Update 4
Recap-
jasmine- ji papa me samjhti hu apki baat ko me bhi bina jruat ke kisi ke samne ni aaungi or ali ka pura khyaal rakhungi
or fir sheryaar or shabnam apni nam aankho se dono ko anathashram me chod ke aajate h jaha pe ali ki puri zindgi badalne vaali thi
Ab aage-
sheryar ne jaate wakt ek kaam or kiya tha usne ali ki yaddhast mita di thi vese to vo bacha tha use kuch bhi ache se yaad ni tha mgr fir bhi vo use purani jindgi se door rakhna jaata tha vo ni chahta tha k uspe koi bhi bura saya pade
or ye baat jasmine bhi jaanti thi
dusri taraf rajgad me-
idhar ali ki family apni zindgi ais or aaram se gujar rhi thi unhe to sayad ali yaad bhi ni tha ali maa bhi paiso ke rang pe puri tarah dhal gyi thi late night parties or drugs or sabhi bure kaam krne lagi or pari ki har zid puri ki jaati or saleem bhi apni jindgi paiso me gujar rha tha
mgr ali ke dada humesha ali ke baare me hi sochte the ki abhi vo kya kr rha hoga kyunki vo use bhut hi chahta tha usne ali me apne baap ki ek chavi dekhi thi
ab pari bhi badi hone lagi thi or kaafi jiddi or paiso ka rang bhi uspe chad rha tha
idhar zin lok me-
sheryar or shabnam jese hi zin lok me apne ghar me pahunche unhone dekha saare sainik idhar udhar bhag rhe the mgr jese hi unhone sheryar or uski biwi ko dekha unhone maharaj ko bulaliya
tabhi maharaj unke pas ata hy or sirf ek hi sawal bade gusse punchta hai
kaha chupa rakha hy tumne uss bache ko
sheryar-kis bache ko mujhe kuch samajh ni aya
maharaj- dekho mere samne naatak krne ki jruat ni hy mujhe sab pta lag gya hy tumne yaha bache ko rakha tha
sheryar- maharaj ye baat apko kis ne btaya
maharaj-thode shant swar me ,mujhe ye baat pehredaar ne btayi usne khud apne kaano se kisi insaan ke bache ki rone ki aawaaj suni thi
sheryar-maharaj apko koi galt fehmi hui hy esa kuch bhi ni hy aap kahi bhi dekh lijie vo to mene hi ye aawaaj nikali thi me apne chehra badalne ka abhyaas kar rha tha or me bache ke charitra ko puri tarah nibha raha tha islie esi aawaj nikali thi
aap khud uss pehredaar se kyu ni puchlete kya usne us bache ko apni aankho se dekha tha k ni agar usne dekha hota to use pta lag jata vo or koi ni vo me hi tha
maharaj- pehredaar kya ye baat sahi kah rha hy kya tumne us bache ko apni aankho se dekha tha
pehredaar-maaf kijie maharaj mene to sirf bache ki aawaaj hi suni thi mujhe bilkul bhi ni pta tha k ye harkat koi zinn kr rha hoga
sheryar-dekha aapne maharaj jo aap soch rhe hy vo ek galt fehmi thi aap khud pure ghar me dekhlo agar aapko koi insaani bacha dikhe
maharaj-to fir jab me tumhe bula rha tha to tum bahar kyu ni aye
sheryar-maharaj vo to me bahar gya tha apni biwi ke saath
maharaj-oh to kya tum sach kah rhe ho dekho agar mujhe kabhi bhi bhanak bhi lagi to tumhare sath bhut bura hoga
sheryar- maharaz aap bilkul nischint ho jayie esi koi bhi baat ni hy
maharaj- thik hy ab mujhe chalna chahie
sheryaar-ji maharaj jesi apki ichha
maharaj or uske sainik ke jaane ke baad sheryar ne shabnam ko bola
sheryar-dekho me janta hu tum unhe bhut yaad krogi mgr ab hum unse milne kabhi ni jayenge kyunki maharaj hume lekar bhut satark ho gya hy mujhe maaf krdena hum ab unse milne kabhi ni ja payenge
shabnam-dekhiye aap dukhi mat hoie aap jesa kahenge me vesa hi krungi me apne bacho ki jindgi khatre me ni daal sakti hy
aaiye ab najar daalte hy orphanage (anathalya)
jaha ali ko apni aham jindgi ka ek hissa is anathalya me gujarna tha vahi jasmine ko bhi apna bachpan ali ke lie qurbaan padega jo vo bhi janti thi
ab ali tha to 4 saal ko or use anathalya me aye 1 mahina bhi ho gya tha vaha ki zindgi bhut ghatiya thi use vaha rehna bilkul bhi pasand ni tha use niche jameen pe letna ke sona padta or vaha usse abhi jyada kaam ni karna pad rha tha par fir bhi vo 1 mahine me hi toot gya tha use vaha ka khana bhi bilkul bhi pasand ni ata vaha ki halat jail jesi hi thi
vaha bacho pe kaafi julm bhi kre jaate agar koi kaam ni krta to mgr ali bacha tha or naya use abhi koi jyada pareshan ni krta mgr jabbhi