• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,655
80,784
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

11 ster fan

Lazy villain
2,964
7,008
158
Nain sir itne dhith writer hai ki agar aap aage ka Guess karke bata de to nain sir uss bat ko galat bata dete hai .....for example :-
Fan:- super bhikhari ka plan raddi hai..plan fail hone ke chance jyada hai..
nain sir:- no it's work very well :rock: :rock: :rock:



Fan :- jiviya koi pre-plan banayi hai

Nain sir:- nhi jivisha aise family se hai jaha plan nhi banaye jate ....

fan:- nishchal ki 4 shadi ka koi to raj hai
nain sir:- nhi koi bada raj nhi hai
( Sabko pata hai ki ye 4 shadi kitna bada plan ka ek mahatv purn hissa tha iss baat ke liye nishchal ki maa ne viyog sahan kiya tha hansate hue)



Fan:- jivisha aur apasyu ke bich relationship hai
nain sir:- nhi aisa kuchh nhi hai..
( But aap sabse uss Himalaya ke gufa ka flashback chhupaya gaya hai jaha ye sab kand hua tha)
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,359
304
नैनू

किसी के लिखे बातों को संलग्न करके तर्क और कुतर्क कोई भी दे सकता है। इसके कोई महारत नहीं। हर किए गए कार्य का अच्छा और बुरा पहलू कोई भी निकाल सकता या सकती है। महात्मा गांधी को लोग गाली भी देते हैं और उनका सम्मान भी होता है। इससे किसी की वास्तविकता को फर्क नहीं पड़ता, अच्छा सदैव अच्छा ही रहेगा बावजूद कई कुतर्क के।

लोग अच्छे काम को भी घृणित और ओछल नज़रों से देखते रहेंगे यही उनकी मानसिकता और वास्तविकता है। नेती नेती.. कर्म कीजिए और आगे बढ़ते रहिए। लोग आपके विचार अच्छे या बुरे के संदार्व मे संलग्न करते रहेंगे, दोनो ही सूरतों मे आपके विचार का प्रभाव नजर आता है।

साधुवाद
Time up, time up :D
~innocent paridhi vaad :popcorn:

Oh haan

Intezaar agle update ke liye
~ naina vaad
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,655
80,784
259
Nain sir itne dhith writer hai ki agar aap aage ka Guess karke bata de to nain sir uss bat ko galat bata dete hai .....for example :-
Fan:- super bhikhari ka plan raddi hai..plan fail hone ke chance jyada hai..
nain sir:- no it's work very well :rock: :rock: :rock:



Fan :- jiviya koi pre-plan banayi hai

Nain sir:- nhi jivisha aise family se hai jaha plan nhi banaye jate ....

fan:- nishchal ki 4 shadi ka koi to raj hai
nain sir:- nhi koi bada raj nhi hai
( Sabko pata hai ki ye 4 shadi kitna bada plan ka ek mahatv purn hissa tha iss baat ke liye nishchal ki maa ne viyog sahan kiya tha hansate hue)



Fan:- jivisha aur apasyu ke bich relationship hai
nain sir:- nhi aisa kuchh nhi hai..
( But aap sabse uss Himalaya ke gufa ka flashback chhupaya gaya hai jaha ye sab kand hua tha)

Isme jit kiski hai ... Fan ki ya bewakoof nain ki...

Fan pahle kahta raha... Uske comment par nain mana karta raha.... Aur ant me jab baat khuli to wo wahi sab hota raha...

Mere dost ... Isme kaun jita... U should glad ... Ki aapne jo guess kiya wo sabhi sahi huye... Aur jaisa ki sab ko kahte aaya hun... Aap story open bhi kar de aur wo plot me hai to aayega wahi...

Soooo cheer up my bro... At least itna to viswas hai nahi ki aapka guess sahi hai to aane wale update me chhed chhad nahi hui ... Warna ask naina ji... Kayi writer readers dara suspence open hone ke baad mahino dikhte nahi... Kyonki unhe reader ko galat sabit karna hai...

Jabki main manta hun ki kahani ek bar plot ho gayi to wo kahani waisi hi chalni chahiye taki emotion se judkar reader feel kar sake aur aane wale updates ki kalpna...

Readers jo dil se padhte hain wo kahani ke atn bhavna se judte hain ... Aise me chal rahe update par satika guess karoge to kahan se maan lun main :D ...

But you my brother don't feel shy aur batane ka aise hi... Yesss I was right tere ... Smile please...
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,359
304
Nain sir itne dhith writer hai ki agar aap aage ka Guess karke bata de to nain sir uss bat ko galat bata dete hai .....for example :-
Fan:- super bhikhari ka plan raddi hai..plan fail hone ke chance jyada hai..
nain sir:- no it's work very well :rock: :rock: :rock:



Fan :- jiviya koi pre-plan banayi hai

Nain sir:- nhi jivisha aise family se hai jaha plan nhi banaye jate ....

fan:- nishchal ki 4 shadi ka koi to raj hai
nain sir:- nhi koi bada raj nhi hai
( Sabko pata hai ki ye 4 shadi kitna bada plan ka ek mahatv purn hissa tha iss baat ke liye nishchal ki maa ne viyog sahan kiya tha hansate hue)



Fan:- jivisha aur apasyu ke bich relationship hai
nain sir:- nhi aisa kuchh nhi hai..
( But aap sabse uss Himalaya ke gufa ka flashback chhupaya gaya hai jaha ye sab kand hua tha)
ye himalayas ke gufa mein kya hua tha? :D
 

11 ster fan

Lazy villain
2,964
7,008
158
Isme jit kiski hai ... Fan ki ya bewakoof nain ki...

Fan pahle kahta raha... Uske comment par nain mana karta raha.... Aur ant me jab baat khuli to wo wahi sab hota raha...

Mere dost ... Isme kaun jita... U should glad ... Ki aapne jo guess kiya wo sabhi sahi huye... Aur jaisa ki sab ko kahte aaya hun... Aap story open bhi kar de aur wo plot me hai to aayega wahi...

Soooo cheer up my bro... At least itna to viswas hai nahi ki aapka guess sahi hai to aane wale update me chhed chhad nahi hui ... Warna ask naina ji... Kayi writer readers dara suspence open hone ke baad mahino dikhte nahi... Kyonki unhe reader ko galat sabit karna hai...

Jabki main manta hun ki kahani ek bar plot ho gayi to wo kahani waisi hi chalni chahiye taki emotion se judkar reader feel kar sake aur aane wale updates ki kalpna...

Readers jo dil se padhte hain wo kahani ke atn bhavna se judte hain ... Aise me chal rahe update par satika guess karoge to kahan se maan lun main :D ...

But you my brother don't feel shy aur batane ka aise hi... Yesss I was right tere ... Smile please...
Isme kon jita usse mujhe Kya Mai to ye bata rha tha ki aap naina mam se bhi jyada dhith nikle.😆😆😂😆🤣..aur dusri sabse mahatv purn baat kal spg ka story read kiya usme wo name galat likhakar phir readers ko wohi batate the ..to Maine socha ki Chalo itna baat likhakar last me jiviya aur apasyu ke relationship ke bare me likhunga ..agar nain sir iss baat par kuchh nhi bole to iska Matlab hai ki done ke bich kuchh hua hai ..aur sir aap iss bare me na bolkar afwaho ko aur hawa de di hai ab us jiviya ki aisi ki taisi :bat1: :bat1:
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

11 ster fan

Lazy villain
2,964
7,008
158
ye himalayas ke gufa mein kya hua tha? :D
Himalayas ka gufa =ram ramih ka gufa
Baba re baba ham andar nhi gaye dekhane ki Kya ho rha hai ram Himalayas ke gufa me Jane ki himmt nhi hai hai operation karwa dega😅😂🤣😭😭😆
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Nevil singh

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,359
304
Cross confusion hai :D ... Kanchanjangha ke bare me soch raha jo flashback me aaya tha... Kahin threeeom na bata de ... Kyonki wahan to Nischal ke sath gayi thi Jivisha :hehe:
are dhett teri :D
I thought ki kuch aur subut mil jaye us nibbe apsyu aur jiviya ko khari khoti sunane ke liye.. :lollypop:
wo kya hai na, main bahut masoom reader hoon na :popcorn:
 
10,476
48,977
258
Update:-58



Nischal jab apni baat kah'kar sar upar kiya samne Jivisha nahi thi... Charo ore najar ghuma'kar dekh liya… "Areee yaar ye tou gussa'kar bhag gayi"…


Nischal kuchh aur der tak wahan charo ore Jivisha ko dhundhta raha, aur Jivisha jab nahi dikhi tab mayus hote... "Pagal, gadha, yahan romance karna tha... Kha-m-kha chidha diya. Chalo re baba, dekhte hain kitna gussa hui hai"…


Nischal wahan se sidha matth pahuncha, jahan bechare HuYu ko thappad par thappad par rahe the. Bechare ki band baj rahi thi aur sabhi ladkiyan uss par ration pani le'kar chadhi hui thi. Nischal jaise hi wahan pahuncha…. "Areee tum sab iske gaal laal kyon kar rahi ho... Bechara Ram bhakt Hanuman hone ki saja paa raha. Mukhiya ko pakado na"…


Nandni muskurati hui Nischal ke pass pahunchi. Muskurati hui wo Nischal ko dekhi.… "Kitna samjhdar ho gaya hai na… kamina"… aur Nischal babu bijli ke tej jhake kha'kar 200 meter ki duri par ja gire.… "Aaaooo pagal kahin ki, ab maine kya kiya"…


Nandni:- Hum teri biwi ko tourcher na kare isliye usse yahan se le'kar furrr ho gaya aur wapas usse resort me chhod'kar yahan aa gaya.


Nischal apni chot khayi kamar pakad'kar khada hote huye, apni badi aankhon se Kasak aur Nandni ko dekhte.… "Tumhe aisa laga kya"…


Serin:- Aisa laga nahi, balki aisa hi hai bhai... Chalo yahan se aur in sab ko chhod do... Aaj se ye apni planning par kaam karenge aur hum apni...


Nischal:- Mujhe bhi apni team me le lo... Mujh garib ko kahan pendulum bana rahi ho tum log... Na idhar ka rahunga na udhar ka...


Nandni:- Aisi biwi se pyar karne ki yahi saja hai... Talaqa de de … Tere liye uss se behtar biwi dhund denge...


Ert:- Main taiyar hun...


Serin:- Luna iss Nilbhut wali ladki ko le'kar jao... ye to pariwar me hi hathiyar chalva degi...


Nandni:- Kamine Nischal tere vajah se ab mere bhai (Ert ka hone wala pati Asis) ki shadi bhi khatre me hai...


Nischal apna sina pakad'kar wahin niche baith'te... "Kitni biwi hogi ek jindgi me. 4 biwi ko to Aizem par chhod aaya hun. Jaise hi launda free nahi dikha, ek aur application aa gaya... Bhagwan mujhe itna handsome kyon banaya"…


Kasak:- Achha hai, achha hai... Pighal jao iski overacting dekh'kar. Tum ladkiyan ek baat par atal kyon nahi rah sakti... Baat kahan se shuru hoti hai... Point kya hota hai... Aur khinch'kar kahan le aati ho...


Nandni:- Areee Haw na... Humne kya decide kiya tha…


Kasak:- Bycott karo iss jodu ke gulaam aur iski jodu ko...


"Haan kar do kar do... Dono ko bycott kar do"… HuYu chupke se uth'kar apni baat chillate aur dohrate huye, aa'kar Serin ke kandhe par apna hath tika'kar khada ho gaya...


Serin jhuk'kar HuYu ke tike hath se apna kandha hata'ti hui... "Chamche bhi bycott honge... Jakar samne khade ho jao"…


Nandni:- Chalo yahan se inse baat hi kyon karni…


Poori ladkiyon ki gange wahan se nikal gayi. Nischal aur HuYu ki haalat par wahan ke sanyasi bhi mand-mand muskura rahe the... Nischal thoda chidhte huye.… "Haan hans lo. Kabhi ladki patana nahi para na... Aur uss se bhi jyada unke nakhre nahi sahne pare, iskiye humari haalat par hans rahe"…


Ek Sanyasi:- Mitr mere pass ek vikalp hai.. ye sab moh maya chhod'kar humare sath aa jao...


HuYu:- Mujhe to pahla thappad parte hi aisi feeling aa gayi ki kash main bhi sanyasi hi hota...


Nischal:- Ye sanyasi ji bhi humare maze le rahe hain... Jijaji, abhi gaal hi laal huye hain... Chalo mamla settle karne, warna pata na aur kya-kya laal kar dengi...


Shaam ka waqt...


Aaj subah se hui gahma-gahmi ko, din ke waqt shadi ke rashmon ke karan viraam mil gaya tha. Nischal, Serin, Ert, aur Luna ke ore se koi na hone ke karan, inke ore se Nandita bhabhi, Jyoti bhabhi aur Nandni kamaan sambhali thi... Aur udhar 3 pariwar me ho rahi shadi ko Durga devi aur Priya rajpoot poora handel kar rahi thi… Kasak ke hone wala pati Sahil apne pariwar ke sath apni riti riwajon me laga hua tha...


HuYu ko bhi Abhishek ke sath transfer kar diya tha.… Aur Priya ke parivar me samil hote hi, poora din dubka hua wo Jivisha ke pichhe hi paya jata tha.… Din ke waqt shadi ke rashmon ke dauran, ajib hi mahol Priya, Durga aur Nandita ko najar aa raha tha...


Teeno ko pata hi nahi chal raha tha ki kaun kis se naraj hai… Kabhi Nandni Jivisha ko dekh'kar naraj rahti to kabhi Nischal ko... Yahi haal Kasak ka bhi tha... Jivisha ek ore jahan Kasak, Nandni aur Serin ko hasrat bhadi najron se dekhti, to wahin Nischal ko aise ghurti mano kah rahi ho... "Tum to dekhna bhi mat mujhe"


Shaam ke waqt charo, Mate Priya aur Durga, bhabhi Nandita aur Jyoti... Baithe huye shadi ke mahol par vichar kar rahi thi...


Jyoti bhabhi:- Mujhe inke lakshan kuchh thik nahi lag rahe hain, shadi me hungama na kar de sabhi...


Priya:- Kam hungama ho isliye tou humne wedding planner ko destination wedding ke liye kaha tha... Taki ye daru sharab se dur rahen…


Durga devi, apni aakhen badi karti.… "Damad ji pura piyakkad hain kya"???


Jyoti aur Nandita bhabhi dono hairani se Durga devi ko dekhti.… "Hamesa to strict hi dikhi ho aunty, lekin itni bholi hogi hume pata nahi tha"…


Durga devi, sawaliya najron se….. "Kya ho gaya so"…


Priya Rajpoot:- Had hai Durga, tumhe kuchh bhi pata nahi...


Durga devi:- Didi (Priya) aise paheliyan mat bujhao... Pine ke mamle me damad ji kaa naam le'kar kuchh galat kah dee kya??


Nandita:- Jyoti didi aap hi batao..


Jyoti bhabhi:- Aree aunty wo teeno jo hain... Kasak, Nandu aur Jivisha… teeno ko daru pine ke baad hungama karne ke liye, Pune me kayi pub wale ne unka entry hi ban kar diya hai... Kayi baar police jeep me baithe hain aur jab inse pahchan na thi to Ravi bhaiya (Nandita husband) ne inka chupke se bell karwaya hai thane se..


Durga devi:- Kya.. kya.. kya..


Priya:- Jyada gardan na jhatko Durga, akad jayegi...


Durga devi apni badi aankhen kiye.… "Teeno ladkiyan bevdi hain.… Aur wo ek jo Kasak ki humshakal hai wo"…


Nandita:- Kab tak wo samaj se bahar rahegi… bevdi nahi bhi hui to ho jayegi...


Durga devi kuchh der khamosh rah'kar… "Pine ke baad jab hosh hi na rahe, aise me teeno ke sath kahin kuchh galat... Hey bhagwan, ye kaisi aadaton ka shikar hai...

Nandita aur Jyoti bhabhi ek sath…. "Chhi chhi, aunty apni betiyon ke bare me aisi soch..


Durga devi gusse me dono ko ek-ek thappad lagati…. "Maa hun, dil na baithega kya aisa sun'kar. Fir khyal na aayega ki kisi ne galat fayda utha liya to"…


Nandita:- Nahi utha sakte na... Kyonki ye teeno pahle se bodyguard ka itazam kar leti hain… ek inka bharosemand koi na koi sambhalne wala hamesa inke sath rahta hai... Teeno apne bhai Ravi ki ladli hai tou Ravi police thane ko manage kar leta hai... Kabhi koi bodyguard nahi milta tha to ye log office se Ravi ko hi pakad'kar le jate the...


Durga devi:- In teeno ki to... Bhai ke pyar ka bhi fayda utha lee... Kaan ke niche dena tha na...


Jyoti bhabhi:- Kya kah rahi hain aunty... Ab 3 mahine me ek din kabhi kaand kare aayi to pata kaise chale... Sab manage bhi kar leti hai na... Jaise aap khud ko hi le lijiye... Na batate to pata bhi chalta kya...


Durga devi:- Bahut pareshan kiya hai teeno ne... Inko to...


Priya:- Teeno ki leader wo Kasak hai... Usse kopche me le lo... Sab ki hulladbaji control…


Durga devi:- Haan tou teeno ko hi sabak sikhaya hai… aaj hi... .


Nandita bhabhi:- Aunty jane do na... Aaj sangeet hai, kal mehndi, parso shadi … kyon pareshan karna... .


Priya:- Inko sab ko sabak sikhana to banta hai... Nandita tum chup rahogi…


Jyoti bhabhi:- Inki to watt lagli...


20000 square feet ka resort. 200 kamron ki suvidha, jisme lower class se lekar luxury sweets tak the... sabhi kamre shadi ke guset se bhade huye the... Takriban 350 log shadi me aamantrit... Saanjh ka waqt.. Priya Rajpoot aur Durga Devi ne sabko lawn me bula liya..


Durga Devi:- Abhi-abhi Purohit ji se baaten hui hai... Kuchh nakshtr ka dosh aa gaya hai kundliyon me... Kahte hain purv karmon ka dosh hai, isliye shadi ke baad dampatya jeevan me kuchh anhoni ki aashnaka hai.…


"Purohit ji sharmate hain jo chupke se kaan me kewal aapko bol'kar chale gaye"… Logon aur rishtedar ki bhid me se kisi ne bola... Priya jor se chillati hui... "Kaun bola, kaun bola"…


Jivisha ke papa Himanshu…. "Jane bhi do.… Aap kahiye"…


Durga devi:- Purohit ji ne kaha hai jald se jald dosh nivaran karna hoga... Shadi me sirf 2 din rah gaye hain...


"Kyon shadi ke baad kya dosh feviquick laga'kar chipk jane wala hai, uske baad nivaran nahi hoga kya"…. Bhid se fir kisi ne bola… Iss baar Nadita bhabhi gusse me... Aur fir se Himanshu ne shant karwaya… Iss baar Priya baat ko aage badhati hui….


"Dosh nivaran hetu Kasak aur Jivisha ko yahan maujood sabhi guest ke ek jodi kapda apne hathon se dho'kar usse istri karna hoga. Iss pure resort ke kamre me jhadu pochha lagana hoga aur anth me sab ke liye ek waqt ka khana banana hoga... Aur iss baar Pichhe se kisi ki awaj aayi to voice recorder laga rakha hai... Voice match karke uss se to main shadi ke khane ki plat saaf karwaungi"…


Jaise hi Priya ki baat samapt hui...Durga devi dhime se.… "Didi khana banwana risk hai.… Mujhe Jivisha ka pichhla kiya hua yaad hai"…


Priya:- Chinta kyon karti ho, iss baar dekh rekh me hum dono wahin kursi laga'kar baith jayenge…


Durga Devi:- Haan ye achha hai.…


Idhar jab ye announcement ho raha tha, shadi me aaye lagbhag log maujood the siway 3 logon ke... Nandni, Kasak aur Jivisha... Unhe kayi baar bulaya gaya lekin sabko apne kamare se wapas bhej di...


Teeno khamosh ek dusre ko ghur rahe the... "Ab kya hai ye... Kyon aise ruthi ho"…


Kasak:- Tujhe nahi pata ki hume kya bura lag raha hai...


Jivisha, Kasak ke pichhe usse bhinchti hui, uske galon par pappi leti... "Tu achha kar, tu bura kar... Tu kuchh bhi kar. Ye soch'kar karna ki usme meri hi marji hai. Tu bas sab ko kah dena Kasak ke kahne par maine kiya, baki main dekh lungi"…


Jaise hi Jivisha ne Kasak ko bachpan ka wo wakya yaad dilaya, jisme Kasak ne saaf kah diya tha ki kisi bhi shararat me mera naam bol diya kar, Kasak to dharm sankat me phans gayi. Aur idhar Nandni chup chap utha'kar chal di. Jivisha uska hath pakadti…. "Ab tu kahan chali"


Nandni:- Emotional blackmailer, wo tou pighli... Tu mujhe bhi kahin koi emotional goli na de de, isliye main chali...


Jivisha:- Areee baith na... Kyon itna khafaa hai...


Nandni:- Kitna bura lagta hai tujhe pata hai... Itna bada faisla akeli-akeli kar lee... Hume batati to aaj iss baat ka dukh to nahi hota.… Bhale hum koi role play karte yah nahi karte…


Jivisha:- Iss pure khel ki rachna hi issi aadhar par hui thi, sabko anjaan rakhna. Hume pata nahi tha ki Surpmarich yaden mitane ke baad hum par najar banaye rakhega ki nahi. Hum ye bhi nahi jante ki 2 yadon ke bich wo confuse hua ki nahi. Aise me mere aas-pass ke jitne bhi karibi the, wo yadi ek team ki tarah aise kaam karte, mano unhe sab pata tha ki aisi koi future me situation hogi.… Fir hum chindi chor se nahi uljhe huye the, balki iss universe ke uss msatermind se uljhe the jisne har uss jagah ko ya to tabaah kar diya ya fir unhe corrupt kar diya jo usse challange karte... Mere sar par hath rakh'kar kah do... Yadi meri jagah tum dono me se kisi ne plan kiya hota, jise itna sab kuchh pata ho uss kamine Surpmarich ke bare me, to kya yaden mitne ka wo daur Surpmarich ke samne ek sochi samjhi chaal ke roop me pesh karti, ya fir planning yahi hoti ki uss daur me sab random hi dikhe…


Nandni:- Puri tarah sahmat..


Kasak:- Main bhi... Lekin ander ki iss tis ka kya Karen jo bura lagne jaisa feel karwa raha hai...


Jivisha:- Haan to tis kam karne ke liye ek announcement hai na... Aage se jo bhi hoga, hum sath me karenge...


Nandni aur Kasak dono ek sath... "Iska matlab ki hum sab sath me mission par"…


Jivisha:- Yessss !!! Ek parijivi jo dusron ki takat ke jariye apna astitw banaye hai… Jiske liye mujhe abhi mere apno se sangrash karna par raha... Aage uss se nipatne ke khel me, bina kisi sawal ke main tum dono ko to kya... Hone wale Sahil jiju ko bhi sath me le jane ka plan kar rahi...


Kasak, thodi utsukta se.… "Matlab romantic action"...


Nandni:- Tu sach kah rahi kya??? Mujhe tere ya Nischal ke samne gidgidana nahi parega na ki hum bhi sath me hain? Aur tum dono miyan biwi ye kahte firo ki wahan bahut khatra hoga... nahi le sakte…


Jivisha:- Kewal wo hi khatarnak ho sakte hain kya tum dono khatarnak nahi ho sakti... Kya wo hi maar sakte hai, tum dono maar nahi sakti... Viswas karo jitna unse tumhe khatra hai, utni hi barabar ki balki main to kahungi uss se jyada khatarnak meri dono bahne hain...


Kasak:- Chal jhuti hume chane ke jhad par chadha rahi...


Jivisha:- Tum dono ki kasam main utha sakti hun iss mamle me... Mere mann me koi second thought nahi... Aur tum dono ke mann me bhi nahi hona chahiye.… Janti ho kyon...


Dono ek sath.… "Kyon"???


Jivisha:- Kyonki chit ki parchi 1 hi hoti thi jise hum aapas me ghuma dete the examination hall me.... Kabhi ye khyal aaya ki pakde jayenge ya fail ho jayenge... Hum teeno ko pata hai ki ek dusre ka istmaal kar'ke, kaise har exam pass hona hai..… chit mere pass hai aur exam hall me teeno sath me baithenge...


Kasak:- Kahin IAS level wali wo Compitative exam hui to...


Nandni:- Kahan tu bhi Kasak, bc wo Surpmarich ek corrupt neta hai to corrupt exam hi organise karwayega na... Kahan tu usse sattvik Aashram se compare kar rahi jo UPSC jaisa exam counduct karwayega... Don't worry hum pura cheating karenge aur teeno pass ho'kar aayenge..


Kasak:- Waise ye gali badi acchi lagi baton ke bich me. Matlab ab ek practicle exam me hume dil khol'kar cheating karni hai... Mast plan hai re baba... Uss Surpmarich ki to aisi ki taisi... Aan de sale ko...


Jivisha:- Yesss my dear sis... Taiyar ho jao ek cheater ko cheat karne ke liye... Haan lekin exam hai to kuchh taiyari to karni hogi na...


Kasak:- Bhag kamini... Kabhi exam ke liye taiyari kiye the... Ye exam bhi waise hi denge... aur pass honge...


Jivisha:- Haan lekin dono ko sallabus aur course to pata hona chahiye na, warna kya computer science ke exam me GS ka cheat lekar baithe rahenge...


Nandni:- Wo sab intercourse ke baad free hokar dekh lenge ki iss baar ke sallabus me kya hai... Abhi sirf Shadi aur honeymoon ki plan.. aur mere liye second honeymoon ka… chalo re ladkiyon aaj tou shadi me dhamaal machayenge...


Jivisha:- Kamini main dekh rahi hun shadi ke baad teri juban... Gali muh se nikal rahi aur ye khullam khulla baten...


Nandni:- Achha to teri tarah chupke se "Sexy boyfriend" aur "aag lagi jawani" padkar ungli karti rahun...


Kasak, jod se hansti... "Wo boyfriend wali novel maine bhi padhi hai... Aahhhh badi mast hai"…


Teeno ko khul'kar hansne lagi aur hanste hui hi bahar pahunchi… jab teeno bahar nikli tab sab log inhe dekh'kar hans rahe the... Jivisha aur Kasak dono Nandni ko aise ghuri mano kaccha chaba jaye.… "Areee jahilon, aise mat dekho... Matter kuchh aur hoga... Ander hum mike leker thode hi baat kar rahe the"…


Kasak aur Jivisha dono... "Haan point hai. Par ye log him par hans kahe rahe hain"…


Nandni:- Chal'kar pata karte hai na...


Teeno idhar udhar dekhti hui upyukt vaykti dhundhne lagi jo majra kya hai wo samjha sake... Itne me Jyoti bhabhi aur Nandita bhabhi bhi kuchh duri se unke ore aati hui najar aane lagi... Aur wo dono bhi inhe dekh'kar hanse ja rahi thi...


Jaise hi dono bhabhi pahunchi… ye teeno sawaliya najron se unhe ghurti.… "Dono (Jyoti aur Nandita) humare band kamre ki baat ko leak to nahi kar di na poore mehfil me, jo hans rahi ho"…


Jyoti aur Nandita bhabhi aapas me hi... "Tu bata de" "nahi tum hi bata do didi"…. "Nahi tu hi bata de na"… "na na didi tum batao"…


Teeno trideviyon ki najar kabhi idhar, to kabhi udhar... "Aree bus bhi karo kyon dono natak kar rahe... Batao bhi kya baat hai"…


Dono bhabhiyon ne, bhadi mehfil me kahe gaye kundli dosh aur uska nivaran bata'kar jod se hansne lagi... Nandni uchhal'kar dono bhabhi ke side hoti, wo bhi hansti hui... "In dono (Kasak aur Jivisha) ka to pura bakatkaar ho gaya"…


Tabhi Nandita bhabhi kahne lagi.….. "Punchayat ne faisla kiya hai ki dono se kaam karwane ki poori jimmedari tumhari hai Nandu... Dono kapde dhoyengi to kapda la'kar dene wala bhi to koi hona chahiye... Dono mil'kar kapde dhoyengi aur nichodengi, usse rassi par failane wali bhi to koi honi chahiye... Sukhe kapde laogi tum, press karengi ye dono aur fir fold karogi tum Nandu.. aise hi sabhi kaam pura karwana hai"..


Ye baat sun'kar Kasak aur Jivisha dono hansti hui... "Darling Nandu idhar aa ja abhi"…


Nandu:- Main apne pati ko le'kar chali... Mujhe na attend karni ye shadi...


Jyoti bhabhi:- Durga devi ka ye farman hai aur unhone kaha hai.… "Yadi Nandni shadi chhod'kar jati hai to Nandni ko main tab'tak apne pass Indor me rakhungi, jab tak Ansh babu ka Pune hospital walon ke sath karar khatam na ho jata"...


Nandni poore aawesh me, gusse se apni laal aankhen dikhati.… "Wo maa nahi chaandaalni hai aur ye dost nahi meri kundli ke rahu aur ketu hain... Paglonnnn maine kisi ka kyaaa bigada hai"…
अढ़ाई सौ कमरों में झाड़ू पोंछा लगाना.... साढ़े तीन सौ लोगों के कपड़े धोना , सुखाकर आयरन करना , फिर उन्हें चपेत के रखना...... इसके बाद उन सभी लोगों का एक टाइम का भोजन बनाना ।
ये दुर्गा देवी और प्रिया राजपूत बुढौती में सठिया गई है क्या ! इतनी कोमल , सुकुमार और खुबसूरत लड़कियों से भला इतने कठीन कठीन काम कौन करवाता है ! इनके होने वाले हसबैंड को पता चलेगा तो बेचारों की तो हार्ट अटैक ही न आ जाए ! कहां वो सुहागरात के सुहावनी सपने देख रहे होंगे , कहां वे " त्वमेव माता त्वमेव विद्या " कहने की प्लानिंग कर रहे हैं और कहीं उन्हें अपनी अपनी पत्नियों को लेकर हास्पिटल का चक्कर न काटने पड़ जाए ! :pray:

( वैसे ये सीन काफी फनी था । खासकर तब जब तीनों लड़कियों को इसके बारे में पता चलता है और जब उनका रियेक्सन देखने को मिलता है । )

जीविशा ने इस बार सुपरमेरिच से मुकाबला करने के लिए कसक और नंदिनी को भी अपने टीम में शामिल कर लिया । शायद इनका मुकाबला सुपरमेरिच के दो अंश भूवि और ए आर
एफ से होगा क्योंकि धरती पर तो फिलहाल यही दोनों हैं । और शायद अंतरिक्ष में रह रहे सुपरमेरिच के बाकी अंश प्रथम और जाॅय चौधरी से भिड़ने के लिए निश्छल को कमर कसनी होगी !

बेहतरीन अपडेट नैन भाई ।
 
Top