If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
FantasyKaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)
Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle
"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."
Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...
Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....
Sabhi logon ko ye mehsus Hoti khushi mano 2 maa (Serin aur Nischal ki maa) ki marmik kahani se ubarne me madad kar rahi ho.... Kasak utsukta vash puchhne lagi... "Ye kitne vishalkay sher ka jhund hai. Yahi Adhmya aur uska parivar hai na??"…
Nandni aur Nischal ne jaise hi haan me sar hilaye, Kasak... "Ye itne khush hai ki uski khushi main yahan tak mehsus kar rahi, Shwetna ki shadi me to lagta hai sab deewane huye ja rahe hain"..
Nandni ko baat shuru karne ka jaise mauka mil gaya ho... Aur usne Adhmya aur uske parivar ke khush hone ke pichhe ka karan Nischal ke 4 jodi se hone wale bacchon ko batayi, jise Jivisha ki sahmati par plan kiya gaya tha. Isliye Jivisha bhi usse apna baccha maanti hai...
Haalanki Nandni ko wakai pata nahi tha ki Adhmya aur uska parivar kyon khush hai... Lekin Nandni ko apne doston ki khushi ya gum bhaanpne ke liye kisi shakti ki jaroorat nahi thi. Wo brahmand ke kisi bhi kone se unki khushiyan aur gum, dono mehsus kar sakti thi... Fir wo Nischal ho ya Jivisha, dono dukh me ho ya khushi me, mehsus ho hi jata tha...
Haalanki jis baat ka dar tha wahi hua... Abhishek gusse me aa'kar Nischal ko ek thappad laga diya... Asis bhi ghurti najron se dono (Nischal aur Nandni) ko dekha aur apni bahan Nandni ko ek thappad jad diya...
Baat koi bhi ho Nandni ko thappad padte hi Ansh aur Nischal ki bhavna badal gayi, lekin Asis se dono hi kuchh nahi hi kah sakte the... Wahin Kasak ko bhi chubh gayi ye baat... Jivisha ki 4 shaut aur charon se bachhe honge...
Haan lekin Kasak ko sab ke upar viswas tha... Isliye wo Jivisha ko bulane kahi... Issi bich Shwetna bhi wahan Lin ke sath pahunch gayi... Wahan ke khinche mahol ko dekh'kar wo bhi Nandni se isharon me puchhne lagi ki "yahan hua kya tha"???
Nandni ne bhi isharon me hi samjha diya ki, usne aur HuYu ne jo raaj daba rakha tha wo samne aa gaya hai... Kasak ke kahne par Nischal ne Jivisha ko bula liya... Wo aur Serin bilkul masti aur khushi me pahunchi…
Jivisha ka kafila jahan se bhi gujar raha tha, har koi alag hi tarah ke santusti ko mehsus karte, jhumte huye apne jaam lahra rahe the... Jaise hi Jivisha apne logon ke bich, Adhmya aur dragon babies ke sath pahunchi… wo log bhi kuchh sukoon aur santust bhada ehsaas mehsus kar rahe the...
Abhi to kewal 2 ke sath Jivisha ne apni khushiya saajha ki thi... Lekin jaise hi usse pata chala ki Nandni ne sabko sach bata diya... Wo paglon ki tarah uske poore chehre ko hi chumti.… "Aa gale lag ja... Mere vajah se tujhe abhi sun'na para kya yahan???"..
Itne me hi Abhishek, Jivisha ke iss pagalpan ke liye, jaise hi usse chilla'kar daantne laga... Adhmee kud'kar Jivisha aur Abhishek ke bich khadi ho gayi... Gussa Adhmee par aisa haavi, ki wah shant hone ko taiyar hi nahi thi. Anth me Nischal aur Jivisha ko, Adhmya ko bulana para tab kahin jaa'kar wo shant hui...
Jaise hi Adhmee alag hui, Jivisha apne bhai ke samne haath jodti... "Samjh lo na koi bhi chij fir gala hi daba dena.... Aise kyon over react kar rahe ho"..
Abhishek, gusse me usse ghurte... "4 shadiyan tujhe mazak lag raha hai.… Upar se wo najayaj"….
Nandni ne apni aankhen badi kar lee. Abhishek najayaj par hi tha, ki Serin kud'kar Abhishek ke aage aayi aur usse apne pichhe ki, aur in sab ke ke bich Jivisha bus itna hi kahi.…
"Bhaiya tumhare jagah agar kisi aur ne mere bacche ke bare me itni badi baat kah di hoti na... Khair yahan aao mere pass, main tumhe mehsus karwati hun ki kyon main khush hun... Aur tum log jo nahi dekh pa rahe ho un 2 aatmaon ko, lekin main saaf mehsus kar shati hun.. Nischal aur Serin ki maa.… Unke dono hath lagatar uth rahe hain hum sab ko aashirwad dene ke liye"..
Kasak, Serin ke pichhe se Abhishek ko aage layi… Aur aakhir me jab Jivisha ne sabhi se apni khushi saajha ki… har kisi ke aascharya ki koi seema nahi thi… Har koi stabdh bus sochta hi rah gaya…
Kasak, Nandni, Ert, Luna, Shwetna, Ansh, Abhishek, Asis aur Saahil, sab ke sab kayi baar uss asambhav se aascharya ko mehsus karte rahe. Wakai Jivisha kitni khush thi uska aabhash sab ko jo raha tha... Har koi aaschrya aur khushi ke bich aanshu baha rahe the… Jivisha ne kewal Nischal ko pass aane se mana kar diya... Muskurati hui wo kahne lagi... "Apne bacchon se mere love bahut dur rahe, meri vajah se... Main nischint se unhe milvaungi"…
Jivisha ki baat sunkar sabhi hasne lage... Tabhi Shwetna apna naag dansh hanth me lee… Nischal aur Jivisha, dono ke naag dansh ko bhi nikali... Nischal aur Jivisha ko ek point par khade karne ke baad, teeno naag dansh ko teen kone par ghus'kar ek triangle shape ka nirman ki, jiske bich me dono khade the…
Shwetna jor se chillati hui kahne lagi... "Humari khushi ye poora Zoren mehsus karega"….
Teen alag-alag tarah ki raushni, Nischal aur Jivisha ke sar ke thik upar, aapas me mil'kar, upar hawa me rang-birangi raushni bikher rahi thi…. Wo bikhri raushni, kafi teji se wahan ke vayumandal me failne lagi... Jiske pravaah me jo bhi fase ek alag hi alokik khushi ko mehsus karne lage…
Shwetna aur Lin aaye hi huye the yahan apne mukhiya ko lene. Shwetna aur Lin ne unhe sath me lee aur bakiyon ko jaldi se taiyar ho'kar pahunchne bol dee. Khas'kar Ert ko, kyonki Shwetna ko bhi pata tha ye kitni badi mastikhor hai aur kahan jane wali hai...
Shaam dhal chuki thi. Charo ore rang-birangi raushni rang bikher rahi thi. Har jagah lage huye the chhote bade high class woofer. Unme se nikalti masti bhadi dhun jhumne ko vivas kar de. Saikdon kilometer me faila hua bada sa maidan... jiske thik bich me 6 km unchi minar bani thi aur 1600 meter ka golaakar stage bandha gaya tha...
Maidan lakhon yuvak aur yuvtiyon se bhada hua tha jo jode me aaye the. Aur jinke jode nahi the, wo kinare khade hokar apna joda bana rahe the. Wahan pahunchi har Stri kafi aakarshak libas me thi.. khule aur aakarshak vastr, jise pahan'kar jhumti har stri apne aakarshak badan se apne sathi ko rijha rahi thi. Aur unke sathi upar lagbhag khule badan, jis par bina button ya chain ke sleevless chhote jacket ya chhote shirt pahne, apne partners ke sath poore madhoshi me jhum rahe the... Jaam lahra rahe the... Aur ek dusre ko chum'kar mahol ko kafi Khushnuma bana rahe the.…
Nilbhut samuday ki sardar Shwetna ki wo pahli jhalak aur sabhi yuvak-yuvtiyan paglon ki tarah hooting karte, apne jaam ko hawa me lahraye, tabhi samne se Shwetna ne bhi apne hatho me jaam uthaya... Jaise hi jaam uthe, thik ussi waqt Lin bhi wahan pahuncha...
Majakiya yuvakon ne mahol banate huye apne sardar ko apne chunav par punar vichar karne kah'kar, khud ko chun'ne ke liye kahne lage... Shwetna pyara sa chehra bana'kar, Lin ke honth se honth laga'kar chumti hui, apna faisla jaise hi batayi, Ek baar fir se sabhi yuvak-yuvtiyan apne sathi ke sath chipak'kar jhumna shuru kar chuke the.... Aur inhi bhid me sab ke sab alag-alag jagah par masti kar rahe the, Siway Nandni aur Ansh ke koi bhi nahi gaya uss stage par...
Jodi banane ki rashm nibhayi jane lagi...Jashn-e- mahol me sab jhum rahe the... Poori khushiyan bikherte log apne sardar ki sadi ka jashan me dube the... Jaise hi jodi banane ki rashm samapt hui aur naye jode dwara hawa me jaam lahraye gaye...
Fir to Ert apna jaam samapt karti, Abhisek ko le'kar bhumigat ho gayi... Honth se honth laga'kar usse chunti hui apne sathi ko poorn kamuk karne ke liye, naah phans sammohan halka fijaon me bikher dee...
Fir to dono ek dusre ko behatsha chumte huye, poorn kamuk milan karne lage... Wahin upar jhumte kayi yuvak-yuvtiyan bhi apne sathi ke sath bhumigat ho gaye... Apne sathi ko samjhne wali aur shant rahne wali Luna bhi poorn apne kaam-uttejna me thi...
Luna, Asis ko khinch'kar guest ke liye bane tent me se, ek tent me ghus gayi aur batti bujha di... Batti bujhte hi Asis pahli baar ek kamuk Aizem ki stri ka roop dekh raha tha... Fir to wo bhi sex aanand me bilkul dub sa gaya...
Kasak aur Sahil to iss jahan-e-mahol me iss kadar dube the ki jodi ban'ne ke kafi der baad tak bhi, kayi sare yuvak-yuvtiyon ki tarah, chipak'kar jhumte rahe... Mohol hi kuchh aisa tha ki ang se ang lagana ek anokha anubhav de raha tha... Jab'tak Serin aur HuYu unke pass nahi pahunche, tab'tak dono ne wahan ke jashn ko poora enjoy kiya...
Jivisha aur Nischal, Shwetna aur Lin ko le'kar sidha alfas grih pahunche… Yah alfas grih ek andheri gufa numa sanrachna thi, jo Nilbhut samuday ke rituals me tha... Naye jode ko yahin andheri gufa me apni pahli raat bitni hoti hai, jahan inke liye kuchh na kuchh inke puravaj dwara chhoda jata tha..
Alfas grih me dono ko chhod'kar jab sabhi laut rahe the, Nandni ki ikchha hui sabke sath vatika me samay bitaya jaye... Nandni ki ikchha thi, isliye uska bada sa parivar jisme Nischal, Ansh, aur Jivisha ke alawa dragon babies aur Adhmya ka poora privar sath tha, sab chal diye wahan waqt bitane...
Lekin jaise hi sabhi vatika ke dwar par pahunche, wahan ke dwarpaal ne rasta rokte huye kaha... "Pahle hi Shwetna ke kahne par... Master Serin aur uski humshakal ke liye poore vatika ko 2 hisson me deewar bana di gayi hai... Ab itne logon sath jayenge to pareshani hogi... Main kitne deevar baan'ta rahoon...
Nandni aur Jivisha jab yah suni, wo dono hansti hui sabko le'kar Viggo viman me hi lautna uchit samjhi.… Sabhi wapas laut aaye... Khushi ka mahol tha sabne pana jamavda hall me hi lagaye aur sabhi saithan bacchon ko khelne ke liye dusre hisse me bhej diya gaya…
Jivisha jab sukoon se baithi, tab Nischal ka sar apne gode me le'kar uske sar par haat ferti hui, uske bachhon se milawane lagi... Nischal ke liye ye kafi anmol kshn the… Apne ansh ko jab usne mehsus kiya hairat bhadi uski aankhon me halki nami thi.
Jivisha uske aanshu pochhti hui wapas se Nischal ko apne gode me sulayee aur samne Nandni ko dekh'kar…. "Mere love ka kafi komal hriday hai na... Main nahi chahti thi uske aanshu koi wahan bahar wale dekhe"…
Nandni aur Ansh dono hi Jivisha ko gher'kar baithe... Jivisha gahri shwans leti.… "Sorry Nandu mere vajah se tu hamesa fans jaati hai"…
Nandni:- Aage bol Jhalli… ye to aadha hua..
Nandni:- Areee ab main sensitive ho gayi hun...
Tabhi bich me Adhmee dahari, mano kahna chah rahi ho… "Bilkul yakin mat karna"… aur ye baat Nandni aur Jivisha dono hi saaf samajh paa rahi thi... Dono hi hasne lagi... Tabhi ek baar fir Nandni boli... "Jaldi muh ka shutter khol'kar bol kya paka rahi dimag me"…
Jivisha:- Nahi re iss baar kuchh bhi aisa nahi... Main soch rahi thi bichare ye Middle Universe wale... Inke pass koi entertainment source nahi, isliye jab dekho tab ya to ladte rahte hain, ya har mauke par apni aabadi badhane me lag jate hain"..
Nandni, Jivisha ke sar ko thokti... "Abhi ye inke jashn manane ka tarika hai"..
Jivisha:- Haan lekin aaj jab main dragon babies ke sath thi… to ek maa ke liye ajib lagega na ye.. apne bacchon ke sath aise jashn attend karna…
Nandni:- Wahan koi parivar nahi aaya tha... Sabhi parivar apne bacchon ke sath screen par ye shadi dekh rahe the aur bhavishya me tu bhi aisa hi karegi. Ab iss mudde par tu apni saitan khopdi chalana band kar de. Aur haan shoorwaat me tune sahi kaha tha, ki main teri vajah se fans jati hun... Mujhe aur na fansa...
Nischal:- Ek Baar uski poori baat sun to le… .
Nandni:- Chup be jodu ke gulaam. Kaash tere jaisa 1% bhi gun mere pati me hota, to ab tak tum dono se jhagra kar raha hota... Ye teri biwi kitni sensitive baaten shuru ki thi... Lekin jis hisab se isne entertainment par jod diya na main samjh gayi ki ye kya kahne wali hogi...
Jivisha:- Kya???
Nandni:- Yahi na ki main yahan ke logon ke sath film nirman karun...
Jivisha aur Nischal ek sath... "Yesss sahi samjhi hai... Yahan bhi filmon ki pratispardha hogi. Itne sare grah hain, har garh se kitni filmen relese hogi. Sabke hindi dubbed hum dekhenge… waise bhi pahli nirmata, nirdesak, ho sake to actress bhi tu hi rahegi, to hamesa tera hi naam pahle liya jayega. Godess of Middle univese cinema"…
Pichhli baar ek movie banane ki kosis hui thi... Goli maarne ka scene tha... Dummy istamal karne kaha gaya tha... Filmon ki deewani Nandu aur Jivisha ko wo scene pasand na aaya tha, aur jab bhi wo camera me dekhti, artist ko bolti "ek aur kosis natural nahi lag raha"...
Baar-baar ek hi baat sun'ne ke baad natural lagne ke liye bhai ne orignal gun laa'kar shoot kar diya tha, jiske khun ke chhinten Nandni ke poore chehre par bhi pare the... Sahi waqt par ilaj ho gaya, warna natural acting karwane ke chakkar me ek tapak hi gaya tha...
Nandni uss ghatna ko yaad karke poori tarah se sihar gayi... Ansh ko ghurti hui kahne lagi…. "Kuchh to bolo... Kam se kam mere khatir dono ka jabda hi tod do"…
Ansh:- Had hai yaar, tum teeno ke bich main kahan se aa gaya ….. main to sath baitha hun bus. Mujhe mat ghasito...
Nandni:- Ansh, lakshan dikh rahe hain tunhare. Tunhare ander kaale dil me hamesa se yahi chalta hai na ki kaise main fans jaun, isliye aise mamlon me kabhi mere favour me nahi bologe.... Abhi to waise bhi ander se dil ke armaan jhum rahe honge... "Achha hai fansi ab ye"…
Nischal, apna haath badha'kar Nandni ke sar par ek haath maarte... "Tum dono (Jivisha aur Nandni) apne pagalpan me doctor sahab ko kyon fansa rahi. Kitne sarif hai ye"..
Nandni:- Ohhh hoo hoo sarif… 2 baar gusse se mujhe khinch'kar thappad laga chuka hai... Sarif hai ye...
Nischal hadbara kar uth'te… "Aree doctor sahab kaise kar liye ye kaarnama… mujhe bhi sikhao... Aap to hum patiyon ki shaan ho"…
Tabhi ek kadada panja para aur Nischal 5 fit dur jakar gira aur ussi ke upar docotor sahab bhi land kar rahe the... Ye karnaama Adhmee kar chuki thi... Pahle Nischal ko ek laafa lagayi, uske baad Ansh ko utha'kar Nischal ke upar fenk dee...
Jivisha aur Nandni hansti hui Adhmee ke sath khadi ho'kar Adhmya ko ghurti... "Tumhe bhi in patyon ke group me samil hona hai kya???"… Adhmya bechara apna dum samet'kar Adhmee ke paun me let gaya...
Nischal aur Ansh usse dekh'kar… "Thuuu hai, patiyon ke naam par dhabbe Adhmya"…
Nandni:- Lagta hai poore sanskar na aaye hain... Adhmee jarra wapas se sanskaar sikhao…
Nischal aur Ansh bahar bhagte... "Sale issi Adhmya ko dekh'kar kahavat bani hogi... Bahar ka sher, ghar me chuha"…
Nandni unhe bhagte dekh hansti hui kahne lagi.… "Sala apne baton ka koi sar pair hi nahi hota, topic kya start hoti hai.… Aur baat kahan aakar khatm hoti hai"…
Jivisha:- Kaun sa desh ki artvayvasta ke bich me hum cinema ghused rahe hain… aise charha to ghar-ghar ki baat hai... Kaun sa humne kuchh naya teer maara hai...
Hansi mazak aur sabhi ke pagalpan ke bich, ek dusre ke sath ka luft uthane ke baad sabhi sone chale gaye. kafi sukoon bhadi raat ke baad, khili si subah ki shurwaat ho rahi thi. Shwetna ke saja anusar 20 hazar Zoren wasiyon ko Nischal ne der raat hi uthwa liya tha aur subah ke pahli kiran ke sath hi, Nischal apne safar par nikal chuka tha…
Hansi mazak aur sabhi ke pagalpan ke bich, ek dusre ke sath ka luft uthane ke baad sabhi sone chale gaye. kafi sukoon bhadi raat ke baad, khili si subah ki shurwaat ho rahi thi. Shwetna ke saja anusar 20 hazar Zoren wasiyon ko Nischal ne der raat hi uthwa liya tha aur subah ke pahli kiran ke sath hi, Nischal apne safar par nikal chuka tha…
Nischal Middle Universe se, North-East upper point se badh raha tha.. Takriban 40 hazar km ke unchai tak pahunchna tha aur wahan se takriban 1 mahine ki, uske aage ki journey thi...
Nischal up-side east Universe ke kshetr me badh raha tha... Middle Universe ka hissa takriban ek din me samapt ho jata.. wo bhi lagbhag 12000 kilometer up side ki unchai par aakhri planet tha. Sambhavna hi nahi thi, ki Nischal Middle Universe ke kisi bhi boarder planet par hault karta…
Up side Universe me wah pahla chakkar laga raha tha, isliye settelite viman ki position 1000km aage rakha hua tha.. 4 se 5 din ke baad kisi planet ya space sation me hault ka plan bana tha... Aadhe din ke safar ke baad, HuYu aur Nischal ka sampark hua... Serin kafi gussa jatate hui kahne lagi, jane se pahle ek baar sab se mil'kar jaana chahiye tha...
Nischal ne aupcharik baten samapt kar'ke sab ko kewal aur kewal kaam par dhyan lagane ke liye kahne laga... Wo jab'tak surya ke sabse najdik wale planet Hirriyent par pahunch'kar, beskimti dhatu le aaye jise tabaah nahi kiya ja sakta... Tab'tak inki idhar ki poori taiyari ho jani chahiye….
Nischal nikla tha ek aisi dhatu lene, jiske 100 gram ko faila'kar 100 logon ke liye full body mask taiyar kiya ja sakta tha... Kisi temlrature par ye dhatu nutural rahti thi. Yahi vajah thi ki iss dhatu ke ander pack kisi bhi chij par, kisi bhi temprature ka koi asar nahi hota tha. Iss dhatu ke 1mm ke 1000we hisse me bhi itni majbooti thi ki bade se bada missile bhed na sake...
Ekmatr Huriyent planet par milne wala iss nayab dhatu ka naam in logon ne Hyber rakha tha. Viggo viman kafi teji se badh raha tha... Bacche viman ke kayi hisson me udham-chaukdi macha rahe the... Adhmya aur Adhmee par sabhi bacchon ke dekh'bhal ki jimmedari shuanp di gayi thi... Haalanki kahna galat nahi hoga ki sabhi bacche mil'kar Adhmya aur Adhmee ke hi dekhbhal kar rahe the…
Nandni hall me baith'kar aaram se apne paun me nail polish laga rahi thi, wahin Nischal, Jivisha ke balon me tel laga raha tha. Doctor sahab aaram se un sab ko dekhte... "Kya aur kuchh nahi bacha hai karne ko"..
Nischal:- Hum dono ka kismat me breakup likha tha kuchh salon ka. Aapko kya hua tha doctor sahab. Dhang se mehnat kiye hote to bacchon ke diaper to kam se kam badal rahe hote...
Ye udta hua nailpolish Ki sisi Nischal ke mathe ke ore aur nisana chuk gaya... Jivisha ke sar se takrayi wo nail polish ki sisi aur pura nail paint mathe se line banate huye chehre par failne laga...
Nischal:- Batao aaj tak kabhi jo ye ladki dhang se nishana laga pati...
Jivisha:- Tum dono jhagra karo... Main apna chehra saaf kar aayi...
Nandni:- Ansh kuchh to bolo tum... Ya chup chap kewal sun'ne ke liye aaye ho... Muh tod do sale ka...
Ansh, iss baar gusse me aaya aur poori takat se ek punch ghuma'kar Nischal ke muh par jamate... "Aaaaaaaaa aabbb khushhhh"…
Punch wakai tagda tha... Itna jordar ki Ansh ki kalai ki haddiyan chatak gayi.. Kahin hair line fracture na aa gaya ho... Nischal ke naak se khun nikalne ke alawa, muh se uff tak na nikla... Ulta doctor sahab baap-baap chillane lage...
Nandni harbada kar pahunchi aur apne aanchal se Nischal ke naak ka khun saaf karti hui... "Had hai.. tum kya pagal ho Ansh… mazak me maarna tha to tum kya punching bag practice karne lage... Main medical section se aati hun fir batati hun tumhe"
"Sala main hi gadha hun jo inke bich me padta hun. Mere dard se chillana na dikha aur uss gende chamri wale ka ilaj karne ja rahi hai... Usse asar bhi hua hoga... Sala apni hi mati maari gayi thi"….
A few moment latter...
Computer ji:- 20 hazar sagird alag-alag hisson se puchh rahe hain unhe kya karna hai...
Nischal:- Ohhhh nooo !!! Ye bhi aaye hain… main to bhul hi gaya..... Computer ji.. doctors ki team ko right wing ke mediacal section me assemble hone kahiye. Scientist aur Computer experts ko right wing ke lab me, aur sabhi soldier ko right wing ke traning area me aane ke liye kahiye...
Computer ji:- Jarra dhyan se trained karna, iss baar tumhare pass speed nahi hai... Viman ke body me aayi kharabi, bahut dard de jayegi tumhe Nischal…
Nischal:- Thanks for suggestion computer ji... Par iss baar mere sath 10000 Nilbhut samuday ke...
Computer ji:- Kya hua kahan atak gaye...
Nischal:- Computer ji sabhi 20 hazar logon ko unki sahi jagah par bhej'kar test lijiye... aur unka level pata kijiye... Aur mere agle aadesh tak aap mujhe distrub na kare...
Computer ji:- Abhaga pati, computer ko chup karwa'kar ghanta karega... patni ko bol na distrub na kare...
Uski baat sun'kar Nandni aur Ansh dono hansne lage… tabhi Nischal doctor sahab ko le'kar sidha apne mukhya lab me chala gaya... Kuchh der baad jab Jivisha wapas aayi... "Ye dono kahan gaye"
Nandni:- Pata na... Nischal, Nilbhut ke bare me kuchh kahte huye ruka... Aur fir Ansh ko le'kar teji se chala gaya...
Jivisha:- Dimag me koi theory aa gayi hogi ussi ko test karne gaya hoga... Chal hum bacchon ke pass chalte hain...
Lagbhag 5 din bit chuke the.. in 5 dino me, Nischal aur doctor ansh lab se bahar hi nahi aaye... Khana pina sab wahin ho raha tha… Nandni aur Jivisha ko unki shakl bhi dekhni hoti thi, to unhe hi lab jana padta tha...
Khair viman ko aage Jivisha hi oprate kar rahi thi aur isme uski madad uska natkhat Gopal aur uski toli kar rahi thi... Adhmya ke bacchon ki apeksha, dragon babies ke bade hone ki kshmta kafi tej thi. Mahaj kuchh hi dino me ye sabhi ek murge ke size ke ab takriban 3 fit tak badh gaye tha... Yadi pankh wagairah faila le to kafi vishal dikhne lage the…
Viggo viman kafi teji se up-side east ke ore badh rahi thi... Settelite viman se tasveeren lagatar mil rahi thi... Tabhi screen par kafi hairan kar dene wala tasveer najar aane lagi...
Ek viran sa space station tha, jo kafi jar-jar haalat me thi… Uss space station ke charo ore se duvan nikal raha tha.. aisa lag raha tha ki mano abhi-abhi humla hua hai...
Jivisha ko kuchh thik nahi laga… Wo viman ko space station ke ore le jane lagi aur poore viman me alert tone jari karti…. "Computer ji ek midium range viman taiyar kijiye aur hathiyar ke sath 2000 Nilbhut sainik viman aise chhipe ki unki pahchan ujagar na ho... Bakiyon ko viman par rukne ke hi aadesh de aur mere love ko sandesh bhejiye ki uski pyari patni yaad kar rahi"…
Computer ji:- Hateli wo alert tone sun'kar aa raha hai... Sandesh dene ki jaroorat nahi hai...
Jivisha, apne badbole computer ko pagal bolti wapas se screen dekhne lagi... Tabhi Nischal, Ansh aur Nandni control room me pahunch gaye...
Nischal:- Kya hua?
Jivisha:- Mujhe kya hua uski khabar baad me lungi, abhi bahar kya hone wala hai, pahle uss ke liye taiyar raho. Hum trap hone ja rahe hain...
Teeno ek sath:- What???
Jivisha:- Lagbhag 5 din baad ek space station mila hai, lekin dekhne se lag raha hai ki choron ne apna Jaal bichhaya hai...
Nischal:- Tumhe kaise pata???...
Jivisha:- HuYu guruji se... Usne mujhe Universe ke chor aur unke trap karne ke tarike ko bataya tha...
Nischal:- To ab kya socha hai tumne...
Jivisha:- Yahan hum trap honge aur unke sath uske planet jayenge... Viman ki servicing ke sath sath jaroori saman bhi lenge aur Universe ke iss hisse ke kuchh local guide ko le'kar niklenge...
Jivisha ko sun'ne ke baad Nischal ne computer ji ko wahi sab wapas se order de dala, jaisa Jivisha ne diya tha... Jivisha apne dono hath kamar par rakhti…. "Tum mardon ko yakin kyon nahi hota ki hum ladies bhi mission oprate kar sakti hain"…
Computer ji:- De ek ghuma'kar Jivisha... Akal thikane aa jaye...
Jivisha:- Shut up computer ji... Tigte situation hai... ..
Computer ji:- Tumhari kripa rahi to tum isse bhi comedy bana dogi... ..
Jivisha:- Main bhi kahan iske muh lag rahi hun... Nandu tu aur Ansh Jiju yahan se oprate karne. Viggo viman ki total command ab tumhare hath me hai, hume backup deti rahna…
Itne me hi viman space station ke kafi najdik pahunch gaya... Jivisha aur Nischal ek dusre ka hath thame, apne midium size viman ke ore badh gaye... Wahin Nandni aur Ansh control room me pack ho'kar, secondry control room ke section ko, centeral area me le aayi aur mukhya control room ko uske pichhe hide kar diya...
Viggo viman space station ke bahar jaise hi khada hua, Jivisha aur Nischal midium size ka ek viman le'kar nikal gaye. Space station ke surface par wo charo ore chakkar laga hi rahe the ki unhe 30 aadmiyon ka jhund, uncha uth'te dhuyen ke pass dikh gaya...
Viman space station ke surface par land hui... Jaise hi viman land hui, sabhi fase log bhagte huye viman ke pass pahunche. Unki haalat dekh'kar lag raha tha ghayal hai.. Unke body par kayi sare chhote bade scratch mark the.. Chehre aur badan par aisi kalikh lagi hui thi, mano bomb ke dhamakon ko kafi najdik se jhel gaye ho...
Nischal ne viman ka darvaja jaise hi space station ke surface par khola, sabhi sidhiyon se upar chadhte.… jod, jod se chillate huye kuchh kah rahe the... Unke poore line me sirf ek hi baat samjh me aayi... "Biokono"…
Bhasha samajh se pare tha... Nischal sabko darvaje par hi rokte…. "Kaun ho tum log, aur iss space station ki ye haalat kisne banayi"…
Aage wale kuchh logon ne jo bola aisa laga kah rahe ho.… "Aajuuu... Maxiuu... Depa aka lei "Biokonooooo"…. Bus ye aakhri ka Biokono sahi tarike se aur ghabra'kar liya gaya naam tha... Nischal unki baat sun'kar, samjhne ki kosis me dohraya.. "Biokono"… wo log bhi dar aur ander ghusne ki kosis karte huye... "Biokono-Biokono" karne lage...
Nischal apne dono haath se sawaliya ishare karte huye ek baar fir "Biokono" dohraya.. Iss baar ek aadmi ne haath ke ishare se sambodhit karte huye, jod se chillaya... "Biokono"… Nischal ki jaise hi najar uss gayi.… Sabko viman me lete, jaldi se darvaja band kiya... "Jivisha plane bhagao, Biokono aa raha hai"…
Jivisha bhi iss shabd ko samjhne ki kosis me muh se pahla tej awaj me "Biokono" dohrayi, aur fir jaise hi bahar najar gayi, Biokono ko samjh'kar aaschrya me aankhen badi kar'ke kahne lagi..… "Biokono"… aur plane ko wahan se bhagati hui Viggo viman ko pichhe aane ke liye kahi...
Jivisha viman ko auto piolot mode me daal'kar 2 ghunt pani gatakti... "Ye kaun sa jaanvar tha... Aisa lag raha tha kisi bichhu ko khada kar diya gaya ho... Muh par 2 bade dank... Sarir par to, kinaron se jaise kewal hath hi najar aa rahe the... Aur ye space me kuch normal kyon nahi hota... Ye aadha kilometer uncha jaanvar.. insano ki hight to barabar prithvi ke insano se match kar rahi, fir ye jaanvar aadha kilometer uncha kaise ho gaye???"…
Nischal:- Kitna bolti hai... Maine bhi dekha hai usse... Tum ander ja'kar uddan sambhalo aur mujhe inki bhasha decode karne do...
Nischal, Viman ke yatriyon ke baithne wale hisse me tha. Lobby area isse bolte the. Lobby me lage kayi sare machino ke bich se ek mini computer ko Nischal bahar nikal'kar unki bhasha decode karne ki kosis karne laga, lekin wo hua nahi... Tabhi un 30 logon me se, ek Nischal ke pass khade ho'kar… jaldi-jaldi me kuchh bolne laga. "haanchu-faanchu" karke ek pura antra suna diya nischal ko.... Nischal apna sar khujate... "Kuch samjhne layak bol le"…
Nischal ki baat sun'kar wo aadmi muskuraya... aur isharon me pichhe hatne kaha... Uss admi ne aaram se apna pendrive sarikhe ek chhoti sa device Viman ke technology panel me thoka aur apne pass rakhe screen par kaam karne laga...
Nischal ek jhalak wahan maujood sabke chehre ko dekha aur Jivisha ke pass aa'kar aaram se baith'te huye, pyar se uske chehre par haath ferte... "Main lab me busy tha, uss baat ke naraaj ho???"..
Jivisha:- Tumhari bholi shoorat aur mithi-mithi baaton se mera gussa kam nahi ho sakta... Haan abhi dil ko sukoon aa jaye, aisa ek mast kiss de do…
Nischal, Jivisha ko pyar se dekhte... "Wakai, abhi ek kiss.. wo bhi aise mahol me"..
Jivisha thoda sa ghum'kar, uchak'kar apne honth Nischal ke honth ke karib laati... "Tum mahol sambhalte raho... Main jarra kiss sambhalti hun"… Apni baat kah'kar Jivisha ne apne honth Nischal ke honth se lagati... Usse pyar se sparsh ki... Aur fir kiss me dubti chali gayi...
"Biokonoooo"… Tej awaj Nischal aur Jivisha ke kano tak pahunchi aur dono apna kiss todte... Pichhe mude...
Jivisha:- Tum ander kaise aaye, lobby me rahna chahiye, itni bhi tamij nahi kya...
Nischal:- Tumhari baat wo samjha bhi hoga ki nahi...
Shyad wo fase huye logon ka mukhiya tha, apna parichay dete huye... "Mera naam Bailoo hai. Hum Lofa planet se hai"…
Jivisha:- Oye Lofa grah ke lofer, ja'kar lobby me sabke saath baitho, aur waham par lage misc se baat karo...
Bailoo:- Kamal ka confidence hai dost… Ek shikari ko hi jaal me fasane ka plan bana'kar aaye… jaan bujh'kar trap hone aaye... Ab isse main tumhari hoshiyari kahun, ya bewakoofi ya fir majboori...
Nischal:- Smart chor haan... Jivisha HuYu ne lagta hai poori jaankari saajha nahi ki thi kya trap ke baare me...
Bailoo:- Ussi ke vajah se to main pahchan batane aa gaya... Tum dono ke yahan pahunchne ki suchna pahle se hi thi hume... Hurriyent jane ke liye aksar yahan se viman gujarti hai... Aur hume pata hai ki koi bhi Universe traveller, Universe ke dusre hisse ke border planet ya space station istamaal nahi karte, isliye permanent trap bichhaye rahte hain...
Jivisha:- Aur wo jaanvar...
Bailoo:- Bilkul asli tha, lekin humare ishare ka gulaam..Tum sab ab relax ho jao. Ek din ki mehmaannavaji humare Lofa planet par. Wahan apne jaroorat ka saman aur aage ki detail le'kar nikal jana... aur Biokono se bhi bade aur bhimkay kal jiv se milwa dunga...
Nischal:- Ek chor ho'kar itni meharbaani kyon...
Bailoo:- HuYu, association of best artist ka head hai.… Uska baat apan taal nahi sakte...
Jivisha:- Areee yaar... Yahan par humne maar dhar aur action ka sochi thi. Lekin yahan to sab kuchh friendly hai..
Bailoo:- Up side east Universe viran si duniya hai... Yahan lad'kar kya karoge... Dhatu ki talaash me hurriyent Planet jane walon ko loot'kar to hum apna gujara chalta hai... Waise yahan 2000 extra log hai... Wo kahan chhipa rakha tum logon ne bahar nikal lo... Hum sab harmful nahi hai...
Bailoo:- Kaam hi aisa hai Malkia, hume technically update rahna padta hai... Kisi bhi jagah par maujood insan ya jaanvar ki dharkan hum trace kar sakte hain. 30⁰ north east le lijiye viman. Badolon ke bich me humara planet najar aayeg...
Nischal aur Jivisha kuchh pal ek dusre ki najron me jhaankte huye muskuraye, aur apne chhotu viman ko Lofa planet ke bhumi par land krane chal diya... Ussi ke pichhe bada sa Viggo viman chala aa raha tha…
Upar se jab Jivisha aur Nischal ne wo planet dekha, universe ke ek aur vichitr planet ko dekh rahe the... Ye Planet kam aur kabadkhane jyada lag raha tha... Aadhe viman ko kaat'kar ghar ki tarah banaya gaya tha... Jahan jung lage viman me shandar lighting ki gayi thi...
Charo ore rahne ke liye aise viman ki koi kami nahi thi... Unhi jung lage kayi vimano ke bich se kayi sare chhote-chhote double storey ghar bane huye the... Lekin iss se jyada uncha koi makan nahi tha...
Aaschrya se aankhen tab fati rah gayi jab ek bade sa maidan... Maidan kitna bada hoga, wo to aakalan nahi ho paya lekin wahan ummid se bhi pare, bade-bade kaal jiv ke haddi ka dhancha charo ore najar aa raha tha... Aisa lag raha tha jaise yahan kaal jivon ka graveyard ho...
Land karne ke dauran Jivisha aur Nischal iss bade se maidan ko hairani se dekh rahe the. Tabhi wo Bailoo, Nischal ke kandhe par hath rakhte.… "Humare pass aircraft graveyard bhi hai... Ye viman wahin park kar do... Hum bahri viman ko apne planet ke issi hisse me land karne ki anumati dete hain"…
Bailoo dwara jab wahan ka direction set kiya gaya aur pahli baar jab wo graveyard inke najron ke samne aaya... "Ab ye kaisi jagah hai"...
Nischal aur Jivisha niche ka najara dekh'kar ek sath bole. Kayi hazar kilometer tak graveyard kshetr faila hua tha... Bich ke khali hisson ko chhod'kar charo ore gagan chumbi vimano ka dher laga hua tha... Aisa lag raha tha jaise unka viman 10 hazar fit niche kisi kuyen me land ho rahe hai…
Najara hi kuchh aisa tha... Charo ore se vimano ke scrap ko 10 hazar fit se bhi jyada unchai tak pahuncha diya gaya tha. Isse vimano ka graveyard kahna galat nahi tha...
Najara hi kuchh aisa tha... Charo ore se vimano ke scrap ko 10 hazar fit se bhi jyada unchai tak pahuncha diya gaya tha. Isse vimano ka graveyard kahna galat nahi tha...
Viman land kar chuki thi. Wo apna sar uncha kar'ke badlon tak dekhne ki kosis karti hui... "Ek baat batao Bailoo, ye itna uncha dher lagane ke liye tumhare pass utni unchi crane to honi chahiye na"..
Bailoo:- Achha sawal hai... Abhi dikhata hun...
Apni baat kahte huye Bailoo ne hathon ka ishara kiya aur sabko pichhe aane ke liye kah diya..… Jaise hi ye log pichhe aaye, tabhi samne se wahi Biokono jaanvar chala aa raha tha… Pahli bar Nischal aur Jivisha usse karib se dekh rahe the…
500 meter uncha jaanvar. Sar uncha karke dekho to bhi uska chehra najar na aaye... Bus jo dikh raha tha wo tha uske 20 fit cahude sharir ke dono kinare se nikle huye hath... Ab wo hath tha, ya 500 meter ka kida jamin par sidha hota to rengne wale paun the, pata nahi... Lekin har 2 fit ki unchai par dono ore se hath nikle huye the aur har hath me hathoda...
Jaisa ki pahle se andaja tha, wo koi jamin par rengne wala kida hi tha. Do panje se khafa tha... Aisa laga jaise uske ridh ki haddi rubber ki bani hai ya bina haddi ka bana ho uska sharir.… Ek shreni kram lahar ke sath, uss Biobino ka sharir me poori lachak aayi...
Paun ke thik upar ka badan, yani ki uske sharir ka sabse nichla hissa lachak'kar bhumi par chipka aur paun ke thik upar wala hath jamin se tik gaya... Fir uska sharir niche se step by step lachak kar bhumi ko chhuta chala gaya aur dekhte hi dekhte uska khada sharir poora ka poora jamin par tha. Uske aage ka vishal muh jiske aage half circle me 2 itne bade dank the ki wo madhyam range ke viman se bhi bada dikh raja tha.
Aisa lag raha tha uske naak ke dono ore half round ka bada sa hathiyar jod diya tha... Biokono apne dono half circle dank ko, dono kinare se faila'kar teji ke sath thik waise chop kar sakta tha, jaise paudon ke patte ya tahni katne wali badi si kainchi chalti hai... Bus fark sirf itna tha ki Biokono ka dank half round tha aur itna bada ki kisi building ko chop kar de...
Aage fir jo hua wo bhauchakki najar bus takte hi rah gayi... Wo kida apne dono ore lage 1600 hath ke sath rengte huye viman ke pass pahunch gaya. Aur uske baad jo aakhon ke samne ho raha tha, usse dekh'kar to Jivisha aur Nischal ka muh hi khula rah gaya...
Kya ho jab ek 500 meter lamba regne wala kida, rengte huye badh raha hai aur apne 1600 hathon me pakde 1600 hathode ko, ek sath dhamm-dhamm karke patakte huye badh raha ho...
Paun ke thik aage jo hath hathoda patak raha hoga wahan shayad 2 hathode pade lekin 500 meter aage jahan sar ke pichhe ka jo hath tha, wahan par hathoda maarte huye rengna shuru kare... to uss point par kitne hathode lagenge, jab ek-ek karke sare hath wahin se hathoda chalate huye aage badhte... Bus yahi viman ke sath hua...
Wo kida rengte huye jaise hi madhyam size viman ke pass pahuncha, apne dono dank se viman ko chop karte huye aage badh gaya aur niche ke hath dana'dan hathoda pit rahe the… Ek sath poore viman par hathoda chala aur wo janvar ka sar khisak kar aage badh gaya... Fir pichhe ka sharir aage badhne laga aur sath me pichhe wala hath, viman par hathoda pit'te huye aage badh rahe the...
Dhama'dham hathode ki awaj charo ore sound kar rahi thi, jo rukne ka naam hi nahi le rahi thi. Poore viman ko hathode se kuchal'kar, ek Biokono aage nikla aur agle hi pal dusra Biokono hathoda pit'te huye wahi sab kar gaya, fir teesra..… Biokono jitne bade the utne hi tej bhi, aur dekhte hi dekhte wo medium size ka viman malwe me tabdil ho gaya... Sabse aakhri me jo Biobino jaanvar aaya... Usne apne dono dank viman me ghus'kar, viman ko apne left side se hawa me uchhal diya...
Nischal aur Jivisha apne gardan unchi kar'ke bus dekhte rahe, lekin wo viman niche nahi aaya, baki kaano ke dhimi se metal takrane ki awaj aayi thi… jo shayad 10000 fit upar ja'kar viman ke apni jagah par settel hone ka nofication sound tha.
Nischal aur Jivisha kuchh kah pate, uss se pahle hi wo viman scrap ban'kar apni jagah par pahunch chuka tha aur idhar Jivisha uss Bailoo ko ghur-ghur kar dekh rahi thi...
Bailoo, Jivisha ki ghurti najar ko dekh'kar, jod se hanste huye, jaise hi Jivisha ko chhune ke liye hath aage badhaya... Nischal thik uske samne khada ho'kar…. "Tum to HuYu ke dost ho na, fir aisa kyon kiya???"
Bailoo Nischal ko ek chaanta rashid karte... "Kaun HuYu be… sale mujhe trap karne aaye the aur itni akl nahi, ki hum tere system ki jaankari chura'kar tujhe achhe se jhaanse me le sakte hain"
Nischal:- Haan to humara viman loot lete, usse bhangaar kyon bana diya...
Bailoo:- Kitna bhola hai tu... Yahan jo ek baar aaya, fir koi bahar nahi ja sakta... Ab tere uss viman ki bari hai jise dekh'kar main hairan hun… Abe tu to pura sahar liye ghum raha hai... Waise ek baat hai sala tu hai hum me se ek...
Nischal:- Matlab...
Bailoo:- Viman me tune 2000 log chhipa rakhe the, wo to bahar aaye hi nahi..… unke marne ka gum nahi, lekin viman ka gum hai… achha hai...
Jivisha, Nischal ko samne se hata'ti... "To ab kya karoge"…
Bailoo:- Apne uss bade se viman se apne logon ko nikal... Uss viman me ghusne ka hume access de... 2, 3 din tak ghus'kar hum ander pooraa saman khali karnr ke baad tere viman ke chhote-chhote hisse kar'ke bhangar me daal dunga...
Jivisha:- Aur hume...
Bailoo:- Achha sawal hai… Lekin pahle tumhare log uss vishalkay viman se utar aaye, tab batayenge... Yaad rahe hum dharkan trace kar sakte hain. Sabko bahar bolo aane, kyonki agle 10 minute baad hum kayi sare Biokono jaanvar ko ander ghusane wale hain...
Nischal aur Jivisha hansne lagte hain... "Nandu tu Ansh jiju ko le'kar bahar aa ja... Hum tab'tak masti kar len"...
Bailoo:- Tumhari ye gustakhi kahin tumhe bhadi na par jaye...
Tabhi pichhe se Nandni uss Bailoo ke sar par ek tafli deti... "Kya re khajoor, tu hume hi hool de raha hai… Boys Voggo viman ko gayab karne ki taiyari karo aur isne apna nusksan kiya hai, isliye isse chhod'kar baki sabko gayab kar do"…
Bailoo:- Galti kar diya tum sab ne...
Bailoo apni baat kahta hath se ishara karne laga. Ek kosis, 2 kosis, teesri baar hath uthaya to Ansh usse ek thappad khinch'kar dete... "Ghonchu tu to lull nikla re... Itni jaldi to humare Aarsi aur Chirag bhi trap na ho"…
Ek sath teeno Doctor sahab ko ghurne lage….. "Zindgi me ek hi baar trap huye the dono… Wo bhi tab kuchh jyada hi chhote the… achhe-achhe shikari na usse trap kar paye"…
Nandni ghurti hui boli, uske baad Nischal aur Jivisha ne bhi khade-khade suna diya... Doctor sahab haat ke ishare se sabko rukne bol'kar…. "Areee iss baloon ya jo bhi naam hai... Iss bechare ki bhi to izzat hai... Isliye compare kar diya... Bhul ho gayi, bus bhi karo"…
"Nahi nahi uthak baital karo" … Nandni..
"Main to kahti hun doctor sahab ko murga bana do"… Jivisha
"Na na doctor sahab ko ulta taang'kar pichhwada laal kar do"… Nischal..
"Bolte-bolte sadak chhap bhasha par aa gaye. Tumhe kina sudharun Nischal"… Jivisha
"Ye hai hi badtamij Jivisha, achhe se khabar lo" … Ansh..
"Kya yaar doctor sahab humare patiyon ki union bhul gaye, kya decide hua tha... Inke muh par kya kahna hai aur inke pichh kya karna hai"…. Niachal..
"Dekho Nandu, sweetheart aaj pakka hathkadi wali show. Aur hathkadi tumhara, promise"… Doctor Ansh.. Nischal ke pol khol par compansation offer karte…
"Kutte ki dum hai dono Nandu, 4 din se lab me the, jarra bhi dono ko khyal aaya ki hum akele honge… humari bhi ikchhayen hongi... Kaam mila to biwi ko bhul gaye aur jab apna tharak chadha tab biwi yaad aati hai... Romance to jaise shadi ke baad itihaas hi ban jata hai"… Jivisha..
"Sabko abhi goli maro, 5 minute me hi mujhe pagal bana diye. Aur koi mujhe batayega ki apne gulaam janvar aur kaam kar rahe logon ka kya hua... Koi mere ishare par respond kyon nahi kar raha"…
Hatiyaron se laish sainik jaise hi wahan pahunche Bailoo jor se chinkhte huye goli maarne ke aadesh de diya.. Bailoo ke bich me dakhalandazi se, in charo ka dhyan toota aur apne charo ore jaise hi dekhe... Kayi sare hathiyarband log unhe gun point par liye the...
Jivisha:- Nilbhut Boys... Tum sab ko main ulta taang dungi... Hum yahan family discussion me the, fir hume distrub karne kaun aa gaya...
Biokono ka action dikha'kar Bailoo ne Nischal aur Jivisha ko ek hairatangej kaarnama dikhaya tha... Ab Nilbhut samuday ka kaarnama dikha'kar Jivisha usse payback de rahi thi...
Bailoo gussa'kar shoot karne ka aadesh diya. Weapons tan gaye... Aur fire hone se pahle hi Bailoo apne sabhi logon ko jamin me ghuste huye dekh raha tha... Ek hi baar me uske sabhi armed force ghus gaye...
Bailoo ghabrayi si awaj me... "Ye kaisa jadoo hai"…
Ansh aage aa'kar ek thappad maarte... "Sale jab pata tha ki ye shikariyon ka shikar karne aa rahe hain aur itni aasani se tumhare haath phans gaye, tujhe tabhi samjhna chahiye tha ki ye nahi tu trap ho raha hai... Hath ka ishara jab fail hua, tabhi samjh jana chahiye ki tujh se jyada ye log homework kar rahe hai"…
Nandni khinch'kar doctor sahab ko pichhe karti... "Tum kya trap krane ke tips and trick de rahe ho... Bata do yahan sab kuch, ki hum kaise kaam karte hain"…
Jivisha:- Bus bhi kar inke 4 din ka gussa nikalna... Wo hum lautkar khabar lenge… Abhi bol'kar gussa khatm mat kar…
Jivisha, Nandni se apni baat kahne ke baad, Bailoo ke ore palti aur khinch'kar ek thappad maarti... "Sale humara family matter kyon sun raha hai kamine"…
Nischal:- Boys poore viman ko bhumigat karo aur computer ji se instruction le'kar kaam pura karne ke baad hum se sampark karo… jab'tak hum iske planet ghum aate hai..
Nischal bhi apni baat kahte huye palta aur ek thappad chipka diya Bailoo ko. Usse dekh'kar Nandni bhi aage aayi aur usne bhi khinch'kar ek thappad jar dee..
Nischal:- Any valuable comment...
Nandni:- Iski beep beep.. chal yahan se..
Nichal:- Viman ka kaam ho jane de, jab'tak iski mehman navaji to dekh le...
Jivisha:- Computer ji... Adhmya aur Admee ke parivar ke sath mere sabhi dragon babies ko bhi bahar nikalo... Wo bhi jarra ye jagah ghum le.…
Nandni:- Hum paidal ghumenge kya... Badi si gadi nikalo… Aur kafila hona chahiye apna… full too rera wala...
Nischal, Nandni ki demand sun'kar, 40 vahan jamin par utara. Ek vahan me ye log khud sawar huye... Ek bade vahan me Adhmya aur uska parivar... 2 bich ke vahan me ye log, aur baki aage aur pichhe ke 19 vahan me Zoren ke, Dridh aayu rastr ke 20 hathiyarband sainik, har vahan me sawar ho gaye...
Bailoo ke hath aur paun me bediyan pahna'kar, sabse aage wale vahan ke bonnet se taang diya gaya tha... kafila aage badhne laga... Wakai vichitr si jagah thi ye... Har jagah viman ko kaat'kar ghar banaye gaye the... Koi prashasnik vyavastha nahi. Sadak kinare kayi tarah ke chhote-bade jaanvar apne gale me electric patta pahne mayus se the...
Takriban ek kilometer aaye honege... Tabhi Adhmya dahara... Adhmaya jaise hi dahara uske baad uska poora parivar hi daharne laga... Jivisha, Nischal, Nandni aur Ansh sabhi iss dahar me viyog aur gussa dono mehsus kar rahe the...
Nischal ne kafila rokne ka hukum diya aur sabhi utar'kar niche aaye... Sabhi vahan me chadh'kar adhmaya aur uske parivar ko dekhe... Adhmya baar-baar apna sar niche jhuka'kar apne aage ke paun ko apne sar se le'kar kaan tak chala raha tha...
Nischal kewal muh se "Adhmya" nikala aur Adhmya apna bada sa jabda faad'kar ek baar fir se dahara... "Kya hua Adhmya"… Jivisha uske sar par hath ferti puchhne lagi...
"O meri hatheli maa, Adhmya chicha pareshan hai, unke kano me yahan ke jaanvaron ke rone ki awaj sunai de rahi hai... Wo taklif me hai".. Dragon baby Gobal ne kaha..
"Sab bahut taklif me hai maa. Bina khana pina, unse kaam karwate hain aur jab unki haalat na bach pane wali hoti hai.. tab marne ke liye bade maidan me chhod dete hain"… Dragon Baby Bitti ne kaha..
Dragon babies Gopal aur Bitti ne jaise hi Adhmya ke sok aur gusse ka karan batayi, Jivisha Dragon babies aur Adhmya ke bacchon ko le'kar kafi chintit ho gayi. Jvisha bhay se sabhi bacchon ko wapas aane ka sandesh dee... Sabhi bacche wahan jaise se ikattha huye... "Adhmee, sabhi bacchon ke sath Viggo viman me laut jao... Kisi ek ko bhi yahan kuchh hua to main aag laga dungi"…
Gopal:- Aree daro mat maa... Hume koi kabu nahi kar sakta...
Baby dragon Jivisha sidha apni ghurti hui najar uspar daali... "Jitna kaha jaye utna karo... Warna mujh se bura koi nahi hoga"..
Baby dragon Bitti:- Lekin maa hum help kar sakte hain...
Jivisha:- Ek Baar boli na nahi... Sab abhi jao ander...
Nandni, Jivisha ke kandhe par haath rakhti... "Sab bachhon ko aane de.. wo bhi to bahar ke mahol se wakiff honge... Yahan fanse jaanvar ki galti itni hi rahi hogi na ki wo bahar ke mahol se kabhi wakiff hi nahi huye... Aaj inhe mauka mil raha hai".
Tabhi charo ore se sitiya bajne lagi.. sabhi dragon babies line laga diye aur Nandni ko chumn kar apni khushi dikhane ke chakkar me usse poora dhak hi diye...
Khair ek chhote se viram ke baad inka kafila aage badha... Iss baar Nischal ne uss Bailoo ko apne sath bithaya... Uske samne hi Nischal ne kya kiya tha uss waqt, jab wo log Nischal ka data le rahe the... Wo Nischal explain karne laga...
"Hum jara ghar parivar me kya vyast huye, logon ko lagta hai ki main sab bhool gaya... Dekh tujhe apne system me kyon ghusne diya tha"
Kahte huye Nischal ne screen samne kar diya... Wo log Nischal ka wo virtual data chura'kar khush ho rahe the, jise Nischal ne chori hone diya aur badle me Nischal uske planet me lage ek control room se jud'kar, uske shreni me jitne computer lage the unse jud chuka tha...
Bailoo:- Tum bhale hi bahut bade shikari hoge. Aisa shikari jo shikariyon ka shikar karte hain.. lekin Lofa grah se dushmani tumhe manhgi parega…. Tum humare antrik mamlon me ghus rahe ho... Iska khamiyaja tumhare planet ko bhugatna pad sakta hai..
"Nayi dushmani mubarak ho... apni taiyari jara jodon se karna kyonki, abhi to tumhe grih yudhh sambhalna hai"…. Kahte huye Nischal ne ek chhota sa command diya... Aur inke lage electric patte fuse ho gaye... Bailoo ke muh se tej "nahi" nikla.
Aur idhar jaise hi patta toota… Adhmya ki aisi dahar thi ki dragon babies jo kisi ki nahi sunte the, wo kitna bhi apne kaan ko band karne ki kosis kiye, lekin uska sar Adhmya ke samne jhuk gaya...
Dragon babies ko dekh'kar Adhmya ke bacche hasne lage.. Dragon baby Bitti apna naak chadhati... "Hans mat, Adhmya chicha apne raja hai"..
Fir to Lion babies aur dragon babies ki nok jhonk shuru thi aur idhar Adhmya ki dahar par vishal se vishal jaanvar bhi dhire-dhire kafile ke pichhe jama hone lage... Njschal ke screen se poore planet ki hi tasveer dekhi ja sakti thi…
Jivisha ne kafila rok'kar dargon babies ko kuch samjhaya aur wo log Adhmya ke parivar ko le'kar yahan ke jungle ke ore nikal gaye...
Nandni:- Tune sabko kahan bheja hai..
Jivisha:- Main Gopal se bol dee ki iss planet par dobara lautne me, hume thoda waqt lagega isliye hum abhi inki madad nahi kar sakte... Drak Universe se yudhh samapti ke baad hi hum un jaanvaron ke liye kuchh kar payenge… tab tak jungle me surakhsit rahe…
Baat karte huye inka kafila uss sadak ke ore badh gaya jahan master control room tha... Lekin kuchh hi dur aage chalne ke baad wo sadak khacha'khach bhadi hui thi... Charo ore armed guard inhi ke kafile par bandook tane huye khade the…
Nischal utar'kar chillaya… "Nilbhut boys demo do yadi rasta khali nahi hua to kya hoga"...
Randomly sadak ke sabhi hisse se log jamin me sama gaye… jaise hi ye kand hua.. Nischal fir jor se bola.… "Hathiyar niche karo aur sabhi kinare hato"… Idhar Nischal chillaya aur udhar sab apne hathiyar daal'kar kinare hi gaye..
Nischal bade se control room me pahunch'kar, wahan se jude planet ke alag-alag hisson ke control room ko talash kiya… Sabhi area locate karne ke baad, Nilbhut sainikon tak location pahunch gayi... Fir bada sa screen samne bahar ke ore flash hua, jahan ki sadkon par nihatthe sainik khade the...
Sab apni aakhon se Lofa planet ke alag-alag hisson ke kayi jagah ke master control room ko dhwast hote dekh rahe the... Fir wahan ke mahol me Nischal ki jordar awaj gunji...
"Main to trap ho'kar tumhe trap karne aaya tha... Apni jarooraton ka saman udhar samjh'kar leta aur kisi din achhi kimat chukata, lekin ab nahi. Ab to main apna mehntana le'kar jaunga... Mujhe yahan ke aantrik maslon se dur hi rahna tha, kyonki jahan achhe hote hain wahan bure bhi hote hain... Har koi apni ladai ladta hai".…
"Kintu yahan to burai un bejubano par haavi hai, jo na to sangathit roop se technologies ka samna kar sakte hain aur na hi apne bachav me koi technology develope kar sakte hain... Galat kiya hai tum sab ne... Ab jise jo dushmani nibhani hai wo taiyari kar le... Main fir wapas aaunga 3-4 mahine baad, un sab janvaron ko purn sanrakhit karne... Iss bich mujh se ladne ki taiyari karna"...
"Yadi wapas se kisi jaanvar ko gulaam dekha, tab vishwas mano... Mujh se dushmani kar'ke shayad mujhe hara bhi sako... Lekin in bejubano ko gulaam bana'kar, yadi fir se unpar atyachar kiye tab tumhe mujhe koi nahi bacha sakta... Main akela aaunga aur sabko kaat'kar, tab un janvaron ko sanrakhit kaunga..…
Nischal apni baat kah'kar apne logon ke sath bahar aa gaya. Sab log wapas gari me sawar ho gaye... Sabhi log pahle Viggo viman ke pass laute fir wahan se chhote viman le'kar Lofa planet ka jungle ke hisse me ghuse jahan Adhmya ka parivar aur dragon babies the...
Jungle area soch se bhi pare the... Itne unche-unche vriksh the ki viman ko kafi jyada unchai par udni par rahi thi… lagbhag aadha planet hi jungle se ghira hua tha... Aur un junglon ki banavat lagbhag Wishper planet ki tarah hi tha... Bus dono jagah ki vanaspati aur vanya jivon me anter tha.
Jivisha, Nischal ka chehra dekhne lagi, mano puchhna chah rahi ho...."Kya yahan logon ko pakad'kar, iss planet par isani aabadi basayi aur badhayi ja rahi hai???"…
Nischal uski manodasha ko samjhte huye... "Haan shayad tumhara sochna sahi hai... Aisi paristithi me hume yahan ke fanse logon ko nikal'kar unke ghar pahunchane ki jaroorat hogi... Aur ye planet pura khali karwa'kar yahan ke jungle ko basana hoga"…
Jivisha muskura'kar Nischal ko aise dekhi mano kahna chah rahi ho "feeling proud, good decision"... Sabhi viman Adhmya ke location par ruki. Jab ye log bahar nikle dekh'kar dang rah gaye. Ab yakin ho chala tha ki yah Wishper planet jaisa hi planet hai... Wahan panchhiyon ki prajati sabse umda thi, to yahan par jamin par rengle wale aur jamin me rahne wale prajatiyon ka bol bala tha...
Wakai yahan ka wild life kafi vichitr tha. Sirf yahan rengne wale lambe Biokono jaanvar hi vishalkay nahi the, balki aur bhi alag-alag tarah ke rengne wale jaanvar kafi vishal the... Ek baat to saaf thi yah vaniya planet adhikanshtah rengne walon ke liye hi bana hua tha... Haan lekin jiv har tarah ke paye jate the.
Gopal aur Bitti ki gange translator bane huye the, jo sabhi janvar ki baten translate kar rahe the… Unki pareshani sun'kar Adhmya ne Nischal ke bharose, unhe bharosa dilaya, ki wo ek baar fir aayega, aur unki haalat dekh'kar jayenge. Sabhi jaanvaron ko uske ghar me settle kar'ke ye log aage Hurriyent planet ki uddan bhar chuke the...
Ek baar fir Viggo viman antriksh ki unchaeyon par tha... 1000 km aage settelite viman ja raha tha. Iss viman me additional ek aadmi ko laya ja chuka tha jiska naam Bailoo tha... Yun to aage ke har planet ki postion to pata thi, lekin wahan ke mahol ko bhi batane wala to koi chahiye...
Lofa se nikalne ke kram me achhi gunvatta wale dhatu ka ek poora jakhira hi graveyard se utha liya gaya tha... Dhatu itni jyada matra me uthayi gayi thi ki usse pighla'kar 50 Viggo viman banaya ja sakta tha...
Uske alawa haddiyon aur kankaal wale maidan se to, jamin me dabe kankaal se le'kar upar maidan ke sare kankaal aur haddiyan chori ho chuki thi.. Haddiyon ke chhote tukde karke poore Viggo viman ko hi overload kar diya gaya… 200 km ke faile iss viman ki capacity ko pahli baar lagbhag full kiya gaya tha...
Viggo viman apne raste par ek baar aur badh chuki thi. Viman me sab settele ho chuke the aur viman apni raftaar se aage badh rahi thi. Nischal mukhya control room me apna kaam kar raha tha aur baki teeno hall me baithe the..
Jivisha, Nandni se baat kar rahi thi, aur Ansh, Nandni ko manane ki kosis jari rakhte huye kuchh-kuchh ishare kar raha tha.... Nandni apna muh fer'kar Jivisha ke ore concentrate ki hui thi, Ansh ke kitne bhi ishare ya tane par palat tak nahi rahi thi... Issi bich Ansh gale se khadas nikal'kar ek baar fir Nandni ka dhyan apni ore khinchne ki kosis karne laga, lekin Nandni bina dhyan diye Jivisha ke sath baat karti rahi...
Jivisha:- Kya hai jiju, aise khar-khur khadas nikal'kar.… kya mohalle ke manchalon jaise ghar ke boundry ke bahar se ishare de rahe... Aap ki hi patni hai... Gode me utha'kar lekar jao...
Nandni:- Chup kar jija ki chamchi.... Jab lab me tha, tab ye khyal nahi aaya...
Jivisha:- Jaise tujhe bada khyal aaya tha...
Nandni:- Haan aaya tha...
Jivisha:- Aaya tha to tu bhi Ansh jiju ko gode me utha leti... Ya computer ji ko utha'kar laane ki supadi de deti...
Tabhi jaise Ansh ko bhi josh aa gaya... Apni jagah se utha aur Jivisha ko kandhe par load kar'ke... "Chalta hun Jivisha, jarra main iske gile sikwe dur kar dun"..
Jivisha hansti hui, usse best of luck kahi aur pichhe se Nandni usse char galiyan deti.… "Kamini tujhe mera paksh lena chahiye tha"… Uski baat Sun'kar Jivisha hansti hui wahan se sidha mukhya control room me pahunch gayi...
Nischal kursi par pichhe ke ore tek lagaye screen ko bade dhyan se dekh raha tha… Jivisha uske pichhe baith'kar, Nischal ke sar par malish karte... "Sar jo tera chakraye, Ya dil dooba jaye, Aaja pyare paas hamare, Kahe ghabaraye, ek champi to ho jaye"….
Nischal apne dono hath dhila chhodte, Aankh mund liya... Jivisha, Nischal ke sar par haath chalati hui... "Baby, suno to"..
Nischal:- Haan..
Jivisha:- Mujhe Ghar par baat karni hai... Sabki yaad aa rahi hai...
Nischal:- Hmmm !!! Thik hai ruko main connect karta hun... Chalo kamre me hi chalte hain..
Dono ek master badroom me pahunche... Jahan se Jivisha apne ghar se connect hui... Thodi bhavuk, thodi sanjida... Aur anth me Aarsi aur Chirag ke sath utni hi masti bhadi baaten...
Jivisha, jaise hi apni baat samapt ki, Nischal usse khinch'kar bistar par bithate... "Sorry, main kaam me aisa vyast raha ki dhyan hi nahi raha"…
Jivisha, Nischal ka chehra bade dhyan se dekhti... "Mere pass aao na, niche kyon baithe ho"…
Jivisha thodi si khisak gayi aur Nischal uske pass aa'kar let gaya. Jivisha apna sar Nischal ke sine par daalti… "Kuch mat bolo, bus sine se lag'kar mujhe sone do"…
Jivisha, Nischal ke sine se tik gayi aur Nischal uski pith par hath fira raha tha... Jivisha kafi sukoon mehsus kar rahi thi. Nischal kuchh der pith par haath ferne ke dauran.… "Tumne bra pahni hai kya".. Nischal ke iss sawal par Jivisha ki aakhen phail gayi... Aur muh se tej niklaaa... "What?????"
"Main kahan koi shararat kar raha hun, bus hath firane me dikkat ho rahi hai"…
"Bahut din ke baad sukoon me hun, sone do na"…
"Isse nikal do, mere hathon ko samsya ho rahi hai"…
"Main so rahi hun, bina distrub kiye nikal sakte ho to nikal lo.… Pareshan karna band karo"…
"Had hai, suit pahan'kar aayi ho ab kya kainchi chala'kar kaat'te huye alag kar dun kya...
Jivisha gusse me aankhen dikhate hui baithi.… "Chain se mera rahna to dekha nahi jayega... Ab aage aur kisi baat ke liye pareshan karna fir main batati hun... Kuch samjhne ko taiyar hi nahi ki abhi ye sab nahi kar sakti"…
Jivisha barbarati hui apne hath piche le ja'kar suit ke upar se hi bra ke hook ko khol rahi thi aur aage Nischal apni aankhen badi kiya, Jivisha ke chhati ko ghure ja raha tha...
Jivisha ki jaise hi najar Nischal par gayi... "Hat besharm kahin ke... Kaise ghur rahe ho"…
"Ek ko hi to ghurne ka licence mila hai... Ab kya usse bhi na dekhun"…
"Ohhh hoo.. haan haan"..
"Ab ye ohhh, aannhhh mat karo... Dil kam aur ye jyada uchhal jata hai"… Nischal niche apne paint ke ore ishare karte huye hans diya...
Jivisha uski baat par sharmakar hasne lagi... Aur agle hi pal hath gale ke niche le ja'kar bra ko khinch'kar nikali aur Nischal ke muh par maarti... "Lo rakh lo apne distrubing element ko"…
Aur apni baat kahne ke baad wapas se Nischal ke sine par sar daal'kar so gayi... Haan lekin Nischal ke tadapti najron ka samna na ho isliye apna chehra paun ke ore ghumayi hui thi... Nischal bra hath me lekar thoda gusse se dekhte... "Ye tumne galat tarike se nikala hai"..
"Haan haan... Aur sahi tarika kya hai???"
Nischal samjh gaya ab kuchh dekhne tak ko nahi milega. Wo apni agli chaal chalte huye... Pichhe se suit ke ander hath ghus'kar, kisi tarah Jivisha ke khuli pith par hath ferte... "Pahle suit nikalti, fir bra aur uske baad tab suit pahan leti"…
"Ohhh hoo hasraten.. suniye mr husband ji kuchh din majboori aap bhi jheliye aur kuchh din main bhi jhelti hun... Aur kya ab mera suit faarne ka irada hai... Hath nikalo, aage se gala tight ho gaya hai... Mujhe shwans lene me taklif ho rahi hai"…
Nischal "pagal, nirdayi" kahte huye aaram se let gaya. Dono bilkul khamosh the. Ek khoya sa mahol tha jahan kewal dharkan aur shwans ki awaj hi sunai de rahi thi. Jivisha wapas se madhyam-madhyam shwans khinchti sukoon sa mehsus karti, Nischal me khoti ja rahi thi... Tabhi jhunjhlayi si awaj aayi, jisne Jivisha ke khoye se mahol me bhang daal diya...
"Tumne apni shaktiyon ka prayog kiya hai"…
"Aanhhh !!! Love sikayat karna band karo aur chupchap aankh mund'kar so jao"…
"Nahi tumne samanya jivan me bhi apni asamnya shaktiyon ka prayog ki ho"…
"Love !!!!!"
"Huhhh !! Waise to kya sexy gawn pahan'kar ghunti ho... Jiski jip picche se tumhari kamar tak hoti hai... Ya fir wo tumhara katilana look saree me... Hayyy kamar dekhun ya pallu ke niche se jo ubharkar manmohak roop tumhe deta hai.. tumhari chhati ko, usme comfuse kar jata hun"…
"So jao baby… koi nahi ghar ki hi baat hai"…
"Naahh !!! Tumne cheating ki hai... Lofa se nikalne tak to gawn me hi thi, lekin control room me aate waqt suit me. Wo bhi itna chhota gala ki cleavase tak na dikhe... Najren chori-chhipe kitni kosis karti rahi maloom hai tumhe"…
"Areeeee... Kahi to koi nahi ghar ki hi baat hai... Kuch din dhiraj dharo love"
"Huhhh !!! Tumhe iss moment ka pahle se gyan tha… dusre kapdon me main thode bahut armaan nikalta, isliye tumne ye suit pahan'kar aane ka plan banaya"…
Nischal ki baat sun'kar Jivisha hasnti hui apna chehra Nischal ke ore mod lee. Apne hath uske mathe se le'kar pichhe balon tak ferti... "Sooo sollyyy... Mere pahn'ne ke liye kapde select lena, raat ko unhi kaodon me tumhare sath rahungi... Ab happy mera baby... Chalo ab distrub nahi karo, aur achhe bacche ki tarah aakhen mund lo"…
Jivisha apni baat kah'kar wapas se apna chehra dusri ore ghuma li. Ek baar fir se wo Nischal ki dharkano ko sunti, aakhen mund lee... Dono ke bich kuchh der ki khamoshi rahi, bus ek dusre ki dharkan ko mehsus kar rahe the... Tabhi Nischal...
"Mujhe nahana hai... Chalo sath me nahate hain... Fir aaram se kha'kar so jayenge"..
"Kyonnn pareshan kar rahe ho.. kaho to yahan se chali jaun"…
Jivisha uth'kar baith chuki thi, tabhi Nischal uska haath pakad kar wapas apne sine se lagaate... "Kya dhamki deti rahti ho... Nisthur"…
Nischal mayus ho'kar apni baat kaha aur bistar se tek laga diya... Jivisha uske sine se sar tikayi, ander se khil khilati hui hans rahi thi. Kuchh soch'kar uska chehra sharm se laal hota ja raha tha... Aur agle hi pal Nischal hadbarate huye uthne ki kosis karne laga...
Jivisha uske sine par hath rakh'kar niche dhakelti hui... "Shiii !!! Bilkul khamoshi se lete raho"…
Nischal ke chehre ki bhavnayen badli si thi. Niche Jivisha ke hath uske aag ko bhadkate ja raha tha... Fir achanak hi.… "Uffff Jisa tunahre hath bilkul thade, jame huye hai"…
Jivisha niche apne hath ka kamal jari rakhti, apne chehre ko Nischal ke chehre ke ore karti... "Tum garam jalvayu wale... aur main bilkul thandi jalvayu wali... Mere bacchon ko main mishrit jalvayu ka abhyas karwa rahi hun... Shuhhhh.. tum maze lo"…
"Aahhhh... Ye to jaan lewa hai... Itne tanda hath... Jam jayega... Hatao.. aahhhh"..
"Hihihihi... Pagal, 1000, 2000 digree Celsius tak ka garmi hai tumhari, kahan tum minus 2⁰ nahi sambhal pa rahe"…
Dono khamosh ho gaye. Jivisha hansti hui Nischal ko dekh rahi thi aur niche le gayi haath ka kamal dikha rahi thi. Nischal apne dono hath failaye tha.. Uske kaanpte paun, aur lagatar uske ling par bilkul thande hath ka jordar humla.…
"Aahhhh... Ye pagal banane wala hai jisa janlewa... Aaahhhhhhhh... Ummmmmmmm... Aaahhhhhhhhhhhhhhh'
"Chhi... Bata na sakte the sab ganda kar diya"…
"Tum satak gayi ho.… Aisa humla hone wala hai tumne bataya tha kya??? Main masti ke bich me information nahi de sakta"..
"Kabhi-kabhi surprise bhi to chahiye jivan me... Main tumhari haalat samjh sakti hun... Sorry love.. bus 75 se 80 din aur uske baad kuchh din rest.. fir tum apni har naughty tamannayen puri kar sakte ho"… Jivisha, Nischal ki aakhon me jhankti, uske khule sine ko chumti hui apni baat kahi.
"Achha mere dimag me ek sawal aa raha hai"..
"Ruko ek minute"… Jivisha ek towel khinchi.. aur sab saaf karti… "haan abhi kaho"..
"Child birth ke baad kya tumhare lactation period shuru ho jayenge"...
"Shayad na ho.. ya shayad ho, wo to sab Bhagwan ki marji hai. Haan lekin ikchha jaroor hai ki mujhe purn mayritv chahiye."
"Chakl'kar medical section me dekhe, tumhare body ke physiological system ke changeg ko"…
"Haan chalenge… lekin baad me... Abhi tumhare sath rahne do.... Abhi kahin nahi jana"…
Jivisha thoda upar ho'kar, Nischal ke chehre ke thik upar apna chehra rakhi. Dono ke chehre khile aur muskaan phail rahi thi.. Nischal aaram se Jivisha ko apne pass lita diya. Dono karwat le'kar apna chehra aamne samne kiye... Ek dusre ko dekh'kar pyar umar sa raha tha aur honth se honth laga'kar apni aankhen mund liye...
Armaan the jo badte rahe aur dono sath me apni bhavnayen baant'te rahe.. ussi din kisi waqt Medical aur sabhi test ke baad Nischal ne alag-alag waqt ke liye alag-alag tarah ka liquid sewan karne ke liye diya, jo purntah natural tha...
Halanki Jivisha ke sharir me biologically kuchh bhi aisa change nahi tha, lekin Nischal yahi maan kar chal raha tha ki abhi uska science itna develope nahi hua jo nature ke iss rashashya ko suljha sake...
East point ke ore Viggo viman apni gati se badh rahi thi. Iss dauran har 4-5 din me kisi space station par hault lete. Jaisa pahla din Bailoo dwara bataya gaya tha ki up side east area poora viran hai... Lekin uske ulat tha yah universe ka hissa... Charo ore jivan aur sabhyta ka srijan tha aur jahan-jahan Nischal ne hault kiya, Space station wale apni service ke badle kimat wasool lete...
Haan ek baat jo sabhi hault me common thi, koi bhi Hurriyent planet ki baat nahi karta... Chup chap kaam karte aur kaam ke badle apni kimat lete… Kahin jyada to kahin bahut jyada kimat wasool ki jaati...
Kayi dino ke yatra ke baad ye log upside east Univese ke hisse se aage badh'kar extream East Universe ke kshetr me dakhil ho gaye the… Universe ka yah poora hissa nirjan tha.. Raste me kuchh grah the jahan Nischal ne hault liya, lekin wo poora nirjan grah tha, jahan koi aabadi nahi basti thi... Na hi kisi bhi prakar ki vanaspati thi..
Extream East Universe me lagatar 8 din ki yatra poori hui thi aur lagbhag 28 din ki poori yatra ke baad Nischal ne Viggo viman ko aakhri hault diya... Extream East Universe me jahan gine chune jagah par hi aabadi basti thi, wahin iss space station ko kafi khoobsurat tarike se devlope kiya gaya tha...
Roffa space station aakhri point tha. Iske aage east ke ore jo pahla grah aata wo Hurriyent hi tha aur uske thik aage aag ka gola Sooraj tha..
Roffa service station, kafi aakarshak aur temprature ko maintain karne ke liye kafi sare equipment laga rakhe the... Bahar ki jalvayu wakai garam thi...
Viggo viman jaise hi space station ke bahar ruka... Ek sandesh aaya... "Apni pehchan batao"…
Nischal ne apni poori pahchan batayi aur in logon ne hari jhandi dikhate huye Viman ko service station se connect kar'ke apne yaham aane ka nimantran diya...
Kamal ka service station tha ye..... Viman aur space station ke bich ek lamba tunnel comnect hua... Tunnel ke jariye jaise hi ye log service station me dakhil huye... Samne hi bade sa welcome board liye kayi sare yuvak aur yuvtiyon ka group khada tha...
Nandni:- Ye aise 8-10 group me khade ho'kar kya kar rahe hain...
Tabhi Ansh puchhe mud'kar thoda uncha bola.… "Iss space station ka guide service hai… kisi ko bhi chun sakte hai"..
Sabne mil'kar ek group ko hiar kiya... Jiska team leader tha Inova. Inova sabke samne apni service batate huye puchhne laga ki kaun si service chahiye...
Nandni:- Full access jisme sari suvidha ho... Fir baad me koi extra charge na joda jaye...
Inova:- Hyper class, isme kewal betting ke liye aapko alag se pay karna hoga... charge 5000 coin per hour...
Nischal:- Aur tumhare yahan ka coin exchange kaise hoga...
Inova:- Per kg food ke liye, 5 coin. Super harvesting food ke liye.. par piece 20 coin, aur metal scrape ka ek rate, per 100kg 10 coin...
Nischal mere pass super harvesting hai, lekin 1 piece ka 100 coin lunga...
Inova:- Hum bargen nahi karte…
Nischal:- Thik hai fir 40 hazar kg metal scrap hi lo fir...
Inova:- Wo bade se sahar jaisa viman aapka hi hai na...
Nischal:- Haan...
Inova kuchh sochte huye Nischal ko apne superior ke pass le gaya... Uske superior ne puchha ki aisa kya hai tumhare pass super harvesting jiski kimat 10 guna bata rahe.
Nischal usse apne viman ke ander faile 20 km ka talab, aur uss talab ki machhli dikhane ke baad... Uske bade hone ka video demonstration diya... Uske growth dekhkte huye... 150 coin per piece baat tay ho gayi, lekin unhe kam se kam 10 hazar pieces machhli chahiye thi....
Sab tay ho gaya... Nischal ne wahan commanding incharge se sampark kiya aur 20 hazar piece machhli ke sath, kayi gallan pani bhi supply kar diya.... 4 card bane aur har card par 7 lakh 50 hazar coin jama the...
Inove ne service start karne se pahle, lagbhag kitne ghante ki service chahiye wo puchh liya… sabse pahle in logon ne 24 ghante ki service lete huye l lakh 20 hazar ka payment kiya...
Inove ne service start karne se pahle, lagbhag kitne ghante ki service chahiye wo puchh liya… sabse pahle in logon ne 24 ghante ki service lete huye l lakh 20 hazar ka payment kiya...
Inova:- Haan kahiye sar pahle kya pasand karenge…
Nandni:- Yahan ka sabse jyada fun aur excitment kis chij me hai...
Inova:- Mere hisab se to har chij yahan ki exciting hi hoti hai, lekin iss waqt ek viman last line paar karne wala hai... Usse dekhna sabse jyada excitment hoga... Baad me shayad mauka fir kab mile kise pata...
Nandni:- Aisa kyon...
Inova:- Last line hum Hurriyent planet se 3000 km bache distance ko kahte hain… Yahan se lagbhag 2 din ke safar ke baad last line aata hai… 38 viman hai iss service station me aur abhi tak kisi ka confirm nahi hua hai ko wo Hurriyent planet ke ore kab niklenge... Isliye aisa kaha..
Sabhi ek sath... "Fir hum intzar kis baat ka kar rahe, chalo pahle Hurriyent planet ja rahe viman ko hi dekha jaye"…
Sabhi log ek bade se hall me pahunche jahan bada-bada screen laga hua tha... Hall me takriban 1000 sitting capacity thi... Wahan yahi koi 20-30 log baithe huye the…
Ye log bhi baith gaye... Sabhi screen par ek hi viman ke ander aur bahar ki tasveer aa rahi thi... Kuch settelite image the jo vikan ko space me aage badhte huye dikha rahe the... Kuchh Viman ke external aur internal camera ki image thi. Sabhi viman ko aage badhte huye har angel se dekh rahe the.
Hurriyent ke ore jane wali viman jaise hi Last line se aage badha, viman sanchalak screen par aa'kar apni baat kahne laga... "Hum log last line se 100km ander aa chuke hai"… fir apne control room me lage screen ke ore ishara karte... "Jaisa ki aap sab dekh pa rahe hai... Takriban 2900 km ki duri par Hurriyent planet dikh raha hai... Hum lagbhag 3 se char ghante ki duri par hai... Humara heat absorbing system kafi shandar hai... Milta hun kuchh der se"…
Tabhi wahan ke screen off ho gaya aur flash hone laga…. Betting for successful vs unsuccessfully mission complition.
Viman Hurriyent planet pahunch gaya, ispar paise lage to 1 coin ke 1000 coin milenge... Yadi Hurriyent nahi pahuncha, ispar 1 coin lagane par... 1.000001 coin milega…
Nandni aur Jivisha screen par batting rate dekhti…. "Lagta hai garib desh ka viman hai, heat ke karan bahut aage nahi ja payega aur lagta hai bich me hi laut aayega, isliye kisi ko inpar yakin nahi...
Ansh:- Itne to coin hai… 1000 coin laga dete hain mission successful par...
Ansh gaya aur 1000 coin mission successful par laga'kar chala aaya... Tabhi screen par fir se viman flash hone laga... Niche distance bhi likha hua tha... 2800 km ahead... 2700, 2600… Ek screen par viman ke ander ka scene aa raha tha... Jahan sabhi machine ko sahi kaam karte dikhaya ja raha tha.…
Distance 2000 km ahead. Inova un logon ke pass pahunchti, ab excitment shuru hoga screen se hatiyega nahi... distance 1900 km.. Viman ka external body heat me tap'kar poora laal ho chuka tha... Nischal apni jagah se khada hua.… "O bewakoof laut aa.... Heat ke karan power source (fuel aur jo bhi source ho viman chalne ka) blast ho jayegi. Ek chingari raakh bana dega... Lauto bewakoof"…
Nischal usse lautne ke liye chilla raha tha, aur udhar wo commander jaam lahrate... "Bahar ka temperature 20 thousand celsius hai... Waise iss se jayada temprature humare device read nahi kar sakta. Haan lekin ander ka normal room temperature par hai.. 23⁰.
Jaise hi diatnace 1700 km par aaya... Sabhi ki aankhen badi ho gayi... Visman ke ander ki sari screen band... Bahar settelite ki image me jo dikha... Kisi ek jagah chhota sa damaka, aur shiyannn se aag uss chhoti si jagah se faila'kar second bhar me poore viman ko apne chapet me le lee. Anth me kewal dhuvan hi najar aaya... Kuchh bacha hi nahi...
Maun, bilkul shant khade sab ek dusre ka muh dekh rahe the… Teeno Nischal ke ore dekhte sawaliya najron se... "Kya ab bhi wahi karenge"…
Nischal:- Haan risk to hai, lekin jahan 10 layer par kaam karte wahan 20 layer ke sath jsyenge. Nilbhut team sath hogi kyonki heat absorbing hum sab me kamal ki hai... Tum sab yahin rahoge...
Jivisha:- Lekin Nischal...
Nischal, apna hath aage badhate.… "1% bhi chinta karne ki jaroorat nahi hai... Yadi mil'kar kaam karenge to Hurriyent jana earth par jane jitna aasaan hoga"…
Jivisha hath badha'kar Nischal ka hath thamti, main sath hun... Nandni dono ka haath chhuda'kar, Nischal ke gale lagti… "Jyada hero ban'ne ki jaroorat na hai... 20 nahi 30 layer ke sath jayega aur yahan se jaise hi hum wapas aane kahen bina koi sawal kiye laut aayega"…
Nischal, Nandni ko khud se alag kar'ke uska chehra saaf kiya... "Jaisa aap kahiye boss"…
Ansh:- To fir 24 ghantey ki service ko istamal kiya jaye...
Nischal:- Bilkul doctor sahab..
Sabhi kaam par lage. Nischal, Inova ko bulaya aur usse kahne laga... "Hum full service access karenge, aur hum par koi servilence nahi chahiye"…
Inova:- Sir, base ke chief aap ke sath dinner karna chahte hain... Yadi aap allowed kare to...
Jivisha:- Hume pahle ek bada sa hall do... Bada hall matlab iss hall jaisa hi bada jahan 1000 logon ki capacity hai... Aur tumhare chief ko milna hai to wo be-jhijhak uss hall me aa sakte hai... Basarte humare kaam me badha na bane aur baat karne ki maryada ko bhang na kare...
Inova:- Aap yahi hall le lijiye. Yahan humari poori team hai help ke liye... Main jab'tak aapki baat, yahan ke chief tak pahuncha dun..
Nischal:- Aur haan, jakar sharab ka full kota le aana...
15 minute ke casual chit-chat ke baad sab kaam me lag gaye... Roffa space station ke staff ko battiyan lagane bola gaya. Idhar Nischal ne poori technology team ko turan kuchh sandesh bheja aur wo hall me aa'kar sab set up karne lage...
20 hazar Zoren niwasi me se 18000 trained soldier the... 9000 Nilbhut samuday aur 9000 Dridh aayu rastr ke... Sabhi ko bula'kar aaram se unka kaam samjha diya gaya…
Sabko kaam samjhane ke baad, Dragon babies aur Adhmya family ko Roffa Space Staion aane ke liye kaha gaya... Jaise hi Dragon babies aur Adhmya family ko Roffa walon ne dekha... Sab hairani se unhe dekhte huye khud se hi sawal karne lage... "Itne bade viman me crew member ko le'kar ghumne ke badle in faltu janvaron ke sath kya hasil karne nikle hai ye log. Hum hote to kam se kam 2 lakh crew member hota"…
Khair unki baten na to Nischal ya kisi aur ne suni, aur na hi unki in baton se koi fark parne wala tha... Abhi to Roffa Sapace Station walon ko eklauti hairani hui thi, aage aur aani baki hi thi...
2 hisson me kayi Bhattiyan taiyar kiye gaye the. Bade-bade vahan, Viggo viman se nikal'kar Space station ke bhatti tak pahunch rahe the.. Ek ore to pata chal raha tha ki metel ko gala'kar, usse 1 fit mota aur 2 meter² ka sheet taiyar kar rahe the...
Lekin dusri bhatti me kya ho raha tha kisi ko pata nahi... Wahan se kewal aur kewal upar raakh nikal rahi thi aur un raakh ko bhi bahar se smet liya jata... Uss bhatti se jo niklalta, wo bhi koi dekh nahi pa rahe the...
Jivisha technical team ke sath baithkar space station se Viggo viman me contact karne ki kshmta ko durust karne me lagi hui thi... Haan lekin Adhmya ke ek natkhat beta Mohan aur dragon baby Bitti ke bich tikhi nok jhonk aur marpit ne sabko pareshan kar rakha tha… Jivisha hansti hui kah bhi dee... Ye mohan nahi Nischal hai aur wo Bitti nahi Nandni hai...
24 ghantey ki service poori hone ke baad Jivisha ne uss hall ke alawa 10 aur hall rent par lee... Ab manual service aur per day charge hi pay karna tha... Haan lekin itne sare logon ke rahne ke liye Jivisha se 2 lakh coin har din ki wasooli ho rahi thi. Roffa Space center par, 46 ghante me inka kafila taiyar ho chuka Hurriyent jane ke liye...
Nischal lagbhag Viggo viman khali kar chuka tha… Ander ke sabhi plane, apna 20 kilometer wala wo jalashay, food, har wo chij jo Viggo viman me jagah gher rahi thi usse bahar nikal diya gaya... Lagbhag 8000 section ko hi nikal liya gaya tha taki Huriyent se jyada se jyada metel laya ja sake...
Viggo viman ke saman ka sanrakhan aur uske rakh rakhav ke liye, 5lakh coin har din ke hisab se liya ja raha tha… jiski bharpai un metal scrape se ki gayi jo Lofa planet se utayi gayi thi... Bhatti me lagbhag aadha scrape istamaal ho chuka tha aur bacha hua scrape lagbhag in logon ne 40 lakh coin me bechi thi.
Khair Roffa space station par sab settel karne ke baad, Nischal 8000 Nilbhut sainikon ke sath vida le hi raha tha, tabhi Bitti aur Gopal ki toli Nischal ke sath jane ki jid karne lagi…
Isbaar jab Jivisha ne usse danntan tab dono ulta Jivisha par chillate huye, poore haal me hi fuu.. fuuu kar'ke aag ka spray maarne lage...
Jivisha:- Kya hai Gopal, Bitti... Tum dono aise kyon kar rahe…
Gopal:- Hume jane do... Bus
Jivisha:- Lekin kyon...
Gopal:- Hum bhi universe tevellers hain... Aap jati to hum jate na... Maa tum kisi karan se nahi ja rahi isliye hum nahi ja pa rahe...
Bitti:- Haan pali baar Bitti sahi kah rahi hai. Tum sab extrem heat nahi jhel sakte, isliye nahi ja rahe... Par maa hum to jhel sakte hain… swarth hai ye... hume bhi baba ke sath jana hai...
Jivisha inki jid par apna sar pakad lee. Wahan Ansh aur Nandni Jivisha ke karib baith'kar usse samjhane lage… Sabhi aag ugalne wale, karib 800 dragon niche baith'kar, Jivisha ko tukur-tukur dekh rahe the.....
Jivisha, gusse se Bitti aur Gopal ko dekhti.… "Tum dono laut'kar aao fir main batati hun... Bitti, Gopal ek baar bhi jhagra nahi hona chahiye… Nischal ko uss jahah koi nayi musibat nahi dena... Nokha (Ek Nilbhut samuday ka sainik)… Apne 500 logon ke sath tum bhi jao, aur mere bacchon ka khyal rakhna... Sabhi nautankiyon kaan khol kar sun lo, tum log ek sipahi ki tarah jaoge aur Nokha tumhara commander hoga"...
"Aiene me muh dekha hai kya"…. Bhid se ek dragon baby ne bol diya... Jivisha Bitti aur Gopal ko ek baar aur ghurti... "Dono apni apni toli ko sambhaloge aur Nokha ki har baat maan'ni hogi"…
Jivisha thoda chintit thi lekin thode sukoon me bhi thi… Ye bacche honge to Nischal jaldi lautega… Nischal sab se vida le'kar udd chala aur uske jate hi yahan sabhi log screen par lag gaye. Jivisha ne 3 logon ko darwaje par khada kar diya tha, aur unhe shakt hidayat mili thi ki koi bhi bahar ka aadmi, kisi bhi paristithi me iss hall me na aaye... Koi jabardasti karne ki kosis kare to turant suchna de. Wahi hidayat 2000 sainikon ko bhi mili thi jo Viggo viman se alag huye saman ki dekhbhal kar rahe the… "kisi bhi condition me koi bahar ka aadmi kisi bhi chij ko hath na lagaye, yadi koi jabardasti kare to turant suchna di jaye"…
Surakhit hall me poori tecnical expert ki team thi. Ussi hall me Jivisha ne sabhi Dragon babies ko rakha tha. Inke alawa Nandni aur Ansh, sath hi sath Adhmya family bhi wahin thi. Uss hall me technology ka poora jaal bichh chuka tha, jahan se na sirf Viggo viman se smpark kiya ja sakta tha, balki poore Roffa space station ki technology ko bhi command diya ja sakta tha. 6 high class Settelite viman Nischal ke uddan bharne se ek din pahle hi Last Line ki seema tak bhej diya gaya tha.
Roffa Space station wale bhi apne settelite ko poora positin kar chuke the… jate waqt Nischal se apni frequency sajha kar gaye... Yadi unka mood bane to apne viman ke sare camera unke server se connect kar de...
Jivisha ek poora din hall me hi baithi rahi. Viggo viman aaj apni samnya gati se aadhi gati me chal rahi thi. Halanki dusre vimano ki apeksha fir bhi yah gati kafi tej thi jo Last Line ko lagbhag 38 ghante me touch karti...
Nischal apne viman ke kuchh crew members ko, Vaiman ke alag-alag hisson ke secondry control panel me bhej'kar, khud Mukhya control pannel me tha... "Computer Ji Settelite image clear kijiye Hurriyent palnet se 2000 kilometer ke bich ki"…
Settelite sabhi abhi postion par nahi thi... Moving settilete se utni dur ki image postion nahi ho pa rahi thi… udhar se nirdesh aaye ki lagbhag 8 ghantey aur lagenge settelite viman ko pisition karne me... Roffa se le'kar Viggo me baitha har insan se le'kar pashu pakchhi tak thode tension me the... Waqt ki ke sath-sath Nischal bhi aage badh raha tha... Aur ab waqt aa chuka tha, uss Last Line ko cross karne ka, jahan se bhay ki seama shuru hoti...
Nischal sabhi crew ko active karte... "Boys poora system on kar'ke, Last Line ke bahar hum ek trail lenge aur uske baad Last Line cross karenge... Sabhi ready….. Sabhi secondry control panel se "ok" ka reply aaya aur Nischal ne command dena shuru kiya...
200km me faila hexagonal viman, jiski rachna lagbhag ek star ki tarah thi… iski motai matlab niche satah se le'kar upar roof ki jo unchai thi, wo takriban 12km kilometer ki thi...
200 kilometer me faile hexgonal viman me, aage se 16 km uncha teer ke nok ka shape tha. Ye viman ke kul unchai se 4 kilometer jyada uncha rakha gaya tha, taki samne se yadi ko ulka se bhada rasta ho to bich ki body surakhit rahe .. Teer ke ek shape ke khatm hone ke baad ussi se lage dusra shape shuru ho jata... aur iss tarah se aage ka pura hexagonal dhancha bana...
Nischal ne jaise hi command diya poora viman re suffle hua... Viman karwat le'kar takriban 4 minute me khada ho gaya.… Ab shape kuchh aisi thi ki pade huye star ko khada kar diya gaya ho...
Star shape ko agar dhyan se dekhen to aisa lagta hai mano kisi circle ke edge par charo ore se triangle shape ko rakh diya gaya hai… Nischal poore aaklan aur viman ko uss bhishan heat se bachane ke liye poore pukhta intzam ke sath nikla tha...
Viman ke aage chhote se triangle shape ke bich me, banti poore circular body ko poora 2 complete sheet se cover kiya gaya tha.. Aur jo aage ki vayvastha thi, wo aur bhi jyada kamal ki thi….
Hexagonal shape jisme 6 points the.. Isse aage se nikla 6 triangle shape bhi maan sakte hain, jo dekhne par bilkul nukile teer ki bhanti dikhta hai... Yun samjhiye ki ek cricke ke upar 6 teer ko sabhi ore se banaya gaya tha... Nischal ne un sabhi teer ke shape ke upar ek ke baad ek 30 teer ko laga diye jo complete sheet ke bane the... Taki ek-ek karke sabhi aage ke capping wale teer jabtak jale, tabtak ye log Hurriyent planet pahunch jaye...
To Nischal ne Bhisham aag se bachne ke liye teer ke shape par aage se 30 complete sheet ka cap chadha diya tha... Aur ye sabi 6 tikono ke liye kiya gaya tha... Uske alawa jo 2 triangle ke upri hisse ka gape ban raha tha, usse ulta triangle space kahna galat nahi hoga...
Yadi star ke shape ko dhyan se dekhenge to pata chalega ki 2 nukile point ke bich me jo khali space hai... Wo bhi khali space triangle jaisa hi hai... Bus wo ulta triangle hai… Aur Nischal ne 2 triangle ke bich ke space ko ek ulte triangle se fill kar diya tha, aur ye khali space bhi 30 complete sheet metal se bhada hua tha...
Ek complete metel sheet ko inlogon ne taiyar kaise kiya tha, wahi sabse jyada rochak tha… 2 meter² ki chhoti-chhoti metal sheet tayar ki gayi thi, jo 1 fit mota tha... Uske alawa jo dusri bhatti me jala, wo thi haddiyan. Wo haddiyan jo poori tarah jalne ke baad bhatti me bacha, ya jo dhuan ban'kar raakh chimni se nikla aur floor par dhul ke saman aakar jamta gaya, usse samet liya gaya tha... Jise kisi bhi tapman par dobara jalaya nahi ja sakta. Yadi un raakh ki 1 inch ki bhi deewar bana de, to aage ka tapman jo bhi rahe wo pichhe pass nahi ho sakta tha.. aur unhi raakh ke bhandar ko ye log bsttiyon se samet liye..
1 fit mote aur 2 meter² ke metel sheet ke upar, hard chipkane wala padarth laga'kar raakh chipkaya gaya... Ek metel ke shit par, layer by layer karke takriban 4 inch ka raakh chipkaya gaya... Aur 2 meter² ke 10 metel sheet ko nut-volt se tight karke 1 complete metel sheet ka nirman kiya gaya tha... Chunki Nilbhut wale kisi bhi surface ke aar, paar ho sakte the, isliye 90000 log, plus poori technical team milkar ye sara kaam Viman ke roof par hi kar rahe the...
2 metel sheet se viman ke bich ki body ko cover kiya gaya tha… Star ki tarah dikhne wale Viggo viman ko khada bhi isliye kiya gaya tha, taki body par heat ka imapact na pade, balki sara head aage ke ore hi rahe jahan 30 layer complete metel sheet chadhaya gaya tha. Sath hi sath 2 triangle ke bich ke space ko bhi cover kar dene se, ab aage se viman complete round shape le chuka tha...
Chunki Viggo viman ki sanrachna part by part ko jod'kar hui thi, aur iske charo ore ki deewar 20 fit ke layer se bana tha. Uss 20 fit layer ke ander itne moving channels the ki kisi bhi section ko move kiya ja sakta tha... Jaise hi Viggo viman ko khada kiya gaya, wo kisi bade tire ki bhanti dikhne laga tha...
Tire ke saman sanrachna wale Viggo viman ke aage ka 500 miter ka hissa, seperately kafi tej gati se gol-gol ghumta, taki heat ka asar distribute hota rahe.
Nischal sari testing ke baad kafi relax sa mehsus karne laga… Viggo viman ki gati ko kuchh kam kar'ke auto pilot mode par dal diya aur hall me aa'kar wo Bitti aur Gopal ke bade se gang ki baten sunn'ne laga.... Bahut hi jyada pyare the ye log...
Nischal ne Bitti ko Jivisha aur baki sabse contact karne ka charge de'kar, Bitti se kah diya ki wahan apni maa ko bol dene "relax kare aur maze kare... Sabhi testing safal raha hai... Jaldi se kaam khatam kar'ke milte hain"...
Bitti apne aaram se pankh faila'kar chair par baithi... Wo to aur bhi kamal ki nikli... Apne pankh ke nichle kinare se bhi wo key-board par khitir-pitir kar sakti thi... Bitti ne sabse turant sampark kiya... "Kaisi ho maa, ye chehre ki hawaeyan kyon udi hai... Hi massi... Hello mausa ji"…
Jivisha:- To contact karne ki jimmedari humari Bitti ko mili hai.…
Bitti:- Maa, Maasi, aur mausa ji... Aap teeno relax karo, kyonki yahan sab parikashan safal raha hai... Baba aap sab se kaam khatm karne ke baad aaram se milenge... Right baby..
Jivisha hansti hui... "Yes my sweeto, tum sab apne baba ko pareshan to nahi kar rahe"…
Bitti:- Ohkey bye...
Jivisha:- Areee kya hua…
Bitti:- Faltu ki sawal puchhogi to yahi aayega...
Jivisha:- Haan thik hai nahi puchhti…
Sabhi baith'kar gappe ladane lage... Inki baten thi ki khatm hi nahi ho rahi thi... Tabhi Jivisha ke hall me ek sandesh aaya... Usse Roffa Space Center ke Chief ki party me aane ka nimantran mila tha...
Jivisha line disconnect karti… "Hmmmm, thik hai, dekh lete hain yahan ke chief ki bhi party… kya kahti hai Nandu…
Nandni:- Haan haan kyon nahi...
Sahamti bani aur teeno party ke liye taiyar hone lage… 37 ghante bit chuke the aur jis hisab se Viggo viman ki gati thi, lagbhag ek ghante aur kuchh minton me Last Line tak pahunch jate, jahan se viggo viman apni poorn kshmta me aage badhta aur takriban 1 ghante me wo 3000 km ka safar tay karta…
Choonk hone ki koi gunjaish nahi thi, isliye Nischal viman ko slow kar chuka tha taki ek baar aur achhe se wo sab kuchh check kar sake ..
Nischal bacchon ke sath baith'kar takribam 45 minute bitane ke baad, viman ki gati lagbhag 5km/hr kar chuka tha... Hall me hi meeting hui, jahan Nilbhut samuday ke logon ko aadesh mila ki jaise hi Hurriyent planet par viman land hoga, poori viman hi bhumigat ho jani chahiye… Khair viman bhumigat ke liye Nilbhut samuday ke sainikon ne haan to kah diya tha, lekin viman ke regular shape aur khade tire wali position me kya fark tha, wo ander baith'kar koi samajh nahi paya tha….
Nischal ke kahte hi Viggo viman ko bhumigat karne ke liye, Nilbhut sainik viman ke alag-alag hisson me postion le chuke the... Kaam thoda muskil tha, lekin utni hi safai ke sath teji se karna tha... 500 Nilbhut sainik jo dragon babies ke liye extra aaye the... Unhone bacchon ko apne bich samet rakha tha... Ek baar sab kuchh set hone ke baad viman ne ab dhire-dhire gati badhana shuru kiya...
Idhar nimantran milte hi, Roffo space station ke chief ki party me Jivisha, Nandni aur Ansh ne shirkat kar rahe the... Teeno jaise hi wahan pahunche, chief unke pass baithne ka aamatarn dete.… "Jivisha, tumhe kya lagta hai... Kitni dur jane ke baad tumhara ye bada sa viman jalega"…
Jivisha:- Itna vishawas kaise...
Chief:- Itihaas me ek hi viman hai jo ab tak Hurriyent planet tak pahunchi thi, wo bhi bus kuch der ruke, thodi si dhatu samet'kar nikal gaye... Yahan har dusre din ek viman Hurriyent ke ore nikalta hai. Kabhi kabhi to 3-4 viman Hurriyent ke liye ek sath nikalte aur unme me ek bhi laut'kar nahi aaya... Kayi aise viman hai jo Hurriyent planet tak bhi pahunche bus sirf hume itna hi pata hai. Aage wahan unke sath kya hua ye batane ke liye koi lauta hi nahi...
Nandni:- bhav kya hai aaj ka wo to batao....
Chief:- Mission successful hone par, 1 sikke ke 5000 sikke... kyonki ye viman to last line ke thik pichhe hi khada ho gaya... Lagta hai aage jaye ki na jaye ussi soch me doobe hain... Achha hi hoga wapas laut aaye to.… Insan to roj hi marte hain, lekin tumhara viman, wo poore Universe me apne jaisa eklauta hoga... Kayi sare viman dekhe hain lekin aaj tak uss jaisa viman nahi dekha...
Nandni:- Koi baat nahi tum to humare 10 lakh coin abhi laga do mission successful par…
Chief:- Tunhare pass yahan rukne ke liye mere khyal se 6 din se jyada ke coin nahi bache hai... Usme se bhi 10 lakh sikka laga rahi...
Jivisha:- 10 lakh main bhi laga deti hun mission successful par...
Chief:- Haar gaye to bahut hi jayada afsos hoga.… Soch lo...
Ansh:- Total hum teeno ka mila'kar 50 lakh coin laga do...
Chief:- 50 lakh coin dene ke baad to tumhare kal ke baad ke liye bhi coin nahi bachenge... aur iss betting ka result to Hurriyent se lautne ke baad hi declare hoga... So yahan rukne ke minimum 2 din ke paise to hone hi chahiye...
Nandni:- Wo to hum coin exchange kar lenge...
Chief:- Wo kaise.…
Ansh:- Machhliyan bech'kar
Chief:- Mazak to nahi kar rahi... Main bahut jyada kimat dunga to 1 piece machhli ka 10 coin dunga...
Ansh:- Main kam se kam 10 hazar coin lunga 1 piece ka...
Chief:- Rakh lo apne pass...
Nandni:- Yahan 200 guest lag rahe hain iss hall me... Aaj 800 fish jayegi... 20 hazark piece shayad abhi jyada lag raha hoga... Lekin kewal nar aur nar lene se kaun wo char din me 20 hazar machhli se 1 lakh honge, isliye ab kimat badh gayi... 40000 coin 1 piece ke...
Chief:- Ye humare sath cheating hui hai... Aur kisi ke ghar me ghus'kar usse hi cheat karna mahnga par sakta hai...
Jivisha:- 20 hazar piece bola gaya tha hume... Na ki usme nar kitne honge ya mada... Hume dhamkao mat... Ab to kimat hogi 1 lakh coin 1 piece ki aur kam se kam 10 hazar piece leni hogi...
Chief chillaya "guards"... Aur agle hi pal uss hall me sabhi dragon babies katar me khade ho gaye. Upar dragon babies ki katar, niche 12 dus futiya sher ke bachhe line lagaye aur unke pichhe 20 futiya Sher aur Sherni Adhmya aur Admee samne se sabko ghurti hui khadi thi...
Chief chillaya "guards"... Aur agle hi pal uss hall me sabhi dragon babies katar me khade ho gaye. Upar dragon babies ki katar, niche 12 dus futiya sher ke bachhe line lagaye aur unke pichhe 20 futiya Sher aur Sherni Adhmya aur Admee samne se sabko ghurti hui khadi thi...
Nandni, nayi-nayi bani in baby dragon ki leader Meena ko thappad lagati... "Tum log ab yahan humara dimag kharab karoge kya... Yahan guns aur hatiyar le'kar log aayenge aur tum sab bina soche-samjhe aa gaye"..
"Jhalli massi, missile aur tope ka idea bhi de deti na"… Meena apne pankh se apna matha pit'te hui kahi..
Jivisha:- Chief, shanti se baat kar le... Yadi ye baad proof hoti hai ki cheating kiya hai humne, to tum jo bologe wo hoga... (Fir Adhmya aur Adhmee ke ore dekhti).. Adhmya, Adhmee kya hai ye sab...
Adhmee Jivisha ki baat sun'kar dahari aur ek tej dhakka Jivisha ko aisa dee, ki wo kursiyon ko pichhe ke ore samet'ti hui 10 fit tak dur ja'kar giri.. naak se khun nikalne laga...
Sabhi dragon babies Adhmee ko ghurne lage... Meena gusse me fuhhh-fuhhh karti thandi barfili hawa spray karti... "Adhmee chachi, tumhari to... chicha samjha lo apni lugai ko warna kada virodh pradarshan ho jayega"…
Iss par Adhmee ne usse ek dhima thappad maari aur ghurti aankhon se shant rahne ka ishara... "Kamini Adhmee, humla karne se pahle bol to deti"… Jivisha khud ki haalat thik karti hui kahne lagi...
Nandni:- Har jagah tu khatra mol le'kar aage nani ki tarah khadi rahegi to yahi haal hoga na... Thik kiya Adhmee...
Chief:- Kya hun baith'kar baat kar len... Yahan ka mahol kharab na karen... Jivisha, kya tum sabko kahogi jane...
Uski baat sun'kar Adhmee daharti hui wahan se bahar nikli... Dragon babies bhi uske pichhe chal diye.… "Maa, Rani chachi kah rahi hai iss baar screen par action hota suni to 2-4 ko tapka denge"… jate-jate Meena cheta kar nikli...
Chief:- Kamal ke janvar hain ye... Bolte bhi.…
Jivisha bich me hi tokti... "Dobara jaanvar na nikle muh se chief... Yadi mere kisi bacche ka naam nahi pata to usse dragon bulao... Ab baith kar baat kar len"…
Chief:- Thik hai meri galti hai jo maine sahi se deal nahi kiya...
Ansh:- 80 hazar coin... 1 piece ki kimat...
Chief ne shuru se baten gaur kiya... Pahli baar maine bola to 10 lakh ki betting, dusri baar bola to 20 lakh.. teesri baar bola to 50 lakh ki betting ho gayi... Idhar Machhli wale matter me bhi maine jitni baar bola rate multiple high ho raha hai...
Chief apne khyalon me calculation karte huye.… Bus Jivisha ke ore hi dekh raha tha... Jivisha Ansh aur Nandni ko dekhti... "Maaf kar do bechare ko.. 1000 per piece thik hai na"..
Nandni, budbudati.… Kamine ne humla karne ka socha tha...
Ansh:- Shiii... Dhime bolo, wo chief hai yahan ka...
Jivishsa:- Mr & Mrs ladaku jaldi batao bhi...
Ansh:- Kya hai saali sahiba main jhagra karta hun kya Nandni se jo mr ka naam jor rahi???
Jivisha apne dono gaal par hath rakhti.… "Hayyyyy jiju, ek baar aur kaho na"…
Ansh:- Pyari saali sahiba ji, kya main jhagra karta hun????
Nandni, apne dono hath se Jivisha ka pith thokti.… "Nautanki kahanin ki, ja 10000 me hi rate nakki kar le, aur ye Nischal uss Last Line ke pass viman kaahe roke hai… (5Km/hr se viman chal rahi thi jo lagbhag ruka hua pratit ho raha tha)
Jivisha:- Kuchh meeting waigrah kar rahe honge... Chal screen ke samne baith'te hain... aur deal bhi final karte hain...
Jivisha wapas aa'kar 10000 me rate final kar'ke usse 5000 mada machhli supply karne ke liye, saman ki dekh bhal karne wale sainikon ko bol dee...
Jab tak ye log bahasbaji me lage the tab'tak Nischal poori yojna samjha'kar Viggo viman ki gati dhire-dhire badhana shuru kar chuka tha...
"Ye hui na baat. Chal ab jarra baat kar len.. kyonki uske baad to sidha Hurriyen planet par hi ye rukega aur bich me kafi vyast mahol hoga... Ladke me thoda josh bhar dun"… Nandni samne screen dekhti hui kahne lagi...
Jivisha, apne hall se 2 technology expert ko bula'kar, 2 screen ko party hall me connect kar lee aur kuchh command jaise hi dee, Nischal najron ke samne the…. "Baby, Last Line cross karne hi wale ho kya???"
Nischal:- Umaaahhhhh.… Line kya ab to sidha suraj par pahunch jaunga... Chinta mat karna aur wahan sabka khyal rakhna... Nandu... Chup kaahe...
Nandni:- Chup kaahe na rahungi.... Dono jija sali ne mil'kar mujhe bahut sunaya.... Nautanki drame me, I am Alone Nischal... Jaldi aa fir in dono ki band banayenge…
Nischal:- Hahaha... Doctor sahab ye main kya sun raha hun...
Ansh:- Aa'kar baat karna itminan se... Kaam khatm kar'ke aana.… Yahan 5 carore coin hai humare pass aur ek din me 10 se 11 lakh coin kharch ho rahe... Isliye chinta mat karna…
Nischal:- Hahaha... Poora credit aapko hi jata hai fir… lagta hai mada machhliyon ki deal ho gayi... Doctor sahab jald hi milta hun... Chalo line cross karne wala hun... Ab sidha Hurriyent planet par settle ho jaunga tabhi baat ho payegi… Disconnect kar raha hun...
"Ruko, ruko... Ruko... Ruko"… Pichhe se Gopal aur Bitti awaz dete rah gaye lekin Nischal ne disconnect kar diya... Viman apni puri raftaar pakadi... Last Line cross... Jaise hi wo line cross hui... "Boys, command dena shuru karo"…
Nischal ne gear up kiya... Viman apni poori kashmta se speed pakdi aur apne maximum speed par thi... Idhar sahayak controll room se, viman ke aage ke portion ko pura 360⁰ rotation karna shuru kar diya gaya...
Hirriyent planet se 2200 kilometer ki shesh duri. Nischal ne temprature reading dekha.. Last Line cross karne se le'kar 800 kilometer ander ghusne ke bich me jo temprature me badlav tha, usse dekh'kar Nischal ke hosh udd gaye...
Haalanki iss waqt heat wo impact nahi de pa rahi thi jisse viman ka nuskan ho lekin 10 kilometer ke kshtr me jitna heat badh raha tha, uss hisab se to Hurriyen Planet ke pass temperature ka to aaklan hi nahi kiya ja sakta tha..
"Boys plan me thodi tabdili hai… Main bahut bada daav khelne ja raha hun... Hurriyent par hum apne super speed se, 30 se 45 minute me pahunchne ka risk nahi le sakte... Abhi yahan ka 10 hazar digree celcius temprature hai.. aur ye temprature multiple hota chala jayega... Ab sab taiyar ho jao... Kyonki main Pahli baar istamal karne ja raha hun Viggo viman ka central boost engine"…
announcement ke baad control room se Nischal ne apna khel shuru kar diya... Viggo viman ke dono side engine ko band kar diya... Engine band hote hi viman ki gati girte huye shunya tak pahunch gayi... ..
Jaise hi engine shunya hua, Kuchh second rukne ke baad engine ne Jor Ka jhatka khaya, fir shant… Bus kewal mehsus kiya ja sakta tha ki viman ruki aur fir se kafi tej jhatka.…
Fir to boost engine ka bhi kamal dikhne laga tha... Nischal pal-pal ki khabar le raha tha… Viman me aage ka hissa tej-tej gol ghumne ke bavjood bhi, heat lagbhag 45 se 50 second me ek layer khatm kar raha tha...
Engine boost speed par. Vishalkay Viggo viman, bilkul na dikhne wali gati me.. Lagbhag 2000 km ka safar aur har 40 se 45 second me 1 layer khatm ho raha tha… Nischal ke pass waqt bahut kam tha. Pichhe jane ki koi gunjaish nahi.… Ab bus pal-pal waqt katna tha aur boost engine ki gati par bharosa kar'ke Hurriyent planet land karna tha...
Last Line cross hone ke baad se hi, dum sadhe, Jivisha, Nandni aur Ansh samne ka najara dekh rahe the... Aisa lag raha tha kisi pahiye me aag lag gayi ho, aur wo teji se fail raha hai. Pahle Matel laal hokar pighalta fir kuchh second ka break lagta.… Ye kuchh second ka break uss raakh ke karan hota jiski 2 inch ki parat metal ke upar chadhaya gaya tha...
Garmi ke karan wo rakh jis chij se chipki thi, wah chipkane wala padarth jal'kar alag ho jata aur raakh apne aap upar se bikhar jate.. Jabki 1 complete metal sheet me 1 fit mote metal par 2 inch ka raakh chadhane ke baad, kul 10 sheet jod'kar banaya ek complete metal sheet banaya gaya tha, fir bhi wo poora 1 complete sheet matr 40 se 45 second me gayab ho rahi thi... Jabki viman ke aage ka hissa utni hi teji se ghum bhi raha tha...
Jivisha, Ansh aur Nandni to bhagwan se prathna kar rahi thi... Aur issi daran viamn itni teji se aage badha ki settelite ki image chali gayi. Wo gati hi aisi thi. Engine ko 3 minute lag gaye complete boost hone me... Aisa laga jaise central engine 3 minute me apne engine ke jung ko poori tarah se chhudaya ho... Uske baad to Viggo viman bilkul gayab hi ho gaya….
Camera ye speed ki tasveer nahi de sakti thi isliye Nischal dimag me poora calculation laga'kar, 6 minute baad hi central engine ko control karne laga... Lekin itna bada viman, upar se itni jyada gati.… Nischal jabtak viman ko poora control karta, viman Hurriyent palnet ke satah par land kar chuki thi... Yahan kayi chhote bade, ubar-khabar kewal aur kewal jwalamukhi ke pahad the. Lekin pahad ko bhi bauna bana de itna vishal tire Hurriyent grah par aniyantrit land kiya tha.…
Ghinghinate huye Viggo viman Hurriyent ke surface par land kiya aur jitne bhi jwalamukhi ke pahad the wo sab ke sab ubar-khabad road breaker ka kaam kar rahe the... Viman pura hichkhole khate, chhote bahe jawalamukhi me visphot karta aage badh raha tha...
Boom-boom ki awaj ke sath jwalamukhi fatne lagta aur Viggo viman jhatke se chhitak kar kabhi left to kabhi right, to kabhi center se uchhal'kar aage badh raha tha... Aur iss dauran aage ke bache protective layres bahari aur chattano ke heat ke karan barbad hote ja raha tha...
Nischal andaza laga chuka tha ki agle aadhe ghante me uske viman ka sara protactive layer khatm ho jayega. 30 protective layer me se jab 5 layer bachte, tab kinaraon ka utna failav bhi nahi bachta jo bich ke body ko heat se protect kar sake...
Ye ek bahut badi musibat thi, kyonki bich ke body par matr 2 protective layer chadha hua tha... Wo hissa heat ke sampark me aate hi, matr 4 ya 5 minute ka khel tha.... Jitna heat space me tha, uske mukable Hurriyent Planet pe bahut kam heat thi, shayad yahan ke atmosphere ke karan. Lekin khule mahol me itna heat bhi kafi tha viman ko poora barbaad karne ke liye...
Har tarah ke calculation dimag me ghum rahe the. Nischal bhi control room me utni hi teji dikhate huye apna kaam kar raha tha... Nischal ne boost engine band kiya aur left aur right wing ke dono engine start kar'ke, Nischal ne reverse me pure engine ko dala…
Kafi atihat se wo dhime-dhime engine ko reverse karta raha... Viman dhime-dhime slow hone lagi thi... Aage se takriban 23 layer bilkul hi barbaad ho chuke the... 7 layer bacha hua tha... Nischal viman ko pura jhatke ke sath reverse me liya...
Nilbhut samuday ke sabhi logon ko taiyar rahne ke liye kaha... Nischal engine ko pura reverse karte huye, ubar-khabad pahadiyo ke bich Viman ko aise khada kiya, jahan ek bhi jawalamukhi aas-pass nahi thi...
Nilbut samuday ke log pahle se taiyar the. Jaise hi viman ruki, turant 3 khoji team bhumigat ho'kar poore grah me surakshit location ki talaash me nikle... Wahin baki ke log, jo poore viman ko bhumigat karna chahte the, jab bhumigat ho'kar viman ko bhumigat karne lage... Viman ka lagbhag 40km ka hissa hi bhumigat hua, baad me Nilbhut sainik usse wapas satah par le aaye... Wo log Nischal ke pass pahunch'kar viman ki unchai puchhne lage…
Jaise hi Nischal ne unchai 200 kilomete bataya... Sabhi ke hosh udd gaye.… "Shahjada, 200 km ki itna bada dancha hum bhumigat nahi kar sakte, isse litana hoga.. tab jakar ye bhumigat hoga...
Nischal:- Lekin kyon.....
Nilbhut Samuday ke sanik:- Hum 30-40 km ander tak ki gahrai tak hi bhumigat ho sakte hai... Jyada niche gaye to black hole ka nirman ho sakta hai.. Yahan to aap 200km tak bhumigat hona hai. Usme bhi koi insan ka chhota dhancha nahi jeyega, balki ye vishalkay sanrachna 200km bhumi me jayegi. Aisa karna poore planet ko hi khatre me daal dega... Ho sakta hai kuchh salon me ye poora planet collapse kar jaye...
Nischal…. Ohhh kya musibat hai... Viman sidha nahi kar sakta... Kayi sare jwalamukhi ke contact me aa jayega... Uska visphot, viman me chhed kar degi, aur yahan ka high temperature ander pahunch gaya to viman ke har section me aag hi aag hoga... Khoji team ka intzar karte hain… 2 minute me wo aaye to thik, nahi to hum khud udd chalenge koi safe thikana dhundhne...
Nischal ne kah to diya tha safe thikane ke bare me. Par uske aankhon me umre aanshu kuchh aur hi kahani bayan kar rahe the... 7 layer aage ke bache the... Jisme se pahla layer bus chand der ka mehman tha... Uske baad jaise hi dusra layer jalta, fir heat ka asar bich body par hona shuru ho jata...
Jald hi viman ko surakhit nahi kiya jata to mahaj 15 minute me viman ki body jal jati... Ye body itni badi thi ki kin-kin hisson me ander se aag pakadta, yah nischal ko bhi nahi pata tha... Haan lekin jo dar tha wo aankhon se dikh raha tha... Viggo viman khone ka dar…
Pahle jaal mahal gaya ab Viggo viman. Nischal engine, medical section, aur viman se tarikaban 1200 section ko lagbhag alag karne ka command de chuka tha… bus final command dene ki der thi... Poora viman na sahi, jitna bachaya ja sakta tha usse bacha'kar bhumigat kiya ja sakta tha... Master control room me baita Nischal gahri soch me dooba... Aankhon ke umde aanshu kab aabkhon se chhalak aaye pata bhi nahi chala...
Aankhon se uske lagaatar aanshu aa rahe the, lekin aur koi chara nahi tha... Gopal aur Bitti, apni toliyon ke sath masti me lage the. Na jane unhe bhi shayad Nischal ki pira ka aabhash hua ho. Nokha ke sath aaye baki ke Nilbhut sainik jo kewal Dragon babies ko sambhale huye the, wo sabhi dragon babies ko rokte rah gaye lekin kisi bacche ne unki na suni aur sab ke sab mukhya controle room me pahunch gaye...
Bitti aur Gopal dono Nischal ke kandhe par baith'kar uske lagatar bahte aanshu ko apne se pochhte huye...
"Baba main kuchh din baad bahut badi ho jaungi, fir apne pith par bitha'kar poore antriksh ki shair karwaungi. Tum ro mat...
"Nahi baba mere sath sawari karenge"…
Jaise hi Bitti aur Gopal ne apna-apna prastav diya, baki ke bhi sabhi dragon wahan halla machane lage... Nischal apna baanh failate…. "Tumhari maa ki tarah to main ek sath pyar nahi dikha sakta, lekin machine aur jamin se badi sapatti to tum sab ho"…
Viggo viman jane ka afsos kahin gayab sa ho gaya. Dragon babies ko dekh'kar Nischal kafi sukoon mehsus kar raha tha... Tabhi Nilbhut samuday ke khoji wahan pahunch gaye. Khoji ke wahan pahunchte hi Nischal unhe jigyasavash dekhne laga...
Khoji yahan rukne ke khatre ko bhanpte huye... "Sahjade yahan thodi si samsya hai... Planet ke jin-jin hisson me jivan basta hai, wo 2 pahadiyon ke bich ki sankari ghati hai... Ye ghati lagbhag 4 se 5 kilometer gahra, aur ghati ki chaurai 1 kilomter se le'kar 20 kilometer tak ka hai"..
Nischal:- Hmmmm... Koi baat nahi hai... Lagta hai hum viman nahi bacha sakte... Maine viman ke 1200 khand kiye hain, unhe lekar nikalte hain...
Nilbhut sainikon ke mukhiya, Bhoro... "Sahjada 2 ghatiyon ke bich yadi viman ko wapas lita de to hum bhumigat kar sakte hain...
Nischal:- "Bhoro jo samsya khade viman ko bhumigat karne ke sath hota, wahi iss me bhi hoga... 200 kilometer me faila ye viman.… Yahan ke surface ko jaise hi ye viman cover karega, kam se kam 2000 jwalamukhi ke muhane ko hi cover kar dega... Tum jabtak iska aadha hissa yani 10 kilometer ka hissa ander le ja rahe hoge tab wo jwalamukhi blast kar chuka hoga"...
"Jamin ke 10 se 15 kilometer ke garv me ye viman. Aur iss viman me itne barood load hai, ki kewal iska engine section me aag lagti hai, to ye poora planet ko le doobega... Main chah kar bhi ye risk nahi le sakta... Dekho baat karte-karte aage ka 6th layer bi ja raha hai... Ab to viman ki body bhi heat ke sampark me hogi...
Bhoro:- Ek ilaaka to hai jiska maidani bhaag kayi lakh varg kilometer tak faila hai aur uss ilake ka tapman bhi lagbhag 200⁰ celcius ka hoga... Lekin..
Niachal:- Lekin kya Bhoro…
Bhoro:- Wo ek bura sapna jaisa kshetr hai kyonki wo ilaka shayad iss planet ke sabse khatarnak kaal jivon ka ilaka hai...
Nischal:- Koi baat nahi hai fir to... Tum location share karo …
Jaise hi location sajha hua... Nischal viman ke left aur right wing ka engine start karte huye.… "Bhoro sabhi bacchon ko aur sainikon ke sath secure chember me jao.… 20 secure chember tumhe satah par hi milenge… sucure chember sahit bhumigat hona... Jab tak main na lautun tab tak koi bhi secure chember se bahar nahi niklenge"…
Bhoro:- Aapke aane me waqt laga tab Sahjade...
Nischal:- Ek secure chember me viman hai aur ek secure chember me yahan ke dhatu ko kaise uss viman par cover karna hai, uske sare equipment aur uss equipment ko chalane ke liye poora manual mil jayega... Koi sawal...
Bhoro:- Nahi Sahjade...
Nischal:- Sabko le'kar abhi niklo... Ek bhi yahan chhute na... Computer ji... Yahan maujood har ek life ko mere screen par dikhaeye"
Computer ji jab'tak screen par har life ki live location dikhata, tabtak Bhoro aur Nilbhut samuday ke kul 8500 sainik, sabhi bacchon ko secure chember ko le'kar bhumigat ho chuke the… Haan lekin Nischal ko aaschrya aur ussi ke sath 2 ke upar utna hi jyada gussa tab aa gaya, jab wahan computer par 3 life aur dikh rahe the... aur ab koi Nilbhut sainik bhi nahi tha viman me...
Aage ka 6th layer lagbhag damage hone ke kagar par tha... Complete metal sheet ab khulna shuru ho chuka tha... Nischal waqt ganwa nahi sakta tha, isliye viman ko teji ke sath hawa me lena shuru kiya aur Computer ji ko command dete.… "Computer ji teeno ko yahan master control room me lekar aao"…
Teeno jaise hi pahunche…. Bitti aur Gopal pankh ke pichhe muh chhipaye, Nischal ke daantne ka intzar kar rahe the... Wahin nischal location set kar'ke viman ko auto-pilot command de raha tha...
Dono:- Baba wo ladki se pahle inquiry kar lo na... Hum to yahin rahenge...
Nischal:- Usse to main baad me dekhunga lekin tum dono...
Bitti:- Gopal tu bol...
Gopal:- Main kyon akela fansoon...
Bitti:- Baba mujhe Gopal ne roka tha..
Niachal:- Tumne baat nahi maani apne commander ki..
Gopal:- Usse humari baat maan'ni pari..
Nischal:- Jarra samjhaoge kaise...
Jaise hi Gopal ne muh khola... Nischal haath dikhate... "Baad me baat karta hun... Tum dono nahi tum teeno yahin raho"…
Bitti aur Gopal dono ek sath... "Inse parichay to karwao"
Nischal:- Ye hai Vardali… Astak ki vansaj. Bahut shaktishali... Iss universe me kewal ek inka hi samuday sarv'shresth hai… paricahy karte raho… main viman land karwa raha... Bahar ka kaam samapt kar'ke milta hun. Aur dono kisi tarah ke raham ki ummid mat karna mujhse… computer ji teeno me se koi bhi bahar nahi aane chahiye... Sabko bandi room me quid karo...
Bitti aur Gopal ek sath... "Baba hume mujrim bana rahe..."
Nischal unki baat ansuni karte apna kaam karta raha... Issi bich Bitti... "Baba kam se kam iss aunty ka to muh khol do... Hum inhi se baat karenge"…
"Dekho baba main kah raha hun hume bhi le chalo sath... Warna main maa ko kah dunga, aap ka chakkar hai iss aunty ke sath"… Gopal dhamkate huye kaha...
"Tum sab ko jo teri maa aur maasi film dikha'kar abhi se paka aam bana rahi hai, uski khabar main baad me lunga.. Oye comouter ji... In dono ka muh khula kyon chhod diye"…
Computer ji... "Mere bolne par pratibandh laga dete ho, isliye in dono ka muh khula chhod diya"…
Idhar jab'tak set location par viman land hone lagi... Nischal ne sabka muh band karwate… Bandi grih yani ki secure jail me dal diya... Viman land kar chuki thi... Nischal viman se bahar aaya...
Nilbhut khoji shayad galat temprature aakalan karke gaye the, ya jab Nilbhut khoji yahan aaye ho, tab alag temprature tha, lekin iss waqt iss maidan ka atmospheric temprature 300⁰ celcius ke aas pass tha...
Garmi ke karan poora maidan jhulsa hua tha... Khusk aur garam hawaye chehre ko poora sek rahi thi... Swans lo to aisa lagta jaise garam aag hi shwans me khinch rahe ho... Lagatar heat ke karan atomispheric burn ho raha tha... Iss vajah se oxygen ki kafi kami thi iss jagah par...
Nischal tej-tej shwans khichta, khada ho'kar idhar, udhar dekh raha tha... Dhul bhi raakh jaisi kali-kaali udd rahi thi... Poori jamin pak'kar kaali par chuki thi... Haan uss maidan me kuchh ajib tarah ke jhadiyan jaroor thi...
Gadhe hare rang ki jhadiyan jo lagbhag 2 fit lambi hogi... Jhariyan dekhne me bilkul hard lag rahi thi aur jamin se bilkul sidha upar ke ore nikla hua tha...
"Kaisi darawani jagah hai baba"…. "Yahan hum kya karne aaye hain baba"…
Niachal ke ek kandhe par Bitti aur dusre kandhe par Gopal baith'kar, apni-apni baat kaha. Nischal ek baar dayen to ek baar bayen ghum'kar…. "Tum dono ko kuchh kahne ka fayda bhi hai... Ab ye computer ji ka sequrity bridge khali tumne toda, ya uss madam ne bhi"…
Gopal:- Baba humare pass computer chicha ka complete access hai.
Nischal:- Aur wo kaise...
Gopal:- Bachapan me ek din hum Viggo viman par khel rahe the… Main, Bitti… Hum dono ke hi gardan atak kisi chij me atak gayi. Juban bahar aa gaye aur pran halakh me. Hum chillate rahe par computer chicha ne nahi suna... Bus fir kya tha... Maa gusse ma pahunchi... Hume bachaya aur computer chicha ko dantaan diya. Fie hume de diya computer chicha ka full access...
Nischal ek baar left dekha, ek baar right aur fir upar aasman me.… "Hey uparwale ye Nandni aur Jivisha kam thi, jo ye dono ussi ki parchhayi bante ja rahe"….
"Wowwwwwwww.… Ye to kamal ke hain"…..
"Itssss Awesomeeee"…
"Ye tum dono…. Woooooo... Namaste sir, how you"
Nischal jabtak upar aasmaan me dekh raha tha, thik uss waqt ek bada sa laal dragon uss maidan me utra.. Bhayanak aur Vishalkay…. Shwans bhi chhode to naak se hawa nahi balki aag nikal rahi thi.. Wishper planet ke dragon se bilkul alag...
Pankh jaise chattan ke bane ho. Poore sarir ka koi aisa hissa nahi jo mulayam ho... Sabse darawani to uske ridh ke haddi ki line bana rahi thi, jiske upar 2 fit ka nukila haddi ka kil laga hua tha, jo punchh se le'kar uske sar tak khada tha...
Bitti aur Gopal to iss look wale dragon ko dekh'kar hi flat ho gaye... Haan Nischal jab apna sar aakash ke ore kiye apni bhavna upar wale ko suna raha tha, thik ussi waqt in dono ki baten sun'kar jab usne samne najar diya, tab Nischal harbara gaya.…
Bitti aur Gopal to bacche the, lekin Nischal thehra ek universe traveller, usse shikari aur aam jibon me fark karna aata tha... Aur ye iss grah ka aam sa jiv to nahi hi tha, balki ek shikari tha...
Laal dragon ke samne teeno kisi chhote teddy ke saman dikh rahe the... Nischal apni baat kah'kar dhime se Bitti aur Gopal ko wapas viman me jane ke liye kaha, lekin jabtak Nischal dono ko viman me jane kahta, tab tak dono uddte-uddte uss laal dragon ke aakhon ke samne ja pahunche the…
Dono jaise hi uske aankhon ke samne pahunche, wah laal dragon apna bada sa muh khol liya... Nischal ko bhanpte der na lagi ki aage kya hone wala hai...
Nischal ne apni chain nikali aur agle hi pal wo dragon ek jordar takkad kha'kar ludakta hua kahin dur jakar gira... Dur ja'kar girne ke dauran, usne jo muh khola tha uss se ek tarah ke laal rang ki tej hight wave nikli thi...
Takkar ke karan uss laal dragon ka muh ka nishana badal gaya aur wo wave jaise hi bhumi se takrayi, tej visphot jaisa awaj hua...
Nischal chilla'kar Bitti aur Gopal ko viman me jane ke liye kaha. Jab tak Bitti aur Gopal apne chhote chhote pankh se uddan bhar'kar viman ke ore bhagte... Tab'tak wo dragon fir uth khada hua... Usne dur se hi wo laal wave fir se chala diya...
Nischal teji dikhate huye ek lamba chauda vayumandaliya aavran banaya jiske piche Bitti aur Gopal ko usne surakshit kiya... Vayumandaliya aavran se usne Bitti aur Gopal ko surakhit to kar liya lekin Nischal ko bhi aabhash ho gaya ki uska paala aam kaal jiv se nahi para hai.…
Kyonki uske laal wave ne ek baar me hi uske vayumandaliya aavran ki dhajjiyan udda kar rakh dee. Sirf itna hi nahi balki uss laal wave ka sampark kuchh kuchh uske sharir se bhi hua.… Kuchh aisa sampark jisme pani ke chhinten saman wo laal wave nichal ke sharir par para lekin jahan bhi pada, kapde samet chhed kar dale...
Atayant hi pida me Nischal dikh raha tha... Kisi tarah khud ko balance kiye wah khada raha... Aur tirchhi najaron se Bitti aur Gopal ko viman ke ander jate dekh raha tha...
"Lagta hai musibat badhne wali hai"... Samne ka najara hi kuchh kuchh aisa tha... Poore aakash me laal aur kaale dragon mandra rahe the... Aur samne to ek tha hi, aur koi bhi dragon baat karne ke mood me nahi lag raha tha..
Shhaayannnnnnn... Ki awaj charo ore se gunjne lagi... Yah hawa ko chid'kar niche aate uss teji se girne wale wave ki awaj thi jo wo dragon apne muh se chhod rahe the... Kala dragon kala wave chhod raha tha aur laal dragon laal wave... Sab bilkul satika nishana par...
Itne tej hote humle se Nischal bachne ke liye Nischal ke pass ek hi upay tha… Wo tha uska chain... Apni chain ko tej gati se lahra'kar Nischal bhumi se connect karta aur khud ko khinch'kar utni hi teji se kabhi aage to kabhi dayen bayen karke khud ko bachata…
Chain ke sath khinchne ki gati to Nischal ke pahle prapt gati se bhi 4 guna jyada thi, isliye kisi bhi dragon ke liye Nischal ko bhagte huye dekh pana kafi muakil sa ho gaya tha... Unke najron ko bhi wahi najar aata jo bakiyon ko chain ke sath Nischal ko dekh'kar mehsus hota... Abhi ek point par khada tha aur najar ghuma kar dekha to kahin aur khada hai...
Shayannn ke tej vissil sound charo hi disha se aa rahi thi…. Boom, boom, boom, boom... Charo ore bhumi par tej tej bomb phootne jaisi awaj... Bitti screen par roti hui... "Gande dragon... Baba ko maar rahe hai... Gopal humla kar dun kya"…
"Mera khoob khaul raha hai... Baba yahan se wahan bach kyon rahe hai... Marte kyon nahi"…
Bitti:- Computer chicha missile load karo, aur koi barf jamane wala missile load karo chicha... Ye to garam aur toofani pahle se hai...
Gopal:- Computer chicha sath me inke parkhache udd jaye... Aise talvar bhala aur hathiyar type blade bhi load karo... Ek baar jam jaye to inke tukde tukde kar dun...
Bitti aur Gopal poore aawesh me aate huye, apni hath khitir-pitir command board par chalate huye command dene lage aur computer ji inke hisab se missile loading ka kaam kar rahe the…