Update:-71
Indor ka naam sun'kar hi Nischal aur Jivisha ke chehre par hansi aa gayi. Dono ke mann mein sabse pahla khyal Nandni ki maa Durga Devi ka hi aaya, jise Jivisha ke wajah se kafi padesani jhelni pari thi...
Iss baar dono jab sath pahunche, bina ek bhi shabd jhut kahe sab sach-sach bata diya. Sari sachai sunne ke baad Durga devi ghurti najron se dekhti hui… "Iss baar bhi dono sach bol rahe ho, ya fir isme bhi koi jhut hai"..
Dono hanste huye wahan se uth gaye aur Nandni ke pass pahunche… teeno baithe huye the aur khamosh sa mahol tha…. "Waqt kitni jaldi bit jata hai na… life me busy hone ka waqt aa gaya"… Nandni apni baat kahkar khamosh ho gayi..
Jivisha:- Oye Nandu, ye kaisi baten kar rahi hai… tere shadi hone ke baad kya tu itna busy ho jayegi ki hume yaad bhi na kar paye.
Nandni:- Pata nahi mujhe Jisa, par meri maa ki zindgi dekh lo, tum apni maa ki zindgi dekh lo. Shyad hi unhe khyal bhi ho ki shadi se pahle unke koi dost bhi the.
Ek ore se Nischal aur dusre ore se Jivisha aur dono ke bich me Nandni… "smile plz"…. Ek selfie lete huye Nischal kahne laga…. "Pagal, ek baat jo satya hai wo samjha deta hun… najron ke samne na hone se, ya baat na karne se koi insan bhale hi yaad na rahe, lekin wo jab bhi tumhe milega, bus 2 minute ke ek chhote se emotinal intrection ke baad, mahol aisa hoga jaise pahle hua karta tha… ab no more emo-drama, only faimily drama"
Jivisha:- Best of luck darling. Pay back ka time aa gaya hai. Mujh se sara ghar ka kaam karwayi thi na, ab teri bari hai, practice kar le ache se…
Nandni:- Wo to mere sasural jane ke baad ki baat hai Jisa, lekin abhi to tum dono ki bari hai na… chalo utho aur niklo meri shadi ki taiyari ke liye…
Nandni unke pass se uth'kar dono se gale milti hui apne ristedaron ke bich chali gayi aur idhar dono ek dusre ko bahon me bhar kar, ek dusre ke pyar mein khote chale gaye….. "Baby, main kya kah rahi thi, Nandni ke sath kyon na hum dono bhi fere le len"…
Nischal:- Ha ha ha ha… har chij ka ek sunischit samay hota hai Jisa, uss samay ke aane ka intzar karo..
Jivisha:- Chalo na ek chhota sa dwand ho jaye… bahut chhupe rustam ho tum, mere ander ki sari khubiyan jaan lee aur apne ander ke sare raaj samete ho…
Nischal:- Pagal kahin ki… matlab tum kahna chah rahi ho ki main tumhare bare me jaan gaya hun isliye tumhe hara sakta hun… lekin aaj tak aisa hua hai kya..
Jivisha apni aakhen gurrati… "Tumhe kya lagta hai, tum jaan bujh'kar haroge to mujhe pata nahi chalega… main kya dudh piti bachi hun.."
Nischal:- Maine kab aisa kaha ki tum dudh piti bachi ho. Ab jane bhi do… yahan to chhutiyan bitane aaye hain na, fir ye dwand ki baat kahan se aa gayi.
Jivisha:- Kyonki ladai me hi tumhara romance jagta hai. Kabhi bahon me bhar kar roll karte ho, to kabhi chumte ho. Mujhe to shak hai ki suhagrat par bhi bina ladai kiye romance na shuru hoga…
Nischal:- Uss waqt ka to pura romance hi yudh me duba hua hoga… tum fikr na karo..
Jivisha:- Haan Haan ! Aur kis tarah ki ladai karoge fattu.. mera muh mat khulwao… bhagwan ne tumhe ladka banakar hi galat kar diya.… mujhe chhute huye to tumhare hanth kanp jate hain… itna to ladkiyon me bhi jhijhak nahi hota…
Nischal:- Uda lo mazak..
Tabhi Jivisha, Nischal ke honth ko chumti uthkar kahne lagi… "Baby main aati hun, betu se jara baat karke.. uske baad hum apni ye charcha jari rakhenge"…
Jivisha, takriban 15 minute baad lauti… "Nischal main jarra ghar hokar aati hun… ye betu aur uski girlfriend Aarsi, kya hi bataun main."..
Nischal:- 1 ghante ki hi to baat hogi.. chalo jaldi se chala jaye.. unka masla niptakar aaya jaye..
Jivisha:- Nahi, yahan Nandu ki shadi mein aaye hain… hum dono gayab ho gaye to uska dil toot jayega. Usse lagega hum dono uski shadi me bhi apne romance me lage hain.. waise bhi main yun gayi aur yun aayi…
Nischal:- Hmmm ! Thik hai jao… aur haan dono bahut pyare hain isliye please koi shakhti mat baratna.
Nischal, Jivisha ko viman tak chhod aaya. Jivisha najar bhar Nischal ko dekh'kar viman se nikli…
6 mahine purv...
Nischal naam ki tsunami se bachne ke baad Rijo aur Apini dono Jatin ke pass pahunche the. Kafi lambi charcha ke baad Rijo wahan se nikal gaya aur Apini, Jatin ke pass hi ruk gaya. Halanki rukne ka dar Alini ko behad sata raha tha, lekin aise waqt me Nischal ke grah Aizem se aaye uske 2 sathi Ruki aur Suko ne bhadosa dilaya ki uske yantr kawach ke ander jab tak wo hai, Nischal ka radar usse dhundh nahi payega…
Jatin aur Nischal ke riste ko dekh'kar ek baar fir yojna banna shuru ho gaya. Zoren grah ke Mahamahim aur Aizem ke raja Sabaiyya ke bich ek prastawit meeting Aizem mein hui…
Mahamahim:- Humra abhivadan swikar karo Raja (Sabaiyya)
Sabaiyya:- Humara bhi abhivadan swikar kariye Mahamahim..
Mahamahim:- Sabaiyya tumhe to masle ki puri jankari hogi hi. Aakhir tumse itni badi chuk kaise ho gayi. Kya tumhe jara bhi elm na thi…
Sabaiyya:- Kaisi baten kar rahe ho Mahamahim, Aizem grah par ek Viggo hai, yadi iss baat ka elm kisi ko bhi hota to wo Viggo jivit na bachta. Upar se tum to bata rahe ho ki wo Viggo Sigma hai. Iss class ke Viggo ko hum najarandaj kar sakte hain kya?
Rijo:- Gustakhi maaf Sabaiyya, lekin wah kewal Viggo Sigma nahi balki ek unidentified Alpha bhi hai. Uski tabahi ke majar ka visuals to humne bheja hi tha…
Sabaiyya:- Wo kaun sa Viggo tha usse pahchane mein bhale hi chuk hui ho, lekin uski kshmta ka andaza tha, isliye mere Jasoos Ruki aur Suko ne pahle hi aagah kiya tha.
Mahamahim:- Kya ho gaya uspar charcha karna humari bewakoofi hogi. Aisi soorat me jab wo Viggo humari Malkia ka raaj jaan gaya hai, hum kya kare.. Upar se usne prithvi ka rasata Zoren ke liye band kar rakha hai.. prithvi ki seema me ghuste huye humare 40 viman barbaad ho gaye…
Sabaiyya:- Hum aap ki seema tak aapki Malkia ko pahuncha denge, ye hamari juban hai. Aap ki Malkia aap ke seema me jaise hi pahunch gayi, thik uske baad aap mujhe mere kaam ki taknik ussi waqt saunp denge..
Mahamahim:- Thik hai wada raha.. hum chalte hai, ab sab aapki jimmedari hai…
Dono ke bich iss charcha ke baad Mahamahim Aizem grah se laut aaya. Uske lautne ke turant baad hi Sabaiyya ne ek baithak bulayi jisme uske sabse khas log the...
Ruki:- Sabaiyya yadi sahjada uss ladki ke liye wahan ruka hai matlab kuch to baat hogi uss ladki mein.. waise bhi Prithvi par hum uska kuch bigar na payenge, isliye behtar hoga ki sahjade ko Aizem aane ke liye vivas kiya jaye…
Serin, ek kabil technology expert aur Nischal ki sabse karibi mani jane wali… "Yadi kaise bhi karke tum dono (Ruki aur Suko) Nischal ko prithvi ki seema se bahar lane me kamyab huye, to aage meri jimmedari rahi ki kaise usse Aizem tak lekar aana hai…
Sabaiyya:- Hume wo ladki bhi chahiye, usse bhi Aizem lekar aao… aakhir issi Malkia ki wajah se to iss Mahamahim ka pure Zoren grah par raaj chalta hai. Ussi ke wajah se wo Mahamahim ki dirdh aayu (long life) bhi hai…
Ruki:- Bilkul sahi yojna hai Sabaiyya…
Serin:- Hmmm ! Yojna to sahi hai Sabaiyya, lekin Malkia ko yahan lakar bhi koi fayda nahi hoga, kyonki Mahamahim jabtak wo taknik sajha nahi karta, ki kaise wo Malkia ki takat ko apne ander nihit kar leta hai, uska koi fayda hi nahi..
Ruki:- Ye bhi sahi hai. Iska arth yah hua ki pahle hume Malkia ko prithvi se Zoren grah le jana hoga... Uske baad Mahamahim se uska raaj janne ke baad, wahan humla karke uss ladki ko chhuda layenge aur fir Sabaiyya hoga sabse shaktisali.
Suko jo ab tak pure mamle me shant tha…. "Hum jab aasani se sahjade ko wahin prithvi par dher kar sakte hain, fir yahan Aizem tak unhe lane ki yojna hi kyun banana. Abhi hum baat kar rahe hain ki sahjade ko prithvi par nahi mara ja sakta. Kal ko yahi baat Zoren aur Aizem grah ke liye bhi hogi. Itne varshon me to uske Viggo hone ka raaj khula hai, upar se wo unidentified ki shreni me hai… Uski kshmta pa pata lagane se pahle hi wo hum sabko maar chuka hoga… Aap sab bus uss Malkia ke liye taiyari kijiye, main aur Ruki prithvi jakar sab sambhalte hain..
Pahle Mahamahim aur Sabaiyya ki yojna aur fir Jivisha me Sabaiyya ki ruchi. Usse lekar Mahamahim ke dhoke se lekar Jivisha ki shakti pane ki chah, aisa lag raha tha mano sab ka dhyan ab Jivisha par kendrit ho chuka tha…
In sab se bekhabar, Nischal, Jatin ke sath milkar Jivisha ko trained karne mein laga hua tha. Idhar Ruki aur Suko chhipkar, Jatin ko dhokhebaji ki kala me aisa mahir kar chuka tha, ki Jivisha ka purvanuman tak kuch bhi bhanp nahi paya.
Jivisha ko le jane ki taiyari lagbhag 3 mahina me puri ho chuki thi. Ek technology ka jaal bichhaya gaya, jise Aizem ke operating system se connect kiya gaya tha, yahan agar koi oprater karne wala mar bhi jata hai, to bhi jal mein fase logon ko Aizem se baithe khatam kiya ja sakta tha.
Ruki aur Suko ke liye ab bus matr intzar tha to kewal Nischal ke Pune chhodne ka, taki bina koi samasya ke Jivisha ke kisi karibi ko uss technical jal me fasa'kar, Jivisha ko majboor kiya ja sake sath aane ke liye…
Jatin ka Nischal ke sath hona kuch-kuch mamalon me fayda de gaya. Nischal ke karan Jatin ko bhi pata chal chuka tha ki Jivisha ko kaise behosh karke, uspar kabu paya ja sakta tha…
Jaise hi Jivisha aur Nischal ne Puna chhoda, Jatin ne mauka dekh'kar Chirag ko utha liya aur Apini ne Aarsi ko utha liya. Un dono ko apne changul mein fasane ke baad, Jatin sidha Jivisha se sampark kiya.… Aur kahani aisi hui ki Jivisha ab urran bhar chuki thi aur Nischal, Nandni ki shadi me tha…
Jivisha, Chirag aur Aarsi ka naam sun'kar pahle se hi baukhlayi hui thi, upar se Jatin ka vishwasghat, Jivisha ke ander ki aag ko bhadka rahi thi. Kuch hi der me Jivisha ek bade se yan ke pass khadi thi jahan samne sabhi chalbaaz khade the…
Jayon he Jivisha ke najron ke samne Jatin aaya, uski bekhauff najren samne ke logon par thi. Koi bhi apni jagah se hil nahi pa raha tha aur Jatin dhire-dhire hawa me upar jane laga. Jatin ko dum ghutne jaisa mehsus hone laga, pran sharir se nikal rahe ho aisa mehsus ho raha tha… tabhi yan ke bahri screen par Chirag aur Aarsi ki tasveer flash hui aur awaz gunjne lagi….
"Tumhari shaktiyan hum tak nahi pahunch sakti lekin yadi abhi tumne in sab ko nahi chhoda to main der nahi lagaungi tumhare ajij ko khatm karne mein… waise bhi hum utne khatarnak nahi, jitna tumhara boyfriend hai. Mujhme viswas dikhao, khud ko aur apne dono karibi ko tum surakshit samajhkar viman me chali aao. Mera wada hai tumse, jab tak main jivit hun un dono ko kuch nahi hoga"..
Jivisha puri baat sunne ke baad, apna sampark todi aur Jatin dharam se niche… khanste huye wo jab tak khud ko samnya kar raha tha, Jivisha uske pass teji se pahunchi aur khinchkar ek thappad jadte huye gusse se sabko dekhti hui kahne lagi….