• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Kagaz ke phool

Shurya dev

Member
313
963
108
UPDATE 18

“Sala gaya kahan yeh achanak?” Rahul us aadmi ko dhundhte huye age badh raha tha. Wo har dukan har stall par nazar maar raha tha k kahin wo use nazar a jaye. Par na jane wo ek hi pal mein kahan kho gaya tha. Rahul abhi v logon ke beech mein se tezi se age badhte huye use dhundhne ki kosish kar raha tha par kafi der ke baad v wo use nahi mila. Tabhi uske phone ki ring baji, usne nikal kar dekha toh yeh Sonu ki call thi.

Rahul(apne ap se hi): shayad mera bhram ho. Nahi toh wo aise kahan gayab ho gaya.

Rahul ne Sonu ka call kaat diya par use message chhod diya k wo bas do minute mein aya. Ab jab use wo Aadmi kahin v nahi mila aur na hi uske milne ki koi umeed thi toh usne wapis lautna hi sahi samjha. Kuchh der baar Rahul Sonu ke paas wapis laut aya.

Sonu(Rahul ko dekhte hi): sale ek dum se kahan gayab ho gaya tha.

Rahul: kuchh nahi yaar shayab koi bhram ho gaya hoga. Tu chhod yeh sab chal tere ko kuchh achha sa khilate hain.

Sonu(khus hote huye): han yaar sach mein bahut bhukh lagi hai.

Rahul: chal yaar bike v tu hi chalale.

Sonu: chal theek hai fir baith jaldi se.

Baad mein Sonu ko uske garage drop karke Sham tak Rahul apne ghar pahunch chuka tha par abhi v uski sui aj bazaar wali ghatna par hi ruki thi. Wo balkani mein khada bahar ki aur dekhe ja raha tha halanki uska dhyan sirf us aadmi par hi tha. Theek wahi ankhein wahi chehra jo usne 20 saal pehle dekha tha. Par yeh tha kon is baat ka kus ata Pata nahi tha.

20 saal pehle Rahul ek Hospital mein ICU ke bahar ek bench par baitha tha. Rajiv v wahin maujud tha but us waqt kafi jawan tha.

Rahul: papa mom theek toh hain na?

Rajiv(Rahul ke sir par hath firate huye): han mera bacha. Mom bilkul theek hain wo toh bas thoda thak gayi hain toh bas aram kar rahi hain.

Rahul: Papa mujhe mom se milna hai. Doctor uncle ko bolo na plz.

Rajiv: nahi beta abhi ap mom se nahi mil sakte.

Rahul: plz papa main bilkul v unhein pareshan nahi karunga. Main bas chup chap unhein ek kiss karke wapis a jaunga.

Rajiv: beta abhi agar ap Mom ke paas jaoge toh unhein takleef hogi. Ap ek kaam kijiye abhi ap ghar jaiye main apki mom ko leke jaldi hi wapis ata hun. Main driver ko bol deta hun k wo apko ghar chhod dega.

Rahul: nahi papa main mom ke paas hi rahunga.

Rajiv: agar ap ghar nahi jaoge toh yeh doctor log mom ko jaldi ghar nahi bhejenge. Ap jitni jaldi ghar jaoge mom utni ki jaldi theek hokar apke paas ayengi.

Rahul: sach mein papa?

Rajiv: han beta sach mein.

Rahul: toh theek hai main ghar chala jata hun. Ap mom ko lekar jaldi se ghar a jaiye.

Rajiv: theek hai beta tum bahar gaadi ke paas intezar karo main driver ko bhejta hun.

Fir Rahul wahan se uth kar bahar ki taraf chal pada aur parking lot mein khada driver ka intezar karne laga. Driver v thodi hi der mein wahan pahunch gaya.

Driver(Car ko unlock karte huye): Rahul baba ap car mein bethiye main abhi do mint mein aya.

Rahul chup chap Car mein baith gaya aur Driver Gaadi ke peeche dikki mein kuchh rakhne chala gaya. Tabhi Rahul ki ankhon ke samne aya wo chehra jo hamesha ke liye uske dimag mein chhap gaya. Usne doctor wale kapde pehan rakhe the par uski ankhon mein ek ajeeb si darindagi thi jise dekh kar Rahul buri tarah se dar gaya tha. Wo ajeeb sa chehra jise dekh kar Rahul v samajh gaya k wo ek doctor toh bilkul v nahi lag raha tha. Rahul ko aj v is baat ka afsosh hai k us din usne uske bare mein kisi ko bola kion nahi. Par bolta v kya aur kon us chhote se Rahul ki baat sunta. Par aj achanak wahi chehra Rahul ki ankhon ke samne ana, kya yeh uska bhram hai yah fir sach mein hi wo aadmi us waqt wahan par maujud tha. Par itne saalon baad achanak wo kahan se aur kaise prakat ho gaya.

Rahul apne khyalon mein itna khoya huya tha k use yeh v andaza nahi huya k Kiran abhi uske room mein maujud hai. Usne ander ate hi dekha k Rahul chup chap sa balkani mein khada bahar ki taraf dekhe ja raha hai. Kiran dheere dheere se chalti huyi uski bagl mein jakar khadi ho gayi.

Kiran: kitna achha mausam hai na aj.

Kiran ki awaj sunte hi Rahul jaise kisi gehri neend se jaaga ho. Wo ek dum se sakpaka sa gaya.

Rahul: han wo achha mausam hai.

Kiran(Rahul ki taraf dekhte huye): kya huya tumhe itna pareshan se kion ho?

Rahul(najrein churate huye): nahi toh mujhe kya hona hai. Main toh ek dum achha hun aur taazi hawa kha raha hun.

Kiran(Rahul ke chehre ko pakad apni taraf ghumate huye): dekho bhale hi maine tumhe janam na diya ho par tumhari ek ek rag se wakif hun toh mujhe jhuth bolne ka koi fayada nahi hai. Aur vaise v tumhe jhuth bolna nahi ata.

Kiran ki baat sunkar Rahul halka sa hans diya.

Kiran: chal ab sach sach bata k kya baat hai?

Rahul: kuchh nahi bas past ki kuchh yadein achanak samne a gayi toh thoda mayus tha.

Kiran: dekho beta aksar hamare ateet mein kuchh aise panne hote hain jinhein hum na hi kholein toh behtar hota hai. Aur agar galti se khul v jayein toh unke bare mein soch kar apne present ko kharab karna koi syani baat toh hai nahi.

Kiran ki baat sunkar Rahul thoda soch mein pad gaya k Akhir bol toh wo sahi hi rahi hai kionk ab wo apne past ko toh kabhi badal nahi sakta toh uske bare mein jyada sochna hi kion.

Kiran(Rahul ko soch mein duba dekh): ab jyada mat socho aur naha kar thoda aram karlo achha lagega.

Itna bol kar Kiran ne bade pyar se Rahul ke sar par hath fera aur use ek smile dekar wahan se chali gayi. Rahul use jate dekhkar uski baat ke bare mein sochne laga.
Excellent update
 

ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,401
28,413
218
UPDATE 19

Abhi Rahul Kiran ki baaton ke bare mein vichar kar hi raha tha k tabhi uske phone ki ghanti baji. Dekha toh yeh Sharma ka hi call tha.

Rahul: hlo Han boliye sharma ji.

Sharma: badhayi ho Sinha ji. Ap toh bas ab Restaurant ki tyarian shuru kijiye.

Rahul(man hi man khus hote huye): are wah kya baat hai. Kya wo party maan gayi hamare price pe.

Sharma: han han bas maan hi gayi hai. Thoda unhone adjust kiya hai ab Thoda sa ap v kar lijiye.

Rahul: kya matlab Sharma ji.

Sharma: wo kya hai na k maine unse baat ki thi apke offer ke bare mein wo bas thoda sa hi jyada maang rahe hain usse.

Rahul ko pehle se hi pata tha k jitna kam usne bola hai utna kam toh wo nahi karenge. Wo toh bas unhein thoda sa kam karwana chahta tha taki cheejein uske budget mein hi rahein.

Rahul: han toh theek hai sharma ji ap deal done karwa dijiye baki payment wagera main thode din mein kar dunga.

Sharma: are Sarkar ap toh mujhe sharminda hi kar rahe hain. Apke paise konsa kahin bhage ja rahe hain. Jab apka man kare tab de dijiyega.

Rahul: toh theek hai ap tab tak sara paper work kar lijiye main paise hath mein ate hi payment karke registration karwa lunga.

Sharma: theek hai ap bas token ke paise bhijwa dijiyega.

Rahul: han utne mere account mein pade hain main kal subah apka check bhijwa dunga.

Sharma: theek hai Sir. Toh fir registration ke liye jald hi milte hain.

Rahul: han jarur. Abhi main Rakhta hun.

Fir Rahul ne call cut kiya aur Sonu ko call karke yeh khuskhabri de di. Sonu v yeh baat sunkar bahut khus huya. Tabhi Rahul ke room ke darwaje par knock huya.

Rahul: yaar lagta hai kisi ne door knock kiya hai. Main chal tere ko baad mein call karta hun.

Sonu: ok bhai koi baat nahi.

Fir Rahul ne call cut ki aur Room ke door par gaya toh wahan par Divya khadi thi. Rahul uski taraf aise dekh raha tha jaise koi bhoot dekh liya ho.

Divya: kya huya bhaiya ap mujhe aise kya dekh rahe ho?

Rahul: mujhe na yakeen nahi ho raha k tune darwaja knock kiya. Tu toh hamesha aise hi ghus ati hai toh aj kya huya.

Divya: wo kya hai na k ab mujhe dar lagta hai kahin main apka darwaja kholun toh mujhe koi sadma na lag jaye.

Divya ne Rahul ko us raat ke liye taunt maara tha but Rahul ko kuchh samajh mein nahi aya.

Rahul: kya matlab tumhara.

Divya: kuchh nahi. Abhi kya ap mujhe ander v ane doge yah nahi.

Rahul: Maine kab roka tumhein.

Divya: ok toh theek hai side mein hoyiye.

Yeh bolte huye Divya ne Rahul ko halka sa side mein kiya aur Rahul ke kamre mein ghus ayi. Rahul v Darwaja band karke uske peeche peeche a gaya.

Rahul: abhi tum bataogi k yahan kaise ana huya.

Divya: (bed par aram se bethte huye): han wo mujhe pata chala k apke restaurant ke liye apna loan grant ho gaya hai. Toh socha k apko congrats bol aun.

Rahul: ok bas itni si baat. Theek hai thank you.

Divya(shak karte huye): mujhe aisa kion lag raha hai k ap mujhe yahan se bhagana chahte hain. Yahan koi hai kya.

Rahul(Divya ke paas bethte huye): Yahan kon hoga aur main tumhe kion bhagaunga wo toh main bas aise hi janna chahta tha k kya tum yahan kisi kaam se ayi ho.

Divya(uth kar washroom ki taraf jate huye): bola na k apko congrats bolne ayi thi.

Rahul: wo toh tum bol chuki ho. Aur yeh tum Washroom ki taraf kion ja rahi ho tumhare kamre mein tumhara khud washroom hai na.

Divya: Kion agar main yeh Washroom use karlun toh apko koi problem hai kya.

Rahul(bhag kar Divya ke samne ate huye): Dekho kuchh v ho but tum mera washroom use nahi kar sakti.

Divya: par kion. Kya koi ander hai?

Rahul: yaar kya tum kab se ek hi ratt lagaye huye ho. Bola na k mere kamre mein mere ilawa aur koi nahi ho sakta.

Divya(halka sa chidhte huye): achha toh Aditi shayad us din Rasta bhul gayi hogi.

Rahul: Divya tum pagal ho kya. Main tumhara bhai hun aur tum kaisi batein kar rahi ho mere se.

Divya: dekhiye pehli baat toh yeh sab normal batein hai jo main apne bhai se aram se kar sakti hun aur dusra ap mere samne se hatiye mujhe Washroom mein jana hai.

Rahul: are meri maa tu samjhti kion nahi hai k tu is washroom mein nahi ja sakti.

Divya: par kion?

Rahul: kionk yeh mera washroom hai aur main ek ladka hun.

Divya: yaar bhaiya common yeh kahan ka logic huya. Aur yeh koi public men’s washroom thode na hai k koi ladki yahan nahi ja sakti. Aur us din Aditi ne washroom use nahi kiya tha kya.

Rahul(awkward feel karte huye): yaar pehle toh tum yeh Aditi ka naam ghasitna band karo aur dusri baat wo meri behan nahi hai aur tum meri behan ho toh tum mere washroom mein nahi jaogi.

Divya: dekhiye ap chahe jo marji boliye par mujhe yahi Washroom use karna hai.

Rahul: par kion tu apne room mein ja na.

Divya(door ki taraf dekhte huye): dekhiye na mom bhaiya kaise bachon jaisi jidd kar rahe hain.

Divya ki baat sunkar Rahul ne ek dum se door ki taraf dekha par wahan koi v nahi tha but itne mein Divya Rahul ko side karte huye Washroom ka darwaja khol chuki thi.

Rahul: divyaaaaa.

Rahul gusse mein halka sa chilaya par use pata tha k ab toh uski chud gayi. Divya jaise hi ander ghusi toh uska munh khula ka khula reh gaya kionk Rahul ke Washroom mein 4-5 nudes lage huye the. Divya un sab ko ghur ghur kar dekh rahi thi. Rahul jaldi se ander gaya aur usne Divya ka hath pakad kar use bahar khincha aur darwaja band kar diya.

Rahul(gusse mein): abhi mil gayi shanti tumhe. Isiliye bol raha tha k mat jao.

Divya(najrein jhukaye huye): I am sorry bhaiya. But apne aise gande photos kion lagaye apne washroom mein.

Rahul: yaar tum kabhi sawal puchhna band kion nahi karti. Aur yeh ek ladke ka washroom hai toh tum aur kya expect kar rahi thi.

Divya: but is ghar mein aur v toh log rehte hain toh apko aisa nahi karna chahiye.

Rahul: mere room mein koi nahi ata aur vaise v sab tumhari tarah jiddi nahi hote.

Divya: but apki toh gf v hai na wo Aditi toh is sab ki kya jarurat hai.

Rahul: yaar tum Aditi ke peeche kion padi ho. Wo meri GF nahi hai.

Divya: toh ap uske sath aise hi wo sab.

Rahul: abhi chup, bilkul chup aur band karo yeh Q&A.

Divya: par kion?

Rahul(gusse mein): maine bola na ek baar.

Divya(mayus si hokar): theek hai main baad mein ati hun.

Rahul: han yahi theek rahega.

Fir Divya wahan se nikal gayi but bahar jate waqt uske chehre par ek alag hi khusi thi. Wahin Rahul abhi v kafi gusse mein tha.

Rahul(khud se hi): lagta hai yeh posters nikal hi dene chahiye. Ab mera room utna safe nahi raha.

Yeh bol kar Rahul wahsroom ki taraf chala gaya. Aur Wahin Divya apne room mein jate hi room band karke paglon ki tarah naach rahi thi. Uski khusi ka kaarn toh nahi pata but itna jarur hai k shayad koi badi baat hai.
Lovely update....?
 
Top