Update 25
Subah 5 baje Aarav nind se jaag jata he, wo Arshu ki tasveer ko jee bhar kar niharta he, or fresh hone chala jata he.
Aarav: aaj bhi bahot kaam he, lekin sabse pehle to us Rahul ka kuch karna he.... Lekin kya karu, me kuch galat kaam bhi nahi kar sakta.... I think Rashid ki Raaj Uncle se Pehchan karani hogi. Or Raaj Uncle se me khud bhi nahi baat kar sakta, ab sab kuch Rashid par hi depend he. Lekin kahi in sab ke chakkar me use koi takleef hui to?
Wo kafi der tak kuch sochta he, tabtak 6 baj chuke the, wo Arshu ko call kar deta he.
Arshu bhi is waqt ready ho chuki thi, tabhi uske mobile ring hota he, lekin uspar koi number show nahi ho raha tha. Arshu call pick karti he.
Aarav: Good Morning Arshu......
Arshu uski awaaz sunkar bahot khush ho jati he, uska kal raat ka jo gussa tha wo bhi ek second me hawa ho jata he.
Arshu: Good Morning, mujhe pehle ye bataye aapne kal raat call kyu nahi kiya?
Aarav: Arshu I am really sorry, me kaam me aisa fas gaya ke yaad hi nahi raha.
Arshu: aapne jate waqt jhut bola mujhse.
Aarav: I am Sorry Arshu.... Please ab maaf bhi kardo.
Arshu: thik he... Lekin ye aapka number kyu show nahi ho raha he?
Aarav: wo....wo Arshu mene internet call kiya he. Or kuch din tak me aise hi call karunga.
Arshu: kya matlab? Me call bhi nahi kar paungi? Bhai aap na ek din me hi badal gaye....
Arshu ne narazgi se kaha.
Aarav: aisa nahi he Arshu, bas project new he to mujhe usme zyada time dena hi padega na?
Arshu kuch nahi kehti.
Aarav: Arshu please try to understand. Bas kuch dino ki hi to baat he, uske baad me apna number on kar dunga, fir tum jab marzi chaho mujhe call karna, okay?
Arshu: hmm
Aarav: please aise naraz mat hona Arshu tum..
Arshu: kyu na hu? 2 din me hi aap aise behave karne lage ho Pata nahi aage jakar mujhe bhul na jao aap.
Aarav: Arshu jis din me tumhe bhul jaunga na samajh lena ki meri saase chalna band ho gayi he.
Arshu: aap bas baate hi banate raho, yaha meri kya halat he wo me hi janti hu.
Aarav: kya yaar mene to meri girlfriend se kuch acchi baate karne ko call kiya tha. Lekin wo to naraz he mujhse. Khair koi baat nahi me call cut kar deta hu.
Aarav ne uska dhyan bhatkane ko bola. Jispar Arshu ke chehre par bahot pyari si smile ajati he.
Arshu: nahi...nahi me kaha naraz hu.
Aarav: waise Arshu pata chala ya nahi tumhare sapno ke rajkumar ka?
Arshu: ha bahot pehle hi chal gaya. Or shayad unko jaldi hi apne dil ki baat bhi bata dungi
Arshu pata nahi kin khayalo me bol deti he. Jis se Aarav ko ek chuban si hoti he. Lekin tabhi Arshu ko ehsas hota he ke wo kya bol gayi
Aarav: to....to kab bataogi use?
Wo haklate hue kehta he.
Arshu: aap bhi na? Kuch bhi bolte rehte ho, mene to aise hi keh diya.
Lekin Aarav ko lagta he ki Arshu us se chupa rahi he. Fir dono kafi der tak baate karte he, Aarav phone ko apne parents ko dene keliye Arshu se kehta he,fir un dono se baate karne ke baad wo call cut kar deta he.
Arshu dining table par bethe hue kuch soch rahi thi or uske chehre par ek muskurahat bhi thi.
Arshu(man me): ye mene kya bol diya? Kese batau mere sapno ke Rajkumar aap hi ho.... Mujhe to himmat hi nahi ho rahi he aapko batane ki, lekin Taniya ne sahi kaha tha, der hone se pehle mujhe unse baat karni hi hogi.... to kya hum shadi bhi karenge?
Ispar Arshu ka chehra puri tarah se laal ho jata he. Suman use Kitchen se dekh rahi thi. Wo Arshu ko 2 baar awaaz lagati he lekin Arshu to bas Aarav ke khayalo me khoyi thi, to Suman uske paas ajati he or use hila kar hosh me lati he.
Suman: Arshu.... Kabse awaaz laga rahi hu tumhe me.
Arshu: ha....ha kya hua?
Suman: kaha khoyi hui ho tum?
Arshu: nahi....nahi to
Suman: accha! Kiske bare me soch kar itna muskura rahi ho fir?
Tabhi Sandeep bhi bahar ajata he.
Arshu: mummy aisa kuch nahi he, wo to me bas....
Sandeep: are kya ho gaya?
Suman: dekho aapki beti ko, ise mene 2 baar awaaz lagayi kitchen se, lekin ye to kisi ke khayalo me khoyi thi.
Sandeep: accha! Kon he wo hume bhi to pata chale?
Arshu: aap dono kya subah subah shuru ho gaye.
Aise hi hasi mazak karte hue wo log breakfast karne lagte he.
Suman: waise me to soch rahi thi ke ab Aarav ki jaldi se shadi kara dete he?
Wo Sandeep se kehti he, ye baat sunkar Arshu ke gale me khana atak jata he or wo khasne lagti he.
Suman: aram se khaya karo Arshu tum.
Wo Arshu ko pani dete hue kehti he.
Sandeep: waise ye faisla to Aarav ko hi karna he, waise Arshu ek baat batao, tumhe to pata hi hoga Uski koi girlfriend he?
Ispar Arshu apne aap ko imagine karne lagti he.
Arshu: ha... or wo shadi bhi karne wale he.
Arshu apne hi khayalo me kehti he.
Suman: kya? Or usne hume abtak bataya nahi.
Fir Arshu ko samajh aya ke wo kya bol gayi.
Sandeep: waise he kon wo ladki?
Arshu: nahi...nahi papa wo me to mazak kar rahi thi.
Fir wo kisi tarah situation sambhal leti he, or kuch der baad Sandeep usko le kar College drop kar deta he.
College me pahoch kar wo Rashid or Aasma se milti he or kuch der tino Canteen me beth jate he. Or waha se apne apne class me chale jate he.
_______________________________________________________
Aarav bhi breakfast kar ke apne kaam me lag jata he, kuch der baad jab wo free hota he to Rashid ko call kar deta he, Rashid class ke bahar akar call pick karta he.
Aarav: Me Aarav baat kar raha hu.
Rashid: sale kyu call kiya he tune?
Aarav: are kya tu? Halchal puchne ki jagah gussa kar raha he.
Rashid: to or kya karu? Teri aarti utaru? Or Arshu ne mujhe sab bataya tera number ke bare me, sach sach bata kya baat he?
Aarav: are kuch bhi nahi yaar, bas kuch dino tak hi mera number band hoga.
Rashid: dekh Aarav, me to pehle bhi keh raha tha or ab bhi kehta hu, tu zarur us ladki ki wajah se hi yaha se chala gaya he.
Aarav: yaar Rashid please, me to usko bhul gaya hu, or tu bhi wo sab bhul ja, or mujhe tujhse kuch important baat karni he.
Rashid: ha kya baat he bata?
Aarav: darasal mujhe Rahul ke bare me baat karni thi, pata nahi wo kamina kuch kaand na kar de..
Rashid: hmm. Lekin agar use kuch karna hota to usne abtak kar liya hota na?
Aarav: nahi wo aise to chup nahi bethega, or kuch time pehle jab hum Virat bhaiya se mile the restaurant me, tab ghar jate waqt 2-3 ladko ne mujhpar hamla kiya tha, or mujhe lagta he ue kaam zarur Rahul ka hi tha.
Rashid: kya? Or tu mujhe ab bata raha he? Is Rahul ka to kuch karna hi hoga. Tune kuch socha he uske bare me?
Aarav: nahi yaar, mujhe kuch nahi sujh raha he, or me koi galat kaam nahi karna chahta.
Rashid: teri baat sahi he, lekin hum kya kare?
Aarav: waise jab mene papa se pucha tha ke wo Rahul ke baap ko kese jante he to unhone mujhe bataya ke wo humari company me illegal kaam karte hue pakda gaya. To hi sakta he wo ab bhi koi illegal kaam kar raha ho?
Rashid: ha tu sahi keh raha he. Lekin hum pata kese lagaye?
Aarav: me tujhe Raaj Uncle ka number deta hu, tu ek baar unse milkar sari baate bata dena.
Rashid: Raaj uncle wahi na jo commissioner he?
Aarav: ha wahi.
Rashid: thik he, lekin unse ek baar tu bhi baat kar le.
Aarav: nahi me nahi baat kar sakta, tu unse mil lena thik hena?
Rashid: chal thik he, tu chinta mat kar.
Aarav: or Arsu ka.....
Rashid: Ha bhai pata he, Arshu ka dhyan rakhu, tu Arshu ki chinta mat karna. Me hu na yaha..
Aarav: tu he isliye to apni jaan se dur chala aya me.
Fir kuch der dono baate karte he, or Rashid apni class me chala jata he.
Break me Rashid, Arshu or Aasma canteen me bethe the. Or tabhi waha Sonal ajati he. Wo sabko mil kar jane lagti he.
Arshu: aap kaha jaa rahi ho, beth jao na humare saath.
Sonal: are nahi me.....
Arshu: mene kaha na betha jao.
Or wo Sonal ka haath pakad kar beth jati he...
Arshu: Aap aise chup chup kyu rehti ho humesha?
Sonal: aisi baat nahi he Arshu....
Tabhi usko Rahul call ajata he.
Sonal: me tumse baad me milti hu.
Or Sonal waha se alag ajati he.
Sonal: Hello.
Rahul: kaam hi raha he ya nahi?
Sonal: dekhi Rahul aise ek din me koi kaam nahi hota, or yaha Arshu ke saath Rashid bhi he to uske samne to me Arshu se baat bhi nahi kar pati.
Rahul: yaar ye Rashid kyu bewajah apni marwa raha he. Bahot shok he use to thik he, usko dekhna hoga.
Sonal: kya matlab he tumhara?
Rahul: simple, Usko raaste se hata deta hu, fir tum apna kaam karo or baadme me apna kaam karunga.
Sonal: dekho Rahul in sab me Arshu or Rashid ko bich me kyu bich me le rahe ho tum?
Rahul: tumna samjhti nahi ho, ye sab Aarav se jude hue he. To inko kese chhod du me? Or agar tumhe bhi uske saath judna he to jud jao, lekin fir me kya karunga wo to tumhe pata he.
Sonal: Rahul please mene aisa nahi kaha tum please....
Wo ghabrate hue kehti he.
Rahul: daro mat, kuch nahi karunga. Phle is Rashid ka kuch karna hoga.
Or wo call cut kar deta he.
Rahul: oye.. us Rashid ke haath per tod do, kuch din college nahi jana chahiye wo.
Wo apne chelo se kehta he.
Sonal(man me): ab me kya karu? Ye Rahul pata nahi Rashid ke piche kyu pada he. Kya me Rashid ko sabkuch bata du? Nahi... Agar use bataya to fir wo mujhe hi galat samjhega.
Kafi der tak sochne ke baad wo apni class me chali jati he. Lekin uske dimag me bas Rahul ki bate hi ghum rahi thi.
Fir wo class se bahar ajati he or Rahul ko call kar ke usko milne bula leti he, wo dono ek cafe me milta he.
Rahul: tumne mujhe itni jaldi me kyu bulaya he?
Sonal: dekhi Rahul mujhe ek idea aya he jis se tumhara kaam ho jayega bina kisi maar pitayi ke, agar tum Rashid ko kuch karte ho to uska shak to jayea hi tum par.
Rahul: tum kehna kya chahti ho?
Sonal: dekho tum jo chahte ho wo 1-2 din me hone se raha, to me chahti hu tum mujhe bas 10-15 din ka waqt de do baki me sambhal lungi.
Rahul: de diya....
Sonal: lekin please kya tum apna plan nahi change kar sakte? Tumhara jo kuch he wo Aarav ke saath he, to tum bewajah Arshu ko kyu isme fasa rahe ho?
Rahul: uski wajah se hi to sab hua he, or usne mujhpar haath uthaya uska badla kese na lu me. Khair tum apna kaam karo.
Fir wo log waha se nikal jate he. Sonal firse college me ajati he, college chutne ke baad wo or Aasma bahar aa rahi thi Sonal to bas kuch soch me chal rhi thi, tabhi samne se Arshu ajati he, lekin Sonal to apni soch me dubi aage badh jati he.
Arshu: Sonal kya hua tumhe?
Sonal: ha.... Arshu tum?
Arshu: kya hua tumhe kal se dekh rai hu tum pareshan lag rahi ho?
Aasma: ha me bhi dekh rahi hu, kya baat he Sonal?
Sonal: nahi... Aisi koi baat nahi he.
Arshu: me aapko acchese janti to nahi hu, lekin aap jhut nai bol pati, bol dona jo bhi he.
Arshu uska haath pakad leti he, or uski smile to shayad duniya ka koi insan nazar andaz nahi kar paye. Arshu ko dekh kar Sonal apne man me sochne lagti he
Sonal(man me): kitni innocent he Arshu, kese kisi ka man karega Arshu ke saath kuch bura karne ka? Nahi me Arshu ke saath kuch bura nahi hone dungi, chahe Rahul kuch bhi karle ab.
Arshu: kaha kho gayi? Batao na?
Sonal: thanks Arshu lekin sach me koi baat nahi he, wo to bas ab exams hone wale he to uska hi tension tha.
Arshu: c'mon itna kyu tension le rahi ho? Everything will be great.
Fir wo log parking ki taraf chal padte he, Rashid Arshu ko ghar drop kar deta he, Arshu usko lunch ke liye rokti he lekin wo keh deta he ke use kuch kaam se jana he.
Ghar jakar Rashid fresh ho jata he lunch karke wo Raaj se baat karne ki sochta he, Aarav ne use Number de diya tha.
Rashid Raaj ko call kar deta he.
Raaj: hello
Rashid: hello, uncle me Aarav ka dost Rashid baat kar raha hu.
Raaj: ha bolo beta kya baat he?
Rashid: uncle kya aap mujhe please mil sakte ho? Kyu ke baat bahot badi he or Aarav Arshu se judi he.
Uncle: aisi kya baat he... Thik he shaam ko milte he.
Rashid: okay uncle, lekin kaha miloge aap?
Raaj: me tumhe Address send kar deta hu. Waha ajana
Rashid: okay me ajaunga.
______________________________________________________
Dusri taraf Arshu to bas bechain si yaha se waha tehel ti rehti, uska man kahi par bhi nahi lag raha tha. Wo Aarav ke room me chali jati he, or uske bed par let jati he.
Arshu(man ne): pata nahi kab Saturday ayega or me unse milkar bata dungi ke me unse kitna pyaar karti hu.... Lekin mujhe bahot dar bhi lag raha he... Kya wo mujhe accept karenge? Karna hi hoga aap hi ki galati he isme. Lekin kahi unko koi ir ladki pasand aagayi to? Me to sabkuch chhodkar chali jaungi kahi par bhi. Mujhe sirf Aap chahiye. Aap mujhe dato ge mujhpar gussa bhi karoge lekin at the end aap maan hi jaoge..... I Love You So Much.....
Or wo Aarav ki tasveer ko apne seene se laga kar so jati he.
____________________________________________________
Rashid Raaj ke bheje hue address par chala jata he, wo jaa kar ek ghar ke bahar pahoch jata he, fir Raaj or Rashid andar beth jate he.
Raaj: to bolo Rashid kya baat he?
Rashid: darasal Aaj meri Aarav se baat hui thi, or wo to Bangalore me kisi project ke liye gaya he, lekin usko Rahul par bharosa nahi he, kahi wo kuch aisa waisa na kar de.
Raaj: ha wo to he, lekin usne kuch kiya to me use thodi chhodunga
Rashid: aapki baat sahi he, lekin me soch raha hu kyu na kuch hone se pehle uska kuch karde?
Raaj: matlab?
Rashid: aapko to pata hi he, uska baap illegal kaam krta tha, kya pata wo ab bhi wahi kaam kar raha ho? Or ab to Wo Rahul bhi shayad uske is kaale kaam me ho?
Raaj: tumhari baat sahi he. Lekin ye baat bhi pakki he ke ab Harshad koi mamuli politician nahi raha, wo jo bhi karta hoga sare saboot chupa kar hi karta hoga. Bahot hoshiyari se kaam karta hoga.
Rashid: chor kitna hi samajhdar ho kabhi na kabhi to galati karta hi he.
Raaj: tumne thik kaha. To tumne kuch socha he?
Rashid: nahi abtak to nahi, lekin abhi to bas hume Arshu or gharwalo ka dhyan rakhna hoga.
Raaj: to ek kaam karta hu, tabtak ke liye me kuch police wale 24/7 puri family ko protect karne laga deta hu.
Rashid: lekin is se to sabko pata chal jayega. Or Aarav bhi keh raha tha ke ye baat bas hum tino me hi rehni chahiye.
Raaj: thik he to me Arshu ke liye kuch police civil dress me hi appoint kar deta hu, jis se kisi ko kuch pata bhi nahi chalega.
Rashid: ha ye thik rahega.
Fir dono kafi der tak bate karte he, Raaj use Dinner ke liye rok leta he, dinner ke baad Rashid apne ghar chala jata he.
Dusri taraf Arshu bhi beman se khana kha leti he, wo kabse Aarav ke call ka intezar kar rahi thi. Lekin uska call nahi aya.
Wo Aarav ke room me hi uske bad par let jati he,
Arshu(man me): aap na mera bahot fayda uthate ho, aapko pata he me zyada der tak aap par gussa nahi reh pati, ab kal pyaar se baat karoge to mera pura gussa hi ud jata he, ye galat baat he. Iske liye kabhi maaf nahi karungi aapko huhhh, jah aap aaoge to me aapko wapis nahi jane dungi, mujhe apna pura waqt aapke saath hi soend karna he, waise me ab aapko kya kehkar pukaru? Ahhh me to din ba din pagal ho rahi hu...
Or wo sharmate hue apna muh takiye me daba leti he, fir kaafi der baad wo Aarav ke room me hi so jati he.
Is tarah inka aaj ka din bhi nikal jata he. Ek taraf Aarav soch raha tha ke wo kabhi ghar par nahi jayega, lekin wo kabtak sabse jhut bolega. Wahi Arshu to apna future Aarav ke saath kesa hoga ye soch rahi thi. Dusri taraf Sonal Arshu ko kuch na hone ka khudse wada to kar bethi lekin fir Rahul Sonal ke saath kya karega? Or ab Rashid or Raaj milkar Rahul.or uske baap ke khilaf kya karenge? Jo bhi hoga Aagey pata chal hi jayega, Tabtak ke liye Stay Tuned ❤❤