raha tha

jinse pucha tha unme se ek ne kaha - gusse mein hai wo to thoda sambhal ke...

Main bhi dhire dhire uss table ki oor chala gaya...aur waha pe jaake baith gaya....mera baithna tha aur uska mujhe ghoorna shuru ho gaya...aur itni buri tarah se ghiir raha tha ye mujhe ki ek baar to aisa laga jaise abhi samne padi...sauce ke saath kaccha khaa jaayega mujhe...

Main - Leemi ne bheja hai mujhe...aapko kuch batana hai...

Abhi jo nazre mujhe khane ko ho rahi thi wo acchanak se hi badak gayi....aur Leemo ne ek baar to apne table ke aas pass dekha....ki koi humme sunn to nahi raha hai..uske baad bhi sayad usko yakkin nahi hua..to usne mujhe apne picche aane ko kaha...Main bhi uske picche ho liya...wo mujhe seedhiyon ke pass leke gaya...aur tab mujhse pucha Leemi ke baare mein....Maine bhi usko sab bata diya ki wo 3 mahino se kaise uss guffa mein rah rahi hai apni beti ke saath...wo yaha aayi thi usse milne par usko ander nahi aane diya...naa hi uski koi khabar pahuchayi gayi tum tak..aur baaki ki saari baatein...

Leemo ki aankhen bhar aayi meri baatein sun ke....wo turant hi waha se nikalne ko hua apni bahen ko ander leke aane ke liye...

Main - Leemo rukko...sayad abhi tumhari bahen se bhi badi dikkat aane wali hai iss jagah pe....main tumhe jo batane wala hu usko dhyaan se sunno aur mujhe ab tumhari madad chahiye inn sab ko rokne ke liye....

Leemo - Kya hua..kya musibat aane wali hai....aur main kya madad karu...

Maine usko sab kuch bataya...ki kaise ek army khadi hui hai bahar jo kisi ke ishare ke intejar mein hai...ishara milte hi wo ander aa jaayenge aur fir...par ye nahi bataya ki inn sab ke picche Maharaj ke bhatije matlab ki Elf counry ke seena ke seena pramukh ka haath hai....ek tarah se isko militry cupe kaha jaa sakta tha...Maine usko utna hi bataya jitna wo paccha sake....aur mera kaam ban gaya...usne bhi kuch afwaahein sunn rakhi thi...afwaahein ki aaj ke din kuch bada hone wala hai aur naya suraj aane wala hai jo sabhi purane chizzon ko jalla dega...aisi aisi baatein chal rahi thi waha pe...

Leemo - tum mere saath chalo...agar tum sahi bol rahe ho to ab bas wahi log hai jo hamari madad kar sakte hai aur Raj pariwaar ko bacha sakte hai...

Main - Kon log..kaha jaana hai humme...aur rukko meri ek saathi jail mein band hai yaha mujhe uso bhi nikalna hai...

Leemo - kya wo bahut jaruri hai kyunki mujhe lagta hai waqt kaafi kaam hai hamare pass....

Main - Haa wo jaruri hai....wo hamari madad kar sakti hai...

Leemo ne ek kaagaz liya aur uspe kuch likha...aur mujhe de diya....

Leemo ye lo aur Jail mein jao..waha pe tumhe ye kagaz dikhana hai wo tumhe iss bande tak pahucha denge,...usko mera naam batana wo tumhara kaam kar dega...tab tak mein ye baat unn logo ko bata ke aata hu....aur sunnio hum yahi milenge...kuch der baad...

Main kuch bolta usse pahle wo nikal gaya waha se...

wahi dusri oor..


Rupal didi lagi hui thi Prf. Suraj ke saath par wo to bas khel rahe the unke saath....wahi Bua aur Kavita madam dono hi ab 2 2 daanav sambhal rahe the aur master 3 ko...

Abhi wo sab ye kar hi rahe the ki waha pe ghantiyon ki aawaj aayi....(ye dusri ghantiyan thi...wo wali nahi jnse shift change hone ka pata chalta hai..) aawaj aate hi Prof Suraj ke kaan khade ho gaye....

Prof. Suraj - bahut khel liya tumhare saath.....waise to plan kharab kar hi diya hai tum logo ne par..abhi bhi mauka hai hamare pass...aur main isko gawa nahi sakta to ab ye khel khatam karte hai...itna bol ke unhone apni kulhaadi se ekk waar kiya...aur wo waar Rupal didi ne shield se rok liya....par waar damdaar tha jiss wajah se unka shirld hi tut gaya wo bhi 2 tukdon mein...Ab didi ke paas kewal apni talwaar thi aur apne elemental powers...Prof wapas se hamla karne hi waale the ki aachanak se waha pe bahut jyada aawajein aane lagi...chidiyin ki aawajein...cheel ki aawajein...aur dekhte hi dekhte wo pura ka pura illaka hi cheelon se bhar gaya....wo sabhi Jwala ke kabile wale the....wo saare yaha aaye hue the...aur unki leader Bijli ban ke aayi thi....

Unn aawajon ki wajah se kuch der ke liye Prof. ruk gaye...

Bua - ye to ussi ke jaise hai...

Master ne bhi upar ki oor dekha...aur bas dekhti rah gayi....sayad unko bhi pata nahi tha inn sab ke baare mein...

unn chillon ne uss purre ilake ko hi gher liya tha....waha pe unki wajah se andhera sa ho gaya tha....aur fir Bijli...apni hi speed mein utri..theek Rupal didi ke saamne...uske picche hi abhi Prof. Suraj khade the apne haathon mein wo kulhaadi liye hue...Bijli ne ek baar Rupal didi ki aankhon mein dekha...uske baad wo picche ko muddi....dhire dhire...aur usku nazar ektaak Prof. Suraj ko hi dekhe jaa rahi thi...Prof. ko samajh hi nahi aa raha tha ye hai kya...ek to itna bada size upar se apnkhon mein aag lagi hui...saath mein bijliyan alag se tair rahi thi uss aag mein...

Prof ne waar karne ka socha aur kiya bhi par yahi sayad unki galti thi....abhi tak Bijli samajhne mein lagi hui thi ki bachana kisse hai Rupal didi ko...waha pe koi tha nahi jo unpe hamla kar raha hai...par jab Suraj ko waar karte dekha to wo samajh gayi aur uske waar karne ke dauraan hi ek joor daar cheenkh maari..aawaj itni teez ki saamne khade rahne wale ke kaan kya aankhon se bhi khoon nikal aaye...aur aisaa hi hua....Prof. ka haath wahi ka wahi rah gaya...wo hill bhi nahi paa rahe the....unki aankhon se khoon nikal raha tha...Bijli aisa karne ke baad picche h gayi...wahi baaki ke jo cheel the unme se kuch to baith gaye aur kuch unn daanavon ko marne mein lag gaye...par bas wahi daanav jinse Bua lad rahi thi....baaki ke daanavon se jaise inko matlab hi nahi tha kuch...Par ye daanav to mar hi nahi rahe the..aur issi liye...ye cheel bhi kuch kam nahi the...unme se kuch ne mil ke portal khola aur seedha daanav ko utha ke jwalamukhi mein feenk aaye...jaha pe wo bahar nahi aa paaye aur jal gaye...Bua ne pahle try kar rakha tha apne fire element se...par kuch bhi nahi hua tha...daanav ki body wapas se judd jaa rahi thi...sayad wo heat kaafi nahi tha jitnni heat jwalamukhi se milli unko...

Jab aisa hua uske baad to cheelon ne dusre daanav ke saath bhi wahi kiya..aur fir saare baith gaye...bas itna hi karna tha unko...unke hisab se ab Bua aur Rupal didi dono safe the...Rupal didi iss tarah se kyunki abhi Prof. hill bhi nahi paa rahe the...

Bua ko laga sayad ye cheel inki baat manenge to unhone unse kaha ki baaki sab ko bhi khatam karo...par kisi ke kan mein juu bhi naa rengi saare cheel waise ke waise hi baithe rahe...

Bua ne wapas se kaha par koi kuch sun hi nahi raha tha...fir Bua khud chal di Kavita Madam ke pass unki madad karne ko...aur jaise hi wo untak pahuci...2 cheel udte hue aaye aur waha pe khade daanav ko utha le gaye...aur unke picche se do aur cheel aaye...aur dusre wale ko bhi...

Kavita - waah ye to kammla hai...waise ye hai kya...

Bua - Pata nahi yaar ye hai kya par abhi madad kar rahe hai...tu Rupal ke pass jaa main Madam ko free karati hu...

Kavita - Par kaise...

Bua - dekha nahi main tere pass aayi to inn logo ne tere pass wale daanavon ko khatam kar diya...ab waha jaungi to unko bhi khatam kar denge...

Itna bolne ke baad wo Mastr ki oor chali gayi wahi Kavita madam Rupal didi ke paas...wo waha gayi to Bijli unko dekhne lagi...aur wo to unpe bhi cheekhne wali thi...wo to Rupal didi ne nahi bola to wo ruk gayi...ajeeb tha bua madad maange jaa rahi thi tab to nahi sunni aur yaha pe riukne bola to sun liya...chalo accha hai..

Kavita - Rupal tu thik hai naa aur ye...

Rupal - Main theek hu...

Itna bolne ke baad Rupal didi aage badhi...Prof. ki oor...Prof. abhi bhi bas khade the...unke haath mein unki wo kulhadiyan thi jo ab hill nahi rahi thi...Rupal didi unke pass gayi aur apni talwar neeche ki aur ek ghussa maara...

:sigh: maar dena tha seedha talwar se kyun bekar mein ye sab karna...

Rupal didi ke ghussa marne se pata nahi kya hua par Prof. ek baar fir se hilne lage the...aur aisa dekhte hi Bijli ne wapas se ek ceekh maari...aur iss baar Prof. ke haath se unki kulhadiyan nicche gir gayi aur wo apne jagah se bahut jyada picche jaake girre...

Kavita madam to dekhti rah gayi...Rupal didi ko apne pankh se side mein kar diya tha bijli ne aisa karne se pahle...Rupal didi bhi ek dum hairaan thi ye dekh ke...wahi Bijli ki nazar nicche pade hue kulhadi pe gaya...usne dekha ki usse kuch kala kala sa nikal raha hai...aur ye kala jo bhi tha usko pasand nahi aaya...usne uski oor dekha aur apne muh se aag aur bijli ka ek golla uske upar de marra..jiske baad waha pe bas dhuwa dhuwa hi tha...dhuwa hata aur kulhadi wahi pe thi..wo bilkul waisi hi lg rahi thi...Bijli ne ek baar aas pass dekha...sab sahi lag raha tha usne ab waha pe naa to koi daanav baccha tha aur naa hi kuch aur jinse abhi Rupal didi yaa Bua ko koi khatra ho...Usne ek ortal khola bada sa...aur usse hote hue chali gayi apne kabile mein matlab jwala ke kabile mein....Yaha Pe sabhi ke sabhi yahi sochne mein lage hue the ki aakhir hua kya yaha pe...Master tak ko samajh nahi aa raha tha ki ye jeev the kya...wahi Bua ko pata tha ki ye bhi unhi mein se ek hai jo uss din aaya tha hamare family tree ke pass...

Wo kulhadi wahi pe thi...baaki sabhi ke pass apne pane special hathiyaar the...bas ek Rupal didi ke pass hi nahi tha..unka shield tut chuka tha aur unki talwaar ki bhi halat bahut acchi nahi lag rahi thi...

Rupal didi ne unn kulhadiyon ki oor dekha....wo unko chamakti hui dikhi aur unhone unko utha liya...kulhadi uthane ke baad hi unko kuch jhatke lage... Bua unki oor jaane ko hui to Master ne unko rok diya...ye kah ke ki wo isko sah legi to accha hoga...aur aisa hi hua...kuch der baad jhatke khatam ho gaye...aur Rupal didi ke gardan ke pass 2 nishan ubhar aate...jab bua ne unko acche se dekha tio wo kulhadi ki tarah dikh rahe the...matlab saaf tha...kulhadi ne unko apna maalik chun liya hai...par abhi yaha pe koi nahi jaanta tha ki Bijli ki wajah se kuch changes aaye hai inn kulhadiyon mein....aur wo changes acche hai yaa burre ye to aage hi pata chalega...

ye sab hua tab jaake Kavita madam ko yaad aaya ki yaha pe abhi Prof. Suraj ko bhi hona chahiye tha....unhone uss oor dekha jaha Bijli ne unko fenka tha...par wo waha pe nahi the...waha pe Prof. Suraj nahi the...naa hi unki body agar wo maar gaye hote to... matlab saaf tha wo waha se nikal gaye the...

Kavita madam ne ye baat sabko batayi....

Bua - par ab isse kya hii fark padega...uske pass koi seena to hai nahi wo kaise kuch kar paayega...mujhe to lagta hai Bacchu ko bhi bulla ke nikal lete hai yaha se...

Master - Poonam aaj ke din ek chota sa kidda bhi Elf King ko maar sakta hai aur ye Suraj to fir bhi Suraj hai mujhe lagta hai waha pe bhi koi to hoga jo uski madad kar raha hai humme janna chahiye waha aur dekhna chahiye ki kya hota hai..

Sabne yahi sahi samjha aur sabhi ke sabhi nikal liye waha jaane ke liye...

Wahi disri oor Main abhi Jail mein tha aur mere saamne ek aadmi khada tha jo mera diya hua kagaz dekhe jaa raha tha....wo kabhi kagaz dekhta to kabhi mujhe....sayad usko yakkin hi nahi ho raha tha ki ye kagaz mere pass tha....

Wo - Bas ek kaidi ko nikalne ke liye laaye ho ye...

Main - Haa main kab se yahi baat to bole jaa raha hu...ab jaldi karo...

Usne meri baat sunni ek baar aur kagaz ko dekha...aur uske baad mujhe dekha...aur kuch badbadane laga....

Main - kya hua...

Wo - Hona kya hai chalo ab...tumhari dost ko bahar nikalna hai...accha chalo ek aur mauka deta hu...koi aur kaam bhi bata do...

Main - Kya...

Wo - dekho ye jo kagaz hai ye bahut hi jyada khass hai aur isse kisi kaidi ko bahar nikalne jaisa kaam liya jaaye ye mujhe accha nahi lag raha hai...tum kaho to main kuch paise de du..yaa aur bhi koi madad...

Main - Bade ajeeb ho yaar....ye kya baat hui.....accha abhi ke liye bas meri dost ko nikal do uske baad ka main baad mein batata hu..

Wo - haa ab sahi hai....

Wo mujhe apne picche aane ko bola aur ek or leke gaya jaha pe ladkiyon ko band karke rakha gaya tha....main gaya waha aur mujhe unn sabhi ko dikha ke pucha kon hai tumhari dost...

Maine har oor dekha kahi pe Nikita dikh hi nahi rahi thi..

Maine usko pukara,...to wo ek konne mein baithi hui boli....yaha hu main...

Maine uski oor ishara kiya aur usko nikalne ko kaha....

jiske satth mein yaha aaya tha usne usko nikal diya...Nikita bahar aayi aur usne ek baar picche ki oor dekha....jaise unn sab ko khaa jaayegi..

Main - kya hua aise kyun dekh rahi ho inko....

Nikita - kisi ko nahi chodungi..sabhi ko sabak sikhaungi...yaad rakhna tu sab...

Wo gusse mein Jail ke ander wali sabhi logo ko aisa kah rahi thi...pata nahi itni der mein kya ho gaya jo madam itna gussa hui paddi hai...

Humm tinno fir waha se bahar nikle...

Main - Nikita tum theek ho naa...

Nikita - theek tumko pata nahi ye log kaise hai....aur kaun hai...mera bass chale to inn sab ko maar du...

Main arre aaram se hua kya wo batao pahle....

Nikita - wo chodo....humme jaldi se Raj Mahel janna hoga...waha humme batana hoga ki yaha ek bahut badi saazish hone wali hai.....

aadmi - Saazish..kya matlab hai iska...

Nikita - Ye kon hai...isko kaha se utha laaye...

Main - isne hi tumhe jail se nikala hai....aur kis shazish ki baat kar rahi ho tum....

Nikita - Raj Mahel pe kabza karne ki saazish..humme jaldi jaana hoga waha...warna der ho jaayegi....

Aadmi - Nahi Raj mahel mein nahi jaa sakte tum log...

Main - wo kagaz yaad hai uske badle ye kaam..

Aadmi - Nahi aisa kuch nahi hone wala hai..main mere Raja aur unke pariwar ko kabhi khatre mein nahi dalunga....

Nikita - Arre pagal wo hai khatre mein...aur ye jo itne waqt se jail bhar rahe ho naa tum sab...ye saare sainik hai dusman ke....jo bhesh badal ke aaye hai....aur kuch der baad yahi tum sabko maarne wale hai....

Main - Kya...

Admi- tumhari dost to pagal hai lagta hai...isko jail mein hi daal dena chahiye...`

Nikita - Main sach kah rahi hu....Main jab jail mein thi...to unn logo ne mujhe apni hi group ka samajh liya aur ye sab bataya hai...humme jaldi hi kuch karna hoga...

Main - Tum jaanti ho wo kaun the...kya tum unhe pahchan logi...

Nikita - Main unke head ko jaanti hu...usko turant pahchan lungi....jab wo order dene wala tha tabhi uske saathi sab shuru karne wale the...mujhe lagta hai usko marne se kaam ruk jaayega...

Main - Hmm ye bhi sahi hai...

Maine aadmi ki oor dekha...aur pucha - Kya ye kaam ho sakta hai..iss kagaz ke badle...usne thoda socha...aur uske baad muskurata hua haa bola...

Nikita - Ye itna khush kyun ho raha hai aur kon a paper....

Main - Baad mein batata hu...tum ab ye batao leader kon tha...

Nikita humme leader ke pass leke gayi....waha uss aadmi ke hamare saath hone ki wajah se humme koi pareshani nahi ho rahi thi jail mein....Nikita ne usko leader ke baare mein bataya aur usko dikhaya ki wahi hai leader...Uss aadmi ne apne kuch sipahi bhej ke leader ko bahar nikala aur apne pass bulla liya....hum bhi wahi the....Leader ne Nikita ko dekha aur Gaddaaar kaha usse...

Uska aisa kahna tha aur aadmi ne apni khanjar uske gardan pe chala di..jisse uski gardan uske saar se alag ho gayi aur wo nicche jammin pe gir gaya...

Main - humme chalna chahiye Leemo intezar kar raha hoga

Nikita - Ab ye Leemo kon hai...

Aadmi - Leemo unhone diya tha wo kagaz.....pahle kyun nahi bataya....

Main - batata to kya ho jaata...kya mahe mein jaane dete tum...

Aadmi - Nahi par main aapke liye aur bhi kaam kar sakta tha...khair chodiye...

Nikita - Arre mujhe to batao ye Leemo kaun hai....

Main - Leemo Leemi ka bhai hai...

Aadmi - Tum Leemi ko bhi jaante ho...pahle batana tha naa..

Main - usse kya ho jatta...pahle batana tha naa...kya karna tha usse....

Nikita - Ye Leemi kon hai ab...

Main -chup raho...leemo kon hai leemi kon hai..shant raho...

Leemo - Main hu Leemo aur Leemi meri bahen hai...aur sunno ek baar aur agar meri bahen ke baare mein aisa bola to main bhul jaunga ki tum kon ho...

Main -Arre yaar maine hi uske baare mein bataya tha...

Nikita - ye Leemo hai...waah body to acchi hai iski...

Main - Leemo humme kagta hai humne sab sambhal liya hai humne leader ko maar diya hai...

Leemo - Kon leader...

Maine usko sab bataya...uske saath kuch aur bhi log the...jo meri baatein sun rahe the....aur meri baatein khatam hone pe unn sabhi ka chahra hi uttar gaya...

Leemo - mujhe lagta hai jo khabar milli hai wo sahi hai...aur ab humme ispe kadde kadam uthane hi honge...

uske sath jo aaye the unn sabhi ne kuch der aapas mein baat ki....fir unme se ek bola...

"Maharaj ke saamne ye sab saabit karne ke liye humme kuch thos chahiye..jisse unko yakkin ho jaaye warna humme chodenge nahi wo......"

Main - Kya baat hai...

Leemo - humme lag raha hai ye sab hamare seena nayak ka kiya dhara hai wo sayad gaddi hadapna chahte hai...

Main - haa to phir unhe pakadiye aur khatam kariye inn sab ko..

Leemo - wo khud raj pariwar ke sadasya hai aur unko pakdna ek bahut badi baat ho jaayegi...iske liye humme sabut chahiye....

Main - to ab kya...ab hum usko aise hi chod to nahi sakte...

Leemo - nahi hum usko naa to chjod sakte hai aur naa hi uske khilaf koi kadam utha sakte hai humme bas intezar karna hoga...aur unpe nazar rakhna hoga...abhi ke liye bas yahi kar sakte hai hum...fir jaise hi humme sabut mille hum Maharaj ko dikha ke unke upar chod denge ki kya faisla lena hai....

Nikita - ye kya bakwwass hai....mujrim saamne hai usko padko aur sazza do...

Leemo - hum aisa nahi kar sakte hai...

Hum baatein kar rahe the ki aachanak se gate ke pass kuch dhamaka hua....hum sab uss oor bhage....ye saamne wala gate tha.....

Maine dekha saamne Rupal didi khadi hui thi....haathon mein kulhadi liye...aur unke picche Master aur Baaki ke dono....

Main - ye hamare saath hai...ye madad karne aaye hai....

Leemo ne apne saath aaye logo ko dekha...aur unme se ek ne unn sabhi ko ander aane dene ka hukum diya,....uska bolna tha ki unn pahredaaron ne unko ander aane diya...

Ye bhi ajeeb tha...jaisa Leemi ne bataya tha uss hisab se to Leemo ek sipahi hi tha...haa rank accha tha par itna accha nahi ki uske ek ishare pe gate khul jaaye...ye kuch alag hi tha...

Main - (admi se) wo kon hai jisne abhi ander aane ki ijjajat di...

AAdmi - wo..wo head magistrate hai yaha ke...

Main - Par wo Leemo ki baatein kyun sun rahe hai...Leemo to bas ek sipahi hai...

Aadmi - Haa wo sipahi to hai par sirf sipahi hi nahi hai...uske ek ishare pe main ..ye magistrate yaha tak ki council ke ministers bhi uska kaha maanege....wo koi aam sipahi nahi hai....wo the Archery society ka head hai...

Main - ye kya hai ab...

Aadmi - jitna batana tha bata diya....isse jyada batane ki meri haisiyat nahi hai....agar puchna hi hai to Leemo se pucho samjhe...

Main - haa samajh gaya..

Bua , Master , Kavita madam aur Rupal didi sabhi aa gaye the...main aur Nikita unke pass gaye..aur unse baatein karne lage...

Kavita madam - Suraj bach ke bhag gaya hai par haa wo jakhmi hai lagta to nahi ki wo yaha aayega..par hum koi chance nahilena chahte the to aa gaye yaha pe....

Main - Bhag gaye matlab...

Ispe humko saari kahani batayi gayi....

Leemo - Tum sab yahi rukko aur sabhi pe najar rakho...Preeko tum chalo mere sath mujhe apni nbahen ko lana hai....

Rupal didi - bahen ??

Main aapko Nikita sab bata degi abhi humme janna hai wo bahut waqt se intezar mein hai...

Rupal didi - Main bhi chalti hu....aur kahani tu hi sunna dena...

Wo bhi mere saath chaldi...Hum tinno hi ek gaadi se piche ke gate ki oor jaa pahuche...waha gaye to waha pe bahut se log pahle se hi line mein lage hue the....ander aane ke liye...aur side mein khadi thi Leemi..apni bacchi ke saath...

Leemo - Leemi....leemi...

Wo waha se turant hi uske pass pahucha...aur usko gale laga liya...Leemi ki aankhon se aasu girne lage..Leemo ka bhi wahi haal tha...aur wo bachi wo samajhne ki koshishkar rahi thi ki ho kya raha hai kyun roo rahi hai uski maa...

Leemo aur Leemi mein kuch der baatein hui..aur uske baad..Leemo unn dono ko leke wapas se ander aane ko hua...tabhi usko wo pahredaar dikhe....jo naa to uski bahen ko ander aane de rahe the aur naa hi uske diye hue sandesh bhej rahe the...gusse se unn sabhi ko dekha usne aur waha se ander aaya....

Main aur Rupal didi ye sab dekh rahe the...raste mein hi main unko puri kahani suaye jaa raha tha ki main yaha kaise pahucha aur ye sab kaise hua...wahi...unhone bhi mujhe cheelon ke baare mein bataya...aur bijli ke baare mein bhi...

Mujhe laga maine kuch jyada hi bol diya tha Jwala se aaj...mujhe usse wapas se baat karni chahiye yaha se wapas jaane ke baad...

Hum sab waha se leemo ke ghar mein pahuche...ghar pe koi nahi tha...Leemo ne shadi nahi ki thi abhi tak..wahi uske parents bahut pahle hi gujar chukke the to wo akela hi rahta tha...Master aur baaki sab bhi waha pe aa geye..unn sab ne tay kiya tha ki aaj ka din khatam hone tak hum sab wahi rahne wale hai..aur kal hum niklenge waha se...magar inn sab ke baare mein kisi ko bhi pata nahi chalna chahiye...kisi ko iss baat ki khabar nahi padni chahiye ki hum waha aaye bhi the...

Raat hui hum sab ne khana khaya...aur fir sabhi sonne ko jaane lage....

Mujhe neend aane hi waali thi ki Master waha aayi aur mujhe utha diya....sirf mujhe i nahi balki sabhi ko...Nikita kuch pareshan lag rahi thi...

Master - humme janna hoga..

Main - Abhi iss waqt...

Nikita - Haa yahi sahi hoga...

Bua ne bhi aisa hi kaha..aur fir bas...hum saab raat ke andhere mein hi waha se gate ke pass gaye...ab bahar kaise jaaye ye sochne wali baat thi...hum sab waha pe khade soch hi rahe the ki picche se Leemo ki aawaj aayi....aur usne mujhe bulaya..aur mujhe wapas se wo kagaz ka tukda diya..aur usko pahredaaron ko dene ke liye kaha....

Maine waisa hi kiya aur hum sab ko bahar jaane diya gaya...hum bahar aaye aur uske baad wapas se jungle mein ussi ghar mein jisse hum yaha aaye the...aur mirror se hote hue hum wapas se School mein aa gaye the...Rupal didi unn safed patte wale ped ki madad se bahar gayi fir bus se ghar chali gayi wahi main...apne room mein chala gaya...raat kaafi ho gayi thi aur to main spo gaya...sone ke saath hi main pahuch gaya wapas se apne training ke liye..

aaj ke liye itna hi...abhi kuch jyada hi gap ho jaa rahe hai...inn gaps ko kam karne ki koshish hogi aur update regularly aaye iski bhi koshish ki jaayegi...tab tak ke liye :ciao: next update raat ko aa jaayega yaa agle subah..
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
 
Top