★ INDEX ★
☟
☟
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Last edited:
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Excellent update broUPDATE -12
AB tak.....
Kal raat ko kuch seniors aaye the....aur hamara unke saath panga ho gaya....wajah thi ki kuch stuudents unke bulane pe bhi talab ke kinare nahi gaye the...unme se main bhi ek tha......thodi ladayi hui jinme unki halat kharab ho gayi wahi kuch aisa bhi hua jo mere liye sawal khade kar raha tha....Baad mein Principal sir aaye aur unhone Pankaj aur uske ladko ko apne office mein aane ko kaha...fir sab room mein gaye aur so gaye....
Ab aage....
Subah hui...Main utha bilkul fresh....har baar ki tarah....Room mein kuch to hai....pata nahi kya jo mujhe hamesha sahi kar deta hai....
Abhi yahi koi 4 baje honge...main taiyaar hua aur nikal gaya meditate karne ko...wahi jaha 2 din se karta aa raha tha....Aaj bhi koi nahi tha waha pe....main baith gaya aur karne laga meditate.....par aaj kuch alag sa lag raha tha...matlab...body thodi halki lag rahi thi....
Aaj bhi jab aakhen khuli to bagal mein Bua thi aur dhyaan mein baithi thi...maine unki oor dekha aur fir apni jagah se utha.....jaise hi utha to koi kagaz ka tukda nicche jammin pe girra maine jab usko utha ke dekha...to pata chala ye Bua ne likha tha....
"Taiyaar hone ke baad sidhe mere office aana.....baat karni hai..."
Maine usko padha ek baar wapas mudke Bua ko dekha wo baithi hui thi dhyaan mein...main waha se fir nikal gaya room ke liye...room mein jaldi se taiyaar hua aur fir...nikal pada breakfast ke liye....waha pe mujhe aaj bhi...DB ne apne saath bithaya par....par wo kuch pareshan sa tha.....wo baar baar meri oor dekhta fir...jab main usko dekhta to wo yaha waha dekhne lagta aur khana khane lagta....mujhe samajh nahi aaya isko kya dikkat ho gayi ab....
Maine fir jyada dhyaan nahi diya khana khaya aur chal diya Bua ke office ki oor....waha pahucha to bua....koi kitab liye baithi thi....aur gaur se usko dekhe jaa rahi thi....
Main - Madam aapne bulaya tha....
Bua - Yaha koi nahi hai Bua bhi kah sakte ho.....chalo aao aur baitho yaha pe....
Main bhi jaake unke saamne chair pe baith gaya.....
Bua - Nasta kiya...
Main - Haa
Bua - Madam ne tumhe kya kya sikhaya hai....
Main - Master ne....hmm...bahut kuch jaise dhyaan lagana....khana pakana....figghting...
Bua - Fighting mein kya kya shikhaya hai....
Main - Fighting mein bas free hand fighting techniques sikhaya hai jaise main Jiu-jitsu, Karate, Boxing, aur kuch arts shikhaye the..
Bua - Nahi kuch aur bhi sikhaya hai jo tum bata nahi rahe....
Main - Main bhala kyun nahi bataunga....aap bhi naa bua...maine wo sab abataya jo mujhe aata hai.....aaj tak bas yahi sab sikhaya hai Master ne....aur fir meditation aur Yoga...aur aapko aisa kyun lag raha hai main jhoot bol raha hu....
Bua - Jhoot bol rahe ho aisa main nahi bol rahi Bacchu....main bas ye kah rahi hu sayad koi aisi bhi art Madam ne sikhaya hai jiska naam tumhe yaad naa ho...aur tum bata nahi paa rahe....
Main - Nahi Bua aisa nahi hoga...mujhe har ek art ka naam yaad hai...Master ne to mujhe unse related books bhi di thi taaki unko padh ke aur jyada knowledge gain kar sakku...
Bua- Hmm par kal jo tumne kiya usko dekhte hue koi bhi kahega ki tum bahut se aise fighting techniques jaante ho jo...sayad hi koi yaha tumhare umar ka jaanta hai....
Main - Kal jo bhi hua usme unn logo ki hi galti thi....wo Mom dad ke baare mein ulta sidha bolne lage aur fir mujhe...mujhe....
Bua - Haa gussa aaya aur tum sab ne unlogo ko maara...
Main - Haa Gussa to aaya hi tha par...kuch aur bhi hua tha....
Bua - Aur kya hua tha batao....
Main - Wo....jab mujhe gussa aaya to fir kuch hua aur unki najarein humse hatti aur phir humne unko maarna shuru kiya....par mujhe ye yaad nahi ki main maar raha tha yaaa nahi....main to..main kahi aur hi pahuch gaya tha mujhe kuch dikh bhi nahi raha tha....fir ekdum se ek eagle dikha aur meri aankhen band ho gayi....jab aakhen khuli to main pit raha tha unn tinno ko....
Bua meri baat bahut dhyaan se sun rahi thi....
Bua - Eagle dikha tha ???
Main - Hmm uske pankhon mein se aag ki lapte nikal rahi thi,....
Bua ne ek baar mujhe dekha....aur phir boli...
Bua - Jab tak master naa aaye tum sambhal ke rahoge...aise kisi bhi ladayi mein nahi fasoge....samjhe....aur haa ye jo bhi tumne bataya wo kisis aur ko mat batana....
Main - Hmm thik hai....
Bua - Jao apne class mein late naa o jaaye.....accha sunno ye eagle wali baat ye pahle bhi kabhi hua hai kya....
Main - Nahi kabhi nahi ye pahli baar tha....kya kuch galat hai....
Bua - Class mein jao aur meri baaton ka dhyaan rakhna agar kuch gadbad hui...to samajh lena....aur Haa Master to hai nahi aur main bhi Saturday yaani kal ghar jaa rahi hu....aur tum bhi chal rahe ho....
Main - Main par.....
Bua - Ispe baad mein baat karenge abhi jao jaldi se...late hue to soch lena...
Main jaldi se waha se wapas apne room mein gaya aur apni testing shield li aur chal diya...jaldi se Castle W mein waha pe apne class mein.....Waha time pe pahuch gaya mein...Class mein gaya aur theory ki class shuru hui...usme aaj kuch khaas weapons ki baatein batai gayi aur jyada kuch nahi...fir baari aayi practicles ki....aaj sab ready the sable pass apna apna shield tha...Maine jab shield nikala apna to ek baar to sab hasne lage...par...Professor Suraj ne sabko shant karaya....Aaj 2 - 2 ke group mein rahna tha....sab log apna apna group bana ke taiyaar the...bacche hue the Main aur DB....DB ke saath koi issliye nahi jaana chahta tha kyunki uska element sabse alag hai aur yaha kisi ko uske baare mein jyada samajh nahi thi abhi to...aur mere saath ulta tha....mere passs koi element thi hi nahi to kisi ko mere mein interest hi nahi tha....last mein main aur DB bacche to hum dono hi ban gaye....partners..
Kuch niyam batane ke baad Prof. Suraj ne unn hathiyaron ko ham sabke saamne rakh diya....par aaj bhi naa mujhe aur naa hi DB ko kuch karne ko milne wala tha....humme hi nahi baaki ke kisi ko bhi kuch nahi karne ko milla.....darasal hua ye ki 1 jode ne Prof. ke bataye hue niyam ko maana hi nahi aur galat tarike se uss Hathiyar ko uthane ki koshish karne lage aur dono hi ghayal ho gaye.....Prof. se class wahi pe khatam kar di ay humme jaane ko kah diya....aur khud unnn dono ko hawa mein udate hue le gaye...apneSchool ke medical department mein...wahi hum sab bahar chale gaye abhi Magic class mein time tha to main apne room mein jaane laga tabhi....DB ne mujhe roka...
DB - Prateek mujhe tumse kuch puchan hai....
Main - Hmm puccho...
DB ne aas pass ek baar dekha....waha waise tha to koi nahi par fir bhi bande ko pata nahi kya hua wo mujhe apne room mein leke gaya....uska bhi koi room partner nahi tha...wo bhi akele rahta tha mere jaise...usne mujhe chair pe bithaya...aur khud bed pe baith gaya...
Main - Kya baat hai yaha kyun laaye ho mujhe...baat waha bhi kar sakte the naa...
DB - Agar kar sakta to jaroor karta...accha chalo apne baare mein batao main jaana chahta hu tumhare baare mein tumhare family ke baare mein....
Main (Maan mein) - Ye isko kya hua....meri family ka kyun puch raha hai ye....aur main isko bataun bhi to kya bataun....khud hikuch pata nahi mujhe...
Main - Family ke baare mein ???
DB - Dekho main issi liye yaha leke aaya hu tumhe...taaki jaan ye baat sirf humtak hi rahe....kal jab tumhe ladte dekha to...to bilkul unhi logo ke jaisa tha.....
Main (maan mein) - Ye kiske baare mein baat kar raha hai,...Mom dad ke baare mein....kya ye jaanta hoga unhe....
Main - tum kiski baat kar rahe ho....
DB - main....
Abhiu wo kuch bolta usse pahle hi kisi be darwaja khatkhataya....wo utha aur darwaja khola...samne koi staff ka tha...wo usko Principal ke cabin mein bulane aaya tha....aur jab uski nazar mere upar padi to mujhe bhi chalne ko kaha....
DB ke puchne par bhi usne bas itna hi kaha ki usko nahi pata kis kaaran se bulaya jaa raha hai humme....wo bas bulane aaya hai....
Main aur DB dono uthe aur chal diye Principal ke office ki oor...par raaste mein hi humme ek ladka millaa...aur uske saath kal jo pitte the wo sab bhi the....
Maine dekha kal jo hamare saath 2 aur ladke the wo bhi aa rahe the humare picche....aur jo humme bulane aaya tha wo wahi se chala gaya picche mudd ke....matlab saaf tha Principal ne nahi inn logo ne humme bulaya tha....Jo bich mein khada tha wo Pankaj tha....aisa picche se aa rahe dono baat kar rahe the...
Pankaj - To tum log ho jinki wajah se....mujhe principal se sunna pada...
DB - Nahi hamari wajah se nahi apne inn chamcho ki wajah se...agar ye binna bawal kiye nikal lete to accha tha...
Pankaj - Elf prince...jyada akad hai tere mein....tu prince hoga...apne jagah pe....ye mera ilaka hai yaha bas mera raaj chalta hai...aaj bas muhdikhayi ke liye bulaya tha...tum charo ko....Waise jarurat to iski bhi nahi padti...par kal jo hua...uski wajah se bach gaye tum sab warna kal hi samjha deta...
DB - Kal wale wo pacho dikh nahi rahe hai.....abhi tak hospital mein hai kya....
Main - Paach nahi 6 ek aur tha jo mere darwaje ke pass pada hua tha wo bhi nahi dikh raha hai...
DB -Matlab tera score 4 tha...yaar tu to mere se double maara...
Pankaj - Haa udd lo....par yaad rahe....ab tum bas juniors nahi rahe mere...meri nazar hamesha rahegi tumpe.....
DB - Ye to acchi baat hai humpe dhyaan dene ke liye itne log hai.,...waise ek baat dhyaan rahe...aaukkat ke bahar maat jaana apne...warna kya hoga...wo nahi jaante tum...aur haa apne chelo ko samjha do ki baat kaise karte hai....
Abhi aur baatein hoti par tabhi wah Prof. Suraj aa gaye....
Suraj - Ladko kya baatein ho rahi hai....Pankaj...class hhai tunmhari aur tum yaha....
Pankaj - Classes to roj hoti hai...aaj inse milne ka dil kiya to milne aa gaya....
Suraj - Hmm to ab mill liye naa ab niikalo saare...
Sab apne apne jagah jaane lage...wo Pankaj jaate hue humme dekh ke muskura raha tha...
DB - doston jyada to nahi bol diya naa...
Main - Haa thoda sa.,...
2nd - Nahi yaar inko aise hi samajh aayega.....chalo ab class ka bhji waqt ho raha hai...
Hum charo chal diye,...class mein...
Magic class mein aaj Bua nahi aayi thi koi assistant Prof. aaya tha...usne bas theory karayi aur humme jaane ko kah diya....hum bhi aa gayue....Main wapas se room mein jaa ho raha tha ki DB ne mujhe fir apne room mein bulaya...ur ek kitab di....
Kitab ka naam tha The unknown worriors....
Main - Ye kya hai.....
DB - tum to bataoge nahi apne baare mein...par main sayad jaanta hu kuch...aur dost hu to madad bhi karunga....Ye kitab lo aur isme jo hai usko padho....jaha tak mujhe yaad hai iss Kitab ke ek character ne bhi bilkul waise hi ladayi ki thi jaisa tumne ki hai...
Maine kitab ko ulat palat ke dekha...to usme likha tha ye fiction hai.....
Main - Ye to sayad kisi ke dimmag ki upaj hai bas...
DB - Ye original kitab nahi hai dost...par usse bahuit milti julti hai...Library of Gods mein joki Titan planet pe hai...ek kitab hai....kitab nahi dairy hai...ek yodha ki...jisko sambhal ke rakha gaya hai...iss kitab ke auther ne wo kitab padhi aur fir uss kitab mein kuch kuch changes karke chapwa diya.....aur ye baccho ki kitab ban gayi....jab main chota tha to issi kiytab ki kahaniyon ko padha karta tha...Jab tumhe kal unn tinnno ko pitte hue dekha....to wo bilkul waisa hi tha jaisa iss kitab mein tha....pata nahi kyun par mujhe lagta hai tumhara koi connection hai usse...
Main - Majak to nahi kar rahe naa tum.....
DB - Nahi bilkul nahi....
Main - Hmm thik hai main padhta hu isko....chalo chalta hu.....
Main nikalne ko hua ki kittab mere haath se gir gaya jab usko uthaya to saamne ek page tha.....aur page pe....Ek eagle ki tasweer thi aur uske pankhon mein aag thi....maine kitab band ki aur usko leke room mein aa gaya....
Rooom mein aate hi main sochne laga wo wahi tha....wahi eagle jo maine dekha tha......par ye kitab....kya DB ki baat sahi ho sakti hai yaa bas ye ek ittefaq tha...pata nahi....Master bhi nahi thi yaha pe ki unse iske baare mein baat karu....Bua se baat kar sakta tha....par wo class mein bhi nahi aayi thi sayad bahar hgayi ho.....maine uss kitab ko side mein rakha aur wo moti kitab.,...Shields wali usko padhne laga....maine usko pahle shuru kiya tha to usko hi padh lena sahi laga miujhe waise bhi uss opic se related padhayi honi bhi thi class mein to agar mujhe pahle se pata ho to waha aasani hogi......
Thodi der Kitab padha maine wahi dictionary ke help se....fir khana khane ka waqt aa gaya aur main khana khane chala gaya....waha se aaya au wapas se kitab padhne laga...usme ek chiz mujhe bahut ajeeb lagi aur samajh mein nahi aayi....wo tha Shields pe sign bane hue shields....ye kuch hi the.,...aur ajeeb se dikhte the....ye kaha se aaye iska kuch pata nahi diya hua tha Kitab mein....maine usko note kiya....aur fir sone ki taiyaari karne laga...bahut thak gaya tha aaj ......
Bed pe gaya aur turant neend aa gayi....
Chalo aaj ka yahi tak rakhte hai next update mein.....Kuch naye shields ke baare mein jaanege...saath hi Prateek ke pass jo shield hai uske baare mein bhi aur Slayer bhi dikhega....saath mein...Prateek apne Dada dadi se milne jaayega yaa nahi ye bhi....
To banne rahiye
Mast update broUPDATE - 13
Ab tak
Maine uss kitab mein se kuch baatein note ki thi jo thi unn shield ke baare mein jinpe...wo symbols bane hue the....Fir raat kafi ho gayi thi to main so gaya....
Ab aage
Next day....
Main utha wahi 4 baje aur fir wahi taiyaar hoke dhyaan wali jagah ke liye nikal gaya.....waha pahucha to aaj Bua mere se pahle waha pe aayi hui thi...aur dhyaan mein baithi hui thi....maine bhi unko disturb nahi kiya aur khud baith gaya dhyaan mein....Dhyaan mein baithne ke baad aaj bhi kuch alag hua....mujhe aankhen dikhayi di....kisi panchi ki..... choti si aankhen thi....par darawani....unn aankhon mein mujhe khud ki hi ek tasweer dikhayi de rahi thi par.....jas haalat mein main dikhayi de raha tha wo...kuch alag hi tha....
Main khud hi dekh ke dar gaya...usko....Maine jab apni aankhen kholi....main Bua ke cabin mein tha,......Bua ne mera sar apne goad mein rakha hua tha aur wo ro rahi aur bole jaa rahi thi....
Bua - Kya hua...tum theek ho naa...tum guir kaise gaye....aur...
Aise hi bole jaa rahi thi wo....
Maine jab unko rote hue dekha to apne haathon se unke aashu saaf kiya....tab tak sayad hi unhe pata chala tha ki main jaag gaya hu....aaj Bua ko mere liye aise roote dekh pata nahi kyun acccha bhi lag raha tha mujhe....sayad issliye ki koi mil gaya mujhe jisko meri kadar hai...jo mujhse pyar karta hai.....Master thi to pahle par....wo sayad hi mere liye kabhi...royi ho....wo to mujhe bas apni ek jimmedari hi samajhti thi....aur samjhe bhi kyun naa main bhala tha hi kon unka....par aaj Bua ko dekh sach mein meri bhi aankhon se aashu nikalne lage the....
Bua - Tu tu thik hai naa kya hua tha tujhe...tu cheekha kyun tha...
Main - Pata nahi main bas dhyaan mein baitha tha aur fir.....
Bua - dhyaan mein baithe baithe thodi naa koi aise hi cheekhne lagta hai....kuch to hua tha...batao...
Main - Wo bas main dar gaya tha kuch dekh ke aur fir jab aankh khuli to main apni pyari Bua ke pass tha....
Bua - Dar gaye the....dhyaan mein baithe baithe....kaise....
Main - Wo jab main dhyaan mein baitha naa to bas...kisi panchi ki aankh dikhi aur uske aankhon mein main tha...aur khud ko dekh ke dar gaya aur....
Bua - Khud ko dekh ke daar gaye....kya bol rahe ho...aur panchi kaha se dikhne lage tumhe.,..ai.....ek minute...aisa pahle bhi hua hai kya...
Main - Haa wo uss din jab ladayi hui thi naa uss din bhi aisa hua tha....mujhe gussa aaya aur fir ek cheel dikhayi diya tha jiske pankhon mein aag laga hua tha....
Meri ye baat sunke Bua ke chahre ke rang badal gaye.....
Bua - Yahi rahna main abhi aati hu....
WO ye bol ke chali gayi....main jo ab baith chukka tha wo wahi pade hue...paani ko pinne ko paani lene ke liye uttha....glass mein panni liya...to wo bhaff pan gaya...evaporate ho gaya....maine apni haath ke oor dekha to haath mein aag laga hua tha....
Main - Aa...aaagg...ye kaha se aay..
Maine dusre jag se pura pani uss haath pe gira diya par...wo aag waise hi rahi...aag kam hone kaa naam hi nahi le rahi thi....agar ek baat thi uss aag mein waise jalan nahi thi...mujhe to pata bhi nahi chalta iske baare mein agar dekhta nahi....par kya Bua ne isko dekha tha...nahi dekha hoga agar wo dekhti to thodi naa jaati....main koshish kiye jaa raha tha usko kam karne ki par kuch ho hi nahi raha tha....tabhi cabin ke ek khidki ki ek kaanch tuti aur usme se ek cheel aaya aur mere ussi haath pe aake baith gaya....yaha pahle se fatti padi thi aur ye alag hi hai jo pata nahi kaha se aa gaya....
Par jo hua wo dekhne laayak tha....mere haath mein aaate hi mere haath ka wo aag uske upar chala gaya aur wo bilkul ussi tarah dikhne laga jaisa maine uss din dekha tha....Abhi main usko dekh raha tha ki darwaja khulne ki aawaj aayi...aur main waha dekhne laga tab tak wo cheel jaa chuka tha.....par kaha se....ye pata nahi...
Bua - Tu khada kya kar raha hai...bola tha naa baitha rah...
Main - Wo...wo waha....
Maine jab uss kaaanch ki or dekha to wo tuta hi nahi tha.....ye aakhir kya tha mera...vahem yaa fir kuch aur...samajh nahi aa raha tha...
Bua - Tu jaa aur bauith waha pe....Kavita....cheak karo isko....
Kavita - Ye hai School ke medical department ki haed hai...aaur Poonam ki saheli bhi....
Back to story
Kavita ji mere pass aati hai aur fir mujhko kisi energy ke golle mein band kar deti hai....Ye mere liye pahli baar tha to dar to lagna hi tha,,,,main usko khud ko nikalne ke liye kahne laga par....
Bua - Chup raho aur sidha baithe raho...dekhne do isko...
Main baith gaya....
Thodi der baad...Kavita ji ne Kaha...
Kavita - Hmm waise to sab normal hai...sayad kisi ne magic kiya tha ispe jo ab tut gaya hai...
Bua - Magic kaisa magic...
Kavita - Arre wahi sammohan wala....koi isko apne bas mein karna chahta tha sayad....par ye paaka nahi kah rahi hu ye bas andaja hi hai....
Bua - Tu pakka kyun nahi bata rahi hai inttne time se to practice kar rahi hai....
Kavita - Haa kar rahi hu par.,...iske saath samajh nahi aa raha hai sab itna jyada normal kaise dikh raha hai...aisa lag raha hai ye kabhi bimar hi nahi hua....
Bua - Ye to sahi hai naa ki ye bimar nahi hua...
Kavita - tu nahi samajh rahi hai...chalo chodo...abhi ye sahi hai koi dikkat nahi hai...(mujhse) hmm class kar sakte ho ab tum chalo jao mujhe isse baat karni hai kuch....
Itna bol ke unhone mujhe uss energuy ke golle se bahar kiya aur main...bahar jaane ko utha hi tha ki...
Bua - Tum class nahi karoge,....room mein jaao aur aaram karo....
Main - Par Madam....
Mere aise bolte hi unhone apni aankhen dikhayi....aur main bhi chup chaap apne room mein aa gaya....
Ab class mein jaana nahi tha...iss waqt neend nahi aayega...Maine wo DB ka diya hua kitab nikala aur uisko padhne laga...wahi wo unkonwon worriors aisa hi kuch tha sayad.....uss kitab mein bas kahaniyan thi...sach hi kaha tha usne....par kahani thi badi majedar.....jab tak main uss hisse mein nahi pahucha jaha pe....mere testing shield ka ek sketch aur saath hi wo cheel ka bhi sketch nahi milla...
Wo hissa kuch aisa tha ki....Titan planet pe jaha Devta baste the unme kuch aise bhi the...jo superiors maane jaate the...unke power ki koi seema hi nahi thi....Wo sab log meditation se uss mukkam pe pahuche the....par...dikkat ye hui ki...Titan planet ke Raja ko unse jalan hone lagi....kyunki wo unse jyada takatwar the....par wo apno ke prati bhi jaagrukt rahte the....ab jab aisa kuch hua to...Devtaon ke raja ne kuch ilzaam lahga ke unko nikal diya waha se...wo bhi chale gaye apne pariwar walo ke saath par....Raja ye nahi samajh paya ye sab kuch....Lucifer ki chal thi.....usne aise situations bana ke dikhaye raja ko ki wo apne yaha ke sabse shaktishali logo ko hi nikal de....Karib 10 pariwaar the jo nikal gaye the isse....unme se 2 parivaar aise the...jinko nafrat si ho gayi ab apne Raja se...unka bas chalta to wo abhi jaake Titan pe hamla kar dete aur fir waha rajya karte par....unke group ke head ko ye manjoor nahi tha....wo saare ek chote se planet pe chale gaye...aur wahi pe rahne lage....uss planet pe pahle bhi log rahte the....Ek din ki baat hai kisi kaaran unnsab mein bhi annbann hui aur wo sab....ab waha se nikalne ko ho gaye...sab bichad gaye...aur yaha waha chale gaye...unn 10 parivaaron mein se 2 Strange world mein aa gaye....aur unhi mein se ek ne wo School ki sthapna ki....wahi 2 aise the jo Dark world mein chale gaye....aur wahi ke ho gaye.....kuch hi waqt baad unka kopi pata nahi raha....jo baaki ke 6 bacche unme se....3 aise hi Orion pe chale gaye aur wahi ke ho gaye....waha pe wo jaadugaro ke saath rane lage....baaki ke 3 pata nahi kaha gaye....unka kuch pata hi nahi hai....logo ki maane to wo aaj bhi issi brahmaand mein hai...par sabse chuppe hue...apne leader ki talash mein.....
Jo inka leader tha wo pata nahi kaha chala gaya.....bas numbers ka hi pata tha ki itne yaha gaye...itne waha gaye...par ye nahi ki kon kaha gaya....
Unke alag hone ki wajah thi unke powers aur hatiyaar....unka jo leader tha usne wo sab kuch ek jagah pe band kar diya tha...ek guffa mein....aur uske aas pass ek aisa ghera jisko tod paana tab tak mumkin nahi jab tak wo 10 ke 10 waha nahi ho...ye usne issiliye kiya tha taaki kabhi koi gussa hoke....Titan planet pe hamla na kar de,,,,shuru mein to sabko ye manjoor tha par bitte waqt ke saath ye sab badal gaya....fir issi baat ko leke wo sab bichad gaye....
Maine puri kitab padh daali....mujhe wahi 10 shields ka pata chala par...wo alag thi aur meri wali alag thi...matlab unme se ek pe wo Eagle ka symbol tha to par wo testing shield nahi tha...wahi mera shield testing shield tha,,,,jo sayad unhi logo mein se kisi ke baccho ka ho jo mere pass pahuch gaya hai....main soch ne laga kya ye sab...jo bhi wo cheel ka dikhana abhi mera behosh hona ye sab...sab issi shield se to nahi mille hue the....
Par koi niskarsh nahi nikala....
Maine uss kitab ko pura kiya aur fir uss portable library mein haath daal ke special shields ke baare mein sochne laga...to ek purani si kitab nikali....
Main usko dekhne laga....
1st page mein 101 special shields ka title likha hua tha...yahi naam tha iss kitab ka...main page palatte gaya....aur mujhe bahut tarah ke shield milte gaye....tarah tarah ke shapes ke....colours ke....aur saath mein mahnge aur saste bhi....kul 101 the unme...par meri nazar gayi kuch purane walo pe....jinme se ek DB ka tha.....Crowned Elf family ka ek alag hi shield hai....waise hi kuch aur bhi families hai jinke alag shields hai...jinka use kewal wo hi kar sakte hai....par kyun...aisa kyun hai...
Main wo puri kitab ko padha par aisa koi bhi Shield nahi milla jisme Eagle ka symbol ho....par jab main kitab band karne laga to uss kitab ke back side pe mujhe uss The Unknown worriors Book ke baare mein likha milla....usme likha tha....
"ye shields Sayad aaj bhi hai par sabki najaron se door hai...ab ye afwah hai yaa sach iska pata kisi ko nahi hai..."
Main ye sab padh raha tha...waqt ka bhi pata nahi chala mujhe....kab shaam hui kab raat.....wo to DB ne aawaj lagai tab hosh aaya mujhe....wo aawaj de raha tha main room se bahar nikla...wo puchne laga kya hua class mein nahi aaye aur ab dinner bhi...
Main - Arre wo main bhul gaya tha kitab padh raha tha to bas....
DB - KItab padh rahe the to khana bhi bhul gaye....waah....tumhe mere jagah pe hona chahiye tha....mere Pita ji ko tum bahut pasand aate....wo hamesha se koi aisa hi beta chahte the...par milla main...
Main - Accha wo chodo chalo dinnner kar aate hai...
Fir hum tinno chal diye dinner karne ko....dinner ke waqt aaj wo mujhe class ke baare mein bata raha tha fir apne family ke baare mein batane laga.....mujhe uski baatein sun ke bahut mazza aa raha tha....main aksar...school mein bhi logo ko apne family ke baare mein baatr karte hue sunta tha...accha lata hoga naa koi apna hona...tabhi mujhe Bua ki baat yaad aayi wo mujhe le jaana chahti thi Dada dadi ke pass....par maine abhi Haa nahi ki thi...maine soch liya yaha se jaane ke baad mein unse bol dunga ki main ready hu jaane ko.....
Maine jaldi se dinner kiya aur fir...unke pass jaane ko nikal gaya...DB ko maine uske room mein jaane ko bol diya tha....
Main Bua ke cabin mein pahucha...waha dekha...Bua abhi bhi uss Kavita madam ke saath thi...sayad baatein kar rahi thi...ab kya ye to wo hi jaane....Darwaja khula tha to bas ye dekha tha maine...phir darwaje pe knock kiya ...
Bua - Aao ander aao bahar kyun ho....
Main bhio ander chala gaya....
Kavita madam - Haa kaho kya baat hai....
Main - Wo main ...wo Madam se baat karne aaya tha....
Kavita - Haa to bolo naa...
Main - Nahi main baad mein aata hu...
Main jaane ko hua to Bua hasne lagi....
Main mudda...
Bua - Isko maine bata diya tha subah hi ye bas majak kar rahi hai....chal bata kya baat hai...
Main - Oo aisa kya....Haa wo main ready hu aapke saath chalne ko...
Bua - Ready hu....maine tujhse pucha nahi tha Bacchu maine tujhe bataya tha ki tujhe mere saath chalna hai...agar tu naa bolta naa tab bhi le aati tujhe...Wo chod ye bata ab kaisi hai tabiyat...aaram kiya naa...
Main - Haa tabiyat sahi hai...waise bigdi bhi nahi thi....jabardasti aaram karne ko kaha aapne aaki wajah se claases miss ho gayi...
Bua - Bada aaya classes wala....tujhe fikar karne ki jarurat nahi classes ke liye....main dekh lungi sab,,,,
Main kuch nahi bola...aur waha se nikal gaya...room mein aaya aur sone ki taiyaari karne laga...
Chaliye issko yahi chod hum ek nazar apne Slayer pe daalte hai....wo abhi Dark worrld ke andhere gufaon mein tha...uske aas paass...phir bhi roshani thi...aas paas dekh jaa sakta tha....wo dekhne mein bahut takatwar lag raha tha....uske dono baajuon pe tatto jaise kuch banne hue the....ek pe saaanp aur dusre pe....ek bhediya.,....
Aaj ke liye itna hi aage ka next update mein dekhenge....next update...Slayer ka aatank...Dark world mein....Sofia ki kahani...Kon thi Sofia kaha se aayi thi wo....aur Viraj ki bhi thodi si history jaanege...
Super killer updateUPDATE - 14
Ab tak...
Prateek ko kuch pata chala tha unn shields ke baare mein....saath mein wo eagle....wo uske pass aaya tha par abhi tak uska kuch samajh nahi aa raha tha...raat ke waqt Prateek Poonam ke saath apne Dada dadi ke pass jaane ko maan jaata hai...Wahi yaha se bahut dur Slayer Dark world ke andheri gufayon mein baitha meditate kar raha tha....
Ab aage....
Chaliye Dark world mein chalte hai....Haa wahi jaha Slayer rahta hai.....
Yaha ki andheri guffaon mein se kisi ek guffa mein jaha pe Slayer tha...meditate kar raha tha waha pe.....aawajein ho rahi thi....khushphusane ki aawajein.....jaise log baatein kar rahe ho.....bilkul dhire dhire....par ye aawajein marre hue laogoo ki thi....yaani aatmaon ki jo Slayer ke ander the....aur ab unhe bhookh lagi thi.....matlab koi naya aatma chahiye tha unhe....
ye aawajhein bahut hi dhimme dimme badhne lagi.......tez....aur tez....fir ek dum se shant.....sab shant ho gaya...kyunki kisi ke pairon ki aawaj aane lagi thi....kisi ke chalne ki aawaj....ab ye kadmo ki awaj tez hone lagi....aur Slayer wale guffa ke saamne chali gayi....
Ek ek aankh wala insan jaisa dikhne wala hi koi jeev tha ye....sharir ka aakar bahhut bada tha....hathon mein uske ek talwar thi....
Usne apne ek aankh se Slayer ki oor dekha wo abhi tak apni aankhen band kiye hue tha...uss ek aankh waale ne jab ye dekha to uske saans mein saans aayi....aur fir wo ander gaya...apne haath me pade hue talwar kko ek baar dekha....fir apni aankhen band kari aur sayad kisi ko yaad kar raha ho wo....tabhi uske ek aankh se aansu ke bunde bahne lagi....fir usne tralwar ko apne pet mein gussa diya...par koi aawaj nahi ki usne....fir ussi talwar ko apne hi haanthon se ghumaa diya ussi tarah....aur fir uski pakad uske talwar se chutne lagi....aur dekhte hi dekhte wo....nicche jammin pe gir gaya......uska girna tha...ki uske sharir se ek roshani nikli ar wo sidhi Slayer ke ander chali gayi....aur wo body jo uss ek aankh wale jeev ki thi wo waha se gayab ho gayi saath mein wo talwar bhi....Slayer waise hi meditation mein baitha raha....
Chaliye dekhte hai wo lash kaha gayi....
Iss guffa se bahut dur ek basti thi....jaha ussi ek aankh wale jaise log raha karte the....aaj ussi basti walo ki baari thi ki unme se koi ek jaaye aur apni aatma ko saunp de Slayer ko.....
Dark world ke saare log aise hi bastiyan mein rahte the...aur sabhi basti ka ek head hota tha.....pahle ke halat kuch thik the abhi se....par iss Slauyer ke aane se hi tabahi mach gayi thi....naa jaane kitne hii logo ko usne ek hi din mein khatam kar diya tha....Wo to kuch aise log aa gaye the waha jinhone usse ladayi ladi aur lagbhag se usko hara diya tha.....aur wo Slayer waha se gayab ho gaya aur chup gaya kahi pe.....
AB isko kisi jwalamukhi ke fatne se pahle wala...bhukamp kaha jaa sakta hai.....jisse tabahi hui thi par utni nahi.....
Slayer Yaha iss Dark world mein hi kyun aaya tha iske piccche bhi ek wajah thi....wajah thi uski Maa....Sofia ne Slayer se kaafi baar iss jagah ka jikr kiya tha....bataya tha usko yaha ke baare mein yaha ke logo ke baare mein.....sayad yahi wajah thi ki Slayer ne yaha hi aane ka chunna...ek aur bhi wajah thi uski bhookh....
Slayer jo pit ke waha se bhaga tha wo bhagte bhagte ek khandahar mein pahucha....jaha usko kuch log dikhayi diye.....kuch jaane pahchane se log.....jinko usne sayad pahle dekha nahi tha kabhi par unke chahre kuch kuch pahchane hue lag rahe te......jab Slayer ne dhyaan diya to waha ki ek ladki ka chahera....bilkul uski Maa Sofia ki hi tarah dikhta ttha....Slayer ye dekh ke jhatka khaa gaya......
Wo unke paas jaane laga chip chip kar....aur jab unki oor dhyaan se dekhne llaga tab usko pata chala inn sab ki halat bahut kharab hai......Wo unn logo ko dekh hi raha tha ki poicche se kisi ne usko chua....jab Slayer picche mudda to waha wahi logo mein se ek tha jisse maar kha ke wo bhaga tha.....uss aadmi ne ek baar aas pass dekha jab koi nahi dikha to....
Wo aadmi Slayer ko apne saath le gaya....wahi pass mein ek chota sa ghar jaisa banna tha...Slayer ko wahi le gaya wo....
Waha pe ussi ne uski malham pati ki.....ab inn sab se sawal uthna to laazmi hai....
Slayer ne puch hi liya unse unke baare mein.....aur aisa jawab milla jiski ummid bhi nahi thi Slayer ko.....
Jawab aaya waha pe ek buddi se.....buddi dikhne mein bahut hi ajeeb thi.....usne ek pal ko bas ek pal ko hi to Slayer ko dekha aur usko pahchan gayi.....usne Slayer se Sofia ke baare mein puccha par....Slayer ne kuch nahi bataya.....aur jab usne nahi bataya to uss budiya ne apni kahani shurur kar di....
Budiya - Yahi issi jagah paida hui thi wo Sofia.....meri hi bahen thi wo.....apni sagii bahen......hamari Maa ek chudail thi....aur Pita devtaon mein se ek....par shakti nahi thi unme koi......saari shaktiyan jaa chukki thi....kuch bhi nahi tha unke pass....unki shadi....ko yaha ke logo ne manyata nahi di....dete bhi kaise....koi devta ki shadi kabhi kisi dayan se ho ye mumkin hi nahi tha yaha ke logo ke hissab se....Pita ji jo ki yaha apne purvajo mein se akele bacche the unko bandhi bana liya gaya....yaha ke kabilon ke sardaro ki taraf se.....
Maa jo pet se thi unko aise hi issi jungle mein chod diya gaya.....hum dono ko janam dene mein hi Maa ki maut ho gayi....jab sardaron ko ye pata chala to unhone humara dhyaan rakhne ke liye Papa ko bahar nikal diya....par Papa...unko kuch ho gaya tha ab....wo bas kisi tarah se badla llena chahte the iss pure planet se...par shakti thi nahi...tha to bas ladne ka tarika.....unhone humme wo tarika shikhaya...ek din unke techniques ka pata chal gaya yaha ke Vampire kabile walo ko....unhone Papa ko kharid liya...auur tab se hum gulam hai unke.....jo wo kahte hai hum wahi karte hai....jisko maarne bolo usko maar dete hai...humme apne liye 2waqt ka khana mil jaata hai....ye jisne tumhe maara wo bhai hai tumhara,....
Sofia yaha se bhag gayi thi..jab wo badi hui.....par uske dimmag mein bhi bas badle ki hi baatein ghumti rahti thi.....uska kuch bhi pata nahi tha humme...ek din uski kuch khabar milli thi par fir se gayab ho gayi.....
Slayer sab dhyaan se sun raha tha......wo ye jaan chuka tha ki yahi jagah hai jaha uski Maa ka janam hua tha....aur bhi apne Maaa aur uske parivar ke baare mein sab jaan chuka tha wo....unn logo ne Slayer ko rahne ke liye jagah diya....par khane ko kuch naa de sake kya hi dete kuch hota tab naa.....
Slayer ko waha pe ek kitab milli....ye wahi kitab thi The unknown worriors ki koi copy thi.....wo uss Budiya ke pass thi....uss kitab pe bahut kuch likha tha...puchne ppe pata chala wo kitab uss budhiya ki pita ki aakhiri nishani thi....Slayer wo kitab le liya....aur uss kitab mein likhi hui chizzo se....aur banne hue nakse ko dekhene laga samajhne ki koshish karne laga......
jyada waqt nahi laga samajhne mein....pahle se hi uske pass....uss planet ka ek naksha tha bas ussi ko aur uss kitab mein banne nakse ko dekhte hue usko kuch milla...unhi andheri pahadiyon mein....aur wo chal pada unn pahadiyon ki oor......Kuch din beet gaye the usko....aatma naa mille hue.....koi aur rasta nahi dikha to usne unhi logo ko jala dia....har ek ko...aur unhi aatma ko apne ander khinch liya....aur chal diya pahad ki oor.....
Pahad ke pass pahucha to waha pe bahut hi ghana jungle tha....aur Slayer ko jana tha unhi jungle ke biccho bich banne hue ek guffa mein....
Guffa mein uss kitab mein likhi gayi chizon ke anusar kuch aisa chippa hua tha jo bahut hi kimti tha......
Slayer badhta gaya badhta gaya aur thode bahut jangli jaanvaron ko maarte hue wo pahuch gaya waha se uss guffa mein...aur guffa mein jaate hi shuru kiya usne apna kaam.....
Kitab mein likha tha....guiffa ke darwaje ke theek nicche hai wo cheez.....jab Slayer ne ye shuru kiya aur uss chiz tak pahucha...to waha pe bas ek kankaal tha....haa ek kankaal pata nahi kiska....Slayer ne usko chua...aur uske ek haath pe...ek lomdi ka nishan ban gaya.....ab ye nishan kya tha kyun tha pata nahi.....tha Slayer ko.....
Jab wo nishan bana Slayer ke haath pe ro ek pal ke liye to khalbali hi mach gayi thi uske sharir mein....uske ander jjo bhi aatmayen the wo cheekhne lagi thi....aur dekhte hi dekhte....Slayer jammen pe tha...
Jab ye hua to kuch log....waha uss jungle mein jaldi se pahuche.....une se ek ke haath pe ek saanpm ka nishan tha.....usne ek baar Slayer ko dekha.....fir picche hat gaya.....aur jhuk gaya uske saamne.....
Slayer jo jameen pe lete hue tha....chilla raha tha usko ye sab dikh bhi nahi raha tha,.....wo to bas apne hi dard mein tha......
Wo log Slayer ko utha ke le gaye uss jagah se....
Slayer....2 din waha p waise hi behosh raha aur jab uttha to bhookh se pagal hua tha wo.....usne aas pass dekha ek aurat baithi thi....usne uske gardan mein kaat liya...aur wo aaurat wahi pe mar gayi...aur uski aatma Slayer ke ander chali gayi......Jab slayer ne aas pass aur dekhha to usko bas ek khali jhopdi hi dikhayi di....jisme sayad ek wo aurat aur ek slayer hi tha aur koi nahi....Slayer uss jhopdi se bahar nikla aur yaha waha dekha to usko apni ek aadmi milla jo aankhen band kiye hue ek pather pe baitha tha....Jab slayer ne uski sakal dekhi to wo aur chauk gaya....ye wahi tha...bilkul ussi ki tarah dikh raha tha wo jo hamesha aata tha Slayer....part aur Neelam ko maarne ke liye...jab wo school mein the....ye wahi tha jo har baar bach ke nikal jaata tha....
Slayer uske saamne jaa baitha aur usko dekhne laga....
Aadmi - Malik....to aapko hosh aa hi gaya......
Slayer chup raha aur usko dekhta raha....
Admi - Malik aapki Maa ne mujhe ye aadesh diya tha ki aapko aur aapke shathiyon ko main practice karata rahu....bas yahi wajah tha mere aapke pass aane ka....ab aap uss kabil ho gaye hai ki mujhe ab yaha se mukht karenge....ye shakti....ye jo mujhe taufe mein milli thi iskop wapas lele malik aur mujhe marne de....main jaanta hu meri biwiw ko maar diya hai aapne....
Slayer kuch nahi bol raha tha bas sun raha tha.....
uss aadmi ne apnae pith pe lage hue uske talwar ko nikala aur khud ka gala kaat diya....Slayer ne uski body ko chua aur uske dusre haath pe ban gayi..wo saanp ki nishani....saath hi uski aatma bhi ussi ke ander chali gayi....
Ab baari thi jwalamukhi ke fatne ki....Sab log abhi Dark world mein aaram se the....par ab waqt badalne wala tha....Slayer ne wapas se logo ko maaran shuru kar diya...aur iss had tak marra ki sabhi sardaron ko uske pass aana pada aur uske saamne ghutne daalne pade....wo sab usse har maan gaye aur uski gulami ko kabul kiya....
Slayer ki bas ek hi shart thi....usko aur kuch nahi chahiye tha wo bas ussi guffa mein rahne ko taiyaar tha saath hi kisi ko bhi naa marne ki baat bhi kahi usne par....uske liye roj ek aatma uske pass pohuch jana chahiye,,,,Jis din aatma nahi pahuchi wo bahar nikal aayega aur wo din bura hoga.....
itna bol Slayer wapas se guffa mein chala gaya.....aur Slayer ne baaki sab chod diya yaha ke logo pe...
Guffa mein Slayer apne naye powers pe dhyaan lagata unpe kaabu paane ki koshish kiya karta....aur saath hi waise hi aur powers dhundhta...roj koi mnaa koi aata aur khud ka aatma usko de deta....khud ko maar ke....
Chaliye Sofia ka dekh liya ab Viraj ka bhi dekh lete hai....to Viraj ki bhi kuch aisi hi kahani hai wo bhi unhi 10 parivaron mein se ek parivar ka tha....jinko Titan planet se nikala gaya tha....uske purvaj Orion planet pe aa gaye the...Sofia ka ussi ko apne pyaar mein faansna koi sanjog nahi tha ye sab Sofia ka socha samjha plan tha...par...kismat dekho...Viraj waha se bhagne mein kaamiyab ho gaya tha...
Chalo ye sab chodo...ab chalte hai Earth pe wapas...
Haa to Prateek yaani main subah utha aur chal diya taiyaar hoke dhyaan lagane....aaj kuch ajeeb nahi hua....sab normal hi tha...wahi fir 8 baje ke aas pass main utha aur jab utha to Bua wahi pe khadi thi....wo mere jaagne ka hi intezar kar rahi thi bas....
Bua - Chal jaldi kar bus aati hi hogi....
Main - Arre haa main chan....
Bua - wo sab waha ho jaayega....tu chup chap chal...wo mujhe lagbhag khinchte hue le gayi gate ke pass...aur turant hi wo Bus aayi....main aur Bua usme chad gaye....
Bua - Hmm tu room mein jaa fresh hoja main yaha dekhti hu....
Main - Room...par mujh....
Abhi pura bola bhi nahi tha ki koi aaya aur mera haath pakda usne aur Main ek room mein tha....room mein mere liye 1 naya kapde ka set rakha hua tha...main bhi iss baar wait naa karke jaldi se change kiya...aur abhi change kar ke ready hi hua tha ki ek jhatka laga aur fir darwaja khula...
Bua - Kya kitna late karega chal jadi...aaj sab bahut khush honge tujhe dekh ke waha pe....
Unhone mera haath pakda aur agle hi pal hum dono road pe the....bada hi alag jagah tha ye....ass pass bas ped hi dikh rahe the.....aur theek hamare saamne tha ek bada sa ghar....
Bua - Ye hai hamara ghar...
Aaj ke liye itna hi chota update hai....
Kal aur parso 2 din ek- ek update aayenge...raat mein
Awesome updateUPDATE - 15
Sofia ke past ke baare mein bataya gaya....sath mein Slayer ka kya haal hai Dark world mein wo bhi bataya gaya...uske baad humne dekha ki Prateek apni bua ...Poonam ke saath chal pada...apne dada dadi se milne ko....aur jaake unke ghar ke saamne khada tha...
Ab aage
Theek saamne hamare tha ek bada sa ghar....aas paas ped lage hue the...Maine aas pass dekha...to bilkul waise hi ghar thodi duri duri pe bane hue the....matlab....ek ghar...uskeas pass kuch bade bade ped...fir thodi duri pe dusra ghar......main yahi sab dekhne mein laga hua tha ki Bua ne mere ballon mein apna haath rakha...
Bua - chalo ander chalte hai....dekhte hai kya hota hai.....
Main - Kya matlab...
Bua - Matlab...hmm wo ander chal ke dekhte hai...bas jo bhi bolna acche se bona....mere Papa bade hi strict hai aur Maa ka to puccho hi mat....bakki bacche Bade bhaiya....unse bach ke hi rahna...aur bhabhi bhi kam nahi hai koi...Haa ek bahen bhi hai tumhari....tumse badi hai...aur gharmein sabse jyada ussi ki chalti hai too usko agar khush rakha to sab sahi hai...
Main - Ye sab pahle batana tha naa main kuch gifts le aata...pahli baar mil raha hu....
Abhi baat bhi puri nahi hui thi ki ghar ka darwaja khula aur ek body builder type aadmi...baal safed the uske...wo bahar aaya...
Bua - Papa aa gaye....ambhal kar....
Bua ke inn baaton se main dar gaya tha koi bhi dar jaata.....jaise jaise Dada ji pass aa rahe the waise waise mera dar badhta jaa raha tha....
Dada ji - Poonam....kaun hai ye...(jor se)
Bua - Wo papa ye...ye naa wo...mera student hai....
Main bua ko dekhe jaa raha tha wo itna dar dar ke bol rahi thi abhi unhi koto dekh raha tha ki ek aur aadmi ghar se nikla...ye bhi body builder type hi tha...par iski aankhen ekdum se nilli thi....
Maine Bua ki oor dekha to wo pahle se hi lagi hui thi Dada ji ke saath...unko haklate hue kuch kah rahi thi....
Wo aadmi mere saamne khada ho gaya...aurmujhe ghoorte hue puccha...
Aadmi - Kon ho tum aur yaha kyun aaye ho...
Main kya hi bolu....lag raha tha yaha Bua mujhe marwane ke liye laayi hai ek Dada ji hai jinse Bua tak ko dar lag raha hai main ktya hi kahu...aur ab ye janab pata nahi kon hai inse bhi mujhe dar lag raha tha....ki tabhi...ek aurat ki aawaj aayi unn dono ke picche se....dikhne mein badi hi sunder lag rahi thi wo...haa umar jyada thi par thi badi hi sunder....main unko hi dekhne laga...aur bas dekhta hi raha....
Dada ji - Dadi hai teri...aisda kya ghooor raha hai....
Main - Kya...
Bua - Kya Papa abhi bolna jaruri tha...aur Maa aap..aapkyun aayi abhi bahar..sab plan ke hisab se to chal raha tha....
Main - Plan...kaisa plan...
Dadi - Tu chup kar...tere sath rahta hai ye...hamne to bas ek jhalak hi dekhi thi iski...aur fir....tab se humne to ummid hi chod dithi...aur jab ye aaj aaya hai to tum log aise kar rahe ho iske saath...khabardar agar kisi ne isko pareshan kiya to.....
Main samajhne ki koshish hi to kar raha tha ki chal kya raha hai yaha pe...wahi Dadi ne apni baat khatam ki mera haath pakda aur khinchte hue mujhe ander le gayi....
Ander 2 aur ladis thi....dono hi dekhne mein bahut acchi lag rahi thi....jo badi wali thi usko dekh ke lagha ki ye koi Vampire hai...aur main sahi tha wo Vampire hi thi wahi choti wali ka kuch samajh mein nahi aaya mujhe....
Choti wali ladki ne mujhe dekha aur muh banate hue boli... Ye kisko utha laaye ho yaha....
Dadi - OO Rupal ki bacchi teri uss Poonam bua ka plan khatam ab acche se millo isse...samjhi warna bahar kar dungi pata hai naa...
Rupal - Arre Dadi....mujhe laga wo sab abhi karna hai...main to bas issiliye....accha ab nahi karungi...
Wo fir mere pass aayi aur ek smile di mujhe aur galle lag gayi mere....main bas khada raha aur kya karta batao...ye aise hi kuch bhi chal raha tha yaha mujhe samajh nahi aa raha hai aur....
Rupal - Aur chotte main Rupal hu teri badi bahen samjha....ye mera ghar hai ytaha bas meri chalti hai koi bh shaitaani nahi karna....agar....aaaahhh mummy chodo yaar aap bhi....main to bas....aaaahhh
Badi lady jo thi unhone Rupal ke kaan pakad litye aur jor se madod diya...
Badi Lady - Tera raaj chalta hai yaha....badi aayi....tang karne ki sochna bhi mat samjhi naa...warna tujhe ghar se....
Rupal - arre main to bas aise hi...main kyuun bhala itne pyaare bhai ko pareshan karungi....hai naa bhai...
Ab tak bahar se bhi sabhii ander aagaye the....
Bua - Hmm to mil luiye sabhi se....(haste hue) wo maine socha tera welcome kuch alag tarike se kiya jaaye....to maine aur Rupal ne plan banaya ye....
Maione Bua ki oor ek baar dekha....aur khud ba khud hi mere aankhon se aashu nikal hgaye....sayad ek parivaar ke hone ki khusi ke wajah se....inn logo ne mere liye ye sab kiya...haa jo bhi tha par mere liye...ye jyada important hai....
mere aankhon mein aashu dekh...sabse najdik meri wo chachi thi Vapmire Chachi....wo mere pass aayi niche baithi aur mere aashu pochne lagi ...
Chachi - Arre beta ye sab yto bas ek majak tha...maine manna bhi kiya tha inn logo se par....Dekha ye ronnne laga... Rupal tujhe main nahi chodungi aaj....
Main kuch bol hi rahatha ki tabhi Dadi bhi aa gayio aur...nicche baith gayimere pass.....
Dadi - Beta rote nahi hai....ye bas ek majak tha inn logo ka...aur ab hamari baari hogi mazak ki....tu main aur teri ye Chachi ab dekh bas tu.....(sabko) Aaj se kitchen band kisi ko koi khana nahi milega...
Ye sunte hi waha khade sabhi ki aankhen badi ho gayi....aur wo sab meri oor dekhne lage.....
Main - Nahi aisa mat kariye....ye aanshu to bas kisi apne ke pass hone ke wajah se aa gaye...isme uss majak ka koi haath nahi hai...main aaj tak bas apne master ke saath raha hu....waha sab kuch time to time hota tha...no mazk no masti...aur yaha sabko saath dekh...aap logo ke pass aake sach men bahut accha lag raha hai mujhe.....
Meri baatein sun ke waha bhi sabke aankhon mein aashu aa gaye...
Dadi - Tu bhi hamare saath hi rahta beta agar wo sab naa hua hota to....kaas...
Abhi Dadi bol hi rahi thi ke Dada jine unke kandhe pe haath rakha aur wo bas roone lagi....sab rooye jaarahe the....wo to bhala ho RupalDidi ka jinhone ek baar wapas khane ke baare mein baat chedi aur sabka dhyaan roone se hataya...
Rupal - Wo Dadi ab to ye chotu bhi bol raha hai ki majak se nahi roya ye to ab kichen khol do....dekho to waqt kitna ho raha hai....iske saath nasta karenge bolbolke abhi tak naasta nahi diya....mera chotu bhi bhukha hoga...kuch to rahem karo....
Chachi - Ruk tujhe batati hu nautanki..aur chachi uske picche jaane ko hui....sabke chahron pe wapas se muskan aa gayi...
Fir kya MUjhe waha se Dinning table pe bitha diya gaya aur...baaki sab bhi baith gaye aur...Chachi aur Dadi kichen se khana laane chali gayi....
Rupal - OOye chotu yaar tera naam kya hai wo...Bua ne bataya hi nahi hame....
Uski baat sunke maine ek baar bua ki oor dekha jo paani pi rajhio thi aur mujhe apne oor aise dekhte hue.... paya to paani unke ghale mein wind pipe mein chali gayi thodi si....wo thodi der khasi aur fir khud ko sambhalte hue boli...
Bua - Arre wo main batane hi wali thi par wo plan ka chakar....Waise iska naam Prateek hai...
Rupal -= Hmm Prateek...accha naam hai par main isko chotu hi bulaungi...akhir chota bhai hai mera....
Main - Haa thik hai.....wais emain bhi aapme se kisi ka naam nahi jaanta...Bua ne bataya hi nahi mujhe.....
Dada ji - Naam waam sab jaan jaaoge....abhi nasta karo...fir hum apne family tree ke pass chalte hai waha tumhe apna naam aur nishani deni hai...wahi se dekh lena hum on hai...theek hai...
Main - Haa theek hai dadaji...
Chacha - To tum bhi special batch mein ho....
Main - JI...
Chacha - Rupal bhi thi ussi mein....abhi pichle saal hi school se pass out hui hai ab yaha insano ke bich kuch din waqt bitayegi fir...hamare family bsiness mein lag jaayegi.....
Main - Family business..????
Bua - Haa family business.....ooffo Bhaiya abhi ye sab bolna jaruri tha kya....
Chacha - Haa kyunki isko bhi pata hona chahiye....
Dada - Haa hona chahiye..par abhi kuch waqt aaram karne dete hai fr bata denge......ye nasta kyun nahi aa raha hai....Rupal beta jara dekho to.....
Abhi Rupal didi uthti usse pahle hi Chachi haathomein plate liye hue aa rahi thi....saath mein Dadi bhi....aur khana aa gaya table pe....
Rupal - wow....itna kuch bana diya aaj...
Chachi - Aur nahi to kya aaj Prateek jo aaya hai..welcome special hona hi tha...beta chalo shuru karo...
Main samajh nahi paa raha tha kah ase shuru karu...kyya kuch nahi tha waha pe....sabjiya...meat...sabkuch....juices....Fir sabhi ne shuru kiya to maine bhi khana shuru kiya...kya khanatha ye...badahi aziz khana tha...kya hi bolu iske baare mein.....
Khana khate waqt sab ke sab bilkul chup the aur klhana khaa rahe the...thode der mein sabka khana khatam h gya...
Chachi - kaisa tha khana...
Main - Bahut accha tha....
Bua - Hmm wo to hoga hi.....accha wo chodo....ab jaothodi der aaram karlo...fir hum sab bahar chalenge apne family tree ke pass...aaj waha pe ek naya naam jodna hai...
Dada ji - Haa bilkulsahi kaha....chao beta tum aaram karo.....main aata hu waha taiyaari karke....
Chacha - Mian bhi chalta hu papa.....Rupal jab call karu to le aana sabko samjhi...chalo ab apne bhai ko kamra dikhao uska....
Rupal - Haa....chal chotu tere ko tera kamra dikhatti hu....waha kuch baatein bhi ho jaayegi.....(last mein bolte waqt unke chahre pe ek darawani muskan aa gayi thi....)
Chachi - Prateek gar kuch bhi ulta sheedha kare ye to sidha mujhe batana.....iski acche se khabar lunhgi...bahut...udhne lagi hai aaj kal ye....
Rupal - Arre main kaha kuch karungi...main to bas room dikhane ke liye....
Wo mujhe khinchte hue uthayi aur mujhe sidhiyon se upar le gayi shidhi chadte hi 4 rooms the waha jo sabse last ka room tha wahi pe mujhe le gayi aur darwaja khola...abhi wokuch bolti ki unka pphone baja aur unhone chabhi mujhe di aur wwaha se nicche chali gayi...
Main bhi chabi se darwaja khola aur jo dekha....bas muh se itna hi nikla....
Main - Yaha bhi...
Aaj ke liye itna hi rakhte hai next update mein Family tree ke baare mein aur familky ka intro hoga....aur kuch scenes...
Acchanak se mujhe...bahar jaana pada to laptiop hai nahi...update sayad chote honge abhi...par aayenge...kuch dn ki baat hai....
Banne rahiyega....
Excellent update broUPDATE - 16
Ab tak
Main apni family se milla....sab bahut hi acche the...haa pahle mazak meinn ye log mujhe pareshan karne wale the par ye sab mujhe accha lag raha tha...humne saath mein khana khaya aur fir kuch der baatein bhi ki.....baad mein Dda ji ne sham ko mujhe Family tree ke pass le jaane ko kaha....Rupal didi nemujhe mera room dikhaya aur aaram karne ko kaha....
AB aage..
Room ka darwaja khul to main shocked tha....ye room bhi bilkul mere wale room ki hi tarah tha...sab kuch waisa hi.....aakhir hai kya inn sab mein....main jaha bhi jaata hu waha thik aisa hi room milta hai mujhe....bachpan se hi aisa hi room....ghar bhi badla tha master ne waha bhi same room phir school waha bhi same room....uske baad yaha aaya to yaha bhi....
Main room ke ander gaya....pahle ek baar sabkuch sdekha...sab waisa hi tha....fir chup chap jaake bed pe let gaya....aur chat ki oor dekhne laga....sochne laga room ke baare mein par....neend aa gayi mujhe....
Pata nahi kitne der baad Chachi ne aawaj di tab jaake main utha.....aur fir bathroom mein jaake hath muh doye....kapde change kiye...jo Bua ne hi sayad yaha rakhe ho...aur fir room se nikal gaya....nicche chala gaya....
Nicche gaya to Chachi, Didi aur Bua hi the waha...
Bua - Ready ho gaya chal ab....
Main - Haa chalo...
Maine itna bola hi tha...ki Rupal didi ko Bua ne ishara kiya kuch aur unhone mere upar ek kambal daal diya....
Main - Ye kyun hai...iska kya karna hai....
Bua - Ye tumhe aur tumhari smell ko chupayegi.....jaha hum jaa rahe hai waha sayad log tumhare aane se khush naa ho....par chinta mat karna hum honge waha....agar kuch hua to hum dekh lenge.......tum shant rahna bas....
Main - Par maine kya kiya hai jo ye sab.....
Bua - Tumne nahi kiya hai par Paarth aur Neelam unn dono ne kiya hai....ab [pata nahi tab unn ke dimmag mein kya tha jo uske saath milke ye sab....
Chachi - Poonam baad mein iske baare mein baat karte hai...Prateek beta chalo aap....
Sawal the mere mann mein par jawab ek bhi nahi.....Mera Mom Dad ne bhala aisa kya kiya ki unhe....unko to kisi ne Maar diya tha....aur Master mujhe iss kaabil bana rahi thi ki main uska saamna kar sakku....
Main - Mom dad ne kya kiya tha aisa....ki log unhe....
Chachi - Beta kaha naa baad mein baat karenge ispe....abhi ke liye chalo....sunno hum Truingle ki tarah jaayenge....ye beech mein rahega samjhe....
Sab ne haa kaha....par tabhi Rupal didi ko kuch yaad aaya wo jaldi se room mein gayi....sheediyan chad ke aur waha sekoi perfume le aayi....ye ek lady perfume tha...aur mere upar se pahle kambal ko khincha aur lagbhag mujhe perfume se naha diya usne....Main chikke jaa raha tha....
Rupal - ab sahi hai...ab agar kisi ne iske sharir ki khusbu kisi tak nahi pahuch paayegi.....
Main - aaaaachhhiii.....ye kya ....aaaccchhhiii...kiya....
Bua - Haa bilkul sahi kiya ....
Abhi humme se koi aur kuch bolyta ki Didi ka phone baja...
Didi - Haa papa
Chachu........
Didi - Ji bilkul hum taiyaarhai.....
Chacha....................
Main - Nahi uski koi chinta naa kare....wo maine sambhal liya hai...
Chacha....................
Didi - Thik hai hum bas aa rahe hai...
Call cut kiya didi ne aur....tinno ek taingle ki tarah khadi ho gayi.....
Chachi - Chalo...sab ready....niklo ab....
Aur hum saare nikal gaye waha se....lagbhag....30 minute chalne ke baad.....ek bahut bada maidaan aaya....jaha pe kuch duri duri pe bahut hi bade bade ped banne hue the....kaafi bheed thi waha petarah tarah ke jeev the waha pe.....Main unhi sab ko dekhne laga.....
Rupal - Oyye chal naa bhai......kya yaha waha dekhe jaa raha hai...sab baaadmein dikha dungi bata dungi abhi ke liye chal aur naam likh apna hamare tree pe....
Hamara family tree uss jagah pe ek konne mein tha...wahi pe Dada, Dadi, aur Chacha khade the.....Main gaya waha pechupte hue....unn sab mne pahle mere charo oor ghera bana liya...aur fiur....
Dada ji - Prateek ye hai hamara family tree....dekh rahe ho naa isko...ab dekho......sabse nicche ...naam hai...wo hai hamare pahle purwajo ka.....pahle hum bhi yaha pure blood mein aate the...warewolf warewolf saath mein.....fir mere Dada ko pasanmd aayi ek Elf....to wo ban gayi meri Dadi maaa....aur hamari family ban gayi Half blood....wo dekh rahe ho naa waha trunk ke pass se jo ek tahni hai wo mere dada ji ko dikha raha hai....wahi wo tahni jaake...ek dusre ped ke tahni se milli hui hai...to wo hai meri Dadi maa...samjhe...aur jab hum half blood banne fir sabko apni pasand ki hi ladki yaa ladka chahiye tha....to issi dauran....mere ek chacha....Jaiveer ne ek insan se shadi kar li....ye dekh rahe ho...ye wali tahni....ye unko dikharahahai....aur yahi tahni fir jameen pe lagi hui hai....ek ghass se....unke koi bacche nahi hue....parinsano ke saath rah ke wo bahut hi jyada badal gaye....unhone unn nsano ke bich hi apna ek business khola....Hotels ka business....Veer group of hotels...jaante hi honge tum....insano ki duniya mein uska ek alag hi rutba hai....to wahi hotel...mujhe mil gayi aur ab usko tmhare chacha chala rahe hai....aur unke baad....tumhe aur Rupal ko hi dekhna hai usko....ye thi hamare business ke baare mein baat....ab naam pe bhi aate hai warna gadbad ho jaayegi.....Wo dekh rahe ho mere chacha jaiveer ke branch ke upar ek aur taheni hai....haa wahi wo mere pita ji ka hai....aur unki shadi ek warewolf se hi hui....unki pasand thi.....aur main jab paida hua to main bana....warewolf....par...with extra powers....Ab ye dekho.....meri tahni kya naam hai....Hemant Veer....ye naam isliye kyunki insano ki duniya mein aise hi naam chalte hjai....ab isko dekjho....meri jo tahni hai wo jkaake milli hai ek aur ped ke ek chote se tahni se....jo tumhari Dadi ka hai....Madhuri....Ye ek fairy hai....fir aate hai hum...apne apne tahniyon pe...yaani mere bacch pe...to pahli tahni tumhare bade chacha....Satya veer naam hai inka....aur inki tahni dekho...wo jaake milli hai dusre ped ki tahni se...yaani tumhari chachi se....naam hai unka.....Nidhi Veer....ab dekhio inn dono ki tahniyan milne ke baad ek tahni waha se nikli hai...wo hai Rupal....chalo ab wapas se mere tahni ko dekho....waha ek hai...tumhari bua...Poonam aur dusri hai tumhae Dad yaani mere bete Paarth ki.....Poonam ki shadi nahi hui hai to iski tahni aise hi hai....tumhare dad ki tahni ko dekho wo aage jaa rahi hai...aur jameen pe ek chotte se jhaadi se nikli hui tahni si mil rahi hai.....Ye jhadiyan....unki hai jinhone..insano se shadi ki hai....jaise mere chacha...jai veer ka bhi dekh lo...tahni ni jameen pe gayi hai...par unka koi baccha nahi hua to ye aiusa hi rah gaya...wahi tumhari Mom ek minority thui to wo ss jhadi se dikhayi jaa rahi hai....aur tum...in dono ke bacche....Prateek....Ye tahni tumhari hai...samjhe....ab chalo isko chuo...aur apna naam lo....
Maine Dada ji ko pura sunna aur unki har ek baat samjhi...aur ab maine unke kahe anusar apne naam ki tahni ko pakda aur apna naam man mein liya.....aisa karne se.......mera family tree saath mein usse jo kuch bhi connect tha wo ek pal ko chamakne laga...uski chamak sabhi ke aankhon mein gayi aur wo sab hamare oor aaye....Dada, Dadi aur baakiyon ka dhyaan unpe nahi gaya kyun ki wo iss chamak ko samajhne ki koshish kar rahe the....
Aadmi - Hmm to tum saare yaha aaye ho....ab kya karnama karnaa hai yaha pe....kahi fir se koi tumhare ghar ka kaali shaktiyan to nahi seekhne laga....
Dadaji - juban sambhal ke baat karo...
A4 - Lo bhai sunna....humme juban sambhalne kokah raha hai....agar waqt rahte apne uss bete ko rok leta uss dayan se shadi karne se to tera parivr bhi sahi rahta aur hamara bhi....
Uss aadmi ne meri Maa ko Daayan kaha....
Bua - JUban sambhal ke baat karo....sayad bhul gaye ho main kon hu aur ye meri famiily hai....
A2 - Haa haa ab bas yahi rah gaya hai...arre bhaiyon mujhe to lagta hai isne bhi apne bhai ke saath kaali vidhyayen sikhi hogi....tabhi to Special batch ki teacher banni hui hai...warna pahle kabhi sunna tha koi Half blood wala itna takatwar ho....
Ye lohg bhi insano ki hi tarah hai....har chizmein dharam,jaat inhi muddoon pe aa jaate hai....koi talent ki kadar nahi karta....
A2 ka ye bolna tha Bua ko gussa aa gaya wo kuch karti usse pahle Dadi ne unhe rok diya....par logo ke muh band nahi hue....wo bas lage rahe mere gharwalo ki beiijaati karne mein...aur isse mera gussa badhta jaa raha tha....uss kambal ke andertha mein....gusse se apni muthiyanbheinch lli maine aur aankhen band ki.....ankhen band ki to saamne wahi cheel dikhayi diya...wo aag ke pankhon wala.....wo mujhe dekh raha tha....main uske pass gaya aur usko chua...usko chune se mujhe dard hone laga aur main jor se chilaya....
Aur fir aankhen kholi....jab aankhen kholi...to aasmaan mein ek bahut hi bada...chillon ka samuh tha...wo uss jagah ke charo taraf udd rahe the....abhi maine unhe dekha fir ek aadmi ko dekha jo mere Chachi ke baare mein bol raha tha....mera usko dekhna tha ki aasmaan se wo cheel udti hui aayi...aur wo uss jeev ko utha le gayi....jeev uss cheekl se bada tha bhari tha....sayad hi heel usko utta pata par weo utha le gaya.....Jab logo ne ye dekha to unki faat gayi....par kuch so called bahadur bhi the/....jinhone talwaren nikal li...unka kahna tha hum sab kala jaadu jaante hai to hum sab ko hi khatam kar de....wo aage badh rahe the ki tabhi...waha ussi maindan mein ek bahut hi bada....cheel aaya jiske pankh mein aag lagi hui hi wo bilkul unke saamne aake khada ho gaya...aur jor se chillaya...uski cheekh sun ke hi sabhi ki fat gayi....par ek bacvcha tha waha pe jisne apni Maa ko kaha...
Bacxcha - Maa Maa ye to wo kitab wala pankchi hai. jo unknown worriors wale kitab mein tha....
Sabne uss cheel ko dekha aur sabki aankhen fattii ki fatti rah gayi....Wo Cheel hamare familyt tree ke pass aaya aur uspe apni choch touch karayti...uske baad...fir se hamari family tree chamakne lagi....wo puri hari bhari ho gayi....saath hi uspe ek cheel ka nishan ban gaya.....baat saaf thi meri puri family uss cheel ki shuraksha meijn aa gayi thi...aur jab ye hua to sab ke sab bas humme dekhte hue nikal liye waha se....kisi mein himmat hi nahi tha usscheel se ladne ki....himmat ho bhi to jyada faayda nahi uska size dekh ke aisa lag raha tha wo ek baar mein ki 2 -3 ko nipta leta hoga......jab sab chale gaye...to wo cheel bhi waha se udd ke nikal gaya...aur chod gaya hum sab ko suspence mein....
Wo to hum saare sonch se bahar tab nichle jab ek cheel ne ussi aadmi ko theek hamare saaame kuch uchayi se giiraya...wo chillate hue girra ayur fir utha kar hum sab ke pair pakadne laga maaf kar do maaf kar do....humme samajh nahi aa raha tha....Wo to Rupal didi ne kaha maaf kiya tab jaake wo furr se choo mantar ho gaya.,...aur hum sab bhi ghar ki oor nikal pade...
Ghar mein pahuch ke...
Sab sofe pe baith gaye...sabke dimmag min bas wahi sab chal raha tha....
Dada ji - Wo sab kya tha aur hamare family ko....
Bua - Pata nahi Papa par wo sach mein wahi tha...uss kahaniyon ke kitab mein jo cheel hai wahi aur wo yaha hamare liye aaya....
Dadaji - Haa par kyun...aur ye koi aam panchi to hai nahi ki hamare liye aaye....hamari animal spirit uske saamne kuch.....animal spririt kahi wo animal spirit to nahi thi kisi ki....
Bua - Kya papa aisa hona...naamumkin hai....
Dadi - nahi mujhe nahi lagta...aisa pahle bhi dekha gaya hai...kuch animal spirits hote hai aise...
Bua - Nahi maa aisa nahi hai..aur ye Animal spirit ho hi nahi sakta ye kuch aur hai...app cjhinta mat kariye main pata laga lungi....
Hum sab baatein kar rahe the ki Rubal didi boli....
Rubal didi - hamare family ka ab wo rakshak hai,....wo hamari family ka rakshak hai yaani mera bhi....(hilla kar) waaaahhh ab aayega mazza.....Maa main jaarahi hu..aati hu thodi der mein....
\
Chachi - Kaha jaa rahi hai aise hi......wo bjhi is waqt...tu kahi nahi jaayegi samjhi....
Rubal e meri oor dekha aur ek smile di....
Rubal - Wo maa maine naa apne chotu ko kuch gifts dene hai to yahi pass wale dukkan tak jaaungi main...waha se kuch jaaduyi chizzen bas....Chaloge naa chotu tum....
Main - Main....
Rubal - Arre chal na issi bahane yaha ke baare mein aur jaan bhi jaayega...aur ab to darne ki baat hi nahi...
Bua - Haa le jao isko par iusko apna dost batana babhi bahar bhai nahi samjhi....
Rubal - hmmm thik hai Bu....main samajh gayi aap kya kah rhi ho....chalo Ok hum chalte hai....
Mujhse buina Haa naa sunne hi mera haath pakda aur khinchte hue bahar.....
Hum bahar aaye aur ghar se thodi dur aaye.....main chal raha tha Didi ruk gauyyi...maine unk dekha picche mud ke...wo rukki hui thi aur ek or dekhe jaa rahi thi....
Main - Kya baat hai didi kya haiw waha.....
Didi - Wo mere Nanaji ka ghar tha....wo wahi raha karte the....Mom Nana nani....tinno......jab Mom ki shadi hui naa Dad se...to..Mom batati hai uske baad iss ghar mein koi jawa nahi bacha tha....aur mauka dekh ker.....wo samne wala ghar hai naa waha ke maalik ne Nana nani ka ghar hadap liya....Nana nani ki age jyada thi...to kuch kar naa paaaye....Mom Dad ne koshish ki yto unhe bhi jhotha kjaha.....aaj Nana - Nani ko band karke rakha hai uss ghar mein....gulam ki tarah rakhte hai waha unhe....main unhe hi chudane aayi hu....aaj iss aadmi se pura hisab chukta karungio....
Abhi main kuch bolta usse pahle hi Didi ne road pe se ek pather uthaya aur usko uss aadmi ke ghar ki oor fenkj diya....
AAj ka yahi tak....kal ek ladayi.....fir Prateek ka wapas school jaan hoga....aur Slayer ki wapas se ek jhalak....
Banne rahiye...
Nice update broUPDATE - 17
Ab tak
Main apne family tree ke pass gaya waha pe mujhe sab kuch bataya gaya mere family ke baare mein sab kuch matlab sab kuch...waha par fir kuch hua...jiske baad sab bhag gaye dar ke maare...aur hamare family ko Aag ke pankh wale cheel ki shuraksha mil gayi....hum sab wapas aaye aur wahi sab ke baare mein soch rahe the ki Rupal didi mujhe bahar leke aa gayi aur ek ghar ke pass rukki....wo ghar unke Nana - Nani ka tha aur theek samane ek bada ghar tha jaha ke maalik ne naa sirf Rupal didi ke Nana - Nani ko apna gulam bana liya hai balki...unka ghar bhi hadap liya hai...Rupal didi ne road per se ek pather uthaya aur....fenk diya uss ghar ki oor....
Ab aage...
Rupal - Bahar nikalo....dekho main fir aa gayi...aao bahar....
Main - ye kya kar rahi ho didi aap...hum Nana - Nani ko baccha lenge...par aiise nahi....
Rupal - Nahi ab aise hi hoga...tujhe nahi pata humne kya kya kiya hai....Maa ne kitni baar isse baat ki Papa ne Dada ne par ye unn sab ko bhi....nahi issko main sabak sikha ke rahungi...
Abhi did bol hi rahi thi ki uss ghar ka darwaja khula....aur saamne ek aisa jeev tha jiska sar suwar jaisa tha aur sharir....insan ki tarah....bbas ek punch alag se lagi hui thi....kasam se itna bhada jeev nahi dekha tha kabhi maine....sayad abhi khana khaa raha ho...uske chahre pe laga hua tha kuch.....
Main - Ye kya hai didi...itna bhadda sa...
Did kuch bolti usse pahle wo khud bola....
"ooye ladke kon hai tu....janta hai main kon hu...ye pata hai kisko abhi bhada bola....tujhe aur tere pure khandan ko apna gulam bana lunga....."
Abhi wo mujhse baat kar raha tha ki uski nazar Rupal didi pe gayi....
"tu tu wapas aa gayi raand ki bacchi....chal aaj tujhse bhi apna hisab chukka hi leta hu bahut dekh liya tujhe..."
Wo bhada sa jeebv mere saamne Rupal didi ko gali de raha tha....aise mein kon shant rahega...par mujhse pahle Didi hi jawab dene chal padi....unhone apni talwar....joki unke haath mein pehne hue ek anguthi mein fit thi aur saath hi shield bhi usko bada kiya aur uski oor jaane lagi....
" Hahahahahihihihaaaha aaja aaja tujhe dikhata hu...badi bahadur banti hai naa aaj dekh pahle tujhe fir tere badle tere purre khandan ko yaha laaunga aur sab mere gulam hon.....ahhhhhhhhh"
Wo bol hi raha tha ki Didi ne apne shiled se water canon ka hamla kar diya...matlab didi Water element wali hai.....wo paani bahut jyada force se uss aadmi ke chahre pe paddi....jiska anjaam hua uska bolna band ho jaana aur uski cheekh....Par didi fir bhi nahi rukki....wo to talwar leke daud padi uske upar......aur uske pass pahuch ke hamla shuru bhi kar diya....par.......wo sambhal chukka tha aur gusse mein tha sayad....atbhi usne ek haath mara Didi ko aur didi gir gayi side mein.....maine jab usko dekha uss waqt to chaunk gaya....uski body thodi badi ho gayi thi....badi aur takatwar....
Main Didi ke pass bhaga....aur unko uthaya....
Main - aap theek to ho naa...aur ye...
Abhi bol hi raha tha ki woo aadmi chikhnte hue mere pass aaya aur....mujhe ek haath se utha liya aur mujhe waha se fenk diya....bilkul kisi ruii ki tarah.....jab iss baar dekha tab bhi wo pichle baar se thoda bada dikh raha tha....Ye kya ho raha tha....
Main bhi kisi konne mein girra hua tha...par tabhi wo wapas se didi ki oor badha aur gussa to kafi aa gaya tha mujhe,...abhi usko dekh hi raha tha ki...kisi ne uske upar aag se hamla kiya...assmaan se,....Aur wo waha se dur jaa girra.....
Main Didi ki oor dekh raha tha ki kahi unhe to kuch nahi hua par wo thik thhi sayad....main utha aur unke pass gaya...unko uthaya....
Main - Aap thik to ho....aur ye bada kaise ho jaata hai har baar....
Didi - Hmm thik hu....ab iss kutte ko chodungi nahi main....tujhe marra na isne...
Hum baat kar rahe the wahi ki ek bada sa pather hamari oor aaya..par humme lagta usse pahle hi bahut tez hawayein chali aur fir wo udd gayi..wapas wahi jaha se aayi thi...aur jaake lagi ussi aadmi ko...ab wo aur gusse mein aa gaya aur hamari oor bhagta hua aayi aur hamme maarne hi wala tha ki....hamare aur uske bich ek diwar si ban ggayi....thodi hi der mein waha pe wo cheel aa gaya.....
Aur uske saamne jor se cheekha.....uss cheel ki aawaj mein bhi itni takat thi ki wo aadmi waha se kuch duri pe chala gaya...aur gir gaya....
Wo aadmi wapas utha aur iss baar bhi uski body aur badi ho gayi thi....
Main - Didi ye har baar bada kaise ho jaata hai.,...
Rupal - Iski takat hai ye....isko jitna gussa aayega ye utna hi takatwaar hoga....
Main - kya...phir ab kya hoga...
Rupal - Hona kya hai ye hai naa hamari suraksha ke liye... dekhte hai kya hota hai,...
Main - Aap kya pagal wagal ho...
Mere aise bolne pe unhone meri oor aankhen choti karte hue dekha aur ek thapad....chattak...badi bahen ko pagal bolta hai....abhi taange tod ke haath mein de dungi....main apne gaal pe haath rakhe khad raha...
Didi - Ye to bas bada hota jaa raha hai iska kuch karna padega....(cheeel se) usko hawa mein le kjao aur nicche girra do....
Cheel joki abhi uss aadmi ko maare jaa raha tha Rupal didi ki awaj sun ke uss admi ko apne pannje mein kasta hai taaki wo hille naa aur Rupal didi ko dekhne lagta hai....jaise puch raha ho kon ho bhai aur main kyun maanu tumhari baaton ko....
Cheel ko apne oor aise dekhte hue...Didi ne fir se usko waisa hi kaha...aur wo chewel waise hi didi ko dekhta raha...itne waqt mein ek aur cheeez hui w tha uss aadmi ka badhna ab wo aur jyada bada ho gaya tha...Maine bhi notice kiya jaise jaise wo bada hota jaa raha hai uski saanse fulti jaa rahi hai aur uska skin bhi laal hota jaa raha hai...matlab agatr isko aur gussa dilaya jaaye to isko aur pareshanibhi hogi takat milne ke saath.....Rupal didi ne ek aur baar uss cheel se same baat kahi karne ko par wo kuch nahi kar raha tha...usne wapas se apna dhyaan uss aadmi pe kiya...jo ab bhara mota tazza ho gaya tha...apne panje se usne uss aadmi ko apni choch mwein daal liya aur gatak gaya usko.....yaha main sochj raha tha kaise maara jaae...didi bhi ussi mein lagi thi aur ye cheel jo itne der se...lad raha tha usne usko aise hi nigal liya...samuche...fir wo hamari oor badha...ab abhi jo humne dekha tha usse dar lagna to tay hi tha....to hum dono dhire dhoire picche hote gaye....Cheel ruk gaya aur fir apna panja upar kiya aur apna ek naakhun Didi ki oor badhaya....Didi nko laga ye nuksan pahucha sakta hai....dari hui thi yaar wo....to unhone apna shield mnikala aur saath hi mein talwar bhi.....uss cheel ne apna naakhun unke shield se touch karayi aur Didi ki shoield chamakne lagi aur didi ke baal tak hawa mein uddne lage.......uss cheel ne ek baar wapas se didi ki oor apni gardan thedhi karte hue dekha aur fier udd gaya waha se.....Main gaya didi ke pass....
Main - Aap thik to ho...aur ye ye kya tha...
Didi - element....Earth element...mujhe Earth element milla hai...main 2 element wali hu....nahi...par ye kaise...main do elem.....
Abhi didi bol hoi rahi thi ki uss aadmi ke ghar se kuch log bahar aane lage....umar unn sab ki hi jyada thi....aur sayad unhi mein se kisi ke upar...didi ki nazar gayi aur wo bhag ke gayi unke pass.....Main wahi dur se dekhta raha.....waha ek couple tha unhi ke pass gayi did...aur unko dekhne lagi.....Wo coupl bhi didi ko dekhne lage aur pahchanne ki koshish karne lage par..sayad pahchan nahi paaye to unhone puch hi liya..."beta kon ho aap kuch kuch pahchani hui si lagti ho...."
Didi ye sun ke apne aankhon ko rok na payyi bahne se aur bas wahi pe khadi..rone lagoi....Main ggaya unke pass aur wo mujhe dekh ke mujhse lipat gayi.....main samajh sakta tha ki wo jinke liye aayi yaha wo hi unko nahi pahchan rahe hai to dukh to hoga hi....maine unko chup karane ki kosish ki....par wo nahi ho rahi thi.....wah uss ghar se nikle hue aur bhi log yaha waha ki baatein kar rahe the wo sab bhi bahut khush the ho bhi kyun naa na jaane kitne saalo baad aazadi milli thi....
Unme se ek mere pass aaya aur apne bete ke ghar ka pata ucha....par amin aha se batata.....fir didi ne apne aashu ponche aur unko bataya.....saare log aate rahee aur didi unko unke ristedaaron ke baare mein batati rahi......wahi tab tak Didi ke nana nani apne ghar ko dekh rahee the....fir jab unhone hamari taradf dekha to humne lagbhag sabko hi waha se apne ristedaaron ke pass bhej diya tha.....
Nani - Beta....kya hame bhi hamari beti ka pata bata sakte ho....Nidhi naam hai uska....
Maine didi ki oor dekha...to wo bas ek baar muskurayi aur haa mein gardan hilaya....
Main - Haa chaliye hum aapko unke yaha le chalte hai...didi chale ab...
Unhone haa kaha aur hum chal diye waha se....thodi der mein hum ghar ke bahar the......abhi hum ander jaate usse pahle....darwaja khula....chachi bahar aayi...aur unke saamne Didi thi....main aur Nana Nani dhire dhire aa rahe the wahi didi uchalte kudte jaa rahi thi....bas issi mein hum unse thodi duri par the....
Chachi - Kaha gayi thi aur Prateek kaha hai.....itna late koi karta hai kya....pata hai hum kitne der se intezar kar rahe hai...ab dekho aaj ...khana to milega hi nahi tumhe....kaha hai wo Prateek...
Chachi shuru ho gayi bas....daantne lagi unko....wahi hum jo bas thodi hi duri pe the Chachi ki aawaj sun paa rahe the....Nana aur nani ko unki aawaj pahchane mein jarra bhi der nahi lagi aur wo...turant hi tez kadmo se uss oor badhne lage....main bhi dhire dhire aa raha tha.....
Chachi - Blti kyun nahi kaha hai wo..
Nani - Nidhi...
Chachi jo abhi tak daant rahi thi Rupal didi ko wo apni Maa ki awaj sun ke chaunk gayi....aur fir uske theek baad unke papa ne bhi unka naam liya....wo samajh hi nahi paayi...aur fir jab saamne dekha to unke maa papa waha the....Chachi iss waqt ek dum shock mein the...unko samajh hi nahi aaa raha tha kaise react kare.....tab tak...waha pe Dada dadi bhi aa gaye the saath hi...Chacha aur bua bhi....unka bhi kuch waisa hi haal tha...wo to Bua kuch had tak theek thi to unhone Chachi ko hilaya aur...wo hosh mein aayi...
Chachi - Maaa..... papa....
Itna nikal unke muh se aur fir aansu bahne lage....wo daud ke gayi waha unke pass aur unke gale lag ke rone lagi.....bahut waqt baad mile hai ye sab tabhi ye aashu hai...Main jo abhi tak picche tha wo ab jaake Rupal didi ke bagal mein khada ho gaya.....Chachi roye jaa rahi thi to chacha gaye unke pass unko...chup karane ke liye....chachi kuch der mein chup hui aur fir....unhione Rupal didi ki oor dekha aur unko bulaya apne pass....Rupal didi bhi gayi...
Chachi - Maa Papa ye hai hamari beti...Rupal...apki natin...
Bahot rona dhona ho gaya tha aur inn sab ko thoda kam karne ke liye Rupal didi ne apna muh khola...
Rupal - Haa Nana ji main hi hu aapki wo bechari naatin jisko har waqt daant khani hoti hai,....subah dant sham ko daant kabhi kabhi to maar bhii padhti hai...
Aise hi aur bhi naa jaane kya kya kahti chali gayi chachi ke baare mein....jisko sun ke sabko hasi aa gayi....aur fir..Dada ji ne sabko ghar mein chalne ko kaha...sab ghar mein aaye.....Aur sabke pass ek hi sawal tha ki ye dono bahar kaise aaye uss ghar ke...
Nana ji - Pata nahi kya hua.....aaj kisi ne uss aadmi ko lalkara sayad ladayi ke liye...aur firharra bhi diya....aur uske marne ke baad hamare jism par jo jaaduyi hathkadiyan aur janjeer lage the jo humme uske gulam banate the wo khud ba khud gayab ho gaye aur hum uss ghar se bahar aa gaye.....jisne bhi uss nirdayi ko maara.....wo bahut hi nek hoga...sath mein bahadur bhi....
Bua - Aapko ye dono kaha mille...
Nani - Ye dono ye to wahi pe mille jaise hi hum sab bahar aaye ye wahi par the....aur inhone hi to sabhi ko unke ghar walo ke pass pahuchaya.,...
Ab aayi hamare pakde jaane ki baari....jab Nana - Nani ne ye baatein kahi to sab humme dekhne lage...aur dekhne lage to unko ab hamare gande kapde....aur sharir pe lage hue chot bhi dikhe.....
Chachi - Tum dono....kaha gaye the...aue ye sab kya hai...kapde chot...kya kar rahe the...
Rupal - WO main...wo hum wo...haa hum dukan jaa rahe the naa...to isko...iss chotu ka pair ek pather mein lag gaya aur ye gir gaya...haa aur fir jab uttha to uss pather ko fenk diya..aur fir
Main (mann mein) - Ye kya bole jaa rahi hai....kahani bhi banani nahi aati inko...
Chachi samajh gayi thi kuch to gadbad thi to sidha kaan pakad liya didi ka....aur puchne lagi ki kya hua tha...par puch nahi paayi.....kyunki Nana ji ne unko daante hue kaha ki aise bacho se baat karte hai kya..aur wo chup ho ggayi....fir Nani ne pucha humse...to humne bataya diya...ki hum jaa rahe the tabhi Didi waha uss ghar ke passs rukki aur fir jo kuch bhi hua sab bata diya.....iske baad daant to padni hi thi....Haa par baad mein sabasi bhi milli....Didi ne ye nahi bataya kisi ko ki unke pass 2 elements aa chukke hai....ghar mein ab 2 log hai 2 elements wale...
Khana khane ke baad hum sab apne apne room mein wapas chale gaye...mera to pata hi hai ajeeb sa room bed pe jao turant neend aa jaayegi...bas wahi huaa...
Next day...
Agli subah jab main utha to sharir pe ek kharoch tak nahi tha...yahi hota aa raha hai pahle se bhi....Master training deti mujhe chot lagta dard hota par subah uthne ke baad bilkul aisa lata ki kuch hua hi nahi hai....main ekdumm se sahi rahta tha....
Main nicche gaya...sab naste ke liye ready the...aaj main apna meditaion miss kar diya tha...ye acchi baat nahi thi par...ghar ka khana khane ke baad neend hi aisi aayi...
Ab nicche aaya to sab nasta kar rahe the to main bhi baith gaya nasta karne ko...Nasta karte waqt no baat....rule hai ye sayad yaha ka...
Aaj sunday tha...aaj hi humme wapas jaana tha...bus dopahar ki karwayi thi Bua ne mere kahne pe kyunki sham ko mujhe uss dukkan se wo anguti bhi lene jaana tha wo cheel wali anguthi...
Nasta karne ke baad...aaj sabhi ne tay kiya tha ki hum sab Nana - Nani ke yaha jaayenge aur waha unka ghar saaf karenge aur jarurat ke saaare saman waha le jaayenge.....Aisa nahi tha Nana nani ko Chachi ne yaa fir kisi aur ne manna nahi kiya jaane se...yaha iss ghar mein bhi rooms ki koi kammi nahi thi....par Nana - Nani nahi maane unka alag kahna tha ki hum to paas mein hi rahenge naa jab bhi maan hoga hum chale aayenge jab tum logo ka maan ho tum chale aana...aur waise bhi wo ghar...bahut si yaadein juddi hui hai usse....
To inn sab dalilon ko sunke sabko naa chahte hue bhi maanna hi padda...hum sab chal diye sab saman leke unke ghar.....sab kuch saaaf karne.....par jab waha pahuche to ek cheej dekh hairaan rah gaye.....wo jo uss aadmi ka ghar tha usko waha ke logo ne hi tod diya tha...wo puri jagah jala di logo ne....gussa the wo bhi...naa jane kitne hi logo ko gulam banna ke rakha tha isne...
Hum sab Nana nani ke ghar mein gaye....puri jagah dhuul se bari padi thi...sab ne apna apna jhadu uthaya aur lag gaye sab saaf karne ko....ye waqt aise hi beet gaya sabne 3-4 ghante mein hi kaam khatam kar diya ghar ko ekdum se chamka diya...aur fir jo bhi saman aaya tha unhi mein se lunch banaya gaya aur fir saabne khaya usko....ab baari aayi humare jaane ki...Maan t nahi tha par jaan abhi jaruri tha...to hum sabse vida leke saath mein kuch gifts leke nikal gaye ghar se bus par se hote hue school tak....ab ye bus se mujhe jyada dikkat nahi hoti...sayad...
School mein aaye....aur hum dono apne apne jagah chal diye...main apne room mein Bua apne....Gifts aur saman pahle hi room mein pahuch gaye the...
Main thoda fresh hua...fir jab ghadi dekhi to sham ka time ho gaya tha aur mujhe ab jaan atha wapas se uss dukkan mein...par ab Main ye soch raha tha ki ye shield change karaun yaa nahi...maine usko wahi pe chod diya aur Bua ke diye hue....card ko leke chal diya market ki oor...Card bole to paise isse se aate the...ye dukkan wala card nahi hai....
Main thodi der mein pahuch gaya ussi dukkan mein aaj bhi waha pe maalik nahi tha...main gaya maine bell bajayi...aur wahi bauna kuch saman k girne ke aawaj ke saath mere pass aaya....
Bauna - Arre aap...aapka hi intezar tha...aapki anguti maine dhundh rakhi hai...aap baithiye ,mein laata hu yaha....
Main bhi jaake soffe pe baith gaya...thodi hi der mein wo ek purana sa box leke aaya...jisme bahut si angutiyan thi...ab wo kya thi ye pata nahi...usne mujhe meri kahi hui Cheel wali anguthi nikal ke di....maine anguti li haath mein aur haath mein lete hi bada ajeeb feel hua....kaano mein ek paal ko cheel ki aawaj sunayi di...fir aur uski wajah se anguthi mere haath se nicche dir gayi....Baune ne anguthi utha ke wapas mujhe..di...iss baar haaath mein lene pe kuch nahi hua....main uss anguti ki apne pocket mein rakha,...
Main - Ye itni saari angutiyan...inki phhoto to nahi thi waha....
Bauna - Haa inki nahi thi...main Maalik se iske baare mein baaat bhi karne wala hu...aakhir isnki phhoto kyun nahi hai...ek to ye chizen bikti nahi hai aur ab agar aise hi kone mein rakhi rahi to kaise bikegi...aapko kuch aur bhi chahiye to bataye...
Main - Arre nahi nahi main to bas...aap paise lelo mujhe bhi jaana hai...
Maine ause pay kiye aur waha se nikal gaya...aur fir wapas school...waha pahucha tio DB milla mujhe...
DB - Kaha gaye the bhai tum....kal dikhe nahi aaj bhi abhi dikhe ho..aur room mein bhi tala laga hua tha...
Main - Wo main....(maan mein) kya bolu isko...
Abhi main kuch bolta usse pahle waha bua aa gayi...
Bua - Tum...ab theek ho naa..tabiyat sahi hai ab...
Main - main....haa main to...
DB -(dhire se) kya hua tha be tujhe...tu hospital gaya tha kya...yaar bata deta main bhi aata tere saath...
Main - wo jaldi mein bas...
Bua - Tum aao mere cabin mein...aur Ef prince kabhi padhayi bhi kar liya karo...Prof. Suraj bula rahe the kisi wajah se...
DB - Arre main fir bhul gaya..thanks Prof... main jaata hu warna aaj mujhe mar hi denge..
Wo bhagta hua chala gaya wahi main Bua ke sath unke cabin mein...
Bua - Kya kharida...
Main - Wo bas ek anguthi thi acchi lagi to leli.....
Bua - Hmm thik hai...aur ab yaha thoda savdhan rahna...waise mujhe padna to nahi chahiye isme par bata deti hu....wo Pankaj wo tumse aur tumhare dost ko sabak sikhana chahta hai....ab meri baat sunno...jab bhi kuch ho next time...uske muh pe go ghusse marne hai tujhe samjha...aankh ke nicche...agar nahi maara to tujhe main marungi...
Main - Kya....ye batane ke liye bulaya aapne....
Bua - Haa 2 ghusse yaad rakhna...aur haaa dikha jara kya pasand aaya hai tujhe main bhji to dekhu....
Main abhi wo anguti dikhane wala hi tha ki Cabin mein Kavita madam aa gayi...
Kavita - oo to dono bua bhatija saath mein hai...aur Prateek kaisi rahi chutiyan...
Main - Bahut acchi....main to har baar jaunga ab...
Bua - Haa jaan ahi hoga...nahi gaya to tange tod dungi...accha tu jaa room mein humme meeting mein jaanahai...
Main room emin aa gaya..anguthi nahi dikha paya...
Room mein aaya to waha fir se wo gifts dikhe...to unko khol ke dekhne laga....ek family photo thi...jisme sab the...fir ek alag photo thi jisme Mom Dad aur main the...jab main sayad bahut chota tha tab ki photo thi ye....ek box tha usme Chachi ne klhana bhar ke diya tha....waha se khaa ke aaya tha main phir bhi....saath mein ek chitthi bhi thi....usko padha to pata chala ye khane ka dibba bahut jyada khass hai....iske rahte hue main har roj Chachi aur Dadi ke haath ka khana khaa sakta hu....
Gifts dekhte hue time beet gaya aur fir jab bhookh lagi to bahar naa jaake rioom mein hi Chachi ke diye hue box se khana khaa liya..
Fir wahi raat hui aur main so gaya...
Ajj ke liye itna hi... Travelling ke chakkar mein update late ho gaya....
Banne rahiye
Mast update broUPDATE - 18
AB tak
Nana - Nani wapas aa gaye the...main bhi waha se ab school aa chuka tha aur fir school se sham ke waqt market gaya aur waha se wo anguthi....wo cheel wali anguti wo bhi le aaya tha....aur fir apne room mein chala gaya ek baar Bua se milne ke bbaad......uhone kaha tha jab bhi Pankaj se panga ho to tu punches uske aankhon ke nicche jarur maaru...
Ab aage
Main bed par leta aur neend aa gayi thi...
Subah hui main jaga...aur apne room se bahar gaya ready hoke meditate karne ko....par jaise hi maine apne room ka darwaja khola main buri tarah se chaunk gaya......main bilkul kisi jwalamukhi ke upar khada tha uske muh ke pass....uske ander lava tha....uss lava ki garmi ko main mehsoos kar paa raha tha....jaldi se main apne room mein aane ke liye hua....to room hi gayab....abhi main hawa mein uss Lava ke upar khada hua tha.....room mera gayab ho chuka tha......aur fir acchanak se main girne laga....fatt ke char ho gayi meri....Main chilane laga...aur tabhi kisi ne mujhe pakad liya aur udte hue kahi aur le jaane laga.....ye wahi tha...wo cheel...aagg wale pankhon wala...wo mujhe apne saath kahi aur le jaane laga.....main uske panjo mein tha....wo tezi se udd raha tha...maine apni aankhen band kar li thi......aur aankhen tab kholi jab wo kahi nicche utarne laga....maine dekha wo mujhe sayad apne ghosle mein le jaa raha tha.....jo ussi jwalamukhi ke theek upar tha....
Usne mujhe waha pe rakh diya...apne ghosle mein aur fir khud waha se udd ke chala gaya....
Maine aas pass dekha to kuch kankaal pade hue the waha pe...aur ek tutta hua anda...jiska size mere jitna hi hoga....main badha uske oor....ki tabhi mere picche se kisi panchi ke chillane ki aawaj aayi aur main dar gaya...fir waha dekha to waha wahi cheel jo mujhe leke aaya tha wo hi baitha hua tha....par iss baar iska size chota lag raha tha....
Maine usko dekha usne mujheko dekha main uski oor badha...wo hilla bhi nahi waise hi nnbaitha raha .....main thoda aur aage gaya aur apna haath uski oor badhaya...to mujhe dikha ki mere hjaath mein wo kal wali anguthi hai....maine usko pehen rakha tha....par kaise maine to usko pehna bhi nahi fir ye kaise hua.....abhi main wo hi dekh raha tha ki uss cheel ne uss anguthi pe apne chonch se marra...aur wo anguthi chamakne lagi......bahut jyada chamakne lagi......fir jo eagle usme bana hua tha.....jiske pankh ek taraf hue hue the wo alag alag hue....aur uss anguthi se......ek chota sa herra jaisa kuch nikla......aur wo hirra jaake uss Cheel ke sar pe lag gaya.....jiski wajah se wo bahut chillane laga....sayad dard ho raha ho usko......haa dard hi hoga....wo bahut jyada chilla raha tha....main kuch kar bhi nahi paa raha tha.....abhi main usko dekh raha tha ki waha pe aur bhi cheel aane lage jo ki usse bahut bade bade the.....aur ye saare ke saare ek hi jaise to dikhte the to pata karna bhi muskil tha ki kon kon hai....
unn sab ne uss chote se cheel ko gher liya....bilkul hi dhak liya....main to dekh bhi nahi paa raha tha usko....pata nahi kya kar rahe the ye....main thoda picche hua aur mera...pair wahi pade ek kankal mein fassa aur main nicche girne laga....ussi lava mein aur wapas se chillane laga......aankhen khud band ho gayi thi.........ki tabhi kisi ne mujhe pakda......ye wahi cheel tha jiske sar pe wo herra laga hua tha....matlab jisko sabne ghe ke rakha tha wahi......usne mujhe pakda aur fir mujhe leke...chal diya...wapas upar...
iss baar bhi wahi uss jagah rakh diya....wo ghosla....waha pahuch ke dekha to sab ke sab wahi the...aur jhukke hue the mere saamne....sayad...
Mujhe kuch samajh nahi aaya.....main abhi unhe dekh raha tha ki wo cheel jisne mujhe abhi bachaya wo aage aaya aur wo bhi mere saamne jhuk gaya....
Main (Maan mein) - Bachaya isne hai mujhe to mujhe aur fir bhi jhukka hua hai....ye chal kya raha hai.....
"aapne mujhe iss kaabil samjha...maine kabhi nahi socha tha ki main iss samuh ka Raja banunga aur aapka pradhansewak...."
Main yaha waha dekhne laga ye kon bola.....aur jab conmform ho gaya ki ye koi aur nahi ye cheel hi hai to dimmag hill gaya mera.....ye bol kaise raha hai...
Main - tum bol sakte hho par,..kaise...
Wo - Aapne hi to mujhe bolne ki shakti di....shukriya aapka....
meri kuch samajh mein nahi aa raha tha....wahi wo mudda aur wahi pe ek cheel ke pass gaya aur...uske chonch mein apne chonch se chuwa.....aur uss cheel ke aankhon se aashu girne lage...wahi iss cheel ke saath bhi hua...sayad dono ek dusre ko jaante ho.....fir kuch der baad dono hi mere pass aaye....
H.Cheel(herre wala) - Ye meri Maa hai.....inhone hi aapko bachaya tha....aur aapko yaha mere pass layi thi......ye iss kabile ki rakshak hai...
Main kya bolta....yaar samajh hi nahi aa raha ek to itne bade bade cheel sab ke bich mein hu aur unme se ek baat kar raha hai aur baaki saare nahi....aur ab wahi mujhe apni Maa se milla raha hai jisne mujhe bachaya tha.....
Main - Ji sukriya aapne mujhe bachaya...aur sayad aap wahi hai naa jo uss din mujhe aur Rupal didi ko bachane aayi thi....uss aadmi se
Meri iss baat ko sun ke wo herre wale cheel ko dekhne lagi aur sayad kuch kaha bhi usse....
H.Cheel - Nahi Maa kah rahi hai wo Maa nahi thi wo issi kabile ka koi aur tha jisko Maa ne bheja tha uss din...Maa ne bas aaj bachaya hai aapko...aur uss din aapke haath se aag liya tha...
Main - Matlab uss din waha koi aaya tha aur wo ye thi....
Fir wahi hua usne apne bete ko dekha fir bete ne mujhe jawab diya....
H.cheel - Nahi wo Maa nahi ti wo mere pita the....jo ab nahi rahe....apke ander badhi hui uss energy ko absorb karne mein wo chal basse....unke jaane ke baad hi Maa ko iss kabile ki rakshak banaya gaya...
Main ye sun ke shocked rah gaya ki iska pita meri wajah se maara gaya....wo mere liye aaya tha waha...
Main - Mujhe maaf kar do mujhe pata nahi tha ye....
H.cheel - Maafi mat maangiye ye unka kaam tha aur unhone puri nista se isko pura kiya hai.....aur ab meri baari hai....ab main aapke saath hi rahunga hamesha...jab bhi aapke upar koi khatra ho usko mujhse hoke jaana hoga....
Main - Nahi tum yahi rahoge...apni Maa ke pass......jab bhi mujhe jarurat padegi main bula lunga tumhe....tum yahi raho....apne kabile ka dhyaan rakho aur apni Maa ka bhi...
Main kaise usko leke jaata apne saathkitne hi din hue naa uske pita ko marre hue aur ab usko bhi apni Maa se dur karna ye mujhse nahi hoga...maine usko manna kar diya.....mera usko manna karna tha aur meri aankhon ke saamne bahut tez roshani hui aur uski wajah se aakhen band karni padi mujhe....aur jab laga ki roshani khatam ho gayi hai ar maine aankhen kholi to main....main apne room mein tha apne bed pe....pata nahi yaha kaise aa gaya....main to abhi kahi aur tha....kya wo sab sapna tha.....maine apna haath dekha wo anguti abhi bhi mere haath mein thi....jiko maine pehna nahi tha....agar wo sapna tha jo main dekh raha tha to usme nbhi anguthi mere haath mein tha....aur ab bhi....samajh mein kuch nahi aaya....main charo oor dekhne laga to ek chiz dikha.....mere room ke diwaron pe...kuch chamak a raha tha....wo saare paterns aur drawings jo bhi banne hue the waha pe wo sab chamak rahe the....ye pahle to kabhi nahi dekha tha maine....main unhi sab ko dekhta raha....aur sochta raha wo sapna tha yaa kuch aur....jab tak Bua ki aawaj nahi aayi.....bua abhi waha pahuch gayi thi dhyaan llagane wale jagah pe...aur wahi se telepathy ke jariye mujhe bula rahi thi....
Bua - ya bachhu ek din din mein hi aadat kharab kar li....agar Madam ko pata chala to wo mujhe nahi le jaane degi tujhhe ghar pe....chal jaldi se aaja...
Maine tab jaake ghadi dekha to waqt yahi kuch 5 ho raha tha...main jaldi se ready hua aur fir chal diya waha dhyaan pe baithne...
Waha pahucha to Bua start kar chuki thi main bhi baith gaya wahi pe...aankhen band ki to wahi moti dikhayi diya jo uss cheel ke upar gaya tha....thoodi der mein wo cheel bhi dikhayi diya....aur main dar gaya....
Cheel - Malik aapne mera koi naam nahi diyta...kripya naam deke mujhe purnatah swikar kare....
Main - T kya wo sab sach tha jo bhi maine dekha....
Cheel - Haa malik utna hi sach jitna abhi aap dhyaan mein baithe ho aur main aapke nazron ke saamne hu....ab aap jaldi se mera naam rakh de....
Main - Min kya naam du tumhare Mata pita kya bulate hai tummhe...
Cheel - Wo to bas beta kah ke bulate hai aap naam de de mujhe...main ussi naam se janna jaunga...
Maine usko ek baar dhyaan se dekha..to uske pankh se wahi aag ki lapte nikal rahi thi aiur ye lapte bahut jyada thi....baaki sabhi se sayad uss herre ka asar ho....usko dekh bas ek hi naam samajh meinaaya aur wo tha Jwala.....
Main - Tumhara naam Jwala hai....thik hai naa...
Cheel - Ji maalik thik hai...
Main - Maalik nahi main dost hu tumhara....mujhe Prateek kaha karo......ab jao aur jab main bulao to hi aana...
Jwala - Ji jo aagya...
Itna bola usne aur wo chala gaya...aur meri aankh bhi khul gayi....Bua ka bhi ho gaya tha Dhyaan lagaya hua.....waqt dekha to 8;30 ho rahe the....main bua ko bol ke jaldi se room mein gaya ready hua waha dinning hall jaane ke liye...
Main room se nikalne laga to wo kitab dikhi wo unknown worrior wali to usko bhi le liya....main wo kitab padh li thi to ab DB ko wapas bhi dena tha...main room se nikla aur DB ke room ki oor gayawaha gaya aur darwaja knock kiya...
DB ne darwaja khola.....wo abhi ready ho raha tha maine usko uska book diya...usne mujhe thoda wait karne ko bola taaki hum saath mein jaa sakke main bhi baith gaya wagha fir wo ready hua aur hum dono chal diye dinning hall mein....
Dinning haal mein pahuche to hum dono ek jagah baith gaye khana leke....maine ek baat notice ki bahut se log hamari oor dekh rahe the aur baatein kar rahe the....
Main - DB ye sab kya ho raha hai...humme aise kyun dekh rahe hai sub....
DB - Arre ye sab wo Pankaj ne humme dhamki di thi naa ussi ki wajah se hai....hum log yaha pe bahut famous ho gaye ghai.....wo dono gadhe nazar nahi aa rahe hai....
DB unhi dono ki baat kar raha tha jo Pankaj ke bando ki pitayi wale din hamare saath the...unse meri jyada baat cheet nahi hui hai naam bhi nahi pata hai mujhe abhi unka...
DB ne ek baar charo taraf dekha wo dono kahi nahi dikhe...waqt ho gaya to hum saare pahuch gaye waha se class ke liye....
Prof. Suraj...ne aaj bhi pahle theory ki class li fir shuru hua Practicals ka.....Practicals ke waqt bhi humne dono ko dhundha par saale mille hi nahi.....humme laga dono ke dono kahi gaye honge.....DB ne bhi bataaya jki mere saath wo dono bhi gayab the...aaj classes ki tiiming kam kar di gayi thi pahle se kuch aur routine bhi badla hua tha....2 aur classes jo shuru hui thi pahli....magical medicines ki.....bole to jaduyi khade ki......jiska HOD Pankaj ke babuji the...wahi dusra classs tha animal spirit ka...
Ye dono hi classes ab bua ke classs se pahle honi thi.....to hum saare bhi muh uthaye chal diye.....jaduyi kadhon ki class mein.....jaha aaj HOD ji bhi aaye the......generally aisa nahi hota tha......1st year aur 2nd year ke special batch walo ko sir ji ka chahera bhi dekhna naseeb nahi hota tha......unme to bas....assistant prof. hi aate the...aur ye haal special class batch ka tha...normal class mein ye janab bas....4th year bole to lkast year mein hi pahuchte the....usse pahle nahi...aur aaj ye 1st year ke special class mein aaye the...
Sabka inmtroduction hua...sabne apne naam bataye apni breed batayi....aur isko leke professor sahab ne sabka mazak bhi banaya....wo sabko wahi apne half blood aur etc wale taane sunna rahe the....ye bata rahe the pure blood hi sabse kaabil hai..sab ye sunte rahe...
Classs ke naam pe kuch nahi hua waha bas wahi sab.....aur fir sabko group mein baanta gaya mujhe aur DVB ko iss baar bhi sath rakha gaya...
Iss class ke complete hote hi hum chal diye Spirit animal wale clas mein....ye ek naya subject tha....aur bahut hi intresting.....sabse ahem baat to ye hotti hai ki aap apne spirit animal ko kaise aur kitna jaante ho....fir uska aur aapka kaise sambandh hai....dost hai yaa banti nahi....agar nahi banti to kyun nahi banti....aur usko kaise use kiya jaaye khud ko takatwar banane mein.....generally sabbke ander hi spirit animal hota hai....par kisi mein jyada shaktishali to kisi mein kam shaktishali....kamzoor koi bhi nahi hota....aur unke shaktishali hone ka yaa sab kuch aapko hi dekhna hota hai...
Prof. Naman yahi naam hai iss suject ke teacher ka.......ye Titan grah se aaye hai matlab devtaon mein se ek maane jaate hai...inke under mein 3 aur asistant prof. hai jo Orion aur strange world se hai.....
Aaj hum sab ke spirits ko jana jaayega....to iske liye humme k jaaduyi sphare ke pass jaana hai aur uske upar apna haath rakhna hoga....
Aaj ke liye itna hi
Next update mein....pankaj se ek aur mulakat....saath hi spirit animal ka pata lagayenge...
Excellent updateUPDATE - 19
Ab tak
Main jwala se milla.....uske kabile se bhi....aur fir wapas aaya...fir classes ki... jisme aaj 2 nayi classes thi ek jaduyi kadha ki aur ek Spirit animals ke baare mein thi jisme humme spirit animal ke baare mein bataya jaayega aur saath hiunko kkaise takatwar banaye...class mein kuch der sabko spirit animal ke baare mein bataya gaya aur fir humare samne ek sphare rakha gaya aur kaha gaya wahi hame hamara Spirit animal dega...
Ab aage
Fir kya tha ek lamba sa line lag gaya aur hum saare baari baari se usko chunne lage....kisa ka khargosh to kisi ka saanp....yaa kisi ka kuch aur aisa hi sab aa raha tha....fir baari aayi wo Vapmire ladki ki.....wo gayi apni aankhen band ki aur fir uss gole ko chua....uska spirit animal ek ghoda tha Horse...fir 2 logo ke baad DB ki baari aayi usne chua to ek safed lomdi aaya....fir baari aayi meri....main gaya aur maine chua to waha pe ek gol cheej thi bas....kisi ande ki tarah... uss sphare ke pass khade assistant professor ne jab usko dekha....to mujhe wapas se uss sphare ko chune ke liye kaha gaya maine bhi wapas chua to fir se wahi tha bas ek anda jaisa kuch tha....usss Assistant professor nr ye baat Prof. Naman se kahi jo ki class mein hi thodi duri pe baithe hue the...
Professor Naman ne bhi jab ye sunna to chaunk gaye aur mere pass aaye...unhone sabse pahle to uss shpare ko check kiya fir mujhe dekhne lage....
Naman - Naam kya bataya aapne apna....
Main - Ji prof. main Prateek hu...
Unhone mujhe acche se dekha....
Naman - Abhi tak tumhara spirit animal bahar nahi aaya....strange...ye to bahut hi rare hai....bacche ek baat batao...tumne aaj tak kabhi meditate kiya hai yaa nahi....
Main - Ji professor main karta hu roj karta hu....
Naman - hmm lag to nahi raha kyunki agar tum karte to abhi tak tumhara spirit animal bada bhi ho jaata...par ye to abhi apne shell se bhi nahi nikla hai....
Assi. Prrof. 1 - Sir isme aapko ar bhi ajeeb nahi ddikha kuch...aap dekhiye...iske spirit animal ke shell ke size ko aur fir ye iske aas pass kuch chamakta hua bhi to dikh raha hai....
Naman ne dhyaan se dekha usko...fir kisi gahre sonch mein chale gaye....wahi assi. prof. ne mujhe side mein kar diya aur fir baaki ke bacche hue logo ko dekhne lage...
Main bhi side mein aake sochne laga ye kya ab naya aa gaya....mere maan mein tha ki sayad wo Jwala dikhega yaha par ye to kuch aur hi hai,.....matlab ek baat abhi saaf hui kki Jwala koi animal spirit nahi hai...to wo kon hai....aur ye mera animal spirit kon hai jo ab tak apne shell se bahar hi nahi aaya hai....main ye sab soch raha tha wahi Prof. Naman alag kuch soche jaa rahe the....aur issi bich mein sabhi ke animal spirits ka pata chal gaya....mujhe bhi unn logo ne bula liya aur fir kuch tips sabko bataye gaye ki kaise khud ke spirit animal ko taiyaar kare unhe majboot banaye....saath mein ye bhi ki aapka element aur aapka Spirit animal dono hi connected hote hai ek bilkul hi patli se dhage se....aur humme meditate kar kar ke uss dhage ko majboot karna hai...itna ki connection strong ho....aur jab aisa hoga to hum dono ko ek saath milla ke bhi use kar sakte hai jaise mein DB ka example liya gaya...uske pass Nature ka element tha aur Spiirit animal white wolf....agar dono ko hi acche se connect kiya jaaye to wo white wolf bahut hi yada takatwar ho jaayega....par dono ko connect karna bahut hi jyada muskil hai...
Fir kya class khatam ho gayi sabhi jaane lage par mujhe rok liya gaya....main waise bhi baat karne wala tha Naman sir se....mujhe laga sayad ye shield wali baat unko bataun to wo kuch aur madad kar sake.....mujhe abhi tak mera element tak pata nahi chala tha...
Bas fir kya tha mujhe rukne ko bola hi tha to main bhi ruk gaya...aur fir Naman sir mujhe apne cabin mein le gaye....badi thand thi unke cabin mein...aisa lag raha tha jaise barf padi ho abhi abhi....
Naman - Haa to...kya naam bataya tha tumne apna...
Main Prateek...
Naman - Haa to Prateek ek baatbatao.....element kon si hai tumhari....
Main - Nahi ppata prof.
Mere aisa bolne pe unka muh khula rah gaya....wo mujhe ghurte hue bole...
Naman - Nahi ppata se kya matlab...kya tumme koi p[owr nahi hai aur tum yaha pe ho...
Main - Nahi prof. aisi baat nahi hai main Magic kar sakta hu aur abhi main ek testing shield use kar raha hu Prof. Suraj ke kahne pe...
Nama - Hmm sayad ye ek kaaran ho...par aisa pahle naa to maine kahi dekha hai aur sayad sunna bhi nahi ki itne bade hone ke baad bhi naa to element ka pata ho aur naa hi spirit animal ka....waise to ye animal spirit ka subject pahle gupt rakha gaya tha...ab jab jaake sabko jarurat padi hai iski tab ye sabke liye khuli hai...lekin animal spirits hti jaurur thi pahle bhi sabhi mein yaha tak ki insano mein bhi...par tumme nahi hai...
Mujhe samajh nahi aa raha tha ye taana maar rahe hai samjha rahe hai yaa dilasa de rahe hai main bas haa haa karta raha....
Naman - waise ek do baatein aisi hai ki unko dekh main thoda confuse hu...jaise wo egg ka size...aur wo shell ke upaar chamakta hua wo.....sayad main jo ab kahunga wo samajh mein naa aaye tumhe...
Main (maan mein) abhi tak waise bhi jyada kuch samajh mein nahi aa raha hai...
Naman - Chalo apna haath aage karo......
maine bhi apna haath aage kiya aur....usko Naman ne pakda aur apna angutha meri kalayi ke bich mein rakh kar usko press karne laga...mujhe thoda dard ho raha tha maine jab uski oor dekha to uski aankhen band thi aur wo kuch badbada raha tha......main usko hi dekhta raha aur fir acchanak se uske chahre pe kuch pareshani dikhi aur fir turant hi muskan phail gayi..... unhone mera haath choda...
Naman - Waah main sahi tha...tum koi aam bacche nahi ho...jitna dark utna hi bright...jao tum..aaram karo....main tumhe kal class mein milunga....
Mere ko kuch samajh mein nahi aaya ye abhi kar kya rahe the aur fir acchanak se ye "Jitna dark utna bright" ye kya hota hai...aur ab turant yaha se jaane ko kah diya....
Main ab kya kuch puchta unhone to mujhe gate tak choda aur fir gate ke bahar bhej darwaja bhi band kar diya...
Main bhi next class mein jaane laga par ground se hoke hi jaana tha na to ground mein pahucha to waha ka scene dekh main dang rah gaya...mere class ke saare bande wahi pe the...aur wo kisi chiz ko dekhe jaa rahe the...main bhi gaya dekhne to waha pe DB unn dono ko chapad maar maar ke sayad jaga raha tha....ye wahi the jinhe hum dhundh rahe the din bhar se....wo unn dono ko hi maare jaa raha tha...
Main - DB kya kar raha hai...yaar chod unko kyun maar raha hai....
DB - abbe inke aankh dekh....bilkul laal hai.....ye pata nahi kaha se yaha aa gaye...aur yahi pe pade hue the.....inko jaldi se hosh mein laana hai....abbe tum sab ko samajh mein nahi aa raha inko jagao warna ye....
Waise to iss DB ki baaatein ajeeb thi par....wo Vampire ladki wo bhi waha unke pass gayi aur unn dono mein se ek ko pakad ke maarne lagi...
Abhi ye sab ho hi raha tha ki Bua waha aa gayi....bua class mein sabka wait kar rahi thi....aur class mein koi gaya aur unko yaha ke baare mein bataya....Bua ne aate hi dekha ki inn dono pe sayad kisi chiz ka asar hua hai....usne tutarnt hi Kavita madam ko waha blaya aur unko leke jaane k kaha....wo dono chale gaye waha se...
Bua - Elf prince.....kya hua tha yaha batao....
DB - Madam hum sab aapke class mein jaa rahe the....ki tabhi mujhe ye dono yaha jamin pe pade hue mille....par ye dono yaha nahi the pahle....hum pahe bhi iss jagah se aa jaa chuke hai aaj hi...par tab tak ye nahi the yaha...par iss baar ye the....aur jab hum inke pass aaye to maine dekha inki aankhen bilkul hi lkaal ho rakhi thi....
Itna bol ke wo chup ho gaya....aur bua ne bhi usko aankhon se kuch ishara kiya...aur DB ne ishare se pahle to 3 anguliyan dikhayi aur fir.....haa mein dheere se sar hilaya......ye sab maine aur unn vampire ladki ne bhi dekha tha....uss Vampire ladki ko pata nahi kya hua ki wo..turant hi waha se chali gayi.....wahi Bua bhi class off ka kah ke waha se chali jaati hai....
DB - ooye tu chal raha hai unko dekhne....
Main - Haa main chalta hu
Hum dono waha gaye aur dekha waha pe wo Vampire ladki pahle se thi......uske honton pe khoon laga hua tha...main usko hi dekhta raha...aur fir dekhte hi dekhte wo ladki behosh ho jaati hai....hum dono abhi medical department mein hi the to Kavita madam ne turant hi usko bed pe utha ke rakha....hum dono ye sab dekh hi rahe the ki waha pe Bua bahar aati hai ussi room se...jis room mein wo dono ko rakha gaya tha....
Bua - Kavita wo dono theek hai....(ladki ko dekh) Nikita ko kya hua..
Uss Vampire ladki ka naam Nikita hai....
Kavita - Yaar isne unn dono ka khoon purify kiya hai...isse thodi kamzori hui hai isko....par theek ho jaayegi turant...
Bua - Tunne isko kyun jaane diya...dimmag sahi hai naa tera
Kavita - Yaar ye ye sab jaanti hai ye aksar mere pass aaya karti thi aur inhi sab ke baare mein baat kiya karti thi....isko saare basics pata hai aur iske a;lawa abhi koi tha nahi yaha pe jo meri help karta....help aane mein waqt lagna tha aur tab tak sayad inn dono ki halat bahut kharab ho jaat...
Bua - Hmm thik hai...par iske liye Nikita ko inam milega...aur tum DB tumhe bhi....agar uss waqt tum nahi dhyaan dete dono pe aur inko jagaye rakhne ki koshish nahi karte to dikkat ho jaati....
DB - Arre nahi Madam ye dono to dost hai mere.....waise ye pata chala kab diya gaya tha ye aur kaise...
Bua - Ussi chinta tum mat karo Elf prince wo ab main dekhungi aur tumhe yaki dilati hu jisne bhi ye kiya hai usko sazza milegi hi...
Thodi der aur baatein hui aur fir Nikita ko bhi hosh aa gaya....Maine aur DB ne usko thanks bola hamare dost ko bacchane ke liye to wo attitude dikhate hue ye bol ke nikal li ki ye to uska farz tha...
Hum dono unn dono ke pas gaye aur unse batein karne lage par dono saale abhi bhi jaise nashe mein ho uss tarah se baat kar rahe the...Bua waha aati hai aur hum dono ko bahar jaane ko kahti hai...
Bua - Aaj to spirit animal ka pata lagna tha naa kya nikla tum dono ka....
DB ne apna bataya maine bhi apna bataya.....aur mera sun ke bua ko bahut bura laga....arre pahle element nahi milla aur ab spirit animal bhi nahi...
Hum dono waha se nikal aaye aur apne room mein chale gaye......main room mein jaa hi raha tha ki DB ne mujhe apne room mein bula liy...kam hoga main gaya to uke haath mein ek chithi thi...
Chithi - Abhi bas demo diya hai.....agar baar baar saamne aaye to smajh rahe ho naa...plan to tere tinno sathiyon ka tha par wo tisra milla nahi....warna tinno ko dekhta tu...
Sayad uss chithi mein tisra saathi se matlab mera tha...
DB - dekh raha hai...kya lagta hai kon hoga ye...
Main - Pankaj
DB - haa wahi hoga...ab isne panga le liya hai ab to jawab bhi dena hi hoga....raat ko milna....aaj chalte hai seniors ke pass...sun tu apna shiledbhi le aana...
Main - Hmm thik hai
Aaj ka yahi tak rakhte hai next update m,ein ek chota sa fight jisme kuch hoga jiske baad Element bhi aayega aur ye ande ka razz bhi khulega.....
waise kya lagta hai kya hoga ande mein..
Hints - Dragon , Gorila, Panda, lion
batana sab![]()
Awesome updateUPDATE -20
AB tak
Spirit animal ke naam pe ek bada sa anda milla jo chamak raha tha...Prof.Naman bhi ajeeb si baatein karne lage ki..jinta dark hai utna hi bright...wahi Bua ke class mein jaate waqt DB ko dekha wo hamare hi shatiyon ko pite jaa raha tha....par baad mein pata chala wo to baccha raha tha unko...Tabhi waha Bua aati hai aur undono ko waha se School ke hospital mein le jaati hai....jaaha pe wo Vampire ladki jiska naam Nikita hota hai wo help karti hai unko bachane mein.,....bahar aate waqt Bua mujhse puchti hai mere spirit animal ke baare mein aur jab main unhe aande ke baare mein batata hu to wo nirash ho jaati hai....jab main aur DB waha se room ki oor aate hai to humme ek letter milti hai aur usse humme lagta hai ye letter jarur Pankaj ne hi bheji hogi...aur hum tay karte hai aaj raat usse milne ka...
Ab aage
Raat ka waqt...
Main aur DB dono ne hi jaldi khana khaya aur apne room mein aa gaye uss waqt ka intezar karne lage ki kab sanata ho aur hum nikle....aur pata nahi kaise aaj ye sanata jaldi ho gaya kuch...main aur wo dono nikal pade..Seniors ke pass jaane ke liye par...wo pahle se hi hamara wait kar rahe the hamari hi jaagha pe/....unme se ek ne humme Talab ke passs chalne ko kaha....humme to waise bbhi baat karni hi thi....DB ne to soch liya tha panga lena hai....par maine socha ek baar baat karke dekh lete hai...mere bahut manane pe wo maana tha....to hum dono bhi unn chamcho ke chat chal diye Talab ke pass.....waha gaye to Pankaj ek chair pe baitha tha aur Talab ki oor dekh raha tha...
hum dono gaye aur kuch bolte usse pahle hi Pankaj ne jaadu se 2 chairs waha pe mangwa li....aur hum dono ko baithne bola....
DB - Hum baithne nahi aaye hai hhum yaha baat karne aaye hai...
Pankaj - Kursi muh mein dalne ko nahi di hai baithb ke baat karte hai issliye di hai...arre batho yaar dekho...kitna sundar lag raha hai ye talab...isko dekhte hue baatein karte hai...
DB ne meri oor dekha maine bhi usko Haa mein isara kiya aur hum dono baith gaye...aur issi ke saath unka game suru hua.....
Hum kuch sochte bhi usse pahle hi hamare haath band gaye...aur hum dono hi waha ope kisi pinjre jaise chiz mein band ho gaye....ar kuch hi seconds mein wo kisi hgas se bhar bhi gaya....ye jo bhi tha bahut hi jaldi hua tha....itna bhi time nahi milla mujhe ki main Jwala ko bulla saku....
Wo gas mere saason se khoon mein milne laga aur palak jhapakte hi meri aankhen band ho gayi.....
Aankhen khuli to main kahi aur tha...ajeeb si jagah...ek taraf Barf thi...to ek taraf sirf aur sirf hariyaali...aur main...main jis jagah khada tha waha kuch bhi nahi tha...saamne mere Suraj Chamak raha tha...Maine ek baar wapas charo oor dekha....koi nahi tha waha pe...main sochne laga sala kaha pe aa gaya...mar mura to nahi gaya naa itni jaldi....abhi kal hi to family millli hai aur itni jaldi...mujhe bada ajeeb saa lagne laga...sab khoo gaya ho mera waise kuch....Dil bhari saa one laga mera....
Tabhi pata nahi kaha se aawaj aayi ek...
"bacche tum yaha kya kar rahe ho..." ....Miane yaha waha dekha koi nahi tha phir ye aawaj....
School mein jab padhta tha to sunna tha jab akele raho bilkul akele to dimmag tumhe tarah tarah ki aawajon sunayi dene ka ahsas karata hai...sayad ye wahi tha...aisa mujhe laga....ye bhi sunna tha isse bachne ke liye apne maan ko shant karo dimmag ko shant karo...aur main dimmag shant karne ka ek hi tarika to jaanta tha jo Master ne bachpan se hi sikhaya tha....Meditation...to main baith gaya aur meditate karne laga....
"Bacche tum yaha kya kar rahe ho" Ek baar wapas wahi aawaj par iss baar ye koi aurat thi sayad....Maine dhyaan nahi diya aur bas laga raha....kuch hi to waqt beeta tha ki aisa lagne laga jaise koi cheez mere ander chali jaa rahi ho....pata nahi kya....kisi taakat ke aane kaa aabhash ho raha tha mujhe apne amder....par kya tha ye ye nahi pata tha....maine apni aankhen kholo....aur jab aas pass dekha to 2 badi badi aankhen dikhi...ek hariyaali wale side aur ek barf wale side.....badi badi laal aankhen......mujhe darane ke liye kaafi thi ye...
Aur jab unn aankhon mein se kuch mere ander aata dikha tab to dar ki seema hi nahi rahi....main hilne ko hua par hil naa saka....
Thodi der baad mere saamne kahi se koi bada saa anda aa gaya...aur wo aankhen wo gayab ho gayi...
Main ussi ko dekhne laga ek sunahra anda....ye bilkul ussi tarah ka tha jaisa maine apne spirit animal ko dekhte hue dekha tha....Jigyasha thi to usko chunne ke liye haath badhaya...aur haath badhate hi wo hilne laga...Maine apna haath picche le liya...par wo anda hilta hi raha...fir usme se darar aane ki kadddd...kaddddd ki aawajein bhi aane lagi......
Main usko dhyan se dekhta raha....abhi aawajein hi aa rahi thi ki tabhi usme se ek panja nikla...chota sa panja...par naakhun te usme...nukile naakhun...main dekh raha tha usko.....ki dusri oor se bhi ek panja nikla....ye bhi waisa hi tha....bas rang mein thoda sa anter tha.....aur iske baad sidhaa uss ande ka sirra tuuta aur mere saaamne ek sar tha...ek dragon ka sar....jiski badi badi aankhen thi...dekhne mein bada hi pyaara lag raha tha....waise bhi kisi bhi bacche hamesa pyaare hi lagte hai ussi tarah se ye bhi laga....
wo apna saar yaaha waha gumma raha tha ki wo annda hi palat gaya...matlab ludak gaya aur wo dragon ka baccha nicche gir gaya...kuch chipcippa sa laga hua tha uske upar....Ab wo girra to main uske nazdek jaane ko hua usko uthane ke liye...Main uski poor apna haath badha hi raha tha ki ussi annde mein ek aur jagah se tutne ki aawaj aaayi aur ek aur sar bahar nikla dono hi sar ek dusre se alag the....
Main usko dekhne laga...sayad ye ek nahi 2 hai....par kya ek annde se kabhi 2 bacche nikalte hai....phir laga dragon hai ho bhi sakta hai...
Main aage badhne laga to dekha wo jo gir gaya tha ab wo bhi utt gaya aiur dono hi aande ke bahar aaye....Bacche the ye dono par mere se bas aadhe size ke the...Dragon ke bacche size to bada hona hi tha...
Maine dekha wo dono ek dusre ko saaf karne lage....wo jo chipchipa sa kuch laga tha usko saaf karne lage....aur aisa karte hue hi unki nazar meri oor gayi....unn dono ne pahle to apna saar yaha waha karke dekha aas paass koi aur hai yaa nahi yaa sayad kuch aur dekh rahe ho wo...fir merioor pair badhaya aur ludak gaye...chalna nahi aa raha hoga...
Wo girre to main unke paas gaya dekhne ko....unko uthaya...bhari hi the dono ke dono....Jab main unko utha raha tha to unme se kisi ek ne apne panje ko mere seene pe rakha sayad sahaera lene ke liye...par wo gayab ho gaya...main dekhne laga kaha gaya wo...par utne hi waqt mein uss dusre wale ne bhi waisa hi kiya aur wo bhi gayab...
2 minute pahle mere saamne 2 dtragon ke bacche ek annde se nikle...aur ab...acchanak se gayab...
Main yaha waha dekhne laga to kuch nahi milla....bas wapas se wo hi aawaj aayi...
"bacche tum yaha kya kar rahe ho..."
Main - Kon hai...aur wo dragons kaha gaye...kon hai..
"Dragons wo to apne jagah pe chale gaye.....ab tumhe bhi jaana hai..."
Main kuch puchta aur usse pahle hi main wapas se...ussi chair pe baitha tha...saamen DB tha mere jo behosh ho chuka tha.....aur baaki ke wo Pankaj aur dusre log the jo hasse jaa rahe the.,....
Unka hasna mujhe gussa dilla raha tha...aur upar se wo saari ghatnaye...dragon.....baccha unka gayab hona....saar dard karne laga mera....Maine gusse mein apna haath upar kiya aur wo chair...wo tut gaya...wahi jo bahar baiythe ladke has rahe the unki bhi nazar mere upar gayi...
A2 - Aabbe ye ye sala khada kaise hua...abhiu tak ton iss drug ko isko behosh kar dena tha...
A5 - Arre dekh ye to ye to sisse ko bhi maar raha hai...arre sisha tutne wala hai...ye ho jkya raha hai...
Pankaj jo inn sab se anjaan hamare hi bagal mein baitha saame talab ko dekhe jaa raha tha....wo sala bas dekhe jaa raha tha sayad soo gaya hoga...aawaj to sunayi deni thi naa usko par wo bhi nahi sunayi di usko...
Maine uss sisshe ko toda...aur fir waha se bahar aaya...aur sabse pahle to ek punch mein hi wo saamne wala seesa jisme DB band tha usko toda...taaki wo gas aur jyada naa jaaye uske ander...
AB jaake uss Pankaj ko aawaj aayi aur wo meri oor dekhne laga...
Pankaj - Saale tu bach kaise gaya isse....mere baap ka banaya bahut hi accha kaadha tha ye..isske dhuen ke ander jaate hi insan kamzoor hone lagta hai uski powers jaane lagti hai par tu...
Wo bole jaa raha tha main wahi DB ka haath khool raha tha....
Pankaj - Abbe dekh kya rahe ho pakdo isko.....saale ko jaane nahi dena hai...
Unme se kuch log aaye mere pass....main laga raha DB ka haath kholne mein....wo aaye aur unse meri shirt faat gayi....main upar se bilkul nagna ho gaya....waise to dubla patla tha main....par wo log mujhe aise dekhe jaa rahe the jaise main koi ajooba hu....pata nahi kameeno ke kya irade the...aise kon dekhta hai ladke ko...
Main khada hua aur jaake ek haath maara unme se ek ko...maara to thapad tha par uske gaal pe nishan kisi ke panjo ke lagne ke the...
Uski choot ko dekh waha pe sabhi log apne haathon ko aage karke thoda chillaye...aur unki body kuch kuch badal si gayi...ye tarika tha apne Spirit animal ko bulane ka...
Pankaj - Saale tu humpe apne spirit kazor dikha raha hai....tu dekhta jaa isko bhi aaj hi khatam karunga...
Main (maan mein ) mere pass kab se aaya ye spirit animal aaj tak to wahi anda hi tha...
Main soch raha tha ki unme se ek aaya aur mujhe maarne laga ki maine douch kiya aur usse bach gaya aur ke mukka uske pet pe diya....wo bahut picche takl gaya....slide karte hue......Sab usko dekhne lage main khud bhi ussi ko dekh raha tha...
A4- Tunne uye kaise kiya...arre uske pass Gorila ki spirit hai wo bhi 3rd level ki....ye kaise ho sakta hai...
Main kya jaanu kaise hua mujhe to ye tak pata nahi tha ki Spirit animals ke bhi level hote hai....maine to bas ek punch maara tha..
Ab fir kya tha wahi movies ki tarah wo sab aate aur mujhe maarne lagte par main hi unko dhoye jaa raha tha....waise wo log bhi chutiye hi the...jaadu kar lete par nahi...mere liye to acha hi tha ye sab...Haa elements ka use kiya tha unn logo ne par kuch asar nahi hua mujhpe...
Saare ke saare jammin par the wo pankaj bhi.....wo bhi to aaya tha mujhe maaarne ke liye...flying kick...maine uske pairon ko hi pakad liya aur ghumma ke phek diya duusri oor.....uski speed bahut slow lagi mujhe....uski hi nahi sabhi ki speed slow thi...aisa lag raha tha jaise main slow motion mein sab dekh raha hu....
Haa to sabko girra ke main jaane ko hua...DB ke pass pahucha usko jagane laga par isko koi hosh hi nahi tha...uss cheez ka asar hoga....
Main - Ab kya karu...
"Main karti hu...par uske baad ye batana ki ye sab kaise kiya aur ye...ye body ko kya hua tumhare....ek hi din mein...nahi nahi 4 ghante mein kon sa kaam kar liya ki itni acchi body ho gayi hai..."
Maine mud ke dekha to waha pe Nikita khadi thi....Main jo abhi binna shirt ke khada tha wo apmne haathon se apne badan ko dhakne laga...
Main- Tum yaha,,,,,,iss waqty kya kar rahi ho...
Nikita (haste hue) - Abhi 10 hi to baje hai main Kavita madam ke yaha se aa rahi thi aur tumhe ladte dekha...waise ye jo haathon se apne iss khubsurat jsim ko chippa rahe ho naa....band karo bade hi ajeeb lag rahe ho.....aur side hato isko main thik karti hu......
Main side hua....wahi pe pade ek ladke ki shirt li aur usko pehen liya....aaccha nahi lag raha tha mujhe....not comfortable
Main jab ye sab kar raha tha tab tak Nikita ne apna kaam kar diya tha...usne wo gas...jo ki jyada maatra mein nahi gayi thi abhi DB ke ander usko uske sharir se chuush ke nikal liya....
DB abhi bhi behosh tha....
Main - Ye kab tak hosh mein aayega...
Nikita - Jab tak tum ye naa batao yaha kuya hua tha aur ye sab hai kya...
Maine usko bataya uss letter ke baare mein fir hamara yaha aana fir ye sab hona....wo anda...Dragon wo sab nahi bataya kyunki khud mere samajh mein nahi aa raha tha wo sab...
Nikita - DOno ke dono hi akal se paidal ho na....tum dono 8;30 mein room se nikle...kabhi kisi aur din uss waqt sannata dekha hai,.....kuch saq nahi hua...aur yaha aana jaruri tha kya...baat kar lete kisi Prof. se par nahi dono ke dono hi...
Main - Wo hum dono ne socha nahi tha...waise tum kay kar rahi thi Kavita madam ke saath...
Nikita- Main...main to aksar jaati hu unke pass....unse sikhne ke liye....chalo ab late ho raha hai main chalti hu kal class hai....waise inka kya karoge...
Main - Kya karu...saare behosh hai chod dete hai yahi pe....kal uthenge aur chale jaayenge.,..
Nikita - Ye hjaante hue bhi ki inhi sab ne tumhare doston ke saath wo sab kiya...aise hi jaane doge...
Main sochbne laga baat to sahi hai aise kaise jaane du...koi nishani to banti hai....tab jaake saalon ko kala aayegi....
Main - Hmm karta hu main kuch tum jaao...aur haa thanks waps se hamari madad karne ke liye...
Nikita - KOi baat nahi bye...
Itna bol wo chali gayi...wahi mere chahre pe ek smile aa gayi...maine apni talwar ko nikala jo main leke aaya tha...aur usse unn sabhi ke sharir pe...alag alag tarah ke nishan banna diye...unke haathjon pe unke gardan pe.....sambhal ke ki kahi mar murra naa jaaye...
Ye sab karne ke baad main waha se Db ko leke jaane laga.....Hosh nahi aaya tha usko..Nikita ne galat bataya tha....
Usko uske room emin chod main apne room mein aa gaya...aur fir fresh hua aur sone ki taiyaari karne laga...
Main bhi sayad pagal hu...wo dragon ke bacche wo ladayoi sab kuch dimmag se nikal ke ye dimmag mein bassa liya...ki kal kitna mazza aayega..jab wo sab jaagenge...
Chaliye aaj ka yahi tak rakhte hai milte hai next update mein...
Dekhenge...aaj jo kiya uska parinaam kya hoga...saath mein koi aur bhi aane wala hai jiski aawaj hai bas body nahi...aur dekhenge class mein kya kya hota hai......
Banne raahiye
Zabardast update dostUPDATE - 21
Ab tak
Raat ko bahut kuch hua....wo anda....dragons ke bacche....Pankaj aur uske saathiyon ki pitayi....aur bhi bahut kuch...
Ab aage
Room mein aaya aur so gaya main.......aur bed ka to pata hai....jaise hi ispe jaao dimmag khali hi kar deta hai ye....bas wahi hua tha....main aaram se ghode bech ke so gaya tha....
Meri aankhen kisi cheez ke mujhe ghasitne se khulli....aur jab khuli to khuli ki khuli hi rah gayi....
Main ghass pe leta hua tha aur wo dragon ke bacche mujhe khinchte hue kahi leke jaa rahe the...ab aise mein koi jaage to chillayega hi naa main bhi chillaya aur mere chilklate hi wo puri jagah...jo abhi ghass se bhari hui thi wo bilkul kaali ho gayi aisa maano waha pe kuch tha hi nahi pahle...bas andhera hi andhera....aur ussi andhere mein 4 chamakti hui aankhen dikhi mujhe....
Main - Kon hai...kon hai waha....koi hai....koi hai yaha...
Koi jawab nahi aaya balki wo jo char aankhen thi wo mere aur pass aane lagi....main picche ki oor hota gaya....ab agar roshani hoti to pata chalta kon hai waha aur unse lada bhi jaa sakta tha par abhi kuch samajh mein hi nahi aa raha tha....sayad dar sawar ho gaya tha mere saar pe tabhi to magic aate hue bhi use nahi kar raha tha main.....uss basic of magic wale kitab se itna kuch to aa hi gaya tha ki andhere kamre mein aag jalana....par...nahi daar hi tha bas mere dimmag mein uss waqt.....aur issi daar ki wajah se mere muh se Jwala ka naam nikla...
Main - Jwala....jwala....
Mera bolna tha ki waha pe puri tarah light aa gayi...par jwala nahi aaya tha...bas sab dikhne laga tha....maine saamne dekha to wahi do dragons ke bacche the waha pe....
Main gaya unke pass....unko dekhne laga...haa ye wahi dono the jo kal gayab hue the mujhe chunne ke baad aur abhi bh same size ke dikh rahe the...
Main - Kon ho tum dono aur ye jagah kon si hai....
"Beta wo dragons hai aur wo bhi bacche abhi nahi bolenge wo...."
Ek aawaj aayi mere picche se...main jaldi se picche mudda...koi nahi tha waha pe....
"Kya hua kisko dhund rahe ho..."
Main - Kon hai...kon bol raha hai...
"Main bol raha hu..."
Main -Kon main ...naam batao apna...warna main...main...
"Arre baap re.....warna kya kar loge...meri bhi body pe nishan bana doge....isse ghatiya sazza nahi dekhi thi maine...arre kuch creative karte....par nahi aise nishan banaye hai jo sayad...ek din bhi naa chale,.....haaye kisko mere galle daal diya re..."
Main - Kon ho tum aur dikhte kyun nahi mujhe....
"Kon hu main...hmm ye to tum bataoge naa...chalo ek naam dedo...aur main ussi naam se janna jaaunga....par haa dhyaan rahe accha naam hona chahiye..."
Main - Main bhala kyun naam du tumhe...aur tum aaye kaha se ho,...kya waha koi naam nahi tha tumhara,....aur ye jagah kon si hai...
"ek hi baar mein sab puch lo....main to yahi karne aaya hu naa sab sawalon ke jawab dene....to sunno...Main kaha se aaya hu...to wo anda jisse yr dono chutku nikle hai naa ussi ke ander se main bhi aaya hu....yaar kya bataun...kab se hum tinno ko kaid kar ke rakha tha ...ita lamba waqt kabhi kabhi to aisa lagta ki ab bas yahi rahna hi hai...wo dono chutku to sotte rahte aur main akela aise hi rahta waha...samajh nahi aayta tha kya karu...kaise waqt gujaru...."
Main - Aande se aaye ho tum bhi...
"haaa bola to abhi ek baar mein sunnayi nahi deta kya..."
Main - Ye jagah kon si hai aur tum tinno yaha kaise aur main kaise pahucha yaha pe...
"Tumhe nahi pata kon si jagah hai ye....dhyaan se dekho...aur humme yaha laane wale tum hi ho...."
Maine yaha waha dekha...to mujhe ye bilkul usss park ki tarah laga jo Master ke ghar ke pass tha jaha hum rahte the...isko park kahna galat hoga....ek to yaha koi aata nahi tha siway mere aur Master ke...master isko park kahti to main bhi wahi kahta.....ye wahi jagah thi...jaha Master mujhe training diya karti thi.....
"yaad aa gaya naa...chalo accha hai..."
Main - Par main kab tum sab ko yaha laaya aur tum ho kon aur dikhte kyun nahi....
"Naam nahi diya hai abhi tak kaise bataun kon hu main....aur tum hi humme yaha le aaye ho....abhi hum tumse jud gaye hai...wo dono spirit animals hai tumhare...aur main...main guide hu....tumko unn dono ko control karna sikhaunga aursaath hi mein aur bhi kahi cheezen jo tumhe jaane ki bahut jarurat hai...par usse pahle mujhe mera naam de do..."
Main - Naam chahiye thik hai....Dhruv sahi naam hoga....thik hai naa...
Dhruv - Hmm ye bhi theek hai....chalo naam kaaran ho gaya mera...ab aaj tumhe samjha deta hu yaha kya karna hai aur kaise karna hai...
Main - Haa batao...
Dhruv - ROj raat mein tum khud yaha pahuch jaaoge...aur jaisa main kahu waisa hi karoge.....yahi pe main tumhe taiyaar karunga tumhe sab sikhaunga...
Main - EK minute....par tum kyun....waise bhi main School mein hu waha pe teachers hai unse sikhunga main...tumse kyun....
Dhruv - Kar di naa choti baat.....wo basics sikhayenge tumhe....aur main advance levek ki baate samajh rahe ho.....tum koi aam insan to ho nahi kibas unn teachers se sikh ke apna kaam khatam kar loge...bahut muskil hogi...issiliye to main aaya hu...tumhe sikhane ko....
Main - hmm thik hai matlab tum mere master ho yahi naa...
Dhruv - Haa abhi ke liye master hi kah lo.....unn dono chtku ko bulao....aaj ka kaam shuru karte hai...
Main - Main kaise bulaun....wo kya jaante hai mujhe...
Dhruv - Jaante hai...arre Maa ho tumn unke....ande se nikalne ke baad tumhe hi to dekha tha...tab se tumhe hi apni Maa samajh rahe hai...
Main - Kya kuch bhi bol rahe ho aisa thodi hota hai...
Dhruv - accha chodo fir ye...seethi bajani aati hai...
Main - Haa aati hai...par kyun....
Dhruv - Haa to bajao aur unn dono ko bulao yaha
Maine seethi bajayi....wo dono dragons ke bacche jo abhi tak yaha waha ghoom rahe the wo turant hi daudhte hue mere paas aa gaye,,,
Dhruv - Dekhaa aa gaye naa apni Maa ke bulane pe....Dekho Prateek tumhe inn dono pe kaabu paana hai...aur iske 2 hi raaste hai ek aasan aur ek muskil....aasan wala jaldi ho jaayega par muskil wale mein waqt lagega....
Main - par inpe kaabu kyun karna hai,...aur kon kon se raste hai ye bhi batao...
Dhruv - pahla rasta jaata hai Bal se....inn dono ko khub darao...aur inko circus wala sher bana do...aur khud ban jao ringmaster...isme waqt kam lagega...kyunki dono hi abhi bacche hai....par ho sakta hai kisi din jarurat pade aur ye dono hi chumhe chod ke chale jaaye....aur dusra rasta wo hai inn dono ko accche se khilao pilao aur inko apna dost bana lo....inka bharosha jitto...waqt lagega isme par agar sach kahu to ye hi sabse accha tarika hai.....isse ye dono khul ke karenge jo bhi kahoge inhe....
Main - hmm thik hai main dusre raste mein chalne ko taiyaar hu....waise bhi maar peet ke ky hi haasil ho jaana hai....ek minute...chod ke chale jaaye matlab...ye to spirit animal hai naa mere fir kaise chod ke chale jaayenge...
Dhruv - Haa animal spirit hai par koi aam animal spirit nahi hai ye...inn dono ko abhi bheja gayahai tumhare pass saath mein mujhe bhi...aur hum tinno ke pass decision lene ki shakti hai ki tum hamare kaabil ho yaa nahi...par abhi usme waqt hai....yaad rahe jis din humme laga tum uss kaabil nahi hum tinno chale jaayenge....aur saath hi jaayegi wo saari baatein...jo main tumhe sikhaunga....wo saari powers sab kuch....
Main - Hmm samajh gaya...main wo 2nd rasta hi chununga....
Dhruv - CHalo aaj ka kaam khatam bahut acche aaj tumne ek test pass kar liya hai...assan test tha ye to khush mat hona...ab jaao jaldi aur uth ke taiyaar ho jao aur dhyaan lagana...ek aur baat...dhyaaaan jitna jyada laga sako utna accha....chalo jao...
Unka itna bolna tha ki mere aankhon ke pass bahut jyada roshani ho gayi aur maine unhe band liya...aur jab roshani kaam hone ka ahsaas hua to maine aankhen kholi...aur khud ko apne room mein paaya....aaj bhi wo saari drawings jo bane hue the room mein wo chamak rahi thi....par mujhe laga ki ye uss roshani ke aane ke wajah se aisa lag raha hai bas mujhe...
Main bed pe hi leta raha kuch der.....jab tak uss Dhruv ki aawaj wapas nahi aayi aur mujhe ye yakkin nahi ho gaya ki wo sapna nahi sachh tha jo bhi maine dekha....
Main jaldi se utha auer fir taiyaar hoke dhyaan lagane ko chala gaya.....
Aaj kuch jyada pahle uth gaya tha main....main bhi jaake dhyaan lagane baith gaya...isme aaj koi ajeeb baat nahi hui...fir wahi baad mein Bua aayi aur wo bhi baith gayi....
Main dhyaan se tab utha jab Bua ne mujhe uthaya....
Bua - Kya aaj classes nahi attend karni kya...late ho raha hai...ab to nasta bhi nahi kar paaoge.....mere cabin mein aa jao....jaldi se nasta wahi karke nikal jaana samjhe..
Main - thik hai bua,.,..
Main jaldi se room mein gaya aur waha se taiyaar hoke nikla Bua ke cabin ki oor jaane ko ki saamne kuch chuzze mil gaye...haa wahi Pankaj ke log....unki skins puri laal ho rakhi thi...sayad nishan mitane ke liye koi kadha use kiya hoga aur ussi kla effect ho yee....dekhne mein bilkul tamatar jaise lag rahe the...saath mein skins suzz bhi gayi thi kuch....
Maine dekha waha pe DB bhi hai...aur wo apna sar khujaye jaa raha tha....main bhi gaya waha pe...
A4 - OOye chal; tujhe Pankaj bhai bula rahe hai...
DB - Arre wo chodo pahle to ye batao ye jo lambi chaudi kahani sunayi tum sabne jisme main Elf prince behosh ho gaya tha aur ye Prateek ne tum sab ko dhoya...wo sach hai kya...
Sayad isko yaad nahi raha kal ke baare mein yaa ye mazze le raha hoga...
Abhi hum kucjh bolte yaa karte usse pahle Bua aa gayi waha pe...main thoda late ho gaya tha unke cabin mein pahuchne mein issiliye wo khud aa gayi...unhone unn logo ko dekha...
Bua - Hmm kya baat hai...kya ho raha hai yaha pe....
sabhi ne Bua ko dekha..aur fir thodi der woo....woo...woo...main....main....ye sab chala...
Wo saare koi bahana bana ke waha se nikal gaye....wahi DB waps se room mein chala gaya wo nasta kar aaya tha...abhi kuch saman lene room mein jaa raha tha......aur main chal diya Bua ke saath unke cabin mein....Nasta kiya aur jab bahar aane laga to...
Bua - aur bacchu kya ho raha tha waha pe...bataoge...
Main - Kya ho raha tha...wo to bas aise hi....
Bua - Aise hi naa....theek hai jao tum mmain khud dekh lungi....
Main bhi nikal gaya waha se...
Jaldi se pahucha apne s=1st class mein.....aaj prof. Suraj aaye hue the...main late pahucha tha waha pe....par jyada kuch nahi bas kaha ki jaldi aaya karo...
fir class shuru hui sab kuch normal hi tha....ye class khatam hui aur fir chal diye hum sab Kaadhe wali class mein matlab Pankaj ke pitaji wali class mein...waha gaye to aaj bhi wo khud aaye hue the....aur kuch gusse mein dikh rahe the....
Prof- Badi hi interesting class hai ye....yaha pe bahut se vidhwaan baithe hue hai...aise vidhwaan jo kuch bhi kar sakte hai....Kyun hai naa Elf prince,,,,
DB ko samajh nahi aaya ye bol kya rahe the par DB to Db hai...
DB - Haa Prof.. bahut hi kammal ke students hai hum aap kisi ko bhi utha lo...aur usse koi bhi sawal puccho yaa kuch bhi kaho main jubaan deta hu wo jawab dega...aur agar nahi diya to main class mein nahi aaunga...
Main (maan mein) - Ye to badbola hai....pagal kahi ka...ab pata nahi kya hoga yaha...
Prof. - Haa to thik hai DB ji aaj yahi karte hai...Main kisi ko khada karunga aur jab wo nahi bata paayega mere sawalon ka jawab to usko aur saath mein aapko dono ko hi iss class se nikal diya jaayega..aur naa hi iss subject ki degree milegi aapko...
Prof. ki baat sunke ab DB ko thoda dar lagne laga...wo fans gaya tha ab apne kaaran...ab bas wo soche jaa raha tha ki kisko khada karega ye aur kya puchega....
Prof. - Chinta mat kariye Elf prince sawal kitab ke ander se hi hoga......aur jawab denge aapke param mitra....Prateek ji....Haa to Prateek ji khade ho jaaiye...
Mujhe lag raha tha kuch aisa hoga...par..cholo...main bhi khada ho gaya,.,,
Prof. - Haa to Prateek ji...maan lijiye...apke kisi dost ke khoon mein koi jahrila dravya mil gaya ho...kisi bhi kaaran se kisi kidde ne kaat liya ho....yaa saanp ne,...to aap usko kaise bachayenge...
Unka sawal puchna tha aur sabhi students ke bich bhun bhun ki aawaj hone lagi.....ye wo portion tha jiske baare mein abhi pura nahi bataya gaya tha...dono hi cases mein uss Vyaktti ko bachane ke 2 alag alag upay hai...aur hamme bas ek hi acche se bataya gaya hai aur dusre ka bas naam bhar bataya gaya tha.....ye kal ke hi class mein bas shuruaati wali baaatein thi....1st ka process bataya tha aur 2nd ka batane se pahle time khatam ho gaya tha...aur maine bhi nahi padha tha 2nd ka.....
Prof - Sab shaant rahe maine jisse pucha hai jawab wahi dega koi aur nahi
DB - Par Prof. iske baare mein pura kaha bataya hai aapne...
Prof - Kal hi to bataya tha...naam aur uski vidhi ko...ab aap nakhre kar rahe hai....ye to aapko karna hi chahiye tha ki jo bataya gaya uske related thodi jaankari hi lee aate...tabhi to class mein mazza aata hai...par lagta nahi Prateek ji ne aisa kuch kiya hai....aur ab main aapko class se bahar jaane ka yaad dilake niccha nahi dikhana chaunga...to aap khud hi apne param mitra ke saath agar yaha se viddale to accha hoga...
Unhone to binna kuch sunne hi apna maat bana liya aur mujhe aur DB ko jaane ke liye bol diya..
Main - Prof. abhi maine bola bhi nahi kuch,,,bolne to dijiye agar galat hua to main khud chala jaunga...
Prof. ne ek baar meri oor dekha...
Prof. Hmm boliye ab kya yaha band baaje ke intezar mein hai aap ki kab wopaaye aur aap shuru kare...
Main - nahi main bata raha hu...
Aaj ke liye itna hi
Next update mein Prateeek ka answer bhi dekh lenge...aur saath hi Prof. Naman ki class mein kya hota hai wo aur Pankaj kaha ahi wo bhi...
Banne rahiye....