UPDATE 14
Sinha Mansion mein is waqt kuchh khamoshi si chhayi thi.Kiran kitchen mein raat ke khane ki tyari mein lagi huyi thi but uske dimag mein baar baar Rajiv ki batein ghum rahi thin k kya sach mein Rahul kabhi v use apni maa ka darza nahi dega aur kya wo hamesha us pyar ke liye tarsati rahegi jo Rahul apni maa se karta hai. Khair use in sab ke bawjud is baat ki tasalli thi k Sanjiv(manager sahab) ne use Rahul ki problem ke bare mein sab bata diya aur wo Rahul ki help v kar payi. Shayad ab Rahul wo sab kar paye jiske liye wo kab se Rajiv se jhagad raha tha. Halanki usne Rahul ki madad karke apne ap ko v baap bete ki is cold war mein dhakel diya tha par shayad ek na ek din use aisa karna hi tha. Kiran is waqt apne khyalon mein itna khoyi thi k use yeh v nahi pata chala k Rahul is waqt uske theek peeche kitchen ke door par khada hai.
“kya mujhe ek gilas paani mil sakta hai plz"
Kiran ke kaano mein jaise hi yeh awaj padi toh use ek pal ke liye yakeen nahi huya. Usne palat kar dekha toh sach mein Rahul hi tha. Kiran uski taraf aise dekh rahi thi mano usne koi bhoot dekh liya ho. Kionk aj tak Rahul ne kabhi usse pehle baat nahi ki thi. Balki wo toh hamesha use ignore karta rehta tha aur aj usne Kiran ko samne se bulaya aur wo v aisi baat ke liye jo k wo khud badi asani se kar sakta tha. Aur abhi v wo paani lene ki jagah is cheej ka wait kar raha tha k Kiran kuchh bole.
“kya huya ap theek toh hain na?” Rahul ne kuchh der tak koi v jawab na milne ke baad dobara se Kiran ko bulaya aur is baar Kiran ko yakeen huya k Rahul usi se baat kar raha hai. Is waqt uske ander khusi aur hairani ka ek ajab sa mishran chal raha tha jise shayad shabdon mein explain karna kafi mushkil hai. Par usne khud ko sambhalte huye ek paani ka gilas bhar kar Rahul ki taraf badha diya lekin is beech Kiran ke munh se ek shabad v nahi nikla.
Rahul ne kuchh der aur wait kiya par shayad Kiran is halat mein nahi thi k wo koi react kar sake toh Rahul ne use thanks kaha aur halka sa nirash hokar wahan se nikal gaya. Use laga k shayad Kiran uske past behavior ke liye usse naraz hai. Udhar Kiran ko toh mano jhatka sa laga ho jisse ubhar paana uske liye asan nahi tha aur is wajah se wo abhi v yeh figure out karne ki kosish mein thi k abhi abhi jo huya wo kaise huya aur kion huya aur in sab se bhi bada question yeh tha k jo v huya kya wo sach tha.
Rahul ko is baat ka dukh huya k Kiran ne usse koi v baat nahi ki but usne socha k is sab ke peeche galti khud usi ki hai jo usne itne saalon tak Kiran ko pareshan kiya. Ab sab kuchh theek karne ke liye use thoda sabar aur himmat toh dikhani hi padegi. Wahin Kiran ko kuchh time laga yeh yakeen karne mein k aj Rahul ne usse sach mein paani manga. But jaise hi usne apne man mein yeh yakeen kar liya k yeh sach hai toh uski khusi ka koi thikana nahi tha. Dekha jaye toh yeh koi badi ghatna nahi thi but yeh ek aisi ghatna jarur thi jo is ghar mein toh normal nahi thi. Yeh baarish ki ek boond jaisa tha jiski value hum sab ke liye kuchh v nahi hai but iski asli keemat wahi bata sakta hai jo pichhle 20 saalon se sukhe ki maar jhel raha ho kionk paani ki ek boond hi sahi but Akhirkar kuchh umeed toh jagi bahaar ane ki.
Khair aj ki shaam Sinha mansion mein kuchh ajeeb thi jismein kuchh naya pan tha aur pehli baar koi family wali feeling v thi. Yahan Rahul pehli baar Dinning table par yeh soch kar nahi gaya tha k yeh uski ek duty hai jise wo har roz bina man ke karta hai balki aj wo yeh soch kar aya tha k wo apni family ke saath kuchh lamhe guzaar sake. Halanki Rajiv un sab ke sath maujud nahi tha kionk use kuchh kaam tha but Rahul ko isse koi fark v nahi padta tha. Vaise toh Aj v wo teeno chup chaap nashta kar rahe the but aj kuchh toh alag tha jise mehsus karne se hi Rahul ko ek ajeeb si shanti mehsus ho rahi thi. Uske dil mein kayi baar yeh v khyal aya k wo Kiran se kuchh baat kare but aj sham ki ghatna ke baad use thodi jhijhak ho rahi thi kionk use nahi pata tha k Kiran usse naraz hai yah nahi. Khair wo baar baar Kiran ki taraf dekh kar yeh observe karne ki kosish kar raha tha k Kiran ke dimag mein kya chal raha hoga but aj tak aisa shayad hi koi ho jo kisi aurat ke man ki baat padh paya ho toh Rahul ke liye v yeh impossible hi tha. Wo pura time yahi sochta raha k wo koi toh baat kare but use samajh mein nahi a raha tha k wo kya baat kare.
Udher Kiran ke halaat v kuchh alag nahi the, yeh baat wo v note kar rahi thi k Rahul aj uski taraf kuchh jyada hi dhyan de raha hai aur use dekh kar lag raha tha k wo kuchh kehna chahta hai but kuchh toh tha jo use rok raha tha. Wo v chahti thi k Rahul usse koi baat kare but use khud se kuchh bolne ki himmat usmein nahi ho rahi thi.
Par wahan par ek aur v shakas tha jo kab se un dono ki harkaton ko dekh raha tha k kaise wo dono khana khane se jyada ek dusre ki taraf dekhne mein busy hain.
“Oh hlo! Yeh sab kya chal raha hai ap dono ka kab se, koi ladayi wadayi huyi hai kya?” Divya se aur nahi raha gaya toh usne seedhe munh puchh hi liya.
“Nahi aisi toh koi baat nahi hai.” Divya ki baar sunte hi dono ek sath hi bol pade toh Divya ne un dono ko thoda ghur kar dekha.
Divya: toh fir ap dono yeh kab se kya ek dusre ko baar baar choron ki tarah dekhe ja rahe ho?
Kiran(jhuthi si Hansi hanste huye): nahi beta tumhe kuchh galat fehmi ho rahi hai.
Rahul: han sab theek hai.
Un ki baaton ke andaz se Divya ko shak toh jarur huya k daal mein kuchh kala hai but usne is baat ko jyada khinchna sahi nahi samjha aur chup chap apne khane par dhyan lagaya. Fir wo dono v chup chap khana khane lage. Divya toh apna khaana khatam karte hi un dono ko good night bol kar seedha apne room mein chali gayi but Rahul aur Kiran abhi v wahin baithe the. Dono kuchh na kuchh kehna chahte the ek dusre se but pehal koi v nahi kar pa raha tha. Thoda wait karne ke baad Kiran wahan se khadi huyi aur bartan sametne lagi. Wo wait kar rahi thi k Rahul kuchh bolega kionk use kab se aisa lag raha tha jaise wo kuchh kehna chah raha ho but shayad wo hesitate kar raha tha. Rahul v kab se kuchh bolne ke liye machal raha tha but shabad uski jubaan tak ane mein hichak rahe the.
“Mom khana bahut achha tha.” Rahul ne kafi himmat karte huye itna bola aur wahan se uth kar bina Kiran ki taraf dekhe nikal gaya. Use yakeen nahi ho raha tha k usne Akhirkar Kiran ko mom maan hi liya but use ander se kaafi relaxed feel ho raha tha. Wahin Kiran ko toh aisi koi umeed hi nahi thi k Rahul use Mom bolega. Use toh mano yakeen hi nahi ho raha tha k yeh sab reality hai. But is ek shabad ne un dono ke ander kuchh toh najdeeki paida kar hi di thi.

Pyar toh tha hi bas thoda trigger karna pada.akhirkar pyar hi hi gaya?????
Thanks bhai.Bahut hi majedaar update hai bhai
Sahi kaha bhai. Aur lagta hai k yeh emotions Kiran tak pahunch hi jayenge.If you can't do something good for someone by your shame or fear, at least compliment them, your one compliment carry more emotions than anything ?
Nice Update, Waiting For More.
Thank you mam.Nice update deya gajab
Sahi kaha bhai isi liye toh Kiran itni jyada hairan ho gayi.Rahul ka Kiran ko Mom pukarna hi apratyasit tha. Waiting for next update
Thanks broSuperb update bro. Waiting for next