- 641
- 4,541
- 124
JADUI PARIVAAR
Main Chuddakad
Main Chuddakad
I NDEX
Last edited:
I NDEX
Awesome updateUPDATE 30
Mahmano me ab khusur pusur chalu hone lagi. Sab log ab khaana khaa rahe the, Charo taraf charcha ka vishay Kamal aur Amrita hi the. Rupali is baat behad gussa ho gayi thi, sath hi sath sunil bhi unke is khaas din ko Kamal ne Apne baare me bana Diya isliye naraj tha.
Rupali koi Tamasha karti lekin Use Shital ne rok liya aur kaha ki vo khud baat karegi Kamal se.
____
"Aapko kuch kahna chahiye tha." Sunidhi Natasha ke pass kursi par baith boli.
"Main kya kahti?"
"Aap Mami hai uski, aisi harkat mujhe bilkul pasand nahi aayi."
"Main uski Maa se kahungi."
"Nahi aap khud kahiye, Amrita ke pita nahi hai, isiliye koi to chahiye jo uske sath sakht bartav kare."
"Haa lekin vo meri baat ka bura manegi." Natasha ka chehra sunidhi ki baato se narajgi jata raha tha. lekin use jo pata tha vo Sunidhi ko nahi pata tha.
"Tumhari baat kaa bura maane to koi baat nahi, lekin aajkal ke bachhe jaldi apne maa baap se nafrat karne lagte hai, hamse kare to kuch nahi lekin sachhai batana hamara kaam hai."
"Thik hai, main baat karungi lekin abhi aur bakheda khada karna thik nahi lagega." Natasha ne kisi tarah se kaaran bana liya kyuki vo Amrita ko dantna nahi chahti thi aur upar se usne jo kiya uske liye kuch bolne ka use koi adhikar bhi nahi tha. Bhalehi Amrita uski ijjat karti thi bachpan se lekin Vo Amrita thi jiski kahaniya sun Natasha badi hui thi.
" Haa tumhari baat bhi bilkul sahi hai, Tejaswini bhabhi ko unki beti ki sagai me jo hua use aur ghumana nahi chahegi."
______
"Nirmala tum Ashu ko sambhalo bichari ke dil par kya bit rahi hogi vo vahi jaanti hai." Ye baat Nirmala bua ki maa yaani meri dadi bol rahi thi.
" Haa Maa aap sahi kah rahi hai, mujhe bilkul bhi nahi laga tha ki Kamal aisa ladka niklega."
"Mujhe phir bhi samajh nahi aa raha ki Kamal aisa kaise kar sakta hai, Achanak jaise us par koi jadu hua ho."
" Haa main jaati hu dekhti hu ki Ashu kaisi hai."
Idhar Ashu Kamal ke pass baithi hui thi vo dono kone me khana lekar baithe the.
"Jaanu"
"Kya?"
"Bolo naa kuch, kya hua? tum baat bhi nahi kar rahi ho."
Ashu ne apni najar niche jhukakar bola.
"Kamal tum bura mat manana, lekin mujhe ek pal ke liye laga ki main tumhe kho chuki hu, tumse main door hoti jaa rahi hu."
Ashu ka udas chehra dekh Kamal ko aor Bura lagne laga.
"Meri bhavnaye Amrita ke pati kya hai bata saku itni kshamata to mujhme nahi hai, lekin tum mere liye behad khass ho agar main pritam nahi bhi hota to bhi tumse pyar karta. Aur main tum chaho to Asmita ke sath jo bhi hai vo chhod sakta hu, mujhe malum hai ki use usase taklif hogi, jo ki main nahi chahta lekin tumhare liye vo karne ko tayar hu lekin Amrita ko nahi chhod sakta."
Ashu ne apni aankhe upar ki.
"Main ise koi ise tyag ka darja nahi de raha. Tyag to tum kar rahi ho, lekin meri jindagi Ka aham hissa ab Amrita ban chuki hai, vo mere ek hisse ko us tarah se samjhti hai jo shayad main bhi nahi samjh pata lekin main phir bhi tumhara utna hi hi jitna Amrita ka hu."
"Kamal main tumhe dosh nahi de rahi, Amrita tumhari soulmate hai main uski jagah nahi lena chahungi lekin, main shayad kamjor hu In sab ke liye."
"Tum kamjor nahi ho.."
"Tum ab Yaha kya kar rahe ho?" Nirmala ne Kamal ko Ashu ke pass baitha dekh boli.
Ashu ki nigahen ekdum chinta me fayel gayi.
"Us din to bade nakhre kar rahe the ki sirf Ashu hi sab kuch hai, is parivar se koi lena dena nahi hai tumhara."
Kamal koi jawab de nahi paya.
"Bolo kuch kyu Kiya meri beti ke sath ye sab, kya sirf istemal karne ke liye hi thi meri beti tumhare?"
"MAA!" Ashu jor se boli "aap ye kya kah rahi hai."
"Kuch galat thodi kaha,sab kuch ho jane ke baad ab dusri or muh marna shuru kar diya."
Kamal ko is baat ka bura laga lekin vo kuch kah bhi nahi sakta tha.
Tabhi Nirmala ke chillane ki aavaj sun sab ki najare is taraf ho gayi.
________
"Meena, agar Kamal aisa hi karne vaala tha to aana hi nahi chahiye tha."
" haa didi aapki baat se sahamat hu, kamal ko aisa nahi karna chahiye tha, sabke samne vo bhi."
" Vahi to ham itne bade ho chuke hai ham kuch nahi kar rahe aur ye kuch jyada nahi ho raha, bichari Ashu jo usase itna pyar karti hai uske saamne ye sab. vo tumhare sath bhi kaisi harkat kar raha tha kamal us din Amritane sach me kuch jadu kar rahi hai, itne jaldi fasa liya."
"Aisa kyu lagta hai tumhe?" Meena jise pata tha ki Amrita kon hai isiliye usne pucha.
"Kyu matlab? Is ghar me sabse samjhne me kathin uski hi shaktiya hai jarur kuch jaal chal rahi hogi."
"Kon jaal chal rahi hogi" bich me sunil aur Vishal ne aate hue baat ki.
"Vahi Amrita usine kuch jadu tona kiya hoga isiliye aisi harkat Kamal kar raha hai."
"Mujhe nahi lagata usne kuch Kiya hoga Kamal aisa hi hai, tumhe yaad to hogi hi na uski harkate kya kya karta tha."Rupali Vishal ki baat par soch rahi thi.
Darsa ghar ki ladkiyo ki bathroom me unhe ek do baar camere mile the. Jiska iljaam Vishal aur Sunil ne Kamal par daal Diya tha. Rupali ki panties ko Kamal ki bag me chupakar pakadvana jisase camera ka Shak un dono par naa aaye is vajah se Rupali ki najar me Kamal thoda gir gaya tha lekin vo use abhi bhi apna Bhai manti thi.
Isiliye use Vishal ki baat sahi lagi lekin Vishal ki baat par Meena ko ab shak hua kyuki vo jaanti thi Kamal koi sadharan ladka nahi tha is vajah se pahli baar use Vishal shak hua.
"Haa aur Rupali tum kya Kamal ki chinta karti rahti ho, vaise bhi tumne dekha nahi meri bahan ke sath kya kiya usne puri tarah gira hua insaan hai vo." Sunil ki baat par Rupali ne bhi haami bhar di.
Tabhi unhe Shor sunai dene laga Sunil ki maa ka shor sab ko sunai diya.
Sunil us aur chala gaya uske pichhe sabhi bhage.
Vo pahunche tab tak Pratik yaani Ashu ke pitane samjhakar Nirmala ko Ashu sahit vaha se andar Ghar ke bhitar le gaye.
Kamal ki taraf ab sabki najare thi uski chhoti bahan, jaise use ghin aa rahi ho aise dekh rahi thi.
Tabhi ek Kamal ke kaan ke niche pada,ye kisi ne nahi uske pita yaani viswas ne lagaya tha.
Ye dekh Amrita ekdam gusse se tilmila uthi.
Thappad marte hi vishwas bola.
"Tumhari jurrat kaise hui, yaha sagai me aakar tamasha khada karne ki."
"Main marji se nahi aaya."
" Agar aisa hi tha to nahi aana tha, sab ko laga sara parivar eksath ho ga to achha rahega, lekin tum shayad is parivar me rahne layak ho hi nahi."
Apni pati ki baat sun shital bich me aayi.
Lekin use rokte hue viswas bola.
"Tum kuch mat bolo, tumhe hi tha ki yah ghar par aaye sath rahe. Dekh liya kuch fayada hai is baat ka."
Kamal behas nahi karna chahta tha. Vahi Shital ko apne pati ki kahi baat achhi nahi lagi.
Vishwas kuch der aor Kamal ko daanta raha. Is par Vishal aur Sunil ke sath uske dost aur Payal bhi muskurane lagi.
"Kya aise besharmo ki tarah khade ho kuch sharam hai ki nahi kuch to bolo."
Kamal ne is par kuch nahi bola aur paani ka gilas uthakar can se paani bharkar Pine laga.
Pine ke baad phirse Apne pita ke saamne khada hua.
Bahut se khusurpusur karte hue 'besharam ladka' 'asanskari' aise shabd bol rahe the.
Vahi is harkat pe Shital aor naraj ho gai.
Lekin jab is baar Vishwas ka marne ke liye hath utha tabhi Kamal ne ungli dikhate hue bola.
"Is baar main thappad ka jawab thappad se dunga, to sambhal kar."
"Beta ye kaisi baat rahe ho?" Shital apne bete ko aisa kahta dekh boli. Kyuki ab ye tamasha banta jaa raha tha jisme naam ab unka hi kharab hone vaala tha.
"Konsa beta, kisi anjan aadmi ko tumhara pati thappad marega aur chup chap khaa lega, main to yaha mahman ke taur pe aaya tha isiliye ek thappad kha liya.ab main umar ka koi lihaj nahi karunga."
"Haramkh.."
Vishwas kuch bolta Mathews ne bich me aakar Vishwas ko dusri aur le gaya kyuki aur tamasha na ho aur jate-jate ek aurat ko meri taraf ishara kiya.
Vo aurat meri aor aate hue boli.
"Chalo is tarah apne pitase kon baat karta hai" Aur Aisa kahte hue mujhe kuchh kursiyon ki taraf le gayi uske pichhe Abby aur karan bhi aa gaye. Meri maa ko aata dekh Abby boli ki "aap jaa kar vishwas uncle ko sambhaliye.''
Phir ham sab ek jagah baith gaye mujhe samjhte der nahi lagi ki ye vahi hai jisase Mathew mujhe milane vaala tha.Vo aurat lagbhag meri maa ke Umar ki thi. Lekin unki aankhe puri tarah shant thi. Sath hi sharir dubla tha meri maa se lekin sawale rang ki khubsurati un ki jarur thi.
"Kamal ye kya tha? Kar liya apne man se."
Karan ki baat par Abby ne use aankh dikhayi.
Tabhi vo aurat bol padi.
" Vaise mera naam Shanti hai. Mere baare me Mathew ne tumhe kitna bataya malum nahi."
"Darasal main unse mila hi nahi."
"Vo maine Mathew ko bataya tha, Kamal ke baare me." Karan bich me bola.
"Achha, koi baat nahi. Pahle meri kahani se shuruaat karte hai. Mera janm Amrit lok me hua hai aur Mere pati Amrit lok ke kuch hisse ko sambhalte the. Kharad ke
Raja banne ke baad sare logo ki suraksha ki jimmedari vaha ke rajgharano ki ho gai, logo ka vishwas Amrit lok ke swami se uthkar unke apne chhote mote rajao par bharosa ho gaya. Jis vajah se mere pati ne bhi rudpur shahar aur Aaspass ke gao par niyantran rakha. Lekin kharad ko ye baat jyada din tak pasand nahi aayi aur usne mere pati ko unke hi bhai ke sahare maar daala aur mere devar ko vaha raja ghoshit kar diya."
"Kyu kharad ne khud kyu nahi maara?" Ye sawal puchte hi mujhe bura laga kyuki ye unke hi pati ke baare me tha Maine maafi mangni chahi.
"Maafi mangne ki koi jarurat nahi hai, lagbhag 25 saal ho chuke hai us baat ko, log vaha par Rajgharano ko maante hai,kyuki unhone Pritam ka sath diya tha Ozors ke khilaf samrajya khada karne me. Kharad agar mere pati ki jaan leta to vo logo par apna niyantran nahi rakh pata, jo ki use pasand hai shakti aur niyantran ek hi sikke ke pahlu hai. Jiske pass niyatran hai vo shaktishali hai. Is liye usne Aisa raja khada kar diya jiske khilaf log naa jaye aur vo kharad ka paltu kutta bankar rahe aur kharad apni manmarji logo par kare.jo ki tumse badlega."
"Aisa aapko kyu lagta hai?"
"Mujhe kyu lagta hai, Agar tum nahi bachha sakte to kharad se hame koi nahi bacha sakta."
Maine unki baar par sar hilaya.
"To ham karne kya vaale hai."
Tabhi vaha par Mathew aa gaya.
"Hame sabse pahle ek sena banani hogi, jo
Un ozors ke aage tik paaye aur kharad ke khilaf to tumhe hi ladhna hai."
____
" Ye Mathew uncle aur Abby kya baate kar rahi hai Kamal ke sath." Vishal Arjun Aur baaki dosto ke sath baitha tha. Jyada tr mahman Jaa chuke the bass kuch hi bache the.
"Usase kya? Itna bada tamasha kiya usne samjha rahe hoge." Arjun bola.
" Vaise manana padega Kamal ko Amrita jaisi ladki hasil kar li usne." Arjun ke pass khade unke dost ne kaha.
"Haa Vishal bhai tumhara number to gaya." Arjun bola.
"Kya malum usne ye kaise Kiya to lekin itni jaldi main kaise haar maan sakta hu."
"To kya khayal hai?"
"Impress karna hoga use aur Kamal ki ijjat ki dhajjiyan udani hogi Amrita ke saamne."
"Haa Tumne kuch jarur soch hi hoga, vaise bhi maine tumhari tarah rough n tough ladka abhi tak nahi dekha."
Vishal apni tarif sun muskurate hue Arjun ki taraf dekha.
"Haa ye to shuruvat hai,tumne mer
e baare dekha kaha hai." Is par phirse baaki ladke Vishal ki tarifo ke pull bandhne lage. Vishal ko bhi apni tarif sunna pasand tha isiliye unki galtiyon par bhi unhe jama karke rakhta tha.
likes kardo.kaisi lagi Bata Dena.
Abhi yaha se Kamal ki asli journey chalu hogi. Uske saare sawal ke jawab use milne chalu ho jayenge.
Amazing updateUPDATE 31
Bartano ki khankhanahat hava me teir rahi thi. Shital, reshami saree me saji, aangan ki taraf dekh rahi thi. Sari lightings ab utari jaa chuki thi. Sab kuch shant tha.
Ab Shital ke dil me halchal machi hui thi, apne bete ke is bartav se vo samajh nahi paa rahi thi, ki use hua kya hai. Apne pati ko usne khudke bhaiyyo ke sath bhi jhagdte nahi dekha tha lekin aaj.
Kamal ab vo bhola sa beta nahi raha ye baat vo samajh chuki thi. Usne sach me bahut kuch apne bachhe ki jindagi se chhut gaya hai vo dekh paa rahi thi.
Tabhi use Kamal upar ki taraf jaate hue dikha tabhi shital ne use pukara.
"Kamal"
Uski aavaj na sunta dekh vo uske pichhe chali gayi.
Kamal apne room me gaya hi tha ki uske pichhe uski maa prakat hui.
"Main kabse tumhe aavaj laga rahi thi, bahre ho gaye ho kya?"
Kamal ne chehre par koi bhav na laate hue.
"Bolo kya baat karni hai, mujhe bass kuch saaman Lena tha mere kamre se, Aur jaanta hu ki ye ghar aap logo ka hai."
" Beta tum kaisi baate kar rahe ho ye ghar tumhara utna hi hai jitna ki hamara."
"Achha, ye kab hua?'' Kamal ne tang kaste hue kaha.
"Kamal ye baate kar rahe ho, tumhe kabhi kisine kaha hai ki ye ghar tumhara nahi hai?"
"Haa."
Kamal ke is uttar se Shital thodi gussa ho gayi.
"Kiski itni himmat hui ki tumse ye kahe main use achha sabak sikhaungi is ghar me aage se kadam tak rakhne nahi dungi."
Kamal shital ki baat par hasne laga.
"Kamal tum has kyu rahe ho? Main sach kah rahi hu jo bhi hai use is ghar se main bahar kad dungi."
"Aapko itni jhuti baate kahne ki koi jarurat nahi hai, Mujhe vaise bhi is ghar me rahne ka koi shauk nahi hai."
"Kyu nahi ye tumhara ghar hai, main manti hu beta ki maine tumhe jitna pyar dena chahiye tha vo nahi diya iske liye maafi mangti hu , ek maa ko aisa nahi karna chahiye lekin iska matlab ye nahi ki tum mere kuch kam mayne rakhte ho."
"Maa, in sab baato ko ab der ho gayi hai. Ab mujhe jarurat nahi hai aapke pyaar ki." Kamal ke muh se shital ke liya 'Maa' shabd nikal gaya.
Ye baat to sahi thi ki ab der ho gayi hai bahut shital ko chije samjhne me lekin use ek maa ki jarurat nahi hai ye galat tha. Kyuki vo bachpan se 'Maa' ke pyar ke liye tarsata tha.
Maa ko khush karne ke liye har ek koshish karta tha. Lekin uski Maa hamesha Vishal se hi impress hoti thi. Ek samay baad usne vo khush karne ki koshish karna chhod diya tha. Kyuki ab dard bahut gahra ho gaya tha.
Maa shabd muh pe aate hi use ab taklif hone lagi thi.achanak Kamal ko shant hota Shital ne dekh vo samajh nahi payi. Lekin aankho se vo chhupa na paya. Uska dard uske chehre par saaf najar aa gaya.
Kamal ki bhigi aankho me dard dekh Shital ka kaleja andar hi andar dabne gaya.
"Beta, kya hua? Batao mujhe kya taklif hai tumhe Achanak kya hua."
Kamal ka gala ek bhi shabd nikalta to use rone se koi rok nahi pata. Isiliye sar naa main jhatkte hue apni bag kholkar saaman dekhne laga.
Shital uske pichhe pichhe aakar puchhne lagi Uska man ab vyakul ho gaya tha.
"Beta, aisa mat karo batao, kya hua hai?"
Kamal apni maa ko pichhe pichhe aaya dekh usne bag ko table par fek diya.
"Aap ki samasya kya hai? Achanak meri chinta kyu hone lagi aapko." Kamal ne is baar apni najar maa par tikayi uski maa ki lambai usase kam thi.
Shital ab Kamal ki fiki hari aankhe jo kabhi timtimaya karti thi, usme dekhne lagi.
"Aap janana chahti hai naa ki mujhe kisne kaha tha ki, ye ghar mera nahi hai? Koi nahi balki aap thi, to ye sahanubhuti aur prem dikhane se kuch nahi hone vala."
Shital ekdam shant ho gai vo samajh nahi paayi ki kya hua. vo aisa nahi kah sakti. Lekin tabhi use yaad aaya ki usne Kamal ye sab kaha tha jab Arjun Kamal ke kamre me jaane ki koshish kar raha tha.
Ye dhyan me aate hi vo bol padi.
"Kamal vo to maine aise hi kaha tha, mera vo Matlab nahi tha Maa aksar apne bachho se kabhi kabar aisi baat bolti deti hai lekin unki baat ka koi matlab nahi hota."
"Achha lekin vo maaye 'Maa' bhi hoti hai pahle, Kya aapko lagta hai sachme ki aap meri maa hai kyu ki mujhe kabhi aapne bete ki tarah nahi maana ab achanak ye sab kyu kar rahi hai, kuch kaam ho to bata dijiye ,lekin mujhse kya kaam hoga main to ek nakara ladka hu,l Vishal ki tarah perfect kaam thodi kar paunga, to please aage se ye sab baate mujhse mat kariye. Main to kahta hu ki kuch baat hi mat kariye, mere liye vahi thik hai rahega.vaise bhi main ab thak gaya hu in sab se."
Itna kahte hi Kamal kuch saman bag me daal kar nikal Gaya, shital ekdam se rone lag gayi.
Darwaje ke bahar Amrita ki aankhe bhi aansuo bhari hui thi.
Kamal Amrita ko vaha dekh kuch bol naa paaya aur ghar se bahar aa gaya.
Amrita bhi chupchap uske pichhe gaadi ke piche baith kar Kamal ke sath nikal gayi.
Amrita kahne to vaali thi , Kamal jadu se teleport ho kar Jaa sakta hai lekin vo kuch boli.
Karan ka kamra yaani ab chhota sa Kamal ka Ghar hi ho gaya tha, vaha pahunchne par sidhe bed par let gaya.
Amrita bina deri kiye kitchen me chali gayi, aur paani laakar Kamal ko diya.
Pura kamara ab shant tha.
Kamal ne glass hath me pakad aur Amrita ki taraf dekha.
"Sorry"
"Kis baat ke liye. Sorry to mujhe kahna chahiye tha aaj jo bhi hua meri vajah se hua."
Phir dono ek sath shant ho gaye.
Kamal ne sar niche kar liya
Amrita boli.
"Aapko main samajh sakti hu ye main nahi kahungi, kyuki mujhe nahi pata ki koi aisa apne hi parivar ke sadasya ke sath kyu karega."
"Amrita, ye sab mere liye ab bhi kyu mayne rakhta hai main samjh nahi paa raha, ek vakt tha jab sab log mere sath bura vyavahar karte the, khaskar mere bhai bahan sirf Rupali di ko chhod ke jo ki baad me vo bhi mujhse door rahne lagi. Isiliye main hamesha Maa ke sath rahta aasha karta ki vo mujhse pyar karti hai lekin nahi."
Kahte kahte Kamal ka gala bhari ho gaya.
Amrita ne apna hath Kamal ke hath par rakha.Kamal phir lambi saans lekar aage bola.
"Mujhe aaj bhi yaad hai,mera man tha Maa ki god me sone ka mera bhai mujhse bada hokar bhi Maa ki god me sar rakhkar sota tha. Dono bhai bahan dono taraf sar soya karte the. Mera man bhi hota lekin main mere bhai se darkar koi koshish nahi karta. Jab bhi maa akeli hoti tab me uska pyar mile iski koshish karta. Lekin har bar nakayab hota. Kisina kisi chhij me kam ho hi jaata. Mujhe kabhi bhi bade bade gifts ki aasha nahi thi. Bass vo mujhe apne parivaar ka hissa maane yahi meri khvahish thi. Unke kisi bhi tarah ke khel me me fit nahi baithta, naa hi vo mujhe bithane ki koshish karte.
Rupali didi,Payal,vishal,maa aur pitaji in sab ke pyar ke liye tarsa hu."
"Rupali di kyu?.. matlab vo hi kyu baaki parivar vaale." Aage kuch bolti lekin Kamal Amrita ki baat samajh Gaya. Amrita chahti thi ki Kamal apne Dil ka Dard uske saamne rakhe.
"Bachpan me agar main kisike pass jyada raha hu to vo thi Rupali didi, vo hamesha Mera khayal rakhti. Babu Babu kahke mere pichhe pichhe rahti. Unke sine se lagkar mujhe sulati. Meri Maa ko bhi mujhse lagav nahi tha.
Lekin Rupali di shayad unke pass itni badi koi shaktiyan nahi hai isiliye mujhse pyaar karti thi, shayad mujhe to aisa hi lagta tha. Ashu aur Rupali di agar naa hote to shayad main puri duniya se nafrat karta phirta,ye kuch 4-5 saal pahle ki hi baat hai tab tak lagta ki vahi meri Maa hai.
Lekin ek din kya hua pata nahi mujhe apne pass tak aane se mana kar diya.ek din paas bulaya aur ek pant pahnane ko di jab pahni to usame mujhe meri jangho par kuch to kata vo kuch nahi chuha tha. Uske baad se maine bhi unke pichhe rahana band kar diya.
main dhire dhire samjne laga ki Ashu ke siva mera koi nahi hai, tabhi gharvaalo ne use bhi mujhse alag kar diya. Isiliye Ab mujhe in sab parivar vaalo ki jarurat nahi hai, lekin unhone mujhse bahut si chije chhin li hai jaise ki bachapan jise sab yaad kar khush hote hai mere liye ek bura sapna tha. Main har subah uth kar aasha karta hu ki vo sab jhuth nikle lekin vo ho chuka hai jo mujhe abhi bhi taklif deta rahta hai."
Meri puri baat sunte hi Amrita ne mujhe sine se laga diya. Mere sath vo bhi rone lagi.
Phir maine apne aansu ponche.
Amrita mujhse kuch kahna chahti thi. Lekin achanak shant ho gayi.
"Kya hua? kuch puchhna hai puchho?"
" Nahi, rahne do?"
Amrita ki baat samjhte mujhe der nahi lagi.
"Kya ye baat mere nakli parivar se related hai."
Amrita ne halke se apna sar hilaya.
"Haa vo darsal, ye bass mere man ki kalpana thi, maine socha tha jab aapse milungi to sab Parivar vaalo ka dil jitne ki koshish karungi lekin maine kabhi nahi socha tha ye sab hoga."
" Achha to vo Engagement vaali shart Parivar ko khush karne ke liye thi kya?" Meri baat par Amrita ne apna sar niche kar liya.
"Sorry"
Amrita ab halke halke halke se muskura rahi thi.
"Jaane do, tamasha hua achha hi hua. Lekin mujhe Ashu ki fikar ho rahi hai ki uski maa kya karegi."
" Aap chinta mat kijiye ye mera kiya hua hai uska hal bhi main hi nikalungi,lekin Ab shayad aap ke ghar me sab log mujhse nafrat karte hai."
"Vaise Kal Tum tayyar rahna Main tumhe kisi se milvaunga."
"Kisase?"
"Sulochanaji."
Amrita ne Ashu se ye naam suna tha jab Kamal gayab ho gaya tha. ye sun Amrita thodi khush ho gayi.
"Thik hai. Main tayyar rahungi, chalti hu."
"Kya?, Mujhe laga tum rukne vaali ho."
"Achha, Main rukungi bhala, Main to bass aap dukhi the isiliye aayi,vaise bhi ek hi room me mujhe nahi lagta ham dono ko Sona chahiye."
"Kyu nahi Sona chahiye?"
Amrita Kamal ka majak samjh gayi.
"Aisa hai, main maasi ko yaha bhej deti hu aap ko akela rahne ki koi jarurat nahi."
Kamal ke gaal ab sharm se laal ho gaye the.
_______
Bahut badi aag ek andhere khandahar bhadak rahi thi, us par dhup ki tarah kuch daalkar ek aurat use bhadka rahi thi.
Usne jab Karan ka chehra us aag me dekha to vo ekdam se khush ho gayi lekin dusre hi pal Vo aag bujh gayi aur usme se nili roshni nikli jise dekh vo naraj ho gayi.
Tabhi vo nili roshni ek buddhi aurat ka roop lekar boli.
"Kya atit ko hamesha dekhti rahogi."
"Atit nahi jindagi." Itna bol gusse se khadi ho gayi.
"Tripti?" vo aag boli.
" Mera naam vo nahi hai."
"Kuchh bhi ho, tumhe yaha se bhag ke chale jaana chahiye, kyu rah rahi ho yaha?"
"Kyuki main Kharad ko marte hue dekhna chahti hu? Nahi to jinda rahne ki koi vajah nahi hai."
"Aur use kon maarega bhala, vahi to tumhari maarta rahta hai."
Tabhi tripti ne us nili roshni ki taraf gusse se dekha.
"Jyada mat bolo, tumhe mene meri shaktiyon se mujhse baat karne ke liye banaya hai, meri haalat par hasne ke liye nahi. Ek din jarur aayega jab kharad marega aur main hasungi."
"Aur tumhe bharosa hai aisa hoga."
"Jarur hoga, varna use koi maar nahi payega."
______
Samandar ki aavaj kille ke upari hisse ki shanti me ghuli hui thi.
Vishalkay kille par sabhay apni shama ke sath baith hua tha.
"Aapko jamal par bharosa hai?"
"Jamal mujhe bhi Bilkul pasand nahi, lekin Uske irade hamesha Ghor hit me hi rahe hai."
" Lekin phir bhi aap sukant Ji ke aadesh par sultan bane ho, phir bhi bagavat ho isase logo me vishwas tut jayega."
Sabhay shant ho gaya . tabhi ek sainik uske pass aya.
" Sultan Saakhoo aaya hai."
Sabhay ekdam se uth gaya. Use tabhi bhediyo ki havlne ki aavaj aane lagi.
Shama ne puchha.
"Saakhoo lekin vo to sukantji ke sath tha."
"Nahi uske sath Abby ji aayi hui hai."
Ye baat sun Shama ko thodi rahat ki saans mili.
"Vo aapse milna chahte hai."
"Bulao andar main abhi Darbar me aata hu."
Sainik jaane vaala tha tabhi use phirse Sabhay ne rok diya.
" 'Vo chahte hai' matlab Abby ke sat
h koi aur bhi hai."
"Ji vo Karan ke sath aayi hai, unka kahna hai ki unhone prithvi ke rasmo ke hisab se shadi kar li hai."
Ye sunte hi Shama nirash ho gayi. Sabhay apni bahan ko milne ke utsah me niche chala gaya.
Support karte raho, like dete jaao aur story me aage kya dekhna pasand karoge vo likho.
Shukriya Bhai Agli Update Aaj raat ko kabhi bhi aa sakti hai Aaj. Bane rahiye .Bahot badhiya update hai.
Kamal ka apne family ke sath drama aur bhi dilchasp kr rha hai, next angle amritlok or karan ka.
Bahot khub.
Waiting bhaiShukriya Bhai Agli Update Aaj raat ko kabhi bhi aa sakti hai Aaj. Bane rahiye .
Dhanyawad
Update waiting bhaiShukriya Bhai Agli Update Aaj raat ko kabhi bhi aa sakti hai Aaj. Bane rahiye .
Dhanyawad