- 292
- 488
- 79
Woh jagah sumsaan thi aur samne ek uchi burj ki diwar dikhayi de rahi thi. Usne charo taraf dekh kar mrutmuin ho kar apne jism ko thoda bahar ki taraf pahuchaya phir palat kar pith ke bal ho gaya aur haath se bahar ki dararo ko tatol
kar usme fasate hue apne aap ko upar ki taraf uthaya aur dekhte hi dekhte uske
pair bahar aa gaye . Badi mehnat ka kaam tha woh . Usne pairo ko darar mein fasaliya aur laga us mokhle ko bandh karne ki darar ko dhundhne .
Zara Si mehnat karte hi use woh darar dikh gayi toh usne woh mokhla bandh kar diya . Aur apane aap ko sirf 20 feet niche jamin par pahucha diya .
Raj ne ab jagah ka muaina kiya . Kitab ke anusar woh is waqt pratapghad mei aur waha ke kile ki diwar ke karib tha. Usne kille ki diwar ko achchi tarah se dekha parkha aur phir jeb se chouk nikal kar ek chaukdi sa nishaan laga diya .
woh us kille ki diwar ke samantar aage badh ne laga . Dekh te hi dekhte woh kille ke front gate tak pahuch gaya. Usne dekha dur se dekha ki us gate par pahuch gaya . kile ke front gate par do banduk wale darbaan tainaat rehte the jo is waqt naadarat the . Raj ne be roktok kile mein pravesh kiya .
Kille ki diwar 18 feet se kam nahi thi aur us purane kille par jagah jagah waise hi gumbaj bane hue the jaise ki search tower hote hai .
Lekin Is waqt un gumbajo si chukiyon mei koi nahi tha. Raj ne ab waha se naak ki sidh mei aage badhna shuru kiya aur apni jankariyon ko dhyan mei rakhte hue kuchh hi der mei woh us ilake mei pahuch gaya jo pratapgad ka haat (bazar) kehlaata tha .
Chhota sa bazar tha woh aur kuchh gini chuni dukane thi waha par . Usne pure bazar ka chakkar lagaya aur ek chhote se restaurant ke pass ja kar woh ruk gaya . Chota Sa 6×8 ka kamra tha wo . Jis mei sab se aage ek lakdi ka counter laga tha . jis mei glass ke 2 khaane the. Aur un khaano mei khane ki chije rakhi hui thi .
Uska andar ki taraf ka glass door tut gaya tha jis ke kaaran khane ki chijo par makkhiyan bhin-bhina rahi thi. Usi glass counter ke ek right side par ek kerosine ka stove tha jis par rakhi tapeli mei chai ubal rahi thi aur ek badibadi muchho wala , chechak ke dane se hue gadde se bhare hue muh wala, aadmi us chai mein chamcha daal use hila raha tha. Under ki taraf 3 chaar bench lagi hui thi jis par se ek Bench par 2 aadami baithe hue chai ki chuskiyan le rahe the .
Raj ne us aadami ki taraf dekha , us aadmi ka dhyan ab bhi uske upar nahi gaya tha.
Raj : “ kaka , ek cup chai milegi ?” , usne us aadmi ko kaha . Us admi ne raj ki taraf dekha aur phir ek glass mein chai udel kar usko thama di .
Raj ne chai li aur dhire se uski ek chuski li ab bhi woh vyakti apne kaam mein mast tha .
Raj : kaka ek sigaarate milegi ? , us ne bina raj ki taraf dhyan diye paas ki chhoti si reck mei se ek red&white ki cigaret ka dibba nikala aur raj ki taraf bina dekhe nirvikar bhav se ek cigaret nikal, hath uski aur badha diya . Raj ne cigaret le li.
Raj : “machis ?”
Usne raj ki taraf fir se ek baar dekha , is baar usne thoda gaur se dekha aur phir ungli se us kone mei latki jalti rassi ki taraf ishara kiya .
Raj ne cigaret muh laga kar rassi se use jalaya …
“ naye aaye ho kaa bhaiyya , pehle toh kabhi nahi dekha tumhe ?” , us admi ne puchha .
“ are desumal kaka , lage hai aap manne bhul gaye !” , usne us aadmi ko aashcharya mei dubote hue uska naam lekar pukara. “ manne ni pehchana ?” usne cigarete jalate hue kaha.
Woh admi jise hum ab jante hai ki deshumal uska naam hai , chakkit sa use ghur ghur kar upar se niche tak dekhne laga .
“ hen , bhayye , thu mahro naam kaise jane hai bhaya ?” , desumal ne sar par khujlate hue kaha.
“ hahaha, kaka !”, raj ne ek kas laga kar dhua ugla aur phir haste hue , “ are mai maher hun , bhansingh ka beta mahersingh ! Kya kaka thanne bhi lage hai nazar ka chasma aa gayo hai !”
“ mahersingh , bhansingh ka beta …. Are bhansingh wahi na jei ka katal ho giya tha sima paar fauji o ke hatho ?” , desumal aakhe faad kar usko dekhte hue , “ are baya lekin tu to kabe ka mar khap gaya tha ne ! Ab kaun si kabar se aa nikala hai tu baya ?”
raj : “ nahi kaka , mai toh jinda hi hun , un ma ke put sale fauji o ne mare bapu ko katal kiyo par main bach nikala ! Sima par hi tha mai ! Wahi se taskari kar riya tha ! Kal mauka hath laga ! Toh watan aagaya kaka !” cigaret ka gehra kas lete hue raj ne ramkahani sunai .
Desumal gardan hila kar reh gaya. Lagta tha use yakin aa gaya tha. Usne raj ko haath pakad kar andar bula liya. Aur ek mej par biskut ka pakit rakh use baithne ko kaha .
Desu: “aa baith baya , tharo bapu maro dost tho bhaya ! Wah ko anjaam sum mare ko bhi dard huyo baya ! Manne to suna tha ki je faujio ne thara bapu ko aur thane maar kar thari maa bahen ke sath balatkar kiyo to ! Khair , thu bach gayo je sabse choki khabar hai maare liye !” uski aankho mei harsh ke aanshu Chalke.
Usne pyar se raj ke sar par hath phera . Raj ne glass utha kar chai ki chuski li aur phir se cigaret ka ek kas lagaya. Dher sara dhua bahar ko ugala aur phir biskit ka packet khol kar us mein se ek biskit khane laga .
Raj : “mai bi ghayal tha kaka , par ek pariwar ne mari raksha kidi ! 7 saal tak mane palpos ke bada kiya kaka ! Manne yaha aana tha lekin moka ni mil raha tha , kal dhamake hue toh us ki aad mei yaha aa gaya !”
“ haa baya , kal raat toh parlay aa giya tha ! Bahut dhamake hue , e damu ” , ek ladke ko bulate hue , “ kuch khane ko la aa ke liye !” , damu ke liye deshumal ne aadesh parit kiya .
“ nahi kaka , bhukh nahi hai , aap rehne do !” , raj ko toh us khane ki chijo ko dekh kar hi ubkai aane lagi thi . Usne deshumal ko roka . “ kaka , ab main chalta hun !”
“ kaha jayega bhaya ?” , desumal ne pyar se puchha.
“ mare ghar aur kaha , kaka ?” , raj ne Usi masumiyat se jawab diya.
“ are gudbakht , tharo ghar ab yaha kaha ? Woh toh pehle hi tuta phuta tha aur ab toh khander ban gaya hai bhaya , tu waha kaise rahega !” , desu ne use bataya.
“ Kyu mare kaka hirasingh bhi toh hai waha ? Maro ghar tut giyo par hira kaka ro toh hai na !” ,raj ne kaha.
“ are bhaya , hira ab kaha jinda hai , woh toh kabhi ka mar gaya aur uski lugayi bhi ab toh …..!” , woh kehte kehte ruk gaya.
“ kya … , raj ne choukne ka abhinay kiya , aur aap kya keh rahe the abhi ? Kaki aur mari bahen renu ?” , lekin use Sach mei is baare mei kuchh nahi pata tha. Ab toh use Jan ne ki ichcha ho rahi thi ki aakhir desumal kehte kehte ruka kyu.
“ bahut bura hua uke sath bhaya , abhi char saal pehle thare kaka hira ko raja sahab ke kille se kisi ne dhakka dekar gira diya bhaya , wa ki toh girte hi mout ho gayi aur uske kuchh din baad thari kaki ko aur bahen ko bhi koi utha le gaya bhaya , kaki ki laash toh mile lekin renu ka konu aatat pata nahi hai , bachchi kaha gayi kon le gaya koi nahi janata !” , desu ne aah bharte hue kaha.
Raj dhappa se wahi baith gaya . Bada hi safal abhinay kar raha tha woh . Use sari kahani toh nahi lekin kuchh bate jarur pata thi . Is kirdar ko usne chuna hi is liye tha .
“ kown kaka , kown utha le gaya , naam toh batao uska , gusse se lal hota hua raj chillaya , “ khun pi jauga mei uska , kaka ! Aap naam batao sirf !”
Raj ke yun vikshipto ki tarah chillane se aas pass ke sabhi dukan wale bahar aagaye . Dekhte hi dekhte kafi bhid ho gayi waha . Desumal ne sab ko raj ka parichay karwaya .
“ are ye maher singh hai , bansingh ka beta ! Uske pariwar ke sath hui durghatna ke bare mei ise abhi pata chala ! Aap jao main ise samjha duga !” , desu ne sab ko bataya.
Dekh bhaya!”, ek budhe baba ne use dilasa dete hue kaha , “jo hoya use bhul ja ! Isi mei bhalai hai thari ! Kured ne se ghav hare hoge bhaya !” , ek aur bol pada “ thu jinda hai ye kono kam badi baat hai bhaya , ab jinda rahe aur khud ko sambhal bhaya , biti baato mein kono ni rakha hai baki bhaya ! Yun sab usko dilasa dene lage .
Raj ka abhinay kaamiyab ho raha tha baithe baithe hi woh gaun me famous ho raha tha ki bhan singh ka beta maher singh bach kar wapas aa gaya tha sima paar se . desumal use bade pyar se samjha raha tha.
“Lekin kaka , aakhir woh the kon?” , raj ne use Kuredne ki koshish ki.
“Kuchh ni kar sake koi uska !”, desuram ne dant chaba kar dhimi aawaz mei kaha “ sala harami narak ka daroga hai wo !”
“Lekin kon , aap batao toh sahi!” , raj ne phir puchha.
“Batauga bhaya batauga , pehle tu pani pi !” , gilas thamate hue kaha usne , “wo khan aur kuwarsa ne kiya je julam ! Aur kon karega ! Narak ki nagri he ye ! Sare papi bhare pade he yaha ! Tu bhul ja beta ! Koi kuch na kar sake unko !” Bolte bolte us bechare ka gala bhar aaya .
kuchh der yun hi shanti bani rahi . Raj ne pani piya aur ek cigaret aur mangi toh desu ne pura pecket thama diya . Raj gumsum sa baitha cigaret ke kas lagata raha . Phir ..
Raj : “kaka , mare rehne ka koi intazam hoga ke ?”
Desu : “hmmm !” , kuchh soch kar , “ e damu , ja ise rukayya ke ghar chhod aa!” , Phir raj ki taraf dekh kar “ tu is ke sath ja , ye tere aaj ke din rehne ka bandobast kar dega ! Lekin kal se waha paise lagege bhaya !” ,desu ne use parishiti se avgat karaya.
Raj : “ye rukayya kon he kaka ?”
Desu : “wohi rukmani , are tuje kaise malum hoga ! Pehle mastarni thi ischool me , ab Nachne wali hai bhaya ! Ischool me rehti he ! Tu ja , damu tuje samjha dega sab !”
Raj ne haa mein sar hilaya aur phir damu ke sath chal diya . Beg uski pith par tha . Damu aage aur woh pichhe . Damu chup chup chal raha tha.
Raj : “kyu be damu , tu bolta nahi kuchh , ye mastarni school mei hotel chalati hai kya ?”
raj ko abhi tak kuchh samajh nahi aa raha tha toh us ne damu se puchh hi liya.
Damu 15 saal ka bachcha tha. Damu pichhe ki taraf ghum aur
Damu: “ischool chalati thi , ab nahi ! Ab toh waha chakla chalta hai !”
Damu ke jawab se raj sakpaka gaya. Chakla , yahi toh kaha tha usne !
Raj : “kya ? Chakla ?”
Damu bina mude : “haan , aur tum chinta nai karo , chakla sirf adhe mei chalta hai , dahini aur ke 4 kamre musafarkhana hi hai ! Aur khane ka bhi bandobast wo rukayya hi karti hai !”
Raj : “Achcha , lekin woh kitne paise leti hai ek din ke ?”
Damu : “Sirf rehna ho toh 100 rupiye din ke , dui wakhat ka khana sath mila kar ! Chai ke alag dene padege ! Aur upar chadhne ka ek raat ka 200 alaauida , samjhe bhaiyyaji !
Ye baat raj ke liye ab nayi thi . Ye ladka kya bake ja raha tha. Sirf 15 saal ka hi toh tha. Aur Chakla , upar chadhna, ‘ kya kehne is ke gyan ke toh bhai !’ , raj ne man hi man socha .
Darasal subah ss ke sath hui mantrana ke baad unhone planning banayi thi pratapghad mei ghusne ki , aur uske liye unhone puri tayyari kar li thi.
Pratapghad ke haalat toh bajariya ramdin usko kafi se jyada pata the. Baki ka guidance woh kitab kar rahi thi jo dadaji ne khas use di thi. Uske ilawa dairy mei is maher singh ke bare mei kafi kuchh likha tha jo woh padh chuka tha . Lekin is school ko chakle mei tabdil hone wali baat use bilkul pata nahi thi . Shayad ye itni purani na ho .
Kuchh dur chalne ke baad woh sankari si galiyon mei se hote hue ek vishal haweli ke pass se gujre .