- 292
- 488
- 79
New Update-
Udhar sham ko raj wapas louta toh apna kamra kholte hi use rajani wahan mandarati dikhai di . ‘ ye toh kuchh had se jyada chipak rahi hai , kuchh karna padega iska !’ man mein socha raj ne .
“ aa gaye babu ….. kya baat hai bade der se aaye ! Lagta hai kaam dham ka jugad ho gaya tumhara ?” , rajani chehki
“jab dham ka jugad ho gaya hai toh kaam ka bhi ho jayega , meri bulbul ! Waise tera dhandha aaj kal manda dikh raha hai lagta
Hai , tabhi pura din nikammi dikhayi de rahi ho !” , raj ne tikhe lafjo ko sahad mein dubo kar use parosa ..
“ sahi keh raha hai babu , bohni ka bhi pata nahi yaha toh , rahu lag gaya hai jaise ! tuhi bohni karade ! Dekhe toh sahi teri bohni se hi kuchh sukan badal jaye aur rahu tal jaye !” , rajani bhi kaha kam thi.
“ achcha , idhar aaa , tera rahu utarata hun !” raj ne use thaamna chaha lekin woh pat se sarak gayi.
“ hehehe , fokat mein to mai rahu bhi na utarvaau babu ji ! Kuchh rupiya paisa palle hai bhi ya kora kangala hi ghum rahe ho sare bazar aur pure gaon !” , rajani ne hath nachate hue kaha jise Sunate hi raj ka matha thanka .
‘ is ka matlab hai ye mera pichha kar rahi thi pura din ! Matlab mera saq sahi nikala !’ , raj ne socha.
“ ab kori hasi hi pilayegi ya chai vaai bhi pine ko milegi tere hath se! Itana hi kar de mujh bichare ke liye !” , raj ne us se pichha chudane ka bahana dhundha.
“ hehehe … abhi layi mere baanke ser ! Chai ke sath biskut bhi khilaungi tujhe toh !” aur rajni chali gayi. Lekin raj ke dimag mei hajaro sawal chhod gayi.
Raj biskut ke sath chai ki chuskiyaan le raha tha . Rajani lagbhag fouran hi dono chijeĺ waha rakh gayi thi. Udhar rukamani ke kamare mein ….
“ yaha wahan hi ghuma ya kuchh kaam dham bhi khoja us ne ?” , rukamani ne
rajani se puchha . Is waqt kamare mein woh dono ke alawa laxmi bhi thi.
“ kaha didi , bus subah se dupahar tak pure gaon ka chakkar lagata raha aur haan
ek baar dopahari ko deshumal ke yaha bhi gaya tha ! Kya baat hui ye to pata nahi par lagta tha jaise ki woh kaam hi puchh raha tha use , phir waha se edar udhar tank jhank karta woh bade thakur ke godan bhi gaya tha , kafi der ruka waha phir wapas aa gaya phir kille ki diwar ke taraf bhi dikhayi diya tha !” , rajani ne report pesh ki .
Rukamani : “ kya kaha , Godawn mein , transport office ?” , keh kar woh kuch sochne lagi phir “Kitni der ruka waha par “ usne puchha
Rajni :” yahi koi e aadh ghanta didi !”
“ hmmm , use saq toh nahi hua na ki tu uska pichha kar rahi hai ?” , rukamnai ne puchha woh ab bhi yahi soch rahi thi ki ye banda Godawn mein aakhir kya karne gaya tha .
“ are nahi didi , use jarabhi vahem nahi hua ! Main us se kafi fasla bana kar chal rahi thi ! Aur mardana libaas mein toh woh mujhe pehchan ne se raha !” ,, rajani ne safaai di .
“ thik … lekin aage us par aur kadi nazar rakhna tu ! Agar ye wohi hai toh aaj raat ko jarur koi karastani karega ! Kyu ree laxmi , kille ke darwaze par safed jhanda toh nahi lag gaya na !” , rukamni ne laxmi ko sawal kiya .
“ itani jaldi ye niralajja thode na jhukenge didi !” , laxmi paan ka bida rukamani ko deti hui boli.
“ hmm , sahi keh rahi hai tu ! ( bida chabate hue ) un bhadvo ke ab din ladane wale hai meri banno , ek baar pata chal jaye wo kaun hai jo unke bich ghus ke un ko lalkaar raha hai ! Rajani … aaj raat ko kadi nazar rakhiyo !” , rukamini ne rajani ko kaha .
“ nishchint raho didi ! Main aur laxmi mil kar sab sambhal lenge !” , aur phir vaatchit ka patakshep ho jata hai !